⚀
╭━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╮
*вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм*
╰━═══┅━┅━━━━━━┅━┅═══━╯
🥀 *SAWALAAT E RAMZAN* 🥀
╰┅┄━━━━━❀━━━━━╯
✧⇝❥ *Ramzan Ke Roze Kyu Farz Kiye Gaye,*
✧ Allah Ta'ala ne Farmaya :-
"__Ey imaan Walo , Tum per Roze Farz kar diye gaye Wese hi Jese Tumse Pehle Logo'n per Farz Kiye gaye they , Taki Tum Taqwe Ki Raah Akhtyar karo _"
*Ref_$_ Surah AL Baqrah,183*
✧ Bayzawi farmate hai'n:-
"_ Taki tum gunaho'n se bacho ,Kyunki Roza Shehwat ko tod ta hai aur Shehwat hi se gunaho'n Ki shuru'aat hoti hai , Jesa k Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Nikah na kare kar sakta ho ,WO Roze Ka ahatmam kare ,Kyunki Roza uske liye ( Shehwato ko ) todne Ka zariya hai _,"
*Ref_$_ Tafseer Bayzawi ,1/123*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Imaan aur Ahatsaab Ke Saath Roze aurQiyaame Ramzan Ke Kya Ma'ani Hai'n?,*
✧ _Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jisne Imaan aur Sawab Ki niyat se Roza rakha uske Pichhle gunah maaf kar diye jate hai'n _,"
*Ref_$_ Bukhari -38 ,Muslim 1268*
✧_ Hazrar Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jisne Imaan Ki bina per aur sawab Ki garaz se Ramzan Ka Qiyaam kiya Uske pichhle gunah maaf kar diye jate Hai'n_"
*Ref_$_Bukhari -37,Muslim -759*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Ramzan mai Saare Jinn Qaid Kar diyeJate Hai'n ?,*
✧ _ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Jab Ramzan Ki pehli Raat hoti hai to Jinno mai se Sarkash Shayateen ko zanjeero mai Qaid kiya jata hai, Jahannam ke darwaze band kiye Jate Hai'n, ( Mahine bhar ) Uska koi darwaza nahi khulta aur Jannat ke darwaze khol diye Jate Hai'n ( Mahine bhar ) uska koi darwaza band nahi kiya jata ,
"__ Ek Nida lagane Wala Nida lagata hai , Ey khair ke talab karne wale aage badh aur Ey Shar ka iraada karne wale ruk ja , Aur Allah Kuchh logo'n ko Jahannam se Azaad kar deta hai _,"
*Ref_$_ Tirmizi ,ibne Maaja,ibne hibaan ,Haakim Bahyqi( Raavi Abu Huraira Raziyallahu Anhu)*
✧_ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Ey Logo ! Mujhe Shabe Qadar Ki pehchan karayi gayi thi aur mai'n tumhe batlane ke liye aa raha tha ,magar yaha'n do Shakhs lad rahe they aur unke saath Shaitaan bhi tha Lihaza WO mujhe bhula di gayi _,"
*Ref_$_ Bukhari -AsSiyaam,1996*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya door daraaz Ke ilaaqo mai Roza aurLaylatul Qadr mai Farq ho sakta hai ?,*
✧ _ Kareeb Rehmatullah farmate hai'n:-
"__ Umme fazal Binte Haaris ne unhe Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke paas Shaam bheja , Farmate hai'n - mai'n Shaam aaya aur unka diya hua kaam poora kiya , Abhi mai'n Shaam hi mai tha k Ramzan ka Chaand nazar aa gaya ,Maine Juma Ki Raat Chaand dekha ,fir Mahine ke Aakhri dino mai Madina Pahunch gaya ,
__Abdullah ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne daurane guftgu Chaand ka zikr kiya aur mujhse puchha - tumne (Shaam mai ) Chaand kab dekha ? Maine kaha - humne Juma Ki Raat Chaand dekha tha ,
Unhone puchha - kya tumne khud dekha tha ? Maine kaha - Haa'n ,aur Logo'n ne bhi dekha aur Roza rakha aur Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne bhi Roza rakha ,
__ is per unhone kaha - lekin humne to Shanichar ( Hafte ) Ki Raat Chaand dekha tha ,So hum barabar Roza rakhte chale jayenge yaha tak k 30 Ki ginti poori kar le ya Chaand dekh le , Maine puchha - Kya Aapke liye Mu'awiya Raziyallahu Anhu Ki Ro'iyat aur unka Roza rakhna kaafi ( daleel ) nahi hai ? Aapne jawab diya - nahi , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne hume ESA hi hukm diya hai ,_"
*Ref_$_ Muslim_28 (1087)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Roze Ki Niyat Kab Karni Chahiye ?,*
✧_ Allah Ke Razool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jisne Fajar ( Subeh Sadiq ) ke tulu hone se pehle Roze Ki Niyat nahi Ki uska Roza nahi _,"
*Ref_$_ Musnad Ahmad, Abu Daowd, Tirmizi, Nasaa'i,Rivaaya Hafsa( Sahih Jami'a 6538)*
✧_ Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Jo Raat hi mai Roze Ki niyat na kar le uska Roza nahi _",
*Ref_$_ Nasaa'i Rivaya Hafsa( Sahi Jami'a 6535)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Qur'an Teen Din se Kam mai Qur'anKhatm Karna achchha hai ?,*
✧ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai ,Farmati hai'n:-
"__Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Teen Din se Kam mai Qur'an Khatm nahi karte they_,"
*Ref_$_( ibne Sa'ad ) Sahih Jami'a-4866*
✧_ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
" _ Jo Shakhs Teen Din se Kam mai Qur'an Padh le WO Qur'an ko gehraa'i se nahi Samajhta_,"
*Ref_$_( Abu Daowd, Tirmizi,ibne maaja) Raavi ibne Umar( Sahih Jami'a 7743)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Bachcho Per Roza Farz Hai ?,*
✧ _ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Teen logo se Qalam utha liya gaya hai , Majnoon yaha tak k uska Junoon jata rahe , Sone Wala yaha tak k bedaar ho jaye aur Bachcha Yaha tak k Baalig ho jaye _,"
*Ref_$_ ( Musnad Ahmad, Abu Daowd, Haakim) Raavi Ali v Umar ( Sahih Jami'a 3512)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Musafir Ke Liye Roza Rakhna behtar haiYa na rakhna ?*
✧_ Allah Ta'ala ne farmaya :- agar tumme se koi mareez ho ya safar mai ho to itne din gin kar baad mai roza rakh le _,"
*Ref_$_Surah AL Baqrah-184*
✧_ Hamza bin Amro Aslami Raziyallahu Anhu farmate hai'n k unhone kaha - Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Mai'n Apne andar haalate safar mai roza rakhne Ki quwwat pata hu'n , To ( agar mai safar mai roza rakhu ) to kya mujh per gunaah hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ye Allah Ta'ala Ki taraf se rukhsat hai ,Jo ise le le to uske liye behtar hai aur Jo Roza rakhna chahe to us per koi gunaah nahi _,"
*Ref_$_Muslim -1121,*
✧_ Ek Rivayat mai yu hai :- Tumhare liye Jo bhi asaan ho karo _,"
*Ref_$_( Tamam fi fawa'idah ) Sahih- 2884*
✧_ Bukhari Ki Rivayat mai yu hai :- Agar tum chaho to roza rakho aur chaho to aftaar karo( Yani chaho to roza na rakho )_,"
*Ref_$_Bukhari -1943*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Haamla aur Doodh Pilane Wali Aurat agarRoze mai Takleef mehsoos Kare to Kya Kare?,*
✧ _ Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ Agar Ramzan mai ( Roze Ki vajah se ) haamla ko apne liye aur Doodh pilane wali Aurat ko Bachche per khatra mehsoos ho to WO roza na rakhe aur har Din ek miskeen ko khana khilaye , mazeed ye k WO Roze Ki qaza bhi na kare _,"
*Ref_$_ Tafseer Tibri Al- Baqrah 184 ,iski sanad Muslim Ki shart per Sahih hai*
✧_ Saied bin Juber se Rivayat hai k Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne Apni Umme Walada ( Baandi jisse Aulaad ho ) se kaha Jo haamla ya murzia ( Doodh pite bachche wali ) thi :- Tum un logo mai se ho Jo roze Ki quwwat nahi rakhte ,tum per roze ka badla ( fidiya ) hai ,Qaza nahi _,"
*Ref_$_ Daar Qutni , irwa AL gulayl-19/4 ( Sahih sanad)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
*✧⇝❥ Sehri Ka Afzal Waqt Konsa hai?,*
✧ _ Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n , Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam aur Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhu ne Sehri Ki aur jab Sehri se faarig hue to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam namaz ke liye khade hue aur namaz padhi ,
Raavi kehte hai'n - humne Anas Raziyallahu Anhu se puchha - in dono ke Sehri karne aur namaz padhne ke darmiyan kitna waqfa tha ?
Aapne farmaya :- itna k Ek Aadmi pachaas ( 50) Aayate padh le _,"
*Ref_$_ Bukhari -1134*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
*✧⇝❥Agar Khate hue Sehri ka waqt khatm honeka ilm ho jaye to kya kare ?*
✧_ Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Jab tumme se koi Azaan sune aur ( pine ka ) bartan uske haath mai ho to us bartan ko rakh na de balki usse Apni haajat ke mutabiq khaa pi le _,"
*Ref_$_ (Musnad Ahmad, Haakim, Abu Daowd)Raavi Abu Huraira ( Sahih Jami'a 607)*
👉 *Hamare Yaha'n Zyadatar Sehri Ka Waqt Kaelaan hota hai aur Azaan Kuchh waqt baad hi hotihai ,Esi haalat mai Waqt Per Sehri Ko khatm kiyajaye , Azaan ka intezar na kare ,*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Aftaar Ka Masnoon Waqt Kya Hai ?,*
✧ _Sahal Bin Sa'ad Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Meri Ummat mere tareeqe per baqi rahegi Jab tak WO Aftaar ke liye Sitaaro ke tulu ka intezar na kare ,"
✧_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam jab Roza rakhte to ek Shakhs ko teele per bhej dete , Jab Wo kehta k Suraj guroob huwa to Aftaar kar lete _,"
*Ref_$_ Haakim ,Ibne Hibaan ,ibne Khuzema ( Sahih -2081) Tabrani Raavi Abu Darda( Sahih Jami'a-4772*
✧⇝❥ *Kis Cheez se Sahri aur Aftaar Karna Afzal hai ?*
✧_ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__ Chhuwaro'n ( Sookhi khajooro ) per ek Momin Ki Sahri Kitni Achchhi hai _,"
*Ref_$_Abu Daowd, ibne Hibaan- Raavi Abu Huraira ( Sahih-562)*
✧_ Abas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Namaz se pehle Rutab ( Geeli Khajooro ) per Aftaar kiya karte they agar Rutab khajoor na hoti to Tamar ( Sookhi Khajooro ) per Aftaar kar lete agar WO bhi na hoti to Pani ke chand ghoont pi lete _,*
*Ref_$_ Musnad Ahmad, Abu Daowd, Tirmizi ( Sahih Jami'a -4995)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Roze mai Bhool kar Khaa Pi Lene Ka kya Hukm Hai ?,*
✧ _ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Jisne Bhool kar Roze Ki haalat mai Kuchh khaa pi liya to WO Apna Roza poora kare Kyunki Use to Allah ne Khilaya Pilaya hai _,"
*Ref_$_ Bukhari -Kitabul Imaan 6669, Muslim - AsSiyaam -171*
✧⇝❥ *Kya Mahaz Zaayqa Chakh Lene se Roza Toot Jata hai ?*
✧_ ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ Rozedaar agar Haandi se Kuchh Chakh le to koi harj nahi _,"
*Ref_$_Mukhtasar Sahih Bukhari-361, ibne Abi Shiba- 9278*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Ramzan Ki Raato mai Bivi se Jima'a Jaa'iz hai? ,*
✧ _ Allah Ta'ala ne farmaya :-
أُحِلَّ لَكُمْ لَيْلَةَ الصِّيَامِ الرَّفَثُ إِلَىٰ نِسَائِكُمْ
"__Roze Ki Raat mai Apni Biviyo'n se milna tumhare liye halaal kiya gaya hai _,"
*Ref_$_ Surah Al-Baqara, 187*
✧_( الرَّفَثُ )
.se muraad Yaha Jima'a hai , Yahi baat ibne Abbaas, Ataa, Mujahid , Sa'ad bin Juber , Taa'us ,Saalim bin Abdullah ,Amro bin Dinaar , Hasan Basri ,Qatada ,Zahri ,Zahaak ,Ibrahim Nakh'iy ,Saadi ,Ataa Khurasani aur Maqatil bin Suleiman ne kahi hai ,
*Ref_$_ Tafseer ibne Kaseer-1/375*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Rozedaar Apna Thook nigal Sakta hai?,*
✧ _ Qatada Rahmatullah Farmate hai'n :- Agar Rozedaar apna Thook nigle to koi harj nahi _,"
*Ref_$_AbdurRazaq -7502 aur Imaam Bukhari ne Kitaab As Saum mai ise Rivayat kiya hai*
✧⇝❥ *Kya Qay se Roza Toot ta hai ?*
✧_ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__ Jise Qay aa jaye us per qaza nahi aur Jo jaan boojh kar Qay kare to us per qaza hai _",
*Ref_$_Abu Daowd, Tirmizi,Nasa'i ,ibne maaja, Haakim- Raavi Abu Huraira ( Sahih Jami'a-6243) Alfaz Tirmizi ke Hai'n*
✧_ibne Khuzema ke alfaz hai'n :--
"_ Agar Rozedaar Khud Qay kare to uska Roza toot gaya aur agar us per Qay gaalib aa gayi to uska Roza nahi toota ,"
*Ref_$_ Sahih ibne Khuzema, 1960,*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Roze Ki Haalat mai Miswaak Kar Sakte hai'n?,*
✧ _ Ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ ( Rozedaar ) din ke avval aur Akhiri hisse mai miswaak kar sakta hai ,Magar WO uska thook na nigle _,"
*Ref_$_ Bukhari*
✧⇝❥ *Kya Roze Ki Haalat mai Raahat ke Liye naha sakta hai ?*
✧_ Abu Bakar bin AbdurRahman Kisi Sahabi se Rivayat karte hai'n :- Unhone kaha :-
"__ Maine Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko Arj ke muqaam per dekha Aap Apne sar per Pyaas Ya Garmi Ki vajah se Paani daal rahe they _,"
*Ref_$_ Abu Daowd Tehqeeq AL Baani-2360( Sahih)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Rozedaar Tel aur Surma Laga Sakta hai? ,*
✧ _ Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ Jab Tumme se kisi ka Roze ka Din ho to use chahiye k WO Subeh Tel lagaye aur Kanghi kare_,"
*Ref_$_ Bukhari*
✧_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k :-
"_ Woh Roze Ki haalat mai Surma lagaya karte they _,"
*Ref_$_ Abu Daowd (Sahih Abi Daowd-2082)*
✧⇝❥ *Kya Khoon dene se Roza Toot ta hai ?*
✧_Abu Saied Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Rozedaar ko Hijama karwane Ki rukhsat di _,"
*Ref_$_ Daare Qutni ,Tabrani ,Bayhiqi,( irva -4/75 Raqm 931)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kya Junbi Ke Liye Roze Ka Waqt Shuru hone se Pehle Gusl Lazim hai? ,*
✧ _ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya'n Hazrat Ayesha aur Umme Salma Raziyallahu Anhuma farmati hai'n :-
"__Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ahatlaam se nahi balki Jima'a se Janabat Ki haalat mai Subeh karte aur Aap Roza rakh lete _,"
*Ref_$_ Bukhari -AsSaum1926 Muslim -AsSiyam78*
✧⇝❥ *Kya Bivi se Bos Kinaar Karne se Roza Toot ta hai ,?*
✧_ Abdullah bin Amr bin Aas Raziyallahu Anhu farmate hai'n ;-
"__ Hum Allah Ke Nabi Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai haazir they k Ek Nojawan aaya aur Kaha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya mai'n Roze Ki haalat mai ( Bivi ka ) Bosa le sakta hu'n ?
_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- nahi ,
Itne mai ek Umar daraaz Sahab aaye aur unhone puchha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya mai'n Roze Ki haalat mai ( Bivi ka ) Bosa le sakta hu'n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- haa'n ,
Is per hum ek doosre Ki taraf ( tajjub se ) dekhne lage , Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- mujhe maloom hai tum ek doosre ko kyu dekh rahe ho ,baat ye hai k buzurg Shakhs apne ouper zyada qaabu rakhte hai'n _,"
*Ref_$_ Musnad Ahmad, Abu Daowd ( Sahih-1606)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *LayLatul Qadr mai Kya Dua Karna Chahiye? ,*
✧ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n :-
"_ Maine Puchha ! Ey Allah ke Rasool ,agar mujhe ye maloom ho jaye k Konsi Raat Laylatul Qadr hai to mai is Raat mai Kya kahu'n. ?
Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Yu'n kaho
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
*( Allahumma innaka Afuwwu tuhibbul Afwa Fa'afu Anni )*
Ey Allah Tu bada maaf karne Wala hai ,maaf karne ko pasand karta hai ,Pas mujhe maaf kar de ,
*Ref_$_Tirmizi ,ibne maaja, Haakim, ( Sahih Jami'a-4423)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Kitne Dino ka Aitikaaf Sunnat hai? ,*
✧ _ Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n:-
"_ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ramzan Ke Aakhri Ashre ka Aitikaaf kiya karte they_,"
*Ref_$_ Bukhari- baab Aitikaaf-2025 Muslim -Baab Aitikaaf-1( 1171)*
✧_ Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Allah ke Nabi Sallallahu Alaihivasallam har Ramzan mai Das ( 10 ) din ka Aitikaaf kiya karte they, Lekin jis Saal Aapki wafaat hui us Saal Aapne Bees ( 20 ) Din ka Aitikaaf kiya _,"
*Ref_$_ Bukhari -baab Aitikaaf 2044*
✧_Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__ Allah Ke Nabi Sallallahu Alaihivasallam Jab Muqeem hote Ramzan Ke Aakhri das dino ka Aitikaaf karte aur agar Aap ( Ramzan mai) safar karte ( aur Aitikaaf na kar pate ) to agle Saal Bees Din ka Aitikaaf karte _,"
*Ref_$_ Musnad Ahmad ( Sahih Jami'a-4775)*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Zakatul Fitr ( Sadqatul fitr) kis per Farz hai ?,*
✧ _ Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n:-
"__ Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Ramzan mai Zakatul Fitr ko har musalman chahe WO Azaad ho ya Gulaam ,Mard ho ya Aurat, Chhota ho ya Bada Sab per Farz kiya hai _,"
*Ref_$_ Bukhari- AzZakaat-1503 ,Muslim AzZakaat-16( 984)Lafz Muslim ke hai'n*
✧⇝❥ *Zakatul Fitr ( Sadqatul fitr)Kab dena Chahiye ?*
✧_ Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne logo ko (Eid Ki ) namaz ke liye Jane se Pehle Zakatul Fitr Dene ka Hukm diya _,"
*Ref_$_ Bukhari -AzZakaat-1509 Muslim-AzZakaat-1642, Lafz Muslim ke hai'n*
✧_ Naafe se Rivayat hai k ibne Umar Raziyallahu Anhu Zakatul Fitr us Shakhs ko dete Jo use qubool karta tha aur Log Zakatul Fitr ek ya Do Din pehle hi de diya karte they _,"
*Ref_$_ Bukhari -AzZakaat-1511,*
┱━━━━━━❀━━━━━━╮
✧⇝❥ *Sadqatul Fitr mai Anaaj dena chahiye ya Raqam ? ,*
✧ _ Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ Ta'aam ( Yani Anaaj ) se ek Sa'a Sadqatul fitr diya karo _,"
*Ref_$_ Hilatul Awliya,Bayhiqi Raavi ibne Abbaas ( Sahih Jami'a-242)*
✧⇝❥ *Kya Namaze Eid ke baad Sadqatul fitr dene se ada ho jata hai ?*
✧_ Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
"__Zakatul fitr Rozedaar ko lagv ( be faayda) aur be hayaai ( ke gunaah) se Paak karne aur Miskeeno ka pet bharne ke liye muqarrar kiya gaya hai , Jisne ise namaz se pehle ada kiya to WO maqbool Sadqa hai aur Jisne Namaz ke baad ada kiya to ek aam Sadqa hai _,"
*Ref_$_ Daare Qutni, Bayhiqi Raavi ibne Abbaas ( Sahih Jami'a-3570)*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━╯
🥀 *↭Ramzan WO Mahina hai Jisme Qur'an Naazilhua ,Jo logo'n Ke Liye Hidayat hai aur JismeHidayat ke Liye aur Haq v Baatil mai Farq Karneke Liye Nishaniya'n Hai'n,* 🥀
═══─┉●┉─═══
*✭Alhamdulillaah Mukammal Hue✭*
✭
✭
╥
║
║ *✍Talibe Dua_*
║ *_Ahle deoband Group _*
╚═════════════┅┄ ✭✭
📿 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 📿 ╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
No comments:
Post a Comment