▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿ *ISTAQBAAL E RAMZAN* ✿
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· Ramzanul Mubarak Yani Nekiyo'n Ka Mausam aane ja raha hai , Duniya mai hum dekhte hai'n k Jab Kahi mela lagta hai ya Sale lagta hai to Log toot padte hai'n, Kyunki Do faayde hote hai'n:-
1- Bager kisi badi mashakkat ke asaani ke saath cheez mil jati hai ,
2- Matlooba cheez kam qeemat aur Saste Daam mai mil jati hai,
➠Bilkul yahi soorate haal Ramzanul Mubarak Ki hai k Melo aur Sailo mai Jismani gizae'n kam se kam qeemat mai mayasaar hoti hai aur Ramzanul Mubarak mai Roohani Gizae'n Kam mashakkat mai zyada sawab ke saath mayassar hoti hai'n ,Goya Allah Ta'ala Ki taraf se sale lagta hai ,k Aao nekiyo'n ko loot kar le jao ,
➠ Kesa Raheem v Kareem aur Maharban Parwardigaar hai Jo hamara itna khayal kar raha hai k hum Saal bhar Ki Kasar ,kotahi aur nuqsaan Ki bharpayi kar sake , Hume talaafi mafaat Ka moqa de raha hai , Goya Allah Ta'ala chahte hai'n kisi bhi tarah mera Banda magfirat ke qabil ho jaye ,Allah Ki Rahmat bahana talash karti hai,
✿●•· **Azeezo ! Ramzan un Ba-Barkat Dino mai se Sabse Afzal aur Golden chance hai ,Lihaza Shukrane ni'amat Ka izafa ye hai k hum Ramzan se pehle iski bharpoor taiyaari mai lag jaye ,
➠ Hamare Dilo mai Ramzan Ki Qadar daani usi waqt paida hogi jab hum Chand umoor Ka Ramzan se pehle Ahatmaam kare,
➠ *1- Guzre Hue Saal Ka Muhaasba_*
"✿__Zara ek baar tanhaai mai beth jaye aur guzishta Ramzan se le kar is Ramzan tak humne Kya kya nekiya'n Ki aur Kya Kya Buraiya'n Ki , iska Dil mai istehzaar kare ,
✿__Ramzan Se Kam se Kam Do hafte pehle ye kam kare , Jab muhasba karne per ye mehsoos ho k Buraaiya'n zyada aur nekiya'n kam hai'n to achchhi tarah Wazu kare aur Do Raka'at Salatut Tauba Khushu v Khuzu ke saath ada kare ,
✿__ Do Raka'at ke baad khoob istigfaar kare ,Aur Allah Ta'ala se Apne gunaaho Ki maafi talab kare ,
✿__Agar kisi ko takleef di ho to usse foran maafi maange , Fir Dua mai Allah se tofeeqe Khair Ka mutalba bhi kare aur Allah Ta'ala se ye Ahad kare k Ey Allah ! Aaj se mai'n har namaz Jama'at ke saath ada karunga ,aur tera har hukm tasleem karunga , Har haal mai Teri ita'at karunga aur Na-farmani se door rahunga ,
✿__Ab Namaze Ba-Jama'at aur Qur'an e Paak Ki tilawat ka agaaz Aaj hi se kar de,
✿●•· *2-Qayamat Ke Din Ka istehzaar*
➠ Thodi der beth kar Allah ke Saamne Qayamat ke din hone wali peshi Ka istehzaar kare ,
➠ Soche K Qayamat qaayam hogi , Aadam Alaihissalam se le kar Qayamat tak aane wale Arabo Kharabo insano ke ru baru meri zindgi ke har har lamhe Ka hisaab hoga ,WO Din kesa Sakht aur ghutan bhara hoga ,
➠Us Din agar meri Nekiya'n Kam aur Buraaiya'n zyada ho gayi to mai'n saari makhlooq ke Saamne zaleel ho jaunga aur Allah Ki narazgi kese bardasht kar sakunga ,
➠ iske baad Azaab Ka istehzaar kare , in sha Allah is tarah istehzaar se kaaya palat jayegi ,
✿●•· *3-Ramzanul Mubarak Ki Fazilat Ko Padhe aur Sune*
➠ Ramzanul Mubarak Ki fazilat per Jo Ahadees v Ayaat waarid hui hai ,Shabaan hi se uska muzaakra aur muta'ala shuru kar de aur Dil se padhe aur Seekhe ,Ulma aur Talaba bhi Masjido mai iska ahatmaam kare ,Awaam bhi dilchaspi le kar shareek ho ,Aur Khoob tavajjoh se sune aur Amal Ka azm v iraada kare ,Fazaile A'amaal mai Jo Ahadees waarid hui hai'n ( Fazaile Ramzan Ke baab mai )Uski taleem gharo mai bhi kare taki pehle se fiza banna Shuru ho jaye ,
✿●•· *4-Maut Ka Tasavvur,*
➠ Maut Ka waqt kisi ko maloom nahi ,lihaza ye tasavvur kare k ho sakta hai ye mera Akhri Ramzan hai , Agar ye gaflat se guzar jayega to hamesha hamesha ke liye meri Akhirat Ki zindgi mushkil ho jayegi , Fir Allah ke azaab se mujhe kon bachayega ,
➠Lihaza Allah Ta'ala Ki taraf mutavajjah hona aur Usi ke ho kar rehna ,
✿●.... *5- Nizamul Awqaat Bana kar Ahatmaam karna,*
➠Ramzan se pehle ek nizamul Awqaat bana le aur Allah se Dua kare k Ey Allah is nizamul Awqaat ke mutabiq mujhe meri zindgi guzaarne aur khaas tor per Ramzan guzaarne Ki Tofeeq ataa kare ,
*__Nizamul Awqaat hum pehle hi Post kar chuke hai'n ,Unka muta'ala kiya jaye _,*
✿●•· *6- Zikr Ka Ahatmaam,*
➠Apni Zubaan ko Zikr Ka aadi bana le taki Ramzan se pehle hi Zikrullaah Ki Aadat ban jaye ,
✿●•· *7-Buri Aadato se Door Hona,*
➠Har tarah Ki buri Aadato maslan Jhoot ,Geebat ,Chugli ,Khayanat vagera se Jaan chhuda le taki Ramzan bhar isse bachna asaan ho jaye ,
✿●•· *8- Apne Andar Tabdeeli Lana*
➠Agar Aap Chahte hai'n k aane Wala Ramzan meri zindgi Ka inqlabi Ramzan saabit ho aur mai'n Ramzan ke moqe ko ganeemat jaan kar Apni zaat mai badi tabdeeli paida karu to Aap chand Shara'ito Ko poora kare taki Hum Naam ke musalman se Kaam ke musalman ban jaye ,
✿●•· * Apne Andar tabdeeli lane Ki Shara'it,*
➠1- Sabse pehle Hume Apni zaat mai haqeeqi tabdeeli Ka sachcha Pakka iraada karna hoga , Kyunki insaan Ki zindgi mai kisi bhi tarah Ki taraqqi Ka Sabse pehla zariya insaan Ki buland himmati aur sachcha pakka iraada hai , isliye aap hosla kijiye aur pukhta azm kijiye k zaroor zindgi mai tabdili paida karni hai aur fir kamar basta ho jaye ,
➠ Jab Aap Neki karne Ka iraada aur Badi chhodne Ka azm karenge to zaroor Allah Ta'ala madad karenge ,
➠ *Allaahumma Aa'inna Alaa zikrika wa Shukrika wa Husni ibaadatika ,*
"__is Dua Ka khoob ahatmam kijiye aur koshish shuru kar kijiye aur fir dekhiye k Allah Ki khuli nusrat v madad , Allah hume hosla ata farmaye ( Ameen ),
➠2- Sabse aham aur zaroori amr ye hai k Aqlmandi se kaam le kar apne anjaame khair per nazar karte hue aur anjaame bad se bachne Ki tadbeer akhtyar karte hue Apni khwahishaat per qabu paa kar Amaale Saliha Ka pukhta iraada aur niyat kare ,
➠Allah Ke Saath husne zan qaa'im kare ,Apni buraiyo'n per nazar kar ke naye hosle ke saath tiyaar ho jaye k Kuchh bhi ho jaye ab to Apni islah kar ke hi chhodenge ,
➠ iske baad Allah se gidgida kar khoob Duae'n kare ,Allah per aitmaad aur bharosa kare ,in sha Allah khud ba khud tabdili paida hone lagegi ,
➠3- Ek Baar nizamul Awqaat bana kar uske mutabiq amal shuru kar de , Baad mai karunga jese khayalat per bilkul tavajjoh na de aur susti ko Himmat ke saath door kare ,
➠iske baad baad bhi nafs amaada na ho to *" A'auzu billaahi minashshaytaanir Rajeem "* padh kar *" Laa hawla Wala quwwata illaa billaahi ,"* Ka Vird rakhe ,
➠ 4- Is Baat Ka istehzaar rakhna k meri har baat aur mera har Amal record kiya ja raha hai ,
➠5- Bure Dosto Ki sohbat chhod de aur Nek logo Ki sohbat akhtyar kare ya tanha rahe , Agar bure dosto ko na chhoda to WO Aapko neki se door karne Ki koshish karenge aur Aap unki baato mai aa kar wesa hi karenge , Allah ko raazi karne ke liye kisi Ki malamat Ki parwaah na kare ,
➠6-Ek baar beth kar soche k mere andar konsi buri Aadate hai'n aur konsi achchhi aadate hai'n ,aur fir buri Aadato ko chhodna shuru kar de ,maslan mobile ko sirf zarurat ke waqt istemal kare , mobile se what's app ,Facebook, digar games delete kar de ,Qur'an aur Kitaab Ka muta'ala shuru kare ,
➠ 7_ Kisi bhi kaam ko jaldbazi mai na kare , Na koi baat jaldbazi mai kisi ke Saamne bole,Balki kaam karne aur bolne se pehle ye soche k iske karne mai Allah Ki Razamandi hai ya nahi ?Jab Dil kahe haa'n to shuru kare ,Aur Dil kahe nahi ,isme Allah Ki narazgi hai to poori Himmat se nafs Ki mukhalfat kare k isse ruk jaye ,
"__Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Apne nafs se fatwa talab karo , " Goya insan Ka nafs mufti hai,
➠ 8_ Is baat ko khoob zahan nasheen kar le k Aapki kaamyabi aur Nakaami Ka madaar khud Aapke Apne haath hai , Lihaza doosro Ki buraiyo'n ko dekhna chhod de , Khud Apni buraiyo'n Ka jayza le aur usse chhutkara haasil kare , Varna Aapko nuqsaan uthana padega ,Duniya mai bhi aur Akhirat mai bhi bure anjaam ke Aap khud zimmedar honge koi aur nahi ,
➠ 9_ Jab Aap zindgi mai inqelab lane Ka faisla karenge to bahut so mushkilaat aur challenge pesh honge , yaad rakhe hamesha wahi log Duniya mai kaamyab hote hai'n Jinhone mushkilaat Ka muqabla kiya aur use shikasht di aur muqable per date rahe ,
*Allah Ta'ala Hume Tofeeq ata kare ,Aameen,*
*Alhamdulillaah Mukammal hue*
*❥═┄ ʀεғεʀεηcε*
*Ramzan Ka istaqbaal Kese Kare?*
*✍Maulana Gulam Muhammad Sahab Vastanvi*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
✍
No comments:
Post a Comment