❀۞❀
┌╦═══════────────┐
│║ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
└╩═══════────────┘
☪ MÀÀH- ξ - SH'AβAAИ ☪
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sh'abaanul Muazzam ,,,,,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Sh'abaanul Muazzam Saal ka Aathva mahina he aur Ye ba barkat Mahino me se he , Allah Ta'ala ne is Machine me Apne Bando ko nawazne aur ata karne ke liye bahut si khair Aur Bhalaiya'n rakhi he ,
⇏Yahi Vajah he k har Daur me aslaaf is Mahine Kï qadardani karte chale aaye he'n ,Chunache______,
❉ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se manqool he k Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Sh'abaan ka chaand dekhne ke baad Qur'an Kareem Kï Tilawat me lag jate ,Apne Maalo Kï Zakaat nikaalte taki Kamzor aur Miskeen log Ramzanul Mubarak me Roza rakhne per qaadir ho sake ,
⇏Hukmraan Qaidiyo'n ko bula kar agar had ke nifaz ka masla hota to had nafiz kar dete varna unko Azaad kar dete ,
⇏Taajir Hazraat apne hisaab v Kitaab aur Len Den Kï adaygi se faarig hone Kï koshish me lag jate taki Ramzan ka Chaand dekh kar apne Aapko ibaadat ke liye waqf kar sake ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Ganiyatul Talibeen ,1/341
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sh'abaan Ba Barkat Mahina he,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Iske Ba Barkat hone ke liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Kï Wo Dua hi kaafi he Jisme Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Allah Tabarak wa Ta'ala se usme Barkat Kï Duae'n maangi he ,Chunache Hadees me he _____,
⇏Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Jab Rajjab ka Mahina dakhil hota to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ye Dua padha karte the,
اَللّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِى رَجَبَ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنَا رَمَضَان
" Allaahumma Baarik Lanaa Fi Rajaba ,wa Sh'abaana ,wa Ballignaa Ramzaan ."
⇏Tarjuma :--
" Ey Allah ! Rajjab aur Sh'abaan ke Mahine me Hume Barkat ATA farma aur Hume ( Ba khaira Afiyat ) Ramzanul Mubarak tak pahuncha dijiye, "
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,3534
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sh'abaan Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka Mahina he ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Ek Rivayat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is Mahine ko Apna Mahina qaraar diya he ,Chunache farmaya ___,
⇏Sh'abaan mera Mahina he aur Ramzan Allah Ta'ala ka Mahina he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Kanzul Ummaal :35172
☞ Sh'abaan Ke Mahine me A'amaal Kï Peshi ,
❉ is Mahine me A'amaal Kï peshi hoti he ,Chunache Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate he'n,
⇏ Rajjab aur Ramzan ke darmiyan Jo Sh'abaan ka Mahina he ( Aam tor per ) log usse gaflat ka shikaar hote he'n ,Halanki is Mahine me Bando ke A'amaal Allah Ta'ala ke Huzoor pesh kiye jate he'n, "
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,3540
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sh'abaan Gunaaho Se Paak hone ka Mahina he ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he ,
➟" Ramzan ka Mahina Allah Ta'ala ka aur Sh'abaan mera Mahina he ,
➠Sh'abaan ka Mahina Paak karne wala aur Ramzan ka Mahina Gunaho ko mitane wala he ,"
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Akhraja ibne Asa karfil tareekh ,72/155
☞ Sh'abaan Ke Mahine me Rozadaar ke liye Khair Kaseer he ,
❉ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate he'n,
➠ " Sh'abaan ko " Sh'abaan " isliye kaha jata he kyuki isme Roza rakhne wale ke liye Bahut si Khair aur bhalaiya'n ( Shaakho Kï tarah ) foot ti he'n ,Yaha'n tak k Wo Jannat me ja pahunchta he ,"
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Kanzul Ummal,, 35173
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Maahe Sh'abaan ke A'amaal ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ is Mahine Se mutalliq 2 tarah ke kaam he'n ,
⇏1- Qabile Amal yani Wo kaam Jinko Karne ki Taleem Dï gayi he aur Sunnat se Saabit he, Wo Kaam darje zail he'n :---
☞ Maahe Sh'abaan Ka Chaand Dekhne ka Ahatmam,
❉ islami Mahino Kï hifazat aur unki Sahih tareekho ka yaad rakhna farze kifaya he ,Kyuki un per bahut se Shara'i ahkaam moqoof he'n ,Chunache Hajj ka sahi tareekho me ada karna ,Ramzanul Mubarak ke Rozo aur Zakaat Kï adaygi ,aur iske alawa Shara'i umoor Qamari ( Chaand Kï ) tareekho per moqoof he ,
❉ Lihaza Musalmano ko Qamari Mahino ko yaad rakhna chahiye aur Chaand dekhne ka ahatmam karna chahiye, aur chunki Sh'abaan ke baad Ramzanul Mubarak ka Azeem Mahina aa raha hota he isliye Sh'abaan ke Chaand ko aur bhi zyada ahatmam aur Shoq se dekhne ka ahatmam karna chahiye ,
⇏ Yahi Vajah he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam bhi Sh'abaan ka chaand Bade ahatmam se dekha karte the, Chunache Rivayat me aaya he ,
❉ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam hilaale ( chaand ) Sh'abaan Kï jitni hifazat karte the utni kisi aur mahine Kï na karte the, "
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Daare Qutni ,2149
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Sh'abaan Me Rozo Kï Kasrat ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma farmati he'n k ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Roza rakhne me Sh'abaan ka Mahina sabse zyada Mehboob tha ,Aap ye chahte the k Roza rakhte rakhte use Ramzan ke saath mila de'n ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Abu Daowd : 2431
❉ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Sh'abaan se Zyada kisi Mahine me Roze rakhte nahi dekha ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Muslim : 1156 , Bukhari : 1969
❉ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya gaya k Ramzanul Mubarak ke baad Konsa Roza Afzal he ?
⇏Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, Wo Roza Jo Ramzan Kï tazeem me Sh'abaan ke Mahine me rakha jaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi ; 663
❉ Ramzan Kï tazeem ka matlab ye he k Ramzan ke aane se pehle hi Roza rakh kar NAFS ko bhook v pyaas bardasht karne ka aadi banaya jaye taki achanak se maahe Ramzan shuru ho Jane Se tabiyat per bojh na ho aur koi baat khilafe adab sarzad na ho ,
❉ Sh'abaan ke Mahine me Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï kasrat se Roza rakhne Kï Vajah ye thi ,jesa k pehle Hadees me guzar chuka he k is Mahine me Allah Ta'ala ke saamne A'amaal Kï peshi hoti he aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ye chahte the k Roze Kï haalat me A'amaal Kï peshi ho ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,:3540
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Ramzanul Mubarak Kï Taiyaari ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Har cheez Kï taiyari uske aane Se pehle hoti he ,Maslan mehman Kï aamad ho to uske baad nahi uske aane Se Pehle taiyari hoti he ,isi tarah Ramzan bhi Momin ke liye bahut hi aham aur muazziz mehman he ,Uski qadar ke liye bhi pehle se Zahni aur Amali tor per Taiyaar ho Jana chahiye,
⇏Ramzan Kï taiyari me 2 cheeze he'n ,
*_ 1 - Duniyavi aitbaar se
❉ Duniyavi mashgooli v masroofiyaat se apne aapko jitna faarig kar sakte ho kar le taki Ramzanul Mubarak ka Mahina mukammal yaksui ke saath ibaadat aur ruju ilallaah me guzaara ja sake ,
*_ 2- Deeni Aitbaar se,
❉ Ramzanul Mubarak Kï taiyari ka matlab ye he k Sh'abaan ul Mu'azzam ke Mahine me hi Apne Din aur Raat ke mamulaat ko kuchh us tarah tarteeb dijiye k Fara'iz v Wajibaat ke saath saath nifli ibadaat ka bhi khoob ahatmam hona shuru ho jaye ,
⇏Paancho Farz Namaze ba Jama'at Safe Avval me ada Kijiye ,Qur'an Paak Kï rozana Tilawat kare ,nifli Namaze ishraaq ,Chaasht ,Avvabeen ,Tahajjud ka ahatmam shuru kare Aur khoob Duae'n maangne Kï koshish kare ,
❉ Yaad rakhiye ! Deeni v Duniyavi aitbaar se Ramzan Kï taiyari ka matlab Sh'abaan hi me taiyari karna he ,Kyuki Ramzan ke chaand nikalne ke baad taiyari karte karte to kaafi waqt nikal jata he ,fir mamulaat Kï aadat bante bante bhi der lagti he aur isi me Ramzanul Mubarak ka ek bada hissa zaay ho jata he ,isliye Jo bhi taiyari karni he Wo Aamade Ramzan Se pehle hi faarig ho jaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Shabe Bara'at Kï ibaadat ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Sh'abaan ul Mu'azzam ke Mahine me Allah Ta'ala ne ek Mu'azzam aur Ba-barkat raat rakhi he aur usme ibaadat karne walo ke liye be shumaar Ajro sawab muqarrar kiya gaya he ,
⇏ is Raat ko Laylatul Mubarakah ( Ba Barkat Raat ) Laylatur Rahmah ( Rahmato wali Raat ) Laylatul Sak ( Allah Kï jaanib se Jahannam ka Parwana Milne wali Raat ) aur Laylatul Bara'at ( Jahannam se bari hone wali Raat ) kaha jata he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Roohul Ma'ani : 13/110
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Doosri Fazilat :- Duao'n Kï Qubuliyat ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Ye Raat Duao'n Kï qubuliyat wali raat he ,isme Allah Ta'ala se maangne wala mehroom nahi hota ,balki Khud Allah Ta'ala Kï Jaanib se sada lagayi jati he k Hey koi mujhse maangne wala ,Mai uski maang poori karu ,
❉ Hazrat Ali Karramullahi Wajhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,:-
⇏Jab Sh'abaan Kï Pandrahavi Shab ho to uski Raat me qayaam ( ibaadat ) karo aur uske Din me Roza rakho ,beshak Allah Ta'ala is Raat me guroobe Shams se hi Asmaane Duniya me ( Apni shaan ke mutabiq ) nuzool farmate he'n aur kehte he'n ,Kya koi mujhse magfirat chahne wala nahi k mai uski magfirat karu'n ,? Kya koi Rizq talab karne wala nahi k mai use Rizq ata karu'n ? Kya koi musibat v pareshani me mubtila Shakhs nahi k mai use aafiyat ata karu'n ? Kya fala'n aur Fala'n Shakhs nahi ....Yaha'n tak k ( isi tarah sada lagte lagte ) Subeh Sadiq tuloo ho jati he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Ibne Maaja : 1388
❉ Allah Ta'ala Kï Jaanib se ye ata aur bakhshish ki sada Roz Raat ko lagti he aur baaz Rivayato me Raat ke ek tihaai hisse ke guzar Jane ke baad Subeh tak lagti he aur baaz Rivayato me Raat ke Akhri pahar yani Akhri tihaai hisse me lagayi jati he ,
⇏Lekin is is Shabe Bara'at Kï Azmat ka kya kehna ! K is Raat me shuru hi se yani Aftaab ke guroob hone se lekar Subeh Sadiq tak ye sada lagayi jati he ,lihaza in qubuliyat Kï ghadiyo me gaflat akhtyar karna badi nadaani aur himakat Kï baat he ,isliye is Raat me fizooliyaat aur layaani kaamo me lagne ya Khwabe gaflat me soye pade rehne se bachna chahiye ,aur Allah Ta'ala Kï Jaanib ruju karte hue Shoq v Zoq ka izhaar karna chahiye ,
☞ Tambeeh ,
*_ Yaad rahe k Duao'n Kï qubuliyat wali is Raat me Duao'n Kï qubuliyat ko Karne ke liye Zaroori he k Dua Kï Qubuliyat Kï Sharayat ka achchhi tarah lihaaz rakhe Varna Dua qubool nahi hogi ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Pehli Fazilat :- Ba Kasrat Logo Kï Magfirat,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Is Raat me Allah Ta'ala be shumar logo Kï Magfirat kar dete he'n, Chunache Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmati he'n k ,
⇏Beshak Allah Ta'ala Sh'abaan Kï Pandrhvi Shab me Aasmaane Duniya per ( Apni Shaan ke mutabiq ) nuzool farmate he'n aur Qabila " Kalb " Kï bakriyo'n ke Baalo Kï tadaad se bhi Zyada logo Kï Magfirat farma dete he'n ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi : 739
❉ Qabila "Banu Kalb " Arab ka ek qabila Jo Bakriyo'n kasrat se rakhne me mashoor tha ,aur Bakriyo'n ke Baalo Kï tadaad se Zyada Magfirat karne ke 2 matlab zikr kiye gaye he'n ,
⇏1- Pehla ye k is qadar kaseer Gunaahgaro Kï Magfirat Kï jati he Jinki tadaad in Bakriyo'n ke Baalo Kï tadaad se bhi zyada hoti he ,Yani beshumaar logo Kï Magfirat hoti he ,
⇏2- Doosra ye k Gunahgaar nahi balki Gunaah Muraad he ,Yani agar kisi ke Gunaah Banu Kalb Kï Bakriyo'n ke Baalo Se bhi zyada ho to Allah Ta'ala apne fazal Se maaf farma dete he'n ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Dua Kï Qubuliyat Kï Shara'it ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
⇏ Dua Kï Qubuliyat Kï chand Buniyadi Sharte'n he'n ,Dua maangne me inka lihaaz rakhna zaroori he ,
❉ 1-Pehli Shart :-Haraam se ijtinaab ,
⇏Hadees ke mutabiq jiska khana Peena aur Libaas Vagera Haraam ka ho Uski Dua qubool nahi hoti ,Chunache Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ka tazkira kiya Jo Taveel safar karta he aur uski vajah se woh paraganda aur gubaar alood ho jata he aur is paragandgi Kï haalat me apne Haath Allah Ta'ala ke saamne fela kar kehta he :-
⇏Ey Mere Parvardigaar !Ey Mere Parvardigaar ! Halanki uska khana Uska Peena uska Libaas sab Haraam ho aur uski parvarish Haraam maal se Kï gayi ho to uski Dua kese qubool Kï ja sakti he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi : 2989
❉ 2 - Doosri Shart :--Tavajjoh se Dua Karna ,
⇏Yani Dil Kï tavajjoh se Allah Ta'ala se Dua karna ,esa na ho k gaflat me sirf Rate rataye Duao'n ke kalamaat zabaan Se ada kiye jaye aur Dil haazir na ho ,Kyuki Hadees ke mutabiq esi gaflat ke saath maangi Jane wali Duae'n qabile Qubool nahi hoti ,
❉ Chunache Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n :-
⇏Allah Ta'ala se Qubuliyat ke Yaqeen ke saath Dua maanga karo aur Jaan lo k Allah Ta'ala gaflat aur laparwahi me pade hue Dil ke saath Dua qubool nahi farmate ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi : 3479 ,
❉ 3- Teesri Shart :- Ek Doosre ko Bhalaai ka hukm karna aur Buraai Se Rokna ,
❉ Neki ka Hukm dena aur Gunaaho Se rokna islaam ke aham fara'iz aur Zimmedariyo"n me se he ,Jab log isse gaflat baratne lagte he'n to Duae'n bhi qubool nahi hoti aur Allah Ta'ala ka Azaab mukhtalif shaklo me naazil hota he ,Jiski lapet me sirf bure log hi nahi balki unko na rokne wale bhi aa Jate he'n ,
⇏Hazrat Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n ,:-
⇏Qasam he us zaat Kï Jisme qabze me meri jaan he Tum log Zaroor Neki ka Hukm dete aur Buraaiyo'n se mana karte raho ,Varna qareeb he k Allah Ta'ala tum per Apni Jaanib se ek esa Azaab bhejenge k Tum usse Dua karoge lekin tumhari Dua ko qubool nahi kiya jayegi ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi : 2169,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Teesri Fazilat :- Jahannam Se Azaadi ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ is Raat Kï ek Badi fazilat ye he k Allah Ta'ala badi kasrat Se Jahannam se logo ko Azaad karte he'n, Chunache Hadees Sharif me aaya he ,::---
⇏Ek dafa Sh'abaan Kï Pandrahavi Shab me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma se farmaya ,:-
⇏Ye Sh'abaan Kï Pandrahavi Shab he aur is Raat me Allah Ta'ala Kï Jaanib Se Qabila Banu Kalb Kï Bakriyo'n ke Baalo Kï tadaad ke barabar Jahannam se logo ko Azaad kiya jata he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,: 3556
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Chothi Fazilat :- Saal bhar ke Faislo Kï Raat ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ is Raat Kï aham fazilat ye he k isme saal bhar ke faisle KIYE jate he'n k Kisne paida hona aur kisne marna he ,Kisko kitna Rizq diya jayega aur kiske saath kya kuchh pesh aayega ,Sab kuchh likh diya jata he ,
❉ Chunache Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
⇏Ey Ayesha ! Kya tum jaanti ho k is Pandrahavi Shab me kya hota he ?
Maine Arz kiya ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya hota he ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, Bani Aadam me se har Wo Shakhs Jo is saal paida hone wala hota he ,is Raat me likh diya jata he, Aur bani Aadam me se har Wo Shakhs Jo is saal Marne wala hota he is Raat me likh diya jata he aur is Raat me Bando ke Amaal utha liye jate he'n aur isi Raat me Bando ke Rizq utarte he'n ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mishkaatul Musabeh ,1305
❉ Ek Rivayat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he :-
⇏Ek Sh'abaan se doosre Sh'abaan tak Umre'n likhi jati he'n ,Yaha'n tak k koi Shakhs Nikaah karta he aur uski Aulaad bhi hoti he Lekin ( use maloom tak nahi hota k ) uska naam Murdo'n me nikal chuka hota he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,3558
❉ Lihaza Faisle Kï is Raat me gaflat me pade rehna koi danishmandi nahi ,Aqalmandi ka taqaza ye he k Allah Ta'ala Kï taraf rujoo kiya jaye aur Apne liye apne ghar walo ke liye balki saari ummat ke liye achchhe faislo Kï khoob Duae'n Kï jaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Mubarak Raato me payi Jane wali Chand umoomi galtiyo'n Kï islaah ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ 1- is Raat me ibaadat ka koi khaas tareeqa Saabit nahi ,Jesa Amuman samjha jata he ,Chunache baaz log is Raat Kï khaas Namaze bayan karte he'n k itni Raka'at padhi jaye ,Fala Raka'at me fala soorat itni martaba padhi jaye ,
⇏Khoob samajh Lena chahiye k esi koi Namaz ya ibaadat is Raat me Saabit nahi ,balki nifli ibaadat jis qadar ho sake is Raat me anjaam deni chahiye, Nifli Namaze padhe ,Qur'an Kareem Kï Tilawat kare ,Zikr kare ,Tasbeeh padhe ,Duae'n kare, ye saari ibaadate is Raat me Kï ja sakti he, lekin koi khaas tareeqa saabit nahi ,
❉ 2:- Ba- Barkat Raato me jaagne ka matlab poori Raat jaagna nahi hota balki asaani ke saath jis qadar jaag kar ibaadat karna mumkin ho ibaadat karna chahiye aur jab neend ka galba ho to so Jana chahiye,
⇏Baaz log poori Raat jaagne ko zaroori samajhte he'n aur isko haasil karne ke liye poori Raat jaagne Kï bataklluf koshish karte he'n, aur jab neend ka galba hota he to Aapas me gap shap ,Hansi mazaaq ,Paan gutka aur Khane Peene Chaay Vagera ke andar mashgool ho jate he'n aur Masjid ke adaab v taqaddus Ko bhi pamaal kiya jata he ,
⇏Yaad rakhiye ! Is tarah fizooliyaat ya kisi gair Shara'i kaam me lag kar " Neki barbaad aur Gunaah laazim " ka misdaaq nahi banna chahiye ,
❉ 3:- Guroobe Aftaab hi se is Raat Kï ibtida ho jati he lihaza magrib hi se Mubarak Raato Kï barkat ko sametne me lag Jana chahiye, isha ke baad ka intezar nahi karna chahiye,
⇏Jesa k umoonan dekhne me aata he k log Raat ko jaagne ka matlab ye samajhte he'n k 11-12 baje Jab Bistar per Jane ka waqt hota he ,us waqt Bistar per Jane ke bajaye Masjid me jaa kar ibaadat Kï jaye ,is galat fehmi Kï Vajah se Raat ka ek bada hissa zaay ho jata he ,
❉ 4 :- Mubarak Raato me Jaagne ka matlab sirf jaagna nahi balki ibaadat karna he ,Chunache sirf Hansi mazaaq, gap shap Baat cheet ,Khane pine pilane ke daur me jaagte hue Subeh kar dena koi ibaadat nahi ,
⇏Balki baaz Avqaat in Azeem aur Ba-barkat Raato me bhi Jhoot ,Chugal khori ,Geebat karne Sunne jese bade gunaho me shamil ho kar insaan aur bhi bade Azaab ka Mustahiq ban jata he, isliye infiradi tor per yaksui ke saath jis qadar asaani se mumkin ho ibaadat karni chahiye aur har qism ke Halle gulle se bilkul bachna chahiye,
❉ 5 :- Mubarak Raato me ijtimayi ibaadat ke bajaye infiradi ibaadat ka ahatmam karna chahiye isliye k in Raato me ijtimayi ibaadat ka Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se koi saboot nahi ,isliye Jo khuloos ,yaksui aur Allah Ta'ala ke saath raazo niyaaz infiradi ibaadat me naseeb ho sakta he Wo ijtimayi ibaadat me kaha'n ....!!
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ Mubarak Raato ko Kaise Guzare'n ,1:- Tauba V istigfaar,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Do Raka'at Salatut Tauba padh kar Sachchi Tauba kare ,Apne Gunaaho per Sharmindgi v/Nadamat ke saath Allah Ta'ala se Sachche Dil se Maafi maange ,
⇏Chunache Shabe Qadar ke bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma ne jab Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Sawal kiya k Ya Rasulallah ! Agar Mai'n Shabe Qadar paa lu to usme kya padhu ,
⇏To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko koi bada Zikr ya koi badi Namaz aur Tasbeeh padhne ke liye nahi kaha balki ek Mukhtasar aur asaan si Dua Talqeen farmayi Jisme afu darguzar Kï darkhwast Kï gayi he ,:-
*__
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
۔
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi : 3513
"_ Ey Allah Tu bahut maaf karne wala he, maaf karne ko pasand farmata he ,pas Tu mujhe maaf farma de ,"
❉ isse maloom hua k Ba- Barkat Raato me Sabse bada karne ka kaam umuman log nahi karte Wo ye he k Apne guzishta Zindgi per Sachche Dil Se Sharmshar ho kar Aainda Zindgi me amalan tabdeeli lane ka sachcha iraada kar le k Tauba istigfaar kiya jaye ,Ye Amal Mubarak Raato Kï barkato ko sametne ka sabse aham aur sahi Tareeqa he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Tauba Kï Sharayat ,,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Allama Navvi Reh. Ne Muslim Sharif Kï Sharah " Sharah Navvi "( 17 / 25 ) me Tauba istigfaar Kï Chaar Buniyadi Sharto ka zikr kiya he ,Jinka lihaza karna Tauba ke liye zaroori he ,
❉ 1:- Ma'asiyat se alag ho Jana ,( Gunaah Chhor dena )
⇏ Gunaho me mashgool rehte hue Tauba nahi hoti ,Tauba ke liye Gunaho ko chhorna aur unse kinara kash hona zaroori he ,
*__Baaz log Gunaho me lage hue hone ke bavjood Jo Tauba Tauba karte he'n Wo Tauba nahi mazaaq hota he ,
❉ 2:- Apne KIYE per Sharminda Hona ,
⇏ Jo Gunaah Anjane ya nadaani me sarzad ho chuka he us per Sharminda v pasheman hona ye bhi Tauba Kï Shart he ,isse maloom hua k Gunaah karke usko logo ke samne fakhr ke taur per hargiz bayan nahi karna chahiye,
❉ 3 :- Aa'inda na karne ka Pakka iraada karna ,
⇏Tauba Kï ek aham aur Buniyadi Shart ye k Dil me Aa'inda na karne ka Pakka iraada ho ,Chahe ye maloom ho k Mai'n Kamzor hu'n aur kisi waqt dobara fisal sakta hu'n lekin Dil me usko Amalan karne ka hargiz iraada nahi rakhna chahiye,
❉ 4 :- Huqooq Kï Adaaygi ,
⇏ Chothi Shart ye he k Agar Gunaah ESA he k adaaygi laazim hoti ho to usko ada karna chahiye,
⇏Maslan :- Kisi ma MAAL daba rakha he to sirf Tauba karne se maaf nahi hoga jab tak k usko ada na kar diya ya usse maaf na kara liya jaye ,Kisi ko takleef pahunchayi ho ,Huqooq ko pamaal kiya ho to sahibe Haq se maaf karaye bager Tauba qubool nahi ,
⇏isi tarah Namaze na padhna, Zakaat ada na Kï ho ya unke alawa koi Shara'i Fara'iz v Wajibaat Kï adaaygi Waajibul Zimme ho to usko ada karna chahiye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Mubarak Raato ko Kaise Guzaare ,
2:- Qaza Namazo Kï Adaygi ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Zindgi me Jo Namaze ada karne se reh gayi ho unko qaza karna laazim hota he ,Unki qaza na Kï jaye to kal Ba- Roze Qayamat unk hisaab dena hoga ,Jesa pehle Tauba ke Sharayat me guzra un Shara'i Wajibaat ko ada karna aur unse Subuk dosh hona zaroori he ,
⇏Lihaza apni Tauba Kï takmeel Kï niyat Se Zindgi bhar Kï namazo ka hisaab kar ke unki qaza karne Kï fikr Kï jani chahiye aur Mubarak Raato me Nifli ibaadato me mashgool hone se ba dajaha behtar un namazo Kï qaza ko ada kiya jaye ,in Sha Allah isme nawafil me mashgool hone se Zyada sawab haasil hoga ,
*__Kyuki Nawafil na padhne ka hisaab nahi ,Jabki Farz Namaz Kï agar qaza na Kï jaye to uska hisaab he ,
☞ Qaza Namaze Padhne ka Tareeqa ::--
❉ iska Tareeqa ye he k Baalig hone ke baad se le kar ab tak Jitni Namaze Chhooti he'n unka hisaab kare aur mumkin na ho to gaalib gumaan ke mutabiq ek andaza aur takhmeena lagaye aur usko kahi likh le ,uske baad uski qaza karna shuru kar de ,
❉ Aur isme asaani ke liye yu'n kiya ja sakta he k Har waqti Namaz ke saath wahi ( Usi waqt Kï Jo zimme he'n ) qaza bhi padh te jaye aur Jitni Namaze qaza ada hoti jaye unko likhe hue record ( Jo hisaab laga kar likha gaya tha ) me se kaat te jaye ,
⇏isse in Sha Allah Mahine me ek Mahine Kï Aur saal me ek saal Kï Namaze badi asaani ke saath qaza ada ho jayegi ,
☞ Qaza Kï Niyat ::--
⇏Qaza namazo me Niyat karne ka ek tareeqa ye he k Har Namaz me yu'n niyat kare k " Mai'n apni Tamaam faut Shuda Namazo me Jo pehli Namaz he uski qaza karta hu'n ,"
❉ Kyuki har pehli Namaz qaza kar lene ke baad usse agli khud ba khud pehli ban jayegi ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ 3:- Namaze Ba- Jama'at Kï adaaygi ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ is Raat me Teen Namaze aati he'n ,Magrib, isha aur Fajar ,in Teeno ko Jama'at ke saath Safe Avval me Khushu v Khuzu ke saath ada Kijiye,
⇏Kam Se kam in Namazo ko Jama'at ke saath ada karne wala Raat Kï ibaadat se Mehroom nahi rahega,
❉ Chunache Hadees Sharif me aata he ,Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he ::---
⇏Jisne isha Kï Namaz jama'at ke saath ada Kï usne Goya Aadhi Raat ibaadat Kï aur Jisne Subeh Kï Namaz Jama'at ke saath ada Kï usne Goya usne poori Raat namaz padhi ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Muslim Sharif ,:- 656
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Kuchh Fazilat wale A'amaal ::-- 1- Avvabeen Kï Namaz,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Jesa k pehle arz kiya ja chuka he k Mubarak Raato me koi makhsoos Amal to saabit nahi ,Albatta fazilat wale A'amaal Jinme Kam waqt ke andar Zyada Nekiyo'n ka zakheera Jama kiya ja sakta he ,Unko bager kisi takhsees v taiyyan ke Akhtyar kijiye taki zyada se Zyada Nekiya'n Jama Kï ja sake ,
❉ 1:- Avvabeen Kï Namaz ::-- Magrib ke baad Avvabeen Kï Namaz Jiski kam se kam 6 Raka'at he aur Zyada se Zyada 20 he'n ,
⇏Aap koshish Kijiye k Mubarak Raat Kï barkato'n ko sametne ke liye 20 Raka'at ada Kijiye ,Hadees ke mutabiq 12 saal Kï ibaadat ka sawab haasil hota he ,
❉ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n,:-
⇏Jisne Magrib Kï Namaz ke baad 6 Raka'at is tarah ada Kï k unke darmiyan koi buri Baat na Kï ho to unka sawab baarah (12 ) saal Kï ibaadat ke barabar hota he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Tirmizi :- 435
❉ Yaad rahe k Avvabeen Kï Namaz Kï ye fazilat sirf Mubarak Raato me nahi balki poore saal bhar is fazilat ko sirf Chand minuto me asaani se haasil kiya ja sakta he, Mubarak Raato me ese A'amaal ka to aur bhi Zyada ahatmam aur tavajjoh se Akhtyar karna chahiye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ 2 :- Salaatut Tasbeeh Kï Namaz ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Salatut Tasbeeh Kï 4 Raka'ate he'n, Jinko ek salaam se padha jata he ,is namaz Kï Ahadees me badi fazilate'n manqool he'n ,insaan iske zariye kam se kam waqt ke andar zyada se Zyada NAFA haasil kar sakta he ,
⇏isliye saal bhar me waqtan fa waqtan iske padhne Kï koshish karni chahiye aur Mubarak Raato me to isko aur bhi Zyada ahatmam Se padhna chahiye aur ye koi mushkil nahi ,bas Dil me Neki ke husool ka jazba Shoq hona chahiye, Allah Ta'ala Amal Kï Tofeeq ATA farmaye ,(Aameen ),
☞ Salatut Tasbeeh Ke Fazail :--
❉ 1 - Ye wo NAMAZ he Jiske padhne Kï barkat Se 10 qism ke Gunaah maaf ho jate he'n,
⇏ Salat-ul-tasbeeh padhne se 1-agle , 2-pichle , 3-purane , 4-naye, 5-galti se kiye huye ,6- jaan bujh kar kiye huye,7- chote, 8- bade, 9- chhup par kiye huye ,10-aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf hote he'n ,
❉ 2: -- Ye Wo Namaz he Jiske padhne Kï Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, :- Agar Rozana ,hafta ,Mahina ya kam se kam Saal me bhi agar padh sakte ho to to apni poori Zindgi me kam Se kam ek martaba padh lo ,isse is Namaz Kï Ahmiyat ka andaza lagaya ja sakta he ,
⇏3 :-- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k agar tum saari Duniya ke logo se bhi Zyada Gunahgar honge to tumhare Gunaah maaf kar diye jayenge ,
❉ 4 :- Ye Wo Namaz he Jise Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne apne Chacha Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ko batate hue is Namaz ko Tohfa ,bakhshish aur khush khabri qaraar diya ,
⇏5:- Ye Wo Namaz he Jisko padhte hue Bande ko 300 martaba Teesra Kalma Kï Soorat me Allah Ta'ala Kï Hamdo Sana karne Kï Sa'adat haasil hoti he ,
*_Halanki Ek martaba Teesra Kalma padhne per Jannat me ek darakht lag jata he ,
*_Teesra Kalma Allah Ta'ala ko sabse Mehboob Kalma he ,
*_ Jannat ek chatiyal maidaan he aur Teesra Kalma Jannat ke Podhe he'n ,
*_ Teesra Kalma ke har ek Kalme ka sawab Uhad pahaad se Zyada he ,
*_ Teesre Kalme ka har Kalma A'amaal Naame me tulne ke aitbaar se sabse zyada wazni he ,
❉ 6 :-- Ye Wo Namaz he Jiska har zamane me Ulma e UMMAT ,Muhaddiseen ,Fuqha aur Soofiyo ne ahatmam kiya he ,
❉ 7 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abdul Azeez bin Ravvad Reh. Farmate he'n k Jiska jannat me Jane ka iraada ho uske liye zaroori he k Salatut Tasbeeh ko mazbooti se pakad le ,
❉ 8 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abu Sufiyan Hyri Reh. Farmate he'n k Mai'n ne musibato aur gamo ke izaale ke liye Salatut Tasbeeh Jesi koi cheez nahi dekhi ,
❉ 9 :--Ye Wo Namaz he Jiske bare me Allama Taqiuddin Sabki Reh. Farmate he'n k Jo Shakhs is Namaz ki Fazilat v Ahmiyat ko Sun kar bhi gaflat Akhtyar kare Wo Deen ke bare me Susti karne wala he ,Sulha ke kaamo se door he ,Usko pakka Aadmi na samjha jaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Fazail -E - Zikr ,
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Salatut Tasbeeh Ka Tareeqa ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
⇏iske Do tareeqe manqool he'n ,Kisi bhi tareeqe ke mutabiq ye Namaz padhi ja sakti he ,
☞ Pehla Tareeqa ,
❉ is Namaz ko padhne ka Tareeqa Jo Hazrat Jo Hazrat Abdullah bin Mubarak se Tirmizi Sharif me mazkoor he ye k ,Takbeere Tehrima ke baad Sana Yani " Subhaanaka llahumma " padhe Fir Tasbeeh yani
"
سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ
" Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar " 15 martaba padhe ,
⇏ ,أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
" A'uzubillahi minash shaytaanir rajeem ,"
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
" Bismillahir rahmaanir raheem " Padhe Fir " Alahamdu Sharif aur Soorat padhe ,fir qayaam me hi Ruku me Jane Se pehle hi Tasbeeh 10 martaba padhe ,
⇏Fir Ruku kare aur Ruku ki Tasbeeh ke baad wahi Kalamaa 10 martaba kahe ,fir Ruku se uth kar qoma me " Sami'allah........" Ke baad 10 baar aur dono Sazdo me Sajde Kï Tasbeeh ke baad 10 - 10 baar aur dono Sajdo ke darmiyan bethne Kï haalat me Yani Jalse me 10 baar wahi kalamaate Tasbeeh padhe ,is tarah har Raka'at me 75 martaba aur 4 Raka'at me 300 martaba ye kalamaat Tasbeeh ho jayegi ,
⇏Aur agar in kalamaat ke baad "
وَلا حَوْلَ وَلاَ قُوَّة ِ الَّا بِاللّهِ الْعَلِىّ الْعَظِيْم
Wa la hawla wa la quwwata illa bi-llahi-l-aliyyi-l-azeem " bhi mila le to behtar he kyunki isse bahut sawab milta he aur ek Rivayat me in alfaz Kï zyadti manqool he
☞ Doosra Tareeqa ,
❉ Doosra Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se Tirmizi Sharif me manqool he ,Wo ye he k " Sana "ke baad aur Alhamdu Sharif se pehle kisi Raka'at me in kalamaate Tasbeeh ko na padhe balki har Raka'at me Alhamd aur soorat padhne ke baad 15 martaba padhe ,aur Ruku aur qoma aur dono sajdo aur Jalsa me ba tarteeb 10-10 martaba padhe aur doosre Sajde ke baad beth kar yani jalsa istrahat me 10 martaba padhe ,is tarah har Raka'at me 75 martaba padhe aur dono qa'ado me " Attahiyaat " se pehle padh le ,
❉ Salatut Tasbeeh me koi bhi soorat padhi ja sakti he ,Albatta alal tarteeb " Takasur ,Asr , Kafiroon aur ikhlaas " aur kabhi " izazul ,aadiyaat ,izaajaa aur ikhlaas " ka padhna behtar he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
★ Join ★
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ 5: - Qayamul Layl ( Tahajjud ki Namaz ) Ka Ahatmam,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Tahajjud Fara'iz ke baad sabse Afzal Namaz he ,Saal bhar balki Zindgi bhar iska Ahatmam karna chahiye aur Fazilat v Barakat wali Raato me iska aur bhi zyada Shoq V zoq aur tavajjoh se Ahatmam karna chahiye,
☞ 6 :- Magfirat me Rukawat wale Umoor Se Tauba ,
⇏Shabe Bara'at bahut hi Ba-Barkat aur Azeem Raat he Jesa k fazilate tafseel Se guzar chuki he'n ,lekin kuchh ese bhi Bad qismat log hote he'n Jo is Raat Kï barkat aur bil khusoos Sabse aham cheez magfirate Khudawandi se mehroom reh jate he'n, jinme Shamil hone se har soorat me bacha jaye aur agar khuda na khwasta koi mubtila ho to foran Tauba karke Allah Ta'ala Kï taraf ruju karna chahiye, Varna is Azeem aur Ba- barkat Raat me magfirat haasil na ho sakegi ,
⇏MuShirk ,Keena rakhne wala , Walden ka nafarmaan ,qata rehmi ( rishte todne wala ) ,izaar takhno se niche latkane wala ( yani Takhno ko Chhipa kar rakhne wala ) ,Sharaab ka aadi ,Qaatil aur Zaani ,Allah Ta'ala Tamaam Musalmano Kï in Gunaho Se Hifazat farmaye , Aameen ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Tahajjud Kï Fazailat ,,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he :-
"Farz Namaz ke baad sabse Afzal Namaz Wo he Jo Raat ke darmiyan padhi jaye ,"
Musnad Ahmad : 8507
❉ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n,:-
⇏Raat ke qayaam yani Tahajjud ko apne ouper laazim kar lo kyunki ye Tumse pehle Nek logo ka Tareeqa he ,Tumhare Rab ke qurb ka zariya he, Gunaho ko mitaane wali aur Gunaho ko rokne wali he ,"
⇏Ek Rivayat me iske saath " Jism Kï Bimariyo'n ko door karne wali he ," manqool he ,
Tirmizi : 3549
❉ Hazrat Amru bin Absa Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n :-
⇏Banda Apne Rab ke sabse zyada qareeb us waqt hota he Jab Wo Raat ke Akhri pahar apne rab ke saamne haazir hota he ,Pas agar tum un logo me se hone Kï taaqat rakhte ho Jo us Ghari me Allah Ta'ala ko yaad karte he'n to Zaroor ho jao ,"
Tirmizi : 3579
❉ Hazrat Abu Saieyd Khudri Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he k ,
*_ Teen Aadmi ese he'n Jinhe dekh kar Allah Ta'ala khush hote he'n ,Ek Wo Shakhs jab Wo Raat KO Namaz me khada hota he ,Doosre Wo log jab Wo Namaz me saf baandhte he'n ,Teesre Wo log Jab Wo Jihaad me Dushman Se qitaal karte hue saf baandhte he'n,
Mishkaat ul Musabeh, :1228
❉ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya gaya k Konsi Dua sabse zyada suni jati he ( yani qubool hoti he ) ,
*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Raat ke Akhri pahar aur Farz Namazo ke baad maangi Jane wali Dua ,"
Tirmizi : 3499
❉ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n,
*_ Beshak Jannat me ESE baala Khane he'n Jinka Zahiri hissa andar se aur Andruni hissa bahar se Nazar aata he ,
*_Ek Arabi Khade hue aur Sawal kiya ,
Ya Rasulallah ! Wo kiske liye he'n ?
*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Uske liye Jo Kalaam me Narmi rakhe ,Khana khilaye ,Pe dar Pe Roze rakhe aur Raat ko Namaz padhe Jabki log so rahe ho ,"
Tirmizi ; 1984
❉ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he'n,
⇏Meri ummat ke Sabse mu'azziz log Qur'an e Kareem ke Hafiz aur Tahajjud guzaar he'n ,"
Shobul imaan ,:2447
❉ Hazrat Abdullah bin Salaam Raziyallahu Anhu Jo Yahudiyo'n ke ek bade Aalim the ( Islam se pehle ) unhone Sabse pehli Martaba jab Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka didaar kiya to farmate he'n k Mai'n samajh gaya k ye Chehra kisi Jhoote ka hargiz nahi ho sakta aur sabse Pehle Jo Baat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmayi Wo ye thi ,:--
*__Ey Logo ! Aapas me Salam ko felaao ,Khana khilao ,Silah Rahmi karo ,Raat ko Namaz padho Jabki log So rahe ho'n ,Tum jannat me salaamti ke saath Dakhil ho jaoge ,"
Tirmizi : 2485
❉ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se marfuan Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal he k Jo Shakhs Raat ko kasrat Se Namaz padhta he Din ko uska Chehra Haseen hota he ,
Shobul imaan ,: 2447
❉ In tamaam Fazail ko har Shakhs haasil kar sakta he, Jiska Tareeqa ye he k Apne aapko Tahajjud ka paband banaya jaye aur ye mamool Zindgi bhar apnane ka he ,Bilkhusoos Mubarak Raato me is Amal ko aur bhi zyada Ahatmam se karna chahiye aur iska Tareeqa ye he k 2-2 Raka'at karke 8 Raka'at padho jaye aur usme Jo Soorte'n bhi yaad ho unki zyada Tilawat Kï koshish Kï jaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
*__Dua Kijiye Allah ta'ala Mujhe Bhi ,Aapko bhi aur Har Momin ko Tahajjud ka Aadi bana de , Aameen,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Qaabile Tark Kaam ,1:- Aatishbazi ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Yani Wo kaam jinko is Mahine me ibaadat aur Rasm ke tor per bade Ahatmam se kiya jata he Jiski Vajah se log un kaamo ko is Mahine me bade Zoq v Shoq se karte he'n ,Ajro sawab Kï Ummeed rakhte hue fizool kharch karte he'n, Halanki unka mazhab v Shariyat se koi talluq nahi ,unka karna Bid'at he lihaza unse door rehna zaroori he ,
⇏1 :- Aatish Baazi ,
❉ Sh'abaan ke Mahine me ek Rasm Jo Musalmano me tafreeh aur Dillagi ke naam se Raa'ij ho gayi he Wo Aatish Baazi Kï Rasme bad he ,Jisko Bachche to Bachche Bade bhi karte Nazar aate he'n aur har saal is per laakho Rupiya paani Kï tarah bekaar zaaya kiya jata he ,Ye darasal Hinduo'n ke mashoor Tyohaar ( Diwali ) Kï naqal he ,iska Deen v Shara'i tor per haraam hona to dar Kinaar khud aqal me aane wali baat nahi he ,
⇏Bhala Khud Apne Haatho se Apne khoon pasine Kï kamaai ko patakhe jala kar barbaad karna konsi aqalmandi he ,? Fir iski vajah se kitne logo ka Araam v Sukoon gaarat hota he ,Kitne hi logo Kï neend me Khayal padta he ,Basa Avqaat iski vajah se jalne aur Marne ke bade bade nuqsanaat bhi ho jate he'n Jinke qisse har saal Padhne aur Aankho se dekhne ko milta rehta he ,
❉ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he :-
⇏Jo kisi Momin ko daraye aur use khofzada kar de Allah Ta'ala Qayamat ke Din use khof se aman nahi denge ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Shobul imaan ,:-10605
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Qabile Tark Kaam ,2:- Charagaa'n ( Lighting ) ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Mubarak Raato me na jaane kis SOCH aur Nazariye ke tahat gharo me ,Masjido me aur aham muqaamo per Roshniya'n Kï jati he ,Mom battiya'n Jalayi jati he ,Chiraag jalaye jate he'n, Qumqume Roshan kiye jate he'n, Lighting Kï jati he aur in kaamo per fizool kharch kiya jata he ,aur is per Zulm ye k isko sawab ka kaam samjha jata he ,
⇏Khud sochiye ! Aur baar sochiye ! Bhala Jo kaam AJRO Sawab ka baa'is ho kya Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke jaanisaar Sahaba Kiraam aur unke naqshe qadam ko apni Manzil samajhne wale ummat ke aslaaf v Akabireen usse mustagni ye be khabar reh sakte the ?/ agar nahi aur yaqeenan iska jawab nafi me hi he to kya Vajah he k Jis kaam ko Sahaba Kiraam ,Ummat ke sulhaa v asfiya ne nahi kiya use ajro sawab ka baa'is samajhna aur batana kaha Kï aqalmandi he ,
❉ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
*_" Jisne hamare Deen me esi koi Baat nikaali Jo usme nahi to Wo baatil v mardood he ,"
Bukhari : 2697
❉ iske alawa isme maal ka fizool kharch bhi he Jo khud kisi kaam ke haraam hone ka sabab he ,Allah Ta'ala ne Qur'an Kareem me Saaf irshad farmaya k Allah Ta'ala fizool kharch karne wale ko pasand nahi karte aur Fizool kharch karne walo ko Shaitaan ka Bhai farmaya gaya he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Qabile Tark Kaam, 3 :- Halwa Banana ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Shabe Bara'at me halwa aur Pooriya'n banane Kï Rasm bhi bahut se nadaan Musalman bade shoq v Zoq Se ada karte he'n aur use Ajro sawab ka kaam samajhte he'n ,
⇏Baaz log iski vajah bayan karte hue kehte he'n k Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Dandane Mubarak Shaheed hone ke baad Halwa Khane Kï yaadgaar he , aur Baaz ye kehte he'n k Hamza Raziyallahu Anhu is tareekh ko Shaheed hue the ,Unke isaale sawab ke liye ye kiya jata he ,
❉ Lekin Zaahir he k iske liye Din aur Tareeqe ko makhsoos kiya jata he Halanki is tareekh se in dono waqiyo ka koi talluq nahi ,Fir agar maan bhi liya jaye to is tareeqe ke maahroo hone Kï kya daleel he ? ,
*_kya kahi iska Zikr he ya Hazraat Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum v Tabaiyn ya Aslaaf v Akaabireen se is per Amal karna manqool he ?
⇏Zahir he k inme se kuchh bhi nahi fir kisliye apni khwahish ko Deen bana kar Shaitaan ko khush kiya jata he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Qabile Tark Kaam , 4 :- Qabristan Dhoom dhaam Se Jana ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ is Raat me ek aur kaam badi dhoom dhaam se kiya jata he aur Wo ye he k qabristan bade Ahatmam se dhoom dhaam ke saath jate he'n, Qabristan me Maila thela lagta he ,Chaadre chadayi jati he'n ,Fool daale jate he'n ,Mardo ke Saath saath Aurte'n bhi is kaam me shareeq hoti he'n Jisse Bade fitno ke darwaze khulte he'n ,
❉ Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab DB farmate he'n ,:- is Raat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se ye saabit he k Aap Sallallahu Alaihivasallam Jannatul Baqi tashreef le gaye the ,Lekin Hazrat Mufti Shafi Usmani Reh. Ek badi kaam Kï baat farmaya kare the ,Jo hamesha yaad rakhna chahiye,
⇏Farmate the k , " Jo cheez Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se saabit ho usi darje me use rakhna chahiye , usse aage nahi badna chahiye, "
❉ Lihaza saari Hayate Tayyaba me Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se ek martaba Jana marvi he ,k Aap Shabe Bara'at me Jannatul Baqi tashreef le gaye ,Chunki ek martaba Jana marvi he isliye agar agar Zindgi me kabhi ek martaba Har qism Kï Bid'aat aur Khurafaat se bachte hue infiradi tor per jaya jaye to koi harj nahi ,
*__,lekin har Shabe Bara'at me Jane ka ahatmam karna ,iltizam karna aur usko zaroori samajhna aur isko Shabe Bara'at ka ek arkaan me Dakhil karna aur isko Shabe Bara'at ka laazmi hissa samajhna aur iske bager ye samajhna k Shabe Bara'at nahi hui ,Ye isko iske darje se aage badhane wali Baat he ,Jisse bachna zaroori he ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Qabile Tark Kaam , 5 :- Shabe Bara'at me ijtimayi ibaadat ka ahatmam ,
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❉ Shabe Bara'at ho ya koi bhi Mubarak Raat ,maqsad usse ye hota he k insaan Allah Ta'ala Kï taraf yaksui aur diljoi ke saath mujavajjah ho ,aur Zaahir he k ye maqsad infiradi ibaadat ke Zariye hi haasil ho sakta he ,
❉ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ya Aapke Sahaba v Aslaaf se bhi ijtimayi tor per Mubarak Raato me ibaadat karna manqool nahi ,
⇏iske alawa Masjido me ijtimayi tor per Jo ibaadat Kï shakle qaayam Kï jati he'n Wo bahut si Bid'aat aur Khurafaat ka majmua ban jati he ,
❉ isliye infiradi tor per jitna ho sake ibaadat karna chahiye, in Sha Allah Wo kam bhi hogi to Zyada ajro sawab ka baa'is hogi ,
❉ Allah Ta'ala Hume Deen Kï sahi samajh ata farmaye aur is per Amal Kï Tofeeq ata farmaye ,
❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴
Mahe Sh'abaan Ke Fazail v A'amaal ,
❉ Apni makhsoos Duao'n me is Khaaksaar ko bhi Yaad Rakhiye ,Haqq ka Daayi Kï poori Team ko Yaad Rakhiye ,Allah Sahi samajh aur ikhlaas ke saath Deen ka Kaam karne Kï Tofeeq ata kare , Aameen .
★ Talibe Dua ★
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
★ ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
❀۞❀
No comments:
Post a Comment