Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, June 16, 2017

Ramzan Ul Mubarak -- Fazail V Masail

⚈◢

┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯

        I ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ  l
       
┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

                       ۞ R A M Z A N ۞

                           

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

✿ Maah e Ramzan ke is qadar fazail hain aur itne khair o barakat hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne is maah k liye 2 maheene pehle se duaayen ki hain
chunanche hadees me hai ke jab rajjab ka chand nazar aata ,Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam yeh dua padhte

”Allahumma Barik lana fi Rajab o Sha’ban wa ballighna Ramzan”.

✿ Maahe ramzan maghfirat aur aag se khalasi aur jannat ke husool ka behtareen mauqa hai aur maah e ramzan itna ba barkat neez itni sawab ki cheez hai ke Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne mahe ramazan tak pahunchne. Kï Dua Farmayi ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazart ibadah RaziAllahu Anhu farmate hain ek martaba Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne ramazan ke qareeb irshaad farmaya ke,

⇒ Ramzan ka maheena aagaya hai jo badi barkat wala hai ,Haq ta’ala Shaanhu us me tumhari taraf mutawajjah hote hain aur apni rahmat-e-Khassa nazil farmate hain, khataaon ko ma’af karte hain ,dua ko qubool karte hain tumhare tanafis ko dekhte hain aur malaika se fakhr karte hain.

*_pas Allah ko apni neki dikhlao

*_Badnaseeb hai woh shakhs jo is maheene me bhi Allah ki rahmat se mahroom rah jaye.

↳® Tabrani

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya,

*_” Ramazan Ki pahli tareekh ko jannat ke darwaze khol diye jaate hain aur Dozakh ke darwaze band kar diye jate hain aur Shayateen ko moqayyad kar diya jaata hai ”

↳®Bukhari, Muslim

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Imam Hasan RaziAllahu Anhu se manqool hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,

*_” Ramzan ki har raat me 6 lakh aadmi dozakh se aazaad kiye jaate hain
aur ramzan ki aakhri shab me tamam guzishta ta’addad ke misal dozakh se aazad kiye jaate hain.

⚀•RєԲ:➻┐
               Baihaqi

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
  

✿ Hazrat abu hurairah RaziAllahu Anhu se rewayat hai Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:,

*_” meri ummat ko ramzan ke baare me 5 cheezen makhsoos taur par di gai hain,jo pahli ummaton ko nahin mili hain..

↴↴↴
❶ UN ke munh ki badboo Allah ke nazdeek mushk se zada pasandeedah hai.

❷ UN k liye darya ki machhliyan tak dua karti hain aur aftaar tak karti rahti hain.

❸ jannat har roz un ke liye aaraasta ki jaati hai phr Haq Ta’ala farmaate hain Qareeb hai mere nek bande duniya ki mushaqqaten apne upar se phenk kar teri taraf aayenge.

❹ is maah me sarkash shayateen qaid kar diye jaate hain.

❺ Ramzan ki aakhri raat me roza daaron ke liye maghfirat ki jaati hai.

⚀•RєԲ:➻┐
           Ahmad Baihaqi.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Hasan Basri Rahmatullahi alaihi se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya ke,

⇒ Allah Ta’ala Ramzan-ul-Mubarak ki har raat me 6 lakh logon ko jahannam se aazaad karte hain aur jab aakhri raat hoti hai to guzishta azaad shuda logon ke baqadr ( ek hi raat me ) azaad kiye jate hain.

✿ Mazeed Fazail Hazrat sahal bin sa’ad RaziAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya,

” roza daar jannat me ek makhsoos darwaze se dakhil honge us darwaze ka naam RAYYAN hai jab roze dar dakhil ho chuken ge to yeh darwazah band kar diya jaye ga phir koi shakhs is darwaze se dakhil na ho sake ga.

⚀•RєԲ:➻┐

           Bukhari, Muslim.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu ne farmaya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshaad hai ke,

*_“Jab Ramzan hoti hai to shaitaan aur sarkash jinnat qaid kar diye jaate hain aur Jahannam ke sab darwaaze band kar diye jaate hain,
un me se koi bhi darwaza nahi khola jaata,

*_aur jannat ke saare darwaze khol diye jaate hain,
un me se koi bhi darwaza band nahi kiya jaata,
aur ek aawaaz lagane wala aawaaz deta hai ke aye khair ke talabgaar !!

*_aage badh aur aye burayi ka iraada karne wale peechhe hatt aur Allah ke liye,
(ramzan )me bahut se log jahannam se aazaad hote hain aur ye mamlaa har raat hota hai.

⚀•RєԲ:➻┐

          Tirmizi ,Ibn-e-Maaja, Mishkaat.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Abdullah Bin Umar RaziAllahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka qaol naql karte hain ke

*_” Ramzan ke liye jannat ko shuru saal se sajaya jaata hai phir jab ramzan ka pahla din hota hai to ek makhsoos hawa arsh-e-khudawandi ke neeche se jannat ke patton se guzarti hui khubsoorat hooron tak pahunchti hai to woh arz karti hain

_ aye parwardigaar !!!!
hamare liye apne bandon me se aise bande muntakhib farma jin se aankhon ko thandak naseeb ho aur unko hamare zariye se aankon ka chayen naseeb ho.

⚀•RєԲ:➻┐

           Baihaqi, Mishkat.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya

*_” jis shakhs ne khud Ramzanul Mubarak me roza rakha, kuch khaya piya nahi,
aur kisi momin par buhtaan bhi nahi lagaya aur is roze ki haalat me koi gunah bhi nahi kiya..

*_Allah Ta’ala ( Roze ki ) har raat me us ke liye 100 hooron se us ki shaadi karen ge.aur us k liye Jannat me lu’lu , yaqoot , aur Zabar Jad ka mahel banayen ge..
Agar tamam duniya ko us mahel me muntaqil kar diya jaye to yeh duniya me bakriyon ki jagah jitna nazar ayega.

⚀•RєԲ:➻┐

           musnad Abu Ya’la ,

✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

*_”jis ne roze ko farz samajh kar sawab ki ummeed ke saath rakha ,woh bakhsha gaya..

⚀•RєԲ:➻┐

        muttafaq alaih.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu  Anhu se marwi hai ke Huzoor  Sallallahu  Alaihi   Wasallam  ne irshaad farmaya :

" jab ramazan ka maheena dakhil hota hai to aasmaan ke darwaze (ek aur riwayat me jannat k darwaze , aur ek riwayat me rahmat ke darwaze) khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaze band kar diye jaate hain aur shaitano ko zanjeeren pahna diye jate hain.

⚀•RєԲ:➻┐
                  Bukhari,Muslim,
                            Mishkat.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞. ROZE KA AJAR WA SAWAB BE HISAAB HAI.,

✿ Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu Tala Anhu kahete hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya ,

*_“Allah azzawajal Farmate hai ke ibne Adam ka har amal uske liye hai siwae Roze ke.

*_Roza mere liye hai aur mai hee iski jaza dunga
Roza (Aag se) dhal hai lihaza jis roz Tumme se kisi ka Roza ho us roz wo Fahesh goe na kare aur behuda kalaami na kare aur agar koi dusra isse gali galoch kare ya ladaai kare to Rozedar ko (sirf itna kahena chahiye) mai Rozedar hu
us zaat ki qasam jiske hath me Huzoor Sallallahu Alaihi vasallam ki jaan hai Rozedar ke muh ki kushbu Qayamat ke din Allah Tala ko Mushk ki kushbu se bhi zyada pasandida hogi

*_Rozedar ke liye 2 khushiya hai jinse wo farhat hasil karega.

*_1.Jab wo Roza iftar karta to khush hota hai.

*_2.Jab wo apne Rabb se milega aur Roze ke badle me apne Rabb se inaam paega to khush hoga.

⚀•RєԲ:➻┐

           muktasar Sahih Muslim: 571

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
  
⊙ RAMAZAN KE ROZE FARZ HAI ⊙

★ ” Aye Imaan Walo! Tum Par Roze Farz kiye Gaye jis tarah Tum se Phale Logo Par Farz kiye gae the, taake tum MUTTAQI ban jao.

®Surah→ Al-Baqarah, Aayat183

⇨ Is Ayat―e―kareema se pata chala ke Roze ka Maqsad ye hai k hum me Taqwe ki Sifat paida ho,
HUM Allah se Darne wale bane.

*_To Rozo ko ahatmam ke sath rakhen. Zyada se zyada waqt Quran paak ki Tilawat me sarf karen,

*_Chalte phirte ALLAH KA ZIKR Dil me or zaban par ho.
Nigaho ki hifazat karen Zaban ki hifazat karen Taraweeh pura Ramazan padhe Jhoot Gheebat se bachen…..

●Hadees-e-paak ka Mafhoom●

★ Huzoor Sallallahu Alaihi Vasallam ne Farmaya

*_” Roza Gunaho se Bachne ke liye Dhal Hai Rozedar Fahesh →yani be fizul← Bato aur koi Behuda kaam na kare agar koi Shaks Gali Galoch aur Ladae Jhagde par utar aye to sirf itna kahede k mai roze se hu.

⚀•RєԲ:➻┐

           Sahih Bukhari,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

▣ Hadees-e-paak ka Mafhoom Hai ::----

★ JO SHAKHS KISI ROZADAR KO IFTAR KARAYE TO YE GUNAH KI MAAFI AUR DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIYA HAI.

↳®BAIHAQI.

★ Allah farmata hai:↴
Insaan Ka Har Ek Nek Amal Khud Usi Ke Liye hai
Magar Roza Wah Khas Mere Liye hai Aur Mai hi Is Ka Badla Dunga.

↳®Bukhari.

★ Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga.

↳®Ibn-e-Khuzaima

★ Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:

“Ramzan Me Umra Karna Hajj Ke Barabar Bal Ke Mere Saath Hajj Karne Ke Barabar Hai.”

↳®Sahih Muslim: 3098.

★ ROZA AUR QUR’AN BANDE KI SHAFA’AT KARENGE AUR DONO KI SHAFA’AT QABOOL HOGI.

↳®TIBRANI,BAIHAQI.

★ RAMZAN KE ROZEDAAR KE LIYE SUBHA SE SHAM TAK 70,000 FARISHTE DUA-E-MAGFIRAT KARTE REHTE HAI.

↳®SHAUBUL IMAAN JILD.3.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

▣ Hadees-e-paak ka Mafhoom Hai ::---

★ Ramzan Me Gharwalo Ke Kharch Me Kushadgi Karo Kyun ki Is Mahine Me Kharch Karna Allah Ki Rah Me Kharch Karna Hai.

↳ ®Jamia Sageer.

★ Jo Ramazan me iman aur sawaab ke sath(namaz me)qayam kare uske agle pichhle tamaam gunah mita diye jayenge.

↳®Bukhari.

★ Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam Farmate Hai:

“ROZA aur QUR’AN
Bande Ke Liye QIYAMAT Ke Din Shafa’at Karenge.”

↳®Musnad-E-Imaam Ahmad Jild:2 Safa:586 Hadees:6637.

⇨ AYE LOGO ! TUMHARE PAAS AZMATWALA AUR BARKATWALA MAHINA (RAMZAN) AAYA WO MAHINA JISME EK RAAT 1000 MAHINO SE BEHTAR HAI.

↳®BAIHAQI.

★ Jis Rozadar Ne Bhool Se Khaya Piya Wo Apna Roza Pura Kare (Uska Roza Nahi TooTa) kyun ki Use Allah Ne Khilaya Pilaya.

↳®MUSLIM Hadis:1155.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
 
▣ Hadees-e-paak ka Mafhoom Hai ::---

★Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ne Farmaya Agar Bando’n ko Malum hota ke Ramzan kya Cheez hai to Meri Ummat Tamanna karti ke pura Saal Ramzan hi ho
.
↳®SAHIH IBNE KHUZAIMA, kitabus Siyam, JILD:3 SAFHA:190 HADEES:1886

★MUJHE APNE BANDO ME SAB SE ZYADA PASAND WOH HAI. JO IFTAAR ME JALDI KARNE WAALA HO.

↳®TIRMIZI SHARIF,Jild:1,Safa:150

★RAMZAN KE ISTAQBAAL KE LIYE SARA SAAL JANNAT SAJAAI JAATI HAI.

↳®SHAUBUL IMAAN JILD.3 SAFA.312

★Jis Maal Ki Zakat Na Di jaye Wo Maal Baroze Qayamat Ganje Saanp Ki Surat Me Gale Me Touq Bana kar Daal Diya Jaega.

↳®Sahih Bukhari.

★MUJHE APNE BANDO ME SAB SE ZYADA PASAND WOH HAI JO IFTAAR ME JALDI KARNE WAALA HO.

↳®TIRMIZI SHARIF Jild:1 Safa:150

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
 
▣ Hadees-e-paak ka Mafhoom Hai ::--

★JISNE APNE MAAL KI ZAKAAT ADA KAR DI
TO BESHAQ ALLAH TA’ALA NE USSE TAKLIF KO DOOR FARMA DIYA.

↳®HAAKIM

★ALLAH TA’ALA RAMZAN KI HAR RAAT ME IFTAR KE WAQT 1 LAKH AISE DOZAKHIYO KO AAZAD FARMATA HAI JIN PAR AZAB WAAJIB HOTA HAI.

↳®TIRMIZI

★GEEBAT: QUR’AN: JAISE APNE MURDA BHAI KA GOSHT KHANA HADEES:

*_GEEBAT ZINA SE BHI SAKHT TAR HAI GEEBAT KI WAJAH SE ROZE KI NURANIYAT JAATI RAHTI HAI.

↳®DURR-E-MUKHTAR

★Beshak Momin Achche Akhlaq Ke Sabab Aur Rozedar Raat Ke Qayaam Ke Sabab uncha Darja Pa Leta He.

↳®Abu Dawood

★ALLAH OR USKE HABEEB Ko PaKr Kabhi Kisi Ne Kuch Nhi Khoya Aur ALLAH OR USKE HABEEB Ko Khokar Kabhi Kisi Ne Kuch Nahi Paya.

*_2 HAJJ+2 UMRO KA SAWAB:
HADIS KHULASA-

*_Jisne Ramzan me (10 Din ka) Etikaf kar liya woh aisa he Jaise 2 hajj aur 2 umre kiye.

↳®SHUABUL IMAN 3

★ALLAH KE RAASTE ME EK DIN SARHAD KI HIFAAZAT ME GUZARNA..DUNYA & US KI SAARI CHEEZO SE BEHTAR HAI.

↳®BUKHARI HADEES: 2892

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

★JANNAT HAR DIN ROZADAARO KE LIYE SAJAAYI JAATI HAI.

↳®TARGEEB.

★BESHAQ JANNAT IBTEDAYI SAAL SE AAINDA SAAL TAK RAMZANUL MUBARAK KE LIYE SAJAYI JAATI HAI.

↳®MISHKAT.
★Jisne Allah Ki Raah Me 1 Roza Rakha to Allah iske Chehre ko Jahannam se 70sal ki Musafat Dur Kardega.

↳®Bukhari v2 Page: 265.

★RAMZAN KE ISTAQBAAL KE LIYE SARA SAAL JANNAT SAJAAI JAATI HAI.

↳®SHAUBUL IMAAN,JILD.3,SAFA.312.

★ROZADAAR KA SONA (SLEEP) IBAADAT HAI USKI KHAMOSHI TASBIH HAI AUR USKA AMAL MAQBOOL HAI.

↳®TIRMIZI.

★SEHRI BARKAT KI CHEEZ HE ALLAH NE ISSE TUMKO NAWAZA HE ISLIYE TUM ISKO KABI NA CHORNA.

↳®NASAI:2164.

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★KHAZOOR Khaane Se Koolanj (Badi Antadi Ka Dard APPENDIX) Nahin Hota.

↳®Kanzul Ummaal J:10 S:12 H:24191.

★”JO MUSALMAN JUM’A KI
RAAT YA DIN ME YA RAMZAN KE PURE MAHINE ME (DIN YA RAAT)ME MARE
USSE KABR ME SAWAL NAHI HOGA.”

↳®Musand-E-Imaam AHMAD H:8080.

★RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai.

↳®Musand-e-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132.

★Beshak! Allah Azzawajal Aur Uske Farishte Sehri Khanewalo Par Rahmat Nazil Farmate He.

↳®Sahi Ibne Hibban

★RAMZAN Ke Roze aur Har Mahine Mein 3 Din Ke ROZE Seene Ki Kharaabi Ko Door Karte Hai.

↳®Musand-E-Imaam Ahmed Jild:9 Safa:36 Hadees:23132.

★Jo Buri Baat Kehna aur Us Par Amal Karna Na Chhode To Us Ke BHOOKA-PYASA Rahne Ki ALLAH Ko Kuch Haajat Nahi.

↳®Bukhari J:1 S:628 H:1903.

★Bahot Se Rozedar Aise He Ki Un Ko Unke Roze Se Bhookh Bur Piyas Ke Siwa Kuchh Hasil Nahi Hota.

↳®Sunan Ibn-e-Majja
Jild:2 Safa:320.

★Beshak Rozadar Ke Liye Iftaar Ke Waqt
1 Aisi Dua Hoti He Jo Rad Nahi Ki Jaati.

↳®Attargib Wattarhib J:2 S:53 H:29.

★Hamare Aur Ahlekitab (Isaaiyo Aur Yahudiyo) Ke Rozo Ke Beech Farq Sehri Khana Hai Yani (wo Log Sehri Nahi Khate).

↳®MUSLIM Page:552.

★Jo Banda ALLAH Ta’ala Ki Raah Me 1 Din Ka Roza Rakhega To Dozakh us Bandese 100 Baras Ki Raah Par Hogi.

↳®Tibrani

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★JO RAMZAN KA ROZA QASDAN CHHODE FIR CHAHE TAMAM UMAR ROZA RAKHE WOH USKE BARABAR NAHI HO SAKTA.

®TIRMIZI.

★RAMZAN KI HAR RAAT-O-DIN ME SE MUSALMAN KI EK DUA ZAROOR QUBUL HOTI HAI.

®TARGEEB.

★Meri UMMAT Zaleel O Ruswa Na Hogi,
JabTak Woh Mahe Ramazan Ka Haq Ada Karti Rahegi.

®Jamia Sageer.

★HUZUR ALAIHISSALAM NE FARMAYA
MAHE RAMZAN SABR KA MAHINA HE
AUR SABR KA SAWAB JANNAT HE.

®FAZILAT-E-NAMAZ.

★Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH TA’ALA Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga.

®Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887.

★HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE 3 TARAH KE LOGO KO BAD DUA DI JIS PAR HAZRAT JIBRAIL NE AAMIN KAHA USME SE EK RAMZAN KA ROZA NA RAKHNEWALA HAI.

®Kanzul UMMAL.

★Is Mahine Ka Pehla Ashrah RAHMAT
Doosra MAGFIRAT aur Teesra Ashrah JAHANNAM Se Aazadi Ka Hai.

®Sahi Ibn-e-Khuzaima J:3 S:191 H:1887.

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★AAQA Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:

*_Jab Ramzan Aata Hai To Jannat Ke Tamaam Darwaaze Khol Diye Jate Hai.

®Bukhari:1898.

★Ye Mahina (RAMZAN) Sabr Aur Bhalai Ka He Aur Sabr Ka Sawab Jannat He Aur Is Me Momin Ka Rizq Badhaya Jata Hai.

®SAHI IBN-E-KHUZAIMA 3/1887

★JisKa Roza Ki Halat Me Inteqal Hogaya
Allah usko Qayamat Tak Ke Rozon ka Sawab Ata Farmayega.

®Al Firdaus J:3 S:4.

★Kya Aap Jante He?
Ramzan Ul Mubarak me Musalmano Ki Qabro Par Azaab-e-Qabra Nahi Hota.

®Miartul Manazih 3.

★Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam ka farman hai: Hamare aur ahle’kitab ke rozo ke darmiyan ka farq sehari ka khana hai.

®Muslim.

★Ramzan Me Zikre-ILAHI Karnewala Baqsh Dia Jata He Aur Is Mahine Me ALLAH Se Maangne Wala Mehrum Nahi Rahta.

®Shoaibul Imaan, H.No:3627.

★Jab RAMZAN Aata Hai Tab Asman ke Darwaze khol diye Jate hai Aur dozakh Ke Darwaze Band Kar diye jate hai.

®SAHIH BUKHARI kitabus-Som 1/626 Hadis no189.

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
     RAMZAN ME 4 CHEEZO KI PABANDI

◆━━━━◆◐━━━━◑◆━━━━◆◐━━━━◑

★ Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya,
” Mahe Ramzan me 4 cheezo par khoob amal kiya karo,
Q ki 2 chizo se Allah ta’ala raazi honge, aur baqiya 2 cheezo se tum be-niyaaz nahi ho sakte ho, yani us ko karna hi chaahiye, Rab ko raazi karne vali 2 cheezo yah he’n .

⇨1.Laailaaha illallah padhte rahna,
⇨2.istegfaar karte rahna.
Aur dusri 2 cheezi jin se tum be niyaaz nahi ho sakte yah he,
⇨3.Jannat ka sawal karna.
⇨4.Jahannam se panah maangna.

↳®Sahi ibne khujema :1780,
An salman farsi rd.
❣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━❣

                     ROZE – KI – NIYAT

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
✾ Behtar ye he k Ramdhan Mubarak ke Roze ki niyat Subeh Sadiq se pehle kar li jaye,

✾ Agar subeh Sadikq se pehle Roza rakhne ka iraada nahi tha, subeh Sadiq ke baad iraada hua k Roza rakh hi lena chahiye to agar subeh Sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi to niyat sadiq ke baad karna sahi he,

✾ Agar kuchh khaya piya nahi ho to Dopahar se ek ghanta pehle tak ramzan sharif ke roze ki niyat kar sakte hai,

✾ Ramzan sharif ke roze me bas itni niyat kar lena kaafi he k aaj mera roza he, ya raat ko niyat karna k subeh roza rakhna he,

✾ Roze ke liye sehri khana ba-barkat he k isse din bhar quwwat rehti he, magar ye roza ke sahi hone ke liye shart nahi, Agar kisi ko sehri khane ka moqa nahi mila aur Sehri khaye bina roza rakh liya to bhi sahi he,

✾ Ramzan ka roza rakh kar tod diya to Qaza aur Kaffara dono laazim honge,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masail aur Unka Hal, 3/262

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

              SEHRI. AUR. AFTAAR

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
★ Sehri khana Mustahab he aur Baa’ise barkat he, agar na khayi tab bhi Roza ho jayega,

★ Sehri me der, magar ye zaroori he k subeh saadiq se pehle khaya jaye ,
Aur aftaar me jaldi karna chahiye magar ye zaroori he k din guroob ho Jane ka yaqeen ho jaye tab hi roza khole,

★ Azaan amuman Subeh saadiq ke baad hi hoti he, agar Azaan ke waqt tak khaya piya to roza nahi hoga,

⇨Roza kholte waqt niyat shart nahi, Aftaar ke waqt dua mustahab he, bager dua ke roza khol liya to bhi roza sahi he,

★ Aftaar ke waqt Duae’n Qubool hoti he, isliye dua ka zaroor ahatmam karna chahiye,

★ Roza rakhne aur kholne me usool ye he k usi jagah ka etbaar hoga jaha Aadmi us waqt mojood he,

⇨ Maslan ek shakhsh India se Sehri karke( roza rakh kar) Saudi Arab gaya to ab Saudi Arab ke guroob ke etbaar se aftaar karna hoga,

★ Airoplane me safar karte waqt jis jagah ki bulandi per plane ud raha he chahe wo 10 hazaar fit ki bulandi per ho aur us bulandi se guroob Aftaab dikh raha ho to roza Aftaar kar lena chahiye,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masail aur unka Hal, 3/266

        ━─━─━─━─━─━─━─

Kin Vujuhaat se Roza Tod dena Jaa’iz he,

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Agar Rozedar achanak bimaar ho jaye aur Andesha ho k agar Roza na toda to jaan ka khatra he, ya bimaari bad Jane ka khatra he to esi halat me roza Tod dena jaa’iz he,

★ Haamla Aurat ki jaan ko ya bachche ki jaan ko khatra lahak ho jaye to roza Tod dena jaa’iz he,

⇨ Sharai uzr ki vajah se tode gaye roze ka kaffara laazim nahi magar Qaza laazim he,

⇨ Agar bimari ki vajah se chhote Dino me bhi Qaza karne ki taaqat nahi ho to iske siva koi chara nahi k in rozo ka Fidya Ada kare, Ek din ke roze ka fidya Sadqa e Fitr ke barabar he,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masqil aur Unka Hal,3/271

       ━─━─━─━─━─━─━─

                         AHAM – BAAT

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Ramzan Sharif ke roze har Aaqil Balig musalman per Farz he aur bager kisi shara’i uzr ke roza na rakhna Haraam he,

★ Agar na-balig ladka, ladki roza rakhne ki taaqat rakhte ho to Maa-Baap per Zaroori he k unko bhi Roza rakhwaye,

★ Jo bimaar roza rakhne ki taaqat rakhta ho aur roza rakhne se uski bimaari badne ka andesha na ho us per bhi Roza rakhna laazim he,

⇨ Baaz log bager uzr ke roza nahi rakhte aur bimaari ya safar ki vajah se Roza chhod dete hai aur baad me qaza bhi nahi rakhte, khastor per Aurto’n ke Jo roze ayyam ( Mahwari ) ki vajah se rah jate hai, unki qaza rakhne me susti ki jati he, ye bahut bada gunaah he,

★ Kaam ki vajah se,imtehan ki vajah se Roza chhod dene ki ijazat nahi,

★ Kisi doosre se apna roza rakhwana jaa’iz nahi,

⇨ Jis tarah khana khane se doosre ka pet nahi bharta, isi tarah ek shakhsh ke namaz padane aur roza rakhne se doosre ke zimme ka Farz Ada nahi hota,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masqil aur Unka Hal,3/273

      ━─━─━─━─━─━─━─

Wo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho gaya

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
★ 1- Kaan aur Naak me is tarah Dava daalna k halaq tak pahunch jaye,

★ 2-Qasdan ( Jaan bujhkar) moonh bharkar Kai karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan lota Lena,

★ 3-Kulli karte hue halaq me paani ka chala Jana, ( us waqt Roza bhi yaad ho )

★ 4- Aurat ko chhoone vagera se inzaal ho Jana,

★ 5- Lobaan ya Oad ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana,
Bidi, hukka pina isi hukm me he,

★ 6-Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha liya,

★ 7- Raat samajhkar subeh sadiq ke baad Sahri kha Lena,

★ 8- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he, Aftaar kar liya,

★ 9- Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 326

        ━─━─━─━─━─━─━─

Wo Cheeze Jinse Roza to Nahi Tootta MagarMakrooh ho Jata he

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
★ 1- Bila zarurat kisi cheez ko chabana, Namak vagera chakh kar thook dena, Tooth Pest, Manjan ya Koyla se daant saaf karna,

★ 2- Subeh sadiq se pehle Junbi ho gaya fir din bhar haalate janabat me rehna,

★ 3- Fasad khulwana ( Bleeding ) ya kisi ko khoon apna khoon Dena,

★ 4-Geebat yani kisi ki peeth pichhe burayi karna,

⇨ Geebat har haal me haraam he, Roze me iska gunaah aur bad jata he,

★ 5- Ladna jhagadna, Gaali galoch karna,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 327

      ━─━─━─━─━─━─━─

Wo Cheeze Jinse Roza nahi Tootta aur Na hiMakrooh hota He

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
★ 1- Miswaak karna,
★ 2- Sar ya Munchho per Tel lagana,
★ 3- injection ya teeka lagana ya lagwana,
★ 4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana,
★ 5- Khushbu lagana,
★ 6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna,
★ 7- Bhool kar Khaa pi lena,
★ 8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi vagera ka chala Jana,
★ 9- Khud ba Khud Kai aa Jana,
★ 10 – Sote hue ahatlaam ho Jana,
★ 11- Daanto me khoon aaye magar halaq me nahi jaye, isse Roze me koi khalal nahi aata,
★ 12- Agar Jababat ki haalat me bager gusl kiye Roza ki niyat kar li to Roze me khalal nahi aata,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 327

       ━─━─━─━─━─━─━─

Wo Uzr Jinse Roza na Rakhne ki Ijazat hoti he -

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ 1- Bimari ki Vajah se Roza rakhne ki taaqat na ho ya marj badne ka khatra ho to Roza na rakhna jaa’iz he, Ramzan ke baad Sahat ho Jane per iski qaza kare,

★ 2- Aurat ko hamal ki Vajah se Roze me bachcha ya apni jaan ko nuksaan pahunchne ka andesha ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare,

★ 3- Jo Aurat apne ya Gair ke bachche ko doodh pilati ho agar Roze ki Vajah se Bachche ko doodh nahi milta ho aur isse bachche ko takleef pahunchti ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare,

★ 4- Sharai musafir ko ijazat he k wo Roza na rakhe lekin agar takleef na ho to afzal yahi he k haalate safar me bhi Roza rakh le,

★ 5- Ba-haalate Roza safar shuru kiya ab uske liye Roza ko pura karna zaruri he,

⇨ Agar musafir haalate safar me tha aur subeh sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi aur Roze ki niyat bhi nahi ki, Fir zawal se pehle watan ( home ) pahunch gaya, us per laazim he k wo Roza rakh le,

★ 6- Kisi ko qatl ki dhamki dekar Roza todne per majboor kiya jaye to uske liye Roza todna jaa’iz he, Baad me qaza kar le,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 328

       ━─━─━─━─━─━─━─

Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Agar koi shakhs Roza rakhne ke baad is qadar shadeed Bimaar ho jaye k Roza na todne ki soorat me marj ki shiddat ya bad Jane ka khatra ho to Aftaar kar lena jaa’iz he, Baad me qaza waajib he, Kaffara nahi,

★ Agar injection se ilaaj ho sake Dava pilakar Roza todne ki zarurat na ho to Roza todna jaa’iz nahi balki injection hi se ilaaj kare,

⚀•RєԲ:➻┐
Fatawa Aalamgeer,1/307
Fiqhul ibadaat, 329

       ━─━─━─━─━─━─━─ 
                            Mutafarrik

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★Agar Bhool kar kha liya, ya Kai ho gayi aur ye samajh liya k mera roza Toot gaya aur Kha pee le, to roza Toot gaya aur Qaza wajib he,

⇨ lekin ye masla maloom tha k kai se Roza nahi toot ta, ya bhool se kha pee lene se Roza nahi toot ta, iske bavjood kuchh kha pee le to is soorat me uske Zimme kaffara aur Qaza do no laazim honge,

★ Agar khoon halaq me chala gaya to roza Toot jata he,

★ Roze ki haalat me makhsoos jagah me dawa ( medicine) rakhne se Roza Toot jata he,

★ Roza ki haalat me gargara karna aur naak me jor se paani chadana mamnu’a he,
★ Roza ki haalat me( Bidi ) cigarette ya hukka peene se Roza Toot jata he,

★ Sehri khatam hone se pehle koi cheez moonh me rakh kar so gaya,to roza nahi hua,
(Chahe jab jaaga to sehri ka time nikal chuka tha, fir moonh ki cheez nikaal kar fek di aur kulli kar li ho )

★ Danto me gosht ka resha ya koi cheez reh gayi thi, aur khud ba khud andar chali gayi, to agar chane ke Dane ke barabar ya usse zyada thi to roza jata raha, aur agar chane ke Dane se kam thi to roza nahi toota,

★ agar bahar se koi cheez daalkar nigal li to chahe thodi ho ya zyada usse roza Toot jata he,

★ kisi aurat ko sirf dekhne se inzaal ho jaye ( mani nikal jaye) to roza nahi toot ta, lekin Gale lagane se, Bosa lene se inzaal ho to roza Toot jata he, sirf Qaza wajib hogi,

★ Agar roze ki haalat me agar koi shakhs haath ke zariye se Mani nikaal de to roza Toot jata he, sirf Qaza laazim he,

★Agar rozadar bhool kar kuchh kha le ya pee le, ( chahe pet bhar ) tab bhi Roza nahi toot ta,

★Ek shakhs ko kuchh khate peete dekha to agar wo is qadar taaqatwar he k Roza se zyada takleef nahi hoti ho to usko roza yaad dilana wajib he,

Aur agar koi na taaqat ( kamzor ) ho k Roza se takleef hoti ho to usko yaad na dilaye, khane peene de,

★Din me roza ki haalat me so gaye aur neend me esa khwab dekha k nahane ki zarurat ho gayi to roza nahi toota,

★Din me surma lagana, khushbu sunghna, Tail lagana durust he, isse roza me koi nuksaan nahi aata chahe jis waqt ho,

★Mard, Aurat ka saath letna, haath lagana, Bosa lena ye sab durust he, lekin agar Jawani ka itna josh ho k in baato se sohbat ka dar ho to esa nahi karna chahiye, Roza ki haalat me makrooh he,

★Halaq ke andar Makkhi chali gayi ya Dhua, Gardo gubar chala gaya to roza nahi gaya, albatta agar qasdan ( jaan boojhkar) esa kiya to roza jata raha,

★Loban vagera ki dhooni sulgayi aur fir apne paas rakh kar sungha kiye to roza jata raha, isi tarah hukka peene se bhi Roza jata raha, albatta kewda, gulab ke fool ki khusbu ka sungna jisme dhua na ho, durust he,

★Daanto me gosht ka resha ya koi aur cheez atki hui thi, usko khilal kar nikaal kar kha liya, lekin moonh se bahar nahi nikali, aap hi halaq me chali gayi to dekho agar chane se kam he to roza nahi toota, aur chane ke barabar ya usse zyada ho to roza jata raha,

⇨ Agar moonh se bahar nikaal liya tha aur uske baad nigal liya to har haal me roza Toot gaya chahe chane ke barabar ho ya kam, zyada ho,

★Agar paan khakar khoob kulli gargara karke moonh saaf kar liya lekin thook ( peek) ki surkhi nahi gayi to usse koi harj nahi roza ho jayega,

    ⚀•RєԲ:➻┐
               Bahishti Zever,

★ Roze ki haalat me thook nigalne se Roza nahi jata, lekin thook ko jamaa karke nigalna makrooh he,

★ injection se Roza nahi toot ta,sirf taaqat ka injection lagana makrooh he, Glucose ke injection ka bhi yahi hukm he,

★ Zabaan se kisi cheez ko zayka chakh kar thook diya to roza nahi toota, magar bina sakht zarurat esa karna makrooh he,

★ Moonh se nikla hua khoon agar thook ke saath nigal gaya to roza Toot gaya, lekin khoon ki miqdaar thook se kam ho aur halaq me khoon ka zaayka mehsoos na ho to roza nahi toota,

★Naak or kaan me dava daalne se Roza Toot jata he lekin Aankh me dava daalne se Roza nahi toot ta,

★ Glucose chadane se Roza nahi toot ta basharte k Glucose kisi uzr ki vajah se lagaya jaye, bina uzr Glucose chadana roza ki halat me makrooh he,

★ Khoon dene se Roza nahi toot ta,

★ Roze ki haalat me Toothpaste ka istemal makrooh he, halaki halaq me na jaye to roza nahi toot ta,

★ Roze ki haalat me vaju karte waqt kulli kar ke paani gira dena kaafi he, baar baar thookna fizool harkat he, isi tarah naak ki naram haddi tak paani pahunchane se paani dimaag tak nahi pahunchta is silsile me vaham karna bhi fizool he,

★Zehrile Cheez ke das lene se Roza na to toot ta he aur na hi makrooh hota he,

★ Mirgi ke dore se, behosh ho Jane se Roza nahi toot ta .
,
⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masail aur unka Hal, 3/285

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Raat ko nahane ki zarurat ho gayi magar gusl nahi kiya, din ko nahaye to bhi Roza ho gaya, agar din bhar nahi nahaye tab bhi Roza nahi jata, albatta iska( napaaki ka) gunah alag hoga,

★Naak ko itna jor se sudak gaya k halaq me chali gayi, isi tarah moonh ki raal sudak kar nigal Jane se Roza nahi toot ta,

★ Moonh me paan dabakar so gaye aur subeh ho Jane per aankh khuli to roza nahi hua, qaza kare kaffara laazim nahi,

★ kulli karte waqt halaq me paani chala gaya aur roza yaad tha, to roza jata raha, qaza wajib he, kaffara laazim nahi,

★ Agar aap hi aap kai ( ulti) ho gayi to roza nahi gaya chahe thodi ho ya zyada, albatta agar apne akhtyar se kai ki aur moonh bhar ke kai hui to roza jata raha aur moonh bhar kar nahi hui to roza nahi gaya,

★Thodi si kai aayi or aate hi aap hi halaq me lot gayi tab bhi Roza nahi toot ta, albatta agar jaan boojhkar lota le to roza Toot jata,

⚀•RєԲ:➻┐
Bahishti Zever,

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Kisi ne kankri ya lohe ka tukda ya koi esi cheez kha li jisko log nahi khaya karte aur na hi koi usko bator dava ke khata he, to uska roza jata raha lekin us per kaffara wajib nahi,

⇨Aur esi cheez khayi ya pi li jisko log khate peete ho ya koi esi cheez he k yu to nahi khate lekin bator dava ke zarurat ke waqt khate hai to bhi Roza jata raha aur Qaza or kaffara do no laazim he,

★ Aurat ko Haiz aa gaya ho to usko roza Tod dene se kaffara lazim nahi,

⇨ Roza Todne se kaffara jab hi laaZim he jabki Ramzan sharif me roza Tod dale aur Ramzan sharif ke siva aur kisi roza ke todne se kaffara wajib nahi hota chahe jis tarah tode, agarche roza Ramzan ki qaza hi kyu na ho,

★ Kisi ne roza me naas liya, kaan me tail dala ya julaab me amal liya aur peene ki dava nahi pi tab bhi Roza jata raha lekin sirf Qaza wajib he kaffara nahi,

⇨ Agar kaan me paani dala to roza nahi gaya,

★ Aurto ka roza ki haalat me peshab ki jagah per dava rakhna ya tail vagera koi cheez daalna durust nahi, agar kisi ne dava rakh li to roza jata raha, qaza wajib he kaffara lazim nahi,

★ Apne moonh se chabakar chhote bachche ko koi cheez khilana makrooh he, albatta agar iski zarurat aur majboori v nachari ho to makrooh nahi,

★ Koyla chabakar daant manjna, manjan karna ya toothpaste se karna makrooh he aur agar is me se kuchh halaq me utar jaye to roza jata raha,

★ Miswaak se daant saaf karna durust he, chahe sukhi miswaak ho ya taazi usi waqt ki todi hui,, agar neem ki miswaak he aur uska kadapan moonh me maloom hota he tab bhi makrooh nahi,

⇨ RamZan ke mahine me agar kisi ka roza Toot gaya to roza Toot Jane ke baad bhi din me kuchh khana peena durust nahi, saara din rozadaro ki tarah rehna wajib he,

⚀•RєԲ:➻┐
Bahishti Zever,

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

⇨ Roza rakhkar gunah karne se behtar kya ye na hoga k Roza rakha hi na jaye??

★ Ye baat hikmate sharai ke khilaf he, shariyat Roza rakhne walo se ye mutalba karti he k wo apne roze ki hifazat kare, aur jab Allah ki raza ke liye khana peena chhod diya he to wo lazzate gunaho se bhi door rahe, aur apne roze ke sawab ko jaaya na kare, magar shariyat ne ye nahi kaha k Jo log gunaho ke murtkab hote hai wo roza hi na rakhe,

★ HuZoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne rozedar ko parhez ki bahut hi takeed farmayi he, ek hadees paak me he,k

” bahut se raat me qàyaam karne wale ese hai jinko raat jaagne ke Siva kuchh nahi milta ,
aur bahut se Rozadar ese hai jinko bhookh pyaas ke Siva kuchh nahi milta, ”

★ Ek aur hadees paak me he k,

” Jo shakhs jhoot bole aur galat kaam karne se baaz nahi aata, Allah ta’ala ko uska khana peena chhudane ki koi zarurat nahi, ”

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masqil aur Unka Hal,3/333

       ━─━─━─━─━─━─━─

                        Roze Ki Qaza

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Kisi uzr se Roza qaza ho gaya to jab uzr khatm ho jaye to jald Ada karna chahiye, Zindgi aur taaqat ka bharosa nahi,

★ Qaza Rozo me akhtyar he k lagataar rakhe ya naaga karke rakhe,

★ Musafir safar se lotne ke baad ya mareez tandurast hone ke baad itna waqt na paye jisse qaza shuda Roze Ada kare to Qaza uske zimme laazim nahi,

⇨ Safar se lotne ya Bimaari se tandurast ho Jane ke baad jitne din mile un Dino ki qaza laazim he,

★ Baqi Bimaar ko Sahat ke baad itna waqt mila jisse wo Roze qaza Ada kar sakta tha ya Musafir ko safar se waapsi ke baad itna waqt mila jisse wo qaza shuda Roze Ada kar sakta tha lekin Ada nahi kiya aur Bimari bad Jane ki Vajah se ab zindgi ki ummeed nahi rahi to un Dino ke Rozo ki Vasiyat waajib he,

®Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/127
⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 330

       ━─━─━─━─━─━─━─

                 Ayyame Haiz ki Qaza

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Ma’aza Adviya bayan farmati he’n k Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se daryaft kiya k
Ye kya baat he k ayyame Haiz me Jo Roze qaza hote he’n unki qaza ki jati he aur Jo Namaze qaza hoti he’n unki qaza nahi padhi jati?

Ummul momineen Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me jab hum isme ( haiz me ) mubtila hote the to humko un Dino me qaza shuda Roze rakhne ka Hukm diya jata tha aur qaza namaz padhne ka Hukm nahi diya jata,

® Sahih Muslim,
⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 331

       ━─━─━─━─━─━─━─

         Kaffara Laazim Hone ki Soorte’n

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ 1- Wo shakhs jis per Roza farz hone ki tamaam sharayat payi jati ho, Ramzan ke us Roze jiski niyat subeh sadiq se pehle kar chuka ho, Jaan bujhkar moonh ke zariye pet me koi esi cheez pahunchayi Jo insaan ki davaa ya Giza me istemal hoti hoti ho yani uske istemal se kisi qism ka jismani nafa ya lazzat maqsood ho,

★ 2- Ya koi shakhs Jima’a kare ya karaye ( Jima’a me Aala Tanasul ka dakhil ho Jana kaafi he, Mani ka kharij hona shart nahi )

⇨ in soorto me qaza aur Kaffara dono waajib honge, magar shart ye he k Jima’a esi Aurat se kiya jaye Jo Jima’a ke qabil ho,

★ Kaffara ka laazim hona Ramzanul Mubarak ke Roze todne ke saath khaas he, Gair Ramzan ke Rozo me sirf qaza laazim he Kaffara nahi,

® Ba-Hawala —Durre Mukhtar, 2/409
⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul ibadaat, 331

       ━─━─━─━─━─━─━─

                    Kaffare Ki Miqdaar

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Ramzanul Mubarak ka Roza todna ka kaffara ye he k lagataar 2 mahine ke Roze rakhe,

⇨ Thode thode karke Roze rakhna kaafi nahi, Agar kisi vajah se Kaffara ke Rozo ke darmiyan ek do Roze nahi rakhe to ab fir se 2 mahine ke Roze rakhe,

⇨ Albatta Jo Roze haiz ki Vajah se rah gaye unke rah Jane ki Vajah se Kaffare ke tasalsul me koi fark nahi padta, Lekin paak hone ke baad foran Roze ( baqi ) shuru kar de aur 60 Roze pure kare,

★ Agar kisi me kaffare ke Rozo ki taaqat nahi ho to 60 miskeeno ko Subeh shaam bhar pet khana khila de, Albatta khayal rahe k un khane walo me bilkul chhote bachche na ho,

® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/119
⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul Ibadaat,332

       ━─━─━─━─━─━─━─

                         Roze Ka Fidya

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Jisko itna Budapa ho gaya ho k Roze rakhne ki taaqat nahi rahi ya itni Bimaari he k ab achchha hone ki ummeed bhi nahi rahi na hi Roza rakhne ki taaqat he to Roze na rakhe aur har Roze ke badle ek miskeen ko sadqa e fitr ke barabar galla de de ya Subeh shaam pet bhar khana khila de, Shara’a me isko Fidya kehte he’n,

★ Aur galle ke badle me is qadar galle ki qeemat de de tab bhi durust he,

★ Fidya Ramzan se pehle Dena jaa’iz nahi, Ramzan ke Rozo ke Fidye ki raqam Ramzan aane se pehle advance me Dena sahi nahi albatta Ramzan shuru hone ke baad pure Ramzan ke Rozo ka fidya bhi de Sakte he’n,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul Ibadaat,33

       ━─━─━─━─━─━─━─

                           A F T A A R I

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Aaftab ke guroob ho Jane ka yaqeen ho Jane ke baad aftaari me der karna makrooh he,

⇨ Haa’n jab Abr ( baadal ) vagera ki Vajah se shubha ho jaye to 2-4 minutes intezar kar lena behtar he,

★ Aur Naqsha me diye gaye waqt se 3 minutes ki ahatyaat baharhal karna chahiye,

★ Aftaari ke liye kya cheez behtar he???

⇨ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k
“Jab tumme se kisi ka Roza ho to wo Khajoor se aftaar kare, ”

®Ravah Ahmad, Abu Daoud, Tirmizi,

★ Agar Khajoor na paye to fir paani hi se aftaar kare, isliye k Allah ta’ala ne paani ko tahoor banaya he,

⚀•RєԲ:➻┐
Fiqhul Ibadaat, 334

       ━─━─━─━─━─━─━─

                           . AITKAAF

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•
⊙ Aitkaaf kyu’n ?? ⊙

★ RamZan ke akhri 10 din me aitkaaf karna bahut badi ibaadat he,

★ Ummul momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati he’n k,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har saal Ramzan ke Aakhri ashre me aitkaaf farmaya karte the,

® Bukhari, Muslim

★ isliye Allah ta’ala tofeeq de to har musalman ko is sunnat ki barkato se faayda uthana chahiye,

⇨ Masjide Allah ta’ala ka ghar he’n aur Kareem Aaqa ke darwaze per sawali bankar Beth Jana bahut badi sa’adat he,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masqil aur Unka Hal,3/320

★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate kifaya he,

⇨ agar mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laaZim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega,

★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama’at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama’at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he,

★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid me aitkaaf me bethne ka sawab milega,

★ Aitkaaf me Quran majeed ki tilawat, Darood Sharif, Zikr v Tasbeeh, Dini ilm sikhna aur sikhana, Ambiya Alaihissalam, Sahaba ikram Raziyallahu anhum aur buzurgane deen ke halaat padna, sunna apna mamool rakhe,

★ Be-zaroorat baat karne se ayraaj kare,

★ Aitkaaf me be-zaroorat aitkaaf ki jagah se nikalna jaa’iz nahi, varna aitkaaf baqi nahi rahega,

⇨ Yaad rahe k Aitkaaf ki jagah se muraad poori masjid he, jisme aitkaaf kiya jaye, khas wo jagah muraad nahi Jo masjid me aitkaaf ke liye makhsoos kar li jati he,

★ Peshab -Pakhana aur Gusl ke liye bahar Jana jaa’iz he, isi tarah agar ghar se khana lane wala koi na ho to khana khane ke liye ghar Jana bhi jaa’iz he,

★ jis masjid me motkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze juma ke liye ja’ama masjid me Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahaytul masjid aur sunnat pad sake, aur namaze juma se farig hokar foran apni masjid me wapas aa jaye,

★ Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya,

★ Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tehrimi he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar samaan masjid me lana jaa’iz nahi,

★ Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna sahi he,

★ Ramdhan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zaroori he k 20 vi tareekh ko suraj guroob hone se pehle masjid me aitkaaf ki niyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he,

⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga,

★ Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha,

★ Motakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi,

⇨haa! Agar apni tibbi Zaroorat ( bimaari) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he,

★ Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he , wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,

★ Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,

★ Motakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he,

★ Aitkaaf me chadar lagana zaroori nahi,

★ Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha,

★ Har Din ka Aitkaaf ek mustakil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise akhtyar kiya he,

⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masqil aur Unka Hal,3/323

       ━─━─━─━─━─━─━─ 

             RAMZAN KI AAKHRI RAAT

•┄─━━━━━━▣▣▣━━━━━━─┄•

★ Ramdhan me Tauba astagfaar kasrat se kare khaas tor per” Lailatul Jayza ” yani akhri RamZan ki raat,

⇨ Eid ki tayyariyo aur fizool kaamo ke bajaye ibaadat me guzaro, iski badi fazilate warid hui hai,

★Eid ul fitar ki shab me ibaadat karna mustahab he, Jesa k Hadees paak me guzra he k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

” Ramdhan ke mutallaik meri ummat ko khaas tor per 5 cheeze di gayi hai, Jo pehli ummato ko nahi mili – jinme ek ye he k Ramzan ki Akhri raat me Rozadaro ki magfirat kar di jati he,
Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ne arz kiya,
” kya ye Shabe Magfirat Shabe Qadar hi to nahi,?”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” nahi! balki dastoor ye he k mazdoor ka kaam khatm hote hi uski mazdoori de di jati he,”

®Musnad Ahmad, Bayhqi

⚀•RєԲ:➻┐
Tohfa e Ramzan Mubarak, 65

●◆Alhamdulillah Mukammal Hue◆●

        ━─━─━─━─━─━─━─ 
        ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺

                  

No comments:

Post a Comment