Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, June 16, 2017

Tohfa e Khawateen zakaat or sadqaat




┱✿
       鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
▦══─────────────══▦

         *⊙ ZAKAAT-SADQAAT-*⊙

     ┗═════════════════✿

*┱✿ Aurto'n Ko Zakaat V Sadqa Ka Khusoosi Hukm,*

┱ Hazrat Abdullah bin Masowd Raziyallahu Anhu Ki Bivi Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ka bayan hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne masturaat ko khitaab farmate hue nasihat farmayi k ,

"__ Ey Aurto'n ! Sadqa do agarche apne zever hi se ho Kyunki Qayamat ke Roz Aksar Ahle dozakh tumhi hongi _,"

ReF✿┅╮
*Mishkaat- 160 Ba hawala Tirmizi*

*┱✿ Tashreeh_*

┱Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam Kabhi Kabhi Khawateen ko bhi ijtimayi khitaab farmate they, ek moqe per ye baat irshad farmayi , Yani Aurto'n ko Sadqa karne ka hukm farmaya aur saath hi Sadqa ka fayda bhi bataya k Sadqa ko Dozakh se bachane mai bada dakhal hai ,

┱ Chunki Aurto'n se bhi bade bade gunaah sarzad hote rehte hai'n aur bade bade gunaah mai mubtila rehti hai'n ,isliye dozakh se bachne Ki tadbeer batayi k Sadqa diya karo ,agar alag se maal na ho to zever hi mai se do ,

┱ Qur'an v Hadees mai lafze Sadqa Farz Zakaat ke liye bhi istemal hua hai aur Nifli Sadqa ke liye bhi bola gaya hai , is Hadees se Sadqa e Farz Yani Zakaat aur Sadqa e Nifl Yani Khair Khairaat dono muraad ho sakte hai'n, 
┗═════════════════✿

*┱✿ Aurte'n Zakaat Kese De'n ?*

┱ Chaandi Ke aitbaar se Poora Saal guzar Jane per Dhaayi Rupiya Sekda Yani Chaleesva hissa Zakaat ada kare ,

┱Dekho Khuda e Paak ne kitna kam farzia rakha hai aur WO bhi tumhare liye hi hai Khuda ke kaam thoda hi aata hai ,WO to be-niyaaz hai ,Usi ne to Sab ko Sab Kuchh diya hai ,Tum Apne maal ka sawab Akhirat mai khud pa logi ,aur Duniya mai bhi Zakaat dene Ki vajah se maal Ki hifazat rahegi aur maal mai taraqqi hogi , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne qasam kha kar farmaya hai k Sadqa se maal Kabhi kam nahi hota ,

┱Bahut si Aurte'n ye sawal karti hai'n k zever ke alawa hamare paas maal kaha'n hai ,agar isme se de to Sab khatm ho jayega , Pehli baat to ye hai k Shohar se le kar ada kar sakti hai, Jab WO Aapki tamaam zaruriyaat ke liye deta hai to kya Aapko dozakh se bachane ke liye Saal bhar mai Dhaayi fisadi kyu na dega ,aur agar WO nahi deta to Zever becho ,

┱ Abhi Abhi hadees se maloom hua hai k Sadqa se maal kam nahi hota , Agar tum Zakaat dogi to Allah Ta'ala aur zyada maal dega aur zever badhega magar tum to Allah Ki taraf badho ,

"__ Farz karo k Zakaat dete dete Zever khatm ho jaye to kya harj hua dozakh ke azaab se bach Jana aur Jannat Ki ni'amato ka mil Jana kya kam fayda hai ? 
┗═════════════════✿

*┱✿ Zever Ki Zakaat na dene Per Wai'yd,*

┱ Hazrat Amro bin Shoeb Apne waalid aur Dada ke Waaste se naqal karte hai'n k Ek Aurat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai aayi , Uske saath uski ek ladki thi jiske haath mai Sone ke do mote mote kangan they ,

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne us Aurat se daryaft kiya k tum is zever Ki Zakaat ada karti ho ? Arz kiya nahi ! Farmaya kya tum ye pasand karti ho k inki vajah se Qayamat ke Din Allah Ta'ala tumko aag ke do kangan pehna de ,

┱Ye Sun kar us Aurat ne WO Dono kangan ( Bachchi ke haath se ) nikaale aur baargahe risalat mai pesh kar diye aur arz kiya ye dono Allah v Rasool ke liye hai'n, ( mai'n apne paas nahi rakhti Aapko akhtyar hai k jaha'n chahe kharch farmaye ),

*┱✿ Tashreeh_*

┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Sahabi Mard v Aurat Sab hi Akhirat ke bahut fikar mand they aur Waha ke azaab se bahut darte they, dekha ek Sahabi Aurat ne dozakh Ki baat sun kar dono kangan Sadqa kar diye aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke hawale kar diye k Jaha chahe raahe Khuda mai kharch farmaye ,agarche azaab se bachne Ki ye soorat bhi thi k WO ab tak Zakaat ada kar deti aur Aainda Zakaat dene ka ahatmam karti ,

"__lekin unhone ye pasand hi na kiya k WO kangan paas rahe Kyunki shayad fir kotahi ho jaye ,isliye WO cheez paas na rakhi jisse giraft ka ahatmal ho sake , Subhanallaah Sahabi mard v Aurat kese deendar aur Akhirat ke fikrmand they, Raziyallahu Anhum Ajmaiyn,
┗═════════════════✿

*┱✿ Nifli Sadqa Ki Fazilat_,*

┱ Hazrat Asma Raziyallahu Anha ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe khitaab karte hue farmaya k ( Raahe Khuda mai ) kharch karti raho aur gin gin kar mat rakhna ,Varna Allah Ta'ala bhi tujhe gin gin kar denge ,( Yani khoon zyada na milega ) aur maal ko band karke na rakhna varna Allah Ta'ala( bhi )Apni bakhshish ROK denge ,Jaha'n tak ho sake thoda bahut ( haajat mando per )Kharch karti raho ,"

ReF✿┅╮
          *Mishkaat -164 Ba Hawala Bukhari v Muslim*

┱ Hazrat Asma Raziyallahu Anha ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne fisabilillaah kharch karne aur gareebo yateemo miskeeno aur bewao'n Ki khabar giri Ki taraf tavajjoh dililayi aur Chaar baate irshad farmayi :-

1- Avval Kharch Karti raha karo ,

2- Gin gin kar na rakhna Yani Jama karne ke chakkar mai na padna ,doosra matlab muhaddiseen ne ye bataya k zarurat mand aur faqeer ko dete waqt na ginna , varna Allah Ta'ala ke yaha se bhi gin gin kar Milne lagega ,agar bahut hoga to uski barkat khatm kar di jayegi ,

3- Jama Kar ke na rakhna varna Allah Ta'ala bhi Apne khazana e gaib se tumhe na nawazenge ,

4- Thoda bahut Jo ho sake raahe haq mai kharch karti raho , Lafze thoda bahut Jo ho sake bahut aam hai aur har gareeb is per amal kar sakta hai, dar asal fi sabilillah kharch karne ka talluq Akhirat Ki muhabbat se hai maaldari se nahi ,Gareeb bhi Apni haisiyat ke muwafiq kharch kar sakta hai,
┗═════════════════✿

*┱✿Eid Ke Moqe Per Zevero Ka Sadqa Karna,*

┱ Hazrat AbdurRahman bin Aabis ka bayan hai k Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se kisi ne puchha Kya Aap Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saath Eid ke moqe per haazir hai'n , Unhone jawab diya k haa'n ,mai'n Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saath Eid mai mojood tha ,Aapne Eid Ki namaz Ada farmayi uske baad khutba diya Fir Aurto'n ke paas tashreef laye aur unko nasihat farmayi aur ( Akhirat Ki baate ) yaad dilayi aur Sadqa ka hukm farmaya ,

┱Us moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saath Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu bhi aaye they, Unhone Apna kapda felaya aur Aurte'n unke Kapde mai Apne Apne zever utaar utaar kar fenkti rahi , Un zevero mai moti moti anguthiya ( bhi ) thi , Uske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ko saath le kar apne daulat kada Ki taraf rawana ho gaye ,

ReF✿┅╮
              *Bukhari Sharif ,1/133*

┱Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Ki doosri Rivayat mai ye alfaz hai'n k Maine dekha Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Targeeb per Aurto'n ne Sadqa dena shuru kiya aur Apne kaano aur Halaqo ke zever utaar utaar kar deti rahi ,

┱ Isse maloom hua k Badi Badi anguthiyo ke saath kaano ki baaliya'n jhumke aur galo ke haar bhi un Aap Sallallahu Alaihivasallam se muhabbat rakhne wali mastooraat ne baargahe risalat mai pesh kar diye, Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye Sadqa wasool karna aam zarurat mando per kharch karne ke liye tha ,
              
┱ Maloom hua k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki muhabbat aur Marne ke baad Milne wale sawab ke muqable mai unke nazdeek zevero Ki koi haqeeqat nahi thi , Chunki yaqeem kaamil tha , Isliye jannat ke zever Ki talab aur ragbat mai unhone bejijhak Apne zever fisabilillaah utaar kar de diye aur is Khatm hone wali Duniya mai kaano ,Galo aur haatho ko bager zever ke rakhna pasand kar liya ,Allah Ta'ala Hume bhi ESE jazbaat naseeb farmaye - Aameen,
┗═════════════════✿

*┱✿Apni Aulaad Per Kharch Karne Ka Sawab_,*

┱ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ka bayan hai k Maine arz kiya-Ya Rasulullah ! Kya mujhe sawab milega agar ( Apne pehle Shohar ) Abu Salma Raziyallahu Anhu ke Bachcho per kharch karu'n k WO to meri hi Aulaad hai'n , ( Kya Apni Aulaad per kharch karne mai bhi Ajro Sawab milta hai ) ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k un per kharch karti raho ,tumko un per kharch karne ka Ajr milega _,"

ReF✿┅╮
            *Mishkaat-170 Ba hawala Bukhari ,*

┱Baat ye hai k Allah Ta'ala bade meharban hai'n, Halaal maal musalman mard v Aurat chahe apne nafs per kharch kare ,Chahe Aulaad per ,Chahe Maa'n Baap per ,Chahe doosre azeezo per ,Chahe mohtaajo per ,uske kharch karne mai bada sawab milta hai, Allahu Akbar ! Apno hi per kharch karo aur sawab bhi paao , Allah Ta'ala ka ye kitna bada karam hai ,
┗═════════════════✿

*┱✿ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Ek Khajoor Sadqa Ki ,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka bayan hai k ek Aurat mere paas aayi Jiske saath uski do bachchiya'n thi , usne mujhse sawal kiya , mere paas ek khajoor ke Siva Kuchh na tha , Maine WO ek Khajoor hi usko de di ,

┱Usne Khajoor ke do tukde kar ke dono Bachchiyo'n ko ek ek tukda de diya aur khud Zara bhi Kuchh na khaya ,

┱Uske baad jese hi WO nikli Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam daulat khane per tashreef le aaye ,Maine Aapko poora qissa sunaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs ( Mard v Aurat ) ladkiyo'n ( Ki dekhbhaal aur parwarish ) ke saath mubtila kiya gaya ( Yani unki khidmat aur parwarish uske zimme pad gayi ) aur fir usne unke saath achcha sulook kiya to ye Ladkiya'n Dozakh Ki aag se bachane ke liye uske waaste aad ban jayengi _,"

ReF✿┅╮
          *Mishkaat-431 Ba hawala Bukhari v Muslim,*

┱ Ek Hadees mai hai k Khajoor ke barabar bhi halaal kamayi se Jo Shakhs Sadqa de de to Allah Ta'ala usko badi qadar ke saath qubool farmate hai'n, Fir Jisne Sadqa diya uske liye sadqe ko badate rehte hai'n, Yaha tak k WO Pahaad ke barabar ho jata hai ,

ReF✿┅╮
      *Bukhari v Muslim ,*

"__Bande ne diya Khajoor ke barabar aur Khuda e Raheem v Kareem ne inayat farmaya Pahaad ke barabar ,ESA Daata Allah hi hai ,sadqe se Kabhi dareg na karo ,isse zarurat mando Ki haajat bhi poori hoti hai aur sadqe wale ko sawab bhi milta hai, kitna sawab milega iska andaza abhi maloom nahi ,
┗═════════════════✿

*┱✿ Ladkiyo'n Ki Parwarish Ki Fazilat,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ki Hadees mai Jaha'n Sadqe ka bayan hai Wahi Ladkiyo'n Ki Parwarish Ki Fazilat bhi mazkoor hai , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Ladkiyo'n Ki Parwarish karne aur Khair khabar rakhne wale ko basharat sunayi k ESA Shakhs dozakh se mehfooz rahega aur Ladkiyo'n Ki ye khidmat uske liye dozakh se bachane ke liye aad ban jayegi ,

┱Hazrat Suraqa bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Razoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,

"_Tumhe Afzal tareen Sadqa na batau'n ? Fir khud hi jawab diya k Afzal tareen Sadqa ye hai k Tum Apni Ladki per kharch karo Jo talaaq Ki vajah se ya Beva ho kar tumhare paas ( Shohar ke ghar se ) waapas aa gayi tumhare alawa uske liye kamayi karne Wala nahi hai ,

┱ Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,

"_ Jisne Teen Ladkiyo'n ya Teen Behno ke akhrajaat bardasht kiye aur Unko adab sikhaya aur Raham aur Shafakkat ka bartaav kiya Yaha'n tak k WO uske kharch se be-niyaaz ho gayi to Allah Ta'ala uske liye jannat waajib farma denge ,

┱Ek Shakhs ne arz kiya:- Ya Rasulullah agar Do Ladkiya'n ya do behne ho Jinki Parwarish Ki ho to uske bare mai kya hukm hai?

Farmaya :- uske liye bhi yahi Fazilat hai ,

Raavi kehte hai'n k agar ek ladki ke bare mai sawal kiya jata to Aap Sallallahu Alaihivasallam ek ke liye bhi yahi Fazilat batate ,

ReF✿┅╮
         *Mishkaat,*  

┗═════════════════✿

*┱✿ Azeezo Per Kharch Karna Dohra Sawab,*

┱ Apne Azeezo Qareebo Ki zarurato ka khayal rakhna aur unko dena dilana bahut sawab Ki baat hai ,Bahut se log Sadqa aur Khairaat ke naam se gareebo ko to bahut Kuchh dete hai'n, Doosre log Sawal karne aa Jate hai'n aur Apne Log gairatmandi aur Aabru Ki vajah se sawal nahi karte ,Lihaza Unki haajate aur Zaroorate ruki hui hai'n,

"_Halanki Apne Azeezo per kharch karne mai do sawab hote hai'n ek Sadqa karne ka ,doosra Azeezo Ki khabar lene aur khidmat karne ka ,

┱ Chunache irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :- Miskeen ko Sadqa dena sirf ek Sadqa (hi ) hai aur qarabat daar per Sadqa karne mai dohra sawab hai ,Kyunki ye Sadqa bhi hai aur qarabat daari ke huqooq Ki dekh bhaal bhi ,"

ReF✿┅╮
             *Mishkaat_*

┱ ye baat bata dena zaroori hai k Sadqa ko Sadqa v Khairaat bata kar dena zaroori nahi hai , Agar apne kisi Azeez qareebi rishtedar ko sadqe ke naam se Kuchh denge to WO nahi lenge aur uska Dil bhi bura hoga ,isliye Hadiya ke naam se dijiye ,balki Hadiye ka Lafz bolna bhi zaroori nahi , Balki sirf ye keh dijiye k ye paise hai'n kharch kar Lena ,ya Kapde bana dijiye ya aur kisi tarah unki jaa'iz zarurat mai kharch kar dijiye, 
┗═════════════════✿

*┱✿ Ummul Momineen Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Dastkaari se Paisa Haasil Kar ke Sadqa Karti thi,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kiya k Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Aapki Wafaat ke baad humme se konsi Bivi Sabse pehle Aapse Jaa kar milegi ( Yani Sabse pehle kiski wafaat hogi )?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Tumme jiske haath Sabse zyada lambe hai'n ,( WO Sabse pehle Daare faani se rukhsat hogi ,maloom  karne wali Biviyo'n ne is baat ka zaahiri matlab samjha aur ) Ek Baans le kar sabke haath naapne lagi ,Natija Hazrat Sauda Raziyallahu Anha ke haath sabke haatho se zyada lambe nikle ,

"__( aur yahi samajh liya k Sabse pehle Hazrat Sauda Raziyallahu Anha Ki wafaat hogi ,Lekin hua ye k Sabse pehle Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne wafaat payi Lihaza ) Ab pata chala k Sabse pehle wafaat pani wali ke haatho ke lambe hone ka matlab ye na tha k naapne mai haath lambe honge balki lambe haatho ka maqsad zyada Sadqa Sadqa karna tha ,

┱ Sabse pehle Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Ki wafaat hui ,WO Sadqa karne ko ( ba-nisbat doosri Biviyo'n ke zyada) pasand karti thi ,

ReF✿┅╮
        *Mishkaat -165 Ba hawala Bukhari,*

┱Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke bare mai Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :-

"__Koi Aurat Deendari aur Parhezgari aur Khuda tarsi aur Raastbazi aur Silah Rahmi aur Sadqa karne mai Zainab Raziyallahu Anha se bad kar na thi , Sadqe ke zariye Allah Ta'ala Ki nazdeeki haasil karne ke liye khoon mehnat se amal haasil karti thi aur usme unse bad kar koi Aurat na thi ,

┱ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha dastkaari ke zariye maal haasil karti thi aur usse Sadqa diya karti thi , Aaj kal Ki Aurte'n to hazaaro Ki maaliyat mai se bhi footi kodi dene ko taiyar nahi ,Ek WO bhi Aurat hi thi Jiske Paas Paisa na hua to Dastkaari se kama kar Sadqa diya , Raato ko Namaz mai khadi rehti thi aur khoob  Kasrat se Roze rakhti thi,

┱ Behno Tum bhi Sakhi bano ,Sadqa karne Ki aadat daalo ,Jo Kuchh bache Akhirat ke liye bhejti raho ,
              
          ╙══════════╜

*┱✿ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Yateemo aur Bewao'n Ka Khaas Khayal rakhti thi ,*

┱ Hazrat Ataa ka bayan hai k Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ka Salana Wazifa Betul maal se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne 12 Hazaar Dirham muqarrar kiya tha Jise Unhone Sirf Ek Saal Qubool kiya aur lene ke saath hi Apne Azeezo aur haajatmando mai taqseem kar diya ,

┱ Ye Waqia sun kar Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne fir ek Hazaar Ki Raqam bheji aur farmaya k isko Apni Zarurato ke liye rakhna , Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne isko bhi taqseem farma diya ,

┱ Maut se pehle Wasiyat farmayi k Maine apne liye Kafan taiyaar kiya hai aur Ek Kafan Hazrat Umar Raziyallahu Anhu apne paas se bhejenge ,Lihaza ek Kafan Sadqa kar dena ,Chunache unki Bahan ne WO Kafan Sadqa kar diya Jo unhone khud tiyaar kiya tha ,

┱Jab Wafaat ho gayi to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Zainab Raziyallahu Anha Duniya se is tarah rukhsat hui k Achchhe Akhlaaq Ki vajah se unki tareef Ki jati hai aur ibaadat guzaari mai rukhsat hui aur Yateemo aur Bewao'n ko ghabrahat mai daal gayi Kyunki un per kharch karti thi ,
              
          ╙══════════╜

*┱✿ Shohar Ko Kamane Ka aur Bivi Ko Kharch Karne Ka Sawab Milta hai,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,

"_ Jab Aurat Apne (Shohar ) ke khane mai se kharch kare aur bigaad ka tareeqa akhtyar karne wali na ho to usko Kharch karne Ki vajah se Sawab milega ,aur Uske Shohar ko kamane Ki vajah se Sawab milega, aur Jo khajanchi hai ( Jiske paas Raqam ya maal mehfooz rehta hai agarche WO Maalik nahi hai magar us maal mai se Maalik ke hukm ke mutabiq jab Allah Ki raah mai kharch karega to ) usko bhi isi tarah sawab milta hai ( Jese Maalik ko mila ,garz ye k ek maal se teen Shakhso ko sawab mil gaya ,Kamane wala,uski Bivi Jisne Sadqa kiya ,Uska khajanchi ) aur ek Ki vajah se doosre ke sawab mai koi kami na hogi ( Yani sawab bant kar nahi milega balki har ek ko us Amal ka poora poora milega )

ReF✿┅╮
       *Mishkaat-172 Ba hawala Bukhari v Muslim*

┱ Ijazat ke liye Saaf zabani ijazat hona zaroori nahi hai ,Agar ye maloom ho k Shohar kharch karne per Dil se Raazi hai to Ye bhi ijazat ke darje mai hai , aur ye bhi bigaad Ki raah hai k Apne Azeezo ko nawazti ho aur Shohar ke Azeezo qareebi maa baap aur ahlo ayaal ( khususan pehli Bivi ke bachche ) ko kharch se pareshan rakhti ho ,Sawab Samajh kar Bid'ato per kharch karti ho ,

┱ Zyada maal kharch karne mai saaf ijazat Ki zarurat hai ,bahut si Aurto'n ko sadqe ka josh hota hai magar mard Ki ijazat ka dhyan nahi karti hai ye galti hai , Haa'n agar Apna zaati maal ho to Shohar Ki ijazat Ki zarurat nahi magar mashwara kar Lena is soorat mai bhi mufeed hai ,

┱Ek Aurat ne arz kiya :- Ya Rasulullah Apne Baapo ,Beto aur Shoharo ke maalo mai kya kharch karna ( Yani Sadqa karna aur Hadiya Lena dena ) hamare liye halaal hai ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- hari geeli Cheeze ( unki saaf ijazat ke bager bhi ) khaa liya karo aur Hadiya de diya karo ,Kyunki amuman esi cheezo ko kharch karne Ki ijazat hoti hai , Haa'n agar saaf Mana kar de to ruk jana ,
              
          ╙══════════╜

*┱✿ Sadqa Jaariya Ka Sawab,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,

"_ Jab insaan mar jata hai to uske Sab Amaal khatm ho Jate Hai'n ,Lekin Teen Cheezo ka nafa pahunchta rehta hai,
1- Sadqa Jaariya,
2- Esa ilm jisse log nafa haasil karte hai'n ,
3- Nek Aulaad Jo uske liye Dua karti hai ,

ReF✿┅╮
            *Mishkaat, 132, Muslim,*

┱ Jab Aadmi zinda rehta hai to khud nekiya'n kamata hai aur Apne liye Akhirat mai zakheera Jama karta rehta hai, Lekin jab maut aa jati hai to Amaal khatm ho Jate hai'n aur Sawab jaari rehne ka silsila bhi khatm ho jata hai, albatta teen Cheeze esi hai'n Jo Hadees mai zikr Ki gayi unka sawab maut ke baad bhi jaari rehta hai,

┱ Sadqa Jaariya usko kehte hai'n Jiska nafa waqti taur per khatm na ho balki usse log hamesha faayda uthate rahe ,aur Sadqa karne wale ko sawab milta rahe , Deeni madrse Ki tameer mai hissa liya , Kisi Darul Uloom mai hadees ,fuqha ,Tafseer vagera ki Kitaabe waqf kar di ,Kahi Kunwa (well) khudwa diya ,Musafir khana banwa diya Ya koi esa kaam kar diya jisse logo ko nafa pahunchta rahe , isse uske naama e amaal mai sawab likha jata raha, uske darje buland ho rahe hai'n, Jaha tak ho zindgi mai esa kaam zaroor karna chahiye,

┱ WO ilm jisse nafa uthaya jata ho ,kisi ko Qur'an e Majeed hifz karwa diya ,kisi ko Maulvi banwa diya,Kisi ko namaz sikha di ,Ya koi Deeni Kitaabe likhi ,ye ilmi Sadqa Jaariya hai ,

┱  Nek Aulaad Jo Dua karti ho uski Dua ka faayda bhi Waliden ko pahunchta rehta hai ,Aulaad ko paalna posna chunki waliden ka amal hai aur Waliden Ki Parwarish ke baad Aulaad Dua ke qaabil hui ,isliye Aulaad ko Waliden ka Amal shumaar kar liya gaya ,Balki agar Aulaad ko ilme Deen sikhlaya aur Deeni Amal per daala to Jo Amal Saleha karega Maa'n Baap ko bhi uska sawab milega, Kyunki WO uski nekiyo'n   ka zariya bane , 
         
          ╙══════════╜

*┱✿ Padosiyo'n Ko Lene Dene Ki Fazilat ,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne musalman Aurto'n se khitaab kar ke farmaya k koi Padosan Apni Padosan ke liye kisi bhi cheez ( ke lene dene ) ko haqeer na Jane ,Agarche Bakri ka Khur hi ho _,"

ReF✿┅╮
           *Mishkaat, 167 Ba hawala Bukhari v Muslim,*

┱ Islam mai Padosi ke bade huqooq hai'n, Jinki nigaah daast zaroori hai, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Padosi ke saath achchhi tarah mil jul kar rehne aur uske huqooq Ki riyayat ke bare mujhe Jibreel Alaihissalam ne is qadar baar baar tavajjoh dilayi k jisse mujhe ye gumaan ho gaya k ( Shayad ) Padosi ko ( Doosre Padosi ke maal se ) miraas dila kar chhodenge ,

ReF✿┅╮
      *Bukhari v Muslim*

┱ Ek Hadees mai irshad hai k ,Ek Saath rehne sehne walo mai Sabse behtar WO hai Jo Apne Sathiyo ke liye behtar ho aur padosiyo mai Sabse behtar WO hai Jo Apne Padosiyo ke liye Sabse behtar ho ,"

ReF✿┅╮
          *Tirmizi _*

┱ Maloom hua k insan ke achcha bura hone ka madaar saathiyo aur padosiyo ke saath husne sulook karne na karne per hai , Aaj kal Rishtedaro aur Behan Bhaiyo mai Khush Akhlaqi ke saath rehne aur Khushgawar talluqaat rakhne ka rivaaj nahi raha ,ye imaani zindgi ke andar bahut bada Khala ( Gape ) hai , Momin to Dushman ko bhi Khush karne Ki koshish karte hai'n ,

"__ Khulasa ye hai k Aurto'n ko talluqaat Khushgawar rakhne se zyada bigaadne ke dhang aate hai'n, Unke is mizaaj ke peshe nazar Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Aapas mai Hadiye ka Len den rakhne Ki Targeeb di ,Lena dena badi achchhi khaslat hai , Ek Hadees mai irshad hai k Aapas mai Hadiya liya diya karo ,Kyunki WO keeno ko door karta hai ," ( Mishkaat-261)
              
          ╙══════════╜

*┱✿ Kisi Ka Hadiya Haqeer na Jano ,*

┱ Hadiya dene jesi umda khaslat ko akhtyar karne mai bhi Shaitaan bahut se rode daal deta hai aur esi nafsaniyat Ki baate samjhata hai Jo Hadiya dene se baaz rakhti hai , Chunache bahut si Aurte'n ye kehne lagti hai'n k Zara si cheez ka kya dena ? Kisi ko Kuchh de to thikane Ki cheez to de ? Do jalebi kya bheje ,Koi kya kahega ? Isse to na bhejna hi achcha ,,, vagera vagera ..,

┱Isi tarah Hadiya qubool karne mai bhi Shaitaan Chhote Bade ka sawal sujhata deta hai ,Agar kisi Padosan ne mamooli cheez Hadiya mai bhej di to kehti Hai'n nigodi ne ye kya bheji hai ,Zara Apni haisiyat ka bhi khayal nahi kiya na hamari izzat ka ,Bhejne mai Sharm bhi na aayi ,goya bhejne ka shukriya to door taan tashnee aur geebate shuru hoti hai'n ,

┱ Qurban Jaiye us Hakeem v Mu'alij ke ( Sallallahu Alaihivasallam ) Jisko khaliqe kaaynaat ne Dilo Ki bimariyo se agaah farmaya aur Saath hi unka ilaaj bhi bataya ,

"__Farmaya :- Koi Padosan kisi Padosan ke liye Kisi cheez ke Hadiye ko Haqeer na Jane ,"

Bator misaal Farmaya k agar Bakri ka khur hi ek Aurat doosri Aurat ke paas bhej sakti ho to bhejne wali kam samajh kar ruk na jaye aur doosri Aurat uske qubool karne ko apni shaan ke khilaf na samjhe ,

┱ Har Chhota bada Hadiya bashashat se qubool karo ,Dil zubaan se Shukr ada karo ,Bhejne wale ko Dua do ,Allah se uske liye Barkat Ki Dua maango aur ye bhi khayal rakho k hum ko bhi bhejna chahiye, moqa lage to zaroor bhejiye aur Behno mai beth kar tazkira karo k falani ne mujhe ye Hadiya bheja hai  taki uska Dil Khush ho ,Aur Hadees ka ye matlab na samjhe k Hadiya kam hi bheja kare ,balki zyada mayassar ho to zyada bhejo aur kam Ki vajah se ruko nahi ,
              
          ╙══════════╜

*┱✿Hadiya dene mai Konse Padosi ko Zyada Tarjeeh hai,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Maine Arz kiya Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Mere do Padosi hai'n Unme se Kisko Hadiya du'n ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- Dono mai Jiska darwaza tumse zyada qareeb ho ,"

ReF✿┅╮
            *Mishkaat: 171 Ba hawala Bukhari,*

┱Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne jab Hadiya lene dene ki Targeeb di aur Usi ko ulfat v muhabbat aur sawabe Akhirat milne ka zariya bataya to is silsile mai baaz baate maloom ho gayi jisme se ek Sawal ye bhi hai Jo is Hadees mai mazkoor hai ,

┱Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne maloom kiya k agar agar mere do Padosi ho ( Ye bator misaal hai ) aur mujhe Kuchh Hadiya dena ho aur dono ke dene ke liye na ho to kisko du'n ? Matlab ye hai k Dono mai kon muqaddam hai aur pehle kiska khayal karna chahiye ,

┱Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jiska darwaza Sabse zyada qareeb ho usko do , is Hadees se Padosiyo ko Hadiya dene ka ek tareeqa bhi maloom hua aur ye bhi pata chala k Neki karne ke liye Samajh chahiye aur uske liye ilm ki bhi zarurat hai aur hosh ki bhi ,

ReF✿┅╮
   
*Tohfa E Khawateen,*
╨───────────────────── 
                   

No comments:

Post a Comment