вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-1
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
1. Log namaze ghaarat
karne Lagenge
yaani namazon ka
ahtamaam rukhsat ho
jaayega.
ye baat agar is zamaane
kahi jaaye to koi
ta’ajjub ki baat nahi
samjhi jayegi, isLiye
ke aaj musaLmaano ki
aksariyat aisi hai jo
namaz ki paaband nahi
hai.
Lekin huzoor e aqdas
ne ye……..baat us waqt
irshaad farmaayi thi
jab namaz ko kufr aur
imaan ke darmiyaan
had e faasiL qaraar diya
gaya tha.
us zamaane me
momin kitna hi bure se
bura ho, faasiq o faajir
ho, Lekin namaaz nahi
chhodta tha.
Is zamaane me aap
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam ne irshaad
farmaaya ke Log
namaaze ghaarat karne
Lagenge..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-2
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
2. Amaanat zaaya
karne Lagenge yaani
jo amaanat unke paas
rakhi jaayegi usme
khayaanat karne Lagenge..
3. Sood khaane Lagenge..
4. Jhoot ko haLaaL
samajhne Lagenge..
5. Ma’amuLi ma’amuLi
baaTon par khoon-rezi
karne Lagenge,
zara si baat par dusre
ki jaan Le Lenge..
6. Unchi unchi buiLingen
banayenge..
7. Deen bech kar dunya
jama karenge..
8. Qata rehami yaani
rishtedaaron se badsuLuki
hogi..
9. Insaaf naayaab ho
jaayega..
10. Jhoot sach ban
jaayega..
11. Libaas resham ka
pehna jaayega..
12. ZuLm aam ho
jaayega..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-3
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
13. TaLaaqon ki kasrat
hogi..
14. Na-gahaani mout
aam ho jaayegi yaani aisi
mout aam ho jaayegi
jiska pehLe se pata nahi
hoga baLke achaanak
pata chaLega ke fulaan
shakhs abhi zindah theek
thaak tha aur ab mar
gaya..
15. Khayaanat karne
waaLe ko ameen samjha
jaayega..
16. Amaanat-daar ko
khaayin samjha jaayega
yaani amaanat-daar
par tohmat Lagaayi
Jaayegi ke ye khaayin
hai..
17. Jhoote ko sachcha
samjha jaayega..
18. Sachche ko jhoota
samjha jaayega..
19. Tohmat daraazi
aam ho…….jaayegi..
20. Baarish ke baawajood
garmi hogi..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-4
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
21. Log auLad ki
khuwaahish karne ke
bajay auLad se
karahiyat karenge yaani
jis tarha Log auLad
hone ki duayen karte hai,
iske bajay Log ye
duayen karenge ke auLad
na ho. chunacheh aaj
dekhLen ke khaandaani
mansubah bandi ho
rahi hai, aur ye na’arah
Laga rahe hai ke-
bachche do (2) hi achche..
22. Kameenon ke thaath
honge yaani kameene Log
bade thaath se aish o
ishrat ke sath zindagi
guzaarenge..
23. Shareefon ka naak
me dam aa jaayega yaani
shareef Log sharafat
ko Lekar bethenge to
Duniya se kat jaayenge..
24. Ameer aur wazeer
jhoot ke aadi ban jayenge
yaani sar-barah e hukumat
aur uske a’awaan o ansar
aur wazra’a jhoot ke
aadi ban jaayenge, aur
subah o shaam jhoot
boLenge..
25. Ameen khayaanat
karne Lagenge..
26. Sardaar zuLm pesha
hoga..
27. AaLim aur qaari
bad-kaar honge yaani
aaLim bhi hai aur
quraan kareem ki tiLaawat
bhi kar rahe hai magar
bad-kaar hai.
28. Log jaanwaron ki
khaaLon ka Libaas
pehnegen..
29. Magar unke diL
murdaar se zyaada
badbudaar honge. Yaani
Log jaanwaron ki
khaaLon se bane hue
aaLaa darje ke Libaas
pehnege. Lekin unke diL
murdaar se zyaada
badbudaar honge..
30. Aur aeLwe se
zyaada karwe honge..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-5
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
31. Sona……….aam ho
jaayega..
32. Chandi…….ki maang
hogi..
33. Gunaah…….zyaada ho
jaayenge..
34. Aman………..kam ho
jaayega..
35. Quraan Kareem ke
nuskhon ko aaraasta
kiya jaayega,
aur uspar naqsh o nigaar
banaya jaayega..
36. Masjidon………me
naqsh o nigaar……..kiye
jaayenge..
37. Unche……..unche
minaar………..banegi.
38. Lekin……..diL
weeraan……..honge..
39. Sharaaben……. pee
jaayengi..
40. Shar’ee…….sazaaon
mo mu’attaL kar diya
jaayega..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-6
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
41. Londi apne aaqa
ko janegi yaani beti maa
par hukmraani karegi,
aur uske saath aisa
suLook karegi jaise aaqa
apni kaneez ke sath
suLook karta hai..
42. Jo Log nange paaon
nange badan, ghair
mehzab honge wo
baadshaah ban jaayenge
yaani kameene aur
neech jaat ke Log jo
nasab aur akhLaaq
ke aetbaar se kameene
aur neeche darje ke
samjhe jaate hai
wo sar-barah ban kar
hukumat karenge..
43. Tijaarat me aurat
mard ke sath shirkat
karegi jaise aajkaL
ho raha hai ke aurtein
zindagi ke har kaam
me mardon ke
shaanah-bashaanah
chaLne ki koshish kar
rahi hai..
44. Mard aurton ki
naqqaaLi…… karenge..
45. Aurtein mardon ki
naqqaaLi karegi. Yaani
mard aurton jaisa huLiya
banayenge, aur aurtein
mardon jaisa huLiya
banayengi. Aaj dekhLen
naye fashion ne ye
haaLat kardi hai ke door
se dekho to pata
Lagaana mushkiL hota
hai ke mard hai ya aurat
hai..
46. GhairuLLah ki
qasmein khaayi jaayengi
yaani qasm to sirf
ALLah ki ya ALLah ki
sift ki aur quraan ki
khaana jaayez hai.
dusri cheezon ki qasm
khaana haraam hai.
Lekin us waqt Log aur
cheezon ki qasm
khaayenge masLan:
tere sar ki qasam,
tere baap ki qasam!
(Ghaus e paak ki qasam!
mauLa ALi ki qasam!)
wagerah..
Quraan yaani
kaLaamuLLah ki qasm
khaana isLiye jaayez
hai ke kaLaamuLLah;
Khuda TaaLa ki sift hai,
agar koi shakhs
Quraan se mus’haf (yaani
Likhe hue kaghazon
ka majmoo’a) muraad Le
aur Quraan Kareem
ki qasm khaaye to ye
Jaayez nahi..
[Hazrat MauLana Mufti
Muhammad Ameen
PaLanpuri]
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-7
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
47. MusaLmaan bhi
bagher kahe jhooti
gawaahi dene ko tayyar
hoga. lafz “bhi” ke
zariye ye bata diya ke
aur Log to ye kaam
karte hi hai, Lekin us
waqt musaLmaan bhi
jhooti gawaahi dene ko
tayyar ho jaayenge..
48. Sirf jaan pehchaan
ke Logo ko saLaam kiya
Jaayega. MatLab ye
hai ke agar raaste me
kahi se guzar rahe
hai to un Logo ko saLaam
nahi kiya jaayega jinse
jaan pehchaan nahi
hai, agar jaan pehchaan
hai to saLaam karLenge.
haaLaanke huzoor e
Aqdas SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam ka farmaan
ye hai ke :
jisko tum jaante ho
usko bhi saLaam karo
aur jisko tum nahi jaante
usko bhi saLaam karo.
khaas-taur par us
waqt jab ke raaste me
ikka-dukka aadmi
guzar rahe ho to us
waqt sab aane jaane
waaLo ko saLaam karna
chaahiye.
Lekin agar aane jaane
waaLo ki ta’adaad
bohat zyaada ho, aur
saLaam ki wajah se
apne kaam me khaLaL
aane ka andesha ho to
fir saLaam na karne
ki bhi gunjaa’ish hai.
Lekin ek zamaana aisa
aayega ke ikka-dukka
aadmi guzar rahe honge
tab bhi saLaam nahi
karenge, aur saLaam ka
riwaaj khatm ho jaayega..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-8
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
49. ghair deen ke Liye
shar’ee iLm padha
jaayega. yaani shar’ee
iLm, deen ke Liye
nahi baLke duniya ke
Liye padha jaayega.
aur maqsad ye hoga
ke iske zariye humein
digri miL jaayegi,
muLazmat miL jaayegi,
paise miL jaayenge,
izzat aur shohrat haasiL
ho jaayegi, in maqaasid
ke Liye deen ka iLm
padhaa jaayega..
50. aakhirat ke kaam
se duniya kamaayi
jaayegi..
51. maaL e ghaneemat
ko zaati jaageer samajh
Liya jaayega.
maaL e ghaneemat
se muraad qaumi khazana
hai yaani qaumi khazane
ko zaati jaageer
aur zaati dauLat samajh
kar mu’amLa karenge..
52. amaanat ko Loot
ka maaL samjha jaayega.
yaani agar kisi ne
amaanat rakhwaadi
to samjhenge ke ye Loot
ka maaL haasiL ho gaya..
53. zakaat ko jurmaana
samjha jaayega..
54. sabse razeeL kameena)
aadmi qaum ka
Leader aur qaa’id (haakim)
ban jaayega yaani
yaani qaum me jo shakhs
sabse zyaada razeeL
aur bad-khasLat insaan
hoga usko qaum ke
Log apna qaa’id apna
heero aur apna
sar-baraah bana Lenge..
55. Aadmi apne baap
ki naa-farmaani karega..
56. Aadmi apni maa
se bad-suLooki karega..
57. dost ko nuqsaan
pohchaane se
gurez (parhez) nahi
karega..
58. biwi ki ita’at karega..
59. bad-kaaro ki
aawaazen masjidon
me buLand hogi..
60. gaane waaLi aurton
ki ta’azeem o takreem
ki jaayegi, yaani
jo aurten gaane bajaane
ka pesha karne waaLi
hai unki ta’azeem
aur takreem ki jaayegi,
aur mauseeqi ke
aaLaat ko sanbhaaL kar
rakha jaayega..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-9
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
61. gaane bajaane aur
mosiqee ke aaLaat ko
sanbhaL kar rakha
jaayega..
62. sare raah sharaben
pee jaayengi..
63. zuLm ko fakhar
samjha……..jaayega..
64. insaaf bikne Lagega
yaani adaaLaton me
insaaf farokht hoga.
Log paise dekar isko
khareedenge..
65. pulis waaLo ki
kasrat ho jaayegi..
66. Quraan Kareem ko
naghma saraayi ka zariya
banaya Liya jaayega
yaani mosiqee ki Lay me
Quraan ki tiLaawat
ki jaayegi taaki iske zariye
tarannum ka hazz aur
mazah haasiL ho,
aur Quraan ki daawat aur
usko samjhne, ya uske
zariye ajr o sawab haasiL
karne ke Liye tiLaawat
nahi ki jaayegi..
67. darindon ki
khaaL istemaaL ki
jaayegi..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……cσηтιηυε
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
вιsмιℓℓαнιяяεнмαηιяяαнεεм
﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
∥
∥ Qayaamat Ki 72
∥ Nishaniyaan..
∥ Part-10
∥﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎ ﹎
▣ Hazrat Huzefa raziaLLahu
anhu se riwaayat
hai ke huzoor e aqdas
SaLLaLLahu ALayi
WasaLLam…….ne irshaad
farmaaya ke qayaamat
ke qareeb bahattar (72)
baatein pesh aayengi-
68. ummat ke aakhri
Log apne se pehLe Logo
par La’an-ta’an karenge
yaani un par tanqueed
karenge aur un par
a’atamaad nahi karenge,
aur tanqueed karte
hue ye kahenge ke unhone
ye baat ghaLat kahi,
aur ye ghaLat tareeqa
ikhtiyar kiya.
chunaache aaj bohat
badi makhLooq sahaba e
kiraam rizwanuLLahu TaaLa
aLayhim ajmaeen ki
shaan me gustakhiyaan
kar rahe hai, bohat se
Log un a’imma e deen
ki shaan me gustakhiyaan
kar rahe hai jinke zariye
ye deen hum tak pohcha,
aur unko bewaqoof
bata rahe hai ke wo Log
Quraan o hadees ko
nahi samjhe, deen ko
nahi samjhe, aaj humne
deen ko sahi samjha hai..
69. ya to tum par surkh
aandhi……….ALLah TaaLa
ki taraf aajaaye..
70. ya zaLzaLe aajaaye..
71. ya Logo ki suratein
badaL jaayen..
72. ya aasmaan se
paththar barse ya
ALLah TaaLa ki taraf se
koi aur azaab aajaaye..
☞ ab in aLaamaat me
zara gaur karke dekhen
ke ye sab aLaamaat
ek ek karke kis tarha
humare muashre par
saadiq aa rahi hai, aur is
waqt jo azaab hum par
musaLLat hai wo
dar-haqeeqat inhee bad
a’amaaLiyon ka natijah
hai..
{ dυrre мαɴѕoor 52:6 }
☞……тнє єи∂
ʀɛʄɛʀɛռcɛ: вιĸнre мoтι²
No comments:
Post a Comment