Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, August 4, 2017

SAWAAL JAWAAB 501 SE 600


Sawal 501-600
SAWAL # 501

Wo Konsa Gunah Hai Jis K Mutalliq Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Wo Dil Me Is Tarah Nifaaq Ko Ugaata Hai Jaise Paani  Sabzi Ko ?
1. Sood Khana

2. Gibat Karna

3. Gaane Sunna

4. Rishwat Lena

Sahih Jawab # 3. Gaane Sunna

At Targib

SAWAL # 502

Haiz Ki Halat Me Sohbat ( Ham Bistari ) K Jaeez Na Hone Ka Hukm Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Baqarah

2. Soorah E Nisaa

3. Soorah E Noor

4. Soorah E Talaq

Sahih Jawab # 1. Soorah E Baqarah

SAWAL # 503

Ek Shaksh Ne Ek Sahabi Se Sawal Kiya Tha K Tumhare Nabi ( Sallallahu Alayhi Wasallam ) Ne Tumhe Har Chiz Sikhayi Yaha Tak Istinjaa Ka Tariqa Bhi. Unho Ne Farmaya K Ji Haan.
To Batlaiye Ye Sawal Kis Sahabi Se Kiya Gaya Tha ?

1. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Abu Dawood

SAWAL # 504

Hazrat Yunus Alayhis Salam Ki Dua Kis Soorah Me Zikr Kiya Gayi Hai?
1. Soorah E Anbiya

2. Soorah E Saffat

3. Soorah E Shua’Raa

4. Soorah E Hood

Sahih Jawab # 1. Soorah E Anbiya

SAWAL # 505

3 Chizon K Mutalliq Hadis Sharif Me Farmaya Gaya K Use Wapas Na Kiya Jae.
Ab Batlaiye K Niche Diye Hue Options Me Se Konsi Chiz Un 3 Me Se Nahi Hai.

1. Dudh

2. Shahad

3. Takiya

4. Khushbu

Sahih Jawab # 2. Shahad

Tirmizi Sharif

SAWAL # 506

Hazrat Musa Alayhis Salam Ki Bad Dua Firaun K Liye Or Us Ka Garq Ho Jana ( Dub Jaana )
Is Ko Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai ?

1. Soorah E Aal E Imran

2. Soorah E Yunus

3. Soorah E Bani Israil

4. Soorah E Qasas

Sahih Jawab # 2. Soorah E Yunus

SAWAL # 507

Hazrat Nooh Alayhis Salam K Kafir Bete K Garq Hone  ( Dub Jane ) Ka Waqeah Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Hood

2. Soorah E Shu’arah

3. Soorah E Saffat

4. Soorah E Nooh

Sahih Jawab # 1. Soorah E Hood

SAWAL # 508

Hazrat Sulaiman Alayhi Salam Or Chiwnti ( Kidi ) K Darmiyan Guftagu Ka Zikr Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Anbiya

2. Soorah E Nahal

3. Soorah E Shu’ara

4. Soorah E Namal

Sahih Jawab # 4. Soorah E Namal

SAWAL # 509

Kis Gazwah Se Faragat K Baad Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Hathyar Nikaal Diye The To Farishton Ne Kaha K Huzur ! Aap Ne Hathyar Nikaal Diye Jab K Ham Farishton Ne Nahi Nikaale.
1. Gazwah E Tabuk

2. Gazwah E Hunain

3. Gazwah E Ahzab

4. Gazwah E Uhad

Sahih Jawab # 3. Gazwah E Ahzab.

Gazwah E Ahzab Jo Gazwah E Khandaq K Naam Se Mashoor Hai.

Kashful Bari Jild / 8

SAWAL # 510

Kisi Ko Bure Alqab Se Mat Pukaro
Ye Mazmoon Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?

Sahih Jawab : Soorah E Hujraat

SAWAL # 511

Hazrat Hamna Binte Jahash R.D. K Pehle Shohar Hazrat Mus’ab Ibne Umair R.D. The. Un Ki Wafat K Baad Hazrat Hamna R.D. Ne Kin Se Nikah Kiya Tha ?
1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 512

Islam Me Sab Se Pehla Jhanda Kis K Hath Se Lahraya Gaya ?
1. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Jahsh R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdullah Ibne Jahash R.D

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 513

Hazrat Abu Zar Gifari R.D. Jab Pehli Martaba Huzur E Paak Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hone K Liye Makkah Aae To Kis Sahabi Ne Unhe Pardesi ( Musafir ) Samajh Kar Apne Ghar Le Ja Kar Khilaya Tha ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Usman Gani R.D.

Sahih Jawab # 1. & 3.

Aksar Rivayat Me Hazrat Ali R.D. Ka Zikr Hai. Or Ek Rivayat Me Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D Ka Zikr Hai.

Hayat Us Sahaba / 1

SAWAL # 514

Hazrat Abu Zar Gifari R.D. Ne Jab Islam Ka Elan Kiya To Kuffar E Makkah Ne Unhe Khub Mara To Us Waqt Un Ki Himayat Karne Wale Or Bachane Wale Kon The ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Abu Sufiyan R.D.

3. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.

4. Abu Talib

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abbas R.D.

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 515

Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Mazmoon Soorah E Noor Me Nahi Hai ?
1. Waqeah E Ifk

2. Zina Or Tohmat Ki Saza

3. Nazr Ko Jhuka Kar Rakhne Ka Hukm

4. Ghar Me Dakhil Hone Se Pehle Ijazat Lena Or Salam Karne Ka Hukm

Sahih Jawab : Options Me Diye Hue Tamam Mazmoon Soorah E Noor Me Hai.

1. Waqeah E Ifk Yaani Hazrat Aaysha R.D. Par Tohmat Ka Qissa Jo Dusre Or Tisre Ruku Me Hai.

2. Zina Or Tohmat Ki Saza Ka Hukm Pehle Ruku Me Hai.

3. Nazro Ko Jhuka Kar Rakhne Ka Hukm Chothe Ruku Me Hai

4. Ghar Me Dakhil Hone Se Pehle Ijazat Lena Or Salam Karne Ka Hukm Bhi Chothe Ruku Me Hai.

SAWAL # 516

Wo Konse Sahabi Hai Jinho Ne Haiz Ki Halat Me Ap Ni Bivi Ko 1 Talaq Di Thi Or Rasul Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Unhe Ruju Karne Ka Hukm Diya Tha ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Aas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Jahash R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

Fatawa Rahimiyah

SAWAL # 517

Amanat Ko Sahib E Amanat Tak Lauta Dene Ka Hukm Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai  ?
1. Soorah E Baqarah

2. Soorah E Aal E Imran

3. Soorah E Nisaa

4. Soorah E Maaidah

Sahih Jawab # 3. Soorah E Nisaa

SAWAL # 518

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Upar Kisi Chiz Ko Haram Kar Liya Tha Is Par Haq Ta’ala Ne Konsi Soorah Naazil Farmayi ?
1. Soorah E Talaq

2. Soorah E Tagabun

3. Soorah E Taubah

4. Soorah E Tahrim

Sahih Jawab # 4. Soorah E Tahrim

Maarif Ul Quran

SAWAL # 519

Wo Konse Nabi Hai Jin Ko Ek Basharat Sunayi Gayi Or Us Par Ye Alamat Batayi Gayi K Tum Logon Se 3 Deen Tak Kalam Nahi Kar Sakonge Magar Ishare Se…
1. Hazrat Ibrahim A.S.
2. Hazrat Shuaib A.S.

3. Hazrat Zakariyah A.S.

4. Hazrat Dawood A.S.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zakariyah A.S.

SAWAL # 520

Jis Ne Apne Amwaal K Haq Ada Nahi Kiye Us Ki Peshani Pehlu Or Pusht Ko Daag Diya Jaega Jahannam Ki Aag Se.
Ye Mazmoon Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya?

Sahih Jawab : Soorah E Taubah

SAWAL # 521

Anbar Machhli Ka Waqeah Jis  Lashkar K Sath Pesh Aaya Us K Amir Kon The ?
1. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

2. Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarrah R.D.

3. Hazrat Khalid Bin Walid R.D.

4. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarrah R.D.

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 522

Hazrat Abu Hurairah R.D. Kis Gazwah K Bad Hazir E Khidmat Ho Kar Musalman Hue The ?
1. Gazwah E Badr

2. Gazwah E Khandaq

3. Gazwah E Khaibar

4. Gazwah E Uhad

Sahih Jawab # Gazwah E Khaibar

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 523

Ek Shaksh Ka Janazah Laya Gaya To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Us K Janazah Ki Namaz Nahi Padhayi Kyu K Wo Hazrat ………………………. R.D. Se Bugz Rakhta Tha.
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Gani R.D.

Fatawa Rahimiyah

SAWAL # 524

Wo Konsi Zawjah Hai Jab Huzur K Nikah Me Aayi To Hazrat Aaysha R.D. Ko Bhi Un K Husn Wa Jamal Se Rashk Hone Laga Tha ?
1. Hazrat Umme Salma R.D.

2. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

3. Hazrat Hafsa R.D.

4. Hazrat Maimunah R.D.

Sahih Jawab # 1. Umme Salma R.D.

Seeraat Ul Mustafa

SAWAL # 525

Wo Konse Sahabi Hai Jin K Bare Me Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K 70,000 Logon Ki Sifarish Kark Unhe Jannat Me Le Jaenge ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab No: 3. Hazrat Usman Gani R.D.

Fatawa Rahimiyah

SAWAL # 526

Jab Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Badshaho Ki Janib Dawati Khutut ( Latters ) Rawana Farmae The Hazrat Amr Bin Umayyah Zamri Ko Kis K Pass Bheja Tha ?
1. Qaisar – Shah E Room

2. Kisra – Shah E Faaris

3. Najashi – Shah E Habsha

4. Kisi K Pass Nahi

Sahih Jawab # 3. Najashi – Shahe Habsha

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 527

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Khat Ko Chaak Karne Wala ( Faadne Wala, Tukde Karne Wala  ) Badshah Kon Tha ?
1. Qaisar = Shah E Room

2. Kisra = Shah E Faaris

3. Shah E Misr

4. Shah E Umman ( Aaj K Daur Me Omaan )

Sahih Jawab # 2. Kisra = Shah E Faaris

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 528

Mushrikin Ka Boot Uzza Ko Todne K Liye Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Bheja Tha ?
1. Hazrat Ali R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 529

Wo Konse Sahabi Hai Jo Ye Farmate Hai K Jab Se Me Musalman Huwa Kabhi Mene Apne Daahne Hath Se Sharmgah Nahi Pakdi. Kyu Ki Is Hath Se Mene Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Dast E Mubarak Pakda Hai.
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Gani R.D.

Fatawa Rahimiyah

SAWAL # 530

Ek Hadis Me Farmaya Gaya K Jis Ne Jaan Bujh Kar Namaz Chhodi Us Ka Hashr Firaun , Hamaan Or …………………… K Sath Hoga.
Sahih Jawab : Ubai Bin Khalf. Ek Rivayat Me Qaroon Ka Bhi Zikr Hai.

Fazail E Aamal

SAWAL # 531

Hazrat Umar R.D. Ne Apni Wafat Se Pehle 6 Aadmi Ki Ek Committee Banayi Thi Khilafat K Mas’ale K Liye.
Ab Batlaiye K Niche Diye Hue Options Me Se Kon Sahabi Us Committee Me Nahi The ?

1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarrah R.D.

3. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

4. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarrah R.D.

SAWAL # 532

Hazrat Umar R.D.Ne Khilafat K Liye 6 Aadmi Ki Ek Committee Banayai Thi To In Me Faisla Karne Wale Kon Sahabi The Jinhone Hazrat Usman R.D. Ka Naam Pesh Farma Kar Faisla Kiya.?
1. Hazrat Ali R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 533

Ek Sahabi Pet K Bal Lete Huwe The. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Dekha To Puchha Kya Pet Me Dard Hai ? Unho Ne Kaha Ji Haan. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Utho Namaz Padho K Namaz Me Shifa Hai.
Batlaiye K Wo Sahabi Kon The ?

1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

4. Hazrat Abu Darda R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Fazail E Aamal

SAWAL # 534

Sab Se Pehle Madina Hihrat Karne Wali Khatoon Kon Hai ?
1. Hazrat Safiyah R.D. ( Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Fufi )

2. Hazrat Ruqaiyah R.D. ( Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Sahabzadi )

3. Hazrat Zainab Binte Mazoon R.D. ( Hazrat Umar R.D. Ki Ahliyah )

4. In Me Se Koi Nahi

Sahih Jawab # 4. In Me Se Koi Nahi.

Sab Se Pehle Madina Hijrat Karne Wali Khatoon Hazrat Umme Salma R.D. Hai.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 535

Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Ke Baaz Mard Aur Aurat ……………… Baras Tak Khudaa Ki Ibaadat Karte Hai Fir Jab Maut Ka Waqt Aata Hai To Shareeat Ke Khilaf Vasiyyat Kar Ke Dozakh Ke Qabil Ho Jaate Hai(Maslan Ye Ke Fala Varis Ko Utna Maal De Dena)
1. 60 Baras

2. 70 Baras

3. 80 Baras

4. 100 Baras

Sahih Jawab # 1. 60 Saal

Kanz Ul Ummal

SAWAL # 536

Jo Shakhs Apney (Musalman) Bhai Ko Khana Khilae Yaha  Ke Usey Sair Kara De, Aur Usko Paani Pilaey Yahan Tak Ke Uski Pyaas Bujha De To Allah T’aala Usko Jahannam Se Saat Khandqein Dur Kar Denge.
Jin Me Se Har Do Khandaq  Ke Darmiyan Kitne  Saal Ki Duri Hogi ???

1. 70 Saal

2. 100 Saal

3. 500 Saal

4. 1000 Saal

Sahih Jawab # 3. 500 Saal

Mustadrak

SAWAL # 537

Kaun Sa Gunaah Qayamat Ke Din Andhere Ka Sabab Hai ?
1. Zeena

2. Sharab

3. Sood

4. Zulm

Sahih Jawab # 4. Zulm

Mishkat Sharif

SAWAL # 538

Jo Shakhs Kisi Se Qarz Le,
Aur Dil Me Ye Pakka Iradah Kar Rakhe Ke Qarz Pura Pura Nahi Loutauga.To Wo Allah T’aala Se Kis Haalat Me Mulaqat Karega ?

1. Zalim

2. Khaeen ( Khayanat Karne Wala)

3. Gaddar

4. Chor

Sahih Jawab # 4. Chor

Ibne Majah

SAWAL # 539

Qayamat K Din Elan Hoga K Mere Padosi Kaha Hai ? Puchha Jaega Ay Allah Aap K Padosi Kon Hai?
Jawab Hoga K ………………………………….

1. Yatimon Or Bewaon K Sath Husne Suluk Karne Wale

2. Tanhai Me Allah Ko Yad Kar K Rone Wale

3. Madjidon Ko Aabad Karne Wale

4. Musalman Bhai K Sath Achhe Akhlaq Se Pesh Aane Wale

Sahih Jawab # 3. Masjidon Ko Aabad Karne Wale

Fazail E Aamal

SAWAL # 540

A. Wo Konsi Khatoon Hai Jo
Pehle Hazrat Ja’Far K Nikah Me

Us K Baad Hazrat …………………. K Nikah Me

Us K Baad Hazrat ……………………. K Nikah Me Rahi.

B. Ye Khatoon Ki Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam Se Kya Rishtedari Hai.

Sahih Jawab :

A. Wo Khatoon Hazrat Asma Binte Umais R.D. Hai. Jin Ka Nikah

Pehle Hazrat Ja’Far Bin Abi Talib R.D. Se

Fir Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D. Se

Fir Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D. Se Huwa Tha.

B. Ye Khatoon

(1) Pehle Or Tisre Nikah K Etebar Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Chacha Zad Bhabhi Hoti Hai.

(2) Dusre Nikah K Etebar Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Saas Hoti Hai. Kyu Ki Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Sasur Hai.

(3) Ye Khatoon Hazrat Maimoonah R.D. Or Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.D. Ki Maa Sharik Bahan Hai. Is Etebar Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Saali Hoti Hai.

Note Hind Binte Auf Ek Khatoon Hai. Jin K Mukhtalif Nikah Hue The.

(1) Haaris Se => Jin Se Hazrat Maimoonah R.D. ( Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Zawjah) Hazrat Umme Fazl ( Hazrat Abbas R.D. Ki Zawjah –  Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Chachi, Saali ) Or Hazrat  Lubabah ( Hazrat Khalid Bin Valid Ki Validah ) Hui Thi.

(2) Umais Se =>  Jin Se Hazrat Asma Binte Umais R.D. ( Zikr Upar Ho Chuka ) Or Zainab Binte Umais ( Hazrat Hamza R.D. Ki Zawjah – Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Chachi ,Saali ) Hui.

(3) Khuzaimah Se => Jin Se Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.D. Hui. Jo Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Nikah Me Sirf Kuch Mahine Reh Kar Inteqal Kar Gayi Thi.

Is Etebar Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki 2 Zawjah Yaani Hazrat Zainab Binte Khuzaimah, Hazrat Maimoonah Ma Sharik Bahan Hai.

Fir Hazrat Zainab Binte Khuzaimah Or Hazrat Umme Habiba Apne Pehle Nikah K Etebar Se Deraani Jethani Hai Or Hazrat Zainab Binte Jahash In Dono Ki Nanand Hai.

Baad Me Ye Sab Ko Rasul Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Zawjiyat Ka Sharf Hasil Huwa.

Maarif Ul Hadis

Madarij Un Nubuwwah

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 541

Ek Hadis Me Hai K Haq Ta’ala Qayamat K Din 3 Qism K Logon Se Na Kalam Farmaenge Na Rahmat Ki Nazar Farmaenge Or Na Gunahon Se Paak Karenge. Un K Liye Dardnaak Azab Hoga.
(1) Budha Zani (2) Jhutha Badshah (3) ……………………1. Sharabi

2. Tangdast Mutakabbir

3. Wo Shaksh Jo Qarz Ada Karne Ki Wus’at Rakhta Ho Fir Bhi Ada Na Kare

4. Rishwat Lene Wala Haakim

Sahih Jawab # 2. Tang Dast Mutakabbir

Mishkat Sharif

SAWAL # 542

Jannat Ka Darakht Tooba Duniya Ke Kis Darakht Se Milta Julta Hai ?
1. Khajoor

2. Zaitoon

3. Anjir

4. Akhrot

Sahih Jawab # 4. Akhrot

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 543

Ek Hadis Me Janab E Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya :
Is Ummat Ki Sab Se Pehli Behtari Ka Sabab Yaqeen Aur Zahad (Ke Ausaaf) The.

Aur Usme Bigad Ki Ibtida ……………………. Se Hogi.

1. Riyakaari

2. Takabbur

3. Bukhl Aur Havas

4. Sood Aur Zulm

Sahih Jawab # 3. Bukhl Pr Havas

Mishkat Sharif

SAWAL # 544

Ek Takabbur Ke Baare Me Hazrat  Umar Rd. Ne Allah Ki Kasam Khaa Kar Farmaya Ke Ye Banu Umaiyya Ki Purani Khaslat Hai
Wo Takabbur Kya Hai ?

1. Maal Daulat Ka Takabbur

2. Unche Khandaan Ka Takabbur

3. Ziyada Aulaad Ka Takabbur

4. Salam Ka Jawab Na Dene Ka Takabbur

Sahih Jawab # 4. Salam Ka Jawab Na Dene Ka Takabbur

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 545

3 Chizein Halaakat Ka Sabab Hai,
Jab Allah Kisi Bande Ko Halaak Karna Chahta He To Usey 3 Chizon Me Mubtala Kar Deta He,Ab Batlaiye Ke Inme Se Kaun Si Chiz Nahi Hai.

1. Us Ko Ilm Deta He Lekin Amal Ki Towfiq Salb Kar Leta He.

2. Salehin Ki Sohbat Ka Mouqa Deta He Lekin Un Ke Martabe, M’aarifat Aur Un Ki Qadr Dil Se Nikaal Li Jaati He.

3. Nek Kaam Karne Ka Mouqa Diya Jata He Lekin Ikhlaas Se Mahrum Kar Diya Jata He.

4. Use Gunahon Se Bachne Ka Mauqah Diya Jata Hai Magar Taubah Se Mahroom Kar Diya Jata Hai.

Sahih Jawab # 4. Use Gunahon Se Bachne Ka Mauqa Diya Jata Hai Magar Taubah Se Mahroom Kar Diya Jata Hai.

Rawzah Tus Salihin

SAWAL # 546

Jo Shakhs Ba Jama’at Namaz Ke Liye Masjid Jaye, To Aate Jaate Har Qadam Par *…………..*Gunah Muaaf
Aur (Har Har Qadam Par) Us Ke Liye ………….. Neki Likhi Jaati He.

1. 1

2. 3

3. 10

4. 70

Sahih Jawab # 1. 1

Fazail E Aamal

SAWAL # 547

Ek Aadmi Ne Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Apne Dil Ki Sakhti Ki Shikayat Ki
To Aap Ne In Me Se Kyaa Karne Ka Hukm Diya ?

1. Yateem Ke Sar Par Haath Ferna.

2. Nafl Rozah Rakhna.

3. Astagfar Kasrat Se Karna.

4. Miskeen Ko Khana Khilana.

Sahih Jawab # 1. Yateem K Sar Par Hath Ferna  & 4. Miskeen Ko Khilana.

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 548

Ek Nabi Ko Ladke Ki Basharat Sunayi Gayi K Wo Ladka Sardar, Apne Aap Ko Khawahishat Se Rokne Wala, Nabi Or Saalihin Me Se Hoga.
Ye Nabi Kon Hai Or Kis K Mutalliq Basharat Hai ?

1. Hazrat Ibrahim Alayhis Salam Ko Hazrat Ismail Alayhis Salam K Mutalliq

2. Hazrat Ibrahim Alayhis Salam Ko Hazrat Ishaq Alayhis Salam K Mutalliq

3. Hazrat Zakariyah Alayhis Salam Ko Hazrat Yahya Alayhis Salam K Mutalliq

4. Hazrat Yaqoob Alayhis Salam Ko Hazrat Yusuf Alayhis Salam K Mutalliq

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zakariyah Alayhissalam Ko Hazrat Yahya Alayhis Salam K Mutalliq

Soorah E Aal E Imran

SAWAL # 549

Hazrat Nooh Alayhissalam Ka Khashti Banana Or Qaum Ka Mazak Udaane Ka Zikr Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Hood

2. Soorah E Anbiya

3. Soorah E A’araf

4. Soorah E Nooh

Sahih Jawab # 1. Soorah E Hood

SAWAL # 550

Ek Sahabi Dopher K Waqt Tashrif Laae. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Unhe Bheja Tha Jab Wo Aae To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Apne Makan Me Zaeed Kapde Utaare Hue The. Un K Aane Ki Khushi Me Chadar Gashite Hue Aap Tezi Se Unhe Milne Khade Hue. Or Un Se Muaanqah Kiya Or Peshani Ka Bosa Diya.
Wo Sahabi Kon The ?

Sahih Jawab : Hazrat Zaid Ibne Harisah R.D

Al Durrul Mandood

SAWAL # 551

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Ek Zawjah Ne Halwa Banaya Or Le Kar Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Laayi. Jab K Baari Dusri Zawjah Ki Thi Unho Ne Khane Se Inkar Kiya To Halwa Laane Wali Ne Dusri Zawjah K Munh Par Mal Diya.  Unho Ne Huzur Se Shikayat Ki To Aap Ne Farmaya Tum Bhi Badla Le Lo.
Ye Waqeah Kin Kin K Darmiyan Huwa ?

1. Hazrat Aaysha R.D. & Hazrat Hafsa R.D.

2. Hazrat Umme Salma & Hazrat Zainan Binte Jahash R.D.

3. Hazrat Aaysha R.D. & Hazrat Sawdah R.D.

4. Hazrat Maimoonah R.D. & Hazrat Safiyah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Aaysha R.D. & Hazrat Sawdah R.D.

Bukhari Sharif

SAWAL # 552

Jab Allah Ta’ala Kisi Ghar Waalon Ke Liye Bhalaai Ka Iraada Farmaate Hain, To Kyaa Karte Hai ?
1. Un Ki Rozi Badha Dete Hai

2. Unki Aulaad Badha Dete Hai

3. Un Me Narmi Paida Farma Dete Hai

4. Unhe Achhe Akhlaq Ata Farmate Hai.

Sahih Jawab # 3. Un Me Narmi Paida Farma Dete Hai

Mus’nad E Ahmed

SAWAL # 553

Ek Sahabi Ko Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Tum Jab Bhi Aao Mujhe Salam Karo Chahe Me Namaz Me Hoo. Ek Baar Aae Or Salam Kiya Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Namaz Me The Jawab Nahi Diya To Badi Fikr Hui K Kahi Huzur Mujh Se Naraz To Nahi Hue. Namaz Se Faragat K Bad Aap Ne Farmaya K Ab Namaz Me Salam Or Kalam Se Rok Diya Gaya Hai.
Wo Sahabi Kon Hai?

1. Hazrat Ali R.D.

2. Hazrat Abdullahibne Masood R.D.

3. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

4. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

Sahih Jawab No: 2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Fazail E Aamal

SAWAL # 554

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Us Ghar Me Faaqa Nahi Jis Ghar Me ………………. Ho.
1. Dudh

2. Shahad

3. Sirka

4. Khajoor

Sahih Jawab # 3. Sirka

Tirmizi Sharif

 Baaz Logon Ne Khajoor Likha Hai. Yaad Rahe K Khajoor K Baare Me Wo Alfaz Hadis Me Nahi Jo Quiz Me Hai.  Khajoor K Baare Me Ye Hadis Hai K Jis Ghar Me Khajoor Na Ho Wo Ghar Wale Bhuke Hai.

SAWAL # 555

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K 2 Khaslate ( Aadat ) Mumin Me Jama Nahi Ho Sakti.
(1) Bad Akhlaqi

(2) ……………….. ?1. Jhuth

2. Bakhili

3. Zulm

4. Rishwat Khori

Sahih Jawab # 2. Bakhili

Shamail E Kubra

SAWAL # 556

Wo Konsi Chiz Hai Jab Aap Sallallahu Alayhi Wasallam  Ko Pesh Ki Jati To Aap Barkat Barkat Farmaate.
1. Shahad

2. Paani

3. Nabiz ( Khajoor Ko Paani Me Rakha Jae Or Us Ki Mithas Pani Me Aa Jae Wo Paani )

4. Dudh

Sahih Jawab # 4. Dudh

Ibne Majah

SAWAL # 557

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Agar Me Kehta K Jannat Se Koi Fal Utaara Gaya To Wo ………………. Hai.
1. Khajoor

2. Angoor

3. Anjir

4. Zaitoon

Sahih Jawab # 3. Anjir

Shamail E Kubra

SAWAL # 558

Jamrat Ki Rami Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Jis Unt Ya Untni Par Ki Us Ka Name Kya Tha?
1. Qaswa

2. Azba

3. Sahba

4. Sa’lab

Sahih Jawab # 3. Sahba

Ibne Majah / Shamail E Kubra

SAWAL # 559

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Pass  Konsa Janwar Tha Jis Ne Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Wafat K Bad Judaai K Gam Ko Bardasht Na Karne Ki Wajah Se Apne Aap Ko Kunwe Me Gira Kar Maar Diya Tha ?
1. Untni

2. Gadha

3. Ghoda

4. Khachhar

Sahih Jawab # 2. Gadha – Us Ka Name Ya’Fur Tha.

Shamail E Kubra

SAWAL # 560

Qabila Saqeef Ke Wafad Me Se Ek Aadmi Ne Shaafi E Mehsar Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Kaha :
“Aap Ne Apne Rab Se Sulayman Al. Jaisa Mulk Kyun Nahi Maang Liya ?”

Is Par Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam  Hans Pade Aur Farmaya :

“Ho Sakta Hai Tumhare Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam  Ko Allah Ke Yahaan Sulayman Al. Ke Mulk Se Behtar Koi Chiz Mil Jaye”

Ab Batlaiye Wo Chiz Kyaa Hai ?

Sahih Jawab : Wo Chiz Qayamat K Din Ki Dua Jis Se Hisab Wa Kitab Shuru Hoga. Yahi Chiz Shafaat E Kubra Or Yahi Maqam E Mahmood Hai.

Hayat Us Sahaba

SAWAL # 561

Huzur صلی الله عليه وسلم Ko Jin Kapdon Me Kafan Diya Gaya Tha Kapda Kis Jagah Ka Banaa Huwa Tha ?
1. Misar

2. Shaam

3. Habsha

4. Yaman

Sahih Jawab #  4. Yaman

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 562

Hazrat Asma Binte Umais R.D. K 3 Nikah Hue The. Wo Nikah Taratib Se Batae.
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Ja’Far Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab :  3. 1. 2.

Pehle Hazrat Ja’Far Bin Abi Talib R.D.  Se Fir Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D. Se Or Fir Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D. Se Huwa Tha.

Siyar E Sahabiyaat.

SAWAL # 563

Wo Konsi Khatoon Hai Jo Gazwah E Hunain K Waqt Hath Me Khanjar Liye Aa Ragi Thi. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Dekha To Puchha Ye Kya ? Kehne Lagi Jo Bhi Mushrik Aap K Qarib Aaega Us Ka Pet Chak Kar Dungi.
1. Hazrat Umme Atiyyah R.D.

2. Hazrat Asma Binte Umais R.D.

3. Hazrat Asma Binte Abi Bakr R.D.

4. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Siyar E Sahabiyat

SAWAL # 564

Ek Khatoon Hai Jo Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Wafat Se Gamgin Ho Gayi. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D. Or Hazrat Umar Ibne Khattab R.D. Ne Unhe Tasalli Di To Kehne Lagi Rone Ki Wajah Ye Hai K Ab Wahi Ka Silsila Khtam Ho Gaya. Ye Sun Kar Dono Buzurg Bhi Rone Lage.
Wo Khatoon Kon Thi ?

1. Hazrat Umme Atiyyah R.D.

2. Hazrat Umme Aiman R.D.

3. Hazrat Umme Haani R.D.

4. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Umme Aiman R.D.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 565

A. Ek Khatoon K 4 Nikah Hue The. Ab Un 4 Shoharo K Naam Tartib Se Bithaae K Pehle Kin Se Fir Kin Se ………..
1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

3. Hazrat Amr Bin Aas R.D.

4. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

B. Us Khatoon Ka Name Bhi Bataae.

Sahih Jawab :

A. 2 =4=1=3

Pehle Hazrat Zaid Bin Harisah R D. Se , Fir Un Ki Shadat K Bad Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D. Se Un K Talaq Dene K Bad Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D. Se Or Un Ki Wafat K Bad Hazrat Amr Bin Aas R.D. Se Nikah Huwa.

B. Is Khatoon Ka Name Umme Kulsum Binte Uqbah Hai.

Ye Rasul Sallallahu Alayhi Wasallam K Dushman Uqbah Bin Abi Mueet Ki Beti Hai.

Siyar E Sahabiyat

SAWAL # 566

Wo Konsi Khatoon Hai Jab Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Gusal Farmate To Un K Chehre Par Pani Chhidakte. Us Ka Asar Ye Tha K Budhape Tak Un K Chehre Par Taro Taazgi Baqi Rahi.
1. Hazrat Zainab Binte Muhammad Sallallahu Alayhi Wasallam

2. Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

4. Hazrat Zainab Binte Abu Salma R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zainab Binte Abu Salma R.D. ( Chunke Ye Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Soteli Beti Bhi Thi Or Hazrat Abu Salma R.D. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Razaaee Bhai Bhi Hai Is Liye Ye Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Razaaee Bhatiji Bhi Hai.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 567

Hazrat Umme Fazal R.D. ( Hazrat Abbas R.D  Ki Ahliyah ) Ki Salat E Janazah Kis Ne Padhayi ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Gani R.D.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 568

Ek Sahabiyah Ne Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Se Sawal Kiya K Agar Aurat Bhi Aisa Khawab Dekhe Jo Mard Dekhta Hai To Kya Aurat Par Bhi Gusal Wajib Ho Jata Hai ?
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Haa.

Wo Sahabiyah Kon Thi ?

1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Umme Haani R.D.

3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

4. Hazrat Hafsa R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Abu Daood Sharif

SAWAL # 569

Ek Sahabiyah Ki Mashak ( Paani Bharne Ki Chamde Ki Theli ) Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Pani Piya To Unho Ne Wo Hissa Kaat Kar Rakh Diya K Is Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Lab Mubarak Lage Hai.
Wo Sahabiyah Kon Hai ?

1. Hazrat Umme Atiyyah R.D.

2. Hazratumme Haani R.D.

3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

4. Hazrat Umme Fazl R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Ek Rivayat Me Hazrat Kabsha R.D. Ka Bhi Zikr Hai.

Shamail E Tirmizi

Dono K Mutalliq Shamail E Tirmizi Me Zikr Kiye Gaya Hai.

SAWAL # 570

Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam Ki God Mubarak Me Peshab Karne Wale Bachho K Naam Batlaiye.
Sahih Jawab :

Kitabon Me 5 Name Milte Hai.

(1) Hazrat Hasan Bin Ali – Nawasa E Rasul Sallallahu Alayhi Wasallam

(2) Hazrat Husain Bin Ali – Nawasa E Rasul Sallallahu Alayhi Wasallam

(3) Hazrat Abdullah Ibne Zubair – Nawasa E Abu Bakr Siddiq R.D.

(4) Ibne Umme Qais

(5) Sulaiman Bin Hisham.

Al Durrul Mandood

SAWAL # 571

Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Mazmoon Soorah E Bani Israil Me Nahi Hai.
1. Waqeah E Meraj

2. Rooh Ki Haqiqat Ka Ilm Sirf Allah K Pass Hona

3. Quran Ka Shifa Hona

4. Bani Israil Ka Bachhda Bana Ka Pujnaa

Sahih Jawab # 4. Bani Israil Ka Bachhda Bana Kar Pujnaa.

SAWAL # 572

Niche Diye Hue Options Me Jo Saraya Ka Zikr Hai Use Waaqe Hone Ki Tartib Se Batae.
1. Sariyyah Abdullah Bin Jahash

2. Sariyyah Abu Salma

3. Sariyyah Hamza

4. Sariyyah Ubaidah Bin Haris

Sahih Jawab : Sab Se Pehle To In Saraaya K Waqe Hone K Awqat Samajh Le.

Sariyyah Hamzaa Ek Qaul K Mutabiq Ramzan San Hijri 1 Me Or Dusre Qaul K Mutabiq Rabi Ul Awwal San 2 Me Huwa. Sariyyah Ubaidah Bin Haris Shawwal San 1 Me Huwa. Sariyyah Abdullah Ibne Jahash Rajab San 2 Me Huwa. Sariyyah Abu Salma San 4 Me Huwa.

Is Hisab Se 3. 4. 1. 2.  Or  4. 3. 1. 2. Dono Jawab Aaenge.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 573

Azwaj E Mutahharat K Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Nikah Me Aane Ki Tartib Bataiye.
1. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

2. Hazrat Juveriyah R.D.

3. Hazrat Hafsa R.D.

4. Hazrat Umme Habiba R.D.

Sahih Jawab : Is Silsile Me Do Qaul Hai.

Ek Qaul Ke Mutabik

3. 1. 2. 4.

1.3. Hazrat Hafsa R.D.

2.1. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

3 2. Hazrat Juveriyah R.D.

4.4. Hazrat Umme Habiba R.D.

Dusre Qaul Ke Mutabik

3. 2. 4. 1.

1.3. Hazrat Hafsa R.D.

2.2. Hazrat Juveriyah R.D.

3.4. Hazrat Umme Habiba R.D.

4.1. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

Seerat Ul Mustafa

Seerat Ummahat Ul Muminn

Seerat Khatim Ul Anbiya

SAWAL # 574

Soorah Maryam Me Kis Nabi Ka Zikr Nahi Hai ?
1. Hazrat Zakriyah Alayhis Salam

2. Hazrat Ibrahim Alayhis Salam

3. Hazrat Yahya Alayhissalam

4. Hazrat Isa Alayhis Salam

Sahih Jawab:  Soorah E Maryam Me Chaaro Anbiya Ka Zikr Hai

SAWAL # 575

Mayyit Ki Awlad Ki Maujdgi Me Mayyit K Maa Baap K Liye Miraas Me Kitna Hissa Quran Ne Batlaya Hai ?
1. Aadha

2. Chotha

3. Chhatta

4. Aathwa

Sahih Jawab #3. Chhatta

Siraji

SAWAL # 576

Soorah E Ahzab Me Konsa Mazmoon Nahi Hai.
1. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Par Durudsharif Padhne Ka Hukm

2. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Or Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. K Darmiyan Judaai.

3. Zakat Dene Se Inkar Karne Wale Sa’Laba Ka Waqeah

4. Ahle Iman Ko Zikr E Kasir Ka Hukm
Sahih Jawab # 3. Zakat Dene Se Inkar Karne Wale Sa’Laba Ka Waqeah.

SAWAL # 577

Zakat Dene Se Inkar Karne Wale Sa’Laba Ka Waqeah Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Munafiqoon

2. Soorah E Taubah

3. Soorah E An’aam

4. Soorah E Maaidah

Sahih Jawab # 2. Soorah E Taubah.

SAWAL # 578

Mayyit K Awlad Ki Maujudgi Me Mayyit Ki Bivi Ka Kitna Hissa Quran E Karim Ne Batlaya Hai ?
1. Chotha

2. Chhattha

3. Aathwa

4. Aadha

Sahih Jawab # 3. Aathwa

SAWAL # 579

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Rahmat Ul Lil Aalamin Hone Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Muhammad

2. Soorah E Anbiya

3. Soorah E Aal E Imran

4. Soorah E Ibrahim

Sahih Jawab # 2. Soorah E Anbiyah

SAWAL # 580

Qamar Ul Bat’Ha ( Sar Zamin E Bat’Ha Yaani Makkah Ka Chand )
Ye Kis Ka Laqab Hai ?

Sahih Jawab : Qamar Ul Bat’ha Yaani Makkah Ka Chand Ye Laqab Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Dada Abdul Muttalib K Dada Abde Manaf Ka Tha. Un Ki Khubsurti Ki Wajah Se Ye Laqab Huwa.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 581

Seerat Ki Mashoor Kitab Madarij Un Nubuwwah K Musannif ( Writer)  Kon Hai ?
1. Hazrat Shah Abdul Aziz Muhaddis Dahelvi R.A.

2. Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi R.A.

3. Hazrat Shah Valiullah Muhaddis Dahelvi R.A.

4. Hazrat Shah Rafiudfin Dahelvi R.A.

Sahih Jawab # 2. Hazratshah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi R.A

SAWAL # 582

Bukhari Sharif Ki Aakhri Hadis K Raavi ( Rivayat Karne Wale Sahabi ) Kon Hai ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.

3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

4. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

SAWAL # 583

Wo Konsi Khatoon Hai Jis Ne Apne Shohar K Iman Laane Se Un Ka Mahar Maaf Kar Diya K Tumhara Iman Laana Yahi Mera Mahar Hai ?
1. Hazrat Umme Atiyyah R.D.

2. Hazrat Umme Sulaim R.D.

3. Hazrat Umme Haani R.D.

4. Hazrat Umme Kulsum Binte Uqbah Bin Abi Mueet R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 584

Hazrat Fatimah R.D. Ka Jab Nikah Huwa To Rukhsati K Bad Hazrat Ali R.D. Ka Zaati Makan Na Hone Ki Wajah Se  Kis K Makan Me Qayam Farmaya?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Harisah Bin No’Man R.D.

3. Hazrat Abu Talha Ansari R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Harisah Bin No’Man R.D.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 585

Fathe Makkah K Din Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Chasht Ki Namaz Kis K Makan Me Padhi Thi ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Abu Sufiyan R.D.

3. Hazrat Umme Haani R.D

4. Apne Puraane Makan Me

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Haani R.D.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 586

Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D. Or Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Me Qaribi Rishtedari Kya Hai?
1. Dono Fufi Zaad Bhai Bahan Hai.

2. Dono Khala Zaad Bhai Bahan Hai.

3. Dono Chacha Zaad Bhai Bahan Hai.

4. Dono Mamu Zad Bhai Bahan Hai.

Sahih Jawab # 2. Dono Khala Zaad Bhai Bahan Hai.

Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D. Ki Walidah Hazrat Safiyah Or Hazrat Zainab Binte Jahash R.D Ki Walidah Aatika Dono Baap Sharik Bahane Hai. Is Liye Dono Khala Zaad Bhai Bahan Hue.

Siyar E Sahabiyaat

SAWAL # 587

Hazrat Ja’far R.D. Ne Shah E Habshah K Darbar Me Kis Soorah Ki Aayate Sunayi Thi ?
1. Soorah E Muzzammil

2. Soorah E Muddassir

3. Soorah E Maryam

4. Soorah E Yusuf

Sahih Jawab #3. Soorah E Maryam

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 588

Khulafa E Rashideen Me Se Kaun Hai Jinhone Khalifa Banaye Jaane Ke Baad Apne Khutbe Me Logon Se Ye Farmaya  :
“Ay Logo ! Tumhare Nazdik Jo Aadmi Taqatwar Hai Wo Mere Nazdik Zaeef Aur Kamzor Hai, Aur Tumhare Nazdik Jo Aadmi Zaeef Aur Kamzor Hai Wo Mere Nazdik Taqatwar Hai, Me Zaeef Kamzoro Ko Uska Haq Dilaa Kar Rahunga, Aur Taqatwar Se Uska Haq Lelar Rahunga”

1. Hazrat  Abubakr Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat  Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.

Ek Jame Qurani Wa’az

SAWAL # 589

Ek Aurat Fatima Binte Asad Ne Chori Ki To Unke Hath Katne Ka Faisla Huwa.
Unki Sifarish Le Kar Ek Sahabi Rd. Huzur ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Huwe Tab Huzur ﷺ Ne Farmaya :

Agar Fatima Binte Muhammad Bhi Hoti To Haath Kaate JaateBatlaiye Wo Sifarish Karne Wale Sahabi Inme Se Kaun Hai ?

1. Hazrat Zaid Ibne Arqam R.D.

2. Hazrat  Zaid Ibne Saabit R.D.

3. Hazrat  Zaid Ibne Harisah R.D.

4. Hazrat  Usamah Ibne Zaid R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

Tirmizi Sharif

SAWAL # 590

Ek Sahabi Ne Khawab Dekha K Unho Ne Huzur E Aqdas Sallallahualayhi Wasallam Ki Peshani Par Sajdah Kiya. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Khawab Bayan Kiya To Aap Let Gae K Apne Khawab Ka Amal Pura Karo To Unho Ne Aap Ki Peshani Par Sajdah Kiya.
Wo Sahabi Kon The ?

Sahih Jawab : Hazrat Khuzaimah Bin Sabit R.D.

Shamail E Kubra.

SAWAL # 591

Ek Sahabi Ne Khawab Dekha K Un Ki 2 Ungli K Us Me Se Ek Se Ghee Or Dusre Se Shahad Chaat Rahe Hai. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Taabir Puchhi To Farmaya K Tum 2 Kitab Tauraat Or Quran K Aalim Honge.
Wo Sahabi Kon Hai?

1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Salaam R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

Shamail E Kubra

SAWAL # 592

Ek Martaba Raat K Waqt Madinah Munawwarah Me Shor Huwa. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ek Sahabi Ka Ghoda Le Kar Chakkar Lagaane Gae.
Ab Batlaiye K Kis Sahabi Ka Ghoda Le Kar Gae The ?

1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Abu Talha R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Usman Gani R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Talha R.D.

Bukhari Sharif

SAWAL # 593

Wo Konse Sahabi Hai Jo Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Madina Hijrat Se Pehle Hi Kuch Soorate ( 17 Soorten) Yaad Kar Chuke The. Us Wawt Un Ki Umsr Sirf 11 Sal Thi. Un Ko Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam K Samne Pesh Kiya. Aap Ne Un Se 2 Soorten Suni. To Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Bhi Bahot Tajjub Huwa.
Wo Sahabi Kon The?

1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

3. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

4. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 594

Ek Sahabi Ne Quwwate Hafza Ki Kami Ki Shikayat Ki To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Chadar Felao. Chadar Felayi To Aap Ne Dono Hath Bhar Bhar Kar Us Me Kuch Dala Or Farmaya K Is Ko Sine Se Laga Lo. Sine Se Lagaya To Fir Kabhi Koi Chiz Na Bhule.
Wo Sahabi Kon The?

1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

2. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.

3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 595

Kis Sahabi Ki Wafat Par Hazrat Abu Hurairah R.D. Ne Farmaya Tha مات حبر الامة K Aaj Ummat Ka Bada Aalim Wafat Pa Gaya Or Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D Ne Farmaya Tha دفن اليوم علم كثير Aaj Kasir Ilm Ko Dafan Kar Diya Gaya.
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

4. Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarraah R.D.

Sahih Jawab : Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.

Aaj Ka Jawab Options Me Se Nahi Hai.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 596

Gazwah E Tabuk K Mauqe Par Banu Najjar Ka Jhanda Hazrat Umarah Bin Hazm R.D. K Pass Tha Jo Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Un Se Le Kar Hazrat ………………………………. Ko Diya. Hazrat Umarah Ne Kaha Meri Koi Shikayat Hai  To Farmaya Nahi Balke Jin Ko Diya Wo Hafize Quran Hone Ki Wajah Se Diya Hai.
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D

2. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

3. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D.

4. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 597

Hazrat Umar R.D. Sayyid Ul Muslimin Kis Sahabi Ko Farmaya Karte The ?
1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D.

3. Hazrat Salman Farsi R.D.

4. Hazrat Bilal Habshi R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D.

Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D. Ko Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Sayyid Ul Muslimin Farmaya Tha. Jab K Sawal Me Hazrat Ubai Bin Ka’ab K Mutalliq Hai.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 598

Kis Sahabi Ko Un Ki Walidah K Iman Na Lane Ki Wajah Se Sadma Rehta Tha. Ek Bar To Un Ho Ne Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Shan Me Gustakhi Bhi Kar Di Thi. Wo Sahabi Hazir E Khidmat Hue Or Kaha Allah K Rasul Meri Validah K Liye Hidayat Ki Dua Kar Dijiye. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Dua Kar Di. Ghar Pahonche To Un Ki Walidah Gusal Kar Rahi Thi In Sahabi Ko Bahar Rok Diya. Gusal Kar K Bahar Aayi Or Kalma Padh Kar Musalman Ho Gayi.
Wo Sahabi Kon The?

1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Abu Hurairah R.D.

3. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

4. Hazrat Usman Gani R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 599

Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D. Ne Sab Se Pehle Kis Gazwah Me Shirakt Ki ?
1. Gazwah E Khaibar

2. Gazwah E Badr

3. Gazwah E Uhad

4. Gazwah E Khandaq

Sahih Jawab #  4. Gazwah E Khandaq.

Gazwah E Uhad K Mauqe Par Aae The Magar Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne In Ki Kam Umri Ki Wajah Se Inhe Wapis Kar Diya Tha.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 600

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Me 2 Bad Tarin Padosiyo K Darmiyan Rehta Tha. Wo 2 Bad Train Padosi Kon Hai?
Sahih Jawab :

(1) Abu Lahab

(2) Uqbah Bin Abi Mueet

Ye Dono Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam K Darwaze Par Najasat Daal Dete The.

Seerat Ul Mustafa

No comments:

Post a Comment