Sawal 401-500
SAWAL # 401
Quraish Ki Ek Khatoon Ne Chori Ki Thi To Sahaba Ne Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Saza Ki Muaafi Ki Sifarish K Liye Kis Sahabi Ko Kaha Tha ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.
2. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
4. Hazrat Usamah Ibne Zaid R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.
Tirmizi Sharif
SAWAL # 402
Shab E Bara’at Me Jin Logon Ki Magfirat Nahi Hoti Wo 6 Afrad Or Us K Alawa Agar Koi Hai To Wo Batlaiye
Aaj Koi Options Nahi. Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab Batae.
Sahih Jawab : Mukhtalif Rivayat Se Mukhtalif Bad Nasib Logon Ka Zikr Milta Hai Jin Ki Bakhshish Is Raat Me Nahi Hoti.
(1) Mushrik
(2) Kina Rakhne Wala
(3) Sharabi
(4) Validain Ka Nafarman
(5) Qata Rahmi Karne Wala
(6) Takhno K Niche Izar Latkane Wala
(7) Zaani
(8) Kisi Ko Nahaq Qatl Karne Wala
(9) Saahir ( Jadugar )
(10) Kahin ( Jyotish- Gaib Ki Baaten Batane Wala )
(11) Gaana Baaja Bajane Wala
(12) Qeemar ( Juwa, Satta ) Khelne Wala.
SAWAL # 403
Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Waqeah Soorah E Baqarah Me Nahi Hai ?
1. Bani Israil Me Ek Aadmi K Qatl Ka Waqeah Jis K Qatil Ki Talash K Liye Haq Ta’ala Ne Gay Zubh Karne Ka Hukam Diya.
2. Ek Nabi Ka Ek Basti Par Se Guzarna Jo Hazaro Ki Tadad Me Murda Pade The Fir Us Nabi Ka Allah Se Dua Karna Or In Murdon Ka Zindah Hone Ka Waqeah
3. Allah Ta’ala Ka Mahbub Tarin Mal Talab Karna Or Hazrat Abu Talha R.D. Ka Apna Pasandidah Baag Rah E Khuda Me De Dene Ka Waqeah
4. Hazrat Ibrahim A.S. Ka Apne Rab Se Murdon K Zinda Karne Ki Kaifiyat K Bare Me Sawal Karna Or Haq Ta’ala Ka 4 Parindon Ko Zubh Karne Ka Hukm Dene Ka Waqeah.
Sahih Jawab # 3. Allah Ta’ala Ka Mahbub Tarin Mal Talab Karna Or Hazrat Abu Talha R.D. Ka Apna Pasandidah Baag Rah E Khuda Me De Dene Ka Waqeah
Ye Waqeah Sure Aale Imran Me Hai.
SAWAL # 404
Qaroon K Waqeah Ko Kis Soorah Me Bayan Kiya Gata Hai?
1. Soorah E Bani Israil
2. Soorah E Qasas
3. Soorah E Aal E Imran
4. Soorah E Ankabut
Sahih Jawab # 2. Soorah E Qasas
SAWAL # 405
Hazrat Ibrahim A.S. K Aag Me Dale Jane K Waqeah Ko Kis Soorah Me Bayan Kiya Gaya Hai ?
1. Soorah E Anaam
2. Soorah E Hood
3. Soorah E Ibrahim
4. Soorah E Anbiya
Sahih Jawab # 4. Soorah E Anbiyah.
SAWAL # 406
Abu Jahal Ki Aadat Thi K Jab Koi Aadmi Marne K Qarib Hota To Us K Pass Jata Or Us Ko Kehta K Tumhara Mal Va Awlad Mere Hawale Kar Do Me Un Ki Dekh Bhal Karunga. Wo Aadmi Is Par Bharosa Karta Or Mal Hawale Kar Deta Jab Wo Aadmi Mar Jata To Abu Jahal Us Mal Ko Le Leta Or Yatim Ko Dhakka De Kar Nikal Deta.
Is Waqeah Ko Batlane K Liye Konsi Soorah Nazil Hui ?
1. Soorah E Humazah
2. Soorah E Aadiyat
3. Soorah E Maoon
4. Soorah E Kafiroon
Sahih Jawab # 3. Soorah E Maoon
Tafseer E Azizi
SAWAL # 407
Soorah Tafweez Kis Soorah Ka Name Hai ?
1. Soorah E Fatiha
2. Soorah E Baqarah
3. Soorah E Kahaf
4. Soorah E Ikhlas
Sahih Jawab # 1. Soorah E Fatiha
Al Itqan Fi Ulumil Quran
SAWAL # 408
Tawrat Me Kis Soorah Ka Name Soorah E Haeelah ( Hail Hone Wali- Padhne Wale Or Dozakh Ki Aag K Darmiyan ) Aaya Hai ?
1. Soorah E Fatiha
2. Soorah E Waqiah
3. Soorah E Kahaf
4. Soorah E Tabarak
Sahih Jawab # 3. Soorah E Kahaf
Al Itqan Fi Ulumil Quran
SAWAL # 409
Soorah E Kalim Kis Soorah Ka Dusra Name Hai ?
1. Soorah E Yasin
2. Soorah E Taha
3. Soorah E Kahaf
4. Soorah E Rahman
Sahih Jawabno 2. Soorah E Taaha
Al Itqan Fi Ulumil Quran
SAWAL # 410
Soorah E Malaikah Kis Soorah Ka Dusra Name Hai ?
 Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq Se Jawab Batae
Sahih Jawab : Soorah E Faatir
Al Itqan Fi Ulumil Quran
SAWAL # 411
Soorah E Mazajea( سورة المضاجع )Kis Soorah Ka Dusra Name Hai ?
1. Soorah E Dukhan
2. Soorah E Ha Mim Sajdah
3. Soorah E Alif Lam Sajdah
4. Soorah E Jasiyah
Sahih Jawab # 3. Soorah E Alif Laam Sajdah
Al Itqan Fi Ulumil Quran
SAWAL # 412
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Dushmano Me Se Konsa Dushman Hai Jis Ki Beti Ne Apne Aap Ko Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Par Pesh Kiya ( Yaani Nikah Ka Irada Kiya ) Aap Ne Qubul Kar Liya. Fir Us Ka Nikah Hazrat Zaid Bin Harisah Se Kar Diya Tha.
1. Abu Jahal
2. Uqba Bin Abi Mueet
3. Aas Bin Vaeel
4. Valid Bin Mugirah
Sahih Jawab # 2. Uqbah Bin Abi Mueet
Tafseer Ibne Kasir
SAWAL # 413
Abu Rafe Yahudi Ko Qatl Karne Wale Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Atik R.D.
2. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.
3. Hazrat Abu Dujana R.D.
4. Hazrat Muhammad Bin Maslamah R.D.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Atik R.D.
Kashful Bari, Kitab Ul Magazi J/8
SAWAL # 414
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah Ko Awwaha ( Bahot Zayadah Khushu Khuzu Karne Wali ) Kaha Gaya ?
1. Hazrat Maimoonah R.D.
2. Hazrat Safiyah R.D.
3. Hazrat Aaysha R.D.
4. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.
Seerat Ul Mustafa /3
SAWAL # 415
Hadis Sharif Me “La Hawla Wala Quwwah….” Ko Kitni Bimariyo Ki Shifa Va Ilaj Batlaya Gaya Hai ?
1. 70
2. 99
3. 100
4. Tamam Bimariyo Se Siva Maut K
Sahih Jawab # 2. 99 Bimariyo Ka Ilaj Hai. Sab Se Halki Bimari Hamm ( Yaani Gam ) Hai.
Mishkat Sharif
SAWAL # 416
Quran Ki Ayat ﺇِﺫَﺍ ﺯُﻟْﺰِﻟَﺖِ ﺍﻟْﺄَﺭْﺽُ ﺯِﻟْﺰَﺍﻟَﻬَﺎ ( Izaa Zul Zilatil Ardu Zil Zaalaha )”Jab Zamin Apni Sakht Jumbish Se Hilayi Jaaegi ”
Jab Naazil Hui Us Waqt Ek Sahabi Rd. Huzur (ﷺ ) Ke Paas Bethe Hue The To Wo Ye Ayat Sun Kar Rone Lage. Wo Rone Wale Sahabi Rd. Kaun The ?1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Umar Faruq R.D.
3. Hazrat Usman Bin Affan Rd.
4. Hazrat Ali Bin Abi Talib Rd.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 417
Sulahe Hudabiyah Ke Waqt Ek Sahabi Rd. Ne Kaha : Ay Musalmamo ! Me To Musalman Hokar Aya Tha, Aur Mujhe Mushriko Ki Taraf Wapas Kiya Ja Raha Hai, Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ho Ke Me Kitni Musibaten Utha Raha Hun ?
Ye Sahabi Rd. Kaun The ?
1. Hazrat Abu Basir R.D.
2. Hazrat Miswar Bin Makhramah R.D.
3. Hazrat Abbad Bin Bishr R.D.
4. Hazrat Abu Jundul R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Abu Jundul R.D.
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 418
Huzur (ﷺ ) Ka Irshad Hai Ke 3 Chize Aisi Hai, Jis Shakhs Me Ye Teeno Maujud Ho Uska Hisab Sahal Hoga Aur Allah Ta’ala Usko Jannat Me Dakhil Karenge.
1. Jo Shakhs Tujhe Apni Inayat Se Mehrum Rakhe Tu Us Par Ehsaan Kar.
2. Jo Tujh Par Zulm Kare Usko Muaaf Kar
Aur
3 …………………….. Kya Farmaya ?
1. Jo Tujh Se Sawal Kare Uska Sawal Pura Kiya Kar
2. Jo Tujh Se Qata’a Rahmi Kare Tu Uske Sath Sila Rahmi Kar
3. Jo Tujh Se Khana Talab Kare Unko Khana Khilaya Kar
4. Jo Tere Pass Mehman Ban Kar Aae To Tu Us Ki Mehman Nawazi Kiya Kar
Sahih Jawab # 2. Jo Tujh Se Qata’a Rahmi Kare Tu Us K Sath Sila Rahmi Kar.
Fazail E Aamal
SAWAL # 419
Huzur E Akram (ﷺ ) Ne Irshad Farmaya Ke Masjid Me Thunk Vagerah Pada Huwa Ho , Us Par Mitti Daal Dena Sadqe Ka Sawab Rakhta Hai,Raaste Me Se Kisi Taklif Denewali Chiz Hata Dena Bhi Sadqa Hai Or Ek Namaz Ke Baare Me Farmaya Ke Ye Namaz Sab Sadqo Ke Barabar Ho Sakti Hai.
Wo Namaz Kon Si Hai ?1. Ishraq
2. Chasht
3. Tahajjud
4. Awwabin
Sahih Jawab # 2. Chasht
Fazail E Aamal
SAWAL # 420
Sab Se Pehle Minbar Par Khutba Kis Ne Diya ?
 Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab Batae.
Sahih Jawab : Hazrat Ibrahim A.S.
Musannaf Ibne Abi Shaibah
SAWAL # 421
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Azwaj E Mutahhrat Me Se Kis Zawjah Ko Ye Sharf Hasil Hai K Un K Khandan K 7 Afraad Gazwah E Badr Me Sharik The.
1. Hazrat Aaysha R.D.
2. Hazrat Sawdah R.D.
3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.
4. Hazrat Hafsa R.D.
Sahihjawab # 4. Hazrat Hafsa R.D.
Ithaf Ut Talaba
SAWAL # 422
Jab Huzur (ﷺ ) Hudaibiyah Se Wapas Aa Rahe The To Aap (ﷺ ) Ne Raat Ke Aakhri Hisse Me Ek Jagah Padav Dala Aur Farmaya Ke Hamara Pehra Kaun Dega ? Ek Sahabi Rd. Ne Kaha Mai Pehra Dunga. Huzur (ﷺ ) Ne Farmaya, Tum ? Tum To Sote Reh Jaaoge. Fir Huzur (ﷺ ) Ne Farmaya Achchha Tum Hi Pehra Do. Wo Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Talha Bin Ubaidullah Rd.
2. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
3. Hazrat Abdullah Bin Masood Rd.
4. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
Hayatus Sahaba
SAWAL # 423
Toshadaan Ka Waqiah Kis Sahabi Ke Sath Pesh Aaya ?
(Waqiah Ye Hai)Ek Safar Me Huzur صلى الله عليه وسلم Ne Ek Sahabi Se Toshadan (Khane Ka Saman Rakhne Ka Bartan Ya Thela) Mangwaya To Usme Kuchh Hi Khajure Thi,
Aap صلى الله عليه وسلم Ne Un Par Haath Fer Kar Barkat Ki Duaa Ki Aur 10-10 Karke Saarey Lashkar Ne Pet Bhar Kar Khaya Fir Bhi Khajure Bachi,Aap صلى الله عليه وسلم Ne Wo Toshadan Ek Sahabi Ko De Diya Aur Farmaya Ke Jab Bhi Tum Khajure Nikalna Chaho To Usme Hath Dal Kar Nikal Lena, Usey Ulatna Nahi,
Wo Sahabi Rd. Ne Aap صلى الله عليه وسلم Ki Zindagi Me, Fir Hz. Abu Bakr Rd. Ki Zindagi Me, Fir Hz. Umar Rd. Ki Saari Zindagi Me, Fir Hz. Usman Rd. Ki Saari Zindagi Me Us Toshadan Me Se Khate Rahe, Khud Farmate Hai Ke Unhone 1050 Man Se Bhi Ziyada Khajure Khayi, Jab Hz. Usman Rd. Shaheed Huwe To Unka Wo Toshadan Bhi Loot Gaya.
1. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.
2. Hazrat Abu Moosa Ashari R.D.
3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
4. Hazrat Abu Hurairah R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Abu Hurairah R.D.
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 424
Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas Rd. Ne Ek Martaba Huzur (ﷺ ) Se Darkhwast Ki Ke Mere Liye Is Baat Ki Dua Kar De Ke Allah Mujhe Mustajab Ud Dawaat ( Jo Dua Kare Wo Qubul Ho Jaaye ) Bana De, Us Waqt Huzur (ﷺ ) Ne Mustajab Ud Dawaat Banne Ke Liye Kaun Si Baat Farmayi ?
1. Apni Rozi Ko Pakiza Bana Lo
2. Amanat Ki Hifazat Kiya Karo
3. Apne Akhlaq Durust Kar Lo
4. Apni Zuban Ko Qabu Me Rakho
Sahih Jawab # 1. Apni Rozi Ko Pakiza Bana Lo.
Tabrani
SAWAL # 425
Huzur (ﷺ ) Ka Irshad Hai Ke:
7 Aadmi Ko Allah Rabbul Izzat Qayamat Ke Din Apne Sa’aye Me Rakhenge Jis Din Allah Ke Siwa Kahi Saaya Na Hoga.1. Aadil Badshah
2. Wo Nav Jawan Jo Allah Ki Ibadat Me Nashv Wa Numaa Paata Hai.
3. Wo Do Shaksh Jinme Sirf Allah Ki Vajah Se Muhabbat Ho.
4. Jisko Koi Hasab Nasab Wali Khubsurat Aurat Apni Taraf Mutavajjah Kare Aur Wo Keh De Ke Mai Allah Se Darta Hoo.
5. Jo Itna Chhupa Kar Sadka Kare Ke Baaye Haath Ko Bhi Khabar Na Ho Ke Daahine Haath Ne Kya Kharch Kiya.
6. Wo Shaksh Jo Tanhai Me Allah Ko Yaad Karke Ro Pade.
Ab Batlaiye K In 7 Me Se Baqi Kon Hai ?
1. Wo Shaksh Jo Gusse Ke Waqt Apne Aap Par Qaabu Rakhe.
2. Wo Ameer Jo Takabbur Na Karta Ho.
3. Wo Shaksh Jiska Dil Masjid Me Atka Huwa Ho.
4. Wo Shaksh Jo Yatimon Or Bewaaon K Sath Kher Khawahi Karne Wala Ho.
Sahih Jawab No: 3. Wo Shaksh Jis Ka Dil Masjid Me Atka Huwa Ho.
Bukhari Sharif
SAWAL # 426
Hazrat Ibne Umar Rd. Se Naqal Kiya Gaya Hai Ke Qayamat Me Us Shakhs Ki Peshani Par Kafir Ka Lafz Likha Hua Hoga. Wo Kaun Shaksh Hoga ?
1. Jo Tandurast Aur Paisewala Hone Ke Bawajud Hajj Kiye Bagair Mar Jaaye
2. Jo Tandurast Hone Ke Bawajud Ramzan Ke Roze Na Rakhe.
3. Jo Bawajud Taqat Ke Paancho Waqt Ki Namaz Ada Na Kare.
4. Jo Maaldar Hone Ke Bawajud Zakat Ada Na Kare.
Sahih Jawab # 1. Jo Tandurast Aur Paisa Wala Hone K Ba Wajud Hajj Kiye Bager Mar Jae.
Fazail E Hajj
SAWAL # 427
Quran E Karim Ki Soorah Me Chor K Liye Hath Kaatne Ki Saza Ka Hukm Diya Gaya Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Nisaa
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 4. Soorah E Maaidah
SAWAL # 428
Quran E Karim Ki Kis Soorah Ko Rub’E Quran ( Chothai Quran ) K Barabar Kaha Gaya ?
1. Soorah E Kahaf
2. Soorah E Tabarak
3. Soorah E Kafiroon
4. Soorah E Ikhlas
Sahih Jawab # 3. Soorah E Kafiroon
Maarif Ul Quran
SAWAL # 429
Ek Sahabi Rd. Ne Huzur صلى الله عليه وسلم Se Umrah Ki Ijazat Maagi, Aap صلى الله عليه وسل Ne Ijazat Di, Aur Farmaya : Ay Mere Chhote Bhai, Apni Duaao Me Hame Na Bhulna.
Wo Sahabi Rd. Farmate Hai K Huzur صلى الله عليه وسلم Ne Yeh Jo Mujhe ‘apna Bhai’ Farmaya, Yeh Aisa Kalima Hai Ke Agar Iske Badle Me Mujhe Saari Duniya Bhi Mil Jaye To Mujhe Hargiz Khushi Na Ho.
Wo Sahabi Rd. Kaun The ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.
3. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.
4. Hazrat Abdul Rahman Ibne Auf R.D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 430
Ek Sahabiyah K Bete Ka Inteqal Ho Gaya. Wo Betaab Ho Kar Kehne Lagi K Mere Bete Ko Thande Pani Se Gusal Mat Dena Kahi Wo Mar Na Jaae.
Un K Bhai Ne Ye Bat Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Batayi To Aap Ne Farmaya Use Kya Huwa Or Aap Me Us Khatoon K Liye Umr Darazi Ki Dua Di To Un Ki Umr Daraz Hui.
Wo Khatoon Kon Thi ?
 Aaj Koi Options Nahi. Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab Batae.
Sahih Jawab : Hazrat Umme Qais Binte Mihsan R.D.
Jin Ka Asal Naam Aaminah Binte Mihsan Hai.
Ithaf Ut Talaba
SAWAL # 431
Haji Ki Duaa Kab Tak Qubul Hoti Hai ?
1. 10 Muharram Tak
2. 12 Rabi Ul Awwal Tak
3. 20 Rabi Ul Awwal Tak
4. Haji K Ghar Lotne K Bad 40 Din Tak
Sahih Jawab # 3. & 4.
Ek Rivayat Me Hai K Haji Ki Dua 20 Rabi Ul Awwal Tak Qubul Hoti Hai. Is Etebar Se # 3 Jawab Hoga.
Fazail E Hajj.
Ek Rivayat Me Hai K Haji Ki Dua Makkah Muazzamah Me Dakhil Hone Se Ghar Vapsi Tak Qubul Hoti Hai. Or Qubuliyat K Mazid 40 Deen Ata Hote Hai. Is Etebar Se # 4 Jawab Hoga.
Kitab Ul Masail Jild / 3
Hazrat Umar R.D. Ki Rivayat Me Hai K Haji Ki Dua Zilhajj K Ayyam Or Muharram Va Safar Or Rabiul Awwal K 10 Deen Tak Qubul Hoti Hai.
Musannaf Ibne Abi Shaibah
SAWAL # 432
Makkhi Ka Zikr Quran E Paak Ki Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E An’aam
3. Soorah E Nahal
4. Soorah E Hajj
Sahih Jawab # 4. Soorah E Hajj.
SAWAL # 433
Quran E Paak Ki Kis Soorah K Nuzul K Bad Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Tasbih Or Istigfar Ki Kasrat Karne Lage The?
1. Soorah E Nasr
2. Soorah E Muhammad
3. Soorah E Jumah
4. Soorah Aa’La
Sahih Jawab # 1. Soorah E Nasr
Maarif Ul Quran
SAWAL # 434
Kis Soorah Ko Nisa E Sugra Bhi Kaha Gaya?
1. Soorah E Nisa
2. Soorah E Maryam
3. Soorah Sabaa
4. Soorah E Talaq
Sahih Jawab # 4. Soorah E Talaq
Maarif Ul Quran
SAWAL # 435
Machhar Ka Zikr Quran E Pak Ki Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E An’aam
3. Soorah E Ankabut
4. Soorah E Jasiyah
Sahih Jawab # 1. Soorah E Baqarah
SAWAL # 436
Ek Martaba Kuchh Sahaba Rd. Madinah Munawwara Se Ek Shahar Jaane Ke Irade Se Nikle To Hz. Umar Bin Khattab Rd. Bhi Haraa Maqam Tak Unke Saath Chale, Aur Farmaya Ke : Aap Logon Ko Ek Khaas Baat Kehna Chahta Tha Aur Wo Ye Hai Ke ‘Tum Log Aise Ilaqe Me Ja Rahe Ho Ke Wahan Ke Log Shahad Ki Makkhi Jaisi Dhimi Awaz Se Quran Padhte Hai.
Options Me Se Us Shahar Ka Naam Bataye.
1. Yaman
2. Shaam
3. Habsha
4. Iraq
Sahih Jawab # 4. Iraq
Hayatus Sahaba
SAWAL # 437
Ek Sahabi Ne Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Se Ye Shikayat Ki Ke : Quran Mere Haath Se Nikal Jata Hai, Yaad Nahi Rehta Aur Usey Padhna Bhi Dushwar Hai.
Huzur S.A.W. Ne Farmaya : Aise Kaam Ki Zimmedari Mat Uthao, Jo Tumhare Bas Me Nahi, Aur Tum ………………….. Zayadah Karo.
1. Roze Zayadah Rakho.
2. Sadqah Zayadah Karo.
3. Sajde Zayadah Karo.
4. Allah Ka Zikr Zayadah Karo.
Sahih Jawab # 3. Sajde Zayadah Karo. ( Yaani Nafal Namaz Ki Kasrat Rakho)
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 438
Ek Aadmi Ghaney Jangal Me Ja Raha Ho, Aur Unt (Camel) Par Uska Khana-Pina Rakha Ho, Wo Unt Gum Ho Jaye (Kho Jaaye) Wo Us Ko Talash Kar Ke Thak Jae Aur Aakhir Wo Maut Ka Intezaar Karne Lage.
Jab Dam Nikalne Ke Qareeb Ho To Achanak Wo Unt Nazar Aa Jae Us Waqt Unt Ko Dekh Kar Jis Qadar Khusi Aur Masarrat Us Musafir Ko Ho, Us Se Bhi Zayadah Khusi Allah Taa’La Ko ________ Bando Se Musarrat Hoti Hai1. Bewaaon Or Yatimon Ki Ham Dardi Karne Wale
2. Taubah Karne Wale
3. Apne Purane Deen Ko Chhod Kar Deen E Islam Qubul Karne Wale
4. Rat Ki Tanhai Me Allah K Huzur Gid Gidane Wale
Sahih Jawab # 2. Taubah Karne Wale
Mishkat Sharif
SAWAL # 439
“Zahravain” Kin 2 Soorah Ko Kaha Jata Hai ?
1. Soorah E Taha & Soorah E Yaasin
2. Soorah E Bakrah & Aale Imran
3. Soorah E Alif Lam Sajdah & Soorah Ha Mim Sajdah
4. Soorah E Aa’Raf & Soorah E Anfal
Sahih Jawab # 2. Soorah E Baqarah & Soorah E Aal E Imran
Al Itqan
SAWAL # 440
Ek Martaba Ek Sahabi Rd. Huzur ﷺ Ke Paas Bethe Huwe Baaten Kar Ke Logon Ko Hasaa Rahe The, Itne Me Huzur ﷺ Ne Unke Pehlu Me Ungli Maari, Un Sahabi Ne Kaha, Aap Ke Maarne Se Mujhe Dard Ho Gaya Hai, Huzur ﷺ Ne Farmaya, Badla Le Lo.
Unhone Kaha, Aap Ne To Kamiz Pehni Huwi Hai, Aur Mere Jism Par Koi Kamiz Nahi Thi, Huzur ﷺ Ne Apni Kamiz Upar Utha Li.
( Ye Sahabi Badla Lene Ke Bajaye) Huzur ﷺ Ko Chimat Gaye Aur Aap Ke Pehlu Ke Bose Lene Shuru Kar Diye Aur Fir Kaha, Ay Allah Ke Rasul ﷺ Mere Maa Baap Aap Par Qurban Ho, Mera Maqsad To Ye Tha.
(Badla Lene Ka Tazkerah Meine Waise Hi Kiya Tha, Maqsad To Aap ﷺ Ka Bosaa Lena Tha)
Wo Sahabi Rd. Kaun The ?
Sahih Jawab: Hazrat Usaid Bin Huzair R.D.
Hayat Us Sahaba
SAWAL # 441
Quran E Karim Ki Wo Soorah Kaun Si Hai Jis Ko Allah Ta’ala Ne Apne Aur Apne Bando Ke Darmiyan Nisf Nisf (Aadha Aadha) Taqsim Kar Diya Hai ?
1. Soorah E Maoon
2. Soorah E Kafiroon
3. Soorah E Fatiha
4. Soorah E Ikhlas
Sahih Jawab # 3. Soorah E Fatiha
Muslim Sharif
SAWAL # 442
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Jo Meri Masjid Me 40 Namaz Is Tarah Padhe K 1 Namaz Bhi Faut Na Ho To Use 3 Parwane Nasib Hote Hai.
(1) Jahannam Se Aazadi Ka
(2) Azab Se Hifazat Ka
(3) …………………………… ?
1. Qabar K Fitno Se Hifazat Ka
2. Maidan E Mahshar Ki Ruswai Se Hifazat Ka
3. Buri Maut Se Hifazat Ka
4. Nifaq Se Hifazat Ka
Sahih Jawab # 4. Nifaq Se Hifazat Ka
Musnad E Ahmed
SAWAL # 443
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Safar E Hijrat K Mauqah Par Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D. Se Farmaya K
Gam Na Karo. Allah Hamare Sath Hai
Ye Jumla Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Muhammad
3. Soorah E Kahaf
4. Soorah E Taubah
Sahih Jawab # 4. Soorah E Taubah
SAWAL # 444
Hajjatul Vida’a K Mauqah Par Kis Maqam Me Pahonch Kar Hazrat Aaysha R.D. Ko Haiz Ka Khun Aa Gaya Tha ?
1. Tan’Eem
2. Sareef
3. Zul Hulaifa
4. Usfaan
Sahih Jawab # 2. Sareef
SAWAL # 445
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Jis Sutoon K Pass Etekaf Farmaya Karte The Us Sutoon Ka Naam Kya Hai ?
1. Ustuwanh E Sarir
2. Ustuwanh E Hirs
3. Ustuwanh E Aaysha
4. Ustuwanh E Jibrail
Sahih Jawab # 1. Ustuwanh E Sarir
Anwar E Manasik.
Baz Rivayat Se Ustuwanh E Taubah Ka Pata Chalta Hai. Jis Ko Ustuwanh E Abu Lubabah Bhi Kehte Hai.
Magar Dar Haqiqat Ye Dono Sutun Bahot Qarib Hai. Is Liye Dono Murad Le Ya Dono Sutun Se Ek Hi Murad Le To Koi Sawal Nahi Hoga.
Is Bat Ko Is Naqshe Se Bhi Samjh Sakte Hai.
SAWAL # 446
Mina Me Jo Masjid Hai Us Ka Naam Kya Hai?
1. Masjid E Namirah
2. Masjid E Ma’Shar
3. Masjid E Fatah
4. Masjid E Khaif
Sahih Jawab # 4. Masjid E Khaif
Anwar E Manasik
SAWAL # 447
Ek Hadis Hai K Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K 3 Chize Aisi Hai K Jis Me Kisi Ko Gunjaish Nahi.
(1) Ma Bap Par Ahsan Karna Chahe Musalman Ho Ya Kafir
(2) Ahad Ko Pura Karna Chahe Musalman Se Ho Ya Kafir Se
(3) ………………………………………….. ?
1. Qarz Ko Ada Karna Chahe Musalman Se Liya Ho Ya Kafir Se
2. Padosi K Sath Husne Suluk Karna Chahe Padosi Musalman Ho Ya Kafir
3. Amanat Ko Ada Karna Chahe Amanat Musalman Ki Ho Ya Kafir Ki
4. Achhe Akhlaq Se Pesh Aana Chahe Samne Musalman Ho Ya Kafir
Sahih Jawab # 3. Amanat Ko Ada Karna Chahe Amanat Musalman Ki Ho Ya Kafir Ki
Fazail E Sadaqat
SAWAL # 448
Wo Kons Din Hai Jis K Bare Me Hadis Sharif Me Farmaya Gaya K Us Din Jis Ne Apni Aankh Ki Kaan Ki Or Zuban Ki Hifazat Ki To Us Ki Magfirat Kar Di Jaegi.
1. Arfah Ka Din
2. Aashurah Ka Din
3. Jumah Ka Din
4. Dono Eid K Din
Sahih Jawab # 1. Arfah Ka Din
Kanz Ul Ummal
SAWAL # 449
Wo Konsa Gunah Hai Jis Par Allah Or Rasul Se Jang Ka Elan Batlaya Gaya Hai.
1. Awliyah Allah Se Adawat Rakhna
2. Sood Khana
3. Shirk Karna
4. Kisi Ko Nahaq Qatl Karna
Sahihjawab # 2. Sood Khana.
 Kuch Logon K Jawab # 1. Aae Hai Yaani Awliyah Allah Se Adawat Rakhna. Ye Galat Fahmi Hui. Awliyah Allah Se Adawat Me Sirf Allah Se Jang Ka Elan Hai Rasool Se Nahi. Jab K Sood Me Allah Or Rasool Dono Se Jang Ka Elan Hai.
SAWAL # 450
Jab Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Ba’Sat Hui Or Aap Ne Kuffar E Makkah Ko Dawat Dena Shuru Kiya To Unho Ne Apne 2 Sathiyo Ko Madinah Munawwarah Ulama E Yahood K Pass Bheja. Ulama E Yahood Ne 3 Sawal Diye K Agar Wo ( Yani Aap Sallallahu Alayhi Wasallam) In K Sahih Jawab De To Maan Lo K Wo Nabi Hai.
(1) Wo Chand Naujawan Jo Zaalim Badshah K Khauf Se Chhupe The Un Ka Qissa Kya Hai ?
(2) Wo Konsa Badshah Hai Jis Ne Duniya K Mashriq Wa Magrib Ka Safar Kiya?
(3) Rooh Ki Haqiqat Kya Hai ?
Ab Batlaiye K Kuffar E Makkah Ne Kin Ko Bheja ?
Sahih Jawab :
(1) Nazr Bin Haris
(2) Uqba Bin Abi Mueet
Maarif Ul Quran
SAWAL # 451
Ek Sahabi Ne Arz Kiya K Ay Allah K Rasul ( Sallallahu Alayhi Wasallam ) Meri Validah Ka Inteqal Ho Gaya Hai To Un K Liye Konsa Sadqah Afzal Hai. Aap Ne Farmaya Kunwa Khudwa Do. To Unho Ne Kunwa Khudwa Diya.
Ye Sahabi Kon The.
1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
2. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.
3. Hazrat Usman Gani R.D.
4. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.
Fazail E Sadaqat
SAWAL # 452
Wo Konse Sahabi Hai Jinho Ne Hajar E Aswad Ko Bosa Dete Waqt Kaha Tha Me Janta Hoo K Tu Ek Patthar Hai Jo Na Nafa Pahoncha Sakta Hai Or Na Nuqsan. Agar Me Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Bosa Dete Hue Na Dekhta To Tujhe Hath Na Lagata.
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Umar Faruq R.D.
3. Hazrat Usman Gani R.D.
4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Umar Faruq R.D.
Fazail E Hajj
SAWAL # 453
Muzdalifah Me Jo Masjid Hai Us Ka Naam Kya Hai?
1. Masjid E Namirah
2. Masjid E Mash’ar
3. Masjid E Fatah
4. Masjid E Shajar
Sahih Jawab # 2. Masjid E Mash’ar
Anware Manasik
SAWAL # 454
Kis Raat Ko Shab E Qadr Se Bhi Afzal Batlaya Gaya Hai?
1. 1 Muharram Ki Raat
2. 1 Zil Hajj Ki Raat
3. 8 Zil Hajj Guzar Kar 9 Ki Raat Yaani Arfah Ki Raat
4. 9 Zil Hajj Guzar Kar 10 Ki Raat Jo Muzdalifah Me Guzari Jati Hai.
Sahih Jawab # 4. 9 Zil Hajj Guzar Kar 10 Ki Raat Jo Muzdalifah Me Guzari Jati Hai.
Kitab Ul Masail
SAWAL # 455
Hazrat Aadam Alayhis Salam K 2Beton Ka Qissa Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai.?
1. Soorah E Anbiya
2. Soorah E Maaidah
3. Soorah E Aa’Raf
4. Soorah E Aal E Imran
Sahih Jawab # 2. Soorah E Maaidah
SAWAL # 456
Witr Ki Namaz Me Masnoon Qiraat Konsi Hai ?
1. Soorah E Takasur – Soorah E Asr – Soorah E Kafiroon
2. Soorah E Qadr – Soorah E Nasr – Soorah E Lahab
3. Soorah E Zilzal – Soorah E Kawsar – Soorah E Ikhlas
4. Soorah E Aala – Soorah E Kafiroon – Soorah E Ikhlas
Sahih Jawab : 1. 2. 3. 4.
Upar Wali Chaaon Shakle Witr Ki Namaz Me Masnoon Hai. Hamari Galat Fahmi Ye Hai K Sirf 1 Hi Shakal Masnoon Hai # 4.
Fatawa Rahimiyah
SAWAL # 457
Sharab K Haram Hone Or Napak Hone Ka Hukm Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E An’aam
3. Soorah E A’araaf
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 4. Soorah E Maaidah
SAWAL # 458
Wuzu Ka Tariqa Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Nisaa
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 4. Soorah E Maaidah
SAWAL # 459
Miraas ( Vaarsa ) Me Milne Wale Vaarison K Sharee Hisse Ko Kis Soorah Me Zikr Kiye Gaya Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Nisaa
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 3. Soorah E Nisaa
SAWAL # 460
Wo Konse Sahabi Hai K Un Ki Un K Valid Ki Un K Dada Ki Or Par Dada Ki ( In Chaaro Ki ) Umar 120 Saal Hui Hai ?
Sahih Jawab : Hazrat Hassan Bin Saabit R.D.
Ithaf Ut Talaba
SAWAL # 461
Kis Gunah K Mutalliq Quran E Karim Me Ye Farmaya Gaya K Wo Qayamat K Din Aise Uthenge Jaise Shaitan Ne Unhe Pakad Kar Bawlaa Bana Diya Ho ?
1. Gibat Karne Wale
2. Sood Khane Wale
3. Shirk Karne Wale
4. Kisi Ki Aabru Rezi Karne Wale
Sahih Jawab # 2. Sood Khane Wale
SAWAL # 462
Gibat Ko Murdaar Bhai K Gosht Khane K Barabar Kis Soorah Me Kaha Gaya?
1. Soorah E Ahqaaf
2. Soorah E Dukhan
3. Soorah E Hujraat
4. Soorah E Jasiyah
Sahih Jawab # 3. Soorah E Hujraat
SAWAL # 463
Bayat E Rizwan Jis Darakht K Saaye Me Hui Thi Us Darakht Ko Jab Logon Ne Waha Tabarruk Samajh Kar Jaana Shuru Kiya To Ek Sahabi Ne Katwa Diya Tha Wo Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D
2. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
4. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.
Fazail E Hajj
SAWAL # 464
Zaqqum Jo Ek Jahannam Ka Darakht Hai Us Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Jasiyah
2. Soorah E Ahqaaf
3. Soorah E Zumar
4. Soorah E Dukhan
Sahih Jawab :
Zaqqum Ka Zikr Quraan Me Mukhtalif Maqaam Par Hai.
Soorah E Dukhan Aayat # 43
Soorah E Saffat Aayat # 62
Soorah E Waqiah Aayat # 52
SAWAL # 465
Quran E Hakim Ki Kis Soorah Me Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam K Samne Apni Awaz Buland Karne Se Manaa Karne Ka Hukm Hai ?
1. Soorah E Muhammad
2. Soorah E Fatah
3. Soorah E Hujraat
4. Soorah E Ahqaaf
Sahih Jawab # 3. Soorah E Hujraat
SAWAL # 466
Ger Shadi Shudaa Zaani Or Zaaniyah Ki Sazaa 100 Kode Hai
Ye Hukm Quran E Pak Ki Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Nisaa
2. Soorah E Maaidah
3. Soorah E Noor
4. Soorah E Mu’Minoom
Sahih Jawab # 3. Soorah E Noor
SAWAL # 467
Wo Konse Sahabi Hai K Jo Ye Farmate Hai K Me Zamzam Pi Kar Mota Ho Gaya Tha Or Mujh Me Charbi Chad Gayi Thi?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.
2. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
3. Hazrat Abu Talha Ansari R.D.
4. Hazrat Abu Musa Ash’ari R.D.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
Musannaf Ibne Abi Shaibah
SAWAL # 468
Barrah – Maznoonah – Taybah
Ye Sab Kin Chizo K Naam Hai ?
1. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Bakriyon K
2. Ajwah Khajoor K
3. Zamzam K
4. Madinah Munawwarah K
Sahih Jawab # 3. Zamzam K
Seerat Ul Mustafa
SAWAL # 469
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Sahaba Jab Aapas Me Ek Dusre Se Milte To Konsi Soorah Sunaae Bager Juda Na Hote The?
1. Soorah E Fatiha
2. Soorah E Kafiroon
3. Soorah E Asr
4. Soorah E Ikhlas
Sahih Jawab # 3. Soorah E Asr
SAWAL # 470
Ek Sahabiyah Ne Maidan E Arfaat Me Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Dudh Ka Pyala Bheja Tha Ye Janne K Liye K Aap Ka Roza Hai Ya Nahi. Aap Ne Sab K Samne Piya Tha.
Wo Sahabiyah Kon Thi ?
Sahih Jawab : Hazrat Umme Fazl Lubabah Binte Haaris R.D.
Hazrat Abbas R.D. Ki Ahliyah Hai Is Etebar Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Chachi Hai. Or Hazrat Maimoonah R.D. Ki Bahan Hone Ki Wajah Se Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Nisbati Bahan ( Saali ) Hai.
SAWAL # 471
Hajjat Ul Vid’aa Me Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Hath Se Kitne Unt Zubah Farmaye The?
1. 40
2. 63
3. 70
4. 100
Sahih Jawab # : 2. 63 Unt.
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kul 100 Unt Zubah Kiye Magar Apne Mubarak Haathon Se 63 Unt Zubah Farmae Or Baqi 37 Aap Ki Janib Se Hazrat Ali R.D. Ne Zubah Kiye The.
Fazail E Hajj
SAWAL # 472
Yam E Arfah K Roze Ki Fazilat Kya Hai ?
1. 1 Maqbul Hajj Or 1 Maqbul Umrah Ka Sawab
2. 1 Saal Pichhle Gunahon Ki Muaafi
3. 1 Saal Shab Bedari Ka Sawab
4. 1 Saal Agle Or 1 Saal Pichhle Gunahon Ki Muaafi
Sahih Jawab No: 4. 1 Saal Agle Or 1 Saal Pichhle Gunahon Ki Muaafi
Ibne Majah
SAWAL # 473
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Par Durud Padhne Ka Hukm Kis Soorah Me Diya Gaya Hai ?
1. Soorah E Muhammad
2. Soorah E Anbiya
3. Soorah E Ahzab
4. Soorah E Taha
Sahih Jawab # 3. Soorah E Ahzaab
SAWAL # 474
Baytullah Sharif Ki Taamir Farishton Ne Hazrat Aadam A.S. Ki Takhliq Se Kitne Saal Pehle Ki Thi ?
1. 1000 Saal Pehle
2. 2000 Saal Pehle
3. 5000 Hazar Saal Pehle
4. 10000 Hazar Saal Pehle
Sahih Jawab # 2. 2000 Saal Pehle
Fazail E Hajj
SAWAL # 475
Jin Aurton Se Nikah Haram Hai Un Ka Bayan Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Nisaa
3. Soorah E Noor
4. Soorah E Talaq
Sahih Jawab # 2. Soorah E Nisaa
SAWAL # 476
Hazrat Ibrahim Alayhis Salam Ko Aag Me Daal Diye Jane Or Aag K Thanda Ho Jane Ka Waqeah Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai ?
1. Soorah E Ibrahim
2. Soorah E Hajj
3. Soorah E Anbiyah
4. Soorah E Aal E Imran
Sahih Jawab # 3. Soorah E Anbiyah
SAWAL # 477
Hazrat Ibrahim Alayhi Salam Ka Khawab Or Un K Farzand Hazrat Ismail Alayhi Salam Ki Qurbani Ka Waqeah Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Anbiyah
2. Soorah E Ibrahim
3. Soorah E Saffat
4. Soorah E Muhammad
Sahih Jawab # 3. Soorah E Saffat
SAWAL # 478
Jannat Me 4 Tarah Ki Nahar Hogi.
(1) Paani Ki
(2) Dudh Ki
(3) Sharab E Tahur Ki
(4) Shahad Ki
In Chaaron Nahar Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Waqeah
2. Soorah E Rahman
3. Soorah E Muhammad
4. Soorah E Qiyamah
Sahih Jawab # 3. Soorah E Muhammad
SAWAL # 479
Hazrat Sulaiman Alayhi Salam Ki Maut Ka Waqeah Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Namal
2. Soorah E Sabaa
3. Soorah E Anbiyah
4. Soorah E Shuaraa
Sahih Jawab # 2. Soorah E Sabaa
SAWAL # 480
Wo Kaun Sa Gunaah Hai Jis Ki Wajah Se Allah Ta’aala Itni Gehri Jahannam Me Dalega K (500) Baras Tak Barabar Girte Chale Jane Ke Bawajud Uski Teh Tak Na Pahonch Paaega.
Sahih Jawab : Rishwat Le Kar Nahaq Faisla Karne Wala.
Allah Se Sharam Kijiye
SAWAL # 481
Mushrikin E Makkah K Maabud Laat ,Uzzah Or Manaat Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Taubah
2. Soorah E Mu’min
3. Soorah E Ankabut
4. Soorah E Najm
Sahih Jawab # 4. Soorah E Najm
SAWAL # 482
Baytullah Sharif Ki Khususiyat ( Us Ka Awwal Ghar Hona, Ba Barkat Hona , Saare Aalam K Liye Hidayat Ka Markaz Hona , Aman Wala Hona Wagerah )
In Khususiyat Ko Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Ibrahim
4. Soorah E Hajj
Sahih Jawab # 2. Soorah E Aal E Imran
SAWAL # 483
Baytullah Sharif Ki Taamir K Waqt Hazrat Ibrahim Alayhi Salam Ne Jo Duaae Ki Thi Wo Kis Soorah Me Zikr Ki Gayi Hai ?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Ibrahim
3. Soorah E Hajj
4. Soorah E Aal E Imran
Sahih Jawab # 1. Soorah E Baqarah
SAWAL # 484
Safa Or Marwah Ka Zikr Kis Soorah Me Hai ?
1. Soorah E Hajj
2. Soorah E Ibrahim
3. Soorah E Maaidah
4. Soorah E Baqarah
Sahih Jawab # 4. Soorah E Baqarah
SAWAL # 485
Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Mazmoon Soorah E Maaidah Me Nahi Hai ?
1. Sharab K Haram Or Najees Hone Ka Hukm
2. Hazrat Aadam Alayhi Salam K 2 Bete Ka Qissa
3. Sood Par Allah Or Rasul Se Jang Ka Elan
4. Murdaar , Khoon , Khinzir Ka Gosht Wagerah K Haram Hone Ka Hukm
Sahih Jawab # 3. Sood Par Allah Or Rasul Se Jang Ka Elan
SAWAL # 486
Niche Diye Hue Options Me Se Hazrat Moosa Alayhi Salam Se Mutalliq Konsa Waqeah Soorah E Qasas Me Nahi Hai ?
1. Hazrat Moosa Alayhi Salam Ka Qibti Ko Mukka Marna Jis Ki Wajah Se Us Qibti Ka Mar Jana.
2. Bani Israil Ka Hazrat Moosa Alayhi Salam Se Mukhtalif Qism K Khane Talab Karna.
3. Hazrat Moosa Alayhi Salam Or Qaroon Ka Waqeah.
4. Hazrat Moosa Alayhi Salam Ko Un Ki Validah Ka Darya Me Dalna Or Firaun K Darbar Me Pahonchna.
Sahih Jawab # 2. Bani Israil Ka Hazrat Moosa Alayhi Salam Se Mukhtalif Qism K Khane Talab Karna.
Ye Waqeah Soorah E Baqarah Me Hai.
SAWAL # 487
Hazrat Ibrahim Alayhi Salam Ka Namrood Se Jo Munazarah Huwa Jis Me Hazrat Ibrahim Alayhi Salam Ne Ye Farmaya K Mera Rab Wo Hai Jo Suraj Ko Mashriq Se Nikalta Hai. Agar Tu Khuda Hai To Magrib Se Nikal Kar Bata De. Jis Par Wo Hakka Bakka Rah Gaya.
Ye Waqeah Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Ibrahim
4. Soorah E Anbiyah
Sahih Jawab # 1. Soorah E Baqarah
SAWAL # 488
Salat Ul Khauf ( Jo Makhsoos Andaz Se Padhi Jati Hai Jang K Waqt Khauf Ki Halat Me )
Us Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Nisaa
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 3. Soorah E Nisaa
Aayat # 102 Me Zikr Hai.
SAWAL # 489
Shahd Me Shifaa Hai.
Ye Baat Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Namal
2. Soorah E Nahal
3. Soorah E Hijr
4. Soorah E Ra’ad
Sahih Jawab # 2. Soorah E Nahal
Aayat No: 69
SAWAL # 490
Hazrat Umar R.D. Ne Apne Khilafat K Pehle Saal Kis Sahabi Ko Amir E Hajj Bana Kar Bheja Tha?
Sahih Jawab : Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
Fazail E Hajj
SAWAL # 491
Mumin Mard Aur Mumin Aurat Ko Apni Nazr Jhuka Kar Rakhne Ka Hukm Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Nisaa
2. Soorah E Mu’Min
3. Soorah E Muminoon
4. Soorah E Noor
Sahih Jawab # 4. Soorah E Noor
SAWAL # 492
Soorah E Saffat Me Kis Nabi Ka Zikr Nahi Hai ?
1. Hazrat Ilyas A.S.
2. Hazrat Shuaib A.S.
3. Hazrat Loot A.S.
4. Hazrat Nooh A.S.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Shuaib A.S.
SAWAL # 493
Ay Iman Walo Tum Islam Me Poore Poore Dakhil Ho Jaao
يا ايها الذين امنوا أدخلوافي السلم كافة
Ye Aayat Kis K Mutalliq Nazil Hui ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Salaam R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Salaam R.D.
Jamalain
SAWAL # 494
Pehle Ye Hukm Aaya Tha K Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Se Guftagu Karne Se Pehle Sadqah De Diya Karo. Is Par 1 Hi Sahabi Ne Amal Kiya Tha Fir Wo Hukm Mansukh ( Cancel) Ho Gaya Tha.
Wo Sahabi Kon Hai ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Umar Faruq R.D.
3. Hazrat Usman Gani R.D.
4. Hazrat Ali R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Ali R.D.
Maarif Ul Quran
SAWAL # 495
Safar Ki Halat Me Namaz Me Qasr Karne Ka Hukm Kis Soorah Me Zikr Kiya Gaya Hai?
1. Soorah E Nisaa
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E An’aam
4. Soorah E Taubah
Sahih Jawab # 1. Soorah E Nisaa ( Aayat # 101 )
SAWAL # 496
Qurane Paak Me Ahle Quba Ki Tarif Ki Gayi K Wo Log Khub Paaki Pasand Karne Wale Hai.
Ye Mazmoon Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Bani Israil
2. Soorah E Taubah
3. Soorah E Anfaal
4. Soorah E An’aam
Sahih Jawab # 2. Soorah E Taubah
Maarif Ul Quran
SAWAL # 497
Nikah K Khutbe Me Aam Taur Par 3 Aayte Padhi Jati Hai. Wo 3 Aayte 3 Alag Alag Soorah Me Hai.
Ab Batlaiye K Niche Diye Hue Options Me Se Kis Soorah Me Nahi Hai?
1. Soorah E Nisaa
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Furqan
4. Soorah E Ahzaab
Sahih Jawab # 3. Soorah E Furqan
SAWAL # 498
Bani Israil Par Jo Allah K Azab Aae Tiddiyo Ka, Juon Ka, Mendakon Ka, Khun Ka Wagerah. Is Ka Zikr Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E A’araf
3. Soorah E Bani Israil
4. Soorah E Qasas
Sahih Jawab # 2. Soorah E A’araf
Aayat # 133
SAWAL # 499
Qatl Par Qisaas Ki Saza Ka Hukm Kis Soorah Me Hai?
1. Soorah E Baqarah
2. Soorah E Aal E Imran
3. Soorah E Nisaa
4. Soorah E Maaidah
Sahih Jawab # 1. Soorah E Baqarah
SAWAL # 500
Soorah E Fatiha K 5 Name Batlaiye..
Sahih Jawab : Mufassirin Ne Soorah E Fatiha K Mukhtalif Name Batlae Hai. Jin Me Se Chand Ye Hai.
(1) Soorah E Fatiha
(2) Soorahe Fatihatul Quran
(3) Soorah E Fatihatul Kitab
(4) Soorah Ummul Quran
(5) Soorah E Ummul Kitab
(6) Soorah E Asas Ul Quran
(7) Soorah Tul Hamd
(8) Soorah Tus Shukra
(9) Soorah Tud Duaa
(10) Soorah Tu Wafiyah
(11) Soorah Tul Kafiyah
(12) Soorah Tus Shafiyah
(13) Soorah Tus Salaat
(14) Soorah E Taalim Ul Mas’alah
(15) Soorah Tul Kanz
(16) Soorah E Noor
(17) Soorah E Hamd Ul Ulaa
(18) Soorah E Hamd Ul Quswa
(19) Soorah Tur Raqiyah
(20) Soorah Tur Ruqyah
(21) Soorah Tul Waqiyah
(22) Soorah Tul Munajaat
(23) Soorah Tus Sawal
(24) Soorah E Tafwiz
(25) Soorah E Sab Ul Masaani
(26) Soorah E Quran Al Azim
(27) Soorah Tus Shifa
(28) Soorah Tul Minnah
(29) Soorah Tut Talab
(30) Soorah Tus Saqalain
(31) Soorah Tul Munjiyah
(32) Soorah Tul Mukaffah
(33) Soorah Tul Majziyyah
( Mustafad Az : Tafseer Maalim Ul Irfan , Ibne Kasir , Bayzawi , Al Itqan Fi Uloomil Quran)
No comments:
Post a Comment