ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
✰══❖══✰═══❖══✰
鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰
*⊙_ N I K A A H _ ⊙*
╨─────────────────────
*┱✿ Ladka ho Ya Ladki Baalig hote hi Uski ShadiKar di Jaye_,*
┱ Hazrat Abu Saied aur ibne Abbaas Raziyallahu Anhum se rivayat hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jiske koi Aulaad ho to uska achchha naam rakhe aur use Adab sikhaye , Fir jab baalig ho jaye to uska Nikaah kar de ,
__Agar Aulaad baalig hui aur uska Nikaah na kiya Jiski vajah se usne koi gunaah kar liya to Baap hi per uska gunaah hoga _,"
* Mishkaat ul Masabih -2/271 Ba Hawala Bayhiqi_*
┱ Hazrat Umar Raziyallahu aur Hazrat Anas Raziyallahu Anhum se rivayat hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Toraat Sharif mai ye mazmoon likha hua hai k Jis Shakhs ki Beti Baarah (12) Saal ko pahunch gayi aur usne ( moqa munasib hote hue ) uska Nikaah na kiya , Fir usne koi gunaah kar liya to iska gunaah usi Shakhs per Yani uske Baap per hoga _,"
* Ravaah Bayhiqi fi Shobul imaan _,*
╨─────────────────────
*┱✿ Bachcho Ke Achchhe Naam Rakhne Ka Hukm_,*
┱ Bachcho ka achchha naam rakhna bhi Maa'n Baap ki zimmedari hai aur Bachcho ka ye Haq hai k unka achchha naam rakha Jaye , Ek Hadees mai irshad hai k qayamat ke roz tum Apne Naamo aur Apne Baapo ke naamo se pukare jaoge Lihaza tum Apne naam achchhe rakho _" ( Abu Daowd Sharif)
┱ Bura Naam Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko napasand tha ,Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam bure naam ko badal diya karte they _," ( Tirmizi )
┱ Maa'n Baap per laazim hai k Bachcho ke Naam ESE rakhe Jinse Allah ka Banda hona maloom hota ho ,islam Aur imaan ki sifaat zaahir hoti ho , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Nabiyo'n ke naam per rakho aur Allah ke nazdeek Sabse zyada Mehboob naam Abdullah aur AbdurRahman aur Sabse bura Naam Harb aur Murrah hai..," ( Mishkaat Sharif)
┱ Aksar Logo mai naye naye Naam rakhne ka rivaaj hai , Ab to Parveen aur Parvez ,Gazala ,Shaheen jese naamo ne bahut rivaaj paa liya ,
"_Halanki Parvez faaras ke us Badshah ka naam tha Jisne Hamare Nabi Sallallahu Alaihivasallam ka maktoob giraami chaak kar diya tha ,Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Tablig ke liye likha tha ,ESE Dushman ke naam per naam rakhna badi na-samjhi ki baat hai ,
┱ Shaheen Baaz ko kehte hai'n, Gazala Hiran ko kehte hai'n, Kya kya naam nikaale hai'n logo ne ? Achhche naam chhod kar jaanwaro ke naam Akhtyar kar liye ,
┱ Guzishta zamane mai Maa'n Baap islami naam rakhte they ,Abdullah ,AbdurRahman, Abdul Kareem vagera Jinse bandgi aur Khaaliq v Maalik se khaas talluq ka izhaar hota tha , Ladkiyo ke Ayesha ,Zenab ,Fatima ,Qulsum jese Naam hote they Jinse Aap Sallallahu Alaihivasallam Se Khaas muhabbat ka izhaar hota tha , Hazraate Ambiya Alaihissalam ke naamo per bhi naam rakhte they Jiska Nateeja ye tha k un Jaleelul qadr hastiyo'n ke naamo se aur Naamo ke zariye unke kaamo se zahan manoos rehta tha ,
┱ Baaz Aurte'n totka ,Tona karti hai'n aur Usi tarah Bachcho ke naam rakh deti hai'n , Bunda ,Ghaseeta ,Chhajju ,Ek fashion ye chala hai k Bachcho ke naam angrezi rakhe Jane lage , Baap ko Abba kehne ke bajaye Dady ,dead kaha Jane laga , Behooda bad deen Filmi staro ke naam per Bachcho ke naam rakhte hai'n ,
"_ A'amaal Saleha aur Buzurgo ki yaadgaar ,Deen v islam se muhabbat ko baqi rakhne ki zarurat nahi samajhte ,Be haya aur be sharam logo ke naamo ko zinda rakhne ki koshish karte hai'n ,inna lillaahi wa inna ilaihi raajioun _,"
╨─────────────────────
*┱✿ Muhabbat Ke Liye Nikaah se badh Kar KoiCheez nahi _,*
┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Muhabbat karne walo ke liye Nikaah se badh kar tumne koi cheez nahi dekhi _,"
* Mishkaat-268 Ba-Hawala ibne maaja ,*
*┱ Tashreeh _,* _ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k muhabbat ka jod lagane wali cheezo mai Nikaah ka jod Sabse zyada mazboot hai aur muhabbat ke badhane aur baqi rakhne mai Nikaah se badh kar koi cheez nahi , Kisi Khandaan ka Mard aur Kisi Khandan ki Aurat , Ek Arabi Doosra Ajmi , Jab Shara'i Nikaah ho jata hai to ek doosre per nisaar hota hai aur ulfat aur muhabbat WO rang lati hai k Umar bhar saath nahi chhot ta ,
┱ Nikaah ke alawa bhi Baaz mard v Aurat nafsaniyat ke liye Naamo nihad muhabbat kar lete hai'n magar ye muhabbat nahi hoti balki nafsani khwahish ka ek jod hota hai Jiska Naam muhabbat rakh diya jata hai ,Jab matlab nikal jata hai ya maqsad mai nakaami ho jati hai to fir ye kaha'n aur WO kaha'n ,Kesi muhabbat aur kesi ulfat ,
┱ Nikaah ke zariye Jo talluq paida hota hai Waqti nahi hota balki zindgi bhar nibhane ki niyat se ijaabo qubool hota hai ,Nikaah se Mard Aurat ki haisiyat badh jati hai , Mard Aurat dono zindgi bhar ke liye ek doosre ke hamdard aur Dukh Sukh v Araam takleef ke Shareek ho jate hai'n , Fir mazeed Shohar Bivi ke khandano ka jod , Samdhi Samdhi mai muhabbat , Damaad Saale , Saad Damaad ka talluq , Ye Muhabbate aur Khidmate ek Shara'i Nikaah hi ki vajah se ho sakte hai'n ,
╨─────────────────────
*┱✿ WO Nikaah Sabse Zyada Ba-Barkat haiJisme Kharch Kam se Kam ho _,*
┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k bila shubha barkat ke aitbaar se Sabse bada Nikaah WO hai Jisme Kam se Kam akhrajaat hue ho _,"
* Mishkaat ul Musabeh - 268 ,Ba-Hawala ShobulImaan v Bayhiqi,*
*┱ Tashreeh_* _ is Hadees se maloom hua k Nikaah aur Shaadi mai kam se kam kharch karna chahiye ,Nikaah mai jis qadar kharch kam honge WO Nikaah usi qadar barkato wala hoga , aur Ye Nikaah Duniya v Aakhirat ki Bhalaai ka zariya hoga ,
┱ Hamare Pyare Nabi Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Shadiya'n bhi ki aur Apni Betiyo'n ki bhi ki ,Ye Shadiya'n nihayat Saadgi ke saath anjaam pa gayi ,Huzoor Sallallahu ki Sabse zyada chaheti Bivi Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha thi Jo Siddiqe Akbar Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Beti thi unse Nikaah to Makka Mukarrama hi mai ho gaya tha ,Fir hijrat ke baad Madina munawwara mai rukhsati hui ,
┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Pados ke ek ghar mai jhoola jhool rahi thi , Unki Walida ne Awaaz de kar bulaya aur Kuchh Aurto'n se unhone Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka singaar karwa diya aur ek Kamre mai chhod kar chali gayi , Na Dulhan Paalki mai bethi na Dulha ghode per chadha ,na aur kisi tarah ke akhrajaat hue ,Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Chaar Sahebzadiya'n thi , Hazrat Zenab ,Hazrat Umme Kulsoom ,Hazrat Ruqaiya ,Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma ,Aapne in chaaro ki Shadiya'n ki aur nihayat Saadgi ke saath sabke Nikaah aur Rukhsatiya'n ho gayi ,
╨─────────────────────
*┱✿ Khatoone Jannat Hazrat Fatima RaziyallahuAnha ki Rukhsati _,*
┱ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki Sabse zyada laadli Beti thi , Unka martaba bahut bada hai ,Sarkare Do Jaha'n Sallallahu Alaihivasallam ne Aapko Jannat ki Aurto'n ki sardaar bataya , Sabko maloom hai k unka Nikaah Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saath hua ,
┱ Jis waqt Shadi hui Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke paas koi makaan bhi na tha , Ek Sahabi Raziyallahu Anhu se makaan le kar rukhsati di gayi aur rukhsati kis shaan se hui , Hazrat Umme Ayman Raziyallahu Anha ke saath Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke paas bhej di gayi , Dulha khud lene nahi aaya tha aur Dulhan kisi sawari mai bhi nahi bethi ,
┱ Ab Jahez ki baat bhi sun lo , Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Khatoone Jannat Fatima Raziyallahu Anha ke jahez mai ek Chaadar aur ek Takiya aur Do chakkiya'n aur Do Mashkize diye , Takiye ka gilaaf chamde ka tha Jisme Khajoor ki chhaal bhari hui thi , aur Baaz rivayaat mai ek Palang ,ek Piyala ,Chaandi ke do baazu band dene ka bhi Zikr milta hai _,
╨─────────────────────
*┱✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Biviyo'naur Betiyo'n Ka Mahar_*
┱ _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k mai'n nahi jaanta k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne 12-1/2 Auqiya se zyafa Apni Kisi Bivi ya Apni Kisi Beti ka mahar muqarrar kiya ho _"
* Mishkaat -*
┱_ Ek Auqiya 40 Dirham ka hota Hai , 12-1/2 Auqiya ke 500 Dirham hote hai'n , 500 Dirham ki chaandi 131 (Andazan 1572 graam) tola se Kuchh zyada hoti hai , Chaandi ki ye miqdaar ki qeemat Mojooda aitbaar se Sunaaro se maloom kar liya kare Kyunki Chaandi ki qeemat kam zyada hoti rehti Hai , ( Jo Aaj ki Chaandi ki qeemat Taqriban 41,000 Rs Kg ke hissab se Taqriban 65000 Rs.hoti Hai , Ye bhi Mengaa'i ke is daur mai itni qeemat ho gayi )
┱ _ Aaj Kal Laakho Rupiya Mahar muqarrar kiya jata hai, Majlise Nikaah mai to naam ho hi jata hai magar Zindagi bhar ada nahi kar pate aur Bivi ke qarzdaar ho kar marte hai'n ,
┱_ Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Shadiya'n ki aur Apni Betiyo'n ki Shadiya'n bhi Saada tareeqe per ki ,Dobo jaha'n ke sardaar they ,Agar chahte to dhoom dhaam se karte lekin Aapne Apne Amal mai saadgi akhtyar kar ke dikhayi aur mustaqil tareeqe per ye farma Diya k Nikaah mai Jis qadar Kharch kam honge usi qadar badi barkato Wala hoga ,
"__ Humne Shadiyo'n ko muaibat bana rakha Hai ,Gair muslimo ki dekha dekhi, Buri Buri rasme jaari kar rakhi hai'n aur ye rasme guroor aur Shohrat ke liye akhtyar ki jati Hai , Soodi qarz le kar Shadiyo'n ke liye Jahez diye jate hai'n , hazaaro Rupiya Dawat Naama ka Card per Kharch hote hai'n, Walimo mai Khoob riyakaari hoti Hai , Naam Sunnat ka aur Kaam dikhawe ka , inhi akhrajaat ki Vajah se baaz martaba Jawan ladkiya'n barso bethi rehti Hai ,
┱_ Hum log agar Ab bhi Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per chalne ka iraada kar le to Kisi tarah ki koi Rasm akhtyar na karni pade ,Saadgi ke saath ijaabo qubool ke zariye jod dena kaafi Hai , itne se kaam mai koi musibat aur bakheda nahi ,Jo pabandiya'n khud Apne sar lagayi hai unki Vajah se musibato mai giraftaar ho gaye , Mangni ki Rasm se Shadi ke din aur uske baad bhi khilana pilane ,aane Jane ki rasmo Tak laakho Rupiya Kharch karte hai'n aur Na jaane kitne na-jaa'iz kaam kiye jate hai'n , Astagfirullah,
╨─────────────────────
*┱✿ Gaana Bajana Haraam Hai_*
┱ _ Aurto'n ne Shadi Byaah ki Jo khud Sakhta rasmo ko shara'i fara'iz ka darja de rakha hai , Namaz nahi padhti Jo Sabse zyada farz cheez hai, Lekin Shaadi Byaah ki rasmo ko farz waajib se badh kar anjaam deti hai'n aur Jo na kare unko bure lafzo mai yaad karti hai'n ,
┱_ Shadiyo'n mai Gharo mai Aurto'n ka Gaana Bajana aur Hazaaro Rupiya gaane bajaane ,Band Baajo aur Behuda Naachne wali Randiyo ko nachwane Mai Kharch kiya jata hai, Aur Gaana Bajana na ho to use Feeka aur be maza samjha jata hai , Halanki Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Hai k - mujhe mere rab ne ye hukm Diya Hai k mai'n gaane bajaane ke samaan mita du aur buto aur saleeb ko aur Jahiliyat ki cheezo ko khatm kar du ,( Mishkaat ul masabih )
┱_ Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jin cheezo me mitane ko Apni ba'asat ke maqsad mai shamil farmaya,afsos Hai k islam ke muddai in cheezo se Apni Shadiyo'n ko saja kar fakhr mehsoos karte hai'n ,Ek Musibat aur bala ye Hai k Masjido mai Namaze hoti rehti hai'n aur tez awaaz mai gaane bajte rehte hai'n aur Saare mohalle walo ke liye bhi shor sharaba ek musibat ban jata hai , Ek mareez bhi aafiyat se araam nahi kar sakta ,
┱_ Ek Zamana Tha jab Musalman gairo se bhid jate they aur Masjido ke saamne baaja bajaane per jaan lene dene ko tiyaar ho jate they, Aaj Musalman Khud hi Masjid ke saamne baaja bajaata hai, aur Ayn Namaz ke waqt bhi gaane bajaane ko ayb nahi samajhta ,
╨─────────────────────
*┱✿ Baalig Ladki Ki ijazat Ke bager Nikaah nahi ho Sakta_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Aurat ka ek baar Nikaah ho chuka ho ( aur fir Shohar ki maut ta talaaq mil Jane ki Vajah se iddat guzaar kar doosri jagah Nikaah karna ho ) to uska Nikaah us waqt Tak na kiya Jaye jab Tak usse wazahat ke saath zubaan se ijazat na le li Jaye ,
_ aur Jis ( Baalig ) Ladki ka Pehle Nikaah nahi hua Hai uska Nikaah us waqt Tak na kiya Jaye jab Tak k usse ijazat na le li Jaye,
_ Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya- Ya Rasulullah uski ijazat kese hogi ,? ( Wo to Sharm ki Vajah se bol bhi nahi sakegi )
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- uski jaanib se yahi ijazat samjhi jayegi k jab usse ijazat li Jaye to khamosh reh Jaye ,"
* Mishkatul Masabih - 270 Ba hawala Bukhari v Muslim_*
┱_ Shari'at ne kese aitdaal se kaam liya hai ,Ek taraf to Baalig Ladki ko Apni zaat ka akhtyar de diya k jab Tak wo ijazat na de uska Nikaah nahi ho sakta , Doosri taraf uski Sharm ka lihaaz rakha aur wali ke ijazat lene per uski khamoshi Yani inkaar na karne ko ijazat shumaar kar liya , Agar wo inkaar kar de to wali uska Nikaah nahi kar sakta aur Jis Baalig Ladki ka Pehle Nikaah ho chuka Hai uske doosre Nikaah ke liye uski zubaani ijazat laazim qaraar di gayi Hai , Jiski Vajah ye Hai k uska Pehle Nikaah ho chuka Hai isliye uski Sharm toot chuki Hai ,aur uski khamoshi motbar nahi Hai ,Jab saaf lafzo mai ijazat de tab motbar hogi ,
╨─────────────────────
*┱✿ Na-Baalig Ka Nikaah _,*
┱ _ Baaz khandano aur ilaaqo mai ye mustaqil tareeqa bana rakha Hai k Na-Baaligi mai hi ladke Ladki ka Nikaah kar dena zaroori samajhte hai'n , Halanki Na-Baalig Ka Nikaah kar dena ek jaa'iz amr Hai koi Farz ya Waajib nahi Hai ,
┱_ Bahut martaba esa hota Hai k Na-Baaligi mai Nikaah kar dene ke baad Ladka aur Ladki Baalig ho kar munkir ho jate hai'n aur Shaadi ko pasand nahi karte , unka inkaar aur Walden ka usi jagah rukhsati ka israar musibat ban jata hai ,
┱_ Aaj Kal ki Aulaad Khud Pasandi ki Vajah se Walden chahe to baat pakki kar ke rakhe aur Aakhir faisla aur Nikaah Ladka aur Ladki ke Baalig hone per unki ijazat le kar kare , taki Koi pareshani ka saamna na karna pade ,
┱_ Baaz martaba bada ho kar Ladka shareer badmash ban jata hai , rukhsati kare to Ladki ki jaan musibat Mai fanse aur ladke se talaaq ko kahe to talaaq nahi deta , ye paeeshaniya pesh aati rehti hai'n , inse bachne ka yahi ilaaj Hai k Baalig hone per Nikaah kare , Albatta esa qanoon bhi Shari'at ke khilaf Hai k Na-Baalig ka Nikaah ho hi nahi sake ,
╨─────────────────────
*┱✿ Taqwa Ke baad Sabse Zyada Behtar CheezNek Aurat hai_*
┱ _ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Momin Bande ne taqwe ke baad esi bhalaai haasil nahi ki Jo uske Haq mai Nek Bivi se badh kar ho ,
"_"( Fir Nek Bivi ki tareef karte hue farmaya k ) Agar Shohar use Hukm kare ( Jo khilafe Shari'at na ho ) to uska kaha maane aur Shohar uski taraf dekhe to Shohar ko khush Kare aur agar Shohar Kisi kaam ke bare mai qasam khaa bethe k zaroor tum esa karogi ( aur wo kaam shar'an jaa'iz ho ) to uski qasam sachchi kar de aur agar kahi Chala Jaye aur ye uske pichhe Ghar mai reh Jaye to Apni jaan aur uske maal ke bare mai uski khair khwahi Kare _"
* Ibne Maaja _*
┱_ Is Hadees mai irshad Hai k Taqwe ki ni'amat badi ni'amat Hai agar Kisi ko ye ni'amat mayassar ho Jaye to wo Bahut mubarak Hai Kyunki asal Deendari Taqwa hi ka naam Hai , Taqwa Fara'iz v Waajibaat ke ada karte hue Haraam v mamnu'a kaamo se bachne ka naam Hai ,Is sifat ki Vajah se Banda Khuda ka mehboob ban jata hai ,
┱_ Aur Bahut si beshumar ni'amate hai'n jinka darja Taqwe se kam Hai magar Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Taqwe ke baad Sabse badi ni'amat Nek Bivi Hai , Fir Nek Bivi ki sifaate Bayan farmayi ,Shohar ki farmabardaar ho , Uski Khushi ko Apni Khushi samjhe ,Uski jaa'iz qasam ko poora Kare aur Shohar kahi Chala Jaye to Apni izzat aabru aur uske maal ki Ghar ki hifazat Kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Na- Jaa'iz Umoor Mai Shohar ki ita'at Jaa'iznahi _*
┱ _ Agar Koi ye sawal Kare k Baaz Mard Apni Bivi ko gair Mardo ke saamne le jate hai'n, balki unse musafe bhi karate hai'n ,Yaha Tak k gairo ke saath Apni Betiyo'n ko nachwate hai'n to unki Bivi agar Shohar ke pichhe ya aage gair Mard se koi talluq rakhe Jo Shohar ki Marzi ke mutabiq ho to ye Jaa'iz hona chahiye aur isme Shohar ki khayanat bhi nahi Kyunki wo khud chahta Hai k gairo se mile jule ,
┱_ Balki Bahut se Shohar Jo Apni Bivi ko modern dekhna chahte hai'n wo to is per khush hote hai'n k uske friends Bahut ho aur isko taraqqi ki alamat samajhte hai'n ,
┱_ Is Sawal ka jawab ye Hai k Hadees mai Musalman Mard v Aurat ka haal Bayan farmaya Hai , Koi Musalman Kabhi bhi be-gairat nahi ho sakta aur hargiz ye bardasht nahi kar sakta k uski Bivi per Kisi gair mard ki Nazar bhi pade ya haath lage aur na hi Musalman Aurat hi ye pasand kar sakti Hai k Shohar ke alawa Kisi ke saath nafs v Nazar Wala talluq rakhe ,
┱_ Jo log Apni Bivi ko Mahol maashre ke mutabiq Modern dekhna chahte hai'n aur use Dosto ka khilona banana pasand karte hai'n,Sarasar Yahood v Nasaara ke tarz per Zindagi guzaar rahe hai'n , Unme kitna imaan Hai, Unka Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se kitna talluq Hai ,Unhe Qur'an v Hadees se kitna shagaf Hai ? Iska pata chalayenge to ese log in sifaato se khaali niklenge , Ese Log Sahi Musalman to Kya hote theek tarah se insaan bhi nahi hai'n ,
"__ Hadees mai ese bad kirdaar be gairat ,bad nafs logo ka zikr nahi Hai balki Musalman ba izzat aur ba gairat Mard aur Aurat ka zikr ho Raha Hai ,Jo log Apni Bivi ke Haq mai be gairati bardasht karte hai'n aur unki asmat v uffat daagdaar dekhne mai khushi mehsoos karte hai'n unke bare mai irshade Nabvi Hai --
__ Teen Shakhso per Allah Ta'ala ne jannat Haraam farma di Hai
(1)- Jo Sharaab pita rehta ho ,(2) -Jo Maa'n Baap ko takleef deta hai, (3) - Jo Apne Ghar walo mai napaak kaam ( Zina aur uski taraf bulane wali cheeze maslan be pardgi ,gair mardo se Mel jol vagera ) ko bar qaraar rakhta Hai ,
* Ravaah Ahmad v Nasaa'i _*
┱_ Pehle waazeh kiya ja chuka Hai k Shohar ki farmabardaari muwafiq Shara'i kaamo Mai Hai , Khilafe Shari'at kaamo mai Kisi ki ita'at aur farmabardaari ki ijazat nahi Hai , Agar Shohar Be parda hone ke liye kahe tab bhi be parda hona Jaa'iz nahi Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ladkiyo'n Ke Liye Deendar Khush Khalq Shohar Ko Tarjeeh Do_Maaldaari Ko Nahi,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"_ K Jab koi esa Shakhs tumhare paas Nikaah ka paigaam bheje jiski Deendari Aur Akhlaq tumhe pasand ho to ( Jis ladki Ke tum wali ho ) us Shakhs se ( us Ladki ka ) Nikaah Kar do agar Tumne esa na kiya to Zameen per bada Fitna Aur ( Lamba ) Choda fasaad Hoga _,"
*📁 Mishkaat Sharif -267 Ba Hawala Tirmizi,*
┱ Nikaah Ke bare mai Qur'an e Hakeem Aur Ahadees e Sharifa mai Bahut se ahkaam v masa'il waarid hue Hai'n , is Hadees mai Joda kesa talash kiya Jaye iske mutalliq ek nasihat fatmayi gayi Hai ,Aur is nasihat ke Khilaf Karne per bade fitne fasaad ki khabar di Hai , k Deen Aur Akhlaq ko dekh Lena hi kaafi Hai ,
┱ Maal Daulat Aur Duniya ki badaai na dekho , Agar Ladke mai Deendari nahi to wo Ladki ko bhi Deen per chalne na dega, Be Namazi na Namaz padhega na Padhne dega , Haraam kamayega Aur Haraam khilayega ,Dono Miya Bivi Aakhirat Ke azaab mai mubtila honge , Agar Tumne Deendar ko ladki na de Kar Kothi ,bangle wale ko dekha ,Maal Daulat ko Tarjeeh di to Duniya Shayad Aisho Araam mai guzar Jaye magar Aakhirat barbaad Hogi , Kya koi Shakhs ye gawara Kar sakta Hai k Uski Ladki Aag mai Jale ? Fir Asnkho dekhe Apni Bachchi ko Aag mai Kyu daalte Hai'n ,
┱ Jab ye jaante Hai'n k Fala Ghar mai jaa Kar Bachchi Fara'iz chhod degi , Namaz roza chhod degi,Haraam Halaal ki fikr nahi rahegi ,Jiska Natija Azaabe Aakhirat Hai to Deendar ko chhod Kar Bechari Be zubaan ko faasiq v faajir bad Amal Aur be Deen me hawale Kyu Karte ho ?
┱ Baaz Log kehte hai k Aaj Kal Ladkiya'n Apna Joda Khud tajveez Kar leti Hai'n Aur Deendar ko pasand nahi karti , Mai'n ese Logo se puchhta hu k Ladki ko itni jurrat kese Hui k wo Apna Joda Khud talash Kare Aur Deendar se ghabraye ,Faasiq v faajir ko pasand Kare ,? Baat ye Hai k Aapne apne Ghar ka Mahol Khud hi kharaab kiya Hai , Bachcho ko Deen nahi sikhaya , School College ki Padhayi ko Deen per Tarjeeh di , School College mai Ladka Ladki ka Saath padhna , Novel ,Afsane padhna ,TV ,Filme Dekhna , Bager Mahram Ke Bahar ghoomna firna , Ye sab ese Umoor Hai'n Jo Ladkiyo'n ko be Sharm bana rahe Hai'n Aur Deen se door Kar rahe Hai'n Aur Deendaro se parhez Kar rahe Hai'n , Allah sahi Samjh ataa Kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Deendar Aurat Se Nikaah Karo - Maal v Husno Jamaal Na Dekho _*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat se Chaar Cheeze dekh Kar Nikaah kiya Jata hai-
1- Uske Maal ki vajah se,
2- Uski Haisiyat Ki vajah se ,
3- Uski Khoobsurti ki vajah se,
4- Uski Deendari ki vajah se,
Pas Ey mukhatib ! tu Deendar Aurat ko Apne Nikaah mai laa Kar Kaamyaab ho ja tera bhala ho _,"
*📁 Mishkaat Sharif -267 Ba Hawala Bukhari v Muslim_*
┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Poori Duniya nafa haasil Karne ki cheez Hai Aur Duniya ki cheezo mai Sabse behtar Cheez Jisse Nafa haasil kiya Jaye Nek Aurat Hai _,"
*📁 Mishkaat Sharif-261 Ba Hawala Muslim_*
┱ Jis Tarah Shohar Deendar Khush Akhlaq talash Karne ki Zarurat Hai usi Tarah ye Bhi zaroori Hai k Aurat Deendar talash ki jaye ,Uska Maal v Jamaal ,Martaba v Haisiyat na dekho Agar Aurat Deendar na Hogi to wo na Shohar Ke huqooq ada karegi na Aulaad love Deendar banayegi ,
┱ Bahut se log Khoobsurt Aurat per lattu ho Jate Hai'n,Uski Safed khaal to dekh lete Hai ,Lekin Kaala Dil Nazar nahi aata, Hai to Khoobsurt Lekin Roza na Namaz , Be Deen ,Be Parda , Bad Akhlaq , Shohar ki Daadhi use Pasand nahi , Uska Libaas Pasand nahi be,Fizool kharchi jiski Aadat Jo ho ,wo Raat Din Shohar Ke Liye ek Azaab ban Jati Hai,
╨─────────────────────
*┱✿ Doosri Mangni Per Mangni Na Kare_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k koi Shakhs Apne Bhai Ki Mangni per Mangni Na Kare ,Apne se pehle paigaam bhejne wala ya to us jagah Nikaah Kar le ya us Jagah Nikaah ki Baat cheet chhod de ( Agar Uski Baat Kat Jaye to Apna paigaam de sakte Hai'n )_,"
*📁 Mishkaatul Masabeh -271 Ba Hawala Bukhari v Muslim,*
┱ Islam ne ek doosre ko Jismani ya Roohani Takleef Dene ko Haraam qaraar Diya Hai Aur Musalmano Ke Jo Aapas Ke huqooq bataye Hai'n unme ye bhi irshad farmaya Hai , " _Musalman Musalman ki hamdardi Aur khir khwahi Kare Saamne bhi Aur Peeth Pichhe bhi _,"
┱ Iska taqaza ye Hai k jab Kisi jahah Kisi musalman Mard ya Aurat Ke Nikaah ka kahi paigaam Gaya ho to doosra musalman Uske haq mai us Jagah ko bigaad na de ,Agar kisi Aurat se Nikaah karne Ke Liye Mard ka paigaam pahuncha hua Hai Aur Baat chal rahi Hai to koi doosra Shakhs Mard ya Aurat esi tarkeeb na Kare k unka hota hua rishta Kat Jaye ,
╨─────────────────────
*┱✿ Kon Konse Rishte Haraam Hai'n ?*
┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k unhone Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k Ya Rasulallah ! Kya Aapko Apne chacha Hamza Raziyallahu Anhu ki Ladki se Nikaah karne ki ragbat Hai ? ( Ragbat ho to baat chalayi Jaye ) Kyunki quresh ki Aurto'n mai wo Sabse zyada Haseen Ladki Hai ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya -( Usse Mera Nikaah kese ho sakta Hai? Wo to mere Doodh Shareek Bhai ki Ladki Hai ) Kya tumhe maloom nahi Hai k Hamza mere Doodh Shareek Bhai Hai'n ,
Aur Allah Ta'ala ne nasab ki vajah se Jo Rishte Haraam qaraar diye Hai'n wo nasab ki vajah se bhi Haraam qaraar diye Hai'n ( Hamza Raziyallahu Anhu chahe chacha Hai'n Aur Chacha ki Ladki se durust Hai Lekin Chacha Ke Hote hue chunki wo Doodh Shareek Bhai bhi Hai'n,isliye unki Ladki se Nikaah nahi ho sakta )
*📁 Mishkaatul Masabeh- 273 Ba Hawala Muslim_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se na kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki Fufi ho Aur isse bhi mana farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat Bhai ki Ladki ho ,
( isi Tarah ) isse bhi mana farmaya k Kisi Aurat ka Nikaah ese Mard se kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki khaala ho aur isse bhi mana farmaya k ese Mard se kisi Aurat ka Nikaah kiya Jaye Jiske Nikaah mai Pehle se us Aurat ki Behan ki Ladki ho ,
Kisi Mard Ke Nikaah mai badi ( Fufi ,Khaala ) Ke Hote hue Chhoti ( yani Bhatiji Aur Bhanji ) ka Nikaah us Mard se na kiya Jaye Kisi Mard Ke Nikaah mai Chhoti ( Bhatiji ya Bhanji ) Ke Hote hue Badi ( Yani Fufi Aur Khaala ) ka Nikaah us Mard se na kiya Jaye ,"
*📁 Mishkaatul Masabeh -275 Ba Hawala Tirmizi v Abu Daowd,*
╨─────────────────────
*┱✿ Haraam Rishto Ki Tafseel- 1_*
┱ Konsi Aurat Kiske Liye Haraam Hai iski tafseel qawaneen ki buniyaad per 6 cheezo per Hai :-
1- Nasbi Qarabat ,
2- Doodh ka Rishta ,
3- Sasurali Rishta ,
4- Kisi Aurat ka doosre Mard Ke Nikaah ya Uski iddat mai mashgool hona ,
5- Kisi Mard Ke Nikaah mai Pehle se kisi Aurat ka hona ,
6- Qaa'ida muqarrarah se zyada Nikaah karna ,
*┱ 1- Nasbi Qarabat Ke Rishte_*
"__ Apni Aulaad Aur Aulaad ki Aulaad se ,Aur Maa'n ,Baap ,Dada ,Daadi ya Nana ,Nani se Nikaah karna durust nahi ,
"__Aur Behan Bhai ka bhi aapas mai Nikaah nahi ho sakta chahe Haqeeqi Balehan Bhai ho ya Baap Shareek ho ya Maa'n Shareek,
┱ Chacha ,Bhatiji ka Aur Mamu,Bhanji ka bhi aapas mai Nikaah nahi ho sakta, Aur Fufi Bhatija Aur Khaala Bhanje ka bhi aapas mai Nikaah durust nahi ,
╨─────────────────────
*┱✿ 2- Doodh Ke Rishte __,*
┱ Iski vajah se bhi Aapas mai Nikaah Haraam ho Jata hai , Khaala zaad Bhai se Aur Fufi Ke Ladke se Nikaah durust Hai Lekin agar Kisi Ladke ya Ladki ne Doodh pine Ke zamane mai ( Yani 2 saal ki Umr Ke andar ) Kisi ek Aurat ka Doodh pi liya to ye Dono aapas mai Doodh Shareek Bhai Behan ho Gaye ,Ab Aapas mai inka Nikaah nahi ho sakta , Jis Ladke ne Kisi Aurat ka Doodh piya Hai wo us Aurat ki Kisi bhi Ladki se Nikaah nahi Kar sakta chahe ek Saath Doodh na piya ho , Doodh pine Wala us Aurat ki Behan se Nikaah nahi Kar sakta Jiska Doodh piya ho Kyunki wo Uski Khaala ho gayi ,
┱ Khulasa ye Hai k Jo Nikaah Nasbi Qarabat ki vajah se Haraam Hai Doodh Ke Rishte se bhi Haraam ho Jate Hai'n, Jis Tarah Nasbi Qarabat Ke Rishte se Nasbi Maa'n Beta , Aur Bhai Behan Aur Khaala Bhanje Aur Mamu Bhanji Aur Chacha Bhatiji Aur Fufi Bhatija aapas mai Mahram qaraar diye Gaye Hai'n,isi Tarah Doodh Ke Rishte ki vajah se se Doodh pilane wali Aurat Aur Uski Aulaad ,Uski Behan Aur Uska Bhai Aur uske Maa'n Baap Doodh pine Wale Bachche Ke Liye ,Ladka ho ya Ladki , Mahram ban Jate Hai'n , Aurat ka Damaad Aur Aurat Ke Shohar ka baap bhi Mahram ho Jata hai , Kyunki inse Nikaah durust nahi Hai , Mahram ban Jane ki vajah se ek doosre Ke Saath Safar mai Jana Aur bila Parda Aamne Saamne aa Jana jaa'iz ho Jata hai ,
┱ Haa'n agar Koi Mahram faasiq v faajir ( Bad chalan ,bad qirdaar ) Hai , Uski taraf se itminan nahi Hai balki Shararate nafs ka andesha Hai ( Jess k Ask Kal waqiaat Sunne mai aate Hai'n ) to ese Mahram se ahatyaat laazim Hai ,uske Saath Safar karna ya tanhaai mai rehna jaa'iz nahi ,
*┱Aur Yaad rakhiye 48 meel Ka Safar karna Bager kisi Mahram Ke durust nahi Hai,chahe Safar Deeni ho ( Maslan Chahe Hajj ka Safar hi Kyu na ho ) ya Duniyavi Zarurat se ho ( Akele Maayka Jana ya Sasural Jana ) , Safar chahe Paidal ho ya Hawai Jahaaz se ho ya Rail ,Bus ,Car ya Kisi bhi zariye ho ,Bager Mahram 48 meel ya isse zyada Ka Safar jaa'iz nahi Hai ,*
"__ Jis Mahram Ke Saath Safar mai Jaye Uska Nek Saleh hona zaroori Hai Jisse itminan ho k koi Shararate nafs Amal nahi karega Aur Kharaab khayal se na chhuyega ,
┱Bahut si Aurte'n Bager Mahram Ke Hajj ya Umrah Ke Liye rawana ho Jati Hai'n Jo Gunahgaar hoti Hai'n , Na Mahram Ke Saath Safar e Hajj v Umrah bhi Jana gunaah Hai ,chahe kesa hi muttaqi parhezgaar Aadmi ho , Shari'at per Amal laazmi Hai ,
"__ Bahut si Aurte'n Khaala zaad ,Mamu zaad ,Fufi zaad ,chacha zaad Bhai Ke Saath Safar mai chali Jati Hai Aur unse Parda bhi nahi karti ,Hansi mazaaq bhi hota Rehta Hai Aur unke Saath tanhaai mai Waqt bhi guzaarti Hai'n , Ye Sakht gunaah Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ 3-Hurmate Musahrat - Sasurali Rishte_*
┱ Kisi Mard Ka Kisi Aurat seeya Kisi Aurat ka kisi Mard se Nikaah ho Jane ki vajah se Jo hurmat ho Jati Hai use Hurmate Musahrat kehte Hai'n , Maslan Koi Mard Kisi Aurat se Nikaah Kar le to ab us Aurat ki Walida se Nikaah nahi Kar sakta ,isi Tarah Ye Aurat us Mard Ke Kisi bhi Ladke se Nikaah nahi Kar sakti,
┱Kisi Aura ka uske Shohar Ke Baap se Nikaah nahi ho sakta, Pehle Shohar ki Ladkiya'n agar Koi Aurat Saath layi to Uska Naya Shohar un Ladkiyo'n mai se kisi se bhi Nikaah nahi Kar sakta Hai ,basharte k un Ladkiyo'n ki Walida Aur Naye Shohar Ke darmiyan Shohar Bivi Wala Kaam ho Chuka ho ,Aur agar unki Walida ko Sirf Nikaah Kar ke talaaq de di ( Aur Shohar Bivi Wala Kaam nahi kiya ) to unme se kisi bhi Ladki se Nikaah ho sakta Hai ,
┱ Agar Koi Mard Kisi Aurat se Zina Kar le to usse bhi Hurmate Musahrat Saabit ho Jati Hai, Jis Aurat se Zina Kare ab us Aurat ki Ladki Aur uski Walida se Nikaah nahi ho sakta ,
*
╨─────────────────────
*┱✿ 4- iddat wali Aurat Ke Nikaah Ka Hukm _,*
┱ Kisi Aurat ka kisi Mard se Nikaah ya Uski iddat mai mashgool hona bhi Hurmate Nikaah ka baa'is ban Jata hai ,Ek Mard Ke Nikaah mai Do ,Teen ya Chaar Aurte'n to reh sakti Hai'n magar ek Aurat Do Mardo Ke Nikaah mai nahi reh sakti , Jab ek Aurat se kisi ne Nikaah Kar liya to us Aurat ka Nikaah doosre Mard se us Waqt Tak nahi ho sakta jab Tak k us Mard Ke Nikaah se bilkul na nikal Jaye , Lafze Bilkul isliye istemal kiya Hai Kyunki Shohar ke Marne Ke baad ya Talaaq Ke baad doosre Mard se Nikaah ki ijazat Aurat ko tab hoti Hai jab iddat guzar Jaye,
*┱✿ 5- Kon Konsi Aurte'n ek Saath ek Mard Ke Nikaah mai Jama nahi ho Sakti _,*
┱Kisi Mard Ke Nikaah mai Pehle se kisi Aurat ka hona bhi Baaz doosri Aurto'n se Nikaah karne Ke Liye maa'ne ho Jata hai, Maslan Kisi Shakhs ne ek Aurat se Nikaah kiya to ab jab Tak ye Aurat uske Nikaah mai rahegi balki agar usne Talaaq de di to ab Jan Tak ye Aurat iddat Ke andar rahegi ,Us Aurat ki Behan se Uska Nikaah nahi ho sakta, Agar Nikaah kar liya to Shar,'an us Nikaah ka koi aitbaar nahi ,
┱ Jis Tarah Do behne aapas mai ek Mard Ke Nikaah mai Jama nahi ho Sakti Hai'n, usi Tarah Fufi - Bhatiji Aur Khaala -Bhanji bhi ek Mard Ke Nikaah mai nahi reh sakti Hai'n ,
┱ Agar koi Aurat Kisi Mard Ke Nikaah mai ho Jab Tak ye us Mard Ke Nikaah mai rahegi Uski Behan Aur uski Khaala se Aur Bhaanji se aur Fifi se Aur Bhatiji se us Mard ka Nikaah durust nahi Hoga , Agar Nikaah kar liya to Shar'an mo'atbar na Hoga ,
╨─────────────────────
*┱✿ 6- Mard Ke Liye Muqarrarah Tadaad Se Zyada Nikaah Durust Nahi_,*
┱ Mard Ke Liye Shari'at ne Biviyo'n ki Tadaad muqarrar ki Hai , Bek Waqt Chaar Aurto'n se ek Mard ko Nikaah karna durust Hai magar iski ijazat us Waqt Hai jabki Har Bivi Ke huqooq Shari'at Ke mutabiq baeabari Ke Saath ada Kare ,
┱ Bek Waqt Chaar Aurto'n se zyada koi Mard Nikaah nahi Kar sakta hattaki agar Chaar Mai se Chothi ko Talaaq de di to jab Tak Uski iddat na guzar Jaye uske badle Paanchvi Aurat se Nikaah karna jaa'iz nahi ,
┱ Gaylaan bin Abdullah Shaqfi Raziyallahu Anhu Ke Nikaah mai islam lane se Pehle 10 Biviya'n thi ,Jab unhone islam qubool kiya to Sab Biviya'n bhi Musalman ho gayi , Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ke Saamne iska zikr hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Chaar ko rakh lo baqi chhod do _,"
*📁 Mishkaat _,*
┱ Ye Sab Nikaah chunki zamana e Jahiliyat mai hue they isliye esa faisla saadir farmaya, Musalman Hote hue koi Shakhs agar Chaar Aurto'n Ke Hote hue Paanchvi se Nikaah Kar le to Paanchva Nikaah mun'aqd hi nahi Hoga _ *
╨─────────────────────
*┱✿ Doodh Ka Rishta Sirf Do Saal ki Umar Ke andar Doodh pine se Saabit hota Hai_,*
┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne bayan farmaya k Ek Martaba Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Zanaan Khana mai tashreef laye , Us Waqt mere paas ek Aadmi Tha ,Maine esa Mehsoos kiya k Uska Ghar mai hona Aap Sallallahu Alaihivasallam ko nagawaar hua , Maine ( Dil ka Khiljaan door karne Ke Liye ) arz kiya k ye Shakhs Mera ( Doodh Shareek) Bhai Hai ( isliye andar bulaya Hai ),
Ye Sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Achchhi Tarah khayal kar lo k tumhare Doodh Shareek Bhai Kon log Hai'n Kyunki Shara'i raza'at ( Doodh se aa Jane wali hurmat) us Waqt mossar hoti Hai jabki Bhook ki vajah se ho _,"
*📁 Mishkaatul Masabeh-273 Ba Hawala Bukhari v Muslim*
┱ Matlab ye Hai k Shar'an Doodh pilane ka zamana Muqarrarah Hai Yani Do Saal ki Umar Ke andar andar Bachcha Aur Bachchi ko Doodh pilaya ja sakta Hai, is Umar mai Jisne Doodh piya Uska Doodh pina Hurmate raza'at ka sabab Hai , iske baad Doodh pilana hi Haraam Hai Aur agar Kisi ne is Umar Ke baad Kisi Aurat ka Doodh pi liya Hai to isse Kisi ka na Mahram banega na us Aurat ki Maa'n Behan Aur Aulaad se Uska Nikaah Haraam Hoga , Chunki Doodh se hurmat Saabit hoti Hai isliye Aurto'n ko Bahut aahtyaat rakhne ki Zarurat Hai, Apni Aulaad Ke Siva bila Zarurat doosre Ke Bachcho ko Doodh na pilaye ,
┱ Bachcha ya Bachchi Ki Umar chaand Ke hisaab se Do Saal poore hone Ke andar andar Jo Kisi Aurat ka Doodh pila diya Jaye to Sab imaamo Ke nazdeek Hurmate raza'at Saabit ho jati Hai ,Yani iski vajah se to Sab Rishte Haraam ho Jate Hai'n Jo Doodh ki vajah se Haraam Hai'n , Albatta imaam Abu Hanifa Reh.farmate they k Dhaayi Saal Ke andar andar Doodh pilane se bhi Hurmate raza'at Saabit ho Jati Hai
┱ Ahatyaat ka taqaza ye Hai k Do Saal poore ho Jaye to Kisi Bachche ya Bachchi ko Doodh hargiz na pilaye lekin agar kisi ne pilane ki galti Kar di to Dhaayi Saal Ke andar Doodh pilaya ho usko Hurmate raza'at mai mossir mana Jaye , Albatta iske baad Jo Doodh piya ho Hurmate raza'at mai Uska koi aitbaar nahi Hoga Aur uski vajah se Rishte Haraam na honge ,
╨─────────────────────
*┱✿ Kisi Mard se Nikaah Karne Ke Liye Uski Pehli Bivi ko Talaaq na dilaye_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Koi Aurat Apni Behan ki Talaaq Ka sawal na kare taki uske uske piyale ko Khali Kar de aur Chahiye k Apna Nikaah ( Kisi doosre Musalman Mard se ) Kar le Kyunki Jo uski taqdeer mai Hai Wo zaroor usko milega _,"
*🗂 Mishkaatul Masabeh- 271 Ba hawala Bukhari v Muslim_,*
┱ Is Hadees mai bhi is Baat ki taraf tavajjoh dilayi gayi Hai k Koi kiss Ka bura na chahe , Jab Koi kisi ko Nikaah Ka paigaam de to use Apni marzi ke mutabiq haa'n ya na ka jawab de dena chahiye, Agar kisi Mard ke Nikaah mai pehle se koi Aurat ho to Apna Nikaah Karne Ke Liye Pehli Bivi ko Talaaq dene ki Shart na lagaye taki shohar se Jo kuchh usko milta Hai usse uska piyala Khali Kar de Yani use mehroom Kar ke khud usko Apne Liye makhsoos Kar le ,
┱ _ Baaz Ulma ne is Hadees Ka ye matlab bhi bataya Hai k Jab Do Aurte'n kisi Mard ke Nikaah mai ho to Koi Sotan Shohar se Apni Sotan ki Talaaq Ka sawal na kare ,
┱ Musalman ki imaani zimmedari mai se ye Baat bhi Hai k Jo kuchh Apne Liye pasand kare wo doosre Musalman ke Liye bhi pasand kare ,aur Jo Kuchh Apne Liye na pasand kare wo doosre Musalman ke Liye bhi na pasand kare,
╨─────────────────────
*┱✿ Kisi Aurat ko Uske Shohar Ke Khilaf Uksaana Gunaah Hai_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Wo Shakhs humme se nahi Hai ( Yani Musalmano mai se ) Jo Kisi Aurat ko Fareb de Kar Shohar ki mukhalif bana de ,ya Kisi gulaam ko dhoka de Kar use Aaqa ka mukhalif bana de _,"
*🗂 Mishkaatul Masabeh -282 Ba Hawala Abu Daowd ,*
Is Hadees mai is Baat ki Nasihat farmayi gayi Hai k koi Mard v Aurat Kisi Aurat ko behka Kar Uske Shohar ki mukhalfat per Amaada na Kare , Agar Koi esi harkat Karega to wo esa Sakht mujrim hoga k uske bare mai Rahmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Wo Hamari Ummat se nahi Hai ,
┱ Bahut se Mard v Aurat isme maza lete Hai'n k Kisi ka Ghar bighad de , Shohar ko Bivi Ke Khilaf ya Bivi ko Shohar Ke Khilaf bhadkane ko kamaal samajhte hai'n , Khuda na Khwasta agar Miya Bivi mai Ranjish ho gayi Aur kisi ka Rishta toot Gaya ,ya Sulah karane ki bajaye mamooli si Ranjish ko qabile nafrat bana diya,ese Logo ki buri harkat se Miya Bivi qareeb aane Ke bajaye door Hote chale Jayenge ,esi harkat karne wale Ajnabi hi nahi Hote balki Rishtedar hi esa Kaam zyada Karte Hai'n, Chhoti Chhoti baato se Dil khatta hota Jata hai ,Aur nobat Talaaq Tak pahunch Jati Hai ,
▦══─────────────══▦
ReF✿┅╮
*🗂 Tohfa E Khawateen,*
╨─────────────────────
No comments:
Post a Comment