🍁🍁🍁
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*MIYA BIVI ME IKHTELAAF KA HAL*
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*PART-01*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (01) AAJ KA MOZU SHOHAR KI ZIMMEDAARIYAN*
*⚃➠ Azdivaji jhagdo me Ab tak ye unwaan Raha hai ke Bivi ki kin GhaLtiyon ki wajah se miya bivi ke darmiyaan Ladaayi hoti hai jhagde hote hain Aaj ke mozu me hamne is cheez ko bayaan karna hai ke shoharon se kiya kotaahiyan Sarzad hoti hain ke baat jhagdon tak pohuch jaati hai ummeed hai ke Shohar hazraat in baaton ko Tavajjo ke saath padhenge*
*BEHATREEN SHAKHSH*
*⚃➠ Nabi e kareem Sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya Tumme Sab se behatreen wo hai jo tumme AhLe khana ke liye behtar hai Chunache mard ki Acchayi ka meyaar uska karobaar Nahi uska daftar Nahi uske Doston ki mehfiL nahi mard ki Acchayi ko parakhne ke liye uska meyaar uski bivi se Ta'alluq hai Agar usne usko khush Rakha or uske gham khatm kar diye or usko pursakoon zindagi dene ki koshish ki to Yaqeenan ye Accha insaan hai Nabi e kareem Sallallahu alaihivasallam uski Tasdeeq farma Rahe hain or Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi ne ye bhi farmaya me tum Sab me se Ahle khana ke Liye Zada behtar hun goya (practical) yani AmLi misaaL bhi Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne di*
*PART-02*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (02) KHAWIND KE ANDAR TAHAMMUL OR BARDAASHT HONI CHAHIYE*
*⚃➠ Aurat ko Allah RabbuL izzat ne mard ki pasLi se banaya iska matlab ye hai ke Allah RabbuL izzat ne na to Sar se banaya ke unko Sar pe bitha ke Rakho or na usko per'on se banaya ke usko pao'n ke niche Rakho Allah RabbuL izzat ne use pasLi se banaya ke ye Tumhaare diL ke Qareeb hai tum hamesha usko Apne diL ke Qareeb Rakho isliye khawind ko MutahammiL mizaaj hona chahiye kiyu ke wo ghar ka zimmedaar hai Zara si baat par gusse me Aajana har waqt gusse ki Zabaan boLna har waqt Lehje badaL kar Bivi se baat kehna ye bewaqoof mardo ka kaam hai ye koi mardaagi nahi hoti ye to wahi baat hui jese kisi ne kaha ke mujhe Apne se choto par bada gussa Aata hai ji han Aap bado'n ke saath gussa kar ke dikhaayen to Aap ki Tabiyat bhi thik kar denge kamzor par gussa Aana koi Acchi ALamat nahi hai uske saath to Reham diLi ka mamLa karna chahiye Ghar ke Andar choti moti baaten ho jaati hain aisi baaton ko Nazar Andaaz karna chahiye (Clearance & Tolerance) Lachak or bardaasht ka usooL istemaal karna chahiye Engineering me ye UsooL bane hote hain duniya me jitni bhi mishzi ChaL Rahi hain usko fiting me hamesha (Clearance & Tolerance) ka khayaaL Rakhna padta hai masLan Shaft ka Sa'iz itna ho to biring ka Sa'iz itna hoga 2 Cheezon ko Aapas me fit karna hai iske darmiyaan kitni Clearance honi chahiye to Agar mishizi ne fit hona hai to usme (Clearance & Tolerance) chahiye to do insaano ne Apni Azduvaji zindagi me fit hona hai unko bhi Lachak or bardaasht ki Zaroorat hoti hai dar guzar se kaam Lena chahiye koi kisi moond me hai koi kisi moond me hai to choti choti baaton ko batanggad bana lena ye kabhi bhi AqaLmandi ki baat nahi hoti Mard kitna bura Lagta hai ke choti si baat se naraaz ho kar beth jaye isliye kehne waLe ne kaha*
*⚃➠ To run a big show one should have a big heart*
*⚃➠ Zada bada sho dikhane ke liye diL bhi bada hona chahiye shaadi ke baad to khawind ko apna diL bahut bada kar lena chahiye Angreezi ka ek maqoLa hai*
*⚃➠ high winds blow on high mountains*
*⚃➠ Unche pahadon ke upar Andhiyan bhi Zada Tez chala karti hain Zindagi me unch neech to hoti hai kabhi maa ki Taraf se shikve kabhi behan ki Taraf se shikve kabhi bivi ki Taraf se shikve Ab ye zimmedaari Aadmi ki banti hai ke unko Acchi Tarah se nibhaaye*
*PART-03*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (03) BIVI KO MAA KE REHAM O KARAM PAR NA CHORE*
*⚃➠ Kayin khawind ko dekha hai ke wo Apni bivi ko maa ke Reham o karam par chor kar khud ek Taraf ho jaate hain intehaayi ghair Zimmedarana baat hai hamesha Apni Position ka khayaaL Rakhna Chahiye Agar mehsoos kar rahe ho ke Bivi ki ghaLti hai to usko pyaar se Samjhao Agar Samjh Rahe ho ke Ammi Zaroorat se zada us waqt us par Sakhti kar rahi hai to bade Adab ke saath ammi ki khidmat me guzarish karo Apni bivi ki wakaLat karte hue Zara bhi na Sharmao isliye choti choti cheezen hi baad me badi bana karti hain to Bivi ki hifazat (Protect ) karna khawind ki zimmedaari hoti hai Ab usko yun kehna ke bhai mujhe nahi pata bas tum unhe khush Karo to Bivi koshish to karegi ke mere khawind ki waLida hai me koshish karun Magar hamne kayin baar dekha hai ke Saas badi Tajurbe kaar hoti hai unch neech jaanti hai or aise Apni Anangaz kheLti hai ke us Ladki ko Out kar ke Rakh deti hai to isme khawind ki zimmedaari hai ke wo Apni Position ka khayaaL Rakhe or Agar dekhta hai ke Ammi Zaroorat se zada sakhti kar rahi hai or usko mushkiL me daaL diya hai to unki baaton ko phir khud block kare*
*PART-04*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (04) BIVI KE LIYE MAKAAN KA BANDOBAST KARE*
*⚃➠ Jab mard ye dekhe ke mushtarka tor par Rehne se bivi ke huqooq ka tahaffuz Nahi ho Raha hai to phir ALag makaan hasiL karne ki koshish kare isliye ke Shari'at ne kaha ke mard ki zimmedaari hai ke Apni Bivi ko Alag makaan ya koi kamra Le kar de jis me wo koi Sukh ka Saans Le sake Bivi ko Sar chupane ke liye jagah Le kar dena Shar'an khawind ki Zimmedaari hai Hamare Hazrat Rm farmaaya karte the ke Allah RabbuL izzat khawind ko Zara bhi gunjaish de to usko Apni Zindagi me Sab se pehLe makaan khareedna chahiye baLke yahan tak farmate the jiska makaan Nahi uska imaan Nahi To Ek din is Aajiz ne Arz kiya ke Hazrat ye itni badi baat jo Aap farmate hain uska background kiya hai Hazrat ne farmaya dekho Agar khawind ne Apna ghar Nahi khareeda or uski Bivi kiraaye ke makaan me Reh Rahi hai Allah na kare ke khawind ki wafaat ho jaye koi Accident ho jaye to kiraaye waLe to us Aurat ko wahan Rehne Nahi denge wo kahan se kiraaya degi To jab wo uska Samaan uske ghar se nikaaLenge to ye Aurat pareshaani ke AaLam me kufriya boL boLegi iska imaan hi khatre me ho jayega to isliye farmaate the ke khawind ki zimmedaari hai ke Aurat ko Sab se pehLe Sar chupane ke Liye koi jagah de take usme wo Apni Zindagi guzaar Sake*
*PART-05*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (05) BIVI KA DIL JEETNE KI KOSHISH KAREN*
*⚃➠ Yaad Rakhen jitna muhabbat o pyaar se miya Bivi Rehte hain utna hi Allah RabbuL izzat unse khush hote hain*
*House is built by hands but home is built by hearts*
*⚃➠ Inte'n judti hain to makaan ban jaate hain jab diL judte hain to ghar Aabaad ho jaate hain Lihaza Bivi ke saath khush AkhLaaqi se Rehna Khawind ki Zimmedaari hoti hai or khush AkhLaaqi isko nahi kehte ke choti choti baaton par insaan daant dapat karta phire gusse hota phire boLna chor de ye cheezen miya Bivi ke darmiyaan hona intehaayi bura hota hai Yaad Rakhe jo khawind pyaar ke Zarye Apni Bivi ka diL jeet Na Saka wo taLwaar ke Zarye bhi Bivi ka diL Nahi jeet sakta ye Samjhna ke me daant dapat se sab seedha kar dunga ye har giz thik Nahi hota hamne dekha hai Daant dapat se Ulta kaam bigadta hai Bivi Seham jayegi chup ho jayegi Lekin jab Bivi bhi Apne khawind ke khiLaaf goreeLa jang Ladna shuru kar degi to kiya fayeda?? isliye muhabbat o pyaar hi Azduvaji zindagi ke Liye behatreen AmaL hai khawind ko ye baat Zehan me bitha Leni chahiye pyaar ka waar Talwaar se zada kaargar hota hai wo pyaar se Agar Apni Bivi ko Qa'iL nahi kar sakta to phir taLwaar se bhi Apni Bivi ko Qa'iL Nahi kar Sakega*
*⚃➠ MUSKURANE KI SUNNAT KO APNAAYE*
*⚃➠ Chunache Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ki Aadat e mubarka thi ke jab ghar koi cheez Laate the muskurate hue Aate the Or Apne Ahle khana ko saLaam kiya karte the muskurate hue Aana or ghar waLon mo saLaam karna ye Acche mahoL ki ibteda hai jab khawind muskurata hua Aayega to Yaqeenan Bivi bhi muskurayegi Ab dono muhabbat o pyaar se Rahenge*
*PART-06*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (06) MUSKURAHAT NE MUSKURAHATEN PHELAADI*
*⚃➠ Ek martaba mere pass Ek miya Bivi ka mamLa Aaya Shaadi ko teen saaL ho chuke the dono likhe padhe Acchi family ke bacche the dono be'at the or dono nek bhi the wo kehne Lage ji Ab ham is nateeje par pohche hain ke hamara Guzara Nahi ho sakta kiyu Nahi ho sakta kehne Lage isliye ke hamari Tabiyaten Nahi miLti ham Aapas me har waqt behas karte Rehte hain koi din Zindagi ka aisa nahi ke hamari Aapas me behas Na hui ho Ham tang Aachuke hain or hamne bade Thande diL o dimaagh se socha hai ke Abhi to umre dono ki Aisi hi hain ke koi na koi dusri soorat bhi ban jayegi to kiyu ham Apni Zindagiyan barbaad karen ham Apne maa baap ko batana chahte the isse pehle hamne Aapko batana munasib Samjha chunke Aap hamari Tarbiyat ke Zimmedaar hain mene unse chand mint baat ki or Figure out kiya ke masLa kiya hai Dar AsaL un dino unke kaam o karobaar ki position Acchi nahi chaL Rahi thi khawind ke ek do mamLaat bhas gaye the kuch Adayigiyan Ruk gayi thi or wo Bahut Tension me tha isliye jab Daftar se ghar Aata tha to Bahut Sanjeeda hota tha Bivi khana bana kar ghante do ghante se bhooki bethi hai khawind Aayega me miL kar khana khungi jab khawind ka chehra dekhti ke itna Serious to Nateeja ye nikaLti ke shayad me Apne khawind ko pasand nahi hun or jab wo sochti ke me Apne khawind ko pasand hi nahi hun to use gussa Aata Chunke wo khoobsoorat bhi thi Nek bhi thi TaLeem Yafta bhi thi Acche gharane ki thi wo sochti thi mere Andar kiya kami hai ke khawind meri Taraf pyaar se nahi dekhta Chunache Bivi peeche hat jaati khawind wese serious hota or dono ke darmiyan ek dusre ke saath phir khoob behas o mubahisa hone Lagta Mene unse kaha ke dekhen Aap Log Apna ye fesLa 6 maheene ke liye RokLen or me Aap Logon ko Ek Ek kaam Zimme Lagata hun Aap dono ne wo kaam karne hai phir 6 maheene ke baad Aap sochna ke ham Aapas me ikhat'the Reh sakte hain ya Nahi unhone ne kaha thik hai Chunache mene khawind se kaha Jab Aapne ghar Aana hai to Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ki sunnat par AmaL karna hai ke muskurate chehre ke saath Aao or Apne Ahle khana ko saLaam karo tumne is sunnat ko chora to uski bebarkati se tumhaare ghar ki khushiyan Rooth gayi Jab Aap ghar Aaya karo to business ki pareshaaniyan daftar me chor kar Aaya karo Bivi ka Qasoor nahi ke tumhara business nahi chal Raha hai jab Aao to wo bechaari ghante do ghante se intezaar kar rahi hai Chehre ke upar khushi ho khiLa hua chehra ho insaan ki muhabbat ke Aasaab chaLak Rahe hon wese to badi sunnaton ka khayaaL karte ho is sunnat ka khayaaL kiyu nahi karte jab us nojawaan ko ye baat Samjh Aayi to wo kehne Laga ji me is sunnat par zaroor AmaL karunga Phir mene Bivi ko kaha Ab Aapne bhi Ek AmaL karna hai ke jab khawind Aaye to Aapne hamesha darwaze par khawind ka istaqbaal karna hai or khawind ko muskura kar dekhna hai usne kaha thik hai Mene kaha ye baat to thi jo mene Aapko sunnat ke mutabiq bataayi Ab is soorate HaaL me jab Aap Logon ki tabiyaten ek dusre se itni door ho chuki hain khawind ko ek AmaL or batata hun mene kaha Aap jab ghar Aaye to miya Bivi hi to ghar me Rehte hain or to koi nahi to muskurate chehre ke saath Aayenge or jab ghar me Aayenge Bivi ko muskura ke dekh kar uska bosa Lenge Ab ye Lafz sun kar khawind bada hairaan hua meri Taraf dekhne Laga mene kaha tumhaari Apni Bivi hai hairaan kiyu ho Rahe hain mene kaha ke tumhe nafLon ka itna sawaab nahi miLna jitna is bose par miLna hai khair jab mene use zor de kar ye baat ki to usne diL ke saath keh diya ke bahut Accha mene usko khoob Taint kiya ke Agar tumne ye AmaL na kiya iska matlab tumne us ghar ko Aabaad karne ke liye koshish hi nahi ki or Zimmedaar Aap honge wo kehne Laga Nahi ji me in sha Allah us par AmaL karunga Teen maheene ke baad dono ne haste muskurate hue phone kiya kehne Lage hame to yun Laga hai ke hamne ye Teen maheene honeymoon ki Tarah guzaare hain isliye ke jab khawind ghar muskurata hua Aata tha or Bivi ko (kiss) karta yani bosa leta tha or Bivi muskurati thi to phir Saare ghar me muskuraten hi Aajati thi Arguments behas o takraar khatm hi ho jaati thi to kayin dafa ek chota sa AmaL Ujadte hue ghar ke Aabaad karne ka Sabab ban jata hai*
*PART-07*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (07) SHOHAR KI NARMI SE BIVI KI ISLAAH*
*⚃➠ Mere pass Lahor ka ek nojawaan Aaya intehaayi nek Tahajjud guzaar muttaqi parhaizgaar usko be'at hue ek SaaL hua tha Magar Allah RabbuL izzat ne uski Tabiyat me neki Rakhdi or wo khoob Taqve ki Zindagi guzaar Raha tha Aaya to bade gusse me tha phoocha khair to hai kehne Laga bas kiya karun Bivi Aisi hai Deen ki Taraf Aane ko bilkul tayyar Nahi Na TV chorti hai Parde ka khayaaL Nahi karti SaLaam Nahi karti ULta me deen ki baat karun to Aage se ULti baat kar deti hai Me Tang Aachuka hun Bas Hazrat Aap mujhe bataayen ke me kiya karun AsaL me wo Ab mujhse ijazat Lena chahta tha ke ya to Bivi ki pitaayi karun ya phir Bivi ko mayeke Bhejdun mene usse baat ki or usse kaha Accha batao tumhaari Shaadi kese hui Pata chaLa ye Sahab bhi ek SaaL pehLe wese hi the or dono ki Aapas me Love marriage thi dono ka ek saaL tak Affair mashuqa chaLta Raha pasand ki shaadi thi to mene use Samjhaya ke dekho dono ka background ek hi hai jesa tha farq ye hai ke Aapko nek mehfiL miLi to Aap ek dam badaL gaye Bivi ko Na ye bayanaat miLe na ye sohbaten miLi Na ye khair ki baat sunne ka moqa miLa to Bivi kese itna jaLdi badaL jayegi wo to time Legi to kiyu itna pareshaan hote ho kehne Laga bas me kiya karun bahut hi be'deen hai wo bahut hi Zada fasiqa hai wo Baar Baar Yahi baat kahe ja Raha tha mene kaha Accha me Aapke Zimme ek kaam Lagata hun ji bataayen mene kaha Accha ye bataayen kabhi Aapne khana khate hue Apni Bivi ke muh me Luqma DaLa hai kehne Laga nahi mene kaha kiyu kiya ye Sunnat Nahi hai kehne Laga accha sunnat hai mene kaha han bilkul jao or khana khate hue mithaayi dabba Agar dastarkhan par pada hua ho to usme se ek ghuLaab jamun utha kar uske muh me daaL dena Ab iski Saans jese Ruki hui hai or Meri Taraf dekh Raha hai kiyu ke iski Tabiyat me to Sakhti thi wo pitaayi ke moond me Aaya tha or Aage se usko koi or nuskha miL gaya wo Baar baar meri Taraf dekh Raha tha Hazrat uske muh me daaLun to phir kiya karna ?? mene kaha jao or ja kar us par AmaL karna ji Hazrat phir mene uski khoob Acchi Tarah khabarLi or usko Samjhaya ke Deendar Logon ki be'ja Tabiyat ki Sakhti Apni Biviyo'n ko be'deen banane ka bada Sabab banti hain mene kaha ke ye kahan ka AkhLaaq hai jo tum Samjhte ho bade tum Iqamat e deen ki koshish karte phirte ho jao pyaar se Raho or kaL mujhe Aakar batana ke muh me Luqma dala kehne Laga thik hai*
*⚃➠ AgLe din Aaya Ab chehre par thodi si muskurahat thi poocha kiya hua kehne Laga ji Hazrat dastarkhan Laga pehle to me khana hi ALag kha Leta tha me pass betha khana khane Laga khane ke doraan mene ghuLaab jamun uthaya or Bivi ki muh ki Taraf jo kiya to Bivi hairaan mene usse kaha ke me Aapke muh me ghuLaab jamun Rakhna chata hun kehne Laga khair usne kha liya Lekin ek dam uski HaLat badaL gayi kehne Lagi ye tumne kahan se Seekha to mene kaha ke mujhe Aaj pata chaLa ke ye Sunnat hai wo kehne Lagi Accha Sunnat itni Acchi hoti hai Chunache usne deen ki baaten poochni shuru kardi or dastarkhan se uth kar usne us waqt ki jo Namaz thi usko padhi jab khawind ki itni si muhabbat dene par Bivi deen ke Qareeb Aagayi or chand dino me wo Sharee parda karne waLi Tahajjud guzaar Ladki ban gayi khawind Agar muhabbat o pyaar se Rahe to Bivi kiyu nahi uski wajah se Apni Zindagi badLegi ?? Umuman Darmiyaan me koi na koi masLa hota hai jo Rukawat banta hai*
*⚃➠ In waqiyaat se hame ek or Sabaq miL jata hai jo hazraat sunnat ko haLka Samjhte hain wo kabhi sakoon ki Zindagi Nahi jee sakte sakoon ki Zindagi Agar guzaarni hai ghar me khushiyan Laani hai to sunnaten Zinda karo Allah RabbuL izzat ham sabko Tamaam sunnaton to AmaL karne ki tofeeq Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen*
*PART-08*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (08) DILO'N KO AELFI SHARIYAT*
*⚃➠ Ye bhi Aksar dekha hai ke nek or Deendar Logon ke gharo'n me Aapas me Muhabbat o pyaar hota hai ye deen diLo ko jodta hai Allah RabbuL izzat farmaate hai ke jo Log imaan La kar nek AamaaL karen Allah RabbuL izzat unke diLon me Muhabbaten bhar dete hain isliye me nojawaan baccho ko Samjhata hun ke Agar tum pursakoon zindagi guzaarna chahte ho to gharon me deen ka mahoL peda karLo deeni mahoL ki wajah se diLo me Muhabbaten peda ho jayengi*
*⚃➠ Kayin nojawaan Aaye ji kiya karen ham miya Bivi ki banti Nahi kiyu ?? Bas ji hamare diL ek dusre se bahut khatte ho gaye hain mene kaha tum diLo ki AeLfi istemaaL karo Ab wo mujhe hairaan ho kar dekhne Lage ke kon si AeLfi istemaal karen mene kaha han AeLfi cheezon ko Aapas me jodti hai isi Tarah ek AeLfi diLo ko bhi jod deti hai or wo AeLfi Shariyat hai tum jao or deen waLi Zindagi guzaara shuru karo Allah RabbuL izzat Bivi ke diL ko is Tarah jod denge jese AeLfi do cheezon ko Aapas me jod deti hai*
*⚃➠ Or waaqi jo muhabbaten jo pyaar deendaar jode Aapas me karte hain fasq o fujoor me Zindagi guzaarne waLon ko uska pata bhi nahi Lekin kabhi kabhi aisa hota hai baaz deendaar nojawaano me Tabiyat ki Sakhti Aajati hai ye khushk muLLa toba toba aisa Ajeeb haaL hota hai ke bas har waqt Ro'ab chaLa Rahe hote hain unko Lehja badaL kar baat karne ki Aadat ho jaati hai ye Normal moond me baat hi nahi karte*
*⚃➠ Mere bhaiyon Allah RabbuL izzat ne mard ko ghar me bada maqaam diya Magar iska matlab ye Nahi ke bas Ab tum Danda hi chaLana Seekho Tum Apni Position ka khayaaL Rakho or ye dekho ke Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne kiya farmaaya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya tumme Sab se behtar wo hai jo Apne AhLe khana ke liye behtar hai*
*PART-09*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (09) •EK KHATOON KA ANOKHA ANDAZ E SHIKAYAT*
*⚃➠ Chunache Sayyadna Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke pass Abi bin ka'ab RaziyallahuAnhu Tashreef farma the Ek khatoon Aayi or Aakar kehne Lagi AmeeruL mumineen Mera khawind Bahut nek hai Sari Raat Tahajjud padhta Rehta hai Or Sara din Roza Rakhta hai or ye keh kar khamosh ho gayi Hazrat Umar RaziyaLLahu Anhu pade hairaan ke khatoon kiya kehne Aayi hai usne phir Yani baat dohraayi ke mera khawind bahut nek hai Saari Raat Tahajjud me guzaar deta hai or Sara din Roza Rakhta hai is par Abi bin ka'ab Raziyallahu Anhu boLe Aye AmeeruL mumineen usne Apne khawind ki bade Acche Andaaz me Shikayat ki hai kesi shikayat ki AmeeruL mumineen jab wo Saari Raat Tahajjud padhta Rahega Or Sara din Roza Rakhega to phir Bivi ko kab waqt dega to ye kehne Aayi hai ke mere khawind nek to hain magar mujhe waqt Nahi dete*
*⚃➠ Chunache Hazrat Umar RaziyaLLahu Anhu ne uske khawind ko buLaaya to usne kaha han me mujahida karta hun ye karta hun wo karta hun Hazrat Umar RaziyaLLahu Anhu ne Hazrat Abi bin ka'ab Raziyallahu Anhu se kaha ke Aap inka fesLa karen Hazrat ka'ab RaziyallahuAnhu ne un Sahab se kaha ke dekho Shar'an Tumhare liye Zaroori hai ke tum Apni Bivi ke Saath waqt guzaaro hansi khushi uske saath Raho or kam az kam Teen din ke baad Apni Bivi ne hambistari karo khair wo Miya bivi to chaLe gaye to Hazrat Umar RaziyaLLahu Anhu ne Abi bin ka'ab Raziyallahu Anhu se poocha Aapne ye shart kiyu Lagayi ke har teen din ke baad Bivi se miLaap karo Unhone kaha dekhe Allah RabbuL izzat ne mard ko Zada se Zada 4 Shadiyon ki ijazat di chunanche Agar chaar Shadiyan hon to Teen din ke baad phir Bivi ka din Aata hai to mene usse kaha ke tum Zada se Zada Teen din ibadat kar sakte ho Teen din ke baad Ek Din Raat tumhaari Bivi ka haqq hai Tumhe guzaarna padega To dekho Shariyat insaan ko kiya khoobsoorat Baaten batati hai*
*PART-10*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (10) NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KA APNI AZWAAJ E MUTAHIRAAT SE RAVAYYA*
*⚃➠ Ek martaba Eid ka din tha Bahar kuch habshi nojawaan kheL Rahe the Do'd Rahe the Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha se farmaya ke Aaisha kiya Aap ye kheL dekhna Chahogi farmaya ji dekhna Chahungi to Aap Sallallahu Alaihivasallam is Tarah khade hue ke Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ko Apni ot me Le Liya or Aap sallallahu alaihivasallam ke baazu par Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu anha ne Apni thodi Rakhi or is Tarah wo kheL dekhne Lagi Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam kuch der baad poochte hain Tum dekh Rahi ho bas karen Farmaya Nahi Abhi or dekhna Chahti hun Do Teen martaba aisa hua Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya tumhe ye kheL Bahut Accha Laga Ab dekhiye Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam parde ki Aayat NaziL hone se pehle ye kheL khud Apni Bivi ko dikha Rahe hain*
*⚃➠ Chunache Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ko Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne No (9) Aurto'n ki kahani sunaayi ke kuve par paani bharne ke Liye No Aurten ikhat'thi hui Ek ne kaha tum Aaj bilkul khari khari baat suna do to ek ne kaha mera khawind aisa hai wesa hai dusri kaha mera khawind Aisa Teesri ne kaha mera khawind aisa Ab dekho Allah RabbuL izzat ke Habeeb Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne Apni Bivi ko un Aurto'n ki kahani sunaayi or farmaaya ke unme se ek Aurat umme Zara thi usne Abu Zara ke bare me kaha wo mujhe itni muhabbat se Rakhta hai wo mujhe itna khiLata hai usne mujhe sone se Laadh Diya usne mujhe itni muhabbat di ye baaten suna kar Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Aaisha Abu zara umme Zara se jitni muhabbat karta tha me usse zada tumse muhabbat karta hun Ab bataayen khawind Agar aisi baat Bivi se karega to uski Zindagi me to khushiyan Aajayengi usko to Apna ghar basta hua Nazar Aayega*
*⚃➠ Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ki Sawaari ek martaba Ja Rahi thi Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha dusre oont par Sawaar thi Allah RabbuL izzat ki Shaan wo oont bhaag gaya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne jab dekha wo oont bhaag Raha hai to farmaya Haaye Meri duLhan Ab Andaza Lagaayen Ke Allah RabbuL izzat ke habeeb Sallallahu Alaihivasallam ka wo Shaadi ka din Nahi tha SaaLon guzar Gaye the Shaadi ko us waqt jab Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ka oont bhaga Tezi ke Saath to Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Haaye Meri duLhan to Jab Khawind is Tarah Bivi ke Saath pyaar kare to Bivi kiyu Nahi ghar ko Aabaad karegi*
*⚃➠ Anjusha Sahabi Raziyallahu Anhu khawateen ke oonto ki muhaar pakad ke chaL Rahe the to unhone Zara Tez chaLna shuru kar diya unke peeche oonto ne bhi bhaagna shuru kar diya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne jab dekha ke oont Tezi se bhaag Rahe hain to Anjusha Raziyallahu Anhu ko farmaaya ke oonto ko Aahista chaLao unke Upar hamare Aabgehne Sawaar hain jese sheeshe ki bani hui cheez ko Zara Nazukh hone ki wajah se handle karna chahiye to Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne ye ALfaaz istemaal kiya Aap sochiye jo Allah RabbuL izzat pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam oonto ko tez chaLa kar bhi unko Takleef dena nahi chahte or wo Apni Biviyo'n ko kitna khush Rakhte honge Chunache Hazrat dr AbduL wahi Sahab Rm ki Bivi unke baare me farmaya karti thi ke unhone ne poori Zindagi kabhi mujhse Lehja badal kar baat nahi ki kiya husn e muaashirat hai kiya husn e AkhLaaq hai farmati hain Naraaz hona gussa hona to badi door ki baat hai unhone ne kabhi mere saath Lehja badaL kar baat nahi ki hamesha muhabbat o pyaar ke Lehje me baat kiya karte the*
*PART-11*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (11) SHAADI SE PEHLE OR BAAD NOJAWAANO KI SOCH ME FARQ*
*⚃➠ Ye nojawaan jab kuwaare hote hain us waqt unki Sab se badi Tamanna hoti hai ke Shaadi ho jaye Bivi miL jaye Ek Dusre ke pass beth'te Hain ji Bivi ke baghair koi zindagi Nahi ( No life without wife ) us waqt unko Bivi ka intezaar hota hai Har waqt wahi sochen har waqt wahi baaten wahi nojawaano ka hansi mazaakh us waqt Samjhte hain pata Nahi ye kiya niyamat hai Allah RabbuL izzat mujhe JaLdi se de de Chunache Ek nojawaan kehne Laga ke mujhe maut se Muhabbat hi isliye hai ke wo Aati hai Aata Nahi hai to jab kuwaare the itna shonq ke haaye Allah mujhe ye Niyamat de de or jab wo Bivi ghar me Aajati hai to Ab usko Nani Yaad Aajati hai Sakhtiyan yaad Aajati hain us waqt bhi muhabbat o pyaar Se Rahe*
*PART-12*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (12) BAAZ SHOHAR DIL JALATE HAIN*
*⚃➠ Or Aaj kaL ke khawind to diL jaLate hain Shaadi hui or bas kayi Log to aise hote hain jo khud fasq o fujoor me pad jaate hai ghair Aurto'n ki Taraf mutawajjah ho jaate hain miya bivi me jhagdo ki pichattar feesad jo wajuhaat hain unme se ek wajah ye hai ke shaadi ke baad nojawaan mard ghair Ladkiyon ke saath Envoleve ho jaate hain or Apni Bivi ko Ignore karte yani Nazar Andaaz kar dete hain ghar waqt Nahi dete ghar Aate hain to unko neend Aayi hui hoti hai Bivi se baat karne ki fursat nahi hoti wo baat bhi karti hai to do Lafzon me jawaab de dete hain kahin bethe hote hain Bivi phone karti hai Accha tum mujhe kaam karne Nahi de Rahi ho or kaam kiya hote hain bethe massage kar rahe hote hain ye kis Qadar zuLm hai jis ko ye nikaah ke baad Apne ghar Laya jin muhabbaton ki wo haqdaar thi Ab usne wo muhabbaten ghair Ladki ke liye istemaal karni shuru kardi Kehte hai na jab jee bhara hua hota hai to Agar kisi ke Samne biryaani bhi Rakhdo to uska jee Nahi chahta kitni bhi Acchi cheez Rakhdo baLke hath lagane ko bhi diL nahi karta unka yahi haaL hota hai ke bahar phone kar ke baaten kar ke miss you me tumhaare baghair Nahi Reh Sakunga keh kar Apni muhabbaton ke jazbe poore kar ke Aate hain to Bivi biryaani ki tarah bhi ho to bhi unka diL dekhne ko Nahi karta ye un jhagdon ki bunyaadi wajah hai nojawaan Ladko ko chahiye ke wo Apni Zimmedaariyon ko dekhe ghar me Aakar unka diL na dukhaaye baLke dar guzar se kaam lena chahiye*
*PART-13*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (13) BIVI KI NAAZ BARDAARI BHI HONI CHAHIYE*
*⚃➠ Shariyat ne kaha hai ke Bivi ka chunke khawind ke Saath pyaar ka Ta'alluq hota hai Ab us muhabbat me Kayi martaba Bivi me Naaz bhi Aajata hai to AytadaaL ke saath Bivi ke Naaz ko bardaasht kar Lena Chahiye or us Par Sabar kar Lena chahiye*
*⚃➠ Chunache Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam or Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ke darmiyaan koi baat ho gayi Abhi ye baat chaL Rahi thi ke udhar Se Siddeeq e Akbar Raziyallahu Anhu Tashreef Le Aaye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Abu bakar Siddeeq RaziyaLLahu anhu tum Acche waqt par Aaye Aao ham tumhe kehte hain ke tum hamare darmiyaan ek baat ka fesLa karo to Siddeeq e akbar Raziyallahu Anhu ne farmaya thik hai ji to farmaya ke kon baat karega to Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya ke me baat karta hun me batata hun ke kiya hua to Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Zara gusse me thi kehne Lagi ke han thik hai Aap hi baat karen magar thik thik baat karen Ab jab Abu bakar Siddeeq RaziyaLLahu anhu ne ye suna ke baat Aap farmaye lekin thik thik baat karen to unhone Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ko ek Zor ka Thappad Lagaya kehne Lage Teri maa Roye kiya Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam thik baat Nahi karenge Ab jab thappad Laga to beti thi jaLdi se Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ke peeche chup gayi ke Dusra na Lag jaye*
*⚃➠ Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Abu bakar Siddeeq RaziyaLLahu anhu hamne Aapko fesLe ke liye buLaya tha ye to nahi kaha tha ke maarna shuru karden Aap jayen ham Apna mamLa khud Samet Lenge chunanche Hazrat siddiq e Akbar Raziyallahu Anhu chaLe gaye jese hi wo gaye Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Aapke perche se Dusri Taraf Aayi Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne muskura kar dekha or farmaaya dusre thappad se mene hi tumhaari jaan bachaayi h Na itni si baat par phir pyaar o muhabbat ki Zindagi*
*⚃➠ To maLoom hua ke Biviyaon ke Saath TahammuL mizaaji ke saath Rehna chahiye or AytadaaL ke saath unke Naaz o nakhre ko bardaasht kar lena chahiye*
*PART-14*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (14) SAAS KE SOCHNE KA AJEEB ANDAAZ*
*⚃➠ Ab Saas ko ye cheez buri Lagti hai Magar wo Apni Zindagi par Nazar dodaaye ke jab wo bahu thi to wo kitne Naaz kiya karti thi Ab chunke boodhi ho gayi isliye usko ye Sab cheezen Acchi Nahi Lagti phir wo bete ko Samjhaati Rehti hai ke kiya tumhaari Bivi bani Rehti hai Tum Bivi ke saath bethe Rehte ho AsaL me wo Nahi boL Rahi hoti bechaari ka budhapa boL Raha hota hai to me Samjhta hun Saas bhi bechaari beqsoor hi hoti hai Khud Nahi boL Rahi hoti uska budhapa boL Raha hota hai Agar wo is Umar me hoti jis umar me Ab ye bacche or bachiyan hain to iski soch bhi mukhtalif hoti*
*PART-15*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (15) HAZRAT MOLANA ASHRAF ALI THANVI RM KA APNI BIVI SE RAVAYYA*
*⚃➠ Hazrat thanvi Rm farmate hain ke AwLaad na hone ki wajah se Dusri Shaadi karni padi to Biviyo'n ke Andar ek dusre ke saath Aapas me mamLa chaLta hi hai kabhi ye Naraaz to kabhi wo Naraaz farmate hain ke kayi martaba aisa hota ke me ek ghar jata to darwaze ko kundi Lagi hui hoti wo khoLti hi nahi thi to me wahi darwaze par musaLLa bicha kar Namaz padh Leta or wapas Aajata tha Ye hakeem UL ummat Rm hain jinko Allah RabbuL izzat ne iLm ka Samandar banaya tha*
*⚃➠ Farmate hain ke ek martaba meri badi ghar waaLi kahin jaane Lagi or mujhe keh gayi ke ghar me murghiyan paaLi hui hain to unko Apne waqt par dana paani daaL dijyega mene kaha bahut Accha farmate hain mujhe baat hi bhooL gayi Ab me Tafseer bayanuL Qur'aan likhne betha to koi mazmoon warid Nahi ho Raha Badi Allah RabbuL izzat se toba ki duayen mangi magar tabiyat me koi insharah hi nahi ho Raha Aamd ka siLsiLa bilkul band tha kaafi der ke baad faramane Lage ke ho na ho mujhse aisi koi kotaahi hui gunaah hua jis ki wajah se jo Roz mujhpar iLm Aata tha Allah RabbuL izzat ne mujhe us marifat se mehroom kar diya kehne Lage me beth kar sochne Laga to Achanak mujhe khayaaL Aaya Oh mene to murghiyon ko Aaj dana hi nahi daLa unko paani diya jab murghiyon ne wo paani piya or dana khaya Allah RabbuL izzat ne mazameen phir warid karne shuru kar diye or phir mene Aakar Allah RabbuL izzat ke Qur'aan Shareef ki Tafseer likhi*
*⚃➠ Agar murghiyon ko takleef pohche to Allah RabbuL izzat Apni marifat ke iLm Rok lete hain jo Apni Bivi ka diL dukhaayega Allah RabbuL izzat ki marifat kese paayega ?? To deendaar Logon ko is baat ka khayaaL Rakhna Chahiye*
*PART-16*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (16) BIVI KO MAAF KARNE PAR EK SHAKHSH KI BAKHSHISH*
*⚃➠ Hazrat thanvi Rm ne ye waaqiya likha hai ke ek Shakhsh ki Bivi se koi ghaLti kotaahi ho gayi Ab wo use Saza deta to haqq bijanib tha Magar usne usko Allah RabbuL izzat ki bandi Samjh kar maaf kar diya kuch Arse baad khawind ki wafaat ho gayi kisi ne khaab me poocha sunao kiya hua ?? kehne Laga Allah RabbuL izzat ke huzoor me peshi hui farmaya ke tune us moqe par Apni Bivi ko meri bandi Samjh ke maaf kar diya tha Aao Aaj me tumhe Apna banda Samjh kar maaf kar deta hun isse Andaza lagaye Allah RabbuL izzat is baat ko kitna pasand karte hain isliye maaf karne ki Aadat daLo kiyu ke Allah RabbuL izzat maaf karne waLon ko pasand karta hai*
*PART-17*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (17) ABU HASAN KHARQAANI RM KI KARAMAT*
*⚃➠ Chunache abu hasan kharqaani Rm Sher ki Sawaari kar ke Aa Rahe the kisi ne poocha hazrat ye karamat Aapko kese miLi ke Sher par Sawaar hote hain farmaane Lage ghar me meri Bivi Tez mizaaj ki hai me uski TaLkh mizaaji par Sabar kar Leta hun to Allah RabbuL izzat ka sher mere bojh ko Uthaane par Sabar kar leta hai*
*PART-18*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (18) HAZRAT MIRZA MUZHIR JANE JANA RM KO MAQAAM KESE MILA ?*
*⚃➠ Hazrat mirza muzhir jane jana Rm bahut hi Zada nazukh mijaaz the unke waqiyaat bahut hi Zada hain Magar Roohani maqaam itna tha ke Shaah waLiuLLah Delhivi Rm Farmate the Allah RabbuL izzat ne mujhe aisa kashf diya ke me poori Duniya ko is Tarah dekhta hun jese hatheLi par pade hue kisi daane ko dekhta hun ye Shaah waliuLLah muhaddis Delhivi Rm ne likha h or farmate hain us kashf ke hasiL hone ke baad me kehta hun ke is waqt poori duniya me mirza muzhir jsne jana Rm jesa dusra koi buzurg mojood nahi to jinke baare me ek muhaddis mufassir ye keh Raha ho us Mirza muzhir jane jana Rm ko jo maqaam mila uaki bunyaadi wajah ye thi unki Bivi Zara Tez Zabaan thi baat baat par sakht Lafz boL deti thi to unhone ne apni Bivi ki is Iza yani takleef par Sabar kiya Allah RabbuL izzat ne usko wiLayat ka itna bada maqaam Ata farma diya*
*⚃➠ Chunache nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya kareem Logon par ye ghaLib Aajati hai or kameene Log un par ghalib Aajate hain*
*📁Ref RoohuL maani /5/14*
*⚃➠ Me ye pasand karta hun ke me kareem banu Agar che maghLoob ho jaun Lekin ye pasand nahi karta ke bad'AkhLaaq banu or un par ghaLib Rahun*
*⚃➠ To kareemi ko or Narmi ko itna pasand farmaya ke me chahta hun ke me kareem ban kar Rahun Agar che meri Bivi mujhpar GhaLib hi kiyu na Aajaye ye Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya hai*
*PART-19*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (19) BIVI KO KUCH ZAATI KARCHA BHI DENA CHAHIYE*
*⚃➠ Baaz auqaat jhagde ki ek bunyaadi wajah ye bhi hoti hai ke khawind Apni Bivi ko kharch ke liye munasib paise Nahi dete karobaar bhi hai magar ghar me kanjoos bane hue hote hain Ab Zaroorat ki cheez bhi Na La kar dena ya Bivi kahe ghar me faLan cheez ki Zaroorat hai or wo bhooL hi jana Mardon ka Shewa hai to Yaqeenan jhagda hoga to AytadaaL ke saath uski Zaroorat ko poora karna usko kapda jooti Le kar dena Zaroorat ki cheezen Le kar dena Accha khana Le kar dena Ye khawind ka farz mansabi hota hai Shariyat ne ye kaha hai ke ghar ke kharch ikhrajaat to Apni jagah Apni haisiyat ke itbaar se khawind har maheene Bivi ka jeb kharch muta'iyyan karde or Dene ke baad usko bhooL jaye uske bare me ye na soche ke kahan Lagaya Shariyat ka husn dekhiye Shariyat ki khoobsoorti dekhiye kiyu?? isliye ke Bivi ke Apne to Zaraye Aamdani hote Nahi hain use to khawind par inhisaar karna padta hai Ab khawind use ek paisa bhi Zarooriyat ke Liye nahi deta to Zaati Zaroorat ki cheezen wo kese Le Sakegi ??*
*⚃➠ Phir uske pass uski behan ka beta Aaya bhai ka beta Aaya koi baccha Aaya ye khaLa hai phoopi hai iska bhi jee chahta hai me kisi ko khiLona le kar dun kisi ko gift le kar dun pyaar se kisi ko hadya dun to kiya ye Apne khawind se har waqt bheek mangti Rahegi to Shariyat ne kaha hai ke Bivi ke Liye Apni haisiyat ke itbaar se jeb kharch muta'iyyan kardo usko kharcha dena shuru kardo Magar uske baare me mat poocho ke usne kahan kharch kiya ho sakta hai uska diL chahe to wo Apni kisi ghareeb padosan kisi ghareeb seheLi ki madad karna chahe Allah RabbuL izzat ke Raste me kharch karna chahe to wo kar sake to Shariyat kehti hai ke AytadaaL ke saath Biviyon ko kharch dena zaroori hota hai Chunache khawind ko chahiye ke Apni biviyon ka mahana muta'iyyan karen*
*⚃➠ Chand din hue ek Business man ke pass bethe hue the to baat karte karte wo kehne Laga ke Hazrat bivi bahut mehgi hoti hai is baat ko sun kar mujhe hairaani hui ke Allah RabbuL izzat ne us bande ko itna diya ke mere khayaaL me Agar ye chaahe har maheene Lakho kharch kar sakta hai magar uski baat dekhen ke kehne Laga Hazrat Bivi bahut mehgi hoti hai paise ki muhabbat ka ye haaL Allah hu akbar*
*PART-20*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (20) BIVI KO APNE MAA BAAP SE MILNE ME RUKAAWAT NA DAALE*
*⚃➠ Ek jhagde ki wajah ye bhi hoti hai ke jab Shaadi ho jaati hai to khawind Apni Bivi ko Apne maa baap se bhi kayi Dafa miLne ki ijazat Nahi dete bas jee kaam hai bas masroof hain kabhi gusse se Rok dete hain kabhi pyaar se mana kar dete hain ek khawind hafiz Sahab the 9 SaaL se Apni Bivi ko Apne maa baap se miLne Nahi diya khud imaraat me Rehte the or uske maa baap India me the Ab wo bacchi Aalima bhi hai Acchi ibaadat guzaar bacchi magar diL se itni dukhi haLanke khawind bhi deendaar tha Bivi jab kehti mera bahut diL chahta hai me Ammi ke pass jaun to wo kehte kiya karogi mera tumhaare baghair guzara Nahi hota mujhe Andaza hua to mene unko kaha hafiz Sahab 9 saaL guzar gaye Beti hai uska bhi diL chahta hai ke me Ammi abbu se miLun To Aap jaane den to kehne Lage kiya karun mujhe uske baghair neend Nahi Aati mene kaha bahut Accha tumhe Neend Nahi Aati Ab Apni job se Ek maheene ki chutti Lo or khud bhi uske Saaath jao or ek maheene wahin par Raho Ab hafiz Sahab ki Aankhe khuLi chunanche jab usne dekha ke Hazrat Sahab serious hain Ab usne waaqi Ek hafte ki chutti Li or Apni Bivi ko Le kar gaya or ja kar Apni Bivi ko waliden se miLa kar Laya jab ke un 9 SaaLon me wo 24so Baar Apne waliden se miL kar Aaya tha to Apne waliden se miLne ka waqt hai us waqt Neend kese Aajaati hai Bhai ye bewaqoofiyan hoti hain ke Apne mehram Rishtedaaron se maa baap se behan se bhai se bhi usko miLne na dena hamne ghar me koi jaanwar paLa hua hai usko insaan Samjhye or uski Zarooraton ko mehsoos kijye ye khawind ki zimmedaari hoti hai Yaad Rakhen ke Shaadi se pehle khawind ke Ek maa baap hote hain or shaadi ke baad Ab Saas Sasur ke Liye bhi maa or baap ka hukm hai Agar ye usko uske maa baap se miLne Nahi de Raha to goya Apne maa baap se miLne Nahi de Raha*
*PART-21*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (21) JHAGDON KI EK BADI WAJAH BUDHAPA*
*⚃➠ Phir Shaadi ke jhagdon me ek badi wajah budhapa hota hai ye ek Ajeeb Zindagi ka waqt hota hai Jisme Tabiyaton ke Andar Bahut Zada Sakhti Aajati hai or Tabiyaten Has'saas ho jaati hain Chunache Agar Aurten boodhi hon ya mard boodhe hon Zara Zara si baat par Naraaz ho jaate hain hamne baaz boodhon ko dekha hai ke wo hawa ko ghaLiyan De Rahe hote hain Tabiyaten aisi has'saas ho gayi*
*⚃➠ Hamare Hazrat Rm farmaaya karte the ke ek boodha Doctor ke pass gaya kehne Laga Doctor sahab meri binaayi kamzor ho gayi hai usne kaha budhaapa hai Doctor Sahab mere teen chaar daant bhi gir gaye usne kaha budhapa hai Doctor Sahab mujhe Uncha sunta hai usne kaha budhaapa hai Doctor Sahab mujhe khana bhi hazam nahi hota usne kaha budhapa hai Doctor ne baar baar kaha ke budhapa hai to boodhe miya ko gussa Aaya uske kaha ye kiya har baat par Budhapa hai budhapa hai doctor ne kaha bade miya ye gussa bhi budhape ki wajah se hai*
*⚃➠ To budhape me bande ki tabiyat aisi ho jaati hai miya bivi ki Aksar Ladaayiyan is umar me hoti hain jab unko ek dusre ki Tab'ee Zaroorat kam ho jaati hai yani ek dusre ki Zaroorat nahi Rehti to unke ye jhagde bahut badh jaaate hain*
*⚃➠ Chunache ek Sahab ne kaha ke jab meri Shaadi hui to me boLta tha or meri Bivi sunti thi phir bacche ho gaye or Maa ke vote badh gaye phir Bivi boLti thi or me sunta tha phir ham dono boodhe ho gaye to phir ham dono boLte the Or mehaLLe waLe sunte the to budhape ki Ladaayiyan Aisi hoti hain*
*⚃➠ Shariyat ka husn o jamaaL dekhiye ke Shariyat ne miya Bivi ke ta'alluq me 2 Alfaaz istemaal kiye irshaa farmaya*
*◑ وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ (30:21)*
*⚃➠ Allah RabbuL izzat ki Nishaaniyon me se ye hai ke usne tumme se tumhaare liye joda banaya take tum usse sakoon hasiL kar sako or tumhaare darmiyaan mavaddat o Rehmat Rakhdi beshak usme Nishaaniyan hain AqaL waLon ke liye (30:21)*
*⚃➠ Mufassireen ne likha hai mavaddat jawaani me hoti hai jawaani ki umar me ek Dusre ki Zaroorat hoti hai miya bivi Lad bhi padte hain to Raat me phir ek ho jaate hain miya bivi Naraaz bhi hote hain to ek dusre ki Zaroorat unko phir manwane par majboor kar deti hai ye mavaddat hoti hai*
*⚃➠ Lekin jab boodhe ho jaate hain to ek dusre ki jo tab'ee Zaroorat hoti hai wo to Nahi Rehti wo Ta'alluq to bahut kamzor ho jata hai to Ab dono ko jodne ke liye kiya cheez hai to Farmaya tumhaare darmiyaan Rehmat ka Ta'alluq bhi Rakh diya Rehmat ka kiya matlab ?? ke khawind Agar boodha ho gaya to Bivi ye soche ke me Jab Aayi thi to ye kitna nojawaan tha usne kamaya usne ghar banaya uske bacche hain usne mujhe khushiyan di or mujhe khushiyan de de kar Ab ye boodha ho gaya Agar uski Tabiyat me Sakhti Aa bhi gayi hai to jese ek bimaar Aadmi ke saath banda deeL karta hai to mujhe uske itne saaLon ki muhabbaton ka badLa dena hai or budhaape me uski khidmat karni hai*
*⚃➠ Or farmaaya ke khawind ye soche ke ye jab mere pass Aayi thi ye kis Qadar nojawaan or khoobsoorat Ladki thi phir yahan Aakar uske bacche hue or uska ye haaL ho gaya ke boodhi ho gayi us Ladki ne Apni jawaani meri khidmat karte karte guzaar di or budhape ko Aagayi Ab us budhape me Uski Tabiyat me TaLkhi hai Tezi hai koi aisa masLa hai to usne Apne Aap ko meri hi khatir boodha kiya hai to mujhe uska Lihaz to Rakhna hai jawaani me dono ne Jo itne saaL ek dusre ko Muhabbaten di Farmaya ke uska Lihaz karte hue ek dusre ka khayaaL Rakhna chahiye usko Rehmat kehte hain to budhape me Agar Rehmat ka khayaaL Rakhen or kahen ke ji han hamne itni Acchi Zindagi guzaari hai to budhapa to hame ek dusre ke saath Accha hi guzaarna chahiye to Yaqeenan diLo me ek dusre ke khiLaaf Nafraten khatm ho jayengi*
*PART-22*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (22) JANNAT ME NAHI JANA*
*⚃➠ Ye budhaape ki Nafraten itni hoti hain ke toba toba Baaz dafa to aisi soorate haaL hoti hai ke mere khayaaL me Agar khawind ko kahe Na ke tumhare haath me Agar goLi ho to kis ko maroge to kahega Bivi ko or Bivi se pooche ke tumhare haath me Agar goLi ho to kis ko marogi to kahegi khawind ko Ek Dusre se Aisi Nafraten*
*⚃➠ Ek martaba mujhe kahi jane ka moqa miLa ek boodhe miya the Apne zamane me industry ki line me the or bade khate peete the badi kothi me rehte the jawani me to deen ki taraf itna Rujhaan Nahi tha budhape me thoda deen ki Taraf bhi Aagaye dono miya bivi ne Namazen bhi shuru kardi Magar bivi bhi to Ameer khawind ki bivi thi or dono miya bivi fasq o fujoor me Rehne waLe the usne Apne miya ko jawani me khoob Tif time diya tha hatta ke miya bivi dono boodhe ho gaye Ab wo miLne ke liye Aaye to koi baat chaLi or darmiyaan me kahi Jannat ka tazkira Aagaya mene uski tafseel kuch bayaan kardi ke insaan ibadat karta hai To Allah RabbuL izzat uski Aankhon me thandak ke liye Jannat me ye ye samaan bana Rakha hai jab mene ye saari baaten batayi to boodhe miya kehne Lage Hazrat Jannat me meri Bivi to nahi hogi na mene kaha kiyu kehne laga ke Agar ye Jannat me hogi to mene Jannat me nahi jana yani itna wo tang tha kehta tha ke Agar ye Jannat me hui to mene Jannat me nahi jana phir mene use Samjhaya ke ye jesi Ab hai wesi ban kar Jannat me Nahi jayegi Jannat me ye nek ban kar Acchi ban kar jayegi mujhe us boodhe ko convinced (manwane) karne me 5 10 mint Lage wo kehta tha ke mene Jannat me jana hi nahi jahan ye hogi ye budhape ke jhagde Aise hote hain*
*PART-23*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (23) EK DUSRE KI QADAR KAREN*
*⚃➠ Aam tor par dekha gaya hai ke jab miya bivi qareeb hote hain to ek dusre se Ladai'yan hoti hain Agar is haLat me khawind fot ho jaye to yahi bivi saari zindagi khawind ko yaad kar ke Roti Rahegi ke jee itna Accha tha mere liye to bahut hi Accha tha Agar bivi fot ho jaye to yahi khawind saari zindagi yaad kar ke Rota Rahega ke Bivi itni Acchi thi mera kitna khayaaL Rakhti thi to panjaab ki ek kahawat hai (bande di Qadar Aandi Aye Tar gaya ya mar gaya)*
*⚃➠ Ham bande ki Qadar uske Qareeb Rehte hue kar liya karen kayi martaba dekha gaya hai miya bivi jhagde me Ek dusre ko TaLaaq de dete hain jab hosh Aati hai to khawind Apni jagah pagaL pana phirta hai or Bivi Apni jagah pagal bani phirti hai phir hamare pass Aate hain ke moLana sahab koi aisi soorat nahi ho sakti ke ham phir se miya Bivi ban kar reh sake Aisi soorate haaL hargiz Nahi Aane deni chahiye TahammuL se kaam lena chahiye balke ek Roothe dusre ko mana Lena chahiye*
*⚃➠ Ye baat bahut ghalat hai ke wo Nahi boLi mere saath me bhi Nahi bhoLunga pehLe wo maafi mange ghaLti uski hai jhukne se izzat kam Nahi or Zada badhti hai baLke me to ye kahunga jo pehle maafi mange use us Rishte ki Zada Qadar hai*
*PART-24*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (24) ALLAH RABBUL IZZAT KI SIFARISH*
*⚃➠ Taham Allah RabbuL izzat ne Qur'aan Majeed me Aurto'n ke baare me ek Sifarish farmayi hai badi Aham baat hai khawind ko diL ke kaano se ye baat sunni chahiye Allah RabbuL izzat farmaate hain*
*⚃➠ Ke tum Apni Aurto'n ke saath bade Acche andaaz se zindagi guzaaro) AbduLLah ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate the ke jo Shakhsh Allah RabbuL izzat ki is Sifarish ka Lihaaz or khayaaL Rakhega Allah RabbuL izzat Qayamat ke din us bande ke gunaaho ke bakhshne me uska Lihaaz karenge or farmaaya jo Apni Biviyo'n ko Tang karega museebat me Rakhega RuLaayega Dukh pohchayega farmaya ke Qayamat ke din Jab Allah RabbuL izzat ke huzoor jayega Allah RabbuL izzat farmayenge ke dekho mene Sifarish ki thi ke tum Apni Biviyo'n ke Saath pyaar or muhabbat se Raho Lekin tum use RuLaate the tum use Tang karte the Raaton ko Sone Nahi dete the tum use mayeke bhejte the tum uske saath itni Ziyaatti karte the tumne meri baat ka lihaaz Nahi Rakha Aaj tum meri Rehamat ke kese TaLabgaar bante ho aise bande ko Allah RabbuL izzat jannnam ke Andar ULta Latka denge*
*⚃➠ To Aaj Agar bivi ka baap police me IG ho or wo phone karde ke Meri beti ke saath thik Rehna to nojawaan kaanp Rahe hote hain kiyu ke Agar Bivi ne shikayat kardi to uske Abbu mere liye museebat ban jayenge Ek police ka banda ek duniya ka haakim Agar uski baat na maani jaye to wo kiya kuch kar deta hai To Agar Allah RabbuL izzat ki baat Nahi manege to Allah RabbuL izzat ko kitna jaLaaL Aayega Yaad Rakhiye jo biLa wajah Apni Biviyo'n ko Tang karte hain to hamare buzurgon ne farmaya ke jese Sher gusse ki haLat me hota hai Allah RabbuL izzat us khawind ke upar is Tarah gussa farmate hain Allah RabbuL izzat ham sab ko sahi samjh Ata farmaye Aameen ya Rab AaLameen*
*PART-25*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (25) NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KI AAKHRI NASEEHAT*
*⚃➠ Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam jab is duniya se jaane Lage to Aap Sallallahu Alaihivasallam ki mubarak Zabaan se jo Aakhri baat Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha farmaati hain mene kaan Laga kar suni ke Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam farma Rahe the ke Toheed par jame Rehna jo Tumhare matehat hain Apni Biviyo'n ke baare me Allah RabbuL izzat se darte rehna To unki itni Ahmiyat hai ke Huzoor e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam Ay'n Aakhri waqt bhi uski Wasiyat kar ke gaye*
*⚃➠ Ek hadees paak me Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Logon Apne matehton ke saath Accha saLook karna me Qayamat ke din unka wakeeL ban jaunga*
*⚃➠ Agar tumne unke saath Ziyaatti ki zuLm kiya Sakhti ki or Apni Position se Najaaiz Fayeda uthaya Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam farmate hain Qayamat ke din unka wakeeL ban jaunga or tumse unka haqq diLa kar Rahunga*
*⚃➠ Ab sochiye Jab Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam unke wakeeL ban jayenge to hame Allah RabbuL izzat ke habeeb Sallallahu Alaihivasallam ki Shifaa'at kese Naseeb hogi ??*
*PART-26*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (26) AAJ WAQT HAI*
*⚃➠ Aaj waqt hai Apni susti or Apni kotaahi se maafi mangne ka isliye Aajiz ki ye ek Naseehat hai ke Agar Bivi Samjhti hai ke mene khawind ke Saath Ziyaatti ki to wo Aaj Apne khawind ke pao'n pad kar maafi mangLe or Agar khawind Samjhta hai ke mene Bivi ko Sataaya or RuLaya hai Aaj ja kar Apni Bivi se maafi mangLe uska diL khush karLe Apni Bivi ka diL khush karega Dusre Lafzo'n me Apne pyaareHabeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ka diL khush karega or Apne Allah RabbuL izzat ko khush karega Allah RabbuL izzat hame haqeeqaten haaL ko Samjhne ki tofeeq Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen*
*PART-27*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (27) AAKHRI BAAT*
*⚃➠ Aakhri baat sun lijye Aap sallallahu alaihivasallam ghar me Tashreef Laate hain Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha PiyaaLe me paani pee Rahi hain Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne door se dekha or farmaaya humera ?? Labbek ya Rasoolullaah sallallahu alaihivasallam Aye Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb hukm farmaye humera mere Liye kuch paani bacha dena sochne ki baat hai ke barkaten to Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam me thi Aap barkaton waLi zaat the Aap Apni Bivi ka bacha hua paani kiyu peena chahte the AsaL me Muhabbat izhaar mangti hai izhaar ke baghair wo Reh nahi sakti Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam hukm dete Thanda paani Aapko kahin se bhi pesh kar diya jata magar Bivi ka bacha hua paani muhabbat ke izhaar ke Liye Aap peena chahte the farmaya humera paani mere liye bhi bacha dena Aap sallallahu alaihivasallam tashreef Laaye Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ne wo bacha hua paani ka piyaaLa Aap ke hawaLe kiya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne mubarak haathon se Le Liya or uske baad Aap peene Lage to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne piyaaLe ko ek jagah Rok kar poocha humera tumne kis jagah Apne Lab Laga kar paani piya tha Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ne ungLi ke ishaare se bata diya ke Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam mene piyaaLe ke is jagah se paani piya tha Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne piyaaLe ka Rukh phera or usi jagah Apne mubarak Lab Laga kar paani nosh farmaya jab khawind Apni Bivi ko itni muhabbaten dega uska dimaagh kharaab hai ke wo ghar ko Aabaad Nahi karegi ye to miya bivi ke upar murattib hai ke Agar Bivi ko Muhabbaten deta hai ghar Aabaad ho jata hai Sahi heandiL Nahi karta hai to ghar barbaad ho jata hai Allah RabbuL izzat hame Samjh Ata farmaaye or Azduvaji zindagi ke jhagdon se hame bachaaye or gharon ke fasaad se Allah RabbuL izzat hame mehfooz farmaye or hamare gharon ko Allah RabbuL izzat choti si Jannat ka mahoL Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen*
*PART-28*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (28) MIYA BIVI KA TA'ALLUQ GHAR KI BUNIYAAD HAI*
*⚃➠ Hamare gharon se hamare mahoL or muaashre se ye Ladayi jhagde kese khatm hon is par kayin dino se baat chaL Rahi hai in Ladaayi jhagdon me ek bada RooL miya bivi ke Ladaayi jhagdon ka hota hai miya bivi dono miL kar ek ghar bante hain Agar unke Aapas ke darmiyan bhi Ladaayi jhagde shuru ho jayen to goya ye ghar barbaad hone ki nishaani hoti hai miya Bivi ka ta'alluq koi kaccha dhaga Nahi hai ek gehra Rishta hai Allah RabbuL izzat farmaate hain (or unhone tumse pakka Ahad liya) isliye Qur'aan paak ne Apni Bivi ko karwat ka saathi kaha hai ye Zindagi bhar ka saath hota hai miya or Bivi dono ko Samjhdaari se kaam lena chahiye or muhabbat o pyaar se zindagi guzaar kar Shaitaan ko usme dakhaL Andaazi ka moqa hi Nahi dena chahiye Inten judti hain to makaan ban jaate hain jab diL judte hain to ghar Aabaad ho jaate hain ye Zimmedaari khawind ki bhi hoti hai or Bivi ki bhi hoti hai dono ek dusre ke saath muhabbat o pyaar se kaamLen*
*⚃➠ Ye UsooL yaad Rakhen jahan muhabbat moti hoti hai wahan Ayb patLe ho jaate hain or jahan muhabbat patLi hoti hai wahan Ayb mote ho jaate hain isliye Shariyat ne nikaah ke baad muhabbat ko Ajr o sawaab ka Zarya bataya hai Chunache miya bivi Aapas me jitni muhabbat karenge jitna pyaar karenge utna hi Allah RabbuL izzat unse Raazi honge Ek hadees mubarak me Aaya hai jab Bivi Apne khawind ko dekh kar muskurati hai or khawind Apni Bivi ko dekh kar muskurata hai to Allah RabbuL izzat un dono ko dekh kar muskurate hain*
*PART-29*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (29) SHAADI KA MAQSAD*
*◑ وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ (30:21)*
*⚃➠ Allah RabbuL izzat ki Nishaaniyon me se ye hai ke usne tumme se tumhaare liye joda banaya take tum usse sakoon hasiL kar sako or tumhaare darmiyaan mavaddat o Rehmat Rakhdi beshak usme Nishaaniyan hain AqaL waLon ke liye (30:21)*
*⚃➠ To maLoom hua ke Shaadi ka maqsad ye hai ke sakoon hasiL ho jahan Aap dekhen ke miya Bivi ki Zindagi me sakoon Nahi har waqt jhagda har waqt jaLi kati baaten ek dusre ko karte Rehte hain behas o mubahisa me ULjhe Rehte hain SamjhLen ke kahi na kahi daaL me kuch kaaLa hai Bivi ki taraf se kotaahi hai ya shohar ki Taraf se kotaahi hai or Aam tor par hamara Tajurba yahi hai ke dono ki Taraf se kotaahi hoti hai*
*PART-30*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (30) AAJ KA MOZU*
*⚃➠ Is siLsiLe me Aaj ham Bivi ki Side ka Tazkira karenge ke kon si GhaLtiyan or kotaahiyan wo karti hai jis ki wajah se ghar barbaad ho sakta hai*
*⚃➠ Ek usooLi baat yaad rakhe Allah RabbuL izzat ne Qur'aan Majeed me Shadi ka maqsad bataya (ke tum Apni Biviyo'n se sakoon pa'o) jo bhi apne khawind ke liye sakoon ka Sabab banegi wo apne ghar me hansi khushi zindagi guzaaregi or jo khawind ki pareshaani ka Sabab banegi wo khud bhi pareshaani uthaayegi isliye ghar ko basana Aurat ke Akhtiyaar me hota hai hamare bade kaha karte the ke mard Kassi Le kar ghar ko girana chahe to wo Nahi gira sakta Aurat agar sooyi le kar ghar ko girane Lage to mard se pehLe gira liya karti hai isliye Aurat ko ghar waaLi kaha jata hai Ghar ka basana Aurat ke upar munhasir hai*
*PART-31*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (31) KHAWIND SE MUHABBAT KA RISHTA MAZBOOT KAREN*
*⚃➠ Yaad Rakhen khoobsoorat TaLeem yafta or maaLdaar bivi ko bhi khawind ke diL ki malika banne ke Liye Samjhdaari se kaam lena padta hai Lihaza zindagi ke is safar me ek dusre ke saath muhabbat ka Rishta mazboot karen bivi ko chahiye ke khawind ko yaad dahani karwaaye Sirf muhabbat ka izhaar zaroori nahi isko mehsoos bhi karwaaye ke waaqi bivi mujhse muhabbat karti hai khawind ke Samne Sharm dikhana Takalluf karna Jhagde ki buniyaad hota hai Shaitaan bhi kitna makkaar hai ke jab Bivi khawind ke pass hoti hai to us par Ajeeb sharm o haya taari kar deta hai or jab mehfiL me bethi hoti hai to phir uske Samne khiL khiLa kar hans Rahi hoti hai to ye zehan me Rakhen ke Shari'at ne jahan muhabbat ka izhaar karne ke liye kaha wahan muhabbat ka izhaar karna bhi Sawaab hai*
*⚃➠ Kayi jagah hamne jhagdon ki buniyaad ye dekhi khawind pyaar bhi karta hai muhabbat ka izhaar bhi karta hai or Bivi apne Andar diL diL me khush bhi hai Lekin izhaar aise karti hai jese use koi farq hi nahi padta izhaar aise karti hai jese mujhe uski Zaroorat hi nahi hai ye itna bada bawandar hai ke isse pada bawandar Aurat apni zindagi me Nahi La sakti muhabbat ka jawaab hamesha muhabbat se dena chahiye jab khawind chahta hai ke Bivi muhabbat ka izhaar kare to Bivi ke liye ye sunhera moqa hai aisi baat kahe aise Alfaaz kahe ke khawind ka diL baagh baagh ho jaye*
*⚃➠ Aap Zara sochiye ke UmmuL mumineen Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam se Muhabbat ka izhaar farmaati thi chunanche baat cheet ke doraan Ek martaba Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Aap mujhe makkhan or khajoor ko miLa kar khane se bhi Zada marghoob ho Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha muskurayi or foran jawaab me kaha Aye Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam Aap mujhe makkhan or Shehad ko miLa kar khane se bhi Zada Marghoob hain Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam muskura pade or farmaaya Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Tera jawaab behtar hai Ab dekhen khawind ne jo baat kahi Bivi ne ek dam Aage badh kar baat kahi*
*⚃➠ Khawind se Muhabbat ka izhaar Nahi karegi to kis ke saath karegi ?*
*⚃➠ Insaan ki fitrat hai ke jab wo kisi se Muhabbat karta hai to muhabbat izhaar chahti hai Yaad Rakhen ishq Chupa Nahi Reh sakta hamesha izhaar mangta hai jahan bhi honge ye Aapko Zahir kiye baghair Nahi Rahenge isi tarah bivi jab khawind se Muhabbat karti hai to ye sochna ke Agar me Muhabbat ka izhaar kardun to khawind ki Nazar me gir jaungi ye Bahut badi ghaLti hai kese mumkin hai ke ek banda Apne QoL o fe'al se Muhabbat ka izhaar kar Raha ho or dusre bande ki Nazar me uski Qadar kam ho Rahi ho ??*
*⚃➠ Han jab khawind chahta hai ke Bivi muhabbat ka izhaar kare or Bivi aise ban kar Rahe ke jese wo bilkuL thad'de Baraf waLe diL ki manind hai ye Aurat apna ghar barbaad karne ki koshish kar rahi hai*
*PART-32*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (32) AFSOSNAAK WAQOYA*
*⚃➠ Chunache mash'hoor waqiya hai ek ghareeb ghar ki Ladki thi jo ke bahut khoobsoorat thi Ek nek Ameer gharane ke bacche ne uski Taraf Shadi ka offer bheja Shaadi ho gayi maa baap bhi khush the ke bacchi ki shaadi Aachi jagah ho gayi hai uske bhaiyon ke liye bhi Rozgaar ki koi Soorat nikaL Aayegi or bacchi khud bhi khush Rahegi jab ye ghar pohchi to khawind ne uske saath bahut zada muhabbat ka izhaar kiya ye us muhabbat ko dekh kar Nakhre me Aagayi khawind bahut zada uski diL joyi karta Subah Shaam bas usi ki Rat Lagaye Rakhta tum mere ghar ki malika ho tumne mere ghar ko Jannat bana diya me to soch bhi Nahi sakta tha ke itni Acchi or khoobsoorat bivi mujhe miL jayegi ye jitna zada uski Tareef sunti utni zada nakhre me Aati khair kuch din guzar gaye Ek din ye Rote hue Apne ghar waapas Aagayi khawind usko mayeke chord kar chala gaya maa ne poocha beti kiya hua kehne lagi khawind bahut zada muhabbat ke moond me tha mujhe pyaar kar Raha tha chahta tha ke me uske saath muhabbat ka izhaar karun me aise gum sum thi ke mujhpar koi Asar hi nahi ho raha biL Aakhir Tang Aakar usne mujhse poocha ke me is Qadar tumse muhabbat karta hun kiya tumhe mujhse muhabbat hai kehne Lagi ke pata nahi mere dimaagh par parda pada ke mene us waqt nakhre me Aakar keh diya ke Nahi mujhe tumse muhabbat Nahi hai bas ye Lafz kehna tha ke khawind gusse me Aagaya or kehne Laga ke jab tumhe mujhse muhabbat hi nahi to jao jahan ho wahi zindagi guzaarna meri Taraf se tumhe teen taLaaq hai Ab jab shaadi ke ek maheene baad usko taLaaq ho gayi or phir maa baap ke ghar me usko Rehna pada tab uski Aankhe khuLi*
*⚃➠ Lamho'n ne khata ki Sadiyon ne Saza Paayi*
*⚃➠ phir uske baad uski Dusri Shaadi na ho saki Uske liye jo acche Rishte the wo kuwaari Ladki se shaadi karna chahte the or uske Naam par jo shaadi ka dhabba Lag chuka tha or jo Rishte Aate the wo bahut boodhe Ya Shaadi Shuda Logon ke Aate the unse shaadi karte hue ye gabrati thi to us nojawaan khoobsoorat Ladki ki Zindagi Rote dhote guzar gayi*
*⚃➠ To dekhe ye kitni badi bewaqoofi hai Wo Zindagi ka saathi hai Apne diL ke sakoon ke Liye diL ke itminaan ke liye Agar ye chahta hai ke me us bivi se itni muhabbat karta hun to ye bhi mujhse muhabbat kare To Bivi ko uska izhaar karna chahiye kehna chahiye ke han Aap hi se to muhabbat hai Aap hi to meri zindagi ke saathi hain meri chahaten meri Muhabbaten Saari Aap hi ke Liye hai Aapne hi mere liye duniya ko Jannat bana diya hai meri to khushiyan hi Aapke saath wabasta hain Aise alfaaz kehne me kiya Rukawat hoti hai Siwaaye iske ke nafs ki Shararat hoti hai Ya Shaitaan uske peeche pareshaan karne ke liye TuLa hua hota hai iske siwa or kuch Nahi hota*
*PART-33*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (33) SAYYADA HAZRAT AAISHA SIDDIQA RAZIYALLAHU ANHA KA IZHAAR E MUHABBAT*
⚃➠ Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha ne nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ki muhabbat me Ash'aar banaye or ye unke She'ar bahut mash'hoor hain ke Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam isha ki Namaz ke baad Sahaba Raziyallahu Anhum ki majLis se Farigh ho kar ghar Tashreef Laate the to Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha farmaati hain ke Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam muskurate chehre ke saath Aate the SaLaam karte the us waqt Hazrat Aaisha siddiqa Raziyallahu Anha Aap SaLLaLLahu alaihivasallam ko ye she'ar sunaati thi kiya sunati thi farmati hain
*◑•••Aye Aasmaan ek Tera bhi Sooraj hai or ek hamara bhi Sooraj hai*
*◑•••Or mera sooraj Aasmaan ke Sooraj se behtar hai*
*◑•••Isliye ke Aasmaan ka Sooraj to Fajar ke baad TuLu hota hai*
*◑•••Or mera Sooraj to mere ghar me Isha ke baad TuLu hota hai*
⚃➠ Ab sochiye ke Agar Bivi in Alfaaz se khawind ka istaqbaal karegi to khawind ke diL me Kis Qadar muhabbat Aayegi *koi hai Aapme se aisi bivi ke jisne kabhi khawind ki muhabbat me Ash'aar kahe hon* Aurat ye Samjh Leti hai ke bas khawind ki hi Zimmedaari hai ke wo izhaar kare Or Apne aapko Samjhti hai ke me jitna izhaar nahi karungi utni badi mehbooba Banugi ye bahut badi (misunderstanding ) ghaLat fehmi hai TaaLi do haath se hi bajti hai Isliye chahiye ke muhabbat ka Acche Andaaz me izhaar kiya jaye AmaL se bhi QoL se bhi fe'aL se bhi Chunache jab khawind muhabbat ka izhaar kare to Bivi bhi jawaab me Muhabbat ka izhaar kare aise Alfaaz se ke khawind ka diL mutma'in ho jaye ke meri Bivi mujhse hi muhabbat karti hai
⚃➠ Ye Zehan me Rakhna ke Agar khawind ke diL me Shak pad jaye ke meri Bivi mujhe Nahi chahti hai to ye jo Nuqta (hai hi bhi) ka ye khawind ke diL me farq daaLta hai Bivi ko aise zindagi guzaarni chahiye ke khawind ko yaqeen dahani karaye ke Aap hi se Muhabbat karti hun
*PART-34*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (34) APNI KHUSHI PAR KHAWIND KI KHUSHI KO TARJEEH DEN*
⚃➠ Dusri Aam tor par ye ghaLti hai ke Apni khushi par khawind ki khushi ko tarjeeh dena isko ye fikar Lagi Rahe ke khawind ka diL usse khush Rahe ye Nahi ke har waqt bas mujhe hi khush Rehna hai khawind ki khushi ka khayaaL Rakhe uska diL khush hoga to ghar ki zimmedaariyon ko bhi QabooL karega uski Tavajjoh ka itLaaq bahar ki bajaye Apna ghar ban jayega wo daftar me beth kar Ghar ke liye udaas hoga Log use Apne kaam ke Liye Rokenge or ye jaan chura kar ghar ki Taraf bhaag Raha hoga kiyu?? isliye ke ye Samjhta hoga ke ghar ja kar mujhe Sakoon miLega
⚃➠ Khawind ki marzi ke khaiLaaf koi kaam na kare kayi martaba dekha ke khawind ek baat se mana karta hai Bivi suni an suni kar deti hai or phir wahi kaam karti hai jab mana karne ke bawajood phir wahi kaam kiya jaye to ye cheez jhagde ka Sabab banti hai or jhagda Na bhi ho diL me meL Aane ka Sabab Zaroor ban jaati hai
*PART-35*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (35) KHAWIND KOI KAAM KAHE TO USKO ZIMMEDAARI SE KAREN*
*⚃➠ Teesri baat Agar khawind koi kaam Zimme Lagaye use is Tarah karo ke khawind befikar ho jaye ye nahi ke jo kaam usne Zimme Lagaya usko to kiya Nahi or dusre kaamo me Lagi Rahi misaaL ke Tor par khawind ne Subaah daftar jana hota hai us waqt khawind ke kapde tayyar hon uska khana tayyar ho ye Bivi ki zimmedaari hai Ab khawind ke daftar ka waqt ho gaya or Bivi bechaari ne Abhi kapde hi Nahi nikaaLe kiyu Nahi nikaLe ?? Jee me so kar hi der se Uthi hun to ye cheez ULjhan ka Sabab banegi Apni zimmedaari ko mehsoos karen ke mujhe us moqe par kiya karna hai sone ka jaagne ka kuch usooL hona chahiye kuch Awqaat aise hote hain ke Aurat ko Apne haath se kaam karna padta hai Ab ghar ki nokraniyon ko keh dena ke kapde dho dena Kapdo par press Kar dena or khawind ke Liye ye Samjh Lena ke khud hi kapde nikaaL Lega or tayyar ho kar daftar me chaLa jayega Or us waqt meri neend me khaLaL Nahi Aana chahiye ye intehayi bewaqoofo waali baat hai ye Zindagi ki Saathi hai use Apni khidmat ke Zarye khawind ka diL jeetna chahiye Chunache Agar khawind koi bhi kaam Zimme Lagaye to use Apna Duty of Charter Samjhe Uski Zaroorat ko Apni Zaroorat par Tarjeeh de
*PART-36*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (36) FARMAISH KARTE HUE MARD KI GUNJAISH KO DEKHNA*
*⚃➠ Ye bhi dekha gaya hai ke basa Awqaat Aurat mard ki gunjaish se badi farmaaish karti hai to farmaaish karte hue mard ki gunjaish ko bhi dekha karo Ab Agar khawind Afford hi Nahi kar sakta or Aapne zid kar ke Agar kapde khareed bhi Liye to pehan kar Aap khawind ko khush kese kar sakti hain uska diL Agar dukhi hoga to Aap kapde Le kar uski muhabbat me koi Izafa Nahi karengi to ye UsooL ki baat yaad Rakhen ke farmaaish hamesha gunjaish ke mutabiq honi chahiye
*PART-37*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (37) KHAWIND KI ATA PAR SHUKRIYA ADA KAREN*
◑•••Aap ki farmaaish ko Agar khawind poora karde to Aap uska Shukriya bhi Ada karen ye bhi dekha gaya hai ke khawind Bivi ki har jayaz Zaroorat ko poora karte hain or jawaab me Bivi ki Zabaan se shukriya ka Lafz bhi Nahi nikaLta kiyu nahi nikaLta ?? Allah RabbuL izzat jaane ye wo badi GhaLtiyan hain jo Zahir me Choti Nazar Aati hain Magar diLon me farq jaaL deti hain khawind Tohfa Laya phaL khareed kar Laaya khaas tor par koi cheez Apni Bivi ke Liye Laaya or Bivi uski Taraf koi tawajjoh Na de aise Samjhe han thik hai Aagayi hai koi baat nahi
◑•••To is Tarah Agar beparwaahi ka izhaar karegi to khawind ke diL par iski chot Lagegi jab khawind tohfa Laaye to aap usko uski Ahmiyat ka Ahsaas diLaayen or khushi ka izhaar karen Take AgLi dafa usse behtar tohfe ki mustahiq ban sake
*PART-38*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (38) KHAWIND KE AATE HI GHAR KA RONA DHONA NA LE KAR BETH JAYE*
*⚃➠ Ye bhi Zehan me Rkahen ke khawind jese hi ghar me Aaye or foran uske samne Rona dhona Le kar beth jaye pehle usse baat cheet kar ke pooche ke bahar uska waqt kese guzra wo khush Ghar aaya hai ya kisi baat ki wajah se pareshaan ghar aaya hai ye baat to maLoom Nahi karti bas khawind ko dekhti hai or Apna Rona dhona Shuru kar deti hai
*⚃➠ Pehle aap usse baat cheet karen usse pooche uska Andaza Lagayen ke khawind bahar se kis kefiyat ke saath Aaya hai koi karobaari pareshaani Kisi Aadmi ne kisi mamLe me Zehani tor par pareshaan to Nahi kar diya usko gussa to Nahi diLaya khawind Agar bahar se hi kisi pareshaani ke AaLam me Aaya hai to Ab bivi ko chahiye ke pehle uske diL ko khush kare usse meethi meethi pyaar wali baaten kare hansi khushi ki baaten kar ke uske moond ko Normal kare phir uske baad jo kehna hai kahe Lekin khawind par Nazar padte hi shikve shikayat karne beth jana tumhaari Ammi ne ye keh diya tumhaare behan ne ye kar diya me to is ghar me Aakar pareshaan ho gayi hun tum mujhe kin museebaton ke paLLe daaL kar chaLe gaye is Qisam ki baaten to use zada (Frustrate) pareshaan karne waali baat hai ye zehan me Rakhen ke bahar se Aane waLe khawind ko pehle bithaaye or baat cheet ke Zarye Andaza Lagayen ke uska Zehan fresh hai ya Nahi Agar jaane ke thik hai to Aap ki to jayaz baat hai Zaroor karen Moqe ki baat Sone ki daaLiyon ki manind hoti hai or be'moqa baat jhagde ka Sabab banti hai Agar kisi waqt aapka khawind gusse me hai to phir uske samne bilkul Naram ho jaye to ye baaten har Bivi ko Acchi Tarah Samjh Leni chahiye Agar ghar ko Jannat banana chahti hain to choti choti baton par ghor karen or un par AmaL karen
*PART-39*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (39) •JAB KHAWIND GUSSE ME HO TO BIVI NARAM HO JAYE*
*⚃➠ Rassi ka ek Sira Agar koi dheeLa chord de or Dusra kheenche to Rassi kabhi Nahi Toot'ti Rassi Jabhi toot'ti hai jab ek Sira ek banda kheenchta hai or dusra sira dusra banda kheenchna shuru kar deta hai or khawind kisi waqt gusse me hai or jawaab me Bivi Sahiba ne bhi moond bana liya ye to mahaz e jang khoLne waLi baat ho gayi Na
*⚃➠ Isliye Agar khawind gusse me hai to aap Naram ho jayen or Agar khawind Naraaz hai to aap usko Raazi karne ki koshish karen Muhabbat ke ek boL se khawind Razi ho jata hai Rootha hua khawind muskura padta hai
*PART-40*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (40) SAMAJHDAARI SE KAAM LEN*
*⚃➠ Isliye aap Samjhdaari se kaam Len faqat ye baat ke me khoobsoorat hun kaafi Nahi hoti khawind ko khush karne ke liye chaLakte hue dhamakte hue husn ki Zaroorat nahi hoti Samjhdaari ki Zaroorat hoti hai isliye buzurgo ne moqoLa banaya ( wahi Suhagan jise piya chahe)
*⚃➠ Wahi suhagan hoti hai jise khawind pasand kare kiya Ajeeb baat hai ke Ladki ki ShakaL Sirf ek waleeme ke din Log dekhte hain or baaqi Saari umar uski AqaL dekhi jaati hai or Ladki ko pasand karte hue baaz martaba Saas Sahiba bhi uski AqaL dekhti hi Nahi faqat ShakaL par hi Lattu ho jaati hai or kayi dafa khawind sahab bhi shakaL par Lattu ho jaate hain maa baap bhi kehte hain nahi teri Shaadi uske saath thik Nahi Nojawaan zid kar lete hain ke Nahi mujhe to uske saath hi Shaadi karni hai isliye ke kahin ek nazar dekhi or Zahir ki shakaL dekh kar wo Acchi Lag gayi Ab maa baap ko bahut majboor kar ke wahan shaadi karwate hain or jab wo ghar Aajati hai to phir insaan ko uski Haqeeqat ka pata chalta hai ke itni khoobsoorat shakaL ke Andar AqaL to h hi Nahi to jab Saari zindagi AqaL ne kaam Aana hai to phir usko kiyu Nahi dekhte isliye Samjhdaari or AqaLmandi ghar Aabaad karne ki buniyaadi wajah hai
*PART-41*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (41) HUSN-E-INTEZAAM OR SALEEQA SE KAAM LEIN*
*⚃➠ Aurat ko chahiye ke husn e intezaam ke Zarye Apne ghar ko purwaqaar bana de jitni Aurat AqaLmand hogi utni hi wo Apne ghar ke Andar har cheez tarbiyat se Rakhegi betarteeb cheez pheLa dena ghar ko ganda Rakhna baccho ko ganda Rakhna khud bhi gandi Bani Rehna is cheez ka gahr barbaad karne me ek bahut bada hissa hota hai ghar ki Safaayi ke Liye koi Qeemat bhi kharch Nahi karni padti han waqt nikaL'Len or ghar ko saaf Rakhen Apne aapko saaf Rakhen Apne baccho ko saaf Suthra Rakhen Safaayi Aadha Imaan hai Jab Shariyat keh Rahi hai ke Safaayi Aadha imaan hai to hame bhi Safaayi se Muhabbat honi chahiye Duniya ka koi insaan Aisa Nahi hai jo ye kahe mujhe saaf Suthra ghar Accha Nahi Lagta mujhe Saaf Suthra baccha Accha nahi Lagta ye kese mumkin hai Allah RabbuL izzat ne insaan ki fitrat hi aisi banayi hai ke saaf Suthra mahoL Saaf Suthre bacche Saaf Suthri Bivi hamesha uske diL ko Apni Taraf mutawajjah karti hai or Saaf Suthre rehne ke Liye koi bahut Qeemti libaas ki bhi Zaroorat Nahi Ek Aam Qeemat ka libaas bhi Agar Aurat pehne Lekin Saaf Suthra ho or Agar uski Banawat purkashish ho to wo khawind ke diL ko Apni Taraf mutawajjah kar sakta hai isko husn e intezaam kehte hain to apne husn e intezaam se Apne ghar ke mahoL ko purwaqaar banayen
*⚃➠ Agar husn e intezaam Nahi hoga battiyan JaLti Rahengi biL zada Aayega or Takiyon se paani behta Rahega to paani ka biL zada Aayega Bartano ko sahi Tarteeb se na Rakha gaya to wo toot jayenge or kharaab ho jayenge to ye badnazmi se be'barkati hoti hai kaam me ULajhte hain waqt Zaye hota hai Cheezen kharaab hoti hain Nuqsaan bhi zada hota hai har cheez ko Apni Jagah par Rakhna waqt par Saaf kar dena Acchi Aadat hoti hai to Aurat usko Apni Zimmedaari Samjhe
*⚃➠ Aaj musalmano ke Andar se Safaayi bilkul khatm hoti jaa Rahe hain jo iLaaqe musalmano ke hain wahi sab se gande paaye jaate hain Aakhir kiyu jab ke hame bataya gaya hai Safaayi Aadha imaan hai Allah RabbuL izzat ham sabko AmaL karne ki tofeeq Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen
*PART-42*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (42) KHAWIND KE SAATH ZID'BAAZI NA KAREN*
◑ Ye bhi zehan me Rakhen Tabe farmaan Auraten biL Aakhir Apne khawind ko Apna Tabedaar bana Leti hain wo Auraten jo khawind ki marzi poori karne ki koshish me Lagi Rehti hain ek Waqt aisa Aata hai ke khawind ke diL me unke Liye itni muhabbat hoti hai ke phir Khawind uski har marzi ko poora kar dikhata hai Farmabardaari khidmatguzari wo Acchi sifaat hain ke jin ki wajah se Aurat Apne khawind ke diL ki malika ban sakti hai isme jo Rukawat banti hai wo Ananiyat hai Zid'baazi hai Saari Duniya se zid karLo itna Nuqsaan Nahi pohchega jitna khawind ke saath zid'baazi ka Nuqsaan hota hai or kayin bacchiyan to khawind hi ke saath zid karti hain Baaqi Saare Logon ke Saath normal Rehti hain khawind ke Saath zid'baazi bana Leti hain
◑ To khawind ke saath zid kar ke Dang'gaL ka AyLaan mat karen Anjaam uska hamesha bura hi hota hai Aajzi Allah RabbuL izzat ko bhi pasand hai or Aajzi insaan ke masaiL ka haL bhi hai koi kaam waqt par na kar saki kotaahi Reh gayi kami Reh gayi sorry boLne me kiya Rukawat hai maafi mangne me kiya Rukawat hai ghaLti ko manLene me kiya Rukawat hai Aage se zid kar lena Ana ka masLa bana lena jhagda kar bethna behas kar bethna ye cheezen insaan ke liye pareshaani ka Sabab banti hain
*PART-43*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (43) GUSSE ME AAYE KHAWIND KO DALEEL MAT DEIN*
◑ Kabhi kabhi gusse me Aaye hue khawind ke Samne Logic DaLeeL mat den kabhi kabhi gusse me Aaye hue khawind ko Tana mat den ye to Aag ke upar teL daLne waLi baat hai baLke petrol daLne waLi baat hai Shaitaan mardood Yahi chahta hai ke khawind gusse me pehle hi hai ye usko or gussa diLaye or khawind Zabaan se taLaaq ka Lafz NikaLe to ye Zehan me Rakhen ke jab biLgharz biLa wajah khawind Naraaz ho gaya to gusse ki HaLat me kabhi uske Samne Logic Nahi deni khamoshi Akhtiyaar karni hai Agar boLna hai to Naram boL bole dekhna hai to muhabbat ke saath dekhe aise ke Dusre bande ka gussa hi bilkul khatm ho jaye
*PART-44*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (44) PUR KASHISH LIBAAS PEHNE*
◑ Libaas pehno to pur kashish pehno pur kashish ka matlab ye nahi ke Aadha jism Nanga ho or Aadha Dhanpa hua ho Shariyat ke Daayere me Rehte hue Aurat aisa libaas pehne ke uske jism ke upar pur kashish lage be'dhanga libaas pehanna aisa libaas ke jisko dekh kar Banda Zara bhi mutawajjah na ho Ye bhi Acchi Aadat Nahi Baaz nek Biviya'n Saadgi ke Naam par Apne kapdon ki Taraf se bilkul hi be'dhiyaan ban jaati hain aisa Nahi karna chahiye khawind jab bhi Bivi ki Taraf dekhta hai wo aise pur kashish dekhna chahta hai or jab uski bivi pur kashish Nahi hoti to Saaf Zahir hai ke use bahar bahut zada pur kashish cheezen Nazar Aati hain to jo gandgi use bahar mutawajjah kar sakti hai kiya wo Acchayi ban kar use ghar me mutawajjah Nahi kar sakti to libaas aisa banaye ke hamesha pur kashish ho Ras o Riwaaj ko Samne Na Rakhen balke usko Samne Rakhen ke ye libaas mere jism ko pur kashish dikhaaye mere jism par pehna hua khawind ko pasand Aaye
*PART-45*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (45) KHAWIND SE MUKHLIS OR NEK NIYAT BANE*
◑ Ye Or baat hai ke kuch Aurten Aisi hoti hain ke kapde pehanne se uske husn me izafa Nahi hota BaLke wo kapde pehan Leti hai un kapdon ke jism me izafa ho jata hai uske chehre par masoomiyat hoti hai uske chehre pe Taqwe ka noor hota hai phir unka libaas jab wo pehan leti hai to wo khud hi khoobsoorat Nazar Aane Lag jata hai to Aurat ko chahiye ke diL ki masoomiyat se wo khawind ka diL jeet Le ye diL ki masoomiyat har khawind ko Acchi Lagti hai or jab khawind ka diL ye samjhta hai ke meri Bivi diL se bahut masoom hai intehaayi darje ki mukhLis hai to us Bivi ko wo hamesha Aapni Aankh ki putLi bana kar Rakhega Yani Bahut zada muhabbat ke saath Rakhta hai
*◑ Jhooti Aurat makkar Aurat dhoka dene waaLi Aurat khawind ko miss guide gumraah karne waLi Aurat hamesha Apna ghar barbaad karwa beth'ti hai*
◑ khawind ke saath kabhi jhoot ka mamLa na barte jis bande ke saath kabhi ek do ghante ki mulaqaat hai uske Samne to jhoot chaL jata hai or jiske Saath 24 Ghante ka wasta ho uske saath jhoot Nahi chaLta Ek Nahi to do '' Do Nahi to teen din baad kabhi na kabhi jhoot khuL hi jata hai or jab khawind ko ye Ahsaas ho jaye ke Bivi mere saath jhoot boLti hai to phir Bivi ka maqaam khawind ki Nazar se gir jata hai isliye jhoot boLna khawind ke bare me diL me Nafrat ya kina Rakhna ye Aurat ki GhaLtiyon me se ek badi ghaLti hoti hai nek niyat Aap hongi uska Asar Aapke khawind ke diL par padega
*PART-46*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (46) DIL KO DIL SE RAAH HOTI HAI*
◑ Ye hamesha zehan me Rakhna ke diL ko diL se Raah hoti hai Aap ke diL me khawind ki Azmat hogi pyaar hoga muhabbat hogi khud ba khud khawind ke diL me Aap ki muhabbat peda ho jayegi
◑ Chunache ek baadshah Apne wazeer ke saath ja Raha tha usne Apne wazeer se poocha ye jo kehte hain ke diL se diL ko Raah hoti hai iska kiya matlab hai wazeer ba'tadbeer tha usne kaha baadshah saLamat Aapko ye baat me Aankho se dikha sakta hun Magar Aap kisi waqt Aam kapde pehan kar mere saath chaLen baadshah ne kaha bahut Accha chunanche ek din Baadshah ne Apna Taaj apne kapde utaar kar Aam Logon ka libaas pehan liya or wazeer ke saath bahar mehaL ke nikaL gaya chaLte chaLte ek banda Aage Aaraha tha to wazeer ne baadshah se poocha ke baadshah SaLamat ye kesa Aadmi hai usne kaha bewaqoof Lagta hai jahiL hai Lagta hai koi Tameez Nahi hai usko isne kaha thik hai Aaye Zara phir us bande se sune Wazeer us bande ke pass gaya SaLaam dua ki kehne Laga sunao yaar Aaj kaL hamara baadshah kesa hai kehne Laga pata Nahi kahan ka bewaqoof baadshah ban gaya hai usko Samjh hi Nahi hai wo baadshah banne ke Layiq hi Nahi hai usne bhi Aage se aise hi Ulte seedhe jawaab diye
◑ Khair thoda sa Aage gaye to wazeer ki Nazar ek nojawaan par padi usne baadshah se poocha baadshah SaLamat iske bare me aapki kiya Raye hai Baadshah ne kaha bhaLa Aadmi Nazar Aata hai usne kaha Aayen Ab zara usse poochte hain Wazeer ne usse ja kar poocha sunao bhai hamara baadshah kesa hai kehne Laga bahut hi Samajhdaar hai or usne to Riaaya ko bahut hi khush kar Rakha hai or ham Log to bade khush Qismat hain ke hamara baadshah is Qadar QabiL hai Ab Wazeer ne baadshah ko kaha ke dekhen Aapke Zehan me dusron ke bare me jo khayaLaat Aarahe the Aapke baare me wahi khayaLaat dusre bande ke diL me Aarahe the ye hai ke ( diL ko diL se Rahat hoti hai )
◑ Aapke diL me Agar dusron ke liye muhabbat ke jazbaat uth Rahe hain Pyaar Aaraha hai to ye paighaam unko khud ba khud pohuch jata hai or dusra diL us paighaam ko khud ba khud Le Leta hai or Dusron ke diL me bhi uske baare me pyaar or muhabbat ke jazbaat bhar deta hai to Apne diL me khawind ke Liye hamesha muhabbat Rakhen balke Agar khawind ki kotaahiyan bhi hon GhaLtiyan bhi hon Agar wo bad'kaari me padne waLa bhi ho Aapka to khawind hai Na Aap uske Aeibo,n ko janne ke bawajood usse muhabbat karen AsaL muhabbat karne waLa wahi hota hai jo Aeib jaan kar bhi saath Rahe wo Aapki zindagi ka Saathi hai doston ne mahoL ne haLaat ne usko bigad diya Ab aapki muhabbat usko neki ki Taraf Le Aayegi Or Aapke jhagde usko or zada Bura bana denge to Aeibo'n ko jaante hue bhi Dar guzar se kaam Lena chahiye Allah RabbuL izzat ki Sifat hai or hadees paak me farmaya gaya ( tum apne aap ko AkhLaaq se muzayyan karo )
*◑ Aurat ko chahiye ke khawind ki bad'kaari ke bawajood GhaLtiyon ke bawajood Apne diL me uske saath muhabbat Rakhen*
*PART-47*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (47) BAHAR GHOOMNE PHIRNE KI AADAT NA DALEN*
◑ Ek or baat jo jhagde ka ba,is banti hai wo Bahar ghoomne ki Aadat hai Aam tor par mard Aurto'n ko bahar ghoomne ki Aadat daaLte hain or kayin martaba ye Aadat Aurto'n ko maa baap ke ghar se hi padi hoti hai bhar ghoomne ki Ye bahar ghoomna Azduvaji zindagi ke liye bahut Nuqsaan de hota hai iski wajah ye hai ke Aurat jab bahar nikaLti hai to Shaitaan Taank jhaank karne waLon ko bhi Saath Laga deta hai Ab 2 Qismat ki museebat Samne Aayi Bahar ke mard honge jo us Aurat ki Taank jhaank me Lagenge or kisi ko uski ShakaL Acchi Lag gayi uska Ata pata karega usko message karne ki koshish karega or khaam kha uska ghar barbaad karega or khawind ki Nazar kisi ghair par pad gayi to khawind apni Bivi ke bajaaye uske saath Attach Ziyada ho jayega to miya Bivi ka ye sochna ke Aao ghoomte phirte hain ye firang'giyon ki Taraz hai firang'giyon ka Tariqa hai isliye hamne to uska Anjaam hamesha bura hi dekha hai
◑ Auraten Agar apne khawind ke saath bahar jana chahti hain to kisi park me jana ya kisi aisi jagah jana jahan Aam mujamma na ho bilkul thik hai Magar ghar ki bajaye chaLo Pezahat par ja kar khana kha ke aate hain Accha bhai Aaj ham ja kar F.C par khana khate hain ye jo Muhabbat hai or Zindagi ki tarteeb hai ye Bahut hi zada insaan ke liye Nuqsaan de hai Shaitaan Bivi ko kisi gunaah me phasane ke Liye Kaamyaab ho jata hai ya khawind ko kisi gunaah me phasane me kaam ho jata hai to isliye pabLik maqamaat par ghoomne ki Aadat daLna ye Aam tor par jhagdon ka Sabab banta hai
◑ Yaad Rakhen Acchi Zindagi guzaarne ke liye Agar khawind ko ghar me hi chuLha gharam miL jaye or gharam diL miL jaye to uske siwa usko koi teesri cheez nahi chahiye Aap ghar me hi usko Acche khane bana kar de den or gahr me hi usko Apne diL ki gharmi ka Ahsaas diLa den ke Aap kitni muhabbat karti hain to phir khawind ko bahar ghoomne ki kiya Zaroorat hai
*PART-48*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (48) KHAWIND SE MULAQAAT ME UZAR NA KAREN*
◑ Ye bhi dekha hai kayi martaba khawind chahta hai ke Bivi se mulaqaat karun miLu or Bivi Sahiba ke uzar bahane hi khatm Nahi hote ye cheez jhagde ka Sabab banti hai khawind gusse me ho to usko bhi AqaLmandi se deal karna chahiye or khawind par jab Shehwat ka bhoot Sawaar ho to uske saath bhi AqaLmandi ka mamLa karna chahiye jese bhi ho uske us Nashe ko utaaro
◑ Shariyat ne to yahan tak bhi kaha ke Aurat Agar oont par Sawaar hai or khawind ishara kare ke niche Aao mujhe tumhaari Zaroorat hai to wo oont se niche utre khawind ki Zaroorat ko poora kare or phir oont par dubara Sawaar ho
◑ Shariyat ne kitne khoobsoorat UsooL hame bata diye or yahan to miya Bivi hain ek bistar par hain or Bivi ke bahane Nahi khatm hote
*PART-49*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (49) KHAWIND PAR SHAK NA KAREN*
◑ Ek or cheez jhagde ka Sabab banti hai wo ye hai ke khawind kabhi kabhi kaam ki wajah se daftar ki wajah se deen ke kaam ki wajah se ya doston ki wajah se ghar der se aata hai to khawind ke der se Aane par ye shak diL me rakh lena ke bahar uska kisi ke saath Ta'alluq hai ye intehayi Nuqsaan de baat hai Jab Bivi khawind ko kisi aise gunaah ka Tana de jo usne Nahi kiya to us par khawind ka Gusse me Aana ek mard hone ke Nate Hamesha bahut zada hota hai
◑ Kiya Bivi iLzaam bardaasht kar sakti hai ke khawind usko kahe ke tumhara kisi ghair ke Saath Ta'alluq hai Agar Bivi is baat ko sun kar foran bhadak jaati hai to tumne ye baat kar kese di ???
◑ To khawind ka bhi to yahi mamLa hai Agar wo der se Aaya to der se Aane ki so wajuhaat Hoti hain wo doston ke saath beth kar ghap shap marta Raha khata peeta Raha ya daftar me der Lag gayi Ya kisi deen ke kaam ki wajah se masjid me betha Raha to der se Aane ki to bahut si wajuhaat ho sakti hain
◑ Hamesha usse Ek hi natija nikaaLna ke jee khawind der se ghar aata hai mujhe to Lagta hai ke daaL me kuch kaLa hai ye bad'gumaani miya bivi ke darmiyaan Nafraten peda karne ka Sabab ban jaati hain
◑ Lihaza baghair kisi Thos Saboot ke khawind ke upar bad'gumaani Na karen Bas Zada muhabbat den Take bahar ki bajaye usko Apne ghar ke Andar muhabbat miLe Agar ghar me Aap jhagda karne ki Aadi ban gayi Zid karne ki Aadi ban gayi Subah Apne khawind ka Na nashta tayyar kiya Na kapde diye or Na khud hi usne apne kapde Liye or pehne or isi tarah wo bhooka ghar se chaLa gaya to aisa pareshaan haaL khawind jab Daftar me jayega or wahan daftar me kaam karne waLi koi be'parda Ladki usko ye Lafz kehde ke Sar Aap Aaj bade pareshaan Nazar Aarahe hain to bas ye ek lafz khawind ko uski Taraf mutawajjah kar ke Rakh dega phir daftar me uska Affere shuru ho jayega Aap usko ghar se pareshaan mat bheje Allah RabbuL izzat ne Qur'aan Majeed me farmaya khawind tumse Sakoon paye Jab aapne baghair sakoon ke usko ghar se bhej diya to buniyaadi ghaLti to Aapne ki hai
*PART-50*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (50) ROOTHE SHOHAR KO MANANE KI KOSHISH KAREN*
◑ Agar aap mehsoos karen ke Shohar Rootha hua hai to usko manane ki koshish karen Kabhi bhi aisi soorat Nahi honi chahiye ke insaan ek dusre ke saath Narazgi ki haLat me so jaye jab tak ek dusre ko maafi TaLafi na karLen Sorry na karLen ek dusre se pyaar o muhabbat na karLen kabhi bhi us waqt tak na soye gusse ki haLat me jab ek ka chehra ek Taraf ho or dusre ka chehra dusri Taraf ho to SamjhLen ke hamne Zindagi ke fasLe Te karne ke Liye mukhtalif Simto'n ko QabooL kar liya aisi Aurat jo Naraaz shohar ki parwaah hi Nahi karti Wo shohar ki mojoodgi ke bawajood Beva ki Zindagi guzaarne waLi Aurat hoti hai Kayin aisi bhi Aurten hoti hain ke shohar ke hote hue bhi bewa hoti hain ye aisi hi Aurten hoti hain Ziddi kham kha khawind ke saath jhagda kar Lena ye cheez zindagi ko Mushkil me daal deti hai
*PART-51*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (51) KHAWIND KA DUSRON KI NAZAR ME WAQAAR BADHAYEN*
◑ Or kabhi kabhi jhagde ka Sabab ye banta hai ke khawind bura hota hai Magar Bivi uski buraayi ka Dhandora Peetna Shuru kar deti hai Mayeke bhi phone kar ke Apni Ammi ko bata Rahi hai ke kis museebat me Aapne mujhe daaL diya SehLiyon ko bhi phone kar ke bata Rahi hai ke me museebat me pad gayi baccho ke samne bhi baap ki buraayi kar Rahi hai Jab aapne uski buraayi ka itna Dhandora peetna shuru kar diya to aap uski Nazar me kahan se Acchi Rahi? Aapne bhi to Sabit kar diya ke buraayi me Aapne bhi koi kami Nahi chori
◑ Yaad Rakhen hamesha Apne khawind ki dusron ke Samne Izzat banayen khawind aapka diL dukhaaye Aapko pareshaan kare Magar phir bhi aapki Aadat ye ho Aapka khaLq ye hona chahiye ke dusron ke Samne uska Accha Tazkira karen is Tarah baat karen ke dusron ki nazar me khawind ki Izzat or maqaam badh jaye ye ghar Aabaad karne ke liye intehaayi Zaroori hai
*PART-52*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (52) KHAWIND KO FESLA KUN POSITION PAR NA LE JAYEN*
◑ Ek or ghaLti aam tor par jhagde ka Sabab banti hai ke Bivi Apne khawind ko kabhi kabhi Aisi position pe Lakar khada kar deti hai ke jahan use ek ko chorna padta hai or Dusre ko Rakhna padta hai Kabhi bhi Apne khawind ko aisi position par La kar khada Na karen ke Ya wo Aapko Rakhe ya Apni Maa ko Rakhe ya Aapko Rakhe ya Apni behan ko Rakhe kiyu Aapne is position par use La kar khada kiya Ab wo jis Taraf bhi Qadam badhayega fasaad hi fasaad hai to aisi soorate HaaL par baat Na Laayen
◑ Hamesha Apne khawind ki Zimmedaariyon ka khayaaL karen Agar wo ek hi beta hai to apni maa ko kahan bench nikaLega Aapko uski Maa ke saath Zindagi guzaarne ke liye mujahida karna hai
*PART-53*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (53) GHAIR MARD SE TANHAAYI ME BAAT NA KAREN*
◑ Ek or cheez jhagde ka Sabab banti hai wo ye hai ke kisi ghair mard ke saath Tanhaayi me baat karna ya phone par baat karna ye Aurat ki itni badi ghaLti hoti hai ke uska natija hamesha barbaadi hoti hai Yaad Rakhen mard Aurat ki har kotaahi ko bardaasht kar sakta hai uski kirdaar ki buraayi ko kabhi bardaasht Nahi kar sakta to ghair mard ke saath guftugu karne se Aise ghabraaye jesa baccha kisi Sher ko dekh kar ya biLLi ko dekh kar ghabrata hai is mamLe me Apne kirdaar ko bedaagh Rakhen jab mard ke diL me ye baat hoti hai ke Meri Bivi paak daman hai to phir wo uski kadwi kaseLi bhi Aaraam se bardaasht kar jata hai Aapne dekha Nahi hai ke kitni khoobsoorat Ladkiyon ko TaLaaqe hoti hain unka Sabab Yahi museebat banti hai Kisi ka phone Aaraha hai kisi ke message Aarahe hain kisi se baat ho Rahi hai khawind ko Zara uska pata chaLa to bas ye cheez miya bivi ke darmiyaan fasLe peda karne ka Sabab ban jaati hai
*PART-54*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (54) KHAWIND KI IJAZAT KE BAGHAIR GHAR SE NA NIKLEN*
◑ Isliye khawind ki ijazat ke baghair koi kaam na kiya karen or khawind ki ijazat ke baghair ghar se bhi Na nikLa karen hadees paak me aata hai jo Bivi Apne khawind ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikaLti hai jab tak Lot kar Nahi Aati Allah RabbuL izzat ke Farishte us Aurat ke upar Lanat barsaate Rehte hain ek or hadees paak me hai Aurat ka khawind Agar kisi jayaz baat par usse Naraaz ho or Aurat uski parwaah Nahi karti Uska khayal hi nahi karti Jab tak mard Naraaz hai Allah RabbuL izzat us Aurat ki Namaazon ko bhi QabooL nahi farmate
◑ Haqeeqate Haal ko Samjh kar deeni zindagi guzaaregi in Sha Allaah ye jhagde hi khatm ho jayenge ye baaten to wo thi ke Aam tor se Aurto'n se kotaahiyan hoti hain jin par miya bivi ke darmiyaan jhagde hote hain biLa ijazat kaam karna baghair ijazat ghar se nikaLna ye badi GhaLtiyon me se ek ghaLti hai
*PART-55*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (55) EK SAHABIYA RAZIYALLAHU ANHA KI BE'MISAAL FARMABARDAARI*
◑ Ab ek hadees mubaraka Sun Lijye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ke Zamane me ek miya bivi upar ki manziL par Rehte the or niche ki manziL par Bivi ke maa baap Rehte the khawind kahin Safar par gaya or usne Bivi ko keh diya tumhaare pass Zaroorat ki har cheez hai tumne niche Nahi Utarna chunanche ye keh kar khawind chaLa gaya Allah RabbuL izzat ki Shaan dekhe ke waLid Sahab bimaar ho gaye Wo Sahabiya Raz Aurat Samjhti thi ke khawind ki ijazat ki Shariyat me kitni Ahmiyat hai Ab ye nahi ke usne suna ke walid bimaar hain to niche Aagayi usne Apne khawind ki baat ki Qadar ki or Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ki khidmat me paigham bhijwaya ke mere khawind ne mujhe ghar se nikaLne se mana kar diya tha usse Rabta bhi mumkin Nahi us Zamane me koi cell phone bhi Nahi hote the ke dubara pooch liya jata To Aye Allah RabbuL izzat ke pyaare Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam kiya mujhe niche jana chahiye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne farmaya ke Nahi Aapke khawind ne Chunke Aapko mana kar diya Aap niche Na Aayen Ab Zara ghor kijye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ye baat farma Rahe hain ke khawind ki ijazat ke baghair niche mat Aayen Chunache wo niche Nahi Aayi
◑ Allah RabbuL izzat ki Shaan ke unke walid ki tabiyat zada kharaab ho gayi hatta ke walid ki wafaat ho gayi jab walid ki wafaat ho gayi to us Sahabiya Raz ne phir Paigham bhijwaya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam kiya me Apne baap ka chehra Aakhri martaba dekh Sakti hun mere walid duniya se chaLe gaye mere liye kitna bada Sadma hai Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne phir farmaya chunke tumhaare khawind ne tumhe Rok diya tha Isliye tum upar hi Raho or Apne Walid ka chehra dekhne ke liye niche Aana Zaroori nahi wo Sahabiya Upar hi Rahi soche us ke diL par kiya guzari hogi kitna Sadma uske diL par hua hoga uske walid ka Janaza padhaya gaya usko dafan kar diya gaya Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne us beti ki Taraf paigham bhijwaya ke Allah RabbuL izzat ne tumhaare apne khawind ka Lihaaz karne ki wajah se tumhaare baap ke sab gunaaho ko maaf farma diya to maLoom hua ke aap apne ghar me jo kaam bhi karen khawind se ijazat Le kar karen
*PART-56*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (56) KHULASA-E-KALAM*
*◑ Ab tak jo Sabaq jo baaten Aap sab Logon tak pohchayi gayi hain un sabka khuLasa*
◑ Aurat ko chahiye ke wo ghar me Zinda diL ban kar Rahe jab shohar Aaye to khanda peshaani se uska istaqbaal kare uska diL baagh baagh ho jaye khane ke waqt dastarkhan par Apne Shohar se diL'chasp baate kare Jab zehan me be'fikri hoti hai to daaL me bhi Qorme ka maza Aata hai to Bivi Apni Sheeri Zabaan se Apne khawind ke gham ko khatm kar de uske jitne bhi kaam ho un sabko apne Haath se kare or usko Apne Liye Sa'adat Samjhe Khawind ki khushi ko Apni khushi khawind ke gham ko apna gham Samjhe
◑ Kharch o ikhrajaat me kifaayate Sha'aari se kaam Le Bure waqt ke liye hamesha kuch na kuch Raqam ALag rakhne ki koshish kare Agar kabhi khawind ko koi Zaroorat ho wo pareshaani ke AaLam me ho to us waqt wo Raqam khawind ko pesh karde Aisa karne se aap Apne khawind ke diL me Apni jagah bana sakti hain wese bhi jama shuda Raqam me se uske kapde See kar de diye SiLwa kar de diye kabhi ghadi Tohfa Le kar dedi Hadees paak me Aaya hai Hadya do muhabbat badhegi Ye hamesha khawind ki Zimmedaari Nahi hoti ke wo hadya de khawind ki us jama shuda Raqam me se kabhi bivi bhi use koi personal Cheez Le kar de de khawind ki khushi me izafa hoga
◑ Ye UsooL yaad Rakhen ke pehle khawind ko khiLaayen phir khud khaayen pehle khawind ko piLaayen phir khud piyen jis kaam me khawind ko diL'chaspi na ho use Na karen chorde aisi kabhi bhi nobat Na Aane den ke tum muh idhar karLo ham udhar muh karLenge Muhabbat ke medaan me Baazi ko haar kar hi insaan jeet'ta hai Kabhi bhi Apne khawind ke Saath bad'Aytamadi or be'itminaani ka izhaar Na karen Jo Aurat apna diL bhi Sawarti hai or Apna jism bhi Sawarti hai wo hamesha Apne khawind ki pasandeeda banti hai isliye ke jhaLakte hue husn ki Zaroorat nahi hoti Samjhdaari ki Zaroorat hoti hai Mard kabhi bhi ziddi Aurat ko pasand nahi karta jab bhi koi aisi baat ho to zid khatm kar ke hamesha mard ki baat ko maan liya karen paakdamani wo Sift hai jiski Wajah se Aurat mard ke diL par Raaj karti hai khawind ke Aaraam ka khayaaL Rakhe usko Apna Dost banaye or Dusron ki nazar me uski izzat badhaye ye wo baaten hain ke Aurat Agar in baaton ka khayaaL Rakhe to ghar ka mahoL pursakoon rehta hai miya bivi ke darmiyaan muhabbat badhti hai
◑ Aaj Chunke part Last hai Pehle part me bata diya gaya tha ke miya bivi do insaan hain jinhone miL kar zindagi guzaarni hoti hai to kabhi Bivi ki ghaLti se jhagda to kabhi Shohar ki ghaLti se jhagda 35 Part ke baad se Aurto'n ke muta'alliq baaten batayi Ummeed hai ke Aurten in GhaLtiyon se Apne Aapko bachayegi or khushi ke mahoL me Zindagi guzaaregi
● To ye simple si baat hai Agar ham kisi ka ho jana chahte hain ya kisi ko Apna banana chahte hain to hame uski pasand ko Apni pasand banana hota hai Dusri baat ye hai ke bardaasht karne ki dar guzar karne ki Aadat dalen ek Naraaz ho to dusra foran use mana Le Allah RabbuL izzat Tamaam baaton par ham sabko AmaL karne ki tofeeq Ata farmaaye or ye jo ghar ghar ke jhagde hain Allah RabbuL izzat inko Aafiyat me badaL de or hamare gharo me sakoon or cheen Ata farmaaye Aapas me pyaar o muhabbat Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen
*╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏ ✍🏻 *RAAH-E-HAQQ* ▏.
www.raahehaqq.blogspot.com
www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
🍁🍁🍁
No comments:
Post a Comment