Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, November 9, 2017

*BEWAQOOF OR JAHIL BIVI KI DAS NISHANIYA'N*

🍁🍁🍁
.                                  
       
         ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
       *BEWAQOOF OR JAHIL BIVI KI*
             *DAS NISHAANIYA'N*         
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
       
                       *PART-01*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (01) SHOHAR KE RISHTEDAARO'N SE NAFRAT KARNA*

*⚃➠  Ek jahiL bivi hamesha Apne Shohar ke Rishtedaaro'n se nafrat karti hai or unke saath ghuL miL kar Rehne ki bajaye ek munasib FaasLah barqaraar Rakhne ki koshish karti hai shohar ke maa baap or behan bhaiyo'n ke saath kabhi khush diLi se pesh nahi Aati or mamooLi baato'n par SusraLiyo'n se Lad jhagad ghar me Tanao ki kefiyat peda kar Leti hai*

                       *PART-02*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (02) SHOHAR KO KOI AHMIYAT NA DENA*

*⚃➠ jahiL bivi ki ek nishaani ye bhi hai ke wo kabhi Shohar ko wo Ahmiyat nahi deti jiska wo haqdaar hai aisi aksar Biviya'n shohar ko mehaz pesa kamane ki masheen Samjhti hain or Shohar ki bajaye uski Aamdani par Zada tavajjoh markooz Rakhti hain shohar ko behre soorat bivi ki ek munasib or begharz tavajjoh darkaar hoti hai jisse Laparwaahi faasLo'n ko janam deti hai*

                       *PART-03*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (03) GHAR PE TAVAJJOH NA DENA*

*⚃➠ jahaLat ki ek nishaani ye bhi hai ke Apne ghar par tavajjoh na dena aisi bivi  ghareLu mamLaat se Laparwaah Si Nazar Aati hai hatta ke ghar ke Zaroori kaam kaaj or Aham mamLaat bhi jo ek Aurat hi ki tavajjoh ke mutaqazi hote hain Adhoore pan ka shikaar nazar Aate hain Aisi khatoon ka ghar Safayi suthrayi se Aari nazar Aata hai ye mahoL Aahista Aahista ghar ke Afraad ke Ravayyo'n me bhi Rach bas jata hai or meyaare zindagi ko ZawaaL ka shikaar bana deta hai*

                       *PART-04*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (04) BACCHO PAR TAVAJJOH NA DENA*

*⚃➠  ek jahiL or Laparwaah mijaaz ki hamiL bivi ghar ke saath saath baccho ke mamLaat me bhi be'tavajjohi bartti hai wo na to khud zindagi ke darust tor tareeqo ko Ahmiyat deti hai or nahi baccho ko unka dars deti hai nazar Aati hai is mahoL me palne waLe bacche kabhi bhi Zindagi ki Sahi iqdaar se Aagah nahi ho paate kiyu ke beharhaaL ek bacche ki pehLi daras'gaah maa ki god hi hoti hai baccho ke mamLe me kotaahi miya bivi ke darmiyaan shikve shikayato'n ki diwaar khadi kar deti hai*

                       *PART-05*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (05) WAQT KI PABANDI NA KARNA*

*⚃➠ jahiL bivi ko waqt ki pabandi ka kat'an idraak nahi hota uske bacche school or Shohar Office hamesha Late hi pohuchta hai Nashta lunch ya dinner waghaira ke koi awqaat muqarrar nahi hote us khatoon ke ghareLu kaam Afra tafri ke shikaar rehte hain munasib time management ki Adam mojoodgi Afraade khana ke mijaaz me chid chide pan ko jaman deti hai or ghar ka pursakoon mahoL bad'nazmi ki nazar ho jata hai*

                       *PART-06*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (06) SHOHAR SE BAD'ZABANI*

*⚃➠ MamooLi Ladayi jhagdo'n me baaz awqaat masLihatan khamoshi Akhtiyaar kar Lena or ghaLatiyon ko ignore kar dena ghareLu mahoL par nihayat Acche asraat murattib karta hai Magar ek jahiL bivi in khususiyaat se na Aashna hoti hai mamooLi baaton par behas v takraar or phir bad'zabani par utar Aati hai uska Ravayya shohar ke sath izzat v ahtaraam se Aari hota hai behas v takraar bad'zabani v bad'tehzeebi ka ye Ravayya biL'aakhir shohar ko ghar or Bivi se bad'diL kar deta hai*

                   
                       *PART-07*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (07) SHOHAR KI GHAR AAMAD KO AHMIYAT NA DENA*

*⚃➠ Is article ko padhne waLi tamaam Khawateen se meri guzarish hai ke ek Lamhe ke Liye Zara ye tasavvur kijye ke Aap ek Shohar hain jo apne kaam se thaka haara bhooka piyaasa wapas  Aaya hai or aapki bivi ne na to aapki Aamad hi ko Ahmiyat di na aapke haatho me paani ka giLaas thamaya or na khane ko phoocha to aap kiya mehsoos karengi Ek jahiL bivi shohar ki Aamad par Aise hi Ravayye ka muzahira karti hai*

                       *PART-08*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (08) DUSRI AURTO'N KE SAMNE SHOHAR KI BURAAYI BAYAAN KARNA*

*⚃➠ Ek jahiL bivi shohar ki khoobiyo'n par kam or khamiyo'n par zada tavajjoh rakhti hai na sirf ye baLke wo digar Khawateen or Logon ke Samne bhi bade dukh ke saath un khamiyo'n ka Tazkirah karti Nazar Aati hai use is haqeeqat ka sha'oor bhi nahi hota ke shohar ki khamiyo'n ka dusron ke Samne yun izhaar karna un khamiyo'n ko door to nahi kar sakta han magar ghar ki fiza me kuch pecheedgiyan zaroor peda kar sakta hai*

       
                       *PART-09*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (09) SHOHAR KE WALIDEN SE BAD'TAMIZI*

*⚃➠ Shohar ke maa baap ki izzat na karna or unke saath bad'tamizi se pesh Aana jahiL bivi ki Sab se Aham nishaani hai ye Ravayya  GhareLu mahoL me Adam bardaasht ke Anasir ko janam deta hai or is Tarah ka bartao shohar ke maa baap se  ghar ki jade hi hiLa kar rakh Deta hai or Aakheer me baat taLaaq tak pohuch jaati hai Yaad Rakhiyega Agar ham ye chahte hain Hame izzat miLe to hame dusron ko izzat deni padegi or choti moti baaton ko bardaasht or nazar andaaz karna padega jesa tum dusron ke saath karoge wahi sab kaL aapke saath bhi hone waLa hai*


                       *PART-10*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (10) SHOHAR SE SUSRALIYO'N KI BURAAYI OR SHIKAYAAT BAYAAN KARNA*

*⚃➠ Shohar ke ghar waLon ke saath husne SaLook se pesh aakar ek Accha mahoL tashkeeL dene ki bajaye ek jahiL khatoon na sirf unke saath muqaabLa or tanao ki kefiyat peda kiye rakhti hai baLke shohar se unki gheebat or jayaz v najayaz shikayaat bhi bayaan karti rehti hai or ghar me Ladayi jhagde ka zariya banti hai ghar waLon ke saath chote chote tanaza'aat jin se samjhota kar ke ek saLiqah sha'oor khatoon khush gawaar Ta'alluq ko tashkeeL deti hai ek jahiL khatoon unko Ana ka masLah bana Leti hai*

*╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
                                    
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
     ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
        ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
       ▏  ✍🏻  *RAAH-E-HAQQ*     ▏.   

     www.raahehaqq.blogspot.com
  www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*

      ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

🍁🍁🍁

No comments:

Post a Comment