▓━﷽━▓
┏┅●◑●
┣━━━● *MAAH -E- SAFAR KI*
┣━━━━━━● *BID'ATE'N*
┣━━━━━━━━━━━━━━●
┗┅●◑
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ TERAAH- TEZI Ki HAQEEQAT ✦*
┗───┯ ✿
✪_Islam Se Be Parwaah ( Aur Jaahil ) Logo ne Jaha'n aur Bahut saari bid'aat v Khurafaat Ko Janm Diya Hai ,Wahi Maahe SAFAR ki Wo Bid'aat bhi Jaari ki hai'n Jisko Aam Tor per Log " Terah Tezi " kehte Hai'n ,Iski Shar'an haisiyat ko likhne se pehle zaroori Hai k Awaam ki Nazar mai is Terah Tezi ki haqeeqat Kya Hai ,isko Bayan Kiya Jaye ,
✪_ Log kehte Hai'n k Maahe SAFAR ke Shuru ke 13 Dino mai nahusat Hai , Kyunki in dono mai Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam Sakht Bimaar ho gaye they , Ye Bimari isi nahusat ka asar Hai ,aur Shayad is Mahine ko Terah Tezi bhi isi vajah se kehte Hai'n k ye Sakht aur Bure aur Manhoos din Khayal kar liye gaye hai'n , aur Tezi ka matlab bhi sakhti aur Pareshani Hai ,
✪_ is tarah Aam logo ke nazdeek Terah Tezi ka matlab ye hua k SAFAR ke Mahine ke Shuru ke 13 Din nihayat Manhoos ,Sakht aur Bure hai'n , Ye logo Ka Galat Aqeeda Hai ,Fir is Galat Aqeede per Jin kaamo ki buniyad rakhi gayi Hai Wo bhi Bekaar aur Baatil ( Jhoote ) hai'n ,
✪_Maslan - in Dino mai kisi cheez ki khareed karna Manhoos aur bura samjha Jata Hai , Shaadi ya Koi Khushi ki taqreeb ( program ) karna bura samjha Jata Hai , Yani Logo ki Nazar mai ye Din itne Manhoos samjhe hate hai'n k in Dino mai Koi Khushi v masarrat Ka Kaam nahi Kiya ja sakta aur kiya Jaye to bhi nahusat ke asar se wo Kaam na hoga ya ranjeeda ( gamgeen ) saabit hoga ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞Gor Karne Ki Do Baate'n✦*
┗───┯ ✿
✪_Tera Tezi Ke is Galat Aqeede Aur iske mutalliq Kaamo ki Shara'i Haisiyat maloom karne Ke Liye Hume 2 Baato per Gor karna chahiye ,
1-Ek ye k Kya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Safar Ke Shuru Mai 13 Din Bimaar rahe ?Zaahir hai ye ek Tarerkhi Baat Hai Jiska Jawab Hume Tareekh hi de sakti Hai ,
2-Doosra ye k Agar Waqa'i Aap in dino Bimaar rahe they to Kya iski vajah se in dino ki nahusat Hai ? Aur Kya Hume iski Bina per in dino ko nahusa qaraar Dena Aur in me Shaadi Byaah Aur Khushi ki taqibaat se aur khareed farokht se parhez karna jaa'iz v durust Hai ?
*☞ Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam Ki Bimari Ke Ayyaam✦*
✪_ Pehle hum Pehli baat ko lete Hai'n k Kya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Safar Ke Shuru 13 Din Bimaar rahe ? Iska Jawab ye Hai k Aap Apne marzul wafaat mai 13 Din Bimaar to rahe ,magar ye 13 Din Konse they ,isme Aksar Ulma ka qaul ye Hai k ye Safar Ke Aakhri Aur Rabiul Awwal Ke Shuru Ke Din they , *Jesa k Allama ibne Hajar ki Fatahul Baari -8/129 Aur ibne Hibaan ki Saqaat ibne Hibaan- 3/ 130 se Saabit hota Hai ,*
"__ Aur Seerat ibne Hishaam mai Hai k Rasulullah Sallallahu ka marzul wafaat Safar Ke Aakhri Dino Mai ya Rabiul Awwal Ke ibtidayi Dino mai Shuru hua _," *( Seerat ibne Hishaam-2/642)*
✪_ Isse maloom hua k Aapki Bimaari Ke bare mai Do qaul Hai'n,ek ye k Safar Ke Aakhri Aur Rabiul Awwal Ke shuru mai Bimaar ho Kar wafaat paye ,Doosra Qaul ye Hai k Aap Rabiul Awwal hi Ke Shuru mai Bimaar ho Kar wafaat paye ,
"__ isse pata chalta Hai k Tareekh Ke aitbaar se ye baat sahi nahi Hai k Aap Safar Ke Shuru 13 Din Bimaar rahe, balki Sahi ye Hai k Aapki Bimaari Safar Ke Aakhri Dino mai Shuru Hui Aur Rabiul Awwal mai Jaa Kar khatm Hui ,
✪_Ab Aap hi Gor Kijiye k Jab Terah Tezi ki Bid'at ki buniyaad Galat ho gayi to per Jo Aqeeda v Amal qaa'im kiya Gaya Hai Wo kese Durust ho sakta Hai ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Teharve Din Khushi Ka Tamasha✦*
┗───┯ ✿
✪_ Ek Ajeeb Baat ye Hai k Ek taraf ye kaha Jata Hai Aap Sallallahu Alaihivasallam Safar Ke Shuru mai 13 Din Bimaar rahe Aur Doosri taraf Sahat ifaaqa ko Safar Ke Aakhri Budh Ke Saath makhsoos Karte Hai'n , Zaahir hai k Jab Aap 13 Din Bimaar rahe to 13 Din Ke baad Theek ho Gaye honge to Teharve Din ko Sahat Yabi ka Din Kyu nahi qaraar Diya jata Hai ( Aakhri Budh hi ko Kyu ?)
✪_ Aur agar kaha Jaye k ye 13 Din ki Bimaari kisi Aur moqe ki Hai Aur Aakhri Budh ki Sahat Yabi Kisi Aur Bimaari ki baad Hui Hai to Fir ye Sawal Paida hota Hai k Logo ne Jis Tarah Aakhri Budh ko Sahat Yabi ka Din qaraar de Kar Khushi v Tafreeh ko laazim kiya Hai ,usi Tarah wo Terah Tezi ki Bimaari Ke baad Teharve Din ko Khushi v Tafreeh ka Din Kyu qaraar nahi date ?
*"__ Maloom hota Hai k nafs ne Jo samjhaya usko akhtyar Kar liya Hai ,Aqal ko Kaam Mai liya hi nahi Gaya _,*
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Bimaari Rahmat V Barkat Hai✦*
┗───┯ ✿
✪_ Aur Baaz Rivayaat mai Hai k Bimaari se ajro sawab Aur darjaat ki bulandi naseeb hoti Hai, Jesa k Muslim Sharif mai mta'adid Rivayat mai mazkoor Hai , *( Muslim -2/318-319)*
✪_Ek Hadees mai Hai k Momin Ke maamle per ta'ajjub Hai k Uski har Baat khair hi khair Hai , Aur Agar usko Khushi haasil Hui aur usne us per shukr kiya to ye uske Liye Bhalaai Aur khair Hai , Aur agar usko tangi v pareshani Hui aur is per usne Sabr kiya to ye bhi uske Liye Bhalaai Aur khair Hai _," *( Mishkaat-452)*
✪_Hazrat Ummul Saa'ib Raziyallahu Anha Bimaar thi ,Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam unke paas gaye,dekha k wo thuthri Hai'n , Puchha k Kya haal Hai ? Unhone kaha k Bukhaar Hai ,Allah isme Barkat na de ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Bukhaar ko bura bhala na kaho ,ye insaano ke gunaaho ko is Tarah khatm Kar deti Hai ,Jese Bhatti lohe Ke mail ( Jang ) ko saaf Kar deti Hai _," *( Muslim - 2/319)*
✪_in Sab Ahadees se maloom hua k Bimaari khuda ki taraf se aati Hai Aur ye use aati Hai Jiske Saath Allah Ta'ala Bhalaai karna chahte Hai'n Aur ye k mahaz Rahmat v Barkat Hai ,Jisse gunahgaaro Ke gunaah dhul Jate Hai'n Aur Nekiyo'n Ke darjaat buland ho Jate Hai'n,
"__ Aur ye bhi maloom hua k Bimaari ko bura bhala kehne Aur bura samajhne ki ijazat nahi , Ab dekh lijiye k Terah Tezi ka Aqeeda jisme Safar ko Bimaari ki vajah se manhoos aur bura samjha jata Hai,Kya ye islam Ke Khilaf nahi Hai ? Bila Shubha islam Ke Khilaf Hai , Allah Ta'ala Samajhne ki tofeeq de ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Kya Bimaari Nahusat Se Aati Hai ?✦*
┗───┯ ✿
✪_ Agar Hum bil farz ye maan le k Aap Safar Ke Shuru Dino mai hi Bimaar hue ya k Kisi Aur moqe per in dino mai Bimaar hue they to Kya iski vajah se in Dino ko Ya Safar Ke Mahine ko manhoos samajhna durust Hoga ? Aur Kya Bimaari ko manhoos khayal karna ya ye samajhna k Bimaari nahusat se Aati Hai ,Sahi Hoga ? Ye Doosra Nuqta Hai Jis per Hume Gor karna chahiye,
✪_ is silsile mai arz Hai k islami taleem Ke mutabiq na Khud Bimaari manhoos Hai Aur na ho ye nahusat se Aati Hai, Balki Momin Ke Liye ye sarasar rahmat Aur Ni'amat Hai , Aur Allah Ta'ala ki taraf se Aati Hai , Hadees Sharif mai iska zikr mojood Hai ,
✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Jis Shakhs ke Saath Bhalaai ka iraada farmate Hai'n,use musibat ( Bimaari ) mai mubtila Kar dete Hai'n _," *( Bukhari -2/843 ,Mota imaam Muhammad -399)*
✪_ Hazrat Abdullah bin Masowd Raziyallahu Anhu farmate Hai'n k Mai'n Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Aapki Bimaari Ke zamane mai haazir hua Aur arz kiya k Aap ko to Sakht Bukhaar Hai ,
Aapne Farmaya k Haa'n mujhe Akele tumme se do Ke barabar Bukhaar Hai ,
Maine arz kiya, ye Shayad isliye k Aapko do ajr ( sawab ) mile ?
Farmaya k- Haa'n ye isliye Hai aur isliye k Momin ko Kaanta ya isse bhi Kam koi ( Takleef ) Cheez pahunchti Hai ,to Allah Ta'ala usko uske gunaaho ka kaffara ( badla ) bana dete Hai'n, Jese khushk darakht Ke patte girte Hai'n ( gunaah bhi ese hi girte Hai'n ) _," *( Bukhari -2/843 v Muslim -2/318)*
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Safar Ki Nahusat Ka Aqeeda Jahalat Hai✦*
┗───┯ ✿
✪_ Pichhle Part ki tafseel se saaf maloom hua Hai k Safar Ke Terah Dino ko ya Safar Ke Mahine ko manhoos samajhna Galat Hai ,balki Ahadees se maloom hota Hai k Maahe Safar ki Nahusat Ka Aqeeda Zamana e Jahiliyat Ke Jaahil Logo ka Aqeeda Tha Aur islam ne usko baatil qaraar diya Hai ,
✪_Chunache Ek Hadees mai Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- " لا صفر " k Safar ( ki Nahusat Ka Aqeeda ) koi Cheez nahi ( balki galat Aur Baatil Hai ) _," *( Bukhari Kitabul tib -2/230 Muslim -2/230)*
✪_ Is Hadees Ke mta'adid Matlab v ma'ani Ulma ne bayan farmaye Hai'n ,Unme se ek ye Hai k Arab Ke log Zamana e Jahiliyat mai Safar Ke Mahine ko manhoos samajh Kar ,uske aane se badfaali Karte they , is Baatil v Galat Aqeede ki tardeed mai Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- " La Safar " k Safar kuchh nahi ,Yani iski Nahusat aur iska Galat Aqeeda kuchh nah Hai , Allama Qari Reh.ne *( Mirqaat Sharah Mishqaat -9/4 )* mai isko bayan farmaya Hai ,
✪_Iske alawa muta'adid Ahadees se Saabit Hai k Kisi bhi Cheez Mai Nahusat nahi Aur Kisi Cheez se badfaali Lena durust nahi , Chunache ek Hadees mai farmaya " لا طیارہ" k badfaali Lena jaa'iz nahi , *( Bukhari -2/853, Muslim-2/230, Mishkaat-391)*
"__ in Ahadees Mai badfaali Lene ka yahi Matlab Hai k Kisi Cheez ko manhoos samajh Kar usko bura khayal kiya Jaye ,ye baad islami Nuqta e Nazar se Galat v Baatil Hai , Jab Kisi bhi Cheez ko badfaali ka sabab khayal karna jaa'iz nahi to Safar Ke Mahine ko manhoos samajh Kar usse badfaali Lena Kese jaa'iz ho sakta Hai ,?
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Teen Cheezo mai Nahusat Ka Matlab✦*
┗───┯ ✿
✪_Aur Baaz Rivayat mai aaya Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Nahusat teen cheezo mai Hai - Aurat ,Ghar Aur Ghoda ,Jesa k Kutub Hadees mai marvi Hai _," *(Bukhari-2/856, Muslim-2/232, Tahaavi-2/317)*
"_ is Hadees ki Tashreeh mai Ulma ka ikhtilaf Hai , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya Hai k Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ka Matlab ye nahi k in cheezo mai Nahusat Hai ,balki Apne Sirf Ahle Jahiliyat ka qaul naqal kiya Hai k ye Jaahil log is Tarah kehte Hai'n _," *( Tahaavi -2/318)*
✪_Aur imaam Tahaavi ne farmaya k Matlab ye Hai k agar bil farz Kisi Cheez Mai Nahusat hoti to in cheezo mai hoti , Jab inme bhi Nahusat nahi to kisi Mai bhi nahi Hai , *( Tahaavi -2/318)*
✪_Iski Taa'iyd is Hadees se hoti Hai Jisme Allah Ta'ala ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Khud farmaya k -badfaali koi Cheez nahi,agar Kisi Cheez Mai Nahusat hoti to Aurat ,Ghar Aur Ghode mai hoti , *( Bukhari -1/400,Muslim -2/232, Tahaavi-2/318, Tirmizi-2750)*
✪_Ye Hadees Bata rahi Hai k Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ka maqsad in cheezo mai Nahusat batana nahi balki inse Nahusat ki nafi ( inkaar ) karna maqsood Hai k agar Kisi Cheez Mai Nahusat hoti to inme hoti ,Jab inme bhi nahi Hai to kisi Aur Cheez Mai bhi nahi Hai,
"__ Al garaz kisi Cheez Mai Nahusat khayal karna Aur usse badfaali Lena islami Nuqta e Nazar se Sahi nahi Hai,isi Tarah Safar Ke Mahine ko manhoos jaan Kar usse badfaali Lena bhi Sahi nahi Hai ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Asal Nahusat Kya Hai?✦*
┗───┯ ✿
✪_Asal Nahusat Bad-Amali ,Bad-Akhlaqi , Shari'at v Deen se Gaflat v Laparwahi se aati Hai Aur Bad Amal v Be Deen Logo Ke haq mai har Din Har maah Aur har Cheez manhoos Hai ,isiliye Qur'an mai Qaume Aad Ke zikr mai kaha Gaya Hai -(Tarjuma) Humne un ( Qaume Aad) per ek Sakht Hawa bheji ese Din mai Jo Daa'imi Nahusat Wala Hai , *( Surah Qamar-19)*
✪_ Allah Ta'ala ne is aayat mai us Din ko manhoos bataya Hai Jisme Qaume Aad ko halaak kiya ,Kyu ? Isliye unki be imaani v Bad-Amali ne unko is natije Tak pahunchaya ,Varna to Wahi Din Jisme unko Halaak kiya gaya Hazrat Hood Alaihissalam Aur Momin Hazraat Ke Liye nihayat hi Mubarak Tha , Agar Wo Din hi manhoos hota to sabke Liye hi hota , Allama Qurtubi Reh.ne iski wazahat yu'n ki Hai -
"__ Jese Wo manhoos Din jinka zikr Qur'an mai aaya Hai Wo Qaume Aad Ke Kuffaar per Manhoos they ,na k Unke Nabi Ke haq mai Aur un imaan walo Ke haq mai ", *( Qurtubi-17/132)*
✪_Khulasa ye Hai k Kisi Din ya Maah mai Nahusat nahi hoti balki Be-imaani , Bad-Amali Bad-Akhlaqi ki vajah se Baaz Logo Ke haq mai Baaz din ya Mahine manhoos ho Jate Hai'n , To ye nahusat Dino ya Mahine ki nahi balii Bad-Amali Bad-Akhlaqi v Be -imaan ki Hai , Chunache ek Hadees mai Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ka irshad Hai - Nahusat Bad-Akhlaqi Hai "
✪_ Maloom hua k Nahusat Kisi Cheez Mai nahi hamare Bure A'amaal v Bure Akhlaq mai Hai , isliye Nahusat Se bachne ki khatir gunaaho se Allah Ta'ala ki nafarmaniyo aur Bad-Akhlaqiyo se Baaz aane ki Zarurat Hai, Safar ke Nahusat Ka Aqeeda rakhna Baatil Hai ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Ek Be Asal Hadees✦*
┗───┯ ✿
✪_ Yaha'n ye arz karna bhi Zaruri Hai k Baaz nidar be Khof Logo ne Safar ki Nahusat per ek Hadees bhi ghad rakhi Hai k , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo mujhe Safar Ke chale Jane ki basharat sunayega Mai'n usko Jannat Ki Khush khabri Deta hu'n ,
"_ Magar Yaha'n Dekhna ye Hai k Kya Sach much Kabhi esa farmaya hai ? Aur Kya ye Waqa'i Allah Ke Rasool Ki Hadees Hai ,?
✪_Jawab Ye Hai k "nahi" , Ye Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Hadees nahi Hai balki mangadant Hai ,Logo ne isko ghad liya , Chunache Ulma e Hadees ne is Hadees ko mozu Yani mangadhant qaraar Diya Hai , Mashhoor v Maroof Muhaddis Mulla Ali Qaari Reh. ne Apni Kitaab Mozu'aat Kabeer mai is hadees ko likh Kar farmaya -" is Hadees ki koi Asal nahi Hai balki ye be Asal Hadees Hai _," *( Mozu'aat e Kabeer - 69 Harfe Meem )*
✪_Maahe Safar ki ek Bid'at Jisko Log " Aakhri Chahaar Shamba " kehte Hai'n wo bhi Galat be buniyaad Aqeede Aur Baatil Umoor per mushtamil Hai , Magar Bahut se log bade ahatmam Ke Saath is Rasm ko manate Hai'n , Hum Pehle batayenge k Logo ke nazdeek Aakhri Chahaar Shamba yani Aakhri Budh ki Haqeeqat Kya Hai ,Fir is per Shara'i. Nuqta e Nazar se bahas likhenge , ( in Sha Allah Agle Part mai)
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Aakhri Budh -Logo Ki Nazar mai✦*
┗───┯ ✿
✪_ Aakhri Chahaar Shanba ( Aakhri Budh ) Ki Haqeeqat kya hai ? Log kehte hai'n k " Aakhri Chahaar Shanba Safar ke Mahine ka Aakhri Budh Jisme Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Bimaari Ke baad Sabze ki sayr ko tashreef le Gaye ( Awaam ) , Musalman is Din ko Mubarak Samajh Kar Sayro Tafreeh karna achchha samajhte hai'n,
✪_ Goya Aakhri Budh Ke do cheeze Hai'n - Ek Aqeeda Hai Aur Doosra Amal ,
Aqeeda ye Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Bimaari se Aakhri Budh ko shifayaab ho Kar Sayro Tafreeh ko tashreef le gaye they , Aur Amal ye k Log isko Mubarak Samajh Kar Khud bhi Sayro Tafreeh Ke Liye Jate Hai'n ,Aur Baaz jagaho per khaas cheezo Jese Anda, Tel, vagera khairaat bhi Karte Hai'n,
✪_ Jaha'n Tak Aakhri Budh ko Aapke Sahatyaab hone ka talluq Hai ,iske bare mai arz Hai k agar ise marzul wafaat se sahat pana muraad Hai to ye Sareeh Galat Aur Baatil Hai , Kyunki is Bimaari se Aap Sahat nahi paye they Jesa k ye baat Bilkul Zaahir hai Aur isi vajah se isko marzul wafaat kehte Hai'n ,
✪_ Aur agar kisi Aur moqe ki Bimaari se Sahat v Shifa pana muraad Hai to Tareekh v Seerat se iska Saboot hona chahiye ,Magar iska koi Saboot nahi Hai ,Lihaza Be Daleel Saboot kisi Baat ko Apne Aqeede ki buniyaad banana kese aur Kyu Kar jaa'iz ho sakta Hai ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Ek inkshaaf Aur Andesha ✦*
┗───┯ ✿
✪_ Iske alawa ye bhi maloom hona chahiye k Hazraate Ulma ne likha k Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ka marzul wafaat safar ke Aakhri Budh se Shuru hua Tha , Chunache imaam e Hadees v Tareekh ibne Hibaan Reh.ne Kitabul Shuqaat mai likha hai :- Sabse Pehle Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Bimaari ki Shikayat paida Hui Wo Aakhri Budh Ka Din Tha ,Jabki Safar ke Mahine ke Sirf Do Din baqi they _," *( Shukaat ibne Hibaan-2/130)* isi tarah Tabqaat ibne Sa'ad mai bhi ye Rivayat mojood Hai ,- *( Bahawala Fatahul Baari-8/130)*
✪_ Maulana Ahmad Raza Khan Barelvi Ka Fatwa bhi Bahare Shariyat mai darj hai :-
Aakhri Chahaar Shanba ki Koi Asal nahi ,na us Din Sahatyaabi Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Koi saboot ,balki marze aqdas jisme wafaat Mubarak Hui iski ibteda isi Din se batayi Jati Hai ," *( Ahkaame Shariyat -2/649)*
✪_Zaahir Hai k Safar ke Khatm hone mai do Din baqi ho to Jo Chahaar Shanba hoga wo Aakhri hi hoga ,isse maloom hua k Aapka marzul wafaat ek qaul ke mutabiq safar ke Aakhri Chahaar Shanba ko Shuru hua Hai ,agarche iske mutabiq aur bhi aqwaal hai'n , Ek qaul ye bhi Hai aur Bahut se ulma ne isko bhi akhtyar Kiya Hai k iske peshe Nazar to Safar Ka Aakhri Chahaar Shanba Khushi Ka Din na hona chahiye balki Gam Ka Din hona chahiye,
"__ Ye bhi imkaan Hai k kisi Dushmane Rasool aur Munafiq ne Aapki Bimaari ke Din Khushi manayi ho aur musalmano ko behkane ke liye ye Keh Diya ho k is Din Aap Sahatyaab hue they aur Sayr ko gaye they , Aur Musalmano me se Jaahilo ne isko sahi samajh Kar qubool Kar liya ho ,Agar esa Hai tab to maamla bada sangeen Hai ,
✪_Dushman aur Munafiq Logo ki taraf se esa hona Koi ba'ied nahi aur is tarah Doosri misaale bhi mojood hai'n , Maslan Rajjab ki 22 Tareekh ko Kundo ki Rasm Hai ,iske bare mai Mashoor to ye Hai k is Din Imaam Jaafar Saadiq paida hue they halanki ye Galat Hai ,Imaam Jaafar Saadiq ki Wiladat 17 Rabiul Awwal ko Hui hai ,Haa'n 22 Rabiul Awwal ko Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ki wafaat Hui ,aur Shiya logo ne unke inteqal ki Khushi mai ye taqreeb ki Hai , bilkul isi tarah imkaan Hai k kisi Dushman ne Aapki Bimaari ke Din Khushi manayi ho aur dhoka dene ke liye ye zaahir Kar diya ho k Aap Sahatyaab hue they ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Sahat V Ifaaqa Ke Kuchh Tazkire✦*
┗───┯ ✿
✪_Fir Agar ye Saabit bhi ho Jaye k Safar Ke Aakhri Chahaar Shamba mai Aapko Sahat Haasil Hui thi ,to Sawal ye Hai k Khaas Safar ki Aakhri Budh ko Kya Khususiyat Hai k isko manaya Jata hai, Jabki Aap Sallallahu Alaihivasallam ko doose moqo per bhi Bimaari se Sahat Yabi haasil Hui Hai , Chunache Sahat v ifaaqe Ke kuchh tazkire Hadees mai milte Hai'n ,
✪_ Maslan Marzul wafaat hi mai ek Din Aapko ifaaqa hua Aur tabiyat kuchh halki Mehsoos Hui to Aap Sallallahu Alaihivasallam Do Aadmiyo Ke sahare Masjid tashreef le gaye ," *( Bukhari-1/95, Muslim-1/71 )*
"__ Ye Waqi'a inteqal se Paanch Din Pehle ka Hai Aur Chunki Aapka wisaal Mubarak Peer ke Din hua isliye ye mutaiyan Hai k ye Waqi'a ifaaqa ka Jumeraat Ke Din pesh aaya Hai _," *( Fatahul Baari-8/142)*
"_To ye Rabiul Awwal ki Pehli Jumeraat Hai ,To Kya Rabiul Awwal ki Pehli Jumeraat bhi manayi jayegi agar nahi to Kyu ?
✪_ Bukhari Vagera ki Sahi Tareen rivayaat se Saabit Hai k Ek Yahoodi Lubed bin Aasim ne Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam per Jaadu Kar diya Tha ,Jiski vajah se Aap Sakht Bimaar ho gaye they _," *( Bukhari-2/857, Muslim-2/221)*
"__ Ye Bimaari Muharram ul Haraam mai Shuru Hui Aur 6 Maah Tak rahi _," *( Fatahul Baari-10/226)*
✪_ is lihaaz se Aap Sallallahu Alaihivasallam us Bimaari se Jamadius Saani mai Sahatyaab hue to Kya Jamadius Saani ko bhi manaya jayega ? Agar nahi to Kyu ?
"_' Maloom hua k Nafs Parasto ne be vajah is Aakhri Budh ki Rasm ko jari Kar liya Hai Varna iski Khususiyat ki koi Daleel nahi ,
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Khushi Ka Moqa Aur Seerat✦*
┗───┯ ✿
✪_ Ye bhi qabile gor baat Hai k Log Aakhri Budh mai Sayro Tafreeh ko jis andaz Mai pesh Karte Hai'n Aur Khud Jis Tarah is per Amal Karte Hai'n iska muqabla agar Seerate Taiyaba se kiya Jaye to Dono mai koi jod maloom nahi hota , Kyunki Khushi Ke moqo per Aap Sallallahu Alaihivasallam ka mamool ye Tha k Aap Alaah ki Hamdo Sana Ruju v inabat ilallaah Aur Shukr v Namaz mai Mashgool Hote ,
✪_ Maslan Marzul wafaat hi mai 26 Safar ko Aapne ifaaqa Mehsoos farmaya Aur kuchh Raahat maloom Hui to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Usma bin Zaid Raziyallahu Anhu ko Jihaade Room Ke Liye taiyaar farmaya Aur is silsile mai hidayat jari farmayi _," *( Tareekhe islam Maulana Akbar Shah Marhoom -1/228)*
✪_Marzul Wafaat hi mai ek Din Aapne Mehsoos farmaya k Bimaari mai kami v khaft Hai to Aap do Aadmiyo Ke sahare Masjid e Nabvi pahunche Aur Aapne Was v Nasihat bhi farmayi , is waaz mai Aapne ye bhi farmaya k - Allah ne Apne Bando mai se ek Bande ko Duniya Aur Aakhirat mai se kisi ek ko akhtyar karne ka akhtyar diya to usne Aakhirat ko akhtyar Kar liya _," Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Samajh gaye k us Bande se muraad Khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ki zaat ba Barkat Hai , Aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu rone lage _," *( Seerate ibne Hishaam -2/649)*
✪_ Ye Hai Seerat se Saabit Khushi ,Raahat ,Sahat v ifaaqe Ke moqe per na to Sayro Tafreeh karna Hai Aur na sabza zaaro ko ronaq bakhshna , Gor Kijiye Kya is tareeqe se is Amal ka koi jod Hai Jo Logo ne gadh rakha Hai ?
┏───────────────────┯
✿
│ *☞ Bid'at Deen Ki Tehreef Hai✦*
┗───┯ ✿
✪_ Agar Kisi Sabab se Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sayr farmayi ho to Sab Logo ka Sayr ko Jana Aur Mardo Aurto'n ka Parko mai Jama Hona ,Be-Pardgi v Khilafe Shari'at Umoor ka irtikaab karna Kya Deen aur Sunnat Hai ? Ya Deen mai Tehreef Hai ? isiliye Hazrat Shah Wali Allah Muhaddis Dehalvi Reh.ne likha Hai k - "_Adaab v Sunan mai tashaddud Aur unko unke darje se badha dena bhi Tehreefe Deen ka sabab Hai Aur Yahood v Nasaara Ki Aadat Hai _" *( Hujjatulaah Al Baalgat : 1/120)*
✪_Ye Baat Bilkul Sahi Hai Kyunki isse Deen ka huliya bigad Jata hai ,Jab Aadaab v Sunan ko unke darje se badha dena bhi bura Hai ,to khel tamasho ko Deen ka Naam Dena Aur Bid'aat v Khurafaat ko Deen Samajh Lena Kitna bura Hoga ?
✪_Gor Kijiye k Logo ko Shaitaan ne kis Tarah dhoka de rakha Hai k unko Namaz ka Aur doosre Fara'iz v Wajibaat ka ,Allah Ke Nabi ki Sunnato ka ,Kisi ka bhi ahatmam nahi Hai Magar Aakhri Budh ki Sayro Tafreeh ka bada ahatmam Karte Hai'n Aur Hazaro Khilafe Shari'at Kaamo mai mubtila Hote Hai'n , Afsos ye Hai k Mangadhant Kaam ko Ada karne Ke Liye Kai Fara'iz v Sunnato ko tark kiya Jata hai aur Hazaro Qism Ke gunaaho ka wabaal Apne sar per liya Jata hai ,
✪_Algaraz ye Sab mahaz Shaitani Dhoka Aur Fareb Hai Ya Nafs ki Chaalbaziya Hai k Deen ke Naam per Terah Tezi Aur Aakhri Budh ki Mangadhant Rasm Aur Bid'aat mai fansa diya , Deen se Haqeeqat mai inka koi jod nahi Hai ,
"__ Dua Hai Allah Ta'ala Ahle islam ko Sahi faham ata farmaye , Qur'an v Sunnat ki talimaat ko haasil karne Aur un per Amal karne ki tofeeq ata farmaye, Tamaam Khurafaat v Bid'aat se bachaye _" ( Aameen )
*┬ Alhamdulillaah Mukammal Hua_,*
┏───────────────────┯
★
*ʀεғεʀεηcε:- ┬*
* Maahe Safar Ki Do Bid'ate'n( Hazrat Maulana Mufti Muhammad Sho'ebullah Khan Sahab Maftahi-)*
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
No comments:
Post a Comment