ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
✰══❖══✰═══❖══✰
鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰
*⊙_ TALEEM V TARBIYAT_ ⊙*
╨─────────────────────
*┱✿ Bachcho Ko Deen Sikhane Ki Zimmedari Maa'n Baap Per Hai _,*
┱ Hazrat Amru bin Shoayb Reh.Rivayat Karte Hai'n k Maine Apne Dada ki Kitaab mai ( Jisme unhone Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki Ahadees Jama ki thi) ye likha hua paya k Jab Tumhari Aulaad bolne lage to unko "La ilaaha illallaah " sikhao , Fir unki maut aane Tak fikr mat Karo ,
( Yani Shuru mai Jab Aqeeda Theek Kar diya Aur islam ka Aqeeda usko sikha diya to ab Koi dar nahi ,imaan ki pukhtgi use imaan per hi zinda rehne degi Aur isi per in Sha Allah Uski Maut aayegi ) Aur Jab unke Doodh Ke daant girne lage to unko Namaz ka Hukm Karo _,"
* Ravaah ibne Sunni fi Amalil Yaum wa Laylatul 113,*
┱ Laa ilaaha illallaah imaan Ka Kalma Hai ,Ye islam ke tamaam Aqa'id ko Shamil Hai ,Aur Aqa'id hi Asal Deen Hai , Agar Aqa'id sahi nahi ho to islam Ka Dawedaar hona bilkul bekaar Hai ,Mahaz Dawa Karne se ya Musalman ki Aulaad hone se koi Musalman nahi ho jata , Islam ke Aqa'id Ka jaanna aur maanna farz Hai , Farmaya k Jab bachcha bolne lage to yahi nahi k Sirf Lafz Laa ilaaha illallaah sikhaye balki iska tarjuma bhi yaad karaye aur iska Matlab aur iske taqaze bhi samjhaye k Kalma humse Kya chahta Hai ,jese jese Bachcha hosh sambhalta Jaye usko islam ke Aqeede sikhate chale jaye ,
┱ Bahut se Maa'n Baap Bachcho ko islami Aqa'id nahi sikhate balki khud bhi nahi Jaante , Duniya ki taleem mai Bahut aage bikal Jate hai'n ,toheed v risalat aur akhirat se na waqif anjaan hote hai'n , Bahut se log to ese hote Jo islam ke Aqa'id Ka mazaaq banate hai'n aur Allah aur uske Rasool ki talimaat per aitraaz karte hai'n aur fir bhi Apne Aapko Musalman shumaar karte hai'n halanki ese log Shar'an Musalman nahi Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Bachcho ko Namaz Sikhane Ka Ahatmam karna Laazim Hai _,*
┱ Hazrat Sabarah Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Apne Bachcho ko Namaz Sikhao Jabki wo Saat saal ke ho aur na Namaz na padhe to Unki pitayi karo Jabki wo Sas saal ke ho _,"
* Sunan Tirmizi -1/58*
┱ is Hadees mai Bachcho ko Namaz sikhane aur unse Namaz padhwane Ka hukm Hai , dar haqeeqat Sahi Amal Sahi ilm ke bager nahi ho sakta , Akhirat ke taqaze is Waqt saamne nahi Hai isliye Deendari ki taraf insaan Ka zahan Bahut Kam Jata Hai, Maa'n Baap Ka fariza Hai k Bachcho ko Deen sikhaye aur iski zyada ahmiyat de Kyunki Deen hi Akhirat ki Hamesha ki Zindagi Mai Kaam dene Wala Hai ,
┱ Bahut se log Bachcho se Bahut zyada Muhabbat karte hai'n Magar Unki ye Muhabbat Sirf Duniyavi Araam v Raahat Tak mehdood hoti Hai ,Unki Asal zarurat Yani Akhirat ki Nijaat aur Maut ke baad ke Araaam v Raahat ki taraf tavajjoh nahi hoti , Halaal maal se Halaal tareeqe per khilana pilana aur pehnana achchi Baat Hai lekin insaan ki Sabse badi zarurat Akhirat Ka Araam aur sukoon Hai , Aulaad ko Deen Ka ilm aur A'amaal se gaafil aur Jaahil rakhna Bahut bada Zulm Hai ,
┱ Bachcho ko Allah ke Naam se Aasna kare aur ese Tor tareeqe Khud Akhtyar kare k unko dekh Kar Bachcho Ke zahan mai islami A'amaal ki Muhabbat paida hoto chali Jaye aur Jese jese Bachcha hosh sambhalta Chala Jaye islam ke Kaam uske zahan mai raasikh hote chale jaye,
╨─────────────────────
*┱✿ Aulaad Ke bare mai Daure Haazir Ke Logo ki Badhaali _*
┱ Bachcho ki Khushi ke Liye unko gair zaroori libaas bhi pehnate hai'n, Unke Liye Tasveere, Moortiya'n khareed Kar late hai'n aur Apne gharo ko unki vajah se Rahmat ke Farishto se mehroom rakhte hai'n,
┱ Udhaar qarz Kar ke unki Jaa'iz na-Jaa'iz zarurato aur Farmaisho ko poora karte hai'n, Zaibo Zeenato ki , Faishion per achchi khaasi raqam kharch karte hai'n , Lekin unko Deen per daalne ki Fikr nahi karte ,Ye Bachcho Ke saath Bahut badi dushmani Hai , Agar Deen nahi to Akhirat ki tabaahi hogi , Waha ki tabaahi ke saamne Duniya ki Zara si chatak matak aur chahal pahal kuchh bhi haqeeqat nahi rakhti ,
┱ Apni Aulaad Ke Sabse bade Mohsin Maa'n Baap hai'n , Jo Apni Aulaad ko Deeni ilm padhate hai'n aur Deeni A'amaal per daalte hai'n, ye ilm na Sirf Aulaad Ke Liye balki khud Maa'n Baap ke Liye bhi Qabr mai aur Akhirat mai nafamand hoga ,
┱ Logo Ka ye haal Hai k Bachcho ko hosh sambhalta hi School aur College ki Nazar kar dete hai'n Ya mehnat mazdoori per laga dete hai'n, Namaz Roza sikhane aur batane aur Deeni Fara'iz samjhane aur un per Amal karwane ki Koi Fikr nahi karte , Shadiya'n ho jati hai ,Baap Dada ban Jate hai'n Lekin Bahut se logo ko Kalma Tak sahi yaad nahi hota ,Namaz mai Kya padha Jata Hai isse bhi waqif nahi , 80-80 saal ke Budho ko dekha gaya Hai k Deen ki Moti Moti baate bhi nahi Jaante ,
╨─────────────────────
*┱✿ Jahalat Ki Vajah se Aulaad Baap Dada Ko Na Gusl dete Hai na Janaza hi Padh Sakte_,*
┱ Jab Baap Dada ki Maut ho jati hai to Awwal to Bete ,Pote janaze ko haath lagane se ghabrate hai'n ,Koi Gusl dene ko taiyaar nahi hota akhir gair log nehlate hai'n aur Baaz jagah to Kiraye ke log Gusl dete hai'n, Ghar ke log Kafan Dena bhi nahi Jaante k Kapde kitne ho aur kese pehnaye Jaye ,
┱ Fir Jab doosre logo ne ( Jo Amuman Namazi Deendaar Hote Hai'n ) nehla dhula Kar Kafan de Diya to Masjid ki taraf janaza le kar chalte hai'n Waha'n imaam Sahab se Janaza padhate hai'n halanki Shar'an Janaza padhane Ka Sabse bada Haqdaar mayyat Ka wali Hai lekin ye Wali Marne wale Ka Beta ya Pota Namaz padhane se aajiz Hai Kyunki Namaze Janaza Yaad hi nahi hoti ,
┱ Baaz martaba to log Jag hansayi se bachne ke liye Mayyat ke rishtedar janaze ki Saf mai khade ho Jate hai'n Magar unhe ye maloom nahi hota k padhna Kya Hai ,Aur Baaz ese bhi Hote Hai'n Jo Namaz se door Alag khade rehte Hai'n , vajah Kya Hai k Apne hi khaas log Janaza padhne padhane se aajiz Hai?
""__Kya iski ye vajah nahi k Hai k Marne wale ne inko Deeni taleem nahi di ,Unko Deen per nahi daala ,Namaz Roza nahi sikhaya ,Badi badi Jaaydaade khareed Kar Aulaad Ke naam Kar di Magar is qabil bana Kar na chhoda k Baap Ka Janaza hi sahi Tor per padh leta, ( isse Sharm ki Baat aur Kya hogi ) inna lillaahi wa inna ilayhi Raaji'oun,
┱ Jab Kaha Jata Hai k Aulaad ko Qur'an padhao ,Deen Sikhao aur Namaz Roza per daalo to Baaz Maa'n Baap Keh dete hai'n k Apne Bachcho ko Mulla thode hi banana Hai ye to Doctor, Engineer banega , iska Matlab ye hua k Deendaar hona aur Namaz Ka paband hona be faayda Cheez Hai Aur Deendaar hona Koi ghatiya Kaam Hai ,Esi soch Hiqaarat ke laayaq Hai ,Allah hifazat kare ,
"__ Kya Qabr mai Angrezi Ka padhna likhna Kaam aayega aur Kya Duniya ki Afsari ,Kothi Bangla Waha Nijaat dila degi , Hargiz nahi Waha to imaan aur A'amaal, Namaz Roza zikro tilawat se Kaam chalega , Agar Akhirat Haq Hai Jesa k Sab Musalman Jaante hai'n to uske Liye daud dhoop kyu nahi karte ? Aur Aulaad ko Waha ke Liye fikrmand kyu nahi banate ? Aur A'amaale Saleha per kyu nahi daalte ? Haqeeqat mai imaan v yaqeen ki kami ek Bahut bada marz Hai Jisne Akhirat se gaafil Kar rakha hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Maa'n Baap ki Goad Pehla Madarsa Hai_,*
┱ Bachcho ki taleem aur tarbiyat Yani Yani unko Deen Ka ilm sikhane aur Deen Ka Amal Kar ke dikhane aur Amal Ka Shoq paida Karne Ka Sabse Pehla Madarsa unka Apna Ghar aur Maa'n Baap ki Goad Hai ,
┱ Maa'n Baap,Azizo Aqarib Bachcho ko jis saanche mai chahe dhaal sakte hai'n aur Jis Rang mai chahe rang sakte hai'n ,Bachche Ka sanwarna aur bigadna dono Ghar se chalte hai'n , Bachcho ki taleem v tarbiyat ke Asal zimmedar Maa'n Baap hi hai'n ,Bachpan mai Maa'n Baap unko jis Raaste per daal denge aur Jo tareeqa bhala ya bura sikha denge Wahi Unki saari Zindagi ki buniyad ban jayega ,
┱ Bachcho Ke Dil Mai Khuda Ka khof ,Khuda ki Yaad ,Khuda ki Muhabbat aur Akhirat ki fikr ,islami ahkaam seekhne sikhane aur Unke mutabiq Zindagi guzaarne Ka jazba paida ho Jane ki poori poori koshish Karna Laazim Hai, Unko Nek Aalimo aur Hafizo ki Sohbato mai Deen ki taleem dilaye , Qur'an Sharif Hifz karaye , Qur'an v Hadees ke maa'ani aur Matlab samajhne ke Liye Arbi padhao , Unko haraam se parhez Karna aur Dayanat daari ,Haya Sharm ,Sakhawat ,Sabr ,Shukr ,Hilm , Bando ke huqooq ki adaygi aur isi tarah ke doosre achche Akhlaaq ki taleem do ,
╨─────────────────────
*┱✿ Bachcho ki Taleem v Tarbiyat Maali Sadqe se Afzal Hai_,*
┱ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k insaan Apne Bachche ko adab sikhaye to bila shuba ye isse behtar Hai k ek Sa'a Galla vagera sadqa kare _,*
* Mishkaatul Masabeh-- 423 Ba hawala Tirmizi,*
┱ Hazrat Umar bin Saied se rivayat hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k kisi Baap ne Apne Bachche ko Koi esi Bakhshish nahi di Jo Achche adab se badh kar ho _,"
* Mishkaatul Masabeh- 423 Ba hawala Tirmizi v Bayhiqi ,*
┱ in dono Hadeeso mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Aulaad ki tarbiyat ki taraf khusoosi tavajjoh dilayi Hai , Baat ye Hai k Bachche bilkul Saada loh Hote Hai'n agar Unki tarbiyat na ki Jaye aur ilm v Amal se araasta na kiya Jaye to Sirf dekhne mai wo insaan Nazar aate hai'n aur Unke Akhlaaq v Adaat Vehshiyana aur Tor Tareeqe Jaahilana ho Jate hai'n ,
┱ Lafze Adab mai Huqooqullah aur Huqooqul ibaad dono shamil Hai , Ye Jo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Achche adab se badh kar kisi Baap ne Apne Bachche ko Koi Bakhshish nahi di, isme poore Deen ki taleem aa jati hai Kyunki Deene islam Achche adab ki mukammal tashreeh Hai ,Bahut se log Lafze Adab Ka maroofi ma'ana le kar uska rivaaji Matlab le lete hai'n aur unhone uthne bethne ke tareeqe Tak hi adab Ka Matlab samajh rakha hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Gair Islsmi Tor Tareeqe Aadaab Nahi Hai'n,*
┱ Bahut se Log Aulaad ko Adab to sikhate Hai'n Lekin Dushmanane islam ne Jo Zindagi Ke Aadaab Bata rakhe Hai'n unhi ki naqal utaarne ki koshish Karte Hai'n , Islam Ke Khilaf Jo cheeze Hai'n wo Aadaab Nahi Hai'n ,
┱ Aaj hum dekh rahe Hai'n k Hamari maashre se islami Aadaab khatm Hote ja rahe Hai'n , Sharmo Haha khatm ho chuki Hai , Bado ki izzat ki koi parwaah nahi rahi , Halaal v Haraam ka khayal nahi , in Sab cheezo Ke natije ab Apni Aankho se dekh rahe Hai'n , Rishtedar aapas mai ek doosre Ke khoon Ke pyaase Hai'n , Ladkiya'n agwa ho rahi Hai'n , Be byaahi Ladkiya'n sahibe Aulaad ban rahi Hai'n, Maa'n Baap ko daant dapat ki Jati Hai , balii Maalo Jaydaaf per qabze Ke Liye Maa'n Baap ko Maut Ke ghaat utaarne Ke waqiaat bhi Sunne mai aate Hai'n ,
"_ Besharmi akhtyar Kar Ke Khushi Mehsoos Karte Hai'n k Hum Modern Hai'n , Meri Aulaad ne Uroup Walo ka Libaas pehan liya , American Walo ki naqal utaarne laga ,Ese log burayi ko burayi bui nahi samajhte ,Unko chhodne Aur chhudane ka to zikr hi Kya ,
┱ Allah Ta'ala Ummate Muhammadiya per Raham farmaye Aur Deeni Samajh de Aur islami Akhlaq v Aadaab se Araasta hone ki fikr naseeb farmaye , Aameen ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ghar Walo Ko Allah Se Darate Raho _,*
┱ Hazrat Maaz bin Jabal Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe das baato ki wasiyat farmayi -
1- Allah Ke Saath Kisi ko Shareek na bana agarche tu qatl Kar diya Jaye Aur tujhe Jala Diya Jaye ,
2- Aur Apne Maa'n Baap ki Na-Farmani hargiz na karna agarche tujhe Hukm de k Apne Ghar Walo ko Aur Maal v Daulat ko chhod Kar nikal ja ,
3_ Farz Namaz hargiz Jaan bujhkar na chhodna Kyunki Jisne Jaan bujhkar farz Namaz chhod di usse Allah ka zimma bari Ho gaya ,
4_ Sharaab Hargiz mat pi Kyunki wo be-hayaai ki Jad Hai ,
5_ Gunaah se Bach Kyunki gunaah ki vajah se Allah ki naraazgi naazil ho Jati Hai,
6_ Maidane Jihaad se mat bhaag Agarche ( doosre ) log ( Tere saathi ) halaak ho Jaye ,
7_ Jab Logo mai ( Waba se ) Maut fail Jaye Aur Tu waha mojood ho to waha jam Kar rehna ( Us Jagah ko chhod Kar mat Jana ) ,
8_ Aur Jinka Kharcha tujh per laazim Hai ( Bivi ,Bachche Vagera ) un per Apna Achchha Maal ( Halaal ) kharch karna ,
9_ Aur unko Adab Sikhane ke peshe Nazar unse Apni laathi hata Kar mat rakhna ,
10_ Aur unko Allah ( Ke ahkaam v qawaneen )bare mai Darate rehna _,"
* Mishkaatul Masabeh- 18 Ba Hawala Musnad Ahmad,*
┱ is Hadees mai Jin Baato ki Nasihat ki gayi Hai Bahut hi Aham Hai'n , Virde Zubaan Aur Harze Jaan banane Ke qabil Hai'n , Aabe zar se likhi Jaye tab bhi inka Haq ada nahi Hoga , Har Musalman per laazim Hai k in Nasihato per Amal Kare ,
▦══─────────────══▦
ReF✿┅╮
* Tohfa E Khawateen,*
╨─────────────────────
No comments:
Post a Comment