Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, November 10, 2017

( UMRAH ADA KARNE KA MUKAMMAL TARIQAH )


✿✿✿✿

★ ╓━════◐◐◑════━╖
                        بسم الله الرحمن الرحيم
     ╙━════◐◐◑════━╜

  ♡Umrah Ada Karne Ka Tareeqa♡

      
     ☆◎◆ Umrah Ka Hukm ◆◎☆

★ Saahibe istta’at ke liye zindgi me ek martaba Umrah Ada karna Sunnat he,

★ Ek se zyada Umrah karna mustahab he,

★ Baaz Ulma ke nazdeek Saahibe istta’at ke liye zindgi me ek baar Umrah karna wajib he,

      ☆◎◆ Umrah ki Fazilat ◆◎☆

★ Huzur Akram Sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya,

” Ek Umrah doosre Umrah tak un gunaho ka kaffara he Jo dono Umro ke darmiyan sarzad ho’n aur Hajj Mabroor ka badla to jannat he, ”

” Ramzan me Umrah ka sawab Hajj ke barabar he, ”

Bukhari, Muslim,

★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

” Pe dar pe Hajj Umrah kiya Karo, beshak ye dono garibi aur gunaho ko is tarah door kar dete he’n jis tarah bhatti lohe aur Sona v Chandi ke mel kuchel ko door kar deti he, ”

Tirmizi, Ibne maaja,

★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

” Hajj Umrah karne wale Allah ta’aala ke mehman he’n, agar Allah ta’aala se dua kare to wo qubool farmaye, agar wo usse magfirat talab kare to wo unki magfirat farmaye, ”

Ibne maaja,

       ☆◎◆ Safar ka Agaaz◆◎☆

★ Ghar se Rawangi ke waqt 2 raka’at nifl Ada karke Allah ta’aala se Safar ki asaani ke liye aur Umrah ke qubool hone ki Duae kare,

★ Apni zaruriyaat ke samaan ke saath apna pass port, ticket aur kharch ke liye raqam bhi saath le le’n,

★ Mard Hazraat hasbe zarurat Ahraam ki chaadre’n bhi le le’n,

☆◎◆Safar me Namaz ko Qasar Karna◆◎☆

★ Agar aapka safar 48 meal yani taqriban 77 km.se zyada ho to Aap apne Shehar ki hudood se bahar nikalte hi shara’i musafir ho ja’enge, lihaza zuhar, Asr, aur isha ki 4 raka’at Farz ke bajae 2 raka’at Ada kare, Magrib aur Fajar puri Ada kare,

★ Agar kisi muqeem imaam ke pichhe Namaz padhe to imaam ke saath puri Namaz Ada kare,

★ Sunnato aur Nawafil ka hukm ye he k agar itminan ka waqt he to puri padhe aur agar zaldi he ya thakan he ya koi aur dushwari he to na padhe, koi gunah nahi, albatta Vitr aur Fajar ki 2 raka’at sunnato ko na chhode,

     ☆◎◆Umrah ke Arkaan◆◎☆

⇨ Umrah me 4 kaam karne hote he’n,

★1- Miqaat se Umrah ka Ahraam baandhna,

★2- Masjide Haraam pahunch kar Betullah ka Tawaaf karna,

★3- Safa marva ki Sa’i karna,

★4- Sar ke Baal mundwana ya Katwana,

           ☆◎◆ Miqaat ◆◎☆

★ Miqaat wo maqaam he jaha se Makka mukarrama jane wale ke liye Ahraam baandhna wajib he,

⇨ Miqaat asal me waqt muayyan aur makaan muayyan ka naam he,

         ★1- Miqaate zamani –

Pure saal raat din me jab chahe aur jis waqt chahe Umrah ka ahraam baandh sakte hai’n, lekin Behiqi me Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki hadees ke peshe nazar imaam Abu Hanifa Rh ne 5 din ( 9 zilhijja se 13 zilhijja tak) Umrah ki adaaygi ko makrooh tehrimi qaraar diya he, chahe hajj Ada kar raha ho ya nahi,

         ★2- Miqaate Makaani,

Wo maqamaat jaha se Hajj ya Umrah karne wale Hazraat Ahraam baandhte he’n miqaat keh late he’n, Miqaat ke aitbaar se puri duniya ki sar zameen ko shari’at me 3 hisso me taqseem kiya he,

               ☆◎◆ Aafaaq◆◎☆

★ Haram aur Hil ke bahar puri duniya ki sar zameen Aafaaq kehlati he, Aafaaqi hazraat jab bhi Umrah ki niyat se Makka mukarrama Jana chahe to unke liye zaruri he k in 5 Miqaato me se kisi ek Miqaat per ya usse pehle Ahraam baandhle,

★ Jo miqaat ki hudood se bahar rehta he use Aafaaqi kehte he, Jese Indian, Pakistani, Misri, Shaami, Iraaqi, Iraani vagera,

              ⇨ Yalmalam –

★ Makka mukarrama se junub ki taraf 2 manzil per ek pahaad he, isko aaj kal Sa’adiya bhi kehte he’n, Ye Yaman aur India, Pakistan se aane walo ki Miqaat he,

             ⇨ Zawalhalifa-

★ Ahle Madina aur uske raaste se aane walo ke liye’ Zawalhalifa” Miqaat he jisko aajkal Bar-Ali kaha jata he, Madina munavvara ke qareeb hi ye miqaat he,Ye Madina munavvara ki taraf se aane walo ki miqaat he,

                  ⇨ Jahfah-

★Ahle shaam aur uske raaste se aane walo ke liye ( maslan Misr, Libya, Aljazirair, Marakash vagera) Jahfah miqaat he, ye Makka mukarrama se taqriban 186 km he,

                 ⇨ Zaate Arq –

★ Ye Iraaq se Makka Mukarrama aane wali ki Miqaat he, Makka mukarrama se taqriban 100 km mashriq me waq’a he

               ⇨ Qiranul Manazil-

★ Ahle Najd aur uske raaste se aane walo ke liye ( maslan Behren, Qatar, Riyaad vagera) miqaat he, isko aaj kal Alseelul kabeer kaha jata he, Ye Makka mukarrama se taqriban 78 km he,

              ☆◎◆ Haram ◆◎☆

★ Makka mukarrama aur uske charo taraf kuchh door tak ki zameen Haram kehlati he, is maqaam per har shakhs ke liye chahe wo muqeem ho ya Hajj v Umrah ke liye aaya ho chand cheeze karna haraam he isliye isko haram kaha jata he,

⇨1- Yaha ke khud uge darakht ya podhe ko kaatna,

⇨2- Yaha ke kisi jaanwar ka shikar karna ya usko chhedna,

⇨3- Giri padi cheez ka uthana,

★ Hudoode Haram ke andar musqil ya aarzi tor per qayaam pazeer yani ahle haram ko Umrah ka Ahraam baandhne ke liye Haram se bahar Jana hoga,

                ☆◎◆ Hill. ◆◎☆

★ Miqaat aur Haram ke darmiyan ki sar zameen Hil kehlati he, jisme wo cheeze halaal he’n Jo Haram me haraam thi,

★ Ahle Hil jinki riha’ish Miqaat aur hudoode Haram ke darmiyan he maslan Jaddah ke rehne wale Umrah ka Ahraam apne ghar se baandhenge,

    ☆◎◆ Ahraam ke masail -1◆◎☆

★ Gusl se faarig hokar ahraam baandhne se pehle khushbu lagana sunnat he,

★ Aurto ke liye ahraam ka koi khaas libaas nahi he aam libaas pehan le, chehre se kapda hata le, fir niyat karke ahista se talbiya padhle,

★ Aurte baalo ki hifazat ke liye agar sar per rumaal baandh le to koi harj nahi, vazu ke waqt isko kholkar sar per masah zaruri he,

★ Agar koi aurat ese waqt me Makka mukarrama pahunchi k maahvari aa rahi ho to wo paak hone tak intezar kare, paak hone ke baad hi Umrah karne ke liye masjide Haraam me jaye, Umrah ki adaaygi tak usko ahraam me hi rehna hoga,

★ Agar Aap pehle Madina munavvara ja rahe he’n to Madina munavvara Jane ke liye kisi ahraam ki zarurat nahi he lekin jab Aap Madina munavvara se Makka mukarrama jaye to fir Madina ki miqaat per ahraam baandhe,

★ Ahraam ki haalat me agar ahatlaam ho jaye to isse ahraam me koi farq nahi padhta, Kapda jism dhokar gusl kar le, agar ahraam ki chadar badalne ki zarurat ho to doosri chadar istemal kar le, lekin miya bivi wale khaas talluqat se bilkul door rahe,

     ☆◎◆ Ek Aham hidayat ◆◎☆

★ Miqaat per pahunch kar ya isse pehle Ahraam baandhna zaruri he,

★ lekin agar aap Hawai jahaaz se jaa rahe he’n aur Aapko Jaddah me utarna he to Hawai jahaaz me sawaar hone se pehle hi ahraam baandhle ya Hawai jahaaz me miqaat se pehle pehle baandhle, aur agar moqa ho to 2 raka’at bhi Ada kar le, fir niyat karke Talbiya padhle ,

★ Ahraam baandhle ke baad niyat karne aur Talbiya padhne me takheer ki ja sakti he, yani aap ahraam Hawai jahaaz me sawaar hone se pehle baandhle aur niyat miqaat aane se pehle karke Talbiya padh le,

★ Yaad rahe k Niyat aur Talbiya ke baad hi ahraam ki pabandi shuru hoti he,

          ☆◎◆ Tambeeh, ◆◎☆

★ Agar miqaat se bahar rehne wala ( jisko aafaaqi kehte he) bager ahraam miqaat se guzar gaya to aage jaakar kisi bhi jagah ahraam baandhle lekin us per ek Dam laazim ho gaya,

★ Maslan Riyaad ka rehne wala bager ahraam ke Jadda pahunch gaya to Jadda ya Makka mukarrama se ahraam baandhne per ek Dam dena hoga,

  ☆◎◆ Mamuaat Ahraam◆◎★

⇨Ahraam baandh Kar talbiya padh lene ke baad ye cheeze haraam he—-

★ Khushbu lagana,
★Nakhun kaatna
★ Jism se baal door karna
★Chehre ka dhankna,
★ Miya Bivi wale khaas talluqat, jinsi sohbat ke kaam karna,
★Khushki ke jaanwaro ka shikaar karna,

☆◎◆ Sirf Mardo ke liye mamnu◆◎☆

★ Sile hue kapde pehanna
★ Sar ko Topi ya kapde se dhaankna,
★ Esa juta pehanna jisse paanv ki darmayani haddi chhup jaye,

  ☆◎◆Makroohate Ahraam◆◎★

★ Badan se mel door karna,
★ Saabun ka istemal karna
★ Kangha karna

☆◎◆ Ahraam ki haalat me jaa’iz umoor◆◎★

★ Gusl karna lekin khushbudar sabun ka istemal na kare
★ Ahraam
★ Gusl karna lekin khushbudar sabun ka istemal na kare
★ Ahraam ko dhona ya badalna
★ Anguthi, Ghadi, Chashma, Belt, Chhatri vagera ka istemal karna
★ Ahraam ke ouper mazeed chadar daal kar sona, lekin Mard apne sar aur chehre ko aur Aurte apne chehre ko khula rakhe,

☆◎◆Masjide Haraam ki haajri☆◎◆

★Makka mukarrama pahunch kar samaan vagera apni qayamgah me rakhkar Aaraam ki zarurat ho to thoda Araam karle varna gusl ya vazu karke Umrah karne masjide Haraam ki taraf sukoon, itminaan ke saath talbiya padhte hue jaye,

★ Darbare ilaahi ki azmat v jalaal ka lihaaz rakhte hue Daaya qadam andar rakh kar masjid me dakhil hone ki dua padhte hue dakhil ho jaye,

☆◎◆ Qaba Sharif per pehli Nazar◆◎☆

★ Jis waqt Khana Qaba per pehli nazar padhe to Allah ta’aala ki badai bayaan karke Jo chahe apni zubaan me Allah ta’aala se maange, kyuki ya dua qubool hone ka khaas waqt he,

         ☆◎◆⊙Tawaaf⊙☆◎◆

★ Masjide Haraam me dakhil hokar Kaaba sharif ke us hisse me aa jaye jaha Hajre Aswad laga hua he aur Tawaaf ki niyat kar le

★ Umrah ki sa’i bhi karni he isliye Mard Hazraat iztbaa kar le yani Ahraam ki chadar ko Daaye bagal ke niche se nikaal kar mondhe ke ouper daal le,

★ Fir Hajre Aswad ke saamne khade hokar ‘ Bismillah Allahu Akbar” kehte hue Hajre Aswad ko bosa le ya dono haatho ki hatheliyo ko Hajre Aswad ki taraf karke haatho ka bosa le,

★ Fir Kaaba ko Baayi taraf rakhkar Tawaaf shuru kare,

★ Mard Hazraat pehle 3 chakkar me ( agar mumkin ho to) Ramal kare yani zara mondha hilakar akadte hue chhote chhote qadam ke saath tez chale,

★ Tawaaf ke waqt nigah saamne rakhe yani Kaaba sharif aapke Baayi jaanib rahe,

★ Tawaaf ke dauran bager haath uthaye yaad ho to Duae karte rahe ya Zikr karte rahe,

★ Aage ek nisf daayre ki shakl ki 4-5 foot ounchi diwaar aapke Baayi jaanib aa’egi isko Hateem kehte he,

★ Hateem darasal Betullah ka hi hissa he, isme namaz padhna esa hi he jese Betullah ke andar Namaz padhna, agar Tawaaf ke baad moqa mil jaye to zarur nifl Ada kare,

★ iske baad jab khana Kaaba ka jab teesra kona aa jaye jisko Rukne Yamani kehte he, ( Agar mumkin ho to) dono haath ya sirf Daahina haath us per fere ya uski taraf ishara kiye bager yuhi guzar jaye,

★Rukne Yamani aur Hajre Aswad ke darmiyan chalte hue ye dua baar baar padhe,

→Rabbana aatina fiddunya hasanatanv va fil akhirati hasanatanv va qina azaaban naar ←

★Fir Hajre Aswad ke saamne pahunch kar uski taraf hatheliyo ka rukh kare, Bismillah Allahu Akbar kahe aur hatheliyo ka bosa le,
is tarah aapka ek chakkar pura ho gaya, iske baad baqi 6 chakkar bilkul isi tarah pure kare, kul 7 chakkar karne he’n, Akhri chakkar ke baad Hajre Aswad ka istlaam kare aur Safa chale jaye,

   ⇨ Tawaaf ke baaz aham Masail ◆

★ Masjide Haraam me dakhil hone ke baad Talbiya band kar de,

★ Tawaaf ke dauran koi makhsoos dua zaruri nahi balki Jo chahe aur jis zubaan me chahe dua maangte rahe, agar kuchh bhi na pade khamosh rahe tab bhi Tawaaf sahi hoga,

★ Tawaf ke dauran Jama’at ki namaz shuru hone lage ya thakan ho jaye to tawaaf rok de fir jis jagah se Tawaaf band kiya tha usi jagah se Tawaaf shuru kar de,

★ Nifli Tawaaf me Ramal yani akad kar chalna aur iztiba nahi hota,

★ Namaz ki haalat me baazuo ko dhakna chahiye kyuki iztiba sirf tawaaf ki haalat me sunnat he

★ Agar Tawaaf ke dauran vazu toot jaye to Tawaaf rok kar vazu karke Fir Tawaaf usi jagah se shuru kar de jaha se Tawaaf band kiya tha, Kyuki bager Vazu Tawaaf karna jaa’iz nahi,

★ Tawaaf nifli ho ya Farz usme 7 hi chakkar hote he, aur iski ibtida Hajre Aswad ke istlaam se hi hoti he aur iske baad 2 raka’at namaz padhi jati he,

★ Agar Tawaaf ke chakkaro ki tadaad me shak ho jaye to kam tadaad shumar karke baqi chakkaro se Tawaaf mukammal kare,

★ Masjide Haraam ke andar ouper ya niche ya mutaaf me kisi bhi jagah Tawaaf Kar sakte he

★ Tawaaf Hateem ke bahar se hi kare, agar Hateem ke andar dakhil hokar Tawaaf karenge to wo motbar nahi,

★ Kisi aurat ko Tawaaf ke dauran Haiz aa jaye to foran Tawaaf band kar de aur Masjid se bahar chali jaye,

★Khwateen Tawaaf me Ramal yani akadkar chalna na kare ye sirf Mardo ke liye khaas he

★ Hujoom hone ki soorat me Khwateen Hajre Aswad ka bosa lene ki koshish na kare bas door se ishara kar le, isi tarah hujoom hone per Rukne Yamani ko bhi na chhue

★ Agar Hajre Aswad ke saamne se ishara kiye bager guzar gaye aur agar hujoom zyada he to wapas aane ki koshish na kare kyuki Tawaaf ke dauran Hajre Aswad ka bosa lena, uski taraf ishara karna sunnat he wajib nahi,

          ✿✿  Aham masla, ✿✿

Mazoor shakhs jiska vazu nahi theharta ( maslan peshab ke qatre muslsal girte ho ya musalsal riyah kharij hoti rehti ho ya aurat ko bimari ka khoon aa raha ho) to uske liye hukm ye he k wo Namaz ke ek waqt me vazu kare, fir us vazu se us waqt me chahe Jitne Tawaaf kare, namaze padhe, Tilawat kare, Doosri namaz ka waqt dakhil hote hi vazu toot ja’ega, agar Tawaaf mukammal hone se pehle hi doosri namaz ka waqt dakhil ho jaye to vazu karke Tawaaf mukammal kare,

        ⊙ 2 Raka’at Namaz, ⊙

★ Tawaaf se faarig hokar Maqame Ibrahim ke aaye, Sahuliyat se Maqame Ibrahim ke pichhe jagah mil jaye to waha, varna Masjide Haraam me kisi bhi jagah Tawaaf ki 2 raka’at Ada kare,

★ Tawaaf ki in 2 raka’at ke mutalliq Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat ye he k Pehli raka’at me Surah Kafiroon aur doosri raka’at me Surah ikhlaas padhi jaye,

★ Hujoom ke dauran Maqame Ibrahim ke paas Tawaaf ki 2 raka’at namaz padhne ki koshish na kare kyuki isse Tawaaf karne walo ko takleef hoti he, balki Masjide Haraam me kisi bhi jagah Ada kar le,

         ⊙Maqame Ibrahim ⊙

★ Ye ek Patthar he jis per khade hokar Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Kaaba ko tameer kiya tha, Us patthar per Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke qadmo ke nishanat he’n,

★ Ye Kaaba sharif ke saamne ek jaalidar shishe ke chhote se qubba me mehfooz he, jiske atraaf peetal ki khushnuma jaali nasab he,

★ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

” Hajre Aswad aur Maqame Ibrahim qeemti pattharo me se do patthar he’n , Allah ta’aala ne dono pattharo ki roshni khatm kar di he, Agar Allah ta’aala esa na karta to ye dono patthar Mashrik aur Magrib ke darmiyan har cheez ko roshan kar dete, ”

Ibne Khuzema,

            ☆◎◆ Multazim◆◎☆

★ Tawaaf aur Namaz se faarig hokar agar moqa mil jaye to Multzim per aaye,

★ Hajre Aswad aur Kaaba sharif ke darwaze ke darmiyan 2 meter ke qareeb Kaabe ki diwar ka Jo hissa he wo Multazim kehlata he,

★ isse chimat kar khoob duae maange , ye dua qubool hone ki khaas jagah he,

★ Hujjaj ikraam ko takleef dekar Multazim per pahunchna jaa’iz nahi he, lihaza Tawaaf karne walo ki tadaad agar zyada ho to waha pahunchne ki koshish na kare kyuki waha Duae karna sirf sunnat he, wajib nahi,

   ☆◎◆ Aabe Zam Zam-◆◎☆
,
★ Tawaaf se faarig hokar qibla Rukh hokar Bismillah padh kar 3 saans me khoob ser hokar zam zam ka paani piye aur Alhamdulillah keh kar ye Dua ( Agar yaad ho to) padhe

” Allahumma inni as’aluka ilman naafi’anv va rizqanv vaasi’anv va shifa’an min kulla daa’i, ”

Tarjuma, –
Ey Allah me aapse nafa dene wale ilm ka aur qushada rizq ka aur har marz se shifayabi ka sawaal karta hu’n,

★ Masjide Haraam me har jagah Zam Zam ka paani ba-asaani mil jata he, Zam Zam ka paani khade hokar pina mustahab he,

★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu farmate he’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Zam Zam pilaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khade hokar piya,

Bukhari,

★ Zam Zam ka paani pikar uska kuchh hissa sar aur badan per daalna bhi mustahab he,

★ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu kehte he’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna,

” Zam Zam ka paani jis niyat se piya jaye wahi faa’ida isse hasil hota he,

Ibne maaja,

★ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

” Rue zameen per sabse behtar paani zam zam he Jo bhooke ke liye khana aur bimaar ke liye shifa he,

Tabrani,

☆◎◆ Safa Marva ke darmiyan Sa’i  ◆◎☆

★ Safa per pahunch kar behtar ye he k zubaan se ( yaad ho to ) kahe

→” Abda’u bima bada Allahu bihi, innas safa va marvata min Saha’aiirillahi ”

★ Fir Kaaba ki taraf rukh kar ke Dua ki tarah haath uthale aur 3 martaba Allahu Akbar kahe,

★ Aur agar yaad ho to 3 baar ye Dua padhe,

→Laa ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva alaa kulli shayin qadeer,
laa ilaaha illallahu vahdahu anjaza va’adahu va nasara abdahu va hazamal ahzaaba vahdahu, ”

★ iske baad khade hokar khoob Duae manage, ya duae qubool hone ka khaas maqaam aur khaas waqt he,

★ Sa’i ke liye vazu karna zaruri nahi albatta afzal v behrar he,

★ Haiz ki haalat me bhi Sa’i ki ja sakti he albatta Tawaaf Haiz ki haalat me hargiz na kare balki Masjide Haraam me bhi dakhil na ho,

★ Tawaaf se faarig hokar agar Sa’i karne me takheer ho jaye to koi harj nahi,

★ Sa’i ko Tawaaf ke baad karna shart he, Tawaaf ke bager Sa’i motbar nahi,

★ Safa Marva per pahunch kar Betullah ki taraf haath se ishara na kare balki Dua ki tarah dono haath uthakar Dua kare,

★ Sa’i ke dauran Namaz shuru hone lage ya thak jaye to Sa’i ko rok de fir jaha se band kiya tha usi jagah se shuru kar de,

★ Tawaaf ki tarah Sa’i bhi paydal chal kar karna chahiye, albatta agar koi uzr ho to Wheel chair per bhi Sa’i kar sakte hai’n,

★ Agar Sa’i ke chakkaro ki tadaad me shak ho to kam tadaad shumar karke baqi chakkaro se Sa’i mukammal kare,

★ Khwateen Sa’i me Sabz sutoono ( jaha hari tube lite lagi hui he’n) ke darmiyan Mardo ki taraf doad kar na chale,

★Agar chahe to Sa’i ke baad bhi 2 raka’at namaz Ada kar le kyuki baaz rivayaat me iska zikr milta he,

★ Nifli Sa’i ka koi saboot nahi he, albatta nifli Tawaaf zyada se zyada karne chahiye,

☆◎◆ Baal Mundwana ya katwana◆◎☆

★ Tawaaf aur Sa’i se faarig hokar sar ke baad mundwade ya katwade,

★ Mardo ke liye mundwana afzal he, kyuki Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Baal mundwane walo ke liye rehmat v magfirat ki Duae 3 martaba farmayi he aur Baal katwane wale ke liye sirf ek martaba,

★ Allah ta’aala ne apne paak kalaam Qurane kareem me halaq karane walo ka zikr pehle aur Baal katwane walo ka zikr baad me kiya he,

★ Khwateen choti ke aakhir me se ek pore ke barabar Baal khud kaat le ya kisi mehram se katwale,

        ☆◎◆ Tambeeh, ◆◎☆

★ Baaz Mard Hazraat chand Baal sar ke ek taraf se aur chand Baal doosri taraf se Qenchi se kaat kar ahraam khol dete he’n, ye sahi nahi he, esi soorat me jamhoor Ulma ke nazdeek Dam wajib hoga, lihaza ya to sar ke baad mundwaye ya is tarah baalo ko katwaye k pure sar ke Baal kat jaye,

★Agar Baal zyada hi chhote ho to mundwana hi laazim he,

★sar ke baal mundwane ya katwane se pehle na ahraam khole aur na hi nakhun vagera kaate varna Dam laazim hoga,

★ Baal ka hudoode Haram me katwana zaruri he, lihaza Jaddah me Baal mundwane ki soorat me Dam laazim hoga,

★ Jab Baal katwane ka waqt ho jaye yani Tawaaf, Sa’i se faarig ho gaye to ek doosre ke Baal kaat sakte hai’n,

⇨ Alhamdillah ab aap ka Umrah pura ho gaya, Ahraam utaar de, Sile hue kapde pehan le, ab aapke liye wo sab cheeze jaa’iz ho gayi Jo ahraam ki haalat me na-jaa’iz ho gayi thi,

☆◎◆Mutaddid Umre karna◆◎☆

★ Umrah ki adaaygi ke baad apni taraf se ya apne mutalliqeen ki taraf se nifli Umre karna chahiye,

★ Hill me kisi jagah maslan Tan’eem jakar gusl karke ahraam baandhle, 2 raka’at namaz padh kar niyat kare, Talbiya padhe fir Umrah ka Jo tareeqa bayaan kiya gaya he uske mutabiq Umrah kare,

★ Kisi Marhoom, ya intehai boodhe ya ese bimar shakhs jiski sahat ki bazahir tawaqqa nahi he, ki jaanib se bila shubha Umrah badal kiya ja sakta he,

★lekin Sahat mand, zinda shakhs ki jaanib se Umrah badal ki adaaygi me Fuqha ka ikhtilaf he , ahatyaat Sahat mand shakhs ki taraf se Umrah badal na karne me he,

                  •﹏••﹏••﹏••﹏•
       ☆◎◆Tawaaf e Vida, ◆◎☆

★ Waapsi ke waqt Tawaafe vidaa karna chahe to kar le lekin Sirf Umrah ke safar me Tawaafe vidaa zaruri nahi,

☆◎◆Umrah se mutalliq baaz zaruri Masail◆◎☆

★ Aurat bager mehram ya shohar ke Umrah ka Safar ya koi doosra Safar nahi kar sakti he, Agar koi Aurat bager mehram ya shohar ke Umrah kare to uska Umrah to Ada ho ja’ega lekin esa karne me bada gunaah he,

★ Aurte’n Mard ki taraf se aur Mard Aurto’n ki taraf se nifli Umrah badal kar sakte hai’n,

★ Ahraam ki haalat ahraam ke kapde utaar kar gusl bhi kar sakte hai’n aur ahraam tabdeel bhi kar sakte hai’n,

★ Baaz logo ne ye mashhoor kar rakha he k kisi ne Umrah kiya to us per Hajj farz ho jata he, ye galat he, Agar wo saahibe istetaat nahi he yani agar uske paas itna maal nahi he k wo Hajj Ada kar sake to us per Umrah ki adaaygi ki vajah se Hajj farz nahi hota, agarche wo Umrah Hajj ke mahine me hi ada kiya jaye, fir bhi iski vajah se Hajj farz nahi hoga,

Alhamdulillah Khatm Hue

Umrah karne ka Tareeqa, By mufti Najeeb Sambhil Qasmi,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✿✿✿✿

No comments:

Post a Comment