🌸🌸🌸
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*MAA NAAM HAI ------????*
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*PART-01*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (01) MAA NAAM HAI PYAAR KA*
*⚃➠ Maa ka Lafz Apne Ander bepanaah pyaar v muhabbat Samoye hue hai Maa ek aisi hasti hai jiski kayenaat me koi misaaL Nahi miLti jab koi Aurat maa ke Azeem Rutbe par Fa'iz hoti hai to uski Zaat bas uske bacche me hi kho jaati hai use Apne bacche ke pyaar ke ALawah or kuch Nahi Soojhta bacche ki ek ek harkat use haseen maLoom hoti hai or uski har Ada par maa Sadqe wari jaati hai maa ke pyaar ka koi moL Nahi Maa ke pyaar ke saath to duniya or bhi haseen Lagti hai*
*PART-02*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(02) MAA NAAM HAI QURBAANI KA*
*⚃➠ Bacche ke duniya me Aane se pehle hi maa sirf Apne hone waLi AwLaad ke baare me sochne Lagti hai or baaz Awqaat to bahut si Khawateen Agar Apne Shohar ke ghaLat Ravayyo'n or Aadato'n se tang Aakar ALedhgi ka soch bhi Rahi hoti hain Lekin AwLaad ki khushkhabari unhe AwLaad ke behtar mustaqbiL ki khatir aisa karne se Rok deti hai or AwLaad ke duniya me aane ke baad uska sona jaagna sirf uski awLaad ke Liye hota hai Agar baccha hasta hai to maa uski hasi se hi masroor ho jaati hai or jab wo rota hai takleef me hota hai to maa usse Zadah takleef mehsoos karti hai khud Apni khahishaat ko mustarad kar ke sirf Apne bacche ki khahishaat ki takmeeL ke baare me sochti hai Apne mustaqbiL ki use koi fikar Nahi hoti Lekin Apni awLaad ke behtar mustaqbiL ke Liye Apni Aankho'n me khaab sajati hai Lekin maa ki LazawaaL qurbaniya'n jinka badLah koi bhi kabhi chuka nahi sakta badi Aasaani se bhuLa di jaati hain Betiya'n ho'n ya Bete bade ho kar Apni zindagiyo'n me mast ho jaate hain Lekin wo maa hi hoti hai jo tahayaat Apne baccho'n ke Liye dua mang'na or uska khayaaL Apne diL se nikaaLna abhi nahi bhooLti*
*PART-03*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(03) MAA NAAM HAI MEHNAT KA*
*⚃➠ Maa hi hoti hai jo Apni AwLaad ke Liye anthuk mehnat karti hai pehLe uski pedaish se Lekar uske bade hone tak wo uski nigehdaasht me Raat or din ek kar deti hai Garmi ho Sardi ho wo Apni AwLaad ke Liye kuch Nahi dekhti uski ek Khahish par use poora karne ke Liye tayyar Rehti hai or uske baad uske School jaane se TaLeem ke har medaam me uske saath khadi Hoti hai Apni AwLaad ki choti moti Zarooriyaat poora karna Apna farz Samjhti hai or Apni awLaad ki bimaari me Raat bhar jaag kar pareshaan hoti hai uske Liye duaye'n mangti hai iske bawajood Subah Sawere Apne baccho ko waqt par Naashta deti hai or koi giLah bhi nahi karti*
*PART-04*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(04) MAA NAAM HAI IZZAT KA*
*⚃➠ Maa ke Lafz ke Ander bepanaah izzat hai wo khud bhi izzat ki hamiL hai or uski zaat se uske baccho ko bhi is Mu'aashre me izzat miLti hai zindagi bhar maa ki izzat or toqeer me koi kami nahi Aati is duniya or Aakhirat me maa ka bada maqaam hai sirf izzat v Ahtaraam hi hai jo maa ko Azeem banata hai usi ki Raza me Rab Aapse Raazi Rehta hai isse badh kar maa ke Liye or izzat kiya hogi ke uske paao'n ke niche jannat hai*
*PART-05*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(05) MAA NAAM HAI SABR OR DARGUZAR KA*
*⚃➠ Maa sabr or bardaasht ka pekar hoti hai maa jitna sabr or bardaasht ka hosLah shayad kisi me nahi hota wo apne bacche ke khatir har takleef sehti hai uski har choti or badi ghaLti ko has kar darguzar karti hai chaahe bacche ki badi se badi ghaLti se maa ko kitni bhi takleef kiyu na ho wo uff tak nahi karti or uske bar'aks AwLaad ko Le'n to Aaj kaL ke tamaam HaLaat Aapke Samne hain ke kis Tarah Log Apni maao'n ko old house me chord Aate hain or wo bhi ye keh kar ke wo unhe Lene or unse miLne Aayenge or us din ke baad phir kabhi nahi Aate Lekin maa phir bhi sabr ke saath awLaad ka intezaar karti hai ke shayad wo kaam me masroof hoga Farigh hote hi use Lene Aajayega*
*PART-06*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(06) MAA NAAM HAI AZMAT KA*
*⚃➠ Maa ki zaat ko bayan karna bahut mushkiL baLke yun kahe Namumkin hai Aaj ham sirf mother day par maa ki Azmat ko Sarahate hain haLanke maa ki Azmat ko SaLaam pesh karne ke liye zindagi ke tamaam din nakaafi hote hain maa jesi Azeem hasti khush Naseebo'n ko hi miLti hai Agar Aap un khush Naseebo'n me se hain jinke pass maa jesi Azeem hasti mojood hai to uska khayaaL unka maan uski Qadar karen*
*PART-07*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(07) MAA KI JAGAH KO KOI PUR NAHI KAR SAKTA*
*⚃➠ Un se poocho'n jin baccho ki maa nahi hoti wo bacche kis tarah maa ke Liye Tadapte hain Zindagi bhar unhe zindagi ke har mod par maa ki kami mehsoos hoti hai kiyu ke ye baat haqeeqat hai baap chahe Apne baccho ke Liye kitni bhi mehnat or muhabbat karLe wo maa ki jagah kabhi bhi pur Nahi kar sakta*
*PART-08*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(08) KIYA MAA KI MAMTA SE AAGE BHI KOI MAQAM E ULFAT HAI ?*
*⚃➠ Maa to maa hoti hai or maa kiya hoti hai ye batane ki nahi mehsoos karne ki cheez hai Abhi kisi dictionary me aise Alfaaz nahi Aaye jo maa ki mamta ka qaLib ban sake'n uski mamta ki Tarjumaani kar Sake'n maa kiya hoti hai ye unse poocho jinki maa nahi hoti or maa ko Apne LaadLe se kesi muhabbat hoti hai ye bas maa hi jaanti hai*
*╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
🌸 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 🌸
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
✍🏻 *RAAH-E-HAQQ*
www.raahehaqq.blogspot.in/?m=1
www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
🌸🌸🌸
No comments:
Post a Comment