Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, January 28, 2018

MASJID KE AHKAAM

☆

╭━–––––––––––––––––––━╮
│вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯

      *MASJID KE AHKAAM* 

      ◉➻═══════════════➻◉

       *☞ _Mehboob Tareen Jagah,*

▣_ Masajid Wo Mehboob Tareen Jagahe Hai Jo Allah Ta'ala Ko Sabse Zyada Pyaari aur Pasandida Hai , Yahi Vajah Hai k Allah Ta'ala ne Sabse Pehle Tamaam Masajid ki Asal aur Maa'n Yani Kaaba Musharrafa Ka Abaad Farmaya , Jisko Rab e Kareem ne Apne Kalame Paak mai Yu'n irshad farmaya :--

إِنَّ أَوَّلَ بَيْتٍ وُضِعَ لِلنَّاسِ لَلَّذِي بِبَكَّةَ مُبَارَكًا وَهُدًى لِّلْعَالَمِينَ

*Ref•━_Surah Aal-e-Imran, Aayat 96,*

"__ *( Tarjuma )* _Beshak Wo Pehla Ghar Jo logo ke liye qaa'im Kiya gaya Hai Wo Ghar Hai Jo Makka Mukarrama mai Hai Barkat aur Hidayat Wala ( Yani Baitullaah ) _,"

▣_ Baaz mufassireen ne To yaha'n Tak likha hai k Zameen ki Paidaish ki ibtida bhi isi se Hui , Masajid Ka Allah Ta'ala ke nazdeek Mehboob hone ko Allah ke Habeeb Sallallahu Alaihivasallam ne in alfaz mai irshad farmaya :-

"__(Tarjuma ) _ Duniya ki jagaho mai se Sabse Mehboob Tareen Jagah Allah Ta'ala ke nazdeek Masajid hai'n aur Duniya mai Sabse mabgooz tareen jagah Bazaar hai'n _,"

*Ref•━ Muslim _,*

      ◉➻═══════════════➻◉

        *☞ _Allah Ta'ala Ka Ghar _,*

▣_ Masajid Zikr v Ta'at ki gazr se banayi jati hai'n , isliye Wo Allah Ta'ala ke nazdeek Mehboob hai'n , Jo Cheez Allah Ta'ala ke nazdeek Jis qadar Mehboob hogi Usi qadar uski Tazeem v Toqeer aur Sharf mai izafa hoga ,

▣_ Chunache Masajid Ka Ahatraam hum per Waajib v Laazim Hai aur Masajid isliye bhi qabile Tazeem hai'n k unko Allah Ta'ala se Nisbat haasil Hai , Allah Ta'ala hi ki taraf mansoob Kar ke kaha Jata K " Baitullaah " Yani Allah Ta'ala Ka Ghar ,

▣_ Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam Hai -- Beshak Allah Ta'ala ke Ghar Masajid hai'n ,

*Ref•━ Tabrani _,*

"__ Matlab ye Hai k Masajid ko Allah Ta'ala se Khaas Nisbat haasil Hai, in per Allah Ta'ala ki Khaas tajalli hoti Hai , inme Anwaare ilaahiya paye Jate hai'n , inko zikr v Ta'at se Abaad karne walo walo per inki Kirne padti hai'n ,To jab Masajid ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf Hai to Masajid ki azmat v Haqeeqat Allah Ta'ala ki azmat hogi aur Unki be hurmati Allah Ta'ala ki be hurmati hogi ,( iyaazbillaah )

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞ _Tameere Masjid Musalmano Ka Haq Hai,*

▣ _Beshak zameen me Allah ta’aala ke ghar masjide’n he’n aur Allah ta’aala ke zimme haq he k Jo shakhs inme Allah ta’aala ki ziyarat ko jaye uska ikraam farmae’n, ”

▣_Beshak Allah ta’aala ke gharo ko Abaad karne wale Allah ta’aala ke khaas log he’n,

*Ref_&_  Jamia Sageer, 1/ 90-91,*

▣_ Masjid lugat me Sazdagah ka naam he aur shari’at islaam ki istlaah me wo makhsoos jagah Jo Namaz ke liye waqf kar di jaye, ”

    *Ref_&_  Sharah Mishkaat, 1/ 441*

▣ _Taamire Masjid sirf musalmano ka haq he, mushrikeen ko Tameere Masjid ka haq nahi,

”_ Chunache musalmano per laazim he k kaafiro ko Tameere Masjid se rok de kyuki Masjide to Allah ta’aala ki ibadat ke liye banayi jati he’n pas Jo shakhs kaafir ho wo inko Tameer karne ka ahal nahi, ”

   *Ref_&_  Tafseer Mazhari, 4/ 146*

▣ _Gair Muslimo ki Tameer karda Masjid Masjide Zaraar ( jo Munafiko ne Tameer ki thi) he,

▣ _Kaafir Napaak aur Masjido me unka dakhila mana he,

”_ Ey imaan walo !  Mushrik to nire napaak he’n, pas wo is saal ke baad Masjide haraam ke qareeb bhi na aane paye, ”

     *Ref_&_  Surah Tauba,, 28*

▣_Munafiqo ko Masjid se nikaal diya jaye,
Jo gair Muslim firqa munafqana tor per islaam ka daava karta ho usko Masjido se nikaal dena sunnat he,

▣_ inke zimme ye bhi laazim he k islaam me dakhil hone ke liye Toheed v Risaalat ki shahadat ke baad un tamaam Aqaaid v Nazriyaat ke baatil hone ka iqraar kare Jo wo musalmano ke khilaaf rakhte he’n,

   *Ref_&_ Sharah Bukhari, 8/12,*

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞ _Masajid Sha'arar E Islam*

▣_Masjid ka qibla rukh hona islaam ka sha’aar he,

” _Jo shakhs hamare jesi namaz padhta ho, hamare qibla ki taraf moonh karta ho, hamara zibah khata ho, pas ye shakhs musalman he, jiske liye Allah ka aur uske Rasool ka ahad he, pas Allah ke ahad ko mat todo, ”

*Ref_$- Sahi Bukhari, 1/ 56*

    *☞ Mehraab _,*,

”▣_ Aur qibla rukh kisi alamat se maloom ho sakta he aur Shehro aur Abaadiyo me qibla ki alaamat wo Mehraabe he’n to Sahaba v Tabaeyn raziyallahu anhum ne banayi, pas bani hui Mehraabo me hum per unki pervi laazim he, ”

*Ref_$-Al bahr ul Raa’iq, 1/285*

          *☞ Azaan__,*

”▣_ Masjid me azaan Namaz ki Dawat ke liye di jati he, Azaan islaam ka buland tareen Sha’aar he aur ye k is Sha’aar me gumraah firqo ki mukhalfat ko malhooz rakha he,

*Ref_$- Fatahul Qadeer, 1/ 16*

    *☞_Madjid ke Minaar,*

”▣_ Masjid ki ek khaas alaamat Jo sabse numaya he, uske Minaar he’n,

▣_Minaare Masjid ka doosra fayda ye he k Minaar dekh kar nawaqif aadmi ko masjid hone ka ilm ho jata he,

"__ Goya Masjid ki maroof tareen alamat ye he k usme qibla rukh Mehraab ho, Mimber ho, Minaar ho, waha azaan hoti ho, isliye gair Muslim ki ibadat gah me in cheezo ka paya Jana islaam ki toheen he,

 *Aapke Masa'il aur Unka Hal_,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ _Masjid mai Dakhil Hone Ke Adaab,*

▣_ Masajid Ki Azmat Ko Baja lane aur Unki Behurmati se bachne ke liye Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Bahut se Adaab v Ahkaam Taleem farmaye hai'n, Unme se Baaz Aham Adaab v Ahkaam Ka Zikr Kiya ja raha Hai Jinme Umuman kotahiya'n hoti Hai ,

▣_Masjid mai Dakhil Hone Ke Waqt Pehle Daa'nya Paanv Andar Kare aur Ye Dua Padhe __

*_بِسْمِ اللّٰهِ وَالصَّلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلٰي رَسُوْلِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ افْتَحْ لِيْۤ اَبْوَابَ رَحْمَتِكَ,*

*"_Bismillaahi Wassalaatu Wassalaamu Ala Rasoolillaahi , Allahum maftahli Abwaaba Rahmatika_,*

*"_Tarjuma_,* _ Allah Ke Naam se Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per Salaat v Salam ho , Ey Allah mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaze Khol dijiye _,"

* Mishkaat _ 1/68 Baab Masajid,*

▣_Fir Ye Niyat Kare k Jab Tak Masjid mai hu'n Mo'atkif rahunga , iske baad agar Makrooh Waqt na ho to 2 Raka'at" Tahiyatul Masjid " ki nifl Ada kare ,

*▣_ Masla _,*_ Makrooh Awqaat ke Siva jab bhi Masjid mai dakhil ho " Tahiyatul Masjid " masnoon Hai ,Waqti Namaz ke Saath iska Koi talluq nahi , Paancho Waqt ki Namaz ke liye dakhil hone ke baad agar Farz ya Sunnat Foran Shuru kare to Wahi " Tahiyatul Masjid" ke qaa'im muqaam hoga , Agar Takheer se Shuru kare to " Tahiyatul Masjid" mustqil padhe ,

* Makhooz Ahsanul Fatawa _3/483,*

*▣_ Masla _,*_ Agar Baar baar masjid mai dakhil hona padhe to ek baar "Tahiyatul Masjid"Padna Sunnate Moqada Hai Chahe Pehli martaba dukhool mai padhe ya Aakhri martaba , Yahi El martaba padhna uske liye Din bhar ke liye Hai ,

* Makhooz -Duure Mukhtaar ( 1/636),Ahsanul Fatawa -3/483*

      ◉➻═══════════════➻◉

   *☞ _Masjid Se Nikalne Ke Adaab ,*

▣_ Masjid se Nikalte Waqt Baaya'n Paanv Pehle nikaale Fir Daaya'n Paanv nikaale ,

▣_ Fir Ye Dua Padhe _

*_بِسْمِ اللّٰهِ وَالصَّلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلٰي رَسُوْلِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ اَسْئَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ-*

*__ Bismillaahi Wassalaatu Alaa Rasoolillaahi Allahuma inni As'aluka min Fazlika _,*

*▣_ Tarjuma _* __ Allah Ke Naam se Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per Salaat v Salam ho , Ey Allah ! Mai'n Aapse Aapka Fazal maangta hu'n ,

* Mishkaat _*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid Ki Safaai Ka Ahatmaam_,*

▣_ Masjid Ki Safaai Suthraai Ka ahatmaam karna Ummate Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke liye Kis had tak zaruri hai iska andaza isse lagaya ja sakta Hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Banafs Nafees Masjid ki Safaai farmate they ,

▣_ Hazrat Yaqoob bin Zaid Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k , Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam masjid ke gardo gubaar ko khajoor ki tehni se Saaf kiya karte they _,"

* Musannif ibne Abi Shayba ,1/398*

▣_Isi tarah Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu Ke mutalliq manqool hai k Wo ek martaba ghode per sawaar ho Kar Masjide Quba Tashreef le gaye Usme Namaz padhi Fir Farmaya :-

"__ Ey Purqa ( Kisi Shakhs Ka naam Hai ) ! Mujhe Khajoor ki ek tehni laa Kar do ,"  Usne Laa Kar di , Aap Raziyallahu Anhu ne ek Kapde se Apni Kamar baandhi aur Tamaam masjid mai jhaadu di _,"

* Musannif ibne Abi Shayba ,1/398*,

▣_ isi tarah Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Meri Ummat ke A'amaal ke sawab Sab mere saamne pesh kiye gaye Yaha'n Tak ek esa Tinka k Jisko kisi Shakhs ne Masjid se nikaal diya ho uska sawab bhi pesh Kiya gaya aur Meri Ummat ke Saare gunaah bhi pesh kiye gaye ,Pas maine Koi Gunaah isse bada nahi dekha k Aadmi Qur'an Majeed ki Koi aayat Yaad Kar ke fir Bhool Jaye _,"

* Mishkaat - Ba hawala Abu Daowd , Tirmizi ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid mai Chhote Bachcho Ko Laana_,*

▣_ Masjid mai Chhote Bachcho Ko laane ki Shar'an ijazat nahi Hai isse Masjid Ka Adab v Ahatraam baqi nahi rahega aur Laane wale ko bhi itiminane qalb na rahega ,Namaz mai khade honge magar Khushu v Khuzu na hoga ,Bachcho ki taraf Dil laga rahega ,

▣_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai - Apni Masjido ko Bachcho aur Paagalo se bachaao _,"

* Ibne Maaja _,*

▣_isliye Fuqha Kiraam Reh. Farmate hai'n k Masjid Bachcho ko dakhil Karna agar isse Masjid ke najis hone Ka Andesha ho to Haraam Varna Makrooh Hai _,"

"__ Haa'n Albatta agar Bachcha samajhdaar ho aur Namaz padhta ho ,Masjid ke Adaab v Ahatraam Ka paas v lihaaz rakhta ho to usko Masjid mai laane mai Koi harj nahi , galiban isi Bina per 7 saal ki qaid Hadees mai mojood Hai , Yani 7 Saal se Kam Umar ke Bachcho ko nahi laana chahiye ,isse badi Umar ke Bachcho ko Adaab v Ahatraam ki taleem de Kar laana chahiye , Wo Na-baalig Bachcho ki saf mai khada rahe agar Sirf ek hi Bachcha hai to wo Baaligo ki saf mai khada ho Sakta Hai Makrooh nahi ,

* Fatawa Rahimiya ,3/121,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid mai Qur'an E Kareem Ki Taleem Dena  _,*

▣_ Hazrat Mufti Shafi Sahaba Reh. Tehreee farmate hai'n :- Bachcho ko Qur'an Shareef Vagera Ujrat le kar Masjid mai Padhana bil ittefaaq na-Jaa'iz hai aur bila ujrat Mahaz sawab ke liye Baaz Fuqha ne ijazat di Hai _," *( Kazafil Ashbaah )*

"__ Lekin baaz Fuqha isko bhi na-Jaa'iz samajhte hai'n Kyunki Ba Hukme Hadees Bachcho ko Masjid mai dakhil Karna hi na-Jaa'iz Hai ,"

*Hashiya Kazafil Ashbaah , Aadaabe Masajid -14,*

▣_ Albatta Madarse mai Jagah ki Tangi ho aur Ahle Madarsa Doosri jagah ke intezam ki koshish mai ho , Saddast doosri jagah Ka intezam na hone ki vajah se Bachcho ki taleem kharaab ho rahi ho Esi majboori ki Soorat mai Fuqha ne Kuchh Sharto ke Saath ijazat di Hai :-

1-- Mudarris Tankhwah ki Hawas ki bajaye guzar Awqaat ke liye ba-qadre zarurat wazifa per iktfa Kare ,

2-- Namaz ,Azkaar aur Tilawat e Qur'an vagera ibadaat mai khalal na ho ,

3-- Masjid ki Taharat v nazafat aur Adaab v Ahatraam ka poora Khayal rakha Jaye ,

4-- Kamsin Na-Samajh aur Aadaabe Masajid se Na-Waqif Bachcho ko na laya Jaye ,

* Ahsanul Fatawa-6/458 , Fatawa Rahimiya -9/200,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Khushbu Lagana _*

 

▣_ Masjid ki Tazeem mai ye Baat bhi dakhil hai k use Khushbu se mo'attar Kiya Jaye , Kyunki Masajid ko Paak Saaf aur Khushbudaar rakhna Shar'an Pasandida aur Matloob Hai , 

"_Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka hukm hai - Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne hukm farmaya k gharo mai Masjid banaao aur unko Paak aur Mo'attar rakha Jaye _,"

*🗂 Mishkaat Baab Masajid -69,*

▣_ Salfe Saleheen Ki bhi yahi Sunnat thi k Masajid mai Khushbu lagate they aur Dhooni dete they, Chunache Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke bare mai Hai k Unhone Hukm Jaari farmaya Tha k Madina ki Masjid mai har Juma ko Dopahar ke Waqt Dhooni di Jaye __,"

*🗂 Zaadul Mu'aad -1/104*

▣_Masannif ibne Abi Shayba mai Hai k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu khud har Juma ke Din Masjid mai Dhooni dete they ,

*"__ Afsos Hai k Aaj ye Sunnat bilkul Chhoot gayi Hai, Log Masjid ke andar tarah tarah ke Makrooh takallufaat karte hai'n ,Magar is Sunnat ki taraf bilkul tavajjoh nahi karte , Aaj ye Sunnat bilkul Mar chuki Hai, Musalmano ko chahiye k is Sunnat ko fir se Zinda kare ,Chahe Atar istemal Kare Chahe Oad ki Dhooni de ,Agarbatti bhi Jala sakte hai'n, Albatta iska ahatmaam rahe k baahar Bahar Jala kar andar laya Jaye Taki Maachis ki gandhak ki boo se Masjid Mehfooz rahe ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞Masjid mai Badbudaar Cheez Dakhil Karne Ki Muma'anat _*

 

▣_ Kisi qism ki Badbudaar Cheez maslan Lahsun ,Pyaaz aur Mooli vagera ko Masjid mai Laana ya Unko Khaa Kar foran Masjid mai aana na-Jaa'iz hai , Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai :-

"__ Jo Shakhs Badbudaar darakht ( Yani Pyaaz vagera ) mai se khaye Wo hamari Masjid ke qareeb bhi na aaye isliye k Farishto ko bhi in Tamaam cheezo se iyza pahunchti Hai Jinse insaano ko iyza hoti Hai _,"

*🗂 Bukhari v Muslim _,*

▣_ Matlab ye Hai k Jab Tak iski Badbu Moonh se na Jaye us Waqt Tak Masjid mai dakhil na ho aur Yahi Hukm hai har Badbudaar Cheez Ka Jese Huqqa , Bidi , Lahsun vagera Jesa k Fuqha ki Mo'atbar Kitaabo mai mazkoor hai aur " Tareeqa e Muhammadiya " mai Mooli ko bhi is Hukm mai dakhil Kiya hai _,"

*🗂 Aadaabe Masajid _,*

▣_Aaj Kal Bahut se log isme gaflat karte hai'n, Cigarette pite pite Masjid Tak pahunch Jate hai'n fir isi tarah Namaz mai Shareek ho Jate hai'n , Jisse barabar mai khade Namaziyo ko bhi Sakht takleef hoti Hai aur Farishto ki iyza alag hai ,isi tarah Bahut se mazdoor pesha log mazdoori ke Kapde Jinse Paseena vagera ki Badbu hoti Hai, Unhi Kapdo mai Namaz mai Shareek ho Jate hai'n,Jisse Namaziyo ko takleef hoti Hai, Lihaza isse bachna Bahut zaruri hai ,

"__ Cigarette ,Bidi ,Zarda Tambaaku vagera istemal Kiya ho to khoob achchhi tarah Moonh Saaf kare fir Namaz ke liye aaye ,isi tarah Maila Kapda tabdeel Kar le Saaf surhre Libaas mai Namaz ke liye aana chahiye ,

     ◉➻═══════════════➻◉

    *☞ Masjid mai Chhaati Ki Topi Rakhna_*

 

▣_ Aaj Kal baaz Masjido mai Chataai , Plastic ki topi rakhne ka dastoor Hai , Jabki Esi Topiya'n Masjid mai rakhna Ahatraam e masjid ke khilaf hai ,bil khusoos jab k Unke Tinke nikal Kar Masjid mai bikharte hai'n aur un per Mail Kuchel ki teh Nazar aati Hai aur Paseene aur Mail ki Badbu aati Hai ,Kya koi Shakhs Esi Topiyo'n ko Apne Makaan ki Zeenat banane ko taiyaar Hai ? Agar nahi to Khuda ke Ghar ke liye isko Kyu Jaa'iz qaraar diya ja sakta Hai ?

▣_ ye Baat bhi sochne ki Hai k Jab Aap Chataai ya Plastic ki topi pehan Ka kisi Shaadi Byaah ki majlis ya kisi Afsar ke saamne nahi ja sakte to Masjid Allah Ta'ala Ka Sabse bada darbaar hai Yaha'n kese pehan Kar aa sakte ho ? .

*▣_Isliye Chataai ki Topiya'n Masjid mai rakhna Jaa'iz nahi aur unko sar per rakh kar Namaz padhna Makrooh Hai , Kyunki Fuqha ne likha hai k Jo Libaas Pehan Kar insaan Kisi majlis mai Jane se sharmata ho ese libaas mai Namaz padhna Makrooh Tanzihi Hai ,is per dawaan Makrooh tehrima ke qareeb hai ,isliye ahatyaat Laazim Hai, Har Namazi ko chahiye k Apni Saaf suthri topi rakhe Kyunki nanga sar Namaz padhna bhi Makrooh Hai ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Talba Ka Takraar v Mutal'a _*

 

▣_ isme ek Masla to Bijli istemal karne Ka hai Chunki Chande walo ki taraf se Umooman ijazat hoti Hai k Apne Chande ko Talba ki zarurat mai kharch kare , isliye iski ijazat hogi ,

"__ Doosra Masla Jo Aham bhi hai aur khatarnaak bhi hai Wo Masjid ke Adaab v Ahatraam ka lihaaz karna , isme Umooman Talba Susti karte hai'n, Chunki Baar baar masjid mai haazri hoti Hai, isliye masjid ki azmat Unke Dilo se nikal jati hai ,isliye Adaab v Ahatraam ka bilkul lihaaz nahi hota , Har tarah ki baate Shor v Shagab Hattaki Ladaai Jhagde ki nobat aa jati hai , ( Al ayaaz bilaah )

▣_ Talba iska Khaas Khayal rakhe k Kam se Kam din mai ek martaba " Tahiyatul Masjid " padh le aur Jab bhi dakhil ho A'itkaaf ki Niyat Kar le , Do Chand Martaba " Subhanallahi Wabihamdihi Astagfirullahi Wa Atubu ilayhi " Padh le aur har qism ke shor v Shagaf aur Behooda Baato se parhez kare , aur Ahle Madarsa Talba se in Baato ki pabandi karaye ,

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞Khaas Raato mai Charaaga ( Roshni ) Karna ,_*

 

▣_ Khaas Khaas Raato mai Maslan Ramzan mai khatme Qur'an ki Raat ( Shabe Qadr ) mai zyada Battiya ( Bulbs ) ya Qandeel ( Decorations ) vagera Karna , Pandrhvi Shabaan ( Shabe Bara'at ) ki Raat , Sattaisvi Rajjab Ki Raat isi tarah digar Mashoor Raato mai Masjido mai zyada Roshni Ka intezam Karna Bid'at aur na-Jaa'iz Hai ,

▣_ Kyunki isme Riya Namood ( Dikhawa ) israaf Fizool kharchi ke alawa aur bhi bahut se mufasid per mushtamil hai aur Majoos ki ibaadat aur Hindu'o ki Diwali ke Saath Mushabhat Hai aur Hadees mai Kaafiro ke Saath Mushabhat paida karne per Sakht wa'iyd aayi Hai ,

_ "Jo Shakhs Kisi qaum ke Saath Mushabhat Akhtyar kare Wo Unhi mai se hai ," *( Ravaah Ahmad )* 

▣_Doosri Baat isme Charaaga ki vajah se Chhote Bachche aur Na Ahal log jama ho Kar Shor karte hai'n , Lihaza har tarah ke Charaaga se ijtinaab Karna chahiye ,

          

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Jagah Rokne Ke Liye Rumaal Vagera rakh dena _*

 

▣_ Agar Koi Shakhs Masjid mai aa kar Kisi jagah kuchh der beth gaya fir Koi fori zarurat pesh aayi Jisko poora karte hi lot kar aayega , Maslan Thookna ,Naak Saaf karna ,Vazu Karna vagera aur Jaate Waqt Apni jagah Kapda rakh Kar Chala gaya to isme muz'aqa nahi aur doosre Shakhs ko uski jagah bethna bhi munasib nahi ,

▣_ Aur agar Shuru hi se Kapda Kapda rakh de aur Apne Karobaar mai masgool rahe aur Namaz ke Waqt per aa kar Apni jagah per qabza jama le to ye gair mustahsan Hai ( Yahi Hukm Mo'azzin ke liye Musalla bichhane Ka Hai ) , 

"__Esi haalat mai Doosre Shakhs ko Tangi ki vajah se jagah mayassar na aaye to uske Kapde ko hata kar bethna durust hai ,Magar haath se na hataaye Varna zamaan mai dakhil ho jayega , Agar ( Jagah ki ) Tangi na ho  balki wus'at ho to Doosri jagah beth Jaye ,

*🗂 Fatawa Mehmoodiya Ba hawala Durre Mukhtaar ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid Ke Saamne Baaja Vagera Banana _*

 

▣_ Gaana Bajana Aam Halaat mai bhi gunaahe azeem hai khaas Tor per ye Kaam jab Masjid ke Saamne ho to iski shana'at v qabahat aur bhi badh jati hai , Kyunki Koi bhi esa Kaam Karna Jisse Namaziyo ki Namaz mai khalal aata ho ya usse Masjid ki be hurmati ho Shar'an mana hai ,To Gaana Bajana Ba Tareeqe Awla Haraam hoga,  

▣_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Gaana Sunna Gunaah hai aur Uske paas bethna Fisq hai aur isse lazzat haasil karna Kufr Hai ,

▣_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Hai k Aakhri Zamane mai Meri Ummat ke kuchh logo ki Soorte Maskh kar ke Bandar aur Suwar bana diya jayega , Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz Kiya- Ya Rasulallah ! Kya Wo Musalman honge ? To irshad farmaya k Haa'n woh is Baat ki gawahi dene wale honge k Allah ke Siva Koi ma'abood nahi aur Mai'n Allah ka Rasool hu'n ( Yani Musalman honge ) aur Roze bhi rakhte honge ,

Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz Kiya - Ya Rasulallah ! Fir unka qusoor Kya hoga ? 

Irshad farmaya k - Woh Gaane bajane ke alaat aur Gaane bajane wali Aurto'n aur Dhol baaje bajane mai mashgool honge ,aur Sharaab piya karenge , Woh Raat isi tarah Sharaab pine aur Doosre khail Kood mai guzaarenge ,Jab Subeh ko uthenge to Unke chehre Maskh ho chuke honge _,"

*🗂 Ravaah Musaddid v ibne Hibaan ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞Maajid mai Kanghi Karna _,*

 

▣_ Baaz Log Wazu vagera Ke Baad Daadhi ke Baalo ko Durust karne ke liye Masjid mai hi Kanghi kar lete hai'n, Shar'an isme Koi qabahat nahi Albatta is Baat Ka Khayal rakha Jaye k Baal Masjid mai na gire ,

▣_ Agar Koi Baal gir Jaye ya Toot Jaye to usko Jeb mai rakh le ,

*🗂 Makhooz- Fatawa Mehmoodiya,1/481*

      ◉➻═══════════════➻◉

    *☞Gair Abaad Masjid Ka Samaan _,*

 

▣_ Jo Masjid Gair Abaad 

Ho chali hai k waha'n Namaz Padhne ki Koi Soorat nahi rahi to Shar'an Laazim K us jagah ko Mehfooz Kar diya Jaye , 

▣_ Mifta Ba qaul ke mutabiq wo jagah Hamesha Masjid hi rahegi , Uska Samaan Doosri Masjid mai muntaqil kar diya Jaye ,

▣_Agar Samaan Doosri Masjid mai Kaaramad na ho to Arbaabe Hal v Aqd ki raay se usko farokht kar ke qeemat doosri Masjid mai sarf Kar diya Jaye ,

*🗂 Fatawa Mehmoodiya Ba hawala Shaami ,*

  

   ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid mai Doosri Jama'at _,*

 

▣_ Baaz log Jama'at se reh Jate hai'n ( Jinki Jama'at Chhoot jati hai ) fir unko Masjid mai Doosri Jama'at karane Ka shoq hota Hai , Halanki Jama'ate Saniya Jaa'iz nahi ,

▣_ Fatawa Darul Uloom Devband mai Hai k ,_" Masjid Mohalle mai imaam Abu Hanifa Reh. Ke mazhab mai Doosri Jama'at karna Makrooh Tehrimi Hai ,"

▣_ Pas isme shirkat karna durust nahi aur Muqtadi Mustahiq e sawab nahi , Jama'ate Saniya ki aadat Mojibe Taqleel Jama'at Aula Hai , Ye bhi ek vajah Fuqha ne muma'anate Jama'ate Saniya ki tehreee farmayi hai aur Makrooh Kaam mai shirkat v i'aanat zaahir Hai k Mojibe sawab nahi ho Sakta ,

*🗂 Azeezul Fatawa - 190 ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Haraam Maal Se Masjid Tameer Karna_,*

 

▣_ Haraam Maal Maslan Sood v Rishwat ki raqam ,Zina ki ujrat ,Chori Daake Ka Maal vagera ko Masjid ki Tameer mai Kharch karna bada Gunaah Hai ,Agar Kisi ne ye Raqam Masjid mai laga di to usko Koi sawab nahi milega ,

▣_ Baqi Haraam Maal Se Tameer karda Masjid mai Namaz Ka Kya hukm Hai ? Isme Tafseel Hai k Agar Zameen bhi Haraam Maal Se Khareedi gayi Hai aur Tameer bhi Haraam Maal Se Hui to Esi Masjid mai Namaz padhna Makrooh Tehrimi Hai, Chunki Shara'an ye Masjid ban gayi Hai Uski be hurmati bhi Jaa'iz nahi, isliye isko band Kar ke mehfooz Kar diya Jaye,

▣_iski misaal Esi Hai Jese na'uzubillah Koi Shakhs na-paak syaahi se Qur'an Majeed likh le Ya magzooba awraaq per Qur'an Majeed likhe , isme na Tilawat Jaa'iz Hai aur na uski be adabi Jaa'iz Hai balki dafan Kar diya Jaye, 

"__ Agar Zameen Halaal zariye se haasil Hui Hai Sirf Tameer Haraam Maal Se Hui tab bhi usme Namaz Makrooh Tehrimi Hai isliye Masjid ko tod Kar Halaal Maal se Tameer karayi Jaye ,

*🗂 Ahsanul Fatawa -6/432, Aadaabe Masajid -52,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid Mai Zikre Jahri Ki Majlis _,*

 

▣_ Agar Koi Shakhs Masha'ikhe Haq mai se kisi se Bayt ho aur Unhone Zikre Jahri ( Zor ki Awaaz se )  ki Taleem di ho to Taleem ke mutabiq Apna Apna Zikre Jahri Kar sakte hai'n ,Lekin Masjid mai Zikre Jahri se Namaziyo ko tashveesh laahiq hoti ho ( Pareshani hoti ho ) to Esi Soorat mai Masjid mai zor zor se Zikr karna Jaa'iz nahi ,

*🗂 Fatawa Rahimiya -1/238,*

▣_ Hazrat Mufti Shafi Sahab Reh.tehreer farmate hai'n k isme Aqwaal Mukhtalif hai'n ,Faisla Wo Hai Jo Allama Shaami ne Hashiya Hamvi ( 1/691) se imaam Sa'adani Ka qaul naqal Kiya Hai - 

"__ Yani Ulma Ka is Baat per ittefaaq Hai k Zikre Jahri ki Majlis qaa'im karna Masjid v gair masjid dono jagah Jaa'iz Hai ,( Ba Sharte k Shari'at ke khilaf aur Koi Baat na ho ) Haa'n Zakireen ke Zikre Jahri se Sone walo ko ya Namaziyo aur Tilawat karne walo ko takleef pahunche to ese Waqt mai takleefdah Tareeqe se Zikr nahi Karna chahiye ,

*🗂 Makhooz Aadaabe Masajid,*

▣_ isi tarah agar Masjid mai Zikre Jahri se Bid'ato aur Nayi Nayi cheeze paida hone Ka Andesha ho to ese moqe per Zakireen Bhai Masjid mai zikr karne per israar na kare , unko chahiye k Apne gharo mai is tarah zikr kare k Sone walo aur Namaz padhne walo vagera hum ko takleef na pahunche ,

*🗂 Fatawa Rahimiya ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Fazaile A'amaal Ki Taleem Kaha'n Ki Jaye_,*

 

▣_Namaz ,Zikr v Tilawat mai Khalal aaye is tarah Taleem Karna Mana hai Magar Taleemi Silsila bhi bahut Aham aur mufeed hai isliye dono Silsile Jaari reh sake Esi Soorat akhtyar ki Jaye ,

▣_Masjid Badi ho uske kisi goshe mai ya Baramda ya Sahan mai Taleem ho , Agar Masjid Chhoti hai to kuchh intezar Kare Taki Namazi Hazraat Namaz se faarig ho Jaye ,

▣_Esi Soorat akhtyar Karna Durust nahi Jisse Namaziyo ki Namaz mai khalal Waq'a ho ,

*🗂 Makhooz- Fatawa Rahimiya - 6/100*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid Ki Diwaar Per Ayaat Qur'ani Likhna Mana hai _,*

 

▣_ Masjid ke androoni aur Bahar ke hisse mai Qur'an Shareef ki Aayat aur qabile Tazeem ashya likhna Mamnu Hai ,

▣_Be adabi ke ahatmaal ki vajah se Fuqha ijazat nahi dete ,

*🗂 Tahaavi Durre Mukhtaar - 10/440 Fatawa Rahimiya- 10/243*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Duniya Ki Baate Karna _,*

 

▣_ Bahut se logo ko dekha Jata hai k Masjid mai aa Kar bhi Duniyavi baato mai mashgool ho Jate hai'n balki Bahut so ko dekha gaya Hai k Jinko Masjid mai Zara Zyada rehna hota Hai Unke Dil se Masjid Ka Adab v Ahatraam bilkul khatm ho jata Hai, Masjid mai Khana, Pina ,Sona ,Aapas mai hansi Mazaaq Karna Hattaki ek doosre ki Geebat Karna , Baaz dafa is qadar shor machate hai'n k ye Farq Karna mushkil ho jata Hai k ye Allah ka Ghar Masjid hai ya Koi tafreeh gaah _,( Allah maaf kare ) 

▣_ Halanki Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya jab Koi Masjid mai Duniya ki baate Shuru karta Hai to Farishte pehle kehte hai'n- Ey Allah ke Wali chup Reh ,Fir agar Wo chup nahi hota aur Baato mai laga rehta Hai to kehte hai'n - Ey Allah ka Dushman Chup ho ja , fir agar isse bhi aage badhta hai to kehte hai'n- Tujh per Khuda ki Laanat Chup reh , _*( Ibnul Haaj Aadaabe Masajid,)*

▣_Doosri rivayat mai hai k Aakhri Zamane mai ese log honge Jo Masjid mai aa Kar jagah jagah halqa bana kar beth jayenge waha'n Duniya aur uski Muhabbat ki baate karenge Tum ese logo ke Saath mat betho Kyunki Allah Ta'ala ko Masjid mai ese logo ki zarurat nahi , *( Mishkaat Ba hawala Shobul imaan )*

▣_in Ahadees ki Roshni mai Ulma Kiraam ne likha hai k Jo Duniya ki baate Masjid se Bahar Jaa'iz aur mubaah hai Masjid mai Wo bhi na-Jaa'iz Hai aur Jo baate Masjid ke Bahar bhi na-Jaa'iz ho wo Masjid mai Sakht Haraam Hai , Fatahul Qadeer mai hai k Masjid mai Duniya ki baate Nekiyo'n ko is tarah Khaa leti hai Jis tarah aag Lakdiyo ko Khaa leti hai aur " Khazanatul Fuqha " mai likha hai k Jo Shakhs Masjid mai Duniya ki baate karta Hai Allah Ta'ala uske 40 Din ke Amal khabt Kar dete hai'n , *( Al Ashbaah )*

"__ Musalmano ke liye gor karne Ka muqaam Hai k Masjid mai Duniya ki baato mai mashgool ho Kar Sawab ke bajaye Azaab le kar lote , Kitne bade khasaare ki Baat Hai, Allah Ta'ala hifazat farmaye ,

     ◉➻═══════════════➻◉

    *☞ Maruj Salaato Salaam_*

 

▣_ Baaz Masjido mai Nanaze Juma aur digar Awqaat mai bhi khade ho Kar Salaato Salaam padhne Ka Rivaaj hai , aur Aqeeda ise zaruri samajhte hai'n Jabki iska saboot na to Khulfa e Rashideen se ,na Sahaba Kiraam Ki Jama'at se aur na Taba'iyn v Taba Taba'iyn se aur na buzurgane Deen Salfe Saleheen se , Aur Batlaya Jata hai k ye Muhabbat aur Aqeedat Ka ek Tareeqa hai Halanki izhare Muhabbat v Aqeedat to itteba aur ita'at se hota Hai ,

"__ Agar Allah Ta'ala se Muhabbat rakhte ho to tum log Meri itteba Karo Allah Ta'ala Tumse Muhabbat karne lagenge aur Tumhare Sab Gunaaho ko maaf Kar denge _," ( Surah Aal-e-Imran ) 

▣_ Yani tum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki nafarmani bhi karte ho aur Unse Muhabbat Ka izhaar bhi karte ho , Qasam Khuda ki ye Baat bhi Ajeeb Baat Hai, Agar Sachchi Muhabbat hoti to zaroor unka itteba karte Kyunki Muhabbat karne wala Apne Mehboob ki ita'at Kiya karta Hai ,

▣_To maloom hua k ye tareeqa izhare Muhabbat v Aqeedat Ka nahi balki Riya v Namood aur khwahish parasti hai , Kai Bid'ato Ka majmu'a hone ki vajah se na-Jaa'iz aur qabile tark hai ,

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid ki Zameen mai Mayyat Ko Dafan Karna _,*

 

▣_ Aaj Kal ek Rivaaj ye ho gaya k Masjid ki moqoofa Zameen mai baani e masjid ya imaam ya kisi Buzurg ke liye maqbara banaya Jata hai , Jabki mutavalli ya Muntazima Commeti ko Shara'n ye Haq nahi Hai k moqoofa Zameen mai kisi ke liye Qabr banane ki ijazat de, 

▣_ Wo jagah Masaleh Masjid ke liye Khaas ho gayi , iske alawa Koi Kaam Karna Jaa'iz nahi Hai , 

*🗂 Makhooz- imdadul mufteen - 788,*

      ◉➻═══════════════➻◉
*☞Aurto'n Ka Masjid Ya Eidgaah mai Haazir Hona_,* 

▣_ Is PurFitan Daur mai Aurto'n ko Masjid v Eidgaah mai Haazir hone ki ijazat nahi , beshak Fuqha Kiraam iska inkaar nahi karte k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke Zamana e Mubarak mai Aurte'n Panjgana Nanaze aur Eiden ki Jama'at mai Haazir hoti thi ,

"_"Lekin Wo Khirul Quroon Ka Zamana Tha , Fitno se mehfooz tha , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ba Nafs Nafees mojood they ,Wahi naazil hoti thi ,Naye Naye Ahkaam naazil Hote they , Naye Musalman they Namaz Roza ( aur Digar zaroori )  ke ahkaam seekhne ki zarurat thi ,aur Sabse bad Kar Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki iqtida mai Namaz Ada karne Ka sarf haasil hota Tha ,

▣_ Lekin us Zamane mai bhi Aurto'n ke liye Jama'at mai Shareek hone Ka takeedi hukm nahi Tha balki Unke liye gharo mai Namaz padhne hi ko Afzal qaraar diya gaya Tha , Chunache Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ki Rivayat Hai :-

"_ Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurto'n ki Sabse Behtreen  Masjid Unke Ghar ki gehraa'i hai , ( Yani Sabse Zyada band andruni hissa aur tareek Kothri ) ,  ( Ravaah Ahmad v Tabrani )

▣_Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n  k Ek martaba Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Masjid mai tashreef farma they , itne mai qabila mazina ki ek Aurat Zaibo Zeenat Ka Libaas pehne hue matakti ( itraati ) Hui Masjid mai aayi , Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya , Ey logo ! Apni Aurto'n ko Zaibo Zeenat Ka Libaas pehne aur masjid mai matakne se rok do Kyunki Bani israiyl per Laanat nahi ki gayi yaha'n Tak ki Unki Aurto'n ne Zaibo Zeenat Ka Libaas pehna aur Masjid mai matakna Shuru Kar diya _'" ( ibne Maaja Baab fitnatun Nisa -297 )

"__ isse sarahatan ye Baat Saabit Hui k Aurto'n ko Masjid mai aane ki Jo ijazat aur rukhsat thi Wo in qaido aur Shara'it ke Saath thi aur fitna runuma hone se pehle thi, Chunache Jab Umar Raziyallahu Anhu Ke Zamane mai Aurto'n ki awaaz aur be ahatyati zaahir hone lagi aur Fitne Ka Andesha hua to Amirul Momineen Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne hukm Jaari farmaya k ab Aurte'n Masjid na aaya Kare , Tamaam Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne is Hukm ko pasand farmaya , kisi ne bhi mukhalfat nahi ki goya Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne muttafaqa faisla diya k Fitne ka andesha hone ke baad Aurto'n ko Masjid mai aane ki ijazat nahi Hai ,

▣_ Chunache Ummul Momineen Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne bhi is Fitne ko Mehsoos kiya aur Unhone farmaya :- Agar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Aurto'n ke Fitne ki ye haalat dekhte to unko Masjid mai aane se zaroor rok dete Jis tarah Bani israiyl ki Aurto'n ko Masjid mai aane ki muma'anat Kar di gayi thi , *( Bukhari -1/120 Muslim -1/183)*

*"__ Khulasa ye hai k Aaj Kal Fatwa is per hai k Aurto'n Ka Tamaam Namazo mai Jana Chahe Din ki ho ya Raat ki ,Juma ki ho ya Eiden ki isi tarah Aurat jawan ho ya Budhi sabke Liye Mamnu Hai ,"*

*( Makhooz Fatawa Rahimiya, Ahsanul Fatawa, Imdadul Mufteen )*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid Ki Chhat ( Roof ) Ka Hukm _,*

▣_ Masjid ki Chhat bhi Tamaam Ahkaam mai Masjid hi ke Hukm mai hai isliye Zameen mai Masjid hai Uska balaayi hissa Asmaan Tak isi tarah niche Tahtul Sari Tak isi hukm mai rakha jayega ,

"__ Albatta Ba-waqt bina masjid iska balaayi hissa ya tahtani hissa Tahkhana ya Dukaan ke liye Masjid se alag Kar liya gaya ho wo Masjid ke hukm mai na hoga , ye istashna us Waqt Jaa'iz hoga Jabki uski Aamdani Masjid per Waqf ho _,"

*🗂  Aadaabe Masajid ,*

▣_ Yani Jis tarah Masjid qabile Ahatraam hai usme Shor aur Koi esa Kaam Jo Ahatraam e Masjid ke khilaf ho Maslan Haiz v Nifaas wali Aurat aur Jinsi Ka dakhil hona , isi tarah Bachcho aur Paagalo ko dakhil Karna vagera na-Jaa'iz hai, yahi Hukm Masjid ki Chhat Ka bhi hai , Yani har Wo Kaam Jo Masjid ke andar na-Jaa'iz hai'n Wahi Masjid ki Chhat per bhi na-Jaa'iz hai'n ,

*▣_ Masjid ki Chhat per Jama'at Karana ,* -- Masjid ki Chhat per Jama'at Karana Makrooh Hai Chahe Garmi ki vajah se ho ya kisi aur Uzr se ho , Albatta agar ( Jagah ki ) Tangi ho to Zaa'id ( Niche ki Tamaam Safe Pur hone ke Baad ) Namazi Chhat per ja sakte hai'n _,"

*🗂 Makhooz- Aalamgiri v Ahsanul Fatawa,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Chaar Payi bichhana _,*

▣_ Fuqha ki Tashreeh ke mutabiq gair musafir v Gair Mo'atkif ( Aitikaaf nahi karne wale ) ke liye Masjid mai Sona Makrooh Hai ,

"__Ba haalate shadeed zarurat ye Tadbeer Akhtyar Kar Sakta Hai k pehle Aitikaaf ki Niyat Kar ke dakhil ho Kar kuchh ibaadat Kare uske baad soye ,

▣_ Dar Asal Adab ya be adabi Ka madaar Urf per hai aur Hamare urf mai Masjid mai Chaar Payi bichhana Aybdaar samjha Jata hai, isse awam ke quloob mai masjid ki waq'at nikal jayegi , Wo Chaar Payi per qayaas Kar ke doosre na-Jaa'iz umoor bhi Masjid mai Shuru kar denge ,

▣_ Lihaza Masjid mai Chaar Payi bichhana Jaa'iz nahi , Jese Pehle joote pehan Kar masjid mai aana aur Namaz padhna ayb nahi samjha Jata tha Magar hamare urf mai ise Masjid ki be adabi samjha Jata hai , Agar Koi Paak Joota pehan kar ( bhi )  masjid mai aa Jaye to Awaam us per hamgama barpa kar denge , isliye Joota pehan kar Masjid mai aana Makrooh Hai ,

*🗂Ba hawala Durre Makhtaar , Makhooz- Ahsanul Fatawa ,*

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid mai Gumshuda Cheez Talash Karna _,*

▣_ Gumshuda Cheez ki talash Masjid mai Jaa'iz nahi Hai Kyunki ye Masjid ke Ahatraam ke khilaf hai , isme Shor aur hangama Jaa'iz nahi ,

"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jo Kisi Shakhs ko sune k Masjid mai Gumshuda Cheez ki talash karta Hai to chahiye k Kahe Allah Ta'ala isko tujh per na lotaye Kyunki Masjid is Kaam ke liye nahi banayi gayi Hai _,

*🗂 Muslim -1/210,*

▣_ Is Hadees mai Sirf Gumshuda Cheez ki talash se roka hi nahi gaya Saath hi iski illat bhi Bayan kar di gayi hai ( k isko iski Cheez kabhi na mile ) , is Zamane mai Khususiyat se is Hadees per Amal Karna chahiye aur is Hadees Ka mafhoom aam Musalmano ke zahan nasheesn hona chahiye Haa'n agar us Waqt Koi harj samajh mai nahi aata k Jab Cheez masjid hi mai gum ho Jaye to Aap masjid Ka lihaaz karte hue talash ki Jaye , Baqi Jo Cheez masjid se Bahar Kahi aur kho gayi ho uski justju Masajid ke zariye kisi tarah munasib nahi ,

▣_Aur Majmaul Nahar mai hai - Jis jagah Cheez mili ho us jagah Elaan Kare aur isi tarah logo ke jama hone ki jagah , Jese Masjid Ka darwaza aur Bazaar , Maalik Tak khabar pahunchane Ka ye qareebi zariya hai ,

*"__ Behtar ye Hai k Masjid ke Bahar Gumshuda Cheez pahunchane aur lene ke liye koi jagah mutaiyan Kar di Jaye , is Tadbeer se Masjide'n har Waqt Elaan aur Shor v shagab se mehfooz rahegi ,*   

        📚 *Fiqhul ibadaat_,* 
      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid Per Imaam Ka Makaan Banana_,*

▣__ Zameen Ke Jitne hisse ko ek baar Masjid qaraar diya gaya uske andar aur Neeche aur Ouper Koi Doosri Cheez banana Jaa'iz nahi ,

▣__ Masjid Shara'i qaraar dene se pehle Imaam ke liye Makaan ya Masaleh Masjid ke liye aur Kuchh banana Tay kar liya ho aur iski Aam ittela bhi Kar di ho to Jaa'iz hai ,

▣_ Masjid Shara'i ho Jane ke Baad agar mutawalli ne Shuru hi se Niyat Ka daava Kiya ( K Hamari to Shuru hi se imaam ke liye Makaan bhi banane ki Niyat thi ) to qubool na hoga ,

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞Masjid mai Chanda Karna _,*

▣_ Behtar aur munasib Soorat yahi hai k Masjid se bahar Chanda Kiya Jaye Ya Masjid mai kisi board per Chande ki Apeal likh di Jaye ,

"_ Albatta agar is tarah Chanda karne se Khatir khwah Kaamyabi na hoti ho aur Masjid mai Juma ke Din Chanda karne se Masjid Ka Zyada faayda ho to is Shart per Masjid mai Masjid ke liye Chanda karne ki gunzaish hai k Namaziyo ko takleef na ho , Unki gardane na faande , Namazi ke saamne se na guzre , Masjid mai Shor v shagab na ho , Masjid ke Ahatraam ke khilaf Koi Kaam na ho aur logo ke saamne kisi ko Sharm aur gairat mai daal Kar zabardasti Chanda Vasool na kiya Jaye ,is Sharto ki ri'ayat Zaruri hai , Agar inki ri'ayat nahi ho sake to Masjid mai Chanda na Kiya Jaye ,

*🗂 Fatawa Rahimiya -9/239,*

      ◉➻═══════════════➻◉
    *☞ Masjid mai Namaze Janaza_,*

▣_ Hanfi Mazhab Ke mutabiq bila Uzr Masjid mai Namaze Janaza Makroohe Tehrimi Hai ,Khwah Janaza Masjid Ke andar ho ya Baahar ,

▣_Albatta Namaz Ke Liye Koi Doosri jagah na ho to uzr ki vajah se Masjid mai Janaza padhne mai Karaahat nahi , Albatta Mayyat Ko Baahar rakh Kar padhi Jaye ,

🗂 *Ahsanul Fatawa - 4/183,*

▣_ Harmain Sharifain mai Namaze Janaza se istadlaal Karna Sahi nahi Kyunki ye Unka Maslak hai ,

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Azaan Ke Baad Masjid se Nikalne Ka Hukm _,*

▣_ Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Hume Hukm diya tha k Jab Tum Masjid mai mojood ho aur Namaz ke liye Azaan ho Jaye to tumme se koi Shakhs Namaz padhe bager Masjid se na nikle ,

*🗂 Ravaah Ahmad,*

▣_ Aur Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Jo Shakhs Masjid mai ho aur Azaan ho Jaye fir wo bager kisi zarurat ke Masjid se chala Jaye ( aur Jama'at mai Shareek hone ke liye ) waapas aane Ka irada bhi na rakhta ho to wo Munafiq hai ,

*🗂 Ibne Maaja ,*

*▣_ Masla _,* _ Agar Koi Shakhs kisi doosri Masjid Ka imaam ho ya Mo'azzin ho to Azaan ke baad Apni Masjid ja sakta Hai , Agar Koi Shakhs Doosri Masjid Ka na imaam hai aur na Mo'azzin hai aur Masjid se Nikalne Ke baad waapas aane Ka iraada bhi nahi to use Azaan sun Kar Masjid se Nikalna Jaa'iz nahi, Kyunki Azaan ke Jama'at ki Azeem sa'adat se mehroomi badi bad bakhti hai ,

"__ Chunache Mazkoora Hadees mai ese Shakhs ko Munafiq ki tarah qaraar diya gaya Hai , Lihaza Azaan ke baad Namaz padhe bager Masjid se na nikle , Agar Koi shadeed majboori pesh aa Jaye Maslan Safar vagera to akela Namaz padh Kar nikal Sakta Hai ,

      ◉➻═══════════════➻◉

*☞ Masjid Ke Abaad Karne Wale_,*

▣_ Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k jab tum kisi Shakhs ki Masjid ki khabar giri karte hue dekho to uske imaan ki gawahi de do isliye k irshade Baani hai k Allah ki Masjido ko Wahi Shakhs Abaad karta Hai Jo  Allah per aur Qayamat ke Din per imaan laya _,"

*🗂 Tirmizi, ibne Maaja, Daarmi,*

▣_ Matlab ye hai k tum agar kisi Shakhs ko dekho Jo Allah Ta'ala ke Ghar ki khabar giri karta Hai Yani uski hifazat karta Hai aur marammat karta Hai,Usme jhaadu vagera de kar uski Safaai v Suthraai rakhta Hai , Usme Namaz padhta hai aur ibaadat karta Hai aur usme Qur'an E Kareem ke Dars v tadrees ke zariye Deeni Uloom ki isha'at karta Hai, To tum uske Haq mai gawahi do k Wo Mard Momin Khuda aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki ita'at karne Wala farmabardar banda hai ,

▣_Aur Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs din ke Avval hisse mai ya Aakhri hisse mai Masjid Jata hai to Allah Ta'ala Jannat mai uski Mehman nawazi Ka Samaan taiyaar karta Hai Khwah Wo Subeh ko jaye ya Shaam ko _,"

*🗂 Bukhari v Muslim ,*
  ┏───────────────────┯    
        📚 *Fiqhul ibadaat_,* 
      ◉➻═══════════════➻◉
          *☞ Mutafarrik -_*

▣_  Maalik ki ijazat ke bager Masjid, Madarsa banana sahi nahi lihaza qeemat Ada karke jagah ko razamandi se kharida jaye,

▣_ Masjid ke masarif ke liye kharch karna bhi sadqa he,

▣_ Jaan boojhkar galat raqam Masjid ki tameer me kharch karne wale log gunahgaar he’n,

▣_ Jo jagah ba-qaa’ada masjid bana di jaye, wo hamesha masjid rahegi, uski haysiyat ko tabdeel karna sahi nahi he,

▣_ Masjid chahe kachchi ho ya pakki usko ya uske kisi hisse ko hataana aur us jagah ko kisi aur kaam me istemaal karna jaa’iz nahi,

▣_ Ek Masjid ko abaad karne ke liye doosri masjid ko munhadam karna ya Taala daalna jaa’iz nahi,

▣_ Tameeri nuqs se saff me ek taraf namazi bahut kam ho’n to bhi namaz makrooh he,

▣_ Qabristaan me namaz padhna mana he, lekin agar esi masjid ho jata jiske qareeb qabre ho usme namaz ho jati he,

▣_ Buliding me Jo kamra namaz ke liye makhsoos kar diya gaya ho uska hukm masjid ka nahi, na usme masjid ka sawaab milega,

▣_ Masjid me dakhil hone ki dua padhni chahiye fir agar kuchh log faarig bethe ho to unko aahista se salaam kaha jaye aur agar sab mashgool ho to salaam na kahe,

▣_ itni zor se salaam karna k namaziyo ki namaz me khalal pade, sahi nahi,

▣_ Masjid me dakhil hone per agar kuchh log faarig Bethe ho to aahista salaam kehna chahiye agar faarig na ho sab mashgool ho to salaam na kahe,

▣_Namaziyo ke zimme iska jawaab nahi isliye dil me bhi jawaab dene ki zarurat nahi,

▣_ itni Zor se salaam karna k namaziyo ki namaz me khalal pade sahi nahi,

▣_ Masjid me dakhil hone aur nikalne ke waqt darood sharif pdhna chahiye,

▣_ Masjid me dakhil hote hue daya qadam pehle rakhe aur fir ye dua padhe,

” Bismillahi wassalatu wassalamu alaa Rasulullihi,
Allahummaf ta’ali Abwaaba rahmatika, ”

▣_ Aur masjid se nikalte waqt baya per bahar nikaale aur ye dua padhe,

” Bismillahi wassalatu wassalamu alaa Rasulullihi,
Allahumma inni as’aluka min fazlika,

▣_ Jo hissa namaz ke liye makhsoos he aur jis per masjid ke ahkaam jaari hote he’n, us hisse me dakhil hote waqt dua padhni chahiye,

▣_ Masjid ko hifazat ke liye raat ko taala lagana jaa’iz he,

▣_ Masjid ki Bijli vagera Namaz ke auqaat me istemal karna chahiye digar auqaat me ahle chanda ko mana karna sahi he,

▣_ Masjid me Sona Mo’atkif aur Musafir ke liye jaa’iz he doosro ke liye makrooh he,

▣_Jo log Nasjid me neend kare unko chataiyo per kapda bichha Lena chahiye taki pasine se farsh kharab na ho aur neend ki haalat me napaak ho Jane ka khatra na rahe,

*▣_ Be namazi ko masjid ki comeyti me Lena sahi nahi,*

▣_ Jo shakhs Namaz hi ka paband na ho uska masjid se kya ta’alluq,?

▣_ Masjid me duniyavi baate karna makrooh he, albatta zarurat ki baat masjid me kar lena jaa’iz he,

▣_ Masjid me sawaal karna ( bheek maangna) jaa’iz nahi,

▣_ Ese logo ko masjid se bahar khada hona chahiye, lekin zarurat mand ki imdaad ke liyedoosra Aadmi apeal kare to ye jaa’iz he,

▣_ Agar koi cheez masjid me padi hui mile uska elaan masjid me karna jaa’iz he, bahar kisi ki koi cheez gum ho gayi ho uski talash ke liye masjid me uska elaan karna jaa’iz nahi,

▣_  Madarse ke liye Qurbani ki khale jamaa karne ka elaan jaa’iz he, lekin ye dhyan rahe k is elaan ki vajah se kisi namazi ki namaz me khalal na pade,

▣_  Namaze Janaz ka elaan to namaziyo ki ittela ke liye sahi he lekin gumshuda cheezo ka elaan jaa’iz nahi,hadees sharif me iski sakht muman’at aayi he,

▣_  Masjid ki zarurato ke alawa masjid ka loud speaker istemal karna jaa’iz nahi,

▣_ Masjid me Taqreer aur Dars chahe badi raato ( Shabe Baraat vagera) me ho ya chhoti raato me iske dauran sirf andar ke speaker istemal karna chahiye taki awaaz masjid tak mehdood rahe aur ahle mohalla ko jinme bimar bhi hote he’n pareshani na ho, Sunane ka nafa us waqt hota he jab sunne wale shoq aur ragbat se sune, isliye jin logo ko sunana maqsoos ho unko targeeb dekar masjid me laya jaye,

▣_  Masjid me mitti ka tel jalana ya badbudar cheez le Jana makrooh he,

▣_ Masjid ke vazu khane ka paani vazu ke liye makhsoos he iska mohalle walo ko le Jana durust nahi, albatta agar ahle mohalla ne aam logo ke liye lagaya ho aur paani le Jane ki ijazat ho to jaa’iz he,

*▣_ Masjid ki diwaaro aur darwazo per ishtehar chipkana 2 vajah se najaa’iz he,*

"__*Ek ye k masjid ki diwaar ka istemal zaati maqasid ke liye haraam he, Doosri vajah ye he k Masajid ki tazeem aur Safai ka hukm diya gaya he aur masjid ki diwaar per ishtehar lagana iski be adabi he aur isko ganda karna bhi,*

*"__Kya koi shakhs  Governor house ke darwaaze per ishtehar chipkane ki jurrat karega? Aur kya usko iski ijazat di ja’egi,?*
*Aur kya koi apne makaan ke daro diwaar,darwaaze per mukhtalif ishtehar lagwana pasand karega?*

▣_  Kya musalman ki nazar me Allah ke ghar ki azmat apne ghar ke barabar bhi nahi?

▣_  Yaad rahe khuda ke ghar ki abaadi shehar aur mohalle ki abaadi ka zariya he, aur khuda ke ghar ki Viraani hamare mohallo aur shehro ki viraani v barbadi ka sabab he,

▣_  Masjid ko Guzargaah,Tafreehgaah aur ser siyasat ka mozu  banana najaa’iz aur gunaah he,

▣_  Masjid me Photo Lena sabse badtar baat he kyuki ye kaam kai haraam umoor ka majmua he aur masjid ke adab ahatraam ke khilaf he,

▣_  Masjid ki raqam ka apne zaati istemal me laana jaa’iz nahi,

▣_  Masjid se Quran Majeed uthakar laana jaa’iz nahi,

▣_  Madjid me najis aur badbudaar cheeze lana jaa’iz nahi,

▣_  Qasdan ( Jaan boojhkar) Masjid se Joota tabdeel karna sakht gunaah he aur Jo Joota ya chappal bekaar padi ho aur unka masraf fenkne ke Siva koi na ho unko pehan Iene me koi muzaiqa nahi,

▣_ Chhote bachche jinke peshab pakhane ka andesha ho unko masjid me nahi laana chahiye aur Samajhdar bachcho ko laaye lekin unko adaab ki taleem deni chahiye,

▣_ Masjid ki zaa’id cheezo ki khareed farokht jaa’iz he, Kharidi hui cheez ka istemal jaa’iz he,

▣_    Masjid ke liye waqf shuda zameen per agar logo ne namaz shuru nahi ki to ye masjid nahi, isliye iski tabdeeli jaa’iz he, maslan ek jagah ke badle doosri jagah masjid banaya ja sakta he,

    *┬ Alhamdulillah'... Mukammal hua_,*

  ┏───────────────────┯  

        📚 *Aapke Masail aur unka Hal, Jild -2_,*

      

No comments:

Post a Comment