Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, February 6, 2018

Tohfa e Khawateen isLaami Aadaab


     🥀 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 🥀
            *⊙_ISLAAMI AADAAB ⊙*
     ╨─────────────────────
        *┱✿ Khaane Pine Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Rehmate Kaaynaat Fakhre Mojudaat Ahmade Mujtaba Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihivasallam ne k ---

"__ Khane ki barkat hai Khane se pehle aur Khane ke baad Vazu Karna ( Yani Haath Dhona aur Kulli Karna ) _, *( Tirmizi )*

┱_ Bismillaah padh kar khaao ,

"__ Dahine haath se khaao ,
Aur Apne paas se Khaao ( Yani Bartan ke Charo taraf haath na maaro ,Apni taraf se Khaao ), _ *( Bukhari v Muslim)*

┱_ Baaye haath se Hargiz na Khaao na piyo , Kyunki Baaye haath se Shaitaan Khaata hai , _ *( Muslim )*

"__ Jo Shakhs Jis Bartan mai khaana khaye fir use Saaf kare to uske Liye Bartan istigfaar karta Hai , _ *( Tirmizi )*

┱_ Jab Khaane se faarig ho jao to haath dhone se pehle Apni ungliya'n chaat to Tumhe maloom nahi k khaane ke konse hisse mai Barkat hai , _ *( Muslim )*

"__ Bartan ke darmiyan se na Khaao balki Kinaaro se Khaao , Kyunki darmiyan mai Barkat naazil hoti Hai , _ *( Tirmizi )*

┱ _, Aapas mai Ek Saath mil kar khaya Karo aur Allah ka Naam le kar khaao , Kyunki isme Tumhare liye Barkat hogi , _ *( Abu Daowd )*

┱_ Jab khaana Khane Lago to Joote utaar do ,isse Tumhare qadmo ko Araam milega , _ *( Daarmi )*

┱ _ Ount ki tarah ek Saans mai mat piyo balki Do ya Teen Saans mai piyo ,

"__ Aur jab pine Lago to Bismillaah Kaho aur Jab pi kar moonh se Bartan hataao to Alhamdulillah Kaho , _ *( Tirmizi )*

┱_ Jo Shakhs (Pani vagera Koi Cheez ) pilane Wala ho wo Sabse Aakhir mai khud pine Wala bane , _ *( Muslim )*

"__ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai ek martaba khaana laya gaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Asma binte Yazeed Raziyallahu Anha se khaane ko farmaya ,Unhone kaha- is Waqt khwahish nahi Hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Bhook aur Jhoot ko jama na Karo , *( Ibne Maaja )* Yani Bhook hone ke bavjood ye na Kaho k Khwahish ya Bhook nahi Hai ,

┱ _ , Jab Shorba Pakaao to usme Pani zyada daal do aur ( usme se ) Padosiyo'n Ka Khayal Kar lo , _ *( Muslim )* Yani unko bhi Hadiyatan Saalan bhej do , Tumhare Pani badha dene se Padosiyo'n ko Saalan mil sakta Hai,

┱_ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne mez per aur Chhoti Chhoti pyaliyo'n mai khaana nahi khaaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Raziyallahu Anhum dastarkhwan per khate they , _ *( Bukhari Sharif )*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ek Aadmi Ka khaana do Aadmiyo ko aur Do Aadmiyo Ka Chaar Aadmiyo ko aur Chaar Aadmiyo Ka aath Aadmiyo ko Kaafi ho jata Hai , _ *( Muslim )* _ Yani is tarah Kaam chal Sakta Hai aur guzara ho Sakta Hai, Kisi mehmaan ya haajatmand ke aane se tang Dil na ho ,Khushi ke Saath Shareek kar liya Kare ,

┱_ Agar kuchh log mil kar khajoore Khaa rahe ho to Unke bare mai Fakhre Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Koi Shakhs ek luqme mai do khajoore na le , Jab Tak k Apne Saathiyo se ijazat na le le , _ *( Bukhari v Muslim )* _ Khajooro ki tarah aur Koi Cheez mil kar Khaa rahe ho to uska bhi yahi Hukm hai ,

┱ __ Khanna Shuru karte Waqt Bismillaah padhe ,Agar Shuru mai Bhool Jaye to Yaad aane per " Bismillaahi Avvalahu Wa Aakhirahu " padh le , _ *( Tirmizi )*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jis kisi Shakhs ne is haal mai Raat Guzari k uske haath mai koi Cheez ( Chiknayi vagera ) lagi ho Jisko dhoya na ho aur fir uski vajah se koi takleef pahunche ( Maslan Zehreela Jaanwar kaat le ) to ye Shakhs Apne Nafs ke alawa Hargiz kisi ko malamat na Kare , _ *( Tirmizi )* _ Kyunki us Shakhs ko Apni hi Susti aur gaflat ki vajah se Takleef pahunchi ,

┱_ Ek martaba Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam purani Khajoore Khaa rahe they aur usme se Keede dhoond kar nikaalte Jate they , _ *( Abu Daowd )*

"_ maloom hua k Keedo ke Saath Khajoor ya Phal ya daane ( Naye ho ya Purane ) Keedo ke Saath khaana Jaa'iz nahi ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k jab Makhkhi tumme se kisi Ke Bartan mai guzar Jaye ( to Jo kuchh Bartan mai hai Maslan Shorba ,Doodh ,Chaay vagera ) usme Makkhi ko poori tarah dubo de fir usko faink de Kyunki iske Ek baazu mai Shifa hai aur Doosre baazu mai marz Hai , _ *( Bukhari )*

"__ Ek Rivayat mai Hai k uske ek baazu mai Zehar hai aur Doosre mai Shifa hai aur Wo Zehar wale baazu ko pehle daalti hai aur Shifa wale ko hata Kar rakhti hai , _ *( Sharahus Sunnah )* , Ek aur Rivayat mai Hai k Wo Apne marz wale baazu ke zariye bachaav karti Hai ( Yani Shifa wale baazu ko Mehfooz rakhna chahti hai ) Lihaza usko poori tarah dubo do ( Taki marz Ka ilaaj bhi ho Jaye ) , _ *( Abu Daowd )*

*__Faayda _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne marz Ka ilaaj bataya Hai aur us Khane ko khaane Ka hukm nahi diya hai agar Tabiyat na chahe to na khaaye ,

┱-  _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zyada khaane ko na pasand farmaya aur farmaya k zyada khaana shom hai Yani us Shakhs ke pichhe illat lagi Hui Hai Jisse use har jagah takleef hogi aur log Buri Nazar se dekhenge , *( Bayhiqi )*

"__ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Teen ungliyo'n se Khaate they aur Ponchhne se pehle haath chaat liya karte they , *( Muslim )*

┱_ Jab Koi khaana Bahut garam ho to use dhaank Kar rakh de , yaha'n Tak k uski Bhaap ki tezi khatm ho Jaye , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k esa Karna Barkat ke liye Bahut badi Cheez Hai , *( Daarmi )*

"__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Ka Bayan Hai k maine Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko dekha hai k Ukdu bethe hue khajoore tanawul farma rahe hai'n , *( Bukhari )* _ dono pindliya'n khadi kar ke qadmo per bethne ko Ukdu bethna kehte hai'n ,

┱_ Ek Majlis mai khaane wale zyada ho gaye to Aap Sallallahu Alaihivasallam do zaanu ho Kar beth gaye ( Kyunki isme Tawazo bhi hai aur Ahle majlis ki ri'ayat bhi , isse unke liye jagah nikal aati Hai ) , *( Abu Daowd )*

"__ Dastarkhwan Uthane se pehle na utho ,

┱_ Agar kisi doosre Shakhs ke Saath khaana kha rahe ho to jab tak wo Khanna Khaata rahe Apna haath na roko ,Agarche pet bhar chuka ho , Taki use sharmindgi na ho ,agar khaana chhodna hi ho to Uzr Karo ( Yani usse ijazat le kar utho ) , *( ibne Maaja, Bayhiqi )*

┱ _ _ Maskize mai moonh laga Kar mat piyo , *( Bukhari )* _ Lote ,Ghade ya Surahi ya Botel vagera ko moonh laga Kar Pina bhi isi muma'anat mai dakhil hai ,

"__ Bartan mai na Saans lo na foonk maaro , *( Tirmizi )* , Khade ho Kar mat piyo , *( Muslim )* Aabe Zamzam aur Wazu Ka bacha hua Pani isse mustashna hai ,

┱__ Hamare Pyare Rasool Sallallahu Alaihivasallam tek laga Kar nahi Khaate they , *( Bukhari )* _ Kyunki ye Takabbur ki baat hai ,

┱_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kabhi kisi khaane ko ayb nahi Lagaya , Dil ko bhaaya to Khaa liya ,Pasand na aaya to Chhod diya , *( Bukhari )*

┱_ Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hume is Baat se mana farmaya k hum Sone Chaandi ke Bartan mai khaaye piye , _ *( Bukhari v Muslim )*

╨─────────────────────
*┱✿ Pehanne aur Oadne Ke Adaab _*

┱ _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Shakhs ne Apne tehmad ko Takabbur ke Tor per itraate hue ghasita Allah Ta'ala qayamat ke Din uski taraf nazre Rehmat se na dekhenge , *( Bukhari v Muslim )*

"__ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Takhne se niche Jo Tehmad ( Pajama vagera ) Ka hissa hoga Wo Dozakh mai hoga , *( Bukhari)* _ Yani Takhne se niche Kapda pehanna Dozakh mai le Jane Ka Sabab hai ,Ye Mardo'n ke liye hai , Aurto'n ke Takhne dhake rahe , Albatta itna nicha Kapda Aurte'n bhi na pehne Jo Zameen per ghisat ta ho ,

┱_ Hazrat Asma binte Yazeed Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki Aasteen Pahunche Tak thi , *( Tirmizi )*

"__ Hazrat Samrah Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Safed Kapde pehno , Kyunki ye Saaf suthre aur Pakiza Hote hai'n , ( Ye Mardo'n ko targeeb di gayi Hai ) aur Safed Kapdo mai Apne Murdo ko Kafan do , *( Tirmizi )*

┱_ Hazrat Rukana Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k hamare aur muahrikeen ke darmiyan Topiyo'n per Pagdi hone Ka Farq hai , *( Tirmizi )* Yani pagdi baandhne ki Soorat mai uske niche topi bhi honi chahiye , ( Mard iska ahatmaam Kare )

"__ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Jab Pagdi baandhte they to Amaama Ka Shamla mondho ke darmiyan daal dete they , *( Tirmizi )*

┱_ Ek martaba Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abdur Rahman bin Auf Raziyallahu Anhu ko Pagdi pehnayi to uska Kinara saamne ki taraf aur Doosra Kinara pichhe ki taraf daal diya , *( Abu Daowd )* _ Yani Pagdi ke dono taraf ek ek Shamla kar diya aur Ek ko aage aur Ek ko pichhe daal diya , ( Pagdi ke Masa'il Mardo'n se mutalliq hai'n )
 
┱ _ - Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne- Khaao piyo aur Sadqa Karo ,aur pehno ( Lekin) is had tak k Fizool kharchi aur Guroor ki milawat na ho , *( Musnad Ahmad )*

"__ Ye bhi farmaya k Meri Ummat ki Aurto'n ke liye Sona aur Resham (pehanna ) Halaal hai aur Mardo'n per Haraam Kar diya gaya , *( Tirmizi )*

┱_ Aur farmaya k Jisne ( Duniya mai ) naamo Namood Ka Libaas pehna Allah Ta'ala use Qayamat ke din Zillat Ka Libaas pehnayega , *( Musnad Ahmad)*

"__ Aur irshad farmaya k Jab tum ( Kapde ) pehno aur Jab tum Wazu Karo daahini taraf se Shuru kiya Karo , *( Abu Daowd )*

┱_ Mard Aurat Ka aur Aurat Mard Ka libaas na pehne , Kyunki isse Khuda ki Laanat hoti Hai , *( Abu Daowd )*

"__ Joota Pehante Waqt pehle Dahine Paanv mai Joota daalo aur Jab Joote utaaro to Pehle Baaya'n Paanv nikaalo , *( Bukhari )*

"__ Ek Joota pehan Kar na Chalo ,dono Joote utaar do ya dono pehan lo , *( Bukhari )*

╨─────────────────────
*┱✿ Mehmaan Ke Mutalliq Adaab _,*

┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne :-

"__ Jo Shakhs Allah aur Akhirat per imaan rakhta ho use chahiye k Mehmaan Ki izzat Kare,

"__Mehmaan ke liye Achchhe Yani Pur Takalluf Khaane Ka ahatmaam ek din ek Raat hona chahiye ,

"__Aur mehnaan Teen Din Tak hai ,Uske baad Sadqa hoga ,

"__ Aur Mehmaan Ke liye ye Halaal nahi k Mezbaan Ke paas itna thehre k Woh tang ho Jaye ,

*🗂 Ba Hawala Bukhari ,*

┱_ Jiski Dawat ki gayi aur usne qubool na ki to usne Allah Ta'ala ki aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki nafarmani ki , ( Agar Koi Shara'i uzr ho Jo Dawat qubool karne se ma'ane ho to wo isse mustashna hai ),

"__ Aur Jo Shakhs bager Dawat ke ( Khane ke liye ) dakhil ho gaya Wo chor ban kar andar gaya aur lutera ban Kar nikla _,"

*🗂 Abu Daowd ,*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye bhi irshad farmaya k masnoon tareeqa ye Hai k Mard ( Rukhsat karte Waqt ) Mehmaan Ke Saath Ghar ke darwaze Tak nikle _,"

*🗂 Ibne Maaja ,*

╨─────────────────────
*┱✿ Mehmaan Ke Mutalliq Adaab _,*

┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne :-

"__ Jo Shakhs Allah aur Akhirat per imaan rakhta ho use chahiye k Mehmaan Ki izzat Kare,

"__Mehmaan ke liye Achchhe Yani Pur Takalluf Khaane Ka ahatmaam ek din ek Raat hona chahiye ,

"__Aur mehnaan Teen Din Tak hai ,Uske baad Sadqa hoga ,

"__ Aur Mehmaan Ke liye ye Halaal nahi k Mezbaan Ke paas itna thehre k Woh tang ho Jaye ,

*🗂 Ba Hawala Bukhari ,*

┱_ Jiski Dawat ki gayi aur usne qubool na ki to usne Allah Ta'ala ki aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki nafarmani ki , ( Agar Koi Shara'i uzr ho Jo Dawat qubool karne se ma'ane ho to wo isse mustashna hai ),

"__ Aur Jo Shakhs bager Dawat ke ( Khane ke liye ) dakhil ho gaya Wo chor ban kar andar gaya aur lutera ban Kar nikla _,"

*🗂 Abu Daowd ,*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye bhi irshad farmaya k masnoon tareeqa ye Hai k Mard ( Rukhsat karte Waqt ) Mehmaan Ke Saath Ghar ke darwaze Tak nikle _,"

*🗂 Ibne Maaja ,*
 
           ✰══❖══✰═══❖══✰
           *┱✿ Salaam Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k :-

"__ Allah Ta'ala se Sabse Zyada qareeb Wo Shakhs hai Jo ( doosre Ka intezar kiye bager ) Khud Salaam mai Pehal kare _," *( Bukhari )*

"__ Jab Kisi Ke ghar mai dakhil ho to waha'n ke logo ko Salaam kare , aur Jab Waha'n se jane Lago to unko Salaam Ke Saath rukhsat Karo _," *( Bayhiqi )*

┱_ Islaam Ka behatreen Kaam ye Hai k Khaana Khilaao aur Har Musalman ko Salaam Karo Jaan Pehchan ho ya na ho , *( Bukhari )*

"__ Aurte'n Aurto'n  mai iska lihaaz rakhe k Salaam mai Jaan Pehchan ko Maiyaar na banaye balki Musalman hone ko dekhe aur Mard Mardo'n mai iska Khayal Kare ,Baat karne se pehle Salaam kiya Jaye _," *( Tirmizi )*

┱_ Sawaar Paidal chalne wale ko aur Paidal chalne Wala bethe hue ko aur thodi Tadaad wali Jama'at badi Jama'at ki ,aur chhota bade ko salaam kare _," *( Bukhari )*  "_ Yahoodo Nasaara ko Salaam na Karo _,"  *( Muslim )* ( Gair Muslimo ko Salaam na kare )

"__ Jab Tum Apne Ghar mai dakhil ho to Ghar walo ko Salaam Karo , isse Tumhare aur Ghar walo ke liye Barkat hogi _," *( Tirmizi )*

┱_ Jab mulaqaat ke Waqt Apne Bhai ko Salaam kar liya aur ( Zara der ko ) darmiyan mai darakht ya Patthar ya Diwaar ki aad aa gayi , fir Usi Waqt dobara mulaqaat ho gayi to dobara Salaam Kare _," *( Abu Daowd )* _ Yani ye na soche k Abhi ek do minute pehle hi to Salaam kiya hai , itni Jaldi dobara salam Kyu karu ,

"__ Aur Tumhare Aapas mai Salaam ki takmeel ye Hai k Musafa Kar liya Jaye _," *( Ahmad )*

"__ Jab do Musalman Mulaqaat ke Waqt Aapas mai musafa Kare to Juda hone se pehle zaroor Unki Bakhshish Kar di jati hai _," *( Tirmizi )*

"__ Jab Koi kisi Ka Salaam laye to Yu'n Jawab do , " Wa Alayka Wa Alayhissalaam ,"  *( Abu Daowd )*

           ✰══❖══✰═══❖══✰
             *┱✿ Majlis Ke Adaab ,*

┱ _ Farmaya Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne:-

"__ Majlise Amanat ke Saath hai'n ( Yani Majlis mai Jo baate sune unka doosri jagah Naqal Karna Amanat daari ke khilaf hai aur gunaah hai ) _," *( Abu Daowd)*

┱_ Kisi ko uski jagah se utha Kar khud na beth jao ,

"__ Aur bethne wale ko chahiye k aane walo ko jagah dene ke liye Majlis Kushada Kar le ," *( Bukhari )*

┱_ Jab Majlis mai Teen Aadmi ho to ek ko Chhod kar do Aadmi Aapas mai Aahista se baate na Kare , Kyunki isse Teesre ko ranj hoga ," *( Bukhari )* _ ( Kisi esi Zubaan mai baate Karna Jisko teesra Aadmi nahi Jaanta Wo bhi isi Hukm mai hai )

"__ Kisi Shakhs ke liye Halaal nahi k do shakhso ke darmiyan Unki ijazat ke bager beth Jaye ," *( Tirmizi )*

"__ Majlis mai Sab log mutafarriq ( Alag Alag ) na bethe balki mil Kar bethe ," *( Abu Daowd )*

┱_ Jab Koi Musalman Bhai Tumhare paas aaye to jagah hone ke bavjood uske ikraam ke liye Zara sa khisak jaao ," *( Bayhiqi )*

"__ Har Cheez Ka Sardaar hota Hai aur Majlis Ka Sardaar Wo Majlis hai Jisme Qibla ru ho Kar betha Jaye ," *( Tabrani)* _ Aurte'n bhi iska Khayal Kare jab Koi Aurat majlis mai aaye to uske Liye Zara sa khisak Jaye ,
 
           ✰══❖══✰═══❖══✰
*┱✿ Chheenk aur Jamhaayi Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne :-

"__ Jab tumme se kisi ko Chheenk aaye to Chahiye k " Alhamdulillahi " Kahe ,

"__ Aur " Alhamdulillah " Sunne Wala Saathi jawab mai iske " Yar Hamukallahu " Kahe ," *( Bukhari )*

┱_ Aur Chheenkne Wala " Yahdi Kumullaahu Wa Yuslihu Ba Lakum " Kahe , *( Bukhari )*

┱ Hamare Pyare Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko jab Chheenk aati thi to haath ya kapde se Chehra Mubarak dhaank lete they , aur Chheenk ki awaaz Buland na hone dete they ," *( Tirmizi )*

"__ Aur farmaya Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k jab tumko Jamhaayi aaye to moonh per haath rakh Kar rok do , Kyunki ( Jamhaayi Ke Sabab moonh khul Jane se ) Shaitaan dakhil ho jata Hai ," *( Muslim )*

           ✰══❖══✰═══❖══✰
     *┱✿ Laitne aur Sone Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k :-

"_' is tarah Chit na laito k Ek Paanv doosre Paanv per rakha hua ho ," *( Muslim )*

"__ Aundha ho Kar laitna Allah Ta'ala ko pasand nahi ," *( Tirmizi )*

┱_ Kisi esi Chhat per na sovo jis per ( Diwaar ya jangla vagera ) Koi Rukawat na ho ," *( Tirmizi )*

"_Jab Bistar per Jane lago to usko jhaad lo ," _" Aur Ba Wazu daahini karwat per lait jao ," _ " Aur Daahina haath rukhsaar ( gaalo ) ke niche rakh lo _," *( Bukhari )*

┱_ Bila Shuba Aag Tumhari Dushman hai , Lihaza Jab Sone Lago to usko bujha diya Karo ," *( Bukhari )* _'" Jab Tum Sone Lago to Chiraag bujha do ," *( Abu Daowd )*

"_ Farmaya Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne jab tumme se koi Shakhs Apni neend se bedaar ho to Hargiz Apna haath ( Paani vagera Ke ) Bartan mai dakhil na Kare yaha'n Tak k usko teen martaba dho le , Kyunki wo nahi Jaanta k Raat bhar uska haath Kaha'n raha _," *( Bukhari )*

┱_ Aur ye bhi irshad farmaya k jab tumme se koi Shakhs neend se bedaar ho Kar Wazu karne lage to teen baar Apni Naak jhaad de , Kyunki Shaitaan us ( ki Naak ) ke baansa mai Raat guzaarta ( nathno )k hai _*( Bukhari )*
 
           ✰══❖══✰═══❖══✰
          *┱✿ Khwaab Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Sayyadul Kaaynaat Fakhre Mojudaat Khatimul Nabiyeen Sallallahu Alaihivasallam ne k :-

"__ Jab Apna pasandida Khwaab dekho to Usi se Bayan Karo Jo Tumse Muhabbat rakhta Hai _," _

*🗂 " Bukhari _*

┱_ Aur Jab bura Khwaab dekho to teen baar Baayi taraf thuthkaar do ,

__ Aur Kisi se Bayan na Karo ,

__ Aur Karwat badal do ,

_ Aur Teen baar " A'auzu billaahi minash Shaytaanir Rajeem " padho aur us Khwaab Ke Shar se panaah maangno ,  Esa Karne se ye Khwaab Zarar na dega _,"

*🗂 Muslim _,*

           ✰══❖══✰═══❖══✰

          *┱✿ Safar Ke Adaab _,*

┱ _ Safar Ko rawana Hote waqt Chaar raka'at ( Nifl Namaz ) padh Lena Chahiye ," *( Majmauz Zawa'id )*

"__ Hamare Pyare Rasool Sallallahu Alaihivasallam Jumeraat Ke Din Safar mai Jane ko pasand farmate they _,"

*🗂 _Bukhari _*

┱_ Aur Tanha Safar karne se Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mana farmaya ,

_ Balki agar Do Aadmi Saath ho tab bhi Safar karne se mana farmaya ,

_ Aur us iski targeeb di k Kam az Kam Teen Aadmi Saath ho ,

*🗂 Tirmizi, Abu Daowd _,*

┱-- Aur Chaar Saathi ho to Bahut hi Achchha hai ,

_ Aur farmaya k Safar mai Teen Aadmi saath ho to Ek ko Ameer bana le'n ,

*🗂 Abu Daowd ,*

┱_ Aur farmaya k Safar mai Jiske Paas Apni zarurat se faazil Khane pine ki cheeze ho to un logo Ka Khayal Kare Jinke paas Apna tosha na ho _,"

*🗂 Muslim _,*

┱_  Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Aadate Sharifa thi k Jab Safar se waapas tashreef laate to chaasht ke Waqt Madina mai dakhil Hote aur Pehle Masjid mai jaa Kar do raka'at padhte fir ( Kuchh der ) logo ki mulaqaat ke liye Wahi tashreef farma rehte ,

*🗂 Muslim _,*

┱ _ Aur Farmaya - Safar mai Apne Saathiyo Ka Sardaar Wo hai Jo unka khidmat guzaar ho , Jo Shakhs khidmat mai aage badh gaya Kisi Amal ke zariye uske Saathi usse aage nahi badh sakenge , Haa'n agar Koi Shaheed ho Jaye to Wo aage badh jayega ," *( Bayhiqi )*

┱__ Jab Sarsabzi ke Zamane mai Jaanwaro per safar Karo to Ounto aur Doosre Jaanwaro ko unka Haq de do Jo Zameen mai hai , ( Yani usko charate hue le jao ) ,

__ Aur jab khushk Saali mai Safar Karo ( Jabki Jangal mai ghaas foos bhoons na ho ) to raftaar mai tezi akhtyar Karo ( Taki jaanwar Jaldi Manzil pahunch kar Araam pa le ) _,"

_ Ek aur Rivayat mai Hai k isse pehle Safar khatm kar do k Jaanwar bilkul be Jaan ho Jaye ,

*🗂 Muslim _*

┱_ Jaanwaro ki pushto ko mimbar na banaao ( Yani un per sawaar ho Kar khade kiye hue baate na Karo Kyunki isse Jaanwar ko khwam khwaah takleef hoti Hai, Baate karni ho to Zameen per Utar jaao , Jab chalne Lago to fir sawaar ho jao ) ,

__ Jab Manzil per utre to Jaanwaro ke kajaawe aur zeene khol de ,Baad mai Nifl Namaz mai ( ya kisi aur Kaam mai mashgool ho ) Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhu Ka yahi Amal Tha ,

*🗂 Abu Daowd ,*

"__ Jaanwaro ke Gale mai Taant na daalo ( Kyunki isse gala Kat Jane Ka khatra hai ) _ *( Bukhari v Muslim )*

┱__ Aur Jab Raat ko Jangal mai padaav daalo to Raaste mai qayaam karne se parhez Karo , Kyunki Raat ko tarah tarah ke Jaanwar aur keede makode nikalte hai'n aur Raaste mai fayl Jate hai'n _," *( Muslim )*

_Jab kisi Manzil per utro to sab ikatthe qayaam Karo aur Ek hi jagah raho ,door door qayaam na Karo , *( Abu Daowd )*

┱__Safar azaab Ka ek Tukda hai ,Tumhe neend se aur khaane pine se rokta hai , Lihaza jab wo Kaam poora ho Jaye Jiske liye gaye they to Jald Ghar waapas aa jao _,"

*🗂 Bukhari v Muslim ,*

           ✰══❖══✰═══❖══✰

       *┱✿ Tahaarat Ke Adaab _,*

┱ _ Farmaya Khatimul Nabiyeen Sallallahu Alaihivasallam ne k :-

"__ Jab pakhaana jaao to Peshaab ke muqaam ko daahine haath se na chhu'o , aur daahine haath se istinja na Karo _," __ Bada istinja teen pattharo ( ya teen dhailo ) se karo ," *( Muslim )* _ iske baad Paani se dho'o , *( ibne Maaja )*

┱_ Jab pakhaana jaao to Qibla Rukh ho kar aur Qibla ko pusht kar ke na betho_ ," *( Bukhari )*

"__ Jab Peshaab karne Ka iraada Karo to iske Liye ( munasib ) jagah talash Karo _, *( Abu Daowd )* _ Maslan Parde Ka dhayan Karo aur Hawa ke Rukh per na betho ,

┱_ Thehre hue Paani mai Jo Jaari nahi , Peshaab na Karo _," *( Bukhari )* _ Jese Talaab ,Hoz vagera ,

__ Gusl Khane mai Peshaab na Karo Kyunki isse aksar waswase paida Hote hai'n , *( Tirmizi )* ,

__ Kisi Suraakh mai Peshaab na Karo , *( Abu Daowd )*

__ Khade ho Kar Peshaab na Karo , *( Tirmizi )*

┱_ Pakhaana karte hue Aapas mai baate na Karo , *( Musnad Ahmad )*

__ Paani ke Ghaanto per ,Raasto mai ,Saaye ki jagaho mai ( Jaha'n log uthte Beth te ho ) Pakhaana na Karo , *( Abu Daowd )*

__ Bismillaah Keh Kar Pakhane mai dakhil ho , Kyunki Bismillaah Jinnaat ki Aankho aur insaano ki Sharm ki jagaho ke darmiyan aad hai _," *( Tirmizi )*

__ Leed aur Haddiyo'n se istinja na Karo , *( Tirmizi )*

╨─────────────────────
*┱✿ Aurto'n aur Ladkiyo'n Ke Liye Makhsoos Adaab _,*

┱ _ Mardo'n se alahida ho Kar chale ,

__ Raasto ke darmiyan se na guzre balki Kinaaro per chale ,

┱_ Chaandi ke Zever se Kaam chalana behtar Hai ,

__ Bajane Wala Zever na pehne ,

__ Jo Aurat Shaan ( Badaai ) zaahir karne ke liye Sone ka Zever pehnegi to usko ( iski vajah se ) Azaab hoga ,

┱_ "_ Aurat ko Apne Haatho mai Mehndi lagate rehna chahiye," aur Ye bhi farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k Aurat ki Khushbu Esi ho Jiska Rang zaahir ho aur Khushbu na aaye , ( Yani Bahut hi mamooli Khushbu ho ) ,

"__ Bareek Kapda na pehne ," _ Agar dupatta Bareek ho to uske niche mota Kapda laga le ,

*🗂 Abu Daowd _,*

┱_ Jo Aurte'n Mardo'n ki shakl akhtyar kare un per Allah ki Laanat hai ,

__ aur farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k Hargiz koi ( na mehram ) Mard kisi Aurat ke Saath tanhayi mai na rahe , aur Hargiz koi Aurat Safar na Kare Magar is haal mai k uske Saath Mehram ho ,

*🗂 Bukhari _,*

╨─────────────────────
     *┱✿ Mutafarriq Adaab _,*

┱ _ Akad Akad Kar itraate hue na chalo , ( Qur'an Majeed )

"__ Koi Mard do  Aurato'n ke darmiyan na chale , ( Abu Daowd )

"__ Allah Ta'ala ko Safaai Suthraai pasand hai , Lihaza gharo se Bahar Jo jagah  Khaali padi hai'n  Unko Saaf rakha Karo , ( Tirmizi )
_ Aurte'n andar Ghar mai Safaai khud rakhe aur Baahar Bachcho se Safaai Kara Diya kare ,

┱_ Us Ghar mai ( Rahmat ke ) Farishte dakhil nahi Hote Jisme Kutta ya ( Jaandaar ki ) Tasveere ho , ( Bukhari )

"__ Jab kisi Ka darwaza khatkhatao aur andar se puchhe Kon hai ? To ye na Kaho k Mai'n hu'n ! ( Balki Apna Naam bataao ) -,( Bukhari )

"__ Aur ijazar se pehle andar nazar bhi na daalo , ( Abu Daowd )

┱_ Teen baar ijazat maango ,agar ijazat na mile to waapas ho jao , ( Bukhari )

"__ Aur ijazat lete Waqt darwaze ke saamne khade na ho ,balki daaye ya Baaye khade raho , ( Abu Daowd )

┱_ Chhup kar kisi ki Baat na suno , ( Bukhari )

"__ Jab kisi ko khat likho to Shuru mai Apna naam likh do , ( Abu Daowd )

 
┱ _ Apni Walida ke paas Jaana ho tab bhi ijazat le kar jaao , ( Maalik )

"__ Kisi ki Cheez Mazaaq mai le Kar na chal do , ( Tirmizi )

┱_ Nangi Talwaar ( Jo niyaam se baahar ho ) doosre Shakhs ke haath mai na do , ( Tirmizi )

"_isi tarah chaaku , Chhuri , vagera khuli Hui kisi ko na pakdaao ,agar esa Karna pade to uske haath mai dasta do , falka Apne haath mai rakho ,aur khud bhi ahatyaat se pakdo ,

┱_ Zamane ko bura mat Kaho , Kyunki uska ulat fayr Allah hi ke qabze mai hai , ( Muslim )

"__ Hawa ko bura mat Kaho , ( Tirmizi )

"__ Bukhaar ko bhi bura kehna Mana hai , ( Muslim )

┱_ Jab Chhote Bachche ki Zubaan chalne lage to use pehle " Laa ilaaha illallaahu " kehlaao ,

"__ Aur Saat saal Ka ho Jaye to use Namaz sikhaao aur Namaz padhne Ka hukm do ,

"_Aur jab Aulaad 10 saal ki ho Jaye to unko Namaz na Padhne per maaro aur Unke Bistar Alag Alag Kar do , ( Tirmizi )

┱ _ Jab Shaam Ka Waqt ho Jaye to Apne Bachcho ko ( Bahar nikalne se ) rok lo , Kyunki is Waqt Shayateen fayl Jate hai'n, Fir jab Raat Ka Ibtidayi kuchh Waqt guzar Jaye to Bachcho ko Baahar Jane ki ijazat de do ,

"_ Aur Bismillaah padh Kar Darwaze band Kar do , Kyunki Shaitaan band darwaze ko nahi kholta aur Bismillaah padh Kar Mashkizo ke moonh tasmo se baandh do ,

"__ Aur Allah ka naam le kar Yani Bismillaah padh Kar Apne Bartano ko dhaank do , Agar dhaankne ko kuchh bhi na mile to Kam az Kam Bartan ke ouper chodaayi mai ek lakdi hi rakh do ,

*🗂 Bukhari v Muslim ,*

┱_ Ek Rivayat mai Bartano ke dhaankne aur Mashkizo Ka tasma lagane ki vajah ye irshad farmayi hai k Saal bhar mai ek Raat Esi hoti Hai Jisme Vaba Naazil hoti Hai ( Yani umoomi marz taoun vagera ) ye Vaba Jis ese Bartan per guzarti hai Jis per dhakkan na ho ya ese mashkize per Jo tasme se bandha hua na ho to us Vaba Ka kuchh hissa zaroor us Bartan aur Mashkize mai Naazil ho jata Hai ,

*🗂 Muslim _,*

┱_ Jab Raat ko chalna firna band ho Jaye ( Yani gali koonche mai aamado raft band ho Jaye ) to ese Waqt mai Baahar Kam niklo , Kyunki Allah Ta'ala ( insaano ke alawa ) Apni Doosri makhlooq mai se Jise chahte hai'n Chhod dete hai'n ( Yani Shayateen ko ghoomne ki azaadi de di jati hai ,Jiski vajah se Woh fayl Jate hai'n )

┱_ in Tamaam Adaab ko khoob Yaad Kar lo aur Amal mai laao , Bachcho ko Yaad karaao aur unse Amal karaao ,Khaate pite ,sote uthte bethte Waqt aur har moqe per unse puchhe k Fala Cheez per Amal kiya ya nahi ?

*_Wabillaahi Taufeeq ,*

ReF✿┅╮  
         *🗂 Tohfa E Khawateen,*
                  ╨─────────────────────
             

No comments:

Post a Comment