()((()))()
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
*()(())()(())()(())()(())()(())()(()*
*MASOOM BACCHO KI*
*TARBIYAT KESE HO*
*()(())()(())()(())()(())()(())()(()*
*⚃➠ WAJOOD E ZAN SE HAI TASVEER KAYENAAT ME RANG*
*⚃➠ dastoor e Zamana or Lafaani haqeeqat hai ke duniya ki sabhi Qoumo'n ka qeemti sarmaaya bacche hua karte hain Agar is Waqt wo god ka khiLona hain to Aage chaL kar wahi mustaqbiL ke memaar banege maa ki god bacche ka pehLa madarsah hai isi madarse se wo AkhLaaq e hasana ita'at farmabardaari or duniya me zindagi guzaarne ke saLeeqe dang or tor tareeqe Le kar Mu'aashre ka hissa banta hai isLiye maa ki zimmedaari hai wo Apni AwLaad ki tarbiyat is tarz par kare ke unke Rag v Reshe me deen ki Rooh phoonk de uske Liye Zaroori hai ke maa az khud sifaat e kamiLah ki hamiL ho isLiye ke baccha jese maa ko dekhega wesa hi banne ki koshish karega maa to kehte hi use hain jisme hamdardi khair khaahi naseehat muhabbat pyaar koot koot kar bhari ho maa ko jitni Azmat Allah RabbuL izzat or uske Habeeb SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne di hai ke uske Qadmo'n ke niche jannat rakhi wo inhi qurbaniyo'n ke peshe nazar di hain maa Apne Andar baap se kayi'n guna zadah diLsozi dardmandi or khair khaahi ke jazbaat Rakhti hai or taLkh kaLaami sakht bayaani se koso door rehti hai maa Apni manziL kehkasha se ho kar nahi kaanto'n or pattharo'n se guzar kar hasiL karti hai Lihaza isi Ahmiyat v afadiyat ke peshe misaaLi maa ke unwaan se chand UsooL v qawaneen par mushtamiL mazmoon Aapki nazar kiya ja raha hai*
*⚃➠ (01) BACCHO KO SALAAM KARNEKI AADAT DAALNA*
*⚃➠ Maa ko chahiye ke Apne bacche ko SaLaam karna sikhaaye ke jab kisi se muLaqaat kare ya kisi ka phone Aaye to bajaye hello kehne ke sab se pehle saLaam kare Lihaza musalman maaye'n Apni awLaad ki tarbiyat kare'n ke wo is kaLme ko Rasmi tor par Aam Logo'n ki Tarah Ada na karen baLke uski Haqeeqat ko samjhe or saLaam ko pheLana Apni Aadat bana Lein kiyu ke Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya tum jannat me us waqt tak dakhiL nahi ho sakte jab tak ke tum momin na ho or tumhara imaan mukammal nahi ho sakta jab tak Aapas me ek dusre se muhabbat na karo me tumko aisi cheez batata hun Agar tum us par amaL karLo tumhari Aapas me muhabbat Qayam ho jaayegi wo ye hai ke Aapas me saLaam ko Aam karo yani kasrat se ek dusre ko saLaam kiya karo*
*⚃➠ (02) MAAMTA KI SHAFQAT*
*⚃➠ Ek maa Apne khaandaan ki Rooh Rawa'n hoti hain usi ke wajood se ghar ka poora nizaam Qayam rehta hai Agar maa baap ne Apne baccho ki acchi tarbiyat ki ho to khaa sab afraad khaandaan waLe miL kar Rahe Ya ALag ALag us khaandaan ki saakh bharam or nazm v zabt Qayam rakha ja sakta hai aise khaandaan ka har fard bura waqt padne par ya kisi or Aazmaish ke waqt tand hi se jam kar us soorate haal ka samna karta hai or khaandaan ki khususan maa ki buLand himmati ko har qeemat par barqaraar rakhta hai*
*ChaLa jata hun hasta kheLta moje hawadis se*
*Agar Aasaaniya'n ho to zindagi dushwaar ho jaye*
*⚃➠ Maamta ki Shafqat misaaLi hai Agar kisi maa ko baccho par bahut zada gussa aata ho or wo Apne Andar Shafqat ka jazbah peda na kar paati ho usko chahiye ke wo do Raka'at saLatuL hajaat ki niyat se padhe or Allah RabbuL izzat se khoob dua mange ke aye Allah RabbuL izzat mere andar Shafqat ka jazbah peda karde or uske saath saath is baat ka muhaasbah kare ke Agar me Shafqat or muhabbat se baccho ki tarbiyat karun to aap mujhe is par bahut saara ajar ata farmayege meri maut ke baad mere bacche mere Liye sadqah e jariya honge or sab se badi baat ke Allah RabbuL izzat mujhse Raazi ho jaaye*
*⚃➠ (03) BE'JA LAAD PYAAR BACCHE
E LIYE NUQSAAN BA'IS*
*⚃➠ Sab maaye'n Yaqeenan Apne baccho se bahut zada pyaar karti hain yahi pyaar muhabbat baaz baccho ko mustaqbiL me bura Aadmi bana deta hai jiski wajah moqe mehaL ki pehchaan or Adam pehchaan hai ke bacche sharaarte karte hain unko pyaar muhabbat se baat samjhayi jaaye jese khana Agar baccha zaaye kar raha hai to usko Samjhana chahiye ke is tarah Allah RabbuL izzat ki Nashukri hogi or Agar Allah RabbuL izzat hamse naraaz ho gaye to phir jitni cheezen hame di hain sab wapas Le Leinge Lihaza Aap aisi harkat Aaindah na karna Agar bacche ki beja Sharaarto'n or ghaLat harkato'n par usi waqt hikmat ke saath sudhara na gaya to bacche ke AkhLaaq bigad jaate hain*
*⚃➠ (04) BACCHO KI ZID*
*⚃➠ Zid or hat dhari ki Aadat bahut buri hai maa baap Agar baccho kikhairkhaahi or bhaLaayi chahte ho'n to un par ye zimmedaari farz hai ke bacche me zid ki khasLat peda hote hi usko daba dein Agar aisa nahi kiya to baccha bhi haath se jayega or khud bhi museebat me phas jayenge masLan Agar baccha nuqsaan de cheez mangne ki zid kar raha hai to uska nuqsaan bacche ko Samjhaye'n or usko kisi dusre kaam me mashghool kar dein Agar do chaar martaba uski beja zid poori na ki gayi to wo samjh jayega ke Rone dhone or zid karne se kuch nahi hota or phir wo Apni Aadat in sha Allah ta'ala chord dega*
*⚃➠ (05) BACCHE KI NAFSIYAAT KA MUTAALBAH*
*⚃➠ Maa bacche ki harkaat or uski Sargarmiyon par Nazar rakhe is tarah maa ko maLoom hoga bacche ka qad or wazan pichLe maah ke muqabLe me kitna badha hai padhaayi par uska dhiyaan kitna hai wo kon sa kheL pasand karta hai doston ke saath uske marsaim kese hain khaaLi waqt me kiya karta hai ghar waLon ke saath uska Ta'alluq kesa hai maa ke saath uska dostana Ta'alluq hona chahiye behatreen tarbiyat ke hawaLe se bacche ki umar ke Lihaaz se waliden ko baham mushawirat Zaroor karni chahiye*
*⚃➠ (06) BACCHO KI KHUD MUKHTAARI*
*⚃➠ Har bacche ki ye tamanna hoti hai ke Logon me uski haisiyat mumtaaz ho or wo Apne ghar me numaya maqaam par ho is taqaze ke tehat wo mushkiL se mushkiL kaam bhi sar Anjaam de Leta hai baccha jese jese sha'oor pukhtagi Akhtiyaar karta hai usme izzate nafs or khud'daari ka Ahsaas taqviyat pata hai Qudrat ne tamaam insaano ko AshrafuL makhLuqaat banaya hai isLiye har baccha Apni Afraadiyat ka khaha'n hota hai bacche ki khud'mukhtaari or uski zarooriyaat ko poora karne ke Liye mutavazan or munasib Ravayya Akhtiyaar karen Na hi is qadar Aazaadi dein ke baccha sharm v haya or Apni zimmedaari ka Ahsaas hi na kar sake or Na hi itna dabaya jaaye ke baccha diwaare phaangne par majboor ho jaaye*
*⚃➠ (07) BACCHO KI DEKH BHAAL TARBIYAT V DUA*
*⚃➠ AqaLmand or Tajurbe'kaar Aurte'n Apni awLaad ki tarbiyat par nazar rakhti hain unko insaan banane ki koshish karti hain husn khoobi SaLiqa or pyaar muhabbat se tarbiyat karti hain Aamdani thodi hone ke bawajood husne intezaam se ghar chaLaati hain baccho ki tarbiyat ka marhaLah itna Aham hai ke uski ibteda maa ke pet se shuru ho jaati hai jis qisam ke khayaLaat or nazariyaat Ruj'hanaat maa ke honge wahi khayaLaat Lekar baccha duniya me Aata hai behar haaL ye baat Zaroori hai baccho ke peda hone ke baad unki isLaah maa ke Akhtiyaar me hai bachpan se maa ko chahiye baccho ke Liye khoob dua kare baccho ki sahi tarbiyat ke Liye bhi dua kare uske Acche Rishte uski Rozi me Barkat or zindagi me sehat v Aafiyat ki dua mange*
*⚃➠ (08) BACCHO KO KHUSH RAKHNE KI FAZEELAT*
*⚃➠ Huzoor e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya jannat me ek ghar hai jise daruL Faraah kaha jaata hai yahi khushiyo'n ka ghar usme wo Log dakhiL honge jo baccho ko khush Rakhte hain isse maLoom hua baccho ko khush Rakhna Allah RabbuL izzat ki Razamandi ka Sabab hai baccho ko khush Rakhne ke kayi Tariqe hain masLan baccho ke saath kabhi kabhaar unke kheL me shareek hona unki jayaz or Nanhi khahishaat ko poora karna unke saath Acche AkhLaaq or khandah peshaani se pesh Aana kabhi kabhaar koi Latifah sunana jisse wo be'akhtiyaar has pade Lekin mazaakh me bhi jhoot ka dakhaL na ho uska sabaq bhi hame Seerate paak se milta hai Huzoor e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ke pass ek boodhi Aurat Aayi or kehne Lagi mere Liye dua farma dijye ke me jannat me dakhiL ho jaun Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya jannat me boodho'n ka daakhLah nahi hoga us par wo Aurat Rone Lagi to Aap Sallallahu Alaihivasallam muskura pade or farmaya jannat me sab mard Aurat jawaan ho kar dakhiL honge is tarah ka mazaakh ho jisse na kisi ki diL'azaari ho or na jhoot ka dakhaL ho or bacche tehzeeb ke dayere me Rehte hue khush AkhLaaqi or khandah Ravi ko parwaan chadha sakte hain*
*⚃➠ (09) BACCHO KO NASEEHAT KARNA*
*⚃➠ Hazrat maaz Raziyallahu Anhu farmate hai'n ke mujhe RasuLLuLLah SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ne das baaton ki naseehat farmaayi unme se Aakhri do ye hain Tambiyah ke waste un par se Lakdi na hatana or Allah RabbuL izzat se unko darate Rehna is Hadees ki sharaah kuch yun hai Lakdi na hatane se muraad hai ke usse be'fikri na ho ke unko hudood e Shariya ke Tehat me kabhi kabhaar maarne ki zaroorat bhi pesh Aaye to Tambeeh v naseehat ke waste ho sakta hai Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n ke baccho ki Namaz ki nigraani kiya karo or unko Acchi baaton ki Aadat daaLo Hazrat Luqmaan Hakeem ka irshad hai ke baap ki maar AwLaad ke Liye aisi hai jesa ke kheti ke Liye paani Huzoor e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ka irshad hai koi Shakhsh Apni awLaad ko Tambeeh kare ye ek Saa sadqe se behtar hai or ek Saa Taqriban Saade teen kiLo ghaLLe hota hai*
*⚃➠ (10) BACCHO KE LIYE NEK SOHBAT KA INTEKHAAB*
*⚃➠ Insaan Apne dost ke Tareeqe par hota hai isLiye tumme se har Shakhsh ye dekhLe ke wo kisse dosti kar Raha hai maa ko chahiye jab unke bacche Samjhdaar ho jayen or Sha'oor me Qadam Rakhe to unke Liye aise nek SaLeh or Samjhdaar sathiyo'n ka intekhaab kare jo unko isLaam ki haqeeqat Samjhaye'n or aisi buniyaadi cheezen sikhaaye jo har cheez par muheet hain*
*⚃➠ (11) BALIGH BACCHO KO SHAR'E MASAIL KI TALEEM*
*⚃➠ Hamare Mu'aashre me baccho ko Shar'e masaiL ke hawaLe se Aham tareen masLah ye hai ke maa baap Apne baccho ko Sharm ki wajah se Zaroori Shar'e masaiL se Nawaqif Rakhte hain Lihaza hona yun chahiye jese hi waliden mehsoos kare'n awLaad baligh hone ke qareeb hai or unme deeni v shar'e masaiL samjhne ki SaLahiyat mojood hai to wo unko nihayat hikmat se Zaroori baaten Samjha dein*
*⚃➠ (12) BACCHO KI DEKH BHAAL KHUD KAREN*
*⚃➠ Waliden ko chahiye ke wo Apne baccho ki har Qisam ki hifazat az khud karen chokidaar school itezamiya or digar Afraad par na chorde Apne baccho ki Lamha ba Lamha khabar Rakhe'n ke wo is Waqt kaha'n par hain*
*⚃➠ (13) KISI AJNABI SE KUCH NA LEIN*
*⚃➠ Baccho ko bataye'n ke wo kisi se bhi koi cheez na Lein Agar koi cheez Ajnabi ya ghair Ajnabi Shakhsh khaane peene ki cheez ya Raqam dene ki koshish karLe to hargiz hargiz na Lein Sakhti se mana kar dein*
*⚃➠ (14) BACCHO KO BATAYE'N AJNABI LOGO'N NA MILE*
*⚃➠ Baccho ko bataye'n ke school jaate waqt ya ghar se bahir Aate jaate waqt koi Shakhsh Apne Aapko Aapka Rishtedaar bataaye or aap use na jaante ho or na usse pehLe kabhi miLe ho to uske behkave me hargiz na Aayen saaf inkaar kar dein uske qareeb bhi na khade ho'n uski baat bhi na sune uski Taraf bhi na dekhen*
*⚃➠ (15) BACCHO KO BATAYE'N AGAR KOI PAKADNE KI KOSHISH KARE TO CHILLAYE'N*
*⚃➠ School Aate jaate waqt koi Shakhsh Aapko Pakadne ko koshish kare to Zor Zor se chiLLate hue school ya madarse ya ghar ki taraf do'd Laga dein madad ke Liye pukaare chiLLaye'n Roye'n*
*⚃➠ (16) APNE BACCHO KO APNE ITNA QAREEB KARE KE WO HAR BAAT AAPKO KHUL KAR BATAYE'N*
*⚃➠ Waliden Rozana ki buniyaad par Apne baccho ko kam az kam ek ghanta dein or unse Rozana ki Rudaad or poore din ki kaarguzari sune Apne baccho ko Apne se itna qareeb kare'n ke wo har baat aapko khuL kar bata dein*
*⚃➠ (17) APNE BACCHO KO KHUD AYTAMAAD BANAYEN*
*⚃➠ Apne baccho ko khud Aytamaad banayen Apne baccho ko haisiyat dein unhe Acche bure ki Tameez or dost v dushman ki pehchaan Samjhaye'n*
*⚃➠ (18) APNE BACCHO KO POORE KAPDE PEHNAAYE*
*⚃➠ Apne baccho ko poore kapde pehnaaye bacchiyon ko bhadkeeLe or ishtiyaaL Angez kapde hargiz na pehnaaye'n saath saaL se badi bacchiyon ko hijaab pehnaaye or Das saaL ke baad mukammal pardah karwaaye'n*
*⚃➠ (19) APNE BACCHO KO KHUD SCHOOL V MADARSAH POHCHAAYE'N*
*⚃➠ Apne baccho ko khud school v madarsah pohchaaye'n or wapas Le kar Aaye'n baccho ke maanLe me kisi par Aytamaad na kare'n ye waqt v dor Shehwat parasti ka hai maghribi Tehzeeb or fiLmo'n dramo'n ne Nojawan ko aisa darindah bana diya hai ke har waqt masoom ko Uchakne ke Liye tayyar Rehta hai*
*⚃➠ (20) APNE BACCHO KO HALAAL GHIZA KHILAAYE'N*
*⚃➠ Apne baccho ko Acchi khuraak dein haLaaL ghiza khiLaaye'n kiyu ke sehat par haLaat par mahoL par or baccho ke Aasaab par or zehan par khuraak ke Asraat musaLLim hain*
*⚃➠ (21) APNI BACCHIYO'N KO NA'MEHRAM MEHMAAN KE PAS NA BHEJE*
*⚃➠ Ghar me jab koi mehmaan khususan ghair mehram nojawaan Aaye to mehmaan khane me Apne baccho khususan bacchiyon ko hargiz akeLa na bheje aise waqiyat pesh Aachuke hain ke hewaan numa insaan ne Apne mehram baccho ko bhi na chorda*
*⚃➠ (22) APNE BACCHO KO AKELE DUKAAN PAR NA BHEJE'N*
*⚃➠ Dukaan par Apne baccho ko AkeLe hargiz cheez Lene ke liye na bheje Agar majbooran bhejna pade to Samjha kar bheje ke dukaandaar koi cheez muft de to hargiz na Lein has kar baat kare to jawaab na dein Agar koi dusra Shakhsh dukaan par khada Khairiyat maLoom kare ya baat karne ki koshish kare to biLkuL bhi tawajjoh na dein bas Apni matLooba cheez ko Le kar foran ghar wapas Aayen Haa'n Agar koi saath ho to koi muzayeqa nahi*
*⚃➠ (23) APNE BACCHO KO BA'HAYA BANAYE'N*
*⚃➠ Apne baccho ko Apne gharane ko Apne khaandaan ko baLke poore Mu'aashre ko bahaya banane ki koshish kare'n maghribi Tehzeeb or Tv channel par chaLne waLi behooda fiLmo'n or fahash dramo'n ki wajah se hamara khaandaani nizaam toot phoot ka shikaar hota ja raha hai Chunache Apne ghar se Tv nikaaL kar bahir karen*
*⚃➠ (24) BACCHO KO MOBILE NA DEIN*
*⚃➠ Apne baccho ko Android or camera waLa baLke kisi qisam ka mobile hargiz na dein mobile whatshap social media Internet ki wajah se Aaj nojawaan NasaL barbaad ho rahi hai Tabaah ho rahi hai Agar baccho ko mobile dena nihayat Zaroori ho to unki poori nigraani kare'n waqtan foqtan unke mobile ki jaanch padtaaL kare'n*
*⚃➠ (25) GHAR ME DEENI TALEEM KAREIN*
*⚃➠ Rozana ki buniyaad par Apne ghar me deeni taLeem kare'n us doraan ghar me mojood sab bacche waliden digar afraad mojood ho'n do mint ki taLeem ke baad haLaate hazira se baccho ko waqfiyat dein unhe hoshiyaar kare'n*
*⚃➠ (26) AGAR WALIDEN KE PASS WAQT NAHI TO DADA DAADI KI ZIMMEDAARI LAGAYE'N*
*⚃➠ Agar waliden ke pass waqt na ho to baccho ke dada daadi waghaira ki zimmedaari Lagaye'n ke wo baccho ki nigraani kare'n gharo'n me boodhe afraad umuman farigh hote hain baccho ko school v madarsah chordne ki zimmedaari ye hazraat bhi Le sakte hain is tarah inki warzish bhi ho jayegi or bacche bhi ba'hifazat pohuch jayenge*
*⚃➠ (27) BACCHIYO'N KO TANHA SCHOOL MADARSAH TUITION CENTRE NA BHEJE'N*
*⚃➠ Baccho khususan bacchiyon ko tanha school madarsah tuition centre na bheje poori koshish karen behan bhai ke saath ya phir gaLi mehaLLe ke digar ba'aytamaad baccho ke saath bheje'n kam az kam do bacche ya do bacchiya'n Laazmi ho'n AkeLe ko shaitaan uchakne ki koshish karta hai jab ke jama'at par Allah RabbuL izzat ki Rehmat hoti hai*
*⚃➠ (28) TAHAFFUZ KE LIYE BACCHO KO KARATE SIKHAAYE'N*
*⚃➠ Waliden or ustaad baccho ko Apne Tahaffuz or difa ke Liye karate waghaira ki Zaroor mashq karwaye'n school me digar kheL kood ke saath saath isko Lazim qaraar diya jaaye usse warzish bhi hogi or difa bhi mazboot hoga*
*⚃➠ (29) FAMILY SYSTEM MAZBOOT KAREN*
*⚃➠ Family system mazboot karen wo is tarah ho sakta hai ke joint system ho ek hi ghar me daada daadi Sab bhai ek saath Rehne ko Tarjeeh dein jab hamare yaha'n ye system mazboot tha to masaiL bhi na the ab jab ke shaadi hote hi har Shakhsh ALag Rehne ko Tarjeeh deta hai to gharo'n me bacche tanha ho gaye hain unki hifazat karne waLa koi nahi hota*
*⚃➠ (30) APNE BACCHO KE SAATH WAQT GUZAARE*
*⚃➠ Apne baccho ke saath waqt guzaare or unko yaqeen diLaye'n ke ham jo kuch kar rahe hai jo bhi pabandiya'n Laga Rahe hain wo sab tumhare Tahaffuz or behatri ke Liye hi hai jis din baccho ko ye yaqeen Aajayega us din aap kaamyaab ho jaoge*
*⚃➠ (31) BACHCHO KO NEK LOGON KI SOHBAT ME LE KAR JAYEN*
*⚃➠ Baccho ko gaahe gaahe AwLiya Allah or nek Logon ki sohbat me Le jaya karen murabbi se tarbiyat diLaye'n bacche sohbat se bahut jaLdi seekhte hain nek sohbat ke asraat murattib hote hain hamare waliden hame akabireen ki sohbat me Le jaya karte the*
*⚃➠ (32) BACHCHO KI ASAL ZIMMEDAARI MAA BAAP KI HAI*
*⚃➠ Ye bacche Aap waliden ke hain unki taLeem v tarbiyat ki asaL zimmedaari waliden ki hi hai waliden hi sab cheezo'n ke zimmedaar hain Agar waliden Apni zimmedaari poori karen to masaiL peda hi na ho har Shakhsh zimmedaar hai or Qayamat ke din usse is zimmedaari ke baare me poocha jayega*
*⚃➠ (33) APNE BACCHO OR BACCHIYO'N KI SOHBAT KA BAHUT ZADA KHAYAAL RAKHEN*
*⚃➠ Apne baccho or bacchiyon ki sohbat ka bahut zada khayaaL Rakhen wo kin Logon me uthte bethte hain or kin kin Logo'n ke saath kheLte hain bacchiyon ko mehaL yani bade gharo'n me akeLe hargiz na jaane dein unko samjhaye ke jab bhi ghar se bahir jayen To Apni walida hi ke saath jaye'n*
*⚃➠ (30) APNE BACCHO KE SAATH WAQT GUZAARE*
*⚃➠ Apne baccho ke saath waqt guzaare or unko yaqeen diLaye'n ke ham jo kuch kar rahe hai jo bhi pabandiya'n Laga Rahe hain wo sab tumhare Tahaffuz or behatri ke Liye hi hai jis din baccho ko ye yaqeen Aajayega us din aap kaamyaab ho jaoge*
*⚃➠ (31) BACHCHO KO NEK LOGON KI SOHBAT ME LE KAR JAYEN*
*⚃➠ Baccho ko gaahe gaahe AwLiya Allah or nek Logon ki sohbat me Le jaya karen murabbi se tarbiyat diLaye'n bacche sohbat se bahut jaLdi seekhte hain nek sohbat ke asraat murattib hote hain hamare waliden hame akabireen ki sohbat me Le jaya karte the*
*⚃➠ (32) BACHCHO KI ASAL ZIMMEDAARI MAA BAAP KI HAI*
*⚃➠ Ye bacche Aap waliden ke hain unki taLeem v tarbiyat ki asaL zimmedaari waliden ki hi hai waliden hi sab cheezo'n ke zimmedaar hain Agar waliden Apni zimmedaari poori karen to masaiL peda hi na ho har Shakhsh zimmedaar hai or Qayamat ke din usse is zimmedaari ke baare me poocha jayega*
*⚃➠ (33) APNE BACCHO OR BACCHIYO'N KI SOHBAT KA BAHUT ZADA KHAYAAL RAKHEN*
*⚃➠ Apne baccho or bacchiyon ki sohbat ka bahut zada khayaaL Rakhen wo kin Logon me uthte bethte hain or kin kin Logo'n ke saath kheLte hain bacchiyon ko mehaL yani bade gharo'n me akeLe hargiz na jaane dein unko samjhaye ke jab bhi ghar se bahir jayen To Apni walida hi ke saath jaye'n*
*⚃➠ (34) BACCHO KE ANDER GUSSA KESE AATA HAI*
*⚃➠ Ham Log bade pareshaan hote hain hamare bacche me gussa bahut zada hai kisi ki maanta nahi sunta Nahi ye sab bacche me ghar hi se peda hota hai kiyu ke ja bhi usko samjhaya jata hai ya kisi kaam se Roka jata hai to sab ke sab bacche ke saath gussa me pesh Aate hain to aise maa baap khoob acchi tarah samjh Lein har waqt baccho par gussa karna baccho ko bigaad sakta hai or aise Ravayyo se unka Aane waLa mustaqbiL tareek ban sakta hai pyaar se samjaya kare'n biL muqabiL gussa me pyar zadah Asar Andaaz hota hai gusse me hamesha kaam kharaab hi hote hain baccho ko khud se Daraya na karen baLke unko Apni izzat karna Sikhaye kiyu dar us waqt tak rehta hai jab tak Samne waLa Shakhsh mazboot ho Sab yaad Rakhen ye bacche hi kaL hamara mustaqbiL hain Agar inki buniyaad mazboot hogi to us par khadi hone waali imarat bhi mazboot hogi*
*╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
🌸 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 🌸
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
*DawnLoad Raahe haqq Application or paaye har roz new text msg*https://drive.google.com/file/d/1lGjd-cD_hHSgGF8ECwxP9nrsl5hnf0ev/view?usp=drivesdk
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
✍🏻 *RAAH-E-HAQQ*
()((()))()
No comments:
Post a Comment