Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, March 9, 2018

⊙ ZUBAAN _KE_GUNAAH ⊙


🍃🌸🍃
                    ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
           ✰══❖══✰═══❖══✰

       🥀 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 🥀
                ✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰
      
        *⊙ ZUBAAN _KE_GUNAAH ⊙*

╨─────────────────────
        *┱✿ Zubaan Ki Hifazat,*

┱ _ Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k , Jo Shakhs mere liye is Cheez ( ki hifazat Ka ) zaamin ban Jaye Jo uske dono Jabdo ke darmiyan hai ( Yani Zubaan) aur Jo uski dono raano ke darmiyan hai ( Yani sharmgaah ) to Mai'n Uske liye Jannat Ka zaamin hu'n _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-411 Ba hawala Bukhari ,*

┱_ Ek Doosri Hadees mai Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se farmaya - Kya tum Jaante ho Logo ko Jannat mai Kya Cheez Sabse Zyada dakhil karane wali hai ?
(Fir khud hi farmaya k ) Allah se darna aur Achchhe Akhlaaq akhtyar Karna ( Sabse Zyada Jannat mai dakhil karane wali cheeze hai'n )

_ Fir farmaya- Kya tum Jaante ho k logo ko dozakh mai Sabse Zyada dakhil karane wali Cheez hai ? ( Iske baad khud hi jawab diya k ) Sabse Zyada Dozakh mai dakhil karane wali cheez moonh aur sharmgaah hai ,"

*🗂 Mishkaat _,*

┱_ Moonh Yani Zubaan aur Sharmgaah ke gunaah Bahut khatarnaak hai'n , in dono ki hifazat na karne se Dozakh ke dakhile Ka Samaan ban Jata Hai aur Dozakh ke dakhile Ka zyadatar Sabab inhi do cheezo ke A'amaal Hote hai'n ,

┱ _ insaan Ke A'aza mai Zubaan bhi hai lekin isko Banisbat doosre A'aza ke Khaas qism ki ahmiyat haasil hai , A'aza e insaani mai Zubaan Sabse achchhi Cheez Hai aur Sabse Buri Cheez bhi hai , Allah ka naam Zubaan se liya Jata hai , Islam Ka Kalma isi se padha Jata hai, Qur'an ki Tilawat isi se ki jati hai, khair ki Dawat isi se di jati hai aur Doosre A'aza se Jo Nekiya'n hoti Hai Unme bhi Umuman kisi na kisi tarah Zubaan Shareek hoti Hai ,

┱_ Aur iske bar aks Zubaan hi se Kufr Ka kalima nikalta hai ,Shirkiya Alfaz nikalte hai'n , aur isi se Gaaliya'n di jati hai,Laanat ki jati hai,Geebat ki jati hai ,Chugli ki jati hai,Jhoot bola Jata hai,Jhooti qasam khayi jati hai, Jhooti gawahi di jati hai ,

┱_ Pas Zubaan ki hifazat ki Bahut zyada zarurat hai ,

"__Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai k Banda kabhi Allah ki Razamandi Ka koi esa Kalma Keh deta Hai k Jiski taraf use dhyan bhi nahi hota aur uski vajah se Allah Ta'ala uske Bahut se Darjaat Buland farma deta hai , Aur bila shuba Banda kabhi Allah ki naraazgi Ka koi esa Kalma Keh guzarta hai k uski taraf uska dhyan bhi nahi hota aur uski vajah se Dozakh mai girta Chala Chala Jata hai ,"

*🗂 Bukhari _,*

┱ _ Ek Hadees mai irshad Hai k insaan Apni Zubaan ki vajah se isse bhi zyada fisal Jata hai Jitna Apne qadam se fisalta hai ,"

*🗂 Bayhiqi Fi Shoebul imaan,*

┱_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k jab Subeh hoti Hai to sab A'aza Aajizi ke Saath Zubaan se kehte hai'n k Tu hamare bare mai Allah se daro , Kyunki hum tujhse mutalliq hai'n ( Yani hamari Khairo Aafiyat aur Dukh takleef tujhse mutalliq hai ) Pas agar Tu theek rahi to hum bhi theek rahenge aur agar tujhme kaji aa gayi to humme bhi kaji aa jayegi ,"

*🗂 Tirmizi _,*

"_Kaji tedepan ko kehte hai'n, matlab ye Hai k tu tedi chali aur tune Galat bola to humari bhi khair nahi , dekho gaali Zubaan deti Hai aur Joota sar per Padta Hai ,

┱ _ Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat ki aur arz Kiya k Nijaat ki Kya Soorat hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Zubaan ko Qaabu mai rakho aur Apne Ghar mai Apni jagah rakho ( Yani zyadatar Apne Ghar mai hi raho , Bahar Bahut Kam niklo Kyunki Ghar ke Baahar Bahut se fitne hai'n ) aur Apne gunaah per Roya Karo _,"

*🗂 Tirmizi _,*

┱_ Hazrat Sufiyaan bin Abdullah Saqfi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Mai'ne arz Kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Aapko mujh per Sabse Zyada Kis Cheez Ka Khof hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Zubaan Mubarak Pakdi aur farmaya k Sabse zyada iska Khof hai _,"

*🗂 Tirmizi _,*

┱_ Ek Hadees mai irshad Hai k Allah ke zikr ke alawa zyada mat bola Karo Kyunki Allah ke zikr ke alawa zyada bolna Dil mai Sakhti Paida Hone Ka Sabab Hai , aur Allah se Sabse zyada door Wohi Shakhs hai Jiska Dil Sakht ho _,"

*🗂 Tirmizi _,*

"__ Ek aur Hadees mai ye farmaya k insaan Ki har Baat uske liye Vabaal hai , Nafa dene wali nahi Hai , Sivaye iske k Amr bil Ma'aroof ( Yani Nekiyo'n Ka hukm de ) Ya Nahi Anil Munkir Kare ( Yani Burayi se roke ) Ya Allah ka Zikr Kare _,"

*🗂 Tirmizi _,*

┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Sahabi ki wafaat ho gayi , to ek Shakhs ne kaha k Tujhe Jannat ki Khush khabri hai , Ye sun Kar Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Irshad farmaya Kya tum Jannat ki Khush khabri de rahe ho Halanki Tumhe maloom nahi k isne koi Layaani Baat ki hogi ya Esi Cheez kharch karne se kanjoosi ki hogi Jiske kharch karne se nuqsaan nahi hota ( Maslan ilme Deen sikha dena ya Zakaat dena vagera ) -,"

*🗂 Tirmizi _,*

┱_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Khamosh raha usne Nijaat payi _,"

*🗂 Bukhari _,"*

┱_ Ek aur Hadees mai irshad Hai :- Jo Shakhs Allah per aur Akhirat ke din per imaan rakhta ho use chahiye k Khair ki Baat kare ( isme har nek Baat aa gayi Jisme sawab ho ) ya khamosh rahe _,"

*🗂 Bukhari v Muslim _,*

┱_ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Mai'n Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu ki khidmat mai aaya ,Wo Masjid mai bilkul tane Tanha tashreef farma they , Maine arz Kiya- Ey Abuzar ! Ye Tanhaai kesi hai ?
Unhone farmaya- Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Suna Hai k Tanhaai Bure Humnasheen ( Yani Saath uthne bethne wale Bure Shakhs se )  se  Behtar hai ,aur Nek Humnasheen Tanhaai se Behtar hai aur Khair ki baate Karna khamosh rehne se behtar hai aur khamosh rehna Buri baate Zubaan se nikaalne se Behtar hai , ( Kyunki khamoshi per pakad nahi hai )

*🗂 Mishkaat _,"*

┱_ in rivayaat v Ahadees se Jaan lene ke Baad samajh Lena Chahiye k Zubaan ki afaat aur muhalliqaat ( Yani insaan ko barbaad karne wali Cheeze ) Bahut zyada hai'n , Bahut se logo ko beja bolne ki aadat hoti Hai, khamokhwah jhak jhak karte hai'n , Duniya bhar ke qisse aur baato mai apni Zubaan ko istemal karte hai'n Jinme Apna Koi nafa Duniya v Aakhirat Ka nahi hota ,balki baate karte karte bade Gunaaho mai mubtila ho Jate hai'n , Allah hifazat kare , Aameen,

╨─────────────────────
*┱✿ Jhoot Ka Vabaal aur Farishto ki Nafrat _*

┱ _ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k jab Banda Jhoot bolta hai to Farishta uski Baat ki Badbu ki vajah se Ek Meel door Chala Jata hai _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh--413 Ba hawala Tirmizi ,*

┱_ Is Hadees se jhoot ki Sakht mazammat maloom Hui aur pata Chala k Farishto ko Jhoot se bahut zyada Nafrat hai aur unko Jhoot se Esi ghin aati Hai k Jo'nhi kisi ke moonh se Jhoot nikla Farishta Waha'n se chal deta Hai aur Ek Meel Tak Chala Jata hai , Yaad rahe isse A'amaal likhne wale Farishto ke alawa doosre Farishte muraad Hai , Naqawari aur Nafrat to sab hi Farishto ko hoti Hai Lekin Jo Farishte A'amaal likhne per manoor hai'n Wo majburan naqawari ko bardasht karte hai'n , Allah ki pyari makhlooq ko takleef Pahunchana kitna bura Amal hai isko khoob Samajh le aur Ouper se jhoot Ka Gunaah hai Jo iske alawa hai ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai k tum Sach ko Laazim pakdo Kyunki Sach Neki ki Raah dikhata hai aur Neki Jannat ki Raah dikhati hai aur insaan Sach bolta rehta Hai aur Sach bolne Ka khoob dhyan rakhta Hai Yaha'n Tak k Allah Ta'ala ke nazdeek Siddiq ( Yani Bahut sachcha ) likh diya Jata hai ,

( Fir farmaya k  ) Jhoot se bacho Kyunki Jhoot fijoor ( Yani Gunaaho mai ghus Jane ) ki Raah batata hai aur Fijoor Dozakh ki Raah dikhata hai aur insaan barabar Jhoot bolta rehta Hai aur Jhoot bolne Ka dhyan rakhta Hai ( Yani Jaan boojhkar Jhoot bolta hai aur Jhoot ke moqe sochta rehta Hai ) Yaha'n Tak k Allah Ta'ala ke nazdeek Bahut bada jhoota likh diya Jata hai,

*🗂 Bukhari v Muslim_ ,*

"__ Bas Momin Bando per Laazim Hai k Hamesha Sach bole aur Sach hi ko akhtyar kare , Bachcho ko Sach hi sikhaye aur Sach hi ki aadat daale ,unko behlane ke liye bhi Jo koi Vaada kare Wo Vaada bhi sachcha hona chahiye ,

╨─────────────────────
*┱✿ Bachcho ko Manane Ke Liye Jhoot bolne ki Muma'anat,*

┱ _ Hazrat Abdullah bin Aamir Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k ( Jab Mai'n chhota sa tha ) Meri Walida ne ek Din mujhe bulaya aur Kaha , " Le " , "Aa " " Mai'n tujhe de rahi hu'n ," Us Waqt Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam hamare Ghar mai tashreef farma they, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Meri Walida se farmaya :- Tune isko Kya Cheez dene Ka iraada Kiya hai ? Unhone arz Kiya k maine isko khajoore dene ki Niyat ki hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Khabardaar! Agar Tu isko ( kuchh bhi ) na deti to Tere ouper ek Jhoot ( Ka gunaah ) likh diya Jata ,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-416 Ba hawala Bayhiqi ,*

┱_ Is Hadees se Waliden ke Haq mai ek badi Nasihat maloom Hui , Bachcho ko kisi Kaam ke liye bulane ke liye ya Kahi saath le Jane ke liye Ya Rona band karne ke liye Jhoote Vaade Kar lete hai'n aur Ek ek din mai Kai baar esa hota rehta Hai , Vaada Kar ke fir Vaada poora karne ki fikr nahi karte , Bachcho Ko behlane ke Jhoot bol dete hai'n k Fala Cheez layenge , ye manga denge , Wo banwa denge , ye Jhoote Vaade Karna aur poora na Karna Gunaah hai ,Jesa k Hadees se maloom hua ,

╨─────────────────────
*┱✿ Sautan Vagera ko Jalane Ke Liye Jhoot Bolne Ki Mazammat,*

┱ _ Hazrat Asma Raziyallahu Anha se Rivayat Hai k Ek Aurat ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam bila shuba Meri ek Sautan hai , Kya Mujhe Gunaah hoga ? Agar Mai'n ( usko Jalane ke liye ) Jhoot Moot yu'n Keh du k ye Cheez mujhe Shohar ne di hai , Halanki usne nahi di ho ,
Iske jawab mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo koi Cheez Haqeeqat mai na mili ho uske bare mai ye zaahir Karna k ye mujhe mili Hai, esa hai Jese koi Jhoot ke do Kapde pehan le ,"

*🗂 Mishkaat - 281 Ba hawala Bukhari v Muslim,*

┱_ Momin ke Dil mai Jo imaan hai Ye Allah ka Waa'iz hai , Galat Jazbaat aur Bure waswase Jo Dil mai aate hai'n ye Waa'ize qalb Jo andar betha hua hai Mutanabbah karta Hai k ye theek nahi hai , Jinka imaan Asli imaan hai aur Jinhone imaan ki Roshni ko gunaaho ki Kasrat se dhundhla nahi kiya Unko jab kisi Bure amal Ka khatra guzrega ya gunaah karne Ka Waswasa aayega ,Foran Dil mai Ek chubhan Mehsoos karenge , Unko esa maloom hoga Jese andar Koi Alarm de raha Hai aur Bata raha hai k ye Kaam theek nahi hai ,

┱_ Agar Sahi galat Ka faisla khud na Kar sake to jaanne walo se maloom kar le , Jab Alhamdulillah hum Jese Musalmano Ka ye haal hai to Hazraate Sahaba Jinka imaan Pahaado se bhi bada tha Wo ese khatraat aur wasawis per kyu Mutanabbah na Hote ,

╨─────────────────────
*┱✿ Alaamate Momin*

┱ _ Ek Hadees Paak mai hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se ek Shakhs ne daryaft Kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Imaan ( Ki Alamat ) Kya hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Jawab irshad farmaya :- Jab Neki karne se Tera Dil Khush ho aur Burayi se Tera Dil dukhe to ( samajh le ) Tu Momin hai _,"

Us Shakhs ne arz kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Gunaah ( ki nishani ) Kya Hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jab Koi Cheez Tere Dil mai khatke to use Chhod dena _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-16 , Musnad Ahmad -12,*

┱_ Matlab ye hai k Jab kisi Kaam ke mutalliq Achchha ya bura hone mai taraddud ho aur Uske karne ke tasavvur se Dil mai becheni ki si Kaifiyat maloom hoti ho to use na Karna , Kyunki ye gunaah hone ki nishani hai , Ye Baat un logo ko haasil hoti hai Jo Gunaaho se bachne Ka Ahatmaam karte hai'n aur Dil ko sanwarne ki fikr mai rehte Hai'n aur Jo Shakhs Gunaaho se bachne ki fikr nahi karta uske Dil Ka naas ho jata Hai, Fir usko Neki Badi Ka Ahsaas nahi rehta aur gunaah per Khush hota Hai, Dil ke andar Jo tees Gunaaho ki vajah se honi chahiye Wo nahi hoti ,

┱_Jis tarah se Galat Baat se Zubaan Jhooti ho jati hai, Galat Kirdaar se digar A'aza bhi Jhoote qaraar diye Jate hai'n , Bahut se log kisi Cheez ke Maalik nahi Hote aur esa zaahir karte hai'n Jese Wo uske Maalik ho ,,Jese Bahut si Aurte'n Maang kar Shaadi Byaah ke moqe per Zever pehan Kar chali jati hai'n aur shekhi baggarne ke liye ye kehti hai k hamara Zever hai , Bahut se log Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki nasal se nahi hote hai'n Lekin Apne naam ke Saath Siddiqi ,Farooqi likhte hai'n , Ya Chishti , Qaadri hone ke mudda'i Hote hai'n halanki unko choshtiyat ,Qaadriyat se door door Ka bhi waasta nahi hota , Algaraz Jiska zaahir Baatin ke khilaf hai Uska zaahir saraapa kazb aur Jhoot hai ,

"__ Hazrat Thanvi Reh. Ka ek malfooz Yaad aaya k Aaj Kal nisbate lagane Ka Faishion ho gaya hai , Hai kuchh nahi aur bante Hai'n Rasheedi , Khaleeli , Imdaadi , Saabri vagera bante Hai'n ,

╨─────────────────────
*┱✿ Sakhti Aur Fahash Kalami Per Tambeeh -_*

┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Ek martaba Chand Yahoodiyo'n ne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Haaziri ki ijazat chahi aur us moqe per ( dabi Zubaan se unhone ) kaha , "Assaamu Alaykum "( Yani Assalaamu ke bajaye Assaamu Keh diya , Salam Salamti ko aur Saam Maut ko kehte hai'n , Unhone Bad Dua dene ki Niyat se ye samajh Kar esa kaha k Sunne walo ki samajh mai na aaye )

Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne sun liya aur foran jawab diya aur farmaya " Bal AlaykumuSsaamu Wal La'anatu " ( balki tum per Maut ho aur La'anat ho ) , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ey Ayesha ! Beshak Allah Raheem hai  , Har kaam mai Narmi ko pasand farmata Hai  , Tumko is tarah Jawab nahi dena chahiye tha ,

Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz Kiya k Aapne nahi Suna Unhone Kya kaha ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Maine unko jawab mai " Wa Alaykum " Keh diya , ( Yani unko Maut ki bad dua de di ) Pas Meri Bad Dua Unke Haq mai qubool hogi aur mere Haq mai Unki Bad Dua qubool na hogi _ ,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh - 398 Ba hawala Bukhari v Muslim ,*

┱_ Sahih Muslim ki ek Rivayat mai Yu'n Hai k us moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se farmaya k Tu Fahash go mat ban , Kyunki Allah Ta'ala Fahash ko aur Fahash akhtyar karne wale ko pasand nahi farmata _,"

┱ _ Yahoodi bade Shareer they ,Unki shararte Aaj Tak Kaam Kar rahi hai'n, Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ka Nabi Jaante they are waaze Nishaniyo se pehchante they Lekin maante nahi they , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam jab Makka Muazzama se Hijrat farma kar Madina Munavvara tashreef laye to Madina mai Jo Yahoodi rehte they Wo Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sakht Dushman ho gaye ,

┱_ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko takleef diya karte they balki Shaheed karne aur islam v Musalmano ko mitaane ke program aur Tadbeere Kiya karte they, Aapki Majlis mai bhi aate they ,baate bhi poochhte they ,Lekin Apni Shararato se baaz nahi aate they , inhi Shararato mai se ek ye thi k Aapki khidmat mai Haazir Hote to bajaye Assalaamu Alaykum ke dabi Zubaan se Assaamu Alaykum kehte they , Salam Ka matlab salamti hai aur Assaam ke ma'ani Maut hai , Yahoodi Apni khabasat aur shararat se ba zaahir Salam karte Lekin dabi Zubaan se aur Dil Ke iraade se Maut ki bad Dua dete they ,

┱_ Ek martaba Jo aaye aur ese hi shararat ki to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne sun liya aur foran Sakht Alfaz mai unko jawab diya aur Unhone Jo kuchh kaha Tha usse bad Kar bad Dua di , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko tambeeh farmayi aur farmaya k Ey Ayesha ! Narmi Akhtyar Kar , Sakhti aur Fahash Kalami se parhez Kar Kyunki Allah Ta'ala bad kalaami ko akhtyar karne ko pasand nahi farmaya ,

"__Dekho is Hadees mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne kesi Mubarak Nasihat farmayi, Yahoodi Jo dushmane Khuda aur Dushmane Deen they unko jawab dene mai bhi pasand na farmaya k Sakhti ki Jaye aur bad kalaami akhtyar ki Jaye , Jab Dushmano ke Saath ye Maamla hai to Aapas mai Musalmano ko Sakht Kalami aur bad kalaami akhtyar karne ki Kaha'n koi gunzaish ho sakti Hai , 
 
┱ _ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k " Momin taana zani karne Wala aur Laanat bakne Wala aur Fahash baate karne Wala aur be Haya nahi hota _," *( Tirmizi )*

"__ Momin ki Shaan hi Doosri hai , Wo to naram mizaaj ,naram Zubaan, meethe Alfaz Wala hota Hai, inteqaam aur jawab mai Koi lafz nikal Jaye to Wo bhi isi qadar hota Hai Jitna doosre ne kaha hai , Hum Sab isi se sabaq le aur Apni Zubaan per control kar le ,

╨─────────────────────
*┱✿ Laanat Karne Ki Muma'anat-,*

┱ _ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ( ek martaba ) Eid ya Baqreed ke moqe per Eidgaah tashreef le ja rahe they, ( Raaste mai ) Aurto'n per guzar hua ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko Khitaab Kar ke farmaya k- Ey Aurto'n ! Sadqa Karo , Kyunki mujhe Dozakh mai zyada Tadaad Aurto'n hi ki dikhayi gayi Hai ,
Aurto'n ne Sawal Kiya - ye Kis vajah se ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam !
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- isliye k tum Laanat bahut karti ho aur Shohar ki na-Shukri karti ho , ( fir farmaya k ) Maine Aurat se badh Kar kisi ko nahi dekha k Aqal aur Deen Ke aitbaar se naqqis Hote hue Bahut hoshiyar Mard ki Aqal ko khatm Kar de ,

Aurto'n ne arz Kiya k - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Hamare Deen aur Aqal mai Kya nuqsaan hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Kya Tumhe maloom nahi Hai k Aurat ki gawahi Mard ki aadhi gawahi ke barabar hai ?
Arz Kiya - ji Haa'n , esa to hai ,
Farmaya - Ye uski Aqal ki kami ( ki vajah se ) hai ,

Fir farmaya - Kya ye Baat nahi Hai k jab Aurat ko Haiz aata Hai to ( in dino mai Hasbe Hukme Shara'i ) na Namaz padhti hai na Roza rakhti hai ?
Aurto'n ne jawab diya k - Haa'n esa to hai ,
Farmaya - ye uske Deen ka nuqsaan hai _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-13 Ba hawala Bukhari v Muslim ,*

┱_ Hadees Bahut si nasihato per mushtamil hai, Sabki tashreef khoob gor se padhe , Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Avvalan farmaya k Aurto'n Sadqa do , Kyunki Dozakh mai zyadatar Maine Aurto'n ko dekha hai , isse maloom hua k Dozakh mai zyada Tadaad Aurto'n hi ki hogi , Jo insaan ( Mard ya Aurat ) kafir ya mushrik ya Munafiq ya be Deen honge Wo to Hamesha hi Dozakh mai rahenge aur Bahut se Musalman ( Mard v Aurat ) bhi Apni bad A'amaliyo ki vajah se Dozakh mai chale jayenge , Fir Jab Khuda Ta'ala ki marzi hogi inko Waha'n se nikaal Kar Jannat mai dakhil farma denge , Aurto'n ki zyadatar Dozakh mai Jane ki Kai vajah hai'n , Aurto'n Ka Jo aam haal hai , Namazo ko Qaza Karna , Zever ki Zakaat na Dena , aur Bad goyi v bad Zubaani mai laga rehna , ye Sab bade bade Gunaah hai'n, Allah Ta'ala maaf na Kare aur Jin logo ki buraiya'n karti thi Wo maaf na kare to azaab bhugatna padega,

┱ _ Hadees mai Ek Khaas Amal ki targeeb di gayi hai ,Yani Sadqa Karna ,Sadqe ko dozakh se bachane mai bahut dakhal hai ,
Ek Hadees mai farmaya k - Sadqa Kar ke Dozakh se bacho ,Agarche Aadhi Khajoor hi de do _," *( Mishkaat )*

"__ isme Farz Sadqa Yani Zakaat aur nifli Sadqa Yani khair khairaat Sab dakhil ho gaye , in Sabko Dozakh se bachane mai Khaas dakhal hai , Jis qadar ho sake Allah ki Raah mai Maal kharch Karo , Apne Maal mai to poora akhtyar hai aur Shohar ka Maal ho to ijazat le kar kharch Karo ,

┱_ Zyada Tadaad mai Aurto'n Ka Dozakh mai Jane Ka ek Sabab Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye bataya k Laanat Bahut karti hai'n , Yani kosna , Peetna ,bura bhala kehna ,ulti Sidhi baate Zubaan se nikaalna , ye Aurto'n Ka ek Khaas Mashgala hai , Shohar ,Aulaad , Bhai , Behan, Jaanwar ,Chopaya ,Aag ,Paani har Cheez ko kosti rehti hai'n , Use Aag lage , uska naas ho ,Use Maut aaye , Uske keede pade , is tarah ki anginat baate Aurto'n ki Zubaan per Jaari rehti hai'n, isme bad Dua Ke kalmaat bhi Hote hai'n , Gaaliya'n bhi hoti Hai , Ye Baat Allah Ta'ala ko Bahut Na-Pasand hai ,

┱_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Shakhs Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Haazir hua , usne Hawa per Laanat ki , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Hawa per Laanat na Karo Kyunki Allah ki taraf se hukm di Hui Hai, aur Jo Shakhs Kisi esi Cheez per Laanat Kare Jo Laanat ki mustahiq nahi hai to Laanat Usi per ulat jati hai Jisne Laanat ki _," *( Tirmizi )*

┱_ Ek Hadees mai irshad Hai k bila shuba insaan jab kisi Cheez per Laanat karta Hai to Laanat Asmaan ki taraf badh jati hai, Waha'n darwaze band Kar diye Jate hai'n ( ouper ko Jane Ka koi Raasta nahi milta ) fir Zameen ki taraf utaari jati hai, Zameen ke darwaze bhi band Kar diye Jate hai'n  ( koi jagah Esi nahi milti Jaha'n Wo naazil ho ) fir Wo daaye baaye Ka Rukh karti Hai , Jab kisi jagah Koi Raasta nahi pati to fir us Shakhs per laut jati hai Jis per Laanat ki gayi hai , Agar wo Laanat Ka mustahiq tha to us per pad jati hai Varna us Shakhs per aa Kar pad jati hai Jisne moonh se Laanat ke Alfaz nikaale they , " *( Abu Daowd )*

┱ _ Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ki Zubaan se ek moqe per Baaz gulamo ke bare mai Laanat ke Alfaz nikal gaye , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Waha'n se guzar rahe they, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ( Karahat aur tajjub ke andaz mai ) farmaya - Laanat karne wale aur Siddiqeen ( Kya dono jama ho sakte hai'n )  Rabbe Kaaba ki qasam esa Hargiz nahi ho Sakta ( k Koi Shakhs Siddiq bhi ho aur La'anat bhi karne Wala ho ) Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu per is Baat Ka bahut asar hua aur us Roz unhone Apne Baaz gulaam ( bator kaffara ) azaad Kar diye aur baargahe Risalat mai Haazir ho Kar arz Kiya k ab Hargiz esa nahi karunga _," *( Bayhiqi )*

┱_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k bila shuba Laanat karne wale Qayamat ke din kisi ke Haq mai gawaah na ban sakenge aur na shifarish Kar sakega _," *( Sahih Muslim )*

┱_ Dooari Baat Hadees mai ( Dozakh mai dakhil hone Ka  baa'is ) ye batayi gayi Hai k Aurte'n Shohar ki na-Shukri karti hai'n , Ek Doosri Hadees mai is tarah waarid hua hai k -
"_ Agar tum Aurat ke Saath ek arsa daraz Tak Achchha Sulook karte raho fir kabhi kisi moqe per Zara si Koi Baat pesh aa Jaye to ( pichhla Sab Kiya dhara Sab Mitti Kar degi aur ) kahegi Maine Teri jaanib se kabhi koi Bhalaai nahi dekhi hai _," *( Mishkaat , Bukhari v Muslim )*

"__ Dar Haqeeqat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Aurto'n ke mizaaj aur Akhlaaq v Adaat Ka Bahut Sahi pata Diya hai , Aurte'n Amuman isi tarah se Shoharo ke Saath Bartaav karti hai'n ,

┱ _ Iske Baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Aurto'n ki ek aur Aadat Ka tazkira farmaya aur Wo ye k Bahut zyada hoshiyar Mard ko bilkul be waqoof bana Kar rakh deti hai'n , Zid kar ke aur Patti Padha padha Kar Achchhe khaase hoshmand Mard ko buddhu bana deti hai'n ,

┱_ Byaah Shaadi Ke moqe per Aurto'n ne Bahut si Buri rasmo Ka rivaaj daal rakha hai , Jo gair Shara'i hai'n ,in Rasmo ke liye edi choti Ka  zor laga deti hai'n, Mard kesa hi ilm daar aur Deendaar ho uski ek nahi chalne deti , Aakhir Wahi hota Hai Jo ye chahti hai'n ,

┱_ Marne Jeene mai bhi Bahut si Bid'at aur Shirkiya Rasme'n nikaal rakhi hai'n , Unki pabandi Namaz se bhi badh Kar zyada zaroori samjhi jati hai ,Agar Mard samjhaye k ye Shari'at se Saabit nahi inhe Chhod do to ek nahi sunti ,bil aakhir Mard Majboor ho kar un Rasmo mai Kharch karne ko taiyaar ho jata Hai ,

"__ Ye Sab misaale Hadees Ka Matlab waaze karne ke liye likhi gayi hai'n , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka farmana k Deen aur Aqal mai naaqis Hote hue Bahut bade hoshmand Aadmi ko bewaqoof bana deti Hai bilkul Haq hai ,

┱_Hadees ke Aakhir mai hai k jab Aurto'n ne daryaft Kiya k hamare Deen aur Aqal mai Kya kami hai? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Aqal ki kami to isse zaahir hai k Shari'at ne do Aurto'n ki gawahi ek Mard Ke barabar shumaar ki hai, aur Aurat ke Deen Ka nuqsaan ye hai k har Mahine Jo Khaas Ayyaam aate hai'n Unme Namazo se mehroom rehti hai'n aur Unme Roza bhi nahi rakh sakti ,

"__ Shayad koi Aurat Dil mai ye Sawal uthaye k isme hamara Kya qusoor hai ? Khaas Ayyaam ki majboori qudrati hai aur Shari'at ne in dino mai khud hi Namaz Roza se roka hai , is Sawal Ka jawab ye Hai k Majboori Chahe Fitri ho ya tibbi aur Shari'at ne bhi in dino Roza Namaz se roka hai Magar ye Baat bhi to hai k Namaz Roza ki adaygi ki Jo barkaat hai'n Unse mehroomi rehti hai , Fitri majboori ki hi vajah se Shari'at ne in Ayyaam Mai Namaze bilkul maaf Kar di gayi hai Jinki Qaza bhi nahi aur Ramzan ke rozo ki Qaza to hai Magar Ramzan mai Roza na rakhne per koi muwakhza nahi ,ab agar Koi Aurat ye Kahe k Khuda Ta'ala ne ye majboori Kyu lagayi ? To Allah Ta'ala ki Hikmat mai dakhal dena aur uski qudrat v mashiyat per aitraaz Karna Esi hi Baat hai Jese koi Shakhs Hajj per gaya use Hajj Ka Sawab milega Jo na Karega use ye sawab nahi milega, Jiske Paas Hajj karne Ka Paisa nahi hai agar Wo Kahe k Khuda Ta'ala ne mujhe Paisa Kyu nahi diya , Ye uski bewaqoofi hai aur uski Kam Aqal hone ki daleel hai , Allah Ta'ala Ka irshad hai- tum log Esi Cheez ki tamanna mat Karo Jisme Allah Ta'ala ne Baaz ko Baaz per foqiyat di hai , ( Surah Nisa)

╨─────────────────────
*┱✿ Gaali Galoch Se Parhez Karne Ki Sakht Takeed*

┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Aadmi Aapas mai ek doosre ko Gaaliya'n de sabka wabaal usi per hoga Jisne gaali dene mai Pehal ki hai ,Jab Tak k Mazloom zyaadti na Kare _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh- 411 Ba hawala Muslim ,*

┱_ Zubaan ke Gunaaho mai gaali dena Esi Buri Cheez hai Jo Kisi tarah bhi Momin ke Shayane Shaan nahi Hai ,Baaz log isko bada Kamaal samajhte hai'n, Halanki ye Jahalat aur Jahiliyat ki Baat hai aur Sakht gunaah bhi hai ,Aur iski vajah se Aapas mai Talluqaat bhi kharaab Hote hai'n aur Maa'n Baap Tak ko gaali dilwane Ka zariya bhi ban Jate hai'n ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba farmaya k bade bade Gunaaho mai se ek ye bhi hai k Koi Shakhs Apne Maa'n Baap ko gaali de ,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya koi Shakhs Apne Maa'n Baap ko gaali dega ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Haa'n ! Koi kisi Aadmi ke Baap ko gaali dega to Woh ulat kar uske Baap ko gaali dega, aur kisi ki Maa'n ko gaali dega to Woh ulat kar uski Maa'n ko gaali dega _,"

*🗂 Bukhari v Muslim _,"*

"__ Yani khud gaali na di doosre se dilwa di aur iska Sabab ban gaya to wo esa hi hua Jese khud gaali de , Agar Koi kisi ko gaali de de to Achchhi Baat ye Hai k Wo khamosh ho Jaye aur Sabr Kare aur gaali dene Ka wabaal usi per rehne de ,agar jawab diya aur Aage bad gaya to Zaalim ho jayega Halanki pehle Mazloom tha ,

╨─────────────────────
*┱✿ Kisi Musalman Ko Faasiq Ya Kaafir Ya Allah Ka Dushman Kehne Ka Wabaal*

┱ _ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Kisi Aadmi ko Kaafir Keh kar pukaara ya Yu'n kaha k Ey Allah ke Dushman aur Woh esa nahi hai to ye Kalma usi per lot Jata hai Jisne esa kaha _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-411 Ba hawala Bukhari v Muslim ,*

┱_ Ek Doosri Rivayat mai Hai k Jo Shakhs Kisi ko Faasiq ya Kaafir Keh de aur Wo esa nahi hai to ye Baat Usi per lot aati Hai Jisne Zubaan se nikaali , *( Bukhari )*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne muma'anat Ka Ajeeb tarz akhtyar farmaya, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k jab kisi Musalman ko Kaafir ya Allah ka Dushman kaha aur wo Haqeeqat mai esa nahi hai to jisne kaha uski Baat us per lot aayegi , Bahut se Mard aur Aurte'n Gusse mai Aapas mai ek doosre ko Kaafir ya Allah ka Dushman Keh dete hai'n, iska wabaal Bahut Sakht hai , Baat Wahi hai k Zubaan per har Shakhs ko control karne ki zarurat Hai, Zara Zara si Baat per Kya se kya ho jata Hai aur insaan love iska dhyan bhi nahi hota ,Ye Baat khoob zahan mai rakhne ki hai ,
 
╨─────────────────────
*┱✿ Chugli Khaane Walo Ka Azaab aur Wabaal*

┱ _ Hazrat Asma binte Yazeed Raziyallahu Anha se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - bila shuba Allah ke Achchhe Bande Woh hai'n K jab unhe dekha Jaye to Allah Yaad aa jaye , aur Allah ke Bure Bande Woh hai'n Jo Chugli le kar chalte firte rehte hai'n ( aur Chugli ki vajah se ) Muhabbat karne walo mai Judaai karne wale Hote hai'n ( aur ) Jo log Buraai se bezaar hai'n Unke liye fasaad ki talash mai rehte Hai'n _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh - 415 Ba hawala Ahmad v Bayhiqi ,*

┱_ Is Hadees Mubarak  mai Chugli ki mazammat farmayi aur Jo log Chugli karte firte hai'n Unko Bure insaano mai shumaar farmaya k ye log Muhabbat karne walo mai Judaai paida karne Ka Samaan paida karte hai'n aur Jo log Shar aur fasaad se bari hai'n Unke fasaad aur barbaadi Ka zariya bante Hai'n ,

┱_ Ek martaba Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka do Qabro per guzar hua ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k bila shuba in dono ko azaab ho raha Hai aur kisi badi Cheez ke bare mai azaab nahi Hai ( k Jiske chhodne mai koi mushkil uthani pade Agarche gunaah mai Wo badi cheez hai )

iske baad farmaya k in me se ek Peshaab karte Waqt Parda nahi karta tha aur Rivayat mai Hai k peshab se nahi bachta tha , Aur Doosra Shakhs chugli le kar chalta Tha_" ( Yani Chugli karta firta tha )

*🗂 Mishkaatul Masabeh- 42 ,*

*"__ is Hadees Ke peshe Nazar Ulma ne bataya Hai k peshab se na bachna ( Yani istinja na Karna ) aur Badan per Peshaab ke chheente aane se na bachna aur Peshaab ke Waqt Parda na Karna aur Chugli khana Azaabe Qabr lane Ka bahut bada Sabab Hai ,*

╨─────────────────────
*┱✿ Majlis Ki Baate Amanat Hoti Hai'n*

┱ _ Jab kisi Majlis mai mojood ho Chahe ek do Aadmi hi Kyu na ho Waha'n agar kisi ki Geebat ho rahi ho to Mana Kar de aur na rok sake to waha'n se uth Jaye aur Majlis mai Jo baate ho unko Majlis se bahar kisi jagah Naqal na Kare ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai k Majlise Amanat ke Saath hai'n ( Majlis mai Jo baate Kaan mai pade usko idhar udhar Naqal Karna Amanat daari ke khilaf hai ) Haa'n agar kisi Majlis mai kisi Jaan ko qatl karne Ka Mashwara hua ho ya zinakaari Ka Mashwara hua ho ya kisi Ka nahaq Maal lene Ka Mashwara hua ho to ye Baat naqal kar de _,"

*🗂 Abu Daowd _,*

┱_ Baaz Mardo aur Aurto'n ki ye aadat hoti hai k Jin do shakhso mai ya do khandaano mai ya do Jama'ato mai Aapas mai an ban ho Unke Saath Milne julne Ka esa Tor Tareeqa akhtyar karte hai'n k Unke hamdard bante Hai'n , aur zaahir karte hai'n k tum Sahi Raah per ho aur hum tumhari taraf hai'n , Aur Unki Raaz ki baate maloom Kar ke doosre Fareeq Tak pahunchate hai'n Jisse dono Fareeq ke darmiyan aur zyada Ladaai ke shole bhadak uthte hai'n ,

"_' Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k qayamat ke din logo mai Sabse Zyada badtareen Aadmi usko paoge Jo ( Duniya mai ) do Chehre Wala ho ,un logo ke paas ek moonh se aata hai aur un logo ke paas Doosra moonh le kar Jata hai , *( Bukhari v Muslim )*

Behno aur Bhaiyo'n Esi harkato se bacho ,Jin logo mai Ranjish ho unse Milne Mai to koi harj nahi Lekin har Fareeq ko uski Galti samjhao aur dono mai mel jol ki koshish Karo , idhar ki Baat udhar pahuncha Kar Ladaai Ka zariya na bano aur Allah se daro Jo Aleem hai ,
 
╨─────────────────────
*┱✿ Geebat Kya Hai ?*

┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ( Ek martaba Sahaba Raziyallahu Anhum se )  irshad farmaya :- Kya tum Jaante ho , Geebat Kya Hai ?
Arz Kiya- Allah aur Uske Rasool hi Sabse Zyada Jaante hai'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- ( Geebat ye Hai k tu ) Apne Bhai ko is Tareeqe se Yaad Kare Jo use bura lage ,
Is per Ek Sahab ne arz Kiya k Agar wo Baat mere Bhai mai mojood hi ho Jo Mai'n Bayan kar raha hu'n ( To iska Kya hukm Hai ?)
Is per Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Agar tune Bhai Ka Woh Ayb Bayan kar diya Jo ( usme hai ) tab to tune uski Geebat ki aur agar tune uske bare mai Wo Baat Kahi Jo usme nahi Hai to tune use Bohtaan Lagaya _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-412 Ba hawala Muslim,*

┱_ Hadees Paak se maloom hua k Geebat ye Hai k kisi Ka zikr is tarah Kiya Jaye k use nagwaar guzre , isse un logo ki Galti bhi maloom ho gayi Jo Kisi ki Buraai karte hue ye kehte hai'n k Humne Galat to nahi Kaha Jo kuchh kaha hai Sach kaha hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo koi Buraai ya ayb kisi ke andar mojood ho fir usko Bayan karoge to Geebat hogi aur agar uske andar Wo kharabi aur ayb v Buraai nahi hai to ye Bohtaan hoga Jo Geebat se bhi zyada Sakht hai ,

┱_ Baaz Jaahil kehte hai'n k Mai'n Uske moonh per Keh dunga , Maine uske moonh per kaha hai peeth pichhe Geebat nahi ki hai , Ye Daleel Shaitaan ne samjhayi hai , isse Geebat Karna Jaa'iz nahi ho jata ,

╨─────────────────────
*┱✿ Kya Kya Cheez Geebat Hai ?*

┱ _ Ulma Kiraam ne farmaya k kisi ke gunaah Ka zikr Karna , Kapde mai ayb batana , Nasab mai Kami nikaalna , Bure Alqaab se Yaad Karna , Uski Aulaad ko Kaala be dhanga batana aur Har Wo Cheez Jisse Dil dukhta ho , is sabka Karna Haraam Hai aur Geebat mai dakhil hai ,

┱_ Aurto'n mai ye bada marz Hai k Baat Baat mai Naam dharti hai'n aur Taan tashnee karti hai'n, Jaha'n do Chaar mil Kar bethi k Ayb lagane Shuru Kar diye ,Fala Esi hai Fala Wesi hai , Fala kaali hai , Fala bedhangi hai , Fala ko tameez nahi ,Na khaana Pakana aata Hai Na Kapda seena jaanti hai na kaatna , Bas Make up karne ke Siva kuchh nahi aata , vagera vagera ye Sab baate sarasar Geebat hai'n ,

╨─────────────────────
*┱✿ Geebat Zina Se Zyada Sakht hai*

┱ _ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Geebat Zina Se Zyada Sakht ( gunaah v Vabaal ki Cheez ) hai ,

Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz Kiya - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Geebat Zina Se Zyada Sakht kese hai ?

Irshad farmaya - Zaani Tauba karta Hai Khuda uski Tauba qubool Kar leta Hai , aur Usko Bakhsh deta Hai , Aur Geebat ( karne )  wale ki us Waqt Tak Bakhshish nahi hogi Jab Tak Wo Shakhs khud maaf na Kar de Jiski Geebat ki hai _,"

*🗂 Mishkaat Sharif _,*

╨─────────────────────
*┱✿ Geebat Karna Murde Ka Gosht Khane Ke barabar hai-*

┱ _ Qur'an E Kareem mai irahad hai :-

*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اجْتَنِبُوا كَثِيرًا مِّنَ الظَّنِّ إِنَّ بَعْضَ الظَّنِّ إِثْمٌ وَلَا تَجَسَّسُوا وَلَا يَغْتَب بَّعْضُكُم بَعْضًا أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَن يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ رَّحِيمٌ _,*

*(_ Surah Al-Hujraat, Aayat 12_,)*

"__ Ey imaan Walo ! Bahut se gumaano se bacha Karo k baaze gumaan gunaah Hote hai'n aur suraag mat Lagaya Karo aur Koi kisi ki Geebat bhi na kiya Kare , Kya tumme se koi is baat ko pasand Karta Hai k Apne mare hue Bhai Ka gosht khaye so usko tum nagawaar samajhte ho aur Allah se darte raho , Beshak Allah Tauba qubool karne Wala Meharban hai _,"

┱_Gor farmaiye Geebat karne ko Apne Murda Bhai Ka Gosht Khane Ke barabar qaraar diya Hai, Pas Jisne Kisi ki Geebat ki to ye esa hi hai Jese Maut ke Baad uska gosht khaya ,Matlab ye hai k Jis tarah Murda Bhai Ka Gosht Khane se tab'an Nafrat hai ,esa hi usko Geebat se Sakht Nafrat honi chahiye ,

┱_ Ahya e Uloom mai Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Naqal Kiya hai k Jisne ( Geebat Kar ke ) Duniya mai Apne Bhai Ka gosht khaya Akhirat mai uska ( Jism Wala gosht ) Geebat karne wale ke qareeb laya jayega aur kaha jayega k isko Khaa le , is haalat mai k Wo murda hai Jesa k tune iska Zindgi ki haalat mai gosht khaya tha , iske baad Wo us gosht ko khayega aur cheekhta jayega aur Apna moonh bigaadta jayega _,"

*🗂 Kazafil Tafseer ibne Kaseer ,*

┱ _ Hazrat Ubaid Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Do Aurto'n ne Roza rakha tha ,Ek Shakhs aaya aur arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Yaha'n do Aurte'n hai'n Jinhone Roza rakha hai aur qareeb hai k Woh Pyaas se mar Jaye ,

Ye sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Khamoshi akhtyar farmayi , Wo Shakhs Dopahar ke Waqt fir aaya aur arz Kiya- Ya Nabiyallaah ! Allah ki qasam woh Mar chuki hai'n ya Marne ke qareeb hai'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- un dono ko bulaao , Chunache dono haazir ho gayi aur Ek pyala laya gaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unme se ek Aurat se farmaya - Kay Kar , Chunache usne Kay ki , To peep aur Khoon ya gosht ke tukde nikle Jisse aadha Pyaala bhar gaya ,

Fir Doosri Aurat ko Kay karne Ka hukm farmaya, Chunache usne bhi peep aur Khoon aur adh kachre gosht vagera ki Kay ki , yaha'n Tak k poora Pyaala bhar gaya ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k in dono ne Halaal cheezo ko tark Kar ke Roza rakh liya ,Aur Jo cheeze Allah Ta'ala ne Haraam farmayi thi Unke chhodne Ka Roza na rakha ,( balki usme mashgool rahi ) ,Unme se ek Doosri ke paas bethi aur dono logo ke gosht khaati rahi , ( Yani Geebat karti rahi ) ,

*🗂 Bayhiqi v Majmauz Zawa'id, 3/171 ,*

┱_ Hazrat Ma'az Aslami Raziyallahu Anhu ek Sahabi they ,Unse ek martaba gunaah ( Yani Zina ) saadir ho gaya , Unhone baargahe Risalat mai aa kar Chaar martaba Apne gunaah Ka iqraar kiya ,Har baar Aap Sallallahu Alaihivasallam Unki taraf se be tavajjohi baratte rahe Lekin Woh barabar iqraar karte rahe , Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k is Baat ke kehne se Tumhara Kya maqsad hai ? Unhone arz Kiya k Aap Sallallahu Alaihivasallam mujhe Paak farma dijiye , is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko sangsaar karne Ka ( Yani pattharo se maarne Ka ) hukm diya , Chunache unko sangsaar Kar diya gaya ,

Uske baad Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba mai se do Aadmiyo ki ye Baat suni k Ek doosre se keh raha hai k isko dekho ! Allah ne iski Parda Poshi ki ,fir iske Nafs ne isko nahi chhoda , Yaha'n Tak k ( isne khud hi aa Kar gunaah Ka izhaar aur iqraar kiya aur ) usko sangsaar Kar diya gaya ,Jese Kutte ko sangsaar kiya Jata hai ,

Uski ye Baat sun Kar us Waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Khamoshi akhtyar farmayi ,Fir thodi der chalte rahe , Yaha'n Tak k Ek murda ghadhe per guzar hua Jiski taang ouper ko uthi Hui thi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne un dono shakhso ko bulaya ( Jinhone Mazkoora kalmaat Kahe they ) aur farmaya k Fala Fala Kaha'n hai'n ? Un dono ne arz Kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam hum haazir hai'n , Farmaya tum dono utro aur is Murda Gadhe ki laash mai se Khaao , un dono ne kaha Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Isme se Kon khayega ?

Wo jo Tumne abhi Apne Bhai ki be aabrooyi ki ( Yani Geebat ki aur bura kaha ) Wo iske Khane se bhi zyada Sakht hai , Qasam us zaat ki Jiske Qabze mai Meri Jaan hai bila shuba ye Shakhs ( Yani Hazrat Ma'az Raziyallahu Anhu Apni Sachchi Tauba aur Nadamat ki vajah se ) Jannat ki Nehro mai gote laga raha hai ,

*🗂 Sunan Abu Daowd _,*

╨─────────────────────
*┱✿ Geebat Ka Sunna bhi Haraam Hai,*

┱ _ Geebat Bahut Buri bala Hai ,Jis tarah Geebat Karna Mana hai ,Geebat Ka Sunna bhi Mana hai aur Akhirat mai iska wabaal bhi Bahut bada hai , Baaz Mardo'n aur Aurto'n ko dekha gaya hai k Geebat Karna aur Sunna unki aadat ban jati hai ,Kisi ki Geebat kare ya sune bager Unki roti hazam nahi hoti ,

┱_ Geebat karne ya Sunne mai Jo Nafs ko maza aata hai us maze Ka Nateeja Jo Akhirat mai Ba Soorate Azaab zaahir hoga , us Waqt Nafs ki is lazzat Ka khumaar bhugatna padega Jo Bahut bura hoga ,Jis tarah kisi Ka Maali Haq yani Rupiya Paisa daba lene ya qabza Kar lene se  Maidane Qayamat mai Nekiyo'n aur Gunaaho se Len den hoga , Usi Tarah Jisne Kisi ki Geebat ki hogi ya Geebat suni hogi ya kisi bhi tarah se kisi ki be aabrooyi ki hogi ,beja maar peet ki hogi ,gaali di hogi ya tohmat lagayi hogi ,in soorto mai bhi Neki aur buraiyo'n se Len den hoga ,

Jiski Soorat ye hogi k Jiska Haq dabaya hoga ya kisi bhi tarah be aabrooyi ki hogi to jisne Esi harkat ki hogi usko Zaalim qaraar diya jayega aur Jiska Paisa ya Koi Haq dabaya ya Geebat ki ho ya kisi bhi tarah se be aabrooyi ki to uske badle mai Zaalim ki Nekiya'n Mazloom ko dilayi jayengi ,  Agar Nekiyo'n se poora na pada to Mazloom ki buraiya'n Yani Gunaah le kar Zaalim ke sar daal diye jayenge ,Fir use Dozakh mai daal diya jayega ,

*🗂 Makhooz- Mishkaatul Masabeh- 12, 435_,*

┱_ Samajhdaar Bande Wohi hai'n Jo Apni Zubaan per Qaabu rakhte hue Teri Meri Burayi mai nahi padte , na Geebat karte hai'n na sunte hai'n , Bahut se logo ko dekha gaya hai k khoob zyada zikro tilawat mai mashgool rehte hai'n Lekin Chunki geebato aur tohmato se bachne Ka ahatmaam nahi karte isliye Apni Saari Nekiyo'n ko Apne Haq mai Mitti Kar dete hai'n, Jinke Haq dabaye ya geebate ki ya geebate suni ye bhaari bojhal Nekiya'n unko de di jayengi aur Unke gunaah Apne sar per uthaye honge aur Hairaan khade reh jayenge ,Fir Dozakh Ka Azaab bhugatna padega , ( Allah hum sabki hifazat farmaye ,Aameen )
                 
╨─────────────────────
*┱✿ Jo Geebat Ki hai Ya Suni hai ,Is Duniya mai Maafi Maang Kar Usse Subuk dosh Ho Jaye*

┱ _ Har Musalman per Laazim hai k Aa'inda ke liye Geebat karne,Geebat Sunne ,Tohmat lagane ,Gaali dene ,Kisi ki Naqal utaarne , kisi Ka Mazaaq banane se Apne Aapko bacha le , Aur Jin logo ke huqooq dabaye hai'n ya geebate ki hai'n ya Suni hai'n ya kisi ke Haq mai kisi bhi tarah se aage ya pichhe koi kalaam esa kaha hai Jo nagawaari Ka baa'is ho to un Sab se maafi Maange ,

┱_ Agar mulaqaat hone ki Soorat na ho to Khat ( ya msg )  ke zariye maafi Talab Kare , Agar Koi Shakhs Mar gaya to Maali Haq uske Waariso ko de de aur Doosri cheezo ki maafi ke waaste Marne wale ke liye itni zyada Duae'n magfirat kare Jisse Yaqeen ho Jaye k uski Jo Geebat ya Buraai ki thi ,Ya Geebat suni thi ya tohmat lagayi thi uski talaafi ho gayi ,

┱_ Baaz Ulma ne yu'n likha hai k Jiski Geebat ki ya suni agar use pata chal gaya ho to usse maafi Maang le aur agar use pata na Chala ho to use bataye bager uske liye is qadar Duae'n magfirat kare k Geebat vagera ki poori tarah se talaafi ho Jaye ,

╨─────────────────────
*┱✿ Kisi Jagah Geebat hone Lage To Difa Kare ,Varna Uth Jaye ,*

┱ _ Hamare ek ustaad Geebat se bachne Ka is qadar ahatmaam farmate they k kisi Ka Achchha tazkira bhi Apni Majlis mai nahi hone dete they , Wo farmate they k Aaj Kal kisi ki Tareef ke kalmaat kehna bhi mushkil hai , Agar koi Shakhs Kisi ke Haq mai Achchhe kalmaat kehna Shuru kare to foran hi Doosra Shakhs uski Buraai Shuru kar deta Hai ,Fir Sab haazireen Geebat Sunne mai mubtila ho Jate hai'n ,

┱_ Agar kisi moqe per kisi ki Geebat hone lage to Logo ko chahiye k usko Roke , aur Jiski Geebat ho rahi ho uski tarafdaari Kare , Agar esa karne ki qudrat ya himmat na ho to Dil se bura samjhte hue Waha'n se uth Jaye , Uthna to Apne akhtyar mai hai , Dozakh ki aag Ka tasavvur Kare to har gunaah chhodna Asaan Hai ,

┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jiske Paas uske Musalman Bhai ki Geebat ki gayi aur Woh uski Madad karne ki qudrat rakhte hue madad kar deta Hai ( Yani uski himayat karta Hai aur uski taraf se Difa karta Hai aur Geebat karne wale ko rok deta hai ) to Allah Ta'ala Duniya aur Akhirat mai uski Madad Farmayega ,

Aur agar qudrat Hote hue uski madad na ki to Allah Ta'ala Duniya aur Akhirat mai uski giraft farmayega_ , "

*🗂 Mishkaatul Masabeh-,*

╨─────────────────────
*┱✿ Taambe Ke Nakhoon se Chehro aur Seeno Ko chheelne wale*

┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jab mere Rab ne mujhe Ma'araaj karayi to Mai'n Esi qaum per guzra Jiske Taambe ke Nakhoon they , Woh unse Apne chehro aur Seeno ko chheel rahe they, Maine poochha k Ey Jibraiyl Alaihissalam ! Ye Kon log hai'n ? Unhone jawab diya k ye Woh log hai'n Jo logo Ka gosht Khaate hai'n ( Yani Geebat karte hai'n ) aur logo ki Aabroo rezi karte hai'n _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-*

┱_ Bahut se Mard aur Aurat Majlis walo ko hasaane ke liye kisi haazir ya Gaa'ib ki Geebat karte hai'n, Ya maskharapan karte hai'n , Mazaaq udaate hai'n ya Naqal utaarte hai'n , Us Waqt to Zara si der ki hansi mai Nafs ko Zara maza aa Jata hai lekin jab iski saza milegi to is maze Ka pata chalega ,

┱_ Farmaya Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne k beshak Banda kabhi koi esa Kalma Keh deta Hai Jisse logo ko Sirf hansaana maqsood hota Hai is Kalme ki vajah se itna zyada gehraa'i mai girta Chala Jata hai k uski gehraa'i Ka faasla usse bhi zyada hota Hai Jitna faasla Aasmano v Zameen ke darmiyan mai hai _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-,*

╨─────────────────────
*┱✿ Kisi Ko Tohmat Lagane Ka Azaab _*

┱ _ Hazrat Ma'az bin Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- Jisne Kisi Momin ko Munafiq se bachaya ( Yani Geebat karne wale ki tardeed ki aur Jiski Geebat ho rahi ho uski himayat ki ) to Allah Ta'ala Qayamat ke Din ek Farishta bhejenge ,Jo himayat karne wale ke gosht ko dozakh ki aag se bachayega , ( Yani ya to use Dozakh mai dakhil na hone dega aur agar Wo dakhil ho gaya to use azaab na hone dega )

Aur Jis Kisi ne Kisi Musalman ki tohmat laga di Allah Ta'ala usko Dozakh ke pul per thehraye rakhega , Yaha'n Tak k wo Apni Kahi Hui Baat se ( Saaf suthra ) ho Kar nikal Jaye ,

*🗂 Mishkaatul Masabeh- 424 Ba hawala Abu Daowd,*

┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- Halaak karne wali Saat cheezo se ( Khaas Khususiyat aur ahatmaam se ) bacho ,
Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya k Wo Saat cheeze Kya Hai ?

Farmaya - (1) Allah ke Saath Shirk karna ,(2) Jaadu Karna , (3) Us Jaan ko qatl karna Jiska qatl Allah ne Haraam farma diya Magar ye k Haq ke Saath ho , (4) Sood khana ,(5) Yateem Ka Maal khana ,(6) Maidane Jihaad se pusht fair kar bhaag Jana ,(7) Paak Baaz Momin Aurto'n ko tohmat lagana ( Jo buraiyo'n se ) gaafil hai'n ,

*🗂 Bukhari v Muslim _,*

╨─────────────────────
*┱✿ Naqal Utaarne Per Tambeeh _*

┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ka Bayan hai k Maine ( ek martaba kisi moqe per ) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se arz Kar Diya k Safiya bas itni si hai ( Yani Unke husn vagera ki koi mazeed khaami batane ki zarurat nahi hai Pasta qad hona hi Kaafi hai ) ,
Ye sun Kar Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Tune esa Kalma kaha hai Agar use Samundar mai Mila Diya Jaye to Samundar ko bhi bigaad daale ,

Ye Waqi'a Bata Kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Maine ek martaba Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke saamne ek Aadmi ki Naqal utaari , Us per Sayyadul Mursaleen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Mujhe ye pasand nahi Hai k Kisi Shakhs ki Naqal utaaru agarche mujhe karne per ( Duniya ki ) itni itni Daulat mil Jaye _,"

*🗂 Sunan Abu Daowd- 2/ 312 _,*

┱_ Hadees se maloom hua k Kisi ki qado qaamat,haath Paanv ,Naak Kaan vagera ko aybdaar batana Agarche waqa'i Aybdaar ho aur kisi ki Baat ya chaal dhaal ki Naqal gunaah hai aur Sakht mana hai , Aam Tor per kisi ke haklane ya Langda kar chalne ya tutlane ya Nazar ghumane ki Naqal utaari jati hai aur use koi harj nahi samjha Jata Jiski vajah se Sakht gunahgaar Hote hai'n, Chunki ye Baat Huququl ibaad se hai isliye jab Tak Bande se maafi na maangi Jaye ( Jiski Naqal utaari ) Tauba se bhi maaf nahi hoga ,

╨─────────────────────
*┱✿ Bando Ki Tareef Karne Ke Ahkaam_,*

┱ _ Hazrat Abu Bakarh Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke saamne ek Shakhs ne doosre Shakhs ki Tareef Kar di , is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne nagawaari Ka izhaar farmate hue Teen baar irshad farmaya- Tere Liye Halaakat hai tune Apne Bhai ki gardan kaat di ,

( Fir farmaya ) k Jisko kisi ki Tareef karni ho to Yu'n Kahe k Mai'n Fala ko esa samajhta hu'n aur Allah iska hisaab lene wala hai'n aur ye bhi us Waqt hai Jabki usko waqa'itan esa samajhta ho , ( fir farmaya ) aur Allah ke zimme rakh Kar kisi Ka tazkiya na Kare _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh- Ba Hawala 412 Bukhari v Muslim,*

┱_ Kisi ki Tareef mai Kuchh kehna ho to uske saamne na Kahe Kyunki Andesha hai k uske Dil mai khud Pasandi aur badaai aa Jaye , aur Jhooti Tareef to gunaahe azeem hai , Fir Doosri tambeeh ye farmayi hai k agar Tareef Karni hai ( usme aage pichhe Ka Koi Farq nahi ) to Yu'n Kahe k Mai'n to Fala ko esa samajhta hu'n aur Sahi soorate haal to Allah ko maloom hai ,Wohi iska hisaab lene wala hai ,

┱_ Banda Sirf zaahir ko Jaanta hai aur Poore kalamaat Zaahiri ho ya baatini in Sabko Allah Ta'ala hi Jaanta hai aur Akhirat mai har Shakhs kis haal mai hoga uski bhi Allah Ta'ala hi Jaanta hai , Lihaza Yaqeen ke Saath kisi ko ye kehna k Wo esa esa hai usme poore Halaat se waaqif hone Ka daava hai , Jab Allah ki taraf se uske bare mai Koi khabar nahi di gayi to Pukhta Yaqeen aur jazm ke Saath ye Keh dena k esa esa hai Goya Allah ke zimme ye Baat laga dena hai k Allah ke nazdeek bhi ye Shakhs esa hi hai Jesa Mai Bata raha hu'n, isi ko farmaya k Allah ke zimme rakh Kar kisi Ka tazkiya na kare ,

╨─────────────────────
*┱✿ Faasiq aur Kaafir Ki Tareef _*

┱ _ ( Pichhle Part mai ) Ye Jo kuchh Bayan hua Achchhe Bando ki Tareef aur sachche Bando ki Tareef mai Bayan hua aur Jhooti Tareef aur Faasiq v Kaafir ki Tareef ki to islam mai koi gunzaish hi nahi Hai ,

┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k jab Faasiq ki tareef ki jati hai to Parwardigaare Aalam Jal mujaddahu Gussa Hote hai'n aur Allah ka arsh harkat karne lagta hai , *( Bayhiqi )*

"__ Arsh Ka harkat Karna Allah Ta'ala ki haybat v azmat ki vajah se hai Jisse Allah Ta'ala naraaz hai , uski tareef Karna ek Bahut Buri Cheez Hai Jiske saamne Allah ki azmat nahi hoti Wohi un logo ki tareef karta Hai Jisse Allah Ta'ala naraaz hai'n Arshe ilaahi ko ye tareef nagawaar hai ,isliye Woh Hurmat mai aa Jata hai ,

┱_ Faasiq v Kaafir ki tareef Bahut bada aur Bahut purana marz Hai, Shayaro Ka Kaam hi ye hai k Asmaan v Zameen ke muqable milaya Kare aur Jhooti tareefe Kar ke roti haasil kare aur Siyasat mai bhi yahi hota Hai k Jisko Leader bana liya Chahe Bahut bura Faasiq ho ya Kaafir ho uski tareef ko Farz Ka darja dete hai'n ,

"_Avval to har Musalman per Laazim hai k Wo Allah ke Saleh Bando ko Apna Muqaddas ( Leader ) banaye aur Unke Saath chale aur Unki nigrani karta rahe k Shari'at ke mutabiq kaha Tak chal rahe Hai'n , Kaafiro fasiqo ko Muqaddas ( leader ) banana hi gunaah hai to Unki tareef Karna to aur zyada gunahgaari ki Baat hai , Election ke moqe per ye Aam Baat ho gayi , 

╨─────────────────────
*┱✿ Jhooti Qasam aur Jhooti Gawahi Ka Wabaal*

┱ _ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k bade gunaah ye hai'n k (1) Allah ke Saath Shirk karna (2) Maa'n Baap ko sataana ( 3) Kisi Jaan ko qatl karna aur (4) Jhooti Qasam khana _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-17 Ba hawala Bukhari,*

┱_ Farmaya Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne k Jis kisi Shakhs ne Allah ki qasam khayi aur usme Machchhar ke par ke barabar ( Zara si Baat bhi Galat ) dakhil kar di to ye qasam uske Dil mai Ek Syaah dhabba ban jayegi Jo qayamat Tak rahega _,"

*🗂 Tirmizi _,"*
 
╨─────────────────────
*┱✿ Jhooti Qasam ke Zariye Maal Haasil Karne Ki Saza- _*

┱ _ Ek Hadees mai Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis kisi ne Jhooti Qasam ke Zariye koi Maal Haasil Kar liya , Woh Allah se is haal mai mulaqaat Karega k Kodi hoga _,"

*🗂 Abu Daowd Sharif _,*

┱_ Hazrat Abdullah bin Sabal Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k bila Shuba taajir log faajir hai'n ( Yani bade gunahgaar hai'n )
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya Allah ne khareed farokht ko Halaal qaraar nahi diya ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Haa'n Halaal to hai lekin Taajir Log qasam Khaate hai'n gunahgaar Hote hai'n aur baate karte hai'n aur Jhoot bolte hai'n _,"

*🗂 Ravaah Ahmad ( Sahih Sanad )_,*

"__Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Qasam Sauda to bikwa deti hai ( aur ) Kamaa'i ki barkat ko khatm Kar deti hai _," *( Bukhari v Muslim v Abu Daowd )*

┱_ Hazrat Haaris Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko do Jamro ( Hajj ke moqe per Jaha'n Kankariya'n maari jati hai Jamraat Kehte hai'n ) ke darmiyan ye farmate hue maine Suna k jis kisi ne Apne Bhai Ka Maal Jhooti Qasam ke Zariye haasil Kar liya Woh Apna thikana Dozakh mai bana le , iske baad do ya teen martaba farmaya Jo haazir hai'n Gaa'ibeen ko pahuncha de _,"

*🗂 Ravaah Ahmad v Haakim Kamafil Targeeb ,*

"__ Ek Rivayat mai Hai k Jhooti Qasam Aabadiyo'n ko Khandhar bana Kar chhod deti hai , *( Targeeb )*

┱ _ Jis Tarah Apna Maal bechne ke liye ya kisi Ka koi haq maarne Ke Liye Jhooti Qasam khana Haraam Hai, isi tarah kisi doosre ko kisi Ka Maal nahaq dilane ke liye ya muqadme mai jitane ke liye Jhooti Gawahi Dena Haraam Hai , Bahut se log kisi ki Dosti mai ya Rishtedari ke Talluq ki vajah se Jhooti Gawahi de dete hai'n, Jhooti Gawahi khud bada gunaah hai fir iske Saath Haakim ( Judge ) qasam bhi khilwata hai , Isliye gunaah do guna ho jata Hai aur Haraam per Haraam hota Chala Jata hai,

┱_ Tajjub hai log Duniya ke Talluqaat aur Rishtedari ko dekhte hai'n aur Akhirat ke azaab ki taraf dhyan nahi dete , Bahut se logo ne to Jhooti Gawahi ko dhandha hi bana rakha hai , Police Vakeel se mile Hote hai'n aur Rozana Court Kachehri mai Jhooti Gawahi dete hai'n aur Haraam kamate hai'n ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam  ek martaba Fajar ki Namaz padh kar khade hue aur irshad farmaya- Jhooti Gawahi Allah ke Saath Shirk karne ke barabar qaraar di gayi hai , isko teen baar farmaya , fir ye Aayat Tilawat farmayi ( Jiska Tarjuma hai ) " So bachte raho Buto ki Bandgi se aur bachte raho Jhooti Baat se _,"

*🗂 Mishkaat-328 _,*

"__ Gairullah ki qasam khana shirk hai Agarche Sachchi qasam khaayi , Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Allah ke alawa Kisi ki qasam khayi usne Shirk kiya _," *( Tirmizi )*

*Bahut si Aurte'n ,Mard Allah ki qasam kha Jate hai'n aur ye bhi kehte rehte hai'n , Teri qasam ,Tere sar ki qasam , Dhan Daulat ki qasam ,Doodh ki qasam , Maa'n Baap ki qasam ye Sab shirk hai ,Avval to jaha Tak Mumkin ho Qasam khana hi nahi Chahiye,agar kisi moqe per qasam khani hi pad Jaye to Sirf Allah ki qasam khaye ,*

╨─────────────────────
*┱✿ Gaana Gaane Ki Mazammat aur Hurmat_*

┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Albatta insaan Ka Baatin ( Pet vagera ) Peep se bhar Jaye Jisse uske madah vagera ko kharaab Kar ke rakh de to ye isse behtar hai k Uska Baatin Sha'aro se bhar Jaye _,"

┱_ Hadees mai Sha'ar ( Shayri ) padhne ki mazammat farmayi hai aur Tozih iski ye hai k Ash'aar ma'ani ke aitbaar se Achchhe bhi Hote hai'n aur Bure bhi Hote hai'n , Bure Sha'ar padhne ki ijazat nahi Hai ,Jin Sha'aro mai Jhoot ho ,Jhooti Tareef ho ,Kisi ki mazammat ya Geebat ho ,Jahalat v Jaahiliyat ki himayat ho , Kufr aur Shirk ke Mazameen ho , Ese Ash'aar Kehne ,Padhne ,Likhne ,Sunne mai Gunaah hona zaahir hai ,Aur Amuman ese Ash'aar se Nafs ko maza aata Hai , Fir uske Saath Saaz ,Sarangi Baaja gaaja ( Music ) ho to gunaah aur Doguna ho jata Hai ,

"__ Aur Jo Ash'aar Achchhe ho ,Unko padhna Zubaan per Laana Durust hai lekin Saaz baaje gaaje Tabla Sarangi ,Harmonium ,Algoje ,Dhol ( Kisi bhi tarah Ka Music ) ke Saath unka padhna bhi Gunaah hai ,aur Agar ye cheeze na ho tab bhi Aurto'n ko Buland Awaaz se padhna Durust nahi Hai , Na-Mahram ko naram lahja wali ya Gaane ke tarz wali awaaz sunana Mana hai ,

┱_ Aurto'n mai Rivaaj hai k Mangni ,Shaadi ,Ya Bachche ki Paidaish  vagera Khushi ke moqo per gaati bajati hai'n , aur Na Mahram ko awaaz bhi Jaati Hai ,Ye Kisi bhi tarah Durust nahi hai , Afsos ki Baat hai k Schoolo aur collego mai Music ke liye mustakil Waqt diya Jane laga hai aur Gaana Bajana balki Naachna bhi seekha aur sikhaya Jane laga hai  aur Fir Ladkiya'n Stago per Dance Ka muzahira bhi karti Hai , aur is behoodgi ko culture aur fun ,Art ,Shok ka naam diya jata hai ,

"_Allahu Akbar ! Nabi Paak Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ki Aurte'n aur Jahiliyat ki harkate , fir ouper se Sharafat Ka daava ,Ahle Deen aur Ahle faham gor Kar le k in Halaat mai Rahmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam to ye farmaye k mere Rab ne mujhe Gaane baaje ki cheeze mitaane ka hukm Diya hai ,( Mishkaat ) aur Hum nalayaq Ummati Gaane bajane ko aur Aalaate music ko Zindgi Ka Juzv bana le ,Ye Kaha'n Tak zeba deta Hai ,Imaan ke daavedaar Zara gor karo !

╨─────────────────────
*┱✿ Gaane Bajane Ki Mazammat aur Hurmat _*

┱ _ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Gaana Dil mai nifaaq ko ugaata hai ,Jese Paani Kheti ko ugaata hai _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-*

┱_ Afsos Logo ne Gaane bajane ko esa juzve Zindgi bana rakha hai k Khaa rahe to Gaana sun rahe hai'n aur Lete Hai'n ,Bethe hai'n to Gaana Sun rahe hai'n , Aurte'n khaana paka rahi hai'n ya doosre Kaam kar rahi hai'n to Gaane sune ja rahe hai'n , isliye Amali nifaaq ho raha Hai , Shaitaan ne Qaabu paaya hua hai Aur Neki ki taraf Tabiyat nahi aati , Allah Samajh de aur Hidayat de ,( Aameen )

┱_ Aaj Halaat ye hai'n k Buso mai safar Karo to Gaana ,Texi mai betho to Gaana ,Ek Sachche Musalman ke liye Safar Hazar Sab Musibat ban Kar reh gaya hai , Ishqiya Gaano ,aur Gazlo Qawwaliyo ne qaum ki naslo ko tabaah Kar diya aur Khandaan ke bado ko is per Khushi hoti Hai ,Afsos ,
 
▦══─────────────══▦

ReF✿┅╮  
         *🗂 Tohfa E Khawateen,*
                  ╨─────────────────────
                 

No comments:

Post a Comment