Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, March 22, 2018

BEWAQOOF SHOHAR KI 50 NISHANIYA'N

🥀🥀🥀
.                                  
       
         ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈

       
       *BEWAQOOF SHOHARO'N KI*
                *50 NISHANIYA'N**                                        
       
                       *PART-01*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (01) SHAK V SHABAHAT*

*⚃➠ Ek jahiL shohar ki sab se badi Nishaani ye hoti hai ke uska zehan Apne Life partner ke hawaLe se be'baniyaad shakook v shabahat se bhara Rehta hai be'yaqeeni ka ye Aaseb musaLsaL Zehni inteshaar ko janam deta hai or ghar ki fiza ko bojhaL banaye Rakhta hai Ahsaas e kamtari hamare mu'aashre ki ek Aam si bimaari hai or aksar shoharo'n me paya jaane waLa yahi Ahsaas e kamtari shakook v shabahat ka buniyaadi sabab hota hai jise khud par Aytamaad na ho wo kabhi dusro'n ko bhi QabiLe Aytamaad Nahi samjhta is Ahsaas me mubtaLa ek shohar hamesha yahi sochta hai ke Shayad wo tawajjoh ke Layaq nahi or uski Bivi ki Nazar me Dusre Log usse behtar hain Aisa shohar na sirf Apni zindagi ko mushkiL banaye Rakhta hai baLke uski Bivi bhi zehni Aziyyat ka shikaar Rehti hai bacche un Ravayyo'n se baraherast muta'assir hote hain un tareek asraat ke Saaye me parwaan chadhne waLe ye masoom podhe kabhi Tanawar darakht ban kar barg v baar Nahi Laate or us khaandaan ki zindagi par be'yaqeeni ke Saaye musaLLat Rehte hain miya bivi ke muqaddas Rishte me padne waLe shakook v shabahat ki ye diwaar sirf or sirf yaqeen ke Simit se hi pur ki ja sakti hai*

*⚃➠ (02) PUR'TASHAD'DUD RAVAYYA*

*⚃➠ Tashad'dud Hamare mu'aashre kaek intehaayi karbnaak pehLu hai Aksar kam AqaL shohar Apne pur'tashad'dud Ravayye ka be'dareegh izhaar karte hain shohar ka ye Ravayya ek Biwi ki shakhsiyat ko tod fod kar Rakh deta hai use wo maqaam hi nahi miL paata jo ek Bivi or maa ke behtar Tarze AmaL ka Zamin hota hai is pur'tashad'dud Ravayye ka shikaar Khawateen ek Bivi or maa ki haisiyat se kabhi Apne kirdaar se insaaf Nahi kar paati*

*⚃➠ (03) LAFZ TALAAQ KA ISTEMAAL*

*⚃➠ jahaLat ka shikaar Aksar shohar Ladaayi jhagde ke doraan taLaaq ki dhamkiya'n de kar Bivi ko khof Zadah karne or us par be'ja Roub Jamane ki koshish karte hain aise Shoharo'n ko is baat ka idraak nahi hota ke unka ye jahiLana Ravayya biL'aakhir unke  Rishte  ki Qadar v Qeemat  hi khatm kar deta hai*

*⚃➠ (04) CHID CHIDAPAN*

*⚃➠ Choti Choti baaton par behas v takraar or Ladaayi v jhagda ek bureShohar ki Aham  nishaani hai Aise Shohar Apni Nakamiyo'n or digar pareshaaniyo'n ka izaLah Apne ghar me karne ki koshish karte hain or ghareLu mahoL me inteshaar or be'sakooni pheLane ka Sabab bante hain bacche is Ravayye ko bahut jaLd Apna Lete hain*

*⚃➠ (05) TAHKUMANA RAVAYYA YANI ZABARDASTI*

*⚃➠ Bivi ko paao'n ki jooti Samjhne ki Rasam Hamare Mu'aashre ke jahiL Tabqe me Qadeem Zamane se chaLi Aarahi hai Baaz jahiL shohar bivi ko ek ghuLaam se Zada Ahmiyat  Nahi dete Use Apni Raaye ke izhaar ka koi Akhtiyaar Nahi hota aise Qisam ka shohar khud ko bahut AaLa Samjhta hai aisa shohar Apni Bivi ke Kiye musaLsaL Zehni Aziyyat ka ba'is hota hai*

*⚃➠ (06) GHARELU MAMLAAT ME KOI DILCHASPI NA LENA*

*⚃➠ Kuch Laparwaah shohar ghar ke mamLaat se musaLsaL Laparwaahi barat'te hain or Bivi ko ye bawar Karate hain ke ghar ki Tamaam zimmedaari mehaz Bivi par Aa'id hoti hai shohar ka ye ghair zimmedarana Ravayya bahut Saare masaiL ko janam deta hai*

*⚃➠ (07) TANZIYA RAVAYYA OR JUMLO KA ISTEMAAL*

*⚃➠ Ek jahiL shohar Tanziya JumLo kaAadi hota hai ya to fitratan ya phir iradatan Bivi ko zehani Aziyyat pohchane ki gharz se wo aisa Ravayya Apnata hai Ye Ravayya Aahista Aahista Zehni v qaLbi FasLo'n ko janam deta hai*

*⚃➠ (08) KHUD KO AQALMAND SAMAJHNA*

*⚃➠ Ek bura shohar khud ko bada AqaLmand samjhta hai uski Nazar me Bivi bewaqoof or be'aqaL hoti hai aisa shohar bivi ki Raaye ko koi Ahmiyat Nahi deta haLanke ek Aurat bhi Apne Dayere kaar me AqaL v sha'oor ki MaLik hoti hai Ye hosLah shikan bartao ek Bivi se uska Aytamaad cheen Leta hai*

*⚃➠ (09) AIB JOYI*

*⚃➠ Ek jahiL shohar ki Aankhon par Hamesha aib joyi ki Aynak chadhi Rehti hai use bivi ke har kaam me nuqs hi Nazar Aate hain Bivi kisi maamLe me kha kitni hi Samhdaari or AqaLmandi ka muzahira kiyu na kare wo usme bhi koi na koi Aib dhoond hi Leta hai ye bhi asaL me khud ko AqaLmand Zahir karne ka ek Tariqa hota hai aise afraad dusron ki khamiyo'n ko asaL me Apni khoobiya'n Banana chahte hain*

*⚃➠ (10) IZZAT V AHTARAAM SE AARI SHOHAR*

*⚃➠ jahiL shohar ka Ravayya hamesha izzat v Ahtaraam se Aari hota hai uske Lehje me hamesha gussa Numaya  Rehta hai hatta ke mehmaano'n ke Samne bhi wo Bivi se gussa or daant dapat se pesh Aata hai aise Shohar ghar ki fiza ko Zehni ULjhano ki Aamajgah bana Lete hain*

*⚃➠ (11) DUSRI KHAWATEEN KI TAREEF*

*⚃➠ Ek jahiL shohar hamesha Apni Bivi ke saamne dusri Khawateen  ki khoobiyo'n ki Tareef karta hai wo Apni Bivi ko ye bawar karana chahta hai ke dusri Khawateen usse behtar hain or ye ke uski Bivi uski tawaq'quaat par poori nahi Utarti baaz shohar khud ko Samajhdar sabit karne ke bhi aisa Ravayya Apnate hain*

*⚃➠ (12) SUSRAALI RISHTEDARO'N SE BURE TA'ALLUQAAT*

*⚃➠ JahaLat ka shikaar shohar Apne susraaLi Rishtedaaro'n se munasib doori barqaraar Rakhna chahta hai unki mojoodgi me chid chide'pan ka izhar karta hai or mahoL me Tanao peda karne ki koshish karta hai unki ghair mojoodgi me Bivi ke Samne unke Aib bayaan karta hai Magar aisa shohar Bivi se ye Ummeed Rakhta ke wo uske Rishtedaaro'n se izzat v Ahtaraam ka muzahira kare jab ke kayenaat ke UsooL to yahi kehte hain har AmaL ka ek Radde AmaL hota hai*

*⚃➠ (13) MAALI MAAMLAAT SE BIVI KO BE'KHABAR RAKHNA*

*⚃➠ Ek bura shohar Apne maaLi maamLaat ko Hamesha Apni Bivi se posheedah Rakhta hai Apni Aamdani or akhrajaat ke baare me Bivi ko La'iLm rakhta hai wo ye Samjhta hai ke Aurat in maamLaat ka Sha'oor hi Nahi Rakhti or use iska haqq bhi hasiL Nahi*

*⚃➠ (14) TANHAAYI PASANDI*

*⚃➠ Bure Shohar ki ek nishaani ye bhi hai ke wo ghar me tanhaayi pasandi ka muzahira karta hai Bivi baccho'n se bahut kam baat cheet karta hai or jitni der wo ghar me mojood Rehta hai Apni Zaat ke hisaar me Qed Rehta hai Aksar shohar Bivi par Roub DaaLne ke Liye bhi is harbe ka istemaal karte hain*

*⚃➠ (15) DOSTO'N ME ZADAH WAQT GUZAARNA*

*⚃➠ Ek bura shohar Apni family se zada Apne doston me waqt guzaarna Zadah pasand karta hai der se ghar Aata hai or ye Zahir karta hai ke wo intehaayi masroof Shakhsiyat hai ye Aadat Ghir Sanjeedah Qisam ke Shoharo'n me paayi jaati hai*

*⚃➠ (16) GHIR ZIMMEDARANA SHOHAR*

*⚃➠ Is Qisam ka shohar kabhi Apni Zimmedaariyo'n ko Mehsoos Nahi karta Ghar ke Aham maamLaat jo ek Sarbarah ki haisiyat se shohar ki tawajjoh ke mutaqazi hote hain unse kinaarah kash Rehta hai use Apne khaandaan ki Zarooriyaat ka Ahsaas hi Nahi hota or wo Apne ghair Zimmedarana Ravayye ki wajah se  un Zarooriyaat ko poora karne ka AhaL bhi Nahi hota uski family hamesha mushkiLaat ka shikaar Rehti hai*

*⚃➠ (17) BAD'TEHZEEB SHOHAR*

*⚃➠ Bad'tehzeebi or bad'tameezi ek jahiL shohar ki numaya ALamaat hain aise Shohar ko zindagi guzarne ke behtar Tor v Tareeq ka Sha'oor Nahi hota Apni NamaqooL Aadaat or tor Tareeq ke ba'is aisa shohar Apni Bivi ke Liye pareshaani or Dusron ke Samne Sharmindagi ka Sabab banta hai*

*⚃➠ (18) KAN'JOOS SHOHAR*

*⚃➠ Aisa shohar paise ko bahut Azeez Rakhta hai kharch ke mamLe me Bivi baccho'n ko Mehaz Zarooriyaat ke Dayere me Qed Rakhta hai ya unki Jayaz Zarooriyaat poori karne se bhi dareegh karta hai Apni family ko ek accha life  style dene ki AhLiyat Rakhne ke bawajood Apni kanjoosi ke Sabab unko mehroomiyo'n ka shikaar banaye Rakhta hai*

*⚃➠ (19)  MANSHIYAAT KA ISTEMAAL*

*⚃➠ Manshiyaat ki Aadat shohar ki intehaayi jahaLat ki Akasi karti hai matLab cigarette peena Sharaab Noshi ya or digar Nashawar cheezo'n ka istemaal kam taLeem yaaftah or pasmaandah tabqe se Ta'alluq rakhne waLe shoharo'n me ye Aadaat ba'kasrat se paayi jaati hain*

*⚃➠ (20) AAWARAH MIJAAZ SHOHAR*

*⚃➠ Intehaayi jahiL qisam ke Shoharo'n me ye Quality Aam hai aisa shohar bivi Bachcho ke masaiL ki bajaye digar ghair Zaroori maamLaat ko Ahmiyat dena Zadah pasand karta hai uski tawajjoh Apni Bivi par kam or dusri Khawateen ki taraf  Zadah hoti hai aisa shohar musaLsaL Bivi ke Liye Sar ka dard bana Rehta hai baccho ki tarbiyat par ye Ravayya bahut zada Asar Andaaz hota hai*

*⚃➠ (21) FAZOOL AADAT*

*⚃➠  Aam tor par jahiL shoharo'n me fazooL or Ahmaqanah Aadaat paayi jaati hain aisa shohar Ghanto'n Tv screen ke Samne betha Rehta hai mobile ya computer par masroof Rehta hai ya phir aise hi kisi dusri Aadaat ka Shikaar hota hai or wo Qeemti waqt jo Bivi baccho'n ka haqq hota hai fuzooLiyaat ki Nazar ho jata hai*

*⚃➠ (22) ADAM TAWAJJOHI YANI BE'PARWAAH*

*⚃➠  Ek bure Shohar ki Bivi hamesha Adam Tawajjohi ka shikaar Rehti hai aise Shohar Apni Zaati masroofiyaat ko Zadah Ahmiyat dete hain jab ke Bivi baccho'n ko ek munasib Tawajjoh Darkaar hoti hai jiski kami Ahsaase mehroomi ko Janam deti hai*

*⚃➠ (23) BIVI KO QABILE MASHWARAH NA SAMJHNA*

*⚃➠ Ek bura shohar kisi bhi maamLe me Bivi se mashwarah karna pasand nahi karta har kaam me Apni marzi ko Ahmiyat deta hai maaLi maamLaat ho ya ghar ki cheezo'n ki khareedari wo Apni hi soch par Qayam Rehta hai or isi wajah se aksar Nuqsaan uthata hai*

*⚃➠ (24) BACCHO'N SE ADAM DILCHASPI YANI BACCHO'N SE KOI DILCHASPI NA RAKHNA*

*⚃➠ Ek bura shohar baccho'n ke tamaam maamLaat me Adam diLchaspi ka muzahira karta hai Bivi Agar ghareLu Kaam ke Anjaam dene me masroof ho tab bhi wo baccho'n se La'ta'alluq sa betha Rehta hai or baccho'n ke shor v ghuL or Ladayi jhagde ki soorat me bhi wo Bivi ko hi unhe khamosh karwane ka hukm Sadir karta hai*

*⚃➠ (25) APNE KHAYALAAT SHARE NA KARNA*

*⚃➠ Bivi se Apne khayaLaat Share na karna or Apne mustaqbiL ke iraado'n se use be'khabar Rakhna or usse mashwarah TaLab na karna jahiL shohar ki nishaaniyo'n me se ek nishaani hai Apni zindagi ke saathi ko Apni soch ka Saathi na banana miya bivi ke Rishte me Adhoore'pan ka Sabab banta hai*

*⚃➠ (26) GHARELU KAAM ME HAATH NA BATANA*

*⚃➠ JahiL shohar ghareLu kaam me kabhi Bivi ka haath Nahi bata'ta bechaari khaah kitni hi masroof kiyu na ho ye kabhi Apni Nashist chordne ki Zehmat gawarah Nahi karta ye Ravayya ek bure Shohar ki be'hisi ki Akasi karta hai or jo Log Bivi ke saath kaam karne waLe shohar ko Bivi ya juro ka ghuLaam boLte hain wo Sab se bade jahiL or Na'Layaq hain*

*⚃➠ (27) JHOOTE WAADE KARNA*

*⚃➠ Bivi se kiye gaye waado'n ko ek bura: shohar qat'an Ahmiyat nahi deta or kabhi uski Ummeedo'n par poora utarne ki koshish nahi karta ek jahiL shohar ka ye Ravayya Bivi ko Ahsaas diLata hai Shayad wo uski Zindagi me Zadah Ahmiyat Nahi Rakhti*

*⚃➠ (28) TOHFE'N NA DENA*

*⚃➠ Taha'if ka tabaadLah kisi Rishte ki mazbooti ka ba'is hota hai ek bura shohar iski Zaroorat hi mehsoos Nahi karta khaas Tehwaro par bhi wo Bivi ki khushi ki khatir kabhi koi chota mota gift bhi nahi Laata haLanke ye chota sa tohfa khaah kuch der ke Liye hi sahi Zindagi me khushi ke Rang Zaroor bhar deta hai*

*⚃➠ (29) SER V TAFREEH PAR NA LE JANA*

*⚃➠ Ek bura shohar kabhi bhi Apni Bivi ke Liye ser v Tafreeh ka Ahtamaam Nahi karta Zindagi ek hi Dagar par chaLti Rahe  to Zehni Tanao or uktahat janam Leti hai ek jahiL shohar ko kabhi ye Ahsaas hi nahi hota ke Ser v Tafreeh  routine ki chakki me pisti ek Bivi ke Liye kitni Ahmiyat Rakhte hain*

*⚃➠ (30) BIVI KO BEWAQOOF MAKHLOOQ SAMJHNA*

*⚃➠ Ek jahiL shohar bivi se bhi baccho ki tarah bartao karta hai choti choti baaton par tanqeed or daant dapat uska mamooL hota hai jahiL shohar ke is Ravayye ke pas pardah ye soch hoti hai ke uski Bivi ko na to duniya ki Samjh hai na Sha'oor ye Ravayya Aurat ko Ahsaase kamtari me mubtaLa kar deta hai*

*⚃➠ (31) BIVI KE MASHAGHIL ME DILCHASPI NA LENA*

*⚃➠ Tamaam insaano ki tarah ek Bivi ke bhi kuch mashaghiL or diLchaspiya'n hoti hain jo farigh awqaat me uske Liye Tafreeh or Zehni Taazgi ka Samaan hoti hain un mashaghiL me shohar ki ShamuLiyat miya bivi ke Rishte ko bahut mazboot bana sakti hai magar ek jahiL shohar ko Bivi ke un mashaghiL se koi diLchaspi nahi hoti baLke wo unko fuzooLiyaat me shumaar karta hai*

*⚃➠ (32) DUSRO'N KE SAMNE BIVI KA MAZAAKH UDANA*

*⚃➠ Ek jahiL shohar ki nazar me chunke Bivi ke Ahtaraam or izzate Nafs ki koi Ahmiyat nahi hoti isLiye wo dusron ke Samne bhi in baaton ko Ahmiyat Nahi deta choti choti GhaLtiyo'n ko ignore karne ki bajaye wo dusron ke Samne bhi use tanqeed or mazaakh ka nishana banata hai ye Ravayya ek has'saas Aurat ki shakhsiyat ko tod fod kar Rakh deta hai*

*⚃➠ (33) YE KOSHISH KARNA KE BIVI HAR WAQT GHAR KE KAAM ME MASROOF RAHE*

*⚃➠ Is Qisam ke baaz shohar ye Nafsiyaat bhi Rakhte hain ke chunke ghar ki Tamaam Zimmedaari Bivi par Aa'id hoti hai isLiye unhe har waqt ghar ke kaam kaaj me hi masroof Rehna chahiye aise Shohar ko Bivi ki thakawat ya kaam kaaj ke dabao ka Qat'an koi Ahsaas Nahi hota or Agar badiLe Nakaastah Aurat kabhi iska Tazkirah kar hi bethe to kaam kaaj me haath batane ya mehaz hamdardi ke kuch alfaaz hi keh dene ke bajaye unka jawaab yahi hota hai duniya ki har Aurat ghar ko SabhaaLti hai tum koi Anokha kaam nahi kar Rahi ho*

*⚃➠ (34) BACCHO'N KI TALEEM V TARBIYAT KI TAMAAM ZIMMEDAARI BIVI PAR DAAL DENA*

*⚃➠ Is Qisam ke shohar baaz Awqaat ya to Apni Na'Ahliyat ke Sabab Ya phir Apni Zimmedaariyo'n se pehLu Tahi ki khatir ghar ke tamaam umoor ke saath saath baccho'n ki taleem v tarbiyat ki Tamaam Zimmedaari bhi Bivi par daaL dete hain aisi Khawateen shohar ki mojoodgi me bhi khud ko zindagi ke bojh taLe Tanha mehsoos karti hain*

*⚃➠ (35) BIVI KI AADAT SE SAMJHOTA NA KARNA BALKE UNHE BADALNE KI KOSHISH KARNA*

*⚃➠ Aksar shohar Bivi ko ek Robot Samjhte hain jiska Robot control wo Apne haath me Rakhna chaahte hain aise Shohar Bivi ki Aadaat se Samjhotah karne ki bajaye unhe badaLne ki koshish karte hain is haqeeqat ko samjhne ke bajaye ke Bivi bhi ek mukammal insaan hai uski bhi Apni ek Shakhsiyat hai wo Bivi ki shakhsiyat ko Apni pasand ke Sanche me dhaaLne ki koshish karta hai ye Ravayya ek Bivi ke Liye Zehni ULjhane peda kar deta hai*

*⚃➠ (36) HASIDANAH RAVAYYA APNANA*

*⚃➠ Bivi Agar Shohar ki nisbat Zadah Samjhdaar or SaLahiyato'n ki maLik ho ya AaLa ohde par Fa'iz ho to aksar jahiL Qisam ke Shohar hasad ka shikaar ho jaate hain ye kabhi Apni Bivi ki tareef bardaasht nahi kar sakta or hasad ki Aag me jaLta hi Rehta hai hasad ka ye Ravayya dono ke darmiyaan ek moqaabLe ki fiza peda kar deta hai or ghar ka chen v sakoon tabaah v barbaad ho jaata hai*

*⚃➠ (37) BIVI KE MASHAGHIL PAR TANQEED KARNA*

*⚃➠ Bivi ki diLchaspi ke maamLaat or chote chote mashaghiL jo uske Liye khushi ka ba'is hote hain ek jahiL shohar unko na sirf pasand nahi karta baLke unko tanqeed ka nishana banata Rehta hai or Bivi ko ye bawar karana chaahta hai ke uski Saari tawajjoh sirf or sirf ghar par hi markooz rehni chahiye or uske Zaati mashaghiL ko fuzooLiyaat ke Zamre me shumaar karta hai*

*⚃➠ (38) TAMAAM MAAMLAAT ME BIVI KO MAWARDE ILZAAM THEHRANA*

*⚃➠ Ek jahiL shohar zindagi me pesh Aane waLe masaiL ki Tamaam Zimmedaari biLa'wastah ya biL'wastah tor par Bivi par daaLne ki koshish karta hai ghareLu  budget ho ya muLaazimat ki tension ya koi karobaari masLah ho baat Aakhir ghoom phir kar Bivi par hi Aa jaati hai or Agar wo is maamLe me Bivi ki koi ghaLati nikaaLne me nakaam bhi ho tab bhi behar haaL gussa bechaari Bivi par hi nikaLta hai*

*⚃➠ (39) BIVI KI BAAT KO TAWAJJOH SE NA SUNNA*

*⚃➠ Bivi Agar kisi maamLe me izhaar e khayal karna chaahe koi mashwarah dena chaahe ya ghar ka koi masLah bayaan karna chaahe to ek bura shohar kabhi Tawajjoh se nahi sunta or Agar sun bhi Raha ho to dhiyaan Nahi deta isi tarah wo Apne Ravayye se Bivi ki hosLah shikni karta hai*

*⚃➠ (40) TAREEF NA KARNA*

*⚃➠ Bivi ki acchi Aadaat or husn v AkhLaaq khoobiyo'n ki ek bura shohar kabhi tareef Nahi karta ye Ravayya dono ke darmiyaan kabhi Zehni ham Aagahi peda Nahi hone deta*

*⚃➠ (41) BIMAARI KI HALAT ME BE'HISI KA MUZAHIRA*

*⚃➠ Bivi ki kharaab sehat Bimaari ya digar kisi pareshaani ka ek bure Shohar ko kabhi Ahsaas Nahi hota BaLke wo be'hisi ka muzahira karta hai be'hisi ka ye Ravayya Agar mustaqiL ho jaaye to ye Rishta hi be'mana ho kar Reh jaata hai*

*⚃➠ (42) HOSLAH AFZAYI NA KARNA*

*⚃➠ Agar Bivi kisi kaam me mamooL se zadah accha kitdaar Ada kare Samjhdaari ka muzahira kare to ek kam'aqaL shohar kabhi uski hosLah Afzaayi ki Zaroorat mehsoos nahi karta hamare mu'aashre ke jahiL or Ana'parast Shoharo'n me ye khoobi bahut Zadah paayi jaati hai*

*⚃➠ (43) KHUD'GHARZI*

*⚃➠ Khud'gharzi jahiL shoharo'n ki kuch khaas Nishaaniyo'n me se ek hai Aise Shoharo'n ko Zindagi ke Aa'ine me sirf Apni Zaat hi Nazar Aati hai Bivi ki Zaat or uske masaiL ka use Ahsaas hi Nahi hota ye khud'gharzi ek Aurat ke diL me mayoosi ka Ahsaas  peda karti hai*

*⚃➠ (44) HAMESHA GUSSE SE DEKHNA*

*⚃➠ Har waqt moond bana kar rakhna or Bivi ko gusse se dekhna hamare mu'aashre ke jahiL shoharo'n ke Liye bade fakhr ki baat hai aisa shohar musaLsaL ghar me jhagdo'n or behas baazi ka mahoL banaye Rakhta hai Aksar shohar Bivi ko Roub me rakhne ki gharz se ye Tariqah Apnate hain*

*⚃➠ (45) ZIDDI MIJAAZ SHOHAR*

*⚃➠ Bivi ka moqif samjhe baghair biLa'jawaaz or biLa'wajah Apni baat par Ad jana ek jahiL shohar ki Aham Nishaani hai Aise Shohar ko sirf Apni baat or Zaat hi Nazar Aati hai uski soch isi Dayere me Qed Rehti hai ke uski baat hi Sahi hai or usi par AmaL hona chahiye*

*⚃➠ (46) SAFAYI KA KHAYAAL NA RAKHNA*

*⚃➠ Ek jahiL shohar Safayi v Suthraayi ke mamLaat me Laparwaahi ka muzahira karta hai uski Aadat v Atwaar me Safayi pasandi ki koi buniyaad Paayi nahi jaati*

*⚃➠ (47) PABANDIYA'N LAGANA*

*⚃➠ Ek jahiL shohar hamesha Bivi par ghair Zaroori pabandiya'n Lagata rehta hai Aksar awqaat me to Bivi ko Kisi bhi mamLe me Apni pasand v Napasand ka Akhtiyaar hi nahi hota or wo choti choti baaton me bhi shohar ki mohtaaj ban kar Reh jaati hai*

*⚃➠ (48) GHIR MUHAZZIB ALFAAZ KA ISTEMAAL*

*⚃➠ Ek jahiL shohar Ladayi jhagde me hatta ke Aam guftagu me ghair muhazzib Alfaaz ka istemaal karta hai ye Na'munasib Ravayya ghar ke mahoL ko or AkhLaqiyaat ko Tabaah kar ke Rakh deta hai*

*⚃➠ (49) BATOONI SHOHAR*

*⚃➠ Baaz shoharo'n ko boLne ki bahut Zadah Aadat hoti hai ghar ke wo maamLaat jo sirf ek Aurat hi Acche Tariqe se Samjh sakti hai unme bhi wo mashwarah deta hai Apni Zahanat dikhta hai Apna hukum ChaLana zaroori Samjhta hai behas ko biLa wajah Lambi kar ke baat ko badha deta hai har waqt boLte Rehne ki Aadat ghar ki fiza me chid chide'pan peda kar deti hai*

*⚃➠ (50) MAGHROOR SHOHAR*

*⚃➠ Ek maghroor shohar kisi bhi mamLe me Bivi ko khatir me Nahi Laata baLke Apni Zaat ke ghamand me mubtaLa Rehta hai wo khud ko bahut AaLa makhLooq samjhta hai or kabhi Aam insaano ke level par Nahi Aata Bivi ke saath ye jahiLana Ravayya Zehni v QaLbi FasLo'n ka Sabab banta hai*

  
*⚃➠ MOHTARAM QARIEEN*

*⚃➠ Ye Article Mu'aashre ko Aa'ina dikhane ki hamari ek choti si koshish hai ke Shayad Mu'aashre ka kam az kam  ek Aham Tabqah Apne chehre par Lagi dhooL Saaf kar sake Article ko mazeed behtar banane ke Liye hamari Raahe haqq Team Aapke Tawun ki shukr guzar hai ke Aapne diL Laga kar padha or Dusron tak bhi pochaya or AmaL bhi kiya dua ka TaLib Muhammad Babar Afghani*

  
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                    
  🌸 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 🌸
        ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶

*DawnLoad Raahe haqq Application or paaye har roz new text msg*https://drive.google.com/file/d/1lGjd-cD_hHSgGF8ECwxP9nrsl5hnf0ev/view?usp=drivesdk
           ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
              ✍🏻  *RAAH-E-HAQQ*     
          

🥀🥀🥀

No comments:

Post a Comment