Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, May 27, 2018

Tohfah e khawateen Fazail e Ramzaan



🍃🌸🍃
                      ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
           ✰══❖══✰═══❖══✰

        🥀 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 🥀
        *⊙ FAZAIL- E - RAMZAN ⊙*

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzanul Mubarak Ki Aamad Per Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam Ka Khutba Istaqbaliya_*

┱ _ Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Sha'abaan Ki Aakhri Tareekh mai Humko Khitaab farmaya k -"__ Ey logo ! Ek ba azmat Mahina aa pahuncha hai ,Jo Maahe Mubarak hai , Isme Ek Raat hai Jo Hazaar maah se Behtar hai , is Maah ke Roze Allah Ta'ala ne farz farmaye hai'n aur iski Raato mai Qayaam karna  Tatavvu ( Gair Farz ) qaraar diya Hai ,

┱_ Is Maah Jo Shakhs koi Nek Kaam Karega usko esa Ajr v Sawab milega Jese iske alawa doosre Mahine mai Farz Ada karta aur Farz Ka sawab milta , aur Jo Shakhs is Maah mai ek Farz Ada Kare to Usko Sattar farzo ke barabar Sawab milega ,

┱_ Ye Sabr Ka Mahina hai aur Sabr Ka badla Jannat hai aur Aapas mai gamkhwari Ka mahina hai , isme Momin Ka Rizq badha Diya Jata Hai, is Maah mai Jo Shakhs kisi rozedaar Ka Roza aftaar Kara de to ye uski magfirat ka Dozakh se uski Gardan ki azaadi Ka Samaan ban jayega ,aur usko is qadar sawab milega Jitna Rozedaar ko milega ,Magar Rozedaar ke sawab mai se kuchh kami na hogi _,"

┱ _ Hazrat Salman Raziyallahu Anhu Ka Bayan hai k Humne arz Kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Humme har Shakhs ko itna muqaddar nahi Jo Roza aftaar Kara de , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ye sawab usko ( bhi ) dega Jo Paani mile hue thode se doodh ya Ek khajoor ya Ek ghoont Paani Se aftaar Kara de , ( Mazeed farmaya k ) Jo Shakhs ( aftaar ke Baad ) kisi rozedaar ko pet bhar ke khana khila de Usko Allah Ta'ala mere Hauz se Esa Sairaab karenge k Jannat mai dakhil hone Tak pyaasa na hoga , ( aur fir Jannat mai to Bhook Pyaas Ka naam hi nahi )

┱ _Is Maah Ka Avval Hissa Rehmat hai , Doosra Hissa Magfirat hai ,Teesra hissa Dozakh se Azaadi Ka hai , Jisne is Maah mai Gulaam Ka Kaam halka Kar diya to Allah Ta'ala uski magfirat farma denge , Baaz rivayato mai ye bhi aaya hai k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne is moqe per ye bhi farmaya k is Maah mai Chaar kaamo ki kasrat Karo , Unme se do Kaam ese hai'n k Unke zariye tum Apne Parwardigaar ko Raazi karoge ,aur do Kaam ese hai'n Jinse tum be niyaaz nahi ho ,

*"_'Wo do Kaam Jinke zariye Khuda e Paak ki khushnudi haasil hogi ye hai - 1-"_ Laa ilaaha illallaah _" Ka vird rakhna aur 2- Khuda e Paak se magfirat Talab karte rehna ,
Aur Do Wo cheeze Jinse tum be niyaaz nahi reh sakte ye hai'n - 1- Jannat Ka Sawal aur 2- Dozakh se Panaah maangna _,"

*🗂Mishkaatul Masabeh-173 Ba hawala Bayhiqi Fi Shoebul imaan v Targeeb v Tarheeb _,*
  
           ✰══❖══✰═══❖══✰

     *┱✿ Roza Badni ibaadat hai_*

┱ _ insaan ki takhleeq ibaadat aur Mahaz ibaadat Ke Liye hai ,Jesa k Surah Zariyaat ( Aayat-56 )mai farmaya gaya Hai:-

*_وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ_,*

"_ Aur Maine insaan aur Jinn ko nahi paida Kiya Magar is waaste k Wo Meri ibaadat Kare _,"

┱ _Roza Badni ibaadat hai Jo pehli Ummato per bhi Farz Tha ,Jesa k Surah Baqrah ( Aayat 183 )mai farmaya hai :-

*__يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ__*

"_ Ey imaan Walo ! Tum per Roze Farz kiye gaye Jesa k Tumse pehle logo per Farz kiye gaye they ,Taki tum parhezgaar bano ,ye Roze Chand dino ke hai'n _,"

           ✰══❖══✰═══❖══✰

            *┱✿ Roze Ki Hikmat_*

┱ Qur'an mai  _ْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ Mai Roze Ki Hikmat ki taraf ishara farmaya gaya Hai , Taqwa Sagira v Kabira ,Zaahiri aur Baatini Gunaaho se bachne Ka naam hai ,Roze ki farziyat Taqwa haasil karne ke liye hai ,

┱_ Poore Mahe Ramzan Ke Roze rakhna Har Aaqil Baalig Musalman per Farz hai ,Agar Koi Waaqa'i Ramzan ke Ahkaam v Adaab ki roshni mai Roza rakhe Jo Qur'an Hadees mai waarid hai'n ,to Ek Mahina khana Pina aur Jinsi Talluqaat ke muqtaza per Amal karne se agar ruke rahe to Baatin ke andar Nikhaar aur Nafs ka tazkiya aur Nafs ke andar sudhaar paida ho jata Hai ,

┱_ Ramzanul Mubarak ke Roze ke alawa Nifli Roze bhi mashroo kiye gaye hai'n Un Rozo Ka mustaqil sawab hai Jo Rivayat mai Mazkoor hai'n aur sawab ke alawa Nifli Rozo Ka ye faayda hai k Ramzanul Mubarak ke Roze Rakhte Waqt Jo Amali Kotaahiya'n ho Jaye Unki talafi ho jati hai ,

┱ _Jo Gunaah insaan se sarzad ho Jate hai'n Unme Sabse Zyada do cheeze gunaah Ka baa'is banti hai'n ,Ek moonh aur Doosri Sharmgaah , Chunache Imaam Tirmizi ne Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Naqal Kiya hai k - Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se daryaft Kiya gaya k Sabse Zyada Konsi Cheez Dozakh mai dakhil karane Ka zariya banegi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya - moonh aur Sharmgaah ,"

"_in dono ko dozakh mai dakhil karane mai zyada dakhal hai ,Roze se Moonh aur Sharmgaah dono per pabandi hoti Hai aur Mazkoora dono cheezo se Jo gunaah ho sakte hai'n Roza unse Baaz Rakhne Ka Bahut bada zariya hai , isiliye to ek Bukhari v Muslim mai farmaya - Roza Dhaal hai ( gunaah se aur Aatishe Dozakh se ) 
  
           ✰══❖══✰═══❖══✰

          *┱✿ Roze Ki Hifazat _*

┱ _ Agar Roze ko Poore ahatmaam aur Ahkaam v Adaab ki mukammal ri'ayat ke Saath poora Kiya Jaye to bila shubha Gunaaho se Mehfooz rehna Asaan ho Jata hai,Khaas Roze ke Waqt bhi aur Roze ke Baad bhi ,

"__Aur agar kisi ne Roze ke Adaab Ka Khayal na Kiya aur Gunaaho mai mashgool rehte hue Roze ki Niyat kar li aur Khaane pine ,nafsaani khwahish se to bacha raha Magar Haraam kamane aur Geebat karne mai laga raha to usse Farz to Ada ho jayega Magar Roze ki Barkaat v Samraat se Mehroomi rahegi ,Jesa k Hadees mai irshad farmaya:- 
"_ Jo Shakhs Roza rakh Kar Jhooti Baat aur Galat Kaam na chhode to Allah ko kuchh haajat nahi k wo ( Gunaaho ko chhode bager ) Mahaz khaana Pina Chhod de _," *( Bukhari An Abi Huraira Raziyallahu Anhu-16 )*

┱_ Maloom hua k Khana Pina aur Jinsi Talluqaat chhodne se hi Roza Kaamil nahi hota balki Roza ko fawahish ,munkiraat aur har tarah ke Gunaaho se mehfooz rakhna Laazim Hai, Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- 
"__ Jab Tumme se kisi Ka Roza ho to gandi Baate na Kare ,shor na machaye , agar koi Shakhs gaali galoch ya ladaai Jhagda karne lage ( to usko Jawab na de balki ) Yu Keh de k Mai'n Rozedaar hu'n ,( Gaali galoch, ladaai Jhagda karna Mera Kaam nahi hai ) *( Bukhari v Muslim )*

┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya fakhre Bani Aadam Aadam Sallallahu Alaihivasallam ne k Bahut se Rozedaar ese hai'n Jinke liye ( Haraam Khaane ya Haraam Kaam karne ya Geebat vagera karne ki vajah se ) Pyaas ke alawa kuchh bhi nahi ,aur Bahut se tahajjud Guzaar ese hai'n Jinke liye ( Riyakaari ki vajah se ) jaagne ke Siva kuchh bhi nahi _," *( Daarmi )*

╨───────────────────── 
          *┱✿ Roza aur Sahat_*

┱ _ Roze mai Jaha'n Zaahir v Baatin Ka tzkiya hota Hai Wahi Sahat v Tandurasti bhi Haasil hoti Hai , Chunache Hafiz Manzri Reh. ne " Targeeb v Tarheeb " mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka ye irshad Naqal Kiya hai :-

"__ Jihaad Karo Ganimat haasil hogi ,Roza rakho Tandurasti haasil hogi ,Safar Karo Maaldaar ho Jaoge_,"

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jo kuchh farmaya bilkul Haq hai , Aankho ke saamne hai , Doctor v Tibba bhi ye batate hai'n k Roze Ka Jismani Sahat se Khaas talluq hai aur Ramzan mai Jo Maajra Sab Apni Aankho se dekhte hai'n k 12- 14 ghante Khaali pet Reh Kar Aftaar ke Waqt naram garam daal pakodi ,kachche pakke chane aur tarah tarah ki cheeze Chand minute ke andar maide mai Pahunch jati hai'n aur Kuchh bhi kisi ko takleef nahi hoti, Ye Sirf Roze ki Barkat hai , Agar tibbi nuqta e Nazar se dekha Jaye to is tarah Khaali pet anaap sanaap bharti Kar lene ki vajah se maida Sakht Bimaar ho Jana chahiye ,

╨───────────────────── 
          *┱✿ Roze Ki Fazilat__*

┱ _ Ek Roza rakh lene per Khuda e Paak ki taraf se Kya in'aam milta hai,iske bare mai Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-

"__ Jo Shakhs Allah ki khushnudi ke liye ek din Roza rakhe Allah Ta'ala usko Aatishe Dozakh se itni door Kar denge Jitni door koi Shakhs Sattar ( 70 ) Saal Tak chal kar Pahunche _,"

*🗂 Bukhari v Muslim An Abi Saied Khudri Raziyallahu Anhu _,*

┱_ Aur Khaas Ramzan ke Roze ke bare mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai k -

"__ Shar'an Jise Roza chhodne ki ijazat na ho aur Aajiz karne Wala marz bhi lahiq na ho usne agar Ramzan Ka ek Roza Chhod Diya to Umar bhar Roze rakhne se bhi us ek Roze ki talaafi na hogi Agarche ( bator qaza ) Umar bhar Roze bhi rakh le _,"

*🗂 Ravaah Ahmad v Tirmizi v Abu Daowd v ibne Maaja v Daarmi An Abi Huraira Raziyallahu Anhu , Mishkaat _,*

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Roze ke bare mai ye bhi irshad farmaya k :-

"__ insaan Ke har Amal Ka Ajr ( Kam az Kam ) das guna badha Diya Jata Hai ( Lekin ) Roze ke bare mai Allah Ta'ala Ka irshad Hai k Roza us qanoon se mustasna hai Kyunki wo Khaas mere liye hai aur Mai'n hi uski jaza dunga Banda Meri vajah se Apni khwahisho ko aur Khaane pine ko Chhod deta Hai _,"

*🗂 Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raziyallahu Anhu _,*

╨───────────────────── 
*┱✿ Rozedaar Ke Liye Jannat Ka ek Khaas Darwaza _*

┱ _ Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jannat mai Aath (8) darwaze hai'n Jinme se ek Ka naam " Rayyaan " hai ,usse Sirf Rozedaar hi dakhil honge _,"

*🗂 Mishkaat _173 Az Bukhari v Muslim ,*

*┱_ Rozedaar ko Do Khushiya'n _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Rozedaar Ke Liye Do Khushiya'n hai'n ,Ek Khushi aftaar ke Waqt hoti Hai aur Ek Khushi us Waqt hogi Jab Apne Rab se mulaqaat Karega _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh- 16 Az Bukhari v Muslim_,*

┱_ Dar Asal Rab ki mulaqaat hi to ibaadat Ka Asal Maqsad hai ,us Waqt ki Khushi Ka Kya kehna Jan Aajiz Bande Apne Ma'abood se mulaqaat karenge ,Allah Ta'ala Hume bhi ye mulaqaat Naseeb farmaye ( Aameen )

╨───────────────────── 
      *┱✿ Ramzan Aur Qur'an_*

┱ _ Kalame ilaahi ko Ramzanul Mubarak se Khaas talluq hai Jesa k Surah Al-Baqara,( Aayat 185 ) mai irshad Hai :-

*"__شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ _,*

*"__ Maahe Ramzan hai Jisme Qur'an Naazil Kiya gaya hai _,"

┱_ Qayame Ramzan Yani Namaze Taraveeh ,Ye bhi Qur'an Shareef padhne aur Sunne ke liye hai ,Din ko Roze mai mashgooliyat aur Raat ko Taraveeh mai khade ho Kar zoq v shoq se Qur'an Padhna ya Sunna isse Momin ke Qalb (Dil ) mai Ek Ajeeb kaifiyat Paida hoti Hai aur Ye dono ( Roza aur Qur'an ) Qayamat ke Din Momin ke kaam aayenge ,

┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-

"__Roza aur Qur'an Bande ke liye Baargaahe ilaahi mai sifarish karenge ,Roza kahega k Ey Rab ! Maine is Bande ko Din mai Khaane pine aur Doosri khwahisho se rok Diya tha ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , aur Qur'an Majeed arz Karega k Maine ise Raat ko Sone nahi Diya ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , Chunache dono ki Sifarish qubool Kar li jayegi _,"

*🗂 Mishkaat-173 An Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*

┱ _Har Saal Ramzanul Mubarak mai Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Qur'an Majeed Ka Daur Kiya karte they ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko sunate aur Wo Afzalul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ko sunate they , Jis Saal Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat Hui do baar Daur Kiya ,isse pehle ek baar Daur Kiya karte they _," ( Bukhari )

┱ _Isse maloom hua k Ramzanul Mubarak mai Huffaaz Kiraam Ka ek doosre ko sunane Ka Jo marooj tareeqa hai ye Masnoon hai , Ramzan mai himmat Kar ke Hifz v Naazra khoob Quran ki Tilawat kiya Kare ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan mai Siyaam Aur Qiyaam_*

┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k-

"_Jisne imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Ramzan ke Roze rakhe ,uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, aur Jisne Ramzan ( ki Raato mai ) imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Qiyaam Kiya ( Taraveeh aur Nifl mai mashgool raha ) uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, Aur Jisne Shabe Qadr mai imaan ke Saath sawab samajhte hue Qiyaam Kiya uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge _,"

*🗂 Mishkaatul Masabeh-173 Az Bukhari v Muslim ,*

┱_  Ramzanul Mubarak mai Raato ko Namaz padhte rehna Qiyaam e Ramzan kehlata hai , Taraveeh bhi isme dakhil hai aur Taraveeh ke alawa Jitne nawafil padh sake Padhte rahe , Hazrat Imaam Abu Hanifa Reh.se manqool hai k Woh Rozana Taraveeh Ba Jama'at se faarig ho Kar Subeh Tak ek Qur'an Majeed Namaz mai khade ho Kar khatm Kar lete they aur Ek Qur'an Majeed Rozana Din mai khatm karte they, is tarah Ramzan mai Unke iksath (61) khatm ho Jate they ,

╨───────────────────── 
           *┱✿ Taraveeh _*

┱ _ Namaze Taraveeh Mardo'n aur Aurto'n sabke liye Bees (20) Raka'at Sunnate mo'aqada hai, Aur Mardo'n ke liye ye bhi masnoon hai k Masjid mai Ba Jama'at Taraveeh padhe ,Hafiz ho to Qur'an Sunaye Varna Doosro Ka Qur'an sune ,

┱_ Ramzan mai Qur'an Padhne aur Sunne Ka zoq v shoq badh Jana Momin ke imaan Ka Taqaza hai ,Jo log Namaze Taraveeh mai Susti karte hai'n Ya Hafiz Rail ( Tez Raftaar ) ko Taraveeh padhane ke liye Tajveez karte hai'n Taki Jaldi se faarig ho Jaye ( Agarche Tez padhne mai Qur'an ke Haroof Kat Jaye aur Ma'ani badal Jaye ) Ese log Sakht Galti per hai'n , Saal mai ek Maah ke liye to ye moqa Naseeb hota Hai isme bhi Masjid aur Namaz ,Quran se lagaav na ho aur Jaldi se bhaagne ki koshish Kare Jese Jail se Bhaag rahe ho ,Bahut badi mehroomi hai , Ese log Taraveeh ke alawa Kya Nifl padhte Jabki Taraveeh Jo Sunnate mo'aqada hai Usko Bad Dili se padhte hai'n balki padhne Ka naam kar ke jald se jald Hotelo mai Jaa kar gappe ladane mai mashgool ho Jate hai'n ,

┱_ Bahut si Aurte'n Roze to rakhti hai'n aur Shabe Qadr mai bhi khoob jaag leti hai'n Lekin Taraveeh padhne mai Susti karti hai'n , Ey Maao'n Behno ! Aakhirat Ke Kaamo mai gaflat na barto , Taraveeh poori 20 Raka'at padha karo ,Agar bil Farz kisi vajah se Maslan Bachcho Ke rone cheekhne ya Unke mareez hone ki vajah se Shuru Raat mai poori Taraveeh na padh sako to Jab Sahri ke liye utho us Waqt poori kar lo , Balki agar Shuru Raat mai Poori Hi Namaze Taraveeh Reh Jaye to Poori 20 Raka'at Sahar ke Waqt padh lo ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan Aakhirat Ki Kamaa'i Ka Mahina hai , Isme Khoob Zyada Ibaadat Kare_*

┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k -

"__ Jab ( Maahe ) Ramzan dakhil ho jata Hai to Asmaan ke darwaze khol diye Jate hai'n aur Baaz rivayato mai hai k Jannat ke darwaze khol diye Jate hai'n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai'n aur Shayateen ( Zanjeero'n mai ) Jakad diye Jate hai'n ( aur Ek Rivayat mai Hai k ) Rehmat ke darwaze khol diye Jate hai'n _,"

*🗂 Mishkaat - 173 Az Bukhari v Muslim ,*

┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k -

"__ Jab Maahe Ramzan ki Pehli Raat hoti Hai to Shayateen aur Sharkash Jinn Jakad diye Jate hai'n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai'n, fir ( Ramzan ke khatm hone Tak ) Unme se koi ek darwaza bhi nahi khola Jata aur Jannat ke darwaze khol diye Jate hai'n fir ( Ramzan ke khatm Tak ) Unme Ka ek darwaza bhi band nahi Kiya Jata aur Ek Nida dene Wala Pukaarta hai k Ey Khayr ke talash karne wale Aage badh aur Ey Buraa'i ke talash karne wale ruk ja _,"

*🗂 Mishkaat-173 An Tirmizi ,*

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan Nekiyo'n Ka Mahina Hai_*

┱ _ Ramzanul Mubarak Bahut hi khayro Barkat Ka mahina hai aur Aakhirat ki Kamaa'i Ka Bahut bada Seezan hai ,Jese Sardi ke Zamane mai Garam Kapde Bechne walo ko khoob Kamaa'i hoti Hai isi tarah Akhirat ki Kamaa'i ke liye bhi Khaas Khaas mawaqe aate rehte hai'n ,

┱_ Ramzanul Mubarak Nekiyo'n Ka Mahina hai, isme Ajro sawab khoob zyada badha diya Jata hai,Nifl Ka sawab Fatz ke barabar aur Ek Farz Ka Sattar Farzo ke barabar Sawab milta hai , Jesa k Khutab e Nabvi Sallallahu Alaihivasallam mai Guzar Chula hai ,is Maah mai Nekiyo'n ki Esi Hawa chalti hai k Khud ba khud Tabiyate Neki per aa jati hai'n , aur Allah ka munaadi bhi Neki karne wali ko thapki de de Kar aage badhata hai , Esi Soorat mai Momin Bande khoob zor shor se Nekiyo'n mai lag Jate hai'n ,  Jo Shakhs doosre mahino mai do Raka'at Namaz padhne se Jaan churate hai'n Wo Ramzanul Mubarak mai Paanch Waqt Aur Tilawat ke Paband ho Jate hai'n , aur Taraveeh bhi Khushi Khushi Ada karte hai'n , Bahut se Sharabiyo'n ko dekha hai k is Maah mai Sharaab Chhod dete hai'n aur Haraam Kamaa'i wale Haraam se Baaz aa jate hai'n ,

┱_ Fara'iz Ka ahatmaam to baharhaal zaroori hai,Nifli Namaz ,zikr, Tilawat aur Digar ibadaat ki taraf bhi khusoosi tavajjoh Karna chahiye, is Maah mai koshish Kare k koi minute zaay na ho , Laa ilaaha illallaah aur istigfaar ki kasrat Kare , Jannat Ka Sawal aur Dozakh se Mehfooz rehne ki Dua bhi kasrat se Kare , Shayad Kisi ke Dil mai ye khayal guzre k jab Shayateen qaid ho Jate hai'n to Bahut se log Ramzanul Mubarak mai bhi Gunaaho mai mubtila rehte hai'n? Baat dar Asal ye hai k insaan Ka Nafs gunaah karane mai Shaitaan Se kam nahi Hai, Jin logo ko Gunaaho ki khoob aadat ho jati hai unko Gunaaho Ka chashka pad Jata hai , Shaitaan ki targeeb ke bager bhi Unki Zindgi ki gaadi Gunaaho ki patri per chalti rehti hai ,

┱ _Gubaah to insaan se ho jata Hai Magar Gunaah Ka aadi banna aur is per israar Karna aur Ramzan Jese Mahine mai Gunaah Karna Bahut hi zyada khatarnaak hai , jaha gunaah karane ke liye Shaitaan Ke behkaane ki bhi zarurat na pade Waha'n Shararate Nafs ka Kya haal hoga ?  
  
╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan aur Tahajjud _*

┱ _ Ramzan mai Tahajjud padhna Bahut Asaan ho Jata hai Kyunki Tahajjud ke Waqt Sehri Khane ke liye uthte hi hai'n ,Sehri Khane se pehle ya Baad mai ( jab Tak Subeh saadiq na ho ) Jis qadar Mumkin ho sake Nawafil padh liya Kare , is tarah poore Ramazan mai Tahajjud Naseeb ho sakti Hai, Fir aadat pad Jaye to Baad mai bhi Amal Jaari Reh Sakta Hai Varna Kam az Kam Ramzan mai to Tahajjud Ka ahatmaam Kar hi le ,

*┱✿ Roza Aftaar karana _,*

┱_ Farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k Jisne Rozadaar ka Roza khulwaya ya Mujahid ko Samaan de diya to usko Rozadaar aur gaazi Jesa ajr milega , *( Bayhiqi Fi Shoebul imaan An Zaid ibne Khalid Raz.)*

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan Aur Sakhawat_*

┱ _ Ramzanul Mubarak Sakhwat Ka Mahina bhi hai , isme Jis qadar Fi sabilillaah kharch Kiya Jaye Kam hai , Kyunki ye Mahina Akhirat ki Kamaa'i Ka Mahina hai, isme Roza aftaar karane aur Roza kholne Ke Baad Rozadaar ko Pet bhar khana khilane ki bhi Khaas Fazilat waarid Hui Hai , aur is Maah ko Gamkhwari Ka Mahina farmaya hai , Jesa k Khutbe mai Guzar Chula , Gareebo ki imdaad v i'anat is Maah ke kaamo mai ek Aham Kaam hai ,

┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Jab Ramzan Ka Mahina aa Jata tha to Hazrat Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam har qaidi ko azaad farma dete they aur har Saa'il ko ata farmate they _,"

*🗂 Mishkaat Sharif _,"*

┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Sab logo se zyada sakhi they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat Ramzanul Mubarak mai Tamaam ayyaam se zyada ho jati thi , Ramzan mai har Raat ko Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat karte they ( aur ) Aap Sallallahu Alaihivasallam unko  Qur'an Sharif sunate they, Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam se Jibraiyl Alaihissalam mulaqaat karte they to Aap Sallallahu Alaihivasallam us Hawa se bhi zyada Sakhi ho Jate they Jo Baarish lati hai _,"

*🗂 Muttafiq Alayhi _,"*

╨───────────────────── 
*┱✿ Sahri Khaana _*

┱ _ Farmaya Nabi Mukarram Sallallahu Alaihivasallam ne k Sehri Khaya Karo , Kyunki Sehri mai Barkat hai _,"  *( Bukhari v Muslim An Anas )*

┱_ Aur ye bhi farmaya k hamare aur Ahle Kitaab ke Rozo mai Sehri Khane Ka Farq hai _," *( Muslim An Amro bin Aas Raz.)*

┱_ Aur Ek Hadees mai Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sehri Khane walo per Khuda aur Uske Farishte Rehmat bhejte hai'n _," *( Tabrani An ibne Umar Raz.)*

*┱✿ Roze mai Bhool kar Khaa Pi Lena _,*

┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne k Jo Shakhs Roze mai Bhool Kar Khaa Pi le to Wo Roza poora Kar le , Kyunki ( uska qusoor nahi ) use Allah ne khilaya aur Pilaya _," *( Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raz. )*

*┱✿ Aftaar mai Jaldi Karna _,*

┱ _ Farmaya Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne k - log Hamesha khayr per rahenge Jab Tak Aftaar mai Jaldi karte rahenge Yani guroob aftaab Hote hi foran Roza khol liya Kare _," *( Bukhari v Muslim An Sahal Raz.)*

"┱_Aur farmaya Rehmate Kaaynaat Sallallahu Alaihivasallam ne k Allah Ta'ala farmate hai'n k Bando mai mujhe Sabse Zyada pyaara Wo hai Jo Aftaar mai Sabse Zyada Jaldi karne wala hai , Yani guroob aftaab Hote hi foran aftaar karta Hai aur use isme Jaldi Ka khoob ahatmaam rehta Hai _," *( Tirmizi an Abi Huraira Raz. )*

┱_ Aur Farmaya Sayyadul Konain Sallallahu Alaihivasallam ne k Jab idhar se ( Yani Mashrik se ) Raat aa gayi aur udhar se ( Yani Magrib se ) din Chala gaya to Roza aftaar karne Ka Waqt ho gaya ( aage intezar Karna fizool hai balki makrooh hai ) , *( Muslim An Amro bin Aas Raz. )*

╨───────────────────── 
*┱✿ Khajoor aur Paani Se Aftaar_*

┱ _ Farmaya Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k  jab tum Roza kholne Lago to Khajooro se aftaar Karo , Kyunki Khajoor sarapa Barkat hai , Agar Khajoor na mile to Paani se Roza khol lo , Kyunki wo ( zaahir v Baatin ko ) Paak karne Wala hai _," *( Tirmizi an Salman bin Aamir Raz.)*

*┱✿ Roza Jism Ki Zakkat Hai _,*

┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k har Cheez ki Zakaat hoti Hai aur Jism ki Zakaat Roza hai _," *( ibne Maaja an Abi Huraira Raz. )*

*┱✿ Sardi mai Roza _,"*

┱_ Hazrat Aamir Bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k Mausam Sarma mai Roza rakhna muft Ka Sawab hai , *( Tirmizi )* Muft Ka sawab isliye farmaya k isme Pyaas nahi lagti aur Din bhi Chhota hota Hai ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Janabat Roze ke Munafi nahi_*

┱ _ Farmaya Ayesha Raziyallahu Anha ne k Ramzanul Mubarak mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Janabat Subeh ho jati thi aur Ye Janabat Ahatlaam ki nahi ( balki Biviyo'n ke Saath mubashrat karne ki vajah se hoti thi ) Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam Gusl farma Kar Roza rakhte they _," *( Bukhari v Muslim )*

"__ Matlab ye hai k Subeh Saadiq se pehle Gusl nahi farmaya aur Roze ki Niyat kar li ,fir Tulu Aftaab se pehle Gusl farma Kar Namaz padh li , is tarah Roze Ka kuchh hissa Haalate Janabat mai guzra , isliye k Roza bilkul ibtida e Subeh saadiq se Shuru ho jata Hai , isi tarah agar Roze mai Ahatlaam ho Jaye to bhi Roza faasid nahi hota Kyunki Janabat Roza ke munafi nahi hai ,

*┱✿ Roze mai Miswaak Karna _*

┱ _ Farmaya Hazrat Aamir Bin Rabi'a Raziyallahu Anhu ne k Maine Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Roza itni baar Miswaak karte hue dekha hai k Jiska mai Shumaar nahi Kar Sakta _," *( Tirmizi )*

┱_ Miswaak tar ho ya khushk Roze mai har Waqt Kar sakte hai'n , Albatta Manjan ,Tooth Powder , Toothpaste ya Koyla vagera se Roze mai Daant Saaf Karna makrooh hai ,

*┱✿ Roze mai Surma Lagana _,"*

┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Shakhs ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Meri Aankh mai Takleef hai ,Kya Mai'n Roze mai Surma laga Lu ? Farmaya - Laga lo _,"  *( Tirmizi )*

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan Ke Aakhri Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Kiya Jaye _,*

┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai'n k Jab Ramzan Ka Aakhri Ashra aata Tha to Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Apne Tehband ko Mazboot baandh lete they aur Raat bhar ibaadat karte they aur Apne Ghar walo ko (bhi ibaadat Ke Liye ) jagaate they _,"

*🗂 Mishkaat Sharif-182 Az Bukhari v Muslim,*

┱_  Ek Hadees mai Hai k Mehboob Rabbul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Das Dino ke andar Jitni Mehnat se ibaadat karte they Iske alawa doosre ayyaam mai itni Mehnat na karte they , *( Muslim An Ayesha Raz.)*

┱_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ye Jo farmaya k RamZan ke Aakhri Ashre mai Aap Tehband kas lete they, Ulma ne iske do Matlab bataye hai'n,ek ye k Khoob Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Raato Raat jaagte they, Ye Esa hi hai Jese muhawre mai Mehnat ke Kaam ke liye bola Jata hai k " Khoob kamar kas lo " aur Doosra Matlab Tehband kas Kar baandhne Ka ye bataya k Raat ko Biviyo'n ke paas letne se door rehte they, Kyunki Saari Raat ibaadat mai guzar jati thi aur Aitkaaf bhi hota Tha , isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai Miya'n Bivi wale Khaas Talluq Ka moqa nahi lagta tha ,

┱ _Hadees ke Aakhir mai farmaya k RamZan ke Aakhir Ashre mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam khud bhi bahut Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Ghar walo ko bhi is maqsad ke liye jagate they, Baat ye hai k Jise Akhirat Ka Khayal ho ,Maut ke Baad ke Halaat Ka Yaqeen ho ,Ajro sawab ke lene Ka lalach ho wo Kyu na Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagega ,fir Jo Apne liye pasand Kare Wahi Ahlo Ayaal ke liye bhi pasand Karna chahiye ,

┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Raato ko Namazo ke andar itna Qiyaam farmate they k qadmo Mubarak per Varam aa Jata tha , Fir Ramzan ke andar Khususan Akhir Ashre mai to aur zyada ibaadat badha dete they Kyunki ye Mahina aur Khaas Kar Akhir Ashr Aakhirat ki kamayi Ka Khaas moqa hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki koshish hoti thi k Ghar wale bhi ibaadat mai lage rahe , Lihaza Unko bhi jagate they ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Shabe Qadr Aur Uski Dua  _*

┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mai'ne arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Irshad farmaiye k agar mujhe pata chal Jaye k Fala Raat ko Shabe Qadr hai to Mai'n Kya Dua karu'n ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Ye Dua Karo -

*""اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي_,*

*Allahumma innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa’afu Anni ,*

( Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai’n isliye mujhe bakhsh dijiye ),”

*🗂 Mishkaat Sharif-182 Az Ahmad v ibne Maaja v Tirmizi ,*

┱_ Dekhiye kesi Dua irshad farmayi ,na zar maangne ko bataya na Zameen,na dhan na Daulat,Kya maanga Jaye ? Maafi  ! Baat Asal ye hai k Aakhirat Ka Maamla Sabse Zyada mushkil hai , Waha'n Allah ke maaf farmane se Kaam chalega ,agar maafi na Hui aur Khuda na khwasta azaab mai girftaar hue to Duniya ki har Ni'amat aur lazzat aur Daulat v Sarwat bekaar hogi ,Asal Cheez Magfirat hai ,

┱_ Ek Hadees mai irshad farmaya- 
"__Jo Shakhs Laylatul Qadr mai imaan ke Saath aur Sawab ki Niyat se ( ibaadat Ke Liye ) khada raha Uske Pichhle Tamaam Gunaah Maaf Kar diye jayenge _," *( Bukhari v Muslim )*

╨───────────────────── 
*┱✿ Shabe Qadr Ki Fazilat_*

┱ _ Ramzanul Mubarak Ka poora Mahina Akhirat ki Daulat kamane Ka hai fir is Maah mai Aakhiri Ashra aur bhi zyada Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagne Ka hai , is Ashre mai Shabe Qadr hoti Hai Jo badi ba Barkat Raat hai ,

┱_ Allah Ta'ala Ka irahad hai - Shabe Qadr Hazaar mahino se Behtar hai _," _ Hazraar Mahine ke 83 Saal aur 4 Mahine Hote hai'n, Fir Shabe Qadr ko Hazaar Mahine ke barabar nahi bataya balki Hazaar Mahine se behtar bataya , Momin Bande ke liye Shabe Qadr Bahut hi Khayro Barkat ki Cheez hai ,Ek Raat jaag kar ibaadat kar le aur Hazaar Mahino se zyada ibaadat Ka sawab pa le ,isse badh Kar aur Kya chahiye ? Isliye to Hadees Sharif mai farmaya -

"_ Jo Shakhs Shabe Qadr se mehroom ho gaya ( Goya ) poori bhala'i se mehroom ho gaya , aur Shabe Qadr ki Khayr se Wahi mehroom hota Hai Jo Kaamil mehroom ho _," *( ibne Maaja )*

┱_ Matlab ye hai k Chand ghante ki Raat hoti hai aur isme ibaadat kar lene se Hazaar Mahine se zyada ibaadat Ka sawab milta hai , Chand ghante Nafs ko samjha bujha Kar ibaadat Kar Lena Koi Esi takleef nahi Jo bardasht se bahar ho , takleef Zara si aur sawab Bahut bada ,

┱ _Pehli Ummato ki Umar zyada hoti thi ,is Ummat ki Umar Bahut se Bahut 70-80 saal hoti Hai , Allah Ta'ala ne ye ahsaan farmaya k Hume Shabe Qadr ata farma di aur Ek Shabe Qadr ki ibaadat Ka darja Hazaar mahino ki ibaadat se zyada Kar diya , Mehnat Kam Hui ,Waqt bhi Kam laga aur Badi Badi Umar Wali Ummato se badh Gaye , Allah Ta'ala Ka Fazal v inaam hai k is Ummat ko Sabse Zyada nawaza , Ab ye kesi nadaani hogi k Allah ki nawazish ho aur hum gaflat mai pade sote rahe , Ramzan Ka Koi lamha Zaaya na hone do , Khususan Akhir Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Karo , aur usme bhi Shabe Qadr mai jaagne ki Bahut zyada fikr Karo , Bachcho ko bhi targeeb do ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Shabe Qadr Ki Tareekhe_*

┱ _ Shabe Qadr ke bare mai Hadeeso mai Waarid hua hai k RamZan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato mai talash Karo , Lihaza Ramzan ki 21- 23-25-27-29 vi Raat ko Jaagne aur ibaadat karne Ka Khaas Ahatmaam Kare , Khususan 27 vi Shab ko to zaroor Jaage , Kyunki is Din Shabe Qadr hone ki zyada Ummeed hoti Hai ,

┱_  Hazrat Ubaada Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek Din isliye Baahar tashreef laye k Hume Shabe Qadr ki ittela farma de'n ,Magar Do Musalmano mai Jhagda ho raha tha , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mai'n isliye aaya tha k Tumhe Shabe Qadr ki ittela du'n , Magar fala Fala Shakhso mai Jhagda ho raha tha Jiski vajah se iski Taiyn mere zahan se utha li gayi , Kya Baiyd hai k ye utha Lena Allah ke ilm mai behtar ho _," *( Bukhari )*

┱_ Is Mubarak Hadees se maloom hua k Aapas Ka Jhagda is qadar bura Amal hai k iski vajah se Allah Ta'ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Qalbe Mubarak se Shabe Qadr ki Taiyn utha li , Yani Kis Raat ko Shabe Qadr hai Makhsoos Kar ke iska ilm Jo de diya gaya Tha , Wo Qalb se utha liya gaya , Agarche Baaz vajaho se isme bhi Ummat Ka Faayda ho gaya , Jesa k in Sha Allah Ta'ala hum abhi zikr karenge Lekin Sabab Aapas Ka jhagda ban gaya Jisse Aapas mai jhagde ki mazammat Ka pata Chala ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Shabe Qadr ki Taiyn na karne mai Masaleh _*

┱ _ Ulma Kiraam ne Shabe Qadr ko Poshida rakhne Yani muqarrar Kar ke yu'n na batane ke bare mai Fala Raat ko Shabe Qadr hai Chand Maslihate batayi hai'n :-

1_ Avval ye k agar Taiyn baqi rehti to Bahut se Kotahi Tabiyat wale Doosri Raato Ka ahatmaam bilkul tark kar dete aur Taiyn na hone ki Soorat mai is ahatmaal per k Shayad Aaj hi Shabe Qadr ho Sabhi Raato mai ibaadat ki tofeeq ho jati hai ,

2_ Doosri ye k Bahut se log ese hai'n Jo Gunaaho Ke bager nahi rehte , Taiyn ki Soorat mai agar bavjood maloom hone ke Gunaaho ki jurrat ki jati to ye Baat Bahut Sakht andeshanaak hoti ,

3_ Teesre ye k Taiyn ki Soorat mai agar kisi Shakhs se wo Raat chhoot jati to Aa'inda Raato mai Afsos ki vajah se fir kisi Raat Ka jaagna bashashat ke Saath Naseeb na hota aur ab bashashat ke Saath Ramzan ki Chand Raato ki ibaadat Shabe Qadr ki talash mai Naseeb ho jati hai ,

4__ Chothi ye k Jitni Raate Talab mai Kharch hoti hai'n sabka sawab mustaqil sawab Alhaida milta hai ,

5__ Paanchva ye k RamZan ki ibaadat mai Haq Ta'ala Shanhu Malayka per tafakhur karte farmate hai'n , is Raat mai tafakhur Ka moqa zyada hai k bavjood maloom na hone k Mahaz ahatmaal per Raat Raat bhar jaagte hai'n aur ibaadat mai mashgool rehte hai'n ,

"_ Aur inke alawa aur bhi Maslihate ho sakti hai'n, Mumkin hai jhagde ki vajah se Taiyn bhula di gayi ho aur Uske baad Mazkoora Masaleh ya digar Masaleh ki vahah se Hamesha Ke Liye Taiyn Chhod di gayi ho , Wallahu A'alam ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf _*

┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf farmate they, Wafaat hone Tak Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye mamool raha , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya'n Aitkaaf karti thi _,",

*🗂 Mishkaat Sharif- 183 Az Bukhari v Muslim,*

┱_  Ramzanul Mubarak ki har Ghadi aur minute v second ko ganeemat jaanna chahiye ,Jitna Mumkin ho is Maah mai nek Kaam Kar lo aur Sawab loot lo ,fir Ramzan mai bhi Aakhri Das din ki ahmiyat Bahut zyada hai ,

┱_ Ramzan ke Aakhri Das din ( Ashra Akhira kehlate hai'n ) Unme Aitkaaf bhi Kiya Jata hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam har saal inme Aitkaaf farmate they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya'n bhi Aitkaaf karti thi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke Baad bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviyo'n ne Aitkaaf Ka ahatmaam Kiya ,

┱ _Aitkaaf mai Bahut bada faayda hai, isme insaan yaksu ho Kar Apne Allah se lo lagaye rehta Hai aur Chunki Ramzan ki Aakhri Das raato mai koi na koi Raat shabe qadar bhi hoti Hai, isliye Aitkaaf karne wale ko Umuman Wo bhi Naseeb ho jati hai ,

┱ _Mard Esi Masjid mai Aitkaaf Kare Jisme Paancho waqt Jama'at se namaze hoti ho ,Aur Aurte'n Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf Kare , Apne Ghar mai Jo jagah Namaz ke liye muqarrar Kar rakhi ho Unke liye Wahi Masjid hai , Aurte'n isme Aitkaaf Kare ,

╨───────────────────── 
*┱✿ Aitkaaf - Chand Masa'il_*

┱ _ Ramzan ki Beesvi Tareekh Ka Suraj chhipne se pehle Aitkaaf ki jagah mai dakhil ho Jaye aur Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Aitkaaf ki Niyat se Aurte'n ghar ki Masjid mai aur Mard Panj Waqta Namaze Ba Jama'at wali Masjid mai Jam Kar rahe , isko Aitkaaf kehte hai'n , Jam Kar rehne Ka Matlab ye hai k Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Masjid hi ki had mai rahe ,Wahi Soye ,Wahi khaye , Qur'an Padhe ,Nifle padhe , Tasbeeh mai mashgool rahe , Jaha'n Tak Mumkin ho Raato ko Jaage aur ibaadat Kare ,Khaas Kar Jin Raato mai Shabe Qadr ki Ummeed ho ,un Raato mai Shab Bedaari Ka Khaas Ahatmaam Kare ,

*┱_ Masla _,* _ Aitkaaf mai Miya'n Bivi ke Khaas Talluqaat wale Kaam Jaa'iz nahi hai , na Raat mai na Din mai , Aur peshaab pakhana ke liye Aitkaaf ki jagah se nikalna durust hai ,

*┱_ Masla_* _ Ye Mash'hoor hai k Jo Aitkaaf mai ho Wo kisi se na bole chale ye Galat hai , balki Aitkaaf mai bolna chaalna Achchhi Baat Karna ,kisi ko nek Baat Bata Dena aur Buraa'i Se rok dena ,Baal Bachcho Naukar Naukraniyo ko Ghar Ka Kaam kaaj Bata dena ye Sab Durust hai , aur Aurat ke liye isme Asaani bhi hai k Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf ki Niyat se bethi rahe aur Wahi se bethe bethe Ghar Ka Kaam kaaj bhi batati rahe ,

*┱ _Masla _,* _ Agar Aitkaaf mai Aurat ko Maahwaari Shuru ho Jaye to uska Aitkaaf Wahi khatm ho gaya , Ramzan ke Aakhri Ashre ke Aitkaaf mai agar esa ho Jaye to ( Apne ilaaqe ke Ulma Kiraam se Masla maloom karwa Kar ) Qaza kar le ,

┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Aitkaaf Moatkif ko Gunaaho se rokta hai aur Uske Liye  un Sab Nekiyo'n Ka sawab ( bhi ) Jaari rehta Hai ( Jinhe Aitkaaf ki vajah se nahi Kar Sakta ) , *( Mishkaatul Masabeh-)*

╨───────────────────── 
*┱✿ Aakhri Raat Mai Bakhshish_*

┱ _ Jis Din Subeh ko Eid Ya Bakra Eid ho us Raat ko bhi zikr ibaadat aur Nifl Namaz se zinda rakhne ki Fazilat aayi hai , Hadees Shareef mai hai k Jisne dono Eido'n ki Raato ko ibaadat ke zariye zinda Kiya ,us Din uska Dil Murda na hoga Jis Din Dil Murda honge ( Yani Qayamat ke Din ) _," *( Targeeb v Tarheeb )*

┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Ramzan ki Aakhri Raat Mai Ummate Muhammadiya Sallallahu Alaihivasallam ki Magfirat Kar di jati hai ,

Arz Kiya gaya - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Kya isse Shabe Qadr muraad hai ?

Farmaya- nahi ! ( Ye Fazilat Aakhri Raat ki hai ,Shabe Qadr ki Fazilat iske alawa hai ) Baat ye hai k Amal karne wale Ka Ajr us Waqt poora de Diya Jata Hai ,Jab Kaam poora Kar deta Hai , Aur Aakhri Shab mai Amal poora ho jata Hai, Lihaza Bakhshish ho jati hai , *( Mishkaat )*

"__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza'il v Masa'il Yaha'n Dekhiye ,*
  
*Baqi Hissa  , Soon in Sha Allah_,*
  
▦══─────────────══▦

ReF✿┅╮   
         *🗂 Tohfa E Khawateen,*
                  ╨───────────────────── 
                  
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
🍃🌸🍃



1 comment:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to Ramzan.
    Mah e Ramzan Kay Fazail o Masail

    ReplyDelete