ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
✰══❖══✰═══❖══✰
鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
*⊙ LIBAAS -V- ZEENAT ⊙*
╨─────────────────────
*┱✿ _Khawateen Ka Libaas Kaisa Ho ?*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Allah un Aurto'n per Raham farmaye Jinhone islam ke ibtidayi Daur mai ( Makka se Madina Ko ) Hijrat ki , Jab Allah Ta'ala ne Hukm "_( Surah An-Noor, Aayat 31)
وَلْيَضْرِبْنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّ
Naazil farmaya to Unhone Apni Moti se Moti Chaadar ko kaat Kar Dupatte Bana liye _,"
* Sunan Abu Daowd-211,*
┱_ Mufassireen likhte hai'n k Zamana e Jahiliyat mai Aurto'n Ka dastoor tha k Dupatto se Apne Saro ko dhaank Kar baqi dupatta kamar per daal leti thi , Musalman Aurto'n ko Hukm hua k Apne Dupatto se sar bhi daanke aur Gale aur Seene per bhi daale raha Kare , is Hukm ko sun Kar Sahabi Aurto'n ne Moti Moti Chaadaro ke Dupatte Bana liye aur Qur'an ke Hukm ke mutabiq Apne Galo aur Seeno ko bhi Dupatte se dhaankne lagi , Chunki Bareek Kapde se SAR aur Badan Ka parda nahi ho Sakta Hai isliye Moti Chaadaro ke Dupatte akhtyar kiye ,
┱_ Aaj Kal Aurte'n sar Chhupana ko ayb samajhne lagi hai'n aur Dupatta Avval to is qadar Bareek hota Hai k Sar ke Baal aur Husno Jamaal isse Poshida nahi hote , doosre is qism ke Kapde Ka dupatta banati hai'n k Sar per theharta hi nahi ,Chiknahat ki vajah se baar baar sarakta hai aur Parde Ka maqsad faut Kar deta Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ _Khawateen Ka Libaas Kaisa Ho-,*
┱ _ Hazrat Daviya bin Khalifa Raziyallahu Anhu Ka Bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Misr ke Bareek Kapde haazir kiye gaye, Unme se ek Kapda Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe inayat farmaya k iske do tukde Kar ke ek se apna kurta bana Lena aur Doosra tukda Apni Bivi ko de Dena ,Jiska Wo Dupatta bana legi , Wo Kapda le kar jab mai chal Diya to irshad farmaya k Apni Bivi ko Bata dena k iske niche koi Kapda ( Astar ) laga le ( Jisse iski bareeki ki talafi ho Jaye aur Sar vagera ko chhupaye rahe ) _,"
* Abu Daowd _,*
┱_ Ek Martaba Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat mai Unke Bhai Abdur Rahman bin Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Beti Hafsa pahunch gayi , Us Waqt Hafsa Raziyallahu Anha ne Bareek Dupatta oad rakha tha ,Usko le kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne faad daala aur Apne paas se unko mota Dupatta oada Diya _,"
* Mota imaam Maalik Reh. _,*
┱_ in rivayaat se maloom hua k Bareek Dupatte se parhez Karna Laazim hai aur agar bil Farz Bareek dupatta oadna hi pad Jaye to uske niche mota Kapda laga le Taki Sar aur Digar A'aza nazar na aaye ,
┱ _Musalman Aurat ko islam ne Sharmo haya sikhayi hai ,Ese Kapde pehanne se Mana farmaya jiska pehanna na pehanna barabar ho , aur Jinse Parda hi na ho sake , Aurte'n Saro per ese Dupatta oade Jisse Baal chhup Jaye gardan gala Chhup Jaye , Aasteen poori ho , Gardan Jism Ka koi hissa nazar na aaye , Khayal rahe gardan girebaan Ka kat pichhe aur Aage Seene Ka hissa nazar na aaye , Salwaar vagera bhi ese Kapde ki pehne jisse Raan, Pindli ka koi hissa nazar na aaye ,
╨─────────────────────
*┱✿ Mardo'n Ko Apni taraf Maa'il Karne wali Aurte'n _*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Anwar Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Dozakhiyo'n ki do Jama'ate Maine nahi dekhi hai'n ( Kyunki wo abhi mojood nahi Hui Baad mai unka vajood aur zahoor hoga ) Ek Jama'at un logo ki hogi Jinke paas Belo ki Dumo ki tarah kode honge ,unse logo ko( zulman ) maarenge ,
Doosri Jama'at Esi Aurto'n ki hogi Jo Kapde pehne hue hongi ( khud Unki taraf ) maa'il hone wali hongi ,Unke Sar khoob bade bade Ounto ke kohaano ki tarah honge Jo jhuke hue honge , Ye Aurte'n na Jannat mai dakhil hongi aur uski Khushbu soonghengi aur isme shak nahi k Jannat ki Jannat ki Khushbu itni itni door se soonghi jati hai _,"
* Mishkaatul Masabeh- 306 Az Muslim _,*
┱_ Hadees mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne ese giroho ke mutalliq pesheen goyi farmayi hai Jinko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Zamane mai nahi dekha tha ,Lekin Aaj Wo dono giroh Apne Shar aur Fasaad ke Saath mojood hai'n , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Avval to un logo Ka zikr farmaya Jo Kode liye firenge , aur unse logo ko maarenge , ye un logo ke bare mai pesheen goyi farmayi Jo Apne iqtdaar ke nashe mai Baat Baat per Kamzoro aur bebaso ko peet diya karte hai'n , Zameedaaro aur maaldaaro ko dekha ja sakta Hai Jo Kam haisiyat logo per Zulm karte rehte hai'n ,
╨─────────────────────
*┱✿ Kapde Pehne Hue Bhi Nangi_*
┱ _ Doosri Pesheen goyi Aurto'n ke Haq mai irshad farmayi k Esi Aurte'n mojood hongi Jo Kapde Pehne hue hongi Lekin fir bhi Nangi hongi , Yani is qadar Bareek Kapde pehnengi k uske pehanne se Jism chhupane Ka faayda haasil na hoga , Ya Kapda Bareek to nahi hoga Magar Chust hone aur Badan per Kas Jane se uska pehanna na pehanna barabar hoga ,
┱_ Badan per Kapde hone aur iske bavjood Nange hone ki ek Soorat ye bhi hai k Badab per Sirf thoda sa Kapda ho aur Badan Ka aksar hissa aur Khususan Wo A'aza Khule rahe Jinko Ba Haya Aurte'n Mardo'n se chhupati hai'n , Jesa k Western Countries mai aur Baaz Bade bade Shehro mai esa Libaas pehanne ka rivaaj hai k ghutno Tak kameez ya Frock hota Hai ,Aasteen ya to hoti hi nahi ya is qadar hoti hai k Mondho se Sirf do Chaar inch hi hoti hai , Pindliya'n bilkul nangi hoti hai'n aur Sar Dupatte se Khaali hota Hai aur Frock Ka gala aage aur Pichhe se is qadar faraakh aur choda hota Hai k Aadhi Kamar aur Aadha Seena nazar aata Hai ,
┱_ Fir farmaya k ye Aurte'n ( Gair Mardo'n ko ) Apni taraf Maa'il karengi aur khud Unki taraf maa'il hongi , Yani Nanga hone Ka Rivaaj muflisi ki vajah se nahi hoga balki Mardo'n ko Apna Badan dikhane aur unka Dil lubhane ke maqsad se hoga , Aur Doosra tareeqa ye akhtyar karengi k Apne Saro ko ( Jo Dupatto se Khaali honge ) Matka Kar chalengi Jis tarah Ount ki pusht Ka balaayi hissa ( Jisko kohaan kehte hai'n ) tez raftaari ke Waqt Zameen ki taraf jhuka karta Hai , Ount ke Kohaan se Tashbeeh de Kar ye bataya k Wo Aurte'n Baalo ko fula fula Kar Apne Saro ko mota karengi ,
╨─────────────────────
*┱✿ Fashion Ki Buri Buraa'i_*
┱ _ Fashion ki Buraa'i ne bade bade mo'azziz aur Shareef khandaano ki Aurto'n ko Yahoodo Nasaara ki Aurto'n aur Film Actrees ki taqleed per amaada Kar diya hai ,Cinema dekhne se Jaha'n aur Bahut se gunaah aur nuqsanaat hai'n Waha'n ek ye bhi hai k Nojawan Ladkiya'n aur Moden Aurte'n Filmo mai Kaam karne wali be sharm aur be Haya Aurto'n Ka Libaas pehan Kar Unke Tor Tareeqe seekh Kar aati hai'n aur fir unki Naqal Utaarne mai Fakhr samajhti hai'n ,
┱_ Aaj Kal ki Bahut si Aurte'n tarah tarah se gair Mardo'n ko Apni taraf maa'il karne ki tadbeere karti hai'n , Masaln Burkha pehan Kar Baahar nikli aur Haatho ko Bahar nikaal liya ,Ya Burke Ka Naqaab itna chhota rakha k dono taraf se rukhsaar Saaf nazar aa sake , Ya esa Bareek Naqaab Burke mai Lagaya k Husno Jamaal ko Khado khaal ko aur numaya Kar de , aur Ab to khud Burkha hi ab bajaye Parde ke Kashish ka Samaan ban gaya hai , Burko per Foolo ki design , Chamaldaar Bareek Kapde Ka Burka hona bad nafs logo ko Burke wali ki taraf mutavajjah Kar deta Hai, Burka Kya hai Parde ke bajaye nazro ko kheenchne Ka Samaan ban gaya aur Wahi misl ho gayi k Jo na dekhe wo bhi dekhe ,
┱_ Aaj Kal Naach Gaana Bahut mo'azziz Kaam samjha Jane laga hai ,Schoolo aur collego mai iski baqaa'ida training di jati hai , Clubo aur bade bade Hotalo mai nange naach hote hai'n , Urope ke nafs parasto ne ye tajveez kiya hai k har Aurat Apne Shohar ke Siva gair Mard ke Saath naache ,Jo Aurat iske khilaf karegi wo us Society mai badtareen samjhi jayegi ,
┱ _Afsos hai Musalmano per k Urope ke be Haya logo ke Tor Tareeqo per chalne ko Taraqqi aur Kaamyabi samajhne lage hai'n , Naach Mardo'n ko Apni taraf Maa'il Karne Ka Sabse Zyada Kaamyab zariya hai , isse Jinsi ubhaar hota Hai aur ye Be hayaai ke poore maratib v manazil mile hone Ka zariya hai,
*┱ _ Hadees Ke Aakhir mai farmaya k esi Aurte'n Jannat mai na to dakhil hongi na uski Khushbu pa sakengi ,Fir farmaya k Jannat ki Khushbu itni itni door se soonghi jati hai, is Hadees mai musafat Ka zikr nahi hai Jiski doori se Jannat Khushbu soonghi jati hai, Baaz rivayato mai hai k Jannat ki Khushbu 100 baras ki musafat se soonghi jati hai ( Targeeb ) , Dekho Esi Jannat se mehroomi kesi bad bakhti hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Jo Aurat Khushbu laga Kar Mardo'n ke Paas Se Guzre Wo Esi Wesi Hai_*
┱ _ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ( nazre bad daalne wali ) har Aankh zinakaar hai , aur koi Aurat jab atr laga Kar ( Mardo'n ki ) Majlis ke qareeb se guzre to Esi Wesi hai ,Yani zinakaar hai _,"
* Mishkaat-196 Az Abu Daowd v Tirmizi_,*
┱_ Is Hadees mai Avval to irshad farmaya k Bad nazri karne wali har Aankh zinakaar hai , Ye hukm Mardo'n aur Aurto'n dono ko Shamil hai , Jo Mard Na Mahram Aurto'n ko dekhe ya Jo Aurat Na Mahram Mardo'n ki taak jhaak Kare ese Mard aur Aurat ki Aankh zinakaar hai , Asal Zina Jisko kehte hai'n sabhi ko maloom hai ,Lekin Zina ke Asbaab ko bhi Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Zina farmaya hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ A'aza Ka Zina_*
┱ _ Ek Hadees mai farmaya hai k Aankho ka Zina Dekhna hai aur Kaano ka Zina Sunna hai aur Zubaan Ka Zina Baat Karna hai aur Haatho Ka Zina pakadna hai aur Paanv Ka Zina chal kar Jana hai aur Dil ( Badkaari ki ) khwahish aur Tamanna karta Hai aur Sharmgaah us ( ki Ummeed ) ko jhutla deti ya sachcha Kar deti Hai _,"
* Mishkaat - 20 ,*
┱_ Maloom hua k Na Mahram Mard Aurat Ka ek doosre per nazar daalna bhi Zina hai , aur Bad niyati ke Saath ya lazzat ke liye Na Mahram Mard Aurat Ka Aapas mai Baat Karna aur Sunna bhi Zina hai ,Kisi na Mahram Mard ya Aurat ki taraf buri niyat se chal kar Jana ya haath se chhoona ye Sab Zina hai ,Halanki bada Zina dono ki shargaaho ka milna hai ,
┱_ Hadees Paak mai Aankho ka Zina bayan farmaya k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Aurat Khushbu laga Kar Mardo'n ki Majlis ke paas se guzre uska ye Amal bhi Zina hai, Kisi Mard v Aurat mai jab zinakaari ke Talluqaat Hote hai'n to ek dam nahi ho Jate balki Asal Zina Se pehle Bahut se ese Kaam kiye Jate hai'n, isiliye Shari'at e muqaddasa ne Zina ke Asbaab ko bhi Zina kaha hai ,
┱ _Aurto'n ko agar kisi Majboori se Kahi Jana ho to Parde Ka lihaaz Kar ke Mardo'n se bachte hue raasto ke kinaare se guzarte hue Jane ki ijazat di gayi hai , Khushbu laga Kar Bahar nikalna Chahe Burke ke andar hi Kyu na ho Shari'at ke nazdeek itni buri baat hai k Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne esa karne wali Aurto'n ko zinakaar farma diya ,
┱ _Khulasa ye hai k Aurat ko har tarah se gair Mardo'n se bach Kar rehna Laazim aur zaroori hai yaha Tak k esa moqa bhi na aane de k Koi gair Mard uaki Khushbu bhi pa sake ,
╨─────────────────────
*┱✿ Mardo'n aur Aurto'n Ki Khushbu mai Farq _*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya - Mardo'n ki Khushbu esi ho Jiski Khushbu zaahir ho Yani Doosro ko bhi pahunch rahi ho aur uska rang Poshida ho aur Aurto'n ki Khushbu esi ho jiska rang nazar aa raha ho aur Khushbu Poshida ho , ( Yani Bahut mamooli Khushbu aa rahi ho ) _,"
*🗂 Mishkaat - 318 Az Tirmizi v Nasaa'i _,"*
┱_ is Hadees mai Mardo'n aur Aurto'n ki Khushbu mai Farq bataya gaya hai Yani Mard Esi Khushbu lagaye Jisse Kapde per rang na lage ya halka sa rang lag Jaye Magar Khushbu doosro Tak pahunch rahi ho ,Maslan Atr gulaab ,mushk ,Anbar ,kafoor vagera laga le , aur Aurto'n ki Khushbu esi ho jiska rang Kapde per zaahir ho Jaye magar Khushbu mamooli ho ,Jo khud Apni naak Tak pahunch sake ya Shohar qareeb ho to usko Khushbu aa Jaye ,
┱_ Hadees mai farmaya k Jo Aurat Khushbu laga Kar Mardo'n ki Majlis per guzregi aur logo ko uski Khushbu aayegi to us Aurat Ka ye Amal Zina mai shumaar hoga , is Bina per tez Khushbu lagane se Aurat ko Sakht parhez Karna Laazim hai aur Aurat ko tez Khushbu lagane ki zarurat hi Kya hai ? Sirf Shohar se Talluq hai Usko sungha Dena kaafi hai ,
┱ _Dekhiye izzato Aabru ko mehfooz Rakhne ke liye Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne kese kese usool batlaye hai'n aur kesi kesi nasihate ki hai'n ,afsos hai k is Daur ke Musalman Sirf naam ke Musalman bane hue hai'n , Dushmanane islam Jo rang dhang aur be hayaai akhtyar karte hai'n ye log bhi Unke Pichhe lag lete hai'n, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki pervi ko Chhod Kar be hayaao ke pichhe lag Jana imaan ke daavedaaro ko kaha Tak zeb deta Hai? Khud hi gor kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Sone aur Resham Ki Vajah Se Maidane Qayamat mai Aurto'n Ko Pareshani _*
┱ _ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mujhe Allah ki taraf se ye manzar dikhaya gaya k Jannat mai dakhil hua hu'n , Waha'n Kya dekhta hu'n k Buland darjo wale wo be pesa hazraat hai'n Jinhone ( Allah ki raza ke liye ) Watan Chhod Kar Hijrat ki hai ,aur Ahle imaan ke Bachche bhi A'ala darjaat mai hai'n aur Jannat mai Maaldaar aur Aurte'n Sabse Kam hai'n ,
( ye dekh Kar mere Dil mai iska sabab maloom hone Ka da'iya paida hua ) Chunache mujhe bataya gaya k darwaze per maaldaaro ka hisaab ho raha Hai aur ( maal ke silsile mai ) unki chhaan been ho rahi Hai ,( k kaha se kamaya aur kaha kharch Kiya ) Lihaza Wo yaha abhi nahi pahunche aur Aurte'n yaha aane se isliye reh gayi k Unko Sone aur Resham ne ( Allah Ta'ala se aur Deen v Aakhirat se ) gaafil rakha hai _,"
*🗂 Targeeb v Tarheeb -3/101 Az ibne Hibaan *
┱ _ Ek Hadees mai Hai Jiske raavi Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu hai'n , K Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jannat ke darwaze per khada hua to dekha k usme aksar dakhil hone wale miskeen log hai'n , ( Jinke paas Duniya mai Maal v zar na Tha Jiske zariye Allah ko Bhool Kar Gunaaho mai mubtila Hote hai'n ) aur maal wale hisaab dene ke liye rok liye gaye hai'n ,Albatta Jin maaldaaro ko dozakh mai dakhil hona hai Unke bare mai Dozakh mai Jane Ka hukm mil chuka hai aur Mai'n Dozakh ke darwaze per khada hua to dekha k uske andar dakhil hone walo mai aksar Aurte'n hai'n ,"
*🗂 Mishkaat Sharif _,*
┱_ Is Hadees Ke alawa aur bhi Doosri hadeeso se waaze Tor per ye Saabit hota hai k Dozakh mai aksar Aurte'n hongi aur iski Vajah bhi Bahut si Ahadees mai batayi gayi , Hadeese baala mai bataya gaya hai k Aurto'n ke dozakh mai dakhil hone Ka Sabab ye hai k Duniya mai unko Sone aur Resham ne Khuda se aur Ahkaame Shari'at per Amal karne se gaafil rakha hai ,
┱_ Dar Haqeeqat Aurto'n mai Achchha se Achchha Kapda aur Umda se umda Zever ki Talab itni zyada hoti Hai k in dono cheezo ke liye bahut se gunaaho mai na Sirf khud mubtila hoti hai'n balki Apne Shoharo aur doozre Azeezo ko bhi mubtila Kar deti hai'n , Agar Maal Halaal ho aur Wus'at ho to Zever pehanna Jaa'iz hai aur Aurto'n ko Resham ke Kapde pehanna bhi Jaa'iz hai lekin iske haasil karne Ke Liye Jo na-jaa'iz Tareeqe akhtyar kiye Jate hai'n aur Zever aur Kapdo ke istemal mai Dikhawa aur khud Pasandi aur Doosre ko haqeer jaanna aur Apne ko bada Samajhna Jo Aurto'n mai paya Jata hai isne Aurto'n ko Akhirat ki Kaamyabi se pichhe dhakel diya hai ,
┱_ Avval to ye Dekhna chahiye k Apne paas zaati Halaal Maal Zever banane ke laa'iq hai ya ya nahi , Doosri Jaa'iz Zaruriyaat ke bavjood Maal mai gunzaish hai ya nahi , Agar Apne paas zaati Maal na ho aur Shohar se banwana ho ya Maa'n Baap se to Unke paas bhi gunzaish Dekhna chahiye , Lekin hota ye hai k Paisa paas nahi hota ya Kam hota hai to Sood per banwa lete hai'n , Shohar ke paas nahi hota to usko Majboor karti hai'n k Kahi se bhi la Kar do ,
┱_ Fir Har Aurat ye jaanti hai k Zever har Waqt Ghar mai nahi Pehanti balki iski zarurat Shaadi Byaah mai Shareek hone ya kisi tarah ki Majlis mai Jane ke liye hoti Hai, isme Chunki Shaan jatane aur Dikhawa Karne ki Niyat hoti Hai isliye Jis Shaadi mai Jana hai ya Majlis mai Jana hai iski Tareekh aane Tak banwa Kar hi chhodti hai'n , fir ye bhi Musibat hai k Purana design nahi chalta , Naye design ke Zever aa Jaye to Purane design ko tudwa Kar naye design ke mutabiq banwane ki fikr ki jati hai aur isme bhi Wahi riyakaari Wala Nafs ka chor mojood hota Hai , Kapdo ke bare mai bhi yahi Baat hai k Kai Kai Jode Kapde rakhe Hote hai'n Lekin har Shaadi har Majlis ke liye Naya Libaas ki zarurat samjhi jati hai aur Kaha Jata hai ye Jode to Kai martaba pehan liye hai'n ,inko hi pehan Kar jayenge to Aurte'n naam dharengi k Fala ke paas to yahi Jode rakhe hai'n , Isme Bhi Wahi dikhawe Ka Jazba mojood hota Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Sone Chaandi Ka Zever aur Unki Doosri Cheeze istemal Karne Ka Hukm _*
┱ _ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu ki Behan Rivayat karti hai'n k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Ey Aurto'n ! Kya Chaandi ke Zever se Tumhari aaraastgi Ka Kaam nahi chal Sakta ? Khabardaar ! Tumme se Jo Aurat zaahir karne ke liye Sone Ka Zever pehnegi uski vajah se zaroor azaab bhugtegi _,"
*🗂 Mishkaat Sharif - 379 Az Abu Daowd v Nasaa'i ,*
┱_ Ye to sab Jaante hai'n k Aurto'n ko Zever se Bahut zyada Muhabbat hoti Hai , Allah Ta'ala ki Shari'at mai aitdaal hai ,Nafs ki khwahish ki bhi ri'ayat rakhi gayi hai Magar Hudood muqarrar farma di hai , aur ese qanoon lagu farma diye hai Jo insaan ko guroor , takabbur,Shekhi ,Doosro ki hiqarat ,Khud Pasandi aur Khalqe Khuda ki Dil Azaari aur Haq talfi se Baaz rakhte hai'n ,
┱_ Agar kisi Aurat ko Halaal Maal se mayassar ho to Sone aur Chaandi dono Ka Zever pehan sakti Hai , Ek Shart Zever banane se pehle ye hai k Halaal Maal se ho , aur Doosri Sharte Zever banane ke Baad hai k Zakaat aur Digar wajibaat ki Adaygi mai kotahi na ho ,Shekhi bagharna ,dikhwa maqsood na ho ,
┱ _Chaandi Ka Zever Koi khaaa Zever nahi samjha Jata hai aur isme riyakaari aur Shekhi bagharna Ka moqa zyada nahi hota , isliye Chaandi ke Zever se Kaam chalane ke liye ishara farmaya gaya Hai , K Shaan dikhana , Doosro ko haqeer jaanne se bachne ke liye Chaandi Ka Zever pehan Kar Kaam chalane ki targeeb di gayi Hai, k Aurto'n Kya Tumhara Kaam Chaandi ke Zever se nahi chal Sakta , ?
╨─────────────────────
*┱✿ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Ke Kangan Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Na- Pasandi_*
┱ _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Khaadim Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye mamool Tha k Jab Safar mai tashreef le Jate to Apne Ghar walo mai Sabse Aakhiri mulaqaat Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se farmate they, uske baad rawana Hote they , Aur Jab Waapas Tashreef late to Sabse Pehle Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke paas tashreef le Jate they ,
┱_ Ek baar Aap Sallallahu Alaihivasallam ek Jihaad se waapas hue ( aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke Ghar mai dakhil hone Ka iraada farmaya ,Magar ) dakhil nahi hue Baat ye thi k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne ( Diwaar ya Taaq per ) Ek Parda latka liya tha aur Hazrat Hasan v Husain Raziyallahu Anhum ko Chaandi ke do Kangan pehna diye they , Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne ( ye maajra dekh Kar k Aap tashreef late late waapas rawana ho gaye ) foran Mehsoos farmaya k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki waapsi ki vajah yahi do cheeze hai'n Jo mizaaje garami ko nagawaar hui ,
┱_ Chunache Unhone khud hi Parda hata Diya aur Dono Sahabzaado ke Kangan kaat Kar alhida farma diye , Dono Sahabzaade rote hue Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Haazir hue , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Wo Kangan Unke Haatho se Le liye aur ( mujhse ) farmaya k Ey Shobaan ! Lo ye le jao aur Fala ( gareeb ) gharane ke logo ko de do ( Wo isko Farokh Kar ke Apna Kaam Chala lenge ) Ye log mere Ghar wale hai'n , Mai'n ye pasand nahi karta k Ye Log Apne hisse ki umda cheeze Duniyavi Zindgi mai istemal Kar le , ( fir farmaya ) Ey Shobaan ! Fatima ( Raziyallahu Anha ) ke liye ( Jaanwaro ke ) putto se bana hua ek haar aur haathi daant ke do Kangan khareed lao _,"
*🗂 Mishkaat Sharif-383 Az Ahmad v Abu Daowd_,*
┱ _Hadees Paak mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke zuhad aur Duniyavi Ni'amato aur lazzato ke istemal se be-ragbati ki ek jhalak maloom hoti Hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khud Apne balki Apne Ghar walo ke liye bhi Duniyavi lazzato aur Ni'amato mai padna pasand nahi farmaya , Zever Agarche Aurat ke liye Halaal hai Magar isko pasand farmaya k istemal na Kiya Jaye Kyunki Duniyavi Ni'amate Aakhirat ki Ni'amato ke saamne bilkul halki hai'n , Allah ka pyara Nabi Sallallahu Alaihivasallam ye kyukar pasand farmata k Akhirat ki Ni'amato mai kami aaye isiliye Chaandi ke Kangan ek gareeb gharane ke liye bhej diye ,
╨─────────────────────
*┱✿ Bajne Wala Zever Pehanne Ki Muma'anat_*
┱ _ Hazrat Bunana Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mai'n Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas haazir thi Usi Waqt ye Waqi'a Pesh aaya k Ek Aurat ek Ladki ko hamraah liye Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas andar aane lagi , Wo Ladki Jhaanjan pehne hue thi ,Jinse Awaaz aa rahi thi , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Jab Tak iske Jhaanjan na kaate Jaye mere paas ise Hargiz na Lana , Maine Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam se Suna hai k _" Jis Ghar mai Ghanti ho usme ( Rehmat ke ) Farishte dakhil nahi hote _,"
*🗂 Mishkaat-379 An Abi Daowd _,*
┱_ Ek Hadees mai Hai _" Ghantiya'n Shaitaan Ke Baaje hai'n _," ( Mishkaat - 338)
Aur Ek Hadees mai irshad Hai - "_ Har Ghanti ke Saath Shaitaan hota Hai _," ( Mishkaat-379 )
┱_ In Ahadees se maloom hua k Bajne Wala Zever aur Ghungru aur Ghantiya'n Shaitaan ko pasand hai'n aur ye Shaitaan Ke Baaje hai'n, Jab Unme se awaaz nikalti hai to Wo Khush hota Hai aur Jaha'n per Esi cheeze hoti hai'n Waha'n Rehmat ke Farishte dakhil nahi hote, In Hadeeso ke peshe nazar Fuqha ne likha hai k esa Zever Jiske andar khol mai bajne wali cheeze padi Hui ho uske pehanne ki shara'n ijazat nahi hai , Jese Purane Zamane mai Jhaanjan Hote they Aur iske alawa bhi Kai cheeze Esi banayi jati thi, Dehaat mai ab bhi is tarah ke Zever Ka Rivaaj hai ,ye Sab mamnu hai ,
┱ _Jis Zever mai bajne wali Cheez na ho Magar Zever Aapas mai ek doosre se mil Kar bajta ho uske bare mai irahade rabbani hai -
"_ Aur Apne Paanv ( chalne mai Zameen per ) zor se na maare, Taki Unki Wo Zeenat maloom ho Jaye Jisse Wo Poshida Tor per araasta hai'n _," ( Surah Noor - 4 )
┱ _Jaanwaro ke Gale mai Jo Ghanti daal dete hai'n usse bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Mana farmaya hai , Ek Hadees mai irshad Hai -
"__ Jin logo ke Saath Kutta ya Ghanti ho ( Rehmat ke ) Farishte Unke Saath nahi rehte _," ( Mishkaat - 338 )
╨─────────────────────
*┱✿ Sahabi Aurto'n Ka Aap Sallallahu se Parda Karna_*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ka Bayan hai k Ek Aurat ke haath mai ek parcha tha ,Usne Parcha dene ke liye Parde ke pichhe se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf haath badhaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Haath rok liya aur Farmaya k ,na maloom Mard Ka haath hai ya Aurat Ka , usne kaha k ye Aurat Ka haath hai ,
Farmaya - Agar Tu Aurat hoti to Apne Nakhoono Ko mehndi ke zariye badal deti ( Yani Mehndi se rang leti ) _,"
*🗂 Mishkaat Sharif-383 Az Abu Daowd v Nasaa'i ,*
┱_ Is Hadees se ye Baat maloom hui k Sahabi Aurte'n Aap Sallallahu se Parda karti thi , Isiliye to Ek Aurat ne Parde ke pichhe se Parcha dene ke liye haath badhaya, Agar be Parda saamne aati to Parde ki Kya zarurat thi ?
*┱_ Jaahil Peero Ki Gumraahi _,*_' Is Hadees se un Jaahil Peero ki Gumraahi bhi maloom hoti Hai Jo Apni Mureedino ke gharo mai be hayaai se ghus Jate hai'n aur Parde Ka Ahatmaam nahi karte , Jaahil Aurte'n Kehti hai'n k unse Kya Parda ? Peer Miya'n Hai ,Nek Aadmi hai , Zara Sochiye Allah ke Paak Rasool Sallallahu Alaihivasallam se badh Kar Kon nek aur paarsa aur Paakbaaz hoga ? Jab Sahabi Aurto'n ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se Parda kiya to Kisi Doosre ko dam maarne ki Kya majaal hai Jo Neki ke Jhoote Daave Kar ke be Muhaba Aurto'n mai Chale Jate hai'n, Ese log Peero Murshid nahi balki Gumraah hai'n ,Jo Shaitaan ki Raah dikhate hai'n ,Ese Logo se Mureed hona Haraam hai , Mardo'n ko bhi Aurto'n ko bhi ,
✰══❖══✰═══❖══✰
*┱✿ Mardo'n Ka Libaas Aurat Ko aur Aurat Ka Libaas Mardo'n Ko Pehanne Per Laanat_*
┱ _ Hazrat ibne Abi Malayka Reh. Ka Bayan hai k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se kisi ne arz Kiya k Ek Aurat ( Mardana ) Joota Pehanti hai , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Esi Aurat per Laanat ki hai Jo Mardo'n ke Tor Tareeqe akhtyar kare _,"
*🗂 Mishkaat Sharif - 383 Az Abu Daowd ,*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ne ese Mard per Laanat ki Jo Aurat Ka Libaas pehne aur Esi Aurat per Laanat ki Jo Mard Ka Libaas Pehne _,"
*🗂 Mishkaat Sharif_ 383 Az Abu Daowd,*
┱_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Laanat ki un Mardo'n per Jo Aurto'n ki tarah Shakl v Soorat bana Kar Hijde bane aur Laanat ki un Aurto'n per Jo Shakl v Soorat mai Mardanapan akhtyar kare aur irshad farmaya k Unko Apne gharo se nikaal do _,"
*🗂 Mishkaat - 380 Az Bukhari_,*
┱ _ In Ahadees se maloom hua k Hamare Pyare Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko is Baat se Bahut hi zyada Nafrat thi k Mard Zanana Libaas Pehne ya kisi bhi tarah se Zananapan akhtyar kare , aur is Baat se bhi Aapko Sakht Nafrat this Aurte'n Mardana Libaas Pehne ya Mardana chaal dhaal akhtyar kare , aur isi Nafrat ke baa'is isi tarah ke Mardo'n aur Aurto'n per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Laanat farmayi ,
┱_ Aaj Kal ke log Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Hidayat ko nahi dekhte balki Urope America ke Kaafiro aur Filmo mai Kaam karne Wale Mardo'n Aurto'n ke chaal dhaal akhtyar karte hai'n , Udhar se jo Libaas aur tor tareeqa milta hai Usi ko akhtyar Karna izzat ka zariya samajhte hai'n ,Agarche Wo Libaas aur tarz Tor Tareeqe Allah ke nazdeek Laanat hi Ka Sabab ho ,Allah Ta'ala Hume samajh de aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Hidayaat per chalne ki tofeeq ata Kare ,
┱_ Mardo'n mai Jananapan aur Aurto'n mai Mardanapan kis Kis tarah se jagah pakad raha hai iski Tafsilaat Wohi log khoob Jaante hai'n Jo is Laanat ke fashion mai mubtila hai'n , Pehle to Sirf yahi Rona tha k Mard Daadhi mundha Kar Zananapan akhtyar karte hai'n ,Lekin ab to isse aage badh Kar Mardo'n ne aur Khaas Kar nav Umar ladko ne Surkhi Powder bhi akhtyar Kar rakha hai , Bahut se Mard bilkul zanana rang ki Salwaar Kameez pehan Kar nikalte hai'n agar Koi Shakhs gor se dekhe to ye Aurat hi maloom Hote hai'n aur ye Baat to ab Bahut purani ho gayi k Ladkiya'n Ladko ki tarah Libaas Pehanna aur Baal banana Aam hai , aur Ye samajhte hai'n k Taraqqi yafta log hai'n ,Bhala Jo Cheez Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke nazdeek baa'ise Laanat ho Wo Taraqqi ki Cheez kese ho sakti Hai ? Isme imaani aur insani Taraqqi to nahi , Haa'n Haywaani aur Shehwani aur Tugyani v Asyani ( Yani gunahgaari ) ki Taraqqi hai Jo maloun hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Baalo mai Baal Milane Wali aur Jism Godne Wali Per Allah Ki Laanat _*
┱ _ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Khuda ki Laanat ho us Aurat per ( Jo Baalo ko lamba ya Foola hua banane ke liye doosre kisi Mard ya Aurat ke Baal ) apne Baalo mai ya kisi aur ke Baalo mai Mila le aur Us Aurat per bhi Khuda ki Laanat ho Jo Kisi Aurat se Kahe k doosre ke Baal mere Baalo mai Mila de , Aur Farmaya - Khuda ki Laanat ho us Aurat per Jo Godne wali hai aur Jo gudwane wali hai _,"
*🗂 Mishkaat Sharif- 381 Az Bukhari v Muslim,*
┱_ Qadeem Zamane se Aurto'n mai Zaibo Zeenat ke liye tarah tarah ke Tareeqe chale aa rahe hai'n aur ye tareeqe Badalte bhi rehte hai'n, un Tareeqo mai ek tareeqa ye bhi tha aur ab bhi Baaz ilaaqo mai hai k Aurate'n Apne Baal lambe zaahir karne ke liye Kisi Mard ya Aurat ke Baal le kar Apne baali mai Mila leti thi aur Kuchh Aurte'n ye pesha karti thi , Chunki isme Jhoot aur Fareb hai ,Lihaza Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne isko Sakht na-pasand farmaya aur Jo Baalo mai Baal Jode aur Jo Baalo mai Baal judwaye in dono per Laanat farmayi ,
┱_ Isi tarah Godne aur Gudwane Ka silsila bhi qadeem Zamane se Chala aa raha hai , Aaj Ye Tetu ki shakl mai khoob chalan mai hai ,is Burayi mai Mard v Aurat dono shamil hai'n , Iska tareeqa ye hai k kisi Sooi vagera se khaal mai gehre gehre nishaan daal Kar usme Surma ya Neel ( Chemical ) bhar Diya Jata hai , is tarah Jism per Jaanwaro aur digar cheezo ki tasveere banayi jati hai'n , Khuda ke Sachche Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne isse bhi Mana farmaya aur is tarah ke kaam karne walo per Laanat farmayi,
╨─────────────────────
*┱✿ Eye Brows Banwana_*
┱ _ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate Hai k "_ Allah ki Laanat ho Godne Waliyo'n per aur Gudwane Waliyo'n per aur Un Aurto'n per Jo Bhawo ( Yani Eye Brow ) ke Baal chunti hai'n , ( Taki Bhawe Bareek ho Jaye ) aur Khuda ki Laanat ho un Aurto'n per Jo Husn ke liye Daato ke darmiyan Kushadgi karti hai'n Jo Allah ki khalqat ko badalne wali hai'n _,"
┱_ Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ki ye Baat sun Kar Ek Aurat aayi aur usne kaha k Maine Suna hai k Aap is tarah ki Aurto'n per Laanat bhejte hai'n ?
Farmaya k Mai'n un logo per Kyu na Laanat bheju Jin per Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Laanat bheji aur Jin per Allah ki Kitaab mai Laanat aayi hai ,
Wo Aurat Kehne lagi k maine to Saara Qur'an padh liya Mujhe to ye Baat Kahi nahi mili ,
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ne farmaya k Agar tune Qur'an padha hota to ye Baat mil jati , Kya tune ye nahi padha -
"__ ( Tarjuma ) _Aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam tumko Jo ( Hidayat ) de use qubool Kar lo aur Jis Cheez se roke usse Ruk jao _,"
┱_ Ye Sun Kar Wo Aurat Kehne lagi k Haa'n ye to Qur'an mai hai , Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ne farmaya k Maine Jin kaamo ke karne wali Aurto'n per Laanat ki hai Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne un kaamo se Mana farmaya hai, Lihaza Qur'an ki ru se bhi un kaamo ki muma'anat Saabit hui , Kyunki Qur'an ne farmaya hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Jin Baato Ka hukm de un per Amal Karo aur Jin cheezo se roke unse ruk jao _,"
*🗂 Mishkaat Sharif-381 Az Bukhari ,
╨─────────────────────
*┱✿ Aurat Ko Sar Mundane Ki Muma'anat _*
┱ _ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Aurat ko is Baat se Mana farmaya k Wo Apna Sar munde _,"
*🗂 Mishkaat Sharif-334 Az Nasaa'i ,*
┱_ Ye irahad bhi Usi usool ki ek kadi hai k Aurat ko Mardanapan akhtyar Karna Haraam hai , Mulla Ali Qari Reh. Likhte hai'n k Aurto'n ke liye Baal aur Zulfe isi tarah Zeenat hai'n Jese Mardo'n ke liye Daadhi Zeenat hai ,Mard Ko Daadhi aur Aurat ko Sar mudna Haraam hai ,
┱_ Aur ye bhi Maloom hona chahiye k Aurto'n aur Mardo'n ko ek doosre ki mushabhat akhtyar Karna to Mana hai hi ,Gair Muslimo ki mushabhat akhtyar Karna bhi Haraam Hai aur is Hukm mai Mard Aurat Sab barabar Hai , Isliye Jis tarah Musalman Aurto'n ko Jaha'n Apni shakl v Soorat aur Libaas mai Mardanapan se bachna Laazim hai Waha'n ye Khayal rakhna bhi Laazim hai k Hinduo'n ya Yahudiyo'n ya Isaa'iyo'n ki mushabhat na ho Jaye , Aak Kal ye Musibat aam ho gayi hai k Mard Aurat Waza Qata ,Libaas Poshaaak aur Shakl Soorat mai Pyaare Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ke irshadaat ko saamne nahi rakhte balki Yahoodo Nasaara ko Apna imaam banate hai'n , Khuda ke Dushmano Faasiqo ki pervi chhodo aur Madni Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ke irshadaat aur Akhlaaq v A'amaal ko peshwa banao _,"
╨─────────────────────
*┱✿ Sajawat Ke Liye Diwaaro Per Kapda Latkane Per Aap Sallallahu Ki Naraazgi _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ka Bayan hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ek baar Jihaad ke liye tashreef le gaye , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke pichhe Maine ek Achchha Umda Kapda khareeda Jisme Bareek jhaalar thi. Aur Us Kapde ko bator Parda ( darwaze per ) latka diya , Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye to us Kapde ko dekh kar ( is zor se ) kheencha k Wo chaak ho gaya , Fir farmaya k Allah Ta'ala ne humko ye hukm nahi farmaya k Pattharo ko aur Mitti ko Kapde pehnaye _,"*
*🗂 Mishkaat - 138 Az Bukhari v Muslim ,*
┱_ Gharo ki Sajawat mai Paisa kharch Karna Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko pasand na tha , isiliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ka Sajaya hua Khoobsurat Parda chaak Kar diya , aur farmaya k Allah Ta'ala ne hunko ye hukm nahi farmaya k Pattharo aur Mitti ko Kapde pehnaye,
┱_ Jaha'n Tak Darwaze per Gairo ki nazro se bachne ke liye Parda daalne Ka Talluq hai Wo Taat Ya Mote Saste Kapde Ka bhi ho Sakta Hai ,Qeemti ya Khoobsurat Parda Latkana is maqsad ke liye koi zaroori nahi Hai , is Zamane mai Diwaaro, darwazo ,khidkiyo'n per Parde latkane Ka Faishion ho gaya Hai ,Mahaz Sajawat aur Zaibo Zeenat ke liye qeemti aur Khoobsurat Parde latkaye Jate hai'n aur isme Musalman Laakho Rupiye kharch karte hai'n , Paas Pados aur Shehar Dehaat ke latadaad insaan ke paas Tan chhupane ko kuchh nahi aur hum Gairo ki dekha dekhi daro Diwaar ko Poshaaak pehna rahe , Insaano ki haajate atki Hui Hai aur Pattharo ki Sajawat ho rahi Hai , Dar Asal ye Sabaq Amli Tor per Gairo ne padhaya hai Agar Apne Pyaare Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ki Hidayaat per chalne Ka iraada karte to kabhi fizool kharchi ki taraf zahan bhi na Jata
┱ _Fir Ajeeb Baat ye hai k Shara'i Parda to Aurte'n chhodti ja rahi hai'n Aur Jo Parda Na Mahram se bachane ke liye tha Wo daro Diwaar ki Sajawat ke liye makhsoos Kar diya aur khud Parko , Marketo mai Be hijaab Ghoomti firti hai'n , Zara sa Naqaab Chehre per daalne ko Taiyaar nahi aur bila zarurat Diwaaro per qeemti Parde saje hue hai'n ,
╨─────────────────────
*┱✿ Tasveer Wali Cheezo Per Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Nagawaari_*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Ka Bayan hai k Maine ( ek martaba ) ek gaalicha khareed liya jisme Tasveer thi , Jab usko Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne dekha to Aap Sallallahu Alaihivasallam darwaze per khade reh gaye aur andar dakhil na hue , Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Chehre Mubarak per nagawaari Mehsoos ki aur Arz Kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Mai'n Allah ke Huzoor mai Tauba karti hu'n aur Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam se Ma'afi chahti hu'n ,Mujhse Konsa gunaah sarzad hua ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Gaalicha ( kesa hai yaha'n Kyu kar aaya ?)
Maine arz Kiya- Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam ke liye Maine khareeda hai Taki is per tashreef rakhe aur I takiya ki jagah ( bhi ) istemal farmaye ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k :- bila shubha Qayamat ke din in Tasveer walo ko azaab hoga aur unse kaha jayega k Tumne Jo kuchh banaya Tha Usme Jaan daalo ,
Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye bhi farmaya k Jis Ghar mai Tasveer ho usme ( Rehmat ke ) Farishte nahi dakhil nahi hote _,"
*🗂 Mishkaat - 385 Az Bukhari v Muslim_,*
┱_ Hadees se Chand Baate maloom hui -
1-- Tasveer Wala Kapda , Gadda , Gaalicha ,Qaleen aur Doosri cheeze Maslan calendar ,Bartan , furniture vagera Ghar ,Daftar ,Dukaan mai Rakhna Haraam Hai ,
2_ Ye bhi maloom hua k Rehmat ke Farishte us Ghar mai dakhil nahi hote jisme Tasveer ho , Farishto ko Jin kaamo se takleef ho Shari'at mai unse bachne Ka Khaas Ahatmaam Kiya gaya Hai ,Jin cheezo ki Shar'an Muma'anat hai unse Shayateen Khush Hote hai'n ,
3_ Hadees Paak se ye bhi Maloom hua k Qayamat ke Din Tasveer walo ko azaab hoga aur unse kaha jayega k Tumne jo ye Tasveer banayi hai Unme Jaan daalo ,
*┱_ Masla -* Jin cheezo mai Jaan na ho uski banana Ghar mai Rakhna Durust hai ,Jese darakht vagera , Haa'n agar koi esi Cheez hai Jo Kufr Ka sha'aar ho to bejaan Tasveer se bhi bachna Laazim Hai,Jese Isaa'iyo'n ki Saleeb vagera ,
Television istemal karne se Sakhti se Parhez Kare Kyunki iski Vaja hi Tasveer ke liye hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Tasveer Ke Mutalliq Chand Galat Fehmiya'n_*
┱ _ Baaz log samajhte hai'n k Hadees mai Jis Tasveer ki Muma'anat hai Wo haath se Tasveer banane ke mutalliq hai aur Camera se jo Tasveer utaari jati hai Wo Chunki haath se nahi banayi jati isliye wo Jaa'iz hai , Ye Khayal Galat aur Faasid hai , Shaitaan ki sujhayi Hui daleel hai ,Asal maqsad Tasveer banane ki Hurmat hai Chahe kisi bhi Cheez se banayi Jaye ,
┱_ Aaj Kal Tasveere rakhna aur Moortiyo'n se gharo ko sajana ek Faishion ho gaya hai aur Tehzeeb v saqafat Ka Juzv bana liya hai , Art ke naam se Jaha'n aur Bahut se gunaah Zindgi mai dakhil ho gaye Unme Tasveer banana ,Sajana ,Dekhna dikhana bhi Shamil hai ,
"_ Almaariyo'n mai Kutta ya doosre jaanwar ki moorti rakhi hai , Motor Car mai Gudiya jhool rahi hai , Daftar mai kisi Ka statue rakha hua hai ,Allah ki Panaah ! Kya Musalman ese hi Hote hai'n ? Jinhe farmane Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Zara parvaah nahi aur Jinko Rehmat ke Farishto se bayr ho unka Ghar mai Rakhna pasand karte hai'n ,
┱_ Baaz log Bachcho Ke Ki Zid ke aage past ho Jate hai'n , Achchhe khaase Namazi Wa'az Soofi gharano mai Bachcho aur Bachchiyo Ke Khelne ke liye Gudiya aur Tasveere aur Moortiyo'n ko khareed Kar laya Jata hai , Bachcho ki khwahish hai ,Uska Dil bura na ho , Magar Madni Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ke Qalbe Athar ko Ranj pahunch jayega iski Koi parvaah nahi ,
(Allah Ma'af farmaye )
╨─────────────────────
*┱✿ Zindgi Guzaarne Ke Liye Mukhtasar Samaan Kaafi Hona Chahiye _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe mukhatib farma kar irshad farmaya k -
*"'_Ey Ayesha ! Agar Tu ( Akhirat mai ) mujhse milna chahti hai to tujhe (1)Duniyavi Zindgi Guzaarne Ke Liye itna ( Mukhtasar sa ) Samaan Kaafi Hona Chahiye Jitna Musafir Saath le Kar chalta Hai aur (2) Maaldaaro ke Paas na bethna aur (3) Kisi Kapde ko Purana ( Yani na qabile istemal ) na Samajhna , Jab Tak tu use Pevand laga Kar na Pehan le _,"*
*🗂 Mishkaat-375 An Tirmizi _,*
┱_ Is Hadees Paak mai Teen Aham Nasihate irshad farmayi hai'n ,Jo badi Akseer hai'n ,
1- Pehli Nasihat ye farmayi k Duniyavi Zindgi Guzaarne Ke Liye mamooli Samaan se Kaam Chala lo , Musafir Jitna Samaan saath le Kar chalta Hai utne Samaan se Guzaara Karo, Zyada Samaan ke liye zyada Paisa chahiye ,aur aksar Halaal Maal se fizuliyaat , Furniture aur Zaibo Zeenat ke kharche Poore nahi hote to Aadmi Unke liye Haraam ki taraf mutavajjah hota Hai, aur Akhirat mai Jo Maal Ka hisaab hoga Wo bhi ba-qadar Maal hoga , Kam Aamdani aur Kam kharch wale Akhirat mai maze mai honge ,
┱_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Jo Shakhs Allah ki jaanib se milne wale thode Rizq per Raazi Ho Jaye Allah Ta'ala usse Thode Amal se Raazi Ho Jate hai'n _,"
*🗂 Bayhiqi Fi Shoebul imaan _,*
┱ _Aur ek martaba Rasoole Maqbool Sallallahu Alaihivasallam ek Chatayi per so Gaye , So Kar uthe to Jism Mubarak per Chatayi ki banawat ki nishaan pad gaye they , Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ne arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Aap hukm hukm farmaye to hum Aapke Liye Achchha Bichhona Bichha Diya kare aur Achchhi achchhi cheeze haasil kar ke Aapke Liye laya Kare ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye sun Kar farmaya k - Mujhko Duniya se kya Talluq ? Mera Duniya se bas esa hi waasta hai jese koi Musafir darakht ke niche Saaya lene ke liye Beth gaya aur fir use Chhod Kar chal Diya _,"
*🗂 Mishkaat Sharif- 442 _,*
┱ _ Hazrat Ma'az Raziyallahu Anhu ne ek martaba Apne Saathiyo'n se farmaya k Tum Takleefo ke zariye jaanch mai daale gaye ,To Tumne Sabr Kar liya ,Anqareeb Maal ke zariye tumhari Jaanch ki jayegi aur Mujhe Sabse Zyada Khof Tumhare mutalliq ye hai k Aurto'n ke Fitne mai daal diye Jaaoge ,Jabki Aurte'n Sone Chaandi ke Kangan pehnengi ,aur Shaam v Yaman ke Bareek aur umdah Kapde istemal karengi ,( Ye cheeze haasil karne ke liye ) Maaldaar ko thaka degi aur Muflis se Woh maangegi Jo usse na ho sakega _,"
*🗂 Hilatul Awliya _,*
┱_ Aaj hum isi Daur se Guzar rahe hai'n aur Aurto'n Ka yahi haal hai Jo zikr hua ,Safaai suthraai to achchhi cheez hai Magar Libaas aur Faishion ki Doosri be zaroorato Ka ye haal ho gaya hai k dekhne mai Khush haal Dil mai Pareshan , Aamdani ma'aqool Magar Guzaara mushkil , itminaan aur be fikri Ka naam nahi , Bachcho ki parwarish bhi Shuru se hi esi A'ala Tareeqe se karti hai'n k Baad mai unki Kamaa'i un kharcho ko bardasht nahi Kar sakti ,Jo kuchh paas hota Hai Bachcho Ke Faishion aur farmaish per kharch ho jata Hai, Agar Bachcho ko saada Zindgi Sikhaye to Pareshani Kyu ho ?
┱_ Ladkiyo'n ko Faishion Ka is qadar shoqeen bana Diya Jata Hai k Bachpan se hi itne kharcho Ka aadi bana Diya Jata Hai k Shaadi ke Baad Shohar per bojh ho jati hai'n , Khawind ki Saari Aamdani Fashion ,Libaas aur Zever ki nazar ho jati hai, Zyada banaav singaar ki aadat se Tilawate Qur'an aur Deeni M'amulaat ki fursat hi nahi hoti , Fir Asal Sajawat to Baatin Yani Dil aur Rooh ki Sajawat aur Pakizgi hai , Akhlaaq gande aur zaahir Achchha iski Misaal Esi Misaal hai Jese gandgi ko Resham mai lapet Kar rakh diya Jaye , ye bhi Samajhna chahiye k zarurat usko kehte hai'n Jiske bager Zindgi dobhar ho Jaye khoob samajh lo aur Apne akhrajaat Ka Jaa'iza lo ,Humne Har betuke kharch ko zarurat mai Shamil kar rakha hai ,
✰══❖══✰═══❖══✰
*┱✿ Maldaaro Ke Paas na Betha Karo_*
┱ _ Hadees Paak mai ( Jo pehle guzri ) Doosri Nasihat ye farmayi k Maldaaro ke Paas na Betha Karo , Ye bahut Aham Nasihat hai , Maaldaar aksar Duniyadaar Hote hai'n Unki Sohbat se Duniya ki Talab badhti hai aur Akhirat ki Ragbat ghat ti hai , aur Unka Maal aur Haal dekh Kar Khayal ye aata Hai k Allah ne unko Bahut Kuchh Diya hai aur hum mehroom hai'n iski vajah se nashukri paida hoti Hai, Halanki koi Shakhs esa nahi Jisse kamtar koi na ho ,Shukr Guzaar banne Ka tareeqa ye hai k Jo Duniyavi aitbaar se Apne se kam darja ho usko dekhe ,
┱_ Muslim Sharif ki Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - ( Duniyavi Samaan aur Rupiya Paisa mai) Jo Tumse Kam hai'n usko dekho aur Jo Tumse badha hua hai Usko na dekho , Esa karne se Allah ki un Ni'amato ki na qadri na Kar sakenge Jo usne tumko inaayat farmayi hai _," ( Mishkaat -447 )
┱_ Isko doosre unwaan se Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is tarah farmaya k - Jis Shakhs mai Do Khaslate hongi Allah Ta'ala usko Shaakir aur Saabir likh denge , (1) Jisne Deen mai usko dekha Jo usse badh Kar ho aur fir uski pervi ki aur (2) Duniya mai usko dekha Jo usse Kam hai aur usko dekh Kar Allah ka Shukr Ada Kiya k Usne mujhe is Shakhs per foqiyat di hai ,ese Shakhs ko Allah Ta'ala Shaakireen aur Saabireen mai shumaar farmayenge , aur Jisne Deen mai Ese Shakhs ko dekha Jo usse Kam ho aur Duniya mai Ese Shakhs ko dekha Jo usse zyada hai aur fir un cheezo per Afsos Kiya Jo ( Duniya mai ) unko nahi mili to Allah Ta'ala use Shaakireen aur Saabireen mai shumaar na farmayenge _,"..
*🗂 Mishkaat -448 An Tirmizi,*
✰══❖══✰═══❖══✰
*┱✿ Kapde Ko Us Waqt Tak istemal Karna Jab Tak Paiband Laga Kar Na Pehan Lo _*
┱ _ Teesri Nasihat Hadees Paak mai ye farmayi k Kapde ko us Waqt Tak purana Yani na qabile istemal mat Samajhna Jab Tak k usko Paiband laga Kar na Pehan Lo ,
┱_ Matlab ye hai k is aitbaar se purana mat Samajhna k Bahut Din ho gaye istemal karte karte , balki Kapda jab Tak Saalim rahe us Waqt Tak to usko istemal karte hi raho aur Fatna Shuru ho Jaye tab bhi uski na qabile istemal samajhne mai Jaldi na Karo balki usme Paiband laga Kar pehnte rehna chahiye ,
┱_ Is Per Amal karne se Jaldi Jaldi Kapde banane ki zarurat na hogi , aur zyada kamayi kharch na Karna padega aur Saath hi Saath Takabbur aur Khud Pasandi aur Doosre ko Haqeer jaanne Ka Jazba bhi paida na hoga ,
┱ _Ye Nasihat Agarche Aaj Kal ki nayi nasal ke Ladke aur Ladkiyo'n ki samajh mai na aayegi Kyunki Duniyadaar Khud Pasandi, Riyakaari Ka Mahol hai ,Magar Nasihat hai Bahut Kaam ki ,Jo koi Amal Karega Duniya v Aakhirat Ka usko Sukoon Naseeb hoga aur Akhirat ki izzat bhi milegi , Go Baaz Ahle Duniya Paiband Ka Kapda dekh Kar haqeer hi janenge ,
ReF✿┅╮
* Tohfa E Khawateen,*
╨─────────────────────
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕
No comments:
Post a Comment