Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, May 2, 2020

Allah Rabbul izzat ki Bakhshish ke Andaaz

❀۞❀   
                                       
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
              ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
           
✅ βAKHSHไSH Kξ AИDAζ ✅
              ⚄ ℘AЯT↝01 ⚄
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☞ Aazmaish Ka aana imaan ki Alamat he,
          ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Hilaal Bin Yasaaf Rehmatullah bayan farmate he'n k,
⇏ Hum Sayyadna Ammar bin Yasir Raziyallahu Anhu ke paas bethe hue the to logo ne takaleef k TazKira kar diya, to ek dehati ne kaha, " Me to kabhi Bimaar nahi huva, --
⇏ To Ammar Raziyallahu Anhu ne farmaya: -
" To humme se nahi he, Yaqeenan jis musalman ko kisi Azmaish me mubtila kiya jata he uske gunaah usse is tarah giraye jate he'n jis tarah darakht se patte girte he'n,
Aur Kaafir ( ya farmaya k ) Faasiq ko jab kisi Azmaish se do chaar kiya jata he to uski misaal ount ki manind hoti he k jise khula chhora jaye to use maloom nahi hota k use kyu khola gaya he aur agar use baandh diya jaye to use tab bhi maloom nahi hota k use kyu baandha gaya he, "
 Durre Mansoor
❉ Wazahat: -
⇏ Momin Shakhs Bimari aur Musibat se na sirf ajro sawab hasil karta he balki usse Sabaq hasil karte hue apna tazkiya e nafs karta he,
lekin Fasiq ya kaafir us musibat aur Bimari ko faqat aziyat samajhta he, Jis vajah se wo ajro sawab se to mehroom rehta hi he uske alawa koi sabaq bhi hasil nahi karta, uske liye takleef bas esi hi hoti he k kuchh din Bistar per pada aur fir uth gaya, koi vajah koi sabab, ahmiyat aur fazilat uske dil me nahi hoti, balki jaanwar ki tarah hota he k jise na ye maloom hota he k mujhe baandha kyu aur chhora kyu gaya he,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 39
     
  ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ Azmaish Ka aana Muhabbate ilaahi Kï Daleel He,
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Abu Saieyd Khudri Raziyallahu Anhu Bayan Karte he'n K ,
⇏Ek Aadmi Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam Kï Khidmat me Haazir hua aur Arz kiya ,
Ey Allah ke Rasool ! Mai'n umr rashida hu'n ,Mera Jism bhi Bimaar rehne laga he aur Maal bhi Khatm ho chuka he ,
⇏To Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,
" Us Jism me Koi Khair v Bhalaai nahi hoti Jiski Aazmaish na Kï jaye aur na hi us Maal me Khair v Bhalaai hoti he Jisme Kami na ho ,
Yaqeenan Jab Allah Ta'ala kisi Bande se Muhabbat farmata he to Use aazmaata he aur Jab Wo use Aazmaata he to Use Sabr Kï Tofeeq bhi deta he ,"
( Zaiyf ) Ibne Abi Ad duniya, 185
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 40
      
     ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ Allah Apne Pyaro'n ko Aazmaata He,
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Abu Saieyd Khudri Raziyallahu Anhu Bayan Karte hai'n k ,
⇏Mai'n Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam Kï Khidmat me Haazir hua ,Aapko Bukhaar tha ,Maine Chaadar ke Ouper Apna haath rakha to Bukhaar Kï hararat mehsoos Kï ,Maine Arz kiya,
Ey Allah ke Rasool ! Aapko to Shadeed Bukhaar he ,
Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,
"Hum Ambiya Kï jamaat hai'n, Hume Takleef bhi Doguna hoti he, Ajr bhi Doguna milta he ,
⇏Maine Arz kiya ,
Ey Allah ke Rasool ! Logo me Sabse sakht Aazmaish kinki hoti he ?
Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,
" Ambiya Kï "
Maine puchha ,Fir kin logo Kï ?
Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,
" Fir Nek logo Kï ,Kisi Shakhs ko Faqr me is tarah Aazmaata he k Uske paas sirf ek chaadar hoti he Jise Wo aodta aur Libaas ke tor per pehanta he aur Kisi Shakhs ko Juo'n se is tarah Aazmaata he k Jue'n use halaak kar deti hai'n, Lekin unhe'n is Aazmaish se guzarna Kuchh diye Jane se achchha lagta he ,"
 Musnad Ahmad ,3/94 Ibne Maaja ,4024
❉ Wazaahat :--
⇏Kisi marz ,Takleef ,Musibat ya kisi bhi tarah Kï Aazmaish aa padne per insaan ko kisi bhi tarah Ka Shikwa ya na shukri bilkul apni zabaan per nahi laana chahiye Balki use Allah Ta'ala ke saath Khaas ta'alluq Kï alaamat samajhte hue Pareshani Kï us haalat me bhi Khush ho Jana chahiye aur Khush ho kar Allah Ta'ala ke is Faisle ko qubool karna chahiye,
⇏Jab Banda Allah Ta'ala ke imtihaan me Kaamyaab ho jata he to Fir Allah Ta'ala uska Dast v Baazu ban jata he aur Tamaam tar Masaaib v mushkilaat se use kaafi ho jata he, Nek Log is tarah ke masaaib Ka Ajro sawab jaante hote hai'n, Tabhi unhe'n Farakhi v Khush haali ya kisi bhi cheez ke Milne se zyada khushi Aazmaish me mubtila rehne se hoti he, Taki unka Ajro sawab mazeed badta chala jaye ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 33
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Jitna Koi Allah Ke Qareeb Hoga : Utna Hi Aazmaya Jata Hai*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Hazrat Sa'ad Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k ,
⇏Maine Arz kiya : Ey Allah ke Rasool ! Logo mai Sakht Tareen Aazmaish ke Shikaar Kon log hote hai'n ?
*_Aap Sallallahu Alayhivasallam ne Farmaya : Ambiya ,Fir Jo unke baad Sabse Afzal hai'n, Fir Jo unke baad darja v muqaam rakhte hai'n,
⇏Aadmi ko uske Deen ke hisaab se Aazmaya jata hai, Agar Wo apne Deen mai mazboot ho to uski Aazmaish bhi Sakht Kï jati hai ,
⇏Aur Agar Wo Apne Deen mai Naram ( Yani Susti karne wala  ) ho to use usi hisaab se Aazmaya jata hai,
⇏Bande Per Aazmaish v Musibat aati rehti hai ,Yaha'n tak k use esa kar ke chhor ti hai k Wo zameen per chal fir raha hota hai aur us per koi Gunaah ( Baqi ) nahi rehta ,
 Musnad Ahmad, 1/172 ,Sunan Tirmizi ,2398 ,Ibne Maaja ,4023
❉  *Wazaahat*  :-
⇏ Jo Shakhs jis Qadar zyada Deendar hota hai Allah Ta'ala uski Saabit Qadmi dekhne ke liye aur Uske Darjaat Buland karne ke liye Use is qadar Aazmaish se guzaarta hai , Ye Allah Ta'ala ka Mehboob aur Muqarrab Banda hone Kï Alamat hoti hai, Use isse ghabrana bilkul nahi chahiye ,balki Sabr ka muzahira karna chahiye,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 41
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Allah Ta'ala Jannat Ke Muqarrarah Muqaam tak Kaise Pahunchata Hai,?*
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Muhammad bin Khalid Al Salmi Apne Dada ,Jo k Sahabi e Rasool they ,se Bayan karte hai'n k :-
⇏Wo Apne Musalman Bhaiyo'n mai se ek Aadmi se Milne ke liye rawana hue aur uske paas pahunchne se Pehle hi unhe'n maloom hua k Wo Bimaar Hai , Chunache Jab Wo uske Paas aaye to kaha :
*_ Mai Tumhare Paas Milne ,ayadat karne aur Khush Khabri Sunane aaya hu'n ,
⇏Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya : Jab Bande ke liye Allah Ta'ala Kï taraf se koi muqaam v martaba muqarrar ho chuka ho aur Wo Apne Amaal Kï bina per us tak na pahunch sakta ho to Allah Ta'ala use Jismani tor per ,Ya uski Aulaad v Maal ke silsile mai Aazmata hai , Fir use Sabr Kï Tofeeq bhi marhamat farmata hai ,Yaha'n tak k Use us muqaam v martabe tak pahuncha deta hai Jo uske liye Allah Kï taraf se muqaddar ho chuka hota hai, "
 Musnad Ahmad ,5/272 , Sunan Abi Daowd :3090 Shobul imaan ,12/274
❉. Allahu Akbar Kabeera ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 39
      
           ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Aazmaish Ko Niyamat aur Khush Haali ko Musibat Samjho,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Imaam Wahab bin Munabah Reh Farmate hai'n:-
⇏Aadmi Tab tak Kaamil Faqeeh nahi ho sakta Jab tak k Wo Aazmaish ko Niyamat na Samjhe aur Khush Haali ko Musibat na samjhe ,
⇏isliye k Aazmaish mai mubtila Shakhs Khush Haali ka intezar karta Hai aur Khush Haali wala Shakhs Aazmaish ka intezar karta hai ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
( Zaief ) Haliyatul Auliya Abi Naiem, 4/56 , Zuhadul Ahmad bin Hambal ,373
      
       ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
 _*Allah Ke Aazmaish Kardah Teen Qism ke Log,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Abu Umaama Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Farmaya :-
⇏Yaqeenan Allah Ta'ala Tumhe Aazmaish ke zariye Jaanchta hai ,Halanki Wo uske mutalliq Ba-Khoobi Jaanta hai ,
( Allah Ta'ala isi tarah jaanch karta hai ) Jis tarah tum Apne Sone ko aag per jaanchte ho ,
⇏Unme se Kuchh Log to khaalis Sone Kï maanind nikal aate hai'n, Ye Wo Log hote hai'n Jinhe Allah Ta'ala ne gunaaho se bacha liya ,
⇏Kuchh Log isse Kamtar Sone Kï maanind nikalte hai'n, Ye Wo Log hote hai'n Jo Kisi Shakhs mai mubtila hote hai'n,
⇏Aur Kuchh Log to Kaale Sone Kï maanind nikalte hai'n, Ye Wo Log hai'n Jo Fitne ka Shikaar ho gaye ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Shobul imaan ,7/181 Mustadrak Haakim ,4/350 ,Targeeb v Tarheeb ,4/143
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Kuchh Ta'alluq Na Hota to Khafa Kyu Hote*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Abul Maleeh Bayan karte hai'n k :-
⇏Saleh bin Mismaar Reh. Ek Marrez Kï iyadat ke liye gaye aur Mai bhi unke saath tha ,Jab Aap uske Paas se uthe to farmaya :-
⇏Yaqeenan Tumhare Parwardigaar ne Tumse Ta'alluq Kï bina per nagawari ka izhaar kiya hai ,Lihaza Tum bhi ab uske Saath Ta'alluq Jod lo ,"
 Tareekh Bagdaadul Khateeb ,14/21
❉ *Wazahat*,:-
⇏Jab Banda Apne Parwardigaar ko bhool Jata Hai Allah Ta'ala use Apni yaad dilane ke liye Kisi Aazmaish mai mubtila karta hai aur Usse Ta'alluq mazboot kar leta hai ,
*_ Isliye Allah Allah khud se Apne Bande ke kamzor Ta'alluq ko mazboot karne ke liye use kisi Musibat ,Tangi ,Pareshani aur Marz mai mubtila kar deta hai,
❉ Lihaza Bande ko Un Ayyaam ka Khoob faayda uthaata chahiye aur Allah Ta'ala se Apne Kamzor Ta'alluq ko mazboot tar kar Lena chahiye ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 48
      
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Allah Ko Apne Bande Ka Gidgidana Bahut Pasand Hai*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Imaam Kurdus S'albi Reh. Farmate hai'n :-
⇏Maine injeel mai dekha to waha Ye Baat Padhi k Yaqeenan Allah Ta'ala Bande ko ESE Maamle se do chaar kar deta hai Jise Wo Na-pasand Karta hai, ( Yani Koi marz ,takleef ya pareshani vagera ) Jabki Allah Ta'ala use Pasand karta hai ,Taki Wo dekhe k Banda uske saamne Kese Gidgidata hai ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Shobul imaan , 12/ 368
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Chhoti se Chhoti Aazmaish se bhi Gunaaho ka Kaffara*_,
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Abu Saiyd Khudri Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k ,:
⇏( Maine Arz kiya ) Ey Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Aapka Khayal hai k Jo Hume Bimariya'n lagti hai Unki vajah se Hume koi sila bhi milega ?
⇏Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ye Gunaho ka kaffara banti hai'n,
⇏Sayyadna Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne arz kiya : Ey Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Agarche thodi si hi takleef ho ?
⇏Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Kaanta chubh jaye ya usse bhi kam koi takleef pahunche ( to Wo bhi Gunaho ka kaffara ban jati hai )
❉ Raavi Bayan Karte hai'n k Sayyadna Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne Apne khilaf ye Dua Kï k marte dam tak unka Bukhar na utre ,albatta Wo unke liye Hajj v Umrah Kï adaygi ,Jihaad fi sabilillah aur Jama'at Kï Namaz mai rukawat na bane ,Raavi ka Bayan hai k uske baad Jis bhi Aadmi ne unke Jism ko haath lagaya ,usne unke jism mai Bukhaar Kï hararat mehsoos Kï , Yaha tak k Wo wafaat pa gaye ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Musnad Ahmad ,3/23 ,Mustadrak Haakim ,4/343

   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Momin Saraapa Khair v Bhalaai*_,
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Sa'ad Raziyallahu Anhu se Marvi hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
⇏Musalman Ka maamla bhi bahut dilchasp hai ,Agar use koi bhalaai pahunchti hai to wo Allah Ta'ala Kï Tareef Bayan karta hai aur Shukr Ada karta hai,
⇏Aur use jab koi musibat pahunchti hai to Woh Ajro Sawab Kï Ummeed rakhte hue Sabr ka muzahira karta hai,
⇏Yaqeenan Musalman ko har cheez mai Ajr se nawaza jata hai, Yaha tak k us Luqme ka bhi use Ajr milta hai Jo Wo Apne moonh mai daalta hai ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Musnad Ahmad, 1/182, Majmuaz Zawa'id ,7/209
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
!,*_☞ _*Qabr Ki Mitti Kï khuraak banne se Behtar hai ,Ajr ka Baa'is ban Jaye,
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Saabit Reh. Bayan Karte hai'n k ,
*_Hum Hazrat Imaam Hasan Reh. ke Saath Safwan bin Muhariz ke Yaha unki iyaadat karne gaye to Unka Sahabzada bahar nikla aur usne kaha ,Woh Pet ke marz mai mubtila hai'n, Aap unse mulaqaaat nahi kar sakte ,
⇏To Hasan Reh .ne farmaya :- ( agar is Bimari ke baa'is ) Aaj unka gosht aur khoon le liya jaye aur uske badle mai unhe Ajro Sawab se nawaaz diya jaye to ye uske liye is baat se behtar hai k use Mitti kha jaye ,"
❉ *Wazaahat*___
⇏Imaam Hasan Reh . ke kehne ka matlab ye tha k Pet Kï Bimari se Aaj Duniya mai unka Kuchh gosht aur Khoon Zaaya bhi ho jata hai to ye bekaar nahi jayega ,balki is per unhe Ajro Sawab se nawaza jayega ,isliye bajaye iske k us gosht ko qabr Kï Mitti khaa jaye , Uska Yaha Aazmaish mai mubtila ho kar zaaya ho Jana ya Kam ho Jana usse kahi behtar hai ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Zuhad ul Ahmad bin Hambal ,257
         ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
 _*Agar Hum Bimaar na hote to Hamara Ajr bhi Kam ho jata,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Abu Muhammad Jaibul Harani Bayan Karte hai'n k,
⇏Meri Bimari ke Dino mai imaam Hasan Reh. ne meri iyadat Kï aur Mujhse farmaya :-
" Ey Jaib ! Agar Hume sirf unhi umoor mai Ajr se nawaza jata Jinhe hum Pasand karte hai'n to hamara Ajr bahut Kam hota ,aur Yaqeenan Rabbe Kareem Bande ko Aazmata hai Jabki Wo ( Aazmaish ko ) napasand karta hai, Halanki Allah Ta'ala us per use Ajr e Azeem se nawaazta hai ,"
❉ *Wazaahat*_
⇏Yani agar insaan ko Sirf uske Pasandida Kaamo per hi Ajro Sawab se nawaza jata to fir to uska Ajr bahut Kam hota ,Kyunki insaan Tabai tor per Musibat v Takleef aur Aazmaish ko Pasand nahi karta ,balki farakhi v tandurasti Kï zindgi chahta hai ,Jabki Ajro Sawab to Musibat v Pareshani Kï soorat mai milta hai ,,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Shobul imaan Al Bayhqi ,12/352
      
    ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

 _*Darakht Ke Patto Kï Tarah Gunaah Jhadne Lagte hai'n,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Alqama Raziyallahu Anhu Bayan Karte hai'n k ,Sayyadna ibne Masoud Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï Khidmat mai haazir hue to Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Bukhaar hua pada tha, Unhone Apna haath Aap per rakha aur Arz kiya:- Ey Allah ke Rasool ! Aapko to bahut hi sakht Bukhaar hai ,
To Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya: Mujhe tumme se Do Aadmiyo ke barabar Bukhaar hota hai,
Maine Arz kiya :- Ye isliye hai kyunki Aapko Ajr bhi dohra milta hai ?
To Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya: Jis bhi Kisi Musalman ko koi musibat pahunchti hai ya usse bhi Chhoti takleef aati hai ,to Allah Ta'ala uske Gunaaho ko is Tarah jhaad deta hai jis Tarah Darakht apne patte jhaadta hai ,
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Sahih Bukhari ,5647 Sahih Muslim ,2571
❉ Sayyadna Aayesha Raziyallahu Anha Bayan karti hai'n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna :-
⇏Yaqeenan Bukhaar Gunaaho ko is Tarah jhaad deta hai jis Tarah Darakht apne Patte Jhaadta hai ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Tareekh Bagdadul Khateeb ,14/66
      
    ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Marz Kï Vajah se Chhoot Jane Wale Amaal Ka Sawab*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu Bayan Karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
⇏Din ka Jo bhi Amal ho us per muhar laga di jati hai ,So Jab Banda E Momin Bimaar hota hai to Farishte kehte hai'n :-
Ey Hamare Parvardigaar  ! Tune apne fala Bande ( ko Bimaar kar ke uske Amal ) ko rok diya hai ,
To Rab Ta'ala farmata Hai :- Jab tak Wo Sahatyaab ya Faut nahi ho jata Tab tak uske m'amool ke Amaal per hi muhar lagate raho ,"
 Musnad Ahmad ,4/146
❉ Sayyadna Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n: -
⇏Jab Banda Muslim Bimaar hota hai to Daaye Farishte se kaha jata hai ,mere Bande ke Wo Amaal likhte raho Jo ye (Tandurasti mai ) kiya karta tha ,
Aur Baaye Farishte se kaha jata hai, mere Bande ko tab tak maaf kiye rakho jab tak Wo meri bandish mai qaid hai ,
Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu ke paas bethe ek Aadmi ne Kaha : Kaash ! Mai Bimaar hokar hamesha Sahibe Farash rehta ,
Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne farmaya:-  is Bande ne Gunaho ko napasand kiya hai ,"
 Shobul imaan al Bayhqi ,12/334
❉ *Wazaahat*
⇏ Yani Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne us Aadmi ke Bimaari Kï khwahish karne ko bura nahi samjha balki Tareef ke andaz mai farmaya k isne Bimaari Kï khwahish is vajah se Kï hai k ye Gunaaho se nafrat karta hai ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 86
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Sabr v Shukr Per Behtreen Badla lijiye,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Ata bin Yasaar Reh. Se marvi hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
⇏Jab Allah Ta'ala Kisi Bimaari Kï vajah se Bande ko Aazmata hai to Allah Ta'ala uski Jaanib Do Farishte bhejta hai aur farmata hai :- Jaa kar Suno k mera Banda Apni iyaadat ke liye aane wall se kya kehta hai ? Agar Wo  Allah ka Shukr ada kare aur achchhe lafzo mai uski sataish Bayan kare to uski taraf se ye Amal ( mujh tak ) pahuncha do ,
⇏Fir Allah Ta'ala farmata hai :- Yaqeenan mere Bande ke liye ye Ajr mere zimme hai k agar Maine use faut kar diya to use Jannat mai dakhil karunga aur agar Maine use ( bistare marz se ) utha liya to use badle mai esa gosht ata karunga Jo uske gosht se behtar hoga aur esa khoon dunga Jo uske khoon se behtar hoga aur usko magfirat se nawaaz dunga ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
       Mauta ,2/940
     
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
 _*Mareez Kï Dua Radd nahi Kï Jati,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
⇏Mareez Kï Dua ko Radd nahi kiya jata ,Yaha'n tak k Wo Sahatyaab ho jaye ,"
 Shobul imaan al Bayhqi ,7/210
❉ Abdullah bin Abi Saleh Bayan karte hai'n k ,
⇏Jab mai Bimaar tha to imaam Taawus Reh . mere paas tashreef laye ,Maine guzarish Kï ,
Ey Abdurrahman ! Mere liye Dua farma dijiye ,
To unhone farmaya :- Aap khud hi apne liye Dua Kijiye ,Kyunki Allah Ta'ala se Jab koi Lachaar Shakhs Dua karta hai to Wo qubool farmata hai ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Shobul imaan al Bayhqi ,12/367
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Bimaari Kï Haalat mai Akhirat Ka Khayal,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Saabit Reh. Bayan karte hai'n k :-
⇏Hum Sayyadna Rabiya bin Haaris Raziyallahu Anhu Kï iyaadat ke liye haazir hue Jabki unki tabiyat bahut gira'n ho chuki thi ,To unhone farmaya:-
Yaqeenan Jo Shakhs mere jesi is Haalat mai hota hai uske Dil mai Akhirat ka Khayal bhar jata hai aur uski nazar mai Duniya Makkhi se bhi Chhoti ho jati hai ,"
 Tafarrud Bihil Molif ,
❉ *Wazaahat* --
⇏Mareez ko chahiye k Wo Ayyame marz mai Apne zahan ko Duniyavi Jhanjhato se Azaad kar ke faqat Akhirat Kï taraf mutavajjah kar le aur un Ayyam ko ganimat samajhte hue Fara'iz v Nawafil Kï adaygi ya Sadqa v Khairaat ke zariye ya Jis Tarah bhi mumkin ho Raza e ilaahi ke husool ko yaqeeni banana chahiye aur Apni Akhirat ko Sanwaarne ke Amaal ko zyada se zyada Ahatmaam karna chahiye ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 141
     
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Sahatyaab Hone Ke Baad Nek Amal Ke Zariye Shukrane Ka izhaar,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Khawat bin Juber Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k ,
⇏Ek dafa mai Bimaar ho gaya to ( Tandurast hone ke baad jab ) mai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï khidmat mai haazir hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
Ey Khawat ! Tumhara jism tandurast ho gaya hai ,
Maine arz kiya:- Ey Allah ke Rasool ! Aapka Jism Mubarak bhi tandurast hai ,
Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Tumne Allah se Vaada kiya tha usko poora karo ,
Maine guzarish Kï :- Ey Allah ke Rasool ! Maine to Allah se koi Vaada nahi kiya tha ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Har Mareez Bimaar ho kar Apne Aap se koi Achchhai Kï baat karta hai ( Yani Dil mai Kisi Nek kaam ka iraada karta hai ),lihaza Tum bhi Allah Ta'ala se Wo Vaada poora karo Jo usse kiya tha ,
 ( Zaief ) Mustadrak Haakim ,3/467
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 141
   ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
☞ _*Raza e ilaahi Kï Justju mai iyaadat,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Sayyadna Ali bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna :-
⇏Jis Shakhs ne Raza e ilaahi Kï Justju mai ,Allah ke vaade ko poora karte hue aur Allah ke Yaha'n mojood Ajro inaam ke husool ka Shoq rakhte hue Kisi Mareez Kï iyaadat Kï
To Us per Sattar hazaar  ( 70 hazaar ) Farishte muqarrar kar diye jate hai'n
Jo use Tab tak Rahmat Kï Duae'n dete rehte hai'n Jab Tak k Wo Apne ghar mai dakhil nahi ho jata ,"
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
( Zaief ) Musnad Ahmad ,1/138
       ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
    
 _*Sattar Hazaar Farishte Rahmat Kï Duae'n Karte hai'n,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Abdullah bin Yasaar Bayan karte hai'n k ,Amru bin Harees Raziyallahu Anhu imaam Hasan bin Ali bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu Kï iyaadat ke liye aaye to Sayyadna Ali Raziyallahu Anhu ne Farmaya :-
⇏Ey Amru ! Yu'n to Aap Hasan Kï iyaadat ke liye aaye hai'n Lekin Dil mai Jo kuchh Chhupa rakha hai uska kya hoga ?
To Amru Raziyallahu Anhu ne kaha :- Ey Ali ! Haa'n ,lekin Aap mere Dil ke Rab nahi hai'n K Jis Tarah chahe use tasarruf karna shuru kar de ,
To Sayyadna Ali Raziyallahu Anhu ne Kaha :- Lekin iske bavjood Hum Aapse Nasihat Kï baat kehne se Nahi rukenge ,Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue Suna hai :-
" Jo bhi Musalman Kisi Musalman Kï iyaadat karta hai Allah Ta'ala uske liye Sattar Hazaar Farishte Muqarrar farma deta hai Jo Shaam tak unke har lamhe mai uske liye Rahmat Kï Duae'n karte rehte hai'n,
Aur agar Wo Shaam ko iyaadat kare to Subeh tak Raat Kï har ghadi mai uske liye Duae'n Karte rehte hai'n, "
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 ( Zaief ) Musnad Ahmad ,1/97
     
     ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
 _*Ek Din Maut Ka Teer Aa Lagega,*_
              ✧ *:・゚✦✬✦*:・゚✧
❉ Imaam Hasan Reh. Farmaya Karte they :-
⇏Tum sirf nishana lagane Kï ek Jagah ho ,Jis per rozana Teero se nishana bazi Kï jati hai,
Tum per Jo bhi Koi Bimaari aati hai Wo nishane ka ek Teer hota hai, Jisse Aqal wala Samajh boojh haasil karta hai aur Jaahil Nadaani mai rehta hai ,Yaha'n tak k ( ek Din ) esa Teer aayega k Jiska nishana khata nahi hoga ,"
❉ *Wazaahat*_
⇏Yani insaan ko waqt ba waqt Bimariyo'n ke Teer lagte rehte hai'n, Jo Aqalmand hota hai Wo isse Sabaq haasil karta hai aur baqi Kï zindgi ko Allah Kï Dï hui mohlat samajh kar uski khoob Bandgi Baja lane Kï koshish karta hai,
Jabki Jo Jaahil hota hai Wo nadaani mai hi rehta hai aur Bimariyo'n se kuchh sabaq nahi seekhta ,balki jesa pehle hota hai wese hi baqi zindgi guzaar ta chala jata hai, Fir ek Roz maut ka Teer aa lagega ,Jiska nishana Khata nahi hoga ,Fir na koi mohlat baqi rahegi aur na Akhirat Kï taiyari ka koi moqa haath aayega ,
       
  ❥═┄ ʀεғεʀεηcε
 Allah Ta'ala ki Bakhshis ke Andaz, 192
*Alhamdulillah Mukammal,,,,,*
      

No comments:

Post a Comment