👇
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈
⚀ Mosïqï (s๑ngs) rooн Kï
Gïzα He Уα Sαzα ⚀
Gïzα He Уα Sαzα ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
1- Mosiqi Gumrahi aur Azaab ka Zariya he ,
Mosiqi gumrahi aur azaab ka zariya he, Ma’ashre se khaatma ek musalman koshish aur Juhad v Jahad se Mumkin he,
Surah Luqman, Verse 6:
وَمِنَ النَّاسِ مَن يَشْتَرِي لَهْوَ الْحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَن سَبِيلِ اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًا أُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُّهِين
Aur baaz log ese bhi hai’n jo behuda hikayate( Fizool cheeze) kharidte hai’n k be ilmi ke saath logo ko Allah ki raah se behkaye aur hansi banaye, yahi wo log hai’n jinke liye ruswa karne wala azaab he””
Sayyed Abdullah bin Masoud Rad. ne 3 baar qasam uthakar farmaya k isse muraad gaana bajana he,
( Tabrani, 39/ 21)
imaam Hasan Basri Rh. Farmate hai’n,
” ye Aayat gane aur raag baajo ke mualliq utri he ”
Sayyadna ibne Abbas Rd., Hazrat Jaabir Rd.Hazrat Aqrama Rd.Hazrat Saied bin Zuber Rd.Hazrat Umr bin Shoeb Rd.aur Hazrat Ali bin Huzema Rh se bhi yahi tafseer mankool he,”
( Tafseer ibne kaseer, 6/331)
Gaana bajana to shadeed qism ki lahuv he aur Baadshaho aur Huqmrano ki baato’n se zyada nuqsandah he, kyuki ye zina ka zeena aur peshe khema he .Nifaak isse shirk paida hota he aur Shaitan ki Shirkat hoti he, aql me khumar paida ho jata he, Gaana bajana ek esi cheez he jo Quran majeed se rokne aur mana karne wali baatil qism ki baato’n me sabse zyada shadeed he, kyuki iski taraf nafs bahut zyada meelaan rakhta he aur iski ragbat karta he,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -02⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -02⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
2 -Gaana Bajaana Shaitani Awaaz He
Surah Al-Isra, Verse 64
وَاسْتَفْزِزْ مَنِ اسْتَطَعْتَ مِنْهُم بِصَوْتِكَ وَأَجْلِبْ عَلَيْهِم بِخَيْلِكَ وَرَجِلِكَ وَشَارِكْهُمْ فِي الْأَمْوَالِ وَالْأَوْلَادِ وَعِدْهُمْ وَمَا يَعِدُهُمُ الشَّيْطَانُ إِلَّا غُرُورًا
” inme se tu jise bhi apni awaaz se behka sakega behkale aur un per apne sawaar aur pyaade chadale aur unke maal aur aulad me se apna bhi hissa lagale aur unhe’n ( Jhoote) vaade de le, unse jitne bhi vaade shaitan ke hote hai’n sabke sab sarasar fareb he, ”
is Aayat me shaitani Awaaz se gaana bajaana muraad he,
Imaam Mujahid Reh. Farmate hai’n – iska matlab ye he k,
” ( A iblees ), tu inhe khel tamasho se aur gaane bajaane ke saath magloob kar, ”
Hazrat Ibne Abbas Rd. farmate hai’n, –
Hazrat Ibne Abbas Rd. farmate hai’n, –
” is Aayat me har woh awaaz muraad he Jo Allah ki nafarmani ki taraf dawat de, ”
Yahi qaul Hazrat Qatada Rd. Ka he aur isi ko Hazrat Ibne Jareer Rh . ne akhtyar farmaya he,
Yahi qaul Hazrat Qatada Rd. Ka he aur isi ko Hazrat Ibne Jareer Rh . ne akhtyar farmaya he,
( Tafseer ibne Kaseer, 3/50)
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -03 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -03 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
3- GAANE BAJAANE SE BACHNA MOMIN KI ALAMAT HE ,
Surah Al-Furqan, Verse 72:
وَالَّذِينَ لَا يَشْهَدُونَ الزُّورَ وَإِذَا مَرُّوا بِاللَّغْوِ مَرُّوا كِرَامًا
” Jo log Jhuthi gawahi nahi dete aur jab kisi lagu cheez per inka guzar hota he to Sharafat se guzar jate hai’n, ”
Imaam Mujahid Rh Farmate hai’n k iska matlab ye he k woh gaane bajaane nahi sunte hai’n,
( Tafseer Tabri, 19/ 313)
Sabse sahi qaul ye he k yun kaha jaye, “Woh (Rehmaan ke Bande ) kisi qism ke baatil me shareek nahi hote, na shirk me aur na gaane bajaane me, aur na jhoot me aur na iske alawa kisi ese amal me jis per ” زور” ka itlaaq ho yani behuda kaam, ”
( Tafseer ibne Jareer, 19/29)
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -04⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -04⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
4- Gaana Bajaana Musrikeen ka Hathkanda He ,
Surah An-Najm, Verse 59:
أَفَمِنْ هَٰذَا الْحَدِيثِ تَعْجَبُونَ
Pas kya tum is baat se ta’ajjub karte ho?
Surah An-Najm, Verse 60:
وَتَضْحَكُونَ وَلَا تَبْكُونَ
Aur hans rahe ho, Rote nahi,
Surah An-Najm, Verse 61:
وَأَنتُمْ سَامِدُونَ
وَأَنتُمْ سَامِدُونَ
Balki tum khel rahe ho,
Hazrat Ibne Abbas Rd. Farmate hai’n ”
Saamidoon ” se muraad gaana bajaana he, Jab wo ( mushrikeen) Quran Kareem sunte to gaane lagte the to ye Aayat naajil Hui,
Saamidoon ” se muraad gaana bajaana he, Jab wo ( mushrikeen) Quran Kareem sunte to gaane lagte the to ye Aayat naajil Hui,
( Tafseer Tabri, 22/ 559)
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -05 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -05 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
5 - MOSIQI HARAAM HE ,
Hazrat Abdullah ibne Masoud Rd se rivayat he, Rasoolullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
” Allah ta’ala ne Mujh per Sharab, Jua, Kuba ( Dhol) ko haraam qaraar diya he aur Nasha Awar cheez haraam he,”
Musnad Ahmed, Abu Dauod
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -06 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -06 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
6 - Mosiqi Azaab aur Masa’ib ka Sabab He,
Huzur Akram Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,
” is ummat per ye Aafate’n aaengi, zameen me dhansna, Shaklo ka masakh hona aur Pattharo ki baarish, ”
Ek Sahabi Rd ne daryaft kiya,
” E , Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ye kab hoga? ”
Aap Sallallahu Alayhivasallam ne irshad farmaya,
” Jab gaane wali Aurto’n aur Raag baajo ka daur dorah hoga aur Sharab noshi hogi, ”
Tirmizi Sharif,,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -07 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -07 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
7 - Gaana Bajana Himaqat aur Fijoor He ,
Hazrat Jaabir Rd bayan karte hai’n k Rasoolullah Sallallahu Alayhivasallam Hazrar Abdurrahman bin Auf Rd ke saath nikle to unka beta Ibrahim maut aur Hayaat ki kashm kash me tha,
Rasoolullah Sallallahu Alayhivasallam ne bete ko goad me rakha to Aap S A ki aankho’n se aansu behne lage,
To Hazrat Abdurrahman bin Auf Rd kehne lage,
” Aap S A to rone se mana karte hai’n aur khud ro rahe hai’n ”
Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
” me rone se mana nahi karta hu’n balki 2 ahmaq aur Faajir qism ki awaazo se mana karta hu’n, Ek to mazameer shaitan aur mosiqi ke alaat aur nagme ke waqt nikali jane wali awaaz se,
Aur doosri musibat ke waqt chehra peetne aur girebaan faadne ke saath aah baka karne ki awaaz, ”
Tirmizi Sharif,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -08 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -08 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
8 - Mosiqi Halaal Samajhne Wale Khinzeer ban Jaenge ,
Sahi Hadees me Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka Farman he,
” Meri ummat me kuchh log ese aaenge Jo Zina aur Resham aur Sharaab aur Gaana Bajaana aur Alaate mosiqi ko halaal kar lenge aur ek qaum pahaad ke pehlu me padaav karegi to unke chopae charne ke baad shaam ko wapas aaenge aur unke paas ek zaroorat mand aur haajatmand shakhs aaega, wo use kahenge, ” kal aana ” to Allah ta’ala unhe raat ko hi halaak kar dega aur pahaad un per gira dega aur doosro ko qayamat tak bandar aur khinzeer banakar masakh kar dega, ”
Sahi Bukhari,, 10/ 51
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -09 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
09 - MOSIQI REHMATE KHUDAWANDI SE DOORI KA SABAB HE ,
⊙ PART -09 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
09 - MOSIQI REHMATE KHUDAWANDI SE DOORI KA SABAB HE ,
HAZRAT ABU HURAIRA RAZIALLAHU TA’ALA ANHU NE BAYAN KIYA HE K,
RASOOLE KAREEM SALLALLAHU ALAYHIVASALLAM NE FARMAYA,
” MAZMAAR SHAITAN HE, ”
RASOOLE KAREEM SALLALLAHU ALAYHIVASALLAM NE FARMAYA,
” MAZMAAR SHAITAN HE, ”
SAHI MUSLIM, HADEES NO. 2114
SAHI MUSLIM KI SHARAH ME
IMAAM NAVVI RAHMATULLAHI ALYH LIKHTE HAI’N K,
” GHANTI KE MUTALLIQ YE KAHA GAYA HE K GHANTI SE FARISHTO KI NAFRAT KA BAA’IS YE HE K YE NAKOOS KE MUSHABE HE YA FIR UN LATAKANE WALI CHEEZO ME SE HE JISSE MANA KIYA GAYA HE, ISSKA SABAB AWAAZ KI KARAHAT HE AUR ISKI TAA’IED MAZAMEER SHAITAN WALI RIVAYAT KARTI HE,

SHAIKH IBNE ASIMEEN RAHMATULLAHI ALYH FARMATE HAI’N,
NABI KAREEM SALLALLAHU ALAYHIVASALLAM NE BATAYA HE K FARISHTE US QAAFILE KE SAATH NAHI HOTE JISME GHANTI HO, ” KYUKI JAANWARO’N KE CHALNE SE AUR HILNE DULNE SE MOSIQI AUR SHAR PAIDA HOTA HE AUR YE TO MALOOM HI HE K GAANE BAJAANE KE ALAAT HARAAM HE.

SHARAH RIAZUSSALIHEEN 4/ 340
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -10 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -10 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
10 - MOBILE ME MOSIQI WALI TONES LAGANA BURAI AUR HARAAM HE ,
SHEKH MUHAMMAD SAALEH LIKHTE HAI’N,” IN TONES SE BACHNE KE LIYE SAADA, AAM PHONE KI GHANTI HI KAAFI HE, YA ISKE ALAWA KOI ( FITRI AWAAZ WALI) TONES LAGALE’N JISME MOSIQI NA HO,
MUSTAQIL FATWA COMMITY SE MOBILE PHONE ME MOSIQI WALI TONES KE HUKM KE MUTALLIQ DARYAFT KIYA GAYA TO COMMITY KA JAWA
MUSTAQIL FATWA COMMITY SE MOBILE PHONE ME MOSIQI WALI TONES KE HUKM KE MUTALLIQ DARYAFT KIYA GAYA TO COMMITY KA JAWAB THA,
MUSTAQIL FATWA COMMITY SE MOBILE PHONE ME MOSIQI WALI TONES KE HUKM KE MUTALLIQ DARYAFT KIYA GAYA TO COMMITY KA JAWAB THA,
” TELEPHONE AUR DOOSRE ALAAT ME MOSIQI WALI TONES KA ISTEMAL JAA’IZ NAHI, KYUKI MOSIQI KE ALAAT KA SUNNA HARAAM HE, JESA K SHARA’I DALA’IL SE SABIT HE AUR ISKE BADLE ME AAM SAADA GHANTI AUR TONES ISTEMAL KI JA SAKTI HE,”
EK SHAKHS NE SAWAL KIYA K USNE APNE PHONE ME QURANI AYAAT KI TONE LAGA RAKHI HE, TO JAWAB DIYA GAYA K, ” AALA AUR BEHTAR TO YAHI HE K ESA NA KIYA JAYE KYUKI ANDESHA HE K ESA KARNE ME QURAN MAJEED KI TOHEEN HE,,, YAQEENAN ALLAH TA’ALA NE QURAN MAJEED ISLIYE NAZIL FARMAYA K YE KITAAB HIDAYAT KI KITAAB BANE, JO IS QAUM KO BEHTAR AUR ACHCHHI RAAH KI TARAF REHNUMAI KARE, YE KITAAB PADI JAYE AUR TARTEEL KE SAATH ISKI TILAWAT HO AUR ISKE MA’ANI PER GAUR FIKR KIYA JAYE AUR IS PER AMAL KIYA JAYE.
NA K YE BATOR ALARM YA GHANTI KE ISTEMAL KIYA JAYE,
NA K YE BATOR ALARM YA GHANTI KE ISTEMAL KIYA JAYE,
HAMARE LIYE YAHI KAAFI HE K APNE MOBILE PHONE KO AAM, SAADA TONE PER RAKHA JAYE JISME KOI MOSIQI NA HO.
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -11 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -11 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
11 - Mobile me Mosiqi wali Tones lagana Burai aur Haraam He
Shekh Muhammad Saaleh likhte hai’n,” in tones se bachne ke liye saada, aam phone ki ghanti hi kaafi he, ya iske alawa koi ( fitri awaaz wali) tones lagale’n jisme mosiqi na ho,
Mustaqil fatwa commity se mobile phone me mosiqi wali tones ke hukm ke mutalliq daryaft kiya gaya to commity ka jawab tha,
” Telephone aur doosre alaat me mosiqi wali tones ka istemal jaa’iz nahi, kyuki mosiqi ke alaat ka sunna haraam he, jesa k shara’i dala’il se sabit he aur iske badle me aam saada ghanti aur tones istemal ki ja sakti he,”
Ek shakhs ne sawal kiya k usne apne phone me Qurani Ayaat ki tone laga rakhi he, to jawab diya gaya k, ” Aala aur behtar to yahi he k esa na kiya jaye kyuki andesha he k esa karne me Quran Majeed ki toheen he,,, Yaqeenan Allah ta’ala ne Quran Majeed isliye nazil farmaya k ye kitaab hidayat ki kitaab bane, Jo is qaum ko behtar aur achchhi raah ki taraf rehnumai kare, ye kitaab padi jaye aur tarteel ke saath iski tilawat ho aur iske ma’ani per gaur fikr kiya jaye aur is per Amal kiya jaye,,,,, na k ye bator Alarm ya ghanti ke istemal kiya jaye,
Hamare liye yahi kaafi he k apne mobile phone ko aam, saada tone per rakha jaye jisme koi mosiqi na ho
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -12 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -12 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
12 - T . V . Ki Islaam me Haisiyat
Fatahul Baari, 10/94 me Hazrat Anas Rd Huzur Sallallahu Alayhivasallam se rivayat karte hai’n Jiska mafhoom he,
k akhri zamane me meri ummat ke kuchh log Bandar aur Khinjeer ki Shaql me masakh( change) ho jaenge, jabki ye log toheed, risalat ka ikraar bhi karenge, roza, namaz, hajj bhi karenge, lekin inka ye haal hoga k wo alaate mosiqi ( Jo kuchh bhi entertainment ki cheeze hai’n) Raqasa aurto’n ( naachne gaane wali- in me TV, film actress bhi shamil hai’n) aur Tabla Sarangi vagerah ke rasiya honge ”

Fatahul Baari, 10/94( Mafhoom)
Fuqha ke nazdeek T V, bhi isi hukm me he,
T V ke zariye deen kabhi hasil nahi ho sakta, malumat bad jaegi lekin amal kabhi nahi aaega, kyuki Haq kabhi bhi Batil ke raaste se nahi aata, Jo cheez khud apni zaat me haraam ho usse khair ki ummeed kese ki ja sakti he,
T V ke zariye Deen pesh karna Ulema e haq ke nazdeek esa he jese Peshab ki theli ( Jo Peshab ke mareej ke liye hoti he) me doodh pesh kiya jaye,
Koi aqalmand, samajhdar aadmi isko piye ye namumkin he
Koi aqalmand, samajhdar aadmi isko piye ye namumkin he
Hadees Paak me imaan wale ki misaal nakel pade hue ount ( camel) se di gayi, aur khunte se bandhe hue ghode ( horse) se di gayi, Jo apni marziyat ke malik nahi, ek daayra( area) diya gaya, jese hi bahar nikalna chahenge ek jhatka lagta he, aur ghoda khunte per laut ( return) aata he,
Hum aaj kuchh bhi asbaab ( things) istemal kar le, hume laut kar Quran Hadees, wale raaste per hi aana padega,
Hum aaj kuchh bhi asbaab ( things) istemal kar le, hume laut kar Quran Hadees, wale raaste per hi aana padega,
Rahi baat Social media ( What’s app, Facebook, twitter etc) ki, to hum in me malumaat share karte hai,malumaat ka na
Rahi baat Social media ( What’s app, Facebook, twitter etc) ki, to hum in me malumaat share karte hai,malumaat ka naam ilm nahi,
Ilm to Sohbate Saleh ( neko ki sohbat), Zuhad se aata he, aur Amal tofeeqe khudawandi se aata he,
Jab malumaat ko Allah amal me tabdeel karta he to fir ise ilm kaha jata he,
Ulema ki ziyarat ko ibaadat kaha gaya,,, T V se deen sikhne lage to ulema se door ho gaye,
Internet se, Mobile se, Apps se Quran padne lage to Quran ki azmat dilo se nikal gayi, Quran ko chhoona, Dekhna, Choomna bhi ibadat kaha gaya, hum isse mehroom ho gaye,
Ek masjid ke bahar ek board laga tha, us per likha tha, ‘ Namaz Qaayam karo “. aur usi board ke niche log soye pade the,,, kisi ko namaz ka hosh nahi tha,,
Hazrat Maulana Saa’ad DB ne farmaya,” is likhe hue se in sone walo ko kya faayda hua, is tarah to malumaat fel sakti he islaam nahi,islaam to musalman ke islaam ko lekar firne se felega, ”
Imaan Amaal zindgi logo ki zindgi me tab aata he jab wo raasta akhtyar kiya jaye Jo Huzur Sallallahu Alayhivasallam ne hume sikhaya tha,,,, “apni zaat se khud chal kar Jana,,,, ” yahi Tamaam Nabiyo ka raasta tha,, Jise Allah ne kaha Qul haadihi Sabili “”
kaho ye he mera raasta,
Jis raaste per Hazraate Sahaba ikram rd ne chalkar deen ko poori duniya me aam kiya,,
Jis raaste per Hazraate Sahaba ikram rd ne chalkar deen ko poori duniya me aam kiya,,
Hadees Paak me imaan wale ki misaal nakel pade hue ount ( camel) se di gayi, aur khunte se bandhe hue ghode ( horse) se di gayi, Jo apni marziyat ke malik nahi, ek daayra( area) diya gaya, jese hi bahar nikalna chahenge ek jhatka lagta he, aur ghoda khunte per laut ( return) aata he,
Hum aaj kuchh bhi asbaab ( things) istemal kar le, hume laut kar Quran Hadees, wale raaste per hi aana padega,
Hum aaj kuchh bhi asbaab ( things) istemal kar le, hume laut kar Quran Hadees, wale raaste per hi aana padega,
Jab malumaat ko Allah amal me tabdeel karta he to fir ise ilm kaha jata he,
Huzur Sallallahu Alayhivasallam aur Hazraate Sahaba ikram Rd, ki zindgi Amali namuna thi,
Hazrat Ali Rd se jab puchha gaya k Huzur S A ka vazu kesa tha,?
To Aap rd. ne zuban se kuchh nahi kaha aur na hi koi tehreer likh kar di, balki Vazu ka paani mangaya aur khud vazu karke dikhaya,
Bas bhai yahi tarteeb ilm aur amal wali he,
Ab batao kya TV, mobile ye kaam kar sakta he?
Kabhi nahi!!
Ab batao kya TV, mobile ye kaam kar sakta he?
Kabhi nahi!!
Ilm Amal ka raasta seena ba seena he,,isi tarteeb ka quran elaan karta he, aur hadeese gawah hai , yahi Tarteeb Qayamat tak qayam rahegi aur deen bhi qayam rahega,
Wallahu Aalam
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -13 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -13 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
13 - Shayad k Tere Dil me Utar Jaye Meri Baat
Umar bin Abdul Aziz Rh ne apne sahabzade ke ustaad ko khat likha k,
Umar bin Abdul Aziz Rh ne apne sahabzade ke ustaad ko khat likha k,
” Aapse bachche ko adab sikhane ke silsile me sabse pehli tavaqqo he k uske dil me Saaz Baaje ki nafrat honi chahiye kyuki saaz baaja shaitani ibtida he, jiska anjaam Allah ta’ala ki naraazgi he,
Mujhe Moatber Ahle ilm se maloom hua he k saaz baajo ki majaliso me shirkat karna, Raag Gaane Sunna, aur inka dildada hona Dil me nifaaq badata he, jese paani ghaans badata he, aur me Zindgi Ata karne wali hasti ki qasam khakar kehta hu’n k Dil me nifaaq qaaim rakhne ki nisbat esi majaliso se door bhaagna samajhdar insaan ke liye zyada asaan he, ”

Zimmul Malahi, 1/6
Dua he Allah ta’ala Tamaam musalmano ko har qism ke fitno se mehfooz rakhe aur Quran aur Sunnat per Amal ki tofeeqe azeem ataa farmaye,
Ameen ya rabbul alameen,
Ameen ya rabbul alameen,
ikhtitaam alhamdulillah
,,,
ٌ
,,,
ٌ
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────
No comments:
Post a Comment