Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, December 21, 2014

BE PARDAGI

🌼🌼﴾﷽﴿ 🌼🌼

               ╓━════◐ ◑════━╖
                        ISLAMI
                     MUASHARA
               ╙━════◐ ◑════━╜

      ─┄┅━ ═══ ✦✦═══ ━┅┄─

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
Ghar ke ta'alluq se jo batein zaruri thi wo khatm hui. Ab ham un fitno ke bare me baat karte hein jo muaashare me fasad or bigad ko paida karte hein or unke ilaaj ko bhi maloom karte hein.
❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁



Aurat Allah ki azeem ne'mat he, lekin agar is ne'mat ki na qadri ki jaae to wo mardo ke liye bahut zyada nuqsaan deh or muhlik chiz sabit hoti he.

❃ hz usama radiyallahu anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: mene apne pichhe mardo ke liye aurto se zyada nuqsaan deh koi fitna nahi chhora. [ℳishkaat: 267]
                                                 
✾ Hz Abu saeed khudri radiyallahu anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: Dunya badi shireen or sabz he, allah ne tum ko apna janasheen bana kar bheja he taake dekhein tum kese kaam karte ho ?, lihaza dunya se bacho or [parai] aurto se door raho, is liye ke bani israeel me sab se pehla fitna jo runuma [zahir] huwa tha wo aurto ki wajah se tha. [ℳishkat: 267]
 
                                                   
       SHAR'EE PARDE KE 3 DARJE
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧

❷ Zarurat ke mauqe par jab aurat ko ghar se bahar nikalna pade to us waqt kisi burqe ya lambi chadar ko sar se pair tak orh kar nikalne ka hukm he, chunanche sure ahzaab ki aayat no 59 me bari ta'aala ka irshad he..

“ AY NABI SALLALAHU ALAYHI WASALLAM !!! AAP APNI BIWIYO OR BETIYO KO OR AAM MUSMLMANO KI AURTO KO HUKM DEIN KE WO APNE UPAR CHAADAR LATKA LIYA KAREIN ”

Hz AbduLLah Ibne Abbas radiyallahu anhu se marwi he ke is aayat ka matlab ye he ke aurat sar se paau tak chaadar me lipti ho, chehra or naak bhi chhupi ho, sirf ek aankh raasta dekhne ke liye khuli ho.
                                                      ® ℳa'aariful Qur'aan 7/217

       SHAR'EE PARDE KE 3 DARJE
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧

❶ Aurto ke parde ke mut'alliq Qur'aan ki 7 aayato or Hadis ki 70 riwayaat ka khulaasa ye maloom hota he ke shari'at jis parde ka aurat se mutalaba karti he wo ye he ke...

“AURTO KI MAUJOODGI OR NAQLO HARKAT MARDO KI NAZAR SE CHHUPI RAHE”

Ye chiz sirf gharo hi me reh kar hasil ho sakti he, ye parde ka pehla darja he.

Lekin shari'ate islamiyya ek jamea or mukammal nizam he jis me insaan ki tamam zarurato ki puri ri'aayat ki gayi he, aurto ko bhi esi zarurat pesh aati he ke ghar se nikle, is liye shari'at ne dusre darje bhi bataae hein.
                                               
® ℳa'aariful Qur'aan 7/213


Shar'ee Parde ke in 3 darjo ki tafseel se ye baat ma'loom ho gayi ke aurto ko apne ghar hi me rehna chahye, bahut sakht zarurat ho tab hi mukammal burqe me nikle, is liye ke aurat be parda khul kar ghar se bahar qadam rakhna muaashre ki tabaahi ka sabab he, is ka andaza is hadis se hoga..

✾ Hz AbduLLah Ibne ℳas'ood Radiyallahu Anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:

“Aurat chhupane ki chiz he, jab wo bahar nikalti he to Shaytaan use ghoor ke dekhta he. ”
                                                      ® ℳishkaat: 269

       SHAR'EE PARDE KE 3 DARJE
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧

❸ Tisra darja ye he ese mauke par jaha fitne ka andesha na ho chehra or hatheliya khula rakhna jaaiz he, is ke alawa pura badan chhupana zaruri he.

Ab chunke hamare zamane me fitne ka andesha bahut hi zyada barh gaya he is liye ab gair mahram mardo ke samne chehra or hatheliya kholna jaaiz nahi. Ab aurtein ya to apne gharo me rahein ya zarurat ke mauke par burqa orh kar ghar se niklein, is surat me ye bhi khayal rakhe ke khushboo laga kar na nikle, bajne wala koi zewar na pehna ho, raaste ke kinare chalein, mardo ke hujoom me dakhil na ho.
                                                      ® ℳa'aariful Qur'aan 7/217, 220

BE PARDA OR BE HAYAA AURAT JANNAT KI KHUSHBOO BHI SOONGH NAHI PAAEGI

✾ Hz Abu Huraira Radiyallahu Anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:

Jahannamiyo ke do giroho ko mene nahi dekha..

① jin ke pass gaay ki dum ki tarah kode [hunter] honge, jin ke zarye logo ko [na haq] marenge
② wo aurtein jo [zahir me] kapde pehni hui hongi, [haqiqat me] nangi hongi, mardo ko [apni taraf] maail karne wali hongi or khud [mardo ki taraf] maail hone wali hongi, un ke sar oont ki kohan ki tarah honge.

Wo jannat me nahi jaaengi or na jannat ki khushbu soongh paaengi, halanke jannat ki khushboo bahut door se mahsoos hoti hogi.
                                                      ® ℳishkaat: 306

AGAR ZARURAT KI WAJAH SE AURAT KO GHAR SE NIKALNA HO TO QUR'AANI TALEEM OR HIDAYATE NABWI KO PESHE NAZAR RAKHNA ZARURI HOGA KE:
① Nigahein neechi rakhein

“AAP MUSALMAAN AURTO SE KEH DO KE APNI NIGAHEIN NEECHI RAKHEIN OR APNI SHARMGAAH [PAKDAAMNI] KI HIFAZAT KAREIN OR APNI ZEBAISH KO ZAHIR NA KAREIN” (sure noor: 31)

② Niqab ke sath niklein

“ AY NABI SALLALAHU ALAYHI WASALLAM !!! AAP APNI BIWIYO OR BETIYO KO OR AAM MUSMLMANO KI AURTO KO HUKM DEIN KE WO APNE UPAR CHAADAR LATKA LIYA KAREIN ” (sure ahzaab:59)
                                                      ® ₣. ₹ahimiya: 2/237

AGAR ZARURAT KI WAJAH SE AURAT KO GHAR SE NIKALNA HO TO QUR'AANI TALEEM OR HIDAYATE NABWI KO PESHE NAZAR RAKHNA ZARURI HOGA KE:
③ Ban sanvar kar na nikle

“OR WO AURTEIN ZAMAANAE JAHILIYYAT KE RIWAJ KE MUTABIQ BAN SANWAR KAR NA NIKLEIN” (sure ahzaab: 33)

④ Meyle kapro or sade burqe me nikle

Abu Huraira Radiyallahu Anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya... “lekin aurto ko meyle kapro me nikalna chahye”(Abu Dawood: 1/91)
                                                     ® ₣. ₹ahimiya: 2/237

⑤ khushbu, powder wagera na lagaaein

❁ Hz Abu Musa Ash'ari Radiyallahu Anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:

“HAR NIGAH [JO BURI NIYYAT SE HO] ZINA KARNE WALI HE OR BESHAK JAB AURAT KHUSHBOO LAGA KAR MARDO KE PASS SE GUZARTI HE TO WO AURAT ZANIYA OR BADKAAR HE” (ℳishkaat: 96)

⑥ safar bager mahram ya shohar ke na ho

Agar aurat ko esi jagah jana he jo us ke ghar 78km door he to esi jagah akeli na jaae balke apne kisi mahram (baap, beta, bhai) ya shohar ke sath hi jaae.

❁ Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:

“JO AURAT ALLAH PAR OR QAYAMAT KE DIN PAR IMAN RAKHTI HO 3 ROZ YA ZYADA KA SAFAR KARE MAGMR US SURAT ME KE US KE SATH BAAB YA BETA YA SHOHAR YA BHAI YA MAHRAM HO”(ℳuslim: 1/434)
                                                      ® ₣. ₹ahimiya: 2/237

⑦ Bajne wala zewar pahan karkna nikle, allah ta'ala irshad farmate hein:

“ AURTEIN APNE PERO KO ZAMIN PAR ZOR SE NA MARE KE UN KI CHHUPI ZINAT ZAHIR HO JAAE”(sure noor: 31)

Apni makhfi zinat ka izhaar aurto ke liye jaiz nahi, [yani esi surat ikhtiyar karna jis se mard us ki taraf mutawajjeh ho jaiz nahi] zewar me koi esi chiz ho jo bajti ho ya zewar aapas me takrane se baje, ya per zamin par ese rakhein ke zewar ki aawaz nikle ye sab surtein is aayat ki ru se na jaaiz he.
                                                   ® ℳakariful Qur'aan: 6/406

⑧ Muzayyan burqe pehn kar na nikle

Imam jassas razi Rahmatullahi Alayhi ne farmaya jab zewar tak ki awaaz ko Qur'aan ne mamnu'a qarar diya to muzayyan burqe pehn kar nikalna ba darje awla na jaiz hoga. ( ℳakariful Qur'aan: 6/406)

❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈

Be Pardagi ke Fitne me Aurat ka kirdaar Aham he, Aaj Gairo ke dekha dekhi or Gairo ke behkaane par Musalmaan Aurto ne bhi Parda chhor diya, Jab Musalmaan Aurat or Gair Muslim Aurat me Farq baqi na raha to Fasaad Gairo me tha wo hamaare ℳuaashare me bhi dakhil ho gaya. Parde ko chhor kar Musalmaan Aurat apne aap ko us Buland Maqam se Gira rahi he jo islaam ne diya tha, Zamaanae Jahiliyyat me Aurat jis qadar Zalil thi Aaj fir utni hi Zalil ho chuki he.
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
Parde Ki Ahmiyyat ko is jumle se samajhne ki koshish karein

“AZWAJE MUTAHHARAAAT SE BARH KAR KOI AURAT PAKDAAMAN NAHI HO SAKTI OR SAHABA E KIRAM SE BARH KAR KISI MARD KI NIGAHEIN NAHI HO SAKTI FIR BHI ALLAH NE UNHEIN SAKHTI SE PARDE KA HUKM DIYA”
                                                     
Ye ƒariza he harhkhandaan ke sarbaraah ka ke wo apni khkwateen ko na'ee tehzib ke is ƒitne me me phansne sesbachaae or un ki esi tarbiyat kare ke jis se unhein

“ APNE SAHIH MAQAM OR MUASHARE KI TA'MEER ME APNE SAHIH KIRDAAR KA EHSAS HO OR WO KHUD APNI MAGRIBI (WESTERN STYLE) ZINDAGI SE NAFRAT KARNE LAGE ”

Allah ka shukr he abhi ye bimari na qabile ilaaj nahi, thodi hikmat or musalsal mukhlisana mehnat se ilaaj ho sakta he, Lekin agar hamari gaflat ka yahi aalam raha jo abhi he to fir bimaari “La iLaaJ” ho jaaegi or hamaari bahan betiyaa hamare hath se nikal jaaengi.
❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉
AaJ HaM Saß ye ahad kar lein: AAJ HI SE HAM HIJAAB YANI PARDE KO DOBAADA ZINDA KAR DENGE. In sha allah
❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉❉
Kitne hi mulko me “HijaaB” par pabandi lagi he or Lagti ja rahi he, wo Log jante hein ke jab musalmaan aurat parda nahi utaaregi “ISLAMI MUASHARA” tabaah nahi hoga. Ab ikhtiyaar hamare hath me he

Kya ham “ISLAAMI MUAASHARE” ko tabaah karna chahte hein ???

🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲

No comments:

Post a Comment