🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲
KHUSH GAVAR IZDIVAJI (MIYA-BIVI KE DARMYAN KI) ZINDAGI KESE BANTI HE ??
🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
BIWI KE LIYE
20 SUNEHRI USOOL
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
👉❶ KHANE KO ZIKR OR FIKR KE SATH BANAAEIN
Ghar me aurte jo khana bana ti hein wo ghar ke afraad ke jismo me jata he or jismo ki giza banta he, agar khana banane me taharat ka khayal na kiya or gaflat ke sath pakaya to ye khana jismo me ja kar noor ke bajaae zulmat paida karega.
Nek biwiyan khana banate zuban se allah ka zikr karki hein, sahabiyyat ki bhi ye aadat thi, baz sahabiyyat to tannoor par roti sekte sekte 3 pare parh liya karti thi.
Aurtein is ka tajarba kar ke dekh lein ke bachcho ko ba wuzu zikr ke sath khilaengi to bachcho me farmabardari ka jazba barh jaaega, or shohar ko ba wuzu zikr ke sath khana pesh karengi to shohar ke dil me muhabbat me izafa hoga.
👉❷ KAAM KO WAQT PAR SAMETNE KI AADAT DALEIN
Dusri aham baat ye he ke har kaam ko apne waqt par samet ne ki aadat dalein, aaj ka kaam kal par na dalein, kal kal karte huwe jab bahut kaam jama ho jate hein to ek bhi kaam ho nahi pata.
Aaj musibat ye he ke ghar me aurtein kaam ko ibadat samajh kar nahi musibat samajh kar karti hein, ghar ke kaam me pasina bahana, mashaqqat uthana aisa hi he jese isha ke wuzu se fajr parhne ajr pana.
Is liye biwi ko chahye ke ghar ke kamo ko khushi se qabool kare or ye soche ke in kamo ki wajah se allah mujse razi hoga.
Ek hadis me he ke nek aurat wo he jis ka dil allah ki yaad me ho or us ke hath kamo me masruf ho.
👉❸ GHAR KO SAAF SUTHRA OR PAAK RAKHEIN
Kuchh aurto ki tabiat me susti hoti he, ghar me sari chizein pheli padi rehti hein, be tarteeb rakhi hoti hein, ye allah ko na pasand he. Aurat is niyyat se is niyyat se ghar ko saaf suthra or paak rakhe ke allah rrzi honge.
👉❹ SUNI SUNAI BAAT AAGE NA CHALAAE
Bahut si aurto me ye aadat hoti he ke adhuri baat shohar ko pohcha deti he fir apni galati ko chhupane ke liye kai jhoot us me milati he, ye bahut buri aadat he or khatarnaak gunaah he, hadis me he ke aadmi ke jhoote hone ke liye ye kafi he ke har suni baat ko bayan kar de, kabhi aurat apne shohar ke khandaan ke raaz dusro ko, kabhi khud ke ghar walo ko bata deti he, ye bhi khatarnaak gunaah he or bahut se fitno ki jad he, is se bachna bhi zaruri he.
👉❺ SHOHAR KO DUAO KE SATH RUKHSAT KAREIN OR AANE PAR MUSKURA KAR ISTIQBAAL KAREIN
Jab bhi shohar ghar se jane lage us ko hamesha duao ke zarye wida kare, fi amanillah kahe, nek biwiya hamesha apne shoharo ko or bachcho ko duao ke sath rukhsat karti he, darwaze tak ja kar wida karti hein, jab shohar lote to chahe kitni masruf kyu na ho muskura kar shohar ka istiqbal kare, is tarah karne se shohar ki thakan utar jaaegi or shohar ke dil me muhabbat jagegi.
👉❻ SHOHAR KE AANE SE PEHLE BIWI APNE AAP KO SAAF SUTHRA KAR LE
Jab shohar ke ghar lotne ka waqt ho to biwi ko chahye ke apne aap ko saaf suthra kar lein, aam tor par biwiyan is me kotahi karti hein, kahin bahar jana ho to dulhan ki tarah sanwar kar jati hein or shohar ke samne maili kuchaili rehti hein. Nabie karim Sallalahu Alayhi Wasallam ka mamul ye tha ke jab apne sahabae kiraam ke sath safar se lot te to madina se bahar qayam farmate or madina me ittela karwa dete take biwiyan apne shoharo ke liye apne aap ko tayyar kar lein.
👉❼ RISHTEDARO KE YAHA SILA RAHMI KI NIYYAT SE MILNE JAAEIN
Jab bhi rishtedaro ke yaha jane ka mauka aae, shadi wagera ya ese hi to “sila rahmi” ki niyyat se jaaein, allah ko sila rahmi bahut pasand he. Parde ka lihaz rakhte huwe jaaein.
👉❽ SHOHAR KO SADQA KHAIRAAT KI TARGIB DETI RAHEIN
Shohar ko sadqa khairat karne ko kehti rahein is liye ke sadqe se balaaein tal jati hein, rizq me barkat hoti he. Shohar ki ijazat se khud bhi sadqa karein or bachcho ko bhi sadqe ki aadat dalein.
👉❾ GHAR ME NAMAZ KE LIYE JAGAH MUQARRAR KAREIN
Ghar me namaz parhne ke liye kisi jagah ko khas kar lein, agar ghar bada ho to ek kamra hi khas kar lein, waha paki ka ehtemam ho, musalla ho, tasbih ho, quran ho, waha bethne ki aadat dalein.
👉10 PHONE PAR MUKHTASAR BAAT KI AADAT DALEIN
Aurato ko aam tor par phone par lambi lambi baat karne ki aadat hoti he, jo zarurat ho bas wahi matlab ki baat karein, is ke bahut fayde hein, waqt bachega, gibat wagera se hifazat, gharelu jhagdo se bhi hifazat rahegi.
👉❶❶ AHAM BATEIN NOTE KARNE KI AADAT DALEIN
Aurto me ye chiz bahut kam hoti he, kai aham batein jo shohar ko batani hoti he wo mauke par yaad nahi aati, kai aham kaam jo shohar karne ko keh kar gaya wo bhool jati he, is wajah se bhi ghar me jhagde shuru ho jate hein. Apni yaad dasht par bharosa na kare blke likh lein.
👉❶❷ ZARURAT KI CHIZO KO SAMBHAAL KAR RAKHEIN
Aisi chizein jis ki hangami tor par zarurat parhti he un ko ghar me munasib jagah par rakhein take zarurat ke mauke par fori tor par mil jaae, jese dawai, chabi, jawelary wagera. Kabhi shaytaan aisi chizo ko bhi ghar me jhagde ka bahana bana leta he.
👉❶❸ KOI ESA KAAM NA KARE JIS KI WAJAH SE SHOHAR KI NAZRO SE GIR JAAE
Biwi ko chahye ke apne shohar ke mizaj ko pehchan kar ghar ke mahol ko achhchha rakhe, koi bhi esa kaam na kare ke jis ki wajah se shohar ki nazro se gir jaae, shohar ke sath sachchaai wali zindagi guzare, shohar ko shak ka moka na de, or yaad rakhe ke...
👉① biwi ko puri zindagi shohar ke sath guzarni he, shohar ka maqam or koi nahi le sakta.
👉② gir kar insaan dobara wahi maqam hasil nahi kar sakta.
👉③ jitni mehnat kisi khami ko chhupane ke liye karni padti he us se aadhi mehnat se wo khami door kar sakte hein.
👉④ baat ko badalna ya chhupana bhi jhoot hi hai
👉❶❹ BACHCHO KE BARE ME SHOHAR SE MASHWARA KARTI RAHE
Bachcho ki ta'leem w tarbiyyat ke bare me shohar se mashwara kare, bachcho ko deeny or dunyawi dono tarah ki ta'leem dilaae, albatta deeny ta'leem ka khoob ehtemam kare, dunyawi ta'leem ke bare me tahqeeq kar lewe ke kis school ki ta'leem munasib he.
👉❶❺ SHOHAR KI ZARURAT PURI KARNE ME TAAL MATOL NA KARE
Biwi ko chahye ke shohar ki zarurat [khwahish] puri karne me tal matol se kam na le, chhoti moti taklif ka khayal na kare balke ye ajar ka kaam he. Biwi ka apne shohar ki zarurat ko pura na karna bahut khatarnaak jurm he, is se shohar ke liye gunah ka rasta khul jata he.
👉 Is silsile mein kuchh ahaadis
👉① ek riwayat me he ke nabi Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya ke agar biwi sawari par sawar ho chuki ho or shohar use apni zarurat ke liye bulaae to biwi ko chahye ke pehle shohar ki zarurat puri kare.
👉② jab biwi shohar ki zarurat puri kar ke gusal karti he to pani ke har qatre ke badle us ke gunah muaf kar diye jate hein.
👉③ qurbe qayamat ki alaamato me se ye he ke biwi sihhatmand hone ke ba wajood shohar ki zarurat ko pura karne ke tal matol karegi.
👉❶❻ SHOHAR KO PARESHANI KE WAQT TASALLI DEWE
Biwi ko chahye ke jab shohar ko pareshan dekhe to tasalli de, ye hazrat khadija radiyallahu anha ki sunnat he, jab nabie karim Sallalahu Alayhi Wasallam par wahi ki ibtida hui to aap dar gae the, hz khadija radiyallahu anha ne aap ko tasalli de kar sambhala tha.
👉❶❼ GALATI MAN LENE ME AZMAT HE OR KHAMOSHI ME AAFIYAT HE
Jab shohar biwi ko batlaae ke ye tumhari galati he to us ko taslim kar lena chahye, isi me izzat hoti he, shohar ne koi baat kar di to fauran jawab dene ki aadat na dalein, shohar ko har baat ka sakht jawab dena gharo ko ujadne ka bahut bada sabab he.
👉❶❽ APNE DIL KA GAM SIRF ALLAH KE SAMNEMBAYAN KAREIN
Shikwe shikayateinlogo kr samne ya shohar ke samne bayan karne ke bajae allah ke samne kehne ki aadat dalein. Matlab ye he jab moka mile lambi dua karein, dil ka gam phone par saheliyo ko batane ke bajaae allah ko batae.
👉❶❾ SHOHAR KE RISHTEDARO KE SATH ACHHCHHA SULUK KAREIN
Shohar ke rishtedaro se achhchha suluk karna akhlaqi fariza he, shohar jin ko apna qaribi samajhta he un ki izzat karein, un ki galatiyo ko nazar andaaz karein, ye baat bahut ajro sawab ka bais he or sare jhagdo ko khatam karne wali he.
👉 ⑳ ALLAH KI NA FARMANI ME KISI KI ITAA'AT NA KAREIN
Koi esa kaam jis ke karne me shohar ki ya maa baap ki to itaa'at ho rahi ho leki wo kaam shari'at ke khilaf ho, us me allah ki na farmani ho to kaam hargiz na karein, balke puri koshish karein ke ghar ke afraad bhi allah ki na farmani se bach jaaein, or ye bhi koshish karein ke shohar kisi shaikh ke hath par bay'at ho jaae, kyunke shaikh ki nasihat se ghar ujadne se bach sakta he, shohar kisi ki na sune to kam se kam shaikh ki to sunega, shaikh ki nasihat se huqooq ki adaygi ka paband banega.
Plz forward to all Muslim
🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲
👇Join👇
Ulama e deoband
Group
Male and female
+ 91-7037363325

No comments:
Post a Comment