Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, February 20, 2015

♻Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat♻

♻✳♻
 ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 1 ★☆

♻Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat♻

⇨ 1- Musalman Bhai se mulaqaat hone per ' Assalamu Alaykum" Kahiye,

★ Jab kisi muslaman bhai se mulaqaat ho to apne talluq aur masarrat ka izhaar karne ke liye' Assalamu Alaykum " kahiye,

★ Qurane Paak ki Surah Al-an'aam:Aayat 54 me he:

وَإِذَا جَاءَكَ الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِآيَاتِنَا فَقُلْ سَلَامٌ عَلَيْكُمْ

  "Ey Nabi!  Jab aapke paas woh log aaye Jo hamari aayaat per imaan laate he'n to unse salaam kahiye " Assalamu Alaykum" "

★ is Aayat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko khitaab karte hue bilvaasta ummat ko ye usooli taleem di gayi he k musalman jab bhi musalman se mile to dono hi jazbate muhabbat v masarrat ka tabaadla kare aur iska behtreen tareeqa ye he k ek doosre ke liye salaamti aur aafiyat ki Dua kare,

★ Ek Assalamu Alaykum kahe to doosra jawaab me Wa' alaykum Assalaam kahe,

★ Salaam Bahami ulfat v muhabbat badhane aur istwaar karne ka zariya he,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he:

" Tum log Jannat me nahi ja sakte jab tak k momin nahi bante aur tum Momin nahi ban sakte jab tak k ek doosre se muhabbat na Karo, Me tumhe woh tadbeer kyu na bata du jisko akhtyar karke tum aapas me ek doosre se muhabbat karne lago, aapas me salaam ko faylao, "

     📗Abu Dauwd,

       Next-2,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra,

               ➖Group➖
         ⓖ male and female
         ⓖUlama e deoband

               
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 2 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 2- Hamesha Islaami Tareeqe per Salaam kijiye,

★ Hamesha islami tareeqe per salaam kijiye, hamesha kitaabo sunnat ke bataye hue ye alfaz hi istemal kijiye, inko chhod kar koi Society ke raa'ij kiye hue ( Hii , Hello,, ) alfaz v andaz ko akhtyar na kijiye,

★ Islaam ka bataya hua ye andaze khitaab nihayat saada, ba ma'ani aur pur asar bhi he aur salaamti v aafiyat ki jaama tareen dua bhi,

★ Aap jab apne kisi bhai se milte hue " Assalamu Alaykum " kehte he'n to iske ma'ani ye hote he'n k Khuda tumko har qism ki salaamti aur aafiyat se nawaze, Khuda tumhare Jaan maal ko salaamat rakhe, Ghar baar ko salaamat rakhe, Ahlo ayaal aur mutalliqeen ko salamat rakhe, Deen imaan ko salamat rakhe, Duniya bhi salamat rahe aur akhirat bhi, Khuda tumhe un salaamtiyo se bhi nawaze Jo mere ilm me he aur un salaamtiyo se bhi nawaze Jo mere ilm me nahi he, Mere Dil me tumhare liye Khair khwahi, muhabbat v khuloos aur salaamti v aafiyat ke intehai gehre jazbaat he'n, isliye tum meri taraf se kabhi koi andesha mehsoos na karna, Mere tarze amal se tumhe koi dukh na pahunchega,

★ Salaam ke lafz per "Alif Laam " dakhil karke Assalamu Alaykum keh kar aap mukhatib ke liye salaamti aur aafiyat ki saari duae samet lete he'n,

★Aap andaza kijiye agar aap ye alfaz zaban se nikaale to to mukhatib ki mulaqaat per qalbi masarrat ka izhaar karne aur khuloos v muhabbat, khair khwahi aur wafadari ke jazbaat ko zaahir karne ke liye isse behtar alfaz kya ho sakte he'n,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he:

" Assalaam khuda ke naamo me se ek naam he, Jisko khuda ne zameen me ( zameen walo ke liye) rakh diya he, Pas 'Assalaam ' ko khoob faylao,

📓  Al adab Al mufarrid, Baabusaalaam, 989

  Next-3 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 228
                     

          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍★male and female
          ★★★★★★★★★★★★★★★
 ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 3 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 3- Har Musalman ko Salaam kijiye, Chahe pehle se tarruf ho ya nahi ho,

★ Har musalman ko salaam kijiye chahe pehle se tarruf aur talluqaat ho ya nahi ho,

★ Rabt aur tarruf ke liye itni baat bilkul kaafi he k wo Aapka musalman bhai he aur musalman ke liye musalman ke dil me muhabbat v khuloos aur khair khwahi aur wafadari ke jazbaat hona hi chahiye,

★ Ek shakhs ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se puchha:
" Islaam ka behtreen amal konsa he? "

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Garibo ko khana khilana aur har musalman ko salaam karna, Chahe tumhari usse jaan pehchan ho ya na ho, "

     📓- Bukhari, Muslim,

       Next-4 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 232
     

          ▍▍✧male and female✧
          ▍☏Ulama e deoband
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★★★★★★★★★★★★★★★ ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-  4★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 4- Ghar me dakhil hone per Gharwalo ko salaam kijiye,

★ Jab aap apne ghar me dakhil ho to ghar walo ko salaam kijiye,

ً فَإِذَا دَخَلْتُم بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً

 Tarjuma-
     
       "Pas Jab tum apne gharo me dakhil huva Karo to apne ( ghar walo) ko salaam kiya Karo, Duae khair khuda ki taraf se taleem ki hui badi hi ba barkat aur pakeeza he, "

    👉Quran, An-Noor,: 61

★ Hazrat Anas Raziyallahu anhu ka bayaan he k mujhe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne takeed farmayi k,

" Pyare bete!  Jab tum apne ghar me dakhil hova karo to pehle ghar walo ko salaam kiya Karo, Ye tumhare liye aur tumhare ghar walo ke liye khair o barkat ki baat he,"

      👉  Tirmizi,    

★  Isi tarah jab aap kisi doosre ke ghar jaye to ghar me dakhil hone se pehle salaam kijiye, salaam ke bager ghar ke andar na jaye'n,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ بُيُوتِكُمْ حَتَّىٰ تَسْتَأْنِسُوا وَتُسَلِّمُوا عَلَىٰ أَهْلِهَا

 Tarjuma -
 
       " Ey momino !  Apne gharo ke Siva doosro ke gharo me dakhil na huva Karo jab tak k ghar walo ki raza na le lo, aur ghar walo ko salaam na kar lo, "

      👉 Quran, An-noor, 27

★ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke paas jab farishte moazziz mehmano ki haysiyat se pahunche to unhone aakar salaam kiya aur Ibrahim Alaihissalaam ne jawab me unko salaam kiya,

       Next- 5,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra,safa no. 233

             

          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍male and female
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 5 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 5- Chhote Bachcho ko bhi Salaam kijiye,

★ chhote Bachcho ko bhi salaam kijiye, ye bachcho ko salaam sikhane ka behtreen tareeqa bhi he aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat bhi,

★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu bachcho ke paas se guzre to unko salaam kiya aur farmaya,

" Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam bhi esa hi kiya karte the,"


    👉 Bukhari, Muslim,

★ Aur Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu khat me bhi bachcho ko salaam likha karte the,

   👉 Al-adabul mufarrid,
         Next- 6,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra,safa no.  233

             

          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍male and female
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-6  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 6- Khwateen Mardo ko Salaam kar sakti he'n aur Mard bhi Khwateen ko Salaam kar sakte he'n,

★ Hazrat Asma Ansariya Raziyallahu Anha farmati he'n k me apni saheliyo ke saath bethi hui thi k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka hamare paas se guzar hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hum logo ko salaam kiya,

   📗Al-adabul mufarrid, 1047

★ Hazrat Umme Haani Raziyallahu Anha farmati he'n k me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hazir hui, Aap Sallallahu Alaihivasallam us waqt gusl farma rahe the, Mene Aap Sallallahu Alaihivasallam ko salaam kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne daryaft farmaya Kon ho?
Mene kaha, Umme Haani hu'n,
Farmaya:  khoob! Khush Aamdeed,

    📗 Tirmizi, 2734

       Next- 7,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 234

             
          ▍▍✧male and female✧
          ▍Ulama e deoband
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 7 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 7- Salaam karne me kabhi bukhl na kijiye,

★ Zyada se zyada salaam karne ki aadat daliye aur salaam karne me kabhi bukhl na kijiye, Salaam karne se muhabbat badhti he aur khuda har dukh aur nuqsaan se mehfooz rakhta he,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Me tumhe esi tadbeer batata hu'n jisko akhtyar karne se tumhare mabeen dosti aur muhabbat badh ja'egi, Aapas me kasrat se ek doosre ko salaam kiya Karo,"

   📗 Tirmizi, 2688

★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu kehte he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba bahut zyada salaam kiya karte the, Salaam ki kasrat ka haal ye tha k agar kisi waqt Aap Sallallahu Alaihivassllam ke saathi kisi darakht ki ovt me ho jate aur fir saamne aate to fir salaam karte,
aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,:

" Jo shakhs apne musalman bhai se mile to usko salaam kare aur agar darakht ya diwaar ya patthar beech me ovt ban jaye aur wo fir uske saamne aaye to usko fir salaam kare, "

      📗 Al- adabul mufarrid, 1010

★Hazrat Tufel Raziyallahu Anhu kehte he'n k me aksar Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir hota aur Aapke hamraah bazaar me jaya karta, Pas jab hum dono bazaar jaate to Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu jiske paas se bhi guzarte usko salaam karte chahe wo koi kabadiya hota chahe koi dukaandar hota chahe koi gareeb aur miskeen hota, Garz koi bhi hota Aap usko salaam zaroor karte,

Ek din me Aapki khidmat me aaya to Aapne farmaya chalo bazaar chale,

Mene kaha,  Hazrat bazaar jaakar kya kijiyega, Aap na to kisi saude ki kaharidari ke liye khade hote he'n na kisi maal ke bare me malumaat karte he'n, na mol bhav karte he'n, na bazaar ki mehfilo me bethte he'n, Aaiye yahi: beth kar kuchh baat cheet kare,

Hazrat ne farmaya:
Ey Abu batan! ( Tond wale) hum to sirf salaam karne ki garaz se bazaar jaate he'n k hume Jo mile hum usko salaam kare, "

    📗 Al- adabul mufarrid, 1002

       Next- 8,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 234

             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 8 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 8-Musalman ko Salaam karna uska haq tasavvur kijiye,

★ Salaam apne musalman Bhai ka haq tasavvur kijiye aur is haq ko adaa karne me faraakhdili ka saboot dijiye, Salaam karne me kabhi bukhl na kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

" Ek musalman ka doosre musalman per ye haq he k jab musalman Bhai se mile to usko salaam kare, "

    📗 Muslim, 5650

★ Hazrat Abu Hurayra Raziyallahu Anhu farmate he'n k sabse bada bakheel wo he Jo salaam karne me bukhl kare, "

    📗 Al- adabul mufarrid, 2042

       Next- 9,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 235

             
       
       
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-9 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 9- Salaam karne me hamesha Pehal kijiye,

★ Salaam karne me hamesha pehal kiniye aur khuda na khwasta agar kisi se anban ho jaye tab bhi salaam karne aur Sulah Safai karne me pehal kijiye,

Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,:

" Wo Aadmi khuda ke zyada qareeb he Jo salaam karne me pehal karta he,"

   📗 Abu Dauwd, 5197

★ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Kisi musalman ke liye ye baat  jaa'iz nahi k wo apne musalman Bhai se 3 din se zyada tak qata talluq kiye rahe k jab dono mile to ek idhar katra jaye aur doosra udhar, Unme afzal wo he Jo salaam me Pehal kare, "

    📗 Al- adabul mufarrid, 980

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se kisi ne puchha k jab Aadmi ek doosre se mile to un dono me se kon pehle salaam kare?
Farmaya,:

" Jo un dono me khuda ke nazdeek zyada behtar ho, "

    📗 Tirmizi, 2694

       Next-10 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 236

             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

          ☆ ★ PART- 10 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 1o- Hamesha zabaan se Assalamu Alaykum ounchi Awaaz se keh kar salaam kijiye,

★ Hamesha zabaan se Assalamu Alaykum keh kar salaam kijiye aur ounchi Awaaz se salaam kijiye taki wo shakhs sun sake jisko aap salaam kar rahe he'n, Albatta agar kahi zabaan se Assalamu Alaykum kehne ke saath saath haath ya sar se ishara karne ki zarurat ho to koi muza'aqa nahi,
👉Maslan Aap jisko salaam kar rahe he'n wo door he aur khayal he k Aapki awaaz us tak na pahunch sakegi ya koi behra he, esi haalat me ishara kar sakte he'n,

★ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate he'n k jab kisi ko salaam Karo to apna salaam usko sunao isliye k salaam khuda ki taraf se nihayat pakeeza aur barkat wali Dua he, "

   📗 Al- adabul mufarrid, 1005

★ Hazrat Asma Raziyallahu Anha bint Yazeed farmati he'n k ek din Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam masjid ke paas se guzare waha kuchh Aurte'n bethi hui thi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko apne haath ke ishare se salaam kiya,

    📗 Tirmizi, 2697

👉 Matlab ye he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne zabaan se Assalamu Alaykum kehne ke saath saath haath ke ishare se bhi salaam kiya, is baat ki taa'yd is rivayat se hoti he Jo Abu Dauwd me he,

★ Hazrat Asma Raziyallahu Anha kehti he'n k Nabi Kareen Sallallahu Alaihivasallam hamare pass se guzre to hume salaam kiya, isliye sahi baat ye he k salaam zabaan se hi kijiye albatta kahi zarurat ho to haath ya sar ka ishara bhi kar sakte he'n ayn us waqt bhi zabaan se alfaz adaa karne chahiye,

       Next- 11,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 236

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

         ☆ ★ PART- 11 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 11- Apne Bado ko aur Chalne wala bethne walo ko aur Thode log zyada logo ko salaam me pehal kare,

★ Apne Bado ko Salaam karne ka ahatmam kijiye, Jab aap paydal chal rahe ho aur kuchh log bethe ho to bethne walo ko salaam kijiye, Aur jab Aap kisi chhoti toli ke saath ho aur kuchh zyada logo se mulaqaat ho jaye to salaam karne me pehal kijiye,

★ Nabi Kareen Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Chhota shakhs bade ko, chalne wala bethe hue ko aur thode afraad zyada logo ko Salaam karne me Pehal kare, "

    📗 Al- adabul mufarrid, 1001

       Next- 12,🔜 in sha Allah ta'aala,

        📓 Madni Maashra, safa no. 237

           
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

          ☆ ★ PART- 12 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 12- Sawari wala paydal chalne walo aur Raah me bethe hue logo ko salaam kare,

★ Agar aap sawari per chal rahe ho to paydal chalne walo aur raah me bethe hue logo ko Salaam kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Sawari per chalne wale paydal chalne wale bethe hue logo ko aur thode Aadmi zyada Aadmiyo ko Salaam karne me pehal kare,"

📗 Al- adabul mufarrid, 1000

Next-13 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

 📓 Madni Maashra, safa no. 238

             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
       

★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

         ☆ ★ PART-13  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 13- Kisi ke Yaha milne jaye to Pahunchte hi salaam kijiye,

⇨ Kisi ke waaste se bhi salaam pahuncha sakte he'n,

★ Kisi ke yaha Milne jaye, ya kisi ki bethak ya nashisht gah me pahunche, ya kisi majma ke paas se guzre ya kisi majlis me pahunche to pahunchte waqt bhi salaam kijiye aur jab waha se rukhsat hone lage tab bhi salaam kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Jab tum kisi majlis me pahuncho to salaam Karo aur jab waha se rukhsat hone lago to fir salaam Karo aur yaad rakho k pehla salaam doosre salaam se zyada mustahiq ajr nahi he, "

   📗 Tirmizi, 270

★ Agar apne kisi buzurg ya azeez aur dost ko kisi doosre ke zariye salaam kehalwane ka moqa ho ya kisi ke khat salaam kehalwaye,

" Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mujhse farmaya:

" Aayesha ( Raziyallahu Anha ) Jibrail Alaihissalaam tumko salaam keh rahe he'n, mene kaha 'wa' alayhi Assalaam wa rahmatullahi'"

   📗 Bukhari, 6249

Next-14 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 238

           
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 14 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 14- Majlis me jaye to puri majlis ko Salaam kijiye,

★ Majlis me jaye to puri majlis ko Salaam kijiye, makhsoos tor per kisi ka naam salaam na kijiye,

★ Ek din Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu majlis me the k ek saa'il aaya aur usne aapka naam lekar salaam kiya,
Hazrat ne farmaya,
Khuda ne sach farmaya aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne tableeg ka haq Ada kar diya,
aur fir Aap ghar tashreef le gaye, log intezar me bethe rahe k Aapke farmane ka matlab kya he?
Khair jab Aap bahar aaye to Hazrat Tariq Raziyallahu Anhu ne puchha:
( Hazrat hum Aapki baat ka matlab nahi samjhe)

To farmaya:
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Qayamat ke qareeb log majliso me logo ko makhsoos karke salaam karne lagenge, "

📗 Al- adabul mufarrid, 1049

Next- 15,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 239
             
       
       
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 15★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 15- Soye hue logo ke paas is tarah salaam kijiye k jaagne wala sunle aur Sone wala bedaar na ho,

★ Agar aap kisi esi jagah pahunche jaha kuchh log so rahe ho to esi awaaz me salaam kijiye k jaagne wale sunle aur sone walo ki neend me khalal na pade,

★ Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu farmate he'n k hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke liye kuchh doodh rakh liya karte the, Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam kuchh raat gaye tashreef laate to Aap Sallallahu Alaihivasallam is tarah salaam karte k sone wala jaage nahi aur jaagne wala sunle,
Pas Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam tashreef laaye aur hasbe mamool salaam kiya,

📗 Tirmizi, 2719

Next-16 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 239

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 16★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 16- Salaam ka jawab Nihayat khanda Peshani se dijiye,

⇨ Salaam ka jawab pura dijiye,

★ Salaam ka jawab Nihayat khushdili aur khanda Peshani se dijiye, Ye musalman bhai ka haq he, is haq ko Ada karne me kabhi bukhl na dikhaiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he musalman per musalman ke 5 haq he'n,
1- Salaam ka jawab Dena,
2- Mareez ki ayadat karna,
3- Janaze ke saath jaana,
4 - Dawat qubool karna,
5-  Chheenk ka jawab Dena,

📗 Muslim, 565

★ Salaam ke jawab me 'wa' alaykum assalaam' kehne per hi iktfa na kijiye balki ' wa rahmatullahi wa barakatuh' ka izafa kijiye,

Qurane Paak ki Surah Nisa, Aayat 86 me he:
" Jab koi tumhe dua salaam kare to usko isse behtar dua do ya fir wahi alfaz jawab me keh do, "

★ Hazrat Umar bin Husain Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam tashreef farma the k ek Aadmi aaya aur usne aakar 'Assalamu alaykum ' kaha,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne salaam ka jawab diya aur farmaya,:

" 10 ( yani 10 nekiya mili ) "
Fir ek doosra Aadmi aaya aur usne ' Assalamu alykum wa rahmatullah ' kaha,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne salaam ka jawab de diya aur farmaya,

"20 ( yani bees nekiya mili)"

Iske baad ek teesra Aadmi aaya aur usne aakar kaha:
' Assalamu alykum wa rahmatullahi wa barakatuh,'

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya aur farmaya,

"30 ( yani isko tees nekiya mili)"

📗 Tirmizi, 2689

Next- 17,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 240

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-17  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 17- Jab kisi se mulaqaat ho to sabse pehle" Assalamu alykum" kahiye,

★ Jab kisi se mulaqaat ho to sabse pehle Assalamu alykum kahiye sidhe hi guftgu shuru karne se parhez kijiye, Jo baat cheet karni ho salaam ke baad kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Jo koi salaam se pehle kuchh baat karne lage uska jawab na do,"

📗 Tirmizi,

★ Jab mulaqaat ke waqt apne bhai ko Salaam kar liya aur (zara der ko ) darmiyan me darakht ya patthar ya diwaar ki aad aa gayi, fir usi waqt dobara mulaqaat ho gayi to dobara salaam kare, "

📗 Abu Dauwd, 5200

👉  Yani ye na soche k abhi adha minute hi to salaam ko hua he itni jaldi doosra salaam kyu karu,

Next-18 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 241

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART- 18★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 18- in halaat me salaam karne se parhez kijiye,

★ 1- Jab log Quran v Hadees padhne padhane ya sunne me masroof ho'n,

★ 2- Jab koi khutba dene aur sunne me masroof ho

★ 3- Jab koi azaan ya takbeer keh raha ho,

★ 4- Jab kisi majlis me kisi dini moju per guftgu ho rahi ho ya koi kisi ko dini ahkaam samjha raha ho,

★ 5- Jab ustaad padhane me masroof ho,

★ 6- Jab koi qazae haajat ke liye betha ho,

⇨  Aur in halaat me na sirf salaam karne se parhez kijiye balki apni be ta'alluqi aur ruhani aziyat ka izhaar bhi hikmat ke saath kijiye,

★ 1- Jab koi fisq v fijoor aur kjilafe shara lahu la'ib aur aysh v tarb me mubtila hokar deen ki toheen kar raha ho,

★ 2- Jab koi gaali galoch, behuda bakwaas, jhooti sachchi gair sanjida baate aur fahash mazaaq karke deen ko badnaam kar raha ho,

★ 3- Jab koi khilafe shariyat afkaar v nazariyaat ki tableeg kar raha ho aur logo ko deen se bargushta karne aur bid'at v bedeeni akhtyar karne per ubhaar raha ho,

★ 4- Jab koi deeni aqaa'id v sha'aar ki behurmati kar raha ho aur shariyat ke usool v ahkaam ka mazaaq uda kar apni andruni khabasat aur munaafqat ka saboot de raha ho,

Next-19 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,safa no.  242

             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-19  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 19- Yahood v Nasaara ko Salaam karne me pehal na kijiye,

★ Yahood v Nasaara ko Salaam karne me pehal na kare, Quran shahid he k Yahood apni baddeeni, dushmani v zulm v darindgi v fareb aur khabasate nafs me badtareen qaum he, Khuda ne is per bepaya inamaat ki baarish ki lekin isne hamesha nashukri aur badkirdari ka saboot diya he, Yahood qaum he jisne khuda ke bheje hue barguzida pegambaro tak ko qatl kar daala,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Yahood v Nasaara ko Salaam karne me pehal na kiya Karo aur jab tum raah me inse milo to inko ek taraf simat Jane per majboor kardo, "

📗 Abu Dauwd, 5205

Next- 20,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, safa no. 243

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-20 ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 20- Gair Muslim ko Salaam karne ki zarurat pesh aaye to Assalamu alykum na kahiye,

⇨ Jis Majlis me Muslim aur Gair Muslim sab hi shareek ho to waha salaam kijiye,

★ Gair Muslim ko Salaam karne ki zarurat pesh aaye to Assalamu alykum na kaho balki Adaab arz, Tasleemat vagera qism ke alfaz istemal kijiye, aur haath aur Sar se bhi esa koi ishara na kijiye Jo islami aqeede aur islami mizaaj ke khilaf ho,

★ Jis kisi majlis me Muslim aur mushrikeen dono jama ho to waha salaam kijiye,

"Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek baar esi majlis ke paas se guzre jisme Muslim aur Mushrik sab hi shareek the to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne un sabko salaam kiya, "

📗 Tirmizi, 2706

Next- 21,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓Madni Maashra, safa no. 244

             
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-21  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 21- Salaam ke baad muhabbat aur Masarrat ke izhaar ke liye musaafa kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam khud bhi musaafa farmate the aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Raziyallahu anhum bhi aapas me milte to musaafa karte, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba ikraam ko musaafa karne ki takeed farmayi aur uski fazilat aur ahmiyat per mukhtalif andaaz me roshni daali,

★ Hazrat Qatada Raziyallahu Anhu ne Hazrat Anas Raziyallahu anhu se daryaft kiya,

Kya Sahaba Raziyallahu Anhum me musaafa karne ka rivaaj tha?

" Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne jawab diya,:" Ji Haan tha, "

   📗 Tirmizi, 2729

★ Hazrat Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu kehte he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

"Jab momin milte he'n aur salaam ke baad musafa ke liye ek doosre ka haath apne haath me lete he'n to dono ke gunaah is tarah jhad jate he'n jis tarah darakht se ( sukhe) patte, "

    📗 Tabrani,

★ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu kehte he'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Mukammal salaam ye he k musaafa ke liye haath bhi milaye jae'n, "

     📗 Tirmizi, 2730

Next-22 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓Madni Maashra, safa no. 244

             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-22  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 22- Koi Dost ya Buzurg Safar se wapas aaye to Mu'aanqa( gale milna) bhi kijiye,

★ Koi dost azeez ya buzurg safar se wapas aaye to mu'aanqa bhi kijiye,

★ Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu jab Madina aaye to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke yaha pahunch kar darwaza khatkhataya, Aap Sallallahu Alaihivasallam apni chaadar ghasitte hue darwaze per pahunche, unse mu'aanqa kiya aur peshani ko bosa diya, "

📗 Tirmizi, 2732

★ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ka bayaan he k Jab sahaba ikraam Raziyallahu Anhum aapas me milte to musaafa karte aur agar safar se wapas aate to mu'aanqa bhi karte,

📗 Tabrani,

Next- 23,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓Madni Maashra, safa no. 245

           
          ▍▍✧Ulama e deoband ✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

 ★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       💟  MADNI-MAASHRA💟

           ☆ ★ PART-23  ★☆

♻ Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat ♻

⇨ 23- Good morning, Good evening aur Good night ke alfaaz mat istemal kijiye,

★ Ye Jo baaz qaumo me Good morning, Good evening aur Good night ke alfaaz istemal kiye jate he'n unme avval to salaamti ke ma'ane ko puri tarah Ada karne wala koi lafz nahi he, balki isme koi dua he hi nahi,

★ Islaam ne Jo mulaqaat ka Jo tareeqa bataya he wo har lihaaz se kaamil he, Gairo ka Tareeqa akhtyar karna aur unke rivaaj ke mutabik kalmaat moonh se nikaalna mana he, Jo log angrezo ke tareeqe per good morning vagera kehte he"n ya Arbo ke rivaaj ke mutabik" Subah ul Khair " ya " Masa ul khair"kehte he'n isse parhez karna laazim he,

★ Duniya me mukhtalif qaumo me mulaqaat ke waqt mukhtlif alfaaz kehne ka rivaaj he lekin islaam me Jo salaam ke alfaaz mashroa kiye gaye he'n unse badkar kisi ke yaha bhi koi esa kalma marooj nahi jisme izhaare muhabbat bhi ho, aur Allah ta'aala se muhabbat bhi ho aur Allah ta'aala se  Dua bhi ho k aapko Allah ta'aala har qism ki aur har tarah ki afaat aur masaib se mehfooz rakhe,

★ Lafze Salaam jaha apna khaas maana rakhta he waha Allah ta'aala ke paak naamo me se bhi he,
Sharahe hadees ne farmaya he k ek maani ye he k Allah ta'aala Jo salaamti dene wala he tumhe uske hifz v amaan me deta hu'n, woh tumhe hamesha salaamat rakhe,

📗Islahi Mazameen, 178

  ➖ Alhamdulillah ikhtitaam➖

📓 Madni Maashra, safa no. 245
 
             
          ▍▍✧Ulama e deoband✧
          ▍☏+91 -7037363325
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔


No comments:

Post a Comment