🌹MASAIL-E-GUSL-01-TO-20.
Bismilla hirrahma nirraheem
✏ߓ؍ASAILE GUSL
♦ MAS,ALA NO..01
SAWAL.
Gusl K Faraiz Kitne Hen Or Kun Kun Se Hen.??
JAWAB.
Faraiz Gusl Teen Hen.
Kuli Krna(Achi Tarah Se)
Naak Dhuna Narm Haddi Tak
Pora Jism Dhuna
(Sar Se Paon Tak Ek Baal Barabar Jagah Bi Khushk Na Rahe)
Gusl Lazim Hone Ki Sorat Men Ye Hukm he.
ߓ-Taleem ul Islam
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..02
SAWAL.
Kisi aadmi pr gusl Farz tha or wo gusl Karte waqt kuli karna bhol gia to kia us ka jism pak ho gia.??
JAWAB.
wo aadmi paak nahi howa kion k
jis aadmi pr gusl farz ho us k liy achi tarah kuli karna or naak men pani dal kr narm haddi tak dhuna zarori he.
Lehaza wo aadmi kuli kar le to paak ho jay ga.
ߓ-Ahkaamo Masail
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..03
SAWAL.
Kisi aadmi pr gusl Farz tha us ne gusl karne k bad dekha k kahen thori si jagah khush reh gai he to kia us ka jism pak ho gia.??
JAWAB.
Agar mamoli si jagah bi khushk reh gai to wo aadmi paak nahi ho ga kion k
jis aadmi pr gusl farz ho us k liy pore jism ko pori tarah dhuna zarori he.
Is ley ab wo sirf choti hoi khushk jagah ko dhu le to us ka gusl sahi ho jay ga or wo paak ho jay ga.
ߓغ-Behishti zewar
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..04
SAWAL.
Junubi aadmi yani jis pr gusl Farz tha us ne gusl karne k bad dekha k kahen thori si jagah khush reh gai he to us ne geele hath se us jagah ko tar kr lia yani pani baha kr nahi dhuya to kia us ka gusl sahi ho gia.??
JAWAB.
us aadmi ka gusl sahi nahi kion k
jis aadmi pr gusl farz ho us k liy pore jism ko pani baha kr dhuna zarori he geele hath ya geele kaprhe se tar kr dena kafi nahi.
Lehaza ab wo sirf choti hoi us jagah ko pani dal kr dhu le to us ka gusl sahi ho jay ga or wo paak ho jay ga.
ߓغ-Behishti zewar
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..05
SAWAL,
Agar kisi pr gusl wajib ho or us k jism pr kahen thorha sa paint (rang) ya nail polish wgaira lagi hoi ho to kia us ko gusl karne k ley saaf krna zarori he.??
JAWAB.
Agar jism pr kahen koi aysi cheez lag jay jis ki teh pani ko jism pr puhchne se rukti ho to us ko saaf key begair gusl nahi ho ga yani saaf karna zarori he.
agarche mamoli si hi lagi ho.
Jase
Paint ,nail polish or kai tarah k glue wgaira.
ߓغ-Ahkaamo Masail
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..06
SAWAL,
Aurat ko gusl karte waqt balon ki mendiyan khulna lazmi he ya nahi.??
JAWAB.
Agar baal gundhe howe hon to pora sar or pore balon ki jarhon ko dhuna zarori he Ek baal ki jarh bi khushk na rahe.
mendiyan kholna lazmi nahi.
Agar mendiyan khole begair balon ki jarhen nahi dhul rahi to mendiyan kholna lazmi he or baal dhuna bi zarori he.
Agar baal khule hon to pore baal dhuna bi zarori he.
Agar mardon k baal gundhe howy hon to pore balon ko(khol kr)dhuna zarori he.
ߓغ-Behishti zewar
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..07
SAWAL,
wajib gusl men ghani darhi k baal or balon k neche chupi hoi chehre ki khaal ka dhuna zarori he ya nahi.??
Jasa k wuzu men zarori nahi
JAWAB.
Agar gusl wajib ho to pora jism or sar or darhi orJism k tamam baal bi dhuna zarori he. ek baal k barabar jagah bi khushk na rahe.
Aurat ki mendion ka hukm alag he.
ߓغ-Ahkaamo Masail
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..08
SAWAL,
Agar kisi pr gusl wajib tha or wo gusl karte waqt kuli karna bhol gia Leken gusl k bad us ne pani pi lia to us ka gusl sahi ho jay ga ya .??
JAWAB.
Agar wo gusl karte waqt kuli karna bhol gia or gusl k bad us ne monh bhar kr pani pi lia to ab wo kuli na bi kare to bi us ka gusl sahi ho jay ga.
Agar pani mamoli sa pia yani monh bhar kr nahi pia to gusl sahi nahi ho ga.
ߓغ-Ahsanul Fatawa
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..09
SAWAL,
Naak ki ratobat jam kr ek teh si ban jati he agar wo naak men jami hoi ho to kia gusl karte waqt us ko saaf karna zarori he.??
JAWAB.
Jo Naak ka pani narm Haddi k paas naak men jam jata he or ek chhilka sa ban jata he.
wo naak men pani ko narm Haddi tak nahi pohchne deta lehaza us ko zror saaf kar le.
Or isi tarah aankhen kharab home pr Jo ganda pani nikl kr jam jata he us ko bi saf kr le.
Agar un ki rukawat ki wajah se pani sahi tarah na pohcha to gusl sahi nahi ho ga.
ߓغ-Behishti zewar
Ahkamu Masail
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO…10
SAWAL,
Agar kisi ne aesi angothi (ring) ya chorhi pehni ho jo buhat tang ho or gusl krte howy us k neche pani na puhchta ho to us ka gusl sahi ho ga ya nahi.?
JAWAB.
Agar angothi (ring) ya chorhi,gajra . wgaira tang ho jin k neche pani puhchna mushkil ho to in cheezon ko hila kar in k neche pani dakhil karna zaroori he.
Naak ki nathli or kaan ki bali ko bi hila kr sorakh men pani puhcha le.
Agar kaan ya naak k sorakh khali hon to bi sorakh ko mal kr us men pani puncha le.
ߓغ-Ahkaamo Masail
♦ MAS,ALA NO…11
SAWAL,
Agar koi aadmi thandak ya swafai wgaira k ley gusl kr raha ho jase aam tor pr gusl karte hen to bi faraiz,e gusl ka khiyal rakhna zarori he.??
JAWAB.
ߔ遧ar kisi pr gusl farz, wajib na ho to faraiz,e gusl ka khiyal rakhna zarori nahi. yani us pr kuch bi farz nahi
Albattat gusl sunnat k mutabiq krne se buhat sara sawab milta he lehaza gusl sunnat tariqe se Karna chahey.
ߓغ-Kutube Fiqah
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦MAS,ALA NO..12
SAWAL,
jin cheezon se wuzu toot jata he kia aesi cheezon se gusl men bi koi kharbi aati he ya nahi.??
JAWAB.
jin cheezon se sirf wuzu toot,ta he aesi cheezen pesh aane se gusl wajib nahi hota yani gusl men koi kharbi nahi aati.
Albatta kuch aesi chizen hen jin se gusl wajib ho jata he to un se wuzu bi toot jata Hei
ߓؠ KuTube Fiqah
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦MAS,ALA NO..13
SAWAL,
Jis pr gusl wajib ho wo aadmi ruze ki halat men ho to gusl Karte waqt gar,gra kare ya na kare..??
JAWAB.
Ruze ki halat men gargra na kare.
Agar gargra karte howy pani andar halaq men chala gia to ruza toot jay ga.
Or agar ruza na ho to grara karna sunnat he.
ߓں-Kutube Fiqah
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..14
SAWAL,
Agar danton men koi cheez phansi hoi ho to us ko nikale begair gusl shai ho jay ga ya nahi.??
JAWAB.
Agar danton men koi aesi cheez phansi ho jis ki wajah se daant pori tarah nahi dhul pate to us cheez ka nikaalna zarori he.
Or agar wo cheez moshaqat k begair nahi nikal sakti to nikaalna zarori nahi.
or agar wo cheez aesi ho Jo asaani se nikl sakti ho or danton k dhulne men rukawat bi na ho to us ko nikalna behtar he.
ߓ٢Ԓ
Aap k masail or un ka hal & Akaamo Masail
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..15
SAWAL,
Kisi aadmi par gusl wajib tha or wo bhol gia k muj par gusl wajib ha phir us ne thandak hasil krne ki niyyat se gusl kia yani jism ko paak krne ki niyyat nahi ki to us ka gusl sahi ha ya nahi.?
JAWAB.
Gusl men niyyat wajib nahi agar us ne gusl sahi tarah kar lia or Koi niyyat nahi ki to bi us ka gusl sahi ha.
Albatta jism paak krne ki niyyat k begair gusl ka swab nahi mile ga.
ߓٺ-Behishti zewar
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..16
SAWAL,
Agar kisi ki darh kharab ho or us darh ki chandi ya misala wgaira se bhrai karai ho to gusl sahi ho jay ga ya nahi.??
JAWAB.
Jis aadmi pr gusl wajib ho agar us k dant ki chandi ya misala wgaira se bhrai hoi ho to zarorat ki wajah se koi haraj nahi us ka gusl sahi ho jay ga.
Kion k wo us daant ka hissa ban gia he or us ko nikalne men mushaqqt he.
ߓٺ-Ap k masail or un ka hal
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..17
SAWAL
Gusl men kun kun si cheezen sunnat hen.??
JAWAB.
Gusl Ki Sunnaten
Dono hath guton tak dhuna.
lstinja karna
Badn par kahen nijast lagi ho to use dhuna.
Napaki dor krne ki niyyat karna
Pehle wuzu kar lena.
pore badn pr 3.bar pani bhana
ߓٺ-Taleemul Islaam
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..18
SAWAL,
Gusl men kon kon si cheezen makroh hen.??
( Makrohat,e gusl kon se.?)
JAWAB.
.Pani zeyada bahana.
Baten krna jab satar khula ho.
Qibla ki taraf monh krna jab satar khula ho.
Khilaaf e sunnat gusl krna.
ߓٺ-Taleemul Islaam
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..19
SAWAL,
Kis kis mauqa pr gusl karna sunnat he.??
JAWAB.
Jumah ki namaz k ley
Dono Eidon ki namaz k ley
Hajj ka ihraam bandhne k ley
arfaat men wuqoof k ley
In tamam mauqon pr gusl karna sunnat he.
ߓٺ-Taleemul Islaam
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
♦ MAS,ALA NO..20
SAWAL,
Agar koi aadmi gusl Khane k andar nange badn naha raha ho to dorane gusl bateen karna sahi he ya nahi.??
JAWAB.
Jab pore kaprhe khol kar naha raha ho to us waqt bateen nahi karna chahey.
Albatta agar kisi cheez ki zarorat ho jese sabun tel kaprhe wgaira to bat karne men koi harj nahi.
ߓں-Kutube Fiqah
Talibe dua
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
🔴PLEASE SHARE
🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲🔲

This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteAssalam alaikum. Kya aurat ka sar khula reh jane ae wuzu toot jata hai?? Aur aine k samne namaz padna kesa hai??
ReplyDeleteWalaykum assalam Wa rahmatuLLahi Wa barakatuh aurat ka sar khuLa hone se wazu nahi TooTa h Albatta bahut zada ahtiyat rakhni chahiye
ReplyDeleteAaine ke samne namaz na padhe jahan zehan bhatakta ho aisi jagah namaz nahi padhni chahiye nigah idhar udhar jay makrooh sawab kab milega