Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, February 13, 2015

NAMAZ KE FARZ WAJIB SUNNAT MUFSIDAT

Masaile namaz

Suwal...faraize namaz kitne hen??

Jawab...faraize namaz jin ke bager namaz nahi hoti 14 hei
1..badan ka paak hona
2..kapdon ka paak hona
3..namaz ki jagah ka paak hona
4..satar ka chupana
5...namaz ka waqt hona
6..namaz ki niyyat (dil me iradah) karna
7..qibli ki taraf munh karna
8..takbire tahrima kehna
9..qiyam karna yani khada hona
10..qirat karna kam az kam 1 badi aayat ya choti 3 aayat
11..ruku karna
12..har rakat me do sajde karna
13..aakhri tashahhud me bethna
14..apne amal se namaz se nikalna

(nizame tarbiyat.ba hawala nurul izah)
masaile namaz


Suwal..namaz ke wajibat kitne hen?
Jawab..wajibate namaz yani wo chizne jo bhul se chutne se sajdae sahw zaruri hota he our jan bujhkra chorne se namaz duhrani zaruri hoti he 14 hei..

1..farz ki do rakat me our wajib/sunnat/nafl ki har rakat me surae fatiha padhna..

2..farz ki do rakat our wajib/sunnat/nafl ki har rakat me 1 surat ya 3 aayeten padhna..

3..farz ki pehli do me surat milana

4..fatiha ko surat se pehle padhna

5..tadile arkan yani har rukn ko achchi tarah ada karna ke har uzw apni jagah rukjaye

6..pehla qada karna

7..tashahhud padhna

8..Tashahhud padhkar tisri rakat ke liye phoran khada hona

9..namaz se nikalne ke liye assalam kehna

10..witr me duae qunut padhna

11..dono eid me zaaid takbir kehna

12..eid ki namaz ki dusri rakat ke ruku ki takbir kehna

13..imam ko zuhar/asar me aahista qirat karna

14..us ke alawa baqi namazon me zor se qirat karna

(Nizame tarbiyat ba hawala nurul izah)
masaile namaz


Suwal...namaz ki sunnaten kitni hen??
Jawab..namaz ki 51 sunnaten hen us me se qiyam (khade hone ) me 11 sunnaten hen....

1.takbire tahrima ke waqt sidha khada hona ...sar ko na jhukana
2....dono per ke darmayan 4 ungal ka fasala rakhna...
3..muqtadi ki takbire tahrima ka imam ki takbir ke sath hona
4..takbir tahrima ke waqt dono hath kano tak uthana
5..hatheli qible ki taraf  rakhna
6..ungliyon ko apni halat per rakhna na zyadah khuli na zyadah band
7..daen hath ki hatheli baen hath ki hatheli ki pusht (uper ke hisse ) per rakhna
8..anguthe se halqa banakar gatton ko pakarna
9..darmyani 3 ungli kalai per rakhna
10..naaaf ke niche hath baandhna
11..sana padhna
(nizam e tarbiyat)


Suwal.. Namaz me qiraat ki kitni sunnaten hen??
Jawab..qirat me 7 sunnaten hen...
1..ta'avvuz padhna yani auzu billah padhna
2..tasmiya yani bismillah padhna
3..aahista aameen kehna
4..fajar/zuhar me tivale mufassal me se padhna yani sura'e hujurat (para no..26)se surae burooj tak....our asr/isha me awsate mufassal yani surae burooj se  surae lam yakun tak....our magrib me qisare mufassal yani surae lam yakun se surae naas tak padhna...
5..fajar ki pehli raka't ko lambi karna
6..na zyadah jaldi padhna na zyadah theher kar balke darmyani raftar se padhna
7..Farz ki tisri/chauthi me surae fatiha padhna
(nizame tarbiyat)

Suwal..ruku ki sunnaten kitni hen??

Jawab ..ruku me 8 sunnaten hen...
1,,ruku ki takbir kehna...

2..ruku me dono hathon se ghutno ko pakarna...

3,,ghutne pakarne ungliyan kushadah khuli rakhna..

4,,pindliyon ko sidha rakhna..

5,,,pith ko bicha dena..

6...sar our surin ko barabar rakhna

7..ruku me kam az kam 3 martaba subhana rabbiyal azeem kehna

8...ruku se uthne me imam ko samiallahu liman hamidah kehna muqtadi ko rabbana walakal hamd kehna our munfarid (jo akele namaz padhta ho) ko dono kehna.....


Suwal... Sajde ki sunnaten kitni hen ? ?


Jawab...sajde me 12 sunnaten hen...
1..sajde ki takbir kehna...
2..sajde me pehle dono ghutne rakhna
3..phir dono hath rakhna
4..phir naak rakhna
5..us ke baad peshani rakhna
6..dono hathon ke darmyan sajda karna
7..sajde me pet ko rano se alag rakhna
8..pehlu ko bazu se alag rakhna
9..kuhni zamin se alag rakhna
10..sajde me kam az kam 3 martaba subhana rabbiyal aala padhna
11..sajde se uthne ki takbir kehna
12..sajde se uthte huwe pehle peshani phir naak phir hath phir ghutne uthana our dono sajdo me itminan se bethna
(nizame tarbiyat)




�� masaile namaz ��


Suwal..qada me kitni sunnaten hen ? ?


Jawab..qada me 13 sunnaten hen...
1,daen per ko khada rakhna our baaen per ko bichakar us per bethna our ungliyon ko qible ki taraf rakhna

2,dono hathon ko rano per rakhna
3,tashahhud me ash'hadu allailah per ungli uthana our illallah per goradena
4,qadae akhira me durud sharif padhna
5..durud sharif ke baad duae masura padhna
6.,salam kehte waqt dono taraf chehra ghumana
7,salam daen taraf se shuru karna
8.,imam ka salam me muqtadiyon farishton nek jinnat ki niyyat karna
9,,muqtadi ka imam farishton nek jinnaat our dae baen ke muqtadiyon ki niyyat karna
10,munfarid (akele namaz padhne wale ko) sirf farishton ki niyyat karna
11.,muqtadi ko imam ke sath sath salam pherna
12,,dusre salam ki awaz pehle salam ki aawaz se past (aahista) karna
13,, masbuq ko apni chuti hui namaz ada karne ke liye imam ke farig hone ka intizar karna
(nizame tarbiyat)


Suwal ..Namaz me kitne farz hei??
Zawab..Namaz me 13 farz hei

7 Farz Bahar ke↓

1) jaga ka paak hona.
2) kapro ka paak hona.
3) badan ka paak hona.
4) satar ka chupana.
5) namaz ka waqt hona.
6) kibla ki tarah muh karna.
7) niyyat karna.

6 Farz andar ke↓

1) takbire tahrima yani Allahu akbar kehna.
2) kiyam karna.
3) kirayat padhna.
4) ruku karna.
5) har raka'at me do sajde karna.
6) aakhri kayde me atatahiyyat ki mikdar bethna.

Suwal...mufsidate namaz kitne hen ? ?

Jawab...mufsidate namaz yani jin se namaz tut jati he wo ye hen...

1..koi baat karna chahe galati se ho ya janbujhkar

2..aesi dua mangna jo logon ki baat ki tarah ho jese ae allah mera fulan se nikah karade mujhe gadi dede wagera

3..kisi ko salam karna

4..kisi ke salam ka zuban se jawab dena

5..amale kasir karna yani aesa kaam jis sdekhne wala ye yaqin kare ke ye aadmi namaz me nahi he

6..sine ko qible se pherdena

7..munh ke bahar se kisi chiz ka khalena chahe kitni choti ho

8..jo chiz danton ke darmyan phasi ho chane ke barabr ho khalena( agar chane se kam he miqdar me to namaz fasid nahi hogi)

9.. Pani wagera pi lena

10..bila zarurat khankharna (gala saaf karna )jis se huruf (shabd/words) peda hojaye...

11..namaz me uff tuff karna

12..aah uh karna

13..taklif our dard se aesa rona jis se huruf (words) peda hojayen...agar allah ke khof se ya jannat jahannam ke tazkire se rone me aawaz our huruf nikalne se namaz nahi tutegi..

14..chinkene wale ke jawab me yarhumukallah kehna

15..kisi ne ke pucha kya allah ke alawa koi our mabud he??? To musalli ne kaha lailaha illallah /isi tarah kisi ne koi taklif ki baat sunai to namazi ne inna lillah padh diya /isi tarah achchi khabar sunkar alhamdulillah kaha to in tino surton me namaz fasid hojayegi..

16..kisi tajjub ki baat per lailah illallah ya subhanallah kehna

17..quran ki koi aayat jawab ki niyyat se padhna...

Uper ke tino ka khulasa ye he ke koi bhi aesa amal jis me dusre se baat ho ya us ki baat ka jawab ho us se namaz fasid hojayegi....

18... Tayammum karne wale ka pani per qadir hojana...(yani koi tayammum karke namaz padhraha he us ko pani istemal karne ki taqat aajaye to wo namaz tut jayegi)

19..chamde ke moze per masah ki muddat ka pura hojana   (chamde ke moze per 24/ ghante tak msah karsakte hen our musafir he to 72/ ghante tak  ab 15/ ghante ya 72/ ghante namaz me pure hogaye to namaz tut jayegi)

20...Chamde ke mozo ko nikal dena

21..an padh jis ko quran ki 1 aayat bhi na aati ho us ka 1 aayat yaad karlena

22...nange aadmi ko kapda miljana..(kapda nahi tho to nange namaz padhraha tha ab chalu namaz me kapda aagaya to namaz tut jayegi)

23..ishare se namaz padhne wale ka ruku sajde per qadir hojana

24...janbujh kar wizi tor dena

25...be hosh/pagal hojana

26..fajar ki namaz padhte padhte suraj nikal jana

1 comment: