MASAILE WUZU no 1 TO 52.
Bismilla hirrahma nirraheem
.MASAILE WUZU
MAS,ALA NO 1.
SAWAL,
wuzu me Farz kitne hen
Or wo kun kun se hen.?
JAWAB,
wuzu me chaar farz hen.
(1)peshani k balon se thodi ke neeche tak or ek kaan ki lo se dosry kan ki lo tak chehra dhuna.
(2)dono haath kohneo samet dhuna.
(3)chothai sar ka massa karna.
(4)dono paon takhno samet dhuna.
:-surah al maaidah
Aayat no 6
(Ba Etbar e asal)
DUA FOR
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Bismilla hirrahma nirraheem
MASAILE WUZU
MAS,ALA NO2.
SAWAL,,
Wuzu men jin aa,za ka dhuna farz ha,
Aghar in men kahen thorhi si jagha dhulne se reh jay to
wuzu sahi ha ya nahi.???
JAWAB
Wuzu men jin aa,za ka dhuna farz he,
in men aghar kahen ek baal k baraber bi jagah khushk rah jay to,
wuzu sahi na ho ga.
Chhuti hoi jagah ka dhuna be zaroori he:
:-Islami Taleem
safa no.37

MAS,ALA NO 3.
SAWAL,,
Aghar kisi aadmi ne aaza,e wuzu ko pani baha kr nahi dhuya,
balkih geele kaprhe ya geele hath se hi tar (geela) kr lia to,
is ka wuzo ho gia ya
nahi..????
JAWAB,,
Is aadmi ka wuzo nahi howa.
keon kih (1)poora chehra (2)hath Kuhnion tak.
(3)paon ka dhuna farz he.
or
Dhune ki kam se kam miqdaar ye ha k pani k qatre aaza,e wudu par beh kr tapak jaen
:-Surah Al Maaidah
Aayat no. 6
(Ba etbar,e Asal)

MAS,ALA NO 4.
SAWAL,,
wuzu man Jin aa,za ka dhuna farz he,
inhen kitni martabah dhune se farz ada ho ga.???
JAWAB.
Ek martbah dhune se farz ada ho jata he.
(ek baal brabar jagah bi khushk na rahe)
Or 3 martbah tak dhuna sunnat he.
Lehaza wuzu sunnat k mutabiq pora karna chahey.
:-Islami Taleem
Safa no 37

MAS,ALA NO 5.
SAWAL,,
wo cheezen Kun se hen jin se wudu toot jata he.??
( Naqiz,e wuzu kun se hen )
JAWAB.
Jin cheezo se wuzu toot jata he wo ye hen,
Pakhana ya peshab k raste se kisi bi cheez ka niklna.
peche se hwa kharij hona
jism se khoon ya peep nikal kr thoda sa beh jana
mohn bhar k qai (ulti) krna
let kr ya Sahara le kr sona
behosh hona.
janoon tari hona.
namaz men hansna qehqaha laga kr.
:- Ahkaam,o Masail
Safa no 29

MAS,ALA NO 6.
SAWAL,,
wo cheezen Kun se hen jin se wuzu makroh ho jata he.??
( Makrohat,e wuzu kun se.?)
JAWAB.
Jin cheezon se wuzumakroh ho jata he wo ye hen.,
na pak jgah par wuzu krna.
sidhe hath se naak saaf krna.
wuzu krne men dunya ki baten krna.
sunnat k khelaf wuzu krna.
:-Taleem,ul islaam
H.2 Safa no.26

MAS,ALA NO 7.
SAWAL,,
Agar kisi shakhs ka hath kuhni se thorha neche, kta howa ho to us baqiya hath ko wuzu men dhuna zarori he ya nahi. ??
JAWAB.
G Dhuna zaroi he.
kuhniya is se neche ka kuch hissah baqi ho to is hisse ko dhuna bi farz he:
:-Taleem,ul islaam
Safa no 40

MAS,ALA NO 8.
SAWAL,
Aesy shakhs k wuzu k bare men shariyat ka kya hukm he.?
Jis ki susti or ghaflat ki wajah se arhiyan ya kuhniyan khushak rah jate hen, Achi tarah nahi dhuta.?
kya is ka wuzu or namaz darust he ya nahi.??
JAWAB.
ye dekhne men aaya ha k log wuzu krte howy arhiyan ya kuhniyan pori tarha nahi dhute thurhi khushak reh jati hen.
Aesy Aadmi ka wuzu nahi howa.
jis ka wuzu nahi us ki namaz kase ho sakti he.
Wuzu men arhiyan khushk chorhne wale shakhs k ley Ahadese paak men azab ki waeed he.
:-kutub,e Fiqah

MASAILE. WUZU
MAS,ALA NO 9.
SAWAL,
Agar kisi adami ko thurhi thurhi qai (ulti) kai dafa aay to is ka wuzutoot gia ya nahi.??
JAWAB.
Ek dafa matli (dil khrab)hoi
Or usi matli se bar bar qai (ulti) aai
Aghar in sab ka majmoah monh bhar qai ki miqdaar ho to wuzu toot jay ga.
Aghar monh bhar se kam ho to wuzunahi toota
jis qai (ulti)ko rokna mushkil ho is qai ko monh bhar qai kehte hen
:-Behishti zewar

MAS,ALA NO 10.
SAWAL,
Agar koi shakhs wuzukrte howe aa,zae wuzu ko teen ya. chaar martba dhu le to.
shariyat is bare men kia kehti he.??
JAWAB.
Aa,zae wuzuko ek martba dhuna to farz he or teen martba dhuna sunnat he.
teen martbh se zeyada dhuna makrooh or najaiz he.
(Ek baar dhuna)
ase dhuna kih ek baal braber jagah bi khushk na rahe.
:-Taleem,ul Islam
& Behishti Zewar

MAS,ALA NO 11.
SAWAL,
Aghar kisi aadmi ne (tar)geely hath se kisi uzv ka masah kea or phir nieya pani nahi lea balkih usi istemal shudah hath se hi sar ka massah kr lea to is ka wuzusahi ho ga ya nahi.??
JAWAB.
Is admi ka wuzusahi nahi
kion k jab hath se ek martba kisi uzv ka massah kr lea
(Jesy kisi ka bayan hath bemari ki wajh se dhuna manah ho) us pr massah kia
ab neiya pani ley bghair sar ka masah sahi nahi ho ga.
:-Taleem,ul Islaam
Hissa.3 safa no39

MAS,ALA NO 12.
SAWAL,
Aghar kisi shakhs ka hath khushk tha or us ne hath ko chehre ya bazo per mal kr tar kr k sar ka massah kr lea.?
to wuzu sahi ho ga ya nahi.?
yani us ne hath ko chehre ya bazo pr baqi manda pani k qatron se tar kia.??
JAWAB.
is aadmi ka wuzusahi nahi
(Kion kih dhule howe uzv pr Jo pani ya tari hoti he wo mustamal hoti he or wuzumen istemaal shudah pani ya tari ka dubara istemaal krna sahi nahi.)

MAS,ALA NO 13.
SAWAL,
Wuzuman sunnaten kitni hen or kun kun si hen.??
JAWAB.
wuzu man 13 sunnaten hen.
Niyat karna.
Bismillah parhna.
3 baar hath dhuna ghuton tak.
Miswak karna.
teen martba kuli krna.
3.martba naak man pani dalna.
darhi ka khilal krna
Hath paon ki ungliyon ka khilal.
Har uzv ko teen martba dhuna.
Ek martba pore sar ka massah.
Dono kanon ka masah krna
Tartib se wuzu Krna.
Pe dhar pe wuzu krna.
(yani ek uzv khushk hone se pehle dosra uzv dhuna)
:-Taleem,ul Islaam
Hissa.3 safa no25

MASAIL,E WUZU
MAS,ALA NO 14.
SAWAL.
Kya nail polish utarne k bagair wuzu or gusl sahi ho ga ya nahi
JAWAB.
nail polish utaare bagair wuzu sahi nahi hota.
or jis pr gusl farz ha us k ley bi nail polish utaarna zaroori he.
aghar nail polish saaf key begair wuzu ya gusl kr k namaz parhi to ye namaz begair wuzu k begair gusl k he.
Begair wuzu namaz parhna buhat barha gunah he.
:-Aap k Masail or un ka hal

MAS,ALA NO 15.
SAWAL,
kisi shakhs ne wuzu kr lea
phir 2 mint bad us ne dekha k kahen thurhi si jagah khushk reh gai he.
Aghar us thorhi si jagah ko aesy hi geele hath se tar kr lea. to us ka wuzu sahi ho ga ya nahi.?
JAWAB.
jis shakhs ne wuzu mokammal kr lene k bad dekha k kahen thurhi si jagah khushk reh gai he to us khush jagah ko pani daal kr dhuna zroori he.
> Sirf geela hath pher dene ya mamoli sa tar kr lene se wuzu nahi ho ga.

MAS,ALA NO 16.
SAWAL,
Agar kisi ne aesi angothi (ring) pehni ho jo buhat tang ho or wuzu krte howy us k neche pani na puhchta ho to us ka wuzu sahi ho ga ya nahi.?
JAWAB.
Aesi angothi (ring) ya gajra ya naak ki nathli wgaira jin k neche pani puhchna mushkil ho to
in cheezon ko hila kar in k neche pani dakhil karna zaroori he.
Warna wuzu sahi nahi ho ga.

MAS,ALA NO 17.
SAWAL.
kia har baar wuzu karne se pehle istinja Karna zroori he.?
(yani private parts ko dhuna)
JAWAB
Har baar wuzu Karne se pehle istinja Karna zroori nahi.
aghar sirf hawa nikli to bi istinja krna zroori nahi
Jab bi peshab ya pekhana wali jagah se koi nijasat nikle tab istinja karna zaroori he.
aghar sirf shak howa k koi nijasat kharij hoi ha to istinja karna behtar he.

MAS,ALA NO 18.
SAWAL.
Kya namaz men hansne se wuzu toot jaey ga.??
JAWAB
Aghar koi aadmi namaz men aawaz se hansa. is tarah hansa k us ki aawaz aas paas wale namazion ne sun li to us ka wuzu toot jaey ga.
dobara wuzu kr k namaz parhe
Namaz men sirf muskrane
(yani hansne ki aawaz na aay) is se wuzu nahi toot,ta

MAS,ALA NO 19.
SAWAL,
Agar aankh men koi phunsi wgaira ho or phunsi se ganda pani ya peep ya khoon behta ho to us se wuzu toot jay ga.??
JAWAB.
Agar phunsi ka khoon, peep, pani aakh se bahir nikl aay to wuzu toot jay ga.
or aghar aankh k andar hi rahe to wuzu nahi tote ga.
:-Behishti Zewar

MAS,ALA NO 20.
SAWAL,
Agar kaanya naak men koi phunsi wgaira ho or phunsi se ganda pani ya peep ya khoon behta ho to us se wuzu toot jay ga.??
JAWAB.
Kaanor naakk do hisse hen
wo Hissa jis ko gusl krte howy dhuna zarori nahi yani bilkul androni hissa.
agar khoon , peep ,pani us androni hissah se bahir nikl aay to wuzu toot jay ga.
Or agar andar andar hi rahe to nahi tote ga.
wo hissa jis ko gusl krte howy dhuna zarori ha.
Jase naakka narm haddi tak ka Hissa.
agar punsi is hisse men ho to khoon, peep ya pani nikl kr thora sa bi beh gia to wuzu toot jay ga.
Or agar nikla leken baha nahi to wuzunahi toty ga.
:-Behishti Zewar
Bismilla hirrahma nirraheem
MASAIL,E WUZU
MAS,ALA NO21.
SAWAL,
Agar kisi aadmi k zakham ya phunsi se khoon ya peep ya ganda pani nikle to us ka wudutoot jay ga ya nahi.?
JAWAB.
Agar zakham ya phunsi se khoon ya peep ya ganda pani nikl kr thurha sa bi beh gia to wuzu toot jaey ga.
or agar khoon ya peep ya ganda pani bilkul thurha sa nikla yani dikhai to deya leken aage baha nahi to wuzu nahi tote ga.
Or agar khoon ,peep ,pani ko kisi cheez se saaf karta raha to Hukm…….????
In sha Allah Aenda bayan ho ga
:-Ahkaamo Masail
DOA FOR

MAS,ALA NO 22.
SAWAL,
Agar kisi aadmi k zakhm ya phunsi se khoon ya peep ya ganda pani nikla or wo us ko baar baar kisi cheez se saaf krta raha.yani behne nahi dea. to us ka wuzu toot jaay ga ya nahi.?
JAWAB.
Agar khoon ,peep ,pani itni miqdar men nikla k agar wo us ko saaf na krta to beh jata, to wuzu toot jaay ga.
Or agar wo khoon ,peep intna Thurha tha kih saaf na bi karta tab be beh nahi sakta tha yani mamoli sa hi tha to wudunahi toote ga.

MAS,ALA NO 23.
SAWAL,
Agar daant se ya monh se khoon nikale to us ka kiya hukm ha.?
wuzutoot jay ga ya nahi.?
JAWAB.
Agar daant se ya monh se khoon itna nikla k thook ka rang surkhi maail ho gya ya monh men khoon ka zaiqa mehsos hone laga
to wuzutoot jay ga.

MAS,ALA NO 24.
SAWAL,
Laboratory test k ley jo khoon nikala jata ha ya ragon (veins) men injection lagate waqt be pehle thorha sa khoon khencha jata ha to us se wuzutoot jay ga ya nahi.?
JAWAB.
G han is tarah syringe wgaira laga kar khoon nikalne se wuzutoot jata ha.
or isi tarha punsi se ya jism k kisi hesse se syringe se peep wgaira nikalne se bi wuzutoot jata ha.

MAS,ALA NO 25.
SAWAL,
Agar mede yan(stomach)se ya masane yani(bladder)se pipe laga kr peshab wgaira kharij kia jay jesy k hospital men kabi mareez k sath hota ha to us se wuzutoot jay ga ya nahi.?
JAWAB.
mede yan(stomach)se ya masane yani(bladder)se pipe laga kr peshab wgaira ya koi or ganda muwad kharij kia to in sab cheezo se wuzu toot jaay ga.
:-kutobe Fiqah

MAS,ALA NO 26.
SAWAL,
Sahara laga kr yani tek laga kr sone se wuzutoot jata ha ya nahi.?
JAWAB.
is tarah se Sahara laga kar sona kih agar wo sahara na hota to aadmi gir jata.
is se wuzu toot jata ha.
Or lat kar sone se bi wuzu toot jata ha.
:-behishti zewar

MAS,ALA NO 27.
SAWAL,
Agar kisi aadmi ne koi nashe wali cheez khai ya koi dawai khai jis se us ko nasha ho gia to us ka wuzutoot jaay ga ya nahi.?
JAWAB.
Injectionse ya kisi dawai se ya koi nashe wali cheez kha lene se agar nasha itna ho jay k us ko chalnabe mushkil ho jay, us k qadam dagmgana shuro ho jaen to us ka wuzutoot jay ga.

MAS,ALA NO 28.
SAWAL,
Agar kisi aadmi ko bethe bethe (ung)yani neend aa gai or wo ungte ungte gir parha to us ka wuzutoot jay ga ya nahi.?
JAWAB.
Agar koi ungte howe gir jay to agar girte hi furan aankh khul gai to wuzu nahi toote ga.
Or agar girne k thurhi deyr baad aankh khuli to wuzu toot jay ga.

MASALA NO 29.
SAWAL,
Agar koi aurat ya mard namaz parhte howy sajdah ki halat men so jay to us ka wuzutoot jay ga ya nahi?
JAWAB.
Aurat agar aurton ki tarha masnon tariqe se sajdah krte howy yani pusht ko zameen pr rakh kr sajdah karte howy so jay to us ka wuzutoot jay ga
isi tarha agar koi mard aurton ki tarah peeth ko zameen se chipka kr sajda karte howy so jay to us ka wuzubi toot jay ga.

MASALA NO 30.
SAWAL,
Agar koi mard namaz parhte howy sajdah ki halat men so jay to us ka wuzutoot jay ga ya nahi?
JAWAB.
Mard ka wuzu sajdah ki halat men sone se nahi toot,ta agar mard mardon k tariqe pr sajdah krte howy so gia.
Or agar koi aurat mardon ki tarah sajda krte howy yani apni pusht ko uncha rakh kr
(jase mard sajda krte hen) sajdah krte howy so gai to us ka wuzu bi nahi tote ga.
Masala no 29 ko dobara parh len ge to masla no 30 bi sahi samaj aa jay ga.

MAS,ALA NO 31.
SAWAL,
Agar kisi aadmi ko wuzukrte howy kisi uzv k bare men shak howa k ye uzv dhuya he ya nahi to us ka kia hukm ha.?
JAWAB.
Wuzukrte howy kisi uzv k bare men shak howa to us uzv ko dubara dhu lena chahey.
agar wuzu kr lene k bad shak howa to dubara dhune ki zarorat nahi.
agar galib guman he k kisi uzv ko nahi dhuya to us uzv ko dhuna zarori ha.

MASLA NO 32.
SAWAL,
kisi aadmi ne wuzu kia phir kuch der bad namaz k waqt usy shak howa k us ka wuzu baqi he ya nahi to us ka kia hukm he.?
JAWAB.
Agar sirf shak howa to hukm ye he k us ka wuzu baqi he
or shak ka koi etbar nahi.
(Etminan k ley wuzu kr le to ach)
or agar galib guman ho k us ka wuzu toot gia to wuzu dubara kre.
:-kutube fiqah

MASLA NO 33.
SAWAL,
Agar kisi shakhs ka wuzu toot gia phir kuch deer bad namaz k waqt us ko shak howa k us ne wuzu dubara kr lia tha magar us ko yaqeen nahi to is ka kia hukm he.?
JAWAB.
is shakhs k liy wuzu dubara krna zarori he
or shak ka koi etbar nahi
:-Ahsanul Fatawa

MASLA NO 34.
SAWAL,
Agar kisi aadmi k zohar ki aazan k bad khoon niklna shoru howa or musalsal behta raha to us k wuzu ki kia Surat ho gi.?
JAWAB.
Aesa aadmi zohar k akhri waqt tak intezar kre.
Jab sirf itna waqt baqi ho k wuzu kr k farz namaz ada kr sakta ho tab wuzu kr k namaz parhe.
Or agar asar k waqt men khon nikalna band ho gia agarche asar ka time 10 ment hi baqi ho to is Surat men us ko zuhar ki namaz dubara parhna ho gi.?
not:-ye aadmi mazoor k hukm men nahi.
Mazoor ka hukm alag he.

MASLA NO 35.
SAWAL,
Agar kisi aadmi k asar ki namaz k waqt khoon niklna shoru howa or musalsal behta raha bilkul rukata nahi to us k wuzu ki kia Surat ho gi.?
JAWAB.
Aesa aadmi asar ka makroh waqt shuro hone se thora pehle jab sirf itna waqt baqi ho k wuzu kr k farz namaz ada kr sakta ho tab wuzu kr k namaz parhe.
yani makroh waqt shuro hone se pehle pehle
mazeed tafseel aainda bayan ho gi……

MASLA NO 36.
SAWAL,
Asar k waqt kisi aadmi ka khoon niklna shoru howa or musalsal behta raha.
to us ne makroh waqt se pehle namaz bi parh li.
phir magrib se 15 mint pehle khon ruk gia to kia hukm he.?
JAWAB.
Ye aadmi dubara wuzu kare or namaz bi dubara parhe.
(kion k is ka uzar khatm ho gia he or is k pas namaz dubara parhne ka waqt abhi baqi he)
not:-ye aadmi mazoor k hukm men nahi.
Mazoor ka hukm alag he.
:-Ahsanul fatawa

MASLA NO 37.
SAWAL,
Jism k jin hisson ko wuzu men dhuna farz he agar un par kisi jagah paint( rang) lag jay to begair saaf kiey wuzu sahi ho jay ga ya nahi.?
JAWAB.
wuzu men jin aaza ko dhuna farz he agar un pr kahen koi aysi cheez lag jay Jo pani ko jism pr puhchne se rukti ho to us ko saaf key begair wuzu nahi ho ga.
agarche mamoli si hi lagi ho
Jase
Paint ,nail polish or kai tarah k glue wgaira.

MASLA NO 38.
SAWAL,
kisi aadmi k zohar k waqt men khoon niklna shoru howa or musalsal behta raha.
or us ne zuhar k aakhri waqt men zuhar ki namaz bi parh li.
Phir asr k waqt men khoon ruk gia to kia zuhar ki dobara qaza kare ga.??
JAWAB.
Agar khoon peep wgaira zuhar k waqt men niklna shuro howa or magrib se 10 mint pehle bi ruk gia to is doran parhi hoi zuhar or asar dobara parhna ho gi.

MASLA NO 39.
SAWAL,
Agar kisi aadmi ka wuzu kisi bimari ki wajah se bar bar totta ho to kis waqt wo mazoor kehlay ga.?
Yani us k ley wuzu men takhfeef kab shuro ho gi.
or kab tak rahe gi.?
JAWAB.
Agar kisi ko khoon ,peep ya peshab ya hawa wgaira ki koi bemari ho.
or ek namaz k pore waqt men jase
(zuhar se asar tk pora waqt)
wohi uzar itni zeyada baar pesh aaya Kih us ko itna waqt bi nahi mila kih mukhtsar sa wuzu kr k namaz k farz ada kr sake.
To wo aadmi mazoor he.
Phir wohi uzar har namaz k pore waqt k andar ek dafa bi pesh aaya to wo mazoor k hukm men hi rahe ga.
or jis namaz k pore waqt k andar wo uzar ek dafa bi pesh na aaya to us waqt se wo aadmi mazoor k hukm men nahi rahe ga.
Agar us bimari wale uzar k elawa koi or wuzu turhne wali baat pesh aa gai to us se wuzu toot jay ga.
Not. Mazoor ka hukm aainda bayan ho ga.

MASLA NO 40.
SAWAL,
Kisi bimari ki wajah se baar baar wuzu tootne wala yani mazoor aadmi ek wuzu k sath kab tak namaz parh sakta he .??
JAWAB.
Mazoor aadmi har namaz k pore waqt k ley ek dafa wuzu kr le to kafi he. jesy zuhar se asar tak k pore waqt k ley.
Or usi wuzu se jo Ebadat bi karna chahe kar sakta he.
Or jab us namaz ka waqt khatm ho jay ga to us ka wuzu bi toot jay ga.
yani jab dosri namaz ka waqt shuro ho ga to dubara wuzu karna ho ga.
Agar us bimari wale uzar k elawa koi or cheez Jo wuzu turhne wali ho pesh aa jay to us se wuzu tot jay ga.
Ab us wuzu se namaz wgaira nahi parh sakta.
Note:Mazoor kis ko kehte hen. is ki Tafseel sawal no.39 men dekh len.

MAS,ALA NO 41.
SAWAL,
Jo aadmi peshab k qatre ane wali bimari ki wajh se mazoor wala wuzu krta ho to us ki hawa kharij hone se us ka wuzu toot jay ga ya nahi.??
JAWAB.
G us ka wuzu toot Jaay ga.
Jis bimari ki wajah se aadmi mazoor ho agar us uzar (bimari) k elawa koi bi or cheez Jo wuzu turhne wali ho pesh aa jay to us se wuzu tot jay ga.
Jase peshab ki bimari wale ka khoon ya hawa kharij ho jay.

Note:Mazoor kis ko kehte hen. is ki Tafseel sawal no.39 men dekh lejey.

MAS,ALA NO 42.
SAWAL,
Mazoor aadmi ne magrib ki namaz k waqt men wuzu kea or namaz parh li.
Phir jab Esha ka waqt shuro howa to Kia usi wuzu se Esha ki namaz bi parh sakta he ya nahi.??
JAWAB.
Nahi parh sakta.
Mazoor aadmi jis namaz k waqt men bi wuzu kare to us namaz ka waqt khatm hote hi us ka wuzu bi toot jay ga.
Jase magrib ka waqt shuro hone pr wuzu kea to magrib ka waqt khatm hote hi us ka wuzu bi toot jay ga.

MAS,ALA NO 43.
SAWAL,
Mazoor aadmi ne zuhar k waqt men wuzu to kar liya leken namaz nahi parhi.
Phir jab Asar ka waqt shuro howa to kia Asar k liy us ko dobara wuzu karna parhe ga ya nahi.?
JAWAB.
Dobara wuzu krna parhe ga.
Mazoor aadmi ne jis farz namaz k waqt men wuzu kea. wo namaz parhi ho ya na parhi ho.
Jab us namaz ka waqt khatm ho jay ga to us ka wuzu bi toot jay ga.
Jase zuhar ka waqt shuro hone pr wuzu kea to zuhar ka waqt khatm hote hi us ka wuzu bi toot jay ga.

MAS,ALA NO 44.
SAWAL,
Mazoor aadmi farz namaz wale wuzu se nafil namazen parh sakta he ya ni.?
Jase magrib k wuzu se awwabeen k nawafil.?
JAWAB.
G parh sakta he.
Magrib k wuzu se awwabeen
Esha k wuzu se tahjjud.
Ishraaq k wuzu se chaasht bi parh sakta he.
Leken Fajar k wuzu se ishraaq ki namaz nahi parh sakta.

:-kutube Fiqah

MAS,ALA NO 45.
SAWAL,
Mazoor aadmi ishraaq ki namaz wale wuzu se zuhar ki namaz parh sakta he ya nahi.??
JAWAB.
G parh sakta he
ishraaq ek nafli namaz ka naam he Jo k soraj niklne k kuch der bad parhi jati he.

MAS,ALA NO 46.
SAWAL,
Magrib se Esha ka waqt buhat thurha sa he.
Or Esha se Fajar ka waqt buhat lamba he.
Ab kun si namaz k waqt men hisab lagana chahey k aadmi mazoor he ya nahi.??
JAWAB.
Jab kisi bi namaz ka pora waqt musalsal uzar ki halat men guzar gia to wo mazoor ban jay ga.
Chahy us namaz ka waqt mukhtasr ho jase magrib ka waqt.
Or chahy buhat lamba jase Esha ka waqt

MAS,ALA NO 47.
SAWAL,
Mazoor aadmi ne zuhar ka waqt shuro hone k bad uzar (bimari)ki halat men wuzu kea leken namaz parhne se pehle ya namaz k duran hi us ka uzar khatm ho gia.
Or phir asar ka pora waqt bi sahi guzar gia to kia hukm he.??
zuhar ki namaz bi dobara parhni parhe gi ya nahi.??
JAWAB.
Ab wo aadmi mazoor k hukm men nahi raha.
Us ko sihat mand aadmi ki tarah wuzu karna ho ga.
Or zuhar ki namaz bi dobara parhe.
Kion k namaz khtam hone se pehle hi wo sahi ho gia tha.

MAS,ALA NO 48.
SAWAL,
Mazoor aadmi ka uzar (yani bimari)magrib se chand ment pehle khatm ho gea or phir magrib se Esha tak bi sahi raha to ab wo mazoor k hukm men he ya nahi.?
JAWAB.
Agar mazoor aadmi ka uzar khatm ho gia or ek namaz ka pora waqt sahi guzar gia Jase magrib se Esha tak k pore waqt men uzar pesh nahi aya to ab wo mazoor k hukm men nahi.
Us ko sehat mand aadmi ki tarah har dafa wuzu karna pare ga.

MAS,ALA NO 49.
SAWAL,
Kisi aadmi ko behne wale khoon ki thurhi si ulti aai to us ka wuzu toot jay ga ya nahi.??
JAWAB.
Behne wale khoon ki ulti thurhi si bi ho to us se wuzu toot jay ga.
(jame howy khoon k lothrhe na hon)

MAS,ALA NO 50.
SAWAL,
Agar kisi ki peshab ya pekhane wali jagah se pathri ya keerha nikla to us ka wuzu toot jay ga ya nahi.??
JAWAB.
G wuzu toot jay ga.
Peshab ya pekhane wali jagah se pathri ya keerha nikle to us se bi wuzu toot jata he.

MAS,ALA NO 51.
SAWAL,
Agar kisi aadmi ne gusl karte waqt wuzu ki niyyat bi nahi ki or na hi alag se wuzu kia to kia us ka wuzu ho gia ya nahi.??
JAWAB.
jab gusl kr lea to wuzu khud ba khud ho gia yani alag se wuzu karna wajib nahi.
Agar gusl men wuzu ki niyyat nahi ki tab bi wuzu ho gia.
Faida:-wuzu k ley niyyat sunnat he or is k begair wuzu ka sawab nahi milta.
Or gusl se pehle wuzu karna bi sunnat he. Lehaza in ka Ehtemam bi karna chahey.
:-Ap k masail or un ka hal

MAS,ALA NO 52.
SAWAL,
wuzu karne k bad agar satar khul jay to wuzu toot jay ga ya nahi.??
JAWAB.
wuzu karne k bad satar (yani jism ka posheeda hissa) khul jane se wuzu nahi toot,ta

Kya bacho ko potty clean karne se wAzoo toot jata hai ..
ReplyDelete