Aurto Ke Baare Mein Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Irshadaat.
Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:-
1. Aurat 5 Waqt Ki Namaz Padhti Rahe Aur Ramazan Ke Roze Rakh Liya Kare Aur Apni Aabru Ki Hifazat Rakhe Aur Apne Khawind Ki Taabedari Kare To Aisi Aurat Jannat Mein Jis Darwaze Se Dakhil Chahe Dakhil Ho Jaye.
2. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Se Ek Shakhs Ne Arz Kiya:- Ya Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ek Aurat Kasrat Se Nafil Namaze Aur Roze Aur Khair-O-Khairaat Karti Hai Lekin Zuban Se Padosiyo Ko Takleef Bhi Pahunchati Hai, Aap Sallallahu Aaayhi Wasallam Ne Farmaya:- Woh Dozakh Mein Jayegi Phir Us Shakhs Ne Arz Kiya Ki Ek Aurat Nafl Namaze Aur Roze Aur Khairat Zyada Nahi Karti Bas Yun Hi Kuch Paneer (Cheez) Ke Tukde De Deti Hai Lekin Zuban Se Padosiyo Ko Takleef Nahi Deti Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Woh Jannat Mein Jayegi.
3. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmya:- Kisi Aurat Ka Apne Ghar Grahsti Ka Kaam Karna Jihad Ke Rutbe Ko Pahunchta Hai.
4. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya: Aye Aurato Maine Tum Ko Dozakh Mein Bohot Dekha Hai Aurato Ne Pucha Iski Kya Wajah Hai? Farmaya Tum Phitkaar Sab Cheezo Per Bohot Daala Karti Ho (Yaani Laa’an Taa’an Karti Ho, Kosti Rehti Ho) Aur Shohar Ki Na Shukri Bohot Karti Ho Aur Us Ki Di Hui Cheezo Ki Bohot Na Qadri Karti Ho.
5. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Aisi Aurat Per Allah Ki Rehmat Nazil Ho Jo Raat Ko Uth Kar Tahajjud Padhe Aur Apne Shohar Ko Bhi Jagaye Ke Woh Namaz Padhe.
6. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Jab Koi Aurat Apne Shohar Ko Duniya Mein Kuch Takleef Deti Hai To Jannat Mein Jo Hoor Us Shohar Ko Milegi Woh Kehti Hai Ke Khuda Tujhe Ghaarat Kare Wo Tere Paas Mehman Hai Jald Hi Tere Paas Se Hamare Paas Chala Aayega.
7. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Sab Se Achhi Woh Aurat Hai Jo Apni Izzat Or Aabru Ke Baare Mein Paarsa Ho Aur Apne Khawind Per Aashiq Ho.
8. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
Allah Ta’ala Us Aurat Ko Pasand Karta Hai Jo Apne Shohar Ke Sath To Muhabbat Aur Dosti Kare Aur Gair Mard Se Apni Hifazat Kare.
9. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
Jo Aurat Zewar Dikhlawe Ke Liye Pehnegi (Qayamat Mein) Usi Se Usko Azab Diya Jayega.
10. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
Aye Musalman Aurato! Koi Padosi Apni Padosan Ki Bheji Hui Koi Cheez Ko Haqeer Aur Halka Na Samjhe Chahe Bakri Ka Khur Hi Kyu Na Ho.
Note:-
Baaz Aurato Mein Ye Aadat Bohot Hoti Hai Ke Dusre Ke Ghar Se Aayi Hui Cheez Ko Haqeer (Chhota) Samajhte Hain, Taana Deti Hain.
11. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ek Safar Mein Tashreef Farma The Aap Ne Ek Aawaz Suni Jaise Koi Kisi Per Laanat Kar Raha Ho,
Huzoor Ne Poocha Ki Ye Kya Baat Hai?
Logo Ne Bataya Ke Koi Aurat Hai Jo Apni Sawari Ki Oontni Per Laanat Kar Rahi Hai Wo Oontni Chalne Mein Kami Karti Hogi, Us Aurat Ne Chilla Kar Keh Diya Hoga Ke Tujhe Khuda Ki Maar Ho (Laanat Ho) Jaisa Ki Aurato Ki Aadat Hoti Hai (Kosne Aur Laanat Karne Ki),
Rasoolullah Sallallahu Alayi Wasallam Ne Hukm Diya Ke Us Aurat Ko Aur Us Ki Saman Ko Us Ko Oontni Per Se Utar Do Ye Oontni To Us Aurat Ke Nazdeek Laanat Ke Qabil Hai Phir Us Ko Kaam Mein Kyun Laati Hai?
Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Islah Aur Tanbeeh Ke Liye Aisa Farmaya Ki Jis Cheez Ko Kaam Mein Laati Hai Usi Ko Laa’an Taa’an Karti Hai.
12. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Samne Ek Aurat Ne Bukhar Ko Bura Kaha To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Ke Bukhar Ko Bura Mat Kaho Is Se Gunah Maaf Hote Hain.
13. Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya:
Dozakhi Aurate Jinko Maine Dekha Nahi Mere Zamane Ke Baad Paida Hongi Ke Kapda Pehne Hongi Aur (Barhana) Nangi Hongi, Yaani Naam Ko Jism Per Kapda Hoga Lekin Kapda Is Qadar Bareek Hoga Ke Tamaam Badan Nazar Aayega Aur Itra Kar Badan Ko Matka Kar Chalengi Aur Baalo Ke Andar Mobaaf Ya Kapda De Kar Baalo Ko Lapet Kar Is Tarah Bandhengi Ke Jis Mein Baal Bohot Se (Zyada) Maaloom Hon Jaise Oont Ka Kohaan Hota Hai Aisi Aurate Jannat Mein Na Jayengi Uski Khushbu Bhi Unko Naseeb Na Hogi.
No comments:
Post a Comment