★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-101 ⚄
⇛ Mahino ko Manhoos Samajhna,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Baaz ilaaqo wale ya biraadri wale baaz mahino ko manhoos samajh kar unme shadi biyaah ki taqreeb mun'aqd nahi karte, Khususan Muharram aur Safar ke mahino ko manhoos samajhte he, isliye in mahino me shadi ki taqribaat se darte he,
⇨ Jabki ye logo ki banayi hui baate he'n aur sarasar shariyat ke khilaaf aqeeda he,
✪ Aaj se 14 so saal pehle Janaabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam is qism ke baatil tohmaat ki nafi farma chuke he'n ,lihaza is baatil aqeede ki buniyad per Shadi ke baaz din ya tareekh ko manhood samajhna shar'an jaa'iz nahi.
✪ Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Irshad farmaya jiska mafhoom he k marz mut'adi hone KA aqeeda ,Badshaguni ( bad faali ) ullu ( bolne se nahusat aane KA aqeeda ) isi tarah maahe safar ke manhoos hone KA aqeeda shariyat se saabit nahi ,albatta juzami shakhs se is tarah bhago jis tarah sher se baagte ho ,
Bukhari ,
⇲ Next- 102 in sha Allah ta'aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 175
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-102 ⚄
⇛ Mehndi ki Rasm ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi KA moqa ho ya aam halaat khawateen ke liye Apne haatho me Mehndi lagana shar'an ek pasandida aur mustahab amal he ,Shar'an Aurat ko hukm he k Mehndi lagaya kare taki unke haath Mardo ke mushabe na rahe ,
✪ is zamane me Shadi se pehle Rasme Mehndi ke Naam se Jo Rasm ada ki jati he usme shar'an kai qabahate he'n ,is maqsad ke liye baaz biradriyo me mustqil Dawat hoti he ,Mard Aurate'n ikatthe hote he'n ,aur isko zaruri samjha jata he ,dawat na karne per laan taan hota he ,Rishtedaro me Jo is Dawat me shirkat na kare use bhi laan taan KA nishana banaya jata he ,
✪ Isliye ye Rasm qabile Tark he ,isse ijtinaab laazim he ,
⇲ Next- 103 in sha Allah ta'aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 176
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-103 ⚄
⇛ Dulha ke liye Mehndi ki Rasm ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Baaz ilaaqo me Shadi se pehle Dulha ke ghar me bhi ek mustqil Rasme Mehndi ke naam se Dawat hoti he ,isme bhi dono taraf ke logo ko Dawat di jati he ,
,Khususan khawateen isme shirkat karti he'n ,Dulhan ki taraf se aane wali khawateen Dlha ko Mehndi lagati he'n, Jabki Shar'an Mardo ke liye bator zeenat haatho me Mehndi lagana jaa'iz nahi ,
✪ isse zyada buri harkat ye he k Dulhan ki taraf se aane wali Aurto'n ke zariye Dulha ko Mehndi lagayi jaye ,ye to dohra gunaah hua ,ek to Mard ke liye Mehndi lagane KA gunaah aur doosra Gair Mehram ajnabi Mard Aurat KA ek doosre ko haath lagana ,jise Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne haatho KA zina farmaya ,
✪ Jab ajnabi ( gair mehram )Mard Aurat KA musafa jaa'iz nahi to haath pakad kar Mehndi lagana kese jaa'iz ho sakta he ,lihaza is Rasm se bachna ,bachana musalmano ke zimme laazim he ,Varna isme shirkat karne wale sab gunahgaar honge ,
⇲ Next- 104 in sha Allah ta'aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 177
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-104 ⚄
⇛ Ubtan Lagana ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi Byaah ke moqe per Ubtan lagane KA rivaaj he ,Shar’an isme koi muzayq nahi yani Ladki ko Ubtan lagana fi nafsa jaa’iz he ,
✪ Lekin is moqe per Jo mufasid v munkiraat hote he’n ,maslan tasveer kashi ( photography ) be pardgi ,Ajnabi Mardo Aurto’n KA ikhtlaat ,movie banana ,israaf vagera ye sab umoor na-jaa’iz aur Haraam he ,
✪ Isliye in na-jaaiz umoor se bachna zaruri he ,Albatta tamaam mufasid aur munkiraat se bachte hue Ubtan lagaya jaye to isme koi muzayqa nahi ,
⇲ Next- 105 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 179
✿ ▣ TALIBE DUA▣
▍▍✧Ahle deoband✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-105 ⚄
⇛ Shadi ke Moqe per Gana Bajana,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per baaz log gaane bajane KA bahut zyada ahatmam karte he’n ,Tap recorder ,bade bade Dek lagakar is tarah is qadar shor kiya jata he k ados pados ke logo KA jeena dubhar ho jata he ,Baaz log Filmi actors ko bulakar naach KA ahtamam karte he’n ,Sharai aitbaar se ye Amal kai qism ke gunaho per mushtamil he ,
✪ Padosiyo ko takleef pahunchane KA gunaah ,aur naach gana bizzaate khud bahut bada gunaah KA kaam he ,
✪ Mosiqi ke bare me baaz logo KA ishkaal he k baaz ahadees se iska jaa’iz hona maloom hota he kyuki Shadi ke moqe per Daff bajana Hadees se saabit he aur mosiqi bhi Daff hi he lihaza ye bhi hona jaa’iz hona chahiye,
⇰Is ishqaal KA jawab ye he k Ahadees me jis Daff KA zikr he wo sirf Nikaah ke moqe per kuchh der ke liye bajaya jata tha ,Nikaah ke alawa bila zarurat Daff bajane walo ko Sayyadna Umar Farooq Raz, durro se saza dete the,
⇨Fir Daff peetne wali bhi Chhoti bachchiya hoti thi ,Mardo KA Daff bajana kahi saabit nahi ,fir ye Daff bhi Ahle Arab ki Aadat ke mutabik bilkul saadgi se peeta jata tha,na isme jhaanjh hoti thi ,na raqs v sur v riya turb v masti KA koi aur nishaan ,Aaj ESE Daff KA kahi koi vajood nazar nahi aata ,
⇨Ahnaaf me aksar fuqha isko bhi na-jaa’iz qarar dete he’n ,aur aqsar masaikh ke qol ke mutabik haraam he ,Nikaah ke moqe per Daff se Muraad Nikaah KA elaan he ,
⇲ Next- 106 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 179
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-106 ⚄
⇛ Tasveer Kashi ( Photography ) ki Laanat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ki mehfil me Tasveer kashi bhi aam hone lagi he ,Achchhe khase Deendar kehlane wale bhi is gunaah me mubtila nazar aate he’n ,Isse badkar Movie banayi jati he,Ab mobile KA daur hev,har shakhs Photographer nazar aata he ,
✪ Tasveer kashi ek mojibe laanat kaam he ,Rehamate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne is cheez ko haraam qaraar diya he ,is per sakht waied bayan farmayi he ,
✪ iske bavjood Shadi jesi ba barkat mehfil me bhi is manhoos kaam ko anjaam diya jata he,to esi shadi ba barkat hone ki bajaye nahusat wali ho jati he ,
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne Apne haath se Tasveer wale parde ko faada he ,lihaza Ummat ke har fard per laazim he k Tasveer se esi hi nafrat KA izhaar kiya jaye ,bila zarurat iske istemal se mukammal ijtinab kiya jaye ,
⇲ Next- 107 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 186
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-107 ⚄
⇛Niyota ki Rasm ( Nazrana ),
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per Jo Rusumaat he unme se ek Rasme Niyota bhi he ,
✪ Ye Rasm Jo Dawate Walima ke baad hoti he k jisme ek Ahle Shadi khana ko Raqam dete he’n ,Jo k register me darj ki jati he aur fir Jab WO ahle khana me se kisi ki Shadi me shirkat karte he’n to jin shurka ne unko Raqam di thi ye usse bada kar wapas ada karte he’n. Aur ese moqe per Raqam waapas na kare to aapas me naraazgi ho jati he ,aur iske baad ek doosre ke walima aur Shadi ki Dawat me shareek nahi hote ,
——Baqi hissa Agle part me,
⇲ Next- 108 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 188
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-108 ⚄
⇛ Niyote ki Rasm ( Nazrana )-2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per Rasme Niyote ke naam se jo Raqam vasool ki jati he usme Shar’an kai qabahate he’n,
✪ 1- Qarz KA Len den he ,jabki bila zarurat qarz KA Len den Shar’an ek na pasandida amal he ,Qarz ko Qarz isliye kaha jata he k ye Muhabbat kaatne wali he ,
✪ 2- Agar di hui Raqam se bada kar lotayi jaye aur ESA karna bhi is Rasm KA hissa ho to ye zyada Raqam sood ke hukm me he ,
✯3- Basa Avqaat ESA bhi hota he k ye Qarz ada karne KA moqa hi nahi mil pata ,is soorat me doosre ke Haq talfi aur na-jaa’iz tor per masl istemal karne KA gunaah hua ,
✯4- Kisi ki Dawat karke usse paise vasool karna ,gairat ke kjilaf he aur ahmakana harkat he ,agar kisi ki Dawat karne ki isteta’at nahi to WO Dawat karta hi kyu he ? Bilkul na kare ya jitne logo ko khilane ki isteta’at he utne logo ko Dawat de ,
⇨In qabahato ki bina per ye Rasm waajibul tark he ,
⇲ Next- 109 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 189
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-109 ⚄
⇛ Shadi aur Fizool kharchi,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per ek gunaah ka kaam ye bhi kiya jata he k Fizool kharchi aur israaf bahut hota he,
✪ Maslan bila zarurat bahut zyada Roshni ka ahatmam karna, Fir iske liye Bijli chori ki jati he, isi tarah zarurat se zyada khana pakana fir usko jaaya karna, Qarz lekar apni isteta’at se badkar kharch karna, Dawat karna aur iske zariye shohrat hasil karne ki koshish karna, Jabki fizool kharchi ko shaitan ki tabedari qaraar diya gaya,
⇲ Next- 110 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 190
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-110 ⚄
⇛ Dulhan ki Moonh Dikhai ki Rasm,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Baaz ilaaqo me rivaaj he k Rukhsati ke baad dulhan ko ghar laya jata he to Moonh Dikhai ki Rasm Ada ki jati he,
✪ Yani Dulhan ko masahri per bitha diya jata he, fir Dulha ke Rishtedar Dulhan ka chehra dekh kar kuchh Hadiya ( Yani naqdi ya koi Cheez, zever vagera ) pesh karte he’n, Didaar karne wale Mardo me zyadatar gair Mehram hote he’n: Dulha ke Behnoi, Mamu zaad, Chacha zaad, khala zaad vagera,
✪ Ye ek qabeeh Rasm he, khususan Gair Mehram Aurat ko Jaan bujhkar dikhana, aur ye Quran v hadees ki ru se haraam he, aur is per laanat waarid Hui he,
⇲ Next- 111 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 192
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-111 ⚄
⇛ Shadi ke Moqe per Be pardgi ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per ek gunaah Jo bahut aam ho gaya he WO Be pardgi ka gunaah he ,Aaam be deen tabqe ki to baat hi alag he unka to poora program hi gunaah per mustamil hota he ,lekin baat Deendar tabqe ki he ,jinhe apni Deendari per naaz he ,
✪ Aam halaat me ba zahir gharo me sharai parde ka khayal bhi rakha jata he ,lekin Shadi ke moqe per Parda ‘ is hukm me gaflat barati jati he ,Jabki Sharai parde ka ESA takeedi hukm diya gaya he jis tarah Namaz Roze ka ,
Ab na maloom kya vajah he k musalman khawateen Parde ka ahatmam nahi karti aur Mard hazraat bhi Parde ka mahol faraham nahi karte ,
✪ Khususan Shadi ke moqe per is gunaah se bachne ka zyada ahatmam hona chahiye ,
Kyuki ye Allah ta’ala ki taraf se azmaish ka waqt hota he k mere bande ko itni badi khushi naseeb ho rahi he ,Kya is moqe per ye mujhe yaad rakhta he ya Mere ahkamaat ko pashe pust daal deta he ,
⇲ Next- 112 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 194
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-112 ⚄
⇛ Sehra Baandhna Kafiro ki Rasm He ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per baaz ilaaqo me dastoor he k Dulha ke maathe per Sehra baandhte he’n ,Ye khalis hindvani Rasm he ,unhi se li gayi he ,
✪ Musalmano per laazim he k Kafirana Rasm v Rivaaj se ijtnaab kare ,
✪ Hazrat Mufti Mehmood Devbandi Rh tehreer farmate he’n k Sehra baandhna Hindustani gair Muslimo ki mazhabi Rasm he ,inke asar se baaz be ilm ,be amal Muslim khandano me aa gayi ,ya baqi reh gayi ,
Fir baaz ne is per Sehra padhne ka izaafa kiya aur baaz ne Sehra padhne ko Sehra baandhne ka badal qaraar diya ,Jo Be asal aur Khilafe Shara he ,isliye waajibul tark he ,
⇲ Next- 113 in sha Allah ta’aala,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 201
★ ╓━════◐◐◑════━
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
NIKAH-RASMIYAT
⚄ PART-113 ⚄
⇛ Noto ka Haar Pehanna ,Aur Firing (Aatishbazi),
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shadi ke moqe per Foolo ka ek aadh haar pehnne ki to gunzaish he ,Khushi ka moqa he ,baqi isko ba qayda Rasm bana Lena durust nahi ,aur jaha Noto ka haar ka talluk he usme kai kharabiya’n he ,
Maslan bila vajah maal ka ziya’a aur israaf ,haar lene dene me ek doosre per fakhr ,balki baaz ilaaqo me Rasme niyota me dakhil he ,
✪ isliye Noto ka haar istemal na kiya jaye ,agar Hadiya hi dena he to iske liye koi saada tareeqa akhtyar kiya jaye Jo Riya v namood aur digar kharabiyo se khali ho ,
✪ isi tarah Aaj kal bahut se log Shadi ke moqe per firing ( Aatishbazi ) karte he’n ,isko izhare khushi ka zariya samjha Jane laga he ,Jabki iske Duniyavu nuqsaan bhi Sab per jaahir he ,
Allan ta’ala Hume sunnat aur Shariyat ki hudood me rehkar Nikaah ko anjaam dene ki Tofeeq de ,
Aameen Ya Rabbal Aalameen ,
⇲ Alhamdulillah Mukammal,
Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 172
No comments:
Post a Comment