♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -101☆★
❄101- Musalmano ki Teen Safo ne Jiski Namaz Janaza Padhi, Uske Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Maalik bin Hubayra Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo musalman inteqal kar jaye aur uski Namaz janaza me musalmano ki 3 safe ho to magfirat ya jannat wajib ho jati he,"
Aur Harat Maalik Raziyallahu anhu jab kisi Janaza me shareek hote to 3 safe banate, is Hadees per amal karne ki vajah se,
�� Abu Dauwd 2/451
Next -102,�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -102☆★
❄102- Marhoom ke liye Magfirat ki Dua kijiye, Marhoom ke Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Allah ta'aala ki taraf se Jannat me kisi Marde Saaleh ka darja ek dam buland kar diya jata he to wo Jannati Banda puchhta he k
Ey parvardigar! Mere darja aur martaba me taraqqi kis vajah se kaha se hui?
Jawab milta he, Tere vaaste teri falaa aulaad ki Duae magfirat karne ki vajah se,"
Imaam Bayhqi ne alfaze hadees yu'n naqal kiye he'n k,
"Tere Bete ki Dua ki vajah se,"
�� Ibne maaja, kitabul adab, 260
Next -103,�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 103☆★
❄103- Tamaam Momineen ke liye Duae magfirat kijiye, Har Momin ke avaz ek Neki likhi Ja'egi ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo koi shakhs momin Mardo aur momin Aurto'n ke liye magfirat talab karta he,
Allah ta'aala uske liye har momin Mard aur momin Aurat ke avaz ek neki likh dete he'n,"
�� Kanzul Aamaal, 1/375
Next -��104, in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -104☆★
❄104- Tamaam Momineen ke liye Har roz 27 martaba Magfirat ki Dua kijiye, Aap mustjabud d'avaat ban Ja'enge ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jo shakhs har roz momin mardo aur momin Aurto'n ke liye 27 baar magfirat talab karega to uska shumaar un logo me hoga Jinki Dua qubool hoti he aur jinki vajah se ahle zameen ko rizq milta he,"
�� Kanzul Aamaal, 1/486
Next -105�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 105☆★
❄105- Jo Janaze ke Pichhe Chala uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
"Banda e momin ko uski maut ke baad sabse pehli Jo jaza di jati he wo ye he k uske janaze ke pichhe chalne wale tamaam afraad ki magfirat kar di jati he,"
�� Kanzul Aamaal, 15/588
Next -106�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -106☆★
❄106- Jo vasiyat karke Faut hua Uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne vasiyat ki haalat me inteqal kiya ( yani is Haalat me jiska inteqal hua k apni maalyat aur ma'amlaat vagera ke bare me Jo vasiyat usko karni chahiye thi wo usne ki aur sahi ki )
To Allah uska inteqal theek raaste per aur shari'at per chalte hue huva aur uski maut Taqwa aur Shahadat wali maut hui aur uski magfirat ho gayi,"
�� Ravaah ibne maaja, 4/426
Next -107�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -107☆★
❄107- Jo Allah ke Raaste me nikla aur Shaheed huva, Uske saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Jal Jalaalu ne irshad farmaya,
" Mera Jo bhi Banda meri Raah me Jihaad karne ke liye nikalta he, mahaz meri khushnudi ke liye
To me zamanat deta hu'n is baat ki k ajr v ganimat ke saath usko wapas lota'u, aur agar uski Rooh ko qabz kar lu to uski magfirat karu, us per raham karu aur usko jannat me dakhil karu, "
�� TABRANI,
Next -108�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -108☆★
❄108- Allah ke Raaste me Agar Maut aa gayi to Saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Mas'ud Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Allah ki raah me qatl ho Jana tamaam gunaho ka kaffara ban ja'ega sivae amanat ke
aur amanat Namaz me he
aur Amanat Roza me he
aur Amanat baat me he aur sabse zyada tere liye laa'iq ahatmam bator amanat rakhi hui ashya'a he'n, "
�� Tabrani,
Next -109�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 109☆★
❄109-Aapas me Muhabbat rakhne wale Bande Jab mile, Darood Sharif Padhiye Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Nahi he'n do bande Jo aapas me muhabbat rakhte ho unme koi ek jab apne saathi ke saamne aaye aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam per Dono Darood bheje
To juda hone se pehle un dono ke aainda aur guzishta gunaho ki magfirat kar di ja'egi,"
�� Kanzul Aamaal, 9/135
Next -110�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -110 ☆★
❄110- Jo Allah ke Raaste me nikla aur Shaheed huva, Uske saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Jal Jalaalu ne irshad farmaya,
" Mera Jo bhi Banda meri Raah me Jihaad karne ke liye nikalta he, mahaz meri khushnudi ke liye
To me zamanat deta hu'n is baat ki k ajr v ganimat ke saath usko wapas lota'u, aur agar uski Rooh ko qabz kar lu to uski magfirat karu, us per raham karu aur usko jannat me dakhil karu, "
�� TABRANI,
Next -111�� in sha Allah Ta'aala,
��Talibe Dua ,,
⇨ Ahle deoband
☏ +91 -7037363325
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -111☆★
❄111- Huzur Sallallahu Alaihivasallam per Ek martaba Darood bhejiye, 10 Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo shakhs mujh per ek martaba darood sharif bhejta he,
Allah ta'aala us per 10 rehmate najil farmate he'n,
10 gunaaho ko maaf farmate he'n,
aur iski vajah se uske 10 darjaat buland farmate he'n,"
�� kazafil targeeb, 2/494
Next -112�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 112☆★
❄112- Likha hua Darood sharif jab tak Baqi rehta he, Farishte Duae Magfirat karte rehte he'n❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jis shakhs ne kisi kitaab me mujh per Darood sharif likha to jab tak mera naam us kitaab me baqi rahega Farishte uske liye musalsal Dua'e magfirat karte rahenge,"
�� Kanzul Aamaal, 1/507
Next -113�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -113 ☆★
❄113- Apne maal ki Zakaat nikaliye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k qabila banu tameem ka ek Aadmi Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hazir hua aur arz kiya,
" Ya Rasulullah! Me bahut maaldar Aadmi hu'n aur ayaaldar bhi hu'n ( Khoob vusat rakhta hu'n ji kholkar kharch kar sakta hu'n) to aap mujhe bataiye k kese karu? Aur kis tarah kharch karu?
To Aap Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Apne maal ki zakaat esi paaki he k tujhko ma'asi aur gunaaho se paak kar degi, khulysh v aqarib se silah rehmi kar, miskeen aur padosi aur saa'il ka haq pehchan, "
�� Musnad Ahmad, 3/136
Next -114�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 114☆★
❄114- Sadqa Khairat kiya kijiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k unhone suna k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ka'ab bin Ajrah se farma rahe he'n,
" Ey Ka'ab bin Ajrah! Namaz Allah ke qurb ka zariya he aur Roza dhaal he aur Sadqa gunaho ko is tarah bujha deta he jis tarah paani aag ko bujha deta he,
Ey Ka'ab bin Ajrah! Log subeh karte he'n, kuchh to apni jaan ko bechne wale he'n pas wo apni gardan ko baandhne wale he'n aur kuchh log apne nafs ko kharidne wale he'n pas wo apni gardano ko azaad karne wale he'n,
�� Ravaah Abu yaala,
Next -115�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 115☆★
❄115- Sadqa khairaat kiya kijiye Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Aur ibne Husban ke alfaze hadees is tarah he :-
"Ey Ka'ab bin Ajrah! Jannat me dakhil nahi hoga wo shakhs jiske khoon aur gosht ki parvarish haraam kamai se hui, dozakh ki aag uske liye zyada munasib he,
Ey Ka'ab bin Ajrah! Log subeh karne wale he'n, pas kuchh log to apni gardan chhudane me subeh karte he'n to wo apni gardan ko azaad karne wale he'n
aur kuchh log is tarah subeh karte he'n k apni gardano ko baandhne wale hote he'n,
Ey Ka'ab bin Ajrah! Namaz Allah ke qurb ka zariya he aur Roza dhaal he aur Sadqa khata ko ese bujha deta he jese barf chikni chattan se niche gir jati he,"
�� Abi Sakhratul Masaa, 2/11
Next -116�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -116☆★
❄106- Sadqa e Fitr Eid se Pehle ada kijiye, Gunah maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Sadqa e Fitr Rozadar ko bekaar aur Fahash baato se paak kar deta he ( Jo haalate roze me usse sarzad ho gayi thi)
Aur gurba masakeen ke khane ki dawat he,
Isko Namaze Eid se pehle ada kar diya to bahut hi maqbool he,
Aur jisne isko Namaz( Eid) ke baad ada kiya to ye baqi sadqa ki tarah ek sadqa he, "(yani sawab me kuchh kami aa jati he)
�� Abu Dauwd, 1/227
Next -117�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -117☆★
❄117- Taajir Hazraat Sadqa khairat kiya kare, Lagv baato ka Gunaah maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Qais bin Garzah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ey Ey sodagaro! Khareed farokht me lagv aur be faayda baate bhi ho jati he'n aur qasam bhi khayi jati he to ( iske ilaaj aur kaffare ke liye) iske saath sadqa bhi mila diya Karo, "
�� Abu Dauwd, 2/474
Next -118�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -118 ☆★
❄118- Ramzan me Galat Kaam na Kijiye, Roza rakhiye aur Achchhe kaam Kijiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jis bande ne Ramzan ka Roza rakha aur uske hudood ki pehchan haasil ki jin umoor ki ri'ayat zaruri he unki ri'ayat ki to uske tamaam guzishta gunaho ki magfirat kar di ja'egi, "
�� Kanzul Aamaal, 8/481
Next -119�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 119☆★
❄119- Ramzan me darje Zail kaam kijiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ramzanul Mubarak ka Mahina meri ummat ka Mahina he,
Jab musalman ne Roza ralha na usne jhoot bola aur na kisi ki geebat ki aur halaal rizq se aftaar kiya,
Andheri Raat me Fajar aur isha ki namaz me Jane ki sa'i karta raha,
Aur apne baqi fara'iz ki hifazat karta raha,
To apne gunaaho se esa nikal ja'ega jese saanp apni kenchuli se nikal jata he, "
�� Ravaah Abu Shykh Kazafil targeeb, 2/102
Next -120�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 120☆★
❄120- Ramzan ki pehli Raat me tamaam Musalmano ke Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Tumhe khabar bhi he Tumhe kya cheez pesh aa gayi? kis cheez ka tum istaqbal kar rahe ho?
Teem martaba aapne irshad farmaya,
Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ne arz kiya,
" Ya Rasulullah! Kya wahi naazil hui he?
Irshad farmaya,
" Nahi, "
Unhone arz kiya,
" Kya dushman ne chadhai kar di?"
Aapne irshad farmaya,
" Nahi "
Hazrat Umar ne arz kiya,
" to fir kya baat pesh aayi'"
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Beshak Allah ta'aala maahe ramzan me pehli shab me us qabile ke tamaam logo ki magfirat farma dete he'n,"
Aur apne daste Mubarak se qabile ki taraf ishara farmaya, Aapke saamne ek shakhs jhoom raha tha aur waah waah kiye ja raha tha,
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ey Falane kya tumhara seena tang ho gaya? "
Kehne laga, " nahi lekin me munafiq ko yaad kar raha hu'n, "
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Munafiq to kaafir hi he'n aur kaafiro ke liye is fazilat me koi hissa nahi, "
�� Kanzul Aamaal, 8/479
Next -121�� in sha Allah Ta'aala,
��Talibe Dua ,,
⇨ Ahle deoband
☏ +91 -7037363325
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 121☆★
❄121- Roza rakhne aur Sadqa e Fitr ada karne Wale ke Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Ramzanul Mubarak ke roze rakhe aur Eid ke din gusl karke Eidgah ki taraf gaya
Aur Ramzanul Mubarak ke Sadqa e Fitr per khatm kiya to Eidgah se is haal me lotega k uski magfirat ho chuki hogi, "
�� Kanzul Aamaal, 8/482
Next -122�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -122 ☆★
❄122- Ramzan me zikr Karne Wale ke Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ramzanul Mubarak me Allah ta'aala ka zikr karne wala bakhsha bakhshaya he
Aur Allah ta'aala se maangne wala namuraad nahi rehta, "
�� Kanzul Aamaal, 8/464
Next -123�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 123☆★
❄123- Ramzan me Maafi Maangiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jab Ramzaul Mubarak ki pehli raat hoti he to jannat ke tamaam darwaze khol diye jate hai'n pure mahine ek bhi darwaza band nahi rehta
Aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hai'n tamaam maah koi bhi darwaza nahi khulta
Aur sarkash shayateen qaid kar diye jate hai'n,
Har raat ek munadi subeh tak pukarta he, :-
Ey khair ke talaash karne wale mutvajja ho aur basharat haasil kar
Aur Ey burai ke talabgar bas kar aur Aankhe khol,
Iske baad farishta kehta he, :-
Hey koi magfirat chahne wala k uski magfirat ki jaye,
Hey koi tauba karne wala k haq ta'aala Shanh uski tauba qubool farma le,
Hey koi Dua karne wala k uski Dua qubool ki jaye,
Hey koi maangne wala k uska sawal pura kiya jaye, "
�� Kanzul Aamaal, 8/470
Next -124�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -124 ☆★
❄124- Jisne Ramzan ke Baad Shawal me 6 Roze rakhe, uske saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne maahe ramzan ke roze rakhe uske baad shawal me 6 ( nifl) roze rakhe wo apne gunaaho se nikal ja'ega, jis tarah apni maa se peydaish ke din tha, "( yani koi bhi gunaah baqi na rahega),
�� Ravaah Tabrani fil Avsati kazafil targeeb, 2/111
Next -125�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -125 ☆★
❄125- Arafa ke Din Roza rakhiye, Do saal ke Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Arafa yani 9 Zilhijja ke Roze ke bare me puchha gaya to Aapne irshad farmaya,
" woh ( 9 zilhijja ka Roza rakhna) safai kar dega, isse pehle saal ki aur baad ke saal ki, "
Yani iski barkat se ek saal pehle aur ek saal baad ke gunaho ki gandgiya'n dhul ja'egi,
�� kazafil targeeb, 2/111
�� Ek aur rivayat me alfaze hadees yu'n he k:
⇨Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Me Allah se ummeed karta hu'n k woh ( 9 zilhijja ka Roza) safai kar dega isse pehle saal ki aur baad ke saal ki, "
Hazrat Qatada bin N'amaan Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna k,
" Jisne Arafa ke din roza rakha yani 9 zilhijja ke din uski saale guzishta aur saale aainda ke gunaho ki magfirat kar di ja'egi,"
��Ravaah ibne maaja kazafil targeeb, 2/112
Next -126�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 126☆★
❄126- Ashura ka Roza rakhiye, Ek saal ke Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Qatada Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Ashura ke Roze ke bare me puchha gaya to Aapne irshad farmaya,
" Ye guzishta saal ke gunaho ka kaffara ban ja'ega,"
( Muslim vagera aur ibne maaja ke alfaze hadees yu'n he)
" Yome Ashura ke roze ke bare me ummeed karta hu'n Allah ta'aala se k woh safai kar dega guzishta saal ke gunaho ki, "
�� Muslim, 1/367
Ibne maaja, 164
Next -127�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -127 ☆★
❄127- Har maah Teen Roze rakh liya kijiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Maymuna bint Sa'ad Raziyallahu Anha se marvi he mene arz kiya,
"Ey Allah ke Rasool! Nifl rozo ke bare me bataiye, "
Aap Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo ist'adaad rakhta ho har mahine 3 roze rakh liya kare, kyuki har din ka Roza 10 khatao'n ki bakhshish ka zariya he aur ye gunaho se esa saaf suthra kar deta he jese paani kapde ko, "
�� Ravaah Tabrani fil kabeer kazafil targeeb, 2/ 121
Next -128�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 128☆★
❄128-Jisne Budh Jumerat Aur Juma ke Din Roza rakha uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Budh, Jumerat aur Juma ke din roza rakha,
Fir Juma ke din sadqa kiya khwah qaleel miqdaar me ya kasheer miqdaar me
To uske tamaam gunaho ki magfirat kar di ja'egi hattaki wo esa ho ja'ega jesa k wo apni maa se pedaish ke din tha," ( yani koi bhi gunaah baqi na rahega),
�� Ravaah Tabrani, 2/162
Next -129�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -129 ☆★
❄129-Qazae haajat ke Waqt Qibla ki taraf na Moonh kijiye, na peeth, Ek Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo shakhs qazae haajat ke waqt na to qibla ki taraf moonh kare aur na peeth kare
Uske liye Ek neki likhi ja'egi aur Ek khata maaf ki ja'egi, "
�� Kanzul Aamaal, 9/363
Next -130�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 130☆★
❄130- Allah ke Ghar ki Ziyarat karne wala Duniya me Aafiyat se rehta he aur Akhirat me uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Hazrat Dauwd Alaihissalam ne arz kiya, Ey mere Ma'abood!
Aapke Bando ka aap per kya haq he jab wo Aapke ghar aakar Aapki ziyarat kare?
Kyuki har ziyarat karne wale ka mezbaan per haq hua karta he,
Allah ta'aala ne irshad farmaya,
Ey Dauwd! Inka mujh per haq ye he k duniya me inko aafiyat aur salaamti se rakhu,
Aur jab akhirat me milu to inki magfirat kar du'n "
�� Kanzul Aamaal, 5/146
Next -131�� in sha Allah Ta'aala,
��Talibe Dua ,,
→Ahle deoband
☏ +91-7037363325
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 131☆★
❄131- Paanch Cheeze dekhne se Gunaah maaf hote he'n ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Ek Sahabi Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se naqal karte he'n k Aapne irshad farmaya,
" Paanch tarah ka dekhna ibaadat he
1- Qurane Paak ko dekhna
2- Kaabatullah ko dekhna
3- Walden ko nazre shafqat se dekhna
4- Zamzam sharif ko dekhna
5- Aalim ke chehre ko dekhna
Aur ye baate'n khatao ko giraati he yani maaf karati he, "
Aur Daare Qatni me yu'n he k Ese Aadmi ko dekhna jo muttaba e sunnat ho aur sunnat ki taraf Dawat deta ho aur Bid'at se rokta ho uske chehre ko dekhna ibaadat he,
�� Kanzul Aamaal, 15/880
Next -132�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -132 ☆★
❄132- Hajj kijiye, Aapke Gunaah maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Beshak Allah ta'aala apne khususi lutf v karam ke saath ahle Arafaat ki taraf mutavajjah hote he'n aur apne Bando ke zaraiye Mala'aka per fakhr farmakar irshad farmate he'n,
" Ey mere farishto! Mere Bando ko dekho k paraganda Baal gubaar alood jism lekar door daraz ki raah tai karke mere darbaar me pahunche he'n,
Me tumko gavaah banata hu'n k mene unki duao'n ko qubool kar liya aur unki ragbat v khwahish ka me shifarshi ban gaya, unke badkaaro ko unke mohsineen ( nekiyokaro) ki vajah se maaf kar diya, unke nek logo ne Jo kuchh maanga wo mene de diya sivae tavaan aur dand ke Jo unke darmiyan he'n, "
Fir jab log arafaat se lote to sab lapak kar chale yaha tak k muzdalfa me aakar thehre, Fir Allah ta'aala farmate he'n,
" Ey mere farishto! Mere Bando ko dekho dobara mujhse darkhwast karte he'n, me tumko gavaah banata hu'n k mene unki duao'n ko qubool kar liya, aur unki ragbat v khwahish ka shifarishi ban gaya aur unke badkaaro ko unke nekiyokaro ki vajah se maaf kar diya aur unke nek logo ne Jo kuchh manga wo mene unko de diya, aur unke tavaan aur dand Jo unke darmiyan the uska me kafeel yani zimmedar ban gaya,"
�� kazafil targeeb, 2/202
Next -133�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 133☆★
❄133- Jisne achchhi tarah Hajj kiya, uske Saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he Aap irshad farma rahe the,
" Jisne is tarah Hajj kiya k usme na to kisi shehvani aur fahash baat ka irtkaab kiya aur na Allah ta'aala ki koi nafarmani ki
To wo gunaho se esa paak saaf hokar wapas hoga jesa us din tha jis din uski maa ne usko janaa tha, '"
�� Bukhari, 1/206,Muslim, 1/436
Next -134�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 134☆★
❄134- Islaam, Hijrat aur Hajj se guzishta Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abi Shamatah Raziyallahu Anhu se rivayat he k hum Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ke paas unke akhri waqt me hazir hue, wo zaro qataar ro rahe the, ( aur diwaar ki taraf apna rukh kiye hue the),
Unke Sahabzade unhe samjhane lage k Ey Abba jan! Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne to aapko badi badi basharate di he'n,
Ye sunkar unhone diwaar ki taraf se apna rukh badla aur farmaya,
" Bhai sabse afzal cheez jo humne akhirat ke liye taiyaar ki he wo Toheed aur Risalat ki shahadat he,
Meri zindgi ke 3 dor guzre he'n,
Ek dor tha jab k aapse bugz rakhne wala mujhse zyada koi aur shakhs na tha aur jabki meri sabse badi tamanna ye thi k kisi tarah aap per mera qaabu chal jaye to me aapko maar dalu,
Ye to meri zindgi ka sabse badtar dor tha, agar khudanakhwasta isi haal me mar jata to yaqeenan dozakhi hota,
Uske baad jab Allah ne mere dil me islaam ki haqqaniyat daali to me aapke paas aaya aur mene kaha,
Laaiye haath badhaiye, me Aapse Bay'at karta hu'n,
Aapne Haath badha diya, mene apna haath pichhe kheench liya,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Ey Amru! Ye kya?
Mene arz kiya ",me kuchh shart lagana chahta hu'n,
Farmaya, " kya shart lagana chahte ho? "
Mene kaha k mere sab gunaaho ki magfirat ho jaye,
Aapne farmaya,
Ey Amru! Kya tumhe khabar nahi he k islaam to kufr ki zindgi ke tamaam gunaho ko mita deta he aur hijrat bhi pehle tamaam gunaho ko saaf kar deti he aur hajj bhi pehle sab gunaah khatm kar deta he, "
�� Sahi Muslim kitabul imaan, 1/76
Next -135�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -135☆★
❄135- Hajj aur Umrah kiya karo, Faqr door hoga aur Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Pe dar Pe hajj aur umrah kiya Karo, kyuki hajj aur umrah dono faqr v mohtaji aur gunaaho ko is tarah door kar dete he'n, Jis tarah lohaar aur sunaar ki bhatti lohe aur sone chandi ka mel kuchel door kar deti he,
Aur Hajje mabroor ka sila aur sawab to bas jannat hi he, "
�� Tirmizi, 1/100
Next -136�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 136☆★
❄136-Haji jiske liye magfirat ki Dua kare uske Gunaah maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Haaji ki aur jiske liye Haji bakhshish ki darkhwast karta he, uski Allah ta'aala magfirat farma dete he'n,"
Aur ek aur rivayat me yu'n he:
" Ey Allah! Haji ki aur jiske liye Haji magfirat ki darkhwast kare uski magfirat farma de, "
�� Kanzul Aamaal, 5/137
Next -137�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -137 ☆★
❄137-Jab Haji ahraam baandh kar Talbiya padhta he, to uske Gunaah maaf ho jate he'n❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Nahi jata koi musalman Banda Allah ke raaste me ya koi haaji
La ilaaha illallah
Padhte hue ya "Labbayk " padhte hue magar suraj uske Gunaaho ko lekar doob ja'ega aur woh gunaho se nikal ja'ega,"
�� Kanzul Aamaal, 5/18
Next -138�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -138 ☆★
❄138-Hajj ya Umrah karne wala Raaste me mar gaya to uske Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo Makka Mukarrama ke raaste me jaate ya aate hue mar gaya na uski adalat me peshi he aur na hisaab liya ja'ega aur uski magfirat kar di ja'egi,"
�� Ravaah al Subhani Kazafil targeeb, 2/179
Next -139�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -139 ☆★
❄139-Jisne Masjide Aqsa se Hajj ya Umrah ka Ahraam baandha, uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Masjide Aqsa se Masjide haraam ki taraf Hajj ya Umrah ka ahraam baandha uske pichhle gunaho ki magfirat kar di ja'egi,"
Aur ek rivayat me itna izafa he k uske liye jannat wajib ho ja'egi, "
�� Abu Dauwd, 1/243
Next -140�� in sha Allah Ta'aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 140☆★
❄140- Jisne manasike Hajj pure kiye aur Uske haath aur Zaban se musalman mehfooz rahe, Uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Manasike Hajj pure kiye aur uski Zabaan aur haath se musalman mehfooz rahe yani Hajj ke baad
To Allah ta'aala uske pichhle agle gunaho ki magfirat farma dete he'n"
�� Kanzul Aamaal, 5/8
Next -141�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 141☆★
❄141-Jisne Maqame Ibrahim ke Pichhe Do raka'at padhi, Uske Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jisne Maqame Ibrahim ke pichhe do raka'at padhi to uske agle pichhle gunaho ki magfirat kar di ja'egi aur qayamat ke din imaan walo ke saath usko uthaya ja'ega, "
�� kazafi khasalil Magfiratul ibne Hajar, 102
Next -142�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -142 ☆★
❄142- Jisne Betullah ke 50 Tawaf kiye, uske Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Betullah ke pachaas martaba tawaf kiye woh apne gunaaho se esa nikal ja'ega jis tarah apni maa se pedaish ke din tha,"
�� Akhrajah Tirmizi,2/192, Kazafil targeeb, 4/250
Next -143�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -143☆★
❄143- Tawaf karne wale ke har Qadam per Ek Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jisne Allah ke is ghar ka 7 baar tawaf kiya woh na koi qadam uthata he na rakhta he magar Allah ta'aala uske liye ek neki likhte he'n aur ek gunaah usse mitate he'n aur uske liye ek darja buland farmate he'n,
Aur Raavi kehte he'n mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna k jisne Betullah ka saat baar tawaf kiya aur ahatmam v fikr ke saath kiya ( yani sunan v adaab ki riayat ke saath),
To uska ye amal ek gulaam azaad karne ke barabar hoga, "
�� Kanzul Aamaal, 5/53
Next -144�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 144☆★
❄144- Jisne Hajre Aswad aur Rukne Yamani ka istlaam kiya, uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Hajre aswad aur Rukne yamani ka istlaam khatao'n ko mita deta he, "
Imaam Tirmizi aur Haakim ke yaha'n alfaze hadees yu'n he:-
" Hajre aswad aur Rukne yamani gunaho ke kaffare ka zariya he ( Banda tawaf karte hue jab ek qadam rakhega aur doosre aqdaam uthaega to Allah ta'aala uske har qadam ke badle ek gunaah maaf karega aur ek neki ka sawaab uske liye likha ja'ega), "
�� Kanzul Aamaal, 5/189
Next -145�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -145 ☆★
❄145-Jo Betullah me dakhil ho gaya, Uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo Betullah sharif me dakhil ho gaya wo neki ki kaan me dakhil ho gaya aur gunaah se bakhsha bakhshaya nikal aaya, "
�� Kanzul Aamaal, 12/197
Next -146�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 146☆★
❄146- Arafa ke Din bade bade Gunaah maaf hote he'n❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Gazwah Badar ka din to mustashna he ( isko chhodkar) shaytan kisi bhi din itna zaleel, itna khwar, itna dhutkara aur fatkara hua aur itna jala bhuna nahi dekha gaya jitna woh Arafa ke din zaleel v khwar, rusyah aur jala bhuna dekha jata he
aur ye sirf isliye k woh is din Allah ki rehmat ko ( moosladhar) baraste hue aur bade bade gunaaho ko maafi ka faysla hote hue dekhta he aur ye us la'ayn ke liye na qabile bardasht he
kyuki Badar ke din shaytan ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko dekha k wo mala'aka me pesh qadmi kar rahe he'n Jo musalmano ki madad ko utre the,"
�� Mavta Imaam Maalik, Baab Jami'a al Hajj, 164
Next -147�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 147☆★
❄147- Jisne Arafa ke Din apne Kaan, apni Nigaah aur Zaban ko Qabu me rakha, uske Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate he'n k ek nav umar ladka Arafa ke din Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ka ravyf tha( yani aapki sawari per aapke pichhe betha hua tha) pas Ye navjawan aurto'n ko dekhne laga,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne usko farmaya,
" Ey Bhatije! Ye wo din he k jisme agar Aadmi apne kaan apni nigaah aur apni zabaan per qaabu rakhe to Allah ta'aala uski magfirat farma denge, "
�� Musnad Ahmad, 1/329
Next -148�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 148☆★
❄148- Ek Raat ke Bukhar se Momin ke Saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Hasan Basri Rahmatullah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte he'n,
K Allah ta'aala ek raat ke bukhar se momin ke saare gunaah maaf farma dete he'n,"
��Ravaah ibne Abiy Addunya, Ittehaaf,
Next -149�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 149☆★
❄149- Allah ke Raaste me Aapke Sar me Dard hua to Sabr kijiye, Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Allah ta'aala ke raaste me jis shakhs ke sar me dard hua aur wo is per sawab ki niyat rakhe to isse pehle ke tamaam gunaah maaf kar diye ja'enge "
�� Majma ul zawaid, 2/306
Next -150�� in sha Allah Ta'aala,
��Plz Forward to all Muslims,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
��Guldasta -E -Magfirat ��
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - 150☆★
❄150- Bimaar Aadmi " La ilaaha illa anta......" 40 martaba Padhe,Saare Gunaah Maaf❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sa'ad bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate he'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
" Kya me tumko Allah ta'aala ka isme A'azam na batau'n k jiske zariy'a se Dua ki jaye to Allah ta'aala qubool farmate he'n,
Aur sawaal kiya jaye to pura farmate he'n?
Ye wo Dua he jiske zariy'a Hazrat Yunus Alaihissalam ne Allah ta'aala ka teen andheriyo'n me pukara tha,
☆La ilaaha illa anta subhanaka inni kuntu minazzalimeen ☆
Aapke siva koi ma'abood nahi aap tamaam aybo se paak he'n beshak me hi qusoorvaar hu'n,
( Teen andheriyo'n se muraad Raat, Samundar aur Machhli ke pet ke andhere he'n )
⇨Ek Aadmi ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se puchha:
Ya Rasulullah! Kya ye dua Hazrat Yunus Alaihissalam ke liye khaas he ya tamaam imaan walo ke liye aam he?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Kya tumne Allah ta'aala ka irshad nahi suna k humne Yunus Alaihissalam ko musibato se nijaat di aur hum isi tarah imaan walo ko nijaat diya karte he'n,"
⇨Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo musalman is dua ko apni bimari me 40 martaba Padhe agar wo is marz me faut ho jaye to usko shaheed ka sawab diya ja'ega aur agar is bimari se use shifa mil gayi to is shifa ke saath uske tamaam gunaah maaf kiye ja chuke honge, "
�� Ravaah Haakim, 1/506
Next -151�� in sha Allah Ta'aala,
��Talibe Dua ,,
Muhammad Babar Rashidi
��Plz Forward to all Muslims,
No comments:
Post a Comment