Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, February 17, 2016

GULDASTA-E-MAGFIRAT 51 SE 100

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -51☆★

❄51- Subhanallah 100 martaba Kahiye, 1000 nekiya'n likhi Jayegi aur 1000 Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Sa'ad Raziyallahu Anhu farmate he'n k hum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me bethe hue the k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Kya tumme se koi shakhs har roz ek hazaar nekiya'n kamane se aajir he? "

Aapke paas Bethe hue logo me se kisi ne puchha k hum me se koi Aadmi ek hazaar nekiya'n kis tarah kama sakta he?

" Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,Jo shakhs 100 martaba

       "Subhanallahi "

Kahega uske liye ek hazaar nekiya'n likh di ja'egi aur uske ek hazaar gunaah maaf kar diye jaa'enge,"

�� Muslim,, 2/ 345

Next -52�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 52☆★

❄52- Bazaar me Ye Dua Padh kar Qadam rakhiye, 10 Lakh Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne Bazaar me qadam rakhte hue ye kalmaat padhe

" La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul hamdu Yuhyi va Yumeetu Va huva hayyu la yamutu biyadihil Khayru va huva alaa kulli shayin qadeer

Allah ta'aala uske liye 10 laakh nekiya'n likh dete he'n,
aur 10 laakh khatae'n mita dete he'n,
aur 10 laakh darje buland kar dete he'n,

�� Ravaah Tirmizi, 3428

Next -53,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 53☆★

❄53- La ilaaha illallahu kahiye, Aapke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo bhi banda kisi waqt bhi din me ya raat me

La ilaaha illallahu

Kehta he uske naama amaal me se Buraiya'n mita di jati he'n aur unki jagah nekiya'n likhi jati he'n,

�� Ravaah Abu Ya'ala, Musnad Abu Ya'ala, 3/ 445

            ⇩⇩⇩
⇨Ek aur rivayat me he k,

" Jab musalman Banda

La ilaaha illallahu

Kehta he to ye kalma aasmaano ko cheerta hua Allah ta'aala ke saamne khada ho jata he, to haq ta'aala Shanh irshad farmate he'n,"Thehar Ja "

Wo arz karta he k kese thehar jau halanki mere padhne wale ki magfirat nahi hui,

Haq ta'aala Shanh irshad farmate he'n,
" mene uski magfirat karne ke liye hi tujhko uski zubaan se jaari kiya tha,"

�� Kanzul Aamaal, 1/48

Next -54�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 54☆★

❄54- Sone Wala Jab Karwat badle to Ye kalmaat Kahe, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Jab Banda apne bistar per ya zameen per sone ke liye leytta he fir Raat ko daayi jaanib ya baayi jaanib karwat leta he fir wo

Ashhadu Allailaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu Yuhyi va Yumeetu va huva hayyu la yamutu biyadihil khayru va huva alaa kulli shayin qadeer

Padhta he to Haq ta'aala Shanh farishto se farmate he'n,

"Mere bande ko dekho is waqt bhi mera banda mujhe bhoola nahi, me tumko gawah banata hu'n k mene is per Rahmat nazil ki aur iski magfirat kar di,"

�� Kanzul Aamaal, 15/ 345

Next -55�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 55☆★

❄55- Fajar ki Namaz ke baad 100 martaba Subhanallah aur 100 martaba La ilaaha illallah Padhiye, saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne Subeh ki namaz ke baad
100 martaba
       Subhanallah
Aur 100 martaba
      La ilaaha illallah
Padha to uske Gunaaho ki magfirat kar di ja'egi chahe uske Gunaah samundar ki jhaag ke barabar ho, "

�� Kanzul Aamaal, 1/ 464

Next -56 �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 56☆★

❄56- Har Namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhamdulillah, 33 mattaba Allahu akbar aur Ek martaba Ye Dua padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs har namaz ke baad

Subhanallah 33 martaba

Aur Alhamdulillah 33 martaba

aur Allahu Akbar 33 martaba padhe,

Ye 99 ho gaye, fir 100 ko pura karne ke liye kahe

La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva alaa kulli shayin qadeer

To uske Gunaaho ki magfirat kar di ja'egi chahe uske Gunaah samundar  ke jhaag ke barabar ho,

�� Kanzul Aamaal, 1/169

Next -57�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -57 ☆★

❄57- Namaz ke Baad ye Tasbeeh Padhiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Namaz ke baad kahe

Subhanallahil azeemi va bihamdihi la havla valaa quvvata illa billahi

Wo shakhs is haal me khada hoga k uski magfirat ho chuki hogi,

�� Ravaah Al Bizzaar, Kazafi Al Targeeb, 2/ 454

Next -58�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 58☆★

❄58- Subeh v Shaam 100 martaba "Subhanallahi vabihamdihi " Padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Subeh ko 100 martaba aur Shaam ko 100 martaba

  Subhanallahi Vabihamdihi

Padhe uske Gunaaho ki magfirat kar di ja'egi, chahe uske Gunaah samundar ke jhaag se zyada ho'n, "

�� Kanzul Aamaal,, 1/47

Next -59�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -59 ☆★

❄59- Subeh v Shaam Ye kalmaat 10 martaba kaha Karo, 10 Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne Subeh ke waqt

La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu Yuhyi va Yumeetu va huva Alaa kulli shayin qadeer

10 martaba padha to Allah ta'aala uske liye 10 nekiya'n likhenge

Aur 10 khatao'n ko maaf farma denge

Aur ye kalmaat uske liye 10 gulaam azaad karne ke barabar honge

Aur Allah ta'aala usko Shaytan se panah me rakhenge

Aur jis shakhs ne kalmaat mazkura ko raat ke waqt padha to bhi mazkura fazilat hasil hogi, "

��Kazafil Targeeb, 1/455

Next -60 �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 60☆★

❄60- Allah Ke Pasandida 4 Kalme ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Allah Rabbul izzat ne chaar kalme chun liye he'n,

     Shubhanallahi

    Walhamdulillahi

  Va laa ilaaha illallahu

     Wallahu Akbar

Jisne kaha Subhanallahi uske liye 20 nekiya'n likhi ja'egi aur 20 khatae'n maaf ki ja'engi,

Aur jisne Allahu Akbar kaha usko bhi itna hi sawaab milega,

Aur jisne La ilaaha illallahu kaha uske liye bhi itna sawaab he

Aur jisne ikhlaas se Alhamdulillahi Rabbil Aalameen kaha uske liye 30 nekiya'n likhi ja'egi, 30 khatae'n maaf hongi, "

�� Kanzul Aamaal, 1/461

Next -61�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363326

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 61☆★

❄61- Musafe ke Waqt Dono " Yagfirullahu Lana Va Lakum" aur Mizaaj pursi ke Waqt " Alhamdulillah " kahe dono ke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Bara'a bin Aazib Raziyallahu Anhu Farmate he'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab 2 musalman mulaqaat ke waqt musafa karte he'n aur Allah ta'aala ki tareef karte he'n aur Allah ta'aala se magfirat talab karte he'n,

( Yani musafe ke waqt Yagfirullahu Lana va lakum  aur mizaaj pursi ke waqt Alhamdulillah kehte he'n)

To unki magfirat kar di jati he,

�� Abu Dauwd, 2/ 708

Next -62�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -62 ☆★

❄62- Khane ke baad aur Kapda pehante Waqt Ye Dua padhiye, Aapke agle pichhle Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne khana khakar ye dua padhi

Alhamdu lillahillazi At'amni haazatt'aama va razaqnihi min Gayri Havli minni vala quvvati

⇨ Tarjuma,
Tamaam Tareefe Allah ke liye he jisne mujhe ye khana khilaya aur meri koshish aur taqat ke bager mujhe ye naseeb farmaya,

To uske agle pichhle gunaah maaf ho jate hai'n,

Aur jisne Kapda pehan kar ye dua padhi

Alhamdu lillahillazi kasaani haazassawaba va razaqnihi min Gayri Havli minni vala quvvati

⇨ Tarjuma
Tamaam Tareefe Allah ta'aala ke liye he Jisne mujhe ye kapda pehnaya aur meri koshish aur taqat ke bager mujhe ye naseeb farmaya

To uske angle pichhle gunaah maaf ho jate hai'n, "

��Abu Dauwd, 2/557

Next -63 �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 63☆★

❄63-Akhtaame Majlis Per Ye Dua Padhiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Juber bin Mut'im Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne Akhtaame Majlis per kaha

Subhaa nakallahumma va bihamdika Ashhadu an laa ilaaha illa anta Astagfiruka va Atubu ilayka

To agar ye zikr ki majlis thi to is maslis per muhar laga di ja'egi

Aur agar ye behuda aur laayani majlis thi to ye kalmaat un majlis ka kaffara ban ja'enge, "

�� Kanzul Aamaal, 9/142

Next -64,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 64☆★

❄ Juma ke Din Fajar ki Namaz se Pehle ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs juma ke din Fajar ki namaz se pehle 3 martaba

Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi

padhe to Allah ta'aala uske Gunaaho ki magfirat farma denge chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar ho'n,"

�� Ravaah ibnul Sunni kazafi amal al Yaum, 83

Next -65�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 65☆★

❄Jume ki Namaz se Faarig hokar "Subhanallahil azeemi va bihamdihi " 100 martaba Kaha karo Aapke ek Lakh aur Walden ke 24 Hazaar Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne Juma ki namaz se faarig hokar

Subhanallahil azeemi va bihamdihi

100 martaba padha to Allah ta'aala uske ek lakh Gunaah maaf farma denge aur uske walden ke 24 hazaar gunaah maaf farma denge,

�� Ravaah ibnul Sunni Fi Amal al Yaum, 164

Next -66�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 66☆★

❄66- Fajar aur Asr ke Baad Ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Mu'aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna he k,

" Jo shakhs Fajar ki namaz ke baad 3 martaba aur Asr ki namaz ke baad 3 martaba

Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huvaal hayyul qayyoom va atubu ilayhi

Padhe to uske Gunaaho ki bakhshish ho ja'egi8 chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar hi kyo na ho'n, "

�� Kanzul Aamaal,, 2/150

Next -67�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 67☆★

❄67- Let te Waqt Ye Dua 3 martaba Padhiye Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs apne bistar per let te hue 3 martaba

Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi

Padhe to uske Gunaaho ki magfirat kar di ja'egi chahe samundar ke jhaag ke barabar ho'n,
chahe darakht ke patto ke shumar ke muvafiq ho'n,
Chahe tah ba tah ret ke zarro ke barabar ho'n
Chahe Duniya ke Dino ke adad ke muvafiq ho'n ",

�� Tirmizi, 2/175
      Kanzul Aamaal, 15/334

Next -68�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 68☆★

❄68-Bedaar hote hi Ye Dua Padhiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abbaas bin Samit Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne bedaar hote hi ye dua padhi

Laa ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva Alaa kulli shayin qadeer,
Alhamdulillahi va subhanallahi va laa ilaaha illallahu vallahu akbar valaa havla valaa quvvata illa billahi

Aur fir usne yu'n kaha

Allahummagfirli

Ya aur koi dua maangi to Allah ta'aala qubool farmaenge,

uske baad vazu karke Namaz padhi to uski namaz qubool ho gayi, "

�� Ravaah Bukhari v Abu Dauwd 273

Next -69�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 69☆★

❄69- Allah ki Raza ke liye Surah Yaseen Padhiye, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Jundub Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" jis shakhs ne Surah Yaseen kisi raat me Allah ta'aala ki raza ke liye padhi to uski magfirat kar di jati he,"

�� Ibne hibaan,

Next -70 �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 70☆★

❄70- Surah Mulk Padh lijiye Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Qurane kareem me ek surat 30 aayat ki esi he k wo apne padhne wale ki shafa'at karti rehti he yaha tak k uski magfirat kar di jati he, wo Surah Tabarakallazi he "

�� Tirmizi, 2/113

Next -71�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
         
��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 71☆★

❄71- Fajar ki Namaz ke baad 100 martaba Surah Ikhlaas Padhiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Vaasila bin Asqahi Raziyallahu Anhu kehte he'n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
" Jis shakhs ne Subeh ki namaz padhi fir bolne se pehle 100 martaba surah ikhlaas padhi ( qul huvallahu Ahad)

To Allah ta'aala uske ek saal ke Gunaaho ki magfirat farma denge,"

�� Kanzul Aamaal, 2/152

Next -72�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -72 ☆★

❄72-Surah Hashr ki Aakhri 3 Aayate'n Padhiye, Saare Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne Surah Hashr ki Aakhri 3 Aayaat padhi to uske angle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja'egi,"

�� Abu ishaaq, 102

Next -73�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -73☆★

❄73- Har Roz 200 martaba Surah ikhlaas Padhiye, 50 saal ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne har roz 200 martaba Qul huvallahu Ahad Padhi uske 50 saal ke Gunaah maaf kar diye jaa'enge magar ye k us per qarz ho, "

�� Ravaah Tirmizi, 2/448

Next -74�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -74 ☆★

❄74- Gunaah per Sharmindgi ka izhaar kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne koi Galti ki ya koi Gunaah kiya Fir us per Sharminda hua to ye Sharmindgi uske Gunaah ka kaffara he,"

�� Ravaah Behqi fi Sh'abul imaan, 5/387

Next -75�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 75☆★

❄75- Ey Allah! Teri Magfirat mere Gunaaho se bahut Zyada wsi'a he aur Me Apne Amal se Zyada Teri Rehmat ka Ummeed vaar hu'n " 3 martaba Kehne se Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu farmate he'n k ek shakhs Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haajir hua aur kehne laga,

" Haay mere gunaah!  Haay mere gunaah! Usne ye 2 ya 3 martaba kaha,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne usse kaha,

" Kaho :
Allahumma Magfiratuka av sa'u min zunubi va rahmatuka arjaa indii min amali,

Tarjuma -
Ey Allah! Teri magfirat mere gunaaho se bahut zyada wasi'a he aur me apne amal se zyada Teri rehmat ka ummeed vaar hu'n, "

Us shakhs ne ye kalmaat kahe,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Fir kaho,

Usne fir kahe,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Fir kaho,

Usne teesri martaba bhi ye kalmaat kahe,

Iske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Uth jao,  Allah ta'aala ne tumhari magfirat farma di, "

�� Mustadrak Haakim, 1/543

Next -76�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 76☆★

❄76- Nadamat ke Saath Apne gunaah ka iqraar kijiye aur Maafi Maangiye,Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna,

'"Koi banda jab gunaah kar leta he fir ( naadim hokar) kehta he,
Mere Rab! Me to gunaah kar betha ab tu mujhe maaf farma de

To Allah ta'aala Farishto ke saamne farmata he,
" Kya mera ye banda ye jaanta he ki uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he,? ( sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,"

Fir wo banda jab tak Allah chahe gunaah se ruka rehta he, fir koi gunaah kar bethta he to ( Naadim hokar ) kehta he,
" Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,

To Allah ta'aala farishto se farmata he,-
" kya mera ye banda ye jaanta he k uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he? (Sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,"

Fir wo banda jab tak Allah ta'aala chahe gunaah se ruka rehta he, iske baad fir koi gunaah kar bethta he to (Naadim hokar) kehta he,
"Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,"

To Allah ta'aala Farishto ke saamne farmata he,
" Kya mera ye banda jaanta he k uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he? (Sun lo) mene apne bande ki teesri martaba bhi magfirat kar di, banda Jo chahe kare, "

�� Bukhari,, 2/1117

Next -77�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 77☆★

❄77-Aapke Gunaah Aasmaan ki Bulandi Tak Pahunch Jaye, To Maafi Maange, Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Allah ta'aala irshad farmata he, Ey Aadam ke bete!  Beshaq tu jab tak mujhse Dua maangta rahega aur ( magfirat ki) ummeed rakhega, me tujhko maaf karta rahunga, Chahe kitne hi gunaah kyu na ho aur mujhko iski parvaah na hogi,
Yani tu chahe kitna hi bada gunaahgar ho tujhe maaf karna mere nazdeek koi badi baat nahi he,

Aadam ke bete!  Agar tere gunaah Aasmaan ki bulandiyo tak bhi pahunch jaye fir tu mujhse bakhshish chahe to me tujhko bakhsh dunga aur mujhko iski parvaah nahi hogi, "

�� Tirmizi, 2/193

Next -78�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -78 ☆★

❄78-Jume Ki Raat me Ha meem Al-Dukhan Padhiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis shakhs ne Ha meem Al-Dukhan ko Sahabe Juma me padha to uski magfirat kar di ja'egi,"

�� Kanzul Aamaal, 1/581

Next -79�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 79☆★

❄79- Juma ke Din Surah Kahaf ki Tilawat kijiye,Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Jo shakhs Juma ke din Surah Kahaf ki Tilawat karega uske qadam se lekar Aasmaan ki bulandi tak noor ho ja'ega Jo Qayamat ke din Roshni dega,

aur guzishta Juma se is juma tak ke uske sab Gunaah maaf ho ja'enge,( sagira gunaah muraad he ) "

�� Kanzul Aamaal, 1/576

Next -80�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -80 ☆★

❄80- Aapke Gunaah Aasman ki Bulandi tak Pahunch jaye to Maafi maange, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" qasam he us zaat ki jiske qabze me meri jaan he Agar tumse is qadar gunaah aut khatae'n sarzad ho jaye, jinse aasman v zameen bhar jaye

Aur fir tum Allah ta'aala se magfirat chaho to Allah ta'aala zarur magfirat farma dega,

Aur qasam he us zaat ki jiske qabze me Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki jaan he, Agar tum khata na karo to Allah ta'aala ese log payda farmaenge Jo Gunaah aur khatae'n karenge,

Fir Allah ta'aala se magfirat chahenge to Allah ta'aala unki magfirat farma denge,"

�� Kanzul Aamaal,, 4/244

Next -81�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
     
    
��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -81☆★

❄81- Jo Magfirate Khudawandi per qaamil yaqeen ralhta he, uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Allah Jal Jalalahu ne irshad farmaya,

" Jis Aadmi ne ye Yaqeen kar liya k me gunaho ki magfirat per qaadir hu'n to me uski magfirat kar dunga, mujhe koi parvah nahi Jab tak wo mere saath shirk na kare,"

�� Jaamia Tirmizi, 2/72

Next -82 �� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 82☆★

❄82- Kasrat se Astagfar karte raho, har Tangi se Nijaat aur Qayamat ke Din Masarrat hogi❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ "Jo shakhs Astagfaar me laga rahega yani Jo shakhs kasrat se Astagfaar padhega,

Allah ta'aala uske liye har tangi se nikalne ka raasta payda farma dega, "

�� Ibne maaja,, 1/213

⇨" Jo shakhs ye chahta he k ( Qayamat ke din) uska naama amaal usko khush kare to kasrat se astagfaar kare, "

�� Tabrani,, 1/465

Next -83�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -83 ☆★

❄83- Allah Ta'aala ne Qasam khayi he k Bande Jab Tak Astagfaar Karte Rahenge, Allah Ta'aala maaf Farmata Rahega ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Iblees ne apne Rab se kaha,
" Teri izzat aur Jalaal ki qasam!  Jab tak Bani Aadam me Rooh rahegi me unko Gumraah karta rahunga, "

Haq ta'aala Shanh ne usse farmaya,
" Meri izzat aur Jalaal ki qasam! Jab tak wo mujhse magfirat talab karte rahenge me bhi unko musalsal maaf karta rahunga,"

�� Kanzul Aamaal,, 1/481

Next -84,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 84☆★

❄84- Toba ka Darwaza Khatkhatiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Allah Rabbul izzat ka paak irshad he,

" Mujhse badhkar kon sakhi he, Bando ki khwabgaho me hifazat karta hu'n goya unhone meri nafarmani nahi ki,

Aur ye mera karam he k Toba karne wale ki toba qubool karta hu'n,

Hatta k wo Toba hi karta rehta,

Wo kon he jisne mera darwaza khatkhataya aur mene uske liye darwaza na khola ho?

Kon he jisne mujhse maanga ho aur mene usko na diya ho?

Kya me bakheel hu'n k banda mujhko bukhl ki taraf mansoob karta he, "

�� Kanzul Aamaal, 4/229

Next -85�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 85☆★

❄85-Rabbigfirli Keh dijiye, Aapke Gumaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Banda Arz karta he,
"Ey Rab! Mujhe maaf kar de Tehqeeq k me gunaah kar betha, "

Farishte Arz karte he'n,
" Ey Baari Ta'aala ye iska( magfirat ka) ahal nahi he,"

Haq ta'aala Shanh irshad farmate he'n,
" Lekin me to is baat ka Ahal hu'n k uski magfirat kar du'n, "

�� Kanzul Aamaal, 1/480

Next -86�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -86☆★

❄86- Jisko Astagfaar ki Tofeeq mil gayi, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Jisko 4 Cheeze mil gayi woh 4 Cheezo se mehroom nahi raha,

" 1- Jisko Dua mil gayi wo qubuliyat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta'aala farmate he'n,
" mujhse Dua maango, me tumhari dua qubool karunga, "

2- Jisko Shukr mil gaya wo zyadti se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta'aala farmate he'n,
" Agar tum shukr karoge to fir me tumhari ni'amato me izaafa karunga, "

3- Jisko Astagfar mil gaya wo magfirat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta'aala irshad farmate he'n,
" Apne Rab se bakhshish chaho wo bahut maaf karne wala he,

4- Jisko Toba mil gayi wo qubuliyat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta'aala irshad farmate he'n,
" Allah ta'aala wo he Jo apne Bando ki toba qubool karta he,"

�� Kanzul Aamaal, 15/874

Next -87�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 87☆★

❄87-Har Namaz se pehle 10 Martaba Astagfaar kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Umme Raaf'a Raziyallahu Anhua se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab tum Namaz ke liye khade ho to
10 martaba subhanallah kaho aur
10 martaba Laa ilaaha illallah kaho aur
10 martaba Astagfirullah kaho,

Subhanallah ke jawab me haq ta'aala Shanh farmate he'n Ye mere liye he

Aur Jab tumne Laa ilaaha illallah kaha to haq ta'aala Shanh irshad
farmate he'n Ye mere liye he

Aur jab tumne Astagfirullah kaha to haq ta'aala Shanh irshad farmate he'n mene tumhari magfirat kar di,"
( 10 martaba Astagfirullah kehne per jawab me 10 martaba irshad hota he mene teri magfirat kar di)

�� Kanzul Aamaal, 7/531

Next -88�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 88☆★

❄88- Shabe Bara'at me Maafi maangiye, Gunaah maaf  ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ali karamullah Vajhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab Shabaan ki 15 vi raat aaye to is raat me Allah ke huzur Nawafil padho, is din ko roza rakho kyuki is raat gurube aaftaab hote hi Allah ta'aala ki khaas tajalli aur rehmat pehle asmaan per utar aati he aur wo irshad farmata he,

" Hey koi Banda Jo mujhse bakhshis aur magfirat talab kare aur me uski magfirat ka faysla karu,
Koi Banda he Jo Rozy maange aur me usko Rozy dene ka faysla karu,

Koi batlaye musibat Banda he Jo mujhse Sahat aur Aafiyat ka sawaal kare aur me usko Aafiyat ataa karu, "

is tarah mukhtlif qism ke haajatmando ko Allah pukaarta he k wo is waqt mujhse apni haajate maange aur me ataa karu,

Guroob aftaab se lekar subeh sadiq tak Allah ta'aala ki rehmat isi tarah apne Bando ko pukaarti rehti he, "

�� Ravaah Ibne maaja kazafi al targeeb, 2/119

Next -89�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -89 ☆★

❄89- Bando ki Bimari Gunaah aur Uska ilaaj Astagfaar he ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" kya me tumko tumhare marz aur tumhari davaa ke bare me na batau'n?
Gor se suno!  Tumhara marz gunaah he aur tumhari davaa astagfaar he, "

�� Kanzul Aamaal, 1/479

Next -90�� in sha Allah Ta'aala,

    
         
        

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 90☆★

❄90- Jiska Dil Allah ke Raaste me Kapkapaya, uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Salman Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab musalman ka dil Allah ke raaste me kapkapane lage to uski khataye ese jhadti he jese khajoor ke khoshe ( tez hawa ke chalne se) gir jate hai'n,

�� Kanzul Aamaal, 4/280

Next -91�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
     
��Plz Forward to all Muslims,

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -91 ☆★

❄91- Jo log Sirf Razae ilaahi ke liye Allah ko Yaad karte he'n, Unke Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k

Jo bhi Qom jama hokar Allah ka zikr karti he aur maqsood Allah ki raza hi hota he to Asmaan se ek Farishta nida karta he:

" Khade ho jao tumhari magfirat kar di gayi aur tumhari buraiyo ko nekiyo se tabdeel kar diya gaya, "

�� Kanzul Aamaal, 9/133

Next -92�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 92☆★

❄92- Jume ki Raat me Surah Yaseen Padhiye,Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jisne  Shabe Juma me Surah Yaseen padhi uski magfirat kar di ja'egi,"

�� Targeeb, 1/514

Next -93�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -93 ☆★

❄93- Juma ki Namaz ke baad Surah Fatiha, Surah ikhlaas aur Surah Mauzateen 7-7 martaba Padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Juma ki namaz ke baad

Qul huvallahu Ahad,
Qul A'uzu birabbil Falaq,
Qul A'uzu birabbin Naas,
Saat saat  martaba padhe to Allah Rabbul izzat Aa'inda juma tak burai se panah me rakhenge, "
( Maasi ke irtkaab se badhkar Aadmi ke liye konsi burai ho sakti he)

�� Ibne Sunni Fi Amalal Yaum val Laylah, 1/145

�� Aur Qaseeri ki rivayat me alfaaze hadees is tarah he'n -

" Jo shakhs Juma ke din imaam ke Salaam ferne ke baad usi haalat me Bethe hue

Surah Fatiha,
Qul huvallahu Ahad,
Qul A'uzu birabbil Falaq,
Qul A'uzu birabbin Naas,

Saat saat martaba padhe to uske angle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja'egi,

Aur jitne log Allah aur Qayamat ke din per imaan rakhte he'n unke adad ke baqadr usko ajr ataa kiya ja'ega, "

Next -94,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 94☆★

❄94- Ni'amat milne per Allah ki Baar Baar Taareef kijiye, Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate he'n k  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Allah jal jalalhu apne Bande ko koi ni'amat ataa farmate he'n Fir Banda Allah ki taareef karta he to usne us ni'amat ka shukr adaa kar diya,

Fir agar doosri martaba " Alhamdulillah" kahe to Allah ta'aala uske sawab ki tajdeed farma dete he'n,

Fir agar teesri martaba" Alhamdulillah" kahe to Allah ta'aala uske Gunaaho ki magfirat farma dete he'n,"

�� Kanzul Aamaal, 3/253

Next -95�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 95☆★

❄95- Gafileen ke Majm'a me Allah ko Yaad kijiye, Saare Gunaah maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Gafileen ke majma'a me Allah ka zikr karne wala us sarsabz darakht ki tarah he Jo sukhe darakhto me ho,

Gaafil logo me Allah ka zikr karne wala us chiraag ki tarah he Jo andhere ghar me rakha hua ho,

Aur gaafil logo ke majma'a me Allah ta'aala ka zikr karne wale ko Allah ta'aala uski zindgi me hi jannat me uska thikana dikha denge,

Har insaan aur jaanwar ki tadaad ke muwafiq Allah ta'aala uski magfirat kar denge,

Aur gafileen me Allah ta'aala ka zikr karne wale ki taraf haq ta'aala Shanh esi nazar se dekhenge k kabhi bhi usko azaab nahi denge,

Bazaar me Allah ta'aala ka zikr karne wale ke liye uske har Baal ke badle qayamat ke din noor hoga, "

�� Ravaah Beyhqi, 2/532

Next -96�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -96 ☆★

❄96- Mayyat ko Gusl dijiye aur uske Uyoob chhipaiye, Aapke 40 Kabeera Gunaah Maaf,aur Qabr khodne ka Sawab❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Raaf'a Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs mayyat ko gusl deta he aur uske satar ko agar koi ayb paye to usko chhipata he to Allah ta'aala uske 40 bade gunaah maaf farma dete he'n,

Aur Jo apne bhai ki ( mayyat ) ke liye qabr khodta he aur usko usme dafan karta he to goya usne ( qayamat ke din) dobara zinda uthaye jane tak usko ek makaan me thehra diya yani usko is qadar ajr milta he jitna k us shakhs ke liye qayamat makaan dene ka ajr milta he,"

�� Ravaah Tabrani, Majma uzzawaid, 3/114

Next -97�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -97☆★

❄97-Marhoom ki Tareef kijiye, Marhoom ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Jo log kisi ki Namaze Janaza padh li aur Mayyat ke bare me kalmaate khair kahe to haq ta'aala Shanh irshad farmate he'n,

" inki gawahi ko inke ilm ke mutabiq nafiz kiya aur Jo ye nahi jaante uski bhi magfirat karta hu'n, "

�� Kanzul Aamaal, 15/583

Next -98�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART -98 ☆★

❄98- Do padosi Gawahi de k Marhoom bhala Aadmi tha, Marhoom ke Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Jab Banda momin inteqal Kar jaye aur uske 2 padosi ye keh de k Ye shakhs bada bhala tha iske alawa hum kuchh nahi jaante, halaki wo ilme khudawandi me iske bar aks tha to haq ta'aala Shanh farishto se irshad farmate he'n,

" Mere Bande ke bare me mere Bande ki gawahi qubool kar lo, mere ilm ke mutabiq ye jesa bhi tha usse darguzar karo, "

�� Kanzul Aamaal, 15/685

Next -99�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

       ★☆ PART - 99☆★

❄99- Jisne har Juma ko apne Maa Baap ya unme se ek ki Qabr ki ziyarat ki, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jo shakhs Juma ke din apne Walden ya unme se kisi ek ki qabr ki ziyarat kare to uski magfirat kar di ja'egi, aur usko farmabardar likha jaa'ega, "

�� Kanzul Aamaal, 17/468

Next -100,�� in sha Allah Ta'aala,

    

♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝

   ��Guldasta -E -Magfirat ��
     ( Mayoos Kyu Khada He)

      ★☆ PART -100 ☆★

❄100- Jiski Namaze Janaza 100 Aadmiyo ne Padhi, Uske Gunaah Maaf❄

         ⇩⇩⇩⇩⇩

⇨ Hazrat Ibne Umar  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jis Mayyat ki 100 Aadmi Namaze janaza padh li Allah ta'aala us Mayyat ki magfirat farma dete he'n,"

�� Tirmizi, 1/122

Next -101,�� in sha Allah Ta'aala,

      ��Talibe Dua ,,
     ⇨ Ahle deoband
   ☏ +91 -7037363325
         
        
��Plz Forward to all Muslims,

No comments:

Post a Comment