Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, October 15, 2016

•KHAWATEEN KE FIQHI MASAIL• NAMAZ•


⊙✵⊙ 
               
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯

        ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷

   
   ⊙✵⊙  As- Salaat ( Namaz)⊙✵⊙

        ⊙1- Namaz Izhare Bandgi He⊙

Namaz ki ahmiyat ke liye bas yahi kaafi he k musalman aur kaafir me farq yahi Namaz karti he, Qurane Kareem me 82 maqamaat per Allah ta’ala ne namaz ki takeed farmai, Qayamat ke din jab tamaam logo’n ko jama kiya ja’ega, us din sabse pehla sawaal namaz se mut’alliq hoga,

 Allah ta’ala ne insaan ko sirf aur sirf apni bandgi ke liye paida farmaya he aur is bandgi ko Baja lane ke liye ise tamaam sahulat muhaiya kar di, iske baad Allah ta’ala apne bando se iska izhaar chahta he,

 Namaz ke liye takbeer e tehrima ya ” Allahu Akbar” keh kar namaz me dakhil hona shart he, baqi qayaam, ruku, sazda, qoma, jalsa aur tashahud, qa’ada akhirah ke saath namaz ko Ada kiya jata he,

•─━━━━━══════━━━━━─•

⊙1- Khwateen ki Namaz ka Tareeqa⊙

⊙Khwateen ki Namaz padne ka tareeqa kya he?

 Bavazu paak jagah qibla rukh hokar namaz ki niyat kare, ( us waqt Jo bhi  namaz pani ho uski niyat kare),niyat dil ke iraade ka naam he agar zubaan se bhi keh le to bhi durust he,

niyat karke Allahu Akbar kahe’n, ise takbeere tehrima kehte hai’n, Takbeere tehrima kehte hue dono haath dupatte se bahar nikale bager kaandho tak uthaae, fir dono haath seene per is tarah baandhe k daahine haath ki hatheli baaye haath ki pusht per aa jaye,

Iske baad sana yani ” Subhanakallah “pade,

fir Surah Fatiha ” Alhamd” pade,
Fir “bismillahirrahmanirraheem ” padte hue Qurane paak ka koi surah pade ya kahi’n se bhi kam se kam Qurane paak ki 3 Aayate pade,

Iske baad ” Allahu Akbar” kehte hue ruku me jaye yani is tarah jhuk jaye k dono haatho ki ungliya’n milakar dono ghutno per rakhe aur dono bazu pehlu se mile rahe,

Ruku me kam se kam 3 martaba” Subhana rabbiyal azeem ” kahe’n,

Iske baad” Sami allahu liman hamidah” kehte hue khade ho jaye,

Fir khoob sidhe khade khade ” Rabbana lakal hamd” kahe,

Fir ” Allahu Akbar” kehte hue sazde me jaye,

Zameen per pehle ghutne rakhe, fir haath rakhe, fir dono haatho ke darmiyan chehra is tarah rakhe k pehle naak, fir maatha rakha jaye, aur haath is tarah rakhe k dono baahe’n zameen per bichh jaye aur haath, paanv ki ungliya’n qibla rukh rakhe, magar paanv khade na rakhe balki daahini taraf ko nikaal de aur khoob simat kar sazda kare k pet do no raano aur kuhniya’n dono pehluo’n se mil jaye, aur sazde me kam se kam 3 martaba” Subhana rabbiyal A’ala ” kahe,

 Fir iske baad is tarah bethe k dono paanv apni raano per is tarah rakhe k ungliya khoob mili hui ho aur qibla rukh ho, fir Allahu Akbar kehte hue doosre sazde me jaye isme bhi kam se kam 3 martaba” subhana rabbi Yal a’ala ” kahe, ( doosre sazde ke khatm per ek raka’at ho gayi,, doosre sazde ke baad doosri raka’at ke liye Allahu Akbar kehte hue sidhi khadi ho jaye aur uthte waqt zameen per haath na teke, sidhi khadi hokar ” Bismillah …” puri pad kar surah Fatiha pade fir qurane paak ki koi Surat pade ya kam se kam 3 Aayate pade, iske baad sazda aur 2 sazde jis tarah pichhli raka’at me bayaan hue us tarah  kare, doosre sazde se farig hokar is tarah beth jaye jis tarah dono sazdo ke darmiyan bethna bataya gaya, fir tashadud yani Attahiyat akhir tak pade, Attahiyat me ” Ashhadu allailaha, ” per shahadat ki ungli uthaye ( dahine ki bich ki ungli aur anguthe ko milakar gol halka banaye) aur illallah kahe to to ungli ko jhuka de, ungliyo ki Jo shakl bani he ise salaam ferne tak baqi rakhe, Attahiyat ke baad darud sharif, fir dua Jo Quran Hadees me aai he, iske baad dahini taraf moonh karte hue ” Assalamu Alaikum wa rahmatullah ” kahe aur namaz se nikalne ki aur farishto per salaam ki  niyat kare, fir isi tarah baayi taraf salaam fere, ye 2 raka’at khatm hui,

 Agar 4 raka’at namaz padni ho to doosri raka’at me Attahiyat pad kar khadi ho jaye, uske baad teesri aur chothi raka’at puri kare aur akhir qa’ada me bethe to Attahiyat, darud sharif aur dua pad kar salaam ferle,

 Agar 3 raka’at  magrib ki farz  padni he to doosri raka’at me Attahiyat pad kar khadi ho jaye aur teesri raka’at puri karke akhir qa’ada me beth kar Attahiyat, darud sharif, dua tarteeb vaar padkar salaam ferle,

Tohfa e Khwateen, 20

•─━━━━━══════━━━━━─•

2- Aurto’n ka Azaan ka Jawab dena 

Aurto’ n ko bhi azaan ka jawab dena chahiye ya nahi?

 Jee haa’n, magar haiz v nifaas wali Aurat jawab na de,

Aapke Masail aur unka Hal,, 2/173

 3- Saadi me Aurto’n ki Namaz ka Hukm

 Aurto’n ki namaz saadi ya lahnga pehan kar durust he ya nahi?

 Agar waha’n ka rivaaj Aurto’n ke libaas ka yahi he to isme kuchh harj nahi, namaz ho jati he albatta ye zaroori he k satar pura chhipa hona chahiye,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/143

 Saadi baandhne me aksar Aurte’n be ahatyati karti hai’n aur aksar inka blowz naaf tak ya isse bhi ouper rehta he jiski vajah se adha ya chothai pet saadi baandhne ki vajah se khula rehta he, agar isi tarah khule hue namaz pad li to namaz na hogi,

•─━━━━━══════━━━━━─•

4- Bila Aasteen Kurte Blowz, Frok me Namaz ka Hukm

Half Aasteen ya Bila Aasteen ka kurta ya blowz ya frock pehan kar namaz padne se kya namaz ho jati he?

 Esi surat me apni baanho ko alag chadar se chhipana zaruri he, agar chadar vagera se chhipana bhool gayi to namaz nahi hogi,

        Aurto’n ke Libaas ke Ahkaam,

 5- Sazda aur Jalsa me Paanv kese Rakhe

 Aurto’n ko sazda v jalsa me paanv kese rakhna chahiye?

 Aurto’n ke liye qadmo ka khada karna sunnat nahi he, pas sazda aur jalsa me pero ko khada na kare’n aur jalsa v tashahud me dahini taraf paanv nikaal kar pade,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/461
•─━━━━━══════━━━━━─•

6- Aurato’n ka Namaz me Jahar se Quran Padna

Aurat agar nifl ya taraveeh ki namaz me qiraat bil jahar makaan ke andar pade to kya durust he?

 Aurat namaz me jahar nahi kar sakti, isliye k aurat ki awaaz bhi satar he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/219

7- Aurto’n ka Jahri Namaz me Qiraat karna  

 Aurte’n jahri Namaz me qiraat jahar ke saath kare ya ahista?

 Aurat sab namazo me qiraat ahista hi kare,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/264

•─━━━━━══════━━━━━─•

8- Shohar ki Iqtda me Namaz

Koi Aurat tanhai me Khawind ke pichhe farz namaz pad sakti he ya nahi?

 Agar bivi apne shohar ke pichhe uski iqtda me namaz pade to durust he, magar usko barabar me khada na hona chahiye, pichhe khadi ho aur agar alhida niyat baandhe to fir chahe barabar khadi ho ya pichhe har tarah namaz durust he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 2/205

 9- Aurto’n ke Saamne aane Se Namaz per Asar

 Agar Namaz Ada karte waqt aurte’n saamne aa jaye to namaz ho jati he ya nahi?

 Aurto’n ke saamne aane se namaz me kuchh khalal nahi hota aur namaz faasid nahi hoti,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/110

•─━━━━━══════━━━━━─•

10- Aurto’n ki Jama’ate Taraveeh 

Chand Aurte’n haafizate Quran ye chahti hai’n k Taraveeh me Quran majeed apni jama’at se khatm kare’n, kya unka esa karna durust he?

 Aurto’n ki jama’at is tarah k Aurat hi imaam ho makrooh he, chahe taraveeh ki jama’at ho ya gair taraveeh ki, sab me Aurto’n ka imaam hona aurto’n ke liye makrooh he,

Note  Bilfarz agar kahi aurte’n jama’ate taraveeh kar leti hai’n to hifazate khwateen ke liye iski gunzaish he, karahat ke saath jama’at ki namaz ho jati he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/265

 11- Aurto’n ki Vitr ki Jama’at 

 Aurte’n Vitr ki jama’at kare ya nahi kare?

 Vitr ki jama’at aurte’n na kare,

Fatawa Darul Uloom Devband,,, 4/299

•─━━━━━══════━━━━━─•

 12- Aurat Mardo ke Pehlu me Khade ho Jaye to kya Hukm

Ek aurat zuhar v asar panjgana namaz me aakar khud ba-jama’at mardo ke barabar khadi ho jaye to Mardo ki namaz hui ya nahi?

 Esi Surat me Jo mard balig us aurat ke barabar he, uski namaz nahi hogi, yani ek mard daayi aur ek baayi taraf ho to us aurat ke hai’n, un dono ki namaz nahi hogi,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 4/68

 13- Namaz me Aurat ke Takhne khule Rehna 

 Namaz ki haalat me aurat ke takhne khule rahe to namaz ho jaa’egi ya nahi?

 Qa’ada ( rule) ye he k agar bhool se ek chothai uzv ( part) 3 baar ” Subhana rabbi yal a’ala ” kehne ki miqdaar tak khula rahe to namaz faasid ho jati he,
aur qasdan ek chothai hissa ek lamha bhi khula chhod diya to namaz faasid ho gayi,

Ek chothai hissa se kam satar khulna chahe bhool se ho ya qasdan 3 tasbeeh ki miqdaar se kam ho ya zyada baharhal mufsid nahi,

Takhne pindli ye saath milkar ek uzv he aur ek chothai se kam he, isliye namaz ho jaa’egi,

Ahsanul Fatawa,, 3/ 402

•─━━━━━══════━━━━━─•

14-:Namaze Juma me Aurto’n ki Shirkat Makrooh he

Aurte’n Shehar ki Jaama Masjid me parde kesaath namaz juma ada kar sakti he ya nahi?

Juma ke bahane vaaz v nasihat bhi sun sakti he,?

 Aurat ke liye ahatyat aur parda ki zyada jarurat he aur jalbe nafa se dafa e mazarrat muqaddam he, isliye fuqha ne aurto’n ka Jama’at, Juma, aur Eiden aur vaaz v Nasihat ki majlis me shamil hone ko makrooh farmaya he,

Fatawa Darul Uloom Devband,,, 5/15

 15- Aurat ka Khuli jagah me Namaz padna 

 Aurat agar musafir ho to wo kasr karegi lekin agar kahi ser tafreeh ke liye jaye jaha kasr ki namaz uske liye lagu na ho, magar namaz ka waqt ho gaya, kya wo khuli jagah me namaz Adakar sakti he?

 Sharai Safar me to baharhal wo kasr karegi, magar ser tafreeh ke liye gayi he aur namaz khuli jagah me padna padegi to bhi uska padna durust he, tamaam badan ko dhaank kar is tarah k sirf haath aur qadam aur chehra khula rahe, uski namaz durust he agar pero me moze ho aur haatho me dastane tab bhi namaz durust he,

Fatawa Mehmudiya,, 14/210

•─━━━━━══════━━━━━─•

18-Tangi e waqt me paak hui aur 10 din se Kam Haiz aaya to Namaz ka Hukm 

Agar 10 din se kam haiz aaya aur ese waqt me khoon band hua k namaz ka waqt bilkul tang he to Namaz ka kya hukm he?

 Agar 10 din se kam haiz aaya aur ese waqt me khoon band hua k namaz ka waqt bilkul tang he to jaldi furti se nahale aur nahane ke baad agar itna waqt bache k sirf ek baar ” Allahu Akbar” keh kar niyat baandh sakti he isse zyada kuchh nahi pad sakti he tab bhi us waqt ki namaz wajib ho ja’egi aur qaza padni padegi,
aur agar isse bhi kam waqt ho to Namaz maaf he uski qaza padna wajib nahi,

Masaile Gusl,, 25

13- Ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to Namaz ka Hukm 

 Agar ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to Namaz pade ya nahi pade?

 Agar ek ya Do din khoon aakar band ho gaya to nahana wajib nahi vazu karke namaz pade lekin abhi sohbat karna durust nahi,

agar 15 din guzarne se pehle khoon aa gaya to maloom hoga k wo haiz ka zamana tha, hisaab se jitne din haiz ke ho unko haiz samjhe aur gusl karke namaz pade aur poore 15 din guzar gaye aur khoon nahi aaya to maloom hua wo isthaza tha aur ek ya do din khoon aane ki vajah se Jo namaz nahi padi ab unki qaza pade,

Masaile Gusl,, 24
•─━━━━━══════━━━━━─•    •─━━━━━══════━━━━━─•

20- Raham me dava rakhkar Namaz Padna

Agar haalate bimari me aurat ko Jo dava andar rakhani padti hai’n, is haalat me namaz ko Ada kare ya nahi?

 is haalat me namaz pad le qaza na kare,

Fatawa Mehmudiya, kitabussalalat, 98

 21- Lekuriya ki haalat me Namaz ka Hukm 

 Lekuriya ka pani is tarah ho k paaki ki haalat me namaz padna mumkin nahi to iska kya hukm he?

 Wo har namaz ke liye vazu kare aur uska vazu us waqt tootega ( agar vazu tootne ki koi doosri vajah pesh na aaye) jab namaz ka waqt nikal jaa’ega,

Maslan – Suraj tulu’a hone ke baad usne namaz ke liye vazu kiya ab us vazu se zuhar ki namaz pad sakti he aur uska vazu us waqt tootega jab zuhar ka waqt nikal jaa’ega, jabki is dauran use lekuriya ke uzr ke alawa vazu tootne ki koi doosri vajah pesh na aaye varna vazu toot ja’ega,

Makhooz Az Shaami,, 1/306

      ⊙ Talibe Dua,
      ⓖ Ahle deoband Group
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
•─━━━━━══════━━━━━─•

No comments:

Post a Comment