Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, October 15, 2016

✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦JANAZA

      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
         βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       ✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦

      ▦══─────────────══▦

                      ⊙  JANAAZA ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

☞ 01- Nahlane ka Masnoon Tareeqa •

ⓢ Murde ko nahlane ka masnoon tareeqa kya he?

◆ Nahlane ka masnoon tareeqa ye he k,

★Sabse pehle kisi takhat ya bade takhte ko loban ya agarbatti vagera khushbudar cheez ki 3 ya 5 ya 7 dafa  dhuni de do,

★Murde ko usper lita do aur kapde utaar lo aur koi kapda naaf se lekar zaanu tak daal do k itna badan chhupa rahe,

★Iske baad murde ko istanja kara do, lekin uski raano aur istanje ki jagah apna haath na lagao aur us per nigah bhi na dalo balki apne haath me koi kapda lapet lo aur Jo kapda naaf se lekar zaanu tak pada he uske andar dhulao,

★ iske baad vazu kara do lekin kulli na karao aur na naak me paani dalo na gatte tak haath dhulao balki moonh dhulao, fir haath kohni samet fir sar ka masah, fir dono per,

⇨( Aur agar rooi 3 dafa gili karke daanto aur masudo per fer di jaye to bhi jaa’iz he,
aur agar murda nahane ki hajat me, haiz v nifaas me Mar jaye to is tarah se moonh aur naak me paani pahunchana zaruri he )

★ Aur naak aur moonh aur kaano me rooi bhar do taki vazu karate waqt aur nahlate waqt paani na jane paye,

★ Jab vazu Kara chuko to sar ko gul kheru se ya kisi aur cheez se jisse saaf ho jaye jese besan, sabun se mal kar dho de aur saaf karke fir murde ko baayi karwat per lita de,

★ Beri ke patte dala hua neem garam paani 3 dafa sar se pair tak daal de yaha tak k baayi karwat tak paani pahunch jaye,

★ Fir daahini karwat litakar isi tarah sar se pair tak 3 martaba itna paani dalo k daahini karwat tak paani pahunch jaye,

★ iske baad murde ko apne badan ki tek lagakar zara bitha de aur uske pet ko ahista ahista male aur daba de agar kuchh pakhana nikle to usko pochhkar dho daale aur vazu aur gusl me iske nikalne se kuchh nuqsan nahi ab na dohrao,

★ iske baad fir usko baayi karwat per lita de aur kafoor mila hua paani sar se pair tak 3 dafa daale, fir saara badan kisi kapde se pochh kar kafna do,

 Bahishti Zever, 2/52

     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
   2- Aurat ka Kafan kiske Zimme he

Aurat ko aksar kafan uske walden ki taraf se diya jata he, kya hukm shara’i he k kafan ke Sasuraal walo ki taraf se na ho?

 Nahi,  Ye shari’at ka hukm nahi he balki khilafe Shar’a rivaaj he, Shar’an aurat ka kafan shohar ke zimme he, agar wusat na ho to fir aurat ke tarke se kafan diya jaaega,

Fatawa Mehmudiya, 2/376

     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

      3- Aurat ka Masnoon Kafan 

 Aurat ka masnoon kafan kya he?

 Aurat ke masnoon kafan ye he’n –

1- Badi chaadar pone teen gaz lambi, sava gaz se ded gaz tak chodi,

2- Chhoti chaadar dhaai gaz lambi, sava se ded gaz tak chodi,

3- Kafni ya kurta, dhaai Gaz lamba ek gaz choda,

4- Seena band do gaz lamba, sava gaz choda,

5- Odhni ded gaz lambi, taqriban ek gaz chodi, nahlane ke liye tahband aur dastane iske alawa hote hai’n,

Khulasa ye he k aurato’n ke masnoon kafan ke 5 kapde hote hai’n, izaar, lifafa, kurta, seena band aur sar band yani odhni,

Ref-$_ Aapke Masail aur unka Hal,, 3/100

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ 4- Aurat ko Kafnane ka Tareeqa

ⓢ Murde ko nahlane ka masnoon tareeqa kya he?

★,,Aurto’n ko kafnane ka tareeq ye he k pehle lifafa bichhakar us per seena band aur us per izaar bichhao, fir kameez ka nichla hissa bichhao, ouper ka baqi band hissa samet kar sarhane ki taraf rakh do, fir mayyat ko gusl ke baad takhne se ahistgi se uthakar us bichhe hue kafan per lita do, aur kameez ka nisf hissa Jo sarhane ki taraf rakha tha usko sar ki taraf ulat do k kameez ka suraakh ( gireban) gale me aa jaye aur pero ki taraf bada do, jab is tarah kameez pehna chuko to Jo tahband gusl ke baad aurat ke badan per daala gaya tha wo nikaal do, aur uske sar per itr vagera koi khushbu laga do, zaafran bhi laga sakte hai’n, fir peshani, naak aur dono hatheliyo, dono ghutno aur dono paanv per kafoor mal do,

★, fir sar ke baalo ko do hisse karke kameez ke ouper seene per daal do, ek hissa dahini taraf aur doosra hissa baayi taraf, fir sar band yani odni sar per aur baalo per daal do, inko baandhna ya lapetna nahi chahiye,

 Ahkaame Mayyat, 51

     ━═─────────────────═━

☞  5- Aurto'n Ka Qabristan Jana •

ⓢ Aurte’n qabristaan ja sakti hai’n ya nahi ?

★ Jaa’iz to he lekin na jaana hi behtar he,

 Fatawa Mehmudiya,, 2/397

     ━═─────────────────═━

☞ 06--  Nakhun Palish wali Mayyat ka Gusl,

ⓢ Agar kahi maut waq’a ho gayi to nakhun palish lagi hui aurat ki Mayyat ka gusl sahi hoga ya nahi?

★, Uska gusl sahi nahi hoga, isliye nakhun palish saaf karke gusl diya jaye,

 Aapke Masail aur unka Hal,,, 2/75

     ━═─────────────────═━

☞ 07-  *Aurto’n ke Janaze per Surkh Chaadar*•

ⓢ Jo Aurat khawind wali marti he uske janaze per ek surkh chaadar daalte hai’n, unke janaze per namaze janaza padna kesa he ?

★ Namaze janaza us per bhi durust he, surkh chaadar ki pabandi kahi se saabit nahi,

 Fatawa Mehmudiya,, 2/398

     ━═─────────────────═━

☞  *08-Aurat ke Janaze ke liye Dafan ke waqtparda*,

ⓢ   Aurat ki qabr per parda karna raat aur din kisi waqt shar’an kesa he aur kyu kiya jata he ?

★ Janaza ke saath na-mahram bhi hote hai’n isliye parda kiya jata he taki qabr me rakhte waqt badan ke hisse ko na-mahram na dekhe,

 Fatawa Mehmudiya,, 2/447

     ━═─────────────────═━

☞  *09- Haalate Naja’a me Aurat ka Mehndilagana*,

ⓢ  Aurat ko naja’a ke waqt mehndi lagana masnoon he ya nahi ?

★, Ye na masnoon he na hi durust he, balki najaa’iz he,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/245

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞  *10- Aurat khawind ko aur Khawind aurat koGusl de sakte he Ya nahi,*

ⓢ Aurat apne khawind ko aur Khawind apni Aurat ko gusl de sakta he ya nahi?

★. Aurat apne shohar ko gusl de sakti he lekin Shohar apni Bivi ko wafaat ke baad gusl nahi de sakta, albatta dekhne ki ijazat he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/248,

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞  *11-Mehram Aurto’n ko Marne ke baad Guslde sakta he ya nahi*

ⓢ  Apni mankuha ke alawa mard apni mehram aurto’n ko gusl de sakta he ya nahi ?

★.Gusl nahi de sakta, balki ese mauke per ( k gusl dene wali koi aurat na ho) ta’ayyum karane ka hukm he,

 Fatawa Darul Uloom Devband,,, 5/248

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞  *12-Gair Mehram Aurte’n Murda ko nahi dekhsakti*

ⓢ Murda ki runumai gair mehram aurto’n ko karna jaa’iz he ya nahi?

★. Gair mehram aurto’n ko jesa k zindgi me ( gair mehram) mard ka chehra dekhna mamnu’a he, marne ke baad bhi mamnu’a he,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/247

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞  *13- Aurto’n ki Namaze janaza Shohar kehukm se hogi ya Baap ke hukm se*

ⓢ  Ek aurat faut hui, uska shohar aur baap dono mojood hai’n to Namaz janaza ke liye kiski ijazat motbar hogi?

★ . is soorat me baap ka haq he, khud namaze janaza pada de ya kisi ko ijazat de,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/302
*
      •─━━━━━══════━━━━━─•
  

☞ *14- Tanha Aurto’n ka Namaze Janaza padnaya Mardo ki Jama’at me Shareeek hona*

ⓢ Kya sirf aurte’n namaze janaza pad sakti hai’n ya nahi?

ⓢ aur kya aurto’n ka mardo ki jama’at me shamil hona durust he ya nahi?

★. Tanha Aurto’n ki jama’at janaza makrooh nahi he aur namaz Ada ho jati he, balki ek aurat bhi namaze janaza pad le to farz saaqit ho jata he,

★ .Aurto’n ka mardo ki jama’at me shamil hona mutlaqan makrooh he,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/371

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞  _*15- Aurto’n ke Dafan ke waqt Parda*_  

ⓢ  Jab koi aurat mar jati he to dafan ke waqt Parda kiya jata he, ye hukm sab aurto’n ke liye he ya parde wali aurat ke liye he?

★. Ye hukm yani aurat ke dafan ke waqt Parde ka hukm sab aurto’n ke liye he,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/412

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

☞ _*16- Haamla Aurat ka inteqal hona*_,

ⓢ Agar haamla aurat ka 4 ya 6 maah ya 7 maah ya 9 maah ke asna’a me inteqal ho jaye to uske Bachche ko pet chaak karke nikaala jae ya nahi?

★. Agar haamla aurat mar jae aur bachcha uske pet me zinda ho kar harkat karta ho to us pet ko chaak karke bachche ko nikaala jae, pas jis waqt hamal ko itni muddat ho jae k bachcha pet me harkat karne lage aur maa’n ke marne per bhi usme harkat v iztraab baqi ho us waqt ye hukm he,

bas muddat ki koi qaid nahi he balki agar nava mahina bhi haamla ko hua aur uske marne per pet me bachcha harkat aur iztraab  karta hua maloom na ho to pet ko chaak na kiya jaa’ega balki madaar bachche ke zinda hone per harkat v iztraab per he na kisi muddat per,

 Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/376

     ━═─────────────────═━

☞ _*17- Aurat ke pet se Bachche ka kuchh Hissanikla aur Mar gayi*_,

ⓢ  Aurat ke pet se Bachche ka ek pair paida hua aur dono mar gaye to bachche ko uske pet se juda kar diya jaye ya ek hi gusl v kafan me dafan kare’n?

★ Bachche ko juda na kiya jaye, sirf aurat ka gusl v kafan v namaz padna kaafi he,

Fatawa Darul Uloom Devband,, 5/ 469

     ━═─────────────────═━

☞ _*18- Mayyat ke bare me Aurto’n ki Toham parasti*_

ⓢ Ye kaha jata he k laash ko hilana ya idhar udhar karna theek nahi, kyuki isse murde ko sakht takleef hoti he agar usko saans ho to sabko cheer faad de,
Ek ittefaaq hua k kahi ek lakdi ka inteqal hua, to gusl dene wali ne uski aankh me kaajal lagaya, Murde ko kaajal lagana ye kaha tak durust he,?

ⓢ  Taveez wali aaurte’n parhez karti hai’n k maut wale ghar me nahi jati, yaha tak k mayyat wale ghar ke aage se bhi nahi guzarti khuda na kare inko maut ki rooh chimat jaegi, ye parhez 40 din ya isse bhi zyada din tak chalta he, kya ye durust he?

★. Ye bhi toham parasti he k laash ko apni jagah se idhar udhar na kiya jaye,Mayyat ke kaajal ya surma lagana mamnu’a he, baaz aurte’n Jo mayyat wale ghar nahi jati isi tarah jachgi wale ghar se parhez karti hai’n, ye galat logo’n ki felai hui gumrahi he wo inko ese taveez dete hai’n k wo saari umar inke chakkar se bahar na nikal sake,

 Aapke Masail aur unka Hal,, 3/103-104,

     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      ⊙ Talibe Dua, 
      ⓖ Ahle deoband Group , 
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

No comments:

Post a Comment