✨⚡⚵
⚵
❈ *Bismillahirrahmanirrahim* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Allah Ta'ala Ki Dawat Jannat Ki Tijarat Ke Liye,*
⚃➠ Allah Ta'ala ka irshade giraami hai,
➠ *( Tarjuma )* Ey imaan walo ! Kya mai tumhe esi Tijarat batlau'n Jo tumhe ek dardnaak azaab se bacha le ,( WO ye hai k ) Tum log Allah per aur uske Rasool per imaan laao ,aur Allah Ki Raah mai Apne Jaan v maal se Jihaad karo ,Ye Tumhare liye bahut hi behtar hai agar Tum samajh rakhte ho ,
_( Jab esa karoge to ) Allah Ta'ala tumhare gunaah maaf kar dega aur Tumko ( Jannat ke ) ese Baago mai dakhil karega k jinke niche nehre jaari hongi aur Umdah makaano mai ( dakhil karega ) Jo hamesha rehne ke baago mai ( bane ) honge , Ye badi kaamyabi hai _"
As-Saf ,10-11-12
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Taraf Daudo*
⚃➠ irshade Baari Ta'ala hai _:
*"__( Tarjuma )* Aur magfirat Ki taraf Daudo Jo tumhare parwardigaar Ki taraf se ( naseeb ) ho ,
_Aur Daudo Jannat Ki taraf ( yani ese Nek kaam akhtyar karo Jisse Parwardigaar tumhari magfirat kar de aur Tumko Jannat inaayat ho aur WO Jannat esi hai ) Jiski Wus'at esi ( to ) hai ( hi ) Jese Sab Asmaan aur Zameen ( aur zyada Ki nafi nahi chunache waqai mai zyada hona saabit hai ) WO taiyaar Ki gayi hai Khuda se darne walo ke liye _"
Surah Aale imraan , 133
⚃➠ *Faayda* :- is Aayat mai musalmano ko Jannat Ki targeeb farmate hue uski taraf Daudne ka hukm diya gaya hai aur Parhezgaar hi Jo khida ke farmabardaar aur gunaah se door rehne wale hai'n Unke liye taiyaar Ki gayi hai ,
⚃➠ A'amaal Jannat Ki qeemat nahi hai'n ,Lekin Aadate Allah Ta'ala yahi hai k Allah Ta'ala Apne fazal se usi Bande ko nawaazta hai Jo A'amale Saleha karta hai ,
. Jannat Ke Haseen Manazir ,47
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ka mukhtasar sa Nazara,*
⚃➠ Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Koi Jannat Ki taiyaari ke liye taiyaar hai ? Kyunki Jannat fana hone wali nahi , Rabbe Kaaba Ki qasam ! Ye esa noor hai Jo lahlahane wala hai , Esa Phoolo ka dasta hai Jo jhoom raha hai aur ESA mahal hai Jo bulando baala hai aur esi Nahar hai Jo jaari rehne wali hai
"__Esa Phal hai Jo paka hua taiyaar hai ,esi Bivi hai Jo bahut haseen v jameel hai ,libaas hai'n Jo badi tadaad mai hai'n,
"__Salaamti ke ghar mai rehne Ki jagah hai hameaha ke liye ,Meve hai'n, Sabza zaar hai ,Khushi hai , Ni'amat hai haseen aur buland maqamaat hai'n,"
"_ Sahaba Kiraam ne arz kiya ,Haa'n Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Hum iske liye tiyaar hai'n ,"
"__Farmaya :- in Sha Allah keh lo ,
To Sahaba Kiraam ne in sha Allah Kaha _,
. ibne maaja , 4332, Targeeb v Tarheeb ,976,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Talab _*
⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jo musalman bhi Allah Ta'ala se Teen martaba Jannat ka sawal karta hai to Jannat kehti hai , Ey Allah isko Jannat mai dakhil farma de ,
Aur Jo Shakhs Allah ke saath dozakh se panaah pakde teen martaba ,to dozakh kehti hai, Ey Allah isko dozakh se panaah dede ,_"
Tirmiji ,2572 ,Ibne maaja ,4340
⚃➠ *Faayda_* Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Ki marfu hadees mai hai k Jisne Saat martaba yu'n kaha ,
*" Mai Allah Ta'ala se Jannat maangta hu'n ,"*
To Jannat kehti hai ,Ey Allah isko Jannat mai dakhil kar de ,
Musnad Abu Daowd ,
⚃➠ Aur ek Hadees mai Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se yu'n marvi hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Ta'ala se Jannat Ki Talab aur dozakh se panaah bahut zyada maanga karo kyunki ye dono ( Jannat aur dozakh ) shafa'at bhi karti hai aur unki Shafa'at qubool bhi Ki jati hai ,
Bila Shubha Jab koi Banda Allah Ta'ala se Jannat ko bahut zyada Talab karta hai to Jannat kehti hai Ey parwardigaar ! Tera ye Banda Aapse mujhe Talab kar raha hai Aap usko mujh mai sakoonat de de aur Dozakh ( bhi kehti hai Ey Parwardigaar ! Tera ye Banda Jo mujhse Teri Panaah maang raha hai Aap usko panaah de de ),
. Nihaya ibne kaseer 2/501 ,Haadi Al Ravaah ,128
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Das Laakh Khadimo ke Saath Safar,*
⚃➠ Hazrat Hasan Basri Reh. se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat walo mai Adna darje ka jannati WO hai Jo Surkh Yaqoot ke ghode per sawaar hoga Jiske par sone ke honge,
_Aur Hamesha rehne wale Das Laakh Khidmat gaar Ladke saath honge !
_Ey mukhatib agar to us jagah ko dekhe to tujhko badi Ni'amat aur badi saltanat dikhayi de _"
. Jannat Ke Haseen Manazir ,90
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Farishte bhi uske Paas ijazat le kar dakhil honge ,*
⚃➠ Hazrat Abu Sulaimaan ( Darani ) farmate hai'n k Jannati ke Paas Rabbul izzat ka qaasid tohfe aur Hadiye le kar aayega magar uske paas nahi pahunch sakega Jab tak k andar aane Ki usse ijazat na le lega ,
__Darbaan se kahega Allah ke Dost se ijazat le do kyunki mai us tak ( bager ijazat) nahi ja sakta ,
_ To WO darbaan doosre darbaan se kahega aur isi Farah darbaan ke baad aur darbaan honge, To WO usko aane Ki ijazat dega ,
__Us jannati ke Mahal se Darussalam tak ek darwaza esa hoga Jisse WO Apne parwar digaar ke paas jab chahega bager ijazat ke ja sakega ,
⚃➠ Pas Mulke kabeer ( badi Saltanat ) yahi hai k Rabbul izzat ka qaasid bhi us jannati ke paas uski ijazat ke bager nahi ja sakega Jabki Jannati Apne Rab ke paas jab chahe haazir ho sakega _"
. Jannat Ke Haseen Manazir ,90
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Badshaho Ki Manazil _*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Ta'ala ne Jannat ki Diwaar ek ieynt Sone se aur ek ieynt chaandi se kheenchi , fir usme Nehare nikaali aur darakht gaade ,Jab farishto ne Jannat ke husn ko dekha to kaha ( Ey Jannat ! ) tujhe Badshaho ki manazil Mubarak ho _,"
Ravaah Tabrani , Targeeb v Tarheeb ,
⚃➠ *Faayda _* Jannat ki niyamato ka ek adna sa hissa bhi aaj kisi bade se bade hukmraan ,badshah ko haasil nahi hai magar fir bhi uski shaan v azmat ke qaseede padhe jate hai'n, Jab koi Musalman Jannat ki tamaam A'ala v Afzal niyamato ko kaamil tor per haasil karega uski Shaahi badshahat ka kya muqaam hoga ,
. Jannat Ke Haseen Manazir, 91
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Duniya ko Aish v ishrat ka samaan samajhne walo ke liye ibrat,*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
وَفَرِحُوا بِالْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا فِي الْآخِرَةِ إِلَّا مَتَاعٌ
*Surah Ar-Rad, Aayat 26*
*"__Tarjuma*:- Aur ye ( Kuffaar ) log Duniya ki zindgi per ( aur uske aisho ishrat per ) itraate hai'n aur ( unka itraana bilkul fizool aur galti hai kyunki ) ye Duniya ki zindgi ( aur iski aisho ishrat ) Akhirat ke muqable mai bajuz ek mamooli samaan ke aur kuchh nahi ,
⚃➠ Allah Ta'ala ka irshad hai :-
َ وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا إِلَّا مَتَاعُ الْغُرُورِ
*Surah Aal-e-Imran, Aayat 185*
*"__ Tarjuma* :- Aur nahi zindgi Duniya ki magar samaan dhoke ka ,
⚃➠Allah Ta'ala ne is Aayat mai Duniya ki haalat ko bahut mamooli aur iski shaan ko bahut haqeer farmaya hai aur ghatiya ,faani ,bahut kam aur zaa'il hone wali hai ,
⚃➠ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah ki qasam Duniya Akhirat ke muqable mai nahi hai magar is tarah k Jese tumse koi Shakhs apni ungli ko dariya mai duboye fir fir dekh le us ( dubone wale ) ke paas ( WO ungli ) kitna ( paani ) laayi hai _",
. Muslim ,Musnad Ahmad ,
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*☞ Jannat Ki Zameen ,Gaara ,Kankar aur imaarat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Jannat ki tameer ki ek eiynt sone ki hai aur ek chaandi ki ,iski mitti zafraan ki hai aur gaara kastoori ka hai ,"
Musnad Ahmad, Tirmizi
⚃➠ Mairaaj ki tavveel hadees mai hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__mai Jannat mai dakhil hua to usme chamakdaar motiyo'n ke gumbad they aur uski zameen kastoori ki thi ,"
Bukhari 349, Muslim 163,
⚃➠ Hazrat Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Jannat ki mitti ke Mutalliq puchha to Aapne irshad farmaya :-
"_Naram v mulayam safaid Roshan ,khaalis Kastoori ki mitti hai ,"
Muslim ,1928
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat ki zameen per Rahmat ki Hawa chalne se Jannati ke Husn mai be panaah izafa,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ki zameen safaid hai Jiske maidaan kafoor ki chattaane hai'n Jinko Ret ke teelo ki tarah kastoori ne ahaata kar rakha hai,
__isme jaari nehre chalti hai'n ,isme jannati Jama honge bade darje ke bhi aur chhote darje ke bhi aur aapas mai ek doosre se mulaqaate aur baahami tarruf karayenge ,in per Allah Ta'ala Rahmat ki hawa chalayenge to WO Rahmat un jannatiyo ko kastoori ki khushbu se moattar kar degi ,
__Fir jab jannati Mard Apni Bivi ke paas lautega aur WO Apne husn v pakeezgi mai aur bad chuka hoga to WO kahegi ,Jab Aap mere paas se gaye they to mai Aap ( ke husn ) per farebta ho rahi thi lekin ab meri Aap ( ke husn ) per farebtgi ki had ho gayi _",
. Targeeb v Tarheeb ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ka Mausam aur Hawae'n,*
⚃➠ irshade Khudawandi " وظل ممدود ،
( aur saaya hoga daraaz ) ki tafseer mail Hazrat Amro bin Maimoon Reh. Farmate hai k is Saye ki lambaai 70 hazaar saal ke ( safar ke ) barabar hogi ,"
Behiyqi ,1831
⚃➠ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mo'attal hogi na to usme garmi hogi na sardi hogi _"
ibne Mubarak ,1833
⚃➠Hazrat Maalik se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,:-
"_ Jab junoob ki hawa Jannat mai chalegi to mushk ke teele bikher degi _"
. Wasful Firdaus ,183
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ka Rang v Noor ,*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Tum safed rang akhtyar karo kyunki Allah Ta'ala ne Jannat ko Safed paida kiya hai ,pas chahiye k tumhare zinda log safed rang pehne aur usi mai apne murdo ko kafan diya karo ,"
Abu Naiem ,1/164 ,Tabrani kabeer ,11/109
⚃➠ Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Jannat ka zikr karte hue irshad farmaya :-
"__Rabbe Kaaba ki qasam ! Ye ( Jannat ) ek tarah ka phoolo ka guldasta hai mast kar dene wala ,aur noor hai chamakne wala ,"
Abu Naiem ,2/53
⚃➠ Hazrat Aamir bin Saied Apne waalid Raz. se rivayat karte hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jo niyamate'n Jannat mai hai'n agar unme se itni miqdaar bhi zaahir ho jaye Jitna k nakhoon ke saath lag kar koi cheez aati hai to uski vajah se Asmaano aur zameen ke kinaare jagmaga uthe ,
Aur agar jannatiyo mai se koi jhaank le aur uska kangan zaahir ho jaye to uski Roshni suraj ki Roshni ko is tarah se maand kar de jis tarah se Suraj sitaaro ki Roshni ko maand kar deta hai _,"
Abu Naiem ,2/54 ,Tirmizi ,2538
⚃➠Hazrat Zameel bin Simaak ke waalid ne Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se puchha k Jannat ka Noor kaisa hoga ?
Aapne farmaya :- kya tum ne WO waqt nahi dekha Jo Suraj nikalne se pehle hota hai ? Jannat ka Noor bhi ese hoga magar usme na dhoop hogi na sardi hogi _,"
Abu Naiem ,2/54
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Subeh Shaam aur Raat Din,*
⚃➠ Hazrat Zahak Reh ( Aur unko unka khana Subeh Shaam mila karega :- Surah Mariyam ,62 ) ki tafseer mai farmate hai'n k Allah Ta'ala ne Jannatiyo ke liye gardish karne wali is tarah ki ghadiya'n banayi hai'n jese Duniya ki ghadiya'n gardish karti hai ,Bager Suraj ke aur bager chaand ke aur raat ke aur Din ke ,
Bas Sirf Akhirat ka noor hoga jisme Allah Ta'ala ne Subeh ,Dopahar aur Shaan ko muqarrar kiya hai Kyunki Subeh Dopahar aur Shaan se log lutf andoz hote hai'n ,Chunache Jab Allah Ta'ala apne Aulia ki khwahish ko tez karenge aur unko Rizq ki lazzat ke zaayqe bakhshna chahenge to unke saamne Subeh Shaam ki gardish kar denge ,"
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai Subeh Shaam nahi honge magar unke paas ( Subeh Shaam ke khane ) raat din ki miqdaar ke mutabiq pesh kiye jayenge ,"
⚃➠ Hazrat Qatada Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat walo ko har ghadi Rizq pahunchaya jayega ,Subeh Shaam bhi digar ghadiyo ki tarah ki do ghadiya'n hongi Waha'n Raat nahi hogi balki Roshni aur Noor hoga ,"
⚃➠ Hazrat Zuher bin Muhammad Reh farmate hai'n k Jannat mai Raat nahi hogi ye log hameaha Noor mai rahenge ,unke liye Raat ki miqdaar Parade chhod dene se maloom hogi aur Din ki miqdaar Parde Uthane se maloom hogi ,"
Abu Naiem ,219-220-221-223
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Qandeel aur Fanoos ,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se puchha gaya k ,Jannatiyo ke Qandeel ( Lamp ) aur Chiraag kese honge ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ ye Arsh se latakne wale fanoos honge Arsh ke ouper se Jannatiyo ke liye Roshni felayenge
Na to inka Noor bujhega aur na hi inko dekhne se Jannatiyo ki Aankhe khairah hogi _",
. Abu Naiem ,214
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Khushbu ,*
⚃➠ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu farmate hai'n maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aapne irshad farmaya :-
"__Jannat ki khushbu So Saal ke faasle se payi jayegi _,"
Abu Naiem ,2/41 ,Nihaya ,2/494 , Bayhiqi ,8/133
⚃➠Ek aur Rivayat mai hai k Chalees Saal ke faasle tak mehsoos hogi _,"
Bukhari ,3166
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne Jannat ki khushbu Zameen per payi hai jabki Jannat Sab Asmaano se ouper hai _,"
Ibne Kaseer ,144
*⚃➠Faayda,* Ye Jo Jannat ki khushbu ka mukhtalif musafato se paya Jana Ahadees mai waarid hua hai ye mukhtalif logo ke Amaal v darjaat ke hisaab se hai ,Ya Allah Ta'ala ki mansha per moqoof hai , WO jisko jitne faasle se chahe Jannat ki khushbu pahuncha de ya Jannat ki khushbu se parde hata de ,
. Jannat ke Haseen Manazir, 111
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Hamesha Rahegi,*
⚃➠ Irshade Khudawandi hai :-
"__Aur pas WO log Jo Nek bakht hai'n WO Jannat mai honge ( aur ) WO usme ( dakhil hone ke baad ) hamesha hamesha rahenge ,Jab tak Asmaan v Zameen qaayam hai .......",
Surah Hood , Aayat 108
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jo Shakhs Jannat mai dakhil hoga WO hamesha niyamato mai rahega Kabhi uktayega nahi aur hamesha rahega Kabhi marega nahi _",
Ibne kaseer ba hawala Musnad Ahmad, 2/370
⚃➠Hazrat Abu Saied khudri aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ (Jannat mai dakhil hone ke baad Jannatiyo ko ) ek munaadi Nida karega k Tumhare liye khushkhabri hai k tum sahatmand rahoge Kabhi bimaar na honge aur Tumhare liye ye bhi khushkhabri hai k tum zinda rahoge kabhi nahi maroge ,
Aur Tumhare liye ye bhi khushkhabri hai k Tum jawaan rahoge kabhi budhe nahi honge aur tumhare liye ye bhi khushkhabri hai k tum naaz aur niyamato mai rahoge kabhi dukh na dekhoge ,
__Allah Ta'ala ka isi ke Mutalliq irshad hai k un ( Jannat walo ) ko pukaar kar kaha jayega k ye Jannat tum ko di gayi hai tumhare Amaal ( hasna ) ke badle mai ( Surah A'araaf ,43) _,"
. Muslim ,4/2182 ,Musnad Ahmad, 3/95 ,Tirmizi ,3246
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darbaan aur Muhafiz,*
⚃➠ Allah Ta'ala ka irshad hai :-
"__Aur Jo Log Apne Rab se darte they wo giroh giroh ho kar Jannat ki taraf rawana kiye jayenge Yaha'n tak k Jab us ( Jannat ) ke paas pahunchenge aur uske darwaze ( pehle se ) khule hue honge ( taki dakhil hone mai Zara bhi dair na lage ) aur waha ke Muhafiz ( farishte ) unse ( bator ikraam aur sana ke ) kahenge Assalamu Alaikum tum maze mai rahi aur isme ( Jannat mai ) hamesha rehne ke liye dakhil ho jao _"
Surah Az-Zumar : 73
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Akheer mai Jannat mai dakhil hone wala chal raha hoga k achanak WO ek qism ka Noor dekhega aur Sajde mai gir padega ,usse puchha jayega tujhe kya hua ? To WO kahega k kya ye mere Rab ne mere saamne tajalli nahi farmayi ?
To achanak uske saamne ek Mard khada hoga WO arz karega nahi ( ye Aapne rab nahi ) ye mahallaat mai se ek Mahal hai aur mai Aapke Khidmatgaar nigraano mai se ek Khidmatgaar nigraan umoore khidmaat hu'n aur Aapke liye mere jese ek hazaar Khidmatgaar hai'n ,
Fir WO jannati us Khidmatgaar ke aage aage chalega aur Apne adna darje ke Mahal mai dakhil hoga aur WO Jis cheez per nigaah daalega ( husn ki vajah se ) uski nazar uske tamaam milk ( Jannat ) tak pahunch jayegi aur us Jannati ki mamlukat So saal ke safar karne ke barabar hogi ,
. Abu Naiem ,441 ,Majmauz Zawa'id ,10/ 343
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat Ka Raasta ,*
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai,
"__Ye Deen ( islam aur uske tamaam ajkaam ) mera raasta hai Jo k ( bilkul ) mustaqeem hai so is is raah per chalo aur doosri raaho'n per mat chalo wo Raahe'n tumko Allah ki Raah se juda kar dengi _",
Surah An'aam : 153
➠ *Faayda _* is Aayat Mubarak se maloom hua k Allah ka Deen ek hai baqi mazhab aur gumraahi ke raaste bahut hai'n Sirf Allah ke Deen islam mai nijaat hai, Doosre kisi mazhab mai nahi ,
⚃➠Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne hamare saamne ek lakeer kheenchi aur farmaya ye Allah ka Raasta hai ,
Fir Aapne us Lakeer ke Daaye aur Baaye bahut si lakeere kheenchi aur farmaya ,Ye bhi Raaste'n hai'n inme se har ek Raaste se Shaitaan gumraah karta hai ,
Fir Aapne mazkoora bala Aayat padh kar ( apni misaal ki wazahat ) farmayi ,
Nasaa'i , Majmuaz Zawa'id ,7/22
⚃➠Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Din Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam hamare saamne tashreef laye aur farmaya :-
"__Maine Khwab mai dekha goya k Jibraiyl Alaihissalam mere sarhane ke paas hai aur Miykaail mere paanv ke paas ,un dono mai se ek ne apne saathi se kaha Tum in ( Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ) ke liye misaal bayan karo to usne ( Aap Sallallahu Alaihivasallam se mukhatib ho kar ) kaha Apne kaano ki poori tavajjoh se suno aur Apne Dil ki Tavajjoh se gor karo ,
Aapki misaal aur Aapki ummat ki misaal us Badshah ki misaal jesi hai Jisne ek Mahal banwaya ho ,Usme kai kamre tameer kiye ho fir dastarkhwan bichhaya ho ,fir ek qaasid ko rawana kiya ho k WO logo ko khane ki taraf dawat de, pas unme se kuchh logo ne qubool kiya ho aur kuchh ne inkaar kiya ho ,
Pas Badshah to Allah hai ,Mahal islam hai aur ghar Jannat hai aur Ey Muhammad ! Aap Rasool ( qaasid ) hai'n ,Pas Jisne Aapki Dawat per labbek kahi WO islam mai dakhil ho gaya aur Jo islam mai dakhil ho gaya WO Jannat mai dakhil ho gaya aur Jo Jannat mai dakhil ho gaya usne isse khaya jo kuchh isme mojood hai,
. Sunan Tirmizi ,2860
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat aur Dozakh ka Munazra,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat aur Dozakh ne aapas mai jhagda kiya to Dozakh ne kaha -- Mujhe zaalim jaabir aur mutakabbir logo ke saath tarjeeh di gayi hai ( k Allah in logo ko mere Andar dakhil farmayenge )
Aur Jannat ne kaha -- mai bhi kam nahi hu'n mere andar bhi kamzor aur Duniya ke aitbaar she ghatiya ( samjhe Jane wale ) log dakhil honge ,
__To Allah Ta'ala ne ( faisla karte hue ) Dozakh se farmaya -- tu mera azaab hai mai tere saath jise chahunga azaab dunga,
Aur Jannat se farmaya -- Tu meri Rahmat hai mai tere saath jise chahunga Rahmat se nawazunga aur haa'n tumme se har ek ke liye poora poora bharaav hai ,
__pas Dozakh Kï ( qayamat ke Din ) ye haalat hogi k Wo ser hone ka naam na legi hattaki Allah Ta'ala usme apna paanv Mubarak rakhenge aur farmayenge -- Bas Bas , To Wo us waqt jaakar ke ser hogi aur uska ek hissa doosre mai simat jayega magar Allah Ta'ala kisi per zulm nahi karenge ( k Dozakh ko bharne ke liye nahaq tor per logo ko Dozakh mai daal de )
__Aur Jannat Kï ye haalat hogi k us ( ko rijane ) ke liye ek nayi makhlooq paida karenge _"
. Abdurrazaq ,20893 ,Bukhari ,8/595 Mishkaat ,5694
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Kon se Dino mai Kholi Jati hai,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ke Darwaze har Peer aur Jumeraat mai khole jate hai'n ,"
Adab Mufarrid ,114 Muslim, 2565 Tirmizi ,2023
⚃➠ Samar bin Atiya Raziyallahu Anhu farmate hai'n Allah Ta'ala ne jannatul firdaus ko Apne daste Mubarak se paida kiya aur usko Wo har Jumeraat ko kholte hai'n aur farmate hai'n-- Tu mere Auliya ( Dosto'n ) ke liye Apni Pakeezgi mai aur badh ja ,mere Auliya ( Dosto'n ) ke liye husn mai aur badh ja _,"
⚃➠ Hazrat Samar bin Atiya Raziyallahu Anhu hi farmate hai'n k Jannatul firdaus har Jumeraat aur Peer ko kholi jati hai fir us Shakhs Kï bakhshish kar di jati hai Jo Allah Ta'ala ke saath kisi ko Shareek nahi karta aur us Shakhs Kï bakhshish nahi hoti jiske darmiyan aur uske bhaai ke darmiyan dushmani ho _,"
. Safatul Jannah Abu Naiem , 2/28
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darwaze ,*
⚃➠Farmane Khudawandi hai :-
"__Aur Jo log Apne Rab se darte they Wo giroh giroh ho kar Jannat Kï taraf ( shoq dila kar jaldi ) rawana kiye jayenge Yaha'n tak k Jab us ( Jannat ) ke paas pahunchenge aur uske Darwaze ( pehle se khule hue payenge taki Jannat mai dakhil hone mai Zara bhi dair na lage ),
Surah Az Zumar ,73
⚃➠ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ke Aath ( 8 ) Darwaze hai'n, Saat band hai'n Ek Tauba ke liye khula hua hai Yaha'n tak k Suraj magrib se tulu ho _,"
Majmauz Zawa'id , 10/ 198 ,Abu Naiem ,169
⚃➠Hazrat Utba bin Abd farmate hai'n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ke Aath ( 8 ) Darwaze hai'n aur Jahannam ke Saat _,"
Abu Naiem , 2/16
*⚃➠ Faayda,*--in dono Hadeeso mai Jannat ke Aath darwazo ka zikr kiya gaya hai , Baaz Ulma ne Jannat ke Aath aur Jahannam ke Saat darwazo se istadlaal farmaya hai k chunki Allah Ta'ala Kï Rahmat uske gazab se wasee hai isliye Jannat ke Darwaze Jahannam ke darwazo se zyada hai'n kyunki Jannat Allah Ta'ala Kï Rahmat hai aur Dozakh Allah ka azaab hai ,
Jannat Ke Haseen Msnazir, 123
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darwazo Ke Naam,*
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ke Aath ( 8 ) darwaze hai'n
1- Babul Musalleen ( Namaziyo ka darwaza ),
2- Babul Saemeen ( rozedaro ka darwaza ),
3- Babul Sadiqeen ( Sadiqeen Sach bolne walo ka darwaza )
4- Babul mutasaddiqeen ( Aapas mai Dosti rakhne walo ka darwaza )
5- Babul Qaniteen ( Aajizi aur zaari dikhane walo ka Darwaza )
6- Babul Zakireen ( zikr karne walo ka Darwaza )
7- Babul Sabireen ( sabr karne walo ka Darwaza )
8- Babul Khashi'een ( Aajizi karne walo ka darwaza )
9- Babul mutawakkileen ( Tawakkul karne walo ka darwaza )
Abu Naiem ,2/16 Daarmi ,2416 Sunan Bayhiqi ,9/124 Musnad Ahmad ,4/185 Kanzul Ummal ,14/546
⚃➠Shuru Hadees mai Jannat Ke Aath ( 8 ) darwaze bayan kiye gaye hai jabki inki tafseel mai No ( 9 ) darwazo ka zikr hai , Ya to Babul Qaniteen aur Babul Khashieen se ek hi darwaza muraad hai aur iske Do naam zikr kiye gaye , ,,Wallahu Aalam ,
. Jannat Ke Haseen Manazir, 124
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Babul Rayyaan ,*
⚃➠ Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai ek Darwaza hai Jiska naam Rayyaan hai , isse Sirf Rozedaar hi dakhil honge
Jab unme ka Aakhri Shakhs dakhil ho chukega to usko band kar diya jayega fir isse koi dakhil na ho sakega _,"
Tazkira Qurtubi ,2/458 Musnad Ahmad ,5/333 ibne maaja ,1640
*⚃➠ Faayda ,* :-- Roze to Namaz Padhne wale hazraat bhi rakhte hai'n Shayad k is darwaze se Rozedaaro ke guzarne ki takhsees un Rozedaaro ke liye hogi Jo hamesha Roze rakhne wale honge Ya Khoob adaab v taqaazo ke mutabiq farz Roze rakhte honge ,,, Wallahu A'alam ,
. Jannat Ke Haseen Manazir, 125
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Babul Farah aur Zuha ,*
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat ka ek darwaza hai Jiska naam Babul Farah hai isse Wahi dakhil hoga Jo Bachcho ko khush rakhega ,"
Musnadul Firdaus ,4985
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ka ek darwaza hai Jiska naam Babul Zuha hai , Jab Qayamat ka Din hoga ek munaadi Nida karega -- Kaha'n hai'n WO log Jo hamesha Salatul Zuha ( Chaasht Ki Namaz ) padhne ki pabandi karte they ?
Ye Aap Hazraat ka darwaza hai Allah Ta'ala ki Rahmat ke saath isse dakhil ho jawo _",
. Musnadul Firdaus, 788 Targeeb ,1/467
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Har Amal Ka Ek Darwaza,*
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Ra sulullah sulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Har tarah ke Amal karne wale ke liye Jannat Ke darwazo mai se ek darwaza hai Usi Amal ki vajah se unko usse bulaya jayega _,"
Musnad Ahmad, 2/449 Majmauz Zawa'id ,10/398
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jab Qayamat ka Din hoga to insaan ko uske aksar Amal ke lihaaz se pukara jayega agar uski Namaz achchhi Roza achchha tha to usse pukara jayega ,agar uska Jihaad achchha tha to usse pukara jayega,
Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Ya Rasulullah ! Kya waha'n koi Shakhs esa bhi hoga jisko do Amalo ke saath pukara jayega?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- Haa'n Aap honge _,"
. Musnad Bizzaar , Majmauz Zawa'id, 10 /398
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Darwazo ka Husn ,*
⚃➠ irshade Khudawandi hai, " Khule hue honge Jannatiyo ke liye ( Jannat ke ) darwaze ,
"__ is Aayat ki tafseer mai Hazrat Hasan Basri Reh farmate hai'n k unka zaahir ka hissa andar se aur andar ka hissa bahar se nazar aata hoga ,
Jab unko kaha jayega k Khul jawo , Band ho jawo ,Kuchh bolo to WO in baato ko samajhte honge aur Jannatiyo se guftgu karte honge _,"
. Tafseer Hasan Basri ,4/390 Durre Mansoor ,5/318
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Jannat Ka Kunda Khat khatayenge,*
⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Jannat Ke Darwaze ka Kunda sabse pehle mai hilaunga aur usme koi fakhr aur takabbur ki baat nahi _,"
Tirmizi ,3216 ,Abu Naiem ,182,Kanzul ummaal ,6634
*⚃➠Faayda ,*
*___Shafa'at ki taveel Hadees mai Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Mai Jannat ke Darwaze ka Kunda Pakdunga aur usko khat khataunga _,"
Tirmizi ,3148 ,Abu Naiem ,183
➠ Ye hadees is baat mai bilkul waaze hai k Jannat ke darwaze ke kunde ka jism hai Jisko khat khataya jayega aur usme harkat paida hogi ,
Haadi Al Ravaah. ,92
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai dakhile Ke waqt Baab e Ummat Per Rash ,*
⚃➠ Sayyadna ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aaqa e Do Aalam Sarware Kaaynaat ne irshas farmaya :-
"__Meri ummat ka Wo darwaza jisse Wo Jannat dakhil honge uski chodaai tez tareen sawaar ke teen Raat Din ke musalsal safar ke barabar hai ,
Fir un logo ki us Darwaze per ( rash Kï vajah se ) esa hujoom hoga qareeb hoga k unke kandhe utar jaye ,"
Tirmizi ,2548 Kanzul Ummaal ,39311
*⚃➠ Faayda,* Baabe Ummat ka ek Naam Baabe Rahmat bhi hai aur is Ummat se muraad Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Ummat hai Jinhone Aapko tasleem kiya aur Aapki itteba Kï ,
Faizul Qadeer Sharah Jamia Sageer ,3/192
⚃➠ Ek hadees mai ye bhi waarid hai k Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se naqal karte hai k ,
"__Mere paas Hazrat Jibreel Alaihissalam tashreef laye aur mera haath pakad kar mujhe Jannat ka darwaza dikhaya Jisme meri Ummat dakhil hogi ,"
. Sunan Abu Daowd ,4652 ,Mishkaat - 6024 ,Kanzul ummaal - 32551
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat ke darwazo Ki chodaai,*
⚃➠Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__meri ummat mai se Sattar hazaar ya saat Laakh , in dono adad mai se ek mai raavi ko shak hai ,ek doosre ko thaam thaam kar Jannat mai dakhil honge Unhone ek doosre ke haath pakad rakha hoga ,
Unme pehla Shakhs us waqt tak Jannat mai dakhil na hoga jab tak k unme ka Akhri Shakhs dakhil na hoga , Unke chehre chohdhvi ke chaand ke jese honge ,"
Bukhari (Fatahul Baari ,11/416), Muslim - 373 ,Targeeb v Tarheeb - 4/499
*___ Faayda,* is Hadees se Jannat ke darwazo ki wus'at ka andaz lagaya ja sakta hai k ek darwaze se ek waqt mai taqriban Saat Laakh Aadmiyo ke guzarne ki wus'at hai ,
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ke aath darwaze hai'n uske har darwaze ke paato ke darmiyan Chalees ( 40 ) saal ( tak safar karne ) ka faasla hai ,"
Zawa'id zuhad ibne Mubarak ,1/535 Kanzul Ummal, 10196
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo'n ko Apni Manzil Ki Pehchan ,*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Jo log Allah ki raah mai maare jate hai'n, Allah Ta'ala unke Amaal ko hargiz zaaya na karega ,Allah Ta'ala unko ( manzil ) maqsood tak pahuncha dega aur unki haalat ( qabr aur hashr aur pul siraat aur tamaam moqe Akhirat mai ) durust rakhega aur unko Jannat mai dakhil karega Jiski unko pehchan kara dega , ( k har Jannati apne apne muqarrara makaan per bager kisi talash aur tafsees ke be takalluf ja pahunchega ),
Surah Muhammad ,4-5-6
⚃➠ Hazrat Mujahid Reh is Aayat ki tafseer mai farmate hai'n k Jannat wale apne gharo ko aur apne mahallaat ko is tarah se pehchanenge k bhoolenge nahi Goya k jabse paida hue unhi Mahlo mai reh rahe ho ,un Mahallaat ko kisi se nahi puchhenge ,"
. Tafseer e Mujahid ,2/598
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Apni Biviyo'n aur Gharo ko Jannati Khud ba khud Jaante honge,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Mujhe Us zaat Ki Qasam jisne mujhe Haq ke saath mabous farmaya hai,Tum Duniya mai Apni Biviyo'n aur Gharo ko Jannat walo se zyada nahi pehchante Jitna k wo Apni Biviyo'n aur mahallaat ko pehchante honge Jab wo Jannat mai dakhil honge ,"
Musnad ishaaq bin Rahviya ,669 Tafseer ibne kaseer ,3/276,282
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Dakhile Ke Khoobsurat Manazir aur istaqbaal,*
⚃➠Jis Din hum Nek logo ko wafad Ki shakl mai Rahman Ka mehman banayenge ,( Surah Maryam : 85)
"__ is Aayat ke mutalliq Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se sawal Kiya k Wafad to sawaar logo ko kaha jata hai ?
*__To Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
Mujhe Us zaat Ki Qasam jiske qabze mai meri Jaan hai Jab ye Jannati log Apni qabro se uthenge to unke istaqbaal mai Safed Ount ( Sawari ke liye ) pesh kiye jayenge Jinke Par lage honge aur un per Sone ke Kajaawe ( saje ) honge ,
*___Unki Jooto'n Ka tasma noor se chamakta hoga ,Un ounto Ka har qadam ta hadde nazar tak per padta hoga ,is tarah se ye Jannat tak pahunchenge to achanak surkh yaqoot Ka Kunda Sone ke Kiwaado per nazar aayega aur ye fora hi Jannat ke darwaze ke ek darakht per pahunchenge Jiski Jad se do chashme foot rahe honge ,
*__Jab ye unme se Ek chashme se piyenge Unke chehro per Niyamato Ki chamak damak kond jayengi aur Jab doosre chashme se ( gusl aur ) wazu karenge to unke Baal kabhi paraganda nahi honge ,
*__Fir ye Jannat ke kunde ko kiwaad per hilaenge to kaash Ki ey Ali tum Us Kiwaad ke kunde ke hilne Ki awaaz ko sun lo ( k Kitna Raahat aur Sarwar se labrez hogi ) to Us kunde ke hilne Ki awaaz har hoor tak pahunchegi Jisse usko maloom hoga k Uska Khawind ab aaya hi chahta hai ,to wo Jaldi mai furti ke saath uthegi aur Apne mutawalli ( farishte ) ko rawana karegi to Us Jannati ke liye ( uski makhsoos Jannat Ka ) darwaza khulega ,,,,,,
⚃➠Agar Allah Ta'ala us Jannati ko ( Maidane Mahshar mai apni ziyarat kara ke ) Apni pehchan na karate to Wo mutawalli ke Noor aur Anaa'i ko dekh kar ( usko khuda samajh kar ) Sajde mai gir jata ,Chunache Wo farishta batayega k mai Aapke Kaamo ka mutawalli aur khaadim banaya gaya hu'n fir Wo us jannati ko apne pichhe pichhe le kar chalega to Wo us farishte ke pichhe pichhe chalta hua Apni Bivi ke paas Pahunch jayega ,
⚃➠To Woh Jaldi se uthegi aur Khaime se nikal kar usse bagal geer hogi aur kahegi Aap meri Muhabbat hai'n Mai'n Aapki muhabbat hu'n ,Mai'n Raazi rehne wali hu'n Mai'n Kabhi naraaz nahi houngi Mai'n niyamato aur lazzato mai qaayam daayam rahungi Kabhi khasta haal nahi houngi ,Mai'n Hamesha nojawaan rahungi ,Kabhi Budhi nahi houngi ,
⚃➠Fir Wo ese Mahal mai dakhil hoga Jiski Buniyad se le kar chhat tak ek laakh haath Kï ounchaai hogi Jo lo lo aur yaqoot ke pahaad per banaya gaya hoga , Uske kuchh sutoon surkh honge aur kuchh Sutoon sabz honge aur kuchh sutoon zard honge , Unme se koi sutoon bhi Doosre sutoon Kï hamshakl nahi hoga ,
⚃➠Fir Wo ( jannati ) Apne araasta pairaasta takht ke paas aayega to us per ek ( aur makhsoos ) takht hoga Jis per Sattar palang ( alag alag ) saje honge Jin per Sattar Dulhane'n hongi , Har Dulhan per Sattar poshake hongi ( fir bhi ) unki pindli ka gooda jild ( aur poshako ) ke andar se nazar aata hoga ,Jannati unke saath sohbat ko ek Raat Kï miqdaar mai poora kar sakega ,
⚃➠ Un jannatiyo ke mahallat ke niche nehre behti hongi ese paani Kï nehre Jo pakiza aur saaf hongi usme koi gadlapan nahi hoga , aur kuchh Nehre saaf suthre Shahad Kï hongi Jo Shahad Kï makkhiyo ke pet se nahi nikla hoga aur kuchh Nehre esi Sharaab Kï hongi Jo peene walo ke liye sarapa lazzat hogi Usko logo ne apne paanv tale rond kar nahi nichoda hoga ,aur Kuchh Nehre ese Doodh Kï hongi jinka zaayqa Kabhi tabdeel nahi hoga aur ye jaanwaro ke peto se nahi nikla hoga ,
⚃➠Jab ye khaane Kï khwahish karenge unke paas Safed rang ke parinde aayenge apne paro ko ouper uthayenge to ye unke atraaf se khayenge Jonse qism ( ke khaane ) chahenge , Fir ( jab jannati khaa chuke honge to ) Wo ud kar chale jayenge ,
⚃➠Jannat mai Phal bhi honge ( bojh se ) jhuke hue Jab Jannati unki khwahish karenge to Wo Tehni khud unki taraf mud jayegi to Wo jis qism ke phal chahenge khayenge khade ho kar chahe beth kar chahe tek laga kar ,
"__isi ke mutalliq Allah Ta'ala ka irshad hai _" Aur un jannatiyo ke meve jhuke hue hai'n ," aur un Jannat walo ke khaadim motiyo'n Kï tarah ( khoobsurat aur Haseen honge ),
. Haadi Al Ravaah ,198
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*☞Azeemushaan Ounto Ki Sawariya'n,*
⚃➠ Aayat Mubarak :- Jis Din hum nek logo ko wafad ki shakl mai rahman ka mehman banayenge , ( Surah Maryam ,85 ) ki Tafseer mai Hazrat Naumaan bin Sa'ad bayan farmate hai'n:-
"__Tumhe maloom hona chahiye Allah ki qasam un hazraat ko wafad ki shakl mai paidal nahi chalaya jayega balki unke paas ese ount laye jayenge Jinki misl kabhi kisi makhlooq ne nahi dekhi , Un per kajawe sone ke honge aur lagame'n zabar jad ki hongi ( Ye is shaan v shokat ke saath ) un per sawaar ho kar aayenge aur ( Apni Apni ) Jannat ka darwaza khat khatayenge ,"
Haadi Al Ravaah ,199 Durre Mansoor ,4/ 285
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Taraf Giroh Dar Giroh ,*
⚃➠ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jin logo ne Allah Ta'ala se taqwa akhtyar kiya Unko Jannat ki taraf giroh dar giroh laya jayega Jab ye Jannat ke darwazo me se ek darwaze per pahunchenge waha'n per ek darakht ko dekhenge Jiski jad se Do chashme jari ho rahe honge tab ye log unme se kisi ek ki taraf esi tezi ke saath jayenge Goya unko waha'n Jane ka hukm diya gaya hai ,
"__Ye usse Piyenge to Jo kuchh unke peto mai takleef ,gandgi ya Bimaari hogi khatm ho jayegi ,Fir Ye doosre chashme ki taraf jayenge aur usse gusl karenge to un per niyamato ki bahaar aa jayegi aur unke jismo mai iske baad koi tagayyur tabaddal nahi hoga aur na hi unke Baal paraganda honge ( Balki ese mehsoos honge ) goya k unhone Tel laga ( kar baalo ko suljha ) rakha hai ,
⚃➠ Fir ye Jannat ke Darbaano tak pahunchenge to WO ( darbaan bator ikraam aur sana ke ) kahhenge , " Assalamu Alaykum tum maze mai raho ,so is ( Jannat) mai hamesha rehne ke liye dakhil ho jao ," Fir unka istaqbaal Ladke karenge aur Wo is tarah se unke gird ghoomte honge jis tarah se Duniya walo ke bachche ( khushi ke maare ) us dost ke gird ghoomte hai'n Jo Kaafi Arse ke baad waapas aaya ho aur ye kahenge k Aap khush ho jaiye us in'aam v ikraam se Jo Allah Ta'ala ne Aapke liye taiyaar kiya hai ,
⚃➠ Fir un Ladko mai se ek Ladka us jannati ki Hooren Biviyo'n me se kisi ek ke paas jaa kar kahega ,Wo fala aa gaya hai ,Fir WO us jannati ka wo naam lega jis ke saath WO Duniya mai bulaya aur Pukara jata tha , To WO kahegi -,Kya Tune usko dekha hai ? To WO kahega ( Haa'n Haa'n ) maine usko dekha hai WO mere pichhe aa raha hai,
⚃➠ Chunache un Hooro mai se ek Khushi se uchhal kar uthegi hattaki Apne darwaze ki chokhat tak aa jayegi ,
⚃➠Jab ye Jannati apne ( ek ) Mahal tak pahunchega to uski tameer ki buniyaad per nigaah daudayega to WO qeemti moti ki chattaan hogi Jiske ouper sabz aur zard aur surkh aur har rang ka ek Mahal qaayam hoga , Fir WO Apni nigaah Mahal ki chhat per daalega to WOh Bijli ki tarah ( munawwar ) hogi agar Allah Ta'ala ne usko dekh kar bardasht karne ki jannati mai quwwat na rakhi hoti to Wo ( Bijli ki chamak se ) Apni Aankho ke andhe hone ki takleef se do chaar ho jata ,
⚃➠ Fir Wo apna sar ghumayega to Apni Biviyo'n ko dekhega chune hue Aabkhoro ko dekhega aur barabar bichhe hue galicho ko dekhega aur jagah jagah fele hue resham ke nihalcho ko dekhega fir ye un niyamato ko dekh kar aur Tek laga kar kahega :-
"__Shukr hai Allah Ta'ala ka jisne humko Yaha'n tak pahuncha diya agar Allah Ta'ala hume Hidayat ataa na karte to hum Yaha'n tak kabhi na pahunch sakte they,"
⚃➠ Fir (Jab Sab Jannati Apni Apni jannatomai pahunch jayenge to ) ek munaadi Nida karega Tum Yaha'n Zinda rahoge kabhi nahi maroge ,tum hamesha Jawaan rahoge Kabhi Budhe nahi honge ,Tum hamesha tandurast rahoge kabhi Bimaar nahi honge ,"
. Haadi Al Ravaah, 199 ,Abu Naiem ,2/128
* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*☞ Jannat mai Maut hoti to Khushi se mar Jati,*
⚃➠Hazrat Hameed bin Hilaal farmate hai'n k hume ye bayan kiya gaya hai k Jab insaan Jannat mai dakhil hoga to uski Shakl Jannat walo ki si bana di jayegi aur unka libaas pehnaya jayega aur unke zever pehnaye jayenge aur Usko uski Biviya'n aur Khidmatgaar dikhaye jayenge to Khushi se esa matwala hoga k agar maut aana hoti to wo Khushi se matwala hone se mar jata ,
⚃➠ Lekin Usko kaha jayega Kya Tune apni is khushi ki haalat ko dekha hai ye tere liye hamesha qaayam rahegi ( aur badegi Kam nahi hogi ),
Zawa'id Zuhad ibne Mubarak, 429 Abu Naiem ,2/139
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*☞ Sattar Hazaar Khadim istaqbaal Karenge,*
⚃➠Hazrat Abu AbdurRahman Jaili Reh. farmate hai'n k Jab pehli pehal Jannat mai dakhil hoga to Sattar hazaar Khadim uska istaqbaal karenge ( unki Shakle esi hongi ) goya k wo ( bikhre hue ) moti ho _",
⚃➠Abu AbdurRahman Ma'afri Reh farmate hai'n k Jannati ke liye uske istaqbaal mai Do safe banayi jayengi WO un ladko aur Khadimo ki un dono safo ke aakhri kinaaro ko ( taveel saf hone ki vajah se) nahi dekh sakega Hattaki Jab ye unke darmiyan se guzrega to ye gulamaan uske pichhe pichhe chalenge ,_,"
. Zawa'id Zuhad ibne Mubarak, 427
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Farishta Jannat Ki Sayr karayega,*
⚃➠Hazrat Zahaak Reh farmate hai'n jab Momin Jannat mai dakhil hoga to uske aage ek farishta dakhil hoga Jo usko Jannat ki galiyo'n ki sayr karayega aur usse kahega :- dekh le Aap Jitna dekh sakte hai'n,
⚃➠Wo kahega :- Maine Aksar Mahallaat chaandi aur sone ke aur bahut se humdam dekhe hai'n , "
to farishta usko kahega:- Ye Sab Aapke liye hai'n,
⚃➠Hattaki jab ye unke paas pahunchega to WO har darwaze se aur har jagah se uska istaqbaal karenge aur kahenge :- hum Aapke liye hai'n ,Hum Aapke liye hai'n ,
⚃➠Fir WO farishta Jannati ko kahega :- chaliye ,Fir puchhega Aapne ( ab ) kya dekha ?
To WO kahega :- Maine aksar rihaa'ish gaahe khaimo ki shakl mai aur Bahut se humdam dekhe hai'n
To WO kahega ye Sab Aapke liye hai'n ,
"__Jab ye unke qareeb jayega to WO Sab uska istaqbaal karenge aur kahenge :- Hum Aapke liye hai'n, Hum Aapke liye hai'n ,_,"
. Haadi Al Ravaah, 301 ba hawala Abu Naiem, Tirmizi 2546
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Tees Saal Ki Umar mai Honge,*
⚃➠ Hazrat Mu'aaz bin jabal Raziyallahu Anhu ne Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se irshad farmate hue suna :-
"__jannati Jannat mai is haalat mai jayenge k Unke Jismo per Baal nahi honge ,
Unke Daadhi bhi nahi hogi ,Aankho Kï putliya'n aur Surma lagane Kï jagah Surmagi hongi , Tees Saal Kï Umar hogi _,"
*⚃➠ Faayda _* Yani sirf Mardo aur Aurto'n ke Sar ke Baal honge baqi Jism Baalo se Saaf hoga ,
Majmua Az Zawa'id ,10/398 Ba hawala Musnad Ahmad
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Jane Kï ijazat per Khushi Se Aqal Jane Ka Khatra,*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Ke khaadim Hazrat Kaseer bin Abi Kaseer Reh farmate hai'n k ,
"__Har ek Jannati insaan ke saath ek farishta muqarrar kiya jayega ,
__Jab Jannati Ko jannat Kï Khush khabri sunayi jayegi aur bataya jayega k Aapke liye Jannat ka faisla kiya gaya hai to farishta uske Dil per haath rakhega ,
__Agar Wo esa na kare to Jo intehaa Kï khushi us Momin ko pahunchegi us khushi ke maare Jo cheez uske sar mai ( Yani Aqal ) hai Wo Nikal jaye, ( aur insaan Diwana ho jaye )_",
. Jannat Ke Haseen Manazir ,175
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Dakhile Ke baad Ke Elanaat v ina'amaat,-1*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Ek munaadi Nida karega Tumhare liye ye tay kiya gaya hai k Tum sahatmand rahoge Kabhi bimaar nahi honge ,aur tumhare liye ye bhi tay kiya gaya hai k Tum zinda rahoge Kabhi nahi maroge aur Tumhare liye ye bhi tay kiya gaya hai tum jawaan rahoge Kabhi Budhe nahi honge , Aur Tumhare liye ye bhi tay kiya gaya hai k niyamato mai hi rahoge Kabhi khasta haal nahi honge ,
__Allah Ta'ala ka iske mutalliq irshad hai k ,
"_in ( Jannat walo ) se pukaar kar kaha jayega k ye Jannat tumko di gayi hai Tumhare A'amal ( hasna aur Sahi Aqaa'id ) ke badle mai ," ( Surah A'araaf ,43 )
Muslim ,2837 Tirmizi ,3346
⚃➠ Hazrat Suhaib Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Jannati jannat mai aur Dozakhi Dozakh mai dakhil ho jayenge to ek munaadi pukaar kar kahega ,
Ey Jannat walo ! Tumhare liye Allah ke paas ek vaada hai ,
Woh puchhenge - Konsa Vaada ?Kya usne hamari nekiyo'n ko wazni nahi kiya aur hamare chehro ko Roshan nahi kiya aur Hume Jannat mai dakhil nahi kiya aur Hume Dozakh se nijaat nahi di ,?
__To Allah Ta'ala apna Parda hatayenge aur Woh ( Jannnati ) Allah Ta'ala ka Didaar karenge ,
__Qasam ba Khuda ! Allah Ta'ala ne Jannat walo ko Apne Didaar se zyada Mehboob koi niyamat esi ataa nahi farmayi Jo Jannat Walo ko isse zyada Mehboob ho _,"
. Muslim ,181 Musnad Ahmad ,4/332 ibne maaja ,187
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat mai Dakhile Ke baad Ke Elanaat v ina'amaat--2,*
⚃➠ Hazrat Abu Tamima Reh farmate hai'n k Maine Janab Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se suna jab Aap Basra ke mimber per khutba farma rahe they ,
➠ Aap Farma rahe they :- Allah Ta'ala qayamat ke Din Jannat walo ke paas ek farishta rawana karenge ,Wo farishta puchhega,
Ey Jannat walo ! Jo vaada Allah Ta'ala ne Tumse kiya kiya tha Usko tumse Poora kar diya ?
To Woh for karenge fir Zevero ,Poshako ,Nehro aur Pakiza Biviyo'n ko dekhenge to Kahenge k Haa'n Allah Ta'ala ne humse Jo vaada kiya tha usko hamare liye poora farma diya hai ,( Muhabbat mai ) jannati ye baat Teen martaba kahenge ,
Fir dobara dekhenge to jis jis cheez ka vaada unse kiya gaya tha usse koi cheez kam nahi payenge , Fir kahenge Haa'n ( Allah Ta'ala ne apna vaada Poora farmaya hai )
__To Wo farishta kahega k ek niyamat baqi reh gayi hai ,Allah Ta'ala ne irshad farmaya hai :- Woh log Jinhone Nek Amaal kiye unke liye Jannat hai aur Allah Ta'ala ke chehre Mubarak Kï ziyarat aur Didaar hai ( Surah Yunus ,26)_,"
. Zawa'id Zuhad ibne Mubarak, 419 Haadi Al Ravaah ,217
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Dakhile Ke baad Ke Elanaat v ina'amaat --3,*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Allah tabarak v Ta'ala Jannatiyo se farmayenge , Ey Jannat walo !
Woh Arz karenge :- Labbaik v Sa'adek hamare parwardigaar ,
Allah Ta'ala puchhega - Kya Raazi ho gaye ?
Woh Arz karenge - hum kyu na Raazi ho jabki Aapne Hume Wo kuchh ataa farmaya Jo Aapne apni makhlooq mai kisi ko ataa nahi kiya ,
__Allah Ta'ala irshad farmayenge- mai'n tumhe isse bhi Afzal niyamat ataa karna chahta hu'n ,
Woh puchhega - Ey hamare parwardigaar ! Isse zyada Afzal aur konsi niyamat hai ?
__ Allah Ta'ala irshad farmayenge - mai tum per apni razamandi ko naazil karta hu'n ab iske baad mai tum per Kabhi naraazi aur gussa nahi karunga _,"
. Bukhari ,4549 Muslim ,2829
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kaafiro Ki Manazile Jannat Musalmano ko Wirasat mai de di Jayegi,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Tumme se har Aadmi ki Do manzile hai'n ,Ek manzil Jannat mai hai aur ek Dozakh mai hai ,
__Jab ( koi kaafir ) mar jata hai aur Dozakh mai dakhil ho jata hai to Jannat wale uski ( Jannat ki ) manzil ke waaris ho jate hai'n ,
__iske Mutalliq Allah Ta'ala ka irshad hai k Yahi log hi waaris hai'n ( Jo Jannat ul Firdaus ke waaris banenge ),
. Tazkira fil Ahwalul Mauti v Umoore Akhirah ,2/435, Sunan ibne maaja ,4341,Kanzul Ummaal ,2913
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat mai Dakhil hone Ke Baad Kalimaate Shukr ,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannati Jab Jannat mai dakhil ho kar Apne Apne muqamaat per pahunch jayenge to ye kahenge " Sab Tareefe Allah Ke liye hai'n jisne humse Ranj v gam ko door kiya ,"
"__is ranjo gam se muraad ye hogi k humne maidane mahshar mai Jo holnaakiya, zalzale ,Sakhtiya'n aur Karhanakiya dekhi hai ( unse mehfooz rehne aur Jannat jesi pur Asaaish manzil mai pahunch Jane per hum Allah Ta'ala Ka Shukr ada karte hai'n ) ,
__iske baad WO kahenge " Be Shak hamara rab bakhshish karne wala qadardaan hai usne hamare bade bade Gunaah maaf kar diye aur hamare Nek Amaal ki qadardaani karte hue Hume Araam v Raahat ataa ki _,"
Abu Naiem , 2/120 ( 272)
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Har dozakhi ko uska Jannat ka thikaana dikhaya jayega to WO kahega kaash k Allah Ta'ala mujhe Hidayat dete ( aur mai'n isme dakhil hota ) Chunache us Jannat se mehroomi ki hasrat us per sawaar rahegi ,
"__Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ( is tarah se ) har jannati ko uska Dozakh ka thikaana dikhaya jayega to kahega Agar Allah Ta'ala mujhe Hidayat na dete ( to mai'n Aaj is jagah dozakh mai hota ) pas ye uske liye Shukr ka muqaam hoga _,"
. Majmauz Zawa'id, 10/399
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ki Aalishan Jannat,*
⚃➠Janab Abdullah bin Umr bin Aas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Sayyadna Do Aalam Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Jab Tum moa'zzin se ( Azaan ) suno to wese hi ( Kalimaat ) kaho Jese WO kahe ,
__Fir mujh per Darood bhejo fir mere liye Allah Ta'ala se ( muqaam ) Waseela ka sawal karo Kyunki ye Jannat mai ek darja hai Jo Allah ke Bando mai sirf ek Bande ke laa'iq hai aur mujhe ummeed hai k WO mai hounga ,
__Pas Jis ( Musalman ) ne mere liye ( muqaam ) waseela ki Dua ki uske liye ( Qayamat ke Din meri ) Shafa'at laazim hogi _,"
. Musnad Ahmad ,2/168 Muslim ,11 Abu Daowd ,533 Tirmizi ,3614
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ambiya ,Shohda aur Siddiqeen Ki Jannat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannate Adn mai Sirf Ambiya Kiraam, Shohda aur Hazraate Siddiqeen dakhil honge , is Jannat mai esi esi niyamate'n hongi jinko Kisi Shakhs ne nahi dekha aur na Kisi insaan ke waham v gumaan mai inka khayal guzra hoga_,"
Tabrani ,Majmauz Zawa'id
⚃➠Allah Ta'ala ke nazdeek Shaheed ke Chhe ( 6 ) ina'amaat hai'n, Khoon ke pehle qatre ke girte hi uski magfirat kar di jati hai, Jannat mai usko uska thikaana dikha diya jata hai, Usko imaan Kï poshaak pehna di jati hai, Usko azaabe qabr se mehfooz kar diya jata hai, ( qayamat ke Din ) badi ghabrahat ke waqt aman hoga ,
Uske Taaj ka ek Moti Duniya v mafiha se zyada qeemti hai ,Uski shaadi bahattar ( 72 ) Hoore'n se Kï jayegi aur Uske Sattar qareebi rishtedaro ke Haq mai uski Shafa'at qubool Kï jayegi ( aur unko uski Shafa'at Kï vajah se Jannat mai dakhil kiya jayega )_,"
Musnad Ahmad ,4/131 Majmauz Zawa'id, 5/293
⚃➠ Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Allah Tabarak v Ta'ala har Raat Kï doosri ghadi mai jannate adn Kï taraf nuzool farmate hai'n ,Ye ( Jannate Adn ) Allah Ta'ala ka ( banaya hua ) esa ghar hai Jisko na to kisi Aankh ne dekha hai aur na hi kisi insaan ke waham v gumaan mai aaya hai, Ye uska maskan hai aur uske saath insaano mai se koi nahi reh sakta Sivaye Teen qism ke hazraat ke ( 1) Ambiya Alaihissalam (2) Hazraate Siddiqeen (3) Shohda ,_,"
. Tabrani ,Majmauz Zawa'id ,10/412
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati Ke Manazil aur Darjaat,*
⚃➠ Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu ne Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se rivayat kiya hai :
"__Hazrat Moosa Alaihissalam ne Apne parwardigaar se sawal kiya k Jannat mai sabse Adna darje ka Konsa jannati hoga ?
Allah Ta'ala ne farmaya Wo Shakhs Jo Jannatiyo ke jannat mai dakhil ho Jane ke baad pesh hoga usko hukm diya jayega k tu bhi jannat mai dakhil ho ja ,
Wo arz karega Ya Rab kis tarah Jabki log apni apni manazil tak pahunch gaye hai'n aur apne ina'amaat aur maqamaat haasil kar chuke hai'n ?
Usse kaha jayega _ Kya tu is per Raazi hai k tujhe Duniya ke Badshaho mai se kisi ek Badshah Kï saltanat ke barabar jannat de di jaye ?
Wo arz karega _ Ey Rab mai Raazi hu'n ,
Fir Allah Ta'ala usse farmayega _ Tumne ye bhi diya aur itna aur ,aur itna aur ,aur itna aur ,aur itna aur ( Jab Allah Ta'ala paanchvi misl ko farmayenge ) to Wo bol uthega _ Ya Rab mai Raazi ho gaya ,
Allah Ta'ala farmayega _( Ja ) ye Sab tere liye hai aur iska das guna mazeed bhi , aur tere Wo bhi hai Jo tera Dil chahe aur Teri Aankho ko lazzat pahunche ,
Wo arz karega_ mai Raazi ho gaya ( mai Raazi ho gaya _)
__Hazrat Moosa Alaihissalam ne arz kiya_ Ey Rab un Jannatiyo mai se A'ala darje ka kaun hoga ?
Irshad farmaya __Wo log Jo meri muraad hai'n Jinko maine chahah hai ,unki izzat v shaan mai izafe ke liye, maine apne haatho se jannat ke bagaat sajaye hai'n aur un per ( un mustahiqeen ke liye taqseem kar ke ) muhar laga Dï hai ,Jinko na kisi Aankh ne dekha hai na kisi kaan ne suna hai aur na hi kisi insaan ke Dil se unka koi khayal guzara hai _",
. Muslim ,189 Ibne Kaseer ,41 Targeeb v Tarheeb ,4/501
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
✨⚡⚵
⚵
❈ *Bismillahirrahmanirrahim* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati Ki Jaah v Hashmat aur Qadaro Manzilaat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Adna Darje ke Jannati ke Jaanat ke Saat darjaat honge Ye Chhate per rehta hoga ,Uske ouper saatva darja hoga ,
__Uske Teen so Khaadim honge , Uske saamne rozana Subeh v Shaam Sone chaandi ke teen so piyaale khaane ke pesh kiye jayenge , Har ek Piyaale mai ese qism ka khaana hoga Jo doosre mai nahi hoga aur Jannati uske Shuru mai ese hi lazzat payega jese k uske aakhir se ,aur WO ye kehta hoga __Ya Rab agar Aap mujhe ijazat de to mai'n tamaam Jannat walo ko khilaau'n aur pilaau'n Jo kuchh mere paas hai , usme kami na hogi ,
__Uski Hoore'n mai se bahattar ( 72 ) Biviya'n hongi unme se har ek ki sureen zameen per ek meel ke barabar hogi _,"
. Musnad Ahmad, 2/537 Majmauz Zawa'id, 10/400
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati ko Das Hazaar Khaadim,*
⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aapne irshad farmaya :-
"__ Tamaam Jannatiyo mai sabse Kam darje ka jannati WO hoga Jiski khidmat mai Das hazaar Khaadim kamar basta honge , Har ek ke haath mai Do Do piyaale honge Ek Sone ka doosra Chaandi ka , Fir har ek mai ese rang ka khaana hoga k us tarah ka doosre mai nahi hoga ,
__Uske Aakhir se bhi WO wese hi ( dilchaspi ) se khayega Jis tarah uske Shuru se khayega , Uske Aakhir mai esi khhubu aur lazzat payega jesa k uske Shuru mai payega ,
__Fir uska ye khaana khaalis mushk ban kar ( Paseene ki shakl mai ) niklega , na to ye Peshaab karte honge ,na pakhaana ,na hi balgam fenkte honge , Bhai Bhai honge , Takhto per ek doosre ke saamne beth te honge _,"
. Majmauz Zawa'id, 10/401 Targeeb v Tarheeb , 4/508
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ek Hazaar Azeemu Shaan Mahallaat,*
⚃➠ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat ki gayi hai k Aapne farmaya :-
"__ Adna Darje ka jannati WO hoga Jiske ek hazaar Mahallaat honge ,Har DO Mahallaat ke darmiyan ek saal tak chalne ka faasla hoga , Ye Jannati unke door ke hisso ko bhi wese hi dekhta hoga Jis tarah se unke qareeb ke hisso ko dekhta hoga ,
__Har Mahal mai Hoore'n hongi ,Fool daar podhe honge , ( Khidmatgaar ) ladke honge , Jis Shay ki khwahish karega usko pesh kar di jayegi ,"
Targeeb v Tarheeb ,Musannif ibne Abi Sheeba , Safatul jannah ibne Abid Duniya, 34
⚃➠ Jannatiyo mai se Adna Darje ka Shakhs hoga Jiske Saat Mahallaat honge , Ek Sone ka hoga , Ek Mahal Chaandi ka hoga , Ek Mahal Moti ka hoga , Ek Mahal Zamarrud ka hoga , Ek Mahal yaqoot ka hoga ,
Ek Mahal esa hoga Jiska Aankhe adraak nahi Kar sakengi , Ek Mahal Arsh ke rang ka hoga , Har Mahal mai Zevraat aur Poshaake aur Hoore'n hongi Jinko Allah Ta'ala ke alawa koi nahi jaanta,"
. Tazkiratul Qurtubi , 491
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kam Amal Aulaad air Bivi Apne zyada Amal wale Walid aur Shohar ke darje mai Jannat mai Jayenge,*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Aur Jo log imaan laye aur unki Aulaad ne bhi imaan mai unka saath diya Hum unki Aulaad ko bhi unke saath shamil kar denge aur hum unke Amal mai se koi cheez kam nahi karenge Har shakhs Apne Amaal mai majboor rahega ,"
Surah At-Toor :- 21
*☞ Aulaad aur Walden ke darje Jannat mai,*
⚃➠Hazrat ibne Abbaaas Raziyallahu anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Tabarak Wa Ta'ala momin Ki Aulaad ko momin ke darje mai uske saath mila denge Agarche WO ( nek ) Amal mai usse kam ( darja ho taki unke qareeb karne se ) uski Aankhe thandi ho ,"
. Haakim ,2/468 Majmuaz Zawa'id,7/114
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaad aur Bivi ,Walid aur Shohar Ke darje Ki Jannat mai,*
⚃➠Shareek Saalim v Saied bin Juber v ibne Abbaas Raziyallahu Anhum se rivayat karte hai'n , Shareek farmate hai'n k mera gumaan hai k ibne Abbaas Raziyallahu anhu ne is hadess ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se naqal kiya tha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Aadmi Jannat mai dakhil hoga to Apne Walden aur Bivi Bachcho ke mutalliq puchhega ( k WO kaha'n hai'n) to usko bataya jayega k WO ( nek amaal kar ke ) Aapke darje tak ya Aapke Amal tak nahi pahunche ,
__To WO arz karega _Ya Rab maine to Apne liye aur unke liye ( sabke liye ) Amal kiya tha ( taki Aap Apne fazal ke saath unko bhi mere saath Jannat mai jagah ataa farmayenge )
__Chunache un Sab hazraat ko us jannati ke saath darjaat mai pahuncha diya jayega ,
__Fir Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu anhu ne ye aayat tilawat farmayi :- ( Tarjuma ) WO log Jo imaan laye aur unki Aulaad ne bhi imaan mai unka saath diya ( to hum unki Aulaad ko bhi unke saath Jannat mai shamil kar denge ),
. Tabrani fil Sageer ,640 Majmauz Zawa'id ,7/114
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kam Amal Walden Zyada Amal Ki Aulaad Ki Jannat Ke darje mai,*
⚃➠Kalbi Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu anhu se rivayat karte hai'n k ,
"__Agar Walden Aulaad ke muqable mai A'ala darje mai honge to unki Aulaad ko unke Walden ke darje mai faa'iz kiya jayega ,
__Aur agar Bete Walden se martabe mai bade hue honge to Walden ko un Beto ke darje mai faa'iz kiya jayega ,"
Haadi Al Ravaah ,482
⚃➠ Hazrat Saied bin Juber Raziyallahu anhu se momin Ki Aulaad ke mutalliq sawal kiya gaya to farmaya :-
"__wo Apne Walden mai se behtar ke paas honge agar Baap maa'n se behtar tha to WO Baap ke saath honge aur agar Maa'n Baap se behtar thi to WO maa'n ke saath honge ,"
Ba hawala_Abu Naiem ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaad Ki Dua se Darjaat mai Taraqqi Haasil hogi,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___ Bila Shubha Allah Tabarak wa Ta'ala Nek Aadmi ka Jannat mai darja buland farmayenge to wo arz karega :-Ey Rab ! Mere liye ye darja kaha'n se badh gaya ?
To Allah Ta'ala irshad farmayenge k Tumhare liye tumhare Bete ke istigfaar ki vajah se ( tumhara darja buland kiya gaya hai ),
Musnad Ahmad, 2/509 Majuaz Zawa'id ,10/210
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ A'ala Darje ke Baaz Momineen Ke muqamaat ,*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat wale apne ouper baala khano mai rehne walo ko apne Amaal ki kami beshi ki vajah se ese dekhenge Jis tarah se ( log ) magrib ya mashriq ke ufaq mai gaayab hone wale chamakdaar sitaare ko dekhte hai'n,
Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya ye Ambiya Kiraam ki manazil hongi Jinme inke siva koi nahi pahunch sakega ,"
Farmaya :- Kyu nahi mujhe us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai ( un baala khaano mai ) wo log rahenge Jo Allah per imaan ( kaamil aur A'ala darje ka ) laye aur uske Rasoolo ki tasdeeq ki ( kaamil tor per ) ,"
. Muslim ,2831 Haadi Al Ravaah, 111
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darjaat Aayaate Qur'an Ke Barabar hai'n,*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Hafize Qur'an Jab Jannat mai dakhil hoga ( to usko ) kaha jayega Padhta Ja aur Chadhta Ja ,
_To wo Padhega aur har Aayat ki jagah ek darja aur chadhega Hattaki usko jitna yaad hoga uska Aakhri hissa bhi padh lega _,"
Musnad Ahmad ,2/192
*⚃➠ Faayda,* isse maloom hua k Hafize Qur'an ( jo Qur'an per Amal bhi karta ho ) Jannat Ke A'ala darjaat per faa'iz hoga Basharte k Usko Qur'an e Paak ka Kaafi hissa Yaad ho Laparwahi se bhool na jaye,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Firdaus Arsh se Kitna Qareeb hai,*
⚃➠ Hazrat Abu Umama Raziyallahu anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Tum Allah Ta'ala se Firdaus maanga karo Kyunki Ye Jannat ka umda hissa hai ( is Firdaus ke ) rehne wale Jannati Arsh ki char charahat ( ki awaaz ) sunenge _,"
. Ba Hawala - Tabrani ,8/294 Majmauz Zawa'id ,10/398
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darjaat KIS Cheez ke Hai'n,*?
⚃➠ Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___ Jannat Ke So ( 100 ) darje hai'n Unme ke har darje ka darmiyani faasla Asmaan v Zameen Ke faasle ke Barabar hai ,
Unme se pehle darje ke ghar ,Kamre ,Uske darwaze ,Palang aur unke taale ( sab ) chaandi ke honge ,
Aur doosre darje ke ghar Kamre, Uske darwaze Uske Palang aur uske Taale sone ke honge ,
Aur Teesre darje ke ghar uske Kamre Uske darwaze, Uske Palang aur uske Taale Yaqoot , Lo lo aur Zabarjad ke honge aur baqi Sattanve ( 97 ) darje KIS Cheez se bane hai'n Sivae Allah Ta'ala ke koi nahi jaanta_,"
. Ravaah Abu Naiem, 2/ 234
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Darjaat Buland Karne wale A'amaal,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Kya mai tumhe wo Amal na batau'n Jisse Allah Ta'ala Khatae'n mitaa te hai'n, aur Darjaat Buland karte hai'n ,?
( Sahaba Kiraam ne )arz Kiya ,Ya Rasulullah Kyu nahi ?
Farmaya :- Wazu Ko sardi aur takleef ke waqt achchhi tarah se karna , Masjid tak zyada qadam kar ke Jana ,Namaz padh kar agli Namaz ke intezar mai Rehna Ye hai gunaho se bachne ka moqa aur tareeqa ,"
. Bahawala Muslim ,Tirmizi ,Bayhiqi,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannatul Firdaus Chaar hai'n,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n , :-
"_Jo Allah Ta'ala ke saamne pesh hone se dar gaya ( aur gunaah karne se Ruk gaya to uske liye ) do jannate hai'n ( ek sone ki aur ek chaandi ki ) , iske Baad farmate hai'n :- in do jannato ke niche do jannate aur hai'n ,
Surah Rahman ,
⚃➠ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Do jannate Esi hai'n k unke bartan unke zever aur Jo kuchh unme hai'n chaandi ka bana hua hai , Jannat walo ke darmiyan aur uske darmiyan k wo Apne Parwardigaar ka didaar kare sirf ek kibriyayi ki chaadar hogi Allah ke chehre Mubarak per jannate Adn hai'n,
⚃➠ *Faayda,* is hadees Sharif se maloom hota hai k jannatul Firdaus ki tadaad Chaar hai'n, unme do jannate sone ki hongi aur do chaandi ki ,ye Chaar jannate ounche darje ki hongi ,isliye k unke aur Allah Ta'ala ke didaar ke darmiyan Kibriyayi ki chaadar hogi, In jannato wale jab chahenge Allah Ta'ala ka didaar kar sakenge , digar bahut si rivayato mai Aap padhenge k aksar jannate Esi hai'n jinme Allah Ta'ala ke didaar ka ek waqt muqarrar hoga ,
. Musnad Ahmad ,4/416 Majmauz Zawa'id ,10/397
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatul Firdaus ki Shaan v Shokat,*
⚃➠Hazrat Amru bin Salamat Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Allah Ta'ala ne Jannatul Firdaus ka maidaan Apne dasto Mubarak se banaya hai fir us per khaalis Sone ki iynt se aur khoob mahakne wali mushq ki iynt se iski tameer ki ,
Isme umda aqsaam ke Mevo ke darakht lagaye ,umda khushbu paida ki ,isme nehre chalayi ,
Fir hamare Parwardigaar ne Apne arsh per Jalwa Afroz ho kar iski taraf dekha aur farmaya ,Mujhe mere galbe ki qasam tujhme daymi sharab pine wala aur zinakaari per data rehne wala Dakhil nahi ho sakega,"
ABU Naiem ,440
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai Firdaus ek pahaad hai usi se Jannat ki Nehre nikalti hai'n,
Wsful Firdaus, 59
⚃➠Hazrat Hassan bin Atiya Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Allah Ta'ala Jannatul Firdaus ki taraf har raat sahri ke waqt Nazar karte hai'n aur ( usko ) hukm dete hai'n k Apne husn ke saath mazeed haseen ho jaye , Beshak Wahi log kaamyaab hai'n jo Momin hai'n ,"
. Wasful Firdaus ,60
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatul Firdaus Arsh Ke niche hai,*
⚃➠Janab Sarvare Kaaynaat Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n :-
"__ Tum Allah Ta'ala se Jannatul Firdaus ka sawal Kiya Karo kyunki ye Jannat Ka umda aur A'ala hissa hai ,isi se Jannat ki Nehre foot ti hai'n aur ye Jannatul Firdaus wale ( Arsh ke qareeb hone ki vajah se ) Arsh ki char charahat ki awaaz bhi sunenge ,"
Wasful Firdaus ,55 , Majmauz Zawa'id ,10/398
*⚃➠Faayda* :- Allama Qurtubi Reh farmate hai'n k kaha gaya hai k Jannate Saat hai'n,
1 -Darul Jalaal ,2-- Darus Salam ,3--Darul Khuld ,4- - Jannate Adn ,5--Jannatul Maava ,6-- Jannate Naiem ,7-- Jannatul Firdaus ,
Aur ye bhi kaha gaya hai k faqat Chaar hai'n Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ki saabqa hadees ki bina per , Allama Halimi Reh ne bhi isko akhtyar kiya aur farmaya hai Do jannate muqarrabeen ki hongi aur doosre darje ki do jannate Hazraat Ashabul Yameen ki ,Lekin har Jannat mai kai darjaat , manzile aur darwaze honge ,
. Tazkiratul Qurtubi ,440
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Naam aur Khususiyat --
¶__ Ba Aitbaar Zaat ke ek Jannat hai , Magar Ba Aitbaar Sifaat ke iske kai naam hai'n ,Jis tarah se Asma e Bari Ta'ala ,Asma e Qur'an ,Asma e Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam,Asma e Qayamat aur Asma e Dozakh bahut hai'n Magar Maqsood unme Zaat waahid Hoti hai ,( Magar haa'n uske darjaat bahut hai'n )
*⚃➠1- Jannat __
* Ye Jannat ka mashoor Naam hai, Jo us ghar aur uski tamaam qism ki niyamato ,lazzato ,raahato ,Sarwar aur Aankho ki thandako per istemal hota hai ,Jannat Arbi mai Baag Ko kehte hain aur Baag bhi esa jiske darakht aur podhe ghane ho aur Dakhil hone wala unme chhip jaye ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 2- Darus Salaam,*
⚃➠Allah Ta'ala ne Jannat ka ek Naam Darus Salaam bhi rakha hai , Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
لَهُمْ دَارُ السَّلَامِ عِندَ رَبِّهِمْ
( Surah Al An'am ,127 )
"__Momineen ke liye unke Rab ke paas Darus Salaam hai ,
⚃➠ Aur ek jagah irshad farmaya :-
وَاللَّهُ يَدْعُو إِلَىٰ دَارِ السَّلَامِ
( Surah Yunus ,25 )
"__ Aur Allah Ta'ala ( logo Ko ) Darus Salaam ki taraf bulata hai ,"
⚃➠Jannat is Naam ki Sabse zyada mustahiq hai kyunki ye har aafat aur makrooh cheez se Aman v Salaamti ka ghar hai , Ye Allah Ta'ala ka ghar hai , Kyunki Allah Ta'ala ka ek Naam Salaam bhi hai ,Jisne usko Salaamti wala banaya hai aur uske makeeno Ko Mamoon v mehfooz farmaya hai,
⚃➠Ye Jannat wale bhi aapas mai Salaam ka tohfa pesh karenge aur farishte bhi unke saamne Jis darwaze se dakjil honge Assalamu alaikum kahenge aur Rab Raheem ki taraf se bhi Salaam pesh Kiya jayega aur Jannat wale durust baat karenge usme koi lagu behoodgi aur bekaar pan nahi hoga,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ ,3-Darul Khuld*
⚃➠ Jannat ka Ye Naam isliye rakha gaya hai kyunkiTeresa Ahle jannat hamesha ke liye isme rahenge ,waha'n se kabhi nahi niklenge ,
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:- ataa hai tere Rab ki kabhi khatm na hone wali ,"
*☞ 4-Darul Maqama,*
⚃➠Allah Ta'ala Jannat walo ki Zubaani Qur'an Paak mai irshad farmate hai'n:-
وَقَالُوا الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَذْهَبَ عَنَّا الْحَزَنَ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٌ شَكُورٌ .الَّذِي أَحَلَّنَا دَارَ الْمُقَامَةِ مِن فَضْلِهِ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٌ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٌ
*~~Surah Fatir, Aayat 34-35:*
*➠Tarjuma:-* Aur kahenge k Allah ka laakh laakh shukr hai Jisne humse gam ko door kiya beshak hamara parwardigaar bada bakhshne wala bada qadardaan hai , Jisne humko Apne fazal se hamesha rehne ke muqaam ( Darul Maqaama) mai laa utaara jaha'n per na Hume koi kalfat pahunchegi aur koi humko khastgi pahunchegi ,"
"__Hazrat Maqatil is aayat mai Darul Maqama ki tafseer Darul khuld ke saath karte hai'n, Jisme Jannati hamesha rahenge ,na unko maut aayegi aur na hi unko isse nikaala jayega ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 5- Jannatul Maavaa*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:-
عِندَهَا جَنَّةُ الْمَأْوَىٰ
*~Surah An-Najm, Aayat-15:*
Yani Sidratul Muntaha ke paas hi Jannatul Maavaa hai , Arbi mai maavaa thikaane ko kehte hai'n Yani rehne ki jagah sirf Jannat hai ,
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k yahi WO Jannat hai jaha'n tak Hazrat Jibreel aur Hazraate Malaaika jaa kar rehte hai'n _"
"_Aur Hazrat Maqatil aur Kalbi kehte hai'n k ye WO Jannat hai jisme Shaheedo ki Roohe'n jaa kar rehti hai'n, "
"__Hazrat Ka'ab kehte hai'n k Jannatul maavaa WO Jannat hai jisme sabz rang ke parinde rehte hai'n, unhi mai Shaheedo ki Roohe'n charti firti hai'n ,
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
وَأَمَّا مَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ وَنَهَى النَّفْسَ عَنِ الْهَوَىٰ .فَإِنَّ الْجَنَّةَ هِيَ الْمَأْوَىٰ
*Surah An-Naziat,Aayat 40- 41*
*➠Tarjuma :-* "__Pas Jo Shakhs Apne Rab ke saamne pesh hone se dar gaya aur nafs ko uski khwahishaat se baaz rakha Pas Jannat hi uska thikaana hai ,"
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 6-Jannate Adn*
⚃➠ Ye bhi Jannat ka ek Naam hai aur Sahi ye hai k tamaam Jannato ka majmui Naam hai aur Sab Jannate Jannate Adn hai'n ,
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Maryam, Aayat 61*
جَنَّاتِ عَدْنٍ الَّتِي وَعَدَ الرَّحْمَٰنُ عِبَادَهُ بِالْغَيْبِ
"_ in Jannate Adn mai Jinka Rahman ne Apne Bando se gaybana vaada farmaya hai ,( WO uske vaade ki hui cheez ko zaroor pahunchegi ),"
⚃➠ Aur irshad farmaya :-
*Surah As-Saff, Aayat 12*
ُ وَمَسَاكِنَ طَيِّبَةً فِي جَنَّاتِ عَدْنٍ
"__Jannati Jannate Adn ( hamesha ki Jannato ) mai Pakiza gharo
Mai rahenge ,"
*⚃➠ Faayda_* Hazrat Abdul Malik bin Habeeb Qurtubi Reh farmate hai'n k " Darul Jalaal " aur " Darus Salam "Allah Ta'ala ki taraf mansoob hai'n Lekin Jannate Adn Jannat Ka darmiyani aur Buland hissa hai aur Tamaam Jannato se ounchi hai ,
"_Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Saied bin Musayyib Reh farmate hai'n k ye Allah Ta'ala ka ghar hai ,Jisse uska Arsh saja hai ,Baqi Jannate iske ird gird hai'n Lekin ye un sabse Afzal ,Behtar aur zyada qareeb hai ,
. Wasful Firdaus ,20 Abu Naiem ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 7-Darul Haywaan*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Al-Ankaboot, Aayat 64*
وَإِنَّ الدَّارَ الْآخِرَةَ لَهِيَ الْحَيَوَانُ
"__Bila Shubha Darul Akhirat hi Darul Haywaan hai ,
⚃➠Mufassireen ke nazdeek Darul Akhirat se Darul Haywaan aur Darul Hayaat muraad hai ,Yani Jannat mai Hamesha ki Zindgi hogi maut nahi hogi , is Aayat ka matlab ye bhi hai k Akhirat ki Zindgi hi asal Zindgi hai ,Usme na kabhi fitoor aayega na kabhi fana ,Yani Jannat ki Zindgi Duniya ki Zindgi ki tarah nahi hogi ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 8- Jannatul Firdaus*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Al-Kahf, Aayat 107*
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّاتُ الْفِرْدَوْسِ نُزُلًا
"__Beshak Jo log imaan laye aur unhone Nek Kaam kiye unki Mehmaani Ke liye Jannatul Firdaus ( Firdaus ke Baag ) honge ,
⚃➠ Firdaus ek esa naam hai Jo tamaam Jannat per bola jata hai aur Jannat ke Afzal aur A'ala darje per bhi bola jata hai, Lays Reh. farmate hai'n k Firdaus angooro ke baag wali Jannat hai , Hazrat Zahaak farmate hai'n k ye esi Jannat hai Jo darakhto se lipti hui hai ( Yani bahut darakhto wali hai aur ghane darakhto wali hai ),
⚃➠ Agarche Firdaus bol kar tamaam Jannat muraad li ja sakti hai magar dar haqeeqat ye Jannat ke A'ala darje ka naam hai , isiliye Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jab tum Allah Ta'ala se ( Jannat ka ) sawal karo to usse Jannatul Firdaus maanga karo ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 9-Jannatul Na'iem*
⚃➠ Allah Ta'ala ne Jannatul Na'iem ka zikr Surah Luqman, Aayat 8, mai farmaya hai :-
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ جَنَّاتُ النَّعِيمِ
"__Bila Shubha WO log Jo imaan laye aur Nek A'amaal kiye unke liye Jannatul Na'iem ( Ni'amato wali Jannat ) hai ,
⚃➠ Ye bhi tamaam jannato ka majmui Naam hai kyunki Jannat ke khaane ,Pine ,Libaas aur Soorte'n ,Pakiza hawae'n ,Khoobsurat Manazir ,Wasee makanaat vagera zaahiri aur Baatini ni'amate Sabko mushtamil hai ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 10- Muqaamul Ameen*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:-
*Surah Ad-Dukhan, Aayat 51-52*
إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي مَقَامٍ أَمِينٍ فِي جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ
"__Beshak khuda se darne wale muqaam Ameen ( Aman ki jagah ) mai rahenge Yani baago mai aur nehro mai ,
⚃➠ Allah Ta'ala mazeed farmate hai'n :-
*Surah Ad-Dukhan, Aayat 55*
يَدْعُونَ فِيهَا بِكُلِّ فَاكِهَةٍ آمِنِينَ
"__Waha'n itminaan se har qism ke meve mangaate honge ,
⚃➠ in dono muqamaat mai Allah Ta'ala ne makaan aur Ta'aam ke aman ko Jama farmaya hai Chunache WO makaan se nikalne ka khof karenge na ni'amato se alag hone ka na maut ka ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 11- Muqadi Sidq*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Al-Qamar, Verse 54-55*
إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي جَنَّاتٍ وَنَهَرٍ .فِي مَقْعَدِ صِدْقٍ
"__Beshak har parhezgaar log baago mai aur Nehro mai honge Ek Mahdah muqaam ( Muqadi Sidq ) mai ," is Aayate kareema mai Allah Ta'ala ne jannato ka naam Muqadi sidq zikr kiya hai ,
*☞ 12-- Tooba ,*
⚃➠ Hazrat Saied bin Masbooh Reh farmate hai'n k Hindi Zubaan mai Jannat ka Naam Tooba hai ,
*☞ Jannate Adn aur Darus Salaam Ki Afzaliyat ,*
⚃➠Ibne Abdul Hakam Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Jannate Adn Jannat ke baqi darjaat se no laakh guna badi hai aur Jannat Darus Salaam Jannate Adn se no laakh guna badi hai ,
*➠ Note:-* Jannat ke in tamaam Naamo ke mutalliq tamaam tafsilaat Haadi Al Ravaah se makhooz hai aur baaz maqamaat per ibne Qayyim Reh . ke bayan karda mazameen aur Ahadees ke hawale se baaz kitaabo se naqal kiye gaye hai'n ,
. Jannat Ke Haseen Manazir,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Afzal Jannat*
⚃➠ Jis tarah Allah Ta'ala ne tamaam farishto se Hazrat Jibreel Ko ,Tamaam insaano se Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko ,Aasmano se ouper wale Aasman ko ,Shehro se Makka ko ,Mahino se Ashare Haram ko Raato se Lailatul qadr ko ,Dino se Juma ko ,Raat se iske darmiyani hisse ko ,Awqaat se Namaz ke Awqaat ko fazilat bakhshi hai ,
"__Usi tarah Allah Ta'ala ne Jannato mai se ek Jannat ko Apne liye muntakhab kiya usko Apne Arsh se qareeb ki khususiyat bakhshi ,Apne haath se usme podhe lagaye aur Wo Jannat tamaam Jannato ki sardaar kehlayi ,
⚃➠ Allah ki zaat paak hai Jo chahti hai makhlooqaat ki tamaam aqsaam v anwaa'a mai kisi ek ko afzaliyat ka sarf bakhshti hai ,
. Jannat Ke Haseen Manazir, 226
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kin Cheezo Ko Allah Ta'ala ne Apne Mubarak Haath se Paida kiya,*
⚃➠Hazrat Abdullah bin Haaris Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Allah Ta'ala ne Teen cheeze Apne haath Mubarak se paida farmayi
(1) Hazrat Aadam Alaihissalam ko Apne haath se banaya ,
(2) Tauraat ko Apne haath se likha aur
( 3) Jannatul Firdaus ko Apne haath se paida kiya ,Fir farmaya Mujhe mere galba aur jalaal ki qasam isme sharaab ka aadi aur Dewas daakhil nahi ho sakega ,
Sahaba Kiraam ne arz kiya Ya Rasulallah ! Hum sharaab ke aadi ko to jaante hai'n, Ye Dewas kon hai ?
Farmaya _WO Shakhs Badkaari ko Apni Bivi mai barqaraar rakhe ,"
Daarmi , Kanzul Ummaal ,
⚃➠ Hazrat Samar bin Atiya farmate hai'n k Allah Ta'ala ne Jannatul Firdaus ko Apne haath se banaya WO usko har Jumeraat ko kholta hai aur Hukm deta hai Tu mere Auliya ( Dosto ) ke liye pakeezgi aur umdgi ke lihaaz se or Zaa'id ho ja _"
Abu Shekh ,Haadi Al Ravaah ,146
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Ta'ala ne Jannate Adn ko Apne Daste Mubarak se banaya ,Uski ek iynt safed moti ki hai aur ek iynt surkh yaqoot ki hai aur ek sabz zabarjad ki hai , Uska gaara kastoori ka hai uski Bajri lo lo moti hai aur uski ghaas zafraan ki hai ,
Fir Allah Ta'ala ne farmaya ( ab ) Tu bol ! To usne kaha bila Shubha sahi log kamyaab hue Jo Momin hai'n , To Allah Ta'ala ne farmaya_Mujhe mere galba aur Jalaal ki qasam ! Koi Bakheel tere andar dakhil ho kar mera padosi nahi banega ,
. Haadi Al Ravaah , Durre Mansoor 2/196 Majmauz Zawa'id ,10/397 Haakim ,2.392
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ahle Jannat Ki Safo ki Tadaad ,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ahle Jannat Ki ( Qayamat ke Din ) ek so bees ( 120 ) Safe hongi ( unme ) se meri ummat ki Assi ( 80 ) safe hongi _,"
Abu Naiem ,239 Muajjam Kabeer Tabrani ,10350 ,Majmauz Zawa'id ,10/403 ,Musnad Ahmad ,1/453 , Tirmizi ,3546 ,Ibne maaja ,4289 ,Mishkaat ,5644
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Bager Hisaab Ke Jannat mai Dakhil hone Wale,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna :-
"__Meri ummat mai se ek jama'at Jannat mai dakhil hogi ye ( tadaad mai ) Sattar Hazaar honge , Unke chehre Chohdhvi Raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge ,
"__Hazrat Akaasa bin Mohsin Raziyallahu Anhu jinhone Apne ouper dharidaar chaadar le rakhi thi arz kiya ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam! Aap Allah Ta'ala se Dua kare k WO Mujhe in hazraat mai shamil kar de , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Dua farmayi k Ey Allah ! Isko un hazraat mai shamil kar de ,
"__Fir ek Ansaari Sahaba mai se ek Khade hue ,unhone bhi arz kiya Ya Rasulallah ! Allah Ta'ala se Dua kare k mujhe bhi unme Shamil kar de , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Akaasa tumse sabqat kar gaya ,"
Bukhari ,6542 Muslim ,216,369,
⚃➠ Abu Umama Bahili Raziyallahu Anhu farmate hai'n k maine Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aap irshad farma rahe they :-
"__Mere Rab ne mere saath vaada farmaya hai k meri ummat mai se Sattar Hazaar ko Jannat mai dakhil farmayenge Na to unka hisaab hoga Na unko azaab hoga ( aur ) har hazaar ke saath Sattar hazaar aur Allah Ta'ala ki lapo mai se teen lape ( Musalmano mai se bager hisaab ke aur bager saza ke Jannat mai jayenge ),"
Ahmad ,5/268 Tirmizi ,2437 Tabrani Kabeer ,9/8/129
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat Mai Bager Hisaab Jane Walo Ki Siffat:-,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Teen qism ke log Jannat mai bager hisaab ke dakhil honge ,
1- WO Shakhs Jisne Apna kapda dhoya lekin usko lagane ke liye khushbu mayassar na hui,
2- WO Shakhs Jiske Chulhe per Do haandiya'n ( ek waqt mai ) kabhi na chadhi ,
3- WO Shakhs jisko paani ki Dawat di gayi Magar usse ye na puchha gaya k tum Konsa paani ( Sharbat ,paani ) pasand karte ho _,"
Durre Mansoor 2/99,
⚃➠Hazrat Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jis Aadmi ne Veerane mai ( Musafiro vagera ke liye ) Koi Kunwa khoda Allah Ta'ala ki raza ke liye WO bhi bager hisaab Jannat mai jayega _,"
Qurtubi 2/374 Kanzul Ummal 6078
⚃➠ Hazrat Ali bin Husain Reh. Farmate hai'n :-
"_Jab qayamat ka Din hoga ek munadi Nida karega tumme se fazilat wale kon hai'n ? To insaano mai se kuchh log khade honge ,unse kaha jayega Jannat ki taraf chalo ,Fir unki mulaqaat farishto se hogi to WO kahenge tum kaha'n ja rahe ho ,To WO hazraat kahenge Jannat ki taraf ,Farishte puchhenge Hisaab se Pehle ? WO kahenge haa'n , WO puchhenge Tum kon ho ? WO kahenge Hum fazilat wale hai'n , Farishte kahenge Tumhari konsi fazilat hai ?
__ WO jawab denge k jab hamare saath Jahalat ka bartaav kiya jata that Hum burdbaari akhtyar karte they ,Jab Hum per zulm kiya jata tha Hum Sabr karte they, Jab Hamare saath koi buraai ki jati thi Hum maaf kar dete they ,
__Farishte kahenge k tum Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai ,
⚃➠ Fir ek munaadi Nida karega Ahle Sabr khade ho jaye to insaano mai se kuchh log khade honge ,ye bahut kam honge ,Unko hukm diya jayega Jannat ki taraf chale jao to unko bhi Farishte milenge aur unse esa hi kaha jayega to WO kahenge hum Ahle Sabr hai'n ,WO puchhenge tumhara Sabr kya tha ?
__WO kahenge humne Allah ki farmabardaari mai Apne nafso ko ( unki khwahishaat se ) roka aur humne Allah ki nafarmaniyo se usko baaz rakha ,"
__Farishte kahenge tum bhi Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai ,
⚃➠Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Fir ek munaadi Nida karega Ab Allah ke padosi khade ho jaye ,to insaano mai se kuchh log khade honge ye bhi bahut kam honge ,unko bhi hukm hoga Jannat ki taraf chale jao ,to unse bhi Farishte milenge aur unko bhi wesa hi kaha jayega ,Ye kahenge Tum kis Amal se Allah Ta'ala ke uske ghar mai padosi ban gaye ?
__WO kahenge Hum sirf Allah Ta'ala ki muhabbat mai ek doosre ( Musalmano) ki ziyarat karte they aur Allah Ta'ala hi ki khaatir aapas mai mil kar beth te they aur Allah Ta'ala hi ke liye hum ek doosre per kharch karte they,
__Farishte kahenge tum bhi Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai_,"
. * Tazkiratul Qurtubi ( 2/374 ) ba hawala Abu Naiem*
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Allah Ta'ala Pehle aur Pichhle ( insaano aur Jinnat ) ko ek maidaan mai Jama Karenge to ek munaadi Arsh ke niche se Nida karega Allah ki ma'arfat rakhne wale kaha'n hai'n ? Mohsin Kaha'n hai'n ? ( Jo ibaadat karte waqt Goya khuda ko dekhte they ya ye yaqeen Karte they k Allah Hume dekh raha hai )
__Farmaya k Logo mai se ek Jama'at uthegi aur Allah Ta'ala ke saamne khadi ho jayegi , Allah Ta'ala farmayenge halanki WO isko khoob jante honge ,Tum Kon ho ? To WO arj karenge Hum Ahle ma'arfat hai Aapke saath humne aapko pehchana tha aur Aapne Hume is laayaq banaya tha ,
__To Allah Ta'ala farmayenge Tumne sach kaha , Fir Allah Ta'ala farmayenge Tum per koi saza aur Takleef nahi Tum meri Rahmat ke saath Jannat mai dakhil ho jao ,
__Fir Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam muskura pade aur farmaya :- Allah Ta'ala in hazraat ko Roze Qayamat ki Holnaakiyo se nijaat ataa farma denge _,
. Tazkiratul Qurtubi ,2/375 ba hawala Abu Naiem,
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jab Qayamat ka Din hoga ek munaadi Nida karega Tum abhi jaan loge Ashaabul Karam ( Buzurgi aur Shaan Wale ) kon hai'n , Har Haal mai Allah Ta'ala ki Hamdo Sana karne wale khade ho jaye _To WO khade ho jayenge aur unko Jannat ki taraf rawana kar diya jayega ,
*__Fir doosri martaba Nida ki jayegi Tum Aaj anqareeb jaan loge Ashabul Karam kon hai k WO Log khade ho jaye Jinke Pehlu ( Raat ke waqt ) Apne bistaro se ( ibaadat ke liye ) alag rehte they Jo Apne Rab ko khof aur Tama'a ke saath pukara karte they aur Jo kuchh humne unko Rizq diya tha usse kharch karte they ( Zakaat aur Sadqaat ki Shakl mai ) ,
*__Chunache ye hazraat khade honge aur unko bhi Jannat ki taraf rawana kar diya jayega ,
*__Fir Teesri martaba Nida ki jayegi Tum abhi jaan loge Ashabul Karam kon log hai'n ab WO Log khade ho jaye Jinko Allah Ta'ala ke Zikr se Koi khareedo Farokht gaafil nahi karti thi , Chunache inko bhi Jannat Ki taraf rawana kar diya jayega _,"
. Tazkiratul Qurtubi ,2/375 ba hawala Abu Naiem ,
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Aapki Ummat Sabse Pehle Jannat mai Jayenge*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Hum Aakhri Ummat hai'n ( lekin ) Roze Qayamat ( hum ) sabse Pehle ( Qabro se ) uthege aur hum hi Sabse Pehle Jannat mai dakhil honge ,bas itni baat hai k un ( Yahood v Nasaara ko ) humse Pehle Kitaab ( Toraat ,Zaboor ,injeel ) ataa ki gayi aur hume unke baad ( Qur'an e Paak ) ataa kiya gaya ,
__Pas unhone ( Humse Qur'an Ke Haq hone mai ) ikhtilaaf kiya , Pas Jis cheez ke Haq hone mai unhone ikhtilaaf kiya Allah Ta'ala ne ( us mai ) Hume hidayat ataa farmayi ( aur ab islaam aane ke baad WO Musalman na hone ki vajah se gumrahi mai reh kar dozakh ko jayenge ),"
. . Muslim ,255
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Ambiya Jayenge Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ,*
⚃➠ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai'n :-
"__Jannat Tamaam Ambiya Alaihissalam per haraam hai Jab tak usme dakhil na ho jau'n ( Yani Pehle mai'n dakhil hounga fir tamaam Ambiya Alaihissalam ) aur ( Jannat ) Tamaam Ummato per haraam hai hattaki meri Ummat usme dakhil ho jaye ( uske baad ummate Jannat mai jayengi ) ,"
Haadi Al Ravaah ,153 Kanzul Ummaal , Majmauz Zawa'id ,
*⚃➠ Faayda_* Ye ummat baqi ummato se Pehle zameen se bahar aayegi aur A'ala muqaam per sabse Pehle Sarfaraz hogi aur sabse Pehle Ars ke saaye mai sabqat karegi ,aur sabse Pehle inka hisaab v kitaab hoga aur sabse Pehle Sifaat ko paar karegi aur sabse Pehle Jannat mai dakhil hogi, Pas Jannat Sab Ambiya Alaihissalam per haraam hai jab tak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam usme dakhil na ho aur Sab Ummato per Haraam hai Jab tak Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat usme dakhil na ho _,"
. Haadi Al Ravaah ,153
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ambiya Alaihissalam ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jannat mai jayenge ,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__mere paas Jibreel Tashreef laye they aur mera haath pakad kar Jannat ka WO darwaza dikhlaya jisse meri Ummat dakhil hogi ,
__Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Mai'n pasand karta hu'n k mai'n bhi Aapke saath hota hattaki mai'n bhi us darwaze ko dekh leta ,
__Sun lo Ey Abu Bakar meri Ummat mai Sabse Pehle aap Jannat mai jayenge _,"
. Musnad ,Abu Daowd , Mishkaat ,6024 Kanzul Ummaal ,32551
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Ki Jannat mai Sabqat aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka Mahal,*
⚃➠ Hazrat Buraida bin Haseeb Farmate hai'n k ek martaba Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Subeh ke waqt Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ko bulaya aur Farmaya :-
"__Ey Bilaal ! Tum mujhse Jannat mai kaise sabqat kar gaye ,mai'n jab bhi Jannat mai dakhil hua Apne saamne se tumhare chalne ki awaaz sunta hu'n ( Chunache ) mai'n guzishta Raat bhi ( Jannat mai ) gaya to fir Apne saamne se tumhare chalne ki awaaz suni ,
__Fir mai'n ek chokor mahal per aaya Jo Sone ka bana hua tha ,mai'ne puchha ye mahal kiska hai ?
__Unhone bataya ye ek Arabi Shakhs ka hai , Maine kaha mai'n bhi to Arabi hu'n Ye mahal kiska hai ?
__Unhone kaha Ye Quresh ke Aadmi ka hai , maine kaha mai'n bhi to Qureshi hu'n Ye mahal kiska hai ?
__Unhone kaha Ummate Muhammad Ke ek Shakhs ka hai ,Maine kaha mai'n Muhammad hu'n Ye mahal kiska hai ?
__Unhone kaha Umar bin Khattaab ka hai ,
➠ To Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Maine Jab bhi azaan di hai Do Raka'at adaa ki hai ,aur Jab bhi Vazu toota hai usi waqt Vazu kiya hai aur Maine tahiya kar liya hai k Allah Ta'ala ke Naam ki Do Raka'at mere zimme hai ,
__To Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ( Ye Sabqat ) in Raka'at ki vajah se hai ,"
Musnad Ahmad ,5/354-360 ,Tirmizi ,3689
*⚃➠Faayda ,* is Hadees ka ye matlab nahi hai k Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Pehle Jannat mai jayenge Balki Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke aage aage bator Darbaan aur Khaadim ke chalenge _,"
"__ Jesa k Ek Hadees mai hai k Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Roze Qayamat Roza se uthaya jayega to Hazrat Bilaal Aapke saamne azaan dete hue chalenge ,"
Haadi Al Ravaah ,158
.
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat mai Jane Wale Group Ki Sifaat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Pehle Jo Jama'at Jannat mai dakhil hogi unki soorte'n Chohdhvi Raat ke Chaand ki Soorat jesi hogi , Ye na to Jannat mai thookenge na Naak bahegi aur na hi usme pakhaana karenge ( Yani in teeno aybo se Paak honge )
__Unke Bartan aur Kanghiya'n Sone aur Chaandi ki hongi , Unki Angethiya'n agar ki lakdiyo'n ki hogi , Unka Paseena Kastoori ka hoga ,
__Unme se har ek ke liye Do Biviya'n esi hongi Jinki Pindli ka gooda unke Husn ki vajah se Gosht ke andar se nazar aayega ,
__Unke darmiyan Koi ikhtilaaf nahi hoga aur na aapas mai koi bugz hoga , Unke Dil ek Dil ( ki tarah ) honge ,Ye Subeh Shaam Allah Ta'ala ki tasbeeh kahenge ,
. Bukhari ,3245 Muslim ,2834
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Pehle aur Doosre Darje Ke Jane wale Jannatiyo'n Ki Sifaat,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Pehla giroh Jo Jannat mai dakhil hoga unki Soorat Chohdhvi Raat Ke chaand ki tarah hogi , Aur WO log Jo inke baad ( Jannat mai ) jayenge Unki Soorat ki Chamak Damak Asmaan mai Tez Roshan Sitaare ki tarah hogi ,
__Ye jannati na peshaab karenge na pakhaana na thook na Raint ,inki Kanghiya'n sone ki hongi ,inka Paseena Kastoori ka hoga , inki Angithiya'n agar ki hogi , inki Biviya'n Hooren hongi , inke Akhlaaq ek hi Aadmi ke Khalq ( jese ) honge , inki Soorat Apne Abba Hazrat Aadam Alaihissalam ki Soorat per hogi Lambaai mai Saath haath ka qad hoga _,
Bukhari ,3327 Musnad Ahmad , 7429
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"___Sabse Pehle Jinko Jannat ki taraf bulaya jayega WO " Hamadoon " honge ,Jo ( Duniya mai ) khushi aur Takleef mai Allah Ta'ala ki Hamdo Sana Baja laate they _,"
Tabrani ,1/103 ,Haakim ,1/502 Kanzul Ummaal ,6410
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat mai Dakhil Hone Wale Teen qism ke Hazraat ,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__mere saamne meri Ummat ke un teen qism ke logo ko pesh kiya gaya Jo sabse Pehle Jannat mai jayenge aur un Teen qism ke logo ko pesh kiya gaya Jo sabse Pehle Dozakh mai jayenge ,
_1- Shaheed
_2- Wo mamlook gulaam Jisko Duniya ki gulaami ne uske Parwardigaar ki ibaadat se nahi roka ,
_3- Faqeer ayaaldaar dast sawal daraaz se bachne wala ,
__Aur WO Teen qism ke log Jo sabse Pehle Dozakh mai jayenge _
_1-Ameer Zabardasti se musallat hone wala
_2- Daulat mand Jo Apne maal mai se Allah ka Haq ada na kare
_3- Bad maarne wala tangdast Faqeer _,
. Musnad Ahmad ,2/425 Haadi Al Ravaah, 156 Abu Naiem ,80
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Fuqra Muhajireen Ki Farishto Per Fazilat aur Jannat mai Pehle Dakhil hona,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Kya Tumhe maloom hai Jannat mai Sabse Pehle Kon dakhil hoga ?
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya :- Allah aur uske Rasool Khoob jaante hai'n ,
Farmaya :- Muhajireen mai Fuqra Hazraat Jo Garmi Sardi vagera ke mushkil Awqaat mai Shariyat ke mushkil A'amaal ko Umdgi se adaa karte hai'n ,
__unme Jab koi faut hota hai to uski zarurat uske seene mai baqi rehti hai Uske poora karne ki usme Himmat nahi hoti ,
Farishte arz karenge Ey hamare Rab ! Hum Aapke Farishte hai'n ( Aapke ) kaamo ke Muhafiz aur Zimmedaar hai'n Aapke Asmasno ke makeen hai'n Aap inko Humse Pehle Jannat mai dakhil na farmaiye ,
__Allah Ta'ala farmayenge Ye mere WO Bande hai'n Jinhone mere saath kisi ko shareek nahi kiya , aur mushkil Awqaat mai Shariyat per Amal karna nahi chhoda , Jab unme se koi faut hota tha uski haajat uske seene mai baqi rehti thi Jiske poora karne ki usme taaqat nahi thi ,
_Pas us waqt har darwaze se unke paas Farishte haazir honge ( aur ye kahenge ) Tum per Salaam ho boja Tumhare Sabr karne ke Pas Akhirat ka ghar kitna hi Achchha hai ( Jisme tumhari tamaam khwahishaat poori hongi ) ,
. Musnad Ahmad, 2/168 Bizzaar ,3665 Majmauz Zawa'id ,10/259
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Ameero se Paanch So Saal Pehle Jannat mai Jayenge ,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Gareeb aur Mohtaaj Musalman Daulat mand se ( Qayamat ka ) Aadha din Jo Paanch se Saal ke barabar hoga Jannat mai Pehle jayenge _,
Ibne Kaseer ,179 Musnad Ahmad ,2/343 Ibne maaja ,4122 Tirmizi ,2353
⚃➠ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Suna Aapne irshad farmaya :-
"__Gareeb Musalman Daulat mand se Aadha Din Jannat mai Pehle jayenge , Arz kiya gaya Ya Rasulallah Aadha din kitna hai ? Farmaya Paanch so Saal ,
Arz kiya gaya k iske saal ke kitne mahine hai'n ? Farmaya Paanch so Mahine ,
Arz kiya gaya us mahine ke Kitne Din hai'n ? Farmaya Paanch So Din ,
Arz kiya gaya fir ek Din Kitna taweel hai ?
Farmaya Paanch So Dino ke barabar Jinko tum shumaar karte ho _,"
Tazkira Fi Ahwaalul Moti Wa Umoore Akhirah ,470
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Fuqra Muhajireen Qayamat Ke Din ( Jannat mai ) Daulat mando se Chalees Saal Pehle dakhil honge _,
Safatul Jannat ibne Kaseer ,192 Muslim ,2979 Ahmad ,2/169 Mishkaat ,5257,5235
*⚃➠Faayda _* Fuqra Ka Jannat mai Paanch so Saal Pehle dakhil hone ka matlab ye hai k Avval darje ke Fuqra Paanch So Saal Pehle Jannat mai dakhil honge aur Ye Hadees Jisme Chalees Saal Pehle dakhil hone ka zikr hai ye Shayad Aakhri darje ke Fuqra ke aitbaar se hai k kam darje ke Fuqra Daulat mand se Chalees Saal Pehle Jannat mai jayenge _,"
Safatul Jannat Ibne Kaseer ,193 Qurtubi ,470 Haadi Al Ravaah ,160
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Faqeer se Pichhe Reh Jane Wale Jannati Ki Haalate iztraab ,*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Do qism ke Momin Jannat ke darwaze per milenge Ek Momin Duniya mai Faqeer hoga doosra Daulat Mand ,
__Chunache Faqeer ko Jannat mai dakhil kar diya jayega aur Daulat mand ko Jab Tak Allah Ta'ala rokna chahenge roka jayega Fir usko bhi Jannat mai dakhil kar diya jayega ,
__To jab Faqeer ki usse mulaqaat hogi to WO puchhega :- Ey Bhai ! Tumhe kis cheez ne rok liya tha ? Allah ki qasam Jab tu roka gaya to mai tere mutalliq khofzada ho gaya tha ( k Tujhe Dozakh mai to dakhil nahi kar diya gaya ) ,
__To WO batayega k Ey Bhai mai'n tere ( Jannat mai chale Jane ke ) baad dukh dard aur ghabrahat ke saath ( Jannat ke bahar ) rok liya gaya tha aur tum tak nahi pahunch saka tha aur mera Paseena itna baha k agar us per ek hazaar namkeen aur Talkh Podhe khane wale Oount Jama ho jaye to usse sair ho kar waapas jaye _,
. Musnad Ahmad ,1/304 Majmauz Zawa'id ,10/263 Kanzul Ummaal ,16633 Haadi Al Ravaah ,160
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Musalmano Ka Farishto se Jawab Sawal,*
⚃➠Hazrat Saied bin Al Musayb Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek Shakhs Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat e aqdas mai haazir hua aur arz kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Mujhe batlaiye Qayamat ke Din Allah Ta'ala ke humnasheen kon honge ?
Irshad farmaya :- Allah se darne wale aur Aajizi v inksaari karne wale Jo Allah Ta'ala ko bahut yaad karte hai'n ,
__Arz Kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya yahi log Jannat mai sabse Pehle dakhil honge ?
Farmaya :- Nahi ,
__Usne arz kiya :- To fir sabse Pehle logo mai se kon Jannat mai dakhil hoga ?
Irshad farmaya :- Logo mai se sabse Pehle Gareeb Musalman Jannat mai dakhil honge , Jannat se unke paas kuchh Farishte aayenge aur kahenge Tum Hisaab kitaab ki taraf chalo ,To WO kahenge hum kis cheez ka hisaab de ? Allah ki qasam Duniya mai maal Daulat se Hume kuchh bhi naseeb nahi hua Jisme hum bukhl karte ya fizool kharchiya karte ,aur na hi hum hukmraan they k insaaf karte aur zulm karte ,
Hamare paas to Allah Ta'ala ka Deen Aaya tha hum uski ibaadat mai masroof rahe yaha'n tak k maut aa gayi ,
__To unse kaha jayega Tum Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai_,
. Jannat Ke Haseen Manazir ,249
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Jannat Ki Ni'amato mai aur Ameer Hisaab ki Gardish mai ,*
⚃➠Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Tum gareebo ke Haq mai Allah Ta'ala se daro , kyunki Qayamat ke Din Allah Ta'ala farmayenge Meri makhlooq mai se mere mukhlis Dost kaha'n hai'n ?
To Farishte arz karenge :- Ey hamare Parwardigaar ! WO Kon log hai'n ?
To Allah Ta'ala irshad farmayenge :- WO Fuqra Mohtaaj Jo ( Musibato aur Tangdasti mai ) Sabr karte they meri taqdeer per raazi rehte they Unko Jannat mai dakhil kar do _,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Unko Jannat mai dakhil kar diya jayega WO ( Jannat mai aish se ) khaate peete honge Jabki Ameer Log Hisaab Kitaab ki gardish mai honge _,
. Kitaabul Zuhad ibne Mubarak ,2/80 Tazkiratul Qurtubi, 2/469
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Fuqra Ka Sawab Jannat Hai,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Jab Tum Roze Qayamat mai Jama honge to kaha jayega k is Ummat ke Fuqra aur Masakeen kaha'n hai'n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ye Khade ho jayenge , unse puchha jayega k Tumne kya Amal kiya ?
_WO arz karenge Ey hamare Parwardigaar ! Hum per Aazmaish daali gayi To humne Sabr kiya aur Apne Maal v Daulat aur Saltanat doosro ko ataa ki thi ( humko nahi ) ,
To Allah Ta'ala farmayenge Tumne durust kaha ,
__Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai'n k fir ye Log doosre logo se Pehle Jannat mai dakhil honge Jabki Maaldaar aur Sahibe Saltanat ( Hukmraano ) per hisaab Kitaab ki sakhti ba-dastoor qaa'im hogi ,
__Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya Us Din Momin Hazraat Kaha'n honge ?
_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Unke liye Noor ki Kursiya'n bichhayi jayengi aur Un per Baadal Saaya karte honge , Momin ke liye ye roz Din ki ek ghadi se bhi bahut kam ( mehsoos ) hoga _,
. Sahih ibne Hibaan ,( Al ahsaan 10/353 Hadees 7376 ) Targeeb v Tarheeb ,4/391 Majmauz Zawa'id ,10/ 337
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat Ka Darwaza Khatkhatane Wale ,*
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Pehle Jannat ka darwaza mai Khatkhataunga , Daroga Jannat kahega Aap kon hai'n ? Mai'n kahunga mai'n Muhammad hu'n ,
__To WO kahega Aap thehre mai'n Aapke liye abhi kholta hu'n , Mai'n Aapse Pehle Kisi ke liye nahi utha aur na hi Aapke baad kisi ke liye uthunga ,"
Abu Naiem ,1/117 Fatahul Baari ,11/436
⚃➠ Ek aur Rivayat mai hai k mujhe Hukm diya gaya hai k mai'n Aapse Pehle ( Jannat ka darwaza ) kisi ke liye na kholu ,
Muslim ,197 Ahmad ,3/136
*⚃➠Faayda_* Ye Farishta Aap Sallallahu Alaihivasallam ke khaas muqaam v martaba ki vajah se Baabe Jannat per mutaiyan kiya gaya hai , Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad aur Kisi Nabi aur Wali ke istaqbaal aur darwaza kholne ke liye nahi uthega ,Balki Jannat ke tamaam muntazim Farishte Aapke ikraam mai khade honge aur ye Farishta goya k Jannat ke baqi darogao ka baadshah hai ,Jisko Allah Ta'ala Apne Bande aur Rasool ki khidmat mai khada karenge aur ye Khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai chal kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ka darwaza kholega _,"
. Haadi Al Ravaah ,150
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Shaan V Azmat,*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke Kuchh Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Aap Sallallahu Alaihivasallam ki intezar mai beth gaye , Aap Jab Tashreef laye aur Unke qareeb pahunche to unko muzakra karte hue suna , Jab Aapne unki ye baat cheet suni to unme se ek Keh raha tha :-
Kitni Ajeeb baat hai Allah Ta'ala ka uski Makhlooq mai ek khaalis Dost bhi hai , Allah Ta'ala ne Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko mukhlis Dost banaya hai ,Doosre Sahabi ne kaha ye baat Allah Ta'ala ke Kaleem Hazrat Moosa Alaihissalam se zyada Ajeeb nahi Allah Ta'ala ne unse kalaam farmaya ,
Ek Sahabi ne farmaya Hazrat Isaa Alaihissalam ko dekhiye WO Allah ke Kalma aur uski taraf se Rooh hai'n , Ek aur Sahabi ne farmaya Hazrat Aadam Alaihissalam WO hai'n Jinko Allah Ta'ala ne muntakhab farmaya hai ,
⚃➠Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam unke ( Sahaba Kiraam ke ) paas tashreef laye Salaam kiya aur Farmaya ," Maine tumhari guftgu aur tumhara tajjub suna hai , Ibrahim Alaihissalam Allah ke Dost hai'n waqai esa hi hai , Moosa Allah ke saath sargoshi karne wale hai'n Waqai esa hi hai , Isaa uski taraf se Rooh aur uska Kalma ( bin baap ke Allah ke hukm se paida hue ) hai'n Waqai esa hi hai aur Aadam WO hai Jinko Allah Ta'ala ne barguzida banaya WO ese hi hai'n ,
__Sun Lo ! Mai'n Allah ka Habeeb ( Muhabb v Mehboob ) hu'n aur mai'n koi fakhr nahi kar raha , Mai'n hi Qayamat ke Din " لواءالحمد، " ko uthaunga mai'n is me bhi koi fakhr nahi kar raha, Mai'n sabse Pehle Roze Qayamat Shafa'at karunga aur Sabse Pehle meri Shafa'at qubool ki jayegi aur mai'n ye bhi Fakhr aur Takabbur ki baat nahi kar raha
Aur mai'n hi sabse pehle Jannat ka Kunda khat khataunga Wo mere liye khola jayega aur mai'n Jannat mai dakhil hounga aur mere saath ( Jannat mai dakhil hote waqt) Fuqra momineen ( gareeb musalman) honge aur usme bhi mai'n fakhr nahi karta, aur mai'n aglo aur pichhlo ( sab makhlooqaat se) zyada shaan v martaba ka maalik hu'n aur mai'n isme bhi fakhr aur takabbur nahi kar raha, "
. Tirmizi, 3616 Haadi Al Ravaah ,151
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Dozakh se Nikaal kar Jannat mai Dakhil Kiye Jane walo Ke halaat :- 1 Gyaarah Guna Duniya Ke barabar Jannat,*
⚃➠ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Dozakhiyo mai se us Aakhri nikalne wale ko aur Aakhir mai Ahle Jannat mai Shamil hone walo mai Us Aadmi ko Mai'n Jaanta hu'n Jo Dozakh se Sureen ke bal ghisat kar niklega , Allah Tabarak wa Ta'ala farmayenge Jaa Jannat mai dakhil ho jaa ,
__Jab WO uske paas pahunchega to uske khayal mai ye daala jayega k WO bhari hui hai ,Chunache WO laut kar arz karenga Ya Rab WO to mujhe bhari hui nazar aa rahi hai, Allah Ta'ala irshad farmayenge Jaa Jannat mai dakhil ho jaa tujhe Duniya ke barabar aur usse mazeed Das Guna Jannat di jati hai ,
__WO arz karenga Aap Maalikul Mulk ho kar mujhse mazaaq kar rahe hai'n ( Halanki ye mazaaq nahi hoga balki haqeeqat hogi ,Hazrat Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ) Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap itna hanse k Aapki Daadhe Mubarak nazar aane lagi ,
⚃➠Kaha Jata tha k ye Shakhs Ahle Jannat mai sabse Kam martaba per faa'iz hoga ,
Bukhari ,( 11/418-419 ma Fatahul Baari ) Muslim ,308-309 Tirmizi ,2595 ibne maaja ,4339
*⚃➠Faayda ,* is Hadees se maloom hota hai k us Adna aur Akheer mai jannat mai dakhil hone wale Duniya ke Gyaarah Guna Jannat ataa ki jayegi ,
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Akheer mai Jannat mai dakhil hone wale Ki Hikayaat,*
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Aakhri mai Jannat mai dakhil hone wala WO Shakhs hoga Jo kabhi chalta hoga Kabhi Sureen ke bal ghisat ta hoga aur kabhi Dozakh ki aag usko jhulas deti hogi , Jab WO Dozakh se nikal jayega to usko dekh kar arz karenga Ey Baari Ta'ala Aap mujhe isse nijaat ataa farma di hai aur WO inaayat farmayi hai Jo na to aglo ko naseeb hui na pichhlo ko ,
__Fir us Aadmi ke saamne ek darakht ko zaahir kiya jayega to ye usko dekh kar arz karenga Ya Rab ! Aap mujhe is darakht ke qareeb kar de Mai'n iske saaye mai bethna chahta hu'n aur iska paani peena chahta hu'n ,
Allah Tabarak wa Ta'ala puchhenge Ey ibne Aadam agar Mai'n tumhe ye de du to ( iske alawa ) kisi aur cheez ki talab bhi karega ? WO arz karenga mai'n iske alawa koi cheez nahi maagunga aur uska Rab uske uzr ko qubool karta rahega kyunki WO Shakhs esi cheezo ko dekhega ,Jin per WO Sabr nahi kar sakta ,
__Fir Pehle darakht se bhi zyada Haseen darakht usko saamne se dikhaya jayega to WO Shakhs karega Ya Rab ! Mujhe us darakht ke qareeb kar de taki Mai'n uska paani pi saku aur uske Saaye mai beth saku Mai'n iske alawa aur kuchh nahi maagunga , Allah Ta'ala puchhenge Ey ibne Aadam ! Tune mere saath mu'ahida nahi kiya tha k Tu mujhse iske alawa kuchh nahi maangega , Chunache Allah Ta'ala usko us darakht ke qareeb kar denge ,
__Jab WO us darakht ke qareeb pahunch jayega to Jannat walo ki Awaaze sunega aur arz karenga Ey Rab ! Mujhe Aap Jannat mai dakhil kar de ?Allah Ta'ala farmayenge tujhe ye pasand hai k mai'n tujhe Duniya aur uske barabar mazeed Jannat ataa karu ? WO arz karenga Ya Rab Aap mujhse mazaaq karte hai'n Halanki Aap Rabbul Aalameen hai'n ? Allah Ta'ala farmayenge Mai'n tumse mazaaq nahi kar raha Balki Mai'n Jo chahu iski ( karne ki ) taaqat rakhta hu'n _,"
. Musnad Ahmad ,1/401 Muslim ,310 Haadi Al Ravaah ,474
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai dakhil hone wale Ek Aur Dozakhi ki Hikaayat ,*
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ek Shakhs Dozakh mai ek hazaar saal tak *" Ya Hannaan ,Ya Mannaan ,"*Pukarega , Allah Ta'ala Hazrat Jibreel se farmayenge Jao mere is Bande ko mere paas le kar aao ,
__Hazrat Jibreel rawana honge aur Dozakhiyo ko ulte moonh gire hue rote hue payenge aur waapas aa kar Apne Parwardigaar ko uski ittela karenge , Allah Ta'ala farmayenge tum usko mere paas le kar aao WO fala'n jagah mai mojood hai ,
__Chunache WO usko le kar Apne Parwardigaar ke saamne pesh kar denge , Allah Ta'ala puchhenge Ey mere Bande Tumne Apne makaan aur Araam gaah ko kesa paya ? Arz karega Ya Rab bahut bura makaan aur bahut buri Araamgaah hai ,
__Allah Ta'ala farmayenge Mere Bande ko waapas ( wahi Dozakh mai ) le jao , WO arz karenga Ya Rab jab Aapne mujhe Dozakh se nikaala tha to Mai'n iski ummeed nahi rakhta tha k Aap mujhe usme ( dobara ) daal denge , To Allah Ta'ala farmayenge k Mere Bande ko chhod do ( aur Jannat mai dakhil kar do )_,"
. Musnad Ahmad ,3/230 Tazkiratul Qurtubi ,2/428
* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
No comments:
Post a Comment