Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, August 2, 2017

( JANNAT KE HASEEN MANAZIR 02 )



✨⚡⚵
⚵                                          
     ❈ *Bismillahirrahmanirrahim*  ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮      
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Dozakh mai Bilbilane Wale Do Shakhsho Ka Jannat mai Dakhila*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jo log Dozakh mai dakhil kiye jayenge Unme se Do Aadmiyo'n ki Cheekh v Pukaar bahut badhi hui hogi , Allah Ta'ala hukm denge in dono ko baahar nikaalo , Jab unko baahar nikaala jayega aur Allah Ta'ala puchhenge Kis vajah se tumhari Cheekh v Pukaar bahut sakht ho gayi thi ? WO arz karenge k humne ye isliye kiya tha k Aap hum per Raham farmaye ,
__Allah Ta'ala farmayenge Tum dono per meri Rahamat ye hai k tum waapas chale jao aur Dozakh mai jaha'n per mojood they wahi per apne Aapko gira do ,Chunache WO Dono chal padenge ,unme se ek to khud ko Dozakh mai gira dega aur us per Dozakh ko thandak aur salaamti kar diya jayega Magar doosra Shakhs khud ko nahi girayega ,
__Allah Ta'ala puchhenge tumhe kis baat ne mana kiya k tumne apne Aapko is tarah se nahi giraya jis tarah se tere saathi ne gira diya ,? WO arz karega Ya Rab Mai'n ummeed karta hu'n k Aap mujhe Dozakh se nikaalne ke baad dobara usme dakhil nahi karenge , To Allah Ta'ala usse farmayenge Tere liye Teri Ummeed ke mutabiq maamla karte hai'n, Chunache un dono ko Allah Ta'ala ki Rahamat ke saath Jannat mai dakhil kar diya jayega ,
              
.   Musnad Ahmad ,3/230 Tazkiratul Qurtubi ,2/428
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Akheer mai Do or Shakhso Ke Jannat mai Dakhil hone Ki Haalat*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Akheer mai Jo Do Aadmi Dozakh se niklenge Unme se ek se Allah Ta'ala farmayenge :-Ey ibne Aadam tumne is Din ( Yani Akhirat ) ke liye kya taiyaari ki thi ? Tumne kabhi Nek Amal kiya tha ? Tumne kabhi mujhse ( Khair ki ) ummeed ki thi ?
_WO arz karega Ya Rab ! Maine kuchh nahi kiya sirf Aapse Neki ki ummeed ki thi ,
_Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k uske saamne ek darakht laa kar qareeb kiya jayega To WO dozakhi kahega  Ya Rab ! Aap mujhe is darakht ke niche bitha de taki mai iska saaya haasil kar saku ,Uska Phal kha saku aur uska Paani pi saku aur WO Muahida karega k mai'n Allah Ta'ala se iske alawa kuchh nahi maagunga ,
__To Allah Ta'ala usko us darakht ke niche pahuncha denge ,Uske baad ek or darakht uske saamne pesh kiya jayega Jo Pehle se nihayat darza Haseen hoga aur paani ki bahut farawani hogi ,
__Ye arz karega Ya Rab Aap mujhe uske niche bitha de Mai'n Aapse koi sawal nahi karunga ,Uske saaye mai pada rahunga aur uska paani pita rahunga , Allah Ta'ala farmayenge Ey ibne Aadam Kya tune mere saath Muahida nahi kiya tha k iske alawa mujhse kuchh or talab nahi karega ,
__Fir Allah Ta'ala usko us darakht ke niche jagah denge , Fir uske saamne jannat ke darwaze ke saamne ek darakht pesh kiya jayega Jo Pehle wale dono darakhto se zyada Haseen v jameel hoga aur bahut paani wala hoga ,WO arz karega Ya Rab  mujhe Uske niche pahuncha de To Allah Ta'ala usko uske paas pahuncha denge Ye us waqt Muahida karega k Allah Ta'ala se or kuchh nahi maangega ,
__Fir jab WO Jannat walo ki awaaz sunega to usse Sabr nahi ho sakega fir arz karega ,Ey Parwardigaar Aap mujhe Jannat mai dakhil kar de , Ab Allah Ta'ala farmayenge k maang aur Tamanna karta ja To WO ( unko bhi ) maangta rahega aur tamanna karta rahega hattaki Duniya ke Teen Dino ke barabar ka arsa guzar jayega aur Allah Ta'ala usko un inamaat ki talqeen karte rahenge Jinka usko ilm nahi hoga ,
Chunache WO maangta rahega aur Tamanna karta rahega jab WO ( maang kar ) faarig hoga Allah Ta'ala farmayenge tujhe WO Sab kuchh ataa kiya Jiska tune sawal kiya ,
__Hazrat Abu Saied khudri Raziyallahu ki Rivayat mai hai k ek gunaa mazeed bhi usko ataa kiya jayega , Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ki Rivayat mai hai k usko ( uske maangne ke hisaab se ) das guna zyada ataa kiya jayega ,           
.   Musnad Ahmad ,3/70-74 ,
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Momino Ki Sifarish Aur Allah Ki Ek Mutthi se Dozakhiyo ki Bakhshish,*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam se ek taveel Rivayat mai naqal karte hue farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jab Musalman Jahannam se paar ho jayenge to Mujhe qasam hai us zaat ki Jisne qabze mai meri jaan hai Tumme se har ek se zyada Haq ki adaygi mai momino ke liye Roze Qayamat Allah Ta'ala ko qasam dilane wala Koi nahi hoga Ye Apne un Musalman Bhaiyo ki Sifarish karte hue arz karenge
"__Ey hamare Rab ye ( Jahannam mai Jo mojood Momin hazraat ) hamare saath Roze rakha karte they Namaze Padha karte they aur Hajj kiya karte they ( isliye unhe maaf farma kar Jahannam se nikaal le aur Jannat mai dakhil farma de )
__To unhe farmaya jayega Jinhe tum jaante ho unko nikaal lao Unke Jism Jahannam per haraam hai'n ,Pas WO log bahut si Khalqat ko nikaal layenge Jinhe Jahannam ne aadhi pindliyo tak ya ghutno tak garq kiya hua tha , Pas ye log arz karenga Ey hamare Parwardigaar Jinka Aapne hume farmaya tha Unme se koi bhi baqi nahi raha ,
__Fir Allah Ta'ala unko hukm farmayenge Tum waapas lot jao aur jiske Dil mai ek Dinaar ke barabar bhi khair paate ho use ( bhi Jahannam se ) nikaal lao , Pas WO bahut si makhlooq ko nikaal layenge aur kahenge Ey hamare Parwardigaar Humne kisi ko usme nahi chhoda Jiska bhi Aapne hume Hukm farmaya ( hum usko nikaal laye hai'n ) ,
__Fir Allah Ta'ala farmayenge ( ab bhi ) waapas lot jao aur Jiske Dil mai aadhe Dinaar ke Vazan ke barabar bhalaai jano use bhi nikaal lo , Pas WO bahut se makhlooq ko baahar nikaal layenge Fir kahenge Ey hamare Parwardigaar Humne usme Kisi ko nahi chhoda Jiske nikaalne ka Aapne Hume hukm diya ,
__Fir Allah Ta'ala farmayenge ( ab bhi ) waapas lot jao aur Jiske Dil mai ek zarra barabar bhi  bhalaai ( imaan ) pao use bhi nikaal lao ,Tab bhi WO bahut si makhlooq ko baahar nikaal layenge aur kahenge Ey hamare Parwardigaar Humne isme bhalaai karne wali ( imaan lane wali ) makhlooq bilkul nahi rehne di ( Sab ko Jahannam se nikaal liya hai )       
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu is Rivayat ko bayan karne ke baad farmaya karte they agar tum is Hadees ke bare mai meri tasdeeq na kao to chaho to ye Aayat padhlo lo __
"__( Tarjuma ) Bila Shubha Allah Ta'ala kisi per zarra barabar bhi zulm nahi farmayenge agar ek Neki ( bhi ) hogi to use bhi ajro Sawab mai do guna karenge aur Apni taraf se ajre azeem ataa farmayenge ,( Surah An Nisa :40 )   
⚃➠Fir Allah Ta'ala farmayenge Farishto se shafa'at ki , Ambiya Alaihissalam ne bhi Shafa'at ki aur Momino ne bhi Shafa'at ki ab sivae Ar-Rahmaan Ar- Raheem ke koi nahi bacha to ( Khud Allah Ta'ala ) Aag se ( Momin ki )ek Mutthi bharenge aur uske zariye esi qaum ko baahar nikaalenge Jinhone imaan ke alawa aur koi bhalaai na ki hogi aur Woh Koyla ban chuke honge
__Fir Allah Ta'ala unko Jannat ke saamne Nahar mai daal denge us Nahar ka Naam Nahare Hayaat hai to WO ( usse is haalat mai ) niklenge Jese sailaab khushk hone ke baad daana nikalta hai ,
             
.   Bukhari v Muslim
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Momin Sirf Imaan Ki Badolat Dozakh se Niklenge ,*
              
⚃➠ Jin logo ne kabhi bhalaai na ki hogi isse muraad ye hai k Apne A'aza se koi Amal na kiya hoga agarche unke saath Toheed ki haqeeqat mojood hogi , Jesa k us Aadmi ki us Aadmi ki Hadees mai bhi Vaarid hai Jisne Apne ghar walo se kaha tha Use maut aane ke baad jala daale , Usne bhi koi nek Amal kabhi nahi kiya tha sivae Toheed ke ,
 Musnad Ahmad ,      
⚃➠ iski taaiyd is Hadees se bhi hoti hai Jisme hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Mai'n Allah Ta'ala ke saamne arz karunga Ey mere Parwardigaar Mujhe un logo ke mutalliq ( bhi ) Shafa'at karne ki ijazat de Jo Laa ilaaha illallaah kehte they ,
_To Allah Ta'ala farmayenge mujhe meri izzat v jalaal ,Kibriyai aur azmat ki qasam hai Mai'n zaroor ese Aadmi ko Jahannam se nikaal lunga ( Jisne Laa ilaaha illallaah kaha tha )_,
 At Takhweef minannaar Ba hawala Bukhari v Muslim,  
⚃➠Ye Hadees bhi is baat ki wazahat karti hai k jin logo ne kabhi bhi apne A'aza se nek Amal nahi kiya hoga lekin sirf Ahle Kalma they Unko Allah Ta'ala Apni Rahmat se bager kisi ki Shafa'at ke Jahannam se nikaalenge ,              
.   Jannat Ke Haseen Manazir, 269
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Farishte bhi Dozakhiyo ko Nikaal Lenge ,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne ek taveel Hadees mai ye bhi farmaya :-
"__Hattaki Jab Allah Ta'ala Bando ke darmiyan insaaf kar ke faarig ho jayenge aur iraada farmayenge k Apni Rahmat se bade gunaaho ke murtakib logo ko Jahannam se nikaal le to farishto ko hukm farmayenge k woh har us Aadmi ko nikaal le Jo Allah ke saath kisi ko shareek nahi karta tha
_ (Ye Farishte ) unhe Sajde ke nishaan se pehchanenge ( Kyunki ) Jahannam ibne Aadam ke Tamaam hisso ko jalayegi Magar sajde ke muqaam ko baqi chhod degi ,
_Isliye Allah Ta'ala ne Aag per haraam kar diya hai k WO Sajdo ke muqamaat ko jala sake , Jab WO Jahannam se niklenge to Koyla ho chuke honge Fir un per Aabe Hayaat palta jayega to WO usse is tarah taro taza ho jayenge Jis tarah daana sailaab se khushk hone ke baad ( Zameen se ) ug padta hai ,
              
.   Bukhari v Muslim ,
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gunahgaar Dozakhi Shafa'at se bhi Jannat mai Jayenge ,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se marvi hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Dozakhi Jo Jahannam ke Ahal honge WO na to usme marenge aur na jiyenge Lekin Kuchh Log ese honge Jinhe Aag unke gunaaho ke hisaab se jalayegi ,
__Fir Allah Ta'ala unko maut de denge yaha'n tak k Jab WO Koyla ban jayenge to Shafa'at ki ijazat de di jayegi to unko Jama'ato ki shakl mai laya jayega aur Jannat ki Nahro per bikher diya jayega ,
__Fir Ahle Jannat ko hukm diya jayega k in per ( Aabe Hayaat ) palto to woh usse taro taza ho jayenge Jis tarah sailaab mai behne wala daana ( sailaab khushk hone ke baad Zameen per thehar ta hai aur ) ug padta hai ,    
  Muslim ( At-takhweef minan naar )
*⚃➠ Faayda ,* _is Hadees se maloom hota hai k gunahgaar Musalman Jahannam mai haqeeqi tor per faut honge aur unki Roohe'n unke Jismo se juda hongi ,   
*⚃➠ Tambeeh ,*_ is per ye Shubha na kiya jaye k Jab maut ko bhi maut aa jayegi to ye kese marenge , isliye k Momino per maut aane ki ye haalat maut ko zibah hone se Pehle ki hai , Maut ke Zibah hone ke baad qat'an kisi ko maut nahi aayegi ,
          
Jannat Ke Haseen Manazir, 270
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Dozakh se Nijaat Paa kar Jannat mai Jane Wale Adna Jannati honge,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ahle Jannat mai Kam Naseeb Wali WO Qaum hogi Jinko Allah Ta'ala Aag se nikaalenge aur ( Jahannam se) Azaad kar denge aur unhe Raahat pahunchayenge ,
__Aur ye WO log honge Jo Allah ke saath kisi ko shareek nahi thehrate they , Unhe Khule maidaan mai faink diya jayega to ye taro taza ho kar ubharne lagenge Jese sabza ugta hai Yaha'n tak k Jab Roohe'n ajsaam mai dakhil hongi to Woh arz karenge Ey hamare Rab Jis tarah Aapne hume Aag se nikaala hai aur Rooho ko ajsaam mai lotaya hai usi tarah hamare rukh bhi Aag se fayr dijiye To unke Rukh bhi aag se fayr diye jayenge ,
             
.   Musnad Bizzar ( At- Takhweef minan naar )
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Dozakh mai Momino Ki Haalat ,*
              
⚃➠ Muhammad bin Ali ( imaam Baaqar Reh. ) apne Baap se WO Apne Dada se Rivayat karte hai'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Tamaam Ummato Ke mohideen bade gunaaho ke murtakab jab Apne gunaaho ki mojoodgi mai bager sharmindgi aur bager Tauba ke faut ho jayenge ( fir ) unme se Jo log Dozakh ke Pehla darwaze se aag mai dakhil honge ,na to unki binaai chheeni jayegi ,na unke moonh kaale honge na Shaitano ke saath jakde jayenge , na zanjeero se baandhe jayenge ,na jalta hua paani pilaye jayenge aur na zakhm mai taarkol ka libaas pehnaye jayenge ,
__Allah ne Toheed ki Vajah se unke Jismo ko aag per haraam kiya hai , unme se kisi ko bad A'amaliyo ke hisaab se aag ne qadmo tak pakda hoga , Kisi ko Kamar tak aur kisi ko gardan tak , unme se koi ek maah Jahannam mai rahega fir Bilaal liya jayega Unme se Jahannam mai sabse Zyada muddat tak rehne wala Duniya ki Umar ( ke barabar rahega Yani k ) Jabse Duniya bani yaha'n tak k WO jab tabaah hogi ,
__Jab Allah Ta'ala iraada karenge unko Jahannam se nikaale to Yahoodi aur Eysaai aur baqi  dozakhi Jo mukhtalif baatil adyaan ya But parasto se talluq rakhte honge ( bator taana ) mohideen ko kahenge k tum ( Allah per imaan laye iski kitaabo per bhi Uske Rasoolo per bhi lekin hum aur Tum Aaj Dozakh mai ek Haal mai hai'n,
__Pas Allah Ta'ala un per itna gussa aalood honge k aur guzishta Awqaat mai itna gussa aalood kabhi na hue honge , Pas unko Jannat ke ek chashme ki taraf  nikaal lenge, isi ke mutalliq Allah Ta'ala ka farmaan hai k WO log bhi khwahish karenge k Kaash WOh ( bhi ) Musalman hote ,
             
.    At- Takhweef Minan Naar , 263
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Andheri Raat mai Namaz Ko Jane Walo Ko Dozakh mai band nahi kiya Jayega,*
              
⚃➠ Hazrat Hasan Basri Reh . farmate hai'n k Ahle Toheed ( Gunahgaar Musalman ) ko aag mai band nahi kiya jayega ( ye Soorat dekh kar ) Jahannam ki Police ek Doosre se kahegi in ( Kuffaar ) ki haalat to ye hai k unhe aag mai band kiya hua hai aur inhe band nahi kiya gaya ?
__To Unhe  ek munaadi Nida karega ( Isliye ) k ye log Masajid mai andheri Raat mai ( bhi ) jaya karte they ,
 At - Takhweef Minan Naar ,264    
⚃➠Hazrat  Hasan Basri Reh farmate hai'n k ek Shakhs ko ek hazaar saal ke baad bhi nikaala jayega Fir Hazrat Hasan Basri Reh ne ( Shiddate khof se ) farmaya  Kaash k Woh Aadmi mai'n hota _,
 
 At - Takhweef Minan Naar ,264
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞  Jannat Bharne Ke Liye Nayi Makhlooq Paida Hogi ,*
              
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai se Jitna hissa Allah Ta'ala chahenge Khaali rahega Fir Allah Subhana v  Ta'ala iske liye ek Makhlooq Paida karenge Jisse chahenge aur Unko Jannat ke Faarig hisse mai basa denge ,
 Muslim ,40 Musnad Ahmad ,3/265 Kanzul Ummaal, 3940       
*⚃➠Faayda _* Qayamat ke Roz aur Jannat mai dakhil ho chukne ke baad Ahle Dozakh Musalmano ke liye Allah Ta'ala ki Rahmat aur Bakhshish ka koi andaza nahi lagaya ja sakta itni kasrat se Jannat mai dakhile ke bavjood Jannat fir bhi khaali reh jayegi kyunki Jannat Allah Ta'ala ka fazal hai Jiski koi inteha nahi Usko ye makhlooq mukammal tor per nahi bhar sakegi isliye Usko bharne ke liye Allah nayi makhlooq paida kar ke usme basayenge ,
           
.   Jannat Ke Haseen Manazir ,277
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Mardo'n Ka Husn v Jamaal -*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n mujhe us zaat ki qasam Jisne Qur'an e Paak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per naazil farmaya hai Jannat mai rehne wale ( Mard v Aurat , Hooro Gulaamo ke ) Husn v Jamaal mai is tarah se izafa hota rahega Jis tarah se unka Duniya mai ( Akhir Umar mai ) Bad Soorti  aur Budhape mai izafa hota rehta hai ,
 Musannif ibne Abi Sheeba ,13/114 Safatul Jannah Abu Naiem ,264
       
⚃➠Irshade Khudawandi hai k " Goya k woh ( Khidmatgaar ) ladke mehfooz rakhe hue moti Hai'n ,"  is irshad ki tafseer mai Hazrat Qatada Raziyallahu Anhu farmate hai'n k
"__Mujhe ye baat pahunchi hai k Arz kiya gaya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Ye to Nokar Aur Khidmatgaar Hai'n Lo Lo Moti ki tarah To makhdoom kese honge ?
Aapne irshad farmaya :- Mujhe us zaat ki qasam jiske qabze mai meri Jaan hai Unke darmiyan esi fazilat hai Jese Chohdhvi Raat ke chaand ki sitaaro per hoti hai ,
           
.   Durre Mansoor ,6/116 Ba hawala ibne jareer ,27/29 Safatul Jannat Abu Naiem ,265
              
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Jannat mai ek Bazaar hoga ,Jannati har Juma ko usme aaya karenge , Shumaal se ek khushbu chalegi Jo unke chehro aur Libaas per padegi aur ye Husn v Jamaal mai badh jayenge ,
__Fir ye Apne ghar walo ke paas lotenge Jabki ye Husno Jamaal mai khoob taraqqi kiye hue honge Unko Biviya'n kahengi Aap to hum se Juda hone ke baad Husno Jamaal mai bahut badh gaye Hai'n , To ye Mard kahenge  Aap bhi khuda ki qasam Husno Jamaal mai badh chuki ho ,
 Safatul Jannat Abu Naiem ,417 Muslim ,2833 Ahmad ,3/284 Kanzul Ummaal ,14/ 486
       
*⚃➠Faayda _* Ye hawa Mushk ke teelo se chalayi jayegi , Jannati Mard v Aurte'n har ghadi Husn v Jamaal mai taraqqi karte rahenge Jab ek Doosre se kuchh der ojhal honge to Chunki is haalat mai bhi unke Husno Jamaal mai izafa hota rahega iski vajah se WO ek Doosre ke Husno Jamaal ko dekh kar hairaan aur lutf andoz honge ,
"__ Jannat Ke bazaar mai Husno Jamaal mai man pasand Haseen v Jameel Soorte'n bhi hongi ,Jannati Jis Soorat ko pasand karega Usme tabdeel ho sakega ,
           
.   Jannat Ke Haseen Manazir, 279
        ┅┅━━═۞═━━┅
    *☞ Husne Yusuf Alaihissalam ,*
              
⚃➠ Miqdaam bin M'adi Karb Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Zaay hone wale Bachche se le kar Budhe tak ( Momin ) qayamat ke din Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Soorat ,Hazrat Ayyub Alaihissalam Ke Dil aur Hazrat Yusuf Alaihissalam ke Husn per bager Dadhi ke Aankho mai Surma lagaye hue ( qabro se ) uthaye jayenge ,
* Tabrani Kabeer ( 20/255,280,281) Majmauz Zawa'id ( 10/334) Abu Naiem (258 )*     
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Taaj Ki Shaan v Shokat ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannatiyo'n ( Ke sar ) per Taaj saje honge Unme se ( har ek Taaj ka ) adna darje ka Moti WO hoga Jo Mashriq v Magrib ke darmiyan faasle ko Roshan karta hoga ,
              
.   *Tirmizi ( 2562) Haakim ( 2/426 ) Durre Mansoor ( 5/253 )*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo Ka Qad aur Shakl v Soorat,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam Alaihissalam ko unki ( Behtreen ) Soorat per paida farmaya Unka Qad (60) Saath Haath tha , Jab Allah Ta'ala ne unko paida kiya to farmaya Aap jaa kar us jama'at ko salaam kijiye  ,Ye Farishto Ki ek Jama'at thi Jo bethi hui thi aur ( unse ) suniye ye Aapko kya jawab dete hai'n Yahi Aapka aur Aapki Aulaad ka Salaam hoga ,
       
➠Huzoor Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai'n :- Chunache Hazrat Aadam Alaihissalam tashreef le gaye aur Farmaya Assalamu Alaikum _ To unhone jawab mai Kaha  Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi wa Barakatuh,
    
➠ Un Farishto ne Salaam mai Wa Rahmatullahi wa Barakatuh ka izafa kiya , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai'n k pas Jo bhi Jannat mai dakhil hoga WO Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Shakl v Shabahat per hoga Uske ( Qad Ki lambaai ) Saath Haath hogi , Lekin ( Hazrat Aadam ke ( Duniya se tashreef le ) Jane ke baad ab tak Husno Jamaal aur Qad kaathi kam hi hota ja raha hai ,
              
.   *Jannat Ke Haseen Manazir ,283 Ba Hawala - Musannif AbdurRazaq ( 10/384) Musnad Ahmad ( 2/315) Bukhari Shareef ( 3326 )Muslim ( 2841)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Chaand Sitaaro Jesi Shakle,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:—
"__ Pehla giroh jo jannat mai dakhil hoga uski soorat chohdhvi Raat ke chaand ki tarah hogi aur wo log jo unke baad dakhil honge unki soorat ki chamak damak Asmaan mai tez roshan sitaare ki tarah hogi,
       
➠ Ye Jannati na peshab karenge na pakhaana na thook na naak ki galazat,  unki kangiya'n sone ki hongi, Unka Paseena Kastoori ka hoga,  Unki angetbiya agar ki hongi, Unki Biviya'n hoore'n hongi,
➠Unke Akhlaaq ek hi Aadmi ke khalq jese honge Unki Soorte'n Apne Abba Hazrat Aadam Alaihissalam ki soorat per hogi, Lambaai mai Saath (60) haath qad hoga,
   .
.   *Bukhari ,3327 Muslim ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kaali Rangat walo Ka Husn,*
              
⚃➠ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek ( Habshi ) Shakhs Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai haazir ho kar kuchh sawal karne laga , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshaf farmaya :- Poochh lo aur Khoob Samajh lo ,      
➠To usne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Aapko hum per shakl v Soorat mai khoobsurati aur Nabuwat mai hum per fazilat bakhshi gayi hai ,Aap kya farmate hai'n agar mai is tarah se imaan le aau Jis tarah se Aap Allah Ta'ala per imaan laaye aur mai'n bhi wese hi Amal karu Jis tarah ke A'amaal Aap karte hai'n to kya mai'n Jannat mai Aapke saath hounga ?
    
➠Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Haa'n ,
Fir Aapne irshad farmaya :- Mujhe us zaat Ki qasam Jiske qabze mai meri jaan hai , Kaale Rang wale Shakhs Ki Safedi Jannat mai ek hazaar saal Ki musafat se dekhi jati hogi ,
"__Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya  :- Jisne  " Laa ilaaha illallaah " padha uske liye Allah Ta'ala ke paas ( Nijaat aur Jannat ka ) ek parwana likh diya jata hai ,aur Jisne " Subhanallahi Wabihamdihi " padha uske liye iske badle mai ek laakh Chobees Hazaar nekiya'n likh di jati hai'n ,  
➠ ( Ye Sun kar ) Us Shakhs ne kaha :- Ya Rasulallah ! Ese ( inamaat haasil karne ) ke baad hum kis tarah se halaak ho sakte hai'n ?
"__To Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Qayamat ke Din Aadmi esa Amal kar ke layega k agar usko pahaad per rakh diya jaye to us per bhi bojhal ho jayega ( Yani Pahaad bhi us Amal ke vazan ko uthane Ki taaqat nahi rakhe ) fir Allah Ta'ala Ki niyamato mai se ( Koi si Duniya Ki ) ek niyamat muqable mai pesh hogi Jo uski tamaam neki ko be vazan kar degi magar ye k Allah Ta'ala Apni Rehmat ke saath ( Bande Ki ) dastgeeri karenge ( aur uske Nek Amaal ka darja badha kar usko Jannat ka mustahiq kar diya jayega ) ,
"_  Us Habshi ne arz kiya:- kya meri Aankh bhi WO kuchh dekhegi Jo Aapki Aankhe Jannat mai dekhengi ?
Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- haa'n ,
To WO Habshi ( Khushi ke maare ) itna Roya k uski jaan nikal gayi ,Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap khud Apne daste Mubarak se us Habshi ko qabr mai utaar rahe they,
      
*Majmauz Zawa'id ,10/420 Ba hawala Tabrani ,12/436 ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
       *☞ Mardo'n Ki Umar ,*
              
⚃➠ Hazrat Mu'az bin Jabal Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannati Hazraat Jannat mai is haalat mai jayenge k na to unke Jismo per Baal honge na dadhi hogi , Aankho mai surma lagaye gaye honge 30 saal Ki ya 33 saal Ki Umar mai honge ,_"
* Musnad Ahmad ,5/243 Tirmizi ,2545 _*      
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik  Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jannatiyo ko Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Shakl v Soorat mai 33 saal Ki Umar mai bager Jismani Baalo aur Daadhi ke ( Qabro se ) uthaya jayega , Fir unko Jannat mai ek darakht ke paas le jaya jayega Jisse WO libaas ko pehnenge fir na to unke Kapde purane honge na Jawani mai Farq aayega ,"
* Kanzul Ummaal , Haadi Al Ravaah ,203 ,Abu Naiem ,155 ,Majmauz Zawa'id ,10/398*   
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jannatiyo mai se Jo Aadmi Chhoti Umar ka ya Badi Umar ka faut hota hai Unko 30 saal Ki Umar mai Jannat dakhil kiya jayegi Unki Umar isse zyada kabhi nahi badhegi , Dozakhiyo Ki Umar bhi esi hi hogi ,_"
            
.   *Sunan Tirmizi ,2562 Haadi Al Ravaah ,203*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Chehro mai Niyamato Ki Tarotaazgi,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
إِنَّ الْأَبْرَارَ لَفِي نَعِيمٍ .عَلَى الْأَرَائِكِ يَنظُرُونَ .تَعْرِفُ فِي وُجُوهِهِمْ نَضْرَةَ النَّعِيمِ
*Surah Al-Mutaffifin, Aayat - 22-23 -24:*      
*⚃➠ Tarjuma _*
"__Nek Log badi Aasa'ish mai honge , Masahriyo per ( bethe bahisht ke ajaebaat ) dekhte honge , ( Ey mukhatib ) Tu unke Chehro mai Aasaish Ki bashashat pehchanega ,
    
*⚃➠Tafseer _*
ْ نَضْرَةَ النَّعِيمِ
Ki Tafsesr  mai Allama Mavardi farmate hai'n k iski Chaar tafseere hai'n ,
1- Jannatiyo ke Chehro Ki tarotaazgi aur Khush haali muraad hai ,
2- Jannatiyo ke Chehro Ki chamak damak muraad hai ,
3- Jannat mai ek Chashma hai Jab Jannati Hazraat usse vazu karenge aur gusl karenge to unke chehro per niyamato Ki tarotaazgi Aashkaar hogi ,
4- Daaymi Niyamat Ki vajah se Chehre per hamesha khushi chhaayi rahegi ,
     
.   * Jolaat Fi Riyazul Jannat ,63*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hanste Muskurate Chehre,*
              
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
لِّلَّذِينَ أَحْسَنُوا الْحُسْنَىٰ وَزِيَادَةٌ وَلَا يَرْهَقُ وُجُوهَهُمْ قَتَرٌ وَلَا ذِلَّةٌ أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ الْجَنَّةِ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
       
   *Surah Yunus, Aayat 26*:
*⚃➠Tarjuma _*
"__Jin logo ne Neki Ki unke waaste  Jannat hai aur mazeed Bara'a ( Allah Ta'ala ka Didaar ) bhi aur Unke chehro per na kadorat ( Gam Ki ) chhayegi aur na Zillat , Ye log Jannat mai rehne wale hai'n WO isme hamesha rahenge ,   
⚃➠Allah Ta'ala mazeed irshad farmate hai'n :-
وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ مُّسْفِرَةٌ .ضَاحِكَةٌ مُّسْتَبْشِرَةٌ
       
*Surah Abasa, Aayat 38-39,*
وُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ نَّاعِمَةٌ. لِّسَعْيِهَا رَاضِيَةٌ. فِي جَنَّةٍ عَالِيَةٍ
*Surah Al-Ghashiya, Aayat 8-9-10,*
*⚃➠Tarjuma_*
"__Bahut se Chehre us Din ( imaan Ki vajah se ) Roshan ( aur masraat se ) kanda'n aur Shadaa'n honge_," "_____ Bahut se Chehre us Roz Ba Ronaq ( aur ) Apne ( Nek ) kaamo Ki badolat khush honge ( aur ) Bahishte Bari ( Jannat ) mai honge ,
      
.   *Jannat Ke Haseen Manazir ,290*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Libaas aur Poshaak,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__*Tarjuma _* Beshak Jo log imaan laye aur unhone Nek Amal kiye to hum eso ka ajr zaaya na karenge Jo achchhi tarah se ( nek ) kaam kare ( pas ) ese logo ke liye hamesha rehne ke baag hai'n Unke ( masakin )ke niche nehre behti hongi , Unko waha'n sone ke kangan pehnaye jayenge ,aur Sabz rang ke Kapde bareek aur mote resham ke pehnenge ( aur ) Waha'n masahriyo per takiye lagaye bethe honge Kya hi achchha silah hai aur ( bahisht ) kya hi achchhi jagah hai _,"
* Surah Kahaf :- 30-31*      
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Shakhs ne arz kiya Ya Rasulallah ! Aap Hume Jannat wali ke kapdo ke mutalliq irshad farmaiye Kya Unki naye sire se paida kiya jayega Ya Unko bana jayega ?
To hazireen mai se baaz hazraat hans pade , To Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Tum is na waqif ke mutalliq Jo jaanne wale se sawal kar raha Hai Kyu hanste ho ! Fir Aapne irshad farmaya k Jannat ka phal Libaas ko zaahir karega ,Aapne ye baat Do martaba irshad  farmayi ,
* Musnad Ahmad ,2/203,224,225 ,Zuhad Ibne Mubarak ,2/75*
    
⚃➠ Hazrat Murahid bin Abdullah farmate hai'n k Jannat mai ek darakht hai Jisse  sandas ( Bareek Resham ) ugega ,Yahi Jannat walo ka Libaas hoga _"
              
.   *Badorul Safrah ,1949 :- Bahawala Musnad, Bizzar ,Abu Ya'ala ,Tabrani ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
    *☞ Jannat ki Aurto'n v Hooro'n Ka Libaas,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__.......Jannat Ki Khatoon ka ek Dupatta Duniya aur is jesi aur Duniya se zyada qeemti hai _,"
* Musnad Ahmad ,2/483 Abu Naiem ,59*      
⚃➠Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai'n :-
"__Pehli Jama'at Jo Jannat mai dakhil hogi unke Chehre chohdhvi raat ke chaand Ki tarah chamakte honge aur Doosri Jama'at Asmaan mai Khoob chamakne wale sitaare Ki tarah bahut zyada chamakne wale ( Chehro Ki ) hogi ,
Unme se har ek ke liye Hoore'n mai se Do Do Biviya'n hongi , Har Bivi per Sattar poshaake hongi Fir bhi unki Pindliyo ka gooda unke gosht ( ke andar se ) aur Poshako ke andar se Aashkaar hota hoga Jese k Surkh Sharaab Safed Sheeshe mai Nazar aati hai ,"
    
.   *Tabrani Kabeer ,10/198 Musnad Ahmad ,3/16 ,Tirmizi ,2522*
        ┅┅━━═۞═━━┅
     *☞ Jannatiyo Ke Zever ,*
              
⚃➠ "Allah Ta'ala un logo ko Jo imaan laye aur unhone Nek kaam kiye ( Bahisht ke )ese baago mai dakhil karega Jinke niche nehre jaari hongi ( aur ) unko waha'n Sone ke kangan aur Moti pehnaye jayenge aur Poshaak unki waha'n Resham hogi _,"
* Surah Hajj :23_*
       
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Wa jannaate Adn tilawat tilawat kar ke irshad farmaya :-
"__Un Jannatiyo per Taaj honge Un ( per jade hue motiyo'n ) mai se adna moti mashriq aur Magrib Ki musafat jitna chamakta hoga _,"
* Ba-hawala Tirmizi ,2562 ,Musnad Ahmad ,3/175*  
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Agar Adna darje ke zever wale Jannati ke zever ko tamaam Duniya walo ke zever se muqabla kiya jaye to Jo Zever Allah Ta'ala us jaanati ko Akhirat mai pehnayenge WO tamaam Duniya walo ke zevero se Afzal hoga _,"
 
* Ba Hawala Majmauz Zawa'id ,10/401 Durre Mansoor ,5/235*    
⚃➠Hazrat Ka'ab Ahbaab Reh. farmate hai'n k Allah Ta'ala ka ek fariahta hai Jo Jannat walo ke liye Jab se WO paida hua hai qayamat tak zever taiyaar karta rahega ,Agar Jannat Walo ke Zevero mai se koi zever ( Duniya mai ) zaahir kar diya jaye to Suraj Ki Roshni ko maand kar de _,"      
.   *Safatul Jannah ibne Abi Addunya ,218 ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Zannati Ka Kangan Suraj se zyada Roshan  ,*
              
⚃➠Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Agar Jannatiyo se koi Aadmi ( Duniya mai ) jhaank le aur uska Kangan zaahir ho jaye to WO Suraj Ki Roshni ko be-noor kar de ,Jese Suraj Sitaaro Ki Roshni ko be-noor kar deta hai ,"
*Safatul Jannat ibne Abid Dunya ,220 ,Durre Mansoor ,221 Sunan Tirmizi ,2538*      
*☞ Aurto'n se Zyada Mardo'n Ko Zever Khoobsurat lagenge ,*   
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh .farmate hai'n k Jannat ke Zever Aurto'n Ki ba-nisbat Mardo'n ko zyada khoobsurat lagenge ,
       
*Safatul Jannat ibne Abid Dunya ,219 ,Nihaya ibne Kaseer 2/442*
*☞ Kholdaar Moti Ka Mahal,*
⚃➠Hazrat Abdullah bin Qais Ash'ari Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__( Jannati Ke liye ) Ek Khaima Kholdaar Moti ka hoga Jiski Lambaai saath meel hogi , Uske har Kone mai Momin Ki koi na koi Bivi hogi Jisko Doosri Biviya'n ( aur Khidmatgaar ladke aur Naukraniya nahi dekhti hogi ) _*
*Bukhari ,4/142 -143 Muslim ,4/2182 Tazkiratul Qurtubi ,2/467*
*⚃➠ Faayda _*  Ye Ek hi Moti se Taiyaar Shuda ek Kholdaar Mahal hoga Jisme Jannati ke liye Aish v Nishaat ka Samaan mayassar hoga ,  
  *Jannat Ke Haseen Manazir, 303*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Neend Nahi Hogi ,*
              
⚃➠Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se sawal kiya gaya k Kya Jannati log soyenge bhi ?
To Aap  Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Neend maut Ki Bhai hai isliye Jannat wale nahi soyenge _,"
*Zuhad imaam Ahmad ,15 Majmauz Zawa'id, 10/415*      
⚃➠Hazrat Abdullah bin Abi Awfi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Shakhs ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Neend ek esi ni'amat hai Jisse Duniya mai hamari Aankhe thandi hoti hai , to kya Jannat mai Neend bhi hogi ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-Nahi ( Neend nahi aayegi ) Kyunki Neend maut Ki shareek hai aur Jannat mai maut nahi hogi ( balki ) Hume Jannat mai na to koi takleef pahunchegi aur na usme Hume koi khastgi pahunchegi ,
    
.   *Al Badro Saafrah ,2196 Ba hawala ibne Abi Haatim v Bahyqi ,489 , Durre Mansoor ,5/254*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Sab Kuchh Milega,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Jin logo ne ( Dil se ) iqraar kar liya k hamara Rab ( Haqeeqi sirf ) Allah hai ( matlab ye k Shirk chhod kar Toheed akhtyar kar li ) fir ( is per ) mustaqeem rahe ( Yani isko chhoda nahi ) un per ( Allah Ki taraf se Rahmat v Basharat ke ) farishte utrenge ( Avval )  maut ke waqt ,Fir qabr mai ,Fir qayamat mai ,
__Ye kahenge k tum ( Ahvaal Akhirat se ) koi andesha na karo aur na ( Duniya chhodne per ) ranj karo aur ( balki ) tum Jannat ke milne per khush raho Jiska Tumse Vaada kiya jaya karta tha ,
__Hum Tumhare Rafeeq they Duniyavi Zindgi mai bhi aur Akhirat mai bhi Rafeeq rahenge , Aur Tumhare liye is ( Jannat ) mai Jis cheez ko tumhara Ji chahega mojood hai aur neez Tumhare liye isme Jo maangoge mojood hai ,( yani Jo kuchh zubaan se maangoge WO to milega ho balki maangne    Ki bhi zarurat na hogi ) Jis cheez ko tumhara Dil chahega mojood hogi  ye bator mehmani ke hoga Gafoorur Raheem Ki taraf se ,  ( Yani ye ni'amate ikraam v aizaaz ke saath is tarah milengi jis tarah Mehmaan ko milti hai ) ,"
* Surah Hameem Sajda ,30-31-32,*
⚃➠Hazrat Ataa bin Maysarah Reh farmate hai'n k Jannati Hazraat mai se Jo Jannati Apne Mahal se niklega aur Kisi darakht ya Nahar ko dekh kar ye chahega k usko is jagah nahi hona chahiye,
Abhi usne ye baat zubaan se nahi nikaali hogi balki Dil hi mai hogi magar Allah Ta'ala us ( darakht ya Nahar vagera ) ko wahi muntaqil kar denge Jaha'n WO pasand karta hoga ,
.   *Safatul Jannat Abu Naiem, 2/127*
*☞ Kya Jannat Ki Ni'amate Duniya Ke mushabe Hogi  ,*
              
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jaanat mai koi cheez Duniya Ki cheez ke mushabe nahi hogi Sirf Naamo mai mushabhat hogi ,
*Abu Naiem ,124 Tafseer ibne Kaseer ,1/91*      
⚃➠Hazrat Mujahid Reh farmate hai'n k Jannat Ki cheeze dekhne mai ek doosri se milti julti hongi magar zaayqa mai mukhtalif hongi ,
* Abu Naiem ,126 Tafseer Tibri ,1/173*
   *   •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞  Haseen v Dilkash Awaaz mai Daowd Alaihissalam Ki Hamd Sunenge,*
              
⚃➠( Hazrat Daowd Alaihissalam Ke liye Hamare Paas qurb ka martaba hai aur Laut jane ki behtreen jagah hai ) is Aayat ki Tafseer mai Hazrat Maalik bin Dinaar Reh farmate hai'n qayamat ke Din Hazrat Daowd Alaihissalam ko arsh ke paaye ke paas khada kiya jayega aur Unko Hukm diya jayega k Ey Daowd ! Us Haseen aur Narm v Naazuk awaaz mai meri buzurgi bayan karo Jis tarah se Duniya mai Bayan kiya karte they ,
WO arz karenge :- Ey Rab Kese hamd karu Aapne to meri Khush ilhani waapas le li hai ?
To Allah Ta'ala farmayenge mai usko aaj  fir waapas karta hu'n , Chunache Hazrat Daowd Alaihissalam esi esi awaaz ke saath Hamd ada karenge K Jannat ki ni'amato ko bhi bhula denge ,      
*⚃➠Note :-* Hazrat Daowd Alaihissalam Jannat mai bhi Khoobsurat Awaaz mai Allah Ta'ala ki tasbeeh v tehleel baja layenge ,     
.   *Zuhad imaam Ahmad v Hakeem Tirmizi v ibne Abi haatim ( Durre Mansoor, 5/305 ) Haadi Al Ravaah ,327*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ Ladkiyo'n Ki Awaaz mai Tarana Hamd,*
              
⚃➠Hazrat Saied bin Juber  reh. farmate hai'n k Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Tum Humse sawal karo Kyunki tum humse kisi esi cheez ka sawal nahi karoge magar humne uske baare mai poochh rakha hai ,
To ek Shakhs ne arz kiya :- Kya Jannat mai nagma sarayi hogi ?
Aapne farmaya :- Kastoori ke koze honge Jinke paas ladkiya'n hongi Jo Allah Ta'ala ki esi awaaz mai buzurgi bayan karengi k unki misl kaano ne kabhi nahi suni hogi ,
* Al Ba'as Wal Nusoor ,422 ,Al Badro Safrah ,2091*       
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ Darakht Ki Tarannum Ke Saath Tasbeeh v Taqdees ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Shakhs ne arz kiya:- Ya Rasulallah ! Kya Jannat mai geet hoga ? Kyunki mai'n geet ko pasand karta hu'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Mujhe qasam hai us zaat ki jiske qabze mai meri jaan hai Allah Ta'ala Jannat ke darakht ki taraf paygaam bhejenge k mere in Bando ko Jinhone Apne Aapko baaju aur gaano ke bajaye ( Duniya mai ) mere zikr ke saath masroof rakha to inko esi awaaz mai unko ESE tarannum mai Tasbeeh v Taqdees suna k esi makhlooqaat ne kabhi na suni ho ,
*  Targeeb v Tarheeb , Durre Mansoor ,5/153*    
*⚃➠Darakht se Khoobsurat Awaaz kese Paida hogi _*
    
➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
Jannat mai ek darakht jiske tane sone ke honge aur Shaakhe zabarjad aur lo lo ki hongi Us per Hawa chalegi to WO ( Shaakhe ) Harkat mai aayengi ( usko ) sunne wale isse zyada lazeez koi Awaaz nahi sunenge ,
            
.   *Abu Naiem ,433, Al Badro Safrah ,2098, Haadi Al Ravaah ,323 , Targeeb v Tarheeb ,4/523*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                      

*☞ Duniya Mai Gaane Baaje Wale Jannat Ke Tarano se Mehroom,*
              
⚃➠Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :
"__Jo Shakhs Gaane Ki awaaz Sunega Usko Roohaniyo ki khush alhani sunne ki ijazat nahi di jayegi ,
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya Ya Rasulallah ! Roohaniyo kon hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- ( Ye ) Jannat Walo ( ke saamne ) Qur'an padhne wale ( farishte ) hai'n ,
* Al Badro Safrah , 2101 ,Durre Mansoor ,5/153 Kanzul Ummaal ,40660 ,Tafseer Qurtubi ,14/54*     
⚃➠Tabai Mufassir Muhaddis Hazrat Mujahid Reh farmate hai'n k qayamat ke Din ek munadi Nida karega k WO log kaha hai'n Jo Apni Awaazo ko aur Apne Kaano ko Fizuliyaat aur Shaitaan ke bajoo se mehfooz rakhte they ?
Farmaya k Fir Allah Ta'ala un Hazraat ko kastoori ke baag mai Rukhsat kar denge aur Farishto se farmayenge k Tum mere ( in ) Bando ke saamne meri hamd aur buzurgi bayan karo aur unko ye khush khabri suna do k un per koi khof ki baat nahi aur na hi koi gam ki baat hai ,
    
.   *Al Badro Safrah , 2100 ,Durre Mansoor ,5/153*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ Jannat Ke Husn mai  izaafa hota Rahega,*
              
⚃➠Hazrat Ka'ab Reh.farmate hai'n k Allah Ta'ala Jan bhi Jannat Ki taraf Nazar farmate hai'n to Hukm dete hai'n k ,
"_Tu Apne Makeeno ke liye aur Pakeeza aur Umdah ho ja , To Woh Husn v Pakeezgi mai aur Umdah ho jati hai Hattaki Jannati usme dakhil ho jaye _,"
* Abu Naiem ,21 Haadi Al Ravaah, 483*       
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ Ahle Jannat Ko Sirf Ek Hasrat Hogi,*
              
⚃➠Hazrat Mu'az bin Jabal Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Ahle Jannat ko kisi Qism ki hasrat Nahi hogi magar us ghadi per WO Hasrat karte rahenge Jo unko ( Duniya mai ) haasil hogi magar usme unhone Allah ko yaad nahi kiya tha ,
* Al Badro Safrah ,2192 Ba hawala - Tabrani v Bahyqi ,*      
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jo Qaum Kisi majlis mai beth ti hai lekin usme Allah Ta'ala ka zikr nahi karti aur Janabe Kareem Sallallahu Alaihivasallam per Darood Shareef nahi bhejti to ye ( majlis ) qayamat ke Din un per hasrat ka baa'is hogi ( K haay agar is majlis mai zikr ya Darood Shareef padhte to Aaj uska bhi inaam milta ) aur agar WO Jannat mai dakhil ho jayenge to ( uske Sawab paane ki Hasrat karenge ),
    
.   *Al Badro Safrah, 2193 Musnad Ahmad ,2/463 ,Tirmizi 3380*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                    
*☞ Jannat Ke Mahallaat- , Nabi ,Siddiq aur Shaheed Ka Mahal*
              
⚃➠ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_Jannat mai ek Mahal esa hai Jisme Sivaye Nabi ya  Siddiq  ya Shaheed Ya Aadil Hukmraan ke koi dakhil nahi ho sakega,      
➠To Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya :-
"__Jo Allah Chahe ,Nabuwat ko to Allah ne ( Aap Sallallahu Alaihivasallam per )tamaam kar diya hai aur Shahadat to WO mere Naseeb mai kaha'n ( Lekin Hazrat Umar Shaheed bhi hue they ) aur imaam Aadil to agar Allah Ta'ala ne chaha ,
➠To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Dua farmayi ," Ey Allah ! Umar ko bhi ye Mahal ata farma ,"
              
.   *Wasful Firdaus ,(25) safa ,13*
              
*➠Ek Mahal mai 40 Mahallaat ,*      
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Momin Ka ghar Jannat mai ek hi chamakdaar moti ka hoga Jisme 40 Mahallaat honge Unke darmiyan mai ek darakht hoga Jo Libaas ugayega aur Lo Lo aur Marjaan se ghira hua hoga ,
*Wasful Firdaus,( 26) safa 13 ,*
    
*➠Momin Ke Mahal Ki Shaan,,*      
⚃➠Hasan Basri Reh se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ke Mahallaat mai har musalman ke liye no Mahal honge ,Ek Mahal Chaandi ka hoga Jiske Kangoore sone ke honge , Ek Mahal Sone ka hoga Jiske Kangoore Chaandi ke honge , Ek Mahal Lo Lo ( moti ) ka hoga Jiske Kangoore yaqoot ke honge , Ek Mahal Yaqoot ka hoga Jiske kangaroo Lo Lo ke honge ,
Ek Mahal zabar jad ka hoga Jiske Kangaroo yaqoot ke honge , Ek Mahal Yaqoot ka hoga Jiske Kangaroo Zabar jad ke honge , Ek Mahal ese noor ka hoga k ( Duniyavi ) aankhe uske nazare ki taab nahi rakhti aur Ek Mahal arsh ke rang ki tarah ka hai aur har Mahal Aath Aath so kilometre mai hai aur unme se har ek Mahal ke hazaar darwaze ke pat hai'n ,"
       
*Wasful Firdaus, (31) safa 14,*
*➠Hazrat Lais bin Abdullah bin Jaafar se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ke Mahallaat ka Zaahiri hissa surkh sone ka hai aur unka andaruni hissa sabz zabar jad ka hai ,Unke Gumbad Yaqoot ke hai'n aur Kangaroo moti ke hai'n ,
*Wasful Firdaus, (30) safa 14,*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•           
*☞ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ke Liye Ek Hazaar Mahallaat,*
              
⚃➠irshade baari Ta'ala " Aur Akhirat Aap ke liye Duniya se ba-darjaha behtar hai ," ( Surah Addhuha:5 ) iski Tafseer mai Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ,
"__Allah Ta'ala Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko Jannat mai Lo lo ke ek Hazaar Mahallaat ataa farmayenge Jinki Mitti Kastoori ki hogi aur Har Mahal ke liye Zaibo Zeenat Asaa'ish v Araam ki Sab cheeze mojood hongi ,"
       
.   *Wasful Firdaus, (35) safa 15 ,Tafseer ibne Abi Sheeba ( 15827) ,Tafseer Tabree ,30/128*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                    
*☞ Ibrahim Alaihissalam aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ka Mahal,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai Lo Lo ka ek Mahal hai Jisme na to koi fatan hai aur na ( Tameer ki )koi kamzori hai , isko Allah Ta'ala ne Apne Khaleel Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke liye Taiyaar farmaya hai ,"
*Safatul Jannat ibne Abiddunya ,(171) ,Haadi Al Ravaah ,193,Majmauz Zawa'id, 8/201*
      
⚃➠Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Maine Khud ko dekha k Jannat mai dakhil hua hu'n aur ek Mahal dekha jiske Sahan mai ek Ladki mojood thi ,Maine puchha ye Mahal kiska hai ? To unhone bataya k Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu ka hai to Maine chaha k isme dakhil ho kar dekhu magar mujhe tumhari gairat yaad aa gayi _"
To Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- mere Maa'n Baap Aap per qurban Ya Rasulallah Mai'n Aap per gairat khaunga ?
        
.   *Safatul Jannat ibne Abiddunya ,( 173) ,Sahih Bukhari ( 3679, 5262,7024)*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                      
*☞ Ek Arab Hooren Wala Mahal ,*
              
⚃➠Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu ne Ye Aayat Padhi  ," Jannaati Adn " fir farmaya :-
"__Jannat mai ek ( Qism ka ) Mahal hai Jiske Chaar Hazaar Darwaze ke Pat hai'n , Har Darwaze per Pachchees Hazaar Hooren hai'n , isme koi dakhil nahi ho sakega magar Nabi ,
_Fir Farmaya :- Ya Rasulallah Aapko Mubarak ho , Ya Siddiq Dakhil hoga , Fir farmaya ,Ey Abu Bakar Aapko bhi Mubarak ho ,Ya Shaheed dakhil hoga magar Umar ke liye Shahadat ka rutba kaha'n ,     
➠ Fir Farmaya :- WO zaat jisne mujhe ( Kufr ki ) Badhaali se nikaala WO is per bhi qaadir hai k mujhe Shahadat ka Rutba ataa farmaye ( Chunache Aapki ye tamanna bhi poori hui aur Aap Shahadat ke rutbe per faa'iz hue ) ,
* Safatul Jannat Abid Duniya ,174 , Musannif ibne Abi Sheeba ,15879, Kitabul Zuhad ibne Mubarak ,535 ,Kanzul Ummaal, 7/275* 
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                    
*☞ Mahallaat Ki Mitti aur Pahaad,*
              
⚃➠Hazrat Mugees bin Sami Reh .farmate hai'n :-
"__Jannat mai Kuchh Mahallaat Sone ke hai'n aur Kuchh Mahallaat Zabar Jad Ke hai'n, Unke Pahaad Kastoori Ke hai'n aur Mitti Wars ( Ek Qism Ki Ghaas Jo Kapda rangne ke kaam aati hai ) aur Zafraan ki hai _,"
*Musannif ibne Abi Sheeba ,13/124 , Safatul Jannat ibne Abid Duniya ,(177) Haadi al Ravaah, 194*
       
*➠ Mahallaat Ki Chhato Ka Noor,*   
⚃➠Ek Hadees mai Vaarid hai k Jannat ki baaz Chhate ( Roof ) ese noor ki hongi Jo Aankho ko chundhiya dene wali Bijli ki tarah chamakti hogi , Agar Allah Ta'ala Jannatiyo ki nigaaho ki Hifazat na kare to WO Bijli unki Aankho ko uchak le _,"
             
.   *Safatul Jannat ibne Kaseer ,51*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                  
*☞ Jannat Ke Baala Khaane,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n ," Lekin Jo log Apne Rab se darte rahe unke liye ( Jannat ke ) Baala Khaane mai hai'n Jinke ouper Baala Khaane hai'n Jo bane banaye Taiyaar hai'n ,"
   
    *( Surah Az-Zumar :20 )*      
⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"_Jannat mai kuchh ese Baala Khaane hai'n k unka Baahar Andar se aur Andar Baahar se Nazar aayega , Ek Dehati ne khade ho kar kaha :- Ya Rasulallah ! Ye kiske liye honge ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, uske Liye Jo Paakiza guftgu karega aur Khaana khilayega aur Hamesha Roza rakhega aur Us waqt jab log sote ho ye raat ke waqt Namaz padhega ,"
* Tirmizi ,1984 , Haadi Al Ravaah ,191*   
⚃➠is Hadees ki Tashreeh darje zel Hadees ke saath kuchh is tarah se hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jannat mai kuchh ESE Baala Khaane honge k jab uska makeen uske andar hoga to usko iska koi khof nahi hoga k uske pichhe kya hai ( kyunki uske andar se baahar Nazar aata hoga )  aur Agar uske Bahar hoga to usko iska khof nahi hoga k Andar ( Baala Khaane mai ) kya hai , ( Kyunki usko Baala Khaane ke baahar se Baala Khaane ka andaruni hissa Nazar aata hoga ),
__Arz kiya gaya Ya Rasulallah ! Ye kinke liye honge ? Aapne irshad farmaya ," Jo Achche Bol bolega ,musalsal Roze rakhega aur Khaana Khilayega ,Salaam ko felayega aur Namaz padhega Jab log so rahe ho ,
Arz kiya gaya ,achchhe bol kya hai ? Irshad farmaya , Subhanallaahi Walhamdulillaahi Wa Laailaha illallaahu Wallaahu Akbar ,
Kyunki ye kalmaat qayamat ke Din is haalat mai aayenge k kuchh aage honge aur pehluo'n mai aur Kuchh pichhe ,
Arz kiya gaya musalsal Roze rakhna kese hai ? Aapne irshad farmaya, " WO Shakhs Jo Maahe Ramzan ke Roze rakhega fir uske baad ek aur maahe ramazan paya to uske bhi Roze rakhe ," ( is tarah har aane wale Ramzan Ke Roze  raha ye musalsal Roze rakhna Hai ) ,      
Arz kiya gaya ,Khaana khilana kya hai ? Irshad farmaya, Jisne Apne Baal Bachcho ki Hifazat ki aur unko khilata raha ,
Arz kiya gaya ,Salaam felana kya hai ? Irshad farmaya, " Apne Bhai ( musalman ) se musafa karna aur Salaam karna ,"
Arz kiya gaya, Jab Log Sote ho us waqt ki Namaz kya hai ? Irshad farmaya, " Isha Ki Namaz ( Padhna ) ,"
      
.   *Al Ba'as Wal Nushoor ( 280) ,Ibne Adi ,2/795 , Tareekh Bagdaad ,4/178 ,179 ,Hila Abu Naiem ,2/356*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ 70 Hazaar Baala Khaane,*
              
⚃➠Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Ki Razajoi mai Aapas mai muhabbat karne wale ( Musalman ) surkh Yaqoot ke ek Sutoon per faa'iz honge ,Us Sutoon ke sire per Sattar Hazaar Baala Khaane honge ,
Unka Husn Jannat walo ke liye esa Roshan hoga Jese Duniya walo ke liye Suraj chamakta hai,       
➠Jannati Ek Doosre se kahenge hamare Saath chalo taki hum Allah Ta'ala ke liye aapas mai muhabbat Karne Walo Ki ziyarat kar aaye , Pas Jab ye log unko jhaank kar dekhenge to unka Husn Jannat Walo ke saamne ese chamkega Jis tarah se Suraj Duniya walo ke liye chamakta hai ,
__Un per Sandas ka sabz libaas hoga ,unki peshaniyo per likha hoga " Ye log Allah Ta'ala Ki Raza aur muhabbat Ki talash ke liye aapas mai muhabbat karte they ,
*  Tazkiratul Qurtubi ,2/464 ,Zuhad Ibne Mubarak ,522*  
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞  Jannat Ke Khaime,*
              
⚃➠Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai momin ke liye ek hi moti ka ek Kholdaar Khaima hoga Jiski Lambaai Saath meel tak hogi , Usme Momin Ki Biviya'n hongi , Momin Un sab ke paas Jaa kar Sohbat karega , Biviya'n ek doosre ko ( is haalat mai ) nahi dekh sakegi ,"
*Bukhari , Muslim ,2838 ,Haadi Al Ravaah ,275 ,Targeeb ,4/116 ,Mishkaat ,5616 ,Kanzul Ummaal ,39297 ,39275*      
⚃➠Ye Khaime Na to Baala Khane honge aur na mahallaat balki ye bagaat mai aur Nehro ke Kinaare per qaa'im kiye gaye honge ,
*Haadi Al Ravaah ,275*
    
⚃➠Hazrat Abu Suleman ( Darani ) Reh farmate hai'n Hooren az sar no paida Ki jati hai Jab uski takhleeq mukammal ho jati hai to Farishte un per Khaime nasb kar dete hai'n ,
      
.   *Safatul Jannat ibne Abid Duniya ,311*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                     
*☞ Khaime Kaise Honge,*
              
⚃➠Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k maine arz kiya Ya Rasulallah ! Maine suna Allah Ta'ala irshad farmate hai'n ," Hooren hongi Khaimo mai Thehri hui ," Ye Khaime kya hai'n ?
"__Mujhe us zaat Ki qasam hai Jiske qabze mai meri jaan hai Jannat ke khaimo mai se ek khaima ek hi Gohar ka hoga andar se kholdaar Battees kilometer lamba Battees Kilometer choda ( Yani Lambaai aur Chodaai barabar hogi ) Yaqoot aur Zabar jad ka ( Us Khaime ko ) taaj pehnaya gaya hoga , Uske Sone ke Sattar Darwaze honge ,"     
.   *Wasful Firdaus ,(38) safa 16,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Qubba,*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Adna darje ke Jannati ka martaba ye hoga k uske liye ek Qubba lo lo aur Yaqoot aur Zabar jad ka tiyaar kiya jayega ( Jo  Taveel mai ) Jaabiya se San'a Jitna hoga ,"     
*➠Faayda _* Jaabiya mulke Shaam mai Mashhoor Shahar Damishq ke qareeb ek Shahar hai aur San'a Mulke Yaman ka Darul Khilafa hai ,
         
*Wasful Firdaus (37) Safatul Jannat ibne Abid Duniya (206) ,Majmuaz Zawa'id (10/401),Targeeb v Tarheeb ( 4/508)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Resham Ke Bistar  ,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :- "( Aur )WO log ( Jannat mai ) Takiya lagaye ESE Farsho (  Bichhono aur Bistaro ) per bethe honge jinke Astar mote resham ke honge ,
( Aur qa'ada hai k ouper ka kapda banisbat astar ke zyada nafees hota hai ,Pas jab astar mote resham ka hoga to ouper ka kesa Kuchh hoga ), 
       
*$__Surah Ar Rahman :54*
*⚃➠Faayda _* Aayat se maloom hua k Jannat ke bichhone Ki shakl ye hogi k uska nichla hissa mote resham ka hoga aur ouper ka hissa usse zyada nafees aur zeenat mai zyada badh kar hoga ,
* Haadi Al Ravaah - 269, Haakim -6/475, Safatul jannat ibne abid duniya - 155 ,Targeeb v Tarheeb -4/531,*   
⚃➠Hazrat Saied Reh .farmate hai'n k unka zahiri ( ouper wala ) hissa Noor ka hoga ,
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya- 156, Abu Naiem -4/286,*       
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k agar us bichhone ke ouper wala hissa giraya jaye to uske nichle hisse tak 40 Saal tak na pahunche _,
* Safatul Janbat ibne Abid Duniya -158, Durre Manssor -4/157*
⚃➠ Hazrat Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k bichhono Ki ounchaai 40 Saal ke safar ke barabar hai ,    
.   *Nihaya ibne Kaseer -2/449, Haadi AL Ravaah-270 ,Tabrani Safatul Jannat Abu Naiem -358,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Takht e Shahaana,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-  ( Jannat mai Bethe honge ) Takiye lagaye hue Takhto per Jo barabar bichhaye hue hai'n ,aur hum unka Gori Gori Badi Badi Aankho waliyo se ( Yani Hooro'n se ) nikaah kar denge ,
       
*$_Surah Al Gashiya :13 - Tafseer Bayanul Qur'an Thaanvi Reh.*
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ye Takht Sone ke honge Jinke Taaj Zabar Jad ,Johar aur Yaqoot ke honge Aur Ek Takht Makka aur Iyla Jitna Taveel hoga ,
* Haadi AL Ravaah-278*   
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Allah ka Dost Jannat mai Takht per Tashreef farma hoga Jiski Bulandi 500 Saal Ki hogi , Usi ke mutalliq Allah Ta'ala ka irshad hai ," Aur Takht honge Buland ,"
       
⚃➠Farmaya k Ye Takht Surkh Yaqoot ka hoga Jiske Sabz Zamard ke Do par honge Fir us Takht per 70 Bichhone honge ,Jinka Astar Noor ka hoga aur Ouper ka hissa Bareek Resham ka hoga aur Andar ka mote Resham ka hoga , Agar us Takht ke ouper ke hisse ko giraya jaye to Apne nichle hisse tak 40 Saal Ki muddat mai pahunche ,    
*Bastaan AL Wa'azeen v Riyazus Saama'een -193-194*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Khidmat Guzaar Ladke Aur Khaadim,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"_Aur un  ( Jannati Hazraat ) Ke pass ESE ladke aamado raft karenge Jo hamesha ladke hi rahenge ( na to WO Bade honge na Budhe aur na unki Aab taab mai koi Kami waqa'a hogi aur WO is qadar Haseen hai'n k ) Ey mukhatib agar tu unko ( chalte firte ) dekhe to yu'n samjhe k Moti hai'n Jo bikhar gaye hai'n ,
"_( Moti se to tasbeeh safaai aur chamak damak mai aur Bikhre hue ka wasf unke chalne firne ke lihaaz se Jese bikhre moti muntashir ho kar koi idhar ja raha hai koi udhar ja raha hai aur Ye A'ala darja Ki tashbee hai aur in mazkoora asbaab aysh hi kaafi  nahi aur bhi har samaan is afraat aur raf'at ke saath hoga k ) Ey mukhatib agar tu us jagah ko dekhe to tujhko badi ni'amat aur badi saltanat dikhlayi de ,"
*Surah Ad- Dahar 19-20,Tafseer Bayanul Qur'an,*     
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__ ( Aur unke paas meve vagera lane ke liye ) ESE ladke aayenge jayenge Jo khaas unhi ( Ki Khidmat ) ke liye honge ( aur Gayate Husno Jamaal se ESE honge k ) Goya WO hifazat se rakhe hue moti hai'n ( k un per Zara bhi gard v gubaar nahi hota aur Aab taab A'ala darje Ki hoti hai )_,"
*Surah At-Toor -24, Tafseer Bayanul Qur'an,*
    
⚃➠Unke Paas ESE ladke Jo hamesha ladke hi rahenge ye cheeze le kar Aamado raft kiya karenge Aabkhore aur Aaftaabe aur ESA Jaam Sharaab Jo behti hui Sharaab se bhara jayega _"   
*Surah Waqi'a -17-18, Tafseer Bayanul Qur'an,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Tadaad e Khaadim,*
              
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Tamaam Jannatiyo'n mai Sabse kam darje ka Jannati WO hoga Jiski Khidmat mai 10 hazaar Khaadim khade honge _",
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya,206,Majmauz Zawa'id -10/401, Durre Mansoor -6/22 ,Targeeb v Tarheeb -4/508*      
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannatiyo'n mai Sabse kam darje ka Jannati WO hoga Jiske 80 Hazaar khaadim honge aur behtar Biviya'n hongi aur Uske liye ek Qubba lo lo aur Yaqoot aur zabar jad qaa'im kiya jayega (Jiski Lambaai )Jaabiya ( Mulke Shaam mai damishq Shahar ke paas ek Shahar ka Naam hai ) se San'a ( Mulke yaman ke Darul khulafa ) hogi ,
    
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya,211,Majmauz Zawa'id -10/400-401,*  
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hoor Kise Kehte hai'n?,*
              
⚃➠Hazrat Mujahid Reh farmate hai'n:- Hoor usko kehte hai'n Jiske Deedaar se Aankh hairat mai pad jaye , Uski Pindli Kapdo ke pichhe se nazar aati ho , Dekhne wala Apne chehre ko Un hooro mai se har ek ke Jigar mai raqt Jild aur Safaye Rang ki vajah se Aa'ine ke tarah dekhega _,"
*Al Badro Saafrah (2002), Tafseer Mujahid 2/590, Tafseer Tibri 25/132, Haadi AL Ravaah 285*     
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__In ( Baago ke makanaat aur Mahallaat ) mai nichi nigaaho wali  Hooren hongi k un ( Jannati ) logo se pehle un per na to kisi Aadmi be tasarruf kiya hoga aur na kisi Jan ne ( Yani bilkul mehfooz aur gair Mustamal hogi ) sivaye Jinnaat v insaan ( bavjood is kasrat v azmate ni'amat ke ) tum Apne Rab ki kon kon so ni'amato ke munkir ho jaoge ( aur rangat is qadar saaf v shaffaaf hogi k ) Goya WO Yaqoot aur Marjaan hai ,_"  
* Surah Ar Rahmaan ,57-58*
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh .farmate hai'n Hoor WO hai Jiski Aankh ka ( safed hissa ) nihayat hi safed ho aur Syaah hissa nihayat hi syaah ho ,
 
*  Tafseer Qurtubi ,16/153*  
⚃➠ Hoor Hoora ki Jama (Plural) hai aur Ayn Ayna ki Jama hai ,Urdu muhawre mai log Hooren ko Wahid ( Singular) ke ma'ane mai istemal karte hai'n aur Ye galti Aam ho rahi hai , *( Imdadullah )*     
⚃➠Allama ibne Qayyim Reh farmate hai'n k Hoor Hoora ki Jama hai aur Hoora us Aurat ko kehte hai'n Jo Jawan ho Haseen v Jameel ho, Gore Rang ki ho Syaah Aankh wali ho ........aur Ayn Ayna ki Jama hai aur Ayna us Aurat ko kehte hai'n Jo Aurto'n mai badi Aankh wali ho ,
.   *Haadi AL Ravaah ,285*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hoor Ki Paidaish Khaas Andaaz se Ki gayi,*
              
⚃➠irshade Khudawandi hai :- Un jannati logo se pehle un per na to Kisi Aadmi ne tasarruf kiya hoga aur na Kisi Jinn ne , " is Aayat ki Tafseer mai Imaam Sha'abi Reh farmate hai'n K ye Aurte'n Duniya ke Mardo ki Biviya'n banengi Allah Ta'ala unko ek aur Tareeqe se paida kiya hai Jesa k Allah Ta'ala farmate hai'n :-      
➠Humne un Aurto'n ko khaas tor per banaya hai Yani humne unko ESA banaya k WO Kunwariya'n hai'n ( Yani baad muqarbat ke fir se Kunwari ho jayengi ) Mehbooba hai'n ( Yani Harkaat v Shama'il v Naaz o Andaaz v Husno Jamaal Sab cheeze unki dilkash hai'n aur Ahle Jannat ki hum Umar hai'n ) ,  *(  Surah Waqi'a -32-35)*
⚃➠Imaam Sha'abi Reh farmate hai'n Jab se unko is khaas andaz se banaya hai unko kisi insaan aur Jinn ne chhua tak nahi _"
             
.   *Sunan Saied Bin Mansoor , Bahyqi , Badro Safrah ( 2007)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hooren Zafraan se Paida Ki Gayi Hai'n,*
              
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat ki Hooren ko Zafraan se Paida kiya gaya hai _"
* AL Badro Safrah ( 2016) Tabrani ( 7813) Durre Mansoor ( 6/33)*      
*⚃➠Faayda_"* Hazrat Zaid bin Abbaas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Mujahid Reh se bhi ESE hi marvi hai , Hazrat Zaid bin Aslam Reh ( Taaba'i mufassir ) farmate hai'n k Allah Ta'ala ne Hooren ko mitti se paida nahi kiya balki unko Kastoori kafoor aur Zafraan se paida kiya hai ,"
* AL Badro Safrah ( 2018 ) Ba-hawala ibne Mubarak,*   
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Salma bin Abdur Rahman Reh  ( Taaba'i ) aur Hazrat Mujahid Reh ( Taaba'i) farmate hai'n k Allah Ta'ala ke dost ke liye esi Bivi hai Jisko Aadam v Hawwa ( insaan ) ne nahi Jana balki usko Zafraan se paida kiya gaya hai ( Yani WO Jannat mai takhleeq ki gayi hai Maa'n Baap ke Waaste se paida nahi hui )_,"
           
*Haadi AL Ravaah -303, Safatul Jannate  ibne Abid Duniya -295*
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•          
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hoor Ke Badan Ke Mukhtalif Hisse Kis Kis Cheez se Banaye Gaye Hai'n ?,*
              
⚃➠Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Allah Ta'ala ne Hooren ko Paanv ki ungli se Uske ghutne tak Zafraan se banaya hai aur uske Ghutne se uske Seene tak Kastoori ki khushbu se banaya hai aur uske Seene se Gardan tak Shola ki tarah chamakne wale Ambar se banaya aur Uski gardan se  Sar tak Safed Kafoor se takhleeq kiya hai ,      
⚃➠Uske ouper gule laala ki Sattar hazaar poshaake'n pehnayi gayi hai'n , Jab WO Saamne aati hai to iska chehra zabardast noor se ESE chamak uthta hai Jese Duniya walo ke liye Suraj aur Jab Saamne aati hai to uska Pet ka androoni hissa libaas aur Jild ki bareeki ki vajah se dikhayi deta hai,    
⚃➠Uske Sar mai Khushbu daar Kastoori ke baalo ki chotiya'n hai'n , Har ek Choti ko uthane ke liye ek Khidmat gaar hogi Jo uske Kinaare ko uthane wali hogi Ye Hoor Kehti hogi Ye ina'am hai Auliya ka aur Sawab hai un A'amaal ka Jo baja late they _,"
     
.   *Tazkiratul Qurtubi, 2/481*
        ┅┅━━═۞═━━┅
     *☞ Hooro'n Ki Umar,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Aur unke pass nichi nigaaho wali hum San ( Hoore'n ) hongi _,"
 
"__Mufti Muhammad Shafi Sahab Tehreer farmate hai'n k inse muraad jannat ki Hooren hai'n aur Ham San ka matlab ye bhi ho sakta hai k WO Sab Aapas mai hum Umar hongi aur ye bhi k WO Apne Shohar ke saath Umar mai musawi hogi ,   
⚃➠Pehli Soorat mai unke hum Umar hone ka fayda ye hai k unke darmiyan aapas mai muhabbat, Uns aur Dosti ka talluq hoga , Sokano sa bugz aur nafrat nahi hogi aur zaahir hai k ye cheez Shoharo ke liye intehai raahat ka sabab hai ,
    
⚃➠Aur doosri soorat mai Jabki hum Umar ka matlab ye liya jaye k WO Apne Shoharo ki hum umar hongi ,Iska fayda ye hai k Hum umari ki vajah se tabiyato mai zyada munasbat hogi aur ek doosre ki raahat v dilchaspi ka khayal zyada rakha ja sakega ,      
⚃➠isi se ye maloom hua k Zojain ke darmiyan Umar mai tanasub ki riayat rakhni chahiye , Kyunki isse aapas mai Uns paida hota hai aur Rishta nikaah zyada khushgawaar aur paydaar ho jata hai ,      
.   *Tafseer ma'arful Qur'an, 7/527*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu aur digar mufasireen farmate hai'n k Jannati Hooren ek hi Umar ki 33 Saal ke barabar hogi ,"
( Hooro aur Duniya ki Aurto'n ki sabki Umar Jannat mai 33 Saal hogi )
* Haadi AL Ravaah, 288*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Budhiya Jawan Ho kar Jannat mai Jayegi  ,*
              
⚃➠Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ek Martaba mere paas tashreef laye Us Waqt mere Paas ek  Budhiya bethi thi , Aapne Sawal farmaya ye Kon hai ? Maine Arz kiya meri Khalao'n mai se ek hai ,      
➠To Aapne irshad farmaya , ye baat yaad rakho k jannat mai Budhiya dakhil na hogi ,Ye irshad sun kar Budhiya GAM aur Pareshani laahiq ho gayi ,  
➠Fir Aapne irshad farmaya ( Allah Ta'ala farmate hai'n k ) Hum unko ek doosri shakl mai ( Yani jawan shakal mai qabro se ) uthayenge _"
* Durre Mansoor -6/158, Haadi AL Ravaah -292*      
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh. Bayan farmate hai'n :-
"__Ek Budhiya Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Khidmat mai haazir hui aur arz kiya Ya Rasulullah ! Allah Ta'ala se Dua farmaye k WO Mujhe jannat mai dakhil kare ,
➠Aapne farmaya :- Ey fala ki Maa'n Jannat mai to koi Budhiya dakhil nahi hogi ,
( Hazrat Hasan Basri Reh ) farmate hai'n k ( ye jawab sun kar Budhiya ) moonh fer kar jate hue Rone lagi to Aapne irshad farmaya :- isko bata do k usme koi Aurat Budhiya hone ki haalat mai jannat mai dakhil nahi hogi ,Allah Ta'ala farmate hai'n Hum unki doosri tarah ki takhleeq karenge aur unko kunwariya'n bana denge _"   
*Shama'il Tirmizi (2/38 Ma'a Jamaul Wasa'il Sharah Shama'il ) Majmauz Zawa'id ( 10/419)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
          *☞ Hoor Ka Afsos,*
              
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Namazi Salam fairta hai aur Ye nahi kehta k Allah mujhe Dozakh se Nijaat ataa farma aur Mujhe Jannat mai dakhil farma aur Mujhe Hooren se biyaah de ,
To Farishte kehte hai'n Afsos Kiya hai ye Shakhs be-bas ho gaya hai k Allah Ta'ala ke saath dozakh se panaah talab kare ,
Aur Jannat kehti hai Afsos kiya ye Shakhs Aajiz ho gaya hai k Allah Ta'ala se Jannat maange ,
Aur Hoor kehti hai k ye Shakhs Aajiz aa gaya hai k Allah Ta'ala se iska sawal kare k WO uski Hooren se Shadi kar de _",
* Tabrani ,AL Badro Safrah (2058)*     
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hoor Kab Tak Mutavajjah Rehti hai,*
              
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jab Musalman Namaz ke liye Khada hota hai to uske liye Jannat ko khol diya jata hai, Uske aur uske Rab ke darmiyan se parde hata diye jate hai'n aur Hoor uski taraf apna Rukh kar leti hai Jab tak WO na Thooke aur Na Sinke ( Kyunki Hooren is Nazla Zukaam vagera se paak hai aur inse nafrat karti hai )_"
*Tabrani ,AL Badro Safrah ( 2059)*
       
*☞ Hooren Subeh tak intezar mai,*
⚃➠ Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jo Shakhs Thoda khana khaa kar Namaz padhte hue raat guzaar ta hai Subeh tak Hooren intezar mai rehti hai'n ( K Shayad Allah Ta'ala is Nek Bande ke saath Hume Biyaah de _Wallahu Aalam )"
        
*Tabrani ,AL Badro Safrah ( 2060)*
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nikaah Ke Liye Hooro'n Ka Paigaam ,*
              
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Shuru Saal se Aakhri Saal tak Maahe Ramazan ke istaqbal ke liye banti sanwarti hai'n , Fir Jab Maahe Ramazan ki pehli Raat hoti hai to arsh ke niche se ek Hawa chalti hai uska Naam " Maseerah " hai uski vajah se Jannat ke darakhto ke patte aur Darwazo ke kunde hilte hai'n ,
__isse esi Bheeni Bheeni awaaz paida hoti hai k sunne walo ne isse zyada khoobsurat nahi suni hogi ( is se ) Hooren Jannat ke Kinaare jaa kar pukaar kar kehti hai'n -- Koi hai Jo ( hum se ) Shaadi karne ke liye Allah Ta'ala ko paigaame nikaah de aur Allah Ta'ala uski Shaadi ( hum se ) kar de ?
       
➠ Aur Allah Ta'ala hukm farma dete hai'n- Ey Rizwaan ( Jannat ki nigrani ki muntazim Farishta ) Jannat ke Sab Darwaze khol de aur Ey Maalik ( Dozakh ka Daroga ) Maahe Ramazan ke ahatraam mai dozakh ke Sab Darwaze band kar de _,"
         
*Shobul Imaan , Bahyqi v Tirmizi , AL Badro Safrah ( 2055)*
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞  Hoor Ki Tasbeeh se Jannat Ke Darakhto Per Phool lag jate Hai'n,*
              
⚃➠Hazrat Yahya bin Abi Kaseer Reh. Farmate hai'n k jab Hooren Tasbeeh padhti hai'n to Jannat ke har darakht per Phool lag jate hai'n _,"
*Haadi AL Ravaah, 306*      
      *☞ La'ibaa Hoor ,"*
⚃➠ Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anha farmate hai'n :-
"__Jannat mai ek Hoor hai Jiska Naam " La'ibaa " hai Agar WO Apna Luaabe Dahan ( Kadwe ) samundar mai daal de to Samundar ka tamaam paani sheeri ho jaye , Uske Seene per ye likha hua hai "_ Jo Shakhs ye pasand Karta hai k usko mere Jesi Hoor mile to usko chahiye k mere parwardigaar ki farmabardaari wale A'amaal kare _," 
* AL Badro Safrah ba hawala ibne Abid Duniya Safatul jannat ( 305 ) Tazkiratul Qurtubi ( 2/477)*
⚃➠ Haafiz ibne Qayyim Reh. Ne is Rivayat ko Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu se naqal kiya hai aur usme mazeed ye bhi zikr kiya hai k,
"_ Jannat ki tamaam Hooren uske Husn per Hairaan hai'n aur uske kandhe per haath maar kar kehti hai'n Ey La'ibaa ! Tere Mubarak ho agar tere talabgaaro ko ( tere Husno Jamaal aur kamaal ka ) ilm ho to khoob koshish kare ( aur A'amale Saliha kar ke tere mustahiq ban jaye )_,"
             
*Haadi AL Ravaah, 305 ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nahar Har Wal Ki Kunwariya,'n ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai ek Nahar hai Jiska Naam Har Wal hai , uske dono kinaaro per darakht uge hue hai'n , Jab Jannati sima'a ki Khwahish karenge to kahenge Hamare Saath Har Wal ki taraf chalo taki hum  darakhto se ( khoobsurat aur dilkash awaaze ) sune ,      
➠ chunache WO esi ( khoobsurat ) awaaz mai bolenge k agar Allah Ta'ala ne Jannatiyo'n ke na marne ka faisla na kiya hota to ye un awaazo ke Shoq aur tarb mai mar jate ,   
➠Pas jab un khoobsurat awaazo ko ( darakht per lagi hui ladkiya'n sunengi to WO Arabi zaban mai nihayat khoobsurat Andaaz aur awaaz mai ) arabi zaban mai( Kuchh ) padhengi to Allah ke wali unke paas qareeb jayenge aur har ek un ladkiyo'n mai se Jisko pasand karega tod lega fir Allah Ta'ala un ladkiyo'n ki jagah wesi hi aur ladkiya'n ( us darakht ko ) laga denge _,"      
.   *Safatul Jannat Abu Naiem ,(311) ( 3/164)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gussa Pine Per Hoor Milegi,*
              
⚃➠Hazrat Ma'az bin Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jis Shakhs ne Gusse ko pi liya Halanki WO usko naafiz karne per qudrat rakhta tha , Allah Ta'ala usko qayamat ke din tamaam makhlooqaat ke Saamne bulayenge hattaki usko akhtyaar denge WO Hooro mai se Jisko chahe le le _,"
*Musnad Ahmad( 3/440) Abu Dawood ( 4777) Tirmizi ( 2022,3495) ibne majah ( 4186) Bahyqi ( 8/161)*      
*☞ Hooren lene Ke Teen Kaam _*
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Teen Kaam ESE hai'n Jis Shakhs ke paas inme se ek bhi hoga uski Hooren ke saath Shaadi ki jayegi _
1- WO Shakhs Jiske paas zarurat ki Amanat khufiya tor per rakhi gayi aur usne usko khofe khuda ki vajah se ada kar diya ,
2- WO Shakhs jisne Apne Qaatil ko maaf kar diya ,
3- WO Shakhs Jisne har ( farz ) Namaz ke baad " Qulhu wallaahu Ahad " ( poori Surah ikhlaas ) ki Tilawat ki _,"
    
*➠Faayda _"* in mazkoora A'amaal mai se koi SA Amal jitni Martaba karega in sha Allah itni Hooren milengi ,
     
.   *Targeeb v Tarheeb , AL Badro Safrah ( 2042)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Har Roze Ka ina'am 100 Hooren,*
              
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ek Saal se Doosre Saal ( ke shuru hone ) tak Maahe Ramazan ke liye Sanwarti hai ,aur Hoor bhi ek Saal ke Shuru se Doosre Saal ke Shuru tak Ramazanul Mubarak ke liye sanwarti hai ,
       
➠Jannat Kehti hai -Ey Allah ! Mere liye Apne Bando mai se is Mahine mai makeen muqarrar farma de ,
Aur Hoore'n ye Dua karti hai'n k -Ey Allah ! Hamare liye is Mahine mai Apne Nek Bando mai se Khawind muqarrar farma de Jinse hamari Aankhe thandi ho aur Humse unki Aankhe thandi ho ,
    
➠Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jis Shakhs ne khud Ramazanul Mubarak mai Roza rakha Kuchh khaya piya nahi aur Kisi Momin per Bohtaan bhi nahi lagaya aur Us Roze ki haalat mai koi gunaah bhi na kiya , Allah Ta'ala ( Roze ki ) har raat mai Uske liye So ( 100 ) Hooro'n se uski Shadi karenge ,
       
➠Aur uske liye Jannat mai Lo Lo ,Yaqoot aur ZabarJad ka Mahal banayenge ,Agar Tamaam Duniya ko us Mahal mai muntaqil kar diya jaye to ye Duniya mai Bakriyo'n ki jagah Jitna nazar aayega _,"
       
*Al Badro Safrah ,2047, Musnad Abu Ya'ala ,Mu'ajjam Awsat Tabrani ,Ibne Asakir,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Neki Ka Hukm aur Buraai se Rokne Ka ina'am --Ayna Hoor ki Shaan ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__Jannat mai ek Hoor hai Jiska Naam " Ayna " hai Jab WO chalti hai to uske ird gird Sattar Hazaar khidmatgaar ladkiya'n chalti hai'n, Uski Daayi taraf bhi aur uski Baayi taraf bhi ( itni hi khidmatgaar ladkiya'n) hoti hai'n,
       
➠Ye Hoor Kehti hai :- Kaha'n hai'n Amr bil Ma'aroof karne wale aur Nahi Anil Munkar karne wale ( Yani kaha'n hai Nekiyo'n ka Hukm karne wale aur Buraai se Mana karne wale ) Mai'n unka ina'am hu'n ,
"_Yani har ESE Aadmi ko esi Ek Hoor " Ayna " ata ki jayegi ya to Amr bil Ma'aroof Nahi Anil munkar karte rehne ke Sawab mai ye ek Hoor milegi Ya ye k Har dafa Amr bil Ma'aroof Nahi Anil munkar karne ke Sawab mai ye Hoor ata ki jayegi , Zaahir yahi hai k har dafa Amr ya Nahi karne per ye Hoor milegi , Wallaahu A'alam _,"
   
*Al Badro Safrah ( 2049) Tabrani , Majmauz Zawa'id, Tazkiratul Qurtubi (2/477) Safatul Jannat Ibne Kaseer 110,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannati Ke Liye Aurto'n aur Hooro'n ki Tadaad,*
              
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_Jannat mai insaan ki Sattar Biviyo'n  se Shadi ki jayegi "
Arz kiya gaya -Ya Rasulullah ! Kya Mard un sabki Taaqat rakhega ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Mard ko So ( 100 ) Aadmiyo'n ki taaqat ata ki jayegi _,"
*Kitabul Zo'afa Al Aqeeli ( 3/166) , Ibne Hibaan ( 9/236) AL Badro Safrah ( 2031) Majmauz Zawa'id ( 10/417) Safatul Jannat Abu Naiem ( 476)*      
⚃➠Hazrat Haatib bin Abi Balta Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna :-
"__Jannat mai Momin ki Bahattar ( 72 ) Biviyo'n se Shadi ki jayegi ,70 Jannat ki Aurte'n hongi aur Do Duniya ki Aurte'n hongi _,"
*Al Badro Safrah ,(2032)*   
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Adna darje ke jannati ke Assi Hazaar Khadim honge aur Bahattar Biviya'n hongi, Har ek Jannati ki liye lo lo ,Yaqoot aur ZabarJad ka ek Qubba nasb kiya jayega ( Jiski Lambaai ) Jaabiya ( Mulke Shaam ke Shehar ) se San'a ( Mulke Yaman ke Darul Saltnat ) jitni hogi _,"      
*Ibne Mubarak Fiz Zuhad ( 2/167) Tirmizi ( 2562) AL Badro Safrah ( 2033)Haadi AL Ravaah ( 298) Tazkiratul Qurtubi ( 2/475)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Darje Ke Jannati Ki Biviyo'n Ki Tadaad ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Adna darje ke Jannati Ke saat darjaat honge Ye Chhate per rehta hoga Uske Ouper Saatva darja hoga , Uske Teen So Khaadim honge ,
*__Uske Saamne rozana Subeh Shaam Sone chandi ke Teen so Pyale Khaane ke pesh kiye jayenge , Har ek pyale mai ese qism ka khana hoga Jo doosre mai nahi hoga aur Jannati Uske Shuru mai ese hi lazzat payega jese k uske Aakhir se ,
*__Aur WO ye kehta hoga k Ya Rab agar Aap mujhe ijazat de to mai'n Tamaam Jannat walo ko khilaau'n aur Pilaau'n Jo Kuchh mere paas hai ( Usme Kami na hogi )      
*__Uski Hooren mai se Bahattar Biviya'n hongi aur unme se har ek ki Sureen Zameen ke ek meel ke barabar hogi_,
*Musnad Ahmad ( 2/537) AL Badro Safrah ( 2035) Majmauz Zawa'id ( 10/400) Haadi AL Ravaah ( 208)*
⚃➠Jitni Mard ki Paanch So Hooro'n aur Chaar Hazaar Kunwariyo'n aur Aath Hazaar Shaadi Shuda Aurto'n se Shadi ki jayegi  , Jannati Unme se Har ek Ke saath Apni Duniyavi zindgi ki miqdaar ke barabar mu'anqa karega _,"
    
*Kitabul Azmat Abu Shekh ,(591) Durre Mansoor ( 1/40) AL Badro Safrah ( 2034) Fatahul Baari ( 6/325) Targeeb v Tarheeb ( 4/532)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nahro Ke Kinaare Khaimo Ki Hoore'n,*
              
⚃➠Hazrat Ahmad bin Abi AL Hawaari Reh. Farmate hai'n k maime Hazrat Abu Suleiman Daraani Reh . ko farmate hue suna :--
"__Jannat mai Kuchh Nahre'n esi hai'n Jinke Kinaaro per Khaime nasb kiye gaye hai'n , Unme Hooren mojood hai'n , Allah Ta'ala ne unme se har ek ko naye Tareeqe se paida kiya hai ,
       
➠Jab Unka Husn Kaamil ho gaya to Farishto ne unke ouper Khaime laga diye , Ye ek meel dar meel kursi per bethi hai'n Jabki unki Sureen Kursk ke atraaf se bahar ko nikal rahi hai'n ,
    
➠Jannat Wale Apne Mahallaat se ( nikal kar unke paas) aayenge aur Jis Tarah se chahenge unke nagmaat aur Taraane Sunenge , Fir har Jannati har ek ke saath khilwat mai chala jayega _,"    
*Al Badro Safrah ( 2028) Ba Hawala ibne Abid Duniya, Safatul Jannat ( 351)*
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Baadal Se Ladkiyo'n Ki Baarish ,*
              
⚃➠Hazrar Kaseer bin Marwaah Reh. Farmate hai'n k Jannat ki ni'amat "mazeed " mai se ek ye hai k Jannat walo ke ouper se ek Badli guzregi WO Kahegi -Tum kya chahte ho ,Mai'n Aap Hazraat per kis ni'amat ki baarish karu ?
       
➠Chunache WO Hazraat Jis jis ni'amat ki Chaahat karenge Wahi un per naazil hogi ,Hazrat Kaseer bin Marwaah ( Hazrami Reh. ) farmate hai'n k agar Allah Ta'ala ne mujhe ye manzar dikhaya to mai'n ye kahunga k hum per Singhaar Kardah Ladkiyo'n ki Baarish ho _"
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya ( 302) Abu Naiem ( 3/223) Tazkiratul Qurtubi ( 2/498) AL Badro Safrah ( 2040)*   
⚃➠Hazrat Abu Taiyaba Kalaa'i Reh farmate hai'n-- Jannat Walo per ni'amato se bhari hui Badli Tukde Tukde ho kar saya karegi aur Puchhegi :- Mai'n Aap Hazraat per kis ni'amat aur Lazzat ki Baarish karu'n ?
       
➠Pas Jo Shakhs Jis Qism ki Khwahish karega us per usi ki Baarish karegi , Hattaki baaz Jannati ye kahenge k hum per Nokhaasta Hum Umar Ladkiyo'n ki Baarish ho _,"
      
.   *Safatul Jannat ibne Abid Duniya ( 292)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannati Mardo'n Ke liye Mazeed Hooro'n ka ina'am,*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannati Aadmi jannat mai Karwat badalne se pehle Sattar Saal tak Tek laga kar bethega fir uske paas ek Aurat aayegi Jiske Rukhsaar mai WO Apne moonh ko Aa'ine se zyada saaf dekhega ,
       
➠Us ka Adna Moti mashriq v magrib ke darmiyani hisse ko Roshan kar dene wala hoga , Ye usko Salaam karegi aur WO uske Salaam ka jawab dega aur Puchhega Aap Kon ho ? WO batayegi mai'n izaafi Atiya hu'n ,
    
➠Us Aurat per Sattar Poshake hongi Unse bhi nazar guzar jayegi ,Hattaki WO uski Pindli ke Goode ko Un Poshaako ke pichhe se dekh lega ,
       
➠Un Aurto'n per Taaj bhi honge Jinka Adna darja Ka Moti Mashriq v Magrib ke darmiyani hisse ko Roshan kar sakta hoga _,"
      
*Musnad Abu Ya'ala ,Ba sanad  Hasan 'AL Badro Safrah (2024) Musnad Ahmad ( 3/75) Majmauz Zawa'id ( 10/419) Safatul Jannat Ibne Kaseer ( 109)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kya Duniya ki Bahut Kaam  Aurte'n Jannat Mai Jayengi ? ,*
              
⚃➠Hazrat imraan bin Husain Raziyallahu Anhu farmate hai'n K Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai Sabse Kam Bashinde ( Duniya ki ) Aurte'n hongi _,"
*Musnad Ahmad (4/427) Muslim ( 2738)*       
⚃➠Hazrat Imraan bin Husain Raziyallahu Anhu, Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Maine Dozakh mai Jhaank kar dekha to uske Bashindo mai Aurto'n ko zyada dekha aur Maine Jannat mai Jhaank kar dekha to uske Bashindo mai Fuqra ko zyada dekha _,"
*Bukhari ( 3241) Muslim ( 2737) Targeeb v Tarheeb ( 4/183)*    
⚃➠Hazrat Ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ey Aurto'n ki Jins ! Tum sadqa kiya karo aur Kasrat se istigfaar kiya karo Kyunki Maine tumhe ( Yani Tumhari Jins ko ) Dozakhiyo mai bahut zyada dekha hai ,
Ek Aurat ne Jo achche Andaaz se guftgu karti thi arz kiya :- Ya Rasulallah ! Humne kya Kusoor kiya hai ,Hum ( Aurte'n ) Dozakhiyo mai zyada kyu hongi ?
Aapne irshad farmaya :- Tum laanat malamat zyada karti ho aur Khawind ki na Shukri aur na Farmani kar leti ho _,"
       
*ibne Maaja ( 4003) Haadi AL Ravaah (172) Akhraja Muslim ( 885)  Tirmizi ( 2613) Musnad Ahmad ( 1/323)  Mishkaat ( 19) Kanzul ummaal ( 45075) Tafseer Qurtubi ( 3/82)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Biviya'n,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Aur Jannatiyo'n ke liye Biviya'n hongi Paak Saaf _,". ( Surah AL Baqrah )      
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat Ki Hooren aur Duniya ki Aurte'n Jo Jannatiyo'n ke nikaah mai di jayengi Unki Pakeezgi ka Ye Aalam hoga k unko na to haiz aayega na peshab Pakhana aur na naak ki rezish na Thook _,"
*Al Badro Safrah ( 1989) Tafseer ibne Kaseer ( 1/92) Fatahul Baari ( 6/320) Safatul Jannat Abu Naiem ( 323)*   
⚃➠isi tarah se Jannat ki Aurte'n Sifaate mazmuma se Paak hongi , Unki Zabaan Fahash aur ghatiya baato se Paak hongi , Unki Aankh apne Khawindo ke alawa gair ko Dekhne se Paak hongi Unke Kapde mail Kuchel se Paak honge _,"
            
*Haadi AL Ravaah ,284*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Aurto'n aur Hooro'n ka Husn,*
              
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Subeh ki ek Ghadi ya Shaam Ki ek Ghadi Allah Ke Raaste mai guzaar dena Duniya v Maafiha se behtar hai aur Jannat mai Tumhari ek Kamaan ka Faasla Duniya v Maafiha se Zyada qeemti hai ,
_Agar Jannat Ki Aurto'n mai se koi Aurat Zameen Ki taraf Jhaank le to tamaam zameen ko Roshan kar de aur Aur Ru-e- Zameen ko mo'attar kar de aur Uske Sar ka Dupatta Duniya v Maafiha se Zyada Qeemti hai _,"
*Musnad Ahmad ( 3/147) Bukhari ( 11/418 ma Fatahul Baari ) Tirmizi ( 1651) AL Badro Safrah ( 1996)*      
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshade Khudawandi "Goya k WO Khwatwen Yaqoot aur Marjaan Hai'n " Ki Tafseer mai irshad Farmaya :-
"__Jannati Apne chehre ko uske ( Hoor aur Aurat ke ) rukhsaar mai Aa'ine se bhi zyada saaf Shaffaaf dekhega aur uske ( libaas ) ka Adna moti ( itna Khoobsurat hai k WO ) mashriq v Magrib ke darmiyani hisse ko Roshan kar sakta hai, Us Aurat per Sattar Poshake hogi magar fir bhi un poshako se nigaah guzar jayegi hattaki WO un ke pichhe Se uski Pindli ko bhi dekh sakega _,"
*Musnad Ahmad ( 3/75) AL Badro Safrah ( 1997) Zawa'id Zuhad ibne Mubarak ( 258)*   
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad Farmaya:-
"__Agar Koi Hoor (Kadwe ) Samundar mai Thook de to uske Lu'aab ki Mithaas se WO Samundar Sheeree ( meetha ) ho jaye ,"
             
*Al Badro Safrah ( 2023) Targeeb v Tarheeb ( 4/535) Durre Mansoor ( 6/33)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannati Khwateen Ke Husn Ki Jam'a Hadees ,*
              
⚃➠Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha farmati hai'n k Maine arz kiya :- Ya Rasulallah ! Allah Ta'ala ke irshad " Hoore'n " Ke mutalliq mujhe Kuchh wazahat farmaye ?
"__Aapne irshad farmaya -- Gori Gori bhare hue Jism wali ,Gule lala ke rang ki Aankho wali ,Apne Husn ki latafat aur raqat jald se nazar ko hairaan kar dene wali gidh ke par ki tarah ( lambo Baalo wali ) Aankho ki khoobsurat Palko wali ko Hooren kehte hai'n_"
       
➠Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya Kya Aap mujhe   کانھن الیاقوت و المرجان Ki tafseer bayan famaye?
"__ Aapne irshad farmaya :-- Ye rangat mai us moti ki tarah saaf shaffaaf hongi jo Seepo mai hota hai aur Jisko Haatho ne nahi chhuwa hota hai, "
➠ Maine Arz Kiya mujhe Aap Allah Ta'ala ke irshad " کانھن بیض مکنون " Ki tafseer bayan farmaye?
"__ Aapne irshad farmaya :- Unki Raf'at aur Latafat ande ke andar ke chhilke ki tarah hogi Jo Bahar wale (mote)  chhilke ke saath hota hai,
➠Maine Arz kiya :- Ya Rasulallah!  Aap mujhe Allah Ta'ala Ke irshad " وعربا اترابا " Ke mutalliq bayan farmaye?
"__ To Aapne irshad farmay :-- Ye Wo Aurte'n hongi Duniya mai Jinki Aankho mai budhaape ki vajah se Keechad bhara rehta tha aur Sar ke Baal Safed ho gaye,  Allah Ta'ala unko budhaape ke baad dobara takhleeq farmayenge aur unko Kunwariya'n kar denge,
Irshad farmaya k عربا ka ma'ani hai k Woh ( Apne Khawindo se)  ishq aur muhabbat karne waliya'n hongi  , اتراب ek hi umar per hongi _"
⚃➠Maine arz kiya -Kya Duniya ki Aurte'n Afzal hongi ya Hoore'n?
"__ irshad farmaya :- Duniya Ki Aurte'n Hoore'n se afzal hongi Jese Zaahir ka Resham Astar se Afzal hota hai, "
Maine arz Kiya -Ya Rasulallah Ye Kyu (Afzal hongi )?
Irshad farmaya - unke Allah ke liye Namaz Padhne aur Roze rakhne Ki vajah se,  Allah Ta'ala Unke chehro no noor ka libaas pehnayenge,  Unke Jism Hairaan Kar dene wale honge, Gore rang wali hongi,  Sabz libaas wali hongi,  Peele Zever wali hongi,  Unki (Khushbu ki)  Anguthiya'n moti ki hongi,  Unki Kanghiya'n Sone Ki hongi,  Ye tarana kahengi ___
"__ Sun lo!  Hum hamesha rehne wali hai'n kabhi nahi marengi,  Hum ni'amato mai Palne wali hai'n Kabhi Khasta haal na hongi,  Sun lo  ! Hum Jannat hi mai Rahengi Kabhi nikaali na jayengi,  Sun lo  ! HUM ( Apne Khawindo per)  raazi rehne wali hai'n Kabhi naraaz na hongi,  Sa'adat hai uske liye Jiske liye hum hai'n aur Wo hamare liye hai'n,       
⚃➠Maine arz kiya -Ya Rasulallah!  Ek Aurat ( ek ke baad digar)  do khawindo se ya Teen se Ya Chaar se Duniya mai Shaadi karti hai aur mar jati hai,  Fir wo Jannat mai dakhil hoti hai aur uske ( Duniya ke)  Khawind bhi uske saath jannat mai dakhil hote hai'n,  Unme se Us Aurat ka Khawind ( Jannat mai)  kon banega?
"__Aapne irshad farmaya :- k usko akhtyaar diya jayega aur wo un khawindo mai se zyada achchhe Akhlaaq wale ko muntakhab karegi aur arz karegi,  Ey Rab  ! Ye Shakhs baqi Khawindo se zyada Duniya mai achchhe akhlaaq wala tha Aap isse meri Shaadi kar de ,   
➠Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ey Salma!  Husne Akhlaaq Duniya aur Akhirat dono ki Khair ke saath liye hue hai, "
            
* Al Badro Safrah, ( 2013) Tabrani ( 23/327) Majmauz Zawa'id ( 7/119, 10/417) Haadi Al Ravaah ( 297) Targeeb v Tarheeb ( 4/532)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Hoor Ke Husn Ke Karishme ,*
              
⚃➠Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-
"__Agar Koi Hoor Apni Hatheli ko Asmaan aur Zameen ke darmiyan zaahir kar de to tamaam makhlooqaat uske husn Ki Diwani ho jaye aur agar WO Apne Dupatte ko zaahir kar de to uske Husn ke saamne Suraj Diye Ki tarah be-noor nazar aaye aur agar WO Apne Chehre ko khol de to uske Husn se Asmaan v Zameen Ka darmiyani hissa jagmaga uthe _,"
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya ( AL Badro Safrah /2025) Haadi AL Ravaah (302) Targeeb v Tarheeb ( 4/535)Safatul Jannat  Ibne Kaseer (110)*      
⚃➠Hazrat Ka'ab Ahbaar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Agar koi Hoor Apne Haath ko uski khoobsurati aur Anguthiyo samet Asmaan se zaahir kare to uski vajah se Saari Zameen Roshan ho jaye ,Jis tarah  se Suraj Duniya walo ko roshni pahunchata hai ,
"__Fir farmaya ye to uska haath hai ,Uske chehre Ka Husn ,rangat ,Jamaal aur Uska Taaj Yaqoot ,Lo Lo aur Zabar Jad Samet kesa Husn hoga_,"
* Safatul Jannat ibne Abid Duniya( 301) AL badro Safrah ( 2027) Haadi AL Ravaah ( 304) Targeeb v Tarheeb ( 4/535)*   
⚃➠Jannat mai ek Noor chamka Jab Logo me Apne Saro ko utha kar dekha to WO ek Hoor Ki muskurahat thi Jisne Apne Khawind ke chehre ko dekh kar muskurahat zaahir Ki thi ,"
               
*Safatul Jannat Abu Naiem ( 381) Haadi AL Ravaah ( 303)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hameaha Husn mai izaafa hota Rahega,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n ,
"__Mujhe us zaat Ki qasam Jisne Qur'an Paak ko Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per Naazil farmaya hai Jannat mai Rehne wale ( Mard v Aurat Hoor v Gulaam Ke ) Husn v Jamaal mai is tarah se izaafa hota rahega Jis tarah se unka Duniya mai ( Akhir Umar mai ) Badsoorati aur Budhaape mai izaafa hota rehta hai _,"
*Ibne Abi Sheeba ( 13/114) Huliya Abu Naiem ( 4/287) Safatul Jannat Abu Naiem ( 264)*      
⚃➠Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannati Aadmi ke paas ek Gilaas Pesh kiya jayega Jabki WO Apni Bivi ke paas betha hoga , Jab WO usko Pi kar Bivi Ki taraf mutavajjah hoga to ye kahega Tu meri Nigaah mai Apne Husn mai Sattar Guna badh chuki hai _"
( *Fayda:-* Husn Ka izafa jannat mai har ghadi hota rahega Mard ke Husn mai bhi Aurat ke Husn mai bhi , Jannat Ki har cheez ke Husn mai izafe Ka yahi haal hoga,
* Ibne Abi Sheeba (13/108) Durre Mansoor( 6/155)*
  
   •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•          
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Azaan Ki Awaaz Per Hoor Ka Singhaar,*
              
⚃➠Hazrat Yazeed bin Abi Maryam Salwali Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Mujhe ye baat pahunchi hai k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab muazzin Azaan deta hai to Asmaan ke darwaze khol diye jate hai'n aur Dua ko qubool kiya jata hai aur Hoor banaaw singhaar karti hai _,"      
*⚃➠Fayda_* Matlab ye hai k Azaan chunki namaz ke liye di jati hai aur Log usko Sunkar namaz ada karne aate hai'n isliye Unke Amaal ke Asmaan per chadne ke liye ,Asmaan ke darwaze khol diye jate hai'n aur chunki Azaan ke baad Dua Ki qubuliyat Ka waqt hota hai isliye Dua maangne wale Ki Dua bhi us waqt qubool hoti hai aur kisi bhi Nek Amal Ki qubuliyat per un hooro ko Jo abhi kisi musalman ke liye makhsoos nahi hoti Zaibo zeenat karti hai'n k Shayad is waqt Allah Ta'ala Hume Apne kisi Nek Bande ke saath uske nek amal ko qubool karne Ki vajah se mansion kar de aur Jo Hoore'n pehle se musalmano ke liye makhsoos ho chuki hai'n WO Apne khawind ke Nek Amaal karne Ki khushi mai ya Nek amal karne Ki vajah se darja mai taraqqi hone se bator khushi ke ya Apne Jannati Shohar ko mazeed nek Aamal Ki targeeb dilane ke liye Azaan ke waqt Haar Singhaar karti hai'n _Wallahu Aalam "
 
.   *Al badro Safrah ( 2056) Sunnan Saied bin Mansoor ,*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Qurbat Ki Lazzat Jism mai Sattar Saal Baqi Rahegi ,*
              
⚃➠Hazrat Saied bin Juber Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannati Ki Shehwat uske badan mai Sattar Saal tak jaari rahegi Jiski lazzat ko WO mehsoos karta hoga , isse Jannatiyo'n ko Janabat Laahiq nahi hogi Jiski vajah se unko taharat Ki zarurat pade ,na hi zoaf hoga aur na hi quwwat mai kami hogi balki unki qurbat bator lazzat aur ni'amat ke hogi Jisme unko kisi bhi qism Ki koi Aafat aur dukh na hoga _"
* Kitabul Tauheed ibne Khuzema ( 186) Zawaul Ma'ad ( 3/677)*
       
⚃➠Imaam ibne Abid Duniya Reh.ne Hazrat Saied bin Juber ke mazkoora irshad ko is tarah naqal kiya hai k Jannat mai Mard Ka qad 70 meel ke barabar hoga aur Aurat Ka 30 meel ke barabar hoga , Us Aurat ke sureen khushk Zameen Ki tarah pyaase honge , Mard Ki Shehwat Aurat ke Jism mai Sattar Saal tak baqi rahegi Jiski usko lazzat mehsoos hogi _"
*Safatul Jannat ibne abid duniya ( 271)*   
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Duniya Ke Miya'n Bivi Jannat mai bhi Miya'n Bivi Rahenge,*
              
⚃➠Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu farmate hai'n Mujhe ye baat maloom hui hai k Jo Shakhs kisi Aurat se Shaadi karta hai Jannat mai bhi WO Aurat uski Bivi hogi _,"
*Ibne Wahab ( AL Badro Safrah ,2061)      
*⚃➠Fayda_* Shart ye hai k Dono haalate islam per faut hue ho'n aur Bivi ne Shohar ke Marne ke baad kisi aur Mard se nikaah na kiya ho ,   
⚃➠Hazrat Ikrama Reh bayan karte hai'n Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Ki Sahabzadi Hazrat Asma Hazrat Zuber bin Awam Ki Bivi thi , Hazrat Zuber un per sakhti farmate they Ye Apni walida Ki khidmat mai Shikayat le kar aayi to Aapne unko tasalli dete hue farmaya Ey meri Beti Sabr karo agar Kisi Aurat Ka Khawind nek ho fir WO faut ho jaye aur uski Bivi ne uski wafaat ke baad kisi aur shakhs se nikaah na kiya ho to Allah Ta'ala un Dono Miya'n Bivi ko Jannat mai ikatthe Jama farma denge ( Yani WO Jannat mai bhi isi tarah se Miya'n Bivi rahenge Unki izdwaji haalat khatm nahi karenge )_,"
*Tabqaat ibne Sa'ad ( AL badro Safrah ,2062) Tazkiratul Qurtubi ( 2/481)*      
⚃➠Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu ne bhi Apni Bivi se farmaya tha k agar tumhe ye baat pasand aaye k Tu jannat mai meri Bivi bane aur Allah Ta'ala hum Dono ko jannat mai mila de to tum mere ( Marne ke ) baad aur Nikaah na karna kyunki ( jannat mai ) Aurat Apne Duniya ke Aakhri Khawind Ki Bivi banegi _,"
       
*Tazkiratul Qurtubi ( 1/482)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darakht Bagaat aur Saaye,*
              
⚃➠Allah Ta'ala Farmate hai'n :-
"__Aur Jo Shakhs Apne Rab ke saamne khade hone se ( har waqt ) darta rehta hai ,Uske liye ( Jannat mai ) do baag honge , So Ey Jinn v ins tum Apne Rab Ki konsi ni'amato ke munkir ho jaoge , (Aur WO )Dono Baag bahut Shaakho wale honge  , So Ey Jinn v ins tum Apne rab Ki kon konsi ni'amato ke munkir ho jaoge , Un Dono Baago mai Do Chashme honge k behte chale jayenge , So Ey jinn v ins Apne Rab Ki kon konsi ni'amato ke munkir ho jaoge ,      
"__Un Dono baago mai har mewe Ki do do qisme hongi , So Ey jinn v ins Apne Rab Ki kon konsi ni'amato ke munkir ho jaoge ,_"
* Surah Ar Rahman _* 
⚃➠Hazrat Mujahid Reh farmate hai'n k Jannat Ki Zameen Chaandi Ki hai , Uski mitti kastoori Ki hai , Uske darakhto Ki jade Sone aur Chaandi Ki hai Jinki tehniya'n lo lo ZabarJad aur Yaqoot Ki hai'n, Patte aur Phal unke niche lage honge , Jo Shakhs Khade ho kar khayega to usko bhi koi dikkat nahi hogi aur Jo Shakhs beth kar khayega Usko bhi koi dikkat na hogi aur Jo Shakhs usko let kar khayega usko bhi koi dikkat na hogi _,"
*Zawa'id Zuhad ibne Mubarak (229) ibne Abi Sheeba ( 13/95) Durre Mansoor ( 6/300) Haadi AL Ravaah ( 226) AL badro Safrah ( 1858)*
     
        ┅┅━━═۞═━━┅
        *☞ Jannat Ki Khajoor,*
              
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jannat Ki khajoor ke tane sabz zamard ke hai'n aur khajoor ke tane Ki tehniya'n surkh sone Ki hongi , Unki Shaakhe Jannatiyo'n ke behtreen libaas honge Unhi mai se unke chhote kapde aur poshake taiyaar hongi , Uske Phal matko aur Dol Ki tarah ( bade bade ) honge Doodh se zyada safed ,Shahad se zyada meethe , Jhaag se zyada naram ,Unme guthli nahi hogi _,"
*Targeeb v Tarheeb (  4/2525) Safatul Jannat ibne Abid Duniya ( 50) Haakim ( 6/475)*  
⚃➠
   
⚃➠Hazrat Samrah bin Jundub Raziyallahu Anhu se rivayat hai k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai ek tane per ek darakht qaa'im hai , Uske Tane Ki chodaai Bahattar Saal ke ( safar ke )barabar hai ( usse tum khud andaza kar lo k uski lambaai kitna zyada hogi )_,"
               
*Majmauz Zawa'id (10/414) Kanzul ummaal ( 39270)*
      ┅┅━━═۞═━━┅
       *☞ Jannat Ki Khajoor,*
              
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jannat Ki khajoor ke tane sabz zamard ke hai'n aur khajoor ke tane Ki tehniya'n surkh sone Ki hongi , Unki Shaakhe Jannatiyo'n ke behtreen libaas honge Unhi mai se unke chhote kapde aur poshake taiyaar hongi , Uske Phal matko aur Dol Ki tarah ( bade bade ) honge Doodh se zyada safed ,Shahad se zyada meethe , Jhaag se zyada naram ,Unme guthli nahi hogi _,"
*Targeeb v Tarheeb (  4/2525) Safatul Jannat ibne Abid Duniya ( 50) Haakim ( 6/475)*   
   
⚃➠Hazrat Samrah bin Jundub Raziyallahu Anhu se rivayat hai k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat mai ek tane per ek darakht qaa'im hai , Uske Tane Ki chodaai Bahattar Saal ke ( safar ke )barabar hai ( usse tum khud andaza kar lo k uski lambaai kitna zyada hogi )_,"
               
*Majmauz Zawa'id (10/414) Kanzul ummaal ( 39270)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
         *☞Sajrah Tooba ,*
              
⚃➠Hazrat Utba bin Abi Sulmi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek dehaati Shakhs Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai haazir hua aur Aapse Hoz ke mutalliq aur Jannat ke mutalliq sawal kiya , fir Us Dehaati ne sawal kiya - Kya jannat mai Mewe bhi honge ? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Honge aur Jannat mai ek darakht hoga Jisko " Tooba " Ka Naam diya jata hai, "
Fir Aapne Kuchh Wazahat farmayi ,magar Mujhe yaad nahi k WO wazahat kya thi , To us Dehaati ne kaha :- hamari Zameen Ka konsa darakht uske mushaba hai ?
 
"_Aapne irshad farmaya :- Tum ( Mulk ) Shaam mai gaye ho. ?
Usne arz kiya - Nahi ,
To Aapne farmaya :- Ye Shaam ke ek darakht se mushabhat rakhta hai  Jisko Naariyal Ka darakht kaha jata hai , Ye ek hi Tane per uthta hai  Uska Ouper Ka hissa fail jata hai,     
➠ Us( Dehaati )ne arz kiya- Uski Jad kitni Moti hai ?
Farmaya :- agar tumhare rishtedaro ka Paanch Saala ( nojawan ) Oount ( uske gird ) chalta rahe to uski jad ke gird na ghoom sake balki ( chal chal kar ) Budhe ho Jane Ki vajah se uski Pasli Ki Haddi bhi toot jaye _,"
*Al Fatahul Rabbani ( 24/187) Safatul Jannat ibne Kaseer ( 74)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Darakht Tooba Wale Jannati Kon Hai'n ?,*
              
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Shakhs ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya :- Ya Rasulullah ! Us Aadmi ke liye ( Tooba ) khushkhabri ho Jisne Aapki ziyarat Ki ho aur Aap per Imaan laya ho ",
       
➠Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Us Shakhs ke liye Tooba ho Jisne meri ziyarat Ki aur Mujh per Imaan laya , Fir Tooba ho , Fir Tooba ho , Fir Tooba ho Jo mujh per imaan laya magar ( mere wafaat pa Jane Ki vajah se ) Mujhe na dekha ho _,"
    
➠To usne arz kiya :- Ye "Tooba " kya hai ?
Aapne irshad farmaya :- Jannat mai ek darakht hai Jiski musafat So Saal Ki hai , Jannat Walo ke Kapde uske Shagofo'n se niklenge _,"
*Fatahul Rabbani ( 24/187) Safatul Jannat ibne Kaseer ( 75) Musnad Ahmad ( 3/71) Majauz Zawa,'id ( 10/67)*      
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai ek darakht hai jisko Tooba kaha jata hai , Allah Ta'ala usse farmayenge :-
"_ Mere Bande ke liye WO Jis niyamat ko chahe fat ja , To WO jannati ke liye Ghode Ki lagaam , Zeen aur Khoobsurati ke saath ese fatega Jese WO ( Banda ) chaahta hoga,
Aur ye darakht Jannati ke liye ek sawari ko nikaalega Uska Kajawa ,Lagaam aur Khoobsurati ke saath Jese WO Jannati chahega aur Kapdo ko bhi ( Apne se nikaalega ) _,"
       
*Safatul Jannat ibne Abid Duniya, ( 54) Zuhad ibne Mubarak ( 265) AL Badro Safrah ( 1862)*
        ┅┅━━═۞═━━┅
     *☞ Sajratul Khuld,*
              
⚃➠Hazrar Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya  :-
"__Jannat mai ek darakht hai Tez Tareen Sawaar uske Saaye mai Sattar Saal ya So Saal tak Safar kar sakta hai , Uska Naam Sajratul Khuld ( Hamesha rehne wala Jannat Ka darakht ) hai _,"
*Safatul Jannat ibne Kaseer ( 73) Musnad Ahmad ( 2/455) Haadi AL Ravaah ( 222) ibne Maaja ( 4335)*       
*☞ Darakht Sidrah ( Bairi ) Ki Lambaai,*
⚃➠Hazrat Asma Binte Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Suna k Aapne Sidratul Muntaha Zikr kiya aur farmaya :-
"__Behtreen Sawaar Uski Shaakho ke saaye tale So Saal tak chalega ya So Saal tak Saye mai bethega Uska farsh Sone Ka hai ( aur ) Uske Phal matko Ki tarah hai'n _,"
*Al Badro Safrah (1848) Ba-hawala Tirmizi v Tazkiratul Qurtubi ( 2/450) Abu Naiem ( 3/284)*   
⚃➠Sidratul Muntaha Ki tafseer mai Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ye jannat Ke darmiyan mai hai ,is per sandas aur istabraq ( Ke resham ) Ka stock rahega ,"
       
*Musannif ibne Abi Sheeba (15809) Tafseer Tibri ( 27/29) Durre Mansoor ( 6/125)*
        ┅┅━━═۞═━━┅   

*☞ Sidratul Muntaha Ke Phal ,Patte aur Nehre ,*
               
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jab Mujhe ( Meraaj Ki Shab ) Saatve Asmaan mai Sidratul Muntaha Ki taraf le jaya gaya to uske bair hajar ke matko Ki tarah ( Bade aur Mote ) they aur uske Patte Haathi ke kaano Ki tarah they,  Uske Tane se Do zaahiri Nehre nikalti hai'n aur Do Baatini , 
     
➠Maine puchha :- Ey Jibreel Ye ( Baatini aur Zaahiri Nehre ) Kya hai'n ?

Farmaya :- Baatini to Jannat mai hai aur Zaahiri ( Nehre Duniya mai ) Dariya e Neel aur Dariya e Faraat hai _,"
        
*Tazkiratul Qurtubi ( 2/450) Muslim AL Imaan Baab Safatul jannat  ( 76)*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞Wo A'amaal Jinse Jannat  mai Darakht Lagte Hai'n,*
               
⚃➠Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jo Shakhs ( Ek Martaba ) *Subhanallaahil Azeem* Kehta hai To uske Liye Jannat mai ek darakht lag jata hai _,"

*Tirmizi (3464) Nasaa'i , Haakim (1/501) AL Badro Safrah ( 1866) Musnad Ahmad (3/440) Majmauz Zawa'id ( 7/161)*       

⚃➠( Hadees Hazrat ibne  Umar  Raziyallahu Anhu ) Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jo Shakhs ( ek martaba ) *Subhanallaahi Wabihamdihi* Kehta hai to uske liye Jannat mai ek darakht lag jata hai _,"

*Majmauz Zawa'id ( 10/97) AL Badro Safrah ( 1868)*
     
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ek martaba unke paas se guzre Jabki ye darakht laga rahe they to Aapne irshad farmaya :-

"__Mai'n Tumhe isse behtar Sajar kaari Ka na batlau'n ? "

Maine arz kiya WO kya hai ?
Aapne irshad farmaya :-

"__ *Subhanallaah Walhamdulillaah wa Laailaha illallaahu Wallaahu Akbar*  mai se har ek ( Kalme ) ke badle mai tere liye ek darakht lagaya jayega _,"

* ibne maaja (3807) Haakim ( 1/513) AL Badro Safrah (1869)*     

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ki Sajar Kaariya'n,*
               
⚃➠Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jis Raat Mujhe Meraaj karayi gayi Maine Hazrat ( Ibrahim Alaihissalam )Ki ziyarat Ki Aapne Farmaya :- Ey Muhammad ! Aap meri taraf se Apni Ummat ko Salam kehna aur unko ittela farmana k Jannat Ki Zameen bahut Pakiza hai Umda Pani wali hai ,aur hamwaar maidaan hai aur uski Sajar Kaari *Subhanallaah aur Alhamdulillaah aur Laa ilaaha illallaah aur Allaahu Akbar* kehna hai ,       

⚃➠Imaam Tabrani ne *Laa hawla Wala Quwwata illaa billaah* Ka zikr bhi kiya hai _,

* Akhraja Tirmizi v Hasna ( 3131) Tabrani Kabeer (1/512) Muslim*  

       ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Khatme Qur'an Per Jannat Ke Darakht Ka Tohfa,*
               
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Khatme Qur'an ke Waqt Dua Qubool hoti hai aur ( in'aam mai ) Jannat Ka ek Azeemush Shaan darakht ata kiya jata hai _",

*Shobul imaan ,Bahyqi ,AL Badro Safrah (1877) Kanzul Ummaal (3340)*       

⚃➠Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jis Shakhs ne Qur'an Paak ko dekh kar ya Yaad se Tilawat kiya to Allah Ta'ala Jannat mai usko ek esa darakht ( in'aam mai) ataa farmayenge k agar koi Kawwa uski Tehni ko chhod ude to uske Patte Ka faasla tay karne se pehle us per Budhaapa taari ho jaye _,"
            
*Ravaah Bizzaar v Tabrani ,Majmauz Zawa'id (7/165) Kanzul ummaal ( 2415) Haakim (1/552)*
   •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                       
 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
    
        ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉

✨⚡⚵
⚵                                          
     ❈ *Bismillahirrahmanirrahim*  ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮      

*☞ Nifli Roze Per Jannat mai Darakht ,*
              
⚃➠Hazrat Qais bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jis Shakhs ne Nifli Roza rakha Uske Liye Jannat mai ek darakht laga diya jata hai, Uska Phal Anaar se chhota aur Saib se bada hoga ,Uska Zayqa us Shahad Wala hoga Jisse mom ko saaf na kiya gaya ho aur uski mithaas Shahad wali hogi , Usse qayamat ke Din Allah Ta'ala us Roza rakhne wale ko khilayenge _," 

*📚 Tabrani Kabeer (18/366) Majmauz Zawa'id (10/181-183) Kanzul  ummaal ( 24152)*  
  
*☞ Qarz Khwaah Ke Liye Jannat Ke Darakht,*

⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jo Shakhs Apne maqrooz ke paas Apne Haq lene ke liye rawana hota hai to uske liye Zameen ke jaanwar aur Paani Ki machhliya'n Rahmat Ki Dua karti hai aur uske liye har qadam ke badle mai jannat mai ek darakht ugta hai aur Uske gunaah ko maaf kiya jata hai _,"

*📚Badro Safrah (1879) Kanzul ummaal (15421) Majmauz Zawa'id (4/139)*

*☞Jannat Ke Bagaat Ke Phal Khane Ka Wazeefa,*

⚃➠Hazrat M'aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-

"__Jo Shakhs ye Pasand Karta hai k WO Jannat ke Baago se Phal khaye to usko chahiye k WO Kasrat se Allah Ta'ala Ka zikr kare _,"
               
*📚Al Badro Safrah (1880) Kanzul ummaal (1887) Durre Mansoor (5/205) Tafseer Qurtubi (15/288)*

        ┅┅━━═۞═━━┅

     *☞Jannat Ke Pahaad ,*
              
⚃➠Hazrat Umr Auf  Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-

"__( Duniya ke) Chaar Pahaad Jannat Ke Pahaado mai se Hai'n aur (Duniya Ki ) Chaar Nehre Jannat Ki nehro mai se Hai'n , aur ( Duniya Ki ) Chaar Junge'n Jannat Ki Jungo'n mai se Hai'n ,
       
➠Arz kiya gaya Kon se Pahaad (Jannat mai se) Hai'n ?
Irshad farmaya :-
1 -Uhad Pahaad , ye hum se muhabbat karta hai aur hum isse muhabbat karte Hai'n ,

2- Kohe Toor Jannat ke pahaado mai se ek Pahaad hai ,

3- Kohe Labnaan Jannat ke Pahaado mai se ek Pahaad hai ,

4- Jable Jodi Jannat ke Pahaado mai se ek Pahaad hai ,
    
➠Aur ( Jannat Ki ) Nehre :- Dariya e Neel , Dariya e Faraat , Dariya e Seehon ,aur Dariya e Jeehon hai'n ,
       
➠Aur Jungo'n mai se Junge Badar  ,Junge Uhad , Junge Khandaq aur Junge Khaibar hai'n ,
      

*📚Tazkiratul Qurtubi, 2/446*

        ┅┅━━═۞═━━┅

       *☞ Jannat Ki Nehre'n _,*
      

⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :- Bahisht hai'n k chalti hongi unke niche se nehre'n ,

*(Surah Al Baqrah -25)*    

⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :- Us (Jannat ) mai bahut si Nehre'n to ESE Paani ki Hai'n Jisme Zara tagayyur nahi hoga ( na boo mai na rang mai na maze mai ) aur bahut si Nehre'n Doodh ki hai'n Jinka zaayqa Zara badla hua na hoga , Bahut si Nehre'n Sharaab ( tahoor ) ki hai'n k peene walo ko bahut lazeez maloom hogi ,aur bahut si Nehre'n Shahad ki hai'n Jo bilkul ( mel kuchel se Paak ) saaf hogi aur unke liye Waha'n har qism ke Phal honge aur magfirat hogi unke Rab ki taraf se __,"

*Surah Muhammad : 15 ,*      

.   *📚Bayanul Qur'an ,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Nehro'n Ke Footne Ki Jagah _,*
      

⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat Ki Nehre'n mushk ( Kastoori ) ke Pahaad se foot ti Hai'n_,"

*📚Al Badro Safrah-1911, Haadi AL Ravaah-241 Safatul Jannah Abu Naiem -306,*
    
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai 100 darjaat hai'n Jinko Allah Ta'ala ne mujahideene fi Sabilillah ke liye taiyaar farmaya hai ,Har do darjo ke darmiyan Asmaan v Zameen ke faaslo jitna faasla hai , Pas Jab Tum Allah Ta'ala se sawal karo to usse Jannatul firdaus maanga karo Kyunki ye jannat ke darmiyan mai ( buland hissa ) hai aur Sabse A'ala darje ki jannat hai ,usse ouper Allah Ta'ala ka arsh hai ,usi se jannat ki Nehre'n foot ti hai'n _,"

*📚Haadi AL Ravaah-239,Sahih AL  Bukhari-2790 ,Safatul Jannah Abu Naiem -300 ,*      

⚃➠Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat ki Nehre'n Jannate Adn se nikal kar gadhe mai badti hai Fir baad mai Nehro'n ki shakl akhtyar karti hai'n _,"       

*📚Al Badro Safrah-1912, Haadi AL Ravaah-241 Safatul Jannah Abu Naiem ,3/166, Durre Mansoor-1/38*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Har Mahal mai 4 Nehre'n _,*      

⚃➠Ibne Abdul Hakeem Reh.farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat ke mahallaat mai se har Mahal mai Chaar Nehre'n chalti hongi, Ek Nehar Paani ki chalti hogi ,ek Nehar sharaab ki chalti hogi ,Ek nehar Doodh ki chalti hogi aur ek Nehar Shahad ki chalti hogi aur unse us waqt tak nahi piya jayega jab tak k unme un chashmo ko na milaya jayega Jinka Allah Ta'ala ne ( Qur'an Kareem mai ) zikr farmaya hai ( Yani ) Tasneem aur Zanjabeel aur Salsabeel aur Kafoor aur ye (chaaro ) WO chashme hai'n Jinko Khaalis tor per ( bager milawat ke ) sirf muqarribaan e Khudawandi hi nosh karenge _,"

*📚Wasful Firdaus -26 (70)*   

*☞ Duniya Ki Chaar Nehre'n Jannat se Nikalti Hai'n,*     

⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Mere Saamne Sidratul Muntaha ko ( saato Asmaan per ) pesh kiya gaya to ( Maine dekha k usse ) Chaar Nehre'n nikal rahi thi Do zaahir mai aur Do baatin mai , Zaahir ki do to ( Nehar ) Neel aur ( Nehar ) faraat hai aur Do baatin ki jannat ki Nehre'n hai'n _,"
       
*📚Sahih AL Bukhari-5610 ,Safatul Jannah Abu Naiem -302 ,Muslim-164 ,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

        *☞ Nehre Kausar_,*
      

⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n-

*إِنَّا أَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ*
  
"_Humne Aapko Kausar ataa farmayi ,

*📚 Surah Al-Kauther, Aayat 1*

⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ mai'n ek dafa jannat ki sayr kar raha tha k ek Nehar per pahuncha Jiske dono kinaaro per kholdaar lo lo ke qubbe they, Maine puchha -Ey Jibriyl ye kya hai ? Unhone arz kiya ye Kausar ( Nehar ) hai Aapke Rab ne Aapko ataa farmayi hai ,

Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k fir ek farishte ne Apna haath ( Nehar ) per maara to uski mitti khaalis Kastoori ki ( nazar aa rahi ) thi _,"

*📚Bukhari -6581, Haadi AL Ravaah-239 ,Targeeb v Tarheeb -4/517 ,Musnad Ahmad-3/207 ,Kanzul Ummaal -39133*
      

⚃➠Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Kausar Jannat mai ek Nehar hai ,Uske dono kinaare sone ke hai'n, uske chalne ka raasta gohar aur Yaqoot hai ,Uski Mitti Kastoori se zyada Pakiza hai ,Uska Paani Samandar se zyada Safaid hai _,"
       
*📚Tirmizi -3361 ,Mustadrak -3/543 ,ibne maaja -4334, Waaful Firdaus -65*

        ┅┅━━═۞═━━┅

      *☞ Hauz E Kausar_,*
      

⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Mera Hauz San'a se Urdun tak Taveel hai ,Iska Paani Doodh se bahut zyada safed hai aur Shahad se bahut zyada Sheeri hai aur Jhaag se bahut zyada naram hai ,iske kinaare Johar aur Yaqoot ke Tukdo ke Hai'n aur iske Kankar lo lo ke Hai'n , Iski khaak khaalis Kastoori ki hai ,iske sitaaro ki tadaad mai Pyaale hai'n, Jo Shakhs isse ek baar piyega fir WO Kabhi pyasa na hoga _,"

*📚Wasful Firdaus ,(67)-24,*  

⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__Kya Tumhe maloom hai k Kausar Kya cheez hai ? Humne arz kiya - Allah aur uske Rasool behtar jaante hai'n,

(Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ):-
  
"__  Ye Ek Nehar hai mere parwardigaar ne mujhe iske ataa karne ka vaada farmaya isme inteha darje ki khair hai , Qayamat ke din meri Ummat iske paas aayegi ( aur iske Hauz E Kausar se Paani nosh karegi ) iske bartan sitaaro ki tadaad ke barabar hai'n _,"  

*📚Safatul Jannah Abu Naiem -325, ibne Abi Sheeba -11/437_438,Abu Daowd-784,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

      *☞ Nehre Baydakh _,*
      

⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai ek Nehar hai ,Jiska Naam Baydakh hai , Us per Yaqoot ke Qubbe hai'n Jinke niche Ladkiya'n Ugti hai'n aur Khoobsurat Awaaz mai Qur'an Padhti hai'n,

__Jannati Aapas mai kahenge Hamare Saath Baydakh ki taraf chalo , Chunache WO Aayenge aur Ladkiyo'n se musaafe karenge , Jab Koi Ladki kisi Mard ko Pasand Ayegi to Woh uski Kalaayi ko chhoo lega to WO Ladki uske Pichhle chal padegi aur Uski Jagah Doosri Ladki ug aayegi _,"

*📚 Safatul Jannah ibnud duniya -69, Safatul Jannat Abu Naiem -324 ,Haadi AL Ravaah-243, AL Badro Safrah-1922 ,Musnad Ahmad-3/135*   

⚃➠Shamar bin Atiya Reh.farmate hai'n k Jannat mai Kuchh Nehre'n esi hai'n Jo Ladkiya'n ugaati hai'n, Ye Ladkiya'n mukhtalif Awaaz mai Allah Jal Shanhu ki Hamdo Sana karti hai'n k Wesi Khoobsurat Awaaze kaano ne Kabhi nahi suni ,

__WO Kehti hai'n __Hum hamesha rehne waliya'n hai'n Kabhi nahi marengi Hum Libaas Pehanne Waliya'n hai'n Kabhi be-libaas na hongi ,

Hum hamesha ni'amato mai palne waliya'n hai'n Kabhi bhooki na hongi ,aur hum hamesha ni'amato mai rehne waliya'n hai'n Kabhi ranj v takleef mai na jayengi _,"

*📚 Safatul Jannah Abu Naiem-323*      

        ┅┅━━═۞═━━┅

           *☞  Nehre HarDil  _,*
      

⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam HarDil hai Uske dono Kinaaro per Darakht uge hue hai'n, Jab Jannati Sima Ki Khwahish karenge hamare Saath hardil ki taraf chalo taki hum darakhto se ( Khoobsurat aur dilkash Awaaz ) sune ,Chunache WO esi ( Khoobsurat) Awaazo mai bolenge k agar Allah Ta'ala ne jannatiyo ke na marne ka faisla na kiya hota to ye un awaazo ke shoq aur tarb mai mar jate ,

_ Pas Jab Un khoobsurat Awaazo ko ( Darakhto per lagi hui ) Ladkiya'n  sunengi to WO Arbi Zubaan mai ( nihayat Khoobsurat andaz v Awaaz mai ) Arbi zubaan mai ( Kuchh ) padhengi To Allah Ta'ala ke Wali unke qareeb jayenge aur har ek un Ladkiyo'n mai se Jisko Pasand Karega tod lega fir Allah Ta'ala un Ladkiyo'n ki jagah Wesi hi aur Ladkiya'n ( us darakht ko ) laga denge _,"

*📚Safatul Jannah Abu Naiem-3/163,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

          *☞ Sharaab Ki Nehar _,*
      

⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ::-

"__ Jis Shakhs ko ye baat achchhi lage k Allah Ta'ala usko Akhirat ( jannat ) mai Sharaab ( Tahoor) pilaye to usko chahiye k WO usko ( Sharaab ko )  Duniya mai chhod de ( na piye ) ,

*📚Nihaya Ibne Kaseer -2/362 ,Majmauz Zawa'id-5/76 Ba-hawala Tabrani ,Tazkiratul Qurtubi -2/448 Ba-hawala Nasa'i ,Targeeb v Tarherb -3/262,100*
    
*⚃➠Faayda__* _ Jo Shakhs Duniya mai Sharaab peene ke baad usse Tauba kar le to WO Shakhs is Dhamki se mustashna hoga _,"      

*📚Tazkiratul Qurtubi, 2/449*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Nehre Baariq_v Nehre Rayyaan,*
      

⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Shohda Hazraat Jannat ke darwaze per sabz qubbe mai ek Nehar hai usme rehte hai'n Unki taraf Jannat se Subeh v Shaam Rizq pahunchta hai _,"

*📚Musnad Ahmad- 1/266, Majmauz Zawa'id-5/294-298,Tabrani -10/405 , Durre Mansoor-2/96, Kanzul Ummaal-11099, Targeeb v Tarheeb -2/323,*   

⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam" Rayyaan " hai ,Us per ek Shehar Marjaan se tabeer kiya gaya hai Jiske Sattar Hazaar Sone Chaandi ke darwaze hai'n aur Ye Hafize Qur'an ke Liye hai _,"
       
*📚Al Badro Safrah-1925 ,Kanzul Ummaal -1/550*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ke Barabar Taveel Nehar_,& Nehre Rajjab*
       
⚃➠Abu Saleh Kehte hai'n k Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n , Jannat mai Jannat ki Lambayi ke barabar ek Nehar hai ,Jiske Dono kinaaro per Kunwari Ladkiya'n doosri ke aamne Saamne khadi Hai'n aur Jinki Khoobsurat Awaazo ko makhlooqaat sunti hai ,Unse Zyada Haseen Awaazo mai nagma saraai karti hai'n Hattaki Jannati Jannat mai esi lazzat aur na payenge ,

Maine Puchha - Ey Abu Huraira! Ye kis cheez ki nagma saraai karengi ?
To unhone farmaya:- in sha Allah Tasbeeh aur Hamd aur Taqdees aur Allah Ta'ala ki Sana Karengi _,"

*📚Durre Mansoor -1/38, AL Ba'as v AL Nushoor -425*   

⚃➠Rajjab Ke Mahine ko Rajjab isliye kehte hai'n k Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam Nehare Rajjab hai , Us Nehar se Wahi hazraat piyenge Jo Maahe Rajjab mai Roze rakha karte they _,"
               
*📚Kanzul Madfoon ,140*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Arsh Ke Chaar Chashme _,*
       
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh. farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai Chaar chashme (ESE) hai'n k unme se do chashme to Arsh ke niche se foot te hai'n, Ek ka zikr to Allah Ta'ala ne  "tafjeer ", farmaya hai aur doosra Chashma Zanjabeel hai ,Aur Do chashme Arsh ke ouper se foot te hai'n unme se ek to WO hai Jiska zikr Allah Ta'ala ne Salsabeel ke saath kiya hai aur Doosra chashma Tasneem hai _,"

*📚Al Badro Safrah-1932*   

*⚃➠Chashma Tafjeer _* ibne Shoeb Reh farmate hai'n k Jannatiyo ke paas sone ki laathiya'n hongi unke saath ishara kar ke us chashme ko bahayenge aur WO chashma unki un laathiyo'n ke ishare per usi taraf ko behta hoga,

*📚Al Badro Safrah -1931,*
       
*⚃➠Chashma Tasneem,* __ Hazrat Ata Reh farmate hai'n k Tasneem WO chadhma hai Jisme Sharaab ki milawat ki jayegi ,      

*📚Al Badro Safrah-1927*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Josh Maarne Wale Aur Lagataar behne wale Chashme_,*      

⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ye dono ( Josh Maarne wale Aynaan Naza Khataan) chashme Jannatiyo ke mahallaat per mushk v Ambar ki fuware dalenge ,Jis tarah se Duniya walo ke gharo per Barish ki fuwaar padti hai ,"

*📚Haadi AL Ravaah-237, Targeeb v Tarheeb ,4-519*

"_ Aur Mukhtalif Qismo ke Mewe bhi barsayenge ,"

"__ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ye dono ( Josh Maarne wale Aynaan Naza Khataan) chashme Paani ki Fuwaar dalenge ,"

*📚Al Badro Safrah-1929-1930*
   

⚃➠Allah Ta'ala ka irshad -" un dono Baago mai do chashme honge Jo behte chale jayenge _," ( Surah Ar- Rahman -50) ki Tafseer mai Hazrat Bara'a bin Aazib Reh farmate hai'n k ye dono Chashme Aynaan Naza Khataan se Afzal hai'n ,
       
*📚Al Badro Safrah-128*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ke Jaanwar Aur Sawaiya'n_,*
       
⚃➠Hazrat Abu Masoud Ansari Raziyallahu Farmate hai'n k ek Shakhs Muhaar wali Ountni le kar Haazir hua aur arz kiya Ye Allah ke Raaste mai hai ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Tere liye Qayamat ke Din Saat So ( 700) Ountniya'n hongi ( aur ) Sabki Sab muhaar wali hongi ,"

*📚 Tazkiratul Qurtubi-2/486, Bahyqi -9/118 ,Mishkaat-3799,Durre Mansoor-1/336*
    
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Bakriya'n Jannat ke Jaanwar hai'n ,"

*📚Ibne maaja -2306 ,AL Badro Safrah-2129*      

⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :

"__ Bakri se Husne Sulook karo aur usse Ko door karo Kyunki ye jannat Ke Jaanwaro mai se hai ,"

*📚 AL Badro Safrah-2130, Tazkiratul Qurtubi-2/488*
       
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Bakriyo'n ko ( Apne Paas ) rakha karo Kyunki ye jannat ke Jaanwaro mai se hai ,"

*📚Tabrani , AL Badro Safrah-2132, Kanzul Ummaal-35226, Majmauz Zawa'id-4/67*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat mai Jane Wale Duniya Ke Jaanwar_,*
       
⚃➠Ibne Najeem Reh farmate hai'n k Jaanwaro mai se Paanch Jaanwar Jannat mai Jayenge :-

1- Ashaabe Kahaf ka Kutta,
2- Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ka Dumba ,
3- Hazrat Saaleh Alaihissalam ki ountni ,
4- Hazrat Uzer Alaihissalam ka gadha aur,
5- Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Burraaq ,"

*📚 Ibne Najeem -4/131 Ba-hawala Mustarif ,* 

⚃➠Hazrat Qatada Reh ke Hawale se  Paanch Jaanwaro ka mazeed Zikr kiya hai :-

6- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ountni Mubarak,
7- Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Gaay ( Cow ) ,
8- Hazrat Yunus Alaihissalam ki Machhli ,
9- Hazrat Suleiman Alaihissalam ki Chyunti ( ant ) ,
10- Hazrat Bilqees Ka Hud Hud ,

*📚Mishkaatul Anwaar*
       
⚃➠Aur Allama Saiwti ne Deewanul Haafiz mai Hazrat Yaqoob Alaihissalam ke Bhediye ka bhi zikr kiya hai aur Allama Saiwti ke Shagird Allama Daowdi Reh ne Ba-hawala Saiwti Reh Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Dul Dul Khachchar ka bhi zikr kiya hai k WO bhi Jannat mai jayega ,

Aur Mishkatul Anwaar Sharah Shar'atul islam mai hai k Ye Sab Jaanwar Dunba ki Shakl mai jannat mai dakhil honge ,      

.   *📚Sharah AL Shibaah ,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

   *☞ Jannat Ke Parinde_Bakhti Ount Ke barabar Parinde,*
       
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :-

*وَلَحْمِ طَيْرٍ مِّمَّا يَشْتَهُونَ*

"__Aur Parindo ka gosht hoga Jo unko margoob hoga ,

*📚 Surah Al-Waqia,  21*
    
⚃➠Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai Bakhti Ount ke barabar ( bade bade ) Parinde honge ,
Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne arz kiya:-Ya Rasulullah ! Fir to WO ( jannat mai ) bade aysh v nishaat mai rahega ?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- isse zyada aysh v nishaat mai WO Shakhs hoga Jo usko khayega aur Ey Abu Bakar ! Aap bhi un logo mai se hai'n Jo usse khayenge ,"

*📚Al Badro Safrah-2124, Safatul Jannah Abu Naiem, Mustadrak Haakim ,ibne Abi Sheeba ,Majmauz Zawa'id,*      

⚃➠Hazrat Hasan( Basri) Reh farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai Bakhti Ount ke barabar Parinde honge Jab WO Jannati  ke paas aayenge to Jannati usse khayenge Fir WO Parinda us haalat mai ud jayega Goya usse kuchh bhi kam nahi hua _",
       
*📚Kitabuz Zuhad -118  Zuhad ibne Mubarak-525 AL Badro Safrah-2126,*
*
        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannatiyo Ki Pehli Mehmani - ,*
      

⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Zameen Qayamat ke din Roti ki Shakl mai hogi Jisko garam karne ke liye Garam Rait per rakh diya jayega , Allah Ta'ala usko apne haath mai is tarah se ulat pulat karenge jis tarah se tumme koi ek apni Roti ko safar mai ulat pulat karta hai ,

__ Yahi ( Jannat mai ) Jannat walo ki ( Sabse Pehli ) mehmani hogi .........unka saalan Balaam aur Non ka hoga ,
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya ye kya cheez hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Bail aur Machhli hogi ,( aur ye itne bade honge k ) us Machhli aur Bail ke Jigar ka alag latakne Wala tukda Sattar hazaar jannati khayenge ,"

*📚Muslim mukhtasar ,Bukhari-2520 ,Tazkiratul Qurtubi-2/520,*
    
⚃➠Hazrat Taariq bin Shahaab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Yahoodi Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hue aur Kaha, Aap hume ye bataiye k Jannati jannat mai dakhil honge to Sabse pehle kya khayenge ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, WO Sabse pehle Machhli ka jigar khayenge ,"

*📚Majmauz Zawa'id-10/413 ,Tabrani ,*      

⚃➠Hazrat Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jab Jannati Jannat mai dakhil honge to unko Allah Ta'ala farmayenge ,Har mehmaan ke liye Kuchh Tohfa hota hai ,Mai'n bhi Aapko aaj Tohfa dunga ,Fir Bail aur Machhli ko pesh kiya jayega aur Jannat Walo ke liye unko Zibah kar ( ke khila ) diya jayega _,"
       
*📚Zawa'id Zuhad ibne Mubarak-432, Haadi AL Ravaah-211*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Parindo Ki Charagaahe'n aur Chashme,*
       
⚃➠Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai Bakhti Ount ki taraf ounche ounche Parinde honge Jo Allah ke Wali ke Saamne aa kar bethenge ,Unme se ek kahega Ey Allah ke Wali ! Mai'n Arsh ke niche Khoobsurat Jannat mai charta raha hu'n aur Tasneem Ke chashmo se Peeta raha hu'n Aap mujhse tanawul farmaiye ,

__Fir Wali Allah ke Saamne ( Apni ) tareef karne mai laga rahega Hattaki jannati ke Dil mai un Parindo mai se Kisi ek ke khane ka iraada hoga to WO parinda us Jannati ke Saamne mukhtalif zaayqo ke Saath gir padega aur WO usse Apni talab ke mutabiq khayega aur jab sayr hoga to Parinde ki haddiya'n Jama ho jayengi aur WO ud kar jannat mai jaha'n chahega charna shuru ho jayega ,
  
__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya Ya Nabi Allah ! Ye Parinda to bade maze mai hoga ?
Aapne irshad farmaya ,Us Parinde ko tanawul karna isse bhi zyada aysh v Nishat rakhta hai _,"

*📚 Tazkirah fi ahwaal AL maut v umoor Akhirat,-2/485 ,Safatul Abu Naiem-342 ,Ahmad -3/220-221, Tirmizi -2542*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Khana Pina aur Qaza e Haajat,*      

⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-

*إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي ظِلَالٍ وَعُيُونٍ*
*وَفَوَاكِهَ مِمَّا يَشْتَهُونَ*
*كُلُوا وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ*
    
*📚 Al-Mursalat, Aayat 41:42:43*

*⚃➠Tarjuma_,* Parhezgaar Log Saayo mai aur Chashmo mai aur margoob maiwo mai honge ( aur unse kaha jayega ) apne ( nek ) A'amaal ke Sile mai Khoob maze se khao piyo ,Hum Nek logo ko ESA Sila diya karte hai'n ,
       
⚃➠Allah Ta'ala mazeed irshad farmate hai'n :-

"__ Fir jis Shakhs ka A'amaal naama uske Dahine haath mai diya jayega to ( khushi ke maare aas paas walo se ) kahega k mera A'amaal naama padh lo ,mera ( to Pehle hi se ) aitqaad tha k mujhe mera hisaab pesh aane Wala hai ,Garz WO Shakhs Pasandida aysh ( Yani ) Bahisht mai hoga ,Jiske maiwe ( is Qadar ) jhuke honge ( k jis haalat mai chahenge le sakenge aur hukm hoga k ) khaao piyo maze ke saath un A'amaal ke sile mai Jo Tumme Ba ummeed guzishta dino ( Yani Duniya ki zindgi mai ) mai kiye hai'n ,

*📚 Surah Haaqqa :-19 se 24 ,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Khana Aur Qaza E Haajat ,*
       
⚃➠Hazrat Zaid bin Arqam Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Yahoodi Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat e Aqdas mai haazir hua aur Puchha , Ey Abu Qasim ( Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ) Aapka khayal hai k Jannati khayenge bhi aur Piyenge bhi ?

Aapne irshad farmaya :- mujhe us zaat ki qasam hai Jiske qabze mai meri jaan hai ,Jannatiyo mai se har Shakhs ko khaane ,Pine ,Jima aur Khwahish mai ek so Aadmiyo ki taaqat ataa ki jayegi ,

Usne arz kiya , Fir Jo Shakhs khata aur pita hai usko haajat bhi hoti hai ?

Aapne irshad farmaya :- Unki ( Qaza e ) haajat ek qism ka pasina hoga Jo unki jildo se beh jayega Kastoori ki khushbu ki tarah ,Jab ye ( Pasina ) nikal jayega to uska Pet sikud jayega _,"

*📚 Musnad Ahmad-4/371-372 ,Ibne Abi Sheeba -13/108 ,Targeeb v Tarheeb -4/524 ,*  

⚃➠Ibne Abdul Hakam Reh .se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad Farmaya :-

"__ Jannat walo mai se ek Shakhs Luqma le kar apne moonh mai dalega fir Apne Dil mai Kisi aur khane ka khayal karega to WO Luqma us khaane mai tabdeel ho jayega Jiski usne tamanna ki hogi _,"
       
*📚Wasful Firdaus, 80*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Adna Jannati Ka Khana  _,*
       
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannatiyo mai adna darje mai WO Shakhs hoga Jiske Saat darjaat honge Ye Chhate ( 6 ) darje mai hoga isse ouper Saatva darja hoga , Iske Teen so khuddaam honge iske Saamne rozana Subeh aur Shaam ka khana teen so bade pyaalo mai pesh kiya jayega ,

__Raavi kehte hai'n k mujhe maloom nahi magar usne yahi kaha tha k WO ( pyale ) sone ke honge ,Har Pyale mai ESE qism ka khana hoga Jo doosre mai na hoga ,Aur ye jannati uske Pehle khane se bhi Wesi hi lazzat payega Jesa k Aakhri se payega aur Pine ki cheezo ke bhi teen so bartan honge ,har Bartan mai esa Sharbat aur Pani hoga Jo doosre mai na hoga aur WO uske Pehle bartan se bhi wese hi lutf andoz hoga jese k Aakhri se lutf andoz hoga ,Balki ye( tamanna karte hue ) kehta hoga Ya rab ! agar Aap mujhe ijazat dete to mai tamaam jannat walo ko khilata pilata aur Jo Kuchh mere paas hai usse Kuchh bhi kam na hota ,
    
*📚Wasful Firdaus ,79*

⚃➠Hazrat Hasan Reh. Se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannatiyo ka dakaar mushk ki khushbu ki tarah hoga , ye Qaza e Haajat ke qaa'im muqaam hoga aur Unka Pasina Mushk ki khushbu ki tarah hoga aur ye Peshab ke qaa'im muqaam hoga,

*📚 Wasful Firdaus ,86*
      

⚃➠Hazrat Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannatiyo mai se har ek ke paas Dastar Khwan per sone ke Sattar Hazaar bade Pyaale honge ,
      

.   *📚Wasful Firdaus ,81*p

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Peene Ki Lazzato Ki Tafseel_,*
       
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-

"__ Nek Log badi Asaa'ish mai honge , Masahriyo per ( bethe bahisht ke aja'ibaat ) dekhte honge ,Ey Mukhatib ! Tu unke chehro mai Asaa'ish ki bashashat pehchanega aur Unko Peene ke liye Sharaab Khaalis Jis per mushk ki mohar lagi hogi milegi aur hirs karne walo ko esi hi cheez ki hirs karna chahiye,

__ ( k hirs ke laa'iq yahi hai ,Chahe Sharaab muraad li jaye chahe jannat ki Mukammal ni'amate , Yani Shoq v ragbat ki cheez ye ni'amate hai'n na k Duniya ki naqis aur faani lazzate ,aur unke haasil karne ka tareeqa nek A'amaal hai'n ,Pas unme koshish karna chahiye )

__aur us Sharaab ki Aamzish ( milawat ) Tasneem ke Paani se hogi ( Arab amuman Sharaab mai Paani mila kar peete they to us Sharaab ki Aamzish ke liye Tasneem ka Paani hoga ,Tasneem ki Sharah ye hai k ) Ek ESA Chashma hai Jisse muqarrab log Paani piyenge,

_ ( Yani muqarrab hazraat ko Tasneem ka Khaalis Paani milega aur Nek logo ko iska Paani doosri Sharaab mai mila kar milega aur ye muhar lagna ikraam aur aizaaz ki alamat hai varna waha esi Hifazat ki zarurat nahi hogi aur mushk ki muhar ka matlab ye hai k jese Qa'ada hai k laakh vagera laga kar us per muhar lagate hai , Waha Sharaab ke bartan ke moonh per mushk laga kar us per muhar kar di jayegi ),
    
*📚 Tafseer Bayanul Qur'an -Surah AL mutaffeen ,Aayat 24 se 28 _*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Lazzate Sharaab Ki inteha,*

⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-

"__ (Tarjuma ) Waha'n ( jannat mai ) Aapas mai ( bator Khush taba'i ke ) Jaame Sharaab mai chheena Jhapti bhi karenge k usme ( Sharaab mai ) na bak bak lagegi ( Kyunki nasha na hoga ) aur na aur koi behuda baat ( aqal v sanjeedgi ke khilaf ) hogi _,"

*📚 Surah At Toor -23,*
       
⚃➠Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Agar Allah Ta'ala Jannatiyo ke liye ye faisla na farmate k WO Aapas mai Jaam ki chheena Chhapti karenge to WO Lazzat ki vajah se us Jaam ko Kabhi Apne moonho se juda na karte ,_"

*📚Wasful Firdaus ,(71) 26,*          

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Sharaab Ki Chhagal v Bartan*
       
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannatiyo mai se har Shakhs Jannat ki Sharaab mai se Jab bhi kisi pine ki cheez ki Khwahish karega uske paas chhagal pesh ho jayegi aur uske haath mai aa mojood hogi Chunache usse piyega fir WO Apni jagah laut jayegi _,"

*📚Ibne Abid Duniya Safatul Jannat -132, AL Badro Safrah-1941, Targeeb v Tarheeb -4/524*
    
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k agar tum Duniya ki chaandi se Kuchh le kar usko itna bareek karo k usko makkhi ke par ki tarah kar do tab bhi uske pichhe se tumhe Paani nazar nahi aayega Lekin Jannat ke sheeshe chaandi ki tarah safed honge aur Sheeshe ki tarah saaf honge _,"

*📚Safatul Jannat ibne Abid Duniya -139, Tafseer ibne Jareer -13/30*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Duniya mai Pyase Ko Pani Pilane ka Ajr aur Jannat mai Sharaab se Mehroon kaun Rahega ?,*
       
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-

"__ Jo Momin kisi Momin ko Pyas ki haalat mai ek ghoont Paani ka pilayega ,Allah Ta'ala usko Qayamat ke din Raheeq Makhtoom se Pilayenge _,"

*📚 Musnad Ahmad-3/14 ,Tirmizi -2449 ,*   

⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jis Shakhs ne Duniya mai Sharaab pi aur Usse Tauba na ki to uske liye Akhirat mai Sharaab haraam hogi ( Yani usko jannat mai Sharaab e tahoor se Mehroon rakha jayega _,"
      

*📚Bukhari -10/30 -Fatahul Baari ,Muslim - AL Ashraba -73-78 ,Musnad Ahmad-2/19*

        ┅┅━━═۞═━━┅

          *☞ Jannat Ke Phal -*      

⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-

"_Jab Kabhi Ye log Un Bahishto mai kisi Phal ki Giza diye jayenge to kahenge ( har baar ) ye to wahi hai Jo humko isse pehle mila tha aur unko ( dono baar ka Phal ) milta julta milega _,"

*📚(Tarjuma ) Surah Baqrah :25 ,*   

⚃➠Aur Kasrat se mewe honge Jo na khatm honge ( Jese Duniya ke mewe fasal tamaam hone se khatm ho jate hai'n ) aur na rok tok hogi ( Jese Duniya mai baag wale uski rok thaam karte hai'n ) ,

*📚( Tarjuma ) Surah Waqi'a :-32-33,*
       
⚃➠ Un dono baago mai mewe aur Khajoore aur Anaar honge _,"

*📚 ( Tarjuma ) Surah Ar Rahman : 68 ,*

⚃➠ Aur unke liye Waha'n har qism ke Phal honge ,
       
*📚( Tarjuma ) Surah Muhammad :15,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ka Angoor_v Khosha,*
       
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
 
"__ Mere Saamne Jannat pesh ki gayi to mai usse ek Guchchha todne gaya taki tumhe dikhau'n Lekin mere aur uske darmiyan rukawat haa'il kar di gayi ,

__To ek Sahabi ne arz kiya:- Ya Rasulullah ! Aap hume misaal se wazahat kare k ( Jannat ka ) Angoor kitna bada hoga ?

__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Us Dol se bada hoga Jisko Teri Maa'n ne ( Bakri Vagera ki khaal se ) Kabhi kaat kar taiyaar kiya ho _,"

*📚 Abu Ya'ala ba-Sanad Hasan ( 2/380) Targeeb v Tarheeb ( 4/522) Majmauz Zawa'id (10/414) AL Badro Safrah (1887)*

⚃➠Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu Mulke Shaam mai tashreef farma they to ( Aapke ) Saathiyo ne jannat ka bahami tazkira kiya to Aapne farmaya:- Jannat ke khosho mai se ek khosha yaha'n (mulke Shaam ) se le kar Khayfa ( Madina ke qareeb ek jagah ) ya San'a jitna lamba hai _,"

*📚Ibne Abid Duniya (46) AL Badro Safrah (1888) Targeeb v Tarheeb (4/522)*      

⚃➠Salatul Kusoof ki hadees mai Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Sahaba Kiraam ne arz kiya:- Ya Rasulullah ! Humne Aapko yaha'n isi jagah per kisi cheez ko uthate hue dekha hai magar fir humne dekha k Aap pichhe ho gaye Hai'n ?

To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Maine Jannat ko dekha hai aur uske ek khoshe ko pakda hai agar mai'n usko tod leta to jab tak Duniya qaa'im rehti tum usse khate rehte , 
       
*📚Bukhari Salatul Kusoof -2/540 ,Muslim ( 907)*

        ┅┅━━═۞═━━┅

       *☞ Jannat Ke Anaar_,*
       
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat ke Anaaro mai se ek Anaar ke gird bahut se Hazraat beth kar usse tanawul karenge ,Jab unme se kisi ke Saamne kisi cheez ka zikr chhidega Jiski usko chaahat hogi to WO usko Apne haath mai mojood payega Jaha'n se WO khaa raha hoga _,

*📚 ibne abid Duniya Safatul Jannat -122 ,AL Badro Safrah -1890 Durre Mansoor -6/150*   

⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Maine jannat mai dekha to uske anaaro se ek Anaar palaan kase hue Ount ki tarah ( mota ) tha ,"

*📚 Ibne Abi Haatim ,Badro Safrah (1891) Durre Mansoor ( 6/150)*      

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ke Mewe Qayamat mai Kon Khayenge ?,*      

⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jo Momin Kisi Momin ko bhook ki haalat mai Khana khilaye Allah Ta'ala usko Qayamat ke din Jannat ke mewo se khilayenge ,

Aur Jo Musalman kisi Musalman ko Pyaas ki haalat mai Paani pilaye Allah Ta'ala usko Raheeq Makhtoom se pilayenge ,

Aur Jo Momin kisi Momin ko jab Uske Paas Kapda nahi tha Kapda pehnayega Allah Ta'ala usko Jannat ka Sabz Libaas pehnayenge _,"
           
*📚Tirmizi -2449, Badro Safrah-1896,Musnad Ahmad-3/14,Abu Daowd-1682*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannat Ka Bazaar- Mard v Aurat Ke Husno Jamaal mai izafa_,*     

⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai ek bazaar hoga Jisme Kastoori ke teele honge Har Juma ko Jannati waha'n jayenge aur Shumaal ki hawa chalegi Jo unke Chehro aur malbusaat per padegi to WO log Husno Jamaal mai bad jayenge aur Apne ghar walo ki taraf is haalat mai lotenge k unka Husn v Jamaal bahut badh chuka hoga ,

Unki Biviya'n unse kahengi Qasam Khuda ? Hamare baad Aap Hazraat Husno Jamaal mai Khoob badh gaye ho ,

To WO kahenge aur Tum bhi to Allah ki Qasam ! Hamare baad Husno Jamaal mai badh chuki ho _,"
   

*📚Muslim AL Jannat :-2833 ,AL Badro Safrah-2134, Musnad Ahmad-3/284 ,*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannati Apni Shakl badal Sakenge*
       
⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"_  Jannat mai ek bazaar hai Jisme koi khareed farokht na hogi balki Mardo aur Aurto'n Ki Shakle hongi , Jab koi Mard kisi Shakl ko pasand karega to WO usme dakhil ho jayega ( aur us Mard Ki wesi hi Shakl ho jayegi ) ,

Aur Wahi'n per Hooren Ki mehfile hongi Jo esi ounchi aur khoobsurat awaaz mai nagma saraa'i karengi k wesi nagma saraa'i makhlooqaat ne na suni hogi ,    

⚃➠Wo Kahengi :--( Tarjuma ) Hum hamesha zinda rahengi kabhi fana na hongi , Hum ni'amato mai Palne wali hai'n Kabhi khasta haal na hongi , Hum raazi rehne wali hai'n ( Apne khawindo per kabhi ) naraaz na hongi ,Khush khabri aur Mubarak ho usko Jo hamara khawind hai aur hum uski Biviya'n hai'n ,
              

*📚Tirmizi -4/686,696, ibne Abi Sheeba -13/100, AL Badro Safrah -2136 ,Wasful Firdaus - 172*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Bazaar Ka Samaan_,*
       
⚃➠Abdullah bin Abdul Hakam Reh. Bayan karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannat mai ek bazaar hai Jisme koi khareed farokht na hogi , Usme Poshaake hongi , Mota Reshsm hoga , Bareek Resham hoga ,Saada Resham hoga, Bichhone honge ,Umda Farsh honge ,Johar honge ,Yaqoot honge ,Latke hue Taaj honge ,

⚃➠ Jannati hazraat unme se Jis cheez ka Dil chahega le lenge , magar fir bhi us bazaar mai kami waqe na hogi ,

⚃➠ Us bazaar mai soorte hongi Jesa k Mardo'n Ki khoobsurat Soorte ho sakti hai'n , Unme se har soorat ke seene per ye likha hoga " Jo Shakhs ye tamanna kare k Uska Husn meri Soorat jesa ho Allah Ta'ala uski Soorat ko mere husn ke mutabiq bana denge , Jo Shakhs Tamanna Karta ho k uske chehre ka husn meri soorat ke mutabiq ho Allah Ta'ala uski Soorat ko mere husn ke mutabiq kar denge ,
   

⚃➠ Chunache Jo Shakhs tamanna karega uske chehre ka husn us soorat Ki misl ho jaye to Allah Ta'ala usko us Soorat ke mutabiq kar denge ,
             

.   *📚Wasful Firdaus -177*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Allah Ta'ala Ka Deedaar,*
       
⚃➠ Hazrat Suheb Roomi Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__Jab Jannati Jannat mai dakhil ho chuke honge to Allah Ta'ala unse irshad farmayenge Koi aur niyamat chahte ho to mai'n tumhe aata karu ?

__To WO Arz karenge Kya Aapne hamare chehre ba-ronak nahi farmaye ? Kya Aapne hume jannat mai dakhil nahi kiya aur ( kya ) dozakh se hume nijaat nahi bakhshi ,   

⚃➠Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Fir Allah Ta'ala Parda hatayenge To Jannat walo ko koi esi niyamat nahi di gayi Jo unko Allah Ta'ala ke deedaar se Zyada Mehboob hogi ,
       
⚃➠Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi (Tarjuma ) - WO log jinhone nek amaal kiye unke liye Jannat hai aur usse zaa'id (Allah Ta'ala ki ziyarat ) hai ,
       
*📚 Muslim -181 , AL Badro Safrah -2204 ,Haadi AL Ravaah -382, Musnad Ahmad- 6/15-16*

⚃➠Allama Qurtubi Farmate hai'n k mazkoora hadees mai Parda hatane ka ma'ani ye hai k unki Aankho ke saamne ke WO hijaab door kar diye jayenge Jo Allah Ta'ala Ki Ziyarat se rukawat ban rahe honge hattaki WO Allah Ta'ala Shanhu ko uske noore azmat v jalaal samet ziyarat kar sakenge , Ye Parda Makhlooq ka apna hoga na k Allah Ta'ala ke saamne hoga _,"

*📚 Tazkiratul Qurtubi - 2/492, Badro Safrah -2204*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Jannatiyo Ko Allah Ka Salaam,*
       
⚃➠Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jannati Hazraat Apni Apni ni'amato mai maze le rahe honge k achanak un per ek Noor chamkega aur Wo Apna Sar uthayenge to Allah tabarak wa Ta'ala ko dekhenge k usne ouper se un per jhaanka hoga ,Allah Ta'ala farmayenge ," Assalamu Alaikum Ya Ahlal Jannah ," ( Ey Jannat walo Assalamu Alaikum ) ,   

⚃➠isi ke mutalliq Allah Ta'ala ka ye irshad hai ,
       
سَلَامٌ قَوْلًا مِّن رَّبٍّ رَّحِيمٍ

( Unko Parwardigaar Meharbaan Ki taraf se Salaam farmaya jayega )

⚃➠Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Allah Ta'ala unki taraf dekhenge aur WO Allah Ta'ala Ki taraf dekhenge aur jab tak Allah Ta'ala Ki taraf dekhte rahenge Jannat Ki kisi bhi ni'amat Ki taraf mutavajjah nahi honge hattaki Allah Ta'ala unse Parde mai chale jayenge , Lekin Allah Ta'ala ka Noor aur Barkat ( ka asar ) un per unke mahallaat mai baqi rahega ( aur Allah Subhanahu wa Ta'ala ka zaahir hona aur Jhaank kar dekhna makaan aur hulool se paak hai ),
      

*📚Ibne maaja -184, ibne Abid duniya -97 ,AL Badro Safrah-2229 ,Safatul Jannat Abu Naiem -91 ,Tafseer ibne Kaseer -6/570, Majmauz Zawa'id -7/98*

        ┅┅━━═۞═━━┅

*☞ Hazrat Daowd Alaihissalam Ki Khoobsurat Awaaz ,Ziyarate Khudawandi aur Maa'idatul Khuld,*      

⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n ( k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ):-

"__Jab Jannati Jannat sakunat akhtyar kar lenge to unke pass ek fatishta aa kar kahega Allah Ta'ala Aap hazraat ko Hukm de rahe hai'n k tum log uski ziyarat karo , Jab Sab Hazraat ziyarat ke liye Jama ho jayenge to Allah Ta'ala Hazrat Daowd Alaihissalam ko Hukm farmayenge k WO buland awaaz se Tasbeeh v Tehleel ada kare , Fir Maa'idatul Khuld ko bichhaya jayega ,   

⚃➠Sahaba Kiraam ne arz kiya - Ya Rasulallah ! Maa'idatul Khuld kya hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya - iske Zawiyo'n mai Se Ek Zawiya ( Kinaara ) mashriq v magrib ke darmiyani hisse se bhi Zyada wasi'a hoga Ye Jannati usse khayenge fir piyenge fir libaas pehnenge fir kahenge Ab koi baat baqi nahi Sirf Allah Jal Shanhu ke Rukhe Zeba Ki Ziyarat hi reh gayi hai , Us Waqt Allah Ta'ala unke saamne tajalli farmayenge to Jannati Sajde mai gir padenge , Magar unse Kaha jayega Tum Amal karne Ki jagah nahi rehte ho balki in'aam v ikraam Ki jagah reh rahe ho ( isliye Sajde se Sar utha lo aur Jannat Ki ni'amato mai masroor raho ),
       
*⚃➠Fayda_* __ Tadbeeh Allah Ta'ala Ki paaki bayan karne ko kehte hai'n, Jabki Tehleel " Laa ilaaha illallaah " kehne ko kehte hai'n ,
       
*📚Safatul Jannat Abu Naiem Aabahani -397 ( 3/237) Badro Safrah-2247 , Targeeb v Tarheeb -4/545_546,*

╟❥ *Next-222 Soon in Sha Allaah*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                      
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
   
    

No comments:

Post a Comment