Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, August 4, 2017

SAWAAL JAWAAJ 01 SE 100


Sawal 01 SE 100

SAWAL # 1

Jundub Ibne Junadah Kis Sahabi Ka Name Hai?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Abu Musa Ash’Ari R.D.

3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

4. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

Maarif Ul Hadees

SAWAL # 2

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya Wo Jannat Me Mere Rafiq Honge ?
1. Hazrat Abu Bakar R.D.

2. Hazrat Umar R.D.

3. Hazrat Usman R.D.

4. Hazrat Ali R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 3

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya Wo Sab Se Zayadah Halal Or Haram Ko Janne Wale Hai ?
1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 4

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Apna Hawari (Madad Gar ,Dost )Qarar Diya ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

3. Hazrat Abu Bakar R.D.

4. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 5

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Sab Se Behtarin Qari Qarar Diya?
1. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Ubai Bin Ka’Ab R.D.

4. Hazrat Muaaz Bin Jabal R. D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Ubai Bin Ka’Ab R.D.

SAWAL # 6

Kon Se Sahabi Sab Se Zyada Miras K Masail Janne Wale Hai.
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Salman Farsi R.D.

3. Hazrat Bilal Habshi R D.

4. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

SAWAL # 7

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K Zamin Jin Chizo Ko Uthae Hue Hai Or Aasman Jin Chizo Par Saaya Kiye Hue Hai Unme In Se Sachha Koi Nahi.
1. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

2. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

4. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

SAWAL # 8

Qabila E Aus K Sardar Kon The ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

SAWAL # 9

Gazwa E Khandaq Me Kis Sahabi K Mashwere Se Khandaq Khodi Gai Thi ?
1. Hazrat Bilal Habshi R.D.

2. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

3. Hazrat Salman Farsi R.D.

4. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Salman Farsi R.D.

SAWAL # 10

Gazwa E Khandaq Me Dushmano Ki Jasusi K Liye Aap S.A.W. Ne Kis Sahabi Ko Bheja Tha ?
1. Hazrat Umar Faruq R.D.

2. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

SAWAL # 11

Konse Sahabi Tez Raftaari Me Mashoor The ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Abu Darda R.D.

4. Hazrat Salma Bin Akwa R.D.

Sahih Jawab # 4 Hazrat Salma Bin Akwa R.D.

SAWAL # 12

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Is Ummat Ka Hakim Qarar Diya?
1. Hazrat Abu Darda R.D.

2. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

3. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

4. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Darda R.D.

SAWAL # 13

3 Sahabi Jo Gzwa E Tabuk Me Shariq Nahi Ho Sake The Ab Batlaiye K In 4 Me Se Kon Nahi Hai ?
1. Hazrat Hilal Bin Umayyah R.D.

2. Hazrat Safwan Bin Muattal R.D.

3. Hazrat Ka’Ab Bin Malik R.D.

4. Hazrat Murarah Bin Rabiah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Safwan Bin Muattal R.D.

SAWAL # 14

Ka’Batullah Sharif Ki Kunji ( Chaavi ) Kis Sahabi K Pass Rehti Thi ?
1. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

2. Hazrat Usman Gani R.D.

3. Hazrat Usman Bin Talha R.D.

4. Hazrat Usman Bin Aamir R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Bin Talha R.D.

SAWAL # 15

Fathe Makka K Bad Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Makka Ka Governor Kis Sahabi Ko Muqarrar Farmaya ?
1. Hazrat Abu Sufyan R.D.

2. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

3. Hazrat Abbas R.D.

4. Hazrat Attab Bin Asid R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Attab Bin Asid R.D.

SAWAL # 16

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Jab Hajjatul Vida’A Me Maidan E Arfat Se Nikle To Sawari Par Aap K Sath Kon Sahabi Sawar The ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

SAWAL # 17

Khaybar Kis Sahabi K Hath Par Fatah Huwa ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

SAWAL # 18

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Raaz Ko Khat K Zariye Fash Karne Ki Koshish Kis Sahabi Ne Ki Thi ?
1. Hazrat Haatib Bin Abi Balta’A R.D.

2. Hazrat Mistah Bin Asasah R.D.

3. Hazrat Abu Umamah Bahili R.D.

4. Hazrat Nawwas Bin Sam’Aan R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Haatib Bin Abi Balta’A R.D.

SAWAL # 19

Khalid Ibne Zaid Kis Sahabi Ka Naam Hai ?
1. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

2. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

3. Hazrat Abu Hurairah R.D.

4. Hazrat Abu Darda R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

SAWAL # 20

Hazrat Aaysha R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhayi ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D

2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

3. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

SAWAL # 21

Hazrat Umar Faruq R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhai ?
1. Hazrat Usman Gani R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

4. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

SAWAL # 22

Ek Martaba Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Meri Ummat Me 70,000 Aise Honge Jo Bager Hisab K Jannat Me Jaenge To Ek Sahabi Ne Khade Ho Kar Kaha K Ay Allah K Rasool Aap Dua Farma Dijiye K Me Un Me Se Ho Jau To Wo Sahabi Kon The?
1. Hazrat Ikrash Bin Zuvaib R.D.

2. Hazrat Ukkasha Bin Mihsan R.D.

3. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

4. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ukkasha Bin Mihsan R.D.

SAWAL # 23

Fathe Makka K Bad Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Makka Ka Muazzin Kis Sahabi Ko Muqarrar Farmaya ?
1. Hazrat Abu Mahzurah R.D.

2. Hazrat Bilal Habshi R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Umme Maktoom R.D.

4. Hazrat Muaviyah Bin Abi Sufiyan R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Mahzurah R.D.

Fathe Makka K Bad Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Gazwa E Hunain Se Vapas Hue To Hazrat Abu Mahzurah R.D. Ko Makka Ka Muazzin Muqarrar Farmaya.

Hazrat Bilal Habshi R.D. To Madina K Masjid E Nabvi K Muazzin The. Makka K Nahi. Ha Fathe Makka K Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Hukm Se Unhone Masjide Haram Me Azan Di. Magar Ba Qaedah Waha Ka Muazzin Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Abu Mahzurah R.D. Ko Banaya.

SAWAL # 24

Kis Sahabi K Mutalliq Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Un Ki Gawahi 2 K Barabar Hai.
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

4. Hazrat Khuzaima Bin Saabit R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Khuzaima Bin Saabit R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Ek Martaba Ek Shakhs Se Ghoda Kharida Tha. Bad Me Us Bechne Wale Ne Inkar Kar Diya. Agar Aap Ne Kharida Ho To Gawah Do. Us Waqt Koi Gawah Aap K Pass Nahi Tha. Hazrat Khuzaima R.D. Ko Jab Is Bat Ka Ilm Huwa To Unho Ne Bagr Dekhe Gawahi Di. Or Kaha Ya Rasulullah Aap Ka Muamla Galat Nahi Ho Sakta. Us Par Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Khuzaima R.D. Ko Ye Ezaz Bhaksha K Tumhari Gawahi 2 K Barabar Hai.

Zakhira E Malumat

SAWAL # 25

Azan Ki Shuruaat K Silsile Me Kis Sahabi Ne Khawab Dekha Tha ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Aas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zaid Ibne Abde Rabbihi R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdullah Ibne Zaid Ibne Abde Rabbihi R.D.

Baaz Rivayat Me Hai K Is Qism Ka Khawab Hazrat Umar Faruq R.D. Ne In Se Bhi Pehle Dekha Tha Magar Kisi Wajah Se Us Ka Tazkera Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Se Nahi Kar Sake. Is Tarah Ye Saadat Hazrat Abdullah Ibne Zaid Ibne Abde Rabbihi R.D. Ko Hasil Ho Gyi.

Qamusul Fiqah

SAWAL # 26

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Is Ummat Ka Amin Qarar Diya?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Ek Martaba Najran K Isaiyo Ki Ek Jama’At Ne Aa Kar Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Se Darkhast Ki K Aap Hame Ek Amin Haakim Ata Kijiye. To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Me Tum Ko Ek Amin Shaksh Dunga Or 3 Martba Farmaya K Wo Amanat K Haq Ko Ada Karega. Fir Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D. Ko Waha Bheja.

Maariful Hadis

SAWAL # 27

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Azvaj E Mutahharat Me Se Konsi Zavajah ( Ahliyah , Bivi ) Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D. Ki Khala Thi ?
1. Hazrat Maymuna R.D.

2. Hazrat Juveriyah R.D.

3. Hazrat Safiyah R.D.

4. Hazrat Saudah R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Maymuna R.D.

Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D. Ki Validah Umme Fazal Ki Bahan Hai. Isi Liye Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D. Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Baari Hazrat Maymuna R.D. K Makan Par Hoti To Apni Khala K Yaha Jate Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Raat K Aamal Ko Dekhne K Liye.

SAWAL # 28

Kis Sahabi Ne Nikah Kiya Tha Or Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un K Kapdo Par Khushbu K Asar Ko Dekh Kar Pehchan Liya Tha K Tum Ne Nikah Kiya Hai ?
1. Hazrat Ma’Az Bin Jabal R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Ye Bade Maldar Sahabi Hai. Magar Nikah Itni Sadgi Se Kiya K Khud Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Ko Bhi Ittela Nahi Ki. Aap Ne In K Kapdo Par Khushbu K Asar Ko Dekh Kar Pehchan Liya K Inho Ne Nikah Kiya Hai Aap Ne Mubarak Badi Di Or Farmaya Valima Karna Agr Che Ek Bakri K Zariye Ho.

SAWAL # 29

Masjid E Nabvi Me Sab Se Pehle Chirag Roshan Karne Wale Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Usman Gani R.D.

2. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

4. Hazrat Tamim Dari R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Tamim Daari R.D.

SAWAL # 30

Hazrat Jibrail Huzur Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Kis Sahabi Ki Shakal Me Aate The ?
1. Hazrat Dahiya Kalbi R.D.

2. Hazrat Jarir Bin Abdulla Bajali R.D.

3. Hazrat No’Man Ibne Bashir R.D.

4. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Dahiya Kalbi R.D.

SAWAL # 31

Badri Sahaba Me Sab Se Aakhir Me Kis Sahabi Ki Wafat Hui ?
1. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

2. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

SAWAL # 32

Hazrat Usman Gani R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhai ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Hakim Bin Hizam R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Hakim Bin Hizam R.D.

Waise Is Me Ikhtelaf Hai K Hazrat Usman Gani R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhai?

Zakhira E Maloomat Me Pehli Jild Me Hayatul Haywan K Hawale Se Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D. Ka Naam Hai. Or Isi Kitab Me Jild 4 Me Umdatul Qari K Hawale Se Hazrat Hakim Bin Hizam R.D. Ka Naam Hai. Baaz Ne Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D. Bhi Kaha Hai.

Wallahu Aalam.

SAWAL # 33

Hijrat K Baad Muhajirin K Yaha Sab Se Pehle Konsa Bachha Paida Huwa ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

3. Hazrat Hasan Ibne Ali R.D.

4. Hazrat Husain Ibne Ali R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

SAWAL # 34

Gazwa E Khandaq K Moqe Par Kis Sahabi K Makan Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Apne Tamam Ashab Ko Le Kar Pahonche Or Thoda Sa Khana Tamam K Liye Kafi Ho Gya ?
1. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Pet Par Pathhar Bnadha Dekh Kar Apne Ghar Pahonche The Or Bakri Zubh Kar K Or Roti Tyyar Kar K Hazire Khidmat Hue Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Hi Ko Bulane K Liye Magar Asp Sallalahu Alayhi Wasallam Tamam Ashab Ko Le Kar Pahonch Gae. Or Aap Ka Mo’Jiza K Thoda Sa Khana Taqribn 3000 K Lashkar Ne Pet Bhar Kar Kha Liye.

SAWAL # 35

Kis Sahabi Ki Janaze Ki Namaz Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Masjid E Nabvi Me Padhai ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

2. Hazrat Suhail Ibne Bayza R.D.

3. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

4. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Suhail Ibne Bayza R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Zamane Me Janaze Ki Namaz K Liye Masjid E Nabvi Se Muttasil Ek Jagah Bani Hui Thi. Janaze Ki Namaz Wahi Hoti Thi Magar Kisi Uzr Ki Wajah Se Hazrat Suhail Ibne Bayza R.D. Ki Namaz E Janaza Masjid Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Padhai.

SAWAL # 36

Wo Kon Se Sahabi Hai Jin K Bare Me Muhajirin Ne Ye Kaha K Wo Ham Me Se Hai Or Ansar Ne Kaha K Ham Me Se Hai To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tha K Wo To Ahle Bayt Me Se Hai.
1. Hazrat Bilal Habshi R.D.

2. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

3. Hazrat Miqdad R.D.

4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Gazwa E Khandaq K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Khandaq Khodne K Liye Muhajirin Or Ansar Me Se Har Ek Me 10-10 Afrad Ki Jamaat Bana Di Thi. Magar Hazrat Salman Farsi R.D. To Na Muhajirin Me Se Hai Or Na Ansar Me Se. Is Liye Muhajirin Ne Kaha K Wo Hamate Sath Hai Or Ansar Ne Kaha K Hamare Sath. To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Salman To Ahle Bayt Me Se Hai. Fir Aap Ne Kuch Muhajirin Or Kuch Ansar Or Hazrat Salman Farsi R.D. Ko Le Kar Ek Jamaat Bana Di.

Maariful Quran

SAWAL # 37

Fiqhe Hanfi Ki Sanad Kis Sahabi Par Pahonchti Hai ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Hazrat Imam Abu Hanifa R.A. Ne Ilm Hasil Kiya Hammad Ibne Sulaiman Se Unho Ne Ibrahim Nakhai Se Unho Ne Alqamah Se Unho Ne Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D. Se Or Unho Ne Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Se.

SAWAL # 38

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Qabar E Athar Khodne Ka Sharf Kis Sahabi Ko Hasil Huwa ?
1. Hazrat Talha R.D.

2. Hazrat Abu Talha R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

Sahih Jawab # 2. Abu Talha R.D.

SAWAL # 39

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Qabar E Athar Tyyar Ho Jane K Bad Us Par Paani Kis Sahabi Ne Chhirka Tha ?
1. Hazrat Ali R.D.

2. Hazrat Abbas R.D.

3. Hazrat Bilal Habshi R.D.

4. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Bilal Habshi R.D.

Bayhaqi Sunan E Kubra.

SAWAL # 40

Hijrat K Bad Ansar Me Sab Se Pehle Konsa Bachha Paida Huwa ?
1. Hazrat Mahmood Bin Rabe’E R.D.

2. Hazrat Saeeb Ibne Yazid R.D.

3. Hazrat No’man Ibne Bashir R.D.

4. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D

Sahih Jawab # 3. Hazrat No’man Ibne Bashir R.D.

Zakhira E Maloomat.

SAWAL # 41

Konse Sahabi Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Raaz Daar Mane Jate Hai ?
1. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

2. Hazrat Hanzala R.D.

3. Hazrat Abu Talha R.D.

4. Hazrat Umar Faruq R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

SAWAL # 42

Ek Sahabiyah ( Aurat ) Hai Jo Apne Chhote Bachhe Ko Le Kar Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hui Thi Or Us Bachhe Ko Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne God Me Liya Tha To Us Bachhe Ne Aap Par Peshab Kiya Tha To Wo Sahabiyah Kon Thi ?
1. Hazrat Umme Haani R.D.

2. Hazrat Umme Ruman R.D.

3. Hazrat Umme Qais Binte Mihsan R.D.

4. Hazrat Umme Sulaim R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Qais Binte Mihsan R.D.

Hadis Ki Bahot Si Kitabo Me Ye Bat Maujud Hai.

SAWAL # 43

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Jab Hajjatul Vida’A Me 10 Zillhajj Ko Subah Me Muzadlifa Se Mina K Liye Rawana Hue To Aap K Sath Sawari Par Kon Sawar The ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

3. Hazrat Qasm Ibne Abbas R.D.

4. Hazrat Fazl Ibne Abbas R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Fazl Ibne Abbas R.D.

Hazrat Shaikh Zakriyah R.A. Ne Fazail E Aamal Me Fazail E Hajj K Aakhir Me Khatme Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Hajj Ka Tafsili Waqeah Bayan Kiya Hai. Us Me Ye Bat Bhi Hai K Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Muzadlifa Se Mina K Liye Rawana Hote Waqt Hazrat Fazl Ibne Abbas R.D. Ko Apne Sath Sawar Kiya. Is Dauran Ek Aurat Mas’Ala Puchhne Aai To Hazrat Fazl Ki Nazar Us Par Padi. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un K Chehre Ko Fer Kar Farmaya Aaj Jis Ne Apni Aankh Kan Zuban Wagerah Ki Hifazat Ki Us Ki Magfirat Hoti Hai.

SAWAL # 44

Wo Konse Sahabi Hai Jo Itne Khubsurat The K Hazrat Umar Faruq R.D. Un Ko Is Ummat Ka Yusuf Qarar Detr The ?
1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

2. Hazrat Tamim Daari R.D.

3. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

4. Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Jarir Bin Abdulla Bajali R.D.

Maariful Hadis

SAWAL # 45

Wo Konsi Sahabiyah Hai Jo Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Samne Aahista Aahista Guftagu Ki Thi Or Allah Ta’Ala Ne Un Ki Awaz Sun Li Thi ?
1. Hazrat Khawla R.D.

2. Hazrat Khansa R.D.

3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

4. Hazrat Umme Haani R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Khawla R.D.

Maariful Quran / Sure Mujadalah

SAWAL # 46

Gazwa E Badr Me Muslmano K Lashkar Me Sirf 2 Ghode The. 1 Hazrat Miqdad R.D. Ka To Dusra Ghoda Kis Sahabi Ka Tha ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

SAWAL # 47

Gazwa E Uhad Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Par Ek Dushman Ne Patthar Mara Tha Jis Ki Wajah Se Aap Ki Peshani Se Khun Behne Laga To Ek Sahabi Ne Chus Liya Is Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Jis K Jism Me Mera Khun Hoga Jahnnam Ki Aag Us Ko Chhu Nahi Sakti. Wo Sahabi Kon The?
1. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

4. Hazrat Malik Bin Sinan R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Malik Bin Sinan R.D.

Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi )

SAWAL # 48

Hijrat K Bad Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Muhajirin Or Ansar K Darmyan Bhai Chargi Qaeem Farmai To Muhajirin Me Se Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D. Ko Kis Ansari Sahabi Ka Bhai Banaya ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

2. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

3. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

4. Hazrat Kharija Bin Zaid R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

Seerat Ul Musufa ( Sallalahu Alayhi Wasallam )

SAWAL # 49

Abu Jahal Ka Sar Kis Sahabi Ne Juda Kiya Tha ?
1. Hazrat Umar Faruq R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

4. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

SAWAL # 50

Gazwa E Uhad Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Kis Sahabi Ko Tir Dete Jate The Or Farnate Jate Teer Andazi Karo Mere Ma Bap Tum Par Qurban Ho
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

SAWAL # 51

Abdullah Ibne Qais Kis Sahabi Ka Naam Hai ?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

4. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

SAWAL # 52

Yahudi Sardar Ka’Ab Bin Ashraf Ko Kis Sahabi Ne Qatal Kiya Tha ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Muhammad Bin Maslama R.D.

4. Hazrat Mahmood Bin Rabe’e R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Muhammad Bin Maslama R.D.

SAWAL # 53

Jab Sulhe Hudaibiyah K Moqe Par Sahaba Apne Ehram Kholne K Liye Tyyar Nahi The To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ko Aap Ki Kis Zawjah ( Bivi ) Ne Mashwera Diya Tha Or Aap Ko Un Ka Mashwera Pasand Aaya Tha ?
1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D

3. Hazrat Hafsa R.D.

4. Hazrat Sauda R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Umme Salma R.D .

SAWAL # 54

Fathe Makka K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D. K Pass Se Jhanda Le Kar Kis Sahabi Ko Diya Tha ?
1. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

2. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

3. Hazrat Qais Bin Sa’ad R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Qais Bin Sa’ad Bin Ubada R.D.

Dar Asal Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Pehle Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D. Ko Jhanda Diya Tha. Magar Makkah Me Daakhil Hote Waqt Unho Ne Mushrikin Makkah K Mutalliq Kuch Jazbati Jumle Kahe To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un Se Jhanda Le Liya. Magar Un Ki Dil Shikni Na Ho Is Liye Unhi K Farzand Hazrat Qais Bin Sa’ad R.D. Ko De Diya.

Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi )

SAWAL # 55

Gazwa E Tabuk Me Shariq Na Hone Wale Hazrat Ka’Ab Bin Malik R.D. Ki Jab Taubah Qubul Hui Or Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hue To Majlis Me Se Sab Se Pehle Kis Sahabi Ne Uth Kar Hazrat Ka’Ab R.D. Ko Mubarak Badi Di Thi ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

SAWAL # 56

Gazwa E Uhad Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Apni Talvar Kis Sahabi Ko Di Thi ?
1. Hazrat Umar Faruq R.D.

2. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

3. Hazrat Abu Dujana R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Dujana R.D.

SAWAL # 57

Hazrat Umar R.D. Jab Apne Bahan Or Bahnoi K Islam Lane Ki Khabar Sun Kar Gusse Me Ghar Pahonche The To Un Ko Kon Sahabi Quran Sikha Rahe The ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Bilal Habshi R.D.

3. Hazrat Khabbab Ibne Aratt R.D.

4. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Khabbab Ibne Aratt R.D.

SAWAL # 58

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Hazrat Isa A.S. K Mushabeh Qarar Diya ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

Ye Zuhd Or Parhez Gaari Me Hazrat Isa A.S. K Mushabeh The.

Maariful Hadis

SAWAL # 59

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Vafat K Bad Sab Se Pehle Kis Zawjah ( Bivi ) Ki Vafat Hui ?
1. Hazrat Safiyah R.D.

2. Hazrat Maymuna R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

4. Hazrat Saudah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tha K Meri Vafat K Bad Mujh Se Sab Se Pehle Wo Bivi Milegi Jo Lambe Hath Wali Hogi. Hazrat Aaysha R.D. Farmati Thi K Ham Azwaj Aapas Me Haath Naap Liya Karti Thi Magar Sab Se Pehle Inteqal Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Ka Huwa To Pata Chala K Lambe Haath Ka Matlab Zayadah Sadqa Karne Wali Kyu K Hazrat Zainab Is Muamle Me Bahot Aage Thi.

Maariful Hadis

SAWAL # 60

Gazwa E Uhad K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K In K Liye Jannat Vajib Ho Gyi.
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

3. Hazrat Umar Faruq R.D.

4. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

SAWAL # 61

Gazwa E Badr Me Sab Se Pehle Kon Sahabi Shahid Hue ?
1. Hazrat Umair Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Ubaidah Bin Haris R.D

3. Hazrat Harisah Bin Suraqah R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Khaysamah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ubaida Bin Harris R.D.

In Ka Muqabla Jis Mushrik Se Huwa Tha Dono Ne Ek Dusre Par War Kiye. Jis Ki Wajah Se Shadid Zakhmi Hone Ki Halat Me In Ko Utha Kar Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam K Pass Laaya Gya Or Aap K Qadmo Me Jaan Qurban Kar Di.

Hazrat Ubaida R.D. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Bade Chacha Haris Bin Abdul Muttalib K Farzand Hai.

SAWAL # 62

Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Sulhe Hudaibiyah K Agle Saal Umrah Ki Qaza K Liye Makka Tashrif Le Gae To Kis Zawjah Se Nikah Huwa ?
1. Hazrat Umme Salma R.D

2. Hazrat Umme Habiba R.D.

3. Hazrat Maymuna R.D.

4. Hazrat Juveriyah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Maymuna R.D.

SAWAL # 63

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah ( Bivi ) Ki Janaze Ki Namaz Khud Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Padhai ?
1. Hazrat Saudah R.D.

2. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Jahsh R.D.

4. Hazrat Khadija R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Hayati Me 2 Bivi Ki Vafat Hui Hazrat Khadija R.D. Or Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

Hazrat Khadija R.D. K Inteqal K Waqt Janaze Ki Namaz Shuru Nahi Hui Thi Is Liye Un Ko Bager Namaz Padhe Dafan Kiya Gya Tha.

SAWAL # 64

Jab Bagiyo Ne Hazrat Usman Gani R.D. Ko Shaheed Kiya Or Jannat Ul Baqee Me Dafan Hone Se Roka Tha To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah ( Bivi ) Ne Bagiyo Ko Lalkara Tha ?
1. Hazrat Umme Habiba R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D

3. Hazrat Aaysha R.D.

4. Hazrat Hafsa R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Umme Habiba R.D.

SAWAL # 65

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Awlad Me Se Kis Ki Wafat K Deen Suraj Gahan Huwa Tha ?
1. Hazrat Qasim R.D.

2. Hazrat Abdullah R.D.

3. Hazrat Ibrahim R.D.

4. Hazrat Umme Kulsum R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ibrahim R.D.

SAWAL # 66

Sab Se Pehle Jumah Qaeem Karne Wale Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.

2. Hazrat Ammar Bin Yaseer R.D.

3. Hazrat As’ad Ibne Zurarah R.D.

4. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat As’ad Bin Zurarah R.D.

SAWAL # 67

Wo Konse Sahabi Hai Jo Masjid E Nabvi Ki Taamir K Waqt Apni Tabiat Me Nazakat V Nazafat Ki Wajah Se Pattharo Ko Apne Kapdo Se Juda Rakhte The Or Hazrat Ali R.D. Ne Un Ko Dekh Kar She’R Bhi Padha Tha ?
1. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

2. Hazrat Usman Gani R.D.

3. Hazrat Usman Bin Talha R.D.

4. Hazrat Usman Bin Aamir R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

SAWAL # 68

Masjid E Nabvi Ki Taamir K Waqt Kis Sahabi Ko Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Gaara Tyyar Karne Ko Kaha Tha ?
1. Hazrat Tamim Daari R.D.

2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

3. Hazrat Talq Bin Ali R.D.

4. Hazrat Ka’Ab Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Talq Bin Ali R.D.

SAWAL # 69

Wo Konse Sahabi Hai Jo Apne Sathiyo K Saman Ko Lut Kar Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hue Or Muslman Hue To Aap Ne Un K Islam Ko Qubul Kiya Or Saaman Ko Nahi ?
1. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

2. Hazrat Vahshi R.D.

3. Hazrat Mugirah Bin Sho’ba R.D.

4. Hazrat Samurah Bin Jundub R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Mugirah Bin Sho’ba R.D.

SAWAL # 70

Kis Sahabi Ki Vafat Se Arshe Ilahi Kaanp Utha Tha ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

SAWAL # 71

Kis Sahabi Ki Naak Tut Gai Thi To Unho Ne Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Hukm Se Sone Ki Naak Banvai Thi ?
1. Hazrat Arfajah R.D.

2. Hazrat Ikrash Bin Zuvaib R.D.

3. Hazrat Ukkasha Bin Mihsan R.D.

4. Hazrat Samurah Bin Jundub R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Arfajah R.D.

SAWAL # 72

Umme Haram Binte Milhan R.D. Kis Sahabi Ki Bivi Ka Name Hai ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

SAWAL # 73

Rumaisa Ya Gumaisa Kis Sahabiyah Ka Name Hai ?
1. Hazrat Umme Haani R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D .

3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

4. Hazrat Umme Habiba R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Sulaim R.D.

SAWAL # 74

Hazrat Asma Binte Umais R.D. Ne Apne Shohar Hazrat Jaafar R.D. Ki Shahadat K Bad Kis Se Nikah Kiya Tha ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

Hazrat Asma Binte Umais R.D. Bahot Khush Qismat Sahabiyah Hai. Pehle Hazrat Jafar R.D K Nikah Me Thi. Un Ki Shahdat K Baad Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. K Nikah Me Aai. Un Ki Vafat K Bad Hazrat Ali R.D. K Nikah Me Aai.

SAWAL # 75

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Jab Marze Vafat Ki Shuruaat Hui Us Din Kis Zawjah K Yaha Baari Thi ?
1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D .

3. Hazrat Maymuna R.D.

4. Hazrat Hafsa R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Maymuna R.D.

Aaj K Sawal Me Bahot So Galatfahmi Hui Hai. Ye Samjhe K Wafat K Deen Baari Kis K Yaha Thi ? Halanke Sawal Ye Hai K Jab Marzul Wafat Ki Shuruaat Hui Yaani Us Bimari Ki Jis Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Wafat Hui Us Deen Kis K Yaha Baari Thi ? To Jawab Ye Hai K Wo Safar Ki Aakhri Tarikh Thi Or Hazrat Maymuna R.D. K Yaha Baari Thi.

SAWAL # 76

Wo Kon Se Sahabi Hai Jin K Bare Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Ye Farmaya K Allah Ta’Ala Ne Un Ki Zuban Or Dil Par Haq Jaari Kar Diya Hai ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Umar Faruq R.D.

SAWAL # 77

Hazrat Umar Faruq R.D. Par Jab Fajar Ki Namaz Me Hamla Huwa To Us Namaz Ko Kis Sahabi Ne Mukammal Karwai ?
1. Hazrat Usman Gani R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

SAWAL # 78

Sulhe Hudaibiyah K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Makka Ki Taraf Qasid Bana Kar Bheja Tha ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Gani R.D.

Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi )

SAWAL # 79

Wo Konse Sahabi Hai Jin K Bare Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Allah Ta’Ala Tumhe Ek Qamis Pahnaenge. Tum Jan De Dena Magar Qamis Mat Utarna.
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

3. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

4. Hazrat Usman Gani R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Usman Gani R.D.

Yaha Qamis Se Murad Khilafat Hai. Goya Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ye Farma Rahe Hai K Tum Jaan De Dena Magar Khilafat Ko Mat Chhodna. Or Huea Bhi Yahi K Hazrat Usman R.D. Bagiyo K Hath Be Dardi Se Qatl Kiye Gae Magar Khilafat Nahi Chhodi.

SAWAL # 80

Gazwa E Tabuk K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Madina Munawwarah Me Apna Janashin Kis Ko Banaya ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab Options Me Nahi Hai. Gazwa E Tabuk K Moqe Par Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Madina Munawwarah Me Apna Janashin Hazrat Muhammad Bin Maslama Ansari R.D. Ko Banaya Tha.

Kuch Logo Ko Shubha Huwa K Hazrat Ali R.D Ko Banaya.

Ye Bat Zarur Hai K Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Hazrat Ali R.D. Ko Gazwa E Tabuk Me Nahi Le Gae The. Or Un Ko Ahlo Ayal Me Chhoda Tha. Unho Ne Kaha Ya Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Aap Mujhe Aurto Or Bachho Me Chhod Kar Jate Ho. To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Kya Tum Is Bat Se Raazi Nahi K Tum Mere Nazdik Aise Ho Jaise Hazrat Haaroon A.S. Hazrat Moosa A.S. K Nazdik Magar Ye K Mere Bad Koi Nabi Nahi.

Seerat Ul Musufa 2/578

SAWAL # 81

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K Wo Pehle Shaksh Hai Jinhone Hazrat Loot A.S. K Bad Apni Bivi K Sath Hijrat Ki ?
1. Hazrat Usman Gani R.D.

2. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Usman Gani R.D.

SAWAL # 82

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K Agar Koi Zamin Par Chalte Shaheed Ko Dekhna Chahe To In Ko Dekhe.
1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

3. Hazrat Bilal Habshi R.D.

4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

Tirmizi

SAWAL # 83

Hazrat Khawla Binte Hakim R.D. Kis Sahabi Ki Bivi Hai ?
1. Hazrat Usman Bin Aamir R.D.

2. Hazrat Usman Gani R.D.

3. Hazrat Usman Bin Talha R.D.

4. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.

SAWAL # 84

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Sayyidul Muslimin ( Tamam Muslmano K Sardar ) Qarar Diya?
1. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Salman Farsi R.D.

3. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

4. Hazrat Bilal Habshi R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 85

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Aurat K Mutalliq Farmaya K In Ki Fazilat Tamam Aurto Par Aisi Hai Jaise Sareed ( Arab Ka Ek Mashoor Khana ) Ki Fazilat Tamam Khano Par
1. Hazrat Maryam R.D.

2. Hazrat Aasya R.D.

3. Hazrat Aaysha R.D.

4. Hazrat Fatima R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Aaysha R.D.

SAWAL # 86

Hazrat Aaysha R.D. Ki Mangni Pehle Kis Se Hui Thi. Baad Me Un K Valid Ne Mangni Tod Di Thi ?
1. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

2. Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D.

3. Hazrat Muaviyah Bin Abi Sufiyan R.D.

4. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D.

Hazrat Aaysha R.D. K Sath Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ka Paigam E Nikah Diya Gaya To Ek Rukawat Thi K Hazrat Aaysha R.D. Ki Nisbat Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D. Sr Hui Thi Jo Us Waqt Tak Islam Nahi Lae The. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Muteem K Pass Pahonche Or Kaha K Aaysha K Mutalliq Ab Tumhara Kya Khayal Hai ? Muteem Ne Apni Bv Ki Taraf Ishara Kiya To Muteem Ki Bv Ne Kaha Me Nahi Chahti K Aaysha Mere Ghar Aae Varna Hamare Ghar Me Apna Deen Laegi Or Apne Bap Dada K Deen Ko Bura Bhala Kahegi. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ne Muteem Ki Taraf Dekha To Muteem Tum Ne Un Ki Baat Sun Li ? Meri Bhi Yahi Raai Hai. Is Tarah Ye Rukawat Khatam Ho Gyi.

Maariful Hadis

SAWAL # 87

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Wo Konsi Zavajah ( Ahliyah ,Bivi ) Hai Jin Ko Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne 1 Talaq Di Thi Fir Hazrat Jibrail A.S. K Kehne Se Ruju Kar Liya Tha ?
1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Khadija R.D.

3. Hazrat Juveriyah R.D.

4. Hazrat Hafsa R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Hafsa R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kisi Wajh Se Hazrat Hafsa R.D. Ko Talaq Di Thi Fir Hazrat Jibrail A.S. K Kehne Se Ruju Kar Liya Tha K Wo Badi Roze Rakhne Wali Or Nawafil Ki Kasrat Rakhne Wali Hai.

Maariful Hadis

SAWAL # 88

Hazrat Umme Salma R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhai?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

4. Hazrat Salman Farsi R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 89

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah ( Bivi ) Ko Ye Fazilat Hasil Hai K Un Ka Nikah Aasman Par Huwa Tha ?
1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Khadija R.D.

3. Hazrat Zainab R.D.

4. Hazrat Umme Salma R.D.

Sahih Jawab # Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

SAWAL # 90

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah ( Bivi ) Ka Nikah Pehle Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. Se Huwa Tha?
1. Hazrat Hafsa R.D.

2. Hazrat Safiyah R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

4. Hazrat Maymuna R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

SAWAL # 91

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Kis Zawjah ( Bivi ) K Valimah K Moqe Par Parde Ki Aayat Nazil Hui Thi ?
1. Hazrat Aaysha R.D.

2. Hazrat Hafsa R.D.

3. Hazrat Saudah R.D.

4. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

SAWAL # 92

Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Ki Janaze Ki Namaz Kis Sahabi Ne Padhai?
1. Hazrat Umar Faruq R.D.

2. Hazrat Usman Gani R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Umar Faruq R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 93

Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Ka Kafan Kis Sahabi Ne Bheja Tha ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

2. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Umar Faruq R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Umar Faruq R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 94

Ummul Masakin ( Miskino Ki Ma ) K Naam Se Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zavajah ( Ahliyah, Bivi ) Mashoor Thi ?
1. Hazrat Khadija R.D.

2. Hazrat Aaysha R.D.

3. Hazrat Umme Salma R.D.

4. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

SAWAL # 95

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zavajah ( Ahliyah, Bivi ) Hai Jo Gazwa E Bani Mustalaq Me Qaid Kar K Laai Gayi Thi Or Yahudi Sardar Ki Beti Thi Or Hazrat Saabit Ibne Qais R.D. K Pass Aai Thi Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un Se Kharid Kar Us Se Nikah Kiya Tha?
1. Hazrat Juveriyah R.D.

2. Hazrat Safiyah R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

4. Hazrat Maymuna R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Juveriyah R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 96

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zavajah ( Bivi ) Hai Jin Ka Pehla Shohar Islam Se Fir Kar Murtad Ho Kar Mara. Fir Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Nikah Me Aai ?
1. Hazrat Safiyah R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D.

3. Hazrat Juveriyah R.D.

4. Hazrat Umme Habiba R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Umme Habiba R.D.

SAWAL # 97

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zavajah ( Ahliyah, Bivi ) Hazrat Haroon A.S. Ki Nasal Se Thi ?
1. Hazrat Maymuna R.D.

2. Hazrat Safiyah R.D.

3. Hazrat Zainab Binte Khuzaima R.D.

4. Hazrat Saudah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Safiyah R.D.

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 98

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zavajah ( Ahliyah, Bivi ) Banu Nazir K Yahudi Sardar Huyai Bin Akhtab Ki Beti Thi ?
1. Hazrat Safiyah R.D.

2. Hazrat Juveriyah R.D.

3. Hazrat Saudah R.D.

4. Hazrat Umme Salma R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Safiyah R.D.

SAWAL # 99

Wo Konsi Aurat Hai Jo Ek Nabi Ki Beti Or Ek Nabi Ki Bhatiji Or Ek Nabi Ki Bivi Hai ?
1. Hazrat Safiyah R.D.

2. Hazrat Umme Salma R.D.

3. Hazrat Juveriyah R.D.

4. Hazrat Maymuna R.D

Sahih Jawab # 1. Hazrat Safiyah R.D.

Ek Martaba Hazrat Aaysha R.D. Or Hazrat Hafsa R.D. Ne Hazrat Safiyah R.D. Se Kaha Tum To Yahudi Ki Beti Ho Or Ham To Quraish Ki Hai. Is Se Hazrat Safiyah R.D. Rone Lagi. Jab Huzur Sallalahu Alayhi Wasallam Tashrif Lae Or Un Ko Rota Dekha To Wajah Puchhi. Hazrat Safiyah R.D. Ne Wo Qissa Naqal Kiya To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Tumhe Ye Kehna Chahiye Tha K Tum Ko To Sirf Ek Shrf Hasil Hai Nabi Ki Bivi Hone Ka Or Me To Ek Nabi Ki Beti Hoo. ( Yaani Hazrat Haroon A.S. Kyu Ki Hazrat Safiyah R.D. Un Ki Nasal Me Thi ) Or Ek Nabi Ki Bhatiji Hoo ( Yaani Hazrat Moosa A.S. ) Or Ek Nabi Ki Bivi Hoo ( Yaani Aap Sallalahu Alayhi Wasallam )

Maariful Hadis / 4

SAWAL # 100

Wo Kon Hai Jin Ko Huzur E Paak Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tha K Tumhari Beti Ko Allah Us Se Behtar Shohar Or Un Ko Tumhari Beti Se Behtar Bivi Ata Karega ?
Sahih Jawab : Hazrat Umar Faruq R.D.

Waqeah Ye Huwa K Hazrat Umar Faruq R.D. Ki Sahabzadi Hazrat Hafsa R.D. Jab Bewa Ho Gyi To Unhone Hazrat Hafsa Ka Paigam Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Se Diya Magar Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ne Koi Jawab Nahi Diya.

Dusri Taraf Gazwa E Badr K Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Sahabzadi Hazrat Ruqyyah R.D. Ki Wafat Hui To Ab Hazrat Umar Faruq R.D. Ne Ab Hazrat Usman Gani R.D. Se Paigam Diya Magar Unhone Koi Jawab Nahi Diya. Hazrat Umar Faruq R.D. Shikayat Karne Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hue To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Allah Ta’Ala Tumhari Beti Yaani Hafsa R.D. Ko Un Se Behtar Shohar Yaani Khud Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Ata Karenge. Or Un Ko Yaani Hazrat Usman Gani R.D. Ko Tumhari Beti Yaani Hazrat Hafsa R.D. Se Behtar Bivi Yaani Meri Sahabzadi Hazrat Umme Kulsum R.D. Ata Karenge.

Maariful Hadis / 4

No comments:

Post a Comment