Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, August 4, 2017

SAWAAL JAWAAB 101 SE 200


Sawal 101-200

SAWAL # 101

Gazwa E Mutah Me Amir E Jang Ki Tartib Kya Thi ?
1. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

2. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Rawaha R.D.

4. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

Jawab Me Ye Charo Sahaba Tartib Se Bayan Kare K Pehle Kon Amir Tha Fir Kon Fir Kon Fir Kon ?

Sahih Jawab  4-1-3-2

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Gazwa Mutah Me Sab Se Pehle Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. Ko Amir Banaya Tha Or Farmaya K Agar Ye Shahid Ho Jae To Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D. Amir Honge Agar Wo Bhi Shahid Ho Jae To Hazrat Abdullah Ibne Rawaha R.D. Amir Ho Agar Wo Bhi Shahid Ho Jae To Aapas Me Ty Kar K Kisi Ko Bana Diya Jae.

Huwa Aise Hi K Tino Shahid Hue To Fir Muslmano Ne Hazrat Khalid Bin Valid R.D. Ko Amir Banaya Or Allah Ne Un K Hath Par Fath Nasib Farmaai.


SAWAL # 102

Hazrat Umar Faruq R.D. K Zamane Me Jab Qahat ( Sookha ) Pada Tha Unhone Kis K Vasile Se Dua Ki Thi ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

4. Hazrat Hasan Ibne Ali R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abbas R.D.

Bukhari Sharif


SAWAL # 103

Raees Ul Mufassirin ( Tamam Mufassirin K Sardar ) Kis Sahabi Ko Kaha Jata Hai ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

Huzur Sallalahu Alayhi Wasallam Ne In Ko Khas Dua Ki Thi ( Dua K Alfaz Mukhtalif Hai ) Us Dua Ki Barkat Se Allah Ta’Ala Ne Un Ko Quran E Karim Ka Khas Ilm Ata Farmaya Tha.


SAWAL # 104

Najashi K Darbar Me Taqrir Karne Wale Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Usman Gani R.D.

2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

Jab Mushrikine Makkah Ne Muslmano Ko Taklif Pahonchana Shuru Kiya To Musalmano Ne Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Hukm Se Habsha ( Aaj Is Mulk Ko Ithopia Kaha Jata Hai ) Ki Taraf Hijrat Ki. Jab Musalman Waha Aman Se Rehne Lage To Mushrikine Makkah Se Bardasht Na Huwa To Unhone Ek Jamat Habsha Bheji Taake Waha K Badshah Ko In K Khilaf Behkae. Jab Mushrikine Makkah Ki Ye Jamat Habsha Pahonchi Or Badshah Najashi Ko In K Khilaf Behkaya To Badshah Najashi Ne Muslmano Ko Tahqiq K Liye Bulaya To Us Waqt Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D. Ne Waha Taqrir Ki Or Sure Maryam Ki Tilavat Ki Jis Se Badshah Itna Mutassir Huwa K Us Ki Dadhi Aansuo Se Bhar Aai.


SAWAL # 105

Abul Masakin Kis Sahabi Ka Laqab Hai ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Aqil Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Hasan Ibne Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D. Miskino K Sath Bahot Muhabbat Rakhne Wale The Or Un Par Kharch Karne Wale The. Hazrat Abu Hurairah R.D. Farmate Hai K Me Jab Bhi Hazrat Jafar R.D. Se Mila Hoo Wo Pehle Mujhe Ghar Le Ja Kar Khana Khilate.

Is Liye Miskino K Sath Muhabbat Ki Wajah Se Un Ka Laqab Abul Masakin Ho Gya Tha.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 106

Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D. Jis Jang Me Shahid Hue To Un Se Pehle Us Jang Me Amir Kon Sahabi The ?
1. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

2. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

3. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Rawaha R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

Puri Tafsil Sawal # 101 Me Dekhe.


SAWAL # 107

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Munh Bole Bete Kon The ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

3. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.


SAWAL # 108

Wo Kon Sahabi Hai Jin Ki Patli Taang Dekh Kar Sahaba Hansne Lage The To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tha K Ye Taang To Uhad Pahad Se Zayadah Vazani Hai ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.


SAWAL # 109

Wo Kon Sahabi Hai Jin Ki Valida Ne Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Gustakhi Ki Thi To Unho Ne Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Se Dua Ki Darkhast Ki. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Dua Ki Ghar Pahonche To Andar Se Paani Padhne Ki Awaz Aai Or Un Se Kaha Bahar Rooko. Thodi Hi Der Me Wo Kalma Padhti Hui Bahar Aai.
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Abu Hurairah R.D.

3. Hazrat Umar Faruq R.D.

4. Hazrat Muaviyah Bin Abi Sufiyan R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 110

Hazrat Bilal Habshi R.D. Ko Kis Sahabi Ne Kharid Kar Aazad Kiya Tha ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Usman Gani R.D.

4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D


SAWAL # 111

Wo Kon Sahabi Hai Jin K Liye Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Maal Or Awlad Me Barkat Ki Dua Di Thi Fir Un K Yaha Maal Bhi Khub Huwa Or Awlad Bhi Bahot Hui ?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

3. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

4. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Anas Bin Malik R.D.


SAWAL # 112

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Jin 4 Hazrat Se Quran Sikhne Ko Kaha Tha Un K Naam Batlaiye.
Sahih Jawab

1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D

2. Hazrat Ubai Ibne Ka’Ab R.D.

3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

4. Hazrat Saalim Mavla Abu Huzaifa R.D.

In Me Pehle 3 Naam To Mashoor Hai Magar 4 Naam Hazrat Saalim Mavla Abu Huzaifa R.D. Naya Naam Hai.

Hazrat Saalim Mavla Abu Huzaifa R.D. Ka Naam Saalim Ibne Ma’Qal Hai. Ye Ek Aurat K Aazad Kardah Gulam Hai. Fir Hazrat Abu Huzaifa R.D. Jo Quraish K Bade Logo Me Se Hai Unho Ne Apni Bhatiji Se In Ki Shadi Kar Di Thi. Behtarin Awaz Se Quran Pak Ki Tilavat Karne Wale The. Jab Musalman Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Se Pehle Hijrat Kar K Madina Pahonche To Quba Me Qayam Kiya To Yahi Hazrat Saalim R.D. Un Ki Imamat Farmate The.


SAWAL # 113

Hazrat Anas Bin Malik R.D. K Sotele Baap Ka Name Kya Tha ?
1. Hazrat Abu Talha R.D.

2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

3. Hazrat Malik Bin Sinan R.D.

4. Hazrat Malik Bin Huvairis R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abu Talha R.D.

Sawal Me Bahot So Ko Confusion Huwa. Sawal Tha Sotele Baap K Mutalliq Or Kuch Logo Ne Haqiqi Baap Samjh Kar 3 Ya 4 # Ka Jawab Diya. Halanke Hazrat Anas Bin Malik R.D. K Haqiqi Baap Maalik To Kufr Ki Halat Me Mar Gae The. Un K Inteqal K Bad Hazrat Anas R.D. Ki Validah Umme Sulaim R.D. Ne Hazrat Abu Talha R.D. Se Nikah Kiya Tha.

Kuch Logo Ko Hazrat Talha Or Hazrat Abu Talha R.D. Me Bhi Confusion Hota Hai Or Dono Ko Ek Samjhte Hai Halanke Dono Alag Hai. Hazrat Talha R.D. Muhajirin Me Se Hai Or Ashra E Mubashhara Me Se Hai. Jab K Hazrat Abu Talha R.D. Ansari Hai.


SAWAL # 114

Wo Kon Sahabi Hai Jinhone Haq K Khatir Apne Ghar Ko Chhoda Or Mukhtalilf Ilaqo Ka Safar Kiya Fir Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hone K Liye Qafle Wa K Sath Chale To Qafle Walo Ne Gaddari Kar K Yahudi K Haath Gulam Bana Kar Bech Diya Tha?
1. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

2. Hazrat Bilal Habshi R.D.

3. Hazrat Salman Farsi R.D.

4. Hazrat Khabbab Ibne Aratt R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Salman Farsi R.D.


SAWAL # 115

Hazrat Abu Zar Gifari R.D. Ne Jab Islam Qubul Kar K Makkah Me Apne Islam Ka Elan Kiya Or Mushrikin Maarne Lage To Un Ko Bachane Wale Kon The ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Abbas R.D.

4. Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abbas R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 116

Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Bhai Chargi Qaeem Farmai To Hazrat Salman Farsi R.D. Ko Kis Ansari Sahabi Ka Bhai Banaya ?
1. Hazrat Abu Talha R.D.

2. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

3. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

4. Hazrat Abu Darda R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abu Darda R.D

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 117

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K Un Ko Hazrat Dawood A.S. K Khandan Ki Tarah Husne Awaz Di Gayi Hai ?
1. Hazrat Abu Talha R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Abu Musa Ashari R.D.

3. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 118

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ki Shahdat Ki Khabar Sun Kar Farmaya K Wo Jannat Me Dodte Hue Dakhil Ho Gae ?
1. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

4. Hazrat Ubaida Bin Haris R.D.

Sahih Jawab # Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 119

Wo Kon Sahabi Hai Jin Ka Ek Kan Kisi Gazwe Me Kat Gaya Tha To Wo Fakhr Se Farmate The K Jo Kan Kat Gaya Wo Sahih Kan Se Behtar Hai.
1. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.

2. Hazrat Ammar Bin Yaseer R.D.

3. Hazrat Arfajah R.D.

4. Hazrat Ukkasha Bin Mihsan R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ammar Bin Yaseer R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 120

Wo Kon Sahabi Hai Jo Apne Ghar Se Hijrat K Liye Nikle To Mushrikin Ne Gher Liya To Farmaya K Agar Me Tumhe Mere Maal Saman Ka Pata Doo To Chhod Donge ? Unhone Kaha Ha To Aap Ne Apne Mal Saman Ka Mushrikin Ko Pata Batla Diya.
1. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

2. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

3. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.

4. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 121

Hazrat Umar Faruq R.D. K Behnoi ( Bahan K Shohar ) Kon Hai ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

Ye Wo Sahabi Hai Jo Un 10 Khush Qismat Sahaba Me Se Hai Jin Ko Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Duniya Me Jannat Ki Basharat Sunayi Thi. Bahot Uncha Maqam Rakhne Wale Or Mustajabud Dawat The.


SAWAL # 122

Wo Kon Sahabi Hai Jo Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Khusar ( Sasur ) Bhi Hai Or Damad Bhi Hai ? Kaise ?
Sahih Jawab : Hazrat Umar Faruq R.D.

Hazrat Umar Faruq R.D. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Khusar ( Sasur ) Hai Is Tor Par K Hazrat Umar R.D Ki Sahabzadi Hazrat Hafsa R.D. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Nikah Me Thi.

Or Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Damad Hai Is Tor Par K Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Nawasi Jo Hazrat Fatima R.D. Or Hazrat Ali R.D. Ki Sahabzadi Hai Hazrat Umme Kulsum R.D. Se Hazrat Umar Faruq R.D. Ne 40000 Dirham ( Mahre Fatmi Se 80 Guna Zayadah ) Par Nikah Kiya Taake Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Mubarak Khandan Se Nisbat Ho Jae. Is Nikah Se 1 Ladka Zaid Or Ladki Ruqyyah Paida Hui.

Hazrat Umar R.D K Inteqal K Bad Umme Kulsum R.D. Ne Hazrat Aun Ibne Jafar R.D. Se Nikah Kiya Un Se Koi Awlad Nahi Hui.

Hazrat Aun K Inteqal K Bad Umme Kulsum R.D. Ne Hazrat Aun K Bhai Muhammad Ibne Jafar R.D. Se Nikah Kiya Un Se Ek Ladki Paida Hui Jo Bachpan Me Hi Inteqal Kar Gayi.

Un K Inteqal K Bad Un K Tisre Bhai Abdullah Ibne Jafar Se Nikah Kiya Un Se Koi Awlad Nahi Hui. Or Un K Nikah Me Hi Inteqal Ho Gya. Or Isi Din Un K Bete Zaid Ka Bhi Inteqal Ho Gya. Dono Janaze Sath Uthe Is Liye Awlad Ka Silsila Nahi Chala.

Fazaile Aamal


SAWAL # 123

Gazwa E Khaibar Me Yahudiyo K Mashoor Sardar Marhab Ko Kis Sahabi Ne Qatal Kiya Tha ?
1. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

2. Hazrat Umar Faruq R.D.

3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Jab Gazwa E Khaibar Me Yahudiyo Ka Sardar Marhab Ashaar Padhte Hue Nikla To Is Ka Muqabla Karne Sab Se Pehle Hazrat Aamir Bin Akwa R.D. Ashar Padhte Hue Nikle. Dono Ne Ek Dusre Par War Kiya Jis Se Hazrat Aamir R.D. Zakhmi Hue To Fir Shere Khuda Hazrat

Ali R.D. Mauqble Par Aae Or Ek Hi War Me Jahnnam Rasid Kar Diya.

Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi )


SAWAL # 124

Wo Kon Sahabi Hai Jin Ko Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Yaman Ka Qazi Bana Kar Bheja Tha Or Aap Ne Un Ko Untni Par Sawar Kar K Rukhsat Kiya Tha Or Aap Paidal Chalte Hue Nasihat Karte Ja Rahe The Fir Aap Ne Farmaya Tha Ab Shayd Tumhara Guzar Meri Qabar Par Se Hoga.
1. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Tamim Daari R.D.

4. Hazrat Muaaz Ibne Jabal R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Muaaz Ibne Jabal R.D.

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Yaman Ko Mukhtalilf Hisso Par Taqsim Kiya Tha Ek Par Hazrat Abu Musa Ashari R.D. Ko Ek Par Hazrat Ali R.D Ko Or Ek Par Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D Ko Haakim Banaya. Fir Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un Ko Sawar Kiya Or Khud Paidal Chalte Hue Nasihat Karte Ja Rahe The Or Farmaya K Ab Tumhara Guzar Meri Qabar Par Se Hoga. Ye Sun Kar Hazrat Muaaz Rone Lage.


SAWAL # 125

Wo Kon Sahabi Hai Jin K Islam Lane Ki Wajah Se Mushrikin In Ko Angare Par Dalte The Yaha Tak K In Ki Charbi Or Khun Se Wo Aag Bujhti Thi Hazrat Umar Faruq R.D. Ne Jab In Ki Kamar Ko Dekha To Farmaya Aaj Tak Mene Kisi Ki Aisi Kamar Nahi Dekhi ?
1. Hazrat Khabbab Ibne Aratt R.D.

2. Hazrat Miqdad R.D.

3. Hazrat Bilal Habshi R.D.

4. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Khabbab Ibne Aratt R.D


SAWAL # 126

Bani Quraiza K Yahudiyo K Khilaf Faisla Karne Wale Sahabi Kon The?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi )


SAWAL # 127

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Konse Chacha Hai Jo Aap K Razai ( Doodh Sharik ) Bhai Bhi Hai ?
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Hamza R.D.

3. Abu Talib

4. Abu Lahab

Sahih Jawab # 2. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

Hazrat Hamza Ki Valida Or Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Validah Dono Chachazad Behne Thi.

Or Jab Abdul Muttalib Ne Apne Farzand Abdullah Ka Paigam Aamenah Se Diya To Khud Abdul Muttalib Ne Apna Paigam Bhi Aamenah Ki Chachazad Bahan Se Diya Or Dono Nikah Bap Bete K Ek Hi Majlis Me Padhe Gae. Is Nikah Se Abdul Muttalib Ki 4 Awlad Hui.

3 Ladke ( Hamza , Muqawwim Or Hajil ) Or 1 Ladki ( Safiya ) Hui. ( Is Me Or Bhi Aqwal Hai )


SAWAL # 128

Wo Konse Sahabi Hai Jin Ki Umar Bahot Tawil Hui ? 250 Sal Ya Us Se Bhi Zayadah Hui ?
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

2. Hazrat Salman Farsi R.D.

3. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Salman Farsi R.D.


SAWAL # 129

Wo Kon Sahabi Hai Jo Islam Lane Se Pehle Naz Va Nemat Me Pale Or Islam Lane K Bad Faqr Va Faqe Shru Hue Magar Sabit Qadam Rahe Yaha Tak K Shaheed Ho Gae ?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.

3. Hazrat Ammar Bin Yaseer R.D.

4. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.


SAWAL # 130

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Azvaj E Mutahharat Me Se Konsi Zavajah ( Ahliyah, Bivi ) Hazrat Khalid Bin Valid R.D. Ki Khala Hoti Hai ?
1. Hazrat Umme Salma R.D.

2. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

3. Hazrat Khadija R.D.

4. Hazrat Maymuna R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Maymuna R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 131

Gazwa E Uhad Me Jab Tir Andazo Ne Pahad Se Apni Jagah Chhod Di To Pichhe Se Hamla Karne Wale Kon Sahabi The Jo Us Waqt Tak Musalman Nahi Hue The?
1. Hazrat Abu Sufyan R.D.

2. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.

3. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.

4. Hazrat Amr Ibne Aas R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.


SAWAL # 132

Wo Kon Sahabi Hai Jo Gazwa E Uhad Me Shaeed Ho Gae To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Un K Bete Se Farmaya K Allah Ta’Ala Kisi Se Bil Mushafah ( Direct ) Guftagu Nahi Karte Magar Tumhare Valid Se Ki ?
1. Hazrat Amir Hamza R.D.

2. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.

3. Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Hizam R.D.

4. Hazrat Amr Ibne Jumuh R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Hizam R.D.

Ye Hazrat Jabir R.D. K Valid Hai.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 133

Ye Hadis Jo Aksar Logo Ko Yad Hai ===> Innamal Aamalu Bin Niyyat. ======= Is Hadis K Rivayat Karne Wale Sahabi Kon Hai ?
Sahih Jawab : Amirul Muminin Hazrat Umar Faruq R.D.

Ye Rivayat Bukhari Sharif Me Hai. Or Pehli Hi Rivayat Hai. Or Imam Bukhari R.A. Ne Apni Kitab Me 7 Martaba Bayan Ki Hai.

⭕ Hazrat Imam Bukhari R.A. Farmate Hai K Hame Ye Hadis Bayan Ki Hazrat Humaidi Ne.

⭕ Hazrat Humaidi Ne Ye Rivayat Suni Hazrat Sufiyan Ibne Uyaynah Se.

⭕ Hazrat Sufiyan Ibne Uyaynah Ne Ye Rivayat Suni Hazrat Yahya Ibne Saeed Ansari Se.

⭕ Hazrat Yahya Ibne Saeed Ansari Ne Ye Rivayat Suni Muhammad Ibne Ibrahim Taimi Se.

⭕Hazrat Ibrahim Taimi Ne Ye Rivayat Suni Hazrat Alqamah Ibne Waqqas Laysi Se.

⭕ Hazrat Alqamah Ibne Waqqas Laysi Ne Ye Rivayat Suni Hazrat Amirul Muminin Umar Ibne Khattab R.D. Se Minbar Par

⭕ Amirul Muminin Hazrat Umar Faruq R.D. Ne Ye Rivayat Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam Se.


SAWAL # 134

Wo Konse Sahabi Hai Jin Ko Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Yahudiyo Ki Suryani Zuban Sikhne Ko Kaha Tha Or Unhone Chand Dino Me Hi Sikh Li Thi ?
1. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

2. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

3. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zaid Ibne Abde Rabbihi R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Yahudion Ke Paas Jo Khutut (Letter) Bhejna Hote The Wo Yahud Hi Likhte The,

Is Par Huzur S.A.W. Ko Itminan Na Tha Ke Kahin Wo Garbad Na Kar Dete Ho,

Is Liye Huzur S.A.W. Ne Hz. Zaid Ibne Saabit Rd. Ko Unki Zuban Sikhne Ka Kaha Aur Aap Rd. Sirf 15 Dinon Me Unki Zubam Ibrani Me Kaamil Ho Gaye The.

(F.Aamal, Baab-11 Bachchon Ka Deenee Jazba)

(Al Bidaay, Pg-19)

(Zakhira E Malumat-2)


SAWAL # 135

Katibe Wahi Konse Sahabi Mashoor Hai ?
1. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

2. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

3. Hazrat Saeed Bin Zaid R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Zaid Ibne Abde Rabbihi R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Zaid Bin Saabit Ansari Raziyallahu Ta’Ala Anhu

Baaqi Ke Jo 3 Option Hai Unme Se Kisi Sahabi Ke Paas Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Khuda Ki Wahi Nahi Likhwayi.

Hz. Zaid Bin Saabit Rd. Ke Alawa Aur Bhi 8 Sahaba Rd. The Jo Wahi Likhte The..

Lekin

Hz. Zaid Bin Saabit Rd. Se Huzur S.A.W. Ne Aksar Aur Aakhir Tak Wahi Likhwayi.

(Zakhira E Malumat-1)

(Hayatul Haiwan-1, Pg-79)


SAWAL # 136

Wo Kon Sahabi Hai Jo Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Se Baiyat Hone K Liye Hazir Hue To Apna Haath Khinch Liya To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Kya Bat Hai ? Unhone Kaha Ek Shart Hai K Mere Sare Gunah Muaaf Ho Jae To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Tumhe Pata Nahi Islam Lane Se Gunah Muaaf Ho Jate Hai.
1. Hazrat Abbas R.D.

2. Hazrat Amr Ibne Aas R.D.

3. Hazrat Abu Sufyan R.D.

4. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Amr Ibne Aas R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 137

Wo Konse Sahabi Hai Jinhone Apni 9 Bahno Ki Tarbiyat K Khatir Kunwari Ladki Se Shadi Nahi Ki Thi ?
1. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

2. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

3. Hazrat Ubada Bin Samit R.D.

4. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.


SAWAL # 138

Wo Konse Sahabi Hai Jin K Ilm Va Fazl Me Kamal Ki Wajah Se Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D. Ne Un K Ghode Ki Rikab Pakad Li Thi ?
1. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

2. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.

3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Zaid Bin Saabit R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 139

Wo Konse Sahabi Hai Jo Gazwa E Tabuk Me Apni Sawari K Pichhe Reh Jane Ki Wajah Se Sawari Se Utar Kar Paidal Chalne Lage The To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tha Tanha Chalte Ho Maut Bhi Tanha Aaegi Waha Koi Na Hoga ?
1. Hazrat Abu Hurairah R.D.

2. Hazrat Abu Darda R.D.

3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.

4. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.


SAWAL # 140

Wo Konse Sahabi Hai Jo Apni Qom K Sardar The Or Masjide Nabvi Me Haazir Hue Masjid Bhari Hui Thi To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Apni Chadar Bichha Di To Unhone Sine Se Laga Di.
1. Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D.

2. Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D.

3. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.

4. Hazrat Jafar Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D.

Ye Apni Qom K Sardar The. Or Akhir Me Islam Lae Hai. Or Bahot Khubsurat The. Is Liye Hazrat Umar Faruq R.D. In Ko Is Ummat Ka Yusuf Kehte The.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 141

Wo Konse Sahabi Hai Jo Ghode Sawari Se Waqif Nahi The To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Se Dua Ki Darkhast Ki To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Dua Ki Jis Ki Barkat Se Wo Mahir Sawar Ho Gae.
1. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

2. Hazrat Miqdad R.D.

3. Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D.

4. Hazrat Abu Talha R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 142

Wo Konsi Sahabiyah Hai Jin K 7 Bete The Or Tamam Gazwa E Badr Me Sharik Hue The. ?
1. Hazrat Umme Sulaim R.D.

2. Hazrat Afra R.D.

3. Hazrat Asma Binte Umais R.D.

4. Hazrat Umme Haani R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Afra R.D.


SAWAL # 143

Jin Navjawan Ladko Ne Abu Jahal Ko Qatal Kiya Tha Wo Kis Sahabi K Baazu Me Khade The ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

2. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.

3. Hazrat Umar Faruq R.D.

4. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abdur Rahman Bin Auf R.D.


SAWAL # 144

Gazwa E Badr Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Liye Chappar Kis Sahabi K Mashwere Se Tyyar Kiya Gaya Tha ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.

3. Hazrat Sa’ad Bin Ubada R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.


SAWAL # 145

Gazwa E Badr Me Ek Kafir Ubaida Bin Saeed Ko Kis Sahabi Ne Neza Mar Kar Qatl Kiya Tha ?
1. Hazrat Umar Faruq R.D

2. Hazrat Hamza R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.


SAWAL # 146

Gazwa E Uhad Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne 50 Teer Andazo Par Kis Sahabi Ko Amir Banaya Tha?
1. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

2. Hazrat Abdullah Ibne Jubair R.D.

3. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abdullah Ibne Jubair R.D.


SAWAL # 147

Gazwa E Uhad Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Kis Sahabi Ko Teer Dete Jate The Or Unho Ne Kai Kamane Tod Di.
1. Hazrat Abu Darda R.D.

2. Hazrat Abu Dujana R.D.

3. Hazrat Abu Talha R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Talha R.D.


SAWAL # 148

Wo Kon Sahabi Hai Jo Per Se Maazur The Or Gazwa E Uhad Me Sharik Hue Or Shadat Paai.
1. Hazrat Anas Bin Nazr R.D.

2. Hazrat Sa’ad Bin Rabe’e R.D.

3. Hazrat Mus’Ab Ibne Umair R.D.

4. Hazrat Amr Ibne Jumuh R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Amr Ibne Jumuh R.D.


SAWAL # 149

Umme Salit R.D. Kis Sahabi Ki Validah Ka Name Hai ?
1. Hazrat Abu Talha R.D.

2. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.

3. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

4. Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Saeed Khudri R.D.

Umme Salit R.D. In Ki Validh Hai. Gazwa E Uhad Me Sahaba Ko Paani Pilaya Karti Thi.


SAWAL # 150

Wo Konse Sahabi Hai Jo Gazwa E Uhad Me Muslmano K Hath Hi Shaheed Ho Gae The ?
Sahih Jawab : Hazrat Yaman R.D. Jo Hazrat Huzaifa R.D K Valid Hai.

Jab Dono Taraf Se Barabar Jang Shuru Hui To Be Khabari Me Hazrat Yaman R.D. Musalmano K Hatho Se Hi Shaheed Ho Gae.


SAWAL # 151

Khatib Ul Anbiya ( Tamam Anbiya Me Sab Se Behtar Muqarrir ) Kon Se Nabi Ka Laqab Hai ?
1. Hazrat Moosa A.S.

2. Hazrat Suhaib A.S.

3. Hazrat Isa A.S.

4. Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 2. Hazrat Shoaib A.S.


SAWAL # 152

Shabe Me’raj Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Mulaqat Chothe Aasman Par Kis Nabi Se Hui ?
1. Hazrat Yusuf A.S.

2. Hazrat Haroon A.S.

3. Hazrat Idris A.S.

4. Hazrat Yahya A.S.

Sahih Jawab # Hazrat Idris A.S.

Seerat E Khatim Ul Anbiya.


SAWAL # 153

Wo Konse Nabi Hai Jin Ko Allah Ta’Ala Ne 100 Sal Murda Rakhne K Bad Dobara Zinda Kiya ?
1. Hazrat Al Yasa A.S.

2. Hazrat Yusha Bin Noon A.S.

3. Hazrat Idris A.S.

4. Hazrat Uzair A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Uzair A.S.


SAWAL # 154

Wo Konse Nabi Hai Jin Ka Guzar Ek Basti Par Se Huwa Jo Hazaro Ki Tadad Me Murda Pade The Fir In Ho Ne Dua Ki To Allah Ta’Ala Ne Un Ko Zinda Farmaya ?
1. Hazrat Isa A.S.

2. Hazrat Al Yasa A.S.

3. Hazrat Zul Kifl A.S.

4. Hazrat Hizqil A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Hizqil A.S.


SAWAL # 155

Wo Konse Nabi Hai Jinhone Apna Ja Nashin Muqarrar Karne K Liye 3 Sharte Rakhi Thi ? Wo Sharte Kya Thi ? Kis Nabi Me Paai Gayi ?
Sahih Jawab : Hazrat Al Yasa A.S.

Jab In Ki Vafat Ka Waqt Qarib Hua To Inho Ne Qaum Ko Jama Kar K Farmaya K Me Apna Janashin Aise Aadmi Ko Banaunga Jis Me Ye 3. Shart Ho.

1Raat Me Allah Ki Ibadat Me Masroof Rehta Ho.

2. Deen Me Roza Rakhta Ho.

3. Kabhi Gussa Na Karta Ho.

Ye Sun Kar Ek Navjawan Khada Howa Jis Par Garibi K Aasar The. Logo Ne Us Ko Mamooli Samjha. Hazrat Al Yasa A.S. Ne Us Se Puchha K Kya Tum Me Ye Sharte Paai Jati Hai ? Us Ne Kaha Ji. Magar Us Din Fesla Nahi Kiya. Dusre Deen Bhi Hazrat Al Yasa A.S. Ne Qaum Ko Jama Kiya Or Yahi Baat Ki. Fir Wahi Navjawan Khada Huwa. Aap Ne Fesla Nahi Kiya. Tisre Deen Bhi Hazrat Al Yasa A.S. Ne Qaum Ko Jama Kar K Yahi Bat Kahi Fir Wahi Navjawan Khada Huwa. To Aap Ne Us Ko Apna Ja Nashin Muqarrar Kar Diya.

Ye Navjawan Jis Me 3 Sharte Paai Gayi Wo Hazrat Zul Kifl A.S. The.

Maariful Quran/6


SAWAL # 156

Wo Konse Nabi Hai Jo Hazrat Shoaib A.S. K Damad Hai ?
1. Hazrat Isa A.S.

2. Hazrat Moosa A.S.

3. Hazrat Aiyub A.S.

4. Hazrat Dawood A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Moosa A.S.


SAWAL # 157

Qatura Kis Nabi Ki Bivi Ka Name Hai ?
1. Hazrat Ismail A.S.

2. Hazrat Ishaq A.S.

3. Hazrat Ibrahim A.S.

4. Hazrat Yaqub A.S.

ahih Jawab # 3. Hazrat Ibrahim A.S.

Baaz Mufassirin Ne Ye Bat Naqal Ki Hai K Hazrat Ibrahim A.S. Ki 8 Biviya Thi. Jin Me Se Rk Bivi Ka Naam Qatura Tha.


SAWAL # 158

Hazrat Moosa A.S. Jab Hazrat Khizar A.S. Ki Khidmat Me Gae To Sath Me Rafiqe Safar Kon Tha ?
1. Hazrat Haroon A.S.

2. Hazrat Yoosha Ibne Noon A.S.

3. Aap Ki Ahliya

4. Koi Nahi. Akele Gae The.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Yoosha Ibne Noon A.S.


SAWAL # 159

Jab Ahle Jannat Jannat Me Or Ahle Jahnnam Jahnnam Me Pahonch Jaenge Or Us Waqt Maut Ko Dunbe Ki Shakal Me Laya Jaega To Us Dunbe Ko Kon Nabi Zubah Karenge ?
1. Hazrat Ibrahim A.S.

2. Hazrat Ismail A.S.

3. Hazrat Yahya A.S

4. Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # Hazrat Yahya A.S.

Ye Azaz In Ko Is Liye Diya Jaega K Rahe Khuda Me In Ko Badi Be Dardi Se Shaheed Kiya Gaya Tha.


SAWAL # 160

Hazrat Nooh A.S. Ka Asli Naam Kya Hai ?
Hazrat Nooh A.S. K Asli Naam Me Ulma K Mukhtalilf Aqwal Hai.

1. Abdulgaffar

2. Yashkur

(Savi-3 Para-18, Hashiya Jalalain )

3. Abdul Jabbar

(Hayatul Haiwan-1, Page-71)

4. Idris

(Hayate Aadam Az Moulvi Muhammad Miya Sahab )

5. Shakir

6. Sakan

Maariful Quran / 3


SAWAL # 161

Naap Tol Me Kami Karna Kis Nabi Ki Qaum Ki Aadat Thi ?
1. Hazrat Saleh A.S.

2. Hazrat Shoaib A.S.

3. Hazrat Hood A.S.

4. Hazrat Loot A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Shoaib A.S.


SAWAL # 162

Kis Nabi Ki Qaum Ko Un K Bure Aamal Ki Wajah Se Aasman Par Le Ja Kar Upar Se Patak Diya Gaya ?
1. Hazrat Hood A.S.

2. Hazrat Saleh A.S.

3. Hazrat Shoaib A.S.

4. Hazrat Loot A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Loot A.S.


SAWAL # 163

Hazrat Aadam A.S. Ne Apni Umar Me Se 40 Saal Kis Nabi Ko De Diye The ?
1. Hazrat Yaqub A.S.

2. Hazrat Ilyas A.S.

3. Hazrat Zakriyah A.S.

4. Hazrat Aiyub A.S.

Sahih Jawab Hazrat Dawood A.S.

Aaj Ka Jawab Options Me Nahi Hai.

Tirmizi


SAWAL # 164

Ba’l Naami Boot Ki Ibadat Kis Nabi Ki Qaum Karti Thi ?
1. Hazrat Ibrahim A.S.

2. Hazrat Ilyas A.S.

2. Hazrat Zakriyah A.S.

4. Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ilyas A.S.

Quran E Karim – Sure Saffat


SAWAL # 165

Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Jab Hajjatul Vida’A Me Vadi E Azraq Pahonche To Kis Nabi K Mutalliq Farmaya K Meri Aankho K Samne Un K Hajj Ka Manzar Hai K Wo Apne Kano Me Ungliya Dakhil Kar K Labbaik Padhte Hue Ja Rahe The ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Ibrahim A.S.

3. Hazrat Nooh A.S.

4. Hazrat Moosa A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Moosa A.S.

Fazail E Aamal / Fazail E Hajj


SAWAL # 166

Wo Kis Nabi Ki Qaum Hai Jin Par Angaare Barsae Gae ?
1. Hazrat Shoaib A.S.

2. Hazrat Hood A.S.

3. Hazrat Saleh A.S.

4. Hazrat Moosa A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Shoaib A.S.


SAWAL # 167

Madina Munawwarah Me Jo Yahud Aabad The Wo Kis Nabi Ki Nasal K The ?
1. Hazrat Moosa A.S.

2. Hazrat Sulaiman A.S.

3. Hazrat Zakriyah A.S.

4. Hazrat Haroon A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Haroon A.S.

Maariful Quran / 8


SAWAL # 168

Wo Konse Nabi Hai Jin Ko Aare Se Chir Diya Gaya ?
1. Hazrat Yahya A.S.

2. Hazrat Zakriyah A.S.

3. Hazrat Uzair A.S.

4. Hazrat Al Yasa A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Zakriyah A.S.


SAWAL # 169

Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Par Pehli Vahi Aai Or Aap Ghabra Kar Ghar Aae Hazrat Khadija Aap Ko Varaqah Bin Nawfal K Pass Le Gayi To Varaqah Ne Aap Se Farmaya Ye To Vo Farishta Jo Un Nabi K Pass Bhi Aata Tha Varaqah Ne Kis Nabi Ka Name Liya ?
1. Hazrat Ibrahim A.S.

2. Hazrat Dawood A.S.

3. Hazrat Isa A.S.

4. Hazrat Moosa A.S.

Sahih Jawab # Hazrat Moosa A.S.

Bukhari Sharif


SAWAL # 170

Jaloot Ko Kis Nabi Ne Qatal Kiya Tha ?
1. Hazrat Sulaiman A.S.

2. Hazrat Zakriyah A.S.

3. Hazrat Dawood A.S.

4. Hazrat Saleh A.S.

Sahih Jawab # 3. Quran E Karim – Paara – 2


SAWAL # 171

Ninawa Naami Basti Me Kis Nabi Ko Hidayat K Liye Bheja Gaya ?
1. Hazrat Yunus A.S.

2. Hazrat Aiyub A.S.

3. Hazrat Yusuf A.S.

4. Hazrat Dawood A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Yunus A.S.


SAWAL # 172

Kis Nabi Ki Qaum Qayamat K Deen Apne Rab Se Kahegi Hamare Pass Koi Dawat Le Kar Nahi Aaya Or Wo Nabi Kahenge Me Ne Dawat Pahoncha Di Thi To Ummat E Muhmadiyyah Un K Haq Me Gawahi Denge. Wo Nabi Kon Hai ?
1. Hazrat Ibrahim A.S.2. Hazrat Nooh A.S.3. Hazrat Hood A.S.4. Hazrat Loot A.SSahih Jawab # 2. Hazrat Nooh A.S.

SAWAL # 173

Qalam Ki Ijaad Karne Wale Nabi Kon Hai ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Shis A.S.

3. Hazrat Idris A.S.

4. Hazrat Nooh A.S.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Idris A.S.

Zakhira E Maloomat


SAWAL # 174

Hibat Ul Lah ( Allah Ka Ata Kiya Huwa ) Kis Nabi Ka Laqab Hai ?
1. Hazrat Ismail A.S.

2. Hazrat Shis A.S.

3. Hazrat Idris A.S.

3. Hazrat Ishaq A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Shis A.S.

Jab Qabil Ne Habil Ko Qatl Kar Diya To Haq Ta’Ala Ne Hazrat Aadam A.S. Ko Ye Basharat Di K Ham Aap Ko Is K Badle Ek Farzand Ata Farmaaenge. To Hazrat Shis A.S. Ki Viladat Hui.

Zakhira E Maloomat


SAWAL # 175

Sab Se Pehle Hathiyar Bana Kar Dushmano Se Muqabla Kis Nabi Ne Kiya ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Ibrahim A.S.

3. Hazrat Saleh A.S.

4. Hazrat Idris A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Idris A.S.

Zakhira E Maloomat


SAWAL # 176

Wo Konse Nabi Hai Jinhone Huzur Sallalahu Alayhi Wasallam K Zariye Shab E Me’Raj Me Is Ummat Ko Salam Bheja ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Ibrahim A.S.

3. Hazrat Moosa A.S.

4. Hazrat Isa A.S.

Sahih Jawab #2 Hazrat Ibrahim A.S.

Mishkat Sharif


SAWAL # 177

Balya Kis Nabi Ka Name Hai ?
Sahih Jawab : Hazrat Khizar A.S.

Asal Me Khazir Hai. Or Is K Maana Sar Sabz Va Shadabi. Khazir Isi Liye Kaha Gaya K Aap Jaha Bethte Waha Sar Sabz Va Shadabi Ho Jati Thi.


SAWAL # 178

Sahib E Hoot Kis Nabi Ka Laqab Hai ?
1. Hazrat Aiyub A.S.

2. Hazrat Yunus A.S.

3. Hazrat Dawood A.S.

4. Hazrat Sulaiman A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Yunus A.S.

Hoot Arbi Zuban Me Machhli Ko Kehte Hai.


SAWAL # 179

Imran Kis Nabi K Valid Ka Name Hai ?
1. Hazrat Zakriyah A.S.

2. Hazrat Moosa A.S.

3. Hazrat Aiyub A.S.

4. Hazrat Haroon A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Moosa A.S & 4. Hazrat Haroon A.S.


SAWAL # 180

Kin Kin Nabi Ne Shadi Nahi Ki ?
Sahih Jawab

1. Hazrat Isa A.S. Chunke Un Par Dushmano Ka Khof Tha. Shahar Shahar Un Ko Jana Padta Tha Is Wajh Se Unho Ne Shadi Nahi Ki. Qayamat Se Pehle Jab Aaenge Tab Shadi Karenge.

2. Hazrat Yahya A.S. Baaz Rivayat Me Hai K Unho Ne Shadi Ki Thi. Albtta Khofe Khuda Ka Itna Galba Rehta Is Wajah Se Talaq De Di Thi.


SAWAL # 181

Shabe Me’Raj Me Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Nabi Ko Un Ki Qabar Me Namaz Padhta Huwa Dekha?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Ibrahim A.S

3. Hazrat Moosa A.S.

4. Hazrat Yaqub A.S.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Moosa A.S.

Seerat Ul Musufa / 1


SAWAL # 182

Kis Nabi Ne Zalim Badshah K Khilaf Fatwa Diya Tha K Ye Ladki Jo Badshah Ki Bivi K Pehle Shohar Se Hai Ye Tere Liye Jaeez Nahi Hai.
1. Hazrat Yahya A.S.

2. Hazrat Zakriyah A.S.

3. Hazrat Isa A.S.

4. Hazrat Dawood A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Yahya A.S.

Al Jawahir Ul Zawahir


SAWAL # 183

Uhad Pahad K Nazdik Kis Nabi Ki Qabar Hai ?
1. Hazrat Saleh A.S.

2. Hazrat Hood A.S.

3. Hazrat Haroon A.S.

4. Kisi Ki Nahi.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Haroon A.S.

Seerat E Khatim Ul Anbiya


SAWAL # 184

Sab Se Pehle Zohar Ki Namaz Kis Nabi Ne Padhi ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Nooh A.S.

3. Hazrat Ibrahim A.S

4. Hazrat Musa A.S

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ibrahim A.S.

Jab Haq Ta’Ala Ne Hazrat Ismail A.S. K Fidye Me Jannat Se Mendha Bheja Tha To Us K Shukrane Me Hazrat Ibrahim A.S. Ne 4 Rakaat Namaz Padhi Thi Or Wo Waqt Zohar Ka Tha.

Ad Durrul Mandud /2


SAWAL # 185

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Zavajah Hazrat Safiyah R.D. Kis Nabi Ki Nasal Se Thi ?
1. Hazrat Musa A.S.

2. Hazrat Aiyub A.S.

3. Hazrat Dawood A.S.

4. Hazrat Haroon A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Haroon A.S.

Hazrat Safiyah R.D. Hazrat Haroon A.S. Ki Beti Hazrat Moosa A.S. Ki Bhatiji Or Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Zavajah Hai.

Maariful Hadis / 4


SAWAL # 186

Kis Nabi Ki Bivi Ko Un K Khusar ( Sasur ) Ne Jab Wo Mulaqat K Liye Aae The To Ye Kaha K Tumhare Shohar Ghar Aae To Kehna Apne Makan Ki Chokhat Badal Do
1. Hazrat Ibrahim A.S

2. Hazrat Ismail A.S.

3. Hazrat Ishaq A.S.

4. Hazrat Yaqub A.S.

Sahih Jawab #2 Hazrat Ismail A.S.

Hazrat Ibrahim A.S Ek Martaba Milne K Liye Aae The Us Waqt Hazrat Ismail A.S. Makan Par Nahi Thi. Bivi Ne Apne Khusar ( Sasur ) Ko Pehchana Nahi Or Un Ki Mehman Nawazi Nahi Ki. Us K Akhlaq Achhe Nahi The Is Liye Hazrat Ibrahim A.S. Ne Un Se Kaha K Tumhare Shohar Ghar Aae To Kehna Apne Makan Ki Chokhat Badal Do.

Jab Hazrat Ismail A.S. Makan Par Aae To Bivi Ne Kaha Koi Budha Aaya Tha Or Aisa Kaha K Tumhare Shohar Ghar Aae To Kehna Apne Makan Ki Chokhat Badal Do. Hazrat Ismail A.S. Ne Farmaya K Wo Mere Valid The Or Tum Ko Talaq Dene Ka Keh Gae. Jao Me Tum Ko Talaq Deta Hoo.

Fie Asp Ne Dusri Shadi Ki. Ittefaq Se Hazrat Ibrahim A.S. Mulaqat K Liye Aae To Hazrat Ismail A.S. Makan Par Nahi The. Bivi Ne Isteqbal Kiya Mahman Nawazi Ki. To Kaha Jab Tumhare Shohar Ghar Aae To Kehna Apni Chokhat Baqi Rakhe.

Jab Hazrat Ismail A.S. Makan Par Aae To Bivi Ne Kaha Koi Budha Aaya Tha Or Aisa Kaha K Tumhare Shohar Ghar Aae To Kehna Apne Makan Ki Chokhat Baqi Rakhe. Hazrat Ismail A.S. Ne Farmaya K Wo Mere Valid The. Aisa Kaha K Me Tum Ko Nikah Me Baqi Rakhoo.

Aisa Is Liye Karwaya Gae K Bani Ismail Me Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam Aane Wale Hai To Us Ka Asar Aap Me Na Aae.

Anwar E Manasik


SAWAL # 187

Kis Nabi Ki Qaum Ne Apne Nabi Se Kaha K Tum Or Tumhara Rab Ja Kar Ladte Raho Dushmano Se Ham Yaha Bethte Hai.
1. Hazrat Dawood A.S.

2. Hazrat Zakriyah A.S.

3. Hazrat Ibrahim A.S.

4. Hazrat Moosa A.S

Sahih Jawab # 4. Hazrat Moosa A.S.

Quran E Karim Paara # / 6 , Sur E Maaidah


SAWAL # 188

Kis Nabi Ki Qaum Ne Apne Nabi Se Aasman Se Dastarkhawan Nazil Karne Ki Darkhast Ki Thi ?
1. Hazrat Musa A.S.

2. Hazrat Isa A.S.

3. Hazrat Loot A.S.

4. Hazrat Saleh A.S.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Isa A.S.

Quran E Karim – Paara / 7 Sure Maaidah.

Balke Maaidah K Ma’Na Hi Dastarkhawan K Hote Hai.


SAWAL # 189

Untni Ka Mo’Jiza Kis Nabi Ko Diya Gaya ?
1. Hazrat Hood A.S.

2. Hazrat Shoaib A.S.

3. Hazrat Loot A.S.

4. Hazrat Saleh A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Saleh A.S.

Quran E Karim Paara # / 8


SAWAL # 190

Kis Nabi Ki Qaum Par Tez Hawa Ka Azab Aaya ?
1. Hazrat Hood A.S

2. Hazrat Loot A.S.

3. Hazrat Shoaib A.S.

4. Hazrat Saleh A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Hood A.S.

Quran E Karim , Qasas Ul Quran , Hidayat K Chir


SAWAL # 191

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Ek Khawab Dekha Jis Me Ye Bhi Dekha K Kuch Chhote Bachhe Hai Jin Ko Ek Sahab Khel Lagate The To Wo Kon The ?
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Nooh A.S.

3. Hazrat Ibrahim A.S

4. Hazrat Yaqub A.S.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ibrahim A.S.

Mishkat Sharif


SAWAL # 192

Abu Zayfan Kis Nabi Ka Laqab Hai ?
1. Hazrat Ibrahim A.S

2. Hazrat Moosa A.S.

3. Hazrat Isa A.S.

4. Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 1. Hazrat Ibrahim A.S

Abu Zayfan K Ma’Na Mahman Nawazo K Abba Yaani Bade Mahman Nawaz.

Mashale Raah


SAWAL # 193

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Nabi K Mutalliq Farmaya K Mujhe Un Par Fazilat Mat Do.
1. Hazrat Aadam A.S.

2. Hazrat Ibrahim A.S.

3. Hazrat Yunus A.S.

4. Hazrat Yaqub A.S.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Yunus A.S.

Qasas Ul Quran

Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ka Ye Farman Ba Tor Tawazo K Tha.


SAWAL # 194

Sab Se Pehle Magrib Ki Namaz Kis Nabi Ne Padhi ?
1. Hazrat Dawood A.S

2. Hazrat Aiyub A.S.

3. Hazrat Yunus A.S.

4. Hazrat Musa A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Dawood A.S.

Al Durrul Mandood Jild / 2.

Baaz Logo Ne Hazrat Yaqub A.S K Mutalliq Kaha Hai K Unhone Sab Se Pehle Magrib Ki Namaz Padhi.

Taqrir E Haqqani.


SAWAL # 195

Zuban Me Luknat Kis Nabi Ko Aa Gai Thi ?
1. Hazrat Aiyub A.S.

2. Hazrat Dawood A.S

3. Hazrat Isa A.S.

4. Hazrat Moosa A.S.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Moosa A.S

Firaun K Yaha Jalta Angara Munh Me Rakhne Ki Wajah Se Aap Ki Zuban Me Luknat Aa Gayi Thi.

Maariful Quran


SAWAL # 196

Sab Se Pehle Isha Ki Namaz Kis Nabi Ne Padhi?
1. Hazrat Musa A.S.

2. Hazrat Isa A.S.

3. Hazrat Haroon A.S.

4. Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam.

Sahih Jawab ⤵

Aksar Ulama Ne Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Mutalliq Likha Hai K Sab Se Pehle Isha Ki Namaz Aap Ne Padhi.

Al Durrul Mandood Jild / 2

Baz Ulama Ne Likha Hai K Sab Se Pehle Isha Ki Namaz Hazrat Moosa A.S. Ne Padhi Hai.

Taqrir E Haqqani


SAWAL # 197

Hazrat Loot A.S. Ki Kis Nabi Se Rishtedari Hai ?
1. Hazrat Ibrahim A.S

2. Hazrat Hood A.S.

3. Hazrat Nooh A.S.

4. Hazrat Saleh A.S.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Ibrahim A.S.

Hazrat Loot A.S. Hazrat Ibrahim A.S K Bhatije Hote Hai.

Hidayat K Chirag


SAWAL # 198

Wo Konse Nabi Hai Jin Ko Allah Ta’Ala Ne Aisi Awaaz Ata Farmayi Thi Ka Us Ka Asar Na Sirf Insano Par Balke Dusri Makhluq Par Bhi Hota Tha.
1. Hazrat Aadam A.S

2. Hazrat Ibrahim A.S

3. Hazrat Dawood A.S

4. Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 3. Hazrat Dawood A.S

Hidayat K Chirag


SAWAL # 199

Hazrat Maryam Ki Rishtedari Kin Se Nahi ?
1. Hazrat Zakriyah A.S

2. Hazrat Yahya A.S.

3. Hazrat Isa A.S.

4. In Me Se Koi Nahi.

Sahih Jawab # In Me Se Koi Nahi.

Hazrat Maryam Ki Rishtedari Tino Se Hai. Hazrat Zakriyah A.S. Un K Khaloo Hazrat Yahya A.S. Khalazad Bhai Or Hazrat Isa A.S Un K Farzand Hai.

Hidayat K Chirag


SAWAL # 200

” Kya Subah Qarib Nahi ” Ye Jumla Kis Nabi K Waqeah Me Hai ?
Sahih Jawab : Hazrat Loot A.S.

Quran E Karim – Sure Hood – Para – 12

No comments:

Post a Comment