Sawal 201-300
SAWAL # 201
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Seerat E Tayyibah Ki 10 Kitabo K Naam Un K Musannif ( Wtiter ) K Naam K Sath Bataliye.
1Zaad Ul Ma’Aad  Allamah Ibne Qaiyyim R.A.
2. Seerat E Halabiyah  Shaikh Ali Ibne Burahanuddin Halabi R.A.
3. Aaftab E Nubuvvat  Hakim Ul Islam Hazrat Qari Muhammad Tayyab Sb R.A.
4. Seerat Ul Mustufa  Maulana Muhammed Idris Sahab Kandhlwi R.A.
5. Seerat E Khatim Ul Anbiya  Mufti Muhammad Shafi Usmani Sb R.A
6. Rahmat Ul Lil Aalamin  Qazi Sulaiman Salman Mansoor Puri R.A.
7. Asah Us Siyar  Hakim Abul Barkaat Abdul Raoof Daana Puri R.A.
8. An Nabi Yul Khatim  Maulana Manazir Ahsan Gilani R.A.
9. Al Seerat Un Nabviyyah  Shaikh Abu Muhammad Abdul Malik Bin Hisham R.A.
10. Seerat E Saiyed Ul Bashar Allamah Muhibbuddin Ahmed Bin Abdullah Tabri Shafaee R.A.
11. Seeart Un Nabi  Allamah Shibli Nomani R.A.
12. Rahmat E Aalam  Allamah Saiyed Sulaiman Nadvi R.A.
13. Nabi E Rahmat  Mufakkir E Islam Saiyed Abul Hasan Ali Miya Nadvi R.A.
14. Madarij Un Nubuvvat  Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi R.A.
15. Nashr Ut Tib Fi Zikrin Nabiyyil Habib  Hakim Ul Ummat Hazrat Thanvi R.A.
16. Haadi E Aalam  Maulana Vali Raazi Usmani ( Ye Seerat Par Ajib Kitab Hai K Is Me Aise Alfaz Istemal Kiye Gae Jis Me 1 Bhi Nuqta Nahi. Is K Musannif Maulana Vali Raazi Usmani Sb Hazrat Mufti Taqi Usmani Sb K Bade Bhai Hai. )
17. Seerat E Sarvar E Kaunain  Hazrat Maulana Aashiq Ilahi Muhajir Madni R.A.
18. Uswa E Rasul E Akram Dr Abdul Hai Aarifi R.A.
19. Seerat E Paak  Maulana Muhammed Aslam Sahab Qasmi D.B.
20. Muhammad E Arbi  Maulana Muhammed Inayatullah Subhani.
 Sallalahu Alayhi Wasallam.
SAWAL # 202
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Viladat Kab Hui ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taarikh E Viladat Me 2 Maqam Par Ikhtelaf Hai.
1. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Viladat Kis Mahine Me Hui ?
To Is Silsile Me Aksar Ulama Ki Raai Ye Hai K Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Viladat Rabi Ul Awwal Me Hui. ( Seerat Ul Musufa , Seerat Un Nabi , Qasas Ul Quran ) Allamah Ibne Jawzi Ne Is Par Ulama Ka Ittefaq Naqal Kiya Hai.
Is K Alawa Safar , Rabi Us Sani , Rajab , Ramzan K Aqwal Bhi Naqal Kiye Hai. ( Seerat Ul Musufa Jild / 1 K Hashiye Me Ye Tamam Aqwal Naqal Karne K Bad In Ko Zaeef Qarar Diya Gaya Hai.
2. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Viladat Kis Tarikh Ko Hui ?
To Is Silsile Me Bhi Mukhtalilf Rivayaat Hai. ( 1) 8 Rabi Ul Awwal – Is Qaul Ko Maulana Idris Sahab Kandhlwi R.A Ne Seerat Ul Musufa Jild / 1 Me Bayan Kiya Hai. ( 2 ) 9 Rabi Ul Awwal – Is Qaul Ko Allamah Shibli Nomani R.A Ne Seerat Un Nabi, Jild / 1 Me Bayan Kiya Hai. Maulana Hifzur Rahman Sb Ne Qasas Ul Quran Me Farmaya K Isi Qaul Ko Aksar Ulma E Taatikh V Hadis Ne Sahih Qarar Diya Hai. ( 3 ) 12 Rabi Ul Awwal – Ye Qaul Awam Me Mashoor Hai.
Is K Alawa 2, 10, Rabi Ul Awwal Ka Qaul Bhi Hai Jaisa K Mufti Shafi Usmani Sb R.A Ne Seerat E Khatim Ul Anbiya K Hashiya Me Farmaya Hai. Or Bhi Aqwal Hai.
Sahih Ilm Sirf Allah Ko Hai.
SAWAL # 203
Ibnuz Zabihain ( 2 Zabhah Kiye Hue K Farzand ) Kon Hai ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam.
Aap Ko Ibnuz Zabihain ( 2 Zabah Kiye Hue K Farzand ) Is Liye Kaha Gaya K Ek To Aap K Dada Abdul Muttalib Ne Nazar Maani Thi K Mere 10 Bete Honge To 1 Ko Allah K Raste Me Zabah Karunga. Ittefaq Se 10 Bete Hue Or Qurah Andazi Me Aap K Valid Abdullah Ka Name Nikla Magar Abdullah K Badle 100 Unto Ko Zabh Kiya. To Ek Zabih Abdul Hue.
Dusre Zabih Hazrat Ismail A.S. Hai Jin Ki Tarikh Sab Ko Maloom Hai.
Or Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam In Do# K Farzand Hone Ki Wajah Se Ibnuz Zabihain Kahe Gae.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 204
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Viladat K Waqt Kya Kya Haalat Pesh Aae ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Viladat K Waqt Bahot Se Waqeat Pesh Aae Jin Me Se Kuch Ye Hai.1. Aasman K Sitare Jhuk Aae. Hazrat Usman Bin Abul Aas Ki Validah Farmati Hai K Mujhe Aisa Mahsoos Huwa K Mujh Par Aa Girenge.
2. Aap Ki Validah Ne Aisa Noor Dekha Jis Se Mulke Shaam K Mahal Roshan Ho Gae. Ek Rivayat K Mutabiq Busra K Mahal Roshan Ho Gae.
3. Yahudi Ulama Me Khalbali Mach Gayi K Ab Nubuvvat Bani Israil Se Gayi.
4. Kisra K Mahal Me Zalzala Aaya Jis Se 14 Kungure Gir Gae.
5. Faris K Aatish Kade Ki Wo Aag Jo 1000 Saal Se Musalsal Roshan Thi Wo Bujh Gayi.
6. Daryae Saawa Sukh Gaya.
7. Majusi Ulama Ne Ye Khawab Dekha K Sakht Unt Arbi Ghodo Ko Khinch Kar Le Ja Rahe Hai Or Daryae Dajla Paar Kar K Puri Duniya Me Phel Gae.
8. Abu Lahab Ne Khushi Me Apni Bandi Ko Aazad Kiya.
9. Aap K Hatho Ki Ungliye Band Thi Or Shadat Ki Ungli Se Aasman Ki Janib Ishara Kar Rahe The.
10. Shaitan Mardood Khub Roya.
( Seerat Ul Musufa / 1 , Anwar E Hidayat , Tafseer Anwar Ul Quran Jild / 1 )
Is K Alawah Bhi Bahot Kuch Waqeat Pesh Aae.
SAWAL # 205
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Dada Abdul Muttalib R.D. Ki Kul Kitni Awlad Thi ?
Sahih Jawab : Abdul Muttalib Ki Awlad K Silsile Me Mukhtalilf Aqwal Hai. Baazo Ne 16 Baaz Ne 18 Bhi Kahi Hai.
Asahh Us Siyar , Tabqat E Ibne Sa’ad , Anwar E Nubuvvat.
SAWAL # 206
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Dada Abdul Muttalib Ne Kitni Shadi Ki Thi ? Or Har Ek Se Kitni Awlad Hui ?
Sahih Jawab : Abdul Muttalib Ne Mukhtalilf Nikah Kiye Or Kitni Awlad Hui Is Silsile Me Bhi Mukhtalilf Rivayaat Hai. Un Tamam Ko Samne Rakh Kar Ye Zahir Hota Hai K Aap Ne Kul ( 6 ) Nikah Kiye.
1. Safiya Binte Junaidib : Is Se Sirf 1 Ladka Haris Paida Huwa.
2. Fatima Binte Amr : Is Se Kul 4 Ladke (Abdullah , Abde Manaaf Yaani Abu Talib , Abdul Ka’Bah Or Zubair ) Or 5 Ladkiya ( Umme Hakim Bayza , Arwa , Umaima , Aateqah Or Barrah ) Hui.
3. Lubna Binte Hajir : Is Se 1 Ladka ( Abu Lahab ) Huwa.
4. Haala Binte Vuhaib : In Se 4 Ladke ( Muqawwim , Khajil Ya Hajil , Mugairah Or Hamza ) Or 1 Ladki ( Safiyah ) Hui.
5. Nutailah Binte Janaab : Is Se 3 Ladke ( Abbas , Zarar , Qasm ) Hue.
6. Muneemah Binte Amr : Is Se 2 Ladke ( Gaydaq Or Mus’ab ) Hue.
Rahmat Ul Lil Aalamin , Tabqat E Ibne Sa’ad , Al Bidayah Van Nihayah , Ash Us Siyar
 Note : Yahi Sahih Hai Ye Zaruri Nahi. Sahih Ilm Sirf Allah Ko Hai.
SAWAL # 207
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Naana Or Naani Ka Name Kya Tha ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam K Naana Ka Name Vahab Bin Abde Manaaf Or Naani Ka Name Barrah Binte Abdul Uzza Tha
Kutub E Seerat
SAWAL # 208
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Dada K Dada Abde Manaaf Ki Kul Kitni Awlad Thi ? Un K Name Kya Kya The ? Un Mese Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Kis Ki Awlad Me Hue ? Or Dusro Ki Awlad Me Koi Sahabi Hua Ho To Un K Naam 2/3 Batlaiye.
Sahih Jawab : Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Dada Abdul Muttalib K Dada Abde Manaaf K 4 Ladke The.
1. Abde Shams : In Ki Awlad Me Hazrat Usman Bin Affan R.D. , Hazrat Abu Sufyan R.D. Hazrat Muaviyah Bin Abi Sufiyan R.D. Mashoor Hue.
2. Nawfal : In Ki Awlad Me Hazrat Jubair Ibne Muteem R.D. Mashoor Hue.
3. Muttalib : In Ki Awlad Me Hazrat Mistah Ibne Asasah R.D. Mashoor Hue. Hazrat Imam Shafaee R.A. Bhi In Hi Ki Awlad Me Se Hai.
4. Hashim : In Ki Awlad Me Khud Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Or Sahaba Me Se Hazrat Ubaida Bin Haris R.D. , Hazrat Ali R.D , Hazrat Abbas R.D. , Hazrat Hamza R.D Mashoor Hai.
Anwar E Nubuvvat
SAWAL # 209
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Valid Abdullah Ka Inteqal Kab Huwa ? Kaha Huwa ? Kitni Umar Me Huwa ? Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar Kitni Thi ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Valid Abdullah Tijarat K Maqsad Se Mulke Shaam Tashrif Le Gae. Raste Me Bimar Hone Ki Wajah Se Apni Nanihal Madina Munawwarah Me Rook Gae. Ek Mahina Bimar Rehne K Baad Wahi Inteqal Ho Gya.
Us Waqt Abdullah Ki Umar ( 18 Ya 25 Ya 28 Ya 30 ) Saal Thi.
Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Apni Valida Mohtarama K Pet Me The.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 210
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Validah Ka Inteqal Kab Huwa ? Kaha Huwa ? Kitni Umar Me Huwa? Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar Kitni Thi ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Validah Ka Inteqal Madeena Munawwarah Se Vapsi Par Maqam Abwa Me Huwa.
Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar 6 Saal Thi.
Or Us Waqt Hazrat Aamenah Ki Umar Kitni Thi ? Is Ki Koi Wazahat Mili Nahi.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 211
Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Valid Ne Miraas Me Kya Chhoda ?
Sahih Jawab : Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Valid Abdullah Ne Miraas Me 5 Unt Chand Bakriya Or Ek Bandi Umme Aimab Ko Chhoda.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 212
Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Par Dada Kon The ? Or Un Ka Nikah Kin Se Huwa Tha ? Or Par Dada Ki Vafat Kab Or Kaha Hui ? Kitni Umar Me Hui ?
Sahih Jawab : Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Par Dada Hashim The.
Aur Unka Nikah Salma Binte ‘Amr Se Huwa Tha.
Hashim Qafle Ke Sath Gaza Rawaana Huwe Or Gaza Pahunch Kar Hashim Ka Inteqal Hogaya.
Us Waqt Unki Umar (25) Saal Ki Thi.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 213
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Dhudh Pilane Wali Khawateen Kon Kon Thi ?
Sahih Jawab : Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam Ko Dudh Pilane Wali Khawateen 3 Hai.
1. Aap Ki Validah Hazrat Aamenah
2. Abu Lahab Ki Baandi Suvaibah
3. Hazrat Halima Sa’Diya R.D
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 214
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Hazrat Halima Sa’Diya R.D K Jane Ki Wajah Se Kya Kya Barkate Zahir Hui ?
Sahih Jawab : Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Barkat Se Hazrat Halima Radiyallahu Anha Ko Ye Fayde Huwe.
(1) Untiyo Ki Kamzori Dur Ho Gayi Or Raftar Barh Gayi.
(2) Hazrat Halima Ke Dudh Me Izafa Ho Gaya.
(3) Bakriyo Ke Dudh Me Izafa Ho Gaya Or Bakriyein Farba Ho Gayi.
( 4 ) Qahat Saali Door Ho Gayi. Har Taraf Sar Sabz Va Shadabi Chha Gayi.
Seerat E Khatim Ul Anbiya
SAWAL # 215
Aap Sallalahu Alayhi Wasallam K Razaee ( Dudh Sharik ) Bhai Bahan Kon Kon The ?
SAWAL # 216
Hazrat Halima Sa’Diya R.D K Shohar Ka Name Kya Tha ?
Sahih Jawab : Hazrat Halima Sa’Diya R.D K Shohar Yaani Hazrat Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam K Razaee Valid Ka Name Hais Bin Abdul Uzza Tha.
Seerat Ul Musufa Jild / 1
SAWAL # 217
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Sina Mubarak Pehli Martaba Kab Chak Kiya Gaya ? Ye Waqeah Kaha Pesh Aaya ? Or Us Me Kya Hikmat Thi ?
Sahih Jawab :
 Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Sina Mubarak Pehli Martaba 4 Saal Ki Umar Me Huwa.
 Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Hazrat Halima Sa’Diya R.D K Yaha The Or Apne Raazi Bhai K Sath Bakriya Chara Rahe The.
 Us Waqt Aap K Sina Mubarak Ko Chak Kar K Ek Siyah ( Kaala ) Nuqta Jo Insan Me Fitri Tor Pr Gunah Ka Maaddah Hota Hai Wo Nikala Gaya.
 Us Waqt Aap K Sine Ko Baraf Se Dhoya Gaya. Kyu Ki Gunah Ka Maaddah Nikala Gya. Gunah Ki Taasir Garmi Hai Or Baraf Ki Thandi.
( Talkhis Az Seerat Ul Mustufa Jild / 1 )
SAWAL # 218
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Sina Mubarak Dusri Martaba Kab Chak Kiya Gaya? Ye Waqeah Kaha Pesh Aaya? Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar Kitni Thi?
Sahih Jawab :
 Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Sina Mubarak Dusri Martaba Abu Talib Ki Parwarish K Zamane Me Pesh Aaya.
 Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar 10 Sal Ki Thi.
Us Waqt Aap K Sina Mubarak Ko Chak Kar K Dil Ko Aabe Zamzam Se Dhoya Gaya.
 Us Waqt Aap K Qalb Se Lahv V Laeeb ( Khel Kood ) K Maddah Ko Nikal Diya Gaya. Kyu K Khel Kood Insan Ko Allah Se Gafil Karne Wale Hai.
Seerat Ul Mustufa
SAWAL # 219
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Sina Mubarak Tisri Martaba Kab Chak Kiya Gaya? Ye Waqeah Kaha Pesh Aaya? Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar Kitni Thi? Us Me Kya Hikmat Thi ?
Sahih Jawab :
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Sina Mubarak Tisri Martaba Aap Ki Be’sat K Waqt Chak Kiya Gaya.
 Us Waqt Aap Ki Umar 40 Saal Thi.
 Ye Waqeah Gare Hira Me Pesh Aaya.
 Hikmat Ye Thi K Aap Ka Qalb Vahi E Ilahi K Bojh Ko Brdasht Kar Sake.
Talkhis Az Seerat Ul Mustufa.
SAWAL # 220
Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Sina Mubarak Chothi Martaba Kab Chak Kiya Gaya? Ye Waqeah Kaha Pesh Aaya? Or Us Waqt Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Umar Kitni Thi? Us Me Kya Hikmat Thi?
Sahih Jawab : Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Sina Mubarak Chothi Martaba Meraj K Moqe Par Chak Kiya Gaya.
Ye Waqeah Makka Mukarramah Me Pesh Aaya. Jab K Aap Hatim Me Lete Hue The.
Us Waqt Aap Ki Umar Kitni Thi ? Chunke Meraj Ki Sahih Tarikh Me Hi Ikhtelaf Hai To Sahih Umar Bhi Maloom Nahi Ho Sakti.
Is Me Hikmat Ye Thi K Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Aalm E Amsal Ki Chizo Ko Dekh Sake.
Seerat Ul Mustufa
SAWAL # 221
Ahle Arab Ki Aadat Thi Safar K Dauran Sawari Ko Tez Chalane K Liye Khas Qism K Ashar Jin Ko ” Huddi ” Kaha Jata Hai Wo Padhte The Jinhe Sun Kar Unt Be Qabu Ho Jate The. Ek Moqe Par Ek Sahabi Jo Khush Awaz The Huddi Padhne Lage To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Ay………………. Kanch K Bartan ( Yaani Aurto ) Ko Mat Todo. ( Aurte Aisi Awaz Se Jald Mutassar Ho Jati Hai. )
Ab Batlaiye K Wo Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Arfajah R.D.
2. Hazrat Hanzala R.D.
3. Hazrat Anjasha R.D.
4. In Me Se Koi Nahi.
Agar Jawab # 4 Ho To Un Ka Name Bataliye.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Anjasha R.D.
SAWAL # 222
Quran E Karim Ne Roze Ka Waqt Subhe Sadiq Se Gurub Tak Ko Ek Misal Se Bayan Kiya ” Yaha Tak K Tumhare Liye Zahir Ho Jae Sufed Lakir Siyah Lakir Se ” Sufed Lakir Se Subah Ki Roshni Or Siyah Lakir Se Raat Ki Tariki Murad Hai.
Magar Ek Sahabi Ne Sufed Or Siyah Dhaage ( Dore ) Le Kar Takiye K Niche Rakh Liye. Subha Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir Hue Or Kaha Mujhe To Kuch Faraq Nahi Laga. Huzur Sallalahu Alayhi Wasallam Ko Bhi Hansi Aayi Or Farmaya K Is Se Dhage Nahi Balke Subah Or Rat Murad Hai.
Ab Batliye K Wo Sahabi Kon The ?
1. Hazrat Adi Bin Hatim R.D.
2. Hazrat Aqra Bin Habis R.D.
3. Hazrat Abu Umamah Bahili R.D.
4. Hazrat Irbaz Ibne Sariyah R.D.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Adi Bin Hatim R.D
SAWAL # 223
Jab Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Fathe Makkah K Liye Azim Lashkar Le Kar Rawana Hue To Mushrikin E Makkah Ne Apne 3 Chalaak Sardaro Ko Bheja Tha Tahqiq K Liye Or Wo Qaid Kar Liye Gae The Ab Batlaiye K Niche Diye Options Me Se Un 3 Me Se Kon Nahi Hai?
1. Hazrat Abu Sufyan R.D.
2. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.
3. Hazrat Budail Bin Waraqa R.D.
4. Hazrat Hakim Bin Hizam R.D.
 Sahih Jawab # : 2 Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.
Kashful Baari ( Kitab Ul Magazi Jild / 8 )
SAWAL # 224
Hazrat Umar R.D Ki Ek Martaba Bahar Nikle To Dekha Ek Sahabi Nabi E Karim Sallalahu Alayhi Wasallam K Roze Aqdas K Qarib Beth Kar Ro Rahe Hai Puchha Kya Bat Hai ? To Unhone Jawab Diya K Mujhe Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki 3 Nasihate Yaad Rahi Hai Wo Nasihat Sun Kar Hazrat Umar R.D Bhi Rone Lage.
Ab Batlaiye K Wo Sahabi Kon The ?1. Hazrat Zubair Ibne Awwam R.D.
2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
3. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
4. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Muaaz Ibne Jabal R.D.
SAWAL # 225
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Dada Abdul Muttalib K Dada Abde Manaaf K 4 Ladke The. Un Me Se Hazrat Mistah Ibne Asasah R.D. ( Jo Hazrat Aaysha R.D. Par Tohmat Lagane Me Sharik Ho Gae The. Badri Sahabi Hai ) Kin Ki Awlad Me Hai ?
1. Abde Shams
2. Nawfal
3. Muttalib
4. Hashim
Sahih Jawab # 3. Muttalib.
Mistah Bin Asasah Bin Abbad Bin Muttalib.
Anwar E Nubuvvat.
SAWAL # 226
Fathe Makka K Bad Jab Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Hunain Ki Janib Rawana Hue To Makkah K Naye Muslma# Ki Talim Wa Tarbiyat K Liye Aap Ne Kis Sahabi Ko Muqarrar Farmaya ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D
3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
4. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
Maariful Quran
SAWAL # 227
Ek Martaba Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Or Hazrat Abu Bakar R.D. Or Hazrat Umar R.D Bhuk Ki Shiddat Ki Wajah Se Ek Sahabi K Yaha Gae Or Wo Apne Makan Par Nahi The. Fir Wo Aae Pehle Angur Ka Khosha Pesh Kiya Fir Chhuri Le To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Dudh Wali Bakri Mat Zubah Karna
To Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ki Dawat Karne Wale Sahabi Kon The ?
Sahih Jawab : Hazrat Abul Haisam R.D.
Aaj Ka Jawab Pura Sawal Padhne K Bad Dena Chahiye.
SAWAL # 228
Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis K Liye Bad Dua Farmayi Thi K Ay Allah Tu Is Par Apne Kutton Me Se Koi Kutta Musallat Farma De.
1. Abu Lahab
2. Utba Bin Abu Lahab
3. Utaiba Bin Abu Lahab
4. In Me Se Koi Nahi.
 Sahih Jawab # Utaiba Bin Abu Lahab.
Baaz Logo Ne Utba Bin Abu Lahab Likha Hai. Lekin Hafiz Ibne Hajar Asqalani R.A. Ne Farmaya K Sahih Ye Hai K Ye Bad Dua Utaiba K Liye Di Thi. Utba K Mutalliq Likha Hai K Fathe Makkah K Bad Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Abbas R.D. Se Puchha K Tumhare Bhatije Utba Or Mutab Kaha He ? Hazrat Abbas R.D. Ne Kaha K Wo To Makkah Chhod Kar Arfat Chale Gae. Fir Hazrat Abbas R.D. Un Ko Le Kar Aae To Utba Or Mutab Muslman Ho Gae Or Gazwa E Hunain Me Sharik Bhi Hue.
Tafseer Anwar Ul Bayan Jild / 9
SAWAL # 229
Aap Sallalahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi K Mutalliq Farmaya K Wo Bahot Achha Aadmi Hai Agar Wo Qayam Ul Layl ( Yaani Tahjjud Ki Namaz ) Padha Kare.
1. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D
SAWAL # 230
Kis Sahabi Ka Laqab Masjid Ka Kabutar Padh Gaya Tha ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.
Sahih Jawab # Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.
Kasrat Se Masjid Me Rehne Se Ye Laqab Padha Tha.
Hayatus Sahaba.
SAWAL # 231
Jab Huzure Pak Sallallahu Alyhi Wasallam Hijrat Farma Kar Madina Munawwarah Tashrif Le Gae To Us Waqt Hazrat Abdullah Ibne Salam Aap Ki Khidmat Me Hazir Hue The Or Aap Sahaba Ko Nasihate Farma Rahe The. Abdullah Ibne Salam Ne Sab Se Pehle Ye 4 Nasihte Suni.
1. Salaam Ko Phelao
2. Bhuko Ko Khilao
3. Raat Me Jab Log So Rahe Ho Us Waqt Namaz Padho
4. ?
Sahih Jawab : Sila Rahmi Karna Yaani Rishta Nata Jodna.
Mishkat Sharif
SAWAL # 232
Ek Moqe Par Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Beshak Dilon Ko Bhi Zang Lagta Hai Jesa K Paani Ki Wajah Se Lohe Ko Zang Lagta Hai. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Us Ka Ilaj 2 Chize Batlayi. Ek To Kasrat Se Maut Ko Yad Karna Dusra Kya ???????
1. Istigfar Karna.
2. Sadqat Dena.
3. Quran Ki Tilawat Karna.
4. Halal Mal Khana.
Sahih Jawab : # 3. Quran Ki Tilawat Karna.
Mishkat Sharif
SAWAL # 233
Ek Moqe Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallan Ne Farmaya 7 Halak Karne Wale Gunahon Se Bacho. Ab Batlaiye K Un 7 Me Se Konsa Gunah Aap Ne Zikr Nahi Kiya ?
1. Sahar ( Jadu ) Karna
2. Sood Khana
3. Kisi Ko Nahaq Qatl Karna
4. Zina Karna
Sahih Jawab # 4. Zina Karna.
Wo 7 Gunah Ye Hai.
1- Shirk Karna
2- Sahar ( Jadu ) Karna
3- Kisi Ko Na Haq Qatl Karna
4- Sood Khana
5- Yatim Ka Mal Khana
6- Maidan E Jang Se Bhag Jana
7- Musalman Pak Daman Aurat Par Zina Ki Tohmat Lagana
Mishkat Sharif
SAWAL # 234
Wo Konsa Kalma Hai Jis Ko Hadis Me 99 Bimariyo Ki Dawa ( Shifa ) Kaha Gaya. Jis Me Adna Bimari Hamm ( Yaani Gam ) Hai.
1. Subhanallahi Wa Bi Hamdihi Subhanallahil Azim.
2. La Hawla Wala Quwwata Illa Bil Lahil Aliyyil Azim.
3. Astagfirullah Rabbi Min Kulli Zanbiv Va Atubu Ilayh.
4. La Ilaha Illa Anta Subhanak Inni Kuntu Mina Zalimin.
Sahih Jawab # 2. La Hawla Wala Quwwata Illa Bil Lahil Aliyyil Azim.
Mishkat Sharif
SAWAL # 235
4 Chize Tamam Nabiyo Ki Sunnat Hai.
1. Nikah Karna
2. Miswak Karna
3. Khushbu Lagana
4. 
Sahih Jawab : Haya ( Sharm ) Baz Rivayaat Me Khatna Ka Zikr Hai.
Mishkat Sharif
SAWAL # 236
Wo Konsi Surat Hai Us Jaisi Surat Na Tawrat Me Hai Na Injil Me Na Zabur Me Na Khud Quran Me.
1. Sure Fatiha
2. Sure Yasin
3. Sure Yusuf
4. Sure Rahman
Sahih Jawab # 1. Sure Fatiha..
Tirmizi Sharif.
SAWAL # 237
Wo Konsa Gunah Hai Jis Ko Hadis Me Zina Se Sakht Batlaya Gaya Hai.
1. Gibat
2. Chugli
3. Hasad
4. Sood
Sahih Jawab # 1. & 4. Ek Rivayat Me Gibat Ko Zina Se Sakht Kaha Gaya.
الغيبةاشد من الزنا
Or Ek Rivayat Me Sood K Adna Dirham Istemal Karne Ko 36 Martaba Zina Se Zayadah Sakht Qarar Diya Gaya.
Mishkat Sharif
SAWAL # 238
Wo Konsi Surat Hai Jis K Mutalliq Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Jis Ghar Me Padhi Jati Hai Shaytan Waha Se Bhag Jata Hai.
1. Sure Yaasin
2. Sure Jinn
3. Sure Falaq & Sure Naas
4. Sure Baqarah
Sahih Jawab # 4. Sure Baqarah.
Mishkat Sharif
SAWAL # 239
Allah Ta’Ala Ne Aasman Wa Zamin Ki Takhliq Se Pehle Farishton Ko 2 Surten Sunai Thi. Ek Sure Yasin Dusri Konsi ??
1. Sure Rahman
2. Sure Taha
3. Sure Yusuf
4. Sure Kahaf
Sahih Jawab # 2. Sure Taha
Mishkat Sharif
SAWAL # 240
Ek Martaba Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Fajar Ki Namaz Padhayi Or Aap Padhte Padhte Atakne Lage To Aap Ne Namaz Se Faarig Hone K Bad Farmaya K Logo Ka Kya Hal Hai K Achhi Tarah Wuzu Nahi Karte.
To Aap Ne Us Namaz Me Konsi Surat Padhi Thi Jis Me Aap Atakne Lage The ?
Aaj Koi Options Nahi. Tahqiq Kar K Apne Ilm K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab Sure Room
Al Durrul Mandood.
SAWAL # 241
Wo Konsa Gunah Hai Jis K Bare Me Hadis Me Farmaya Gaya K Qayamat Se Pehle Log Us Se Nahi To Us K Dhunwe Se Nahi Bach Sakenge.
1. Sood
2. Rishwat
3. Hasad
4. Qatl E Nahaq
Sahih Jawab # 1. Sood.
Ibne Maja Sharif
SAWAL # 242
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Guzar 2 Qabar Par Se Huwa. Aap Ne Farmaya In Ko Azab Ho Raha Hai.Ek Ko Peshab K Qatraat Se Na Bachne Ki Wajah Se Or Dusre Ka Gunah Kya Tha ?…………….
1. Hasad
2. Gibat
3. Chugli
4. Bohtan
Sahih Jawab # 3. Chugli.
Abu Dawood Sharif
SAWAL # 243
Wo Konsa Gunah Hai Jis Ki Badbu Se Farishta Ek Mile Door Bhag Jata Hai.
1. Gibat
2. Bohtaan
3. Juth
4. Gali Dena
Sahih Jawab # 3. Juth.
Tirmizi Sharif
SAWAL # 244
Hadis Sharif Me Farmaya K Qayamat Se Pehle Haraj Badh Jaega. Sahaba Ne Puchha Haraj Kya Hai ? Aap Ne Farmaya …………….
1. Sahar ( Jadu )
2. Qatl E Nahaq
3. Khayanat
4. Zina
Sahih Jawab # 2. Qatl E Nahaq
Muslim Sharif
SAWAL # 245
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kin 2 Sahaabi K Bare Me Farmaya K Wo Jannat Me Mere Padosi Honge ?
Do Sahabi K Name Honge To Hi Jawab Sahih Hoga.
Sahih Jawab
1. Hazrat Talha R.D.
2. Hazrat Zubair R.D.
Maariful Hadis / 4
SAWAL # 246
Quran E Karim Ki 2 Surten Qayamat Deen Saaye Ki Shakal Me Aaegi Or Padhne Wale Par Saaya Karegi. Ek Sure Baqarah. Dusri Konsi ?
1. Sure Aale Imran
2. Sure Yasin
3. Sure Rahman
4. Sure Kahaf
Sahih Jawab # 1. Sure Aale Imran
Mishkat Sharif
SAWAL # 247
Ek Sahabi Hai Jo Basrah K Rehne Wale The. Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Apne Sathiyo K Sath Hazir Hue. Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Un Ko Namaz Sikhayi Or Hukam Diya Jao Apne Qabile Walo Ko Namaz Sikhao.
Wo Sahabi Kon Hai ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apne Ilm K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab : Hazrat Maalik Ibne Huvairis R.D.
Baz Ulama Ne In Ka Naam Maalik Ibne Huvairisah Or Baaz Ne Maalik Ibne Haris Likha Hai.
Usdul Gaaba.
SAWAL # 248
Ek Sahabi Ne Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Wasallam Se Puchha K Quran Ki Azim Soorat Konsi ? Aap Ne Farmaya ………………..
1. Sure Taha
2. Sure Yasin
3. Sure Fatiha
4. Sure Ikhlas
Sahih Jawab # 4. Sure Ikhlas
Mishkat Sharif
SAWAL # 249
Azwaj E Mutahharat Me Se Konsi Zawjah Ko Ye Sharf Hasil Hai K Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Un K Nandoi ( Nanand K Shohar ) Bhi Hai Or Shohar Bhi ?
Pura Jawab Samjhaiye Soch Samjh Kar.
Sahih Jawab : Hazrat Umme Habiba R.D.
Hazrat Umme Habiba R.D. Ka Nikah Pehle Ubaidullah Bin Jahash Se Huwa Tha. Fir Do# Ne Habsha Ki Taraf Hijrat Ki. Waha Ubaidullah Bin Jahash Nasrani Ho Kar Mar Gaya.
Ubaidullah Bin Jahash Ki Bahan Hai Ummul Muminin Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.
Is Etebar Se Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Hazrat Umme Habiba R.D. Ki Nanand Hui. Or Hazrat Zainab Binte Jahash R.D. Ne Hazrat Zaidbin Harisa Se Talaq Lene K Bad Nikah Kiya Nabie Karim Sallallahu Alayhi Wasallam Se To Huzur Nandoi Hue.
Fir Ubaidullah Bin Jahash K Marne K Bad Umme Habiba R.D. Ne Nikah Kiya Huzur Se. To Huzur Shohar Ho Gae.
SAWAL # 250
Ek Martaba Raat Me Kisi Khatre Ki Wajah Se Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Nind Nahi Aa Rahi Thi To Aap Ne Tamnna Ki K Koi Nek Saleh Aadmi Aa Jae Hifazat K Liye To Me So Saku. Itne Me Ek Sahabi Aae. To Unho Ne Chokidari Ki Or Aap So Gae.
Wo Sahabi Kon The ???
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apne Ilm K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab – Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
Al Durrul Mandood
SAWAL # 251
Wo Konsa Gunah Hai Jis Me 70 Gunah Hai. Adna Gunah Apni Maa Se Badkari K Barabar Hai.
1. Sharab Pina
2. Sood
3. Hasad
4. Gibat
Sahih Jawab # 2. Sood.
Mishkat Sharif
SAWAL # 252
Wo Konsa Gunah Hai Jis K Bare Me Hadis Me Farmaya K Wo Shaitaan K Zahirle Teero Me Se Hai Jo Kabhi Khata Nahi Karta.
1. Bad Nazri
2. Hasad
3. Gibat
4. Chugli
Sahih Jawab # 1. Bad Nazri
Mishkat Sharif
SAWAL # 253
Wo Konse Sahabi Hai Jin K Islam Lane Ki Wajah Se Naraz Ho Kar Un Ki Validah Ne Khana Pina Chhod Diya Tha.?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.
2. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.
3. Hazrat Sa’ad Bin Malik R.D.
4. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
Anwar E Hidayat
SAWAL # 254
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Quran E Karim In 4 Se Sikho. Ab Batlaiye K In 4 Me Niche Diye Hue Options Me Se Kon Nahi Hai.
1. Hazrat Ubai Bin Ka’Ab R.D.
2. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
3. Hazrat Salim Mawla Huzaifa R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Mas’Ood R.D.
5. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
Sahih Jawab # 5. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
Maariful Hadis
SAWAL # 255
A. Ek Sahabi Hai Jin Se Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Allah Ne Mujhe Hukam Diya K Me Tumhara Quran Sunu. Wo Khushi Se Rone Lage K Allah Ne Mera Name Liya ? Huzur Ne Farmaya K Ji Ha Allah Ne Tumhara Name Liya.
B. Ek Dusre Sahabi Hai Jin Se Huzur Ne Farmaya K Me Chahta Hoo K Tumhara Quran Sunu. Unho Ne Kaha Me Aap Ko Quran Sunau Jab K Aap Par Quran Nazil Huwa. Aap Ne Farmaya K Me Kisi Dusre Ka Quran Sunna Chahta Hoo.
Ab Batliye K A. Wale Sahabi Kon Hai ? Or B. Wale Sahabi Kon Hai ?
A. Or B. Wale Sahabi Ne Huzur Ko Is Farmayish Par Kon Kon Si Surat Sunai ?
Sahih Jawab
A. Hazrat Ubai Bin Ka’Ab R.D.
B. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
A. Yaani Hazrat Ubai Bin Ka’Ab R.D. Ne Sure Bayyina ( Para 30 ) Or B. Yaani Hazrat Abdullah Ibnemasood R.D. Ne Sure Nisa ( Para 4 ) Sunai.
Mishkat Sharif
SAWAL # 256
Sab Se Pehle Mukammal Konsi Surat Nazil Hui ?
1. Sure Iqra
2. Sure Qalam ( Noon Wal Qalam )
3. Sure Muzzammmil
4. Sure Muddassir
5. In Me Se Koi Nahi
Sahih Jawab # 5. In Me Se Koi Nahi.
Sab Se Pehle Mukammal Surat Sure Fatiha Nazil Hui Hai.
Aaj Aksar Ko Galat Fahmi Hui Or Jawab Sure Iqra Diya. Yaad Rahe K Sure Iqra Sab Se Pehle Mukammal Nazil Nahi Hui Us Ki To Sirf 5 Aayte Sab Se Pehle Nazil Hui Hai.
SAWAL # 257
Wo Konsi Zawjah Hai Jin Ko Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam Ne 1 Talaq Di Thi Fir Ruju Kar Liya Tha.
1. Hazrat Umme Salma R.D.
2. Hazrat Hafsa R.D.
3. Hazrat Juveriyah R.D.
4. Hazrat Maimunah R.D.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Hafsa R.D.
Maariful Hadis/4
SAWAL # 258
Hazrat Abu Zar Gifari R.D. Se Rivayat Hai K Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya 3 Aadmi Aise Hai K Allah Ta’Ala Qayamat K Din Na Un Se Bat Karenge Or Na Un Ki Taraf Rahmat Ki Nazar Farmaenge Or Na Gunaho Se Un Ko Paak Karenge Or Un K Liye Dardnak Azab Hoga.
Hazrat Abi Zar Gifari R.D. Ne Jab Ye Suna To Kaha Halak Or Barbad Ho Gae. Kon Hai Ye Log ?
Aap Ne Farmaya ( 1 ) Apni Izar Takh# K Niche Latkane Wala ( 2 ) Ahsan Kar K Jatlnae Wala.
Ab Batlayie K Tisra Kon Hai ?
1. Sharab K Nashe Me Hamesha Mast Rehne Wala
2. Naap Tol Me Kami Karne Wala
3. Qaum K Mal Me Khayanat Karne Wala
4. Apna Saamaan Juthi Qasam Kha Kar Bechne Wala.
Sahih Jawab # 4. Apna Saamaan Juthi Qasam Kha Kar Bechne Wala
Mishkat Sharif
SAWAL # 259
Wo Konsa Gunah Hai Jis K Bare Me Hadis Sharif Me Ye Waeed Bayan Ki Gayi K Allah Ta’Ala Use Qayamat K Din Jaw K Dane Denge Or Us Me Girah ( Ganth ) Lagane Ka Hukam Denge.
1. Juthi Qasam Khane Wala
2. Juth Bol Kar Apna Saamaan Bechne Wala
3. Jutha Khawab Bayan Karne Wala
4. Juthi Gawahi Dene Wala
Sahih Jawab # 3. Jutha Khawab Bayan Karne Wala
Tirmizi Sharif
SAWAL # 260
Wo Konsa Gunah Hai Jis K Bare Me Hadis Sharif Me Farmaya Gaya K Wo Iman Ko Aise Kharab Karta Hai Jaise Elva ( Ek Kadwi Chiz ) Shahd ( Madh ,Honey )Ko Kharab Kar Deta Hai.
1. Gurur ( Ghamnd ,Takabbur )
2. Gill ( Keena )
3. Gazab ( Gussa )
4. Gibat
Charo Gunah Gain (غ )Se Hai.
Sahih Jawab # 3. Gazab ( Gussa )
Mishkat Sharif
SAWAL # 261
Ek Martaba Hazrat Abu Zar Gifari R.D. Ko Nasihat Karte Hue Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Ay Abu Zar Kya Me Tum Ko Aisi 2 Chize Na Batlau Jo Pusht Par Halki ( Yaani Us Ka Karna Aasan Hai ) Or Mizan (Qayamat K Din Aamal K Wazan Ka Tarazu ) Me Wazni Hai.
Hazrat Abu Zar Ne Arz Kiya Zarur Batlaiye.
Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya (1) Der Tak Khamosh Rehna (2) …………………………….?1. Achhe Aakhlaq
2. Tawazoo
3. Hamesha Sach Bolna
4. Haya ( Sharm ) Ikhtiyar Karna.
Sahih Jawab # 1. Achhe Akhlaq.
Mishkat Sharif
SAWAL # 262
Shabe Me’Raj Me Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Me Dekha Kuch Logo Ko K Un K Pet Bade Kamre ( Room ) Ki Tarah Hai. Or Andar Ki Chiz Nazar Aati Hai. Or Un K Pet Me Saanp Dod Rahe Hai. Puchh Ye Kon Hai ? To Batlaya Gaya K Ye ………………………. Hai.
1. Sharab Pine Wale
2. Yateem Ka Mal Khane Wale
3. Sood Khane Wale
4. Rishwat Khane Wale
Sahih Jawab # 3. Sood Khane Wale
Mishkat Sharif
SAWAL # 263
Ladkiyo Ko Zinda Dafan Karne Se Sab Se Pehle Bachanae Wale Sahabi Kon Hai ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apne Ilm K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab – Hazrat Sa’sah Bin Najiyah.
Nafhatul Arab
SAWAL # 264
Hazrat Abu Hurairah R.D. Se Rivayat Hai K Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya 3 Aadmi Aise Hai K Allah Ta’Ala Qayamat K Din Na Un Se Bat Karenge Or Na Un Ki Taraf Rahmat Ki Nazar Farmaenge Or Na Gunaho Se Un Ko Paak Karenge Or Un K Liye Dardnak Azab Hoga.
Aap Ne Farmaya ( 1 ) Budha Zani ( 2 ) Tangdast ( Muflis , Faqir ) Mutakbbir
Ab Batlayie K Tisra Kon Hai ?
1. Jutha Badshah
2. Juthi Qasam Khane Wala
3. Juthi Gawahi Dene Wala
4. Jutha Wazeer ( Jo Juth Bol Kar Badshah Ko Bahkae )
Sahih Jawab # 1. Jutha Badshah
Mishkat Sharif
SAWAL # 265
Konsi Surat Ko Urus Ul Quran ( Yaani Quran Ki Dulhan ) Kaha Gaya ?
1. Sure Yusuf
2. Sure Taha
3. Sure Yaasin
4. Sure Rahman
Sahih Jawab # 4. Sure Rahman
Mishkat Sharif
SAWAL # 266
Ek Hadis Me Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya 4 Chize Agar Kisi K Pass Ho To Use Duniya Ki Nemato K Faut Hone Ka Gam Nahi Hona Chahiye. ( 1 ) Amanat Ki Hifazat ( 2 ) Baat Ki Sachhai ( 3 ) Achhe Akhlaq ( 4)…………………… ?
1. Pakiza Luqma
2. Fikre Aakhirat
3. Taqwa
4. Tawazoo
Sahih Jawab # 1. Pakiza Luqma
Mishkat Sharif
SAWAL # 267
Ek Martaba Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam Wuzu Farma Rahe The. Sahaba Aap K Wuzu K Bache Hue Paani Par Tut Pade. Aap Ne Puchha Tumhe Is Chizpar Kis Ne Ubhara. Sahaba Ne Arz Kiya Allah Or Rasool Ki Muhabbat Ne. To Aapsallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Jis Ko Ye Bat Khush Kare K Wo Allah Or Rasool Se Muhabbat Karta Hai Ya Allah Or Rasoolus Se Muhabbat Karta Hai To Use Chahiye K
(1) Bat Kare To Sach Kahe
(2) Jab Us K Pass Amanat Rakhi Jae To Use Ada Kare
(3) ……………………………………..
1. Jab Wada Kare To Pura Kare.
2. Apne Padosiyo K Sath Husne Suluk Kare.
3. Apne Walidain Ki Farmabardari Kare.
4. Yatimo Or Miski# K Sath Muhabbat Ka Maamla Kare.
Sahih Jawab # 2. Apne Padosiyo K Sath Husne Suluk Kare
Mishkat Sharif
SAWAL # 268
Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Jibrail Mujhe Barabar ………………………. K Sath Kher Ki Wasiyyat Karte Rahe Yaha Tak K Mujhe Ye Guman Hone Laga K Ab In Ko Bhi Miras Me Hissa Diya Jaega.
1. Bewaon K Sath
2. Yatimo K Sath
3. Padosiyo K Sath
4. Fuqra Or Masakin K Sath
Sahih Jawab # 3. Padosiyo K Sath
Mishkat Sharif
SAWAL # 269
Ek Hadis Me Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K 4 Chize Agar Kisi Ko Mil Gayi To Use Duniya Wa Aakhirat Ki Bhalai Mil Gayi.
(1) Shukr Karne Wala Dil
(2) Zikr Karnewali Zuban
(3) Musibato Par Sabar Karne Wala Badan
(4) ————————————–
1. Rone Wali Aankh
2. Halal Rozi
3. Aakhirat Ki Fikr
4. Nek Bivi Jo Apni Zat Or Shohar K Mal Me Khayanat Na Kare
5. In Me Se Koi Nahi.
Sahih Jawab # 4. Nek Bivi Jo Apni Zat Or Shohar K Mal Me Khayanat Na Kare
Mishkat Sharif
SAWAL # 270
Wo Konsa Kafir Bad Bakht Hai Jis Ko Khud Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Qatl Kiya Tha?
1. Ubai Bin Khalf
2. Aas Bin Waeel
3. Valid Bin Mugirah
4. Aswad Bin Abde Yagus
Sahih Jawab # 1. Ubai Bin Khalf
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 271
Hazrat Nabi E Rahmat Sallallahu Alayhi Wasallam K Alawa Or Kon Se Nabi Hai Jin K Liye Makdi Ne Jaala Tana Tha ?
1. Hazrat Ibrahim Al.
2. Hazrat Dawood Al.
3. Hazrat Moosa Al.
4. Hazrat Zakariyah Al.
5. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Alawa Kisi Ko Ye Khussiyat Hasil Nahi.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Dawood Al.
Hayat Ul Haywan
SAWAL # 272
Sab Se Pehle Muazzin Ki Tankhawah Muqarrar Karne Wale Kon Hai ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab De.
Sahih Jawab – Hazrat Usman Gani R.D.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 273
Sab Se Pehle Subhanllah ( سبحان الله ) Kis Ne Kaha ?
1. Hazrat Jibrail A.S.
2. Hazrat Mikaail A.S.
3. Hazrat Aadam A.S.
4. Hazrat Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Wasallam
Sahih Jawab # 1. Hazrat Jibrail A.S.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 274
Sab Se Pehle Masjid Me Farsh Bichhane Ka Kam Kis Ne Kiya ?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.
2. Hazrat Umar Faruq R.D.
3. Hazrat Usman Gani R.D.
4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
Sahih Jawab # 2. Hazrat Umar Faruq R.D.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 275
Sab Se Pehle Subhana Rabbiyal Aa’La ( سبحان ربي الأعلى ) Kis Ne Kaha ?
1. Hazrat Jibrail A.S.
2. Hazrat Mikail A.S.
3. Hazrat Israfil A.S.
4. Hazrat Izraail A.S.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Israfil Al.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 276
Sab Se Pehle Azan K Liye Minara Kis Ne Banwaya ?
1. Hazrat Umar R.D.
2. Hazrat Usman R.D.
3. Hazrat Ali R.D.
4. Hazrat Amir Muaviyah R.D.
Sahih Jawab # 4. Hazrat Amir Muaviyah R. D.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 277
Jab Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Wasallam Hijrat Farma Kar Madina Munawwarah Tashrif Le Ja Rahe The Or Raste Me Maqam E Johfa Pahonch Kar Ka’Aba Or Apne Vatan Ki Yaad Me Rone Lage The Us Waqt Haq Ta’Ala Ne Konsi Soorat Nazil Farmayi ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apne Ilm K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab -Sure Qasas.
Maarif Ul Quran
SAWAL # 278
Sab Se Pehle Police Muqarrar Karne Wale Kon Hai?
1. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.
2. Hazrat Umar Faruq R.D.
3. Hazrat Usman Gani R.D.
4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R. D.
Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Gani R.D.
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 279
Qayamat K Din Ulama Ka Sardar Kis Sahabi Ko Banaya Jaega ?
1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
3. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
Maarif Ul Hadis
SAWAL # 280
Ummul Muminin Hazrat Aaysha R.D. Par Tohmat Or Us Se Bara’At Ka Waqeah Konsi Surat Me Hai ?
1. Sure Namal
2. Sure Nisa
3. Sure Noor
4. Sure Nahl
Sahih Jawab # 3. Sure Noor
SAWAL # 281
Wo Konsi Surat Hai Jis K Muttaliq Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Mujhe Ye Or Is Jaisi Surton Ne Budha Bana Diya.
1. Sure Dukhan
2. Sure Hood
3. Sure Hijr
4. Sure Bani Israil
Sahih Jawab # 2. Sure Hood
Maarif Ul Quran
SAWAL # 282
Sulhe Hudaibiyah K Moqe Par Konsi Surat Nazil Hui ?
1. Sure Room
2. Sure Fatah
3. Sure Furqan
4. Sure Faatir
Sahih Jawab # 2. Sure Fatah
Maarif Ul Quran
SAWAL # 283
Wo Konsi Sahabiyah Hai Jo Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam K Zamane Me Aurto Ko Gusal Diya Karti Thi ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab – Umme Atiyyah R.D. Jin Ka Name Nusaibah Binte Haris Tha
Zakhira E Maloomat
SAWAL # 284
Niche Diye Gae Options Me Se Kon Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ki Qabar Me Nahi Utre ?
1. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
2. Hazrat Umar R.D.
3. Hazrat Usman R.D.
4. Hazrat Talha R.D.
5. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
Sahih Jawab : Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ki Qabar Me Kul 4 Aadmi Utre. Jin Me Se 3 ( Hazrat Umar R.D. , Hazrat Usman R.D. Or Hazrat Talha R.D.) Me Kisi Ka Ikhtelaf Nahi.
Chothe Kon Hai ? Is Silsile Me Ek Qaul Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D. Ka Hai.
Is Etebar Se Sahih Jawab Me Option # 5. Aaega.
Zakhira E Maloomat
Or Dusra Qaul Hazrat Abdul Rahman Bin Abi Bakr R.D Ka Hai.
Is Etebar Se Sahih Jawab Me 2 Option Aaenge. # 1. & # 5
Ibne Asaakir.
SAWAL # 285
Wo Konse Sahabi Hai Jin K Mutalliq Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tum Shakl Wa Surat Me Or Seerat Mere Mushabeh Ho
1. Hazrat Hamza R.D.
2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
3. Hazrat Ja’Far Bin Abi Talib R.D.
4. Hazrat Abbas R.D.
Jawab Dene Ka Waqt Magrib Tak. Ulama Jawab Na De.
SAWAL # 286
Raaste Me Beth Kar Logon Ko Loot Lena – Ye Jurm Kis Nabi Ki Qaum Me Tha ?
1. Hazrat Moosa A.S.
2. Hazrat Saleh A.S.
3. Hazrat Shuaib A.S.
4. Hazrat Loot A.S.
Sahih Jawab : Logon Ko Lootne Ki Aadat Hazrat Shuaib A.S. Ki Qaum Me Bhi Thi Or Hazrat Loot A.S. Ki Qaum Me Bhi Thi.
Qasas Ul Quran.
SAWAL # 287
Umme Haram Binte Milhan Kis Sahabi Ki Zawajah ( Bivi ) Hai ?
1. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.
2. Hazrat Abu Darda R.D.
3. Hazrat Huzaifa Bin Yaman R.D.
4. Hazrat Ubadah Bin Samit R.D.
Sahih Jawab No4. Hazrat Ubadah Bin Samit R.D.
SAWAL # 288
Hazrat Fatimah R.D. Ki Salat E Janaza Kis Ne Padhayi ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
2. Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D.
3. Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib R.D.
4. In 3 Me Se Koi Nahi. Balke Hazrat ………………………….. R.D. Ne Padhayi.
Sahih Jawab # 1. & 2. & 3
Hazrat Fatima R.D. Ki Salat E Janazah Kis Ne Padhayi? Is Silsile Me Ti# Qaul Hai.
Ek Qaul Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D. Ka Hai.
Ek Qaul Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib R.D. Ka Hai.
Ek Qaul Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ka Hai.
Qayas K Etebar Se Sahih Qaul Hazrat Abu Bakar Ka Maloom Hota Hai. Kyu Ki Bani Hashim Me Ek Tariqa Tha K Un Ki Salat E Janazah Khalifa E Waqt Padhate The. Is Etebar Se Jab Hazrat Fatima R.D. Ka Inteqal Huwa To Khalifa E Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. The.
Baaz Tariqe Se Bhi Is Ki Taeed Hoti Hai. Jis Waqt Hazrat Fatima R.D. Ka Janazah Laya Gaya To Hazrat Ali R.D. Ne Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Se Darkhast Ki K Aap Namaz Padha De. Hazrat Abu Bakar R.D. Nd Farmaya K Aap K Hote Hue ? To Hazrat Ali Ne Kaha Ji Ha. To Fir Hazrat Abu Bakar R.D. Ne Namaz Padhayi.
Kashful Bari :8
SAWAL # 289
Zamzam Paani K Alawah Or Ajwah Khajoor K Alawah – Ye 2 Name Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Or Kis Chiz K Rakhe The ?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq K Mutabiq Jawab Dene Ki Koshish Kare
Sahih Jawab – Zamzam Or Ajwa Ye 2 Name Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apni Bakriyo K Rakhe The.
Shamail E Kubra
SAWAL # 290
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Sab Se Pehle Jumah Ki Namaz Kaha Ada Ki ?
1. Masjid E Quba
2. Masjid E Nabvi
3. Masjid E Khaif
4. In Me Se Koi Nahi. Balke Masjid E …………….. Me Ada Ki.
Sahih Jawab # 4.
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Sab Se Pehle Jumah Bani Salim K Muhlle Me Padhi. Us Masjid K Name
Masjid E Jumuah
Masjid E Bani Salim
Masjid E Vaadi
Masjid E Aatikah
Masjid E Qubaib
Bhi Hai.
Maqalat E Nomani
SAWAL # 291
Hazrat Usman Bin Mazoon R.D. Or Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D. Me Kya Rishtedari Hai ?
1. Chacha – Bhatija
2. Mamu – Bhanja
3. Nisbati Bhai ( Saala ) – Behonoi
4. Do# Ham Zulf ( Saadhu ) Hai.
Sahih Jawab # 2. Mamu – Bhanja.
Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D. Ki Validah Ka Name Zainab Binte Mazoon Tha Jo Hazrat Usman Bin Mazoon R.D. Ki Bahan Thi. Is Etebar Se Hazrat Usman Bin Mazoon R.D. Hazrat Abdullah Ibne Umar R.D. K Mamu Hue.
Maarif Ul Hadis/4
SAWAL # 292
Wo Konse Imam Hai Jo Bachpan Me Nabina Ho Gae The. Fir Un Ki Validah Ne Dua Ki To Haq Ta’Ala Ne Un Ko Binai Ata Farmai.
1. Imam Bukhari R.A.
2. Imam Muslim R.A.
3. Imam Tirmizi R.A.
4. Imam Abu Dawood R.A.
Sahih Jawab # 1. Hazrat Imam Bukharuli R.A.
Zafrul Muhassalin
SAWAL # 293
Mina Me 8 Zilhajjah Ka Din Guzar Kar 9 Zilhajjah Ki Rat Ko Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Par Konsi Soort Nazil Hui ?
1. Sure Zaariyat
2. Sure Aadiyat
3. Sure Saffat
4. Sure Mursalat
Sahih Jawab No4. Sure Mursalat.
Ye Baat To Hazrat Shaikh R.A. Ne Fazail E Hajj Me Zikr Ki Hai. Magar Is Par Sawal Hai K Ye Soorat To Makki Hai. Or Makki Surten Wo Kehlati Hai Jo Hijrat Se Pehle Nazil Ho.Or Madni Soorte Wo Kehlati Hai Jo Hijrat K Bad Nazil Ho Chahe Kisi Bhi Ilaqe Me Nazil Ho. Is Etebar Se Dekha Jae To Ye Surat Madni Honi Chahiye Kyu K Hajjatul Wida K Moqe Par Nazil Hui.
Jab K Mufassirin Ne Is Surat Ko Makki Kaha Hai. Or Ye Surat To Makki Zindagi Me Bhi Bahot Pehle Nazil Hui Hai.
و الله اعلم بالصواب
SAWAL # 294
Ab Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Par Pehli Vahi Nazil Hui Or Aap Ghabrae Hue Makan Par Tashrif Lae Us Waqt Hazrat Khadija R.D. Aap Ko Waraqah Bin Nawfal K Pass Le Gayi. Waraqah Ne Aap Ki Bat Sun Kar Farmaya K Ye To Wahi Farishta Tha Jo Hazrat…………………A.S K Pass Aata Tha.
Ab Batlaiye K Waraqah Ne Kis Nabi Ka Name Liya.
1. Hazrat Moosa A.S.
2. Hazrat Isa A.S.
3. Hazrat Ibrahim A.S.
4. Hazrat Nooh A.S.
Sahih Jawab # 1. & Hazrat Moosa A.S. & 2. Hazrat Isa A.S.
Hazrat Moosa A.S. Ka Name Bukhari Sharif Me Hai. Or Hazrat Isa A.S Ka Name Ibne Hajar Or Allamah Ayni Ne Likha Hai.
Kashful Bari
SAWAL # 295
Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apni Zindagi Me Jab Se Imamt Hazrat Abu Bakar Siddiq R.D. Ko Supurd Ki To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Aakhri Namaz Konsi Padhayi Thi ?
1. Peer Ki Fajar
2. Jumah
3. Jumerat Ki Magrib
4. Itwar Ki Isha
Sahih Jawab # 3. Jumerat Ki Magrib
Asahus Siyar
SAWAL # 296
Zindagi Ki Aakhri Namaz Jis Ki Imamat Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Ki Us Me Kis Soorat Ki Tilwat Farmayi ?
1. Sure Aadiayat & Sure Al Qariah
2. Sure Mursalat
3. Sure Falaq & Sure Naaa
4. Sure Fil & Sure Quraish
Sahih Jawab # 2. Sure Mursalat
Asahus Siyar
SAWAL # 297
Kis Kafir Ki Aadat Thi K Wo Qarib Ul Maut Aadmi K Pass Jata Or Un Se Kehta Tumhara Maal Mere Supurd Karo Me Tumhari Awlad Ki Dekh Bhal Karunga. Log Use Maal De Dete. Jab Wo Mar Jata To Fir Ye Kafir Us Marne Wale K Bachho Ko Dhakke De Kar Nikal Deta.
1. Abu Jahal
2. Valid Bin Mugirah
3. Aas Bin Vaeel
4. Aswad Bin Abde Yagus
Jawab Dene Ka Waqt Magrib Tak. Ulama Jawab Na De.
SAWAL # 298
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam K Umrah Ki Tadad Kitni Hai ?
1. 4
2. 5
3. 6
4. 7
Sahih Jawab # 1. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne 4 Umrah Koye.
Al Durrul Mandood.
SAWAL # 299
Sure Waqiyah ( ي K Sath ) Ye Kis Soorat Ka Dusra Name Hai?
1. Sure Yasin
2. Sure Fatiha
3. Sure Mulk
4. Sure Rahman
Sahih Jawab # 3. Sure Mulk
Maarif Ul Quran
SAWAL # 300
Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Azwaj E Mutahharat Me Se Konsi 2 Zawjah ( Bivi ) Aisi Hai Jo Aapas Me Bahan Bhi Hai.?
Aaj Koi Options Nahi. Sathi Apni Tahqiq Se Jawab Dene Ki Koshish Kare.
Sahih Jawab – Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.D. & Hazrat Maymunah Binte Haaaris R.D.
Ye Do# Ma Sharik Bahan Thi. In Ki Validah Ka Name Hind Tha.
Pehle Nikah Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.D. Se Huwa Tha. Magar Wo 2/3 Mahine Me Hi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam K Nikah Me Reh Kar Vafat Pa Gayi.
Fir San Hijri 7 Me Hazrat Maymunah Binte Haaaris R.D. Ko Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Zawjah Hone Ka Sharf Hasil Hua.
No comments:
Post a Comment