Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, August 2, 2017

Tohfa e Khawateen imaan or Aqaaid

🍃🌸🍃
     ✰══❖═══✰══❖═══
                  ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ.    
     ═══❖══✰═══❖══✰

       🥀 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 🥀
          ▦══─────────────══▦
         *⊙ IMAAN AUR AQAA'ID-*⊙
    ┗═════════════════✿

*┱✿ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu ne bayan farmaya k Ek Din hum Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai bethe hue they k achanak ek Shakhs per nazar padi Jo Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hone ke liye chala aa raha tha ,Uske Kapde bahut zyada safed aur Baal bahut zyada kaale they, Uske haal se safar ke asaar zaahir nahi ho rahe they aur use humme se koi pehchanta ( bhi ) nahi tha ........

┱ Usne sawal kiya :- Ey Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam) mujhe bataiye islam kya hai ?

"__ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- islam ye hai k Tu Laa ilaaha illallahu Muhammadur Rasoolullaah ki gawahi de aur Namaz qaa'im kare aur Zakaat ada kare aur Ramzan ke roze rakhe aur Baitullaah ka Hajj kare ba-Sharte k tujhe waha'n tak pahunchne ki isteta'at ho ,"

┱ Is Jawab ko Sun kar Us Shakhs ne kaha :- Aapne theek farmaya ,

┱ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Hume uski baat per ta'ajjub hua k Sawal bhi karta hai aur fir ese andaaz mai theek batata hai ( jese pehle se jaanta ho ) ,

┱ Fir usne kaha k bataiye imaan kya hai ? Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- imaan ye hai k Tu Allah per imaan laye aur uske Farishto per aur uski Kitaabo per aur uske Rasoolo per aur Akhirat ke  Din per aur Taqdeer per bhali ho ya buri ,"

┱ Jawab Sun kar usne fir  wahi kaha :- Aapne theek farmaya ,

┱ Usne Sawal kiya :- Achchha bataiye Ahsaan Kya hai ?

"__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Ahsaan ye hai k Tu Allah ki is tarah ibaadat kare Jese Tu use dekh raha hai ,So Agar tu use nahi dekh raha hai ( Yani agar tujhe esi quwwate istehzaar haasil nahi hai k Tu ye samjhte hue ibaadat kare k mai'n Allah ko dekh raha hu'n  To kam se kam ye samajh ) bila Shubha Allah mujhe dekh raha hai ,

┱ Fir usne Sawal kiya k Achchha ye bataiye Qayamat kab aayegi ?

"__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sawal karne Wala aur jisse sawal kiya gaya hai dono is bare mai barabar hai'n ( na mujhe maloom hai, na tum waaqif ho ),

┱ Fir usne kaha ,Achchha to uski nishaniya'n bata dijiye ?

"__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ( baaz nishaniya'n ye hai'n ) :- Aurte'n esi Ladkiya'n janengi Jo Apni Maa'n ki sardaar ho aur ek nishani ye hai k Tu nange payr nange badan faqeero aur bakriya'n charane walo ko dekhe k ounche ounche makaan bana kar Aapas mai fakhr kare ,

┱ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k is sawal v jawab ke baad WO Shakhs chala gaya aur mai'n bahut dayr tak ( sawal se ) ruka raha ,Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khud hi sawal farmaya k Ey Umar ! Kya tum jaante ho k ye Saa'il kon tha ?

Maine arz kiya:- Allah aur uska Rasool ( Sallallahu Alaihivasallam ) hi Khoon jaante hai'n ,

Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ye Jibariyl they, is garz se aaye they k ( tumhare Saamne sawal kar ke ) tumhe tumhara Deen sikhaye _,"

ReF✿┅╮
            *Muslim Sharif,*               
┗═════════════════✿

*┱✿ Deene Islam Ke Alawa Allah Ke Nazdeek koi Deen maqbool nahi ,*

┱ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-

"__ Jo Shakhs islam ke alawa Kisi Deen ko akhtyar karega to WO Deen usse hargiz qubool nahi kiya jayega aur WO Akhirat mai ghaata uthane walo mai hoga _,"

ReF✿┅╮
          *Surah Aale Imran ,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,

"__ Qasam hai us zaat ki jiske Qabze mai Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) ki jaan hai ,is Ummat mai se Jis Kisi Shakhs ko mere bare mai ye ilm hoga k Allah ne mujhe Nabi bana kar bheja hai aur WO mujh per imaan laye bager mar jaye to WO zaroor dozakhi hoga chahe WO Yahoodi ho chahe Nasraani ho _,"

ReF✿┅╮
    *Mishkaat ,Muslim ,*

*┱ Tashreeh_* __ Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihivasallam Allah Ta'ala ke Aakhri Nabi hai'n ,Aapke baad koi Nabi nahi aayega ,Jo Shakhs Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad kisi ko Nabi maane WO Kaafir hai ,Chahe kesa hi Islam ka daava kare , Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Allah Ta'ala ne jab se mabous farmaya har mard v Aurat insaan v jinn per Aap Sallallahu Alaihivasallam ki nabuwat per imaan Lana aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue Deen ko maanna Farz ho gaya , Qayamat tak jitne bhi insaan v Jinn honge Aap Sallallahu Alaihivasallam sabke Nabi hai'n aur Sabki taraf Mabous hai'n ,

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Baishat per tamaam Ambiya Alaihissalam ( Jitne bhi Nabi Aapse Pehle guzar chuke ) ki Shariyate mansookh ( Radd ) kar di gayi ,Ab nijaat ka raasta sirf aur Sirf yahi hai k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per imaan laye aur Aapki Shariyat per chale ,
┗═════════════════✿

*┱✿ Imaan Ki Halawat aur Uske Aham Taqaze ,*

┱ Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,Usne Imaan ka maza pa liya Jo Sachche Dil se is baat per Raazi aur Khush hai k Allah Ta'ala ko Apna Rab maanta hai aur Islam ko Apna Deen maanta hai aur Muhammad (Mustafa Sallallahu Alaihivasallam ) ko Apna Rasool maanta hai _,"

ReF✿┅╮
       *Mishkaat , Muslim Sharif,*

┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Teen Cheeze jis Shakhs mai hongi WO unki vajah se Imaan ki mithaas mehsoos karega ,
Avval ye k Allah aur Uska Rasool ( Sallallahu Alaihivasallam ) Sabse zyada Mehboob ho , 
Doosra ye k Jis kisi Bande se muhabbat ho Sirf Allah ke liye ho ,
Teesra ye k Kufr mai waapas Jana usko esa hi nagawaar ho jesa k Aag mai daala Jana nagawaar hai _,"

ReF✿┅╮
       *Mishkaat, Bukhari v Muslim ,*

*┱ Tashreeh_* __ in dono hadeeso mai Momin ki chand khaas buland sifaat batayi gayi hai'n aur irshad farmaya hai k Musalman Aadmi ko Dil ki gehraayi se yaqeen ki sachchai ke saath imaan Lana chahiye ,ESA Imaan Jo Dil mai rach ,bas jaye ,Dil mai Sama jaye , Musalman ke ghar paida hone ki vajah se ya Muslim Ma'ashre mai rehne ki vajah se Apne ko sirf sarsari tor per Musalman na samjhe balki islam ko niyamate Azeem samjhe ,Dil ki gehraayi se qubool kare ,
  ┗═════════════════✿

*┱✿Qayamat aur Taqdeer Per Imaan Lana Farz Hai_*

┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-

"__ Koi Banda Momin nahi ho sakta Jab Tak k Chaar Baato per imaan na laye , Avval is baat ki gawahi de k Allah ke Siva koi ma'abood nahi hai aur mere bare mai gawahi de k mai'n Allah ka Rasool hu'n ,mujhe usne Haq ke saath bheja hai ,
Doosra is baat per imaan laye k marna zaroori hai ,
Teesra Marne ke baad uthne per ,
Chotha Taqdeer per Imaan laye _,"

ReF✿┅╮
          *Mishkaat -22, Tirmizi v ibne maaja,*

*┱Tashreeh _,* __ Is Hadees mai irshad farmaya k Chaar cheezo per imaan na laye to Momin nahi ho sakta ,in me Sabse Avval Toheed v Risalat ki gawahi hai Jo imaniyaat ki Sabse Pehle aur buniyadi cheez hai , number 2 per maut per Imaan Lana aur 3 per Maut ke baad hisaab Kitaab ke liye zinda ho Jane per Imaan Lana bhi farz hai ,

┱Sab log marenge isko to log YU bhi Maan lete hai'n, lekin Marne ke baad zinda hona aur hisaab Kitaab hona isko be-deen nahi maante aur esi be-deeni ki baate ye log Musalman bachcho mai felate rehte hai'n aur kehte Hai'n k mar gaya so mar gaya fir zinda hona aur hisaab Kitaab, jannat dozakh ka wajood unki samajh me nahi aata ,aur esi hi be-deeni ki baate Ladkiyo'n aur ladko ke zahan mai Saal dete hai'n, Ey Musalmano ! Apni Aulaad per Raham karo aur Unko Be-deen hone se bachao ,

┱ Chothi cheez is hadeese mai irshad hai WO Taqdeer per Imaan Lana hai ,Ye bhi Imaan ka bahut bada juzv hai , Bahut se logo ko Taqdeer mai Shak rehta hai aur Uske Aqeeda Rakhne per aitraaz bhi karte hai'n, Halanki Taqdeer ka inkaar bhi Qur'an v Hadees ka inkaar hai Jo Kufr hai ,Samajh mai aaye ya na aaye Qur'an v Hadees ki har baat per Imaan Lana Farz Hai ,

┱  Ibne Ad-Delami Reh. ne bayan farmaya k mere Dil mai Taqdeer ki jaanib se Kuchh Waswasa aane laga to mai'n Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ki khidmat mai haazir hua aur unse Waswase ki haalat bayan kar ke arz kiya k mujhe Kuchh baate bataiye taki Allah Ta'ala mere Dil se Waswase ko nikaal de ,    
       
┱   Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne farmaya k Allah Ta'ala Shanhu ( Sabka Khaaliq v Maalik hai ,use Apni makhlooq ke bare mai har tarah ka poora poora akhtyar hai ) Agar Tamaam Asmaano ke rehne walo ko aur Zameen ke tamaam rehne walo ko  azaab de to WO zarra barabar bhi zaalim na hoga ( Kyunki usne Apni milkiyat mai tasarruf farmaya )  aur agar WO un sab per Rehmat farmaye to uski Rehmat unke A'amaal se behtar hogi aur agar Tu Uhad Pahaad ke barabar (bhi)  Fi sabilillah Sona kharch kar de tab bhi Allah Tujhse us waqt tak qubool na farmayega jab tak Tu Taqdeer per imaan na laye aur is baat ka yaqeen na kar le k Jo Kuchh dukh takleef ,araam v raahat ,nafa v nuqsaan tujhko pahuncha WO khata karne Wala hi na tha ,( Yani uska Pahunchna zaroori tha ) aur Jo Kuchh Tujhse Khata kar gaya ( Yani Jo dukh takleef ,nafa nuqsaan ,araam v raahat tujhko na pahuncha ) WO Pahunchne Wala hi na tha , Agar Tu is Aqeede ke khilaf doosre Aqeede per Mara to dozakh mai jayega ,

┱ Ibne Ad-Delami Reh ka bayan hai k iske baad mai Hazrat Abdul bin Masoud Raziyallahu Anhu ke paas gaya ,Unhone bhi wahi jawab diya, Fir Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu ki khidmat mai haazir hua to unhone bhi wahi jawab diya ,Fir mai'n Hazrat Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhu ke paas aaya ,Unhone Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se yahi mazmoon naqal farmaya _,"

ReF✿┅╮
        *Mishkaat-23 , Ahmad v Abu Daowd v ibne maaja ,*
┗═════════════════✿

*┱✿Mushrik Ki Bakhshish Nahi Hogi _,*

┱ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,

"__ Do Cheeze Waajib karne Wali hai'n ,"
Ek Shakhs ne arz kiya-Ya Rasulallah Konsi Do Cheeze Waajib karne wali hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs is haal mai mar gaya k Allah ke saath Shareek karta tha ,WO Dozakh mai dakhil hoga aur Jo Shakhs is haal mai mara k Allah ke saath Shareek nahi karta tha ( balki Allah ko ek maanta tha aur Uske Deen ko qubool kiye hue tha ) WO Jannat mai dakhil hoga _,"

ReF✿┅╮
            *Mishkaat-15 ,Muslim,*

*┱ Tashreeh _*___ Shirk na karne ka matlab ye hai k Allah Ta'ala ke bare mai ye aqeeda rakhe k WO Apni zaat v sifaat mai tanha hai ,uski tarah koi bhi cheez nahi hai ,WO Tanha ibaadat ke laa'iq hai , Ye Aqeeda bhi rakhe aur Amal bhi isi ke mutabiq kare ,aur uske Siva kisi ki parashtish aur Pooja na kare , Sab Gaibo ka jaanne Wala aur har jagah Apne ilm v qudrat se haazir hone Wala aur Saari makhlooq ka khaaliq v Maalik sirf usi ko samjhe aur Yaqeen kare k uske iraade v tasarruf mai kisi ka koi dakhal nahi ho sakta ,Na uske koi barabar hai na saanjhi hai ,na Shareek hai na wazeer hai ,na madadgaar hai ,na muawin hai ,na uski Aulaad hai na Bivi hai ,na uska koi waalid hai na Walida hai na WO kisi ka Maa'n Baap hai ,

┱ Shirk Ye hai k Allah ko chhod kar kisi makhlooq ki pooja aur Parishtish kare ,Ya Allah ki bhi  ibaadat kare aur kisi doosre ki bhi  pooja v Parishtish kare ,

┱ Hinduo'n aur Yahoodo Nasaara ki tarah Shaitaan ne Bahut se Naam ke musalmano ko Shirkiya kaamo per laga rakha hai , Bahut se log Qabro ko Sajda karte hai'n ,Qabr Walo ke naam ki nazare maante hai'n, Unke naam per Jaanwaro ko zibah karte hai'n, Aur Qabr walo ke bare mai Aalimul gaib hone ka ya haajate poori karne ki qudrat rakhne ka ,Ya Aalam mai tasarruf karne ka Aqeeda rakhte hai'n, Ye Sab Shirkiya Aqaa'id v A'amaal hai'n ,

┱ Aurte'n bahut zyada Kachche Aqeede ki hoti hai'n, bahut se Shirkiya kaam karti hai'n, Totke karna to unka khaas Shagla hai , Allah Ta'ala har musalman ko Apna Sahi Deen samjhaye , Gair Qaumo ke Aqeedo se aur Shaitaan se aur uske Waswaso se aur Uske bataye hue kaamo se mehfooz farmaye ( Aameen )
┗═════════════════✿

*┱✿ Imaan Ka Bahut Bada Aur Aham Taqaza Sabki Khair Khwahi Karna Hai_,*

┱ Hazrat Tameem Daari Raziyallahu Anhu Rivayat farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Deen Khair Khwahi ka naam hai ,
Humne Arz kiya Ya Rasulallah Kiski Khair Khwahi ?
Farmaya :- Allah ki aur Uski Kitaab Ki aur Uske Rasool ki aur Musalmano Ke imaamo ki aur Tamaam Musalmano ki _,"

ReF✿┅╮
     *Muslim Sharif, Mishkaat-33 ,*

*┱ Tashreeh__* __ Allah Ki Nasihat dar haqeeqat Apne liye hi Nasihat Yani Khair Khwahi hai ,Jiska matlab ye hai k Allah ki zaat v sifaat ko is tarah maanna Jesa k islam ne bataya hai ,Kisi ko uska Shareek na banaye , Tamaam Sifaate kamaal v jalaal Jinse uski zaat mutasif hai unko maane ,Uske Ahkaam ki paabandi kare ,Nafarmaniyo se bache ,Usi ke liye muhabbat kare Usi ke liye bugz kare aur Dushmani rakhe ,Uski Ni'amato ki Shukr guzaari kare , Har moqe per har haal mai uski Raza ke liye Amal kare aur Tamaam insaano ko uski Wahdaniyat aur ita'at ki Dawat de ,Jo ye tamaam Amal karega Apna hi bhala karega ,

┱ Allah ki Kitaab Ki khair Khwahi (Yani Uske Huqooq ki adaygi ) Ye hai k Use Allah ka Kalaam maane aur Ye Yaqeen kare k Bande is Jesa Kalaam nahi bana sakte , Iski Tazeem kare ,sahi sahi Tilawate kare , Isme Jo Kuchh hai usko taaleem kare ,iske Ahkaam per Amal kare aur Jin cheezo se isne roka hai unse ruke rahe ,iske uloom ko felaye aur Saari makhlooq ko Qur'an ko maanne ki Dawat de ,

┱ Allah ke Rasool ( Sallallahu Alaihivasallam ) ki Khair Khwahi Yani Aapke Huqooq ki adaygi ye hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki tasdeeq kare ,Aapki Risalat per imaan laye ,Aapke irshadaat ki tameel kare ,Jin cheezo se Aapne Mana farmaya unko hargiz na kare ,Aapke Dushmano se Dushmani aur Aapke Dosto se Muhabbat rakhe ,Aapke tareeqo ko zinda karne ki koshish mai laga rahe ,Aapke uloom ko seekhe aur Sikhaye ,Aapke Aal v Ashaab ki tazeem kare ,,*

┱ Musalmano Ke imaamo ki ( Yani islam ke tareeqo per hukumat chalane wale Musalman Haakimo ki ) Khair Khwahi ye hai k Haq per unka saath de ,Aur Haq per unki Pervi ,ita'at kare ,Logo ko unki ita'at per amaada karta rahe ,Unko Awaam ke Huqooq se agaah karta rahe ,aur Jo unme Kharabi dekhe use mukhliseen ke tareeqe per door kare ,Garz ye k unki Duniya aur Akhirat ke mutalliq Jo bhi bhalaai un tak pahuncha sakta hai Pahuncha de ,

┱Aam musalmano ki Khair Khwahi ye hai k Jab koi Musalman mareez ho jaye to uski iyaadat kare ,Wafaat pa jaye to uske Kafan dafan aur Namaze Janaza mai Shareek ho ,Jab kisi zarurat ya madad ke liye bulaye to uske paas jaye , Jab Mulaqaat ho to Salam kare ,WO Salam kare to Salam ka jawab de , Use Chheenk aaye aur WO  Alhamdulillaah kahe to Yar Hamukallaah Kahe ,Uske Saamne aur Pichhe Uski Khair Khwahi kare ,

┱Hadiya liya diya kare ,WO maqrooz ho aur ada na kar sakta ho to uska qarz ada kare ,Khud apna qarz ho to sakhti se Taqaza na kare ,mohlat de de aur maaf bhi kar diya kare ,Kisi gunaah per use aar na dilaye ,Uski musibat per Khush na ho ,Uska mazaaq na udaye ,Uske dukh dard mai kaam aaye ,Usko Haqeer na Jane ,Waqte zarurat uski ( jaan v maal ) madad se moonh na mode ,

┱ Usse Allah ke liye muhabbat kare ,Jo Apne liye pasand kare wahi uske liye pasand kare Aur Jo Apne liye na-pasand kare wahi uske liye na-pasand kare ,Uski geebat na kare na geebat sune ,Uske bare mai achchha gumaan rakhe ,Uski galti maaf kare ,Chhoto per Raham kare bado ka ahatram kare ,Maa'n Baap ,Aulaad, Ustaad ,Shohar Shagird  Har Chhote bade Ke huqooq maloom kar ke ada kare ,

┱ Aam Musalmano ki Khair Khwahi.......ye hai k ...Maamle mai fareb na de ,na khayanat kare ,Bechte waqt jhukta tole ,zarurat ke waqt galla hargiz na roke ,Doosre bhai ke bhaav per bhaav na kare , Kharidne ki niyat na ho to daam laga kar doosre ko dhoka mai na daale ,

┱ Na uske paigame nikaah per Apna paigam bheje ,Raasto mai aur Paani ke ghaat per aur Jaha'n log uthte bethte hai'n ( Saaye mai ya sardi ke mausam mai dhoop mai ) waha'n Pakhana Peshab na kare , Do Aadmiyo'n ke darmiyan unki ijazat ke bager ya kisi ko utha kar khud uski jagah na Bethe ,Gardano se faand kar majlis mai na aaye ,

┱ Chhup kar kisi ki baat na sune ,Gaali na de ,Tohmat na lagaye ,Chuagal Khori se bache ,Kisi ki cheez mazaaq mai le kar na rakh le ,Bager ijazat kisi ke ghar mai dakhil na ho ,na nazar daale ,

"__ Mashwara sahi de ,Har Shakhs se Uske martabe ke muwafiq pesh aaye ,Sabse Narmi aur Khush Khalqi ka bartaav kare ,Badgumani na kare ,Zulm se bache ,Zarurat mand ke liye Sifarish kare ,Kisi ko takleef na pahunchaye ,Aib joi na kare ,Jo Aib kisi ka maloom ho jaye usko chhupaye ,

*┱ Faayda_* _ Ye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke sirf ek irshad ki Tashreeh hai Jo abhi poori hargiz nahi hui ,isse samajh sakte hai'n k Sayyade Aalam Sallallahu Alaihivasallam ko Jo Allah Jal Shanhu ne Jo Ahkaam ataa farmaye they Unki Jaamiyat kis qadar hai ?
┗═════════════════✿

*┱✿ Kaamil Imaan Ki Pehchan ,*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Tumme se koi Shakhs us waqt tak Momin na hoga Jab tak uski Khwahish mere laye hue tareeqe ke taabe na ho jaye  _,"

ReF✿┅╮
       *Mishkaat-30,*

*┱ Tashreeh _,* __ Sayyadna Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki risalat ka iqraar kar lene Ke baad Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ke bataye hue tarze zindgi aur tareeqe bandgi ko akhtyar karna zaroori ho jata hai , Aapne jis cheez ka hukm diya ,us per amal karna zaroori hai Dil chahe na chahe , Aapne Jis cheez se roka hai usko tark kare chahe usko chhodna nafs ke Taqaze ke khilaf ho , Nafs ke Taqaze ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke aqwaal v afwaal ke taabe karna har Momin ka fariza hai ,

┱Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu farmate hai'n k humne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se is per Bayt ki k Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad sunenge aur Hukm maanenge Chahe tangi ho aur chahe farakhi ho aur chahe hamara Dil chahe chahe na chahe ,

ReF✿┅╮
       *Mishkaat Sharif,*               
┗═════════════════✿

*┱✿Shariyat Tabiyat Ban Jaye ,*

┱ Imaane Kaamil bahut ouncha darja hai ,iske liye Fikr mand ho ,Tabiyat ko Sunnate Nabvi ( Sallallahu Alaihivasallam) ke taabe banaye ,

┱Mojooda mahol mai achchhi nazro se dekhe Jane ke liye BeParda firna ,Angrezi libaas pehnna ,Gairo ke tareeqe per khana ,Ese muqaam v moqo per nafs ki pabandi karte hai'n aur Fakhre Qaynaat Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki waza qata Soorat Seerat ke mutabiq zindgi guzarne aur Duniya ke Saamne aane ko ayb samajhte hai'n, Halanki Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqo ko nafs ki nagawari ke bavjood akhtyar karna laazim hai , Jo Cheeze Momin ke liye Fakhr thi Aaj WO Baa'ise ayb bani hui hai'n ,

┱ Musalmano ! jab tum Deen per chalne mai Be-Aabrui samajhte ho to nafs ko deen ka paband kese bana sakte ho ? Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Jo hamare liye Allah Ta'ala ki taraf se namoona ban kar tashreef laye ,Unka farmana to ye hai k Tum Momin nahi ho sakte jab tak k tumhari Khwahish ko mere laye hue tareeqe ke taabe na ho jaye ,

┱Baar baar gor karo aur Apne haal ko is kasoti per parkho ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ke khilaf chalne mai izzat talash karma himaqat v Jahalat aur Akhirat ki zillat ka baa'is hai ,
┗═════════════════✿

*┱✿ Qabr Ka Azaab aur Araam v Raahat Haq Hai_,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas ek din ek Yahoodi Aurat aayi aur ( isharatan guftgu mai ) usne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se kaha k Allah Ta'ala tumhe Qabr ke azaab se panaah mai rakhe ,( Chunki ye baat Ek Gair Muslim Aurat ne kahi thi isliye) Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ( uska aitbaar nahi kiya aur ) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Azaabe Qabr ke bare mai daryaft kiya ,

┱Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Haa'n Azaabe Qabr Haq hai ( Kaafiro ko aur Nafarmano ko hota hai )

┱Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka bayan hai uske baad Maine nahi dekha k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne koi bhi namaz padhi ho aur uske baad Allah Ta'ala se Ye Dua na ki ho k Azaabe Qabr se Panaah mai rakhe ,

ReF✿┅╮
         *Mishkaat, Bukhari v Muslim ,*

*┱Tashreeh _,* Jab insaan mar jata hai to Duniya se Aalame barzakh ki taraf muntaqil  ho jata hai , Maut se Le kar Qayamat qaa'im hone tak ka Jo zamana guzarta hai usko Aalame Barzakh kaha jata hai ,Barzakh mai Bahut se log achche haal mai rehte hai'n aur bahut se log waha takleef aur Azaab mai mubtila hote hai'n , 

┱ Qabr ke araam v takleef ki khabar Ambiya Alaihissalam ne bhi di hai unki Ummate bhi iska Yaqeen rakhti thi aur Azaabe Qabr se panaah maangti thi , 

┱Hazrar Jaabir Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jab (Momin) mayyat ko Qabr mai dakhil kar diya jata hai to usko ESA maloom hota hai Jese Sooraj chhup raha ho ,Jab Uski Rooh ( Qabr mai ) waapas lotayi jati hai to Aankhe malta hua uth kar bethta hai aur Farishto se kehta hai k mujhe chhod do mai'n namaz padhta hu'n ,_"

ReF✿┅╮
         *Ibne maaja _,*

┱ Yani us waqt apne aapko Duniya mai tasavvur karte hue Farishto se kehta hai k sawal jawab rehne do ,Mujhe Farz ada Karna hai ,waqt khatm hua ja raha hai ,Zaahir hai ye baat wahi kahega Jo Duniya mai namaz ka paband tha aur usko har waqt namaz ka khayal laga rehta tha ,

┱ Is se Be Namazi Sabaq haasil kare aur Apne haal ka andaz lagaye aur is baat ko khoob soche k jab achanak sawal hoga to kesi pareshani hogi ?
┗═════════════════✿

*┱✿ Islam Ke Paanch Arkaan_,*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,Islam ki buniyaad Paanch cheezo per hai :-

1-Avval is baat ki gawahi dena k Allah ke Siva koi ma'abood nahi aur Ye k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Allah Ta'ala ke Bande aur uske Rasool hai'n ,
2- Doosra Namaz qaa'im karna ,
3- Teesra Zakaat dena ,
4- Chotha Hajj karna ,
5- Ramzan Ke Roze rakhna ,

ReF✿┅╮
         *Mishkaat :-12 Bukhari v Muslim,*

*┱ Tashreeh_* __ Hadees mai Paanch cheezo per Islam ki buniyad batayi gayi hai , isme pehli cheez Toheed v Risalat ki gawahi dena hai Jo Asal Imaan hai aur ye dono gawahiya'n dene se un Sab Aqaa'id v Ahkaam ka maanna Farz ho jata hai Jo Allah Ta'ala ne aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne bataye Hai'n aur Un tamaam Khabro ki tasdeeq karna bhi Farz ho jata hai jo guzishta v aainda waqi'aat ke bare mai Qur'an v Hadees mai waarid hui hai'n ,

┱ Toheed v Risalat ki gawahi ke baad amali tor per poore Islam per chalna zaroori hai ,Islam ke Ahkaam to bahut hai'n Jo zindgi ke har shobe per haawi hai'n lekin unme Namaz ,Zakaat ,Hajj ,Roza, Ramzan ko buniyaad ki haisiyat haasil hai ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne inki ahmiyat is tarah zaahir farmayi k Islam ko ek khaima se tashbeeh di aur Uske Paanch sutoon Toheed ,Namaz ,Roza ,Hajj aur Zakaat bataye ,
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Islam Kaamil v Mukammal Deen hai ,Isme Kami Besi Ki Gunza'ish nahi ,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo koi hamare is Deen mai WO kaam jaari kare Jo isme nahi hai to WO kaam mardood hai _,"

ReF✿┅╮
          *Ravaah Bukhari v Muslim,*

*┱ Tashreeh_,* _ Deene Islam ek Sachcha Saaf Kaamil v Mukammal Deen hai ,rehti Duniya tak iska har har hukm mehfooz hai ,Kese hi halaat badal jaye aur kese hi inqelaab aa jaye lekin Islam Apni jagah atal hai ,Iski kisi cheez mai badalne ki gunzaish nahi ,

┱ Insani Zindgi ke tamaam Shobo ke Qanoon Islam mai ese Pesh kiye hai k unse behtar koi pesh nahi kar sakta , aur na Aaj tak koi pesh kar saka ,Islam Kaamil is qadar hai k Islam ke na nizame hukumat mai tabdili ki gunzaish hai na iske nizame iqtsadiyaat mai kisi izafe ya kami ki zarurat hai ,na iske nizame mashrat mai na mamlaat kisi tabdili ka moqa hai , Garz Zindgi ke tamaam Shobo mai Islam jaari aur Saari hai aur isme kahi bhi kisi jagah tabdili v tarmeem ki zarurat nahi aur Kyun  tabdili ki zarurat ho sakti hai Jabki Allah Ta'ala elaan farma chuke hai'n " AL Yawma Akmaltu Lakum " ,

┱ Fir Islam ke ahkamaat mai koi uljhaav aur pecheedgi nahi hai Jiski vajah se samajhne ya Amal karne mai koi diqqat pesh aaye balki iska har faisla do took aur har hukm saaf aur sareeh aur har qanoon zaahir hai ,
,*

┱ Hazrat imaam Maalik Reh. ne farmaya ,Jisne bid'at ka kaam kiya Goya usne ye samjha k Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ne Allah ka hukm pahunchane Mao galti ki hai aur poora Deen nahi pahunchaya aur Ahkaam theek theek nahi batlaye Hai'n , Lihaza mai'n isme apni taraf se koi amal jari kar ke naqis deen ki takmeel karta hu'n ( Allah Ki Panaah ),

┱ Bid'at wale ye to hargiz nahi kehte k hum Bid'at kar rahe hai'n balki apne A'amaal ko Deen samajhte hai'n, Jiski vajah se unko Qur'an v Hadees dekhne ki bhi Tofeeq nahi hoti aur Haq v Baatil ki tameez nahi rehti ,Chunki masiyat aur sarasar nafarmani ko Ahle Bid'at Neki samajhte hai'n isliye Bid'at se Tauba bhi nahi karte na iski unhe Tofeeq hoti hai ,

┱Bid'at ke alawa Koi kitna hi bada gunaah ho ,chunki insaan use gunaah samajhta hai isliye usko karne se darta hai aur Tauba bhi karta Hai ,Qayamat ke din ki pakad ka khayal uske Dil mai paida hota hai, Lekin Bid'at ko Neki samajh kar kiya jata hai isliye isse Tauba karne ka moqa hi nahi milta , Shaitaan ki Sabse badi chaal yahi hai k insaan ko ese Amal per daal de Jo haqeeqat mai gunaah ho aur karne Wala use Neki samajhta ho ,
                ┗═════════════════✿

*┱✿ Hudood Se Aage Badhne Ki Chand Misaale -*

┱ Allah Ta'ala ne Jin cheezo ko halaal kiya hai usko Apne ouper haraam kar lena jese Kuchh log baaz Falo ya Sabziyo ke mutalliq tay kar lete hai'n k ye nahi khayenge Ya aur Kisi tarah se haraam kar lete hai'n ,Qur'an E Paak mai irshad hai :--

"__ Ey Imaan walo ! Allah ne Jo Cheeze tumhare waste halaal ki hai'n unko haraam mat karo aur Hudood se aage mat niklo ,Bila Shubha Allah Ta'ala had se aage nikalne walo Se Muhabbat nahi farmate ,"

┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba Shehad pine ke mutalliq farma diya tha k ab hargiz nahi piyunga ,Allah Ta'ala ne Aayat naazil farmayi :-

"__ Ey Nabi ! Tum us cheez ko kyu haraam karte ho jise Allah ne tumhare liye halaal kiya hai ,"

┱ Esi bahut si Rasme aaj logo mai mojood hai'n Jinme Amalan balki aitqadan bhi bahut si halaal cheezo ko haraam samajh rakha hai ,maslan - Zi Qa'ada ke Mahine mai ( Jise Aurte'n Khaali ka mahina kehti hai'n ) aur muharram v Safar mai Shadi karna Shari'at mai Khoob halaal aur durust hai ,Lekin Allah Ta'ala ki is had Se log aage nikalte hue in mahino mai Shadi karne se bachte hai'n , Bewa ke nikaah e Saani  ko logo ne  ayb samajh kar isko haraam bana rakha hai, Ye Sab Hudood se aage badhna hai ,

┱ Doosra tareeqa had se aage badhne ka ye hai k Jo cheez Allah Ta'ala ke yaha taqarrub aur nazdeeki na ho use taqarrub ka baa'is samajh Lena , Maslan Qabro Ka Tawaaf ,Jo Shirk hai , Ya na bolne ka roza rakh Lena ya dhhoop mai khade rehna ( Apne Jism ko takleef isliye dena k isse Allah Ta'ala ka qurb milega ) vagera Sab Hudood Se aage badhna hai ,

┱ Ek Tareeqa Had se Aage badhne ka ye hai k Jo cheez Shari'at mai zaroori nahi hai agarche mubaah ho Amalan ya Aitqadan usko Farz ka darja de diya jaye aur Jo use na kare us per Laan Taan kiya jaye ,,,,maslan - Shabe Bara'at ka halwa aur Eidul Fitr ki Suwaiya in dono ki koi asliyat nahi hai , magar log ise zaroori samajhte hai'n aur Jo na pakaye usko laan taan karte hai'n , Shadi Byaah ,Maut mayyat mai be shumaar esi rasme ki jati hai'n jinko Farz ka darja diya jata hai aur Shar'an unki koi asal nahi balki baaz unme Shirkiya rasme Hai'n ,

┱ Ek tareeqa had Se aage badhne ka ye hai k Jo cheez har waqt  mustahab hai usko kisi khaas waqt ke saath makhsoos kar le , ..maslan Namaze Fajar aur Asar ke baad imaam se musafa karna aur Eiden ke din Namaze dogana padh kar gale milna aur musafa karna ,

┱ Musafa bade sawab ki cheez hai aur mulaqaat ki sunnat hai na k Eid ki ( Ya Fajar aur Asar ki Namaz ki )  ,usko kisi khaas waqt ke liye muqarrar karna aur Amal se Farz ya Waajib ka darja dena Had se aage badhna hai ,

┱ Had se aage badh Jane ki ek Shakl ye hai k kisi Amal ke bare mai WO Fazilat Tajveez kar Lena Jo Qur'an V Hadees se Sabit nahi ....Jese Due Ganjul Arsh Aur Daroode Lakhi ki fazilte logo ne ghadi hui hai'n ,

┱ Ek Soorat Had se aage badhne ki ye hai k Kisi Amal ki koi Khaas tarkeeb v tarteeb tajveez kar li jaye ....maslan mukhtalif Raka'at mai mukhtalif soorte padhna tajveez karna ( Jo Hadees se saabit na ho ) Uski Pabandi karna ,Ya Soorto ki tadaad muqarrar kar Lena ..Jese Tahajjud ki Namaz ke mutalliq logo mai mashhoor hai k pehle Raka'at mai 12 martaba Qul huwallaah Padhi jaye aur fir har Raka'at mai ek ek martaba kam karte jaye ,Ye logo ne khud tajveez kar liya hai , isi tarah hafte bhar ke dino ki namaze aur unki khaas khaas fazilate aur unki makhsoos tarkeebe logo ne banayi hui hai ,ye bhi had se aage badhna hai ,

┱ Kisi Sawab ke kaam ko kisi khaas Jagah ke saath makhsoos kar Lena ( Jo Shari'at se saabit na ho ) ye bhi had se aage badh Jana hai , ..Jese baaz jagah dastoor hai k Qabr per Galla ya Roti taqseem karte hai'n aur samajhte hai'n yaha sawab zyada milega ,,,hudoodullaah se aage badh Jana hai ,

┱ Baaz Khaane ki cheezo ke mutalliq apni taraf se ye tajveez kar Lena k use fala Shakhs kha sakta hai aur fala nahi khaa sakta ,Jese mushrikeene makka karte they,

"__ isi tarah aaj kal Fatiha v Niyaaz ki shakl logo ne bana rakhi hai ,.maslan Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke naam ki Rasm mai isale sawab ke liye khana pakaya jata hai aur usme ye Qa'ada bana rakha hai k Mard aur Ladke usko nahi kha sakte sirf Ladkiya'n khayengi ,aur uske saath saath ye bhi Farz kar rakha hai k uske liye Kore bartan ho ,jagah lipi puti ho ,Ye Sab khurafaat hai'n ,  
             

┱ Ek Soorat had Se aage badhne Ki ye hai k apni taraf se kisi gunaah ka makhsoos azaab tajveez kar liya jaye Jo kitabullah aur Hadeese Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam mai mazkoor na ho,

┱ Ek Soorat had Se aage badhne Ki ye hai k kisi cheez ke mutalliq ye tay kar liya jaye k iska hisaab na hoga ,Jabki Hadees mai uska saboot na ho , Jese mashoor hai k Ramzanul Mubarak ke Aakhri Juma ko naya kapda ya naya Joota Pehan liya jaye to WO be hisaab ho jata hai, Ye Sab baate galat aur lagv hai ,

┱ "_Allah Ta'ala ne bahut si cheezo ke bare mai khamoshi akhtyar farmayi hai Jo bhoolne ki vajah se nahi so unko mat kuredo ," iska matlab ye hai k Allah Ta'ala ne jin cheezo ko halaal farmaya unko halaal samjho aur Jinko Haraam farmaya unko Aqeeda aur Amal se  Haraam samjho aur Jin cheezo ke mutalliq koi hukm saadir nahi farmaya tum khwamkhah unko kuredne mai mat pado ,

┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam poora Deen Kaamil v Mukammal humko de kar gaye ,Halaal v haraam aur Jaa'iz v na-jaa'iz Khoob  saaf saaf bata diya hai aur Jin cheezo ke mutalliq shar'an hukm mojood nahi hai Qa'ada se unki hillat v hurmat aur jawaz v adm jawaz ka pata chal jata hai ,Jo Qur'an v Hadees mai bayan kar diye gaye hai'n Lihaza jin cheezo ka hukm Shareeh Qur'an v Hadees mai na mile aur Qur'an v Hadees ke qaa'ade ke mathat unki hurmat aur adm jawaz ka fatwa na mile unko jaa'iz samjha jayega ,

"__ Maslan hum bahut si sabziya'n khaate hai'n Jinka zikr Qur'an v Hadees mai nahi hai aur Qa'ade shareeh se unki hurmat bhi saabit nahi ,isliye unka khana jaa'iz hai , isi tarah Rail ,Hawai jahaaz ,Bus ki sawari aur un Dawao'n ka hukm Jinki muma'anat khusoosi ya qawa'id ki roo se nahi nikalti unka istemal karna durust hai ,

          ╙══════════╜

ReF✿┅╮
   
*📁Tohfa E Khawateen,*

                  ╨───────────────────── 
                   

No comments:

Post a Comment