☆
☆
╭━–––––––––––––––––––━╮
│вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯
*AZAAN AUR AQAMAT*
*☆PART_01☆*
◉➻═══════════════➻◉
*☞Azaan Ki Shara'i Haisiyat _*
▣_ Azaan islam ke Sha'aar ( Badi Alaamato ) mai se hai , Chunache imaam Muhammad Reh. Farmate hai'n :- "__ Agar Kisi Shehar wale Azaan dene per ittefaaq kar le'n to unse qitaal karunga '"
* Bida'a :1 ,Baab Azaan,*
▣_Paanch Waqt ki Farz Namazo ke liye ek baar Azaan kehna Mardo'n per Sunnate Moqada Hai, Chahe Musafir ho ya muqeem , Jama'at ki Namaz ho ya Tanha ,Ada Namaz ho ya Qaza aur Namaze Juma ke liye Do baar Azaan kehna Sunnate Moqada Hai ,
▣_ Farz Namazo ke alawa aur Kisi Namaz ke liye Azaan v Aqamat masnoon nahi , Chahe Farze Kifaya ho ya Waajib Ya Nifl , Jese Namaze Janaza , Namaze Vitr , Kusoof v khusoof aur Namaze Taraveeh vagera ,
*▣_ Tanha Namaz padhne wale ke liye Azaan Ka Hukm _,*
"__ Jo Shakhs Apne Ghar mai Tanha ya Jama'at ke Saath Namaz padhe uske liye Azaan v Aqamat dono mustahab hai , Basharte k Mohalle ki ya Gaanv ki masjid mai Azaan v Aqamat ho chuki ho , isliye k Mohalle ki Azaan v Aqamat Tamaam Mohalle walo ke liye Kaafi Hai ,
* Ba hawala_ Durre Makhtaar - 1/357*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Azaan Ki Shara'it _,*
▣_ Agar Kisi Ada Namaz ke liye Azaan Kahi Jaye to uske Liye us Namaz ke Waqt Ka Hona zaroori hai , Agar Waqt aane se Pehle Azaan di jayegi to Sahi nahi hogi , Waqt aane ke Baad fir Azaan Dena hoga , Chahe wo Azaan Fajar ki ho Ya kisi aur Namaz ki _,"
* Fatawa Hindiya -1/33 _*
▣_ Azaan aur Aqamat Ka Arbi Zubaan mai unhi Khaas Alfaz se hona zaroori hai ,Jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se manqool hai , Agar Kisi aur Zubaan mai Ya Arbi Zubaan mai Doosre Alfaz se Azaan Kahi Jaye to Sahi nahi hogi , Agarche log usko sun Kar Azaan samajh le aur Azaan Ka maqsood usse haasil ho Jaye _,"
* Durre Mukhtaar _ 1/397*
┏───────────────────┯
*Fiqhul ibadaat_,*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Azaan v Aqamat Kï Sunnate'n,*
❉ 1- Azaan v Aqamat Qibla ru kehna Sunnat he,
*⚀•RєԲ :- Bayhqi, 56 Shaami ,1/292*
➧ 2- Azaan ke alfaaz thehar thehar kar ada karna aur Aqamat ke alfaaz jaldi jaldi ada karna Sunnat he ,
*⚀•RєԲ :-Tirmizi ,1/48*
❉ 3- Azaan me " Hayya Alassalaah ,Hayya Alal falaah ," kehte waqt Mo'azzin ko Daaye aur Baaye moonh ferna Sunnat he lekin seena aur qadam qibla rukh hi rahe ,
*⚀•RєԲ :-Miraaqi ,1/277 Shaami ,2/53*
➧ 4- Jab Mo'azzin se Azaan ke kalmaat sune to jis tarah Wo kahe usi tarah kehte jaye ,aur " Hayya Alassalaah ,v ,Hayya Alal falaah ," ke jawab me " La havla walaa quwwata illaa billaahi ," kahe ,
*⚀•RєԲ :-Bukhari ,1/86 Muslim ,1/166*
❉ 5- Fajar Kï Azaan me " Assalatu Khairum mimananam " ke jawab me " Sadaqta wa Bararta ," kaha jaye ,
*⚀•RєԲ :- Miraaqi ,1/285*
➧ 6- Aqamat ka jawab bhi Azaan Kï tarah diya jaye lekin " Qad qaamatis Salaatu ," ke jawab me " Aqaa mahallaahu wa adaa mahaa ," Kaha jaye ,
*⚀•RєԲ :-Abu Daowd ,1/78*
❉ 7- Azaan ka jawab dene ke baad Darood Sharif Padhna Sunnat he ,
*⚀•RєԲ :- Muslim ,1/166*
➧ Darood Sharif padh kar ye Dua padhe Jo Bukhari Sharif me manqool he ,
*" Allahumma Rabba Haazihid Da'awatit Taammati wassalatil qaa'imati Aati Muhammada nil Waeelata wal fazeelata wab ashu maqaamam mahmooda nillazi wa attahu innaka laa tukhliful mee'aad ,"*
*⚀•RєԲ :- Bukhari ,1/86*
➧" innaka laa tukhliful mee'aad ," Bukhari Sharif me nahi he ,isko imaam Bayhqi ne Sunani kabeer me naqal kiya he ,
*⚀•RєԲ :- Hisne Haseen ma Sharah Fazl Mubeen ,*
➧ " Wad darajatar rafee'ata " ka lafz aur ," Ya Arhamar raahimeena ," vagera alfaaz Jo mashoor he'n ,inka saboot rivaayaat me nahi he ,
*⚀•RєԲ :-Mirqaat ,2/331_*
┏───────────────────┯
* Pyare Nabi Kï Pyari Sunnate ,21_,*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Azaan Ke Baad Ki Duae'n_,*
▣_ Abdullah bin Umru bin A’aas Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- ‘Jab tum Mo'azzin (ki awaz) suno to tum Mo'azzin ko jawab do aur jab Azaan khatm ho jaye to phir mujh par darood bhejo pas jo mujh par ek baar darood bhejta hai Allah us par 10 baar rahmat bhejta hai.’
* Muslim: As Salah 384,*
▣_ Pas sab musalman mardo’n aur aurto’n ko chahiye k jab Mo'azzin Azaan Khatm kare to 1 baar darood shareef padhe:
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
"_Allahumma Sau‐lli A’ala Muhammadin wa A’ala Aaali Muhammadin Kama Sau‐llaita A’alaa Ibrahima wa A’ala Aaali Ibrahima Innaka Hameedum Majeed.
Allahumma Baarik A’ala Muhammadin wa A’ala Aaali Muhammadin Kama Baarakta A’alaa Ibrahima wa A’ala Aaali Ibrahiman Innaka Hameedum Majeed.
"_Ey Allah Rahmat bhej Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aale Muhammad par jese rahmat bheji Tune Ibraheem Alaihissalam aur Aale Ibraheem par
beshak Tu ta’areef kiya gaya, buzrugi wala hai.
Ya Ilaahi barkat bhej Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aale Muhammad par jese barkat bheji Tune Ibraheem Alaihissalam aur Aale Ibraheem par beshak Tu ta’areef ke layak, buzrugi wala hai.
* Bukahri:- Ahadees al Ambiya 3370 , Muslim 406,*
▣_ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- ‘Jo Shakhs (Azaan ka jawab de aur phir) Azaan khatm hone par ye dua padhe uske liye qayamat ke din meri shafa’at waajib ho jati hai.’
اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ، وَالصَّلَاةِ الْقَائِمَةِ، آتِ مُحَمَّداً الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَاماً مَحْمُوداً الَّذِي وَعَدْتَهُ
"_Allahumma Rabba Haazihid Da’awatit Taammati wa Saulaatil Qaaimah Aaati Muhammadal Waseela wal Fadheela Waba’asu Maqaamam Mahmoodallazi wa A(d)tta. (T: here ‘D’ is silent)
"_ Is poori pukaar (Azaan) ke aur (Qayamat tak) qaa'im rehne wali Namaz ke Rab! Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko waseela aur buzrugi ataa farma aur unhe’n maqaam e mehmood mai pahu’ncha jiska tune unse wa’ada kiya hai.
* Bukhari: al Azaan 614*
▣_ Sa’ad bin Abi Waqqas Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya: ‘Jo shakhs Mu'azzin (ki Azaan) sunkar ye dua padhe to uske Gunaah bakhsh dite jae’nge.
Dua ye hai :-
*"_Ashadu alla ilaaha illal lahu wahdahu laa shareeka lahu wa anna Muhammadan A’abduhu wa Rasooluhu, Razeetu billahi rabbaou’n wa biMuhammadin Rasoola wa bil Islaami deena.’*
"_Main gawaahi deta hu’n ke Allah ke siwa koi (saccha) ma’abood nahi wo Ek hai uska koi shareek nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihivasallam uske bande aur Rasool hain. Mai'n Allah ke Rab hone aur Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Rasool hone aur Islam ke Deen hone par raazi hu’n.,
* Muslim:- As -Salah 386,*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ _Azaan Ke Shuru mai " Bismillaah " padhna :-*_
▣_Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum, Taba'iyn Reh. aur Taba Taba'iyn Reh. Vagera se manqool nahi ,na Aaimma ,Fuqha isko zikr karte hai'n , Lihaza Mutawaris Amal ( Bismillaah ) na Padhne Ka hai ,
*☞Azaan Kis Jagah di Jaye ?*
"__ Juma ki Doosri Azaan to khateeb ke saamne Masjid mai masnoon hai ,
*( Fatahul Qadeer -1/421)* ,
▣_iske alawa Azaan Ka Masjid se baahar hona behtar Hai aur Masjid mai hona Jaa'iz Magar Khilafe Awla hai ,
▣_Beth Kar Azaan Dena Khilafe Sunnat aur Makrooh Tehrimi Hai , Esi Azaan ko lotana mustahab hai ,
▣_ Aur kaano mai ungliya'n Dena mustahab hai aur agar kaano mai ungliya'n diye bager Azaan Keh di to koi harj nahi ,
*( Aalamgiri )*
*☞ Azaan mai izaafa _,*
▣_Shara'i Azaan to Wahi hai Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam se tawatir ke Saath manqool hai ,
*( Mishkaat )* ___Isme mazeed kalimaat Ka izafa Jaa'iz nahi aur izafe ke Baad Shara'i Azaan nahi rahegi balki ek Naye Deen ki nayi Azaan ban jayegi ,
*( Mishkaat )*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ _Azaan se Pehle aur Baad mai Daroodo Salam Padhna _,*
"▣___ Azaan to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke Ba Barkat Zamane se chali aati Hai, Magar Azaan se Pehle Salaato Salaam Padhne Ka Rivaaj abhi Chand Barso se Shuru hua , Agar ye Deen ki Baat hoti to Aap Sallallahu Alaihivasallam zaroor iski taleem farmate aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum, Taba'iyn Reh.aur Buzurgane Deen is per karte , Jab Salfe Saleheen ne is per Amal nahi Kiya , na Aap Sallallahu Alaihivasallam ne iski taleem farmayi to Azaan se Pehle Salaato Salaam Padhna Bid'at hua aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Hamare Deen mai nayi Baat nikale Wo mardood hai ,
*( Mishkaat -27 )*
▣_Tamaam A'amaal se maqsood Raza e ilaahi hai aur Raza e ilaahi us Amal per murattab hoti Hai Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ke irshad farmaye hue Tareeqe ke mutabiq ho , Albatta Shari'at ne Azaan ke Baad Darood Sharif padhne aur Uske baad Dua e Waseela padhne Ka hukm diya hai ,
*( Mishkaat - 65 )*
▣_ Juma ke Roz Namaze Fajar aur Namaze Juma ke Baad khade ho Kar Halqa bana kar Loud Speaker per ( Daroodo Salam) padhna laazmi qaraar de rakha hai , Jis tarah Azaan se Pehle aur Baad mai Daroodo Salam padhne Ka Rivaaj Bid'at hai , isi tarah Halqa bana Kar Loud Speaker per Daroodo Salam ke Naam se Jo kuchh hota Hai, Mahaz riyakaari hai ,
"__Aur Darood Sharif bila shuba Afzal Tareen ibaadat hai lekin Loud Speaker per padhne aur Halqa banane Ka hukm na Qur'an v Hadees mai hai na fiqhi islami mai , Agar inko waqa'i Darood Sharif padhna hai to Masjid ya Ghar mai Beth kar Khushu v Adab ke Saath padhe ,logo ko Apni surili awaaz sunana Koi ibaadat nahi , *" Wallahu A'alam "*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Azaan Ke Aakhir mai Muhammadur Rasoolullaah Kehna_,*
▣_ Azaan Ke Aakhir mai " Muhammadur Rasoolullaah " Kehna Khilfafe Sunnat Hai ,
"_......Azaana ilaaha illallaah " per khatm ho jati hai , *( Mishkaat, Abu Daowd )* __
*☞ Fajar Ki Azaan mai, " Assalaatu Khairum minan nawm ," Ada Karna Bhool gaya ,*
▣_ Azaane Fajar mai " Assalaatu Khairum minan nawm " ( do martaba ) kehna Mustahab hai , *( Shaami )* _ Agar Bhool Jaye to koi harj nahi ,
"__ isi tarah digar Doosri Azaano mai ek ya do kalimaat Chhoot Jaye to unko dohra liya Jaye , Naye sire se Azaan kehne ki zarurat nahi , *( Durre Mukhtaar )*
▣_ Azaan Ke fiqre ko itna kheenchna k darmiyan mai Saans lene ki zarurat pesh aaye Sahi nahi , *( Aalamgiri, Fatahul Qadeer )*
*☞ Azaan Ke Waqt Kaano mai Ungliya'n Dena _,*
▣_ Azaan dete Waqt Kaano mai Ungliya'n rakhna Sunnat hai ,Taki Awaaz zyada Buland ho , Magar Azaan iske bager bhi ho jati hai , *( Hidaya )*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Azaan Ke Baad Haath utha Kar Dua Karna _,*
▣_ Azaan Ke Baad Dua mai haath Uthana manqool nahi , Sirf Zubaan se Dua e masoora padh le ,aur Duae masoora mai pehle Darood Sharif padhe ,fir Duae Wasila padhe , *( Mishkaat )*
*☞ Daadhi Mundhe Ya Na-Baalig Samajhdaar ki Azaan_ ,*
▣_ Daadhi Mundhe ki Azaan v Aqamat Makroohe Tehrimi Hai, isi tarah Jis Shakhs ki Kaatne ki vajah se Daadhi ek Qabze se kam ho , Uski Azaan v Aqamat bhi Makroohe Tehrimi Hai , Azaan dobara Kahi jayegi Magar Aqamat dobara na na Kahi jayegi , Na-Baalig ladka agar samajhdaar hoshiyar ho to uski Azaan Sahi hai ,Magar Khilafe Awla hai , *( Aalamgiri )*
*☞ Waqt se Pehle Azaan _,*
▣_ Waqt se Pehle Azaan Dena Sahi nahi, Kyunki Azaan Namaz ke Waqt ki ittela ke liye di jati hai aur Waqt se Namaz hoti nahi , Waqt se Pehle Azaan kehna Galat aur Mojibe talbees hai , Agar kabhi Galti se esa ho Jaye to Waqt Shuru hone ke baad dobara Azaan Kahi Jaye , Varna ye Namaz Azaan Ke bager shumaar hogi ,
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Kisi Nagahani Musibat Ke Waqt Azaan _*
▣_ Allama Shaami Reh.ne likha hai k Khairuddin Ramli Reh .ke Hashiya Bahar mai hai k Maine Shafiya ki Kitaabo mai dekha hai k Namaz ke alawa bhi Baaz Moqo mai Azaan masnoon hai,
"__ Maslan - Navmolood ke Kaan mai , Pareshan , Murgizada ,Gusse mai bhare hue aur bad khalq insaan ya chopaye ke Kaan mai, Kisi Lashkar ke Hamle ke Waqt ,Aag lag Jane ke moqe per , *( Shaami Hashiya Durre Mukhtaar _1/385)*
*☞ Tahajjud ki Namaz ke Waqt Azaan v Aqamat_,*
▣_Taraveeh ke alawa Nawafil ki Jama'at Makrooh Hai , isliye Tahajjud ki Namaz Jama'at ke Saath padhna Makrooh Hai , *( Aalamgiri )*
▣_Aur Nifli Namaz ke liye Azaan v Aqamat nahi , Azaan v Aqamat Sirf Namaze Panjgana aur Juma ki Khususiyat hai , *( Aalamgiri )*
◉➻═══════════════➻◉
*☞ Mutafarrik - _,*
▣_Magrib ki Namaz mai Azaan Ke Baad bas itna waqfa Karna chahiye k Azaan ki padh sake , *( Aalamgiri )*
"__ Ramzanul Mubarak mai Rozadaro ke intezam mai waqfa kiya Jata hai ,
▣_ Radio aur Television per Jo Azaan nashr hoti Hai Wo kisi Namaz ke liye nahi balki ye Mahaz shoqiya ( recording ) hai , Shari'at ke kisi qa'ada ke mathat nahi ,
"__ Radio aur Television per hone wali Azaan Azaan nahi balki Azaan ki awaaz hai ,Jise Tap Kar liya Jata hai aur Azaan Ke Wahi tap laga di jati hai, isliye iska Hukm Azaan Ka nahi lihaza iska Jawab dena bhi masnoon nahi ,
▣_Daurane Azaan ( Agar Qurane Majeed padh rahe ho ) Qur'an Majeed band Kar ke Azaan Ka jawab dena chahiye ,
"_ Aur agar Namaz pehle se Shuru Kar rakhi ho ( aur darmiyan mai Azaan ho Jaye to Namaz ) Padhta rahe , Varna Azaan khatm hone Ke Baad shuru Kare , *( Shaami )*
▣_Jab Mo'azzin Azaan Keh raha ho to Masjid mai dakhil Hote waqt Salam nahi kehna chahiye balki khamoshi se beth Jana chahiye ,
▣_Khutbe ki Azaan Ka Jawab nahi diya Jata ,na uske baad Dua hai , *( Bahrul Raa'iq -1/274 KitbusSalaat )*
▣_Ek Mohalle mai Kai Masjide hoti hai'n , Jaha'n basa Awqaat ek hi Waqt mai Azaan Speakero per di jati hai , Jiski Awaaz door Tak Jati Hai , is Soorat mai Mohalle ki qareeb ki Masjid ki Azaan Ka jawab dena chahiye , Basharte k Wo Azaan Sunnat ke mutabiq Kahi Jaye , *( Fatahul Qadeer -1/174)*
"__iske baad Mukhtalif Azaano Ka jawab zaroori nahi , aur Baaz Hazraat farmate hai'n k inme se jo Azaan Sabse pehle ho uska jawab diya Jaye,
▣_Takbeer to Usi ka Haq hai Jisne Azaan Kahi ho , Agar uski taraf se ijazat ho to koi Shakhs bhi Aqamat Keh Sakta Hai Basharte k Sahi Aqamat Kahe , aur ( agar ) Mo'azzin khud imaam ban Jaye to khud hi takbeer bhi Keh Sakta Hai,iska kuchh muz'aqa nahi , *( Aalamgiri )*
▣_ Aqamat Shuru hone per uth Kar Safe durust karni chahiye ,Aqamat Shuru hone per bethe rehna na munasib hai , *( Fatahul Baari - 2/120 )*
▣_Ek dafa Masjid mai Namaz ho gayi ho to Doosri Namaz nahi karani chahiye , Agar kisi aur Masjid mai Namaz Milne ki Tawaqqo ho to theek , ya agar Ghar mai Baal Bachcho ke Saath Namaz padh sake to bhi Sahi ,Varna bager Aqamat ke ek kone mai Jama'at Kara le aur Aqamat na Kahe , Ghar mai Jama'at ki Soorat mai Aqamat kehna hogi ,
▣_Jama'at ke liye Aqamat kehna Sunnate Moqada Hai aur iska chhodna bura hai , " Hayya Alassalaah " aur " Hayya Alal Falah " kehte hue Aqamat mai bhi Daaye Baaye moonh Karna mustahab hai , *( Bahrul Raa'iq -1/270-272)*
▣_ Nav Zaa'idah Bachche ke Kaan mai Azaan dene Ka Tareeqa ye hai k pehle Daaye Kaan mai Azaan Kahi Jaye fir Baaye Kaan mai Aqamat, Daaye Kaan mai Azaan aur Baaye Kaan mai Aqamat ek hi baar Kahi jati hai,do baar nahi , *( Mirqaat Sharah Mishkaat -1/414)*
*┬ Alhamdulillah --;-;;_,*
┏───────────────────┯
*Aapke Masa'il aur Unka Hal-Jild-3,*
╔┅┅┅┐
▒
No comments:
Post a Comment