🍀🎋
*◑Bismillahirrahmanirraheem◐*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*◐ 6 -GUNAHGAAR -AURTE'N ◐*
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
*◐ PART-01 ◐*
*☞KHAWATEEN KE MUTA'ALLIQ MAZMOON*
*☞ mere qabiLe Ahtaram doston or buzurgo bhai behno hamara ye Raah-e-haqq Group 2 hisso par mushtamiL hai Ek mardon par dusra khawateen yani Auraton par kiyu ke khawateen bhi hamare group se judi hain or inke liye Alag intezaam kiya gaya hai yahi wajah hai is group me jo msg hote hain wo mard or aurat dono ke muta'alliq hote hain Lekin kabhi kabhi koi khas khawateen ke liye hota hai or kabhi koi msg khas mardon ke liye hota hai behar haaL Aaj ke msg me Aap sallallahu alaihivasallam ki ek hadees bayan karne ka iraada hai jo khawateen ke muta'alliq hai or unke liye khas hai agarche is hadees me jo baten khwateen ke muta'alliq bayan ki gayi hain wo mardon me bbhi payi jaa sakti hain Lihaza agar kisi mard me wo baten mojood hon to unka wahi hukm hoga jo khawateen ke liye is hadees me bayan kiya gaya hai isliye ye hadees khawateen ke sath mardon ke liye bhi Mufeed hogi*
*◐ PART-02 ◐*
*☞ HUZUR E AKRAM SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KA RONA*
*☞ Ye hadees bahut Aham baton par mushtamiL hai is hadees ko hafiz shamshud'deen Rh ne apni mash'hoor kitaab Al kaba'ir ne naqaL farmaya hai is hadees ka Khulasa ye ke Ek martaba hazrat Ali RaziyaLLahu anhu or hazrat fatima RaziyaLLahu Anha huzur e akram sallallahu alaihivasallam se milne ke Liye Aap sallallahu alaihivasallam ke ghar tashreef Le gaye hazrat Ali RaziyaLLahu anhu farmate hain ke jab ham Aap sallallahu alaihivasallam ki khidmat me hazir hue to dekha ke Aap sallallahu alaihivasallam par giryah tari hai jab mene Aap sallallahu alaihivasallam ki haLat dekhi to arz kiya ya Rasoolullah sallallahu alaihivasallam mere maa baap Aap par qurban hon Aap sallallahu alaihivasallam ko kis cheez ne RuLaya or kis bina par Aap sallallahu alaihivasallam itna Ro rahe hain Aap sallallahu alaihivasallam ne jawab me Farmaya mene Shabe meraj me apni ummat ki aurton ko Jahannam ke andar qisam qisam ke Azaabon me mubtaLa dekha or unko jo Azaab ho raha tha wo itna shadeed or hoLnaak tha ke us Azaab ke tasavvur se mujhe Rona Aaraha hai Allah hu akbar*
*◐ PART-03 ◐*
*☞ UMMAT PAR HUZUR E AKRAM SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KI SHAFQAT*
*☞ huzoor e Akram sallallahu alaihivasallam ki Apni ummat par itni shafqat hai ke ham uska andaza bhi nahi kar sakte MasLan Ek intehayi meharban or shafeeq maa jo apni awLaad par jaan qurban karne waLi ho agar wo maa Apni awLaad ko jeL me Shakht Qisam ki sazay sehte hue dekhe to yaqeenan us maa ka kaLeja muh ko Aajayga or un sazao ko dekh kar wo maa yaqeenan Ro padegi Jab ki Aap sallallahu alaihivasallam ki shafqat or muhabbat to sari duniya ki maao se kahin zada badh kar ha isliye Ap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya jab mene apni ummat ki aurton ko hoLnaak Azaab me mubtaLa paya to is wajah se mujhe Rona Aaraha hai ke meri Ummat ki aurton par is tarah ka hoLnaak Azaab hoga Allah hu akbar*
*◐ PART-04 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB PEHLA TARIQA*
*☞ Iske baad Aap sallallahu alaihivasallam ne iski wazahat farmayi ke mene jahannam ke andar aurton ko kis kis tarah Azaab me mubtaLa dekha Chunache Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya mene ek aurat ko dekha wo Apne baLon ke Zarye jahannam ke andar Latki hui hai or uska dimagh handiyon ki tarah pak raha hai Ek to khud jahannam ke andar hona bazaat khud kitna hoLnaak Azaab hai Allah ta'ala ham sab ko Apni panaah me Rakhe Aameen ya Rab Or phir baLon ke baL Latakna ye intehayi takleef deh Saza hai Or Phir dimagh ka pakna ye teesri Saza hai Allah hu akbar Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya Rab*
*◐ PART-05 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB DUSRA TARIQA*
*☞ Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya mene dusri Aurat ko Jahannam me is tarah dekha ke wo zabaan ke baL Latki hui hai Ab Aap andaza karen kisi ki zabaan khich kar or nikaaL kar uske Zarye uske poore jism ko Latkaya jaye to isme kitni sakht takleef hai Agar sirf ek hath ke Zarye bhi kisi ko Latka diya jaye to wahi uske liye maut se battar hai zabaan to bahut nazukh cheez hai Allah hu akbar Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya Rab*
*◐ PART-06 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB TEESRA TARIQA*
*☞ Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya mene teesri Aurat ko dekha ke chatiyon ke baL jahannam me Latki hui hai Allah hu akbar Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya Rab*
*◐ PART-07 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB CHOTHA TARIQA*
*☞ Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya chothi Aurat ko mene is tarah dekha ke uske dono per seene se bandhe hue the or uske dono hath peshani se bandhe hue the Allah hu akbar Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya Rab*
*◐ PART-08 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB PAANCHVI TARIQA*
*☞ Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya paanchvi Aurat ko mene is haLat ne dekha ke uska chehra khinzeer ki tarah hai or baqi jism ghadhe ki tarah magar haqeeqat me wo Aurat hai or sanp bicchu usko Lipte hue hain Allah hu akbar Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya Rab*
*◐ PART-09 ◐*
*☞ ( 6 ) TAREEQON SE AZAAB CHATA TARIQA*
*☞ Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya chati Aurat ko mene is haLat me dekha ke wo kutte ki shakaL me hai or uske muh ke Raste se jahannam ki Aag dakhiL ho rahi hai or pakhane ke Raste se Aag nikaL Rahi hai is tarah 6 Auraton ko hone waLe Azaab ki tafseel huzur e akram sallallahu alaihivasallam ne bayan farmayi*
*◐ PART-10 ◐*
*☞ PEHLI AURAT KE AZAAB KA SABAB BE'PARDAGI*
*☞ Us ke baad hazrat fatima RaziyaLLahu Anha ne arz kiya ke Abba jaan in auraton par ye Azaab inke kon se AamaaL ki wajah se ho raha tha inke kon kon se aise AamaaL the jin ki wajah se Aap sallallahu alaihivasallam ne inko is hoLnaak or dardnaak Azaab me mubtaLa dekha iske jawab me Huzur e akram sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya ke jis aurat ko mene baLon ke Zarye jahannam me Latka hua dekha or jis ka dimaagh handiyon ki tarah pak raha tha isko ye Azaab ghar se bahar nang'ge Sar jane ki wajah se ho raha tha wo Aurat namehram mardon se Apne sar ke baaL nahi chupati thi yaad Rakho sar ke baaL bhi satar ka hi hissa hai*
*◐ PART-11 ◐*
*☞ SATAR OR PARDA*
*☞ Ab Agar ham Apne gird o pesh ka jayza Len to hame Aaj ye gunah Aam hota hua nazar Aata hai haLanke khawateen ke liye hukm ye hai ke Sar ke baaL unke satar ka hissa hain kiyu ke Aurat ka poora jism sar se paon tak Siwaye chehre ke or siway dono hatheLiyon ke Or dono pero,n ke Poora jism satar hai jisko namaz me chupana farz hai kiyu ke Agar namaz me kam az kam chothayi sar ke baaL khuL jayen or itni der khuLe rahen jitni der me 3 Martaba subhanallah padh liya jaye to namaz nahi hogi Ya Agar kisi Aurat ne sar par bareek dupatta Audh liya jisme sar ke baaL jhaLak rahe hain to aise dupatte me bhi namaz nahi hogi kiyu ke Satar chupane ki Shart poori nahi hui baaz khawateen bareek dupatte me namaz padh Leti hain ya us dupatte ko dohrah kar leti hain haLanke dohrah karne ke baad bhi baaL nazar aate hain ya baaz awqaad dupatta itna chota hota hai ke iske andar baaL chowti bahir nikLi hui hoti hai wo dupatte ke andar nahi chupati baaz khawateen ki Aasteen itni choti hoti hai ke dupatta pehanne ke bawajood unke baazu gatto tak nahi chupte or masLa ye hai ke agar chothayi sar ke baaL khuL jaye ya chothayi kaLayi khuL jaye ya chothayi pindLi khuL jaye or teen martaba tasbeeh padhne ke barabar khuLi rahe to namaz nahi hogi or chehra dono hatheLiyan or dono per or baqi sara jism namehram Mardon se chupana Zaroori hai ye parde ka hukm hai*
*◐ PART-12 ◐*
*☞ PARDA OR SATAR ME FARQ*
*☞ Parde ka hukm Alag hai or satar ka hukm alag hai parde ke hukm me sar se paon tak poora jism dakhiL hai jisko namehram mardon se chupana ghar me bhi zaroori hai or ghar se bahir bhi zaroori hai Lihaza ghar me or ghar ke bahir namehram mardon ke samne sar ke baaL khoL kar Aana gunaah hai Or ye uska Azaab hai jo Aap pehLe part 4 me padh chuke baaz parda'daar khawateen ghar ke bahir to Sar or chehra chupane ka Ahtamam karti hain lekin ghar me jo namehram mard ya qareebi namehram Rishtedar hain unse wo khawateen parda karne ka Ahtamam nahi karti inke samne sar bhi khuLa hai ghardan bhi khuLi hai baazu bhi khuLe hue hain girebaan tak khuLa hua hai or baaz khawateen Sadhi is andaaz se pehanti hain ke pet or peeth bhi isme nazar aati hai masLan dewar ya jeth ya taya zaad bhai phopi zaad bhai mamu zaad bhai or khaLa zaad bhai ghar me Aate rehte hain lekin inse parda karne ka koi Ahtamam nahi hai inke samne sar sina hath or baazu sab khuLe hue hain jab ke shariyat me in sab se parda karne ka hukm hai or inke samne sar khoLne ki ijazat nahi hai*
*◐ PART-13 ◐*
*☞ GHAR KE ANDAR REHNE WALE NAMEHRAM MARDON SE PARDE KA TARIQA*
*☞ Han itni gunjaaish hai ke jo namehram mard ghar ke andar Rehte hain jinse har waqt mukammal parda karna mushkiL hai masLan devar ya jeth ghar ke Andar sath Rehte hain ab har waqt inki Aamd o rafat Rehti hai or wo aksar ghar par kaam kaaj bhi karte rehte hain Unke bare me ye hukm hai ke unke samne bhabhi ko chahiye ke wo koi bada or mota dupatta is tarah odhLe ke isme peshani se upar ke or sar ke sare baaL chup jaye or dupatta is tarah bandhe jis tarah Namaz me bandha jata hai or isme dono bazu bhi chup jayen or wo apni pindLi bhi Shalwar waghera se chupaye pindLi ka Zikr isliye kiya ke Aaj kal unhe khuLa rakhne ka Riwaaj chaL raha hai jo sara sar najaaiz hai chehre par Gungat Rakhe or dono hatheLiyan or dono per khuLe Rahen is haLat me inke samne Aana jana Rakhe or ghar ka kaam anjaam de to iski gunjaaish hai or isme bhi behtar ye hai ke chehre par gungat daaL kar inke samne aaye jaye or zaroorat ke waqt gungat me inse baat bhi kar sakti hai or jawab bhi de sakti hai*
*◐ PART-14 ◐*
*☞ PINDLI KHOLNE KA MANHOOS RIWAAJ*
*☞ Shareef or hayadaar Aurat ke liye chehre par gungat daaL kar kaam kaaj karna koi mushkiL nahi basharte ke Aakhirat ki fikr ho khof e khuda ho or Allah ta'ala ke Azaab se dar Lagta ho Lekin sar khuLa Rakhna ya sar ke Upar itna bareek dupatta odhna ke us me se sar ke baaL nazar Aarahe hain ya baray naam dupatta gaLe me daaL Rakha hai sar par nahi rakha bazu bhi khuLe hue hain kohni bhi khuLi hui hai kaLayi'yan bhi khuLi hui hain or un kaLayi'yon me Zewar bhi pehna hua hai Or Aaj kaL to pindLiyan khoLne ka manhoos Riwaaj bhi chaL pada hai Lihaza ghar ke jo namehram mard hain unke samne bhi in Aaza ko khoLna jayaz nahi or ghar se bahar khoLna to kisi haaL me jayaz nahi Lekin Aaj musalman khawateen ka jo haaL ghar ke andar hai usse zada bura haaL ghar ke bahar ka hai bahar nikaLte waqt burqe or parde ka koi naam nahi or jo kapde pehne hue hain wo bhi itne bareek ya itne chust hain ke badan ka har hissa numaya ho raha hai Lihaza meri baat ko khawateen ghor se sunLen namehram mardon ke samne nang'ge sar Aane ka Azaab Aap sallallahu alaihivasallam ye bayan farma rahe hain ke mene Apni aankho se unko jahannam ke andar sar ke baL Latke hue dekha hai or unka dimagh handiyon ki tarah pak raha tha Allah ta'ala ki panaah Allah ta'ala ham sab ki jahannam ke Azaab se hifazat farmaye ham sab ko apne hifz o Aman me rakhe Aameen ya RabbuL AaLameen*
*◐ PART-15 ◐*
*☞ BE PARDAGI KI WAJAH SE AZAAB*
*☞ jahannam me auraton par Azaab dekhne ke bare me huzur e akram sallallahu alaihivasallam ne or bhi bahut si hadees me bayan farmaya hai Chunache namehram mardon ke samne beparda nikaLne ke siLsiLe me Ek hadees me Huzur e akram sallallahu alaihivasallam ne farmaya mene jahannam me zadatar Auraton ko dekha phir farmaya Auraton ke jahannam me kasrat se jane ki char wajah hain*
*☞ {01} Ek wajah ye hai ke inme Allah ta'ala ki itaa'at ka mada kam hota hai*
*☞ {02} Dusri wajah ye hai ke inme huzur e akram sallallahu alaihivasallam ki tabedari ka jazba kam hota hai*
*☞ {03} Teesri wajah ye hai ke inme Apne shohar ki farmabardari kam hoti hai*
*☞ {4} Chothi wajah ye hai ke inme ban than kar beparda ghar se bahar nikaLne ka jazba bahut zada hota hai*
*☞ Ye chothi wajah wahi hai jo ham apni Aankho se dekh rahe hain Aaj kaL jab aksar khawateen bahar nikaLegi to khoob AaLa se AaLa joda pehan kar or khoob Aarasta o perasta ho kar makeup kar ke khushbu Laga kar beparda bahar nikaLegi agar koi khatoon mukammal shar'ee parde me ghar se bahir NikaLe or aisi khushbu Laga kar na nikaLe jis ki khushbu dusre namehram mardon tak jaye ya jo Aaraish o zebaish ke sath sirf apne shohar ke samne Aaye ya apne baap or bhai or bete ke samne Aaye to isne koi burayi nahi jayaz hai kiyu ke shohar ke liye Aaraish o zebaish karna sirf jayaz hi nahi baLke behtar hai Lekin ye Azaab o wabaaL is soorat me hai ke auraten namehram mardon ke samne Aaraish kar ke Aayen chahe wo namehram ghar ke hon ya bahar ke hon is waqt ye fe'aL gunah or haram o najaaiz hai jisse bachna wajib hai*
*◐ PART-16 ◐*
*☞ DUSRI AURAT PAR AZAAB KA SABAB ZABAAN DARAZI*
*☞ Dusri Aurat jisko Aap sallallahu alaihivasallam ne dekha ke wo zabaan ke baL jahannam me Latki hui hai iske bare me Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya ke ye wo Aurat hai jo apni zabaan darazi se apne shohar ko takleef pohchaya karti thi baaz Auraton me biLa shuba ye buri khasLat o Aadat payi jaati hai ke wo bahut hi muh phat zabaan daraz bad'go or bahut zada zabaan chaLa kar Apne shohar ko takleef pohchane ki Aadi ho jati hain Or ye baat to Mard ke liye bhi jayaz nahi ke wo apni zabaan se apni Bivi ko na'haqq takleef pohchaye ya usko sataye or pareshan kare mard ke liye ye baat ba'ise Azaab or ba'ise wabaaL hai Lekin is hadees me ye sifat khas Auraton ke liye bayan ki jaa rahi hai ke baat baat par shohar se Ladna battamazi karna or aisi baten karna jisse shohar ka diL dukhe usko takleef or iza pohche aisi khawateen ke bare me ye Azaab bataya gaya hai ke wo jahannam me zabaan ke baL Latki hongi*
*◐ PART-17 ◐*
*☞ ZABAAN DARAZI SANG'GEEN GUNAH*
*☞ Agar insaan kisi ko haath se mar de ya kisi cheez se mar de iski takleef zada der tak baqi nahi Rehti Lekin zabaan se baaz Awqaad insaan Ek aisa kaLma keh deta hai ke zindagi bhar insaan isko nahi bhooLta Ek shayar ne kya khoob kaha hai TaLvaar ka zakhm bhara Zabaan ka zakhm hara Yani TaLvaar se Laga hua zakhm insaan ka bhar jata hai par zabaan ka zakhm kabhi nahi bharta hamesha hara Rehta hai Zabaan ka jism to bahut chota hai magar iske gunaah bade sang'geen hain in sang'geen gunaaho me se Ek gunah zabaan darzi bhi hai Ye aisa sang'geen gunah hai ke ghar ke sare sakoon ko gharat kar deta hai or Zindagi ko mushkiL bana deta hai Agar iska sabab kisi khatoon ki zabaan hai to iske liye hadees me ye Azaab o wabaaL bayan kiya gaya hai isliye khawateen ko is baat ka khayal rakhna chahiye ke wo zabaan se koi aisa kaLma na nikaaLe jis se unke shohar ko takleef pohche Aise hi shohron ki ye zimmedari hai ke wo bhi Apni zabaan se aisi baat na kahe jisse bivi ko takleef pohche BaLke tamaam musalman mardon Aurto'n ko ye hukm hai ke wo Apni zabaan ko qabu me rakhe or zabaan se aisi baat kehna jisse dusre ko takleef pohche ba'ise Azaab hai or gunah hai or kisi musalman ko na'haqq takleef pohchana haram hai or jis tarah hath ke Zarye isharon ke Zarye takleef pohchana gunah hai isi tarah zabaan ke Zarye takleef pohchana bhi Gunaah hai isliye is baat ka khoob Ahtamam karna chahiye ke zabaan se wahi baat nikaLe jisse dusron ka diL khush ho or dusron ko takleef na pohche or apni zabaan ko Hamesha qabu me rakhiyega*
*◐ PART-18 ◐*
*☞ TEESRI AURAT PAR AZAAB KA SABAB BEHAYAYI , BEHAYAYI KE SANG'GEEN NATA'IJ*
*☞ Teesri Aurat jis ko Aap sallallahu alaihivasallam ne dekha ke wo chathiyon ke baL jahannam me Latki hui hai uske bare me Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya ye wo Aurat hai jo shadi Shuda hone ke bawajood dusre mardon se najayaz ta'alluq rakhti thi Shareef or bahaya Aurten to iska tasavvur bhi nahi kar sakti isi tarah shareef or bahaya mard bhi iska tasavvur nahi kar sakte Lekin jis muaashre me haya ka khatma ho chuka ho or behayayi ka dor dora ho usme is baat ko kahan bura Samjha jayga baLke Aise maashre me isko feshan ke tor par Akhtiyaar kiya gaya hai Huzure Paak Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya haya imaan ki ek shakh hai yani deen or imaan ka ek Aham shoa'ba haya hai Ye haya aisi cheez hai jo insaan ko bahut se gunaah Se bacha Leti hai Chunache jinsi noyi'yat ke jitne gunaah hain un sab me haya Ek parda or Rukawat ban jaati hai isi haya ki wajah se insaan ghairmehram Aurat ki taraf Nazar nahi utha sakta kisi namehram ke pass jane or uske pass tanhayi me bethne se haya us insaan ko Rokegi Isi Tarah agar aurat hayadar hai to wo haya usko namehram mard ki taraf dekhne se Rokegi or ye haya hi dar AsaL baap or beti ke darmiyan bhai or behan ke darmiyan sasur or bahu ke darmiyan parda hai Allah ta'ala na kare Agar kisi jagah par kisi waqt is haya ka khatma ho gaya to phir beti or Ajnabi Aurat sab barabar hain*
*◐ PART-19 ◐*
*☞ BAAP OR BETI KE DARMIYAN HAYA KA PARDA*
*☞ Mere ek dost jo bahut bade AamiL hain unke pass zadatar Auraton ki Aamad o rafat Rehti hai kisi par jin chadha hua hai kisi par Aaseb ka asar hai kisi par jadu ka shuba hai kisi ke liye Shadi ki koshish hai Ek maah pehLe jab meri unse mulaqaat hui to wo mere kaan me chupke chupke kehne Lage ke Aaj kaL mere pass Aksar aurten Apni pareshani Lekar Aati hain ke koi Aisa taveez de ke baap ki nazar beti se hat jaye isliye ke hame Raat ko baar baar uth kar pehra dena padta hai ke kahin Aisa to nahi hai ke baap beti ko pareshan kar raha ho phir kehne Lage me to sun kar kaanp jata hun ke inko kya iLaaj bataun jab baap hi ka diL beti par Aagaya to Ab zameen par chaLne ka kya haqq Reh gaya*
*☞ BEHAN SE BHAIYON KA ZINA KARNA ALLAH HU AKBAR*
*☞ Ye baat kitaab se nahi likh Raha hun mere ghao khera Afgaan me jod tha hamare Maulana mojood the Maulana apne bayan me farma rahe the mere pass ek Ladki ka phone Aaya Maulana mere liye dua karna mera koi nahi hai maa baap bhi nahi hain 2 bhai hain jo 2 (years) SaaL se mere sath Lagatar Apni jinsi khahishat ko poora karte Aarahe hain itna sunte hi Maulana Rone Lage Maulana ne poocha beti tum kis jagah Rehti ho kehne Lagi bas dua karna Address nahi diya Allah hu akbar Ye sab behayayi ki wajah se hua kiyu ke jahan behayayi Aati hai wahan se behan beti or ghair me koi farq nahi Rehta Jahan poori family miL kar TV me aise programme dekhte ho'n jinko akeLe dekhne me bhi sharm mehsoos hoti ho wahan se to haya ka janazah nikaL hi chuka hota hai Allah ta'ala ham sab ko bahaya banaye Allah ta'ala ham sab ko haya ki doLat se maLa maal farmay Aameen ya Rab*
*◐ PART-20 ◐*
*☞ TV KA WABAAL*
*☞ Magar Logon ko ye baat samjhme nahi Aati ke ye sab TV dekhne ka natija hai wo to kehte hain ke TV dekhne me kya harj hai haLanke ye sara wabaaL TV ka hai isliye ke TV par nang'gi filme dekh dekh kar haya ka janaza nikaL gaya hai baap se bhi haya nikaL gayi hai or bhai se bhi haya nikaL gayi hai or jab Haya baqi na rahe To Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya hai jab tumhari haya ka khatma ho jaye to jo chahe karo isliye ke phir har burayi Aapke liye barabar hai haya hi ye batati hai dekh ye teri beti hai or ye teri behan hai ye teri maa hai ye teri bahu hai Agar haya nahi phir iske nazdeek sab khawateen barabar hain phir to jaanwaron jesi haLat hogi kiyu ke janwar me bhi haya nahi isliye inke andar maa behan ka Rishta bhi nahi hai insaan ke andar Allah ta'ala ne haya ka madah Rakha hai wo haya hi isko in baton se Rokti hai or jaanwaron se mumtaaz karti hai*
*◐ PART-21 ◐*
*☞ TV HAYA SAAF KARNE KA USTARA*
*☞ Behar haaL ye TV haya ko saaf karne ka ustara hai AkhLaaq ko barbaad karne ka Zariya hai Imaan ko gharat karne ka sabab hai Jis tarah ustare se saare sar ke baaL saaf ho jaate hain isi tarah TV or filme dekhne se insaan ki haya ka khatma ho jata hai AkhLaaq ka khatma ho jata hai AamaaL ka khatma ho jata hai or Aakhir me baaz martaba imaan bhi chaLa jata hai Behar haaL jo aurten dusren mardon par nazar rakhti hon or unse najaaiz ta'alluqaat rakhti hon uske liye ye Azaab hai ke jahannam me usko chatiyon ke baL Latkaya jayga lihaza is gunah se bache Allah ta'ala AmaL karne ki tofeeq ata farmaye Aameen ya Rab*
*◐ PART-22 ◐*
*☞ CHOTHI AURAT PAR AZAAB KA SABAB ISTEHZA*
*☞ Chothi Aurat jis ko Aap sallallahu alaihivasallam ne is haLat me dekha ke uske dono per seene se bandhe hue hain or dono hath sar se bandhe hue hain iske bare me Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya ke ye wo Aurat hai jo duniya me janabat or haiz se paak saaf Rehne ka Ahtamam nahi karti thi Or namaz ke sath badi Laparwahi baLke istehza ka mamLa karti thi*
*◐ PART-23 ◐*
*☞ GUSAL FARZ ME TAKHEER KI HAD*
*☞ GhusaL ka masLa ye hai ke jab mard or Aurat par ghusaL farz ho jaye to afzaL ye hai ke usi waqt ghusaL karLe or agar is waqt ghusaL na kare kam az kam istanja kar ke wazu karLe or phir so jaye or agar ye bhi na kar sake kam az kam istanja karLe or kuL'Li karle or hath dho kar so jaye Or agar itna bhi na kar sake to phir Aakhri darja ye hai ke subha sadiq hone par jama'at se itni der pehLe ghusaL karle ke agar mard hai to uski namaz bajama'at Ada ho jaye Agar aurat hai to ghusaL se Faraghat ke baad tuLu Aaftaab se pehLe namaz fajar Ada karle ye Aakhri darja hai is waqt se zada takheer karne ki gunzaish nahi hai Lihaza agar koi Shakhsh janabat ki haLat me so gaya or phir sooraj nikaLne ke baad Utha to uske liye ye Azaab o wabaaL hai kiyu ke ghusaL karne me itni takheer karna jis ki wajah se namaz ka waqt jata rahe ya namaz qaza ho jaye najaaiz or haraam hai Ab mera un musalman bhaiyon or behno se sawaL hai jo kehte hain jab unko namaz ke liye kaha jaye ki kapde napaak hain Upar kya Likha hai dhiyaan se padhLe Allah ta'ala ham sab ko sahi samjh ata farmaye tamam bataon par amaL karne ki tofeeq ata farmaye Aameen ya Rab*
*◐ PART-24 ◐*
*☞ DER SE SONE KI NAHUSAT*
*☞ Hamare yahan der se sone ka aisa manhoos fashion chaL pada hai jis ki wajah se umuman Subha sawere Uthna mushkiL ho jata hai Raat ko itni der jaagna jis ki wajah se fajar ki Namaz Qaza ho jaye jayaz nahi hai phir Agar janabat ki haLat me ho to fajar ki Namaz ka qaza hona or yaqeeni ho jata hai chahe wo mard ho ya Aurat Or janabat ki haLat me is tarah sari Raat guzaarna ke fajar ki Namaz bhi qaza ho jaye or zada najaaiz or gunah hai or ba'ise Azaab hai Lihaza gunah se bachne ki fikr karni chahiye*
*◐ PART-25 ◐*
*☞ MAAHWAARI SE PAAKI PAR FORAN GHUSAL*
*☞ Is tarah maahwari ke mamLe me bhi ye hukm hai ke jis Waqt paak ho taharat ho jaye or paaki ki Alamat payi jaye or us waqt ki Namaz ka bhi waqt hai or imkaan hai ke Agar jaLdi se ghusaL kar liya jaye to waqt nikaLne se pehLe kam az kam Allah hu akbar kehne ka waqt mil jayga to is waqt ki Namaz farz ho jaygi isliye us waqt ye hukm hai ke foran jaLdi se ghusaL kar ke namaz padhe or agar isse zada waqt mile to phir batareeq awLa namaz farz ho jaygi masLan namaz ka waqt khatm hone me Ek ghanta baqi hai or paaki ki Alamat mojood hai to foran ghusaL kar ke namaz padhe Lekin Aaj ki khawateen me ye marz Aam hai ke us waqt ko Laparwahi me guzaar deti hain Chunache Agar Raat ko isha ke baad paak ho gayi to sari Raat bager ghusaL ke napaaki ki halat me guzaar dengi haLanke Subha sadiq se pehle ghusaL kar ke isha ki Namaz padhna in par farz ho chuka hai isliye aisi soorat me inko chahiye ke ghusaL kar ke paak saaf ho jaye or namaz ada karen Hazrat Sahabiyaat RA ka Aakhirat ki fikr ki wajah se ye haaL tha ke wo Raat ko baar baar uth kar or chiragh JaLa kar dekha karti thi ke kahin aisa to nahi ke taharat ho chuki ho or namaz farz ho chuki ho or phir hamari namaz qaza ho jay Aaj kaL to chiragh jaLane ki Zehmat bhi nahi hai sirf batan dabane ki der hai jisme koi dikkat nahi hai iske bawajood uske andar Laparwahi karne or kayi kayi namaze Zaye karne ka ye Azaab or wabaaL hai Aap sallallahu alaihivasallam ne jo is hadees me irshad farmaya lihaza janabat or maahwari ke mamLe me bahut hoshiyar rehne ki zaroorat hai ke iski wajah se hamari koi namaz qaza na hone paye Or Aam halat me bhi namaz qaza karne se bachna chahiye*
*◐ PART-26 ◐*
*☞ AZAAB KA SABAB NAMAZ KA ISTEHZA*
*☞ Is Azaab ki teesri wajah Aap sallallahu alaihivasallam ne bayan farmayi wo namaz ka istehza or mazaakh Udana hai or namaz ko mamooLi samjh kar iski taraf se Laparwahi karna hai is mamLe me hamare Aam mardon or Aurto'n ka taqreeban yaksa haaL hai Chunache jitne Nojawan hain umuman inke andar namaz ka Ahtamam nahi na Ladkiyo'n me or na Ladkon me Isi Tarah Aazaad mansh Auraton me bhi namaz ka koi Ahtamam nahi or agar inse namaz ke bare me kaha jaye to aise tareeqe se jawab diya jata hai ke jisse aisa maloom hota hai ke inki nazar me namaz koi zaroori kaam nahi HanLanke Shadi ho ya ghami Lekin namaz chordna jayaz nahi Aaj kaL ki taqribaat me Dekhiye inme kis tarah Ladkon Ladkiyo'n or mardon or Auraton ki Namaze barbaad hoti hain or aisi taqribaat dar haqeeqat wabaaL hai Allah ta'ala ham sab ko aise wabaaL se bachaye or pakka saccha namazi banay Aameen ya Rab*
*◐ PART-27 ◐*
*☞ PANCHVI KHATOON PAR AZAAB KA SABAB CHUGHLI*
*☞ Panchvi khatoon jisko Aap sallallahu alaihivasallam ne is haLat me dekha ke uska chehra khinzeer ki tarah hai or baqi jism ghadhe ki tarah hai or sanp bicchu usko Lipte hue hain iske bare ne Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya ye wo Aurat thi jisko jhoot bolne or chughLi khane ki wajah se Azaab ho raha tha Aap hazraat jante hain ke ye dono gunaah sirf Auraton ke sath khas nahi hai baLke agar Mardon ke andar bhi ye gunah paye jayenge to unki bhi pakad hogi or un par bhi Azaab hoga*
*☞ CHUGHLI OR GHEEBAT ME FARQ*
*☞ Ek gunah hai gheebat or Ek gunah hai chughLi ye dono gunaah haraam hain dono se bachna zaroori hai Lekin in dono me thoda farq hai gheebat use kehte hain ke kisi ki peeth piche uski is tarah burayi karna ke agar usko maloom ho jaye to wo usko napasand kare masLan kisi Shakhsh me koi ayb hai Ab ham dusron ko jaa kar bata rahe hain ke faLan Shakhsh me ye Ayb hai iska naam gheebat hai Lekin agar ham kisi Shakhsh ki burayi uski peeth piche is niyat se karen take dono me Ladayi ho badgumani ho or na'ittafaqi peda ho isko chughLi kehte hain or chughLi ka gunaah gheebat se badh kar hai isliye ke gheebat me to sirf dusron ki burayi maqsood hoti hai lekin chughLi me to burayi ke Alawa ye bhi maqsood hai ke in dono ke darmiyan Ladayi ho or dono ke darmiyan jo dosti or muhabbat ka ta'alluq hai wo khatm ho jaye masLan saas ne bahu ki baten sasur ke samne ya uske Shohar ke samne Lagayi Ab shohar bivi se khafa ho raha hai or sasur bhi bahu se badguman ho raha hai ye chughLi hai or haraam hai Aaj kaL ye masLa Aam hai or har ghar ka masLa hai Ek gharana jo saas bahu sasur or shohar par mushtamiL hai Lekin charon Ek Dusre se kate hue hain isliye ke charon is chughLi ki museebat me mubtaLa hain or har Ek Dusre ki chughLi or badgumani me Laga hua hai is wajah se ghar ka nizaam darham bharham ho gaya ghar ka sakoon gharat ho gaya or Aakhirat me bhi in par bada Azaab o wabaaL hai Allah ta'ala ham sab ki chughLi or gheebat se hifazat farmaye Aameen ya Rab*
*◐ PART-28 ◐*
*☞ EK CHUGHALKHOR KA QISSA*
*☞ Ek chughaLkhor ka qissa yaad aaya ek Shakhsh ne bazaar me dekha ke ek Shakhsh apna ghuLaam bench raha hai or ye Awaaz bhi Laga raha hai ke ye bahut accha ghuLaam hai iske andar iske alawa koi or aib nahi hai ke ye kabhi kabhi chughLi khata hai kisi Shakhsh ne ye Awaaz suni usne shocha isme to koi aib nahi hai or chughLi khana to Aam baat hai usme kya kharabi hai us ghuLaam ko khareed Lena chahiye Chunache usne soda kar ke us ghuLaam ko khareed liya or apne ghar Le Aaya kuch arse tak to wo ghuLaam sahi kaam karta raha uske baad usne apna rang dikhana shuru kiya Chunache chughaLkhori ke andar wo mahir tha isliye usne chughaLkhori ke andar apna kartab dikhLaya or sabse pehLe wo apni malika ke pass gaya or usse ja kar kaha Apke shohar jo mere Aaqa hain wo kisi or Aurat se ta'alluq rakhte hain or uske pass Aate jaate hain or anqareeb wo tujhe chord kar usse shadi karlenge or ye teri khair khahi ke liye tujhe bata raha hun kisi or ko mat batana ye baten sun kar wo bivi bahut ghabrayi or pareshan hui phir khud ghuLaam hi ne uski pareshani ka iLaaj bataya ke mujhe ek tarkeeb Aati hai tum us par AmaL karLo wo ye ke jab tumhare shohar so jayen to tum ustare se unki dhadi ke Ek do baaL kaat kar apne pass rakh lena phir dekhna kiya hota hai phir wo hamesha tumhare ho kar rahenge kabhi dusri Aurat ki taraf Nazar nahi uthayenge Aurat ne jawab diya ye kya mushkiL kaam hai ye to me Aaj hi karlungi khuda na khasta kaL kuch or ho gaya to kiya hoga Ab wo ghuLaam Aaqa ke pass Aaya or usse kaha ke tumhari bivi ke dusre mardon se najaaiz ta'alluqaat hain or anqareeb wo Aapko khairbaad kehne waLi hai or usne ye tuhayya karliya hai ke wo Aaj raat apko ustare se zibaah karegi Agar Aapko meri baat par yaqeen na ho to Aap jhoot mooth so kar dekhna or gaLa na kat jaye to batana Chunache wo Aaqa jaa kar jhoot mooth so gaya or idhar bivi is intezar me thi ke kab inki Aankh Lage or me Apna kaam karun miyan ko neend kahan Aati isliye isne masnoyi kharrata lena shuru kar diya Ab bivi ko yaqeen ho gaya ke miyan sahab ko neend Aagayi hai Foran ustara Le kar pohchi or Abhi haLkasa ustare ko gaLe par rakha tha ke Aaqa ne foran Aankh khoLdi or bivi ko pakad kar kaha accha tum mujhe zibaha karna chah rahi thi gussa to pehLe hi se Aaraha tha us Aaqa ne usi ustare se bivi ko zibaha kar diya Jab bivi ke khandan walon ko pata chaLa ke shohar ne hamari beti ko zibaha kar diya hai unhone Aakar usi ustare se shohar ko zibaha kar diya Ab shohar ke khandan wale bhi Aagaye or dono khandano me khoob jhagda hua or beeso Lashe gir gayi*
*☞ is waqiye se hame ek Sabaq bhi miLta hai Agar koi Aapse kisi ki chughLi karta hai ya Aapke Apno ke beech Ladayi karwana chahta hai to uski baat sun kar gussa karne se accha hai baat ki haqeeqat ko jaane or wo chughaLkhor jiske baare me aapse chughLi Laga raha hai usko buLa kar baat ko saaf karen isse chughaLkhor zaLeeL hoga ho sakta aisa karne se uski ye buri Aadat bhi chut jaye ham tahqeeq karte nahi hain or hamare gharane barbaad ho jaate hain*
*◐ PART-29 ◐*
*☞ GHAR KE AFRAAD ME CHUGHLI*
*☞ Aapne dekha ke is ghuLaam ne zarasi chughLi se kis tarah se dono khandan ko tabah kar diya Isliye is chughLi ko shariyat ne haraam qaraar diya hai Ab chahe har jagah chughLi qataL na karaye magar diL to para para ho hi jaate hain Ab tak bahu or saas me badi muhabbat thi magar Ab chughLi laga laga kar dono ke diL phaad diye Ab tak sasur Apni bahu ke sath badi shafqat ke sath pesh Aata tha lekin saas ne uske kan bhar bhar ke bahu ki taraf se uska diL phad diya Ab ghar ke andar ye haaL ho gaya hai ke na bete ke diL me baap ka Ahtaram raha or na sasur ke diL me bahu ka Ahtaram raha or na bahu ke diL me saas ki muhabbat Rahi Or ye chughLi karna or kaan bharna jis tarah ghar ke afraad ke darmiyan hota hai isi tarah ghar ke bahar ke Afraad me bhi hota hai masLan dosto me Rishtedaron me Ahle ta'alluqaat me ye chughLi khayi jaati hai or kisi ke sirf batane par hi poora yaqeen kar lete hain ke waqiyatan isne aisa kiya hoga jab ke is tarah suni sunayi bataon par biLa tehqeeq yaqeen karna bhi jayaz nahi Beharhaal ye chughLi itni buri cheez hai isne hamare andar se muhabbat ko khatm kar ke rakh diya hai koi Shakhsh tumhare samne beth kar kisi ki bhi chughLi kare foran mana kardon yaad Rakho jisme chughLi ki Aadat mojood hogi wo yaqeenan jhoot bhi boLega isse bahut zada bachna chahiye Allah ta'ala ham sab ko sahi samjh ata farmaye tamam bataon par amaL karne ki tofeeq ata farmaye Aameen ya Rab*
*◐ PART-30 ◐*
*☞ AZAAB KA SABAB JHOOT BOLNA*
*☞ Is chughLi ke sath dusra gunah jo Aap sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya wo hai jhoot boLna Aap hazrat jaante hi hain jhoot boLna kitna bada gunaah hai or chughLi ke andar jhoot ka hona Lazmi hai isliye ke jhoot ke baghair chughLi kese chaLegi or jis tarah Aaj hamare muaashre me chughLi Aam hai isi tarah jhoot bhi Aam hai har medaan me jhoot ka ek khatm na hone waLa siLsiLa hai Ab jaaLi Sanand banayi jaa rahi hai paise de kar sanand LeLo wakaLat ki sanad LeLo doctor ki sanand LeLo teacher ki sanad LeLo jhooti sanad tayyar hai jhoote kaghaz par MuLazimaten job Akhtiyaar ki jaa rahi hai Yaad rakho in tamaam soorton me jhoot boLna likhna batana sab haraam hai or sakht gunah hai*
*◐ PART-31 ◐*
*☞ TEEN QISAM KE AFRAAD PAR QAYAMAT KE DIN AZAAB*
*☞ Isiliy Ek hadees me Huzur e akram sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya ke teen Aadmi aise hain ke Allah ta'ala unki taraf qayamat ke roz nazar e rehamat nahi farmayenge na unse baat karenge or na unka tazkiyah farmayenge or unke liye dardnaak Azaab hai*
*☞ Ek Aadmi wo hai jo haLate safar me hai or uske pass zaroorat se zada pani mojood hai dusre musafir ko pani ki zaroorat hai or wo usse pani taLab karta hai magar ye pani dene se inkaar kar deta hai is Shakhsh ke liye ye Azaab hai Albatta agar pani zaroorat ke mutabiq hai to phir inkaar kar dena jayaz hai isme koi gunaah nahi*
*☞ Dusra Shakhsh jisko ye Azaab diya jayega wo tajir hai jo kharidaar ko kehta hai ke mene ye cheez itne me kharidi hai or tumhe itne me farokht karta hun or is par Qasam bhi khaLe haLanke wo jo qeemat khareed khareedaar ko bata raha hai usne us qeemat par wo cheez nahi kharidi masLan wo kehta hai mene ye cheez Ek hazaar rupy me kharidi hai or tumko 1200 me farokht karta hun or Ek hazaar me khareedne par Qasam bhi khaLeta hai jab ke isne wo cheez 800 me kharidi hai or Qasam khane ki wajah se khareedar mutma'in ho gaya or usne mutma'in ho kar wo cheez 1200 me khareedLi Agar khareedar ko ye maloom hota ke usne ye cheez 800 me kharidi hai to wo kabhi bhi 1200 me na khareedta Lihaza usne jhooti qasam khayi us jhooti qasam par ye Azaab hai jo Aap sallallahu alaihivasallam ne bayan farmaya*
*☞ Teesra Shakhsh wo hai jo Ahsaan kar ke jatLata hai usko bhi ye Azaab hoga ke Allah ta'ala qayamat ke roz uski taraf Nazar e Rehmat nahi farmayenge or na usse baat cheet farmayege or na uska tazkiyah farmayenge or uske liye dardnaak Azaab hoga Baaz Logon me Ahsaan jatLane ki badi Aadat hoti hai wo is gunah se batore khas bache Allah ta'ala ham sabko tamam gunah se bachne ki tofeeq ata farmaye Aameen ya RabbuL AaLameen*
*◐ PART-32 ◐*
*☞ JHOOT KA RIWAAJ AAM*
*☞ Beharhaal ye teen Aadmi aise hain jinko dardnaak Azaab diya jayga or wo dardnaak Azaab ye hai ke inka chehra suwar ki tarah hoga or baqi jism kutte ki tarah hoga or jahannam ke sanp bicchu usko Lipte hue honge Ye Azaab chughLi or jhoot boLne ki wajah se hoga Aaj hamare gharon me jhoot boLa jata hai hamare bazaro me jhoot boLa jata hai hamare daftaron me jhoot boLa jata hai hamari taqribaat me jhoot boLa jata hai Or jhoot ko fashion ke tor par apnaya gaya hai Or jhoot ki beeson Jadeed qisme hamare muaashre me payi jaati hain jis par hazrat Maulana mufti taqi Usmani Sahab DB ne tafseel se bayaan farmayi hai inka wo bayan kitaabi shakhaL me jhoot or uski mirwajah soorten ke naam se chap chuki hai iska zaroor mutaLa karen or apni islaah karen*
*◐ PART-33 ◐*
*☞ CHATI AURAT PAR AZAAB KA SABAB AHSAAN JATLANA*
*☞ Chati Aurat jisko Aap sallallahu alaihivasallam ne is haLat me dekha ke wo kutte ki shakaL me hai or uske muh se Aag dakhiL ho rahi thi or pakhane ke Raste se Aag nikaL Rahi thi or farishte jahannam ke gurz se uski pitayi kar rahe hain maar rahe hain iske bare me Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya us Aurat ko ye Azaab do gunaho ki wajah se ho raha hai Ek hasad karne ki wajah se or dusra Ahsaan jatLane ki wajah se Ye dono gunaah aise hain jo Mardon ke andar bhi paye jaa sakte hain mard bhi hasad kar sakte hain or Ahsaan jatLa sakte hain isliye is dardnaak Azaab ke wo mustahiq ho sakte hain Agar khawateen in gunaho ko karegi or toba nahi karegi to wo bhi is Azaab ke andar mubtaLa hogi*
*☞ AHSAAN JATLANE KA MATLAB*
*☞ Ahsaan jatLane ka Matlab ye hai ke hamne kisi ke sath husne salook kiya Lekin jab hamara moqa Aaya ke hamare sath koi Hamdardi kare or Ahsaan kare hamare sath tavun kare us waqt us Shakhsh ne hamare sath tavun na kiya to ab foran ye Ahsaan jatLa dete hain ke tumhare moqe par to hamne tumhari badi khidmat ki bahut kaam Aaye Lekin hamare moqe par tumne tote ki tarah Aankhe band karLi ye hai Ahsaan jatLana ye baat khawateen me bahut payi jaati hai Shadi biyaah ke moqe par or Bimaari ke moqe par unhone khidmat kardi or unke moqe par dusre ne khidmat na ki Ab wo Aurat sare me dhandora peetegi jo bhi iske pass aayega uske samne jatLaygi hamne iske sath faLa khair khahi ki madad ki or aisa kiya or Aaj jab hamara moqa hua to usne hamare sath aisa salook kiya isliye mardon or Auraton ko chahiye ke jiski koi khidmat kare wo mehaz Allah ta'ala ki Raza ke liye kare or Allah ta'ala hi se iske Ajar ki ummeed rakhe or jab kisi se koi ummeed na hogi baLke Allah ta'ala se sirf ummeed hogi to phir wo shikwa or giLa diL me peda na hoga Ghar ke Andar bhi iski Aadat rahe or ghar ke bahar bhi doston me bhi iski Aadat rahe ke jo kuch karna hai sirf Allah ta'ala ke liye karna hai Allah ta'ala se sawab ki Ummeed Rakhe doston se Ahbaab se Rishtedaron se badLe ki koi ummeed na rakhe or tavaq'qo Rakhe Agar wo kare to uska Ahsaan samjhe Agar na kare jo Allah ta'ala hi par nazar rakhe Bas is AmaL se insha Allah diL me pareshani or takleef peda nahi hogi*
*◐ PART-34 ◐*
*☞ AZAAB KA DUSRA SABAB HASAD KARNA*
*☞ Isi Tarah Aaj kaL hasad bhi itna peda ho gaya hai ke koi Shakhsh dusre ko khaata nahi dekh sakta peeta nahi dekh sakta pehanta nahi dekh sakta Rehta nahi dekh sakta ye hasad mardon me bhi paya jata hai or Aurto'n me zada paya jata hai masLan kisi ke Acche kapde dekhe to diL me hasad peda ho raha hai kisi ka accha ghar dekha to hasad peda ho raha hai kisi ko dekha ke uski badi tezi se taraqqi ho rahi hai to is par hasad ho raha hai kisi ke mansaf or ohde par kisi ki khoobsurati par kisi ki maaLdari Se kisi ki sehatmandi se kisi ke husn o jamaL se kisi ke maaL o mata se kisi ke AhLo AyaL se gharz jitni niyamaten dusron ko hasiL hain inko dekh dekh kar hasad peda ho raha hai*
*☞ (HASAD KA MATLAB)*
*☞ Hasad ka mana hain ke insaan dusre ke pass koi niyamat dekh kar diL me jaLe or ye tamanna kare usse ye niyamat chin jaye or mujhe miL jaye ZawaL e niyamat ki tamanna karna iska naam hasad hai or ye gunahe kabira hai ke iski wajah se us Aurat ko dardnaak Azaab ho raha tha jo Aap sallallahu alaihivasallam ne is hadees me bayan farmaya*
*☞ (KHULASA)*
*☞ Beharhaal ye char gunah aise hain jo Mardon me bhi paye jate hain or khawateen me bhi jhoot boLna ChughLi khana Ahsaan jatLana Hasad karna Ye charon gunah aise hain jo hamare muaashre ke Andar Aam hain Agar khuda na khasta ye gunah jiske andar hon uske liye Aakhirat me bhi Azaab hai or duniya ki zindagi bhi iske liye ba'ise wabaaL hai isliye is sab se toba karni chahiye or bachna chahiye Beharhaal ye 6 Auraten hain jinka Zikr Aapne is hadees me ba'tarteeb bayan farmaya hai or in gunah ka ta'alluq khawateen se bhi hai or mardon se bhi hai Lihaza in tamaam gunaho se khawateen hazraat ko hi nahi baLke ham sabko khawateen ko bhi Mardon ko bhi badon ko bhi choton ko bhi bachne ki fikr karni chahiye take ham jahannam ke Azaab se bach sake Ab dua farmaye ke Allah ta'ala ham sab ko in tamaam baton par AmaL karne ki tofeeq Ata farmaye Aameen*
*┬ ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
┬━─━─━─━─━─━─━─┬
★
*ʀεғεʀεηcε:- ┬*
*📁 6 Gunahgar Aurtein : Mufti Abdur Rauf Sakharvi(DB)*
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Raah-e-haqq ❥*
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1
*👆🏻Visit for All updates,*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*Facebook* https://www.facebook.com/babar.khansr.1
🍀🍃🎋
aap hadiso ka hawala zaroor de....
ReplyDeleteaisay hi nahi likhay