Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, September 5, 2017

Tohfa e Khawateen Namaaz


✰══❖═══✰══❖═══              
                         ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
 ═══❖══✰═══❖══✰
       鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
 
                  *⊙NAMAAZ*⊙
   ┗═════════════════✿
*┱✿Namaz Ki Farziyat Aur Ahmiyat_,*
┱ Farmaya Huzoor Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k Apni Aulaad ko Namaz Padhne ka Hukm do Jabki WO Saat Saal ke ho jaye aur Namaz ( na Padhne ) per unki Pitaai karo , Jabki WO Das Saal ke ho jaye aur Unke Bistar alag alag kar do ( Yani Ladko aur Ladkiyo ko saath na sulaao )_,"

* Mishkaat- 58 Ba hawala Abu Daowd,*

*┱ Tashreeh_* _ islam ka doosra rukn Namaz hai , Qur'an v Hadees mai Namaz ki sakht takeed waarid hui hai , Iski Farziyat ka munkir Kaafir hai aur iska na Padhna bahut bada gunaah hai , Surah Ar-Room, Aayat 31 mai irshad hai :-
*َأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَلَا تَكُونُوا مِنَ الْمُشْرِكِينَ*
Yani Namaz qaa'im karo aur Mushrikeen mai se na Bano ,

┱ Ek aur Hadees mai irshad hai :- Hamare aur Kaafiro ke darmiyan Jo asli aur waqa'i farq hai WO Namaz Padhne na Padhne ka farq hai, Pas jisne Namaz chhod di usne kufr ka kaam kiya ,

┱ Abu Darda Raziyallahu Anhu ne farmaya :- mere dost sarkare do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe khaas tor per nasihat farmayi k Allah ke saath kisi cheez ko bhi shareek na banana agarche tere tukde kar diye jaye aur tu jala diya jaye aur Farz Namaz qasdan na chhodna kyunki jisne ( Namaz ka waqt hote hue ) Apne iraade se farz Namaz chhod di to usse ( Allah ka ) zimma bari ho gaya , ( Yani Duniya v Aakhirat mai use Azaab aur takleef aur zillat se bachane ki koi zimmedari Allah per nahi rahi ) aur Sharaab na pi kyunki WO har gunaah ki chaabi hai _,"

* Mishkaat- Ravaah ibne Maaja,*
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Fara'ize islaam mai Namaz Ka Muqaam _,*

┱ Islam Ke Faraiz v Amaal to bahut hai'n magar Namaz ko Jo muqaam diya gaya hai uski vajah se Namaz ki ahmiyat bahut Zyada hai , Namaz ka buland martaba isse samajh lo k doosre faraiz ka zameen per rehte hue Hukm diya gaya aur Namaz ke liye Khuda e Paak Wahdahu la shareek ne ye ahaam farmaya k Raoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ko Meraaj kara kar Aalame baala mai ataa farmayi,

┱ Aur islam ke faraiz mai duniya mai sabse pehle Namaz farz hui Aur Aakhirat mai sabse Pehle Namaz hi ka hisaab hoga ,balki Aakhirat ki kaamyabi aur Ba-muraadi ka madaar hi Namaz me theek nikalne per hai ,

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Sarkaare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Qayamat ke din Bande ke amaal ka Jo hisaab hoga unme sabse Pehle number per Namaz hai , So agar theek nikli to ( banda ) Kaamyab aur Ba-muraad hoga agar Namaz kharaab nikli to nakaam hoga aur khasare mai padega Yani nuqsaan uthayega _,"

* Mishkaat Sharif ,*

┱ Bahut se log Namaz nahi padhte magar Apne ko namaziyo'n se behtar aur Pakka Jannati samajhte hai'n , Unko Shaitan ne ye dhoka de rakha hai k Namaz nahi padhte to kya fala fala tareeqe se makhlooq ki khidmat anjaam dete hai'n ,logo ka free ilaaj karte hai'n, Dawaiya'n free dete hai'n vagera vagera , Halanki Namaz nahi to Kuchh bhi nahi Namaz ke bager doosre Amal maqbool ho na honge ,
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Ek Namaz Ki Qeemat Kis Qadar hai_*,

┱ Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Jiski Asr ki ( ek) Namaz jati rahi ( uska is qadar nuqsan hua k ) Jese Uske ahal v aulaad aur saara maal khatm ho gaya _,"

 *(Bukhari )* 

┱ Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya hai k Paanch Namaze Allah Ta'ala ne farz ki hai'n Jisne in Namazo ka wazu achchhi tarah kiya aur unko ba waqt padha aur unka Ruku v Sajda poori tarah ada kiya to Uske liye Allah Ta'ala ka zimma aur uska Ahad hai k Allah usko bakhsh dega aur jisne esa na kiya to Uske liye Allah ke zimme koi ahad (Bakhshish ka )  nahi chahe Bakhshe chahe Azaab de _,"

* Mishkaat Sharif ,*            
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Namazi Ka saara Jism ibaadat mai lag jatahai _,*

┱ Namaz mai badi khoobi ye hai k Namaz padhte waqt namazi ka Sara jism ibaadat hi mai lag jata hai, haath ,Paanv ,kamar ,Naak ,Aankh ,Zubaan Sab usi tarah ba moqa ba moqa rakhne aur istemal karne padhte hai'n Jis tarah Hukm hai , 

"__Yu samjho k Namazi ke badan ka har hissa khuda ke Hukm per chalne ki mashq karne mai lag jata hai aur Koi mard ya Aurat theek theek Namaz padhe to Namaz ke bahar bhi gunaho se bachega , Qur'an Sharif mai irshad hai - Namaz be hayaai se aur bure kaamo se rokti hai ,

*┱✿ Be Waqt Kar ke Namaz Padhna Munafiq kiNamaz hai _,*

┱ Hazrat Rasoole Maqbool Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Namaz ko be waqt kar ke Padhne walo ke bare mai farmaya hai k ye munafiq ki Namaz hai k bethe bethe Suraj ka intezar karta rehta hai aur Jab Suraj pila pad jaye to khade ho kar ( Jaldi Jaldi murg ki tarah Chaar thonge maar leta hai ( aur ) khuda ko un ( sajdo ) mai ( Jo murg ki thongo ki tarah jhat pat kiye gaye ) bas Zara sa yaad karta hai ,

*Mishkaat Sharif_,*             
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Aurto'n Ko Namaz Ki Khaas Taakeed ,*

┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat Jab Panj waqta Namaz padhe aur Ramzan ke Roze rakhe aur Paak daaman rahe aur Shohar ki farmabardaari kare to Jannat ke Jis darwaze se chahe Jannat mai dakhil ho jaye _,"

*Mishkaat -186 Ba hawala-Abu Naiem ,*

*┱Tashreeh _,* _ is hadees Mubarak mai Aurat ko chand kaam anjaam dene per Jannat ki basharat di gayi hai , har Musalman Aurat ko in per Amal karna laazim hai , Avval Panj waqta Namaz padhne ko farmaya , Namaz har baalig Mard Aurat per Paanch waqt farz hai , in Paanch Waqto ko Sab Musalman jaante hai'n, Harj ho Marz ho ,safar ho hazar ho ,Dukh ho takleef ho ,ranj ho khushi ho ,Jis haal mai bhi ho jaha'n bhi ho Paanch waqt Namaz Padhna farz hai ,

┱ Aaj kal nafarmani ka Daur hai ,Allah Ta'ala ke Hukmo se gaafil rehne aur gunaho mai lat pat rehne ki fiza hai ,Bahut kam Mard Aurat ese hai'n Jinko khuda Wand Quddus ke Ahkaam per Amal karne ki fikr hai , Jab Maa'n Baap gaafil hai'n to Aulaad bhi be deen ho jati hai ,

┱Bahut se gharane ese hai'n Jinme 24 ghante mai kabhi kisi waqt bhi na Koi Namaz padhta hai na Dua ,na kalma Zubaan per aata hai, Kis Qadar Ranj ki baat hai k Poore Poore ghar Allah ki yaad se khaali ,Haalat dekh kar maloom hota hai k Mahalle ke Mahalle khuda ke nafarmaano se abaad hai'n, Jis kisi gali se guzro to gaano ki awaaze aati hai magar Bachche ke Qur'an Padhne ki awaaz nahi aati , inna lillaahi wa inna ilaihi raaji'uon,
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Be-Namazi Ka Hashr _,*

┱ Namaz ki Pabandi har baalig Mard aur Aurat per laazim hai, Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad  farmaya k Jisne Namaz ki pabandi ki ( Qayamat ke Din ) Namaz Uske liye Noor hogi aur ( Uske Imaan ki ) daleel aur ( Uske liye ) nijaat ka samaan hogi aur jisne Namaz ki pabandi na ki WO Shakhs Qayamat ke din Qaroon ,hamaan ,Firoun aur Ubai bin Khalf ke saath hoga _," 

*Mishkaat- Ba hawala Ahmad ,Daarmi ,Bahyqi ,*

┱ Dekho Jo Namaz Ki pabandi na kare uska Hashr kese bade Kaafiro ke saath bataya hai ,Jo Kufr ke sargane the aur Khuda ke baagiyo ke zikr mai jinka zikr sabse Pehle aata hai , Unke saath Hashr hone ke kaam karna badi na samjhi hai , Buzurgo ne bataya hai k in Chaar Shakhso ka zikr isliye kiya hai k Namaz chhodne wale umuman Chaar qism ke hote hai'n :-

1-- Jo Haakim hone ki vajah se Namaz chhodte hai'n, Ye log Firoun ke saathi hue kyunki WO Hukumat ki vajah se Allah ka baagi bana ,

2-- Jo maaldaari ki vajah se Namaz nahi padhte Ye log Qaroon ke saathi honge kyunki WO maal ki vajah se Khuda e Ta'ala ka nafarmaan bana tha ,

3-- Jo log mulazmat ,Naukri pesha ki vajah se Namaz nahi padhte ,Ye log Hamaan ke saath honge Kyunki usne Firoun ka Wazeer hone ki vajah se Khuda e Paak ki bagawat aur Sarkashi akhtyat ki thi ,

4-- Jo log Tijaarat ,Kaam dhandhe ki vajah se Namaz nahi padhte ,Ye log Ubai bin Khalf ke saath honge ,Ye Shakhs ek bada mushrik tha ,Tijarat karta tha ,Usko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Apne daste Mubarak se qatl farmaya tha ,

┱ in asbaab ke alawa bhi aur asbaab hai'n jinki vajah se Namaz tark ki jati hai, maslan Bachcho ki vajah se , Sone ki vajah se, Safar ki vajah se, Dukh takleef, Shadi Byaah ,in me aksar Namaze qaza hoti hai'n, Halanki Jab tak jaan mai Jaan hai aur hosh baqi hai Namaz tark karne ki Shari'at mai koi gunzaish nahi hai,
 ┗═════════════════✿
*┱✿Namaz mai Khushu v Khuzu ki Ahmiyat _,*

┱ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha bayan farmati hai'n k hamara ek gulaam tha Jise Aflah kehte they, Ek baar Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne use Namaz padhte hue dekha WO Sajde mai jata to ( Gubaar saaf karne ke liye Sajde ki jagah ) foonk maar deta tha , Ye dekh kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ey Aflah Apne chehre ko mitti mai milao _,"

* Mishkaat- Ba hawala Tirmizi,*

*┱Tashreeh _,* _ Namaz ibaadato se badi ibaadat hai aur vajah iski ye hai k isme insaan Apne Rab E Kareem ke Huzoor mai Apni zaat ko bilkul zaleel kar ke pesh kar deta hai aur Jisme insani mai Jo sabse Zyada Sharif uzv yani Sar hai ,usko sabse Zyada zaleel jagah Zameen per rakh deta hai , Sajde mai Sar rakh dena Aajizi v inksaari ka izhaar hai , 

┱ Isliye Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Aflah Raziyallahu Anhu se farmaya k Apne chehre ko mitti mai milaao , Namaz khud ko mitaane ke liye hai ,Takabbur ko todne ke liye aur Nafs ke guroor ko dabane ke liye hai ,Jab Namaz mai bhi ye dhyan raha k Kapdo mai Silwate na padhe aur maathe per mitti na lage to Allah Ta'ala ki taraf dhyan Kaha raha ? Namaz to Rabbul Aalameen ki azmat Dil mai basane ke liye hai jab Rab e Akbar ki badaai saamne aati hai to Apni shaan bilkul Hakeer maloom hoti hai ,
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Har WO Cheez Makrooh hai Jisse Namazmai Dil bate _,*

┱ Har WO cheez jisse Namazi ka Dil batta ho aur Khuda e Paak ki taraf se dhyan hat kar kisi Makhlooq mai Dil ulajhta ho makrooh qaraar di gayi hai , Namazi ke saamne Diwaar ya musalle per naqsh nigaar hona , Badan ya Kapde se khelna, Zameen per giri kankriya Haath mai Lena , ye Sab makrooh hai ,
"_ Poori tarah mutavajjah ho kar Namaz Padhna k Namaz se bahar khayal na jaye ye khushu hai ,

*┱✿ Khushu Ka Sabse bada martaba kya hai ?* 

┱ Khushu ka sabse bada martaba to ye hai k is tarah Namaz padhi jaye k Goya Allah Ta'ala ko dekh rahe Hai'n , Ye kaifiyat haasil na ho sake to ye khayal karte hue Namaz padhe k Allah Ta'ala humko dekh raha hai ,Khoob dhyan karne aur baar baar isi taraf tavajjoh lagane se ye baat haasil ho jati hai,

"__ Allah Ta'ala ka irshad hai _ *" WO imaan wale Kamyaab hue Jo Apni Namaz mai Khushu karne wale hai'n _,"*

┱ Jis Namaz ka Aakhirat mai Sawab Lena hai aur Jise Baargahe khudawandi mai Pesh kar ke jannat haasil karna hai usko Be dhyani se padh Lena Badi na-layaqi ki baat hai ,Khoob Dil laga kar Namaz padho aur Namaz ko bahut badi ni'amat aur daulat samjho ,Zindgi ka Jo waqt Namaz mai lag gaya anmol ho gaya aur Zindgi ka ye hissa Zindgi kehne ke qabil ho gaya , Ye Momin ki Shaan hai k Khoob mustedi ke saath Duniya ke jhamelo se Dil faarig kar ke Namaz padhe ,
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Munafiq Ki Namaz kesi hoti hai_,*

┱ Qur'an E Paak mai Munafiqo ka haal bayan karte hue irshad farmaya :- Jab Namaz ke liye khade hote hai'n to Susti ki haalat mai khade hote hai'n ,

"__Namaz Padhte waqt tabiyat per bojh aur Jism per Susti aur Kaahili sawaar hona Momin ki Shaan nahi hai ,Namaz Khushu khuzu aur Sukoon v itminaan ke saath padhni chahiye ,

*┱✿ Namaz Padhne Walo ke Sawab mai KamiBesi _,*

┱ Ek Hadees mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k insaan Namaz se faarig hota hai Halanki Namaz ka sawaab ( mukhtalif likha jata hai )  Sawab ka dasva hissa ya nava hissa ya aathva hissa ya saatva hissa ya chhata hissa ya paanchva hissa ya chothaai hissa ya tihaai hissa ya aadha hissa likha jata hai,"

* Abu Daowd _,*

┱ Yani Jis darje ka khushu aur ikhlaas aur Sunnato ri'ayat Namaz mai hoti hai usi qadar Ajro Sawab milta hai ,
              
*┱✿ Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu kiDaant _,*

┱Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Ahliya Hazrat Umme Romaan Raziyallahu Anha farmati hai'n k mai'n ek Din Namaz Padhte hue idhar udhar ko jhukne lagi ye Dekh kar Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne mujhe is zor se daanta k vajah se qareeb tha k mai'n Namaz tod du'n , Fir Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne farmaya k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Jab koi Shakhs Namaz ke liye khada ho to Apne tamaam badan ko suqoon se rakhe , Yahudiyo ki tarah idhar udhar ko na jhuke kyunki Namaz mai A'aza ko sukoon se rakhna Namaz ke poora hone ka Juzv hai ,_"

* Durre Mansoor ,*
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Ruku aur Sajda Poora Na karna Namaz kiChori Hai ,*

┱ Hazrat Abu Qatada Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sabse bura Chor WO hai Jo Apni Namaz se Chori karta hai , 

Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne sawal kiya -Ya Rasulallah Namaz se Kese Chori karta hai ?
Farmaya - Namaz se Chori karna ye hai k Namaz Padhne wala Apni Namaz ka Ruku Sajda Poora ada na kare ,"

* Mishkaat- 83 Ba hawala Musnad Ahmad,*

*┱Tashreeh _*_ Hadees mai ye bataya gaya hai k Namaz ka Ruku Sajda agar Poori tarah na kiya jaye to ye Namaz ki badtareen Chori Hai, Kyunki ye Aakhirat mai kaam aane wali daulat ko zaaya kar raha hai ,Jisse Jannat  Jesi Anmol niyamat milti hai ,

┱ Jab Namaz hi padhni hai to Waqt be waqt Kyu padhe aur Ruku Sajda ko Jaldi Jaldi fatafat tu chal mai aaya ki tarah Kyu kare ? Namaz itminan se padho ,Ruku Sajda itminan se karo , 

┱ Ruku ki tasbeeh itminan se 3 baar ,5 baar ya 7 baar padho fir itminan se Ruku se   khade ho ,Sajda itminan se kare aur Sajde ki tasbeeh 3 baar ,5 baar ya 7 baar padho ,Fir Sajde se uth kar itminan se beth jao , fir doosra Sajda bhi itminan se ada karo , Har Rukn ko theek theek itminan se ada karo ,
 ┗═════════════════✿
*┱✿ Baaz Namaziyo Ke Liye Namaz Ki Bad-Dua_,*

┱ Baaz rivayaat mai hai k Jo Shakhs Namaz ko be waqt kar ke padhe aur Wazu achchhi tarah na kare na usme poori tarah Dil lagaye na Ruku Sajda poora poora ada kare to Namaz Siyaah soorat mai waha se rukhsat hoti hai
Aur Ye  Bad Dua deti hui jati hai k Allah tujhe zaaya kare Jesa k tune mujhe zaaya kiya , Fir WO Namaz Purane kapdo  mai lapet kar Namaz Padhne walo ke moonh per maar di jati hai _,"

* Mafhoom Tabrani vagera,* 

┱ Allah Ta'ala hum sab ko ibaadat ka zoq ataa farmaye aur Namaz ko hamari Aankho ki thandak banaye __ Aameen ,

              ┗═════════════════✿
*┱✿ Sunane Mo'kada ka Ahatmam Karna bhiZaroori hai _,*

┱ Hazrat Umme Habiba  Raziyallahu Anha se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs Raat Din mai 12 raka'at Namaz padhega Jannat mai Uske liye ek ghar banaya jayega
( WO 12 raka'ate ye hai'n ) Chaar Raka'ate Zuhar se pehle aur Do Raka'ate Zugar ke baad aur Do Raka'ate Magrib ke baad aur Do Raka'ate isha ke baad aur Do Raka'ate Namaze Fajar yani Subeh ki Namaz se pehle _,"

* Tirmizi -1/81*

*┱Tashreeh _*Is Hadees ko rivayat karne wali Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha Hai'n Jo Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Bivi Hai'n , Unhone is Hadees ko bayan karne ke baad farmaya- Jabse Maine ye hadees suni hai usi waqt se in raka'ato ko ahatmam aur Pabandi ke saath ada karti hu'n.  

┱ Fajar ke Farzo se pehle Do Raka'at Sunnate Sab Mo'akada Sunnato se bad kar inki takeed waarid hui hai , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam gair farz namazo mai sabse Zyada pabandi Fajar ki do Sunnato ki karte they _," 
*( Bukhari v Muslim )*

┱ in do Sunnato ki fazilat bhi bahut Zyada hai Farmaya Sarware do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne - fajar ki do raka'ate saari duniya se aur Duniya mai Jo Kuchh hai us sabse behtar hai ,
*( Muslim Sharif )*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Zuhar se Pehle Chaar raka'ate aur Fajar se Pehle Do Raka'ate kisi haal mai nahi chodte they ,

*( Musnad imaam Ahmad)*              
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Gair Mo'akada Sunnate aur Digar Nawafil _,*

┱ Mo'akada Sunnato ke alawa Gair Mo'akada Sunnato aur Nifl Namazo ka bhi ahatmam karna chahiye, Baat ye hai k insaan Duniya mai Jo kuch kar lega Aakhirat mai uska Fal pa lega ,Aakhirat ki tijarat mai nuqsan ka koi khatra nahi , Jaha'n tak mumkin ho Nifl Namazo mai bhi kotahi na ki jaye , 

┱Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Qayamat ke din Bande ke a'amal mai sabse pehle namaz ka hisaab hoga ,Agar namaz theek nikli to Kamyaab aur Ba-muraad hoga aur agar Namaz kharab nikli to Sawab se Mehroon hoga aur nuqsan uthayega , Agar Farzo mai Kuchh kami nikli to Allah Ta'ala farmayenge ( dekho ) Kya mere Bande ki Kuchh gair farz Namaze bhi hai'n, Agar gair farz Namaze bhi hongi to unke zariye Farzo ki kami poori kar di jayegi ,fir digar A'amal ( roza ,zakaat vagera ) ka hisaab bhi isi tarah hoga ( yani nawafil se fara'iz ki takmeel ki jayegi )_,"

* Mishkaat Sharif ,*

┱ Allahu Akbar ! Kya thikana hai Allah Ta'ala ki inayat ka k fara'iz ki kotahi ko gair Farzo se poora farma denge , Ab Bando ki samajhdari hai k Sunnato aur Niflo ko mamooli na samjhe , Farz ke aage pichhe jo Sunnate hai'n unka aur Niflo ka Khaas khayal rakhe aur barabar padhte rahe taki Aakhirat ke buland darjaat naseeb ho aur Farzo ki kami bhi Poori ho , isse  Mehroon ho Jana badi nasamjhi hai ,Chaasht ,ishraaq ,Awwabeen aur Tahajjud Padhna bahut hi nafe ki cheez hai ,
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Farz Namaz Ke baad Do Raka'at Ka Sawab_,*

┱ Ek Sahabi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k hum log Jab Khaibar Fatah kar chuke to logo ne Apna Apna maale ganimat nikala Jisme mutafarrik samaan tha aur qaidi ( bhi ) they ,Aapas mai Khareed farokht shuru ho gayi  ( k har Shakhs Apni zaruriyaat khareedne laga aur doosri zaa'id cheezo ki khareed farokht shuru kar di )

┱ Ek Sahabi Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hue aur arz kiya -Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Mujhe Aaj ki is Tijarat mai itna nafa hua k saari jama'at mai kisi ko bhi itna nafa na mil saka ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha -Kitna nafa hua ?
Arz kiya -mai'n samaan khareedta aur bechta raha Yaha'n tak k nafa mai Teen So Oqiya Chaandi bachi ,

┱  Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Mai'n tumhe  isse badh kar behtreen nafa ki cheez na bataa du'n ?

Arz kiya- zaroor bataiye ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k farz Namazo ke baad Do Raka'at padh lena ( is saare nafe se badh kar hai )_,"

* Abu Daowd_,*

┱ Dekho do Raka'at ka kitna nafa bataya gaya hai ,Ek Oqiya Chalees Dirham ka aur Ek Dirham 3 masha 5 Ratti ka hota hai , 300 Oqiya Chaandi ki qeemat ka hisaab laga lo , Fir Dekho Aakhirat ka Sauda kitne nafe ka hai ,
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Asr se Pehle 4 Raka'at Ki Fazilat_,*

┱ Asr se Chaar Raka'at Padhne Ke bare mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Us Shakhs per Allah Ta'ala Raham farmaye Jo Asr se Pehle Chaar Raka'at Namaz Padh le _,"

* Mishkaat Sharif ,*

*┱ Mashla_* Mo'akada Sunnato Ka darja Waajib ke qareeb hai unko chhodne se gunaah hota hai , *( Shaami _),*

┱_ Lambe Safar mai Rail Chhoot Jane ya Bus nikal Jane ka andesha ho ya Rail mai Jagah milne ki dushwari ho to Mo'akada Sunnato ko chhodne ki gunzaish hai magar Fajar ki Sunnate jaha'n tak mumkin ho padh hi le , Agar koi Shakhs Sakht mareez ho to WO bhi Mo'akada Sunnate chhod sakta hai lekin Vitr kabhi na chhode Kyunki Vitro ka darja Farzo ke qareeb hai , Agar isha ki Namaz qaza ho jaye to Farzo ke saath Vitro ki qaza bhi laazim hai _,"

┱ Agar Fajar ki Namaz qaza ho jaye to Suraj nikalne per Aankh khule to Sunnat aur Farz dono ki qaza padhe ,Agar Zuhar ka waqt aa gaya aur Fajar ki qaza nahi padhi to ab Sirf Fajar ke Farzo ki qaza padhe Sunnato ki qaza padhne Ka waqt guzar gaya ,

┱ Farz Namazo ke baad Jo Sunnate Hai'n unko Farzo ke saath hi padh le yani mukhtasar si Dua maang kar Sunnato mai mashgool ho jaye , Tasbihaat aur Lambi Dua Sunnato ke baad kare ,
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Nifli ibadaat mai Miyana Ravi Ka Hukm _Hadees -1,*

┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ek martaba ( Raat ko ) Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam masjid mai dakhil hue ( dekha k ) ek Rassi do sutoono ke darmiyan bandhi hui hai , Farmaya -Ye kesi Rassi hai ? Jawab mai arz kiya gaya k ye Hamna Binte Jahash Raziyallahu Anha hai ( Jo dair tak Raat ko namaz padhti rehti hai unhone ye baandhi hai ) ,Namaz Padhte Padhte jab thak jati hai to ( Susti utaarne ke liye ) isse latak jati hai ,

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Jab tak Taaqat ho Namaz padhti rahe ,Jab thak jaye to beth jaye ,Fir ( Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek or Rassi dekhi )  farmaya -ye kya hai ? Hazireen ne arz kiya k ye Zainab Raziyallahu Anha ( ne baandhi hai WO Raat ko ) namaz padhti rehti hai, Jab Susti aa jati hai to isko pakad leti hai, 

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - isko khol do ,fir ( mustaqil tareeqe per qa'ada batate hue ) irshad farmaya k jab tak tabiyat mai baahashat rahe ( Nifl ) namaz padhte raho ,fir jab Susti aa jaye to beth Jana chahiye _,"

* Sunan Abu Daowd -1/186 ba hawala Bukhari -1/154 v Muslim -1/266 ,*
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Nifli ibadaat mai Miyana Ravi Ka Hukm _Hadees-2,*

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ( Apne Bhanje ) Hazrat Urwah bin Zubair Raziyallahu Anhu ko bataya k ( ek martaba ) Hawla bint Tuwait Raziyallahu Anha mere Paas se guzri , Us waqt Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam mere Paas Tashreeh rakhte they, Maine arz kiya k Ye Hawla bint Tuwait hai ,Logo ka bayan hai k ye Raat ko nahi soti hai ( aur Namaz hi padhti rehti hai ) ,

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne nagawari ka izhaar karte hue ) farmaya - Raat bhar nahi soti ? ( Fir farmaya ) k is qadar Amal karo jitni taaqat ho , Pas Allah ki qasam Allah Ta'ala bad dili wala maamla nahi farmate ( yani Apne Fazal v Sawab ko nahi rokte ) jab tak tum bad Dil na ho jao _,"

* Sahih Muslim - 1/266_*

*┱ Tashreeh _,*_ Dono Hadeeso mai Jaha'n Sahabi Khawateen Raz. Ke tahajjud padhne ke zoq v shok ka pata chalta hai  wahi Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki ye nasihat bhi saamne aati hai k Tahajjud padhne ke liye Nafs ke saath sakhti karna durust nahi hai ,Jab tak tabiyat mai nishat ,khushi aur bashashat rahe us waqt tak tahajjud mai lage raho ,Nafs ke saath zabardasti karna ,Rassi se latak jaye ya Aankho mai koi cheez daal li jisse neend bhaag jaye ye mamno'a hai , Agar tabiyat mai Susti ho ,bashashat na ho ,Aankho mai neend bhari ho ,jamhaiya aa rahi ho ,kehte Kuchh ho aur Zubaan se nikalta Kuchh or ho ,is haalat mai tahajjud padhne ke bajaye araam kar Lena aur sona behtar hai ,

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya -  "__Allah ko Sabse Zyada Mehboob Amal  WO hai Jo sabse Zyada Pabandi ke saath ho agarche thoda hi ho _," 

*  Muslim -266 ,*
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Nifli ibadaat aur Ahlo Ayaal Ke Huqooq _,*

┱ Jisne Jawani mai Miyana Ravi se kaam nahi liya aur Nafs ko bahut Zyada mehnat mai mashgool rakha ,isliye to Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Budhape mai Afsos karte they k kaash mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki irshad ki hui rukhsat ko maan leta ,Agar Miyana Ravi se chalte rahe to Jawani aur Budhape mai barabar kaam chalta rahega aur thoda thoda ( magar pabandi se kiya ) bahut ho jayega ,

┱ Ibaadat mai bahut Zyada Mehnat kar ke Budhape mai pad Jane aur ibaadat ke chhoot Jane ke nuqsaan ke alawa Nafs aur Aankh ke huqooq aur Ahlo Ayaal aur mehmano ke huqooq ki adaygi ka bhi koi moqa ESE gulu karne wale Aabid ko nahi milta ,isliye Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko miyana ravi ka hukm farmate hue irshad farmaya k tumhare Nafs aur Bivi aur Mehmano ka bhi tum per Haq hai ,

┱ Bahut se Mard aur Aurat Apni buzurgi aur ibaadat ke ghamand mai ghar walo aur Mehmano ka Haq nahi pehchante , Mehman ka Haq itna hi nahi hai k bas usko Roti khila di ,Bistar per sula diya ,balki Uske huqooq mai ye bhi hai Uske saath uthe bethe ,baat cheet kare ,Uske saath waqt guzaarna ,hansna bolna ,Paas bethna ,Uske saath Khana khususan jabki qareebi rishtedar ho ye bhi Deendari aur buzurgi mai Shamil hai ,

┱ Ahlo Ayaal ka bhi Haq hai unse bole baate kare ,dildaari kare ,Bivi Shohar ka ,Shohar Bivi ka khayal rakhe ,Bahut se Mard ibaadat mai Gulu karte hai'n ,Raat Raat bhar namaz padhte hai'n aur Bivi se jhoote moonh bhi baat nahi karte , Halanki uska Dildaari karna ,Baate karna ,Dillagi karna ,Saath bethna uthna ,letna ye Sab ibaadat hai aur Ye Bivi ke huqooq mai Shamil hai, isi tarah bahut si Aurte'n Apni Jahalat Ki vajah se  zarurat se Zyada Deendar ban jati hai'n, Shohar Bechara moonh taakta rehta hai, bahut si Aurte'n Nifl roze rakhti chali jati hai'n, Jisse Shohar ke huqooq ki adaygi mai bahut Kotahi hoti hai, Halanki Shohar ghar per ho to uski ijazat ke bager Nifli roze rakhna mana hai ,

*"__Khulasa _* _ Ye hai k Nafs ,Jism ,Bivi ,Shohar ,Mehmaan ,Aulaad sabka khayal rakhe hue Nifli ibaadat karna chahiye, Miyana Ravi ke saath sab kam karte rahe ,   Jesa k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne un teen Aadmiyo se farmaya - (Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ki azwaaje muhatraat Raziyallahu  se Aapke andruni Khana ibadaat maloom karne ke liye aaye they,)  K mai'n Roza bhi rakhta hu'n ,Be Roza bhi rehta hu'n ,Raat ko Namaz bhi padhta hu'n aur sota bhi hu'n ,algaraz Miyana Ravi Deen mai Pasandida hai , 
           ┗═════════════════✿

*┱✿ Aurto'n ko Ghar mai Namaz Padhne Ka Hukm _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat ki Namaz Jo Uske kamre mai ho us Namaz se behtar hai Jo Uske dalaan mai ho aur uski Namaz Jo andar wale khusoosi Kamre mai ho us Namaz se behtar hai Jo kisi aam kamre mai ho ,

┱ Aur ek rivayat mai hai Jo Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se marvi hai k Aurat ki Namaz Jo uski haweli mai ho us Namaz se behtar hai Jo Uske qabeele ki masjid mai ho ,

┱Ek aur Hadees mai hai Jo Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se marvi hai k Aurat Chhupa kar rakhne ki cheez hai aur Beshak jab WO ghar se baahar nikalti hai to use shaitaan takne lagta hai aur Aurat us waqt sabse Zyada Allah se qareebtar hoti hai jabki WO Apne ghar ke andar hoti hai ,

* Targeeb v Tarheeb , 1/135 ,*

*┱ Tashreeh_* _ in rivayaat mai Aurto'n ko bataya gaya hai k WO Namaz Padhne ke liye masjid mai Jane Ki fikr mai na pade kyunki ghar se bahar tarah tarah ke Aadmi hai'n, Shaitaan ke lashkar hai'n ,Jinki shehwana bad nazri aur gunahgari hai , Aurto'n ko farmaya gaya hai k WO apne  ghar se bahar na nikle haa'n agar bahut hi Zyada majboori hai to khoob Zyada parde ke ahatmam ke saath nikalne ki ijazat di gayi hai , Hadees mai farmaya gaya hai k Aurat ko Allah ki nazdeeki sabse Zyada us waqt haasil hoti hai jabki WO Apne ghar ke andar ho aur Aurat ki WO namaz sabse behtar hai Jo andruni andar bilkul Aakhri kamre mai ho , 
┗═════════════════✿

*┱✿ Hazrat Umme Humaid Raziyallahu Anha Ko Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Hidayat _,*

┱ Hazrat Umme Humaid Raziyallahu Anha ek Sahabi Aurat thi Unhone arz kiya Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam mai'n Aapke saath Namaz Padhne ko Mehboob rakhti hu'n ,

"__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya mujhe maloom hai k tum mere saath Namaz Padhna chahti ho Halanki tumhara kamre mai Namaz Padhna dalaan mai Namaz Padhne se behtar hai aur dalaan mai namaz Padhna ghar ke sahan mai namaz padhhe se behtar hai aur ghar ke sahan mai Namaz Padhna tumhare apne qabeele ki masjid mai namaz padhne se behtar hai aur tumhare apne qabeele ki masjid mai Namaz Padhna isse behtar hai k tum meri masjid mai aa kar Namaz padho ,

( Raavi ka bayan hai k ) ye baat sun kar Hazrat Umme Humaid Raziyallahu Anha ne apne namaz padhne ki jagah apne ghar ke bilkul Aakhri andruni hisse mai muqarrar kar li jaha'n khoob taariki thi aur Maut aane tak barabar usi mai namaz padhti rahi ,

* Targeeb v Tarheeb Ba rivayat Ahmad v ibne khuzaima v ibne Hibaan ,*

┱ Us zamane mai Aurto'n ko Deen ki baato per Amal karne ka jazba tha ,unhone Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ki baat sun kar Apne ghar ke bilkul andruni hisse ko Namaz ki jagah bana li aur wahi maut tak namaz padhti rahi , Aaj kal ki Aurte'n Hadees bhi sunti hai'n, Kitaabe bhi padhti hai'n aur Shari'at mai Jo Parde ki Ahmiyat hai usko bhi jaanti hai'n Lekin phir bhi Amal karne se gurez karti hai'n, Deeni Zindgi guzaarne ki Khaas ragbat hi nahi rahi aur Jinko Deen ki taraf tavajjoh hai WO bhi Deeni Ahkaam ko tabiyat ke mutabiq ada karna chahti hai'n , Shari'at ke mutabiq anjaam dene ka iraada nahi karti ,Halanki tabiyat per chalne mai Sawab nahi Shari'at per chalne mai Sawab milta hai ,
┗═════════════════✿

*┱✿ Masajid Mai Aurto'n Ke Jane Ki Muma'anat_,*

┱ Baaz Aurto'n ko namaz ka shoq Aur Zoq hota hai Jo bahut Mubarak hai Lekin Masjido mai jaa kar Namaz Padhne ki Ragbat rakhti Hai'n aur bahut se moqo per ( maslan Shabe bara'at ,Khatme Qur'an vagera ) mai masjid mai pahunch jati hai'n aur isko Sawab samajhti hai'n, Halanki Be pardgi ho jati hai aur Bachche Saath hone ki vajah se Masjid ki be hurmati bhi hoti hai, Waha'n beth kar baate banati hai'n jisse Mardo'n ki Namaz mai khalal hota hai, Ye Sab cheeze esi hai'n jinse parhez karna laazim hai ,

┱ Hazrat Umme Humaid Raziyallahu Anha ki rivayat se maloom hota hai k unhone Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saath namaz padhne ki Khwahish zaahir ki us per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ghar ke andar wale kamre mai namaz padhne ki naseehat farmayi ,Halanki Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki Masjid ki ek Namaz Hazaar namazo se behtar hai, Maloom hua k Aurto'n ko ghar mai namaz Padhna laazim hai,

┱ Hadees mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka Umme Humaid Raziyallahu Anha ko ye bayan farmana k Apne qabeele ki masjid mai namaz Padhna meri masjid mai namaz padhne se behtar hai, Ye us waqt Ki baat hai jab Aurte'n Parade ka ahatmam karte hue, Khushbu lagaye bager Masjid mai namaz ke liye jata karti thi , aur is per ye qanoon tha k Farz namaz ka salaam fer kar pehle Aurte'n chali jati thi , Unki saf sabke pichhe hoti thi ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke saath doosre Namazi Apni jagah per bethe rehte they Jab Aurte'n chali jati tab uthte they ,

┱ ┱ Aaj kal na to Parde ka ahatmam hai na Mardo'n mai Taqwa v taharat hai ,Na Aurto'n mai Saada libaas ka rivaaj hai , Khoob ban sanwar kar khushbu laga kar nikalti hai'n, Burqa bhi aaj kal Fool daar ,bhadak daar pehanti hai'n, Bahut si Aurte'n to moonh khol kar chalti hai'n, Kuchh esi bhi hai'n jinka naqaab mai se chehra jhalakta rehta hai, in halaat mai bahar nikalne ki kese ijazat ho sakti hai? Aasteen Aadhi balki bila Aasteen ke Karte aur Frock pehne hue Chhote dupatte ki Chaar ungal wali ek katran gale mai daal kar chal deti hai'n, Mardo'n ki nazre unki taraf khichti hai aur ese Libaas mai Namaz bhi nahi hoti ,is haalaat mai bahar nikalna kisi tarah bhi  jaa'iz nahi ,

┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Apne Zamane ki Aurto'n ke bare mai farmaya tha k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Agar Aurto'n ka ye dhang dekh lete Jo unhone aaj bana liya hai to unko Zaroor ( sakhti ke saath ) Masjid mai aane se mana farmate Jesa k ( doosri ummato mai ) Bani Israiyl ki Aurte'n ROK di gayi thi _,"

* Bukhari Sharif- 1/130_*

┱ Jab Aurto'n ko Jama'at se Namaz ke liye ( Masjid mai) Jane se ROK diya gaya to Melo Thelo mai aur Parko mai aur Bazaro mai aane Jane ka to sawal hi Paida nahi hota , Aaj kal ajeeb rivaaj ho gaya hai k Kapda aur Sabzi Tarkaari vagera khareedne aur Khaangi zarurat ki cheeze Bazaar se lana logo ne Aurto'n ke zimme daal diya hai Ya Aurto'n ne zabardasti Mardo'n ke is kaam per qabza kar liya hai , Ye baat Mardo'n ke liye Sharm ke laa'iq hai ,
              
          ╙══════════╜ 

ReF✿┅╮    
*Tohfa E Khawateen,*

  ╟❥ *Next- Fazaile Qur'an__  in Sha Allah*                     
                  ╨───────────────────── 
               

No comments:

Post a Comment